• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 104


Sameer kuch der me Priya ke room me pahuncha…Jab usne door par knock kiya to koi response nahi mila…Do Chaar baar aur knock kiya fir bhi koi reponse nahi mila.

Sameer ne ghadi me time dekha to dopahar ka 12:00 pm baj raha tha…Sameer ne socha ki Priya abhi so rahi hogi…Uske baad Sameer bhi apne room me aa gaya.

Abb Sameer ke paas karne ke liye kuch nahi tha…Maa se baat karne ke baad wo khud ko bahut halka mehsus kar raha tha…Abb usse naahi koi aatmaglaani tha aur naa hi koi majburi…Aaj wo bahut din baad itna sukoon mehsus kar raha tha…Andar se bahut khus tha wo aaj.

Sameer yahi sab baatein sochte hue bed par jaa kar lait gaya…Bed me laitne ke kuch der baad hi wo gehri neend me so gaya…Neend me bhi uske chehre me sukoon dikh raha tha.

Sameer kareeb 3 ghanta baad utha…Jab uski aankhein khula to usne apne paas Priya ka dhundla sa roop dekha…Usse vishwas nahi ho raha tha ki Priya uske paas baithi hai.

Sameer turant utth kar bed me baith gaya aur apni aankhein meench kar fir se Priya ko dekhne laga…Iss baar usne mehsus kiya ki sach me Priya hi hai…Usne ye bhi mehsus kiya ki Priya thoda naraaj lag rahi hai.

Sameer:- Tum yahan...Kab se?

Sameer ne kuch der baad hairaani se pucha.

Priya:- To aap ka neend khul hi gaya.

Priya ne thoda chhidh kar puccha.

Sameer:- Ha…Lekin tum yaha kab se ho.

Priya:- Picchle aadha ghante se.

Iss baar bhi Priya ne thoda chhidhte hue kaha.

Sameer ne jaise hi ye suna usne aur bhi hairaani ke saath pucha.

Sameer:- To mujhe uthaya kyu nahi.

Priya:- Kaise uthaati…Tum to ghoda bech kar soo rahi thi.

Priya ne iss baar bhi chhidhte hue kaha.

Priya ki iss baat par Sameer ne kuch nahi kaha…Priya ki baato ka jawaab Sameer ne has kar diya.

Priya:- Maine koi jokes kaha kya…Tum hans kyu rahe ho.

Sameer:- Nahi tumne jokes nahi kaha…Lekin ye soch kar hansi aa raha hai ki tum abhi tak naaraj hone ka acting acche se nahi kar paa rahi ho.

Sameer ki iss baat par Priya ka chehra ka rang ek dam se badal gaya…Usse hairaani ho rahi thi ki itni acchi acting ke baad bhi Sameer ko kaise pata chal gaya ki wo naraaj hone ka acting kar rahi hai.

Lekin agle hi pal usne gussa hone ka dikhaawa kiya aur pucha.

Priya:- Kisne kaha…Mai naraaj hone ka acting kar rahi hu…Mai sach me tum se naraaj hu.

Sameer:- Wo to tumhara chehra bata raha hai ki tum kitna naraaj ho…Mai itna bhi bewkoof nahi hu ki kisi ka chehra aur baton se uske soch ke bare me pata na laga saku.

Sameer ne muskurate hue kaha.

Priya:- Kaash tum Shruti ko bhi pehchaan paate.

Achanak hi Priya ki munh se ye baat nikla…Lekin aawaj itna dheemi tha ki Sameer acche se sun nahi paaya.

Sameer:- Tumne kuch kaha.

Priya:- Nahi…Kuch nahi.

Priya ne thoda hadbada kar boli jise Sameer ne bhi mehsus kiya lekin usne is baat ko aage nahi badhaya.

Sameer:- Aadha ghante se yaha par ho…Matlab tumhe koi jaruri baat karna hai…Agar mujhe utha deti to itna intejaar to nahi karna padta…Bataao kya kehna chaahti ho?

Abb Sameer ne mudde ki baat kaha.

Priya:- Koi khaas baat nahi hai…Tumhara mood aur gussa dekh kar dar gayi thi…Socha tha kuch der tumhe akela chhod deti hu aur fir baat karungi…Jab yaha aayi to dekha ki tum bahut sukoon ke saath so rahe ho…Uthaane ka man nahi kiya…Pehli baar tumhe itna chain se sote hue dekha hai.

Jab tummere room se gaye the tab bahut gusse me thhe…Achanak kya ho gaya ki tumhaare chehre me itna sukoon aaya.

Priya ne aadhe ghante baad apna hairaani se bhara hua sawal Sameer se kiya.

Fir uske baad Sameer ne uske aur uske Maa ki bich ki saari baat Priya ko bata diya.

Sameer ki baat sunne ke baad Priya khus ho kar boli.

Priya:- Matlab tum bhi Shruti se shaadi nahi karna chaahte ho.

Priya ko agle hi pal mehsus hua ki usne kya pucha hai…Usse apne iss over excitement par gussa aa raha tha.

Lekin Sameer iss baar uski baat ka matlab samajh nahi paaya.

Sameer:- Pata nahi…Kuch bhi kehna abhi jaldbaazi hoga…Lekin pata nahi kyu abb usse nafrat sa hota jaa raha hai…Uski koi bhi baat mujhe pasand nahi aa raha hai…Jab bhi usse baat karta hu to pata nahi kyu bahut gussa aata hai.

Priya ne ek baar fir Sameer ka Shruti ke liye badh raha nafrat ko mehsus kiya.

Priya:- Tum ek baar usse acche se baat kyu nahi karte…Baat karke hi problem ka solution aata hai.

Sameer:- Nahi jab tak wo baat ka suruwat nahi karegi…Mai bhi nahi karunga…Mera bhi kuch self respect hai…Wo mujhe iss tarah se ignore karke gayi hai jaise yaha aa kar bahut bada kripa kar diya hai mujh par…Galti uska attitude uska aur maafi mai maangu…Aisa bilkul nahi hoga.

Sameer ne bahut gusse se kaha…Uska dil me Shruti ke liye paida ho chukka nafrat dhire dhire apne roop me aa raha tha.

Priya:- Are Shaant ho jaao…Mai to tumhaara mood thik karne aayi thi…Lekin tum fir gussa ho rahe ho.

Priya ne lagh bhag daant te hue kaha.

Sameer ne jawaab me kuch nahi kaha…Thodi der chup reh kar apne gussa par kaabu karne laga…Wo bhi Shruti ki vajah se apna mood kharab karna nahi chaahte ho.

Sameer:- Sorry…Pata nahi kyu itna gussa ho gaya tha…Tum mujhse baat karne aayi thi aur mai bekaar me gussa ho gaya.

Priya:-Chhodo uss baat ko…Shaayad maine hi galat jagah par galat sawaal kar diya tha.

Sameer:- Ha ye bekaar ki baat ki chakkar me bhl hi gaya tum kuch baat karne aayi thi.

Priya:- Tumhaara mood dekhne aayi thi…Tumhaara gussa kam hua ya nahi.

Sameer:- Aaj kal kuch jyada hi gussa ho raha hu…Pata nahi kab tak aise hi gussa aata rahega…Jitna bhi control karne ki koshish karta hu utna hi nakaam rehta hu.

Sameer ne fir khud par gussa hote hue kaha.

Priya:- Do hi raasta hai…Yaa to tum Shruti se acche se baat kar ke saari maamla suljha lo…Ya fir tum usse ignore karo aur uske bare me socho hi mat…Yahi tumhara gussa aur frustration ka ilaaj hai.

Sameer:- Accha idea hai…Dusra raasta sahi hai…Usse ignore karna hi accha hoga.

Sameer ki iss baat ke baad fir kuch pal ke liye khaamoshi chaa gaya…Thodi der ki iss khaamoshi ko tod kar Sameer ne hi kaha.

Sameer:- Kuch to bolo…Bahut der se chup ho.

Priya:- Kya bolu.

Priya ne kuch soch kar kaha…Usse samajh nahi aa raha tha ki Sameer usse kya kehne ke liye keh raha hai.

Sameer: Kuch bhi…Tumhaari baato me jaadu hai…Jab bhi tumse baatein karta hu mood halka ho jaata hai aur dil chaahta hai ki tumhaari baatein suntan jaau…Bahut hi madhur aawaj hai tumhaari.

Sameer ne iss baar dil se apni baat kaha.

Sameer ki munh se apni taarif sun kar Priya bahut khus ho gayi.

Priya:- Abb flirting bhi karne lag gaye ho tum.

Priya ki baat sun kar Sameer ka munh ek dam se khul gaya…Wo itna buri tarah se chaunk gaya tha ki usse Priya ki baato par vishwas hi nahi ho raha tha…Usse samajh nahi aa raha tha ki Priya ki iss baat ka kya jawaab de.

Sameer ko aisa shocked dekh kar fir Priya ne hi kaha.

Priya:- Majaak kar rahi thi…Abb apna munh band kar lo.

Priya itna keh kar Sameer ki haalat par jor se hasne lagi…Sameer ko itna ghabraya hua usne kabhi dekha nahi tha…Priya ka majaak wala baat sun kar Sameer ka haalat aur kharab ho gaya tha…Lekin kuch der me Priya ka hansi me wo bhi khone lag gaya…Priya ka hansi dekh uske chehre me bhi muskaan aa gaya.

Jab Priya ne hasna band kar ke Sameer ki taraf dekha to Sameer ne kaha.

Sameer:- Aisa majaak mat karo…Ek pal ke liye to mai chaunk hi gaya tha tumhaari baato par…Koi jawaab bhi nahi de paa raha tha.

Itna kehne ke baad Sameer ko raahat mila.

Priya:- Kyu jawaab nahi de paa rahe the.

Priya Sameer ki haalat ka aur maja lena chaahti thi…Usne Sameer ka taang aur khichte hue kaha.

Sameer Priya ki iss baat par fir soch me pad gaya…Fir hadbadahat ke saath kaha.

Sameer:- Kyu ki maine kabhi kisi ke saath flirting nahi kiya hai…Aur iss iljaam ne chaunka diya mujhe.

Priya:- Abhi tak nahi kiya?

Priya ne iss baar chaunk kar kaha…Sameer ki baat par usse vishwas nahi ho raha tha.

Sameer:- Kabhi kisi se pyar kiya hi nahi to flirting kyu karunga.

Priya:- Matlab pyar karne ke baad flirting karoge.

Fir Priya ne hans kar pucha…Sameer ka haalat fir kharab ho gaya.

Sameer:- Shayad.

Sameer ki iss baat par fir Priya ko hansi aa gaya…Sameer ko jab pata chala ki usne kya kaha hai tab usko fir khud par gussa aane laga.

Priya ne Sameer ki iss baat par apne man me hi kaha.

Priya:- (In her mind) Dekhte hai.

Priya apne khayalon me hi thi ki Sameer ki baton se hosh me aayi.

Sameer:- Abb bas bhi karo…Bahut majaak udaa liya tumne mera.

Sameer ne jhutha gussa dikha kar kaha…Lekin Priya ko bhi uske iss jhutha gussa ke bare me pata chal gaya.

Priya:- Maine kab tumhara majaak banaya…Tum khud hi aisa jawaab de rahe ho.

Sameer:- Tum se baton me koi nahi jeet sakta.

Sameer ne chhidhne ka acting karte hue kaha.

Priya:- Iss baat me koi shak nahi.

Priya ye keh kar fir khil khilaane lagi…Uski hansi dekh kar Sameer bhi naarajgi ka naatak bhul kar Priya ke saath hasne laga.

Thodi der tak dono saath me hanste rahe…Fir achaanak donoke bich khaamoshi chaa gaya.

Dono me se kisi ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kya baat kare.

Kuch der baad Priya ne kaha.

Priya:- Aaj main ek plan banaya hai.

Sameer:- Kaisa plan?

Sameer ne utsukta ke saath pucha.

Priya:- Bahut din ho gaye iss sheher me kahi baahar nahi gaye hai…Kyu na aaj ham movie dekhne chale…Saath me ghumenge, dinner karenge aur raat me yaha aayenge.

Priya ne itna keh kar Sameer ko dekha…Usse yakin tha ki Sameer uska baat jarur maanega.

Priya ki baat sunne ke baad Sameer ne ghadi me time dekha…Uss vakt 3:45 pm baj raha tha.

Sameer:- Bahut accha plan hai…Tum ready ho kar aao…5:00 pm me yaha se chalenge.

Sameer ne bhi khushi ke saath kaha…Priya Sameer ki baat sun kar bahut khus ho gayi aur apne room ki taraf jaane lagi.

Priya ke jaane ke baad Sameer khud se hi baatein karne laga.

Sameer:- Sach me jaadu hai Priya ki baato me…Shruti ki vajah se mood off ho gaya tha mera lekin Priya se baat karne ke baad kuch hi pal me halka ho gaya…Kitni pyari baatein karti hai…Man karta hai ki uski baatein sunta hi rahu.

Dusri taraf Priya bhi Sameer ki baat sun kar bahut khus thi…Sameer ka Shruti ke saath shaadi karna Sameer ki abb majburi nahi hai…Iss baat se Priya bahut khus ho gayi thi.

Sameer ka uski baatein sunna…Uski baatein sunna…Aur aaj flirting topic ki baatein soch kar Priya ko bhi bahut accha lag raha tha.

Uska yakin abb badhte hi jaa raha tha ki abb wo din jyada dur nahi jab Sameer uska ho jaayega.

Priya apni room me to aa gayi…Lekin aate vakt wo apna mobile Sameer ke room me hi bhul gayi.

Priya ka Sameer ke room me jaane ke baad hi Sameer ka bhi najar Priya ke mobile par pad gaya.

Sameer ne Priya ka mobile utha liya aur features check karne lag gaya…Wo Priya ka mobile aise hi dekh raha tha ki galti se usne Recording par click kar diya.

Recording me usne dekha ki "My Singing Records" naam ke kuch files the…Sabhi ka length 5 minute ke around the…Lekin ek file ka 35 minute ka tha.

Sameer ko ye dekh kar thoda ajeeb laga aur usne uss song ko play kiya.

Suru me jab wo song play hua to Sameer ke kaano me Priya ka gaya hua ek madhur gaana uske kaan me pada…Karib 3 minute beeta tha ki wo song band ho gaya…Uske baad door par knock ki aawaj aaya…Aur uske baad Priya aur Shruti ki bich ki baat cheet.

Sameer ne saari baat sun liya…Usse abb Shruti aur Priya dono par gussa aa raha tha…Shruti par gussa issi liye ki usse pata chal gaya tha ki Shruti ne koi bahut bada saajish kiya hai aur Priya par iss liye ki Priya ne Sameer se ye baat chupaaya tha.

Sameer gusse me Priya ka intejaar karne laga.

Sameer ne jab wo recording suna uske 10 minute baad Priya ready ho kar Sameer ke room me aa gayi.

Jab usne Sameer ko fir se gussa dekha tab hairaani se pucha.

Priya:- Abb kya hua…Abb apna munh fir kyu fulaa liya?

Priya ne pehle ki tarah majaak me ye baat pucha…Jawaab me Sameer ne wo recording fir play kiya aur forward kar ke Priya ko suna diya fir pucha.

Sameer:- Ye sab kya hai?

Sameer ne bahut gusse me pucha…Itna gussa me ki Priya bhi dar gayi.

Priya:- Tumhe ye recording kaise mila.

Priya ne hairaani se pucha.

Sameer:- Aise hi tumhara mobile dekh raha tha ki ye file mil gaya…Abb baat jyada mat ghumaao aur jo maine pucha hai uss baat ka jawaab do…Tum Shruti se kisi saajish ke baareme baat kar rahi thi…Kya saajish tha wo…Bataao kya kiya Shruti ne?

Gusse me Sameer ne pucha.

Priya ko laga ki abb chupaane se koi faayida nahi hai…Sameer ko sab bata dena hi thik rahega…Shaayad isse behtar mauka usse fir kabhi na mile.

Uske baad Priya ne Sameer ko Shruti ki sabhi kartut ke bare me bataati chali gayi…Sameer ne jab saari baatein sun liya tab uske chehre me gussa aur hairaani ke bhaaw thhe…Usse vishwas nahi ho raha tha ki Shruti aisa kar sakti hai.

Sameer:- Itna bada dhokha…Wo bhi ek dost ki taraf se.

Itna keh kar Sameer bahut gusse me room se nikal gaya…Priya piche se Sameer ko rokti rahi lekin Sameer ne kuch nahi suna.

Sameer apne room se nikal kar bike me Shruti ke ghar ki taraf jaane laga...Sameer ki bike ki speed uska gussa ka gawahi de raha tha.

Sameer ka itna gussa aur jaldbaazi se Priya ko bahut dar lag raha tha...Wo man hi man dua kar rahi thi ki Sameer ke saath kuch galat na ho.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 105


Karib 20 minute baad Sameer Shruti ke ghar pahunch gaya…Bike ko ek jagah park karne ke baad Sameer bina koi der kiye Shruti ki ghar ke andar pahuncha…Sameer pehle bhi Shruti ki ghar me aaya tha to watchman ne usse pehchaan liya…Watchman ne Sameer ko andar jaane ke liye koi rok tok nahi kiya.

Sameer jab ghar ke andar ghusa aur gate ke paas pahuncha to usne ruke bina doorbell bajaana suru kiya…Sameer ne doorbell tab tak bajaya jab tak door nahi khula…Uska gussa kam hone ki jagah badhta hi jaa raha tha.

Karib 1 minute baad Shruti ki Maa ne door khola…Gate kholne ke baad gusse me unhone kaha.

S. Mom:- Kaun iss tarah se door bell baja raha hai?

Unhone ye to keh diya lekin jab agle pal unhone Sameer ko dekha tab wo ek dam se chup ho gayi…Sameer ka gusse se bhara lal chehra aur Sameer ka iss vakt yaha aana unhe samajh me nahi aa raha tha…Apni hairaani ko chupaate hue unhone pucha.

S. Mom:- Sameer…Tum yaha.

Unhone apni hairaani ko chupaane ki puri koshish kiya tha…Lekin fir bhi chupa nahi saki…Sameer ne bhi koi parwah nahi kiya aur bola.

Sameer:- Kya mai andar aa sakta hu?

Sameer ki aawaj se hi pata chal raha tha wo kitna gussa me hai.

S. Mom:- Haa…Kyu nahi?

Shruti ki Maa ki aawaj me hairaani ke saath abb thoda dar bhi tha.

Sameer andar jaa kar ek sofe me baith gaya aur kuch bolne hi wala tha ki Shruti ki Maa ne kaha.

S. Mom:- Beta tum bahut gusse me lag rahe ho?

Darte hue dhire se Shruti ki Maa ne kaha.

Sameer:- Shruti ko bulaaiye?

Gusse se bhare aawaj me Sameer ne kaha.

Shruti ki Maa ki samajh me kuch nahi aa raha tha…Lekin wo Sameer ki baat maante hue Shruti ko bulaane Shruti ki kamre ki taraf chali gayi.

Kuch der baad Shruti aur Shruti ki Maa dono saath hi aa gayi.

Sameer ko itna gussa dekh Shruti ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha…Lekin naarajgi ke saath usne Sameer se kaha.

Shruti:- Kya hua Sameer…Tum yaha kyu aaye ho?

Shruti ko Sameer ki gussa ki vajah to pata nahi tha…Lekin us bewkoof ko lag raha tha ki Sameer ka gussa uske adaa dikhaane se khatam ho jaayega.

Sameer ne uski baat ko parwah na karte hue Priya ka mobile se wo recording play kar diya.

Shruti aur Shruti ki Maa ne wo recording bahut dhyan se suna…Shruti ka to dar har pal badh raha tha recording sunte vakt…Shruti ki Maa ko kuch samajh me nahi aa raha tha.

Recording band hone ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Mujhe sab pata chal gaya hai tumhaari saajish, tumhaari dhokebaazi aur bhi bahut kuch…Mujhe to khud par gussa aa raha hai…Maine tujh jaisi giri hui ladki se dosti hi kyu kiya…Aur mujhe paagal kutte ne kaata tha jo tere saath shaadi karne ka faisla kiya.

Sameer ne gusse me Shruti ko khaa jaane wali najro se dekh kar kaha.

Sameer ka gussa aur usko sach pata chal jaana Shruti ke upar pahad girne barabar tha…Usse samajh me nahi aa raha tha ki wo kya jawaab de aur wo jawaab dene ki haalat me bhi nahi thi…Sameer ka gusse wala ye kuch lafz ne uske saare sapne tod diye the…Dar, dard aur hairaani ke saath usne apne sar jhuka liya aur khaamosh rahi.

Sameer ka gussa aur Shruti ka sar jhukaana Shruti ki Maa ki samajh me nahi aa raha tha aur unse ye dekha bhi nahi jaa raha tha…Bina der kiye unhone Sameer se pucha.

S. Mom:- Kya hua Sameer…Tum itne gusse me kyu ho…Aur ye shaadi todne ki baat kyu kar rahe ho?Shruti tu kyu iss tarah se sar jhuka rahi hai?

Shruti ki Maa ki aawaj me hairaani ke saath abb gussa bhi tha.

Sameer:- Kya hua hai? Ye aap Shruti se puchiye.

Sameer ki baat sunne ke baad Shruti ki Maa ne Shruti ko ek do baar pucha bhi…Lekin Shruti ne kuch nahi bataya…Wo sar jhuka kar hi khadi rahi.

Karib 5 minute tak chup rehne ke baad Shruti ne himmat karke bola.

Shruti:- Aakhir Priya ne bhi apna rang dikhaa hi diya…Kehti thi kuch nahi batayegi lekin bata hi diya usne bhi.

Shruti ne dhire se kaha lekin uski aawaj me Priya ke liye bahut nafrat tha.

Shruti ki baat sunne ke baad Sameer hasne laga…Uska hansi me bhi gussa aur Shruti ke liye nafrat saaf jhalak raha tha.

Shruti:- Tum hans kyu rahe ho?

Shruti ki aawaj me hairaani aur dar tha.

Sameer:- Ek dhokhebaaz kisi se umeed karti hai ki wo uske raaj ko raaj rakhe…Bhale hi wo uske jindagi se khilwaad kare…Tujh jaisi dhokhebaaz aur giri hui ladki aaj tak nahi dekha maine.

Sameer ne ekdam se aakramak(aggressive) ho kar kaha…Kuch der se daba kar rakha hua gussa nikalnr laga tha.

Shruti:- Bas Sameer…Abba age kuch mat bolna

Shruti ne chilla kar kaha…Aur itna keh kar chup ho gayi…Sameer ka usko yun apmaan karna bura lag raha tha aur usne bhi gusse me jawaab de diya.

Sameer:- Ha mai aage kuch nahi bolunga…Aur tu kisi ko dhokha deti rahegi.

Sameer ne bhi nafrat se kaha.

Shruti:- Please Sameer…Chup ho jaao…Mujhse tumhaara ye gussa dekha nahi jaa raha.

Iss baar Shruti ne gidgidaate hue kaha…Abb usse yahi ek raasta najar aa raha tha Sameer se maafi maagne ke liye.

Sameer ne iss baar koi jawaab nahi diya…Wo Shruti ko kutil muskaan dene laga.

Shruti:- Tum hans kyu rahe ho.

Shruti ne dhire se aur hairaani ke saath kaha…Sameer ka uske saath aise bartaaw aur dhokhebaaz kehna har pal usko khaaye jaa raha tha.

Sameer:- Dekh raha hu…Kitni jaldi grgit ki tarah tune rang badal liya…Gusse se gidgidaane ka acting…Lekin tera har koshish bekaar hai…Mai tera sabhi assliyat jaan chukka hu.

Shruti:- Please Sameer…Meri baat to suno.

Sameer:- Chal suna…Kya kahani sunaati hai…Suna…Mai sunleta hu…Lekin iss baar Rajesh ki accident ki time se bhi acchi kahani suna.

Sameer gusse me paagal hota jaa raha tha.

Shruti:- Please Sameer…Ek baar baat sun lo…Maine job hi kiya hamaare liye kiya.

Shruti ki iss baat se Sameer ne chaunk kar kaha.

Sameer:- Hamaare liye…Aisa kya kiya tune?Aur bechaari Priya se iss tarah badla lene me tujhe kya faaidaa hua?

Sameer ne gussa aur hairaani ke saath pucha.

Shruti ko abb jaakar raahat mila…Uski umeed badh gayi ki Sameer abb uski baat sunega…Usne chain ka saans le kar kehna suru kiya.

Shruti:- Tum Priya se nafrat karte the…Aur wo bhi tumse…Mujhse bardaast nahi ho raha tha uska tumhe beizzat karna…Wo tumhe bahut kuch keh kar chali jaati thi aur tum khaamosh ho kar sunte the…Kuch nahi kehte the.

Maine socha usse badla lena hi hoga…Aur main ek badle ka plan banaya jisse wo jindagi bhar na bhula paati…Maine tumhaara badla liya hai Priya se…Lekin mera badla naakaamyab raha aur tumhe Priya se shaadi karna pada.

Shruti ki baat sun kar Sameer ka gussa aur bhi badh gaya.

Sameer:- Sach me tu paagal hai…Aisi choti baat par aisa badla…Wo ham dono ka dushmani tha…Kabhi mai uska beizzati karta tha to kabhi wo meri…Lekin maine to kabhi aisa badle ke bare me nahi socha…Mai to usse ignore karta tha.

Sameer ne itna hi kaha tha ki Shruti ne Sameer ko bich me hi rok kar kaha.

Shruti:- Lekin mujhse ignore nahi ho raha tha…Nahi dekha jaa raha tha mujhse mera pyar ka apman hote hue…Wo do kaudi ki ladki tumhaara majaak udaati thi wo bhi mere saamne, sabke saamne…Kaise hota mujhse ye sab bardaast…Maine jo kiya bilkul sahi kiya…Wo issi saja ki laayak thi…Sab kuch thik jaa raha tha lekin tumhaara dimaag kharab ho gaya aur ye mushibat aa gaya.

Shruti ne iss baar confidence ke saath kaha..Usse yakin tha ki Sameer uska baat maan jaayega.

Sameer:- Waah…Kya soch hai teri.

Itna keh kar Sameer ne gusse se taali bajaane laga…Aur fir kaha.

Sameer:- Nahi dekha hai tujh jaisi ajeeb ladki aur kabhi dekha bhi nahi chaahta hu…Mujhe laga tha itna sab kuch hone ke baad tu maafi maangegi lekin nahi tu to abhi bhi iss baat par jidd kar rahi hai ki tu hi sahi hai.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Usse gussa aur Shruti ki baat ki vajah se aage kya bole kuch samajh me nahi aa raha tha…Wo gusse me idhar udhar dekh raha tha ki uski najar hairaani ke saath khadi Shruti ki Maa par pada.

Usne Shruti ki Maa ko Shruti ki saari saajish ke bare me bata diya.

Sameer ki baat sunne ke baad Shruti ki Maa ne gusse se Shruti ko dekha lekin kuch boli nahi.

Sameer ne Shruti ki Maa se pucha.

Sameer:- Abb aap hi bataaiye? Kya Shruti sahi hai?

Sameer ki baat par Shruti ki Maa ne garden ko naa me hila kar jawab diya.

Uske baad Sameer ne Shruti ki taraf dekha aur kaha.

Sameer:- Dekh liya tune apni Maa ka jawaab.

Sameer ki iss baat par Shruti ne apni Maa ki taraf dekha lekin usne kuch nahi kaha.

Sameer:- Tujhse bahut baat karne aaya tha…Lekin teri soch dekh kar lagta hai tujhse baat karna hi bekaar hai…Accha mai chalta hu abb…Aage se mujhse baat karne ka sochna bhi mat….Yahi tak tha hamaara dosti ka safar.

Itna keh kar Sameer jaane ke liye muda hi tha ki Shruti ne usse kandhe par haath rakhte hue rok kar kaha.

Shruti:- Tum iss tarah se piccha chhuda kar nahi jaa sakte ho.

Sameer:- Haath hata.

Iss baar Sameer ne behad gusse se kaha…Lekin Shruti nahi hataya.

Sameer khud hi aage badh kar jaane laga…Iss baar Shruti Sameer kea age aa kar khadi ho gayi aur boli.

Shruti:- Jaane se pehle bata do ki mera galti kya hai.

Na chaahte hue bhi gusse me Sameer ko hansi aa gaya aur thodi der hans kar kaha.

Sameer:- Galti jaana chaahti hai…Mujhe yakin hai agar mai kahunga to bhi tu apna kisi bhi galti ko nahi maanegi…Lekin fir bhi bata deta hu.

Priya ki jindagi ko ego problem ki vajah se barbaad karne ko sochna…Isse to tune apna galti ki jagah apna prem kartavya kaha hai.

Lekin iss baat ka kya jawaab hai tere paas…Tune iss badle ke liye…Mera istemaal kyu kiya…Mujhse pyar karti thi to mujhse itna badi baat chupaaya kyu…Agar tu sahi rehti to mai tera saath jarur deta…Lekin tujhe pata tha ki tu galat hai aur mai tera saath nahi deta…Issi liye tune mujhe bhi dhokha diya aur mujhse itna bada bhool karwa liya.

Shruti:- Nahi…Maine galat nahi kiya…Mai jaanti thi tum iss kaam me kabhi saath nahi dete…Issi liye tumhe kuch nahi bataya…Tumse ye kaam iss liye karwaya kyu ki ma chaahti thi kit um khud hi Priya se badla lo…Ek baar fir kahungi maine jo kiya sahi kiya hai…Afsos hai kit um samajh nahi paa rahe ho.

Shruti ki baat sunne ke baad gusse me Sameer ka dimaag ne kaam karna band kar diya…Gussa to itna aa raha tha ki abb usse control nahi ho raha tha.

Sameer:- Man to kar raha hai tera murder kar du…Lekin kar bhi nahi sakta…EK baat jaan gaya hu tu apna galti kabhi nahi maanegi.

Thik hai…Tu khud ko sahi kehti reh…Mai chala.

Lekin ek baat yaad rakhna shaayad hi mai kabhi tujhe maaf kar paau…Tune mujhse aisa bhool karwaya hai jise mai kabhi bhul nahi sakta…Dost ho kar tune mujhe dhokha diya hai tune mujhe…Pyar to tujhse kabhi kiya hi nahi tha…Lekin aaj tujhse dosti bhi tod leta hu.

Aaj bahut afsos ho raha hai tujhse dosti kar ke…Tere behkaawe me aa kar maine Priya ke saath bahut galat kiya hai…Usne to mujhe maaf kar diya hai…Lekin mai tujhe maaf nahi karunga.

Aaj sab kuch pata chal gaya aur sab ka character dekh liya hai…Kaun dosti ke laayak hai aur kaun nahi ye bhi pata chal gaya hai...Aaj tera character aur sacchaayi bhi dekh liya hai.

Teri ego ki vajah se Priya aur meri shaadi ho gayi…Mai hi jaanta hu iss shaadi ke baad mujh par kya beeta hai aur mujhe khud se hi kitna nafrat hua tha…Lekin aaj kehta hu mai lucky hu ki mera shaadi Priya se hua…Iss shaadi ke baad mai tujhse bach gaya…Tera asli chehra pata chal gaya.

Iss shaadi ne mera bhala jarur kiya hai.


Itna keh kar Sameer ne Shruti ki Maa ki taraf dekha aur kaha.

Sameer:- Yaad hai Aunty…Jab mera aur Priya ka shaadi hua tha tab aapne mere Maa aur Papa ke sikhaaye hue sanskar par sawal kiya tha…Lekin mai nahi karunga…Bas itna kahunga ki abb hamaara shaadi ka rishta tut gaya hai aur aap isse samjha dena meri jindagi se dur rehne ke liye.

Shruti:- Nahi Sameer…Tum iss tarah nahi jaa sakte…Pyar karti hu mai tumse aur jo kiya hai tumhaare liye hi kiya hai…Bahut jald tum samajh jaaoge.

Shruti abhi bhi apni baat par hi addi thi ki usne jo kiya hai bilkul thik kiya hai.

Sameer:- Mai kuch nahi kar raha hu iska matlab ye nahi ki mai kuch karunga bhi nahi…Mai ladkiyo par haath nahi uthaata issi liye abhi tak tu sahi salaamat hai…Bas itna kahunga ki aage mere jindagi me aane ki koshish bhi mat karna.

Tu kehti hai tu mujhse pyar karti hai…Lekin ek baar thande dimaag se soch tune mere saath kya kiya tha…Isse pyar nahi torture kehte hai…DMai hi jaanta that era pyar ki vajah se mai kitna pareshaan aur depressed ho gaya tha…Tune apne manmaani aur attraction ke liye mera faaidaa uthaaya tha.

Thande dimaag se soch tujhe pata chal jaayega tune mujhse pyar kiya tha ya manmaani…Aur tujhe apni galti ka ehsaas bhi ho jaayega.

Itna keh kar Sameer Shruti ke ghar se nikalne laga…Fir se piche se Shruti ne kaha.

Shruti:- Sameer.

Iss baar Sameer ne piche mud kar bahut hi gusse se dekha…Aur fir mud kar aage ki taraf jaane laga…Gate par pahunch kar usne piche muda aur kaha.

Sameer:- Tune suna hi hoga…Karma pays back.

Rajesh ka accident me tune cassette dikha kar mujhe bhadkaaya tha aur tu khud aaj voice recorder me galti se fans gayi…Issi liye itna yaad rakh ki jo dusro ke liye gaddha khodte hai wo khud usme girte hai…Aage se saawdhaan rehna.

Ye to mai tha aur mera dosti…Jisne tujhe kuch nahi kiya…Kabhi tujhe apna best friend manta tha iss liye kuch nahi kiya…Baaki ke log mujh jaise sharif nahi hote hai iss liye aisa karne ka sochna bhi mat…Jaate vakt ye bhi keh deta hu…Ho sake to sudhar jaa.

Accha chalta hu…Umeed karta hu ham dobaara kabhi na milenge.

Itna keh kar Sameer aage badh gaya aur abb piche nahi muda…Jisko dost maana uska hi diya hua dhokha ne aaj Sameer ko bahut bada jhatka diya tha…Shruti ka dhokhebaazi aur chhal kapat par vishwas karna usse mushkil ho raha tha lekin usse vishwas karna hi pada.

Wo yahi sab aatein sochte hue bike se sidhe ghar chala gaya.

Jab wo ghar pahuncha tab sham ke 7:00 pm ho raha tha…Usne niche hall me dekha to koi nahi tha…Wo sidha apne room ki taraf chala gaya.

Sameer jab apne room me pahuncha to Priya ko apne room me dekh kar chaunk gaya.

Jab Sameer room ke andar aaya tab Priya ne naraajgi aur gusse se kaha.

Priya:- Paagal ho kya…Koi iss tarah se jaata hai kya…Maine kitna bulaaya tha tumhe picche se…Lekin tum to sunte hi nahi…Aur mera phone bhi le gaye…Phone bhi nahi kar paa rahi thi…Jaante ho kitna pareshaan ho gayi thi mai.

Priya ki aawaj me naraajgi aur thoda sa gussa to thaa hi lekin ek alag baat bhi tha Priya ki baato me jo Sameer ne mehsus kiya…Apnatwa…Priya ka uske liye fikar karne se gusse me bhi usko sukoon mil raha tha.

Sameer ne Priya ko dekh kar muskuraya aur kaan pakad kar dhire se kaha.

Sameer:- Sorry.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 106


Priya:- Baar baar galti karte ho…Aur fir sorry kehte ho.

Priya ne naraajgi se kaha.

Sameer:- Tum maaf kar deti ho…Issi liye galti karne me bhi alag hi maja hai.

Sameer ne hanste hue kaha aur bed par jaakar Priya ke paas baith gaya.

Priya:- To fir isss baar tumhe maafi nahi milega.

Priya ne naarajgi ko jaari rakhte hue kaha.

Sameer ne hans kar jawaab diya…Wo jaanta tha ki Priya usse jhutha naarajgi dikhaa rahi hai.

Priya:- Tumhe kitni baar rukne ko bola tha…Lekin tumne ek baar bhi meri baat nahi suna…Jaante ho kitna dar gayi thi mai.

Iss baar Priya ne sach mei naaraj ho kar Sameer se sikaayat kiya.

Sameer:- Kya karta yaar…Baat hi tumne aisa kaha tha…Gusse par control hi nahi hua…Sach me bahut gira hua kaam kiya hai Shruti ne…Best friend manta tha usse…Wo kabhi aisa karegi au raise dhokha degi kabhi socha nahi tha.

Sameer ne dukh bhari aawaj me kaha.

Priya:-Haa…Bahut bura lagta hai…Jab apna bahut hi karib ke insaan jise ham apna maante hai wo hi hame dhokha dete hai tab bahut bura lagta hai.

Priya ne Sameer ko samjhaate hue kaha…Ye baat kehte vakt Priya ko Karan ki yaad aaya…Iss baar Priya ko bura lagne se jyada Karan ke liye gussa aur nafrat bhare feeling aa raha tha.

Sameer ne Priya ka iss baat ka koi jawaab nahi diya…Wo kuch der chup hi raha…Achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne Priya se pucha.

Sameer:- Wo recording sun kar to yahi lagta hai ki tumhe bahut pehle se Shruti ki assliyat ke bare me pata tha…To fir tumne mujhe pehle ye baat kyu nahi kaha.

Sameer ne Priya ko dekhte hue pucha…Sameer ki baat se pata chal raha tha ki usko Priya ka usse baat chupaana bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Priya:- Bahut pehle hi bataane ka socha tha…Lekin ye soch kar nahi bataya ki tum mujh par vishwas nahi karoge aur mujhe hi galat samjhoge…Mai sahi vakt ka intejaar kar rahi thi.

Sameer:- Kisne keh diya ki mai tumhaari baato ka vishwaas nahi karta…Jab mujhe apni bhool ka ehsas hua hai aur tumhaare bare me acche se jaana hai tab se hi tum par vishwaas karne laga tha.

Tumhaari baato ka vishwas karke hi to tumse koi sawal kiye bina Shruti se baat karne chala gaya tha…Dost me abb tum, Rajesh aur Mahesh hi hai jis par mai puri tarah se bharosha kar sakta hu.

Priya:- Chhod ye baatein…Aur ye bataao ki tumne Shruti se kya baat kiya?

Priya ne baat ko badal kar pucha…Wo Sameer se naraajgi ka acting karte hue bhul hi gayi thi sabse jaruri baat puchna.

Sameer ne bhi ek gehri saans liya aur saari baat Priya ko suna diya…Saari baat sunne ke baad Priya ne kaha.

Priya:- Matlab usko abhi tak lagta hai ki jo usne kiya hai accha kiya hai.

Priya ne iss baar thoda gusse me kaha.

Sameer:- Ha…Aaj fir se pata chala mujhe ki maine kitna bada galti kiya tha…Sorry once again.

Sameer ne fir se dil se Priya se maafi maanga.

Priya:- Sorry kis baat ki…Abb tumne kya kiya.

Priya ko sach me Sameer ki maafi maagne ki vajah pata nahi chala.

Sameer:- College me maine bahut badi galti kiya tha Shruti ka galtiyan me bhi saath de kar…Aaj bhi yaad aa raha hai wo pal jab tumne Shruti ke bare me mujhse sikaayat kiya tha lekin maine apna dosti nibhaa kar tumhaari baato ko ignore kar diya…Aur iske baad mai anjaane me bhool karta raha aur aaj hamara ye haal hai.

Maine Shruti ki galtiyo me bhi uska saath dekar bahut galat kiya.

Sameer ne afsos aur gusse ke saath kaha.

Priya:- Fir tum puraani baat lekar baith gaye…Maine iss baat ke liye tumhe pehle hi maaf kar diya hai…Mai jaanti thi iss shaadi ki vajah Shruti hai aur tum uska mohra…Tum se mai pehle nafrat karti thi aur tumhaare saath shaadi ho jaane ke baad wo nafrat aur badh gaya…Lekin jab pata chala ki tumne anjaane me ye bhool kiya aur jab tumne bahut baar dil se maafi maanga tab maine tumhe maaf kar diya.

Priya ki baat sun kar Sameer ko fir ek baar raahat mila.

Sameer:- Thanks once again.

Iske baad Sameer aur Priya dono ke bich khaamoshi chaa gaya…Kuch pal chup rehne ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Abb jaake saari maamla samajh me aaya…Shruti ka attraction, junoon aur ego hai jisne usse ye sab karne par majbur kiya.

Usse mujhse pyar nahi attraction hua tha…Mujhe paana uska junoon tha…Agar wo mujhse pyar karti to wo mere feelings bhi samajhti…Bas apna hi feelings mujh par nahi dikhaati…Mere baat ko bhi samajhti…Ye bhi jaane ki koshish karti ki mai uske bare me kya sochta hu…Lekin nahi uss par junoon sawar ho gaya tha mujhe har haal me pane ki.

Aur usne tumhaare saath jo bhi kiya wo uska ego tha…Chhoti si jhagada ko usne ego ke roop me liya aur itna bada bhool ho gaya mujhse.

Sameer ne Shruti ke saari saajish ko kuch lines me bata diya.

Priya:- Hmm…Sach keh rahe ho.

Priya:- Sameer…Agar Shruti ne tumse sacche dil se maafi maaga to tum usse maaf kar doge.

Achanak hi Priya ke dimaag me ye sawaal aaya.

Sameer:- Nahi…Wo kabhi apni galti ko nahi maanegi…Aaj maine mehsus kiya ki uska soch hi aisa hai ki usse lagta hai ki jo bhi wo karti hai wohi thik hai baaki sab galat…Uska ye soch kabhi nahi badlega…Aur mujhe aise soch se nafrat hai.

Iss baar maine usse aise hi chhod diya wo hi bahut hai uske liye…Warna koi mere saath itna bada dhokha karta to mai uska bahut bura haal kar deta…Kisi time me usse mai apna best friend manta tha issi liye usse kuch nahi kiya…Abb usse dosti tod liya hai…Shaayad yahi uske liye yahi sahi saja hai.

Sameer ne bhi apna jawaab diya…Kuch hi pal me wo Shruti ko bahut acche se jaan gaya tha.

Sameer ki baat sunne ke baad Priya ne koi jawaab nahi diya…Wo bhi Sameer ki saari baat se sehmat thi.

Sameer:- Abb uske bare me koi baat nahi karenge…Wo ham dono ke liye buri ateet thi usse bhul jaana hi behtar hai…Abb usse bhula kar aage badhna hi samajhdaari hai.

Priya ne bhi sar ko haa me hilaa kar sehmati dikhaaya.

Shruti ka topic band hone ke baad Sameer bhi chup ho gaya…Priya ke paas baat karne ke liye koi topic tha hi nahi.

Sameer aise hi chup baitha tha ki usse yaad aaya aaj usse Priya ke saath movie dekhne jaana tha.



Sameer:- Aaj to ham dono movie dekhne jaane wale the…Lekin gusse me mai bhul hi gaya ye baat.

Priya:- Ha…Kuch jyada hi gusse me the…Bahut gussa hone lage ho aaj kal.

Priya ne bhi majaak karte hue kaha…Wo jaanti thi ki Sameer abb sambhal gaya hai aur uski baat ka bura nahi maanega…Sameer ko aise udaas dekh usne socha ki maahaul ko thik kiya jaaye.

Sameer:- Kya karta…Haalat hi aise ho gaye the ki gussa control nahi kar paa raha tha…Promise karta hu aage se aise bina matlab gussa nahi karunga.

Sameer ne maafi maangte hue kaha.

Priya:- Fir baad me ye mat kehna ki promise todne ke liye kiye jaate hai.

Priya ne fir hanste hue kaha…Sameer ko bhi pata chal gaya ki Priya uske saath majaak kar rahi hai…Iske baad Sameer ne bhi hanste hue kaha.

Sameer:- Abb tum mujhse flirting karne lag gayi ho.

Sameer ki baat se Priya ek dam se chup ho gayi…Fir kuch soch kar usne kaha.

Priya:- Ha kar rahi hu…Kya kar loge tum?

Priya ne bhi majaak me Sameer ko challenge kiya.

Sameer:- To mai bhi flirting karna suru kar dunga.

Sameer ne bhi apna jawaab diya.

Priya:- Sach me tumhe flirting karna bhi aata hai?

Priya ne Sameer ka majaak udaate hue kaha.

Sameer:- Kyu nahi aayega?

Priya:- Kyu ki tum ek dam unromantic insaan ho?

Priya ka iss baat se Sameer ko bura lag gaya…Usne bhi apna jawaab diya.

Sameer:- Kisi se pyar nahi kiya iska ye matlab nahi ki mujhe flirting karna nahi aata…Agar mai kisi ko pataane ka sochu ya fir kisi se flirting karu to kisi ko bhi pata sakta hu.

Josh me Sameer ne jawaab diya…Usse pata hi nahi chala ki wo Priya se kya keh raha hai aur baat kaha se kaha jaa raha hai…Wo to bas Priya ko jawaab de raha tha.

Priya:- Accha kisi ko bhi pata sakte ho…

Priya isse aage kuch kehti josh me Sameer ne fir kaha.

Sameer:- Ha kisi ko bhi…Tumhe bhi.
(Josh me Sameer ke dil ka anjaan chaahat baahar nikal hi gaya.)…Lekin mujhse tum pyar mat karna…Agar kiya to pacchtaane ke alawa kuch baaki nahi rahega…Jald hi hamaara divorce hone wala hai.

Josh me Sameer ne apni dil ki anjaan chaahat bol diya…Sameer ka ye kehne ke baad Sameer aur Priya dono ko ehsaas hua ki Sameer ne kya bola hai.

Priya ko ye jaan kar to bahut accha laga ki Sameer ke dil me bhi uske liye chaahat aane laga hai…Lekin divorce ki baat sun kar uske dil me dard ka ehsaas hone laga.

Dusri taraf Sameer ka bhi kuch waisa hi haal tha…Divorce ki baat karte hi usse bhi kuch accha nahi laga…Wo bhi abhi tak yahi soch raha tha ki Priya se alag hone ka khayal se hi kyu usse itna bura lagta hai.


Sameer aur Priya ke bich bahut der tak khaamoshi chaa gaya…Dono kuch bol bhi nahi paa rahe the…Jaha udaas maahaul se majaak ka maahaul ban gaya tha abb waha par fir khaamoshi chaa gaya.

Sameer ko Priya ke paas baithna bhi abb mushkil lag raha tha…Wo yahi soch raha tha ki Priya uske bare me kya soch rahi hogi…Sameer Priya ki dil ki haal aur uske liye feelings se anjaan tha…Wo to bas yahi dua kar raha tha ki Priya uske bare me kuch galat na soche aur koi misunderstanding na ho jaaye.

Baat ko badalne ke liye aur waha se jaane ke liye Sameer ne kaha.

Sameer:- Itna bhaag daud me ek baat bataana bhul hi gaya…Rajesh aur Divya dono ek dusre se pyar karte hai…Divya ne Rajesh ka proposal accept bhi kar liya.

Itna keh kar Sameer Priya ko surprise de kar room se baahar nikal gaya.

(Note:- Friends…Next update se Sameer aur Priya ke pyar aur romance ke bare me likhunga.)
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,597
34,900
219
bahut khoob champ bhai...............
ab shruti ki position to sameer ke samne clear ho hi gayi
sath hi sameer ne shruti ki maa ke samne bhi sara sach rakh diya

priya ko sameer ke pyar ka ahsas ho chuka hai
lekin abhi sameer ko priya ke pyar ka ahsas nahi hua

ya shayad priya ne jo divorce ke liye kaha tha shadi ke bad uski wajah se wo abhi hichak raha hai

is mamle mein to priya ko hi aage badhkar......pyar ka ahsas karaana hoga
aur divorce ke faisle ko bhi sameer ke aur apne beech se hatana hoga.........
kyonki isi faisle ne sameer ke kadam aage badhne se rok rakhe hain

keep it up
 
Top