• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
bahut khoob champ bhai...............
ab shruti ki position to sameer ke samne clear ho hi gayi
sath hi sameer ne shruti ki maa ke samne bhi sara sach rakh diya

priya ko sameer ke pyar ka ahsas ho chuka hai
lekin abhi sameer ko priya ke pyar ka ahsas nahi hua

ya shayad priya ne jo divorce ke liye kaha tha shadi ke bad uski wajah se wo abhi hichak raha hai

is mamle mein to priya ko hi aage badhkar......pyar ka ahsas karaana hoga
aur divorce ke faisle ko bhi sameer ke aur apne beech se hatana hoga.........
kyonki isi faisle ne sameer ke kadam aage badhne se rok rakhe hain

keep it up
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Fabulous update.... Waiting next nd big update
Welcome Dost on the story and thanks for your comment...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 107


Sameer ki baat sun kar Priya ko Divya par bahut gussa aaya…Usse yakin hi nahi aaya ki Divya ne itni badi baat usse chupaaya.

Usne koi der kiye bina Divya ko phone lagaya…Thodi der baad Divya ne phone uthaaya.

Divya:- Hello.

Priya:- Hello ki bacchi…Tu to mujhe bhul hi gayi.

Priya ki aawaj me thoda gussa tha.

Divya:- Kya baat kar rahi hai? Mai tujhe kyu bhulungi…Aur tu itna gussa kyu hai?

Divya Priya ki iss vakt aur iss tarah se phone karne ki vajah samajh nahi paayi…Priya ka gussa usse bahut ajeeb lag raha tha.

Priya:- Bahut din ho gaya ek baar bhi phone nahi kiya…Abb to koi aur mil gaya hai tujhe phone karne ke liye.

Priya ne abhi tak apna jhutthi naraajgi jaari rakha aur Divya se indirectly puch liya.

Divya:- Jab bhi tujhe phone karti thi tab tu hamesha gusse me rehti thi…Issi liye socha kuch din baad phone karungi…Tera gussa bhi khatam ho jaayega aur acche se baat bhi karegi…Aaj kal bahut gusse me rehti hai tu.

Ye bata ki kaun mil gaya hai mujhe phone me baat karne ke liye.

Divya ne Priya ki sawaalo ka jawaab diya…Lekin apni aakhiri baat ka jawaab usne confuse ho kar diya…Priya ka aakhiri baat usse samajh me nahi aaya.

Priya:- Abb mujhse bhi chupaayegi…Mujhe pata chal gaya hai tere bare me sab kuch.

Priya ne abb naarajgi ka acting karna band karke Divya se sidha puch liya.

Divya:- Tu kya keh rahi hai? Mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai…Saaf saaf bol kya bol rahi hai.

Iss baar chhidhte hue jawaab diya Divya ne.

Priya:- Yahi ki…Tera aur Rajesh ka love story.

Priya ko laga abb baat ghumaane se koi faayida nahi.

Divya:- Tujhe kaise pata?

Achanak se Divya ke munh se ye baat nikli.

Priya:- Kaise pata chali ye baat chhod…Ye bata ki ye sach hai ya nahi?

Divya:- Ha sach hai.

Thoda dhire se Divya ne kaha.

Priya:- Congratulations for your new life…Abb ye bata ki tu mujhse chupa kyu rahi thi…Agar mujhe bata deti to kya mai tera pyar ka suruwat hone se pehle hi break up kara deti?

Priya ne Divya ko badhaayi dene ke saath sikaayat bhi kiya.

Divya:- Aisa nahi hai yaar…Tune ekdam se Rajesh aur mere bare me bataya to mai chaunk gayi thi…Mai tujhe jald hi ye baat bataane wali thi ki tune hi aaj phone karke puch liya.

Priya:- Accha thik hai…Abb detail me bata teri prem kahani…Kaise suru hua? Kisne kisko propose kiya? Aur sab kuch.

Priya ne utsukta ke saath Divya se pucha.

Divya ne bhi Priya ko sab kuch bata diya.

Priya:- Sach me Rajesh ke roop me tujhe bahut accha ladka se pyar huwa hai…Rajesh se kabhi baat to nahi kiya hai maine fir bhi yakin ke saath keh sakti hu ki wo tere liye sahi ladka hai aur wo tujhe bahut khus rakhega.

Divya ki kahani sunne ke baad Priya ne kaha…Priya Divya ke liye bahut khus thi.

Divya:- Wo to hai…Rajesh ne bhi mujhse pyar kiya…Shaayad meri khus kismat hai.

Priya:- Nahi…Khus kismat to tum dono ho…Rajesh ko bhi tu mil rahi hai.

Priya ki ye baat sunne ke baad Divya ke chehre me muskaan aa gaya…Kuch der baad wo boli.

Divya:- Kaisi hai tu? Baato ke dauran tujhse pucchna bhul hi gayi thi.

Priya:- Mai bahut thik hu aur sab kuch thik hai abb.

Priya ki baat se hi pata chal raha thaw o kitna khus hai.

Divya:- Sahi socha tha maine…Kuch din baad baat karungi to sab kuch thik ho jaayega…Tera gussa aur naarajgi sab khatam ho gaya…Abb ye bata tera Sameer aur uske ghar walon ke saath kaisa relation hai? Koi pareshaani to nahi hai?

Priya:- Abbkisi se koi sikaayat nahi…Sab thik ho gaya hai…Maine Sameer ko bhi maaf kar diya hai.

Priya ne muskura kar kaha...Lekin ye baat Divya ke liye koi jhatke se kam nahi tha…Hadbada kar kaha usne.

Divya:- Kkya kkaha tune…Tune SSameer ko mmaaf kar diya.

Hairaani me haklaa kar kaha Divya ne.

Priya:- Chaunk mat…Ek aur jhatka dena hai tujhe…I love Sameer.

Jhatka dene ki baat kehne ke baad hi Priya ne Divya ko ek jordaar jhatka bhi de diya…Priya Divya se apni dil ki baat chupaana nahi chaahti thi.

Divya ko kuch bolta na dekh kar Priya ne hi kaha.

Priya:- Hello hello Divya…Sun rahi hai tu.

Divya:- Ha sun rahi hu…Tu sach keh rahi hai kya.

Divya ko abhi tak Priya ki baato par vishwaas nahi hua.

Priya:- Tujh se kyu jhuth bolungi…Sach hi kaha hai maine.

Divya:- Tu to kuch din pehle Sameer se itna nafrat karti thi jaise wo tera sabse bada dushman hai.

Priya:- Ha…Pehle sach me waisa hi nafrat karti thi…Lekin abb bahut pyar karti hu Sameer se.

Divya:- Aakhir ye naa munmin baat kaise mumkin ho gaya?

Divya abhi tak hairaan th Priya ki baat sun kar.

Uske baad Priya ne bhi apne pyar ke bare me Divya ko sab kuch bata diya.

Divya:- OMG…Itna kuch ho gaya…Aur tune abhi tak mujhe kuch bataya nahi…Mujhe to abhi tak vishwas nahi ho raha hai.

Priya:- Kal hi to yaha aayi thi…Thakaan aur bsy hone ki vajah se bata nahi paayi…Aur aaj jab fursat mila to tujhe bata diya.

Divya:- Sach me mai tere liye bahut khus hu…Kitna galat hua that ere saath…Karan ka dhokha aur iss tarah se shaadi…Lagta hai abb tere acche din aane wale hai…Tere Papa bhi badal gaye…Accha hua jo Shruti ka sach Sameer ko pata chal gaya…Mujhe bhi yakin nahi ho raha hai ki wo itne niche tak gir sakti hai.

Divya ko Priya ke liye khushi ho rahi thi to dusri taraf Shruti par bahut gussa aa raha tha.

Priya:- Uske bare me baat mat kar yaar…Jab bhi uske bare me sochti hu to bahut gussa aata hai.

Divya:- Accha thik hai…Bahut acchi khabar sunaayi hai tune…Abb ye bata ki Sameer bhi tujhse pyar karta hai kya?

Priya:- Yakin ke saath to nahi keh sakti…Par mujhe lagta hai ki wo bhi mujhse pyar karta hai.

Priya ne khushi ke saath kaha.

Divya:- Sach me bahut haraani ho raha hai…College ke time tum dono ek dusre se kitna nafrat karte the lekin aaj tum dono ke bich bahut kuch badal chukka hai.

Divya ne hairaani aur khushi ke saath kaha.

Priya:- Pyar chij hi aisi hai…Sab kuch badal deta hai.

Priya ki baat sun kar Divya ko hansi aa gaya…Hasne ke baad usne pucha.

Divya:- Tum dono ke gharwale maanenge tum dono ke rishte ke liye?

Divya ne abb serious ho kar pucha.

Priya:- Mere Maa aur Papa ne to pehle hi maan liya hai…Mujhe lagta hai ki Sameer ke parents bhi maan jaayenge.

Divya:- Kaash aisa hi ho…Sameer ko to mai acche se jaanti hu…Wo bahut hi accha ladka hai…Lekin uske Parents ko nahi jaanti hu.

Priya:- Kaisi baa tar rahi hai tu? Uske Parents bhi bahut acche hai…Sameer ki galti ko bhi maan liya tha unhone aur mere saath bahut accha behave kiya hai abhi tak.

Divya:- Apne bete ke galti me saath to nahi de sakte hai…Tujhse unhone acche se behave kiya iska matlab ye nahi ki tujhe wo apne ghar ki bahu maanenge…Tu une ghar ki bahu hokar bhi nahi hai…Kyu ki tune hi divorce ki baat kahi thi…Issi liye shaayad wo tujhse mehmaan ki tarah behave kar rahe hai.

Unhe bhi apni bahu ko lekar alag hi khwaaish hogi…Koi padhi likhi aur paise wali.

Shaayad mai galat ho sakti hu…Lekin mai tujhe har tarah ki baat sw waakif karana chaahti hu…Mai bhi yahi dua karungi ki tu unke bare me jaisa soch rahi hai wo waisa hi ho.

Priya:- Tu apni jagah galat nahi hai…Lekin mujhe nahi lagta ki Sameer ki parents galat honge…Kabhi unhe paiso ki laalach karte hue nahi dekha…Mujhe Sameer ki Maa me apni Maa najar aati hai…Ek paraayi ghar me bhi unhone mujhe apni beti jaise hi maana hai…Jab bhi mai bore hoti thi tab wo mujhse baat karti thi…Apni beta ki jagah bhi mera hi saath diya hai.

Sameer ki Papa ko jab dekha aur jaana to bas yahi khayal aaya man me ki kaash mere Papa bhi aise hi hote…Apne baccho ka hamesha saath dete hai aur jab unse gati hota hai to unhe galti ka ehsaas bhi karwate hai.

Priya ne bhi Sameer ke ghar ke bare me apna feelings bata diya.

Divya:- Tab to sab kuch thik hai…Teri baato se lag raha hai ki tu waha bahut khus rahegi…Bas Sameer ka tujhse pyar hone ka deri hai.

Priya:- Mujhe lagta hai abb wo din bhi dur nahi hai.

Priya ne khus ho kar kaha…Wo apne sabhi khusiyon ke bare me sochne lagi…Bhool ke roop me hui iss shaadi ne uska jindagi kitna badal diya tha…Uske dukh khushi me badal gaye aur naye khushiya bhi mil gayi.

Kuch der aise hi phone me baat karne ke baad Priya ne phone kaat diya.



Dusri taraf Sameer bhi jab apne room me pahuncha tab usne apne mobile ko on kiya…Jab usne mobile dekha to wo hairaan reh gaya…Mobile me 14 missed calls the aur wo bhi Rajesh ke.

Usne Rajesh ko phone kiya…Phone uthaate hi Rajesh ne bhadak kar Sameer se kaha.

Rajesh:- Abe gadhe…Phone kyu rakhta hai tu apne paas jab tujhe kisi ka phone uthaata hi nahi hai.

Sameer:- Are cool yaar…Phone silent me tha…Aaj din bhar busy tha.

Sameer ne Rajesh ko shaant karate hue kaha.

Rajesh kuch kehne hi wala tha ki Sameer ko kuch yaad aaya aur usne hanste hue kaha.

Sameer:- Lekin mujhe bahut hairaani hua ki tune mujhe phone kiya.

Rajesh:- Kyu…Tujhe phone nahi kar sakta hu kya?

Sameer:- Nahi…Kar sakta hai…Lekin mujhe hairaani ho raha hai ki tune mujhe phone kyu kiya? Tujhe Divya se fursat mil gaya kya? Mai to soch raha tha kit u din raat bas Divya se hi baat karta hoga phone me.

Sameer ne hanste hue kaha.

Rajesh:- Bakwaas band kar.

Rajesh ne thoda sa chhidhte hue jawaab diya…Lekin Sameer ki hansi ki aawaj sunne ke baad wo bhi hasne laga.

Rajesh:- Accha joke sunaya.

Sameer:- Joke nahi hai sacchaayi hai…Pata nahi tujhe kaise fursat mil gaya?

Sameer ne Rajesh ko aur chiddhaate hue kaha.

Rajesh:- Abb ye joke chhod…Tujhse jaruri baat karni hai.

Sameer:- Ha bol.

Rajesh ne serious ho kar kaha to Sameer ne bhi koi majaak nahi kiya.

Rajesh:- Subah tune kaha tha ki Priya ne tujhe maaf kar diya hai…Lekin kyu aur kaise abhi tak samajh me nahi aaya…Subah bhi tu kuch bataaye bina hi chala gaya.

Rajesh ne confused ho kar pucha…Priya ka Sameer ko maaf kar dena ye baat se Rajesh confused ho gaya tha.

Sameer:- Abhi tak tu ussi baat par atka hua hai…Chal batata hu.

Aur fir Sameer ne saari baat Rajesh ko bata diya apna Priya ke liye anjaan feelings ko chhod kar…Wo khud hi sure nahi tha issi liye usne Rajesh ko kuch nahi bataya.

Puri baat sunne ke baad Rajesh ne kaha.

Rajesh:- Chal accha hua…Abb teri life me bhi shaanti aa gaya…Abb tu suicide aur paagalon jaisi baat nahi karega.

Rajesh ne bhi Sameer ka majaak udaa kar kaha.

Sameer:- Udaa le bhai…Jitna majaak udaana hai udaa le…Accha mauka mila hai.

Sameer ne bhi hanste hue kaha…Achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne kaha.

Sameer:- Ek jaruri baat to batana bhul hi gaya.

Sameer ki baat sun kar Rajesh ko laga ki Sameer jarur kuch serious baat kehne wala hai.

Rajesh:- Kya?

Fir Sameer ne Shruti ke bare me Rajesh ko sab kuch bata diya.

Rajesh:- Mera shak sahi nikla…Uski harkat dekh kar mujhe bahut pehle hi uss par shak ho gaya tha ki wo jarur kuch planning kar rahi hai…Tujhe bahut baar samjhaaya lekin tune kabhi nahi maana.

Sameer:- Kaash maan leta yaar…Lekin maan nahi paaya…Teri tarah usse bhi apna dost manta tha…Kabhi iss baat ka ehsas nahi hua ki wo iss tarah se dhokha degi.

Sameer ne nafrat aur afsos ke saath kaha.

Rajesh:- Koi baat nahi…Vakt rehte tujhe uski sachaayi pata chal gaya…Yahi bahut hai…Man to kar raha hai uss ladki ko acche se sabak sikhaau…Uss ladki ki vajah se kitna kuch ho gaya.

Rajesh ne nafrat ke saath kaha…Wo bas Sameer se izaazat lena chaahta tha Shruti ko sabak sikhaane ke liye.

Sameer:- Nahi yaar chhod de usse…Abb hame usse koi matlab nahi rakhna hai…Abb sab kuch thik ho raha hai…Usse apna bura ateet samajh kar bhulne me hi bhalaayi hai…Dobara agar usne kuch kiya to mujhse bura koi nahi hoga uske liye.

Sameer ne bhi nafrat me kaha lekin usne khud ko sambhaal rakha tha.

Rajesh bhi Sameer ke liye chup ho gaya aur Sameer ka baat mane ka faisla kar liya.

Rajesh:- Accha thik hai…Tu kehta hai to maan leta hu…Warna mai usse kisi bhi haal me nahi chhodta…Chal abb phone rakhta hu.

Itna keh kar Rajesh ne call cut kar diya…Sameer ka baat sunne ke baad Rajesh ko bahut gussa aa raha tha aur wo baat nahi karna chaahta tha.

Rajesh se baat karne ke baad Sameer ne ghadi me timedekha to 8:30 pm baj raha tha...Time dekhne ke baad usko thoda dar lagne laga aur usne khud se hi kaha.

Sameer:- Dinner ka time ho gaya hai…Aaj Maa aur Papa ko batana hai Shruti ki assliyat…Papa kya kahenge…Unse to baat karne me bhi dar lagne laga hai…Jo bhi ho…Unse baat to karna hi hoga…Mera koi galti nahi hai…Jo hoga dekha jaayega.

Itna keh kar Sameer ne khud ko mentally prepare kar liya Maa aur Papa ko sacchaayi bataane ke liye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 108


Sameer ne khud ko taiyaar kar liya apne Papa se baat karne ke liye…Aur niche dinner ke liye chala gaya.

Jab wo niche pahuncha to usne dekha dining table par pehle se hi uske Maa, Papa aur Priya baithe hai.

Wo bhi aa kar dining table par baith gaya.

Usne khud hi serve kiya aur jab khaana suru karne hi wala tha ki Mr. Sharma ki baat ne usko rok diya.

Mr. Sharma:- Aaj tu dopahar se kaha tha?

Mr. Sharma ne thoda gusse ke saath pucha.

Sameer ne Mr. Sharma se ye sawal ka umeed nahi kiya tha…Usse laga tha ki wo kuch nahi bolenge aur usse khud hi Shruti ke bare me batana chaahiye.

Wo kuch kehne hi wala tha ki Mr. Sharma ne usse pehle keh diya.

Mr. Sharma:- Dekh raha hu aaj kal tu bahut ajeeb sa hota jaa raha hai…Pehle to ghar se kisi kaam se hi baahar nikalta tha lekin abb tera kadam ek jagah rehta hi nahi…Kabhi idhar to kabhi udhar…Tera behavior bhi dekh raha hu…Bahut badal gaya hai tu.

Aur…

Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye…Wo aur bhi kuch kehna chaahte the lekin unhone socha ye sahi vakt nahi hai…(Wo Sameer aur Priya ke bich ke badlaaw ke bare me puchna chaahte the lekin wo abh puri tarah se sure nahi the.)

Sameer:- Aaj dopahar me mai Shruti ke ghar gaya tha.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Wo aage ki baat kehne ke liye himmat jutaa raha tha.

Mr. Sharma:- Aur wo kyu?

Sameer:- Mai Shruti ko bataane gaya tha ki abb ham dono ka shaadi nahi ho sakta.

Sameer ki iss baat par Priya ke siwa sabhi hairaan ho gaye…Mrs. Sharma ko bhi yakin nahi ho raha tha ki Sameer ne itni jaldi rishte ke liye mana kar diya…Khud Sameer ne hi unhe kaha tha kuch din rukne ke liye.

Mr. Sharma:- Kya…Kahi paagal to nahi ho gaya tu?Abb tere dimaag me kya chal raha hai? Hamesha kuch na kuch gadbad karta hi hai.

Mr. Sharma ki baat me hairaani aur gussa tha…Sameer ka ye shaadi ko todne ki baat unke liye kisi dhamaake se kam nahi tha.

Fir Sameer ne apne Papa ko bina ruke saari baat bata diya…Mr and Mrs. Sharma bhi dhyan deke saari baat sun rahe the.

Saari baat sunne ke baad Mr. Sharma ne kaha.

Mr. Sharma:- Ye baat hai.

Itna keh kar wo chup ho gaye aur kuch sochne lage.

Sameer unke jawaab ka intejaar me tha…Kuch der intejaar karne ke baad bhi jab Mr. Sharma ne kuch nahi kaha tab Sameer hi bol pada.

Sameer:- Aapne kya faisla liya?

Mr. Sharma:- Abb tune hi faisla le liya to mai kya kahu?

Sameer:- Maine galat to nahi kiya na?

Mr. Sharma:- Galat to nahi kiya…Lekin thik bhi nahi kiya.

Mr. Sharma kuch der sochne ke baad bole.

Sameer:- Kya thik nahi kiya?

Sameer ne dhire se pucha.

Mr. Sharma:- Tune ye thik nahi kiya ki tu sahi aur galat ka pehchaan nahi kar paaya…Tu hamesha kisi ko bhi pehchaane me galti karta hai…Priya ko galat tarah se pehchaana aur choti si baat ke liye badla lene chala gaya.

Aur Shruti jo tere peeth picche itna kuch karti rahi aur tujhe kuch pata bhi nahi chala…Ek baar bhi shak tak nahi hua…Aur ussi se shaadi karne jaa raha tha.

Sabse pehle to insaan ko pehchaana sikh…Bura vakt me saccha dost hi kaam aata hai…Aur accha vakt me bura dost ki sangat bhi mushibat me daal sakta hai…Ye baat to tune mehsus kar hi liya hai…Abb apne galti se kuch sikh.

Mr. Sharma ne Sameer ka galti ke saath saath unhe apne hi tarika se samjhaane ki koshish kiya.

Sameer ko bhi Mr. Sharma ka baat sahi laga…Kuch der chup rehne ke baad usne kaha.

Sameer:- Thik hai Papa…Aage se khayal rakhunga.

Mr. Sharma:- Iss baar tera galti nahi tha…Aur aage se aisi galtiya karne ka sochna bhi mat…Pehle bhi maine tujhe kuch nahi kiya…Soch raha hu sahi kiya ya nahi.

Sameer:- Aage se koi shikaayat ka mauka nahi dunga.

Sameer ne dhire se kaha lekin khud par yakin ke saath kaha.

Sameer ki iss baat ka Mr. Sharma ne koi jawaab nahi diya aur waha maujud sabhi ko dekh kar kaha.

Mr. Sharma:- Abb khaana suru karte hai…Pehle hi thanda ho gaya hai.

Iske baad kisi ne kuch nahi kaha…Sabhi chup chaap khaane lage.

Khaana khaate vakt Mr. and Mrs. Sharma chor nighaao se Sameer aur Priya ko dekh rahe the…Sameer aur Priya iss baat se anjaan kabhi kabhi ek dusre ko chor nighaawo se dekhne me vyast the…Mr. Sharma dono me aaye badlaaw ko saaf mehsus kar rahe the…Wo kuch kehna chaahte the lekin fir kuch soch kar chup ho gaye.

Sameer thoda late khaa raha tha…Mr. Sharma apna khaana khatam karne ke baad apne roomme chale gaye…Priya Sameer ka khaana khatam karne ke intejaar me hire dhire khaa rahi thi…Lekin Sameer ko bahut dhire se khaate dekh Priya aur intejaar nahi kar saki…Mrs. Sharma bhi waha par thi aur Priya nahi chaahti thi ki unhe uske pyar ke bare me abhi kuch pata chale.

Priya bhi apna khaana khatam karke apne room me chali gayi.

Sameer ko late khaaa dekh Mrs. Sharma ne kaha.

Mrs. Sharma:- Kya hua Sameer…Bahut dhire se khaa raha hai.

Sameer:- Aaj jo kuch bhi hua uske bare me soch raha hu.

Mrs. Sharma:- Uss baat ko bhul jaa…Bas itna samajh le ki wo Shruti teri jindagi me manhoos ateet thi…Uski vajah se hi ye sab hua hai…Usko bhul jaa aur aage ka soch.

Mrs. Sharma ki baato me Shruti ke liye behad nafrat tha.

Sameer:- Bhulaana hi padega ye sab…Lekin socha nahi tha wo aisa bhi kuch kar sakti hai.

Maa ek baat puchna tha aapse…Papa mujhse jyada naraaj to nahi hai na.

Mrs. Sharma:- Unhe acche se jaanti hu…Aaj wo bilkul bhi naraaj nahi the…Bas tere ghar se gaayab hone ki vajah se hairaan the…Aaj wo dopahar me hi clinic se aaye the aur tujhe gaayab dekh kar unhe ajeeb laga.

Aaj pehli baar unhone kaha kit era koi galti nahi hai…Sab kuch thik ho jaayega aur bahut jald unka naarajgi bhi khatam ho jaayega.

Mrs. Sharma ne Sameer ko samjhaate hue kaha.

Sameer:- Koshish karunga aage se unhe kabhi naraaj nahi karne ka.

Uske baad Sameer ne Mrs. Sharma ke saath kuch der baat kiya aur khana khatam karke apne room me chala gaya.

Maa se baat kar ke wo bahut halka mehsus kar raha tha…Mr. Sharma ne naarajgi me hi sahi aaj kuch der unhone Sameer ke saath baat kiya iss baat ka Sameer ko khushi bhi ho raha tha.

Room me kuch der baithne ke baad wo bore hone laga aur wo chhat me chala gaya iss umeed me ki Priya bhi chat me aayegi…Priya se baat karne me usse bahut accha lagta tha aur wo ye bhi bhul gaya tha ki kuch din pehle usne Priya se dur rehne ke bare me socha tha.

Chhat me pahuchne ke kuch der baad umeed ke mutaabik Priya bhi chat me aa gayi.

Wo Sameer ke paas aayi aur Sameer ko dekh kar boli.

Priya:- Kya soch rahe ho?

Sameer:- Nahi to…Kuch nahi.

Sameer Shruti ke bare me hi soch raha tha lekin Priya ko nahi bataya…Wo Priya se fir se iss topic par baat nahi karna chaahta tha.

Priya:- Lekin tumhaara chehra bata raha hai ki tum kuch soch rahe ho…Kya tumhe Papa ki baat ka bura laga?

Priya ne bas andaaja lagaya…Lekin Sameer ko uski andaaja par bahut hairaani hua…Baat kuch aur thi aur Priya ka soch kuch aur.

Kuch der baad usne kaha.

Sameer:- Nahi…Papa ka baat ka kyu bura maanunga…Galti mera hai…Itna to hak aur jimmedaari hai unke paas ki galti par sahi raasta dikhaaye.

Priya:- Bahut positive soch hai tumhaara.

Priya ne hanste hue kaha.

Sameer ne uski iss baat ka jawaab hans kar hi diya.

Priya:- Agar sach kahu to tumhaare Papa aaj tumse naraaj nahi the.

Priya ki iss baat par Sameer ko bahut hairaani hua.

Sameer:- Kaise keh sakti ho tum ye baat?

Hairaani me Sameer ne pucha.

Priya:- Uncle sach hi kehte hai…Tum kisi ko acchi tarah se pehchaan nahi paate ho…Tumhe bilkul bhi mehsus nahi hua ki Uncle aaj naraaj nahi the.

Uncle jab bhi tumse naarajgi se baat karte the tab hamesha unke chehre me gussa hota tha…Lekin aaj unki aawaj me bilkul bhi gussa nahi tha.

Unki baato se mujhe aisa lag raha thaki unhone tumhe maaf kar diya hai…Lekin iska ehsas tumhe hone nahi diya…Aaj pehli baar Uncle ne tumse itni der baat kiya tha aur unki baato me main ek baar bhi gussa mehsus nahi kiya…Wo tumhe samjhaa bhi rahe the aisi galtiyan dobaara na karne ke liye.

Priya ki baat sun kar Sameer ko bhi laga ki wo sahi keh rahi hai…Ye uske liye bahut khushi ki baat tha…Khus ho kar usne kaha.

Sameer:- Kaash aisa hi ho…Sab kuch thik ho raha hai…Abb bas Papa mujhe maaf kar de.

Sameer ki iss baat ka Priya ne koi jawaab nahi diya…Wo Sameer ko khus dekh muskura rahi thi.

Sameer:- Maana padega tumhe…Sach me bahut kuch soch leti ho.

Sameer ne Priya ka taarif karte hue kaha.

Priya:- Fikar mat karo…Mujhe follow karte jaao tum bhi bahut kuch sikh loge.

Priya ne hanste hue kaha jawaab me Sameer bhi hasne laga.

Sameer:- Aaj movie dekhne ka plan cancel ho gaya…Kya ham kal movie dekhne chal sakte hai sham me?

Sameer ne Priya se request kiya.

Priya:- Thik hai…Chalenge…Lekin sham me hi kyu?

Sameer:- Subah se sham tak to mai office me rahunga…Aur bhulo mat tum bahut hi busy aur mehnati naujawan se baat kar rahi ho.

Sameer ne aakhiri line hanste hue kaha…Priya se baat karte karte uska mood bhi badal gaya tha aur hamesha ki tarah hansi majaak ka mood me aa gaya.

Priya:- Oh sorry…To fir mai kisi busy aur hard working insaan ko disturb nahi karungi.

Priya ne bhi Sameer ki baat ka jawaab diya jhutha naarajgi dikhaa kar.

Sameer:- Are majaak kar raha tha...Abhi itna bhi busy nahi hu.

Sameer jaanta tha ki Priya ne majaak me aisa kaha hai...Lekin Sameer ke paas koi accha sa jawaab nahi mila to usne ye keh diya.

Priya:- Mai bhi to majaak kar rahi thi.

Priya ne haste hue kaha...Wo kuch iss tarah se hans rahi thi aur khus ho rahi thi jaise usne Sameer ko iss khel me hara diya ho...Sameer bhi Priya ka hansi dekh khus ho gaya aur Priya ke saath hasne laga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 109

Next Day in Evening at Cinema Hall


Shaam ke karib 5:00 pm me Sameer aur Priya cinema hall pahunche…Waha jaakar wo film ke bare me discuss karne lage.

Priya:- Kaunsa film dekhenge?

Priya excited ho kar boli.

Sameer:- Dekh lenge koi nayi film.

Priya:- Koi choice?

Sameer:- Kaisa choice?

Sameer ko Priya ki baat samajh me nahi aaya.

Priya:- Matlab kis type ki movie dekhenge? Action, romantic, Comedy, Horror, Sci-Fi . ya koi aur?

Sameer:- Ohh…To ye puch rahi thi tum…Ruko sochta hu 1 minute.

Kuch der sochne ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Chalo koi action movie dekhte hai…Jab bhi movie dekhta hu action movie hi dekhta hu…Romanctic movies bakwas lagta hai…Horror film totally unrealistic hota hai aur thoda bahut illogical bhi…Comedy film accha lagta hai thoda bahut lekin action jitna maja nahi aata…Sci-Fi film me technology hi accha lagta hai story nahi.

Sameer ne apne movie ke choice ke bare me Priya ko short cut me bata diya.

Priya:- Kisne kaha romantic movies bakwaas hota hai?

Priya ne Sameer ko ghurte hue aur thoda gussa hone ka naatakkarte hue kaha.

Sameer:- Mujhe accha nahi lagta.

Priya:- Tumne last time romantic movie kab dekha tha?

Priya ki baat sunne ke baad Sameer ne yaad karne ki koshish kiya…Jab usse yaad nahi aaya to usne kaha.

Sameer:- Yaad nahi aa raha hai…Ek baar dekha tha…Lekin kab dekha tha wo pata nahi hai…Lekin itna bura aur bakwas laga ki kabhi dekhne ka man hi nahi hua…Uske baad Mahesh ko dhokha mila aur mera bhi pyar par se vishwaas utth gaya.

Sameer ne romantic movie pasand nahi hone ki vajah Priya ko bataya.

Priya:- Tumne uss vakt shayad koi ghatiya movie dekha hoga…Mahesh ke saath dhokha hua ye bahut galat hua lekin iska matlab ye nahi ki duniya me pyar naam ki koi cheej hai hi nahi…Aaj to tumhe romantic movie hi dekhna padega.

Priya ne Sameer ko order diya.

Sameer:- Lekin mujhe pasand nahi hai aisi movie dekhna…Aur tumne to mujhe option bhi diya tha kisi bhi genre ka movie dekhne ke liye.

Sameer ne bachne ke liye kaha.

Priya:- Mai tumhe koi option nahi de rahi thi…Mai to bas tumse tumhaara pasand jaana chaahti thi.

Aur tum mujhe movie dikhaane laaye ho to tumhe mera pasand ka hi movie dekhna hoga.

Priya ne iss tarah se kaha jaise uska ye faisla aakhiri faisla hai.

Sameer:- Tumhe romantic movies itna pasand kyu hai? Aakir romantic movies me hota kya hai?

Sameer jaanta tha ki wo Priya se baato hi baato me lad kar jeet nahi sakta…Aise me wo Priya ko uljhan me daal kar romantic movies se bachne ka soch raha tha.

Priya:- Romantic movie me kya hota hai? Ye pucho ki kya nahi hota hai…Ek accha sa love story, feeling, emotions aur insaan ki andar ki acchaayi aur insaaniyat…Aisa lagta hai jaise pyar me kitna taakat hota hai…Pyar ko pane ke liye ham kisi se bhi, kaise bhi haalat se lad jaate hai…Apne pyar ke liye ham kya kuch nahi karte…Yahi saari baatein dikhaata hai ki pyar insaan ki jindagi me kya hai…Jindagi ke acche aur bure pal dekhne ko milte hai.Aur bahut kuch jise dekh kar dil khus ho jaata hai.

Priya ne Sameer ki baato ka jawaab diya…Sameer Priya ki baat sunne ke baad andar hi andar muskuraata hai aur kehta hai.

Sameer:- (In his mind) Sach me iss ladki se jeet paana bahut mushkil hai…Mujhe mere hi khel me ulja diya…Aur jo bhi kaha bilkul sahi kaha.

Sameer yahi sab soch raha tha ki Priya ki baaton ne usse uske soch se baahar nikaala.

Priya:- Abb tum ye bataao ki tumhara action film me aisa kya hota hai jiski vajah se tumhe action film itna pasand hai?

Sameer:- Bahut kuch hota hai…Action scene dekhne ka ek alag hi maja hota hai…Bahut accha lagta hai jab hero villains ka band bajaata hai.

Action film dekhne ke baad andar se ek josh paida hota hai…Aisa lagta hai duniya me aisi koi bhi cheej nahi hai jo ham nahi kar sakte hai…"Where there is a will, there is a way" Ye kahawat to tumne suna hi hoga…Action movies me kisi bhi insaan ke sangharsh(struggle) ko dikhaaya jaata hai…Aisi movie dekh kar ye sikh milta hai ki jitney bhi bure haalat kyu na ho agar ham himmat nahi haarenge to kisi bhi haalaat me jeet sakte hai.

Sameer ne bhi Priya ko uske sawaal ka jawaab diya.

Priya:- Ye sab to thik hai…Lekin tumhe aaj romantic movie hi dekhna padega…Aur baat ghumaane se koi faaidaa nahi.

Sameer:- Nahi…Movie dekhenge to sirf action movie hi dekhenge.

Sameer ne mehsus kiya tha ki Priya abb thoda sa chhidhne lagi hai…Sameer thodi der Priya ki haalat ka majaa lena chaahta tha.

Priya:- Agar tumne meri baat nahi maana to tum akele hi jaao action movie dekhne…Mai ghar laut jaati hu.

Iss baar Priya sach me gussa ho kar boli.

Sameer:- Ye to blackmailing hai.

Sameer ne hanste hue kaha.

Priya:- Ha ye blackmailing hi hai…Abb tum kaho kya faisla hai tumhaara?

Priya ne aur bhi jyada chhidhte hue kaha.

Sameer ko bhi laga abb Priya ko aur jyada chhidhaana thik nahi hai.

Sameer:- Jo hukum sarkar…Aapke saamne hamara kuch chalta hi nahi.

Sameerne niraash hone ka naatak kiya aur ek accha sa romantic movie ka poster dekh kar ticket kharidne chala gaya.

Kuch hi der me wo 2 tickets le kar aaya.

Sameer:- Ticket le liya hai…Chalo movie dekhte hai.

Priya:- Tum naaraj to nahi ho?

Priya ne Sameer ke chehre ko dekh kar pucha…Jawaab me Sameer ne muskura kar Priya ko dekha aur kaha.

Sameer:- Kya lagta hai tumhe?

Priya:- Tumhaare bare me kuch keh nahi sakti…Kuch der pehle naraaj the abb muskura rahe ho.

Sameer:- Mai bilkul bhi naraaj nahi hu…Bahut pehle hi tumhaara baat maan liya tha jab tumne romantic movies ko itne acche se describe kiya…Mai to bas majaa lene ke liye tumhaari baat ko taal raha tha.

Sameer ki baat sun kar Priya ko bahut accha laga ki Sameer uski baat maan gaya aur wo apni iccha se movie dekhne aa raha hai.

Priya:- To fir chale?

Sameer:- Ha chalo…Bahut dino baad romantic movie dekhne jaa raha hu…Agar ye movue bhi bakwas laga to fir kabhi nahi dekhunga.

Sameer ne Priya ke saamne apna shart rakha.

Priya:- Accha thik hai…Pehle ye movie to dekh lo…Agar tumhe pasand nahi aaya t aage se tumhe kabhi nahi kahungi romantic movies dekhne ke liye.

Priya ne itna kaha aur cinema hall ki taraf chalne lagi…Sameer bhi saath saath aa gaya.

Kuch hi der me dono apne apne seat par baith gaye…Sameer aur Priya kea as paas jyada tar seat khaali tha…Seat me baithne ke karib 5 minute baad movie start hua.

Movie start hote hi dono ka dhyaan movie ki taraf chala gaya…Kuch der movie dekhne ke baad dono ko movie interesting lagne laga…Sameer bhi abb hyan deke movie dekh raha tha…Uske chehre se saaf pata chal raha tha ki usko bhi movie dekhne me majaa aa raha tha.

Thodi der me Priya ka najar movie se hat kar Sameer par aa gaya…Usne dekha ki Sameer bahut maje se movie dekh raha hai…Ye dekhne ke baad uske chehre me bhi ek pyari si muskaan aa gaya…Fir usne apna najar Sameer se hata kar waapas movie ki taraf kiya.

Dono hi maje se movie dekhte rahe aur dono movie me hi vyast ho gaye…Aas paas kya chal raha hai isse dono ko kuch matlab nahi tha…Kuch der baad Interval hua…Tab jaa kar Sameer aur Priya waapas hosh me aaye…Interval ke kuch der bitne ke baad bhi dno ek dusre se kuch nahi bole.

Priya:- Kaisi lagi movie?

Khaamoshi ko tod kar Priya ne pehla sawaal kiya.

Sameer:- Accha hai.

Priya:- Sirf accha hi?

Sameer:- Bahut accha…Movie ke bare me kya kahu kuch samajh me hi nahi aa raha hai…Bahut hi kam movie dekha hai maine aisa.

Abb Sameer ne thoda khul kar kaha.

Priya:- Hmm…Bahut accha movie hai…Kitna pyar hai hero aur heroine me…Sach me inn dono ka pyar dekh kar dil khus ho gaya…Aisa lagta hai dekhti hi jaau.

Sameer:- Bahut hi pyar bhara pal aur romance tha dono ke bich…Vishwaas nahi hota aaj ke duniya me bhi aisa pyar hota hai…Par interval se pehle kuch scene dekh kar aisa laga ki shaayad dono bicchadne wale hai…Saccha pyar karne walo ke saath hi aisa kyu hota hai…Bahut logo ki kahani suna hai job hi saccha pyar karte hai unka prem kahani adhura reh jaata hai.

Mujhe lagta hai iss kahani me bhi aisa hi kuch hoga…Ek to saccha pyar kisi ko bahuthi mushkil se hota hai aur jab bhi hota hai wo pyar adhura reh jaata hai…Aisa lagta hai pyar karna koi gunaah hai.

Sameer ne apne dil se pyar ke bare me do shabd kaha jo usne mehsus kiya.

Priya:- Sahi keh rahe ho tum…Jyadatar sacche prem kahani adhura hi reh jaata hai…Pyar ka izahar ka inkar hone ka dar aur haalato ki vajah se jyada tar saccha pyar kabhi apne manjil tak nahi pahunch paata.

Dekhte hai iss kahani ka manjil kya hai…Kaash dono kabhi na bicchde.

Sameer aur Priya dono ko movie itna pasand aaya ki dono iss kahani ko sacchaayi ke roop me lekar iss bare me baat karne lage ye jaante hue bhi ki ye movie sirf ek kaalpanik kahani hai…Iss movie ko dekhne ke baad Sameer ki jubaan se bhi pyar ke bare me bahut saari baatein nikla.

Kuch der baad movie waapas chaalu hua.

Sameer aur Priya dono ne iss baar bhi apna saara dhyan movie ki taraf hi lagaya…Movie dekhte vakt situation ke mutaabik dono ke chehre ke expression bhi badalta gaya.

Kuch der baad movie bhi khatam ho gaya.

Movie khatam hote hi Sameer ne khushi se Priya ki taraf dekhte hue kaha.

Sameer:- Aakhir me dono mil hi gaye…Bich me aise haalat aa gaye the mujhe to aisa laga raha tha ki dono abb hamesha ke liye bicchad jaayenge…Lekin aakhir me dono mil hi gaye…Paisa vasool movie tha…Sach me movie dekh kar maja aa gaya.

Sameer ne bahut khusi jaahir karte hue kaha.

Priya:- Sach me hero aur heroine ke bich saccha pyar tha…Dono aakhiri vakt tak apne pyar ke liye ladte rahe…Dono ke pyar ki taakat ne dono ko mila hi diya…Sach me majaa aa gaya ye movie dekh kar.

Sameer:- Thanks a lot…Agar tumne ye movie dekhne ke liye jidd nahi kiya hota to mai bhi itni acchi movie miss kar deta.

Sameer abhi tak bahut khus tha movie dekhne ke baad.

Priya:- Dekha maine kaha tha na romantic movies bahut accha hota hai…Tum hi jidd karrahe the action movie dekhne ke liye.

Priya ne kuch iss tarah se kaha jaise usko khud ke decision par bahut garv tha.

Sameer:- Iss movie me action scene aur thrill bhi tha.

Sameer ne bhi apni baat kaha.

Priya:- Ha lekin thrill aur action se jyada romance tha.

Priya ne bhi Sameer par palatwar kiya.

Sameer:- Ha keh sakte hai…Jo bhi ho…Bahut accha movie tha aur dekh kar bahut majaa aaya.

Sameer ke paas abb koi point nahi bacha tha kehne ke liye.

Itna keh kar Sameer aur Priya dono cinema hall se baahar nikal gaye aur Parking me apne bike ki taraf chale gaye.

Sameer bike par baithne hi wala tha ki usse kuch yaad aa gaya aur usne Priya se kaha.

Sameer:- Lekin ye to sirf ek movie tha…Yaani ki ek kaalpanik kahani…Isme writer jo chaahta hai wohi ending hota hai…Real life me aisi kahani ka ending sad ending hi hota hai.

Priya:- Ha ye bas ek kaalpanik kahani hi thi…Lekin iss movie dekh kar ek baat sikh sakte hai ki agar ham kisi se pyar karte hai hai to sacche dil se pyar karna chaahiye aur apna pyar hamesha nibhaana chaahiye…Pyar ka matlab hamesha paana hi nahi hota…Pyar nibhaana sabse badi baat hoti hai…Aur yahi ek sacche pyar karne walo ki khaasiyat hota hai.

Priya ne bhi apni baat kahi.

Sameer:- Sahi kaha tumne…Lekin soch kar dar bhi lagta hai ki agar koi kisi se saccha pyar karta hai aur fir uska pyar adhura reh jaata hai to kitna dard hota hoga.

Priya:- Ha dard to bahut hota hai…Lekin ek sukoon bhi milta hai ki usne uske pyar ki khushi ke liye apne pyar ka kurbaani diya hai ya fir usne hamesha apne pyar nibhaaya hai aur haalat ke saamne majbur ho gaya aur usko uska pyar na mila…Apne pyar ki mitthi yaadein se jeete hai aashiq apne aage ki jindagi…Pyar karne ka bhi ek alag hi maja hai.

Priya ne Sameer ko samjhaate hue kaha.

Sameer abb kuch nahi bola…Usse samajh me hi nahi aa raha tha ki usse aage kya bolna chaahiye…Wo chup hi raha.

Priya:- Sameer kya tum uss film ki hero jaise kabhi kisi se pyar kar sakte ho?

Priya ne Sameer ki feelings ko jaane ke liye dilchaspi se pucha.

Sameer:- Shaayad nahi…Mujhe pyar par utna yakin nahi hai aur dil toot jaane ki dar bhi hai.

Priya ko samajh me aa gaya ki Sameer ko pyar karne se abhi bhi dar lag raha hai…Mahesh ke saath jo bhi hua tha wo abhi tak uss baat ko nahi bhula paaya tha…Priya ko ye to pehle hi pata chal gaya tha ki Sameer ke dil me bhi Priya ke liye pyar ka suruwat ho gaya hai lekin Sameer iss baat ko mane ke liye taiyar hi nahi hai.

Priya ko samajh me aa gaya ki abb usse Sameer ko uske pyar ka yakin dilaana hoga…Wo jaanti thi ki wo aisa kar sakti hai.

Priya:- Agar koi ladki uss film ki heroine ki tarah tumse pyar kare to?

Sameer:- Agar koi mujhe uss tarah se saccha pyar karegi aur mere feelings ko bhi samjhegi to mai kabhi usse khud se dur jaane nahi dunga…Usse bhi waise hi pyar karunga jaise wo mujhse karti hai.

Sameer ne apne dil se ye baat kaha…Jab bhi usne ladki ki jikr kiya tha uske simaag me Priya aa gayi…Lekin agle hi pal usne ye khayal jhatak diya.

Priya ne jab Sameer ki ye baat suni wo bahut khus ho gayi…Yahi to wo baat tha jo wo Sameer ke munh se sunna chaahti thi.

Sameer:- Lekin aisi koi ladki nahi hogi jo mujhse iss tarah se pyar kare.

Sameer ne kuch der baad khaamoshi ko tod kar kaha.

Priya:- Shayad koi hai tumhaare aas paas hi…Jiska pyar abhi tak tumne pehchaana nahi hai.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,771
37,571
219
oho..........
ab to sameer ne rajesh aur divya ke pyar ka raj bhi priya ko bata diya
pyar ko beshak na samjhe,,,,,na mane
lekin biwi ko sabkuchh batane laga hai.................proper husband ki tarah :D

idhar mr sharma se bhi cleanchit mil gaya..............shruti ka rishta todne ke liye

aur honeymoon na sahi............sath me romantic movie to dekh hi li priya aur sameer ne

ab dhire-dhire inke pyar me positivity badhti ja rahi hai

keep it up

..................................
aj ke updates ka intzar rahega

aur aaj sounga nahin.............aj ka review aj hi de dunga :)
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
oho..........
ab to sameer ne rajesh aur divya ke pyar ka raj bhi priya ko bata diya
pyar ko beshak na samjhe,,,,,na mane
lekin biwi ko sabkuchh batane laga hai.................proper husband ki tarah :D

idhar mr sharma se bhi cleanchit mil gaya..............shruti ka rishta todne ke liye

aur honeymoon na sahi............sath me romantic movie to dekh hi li priya aur sameer ne

ab dhire-dhire inke pyar me positivity badhti ja rahi hai

keep it up

..................................
aj ke updates ka intzar rahega

aur aaj sounga nahin.............aj ka review aj hi de dunga :)
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Ek review Ek Bhool 2 mein bhi :D...Keep supporting bhai.
 
Top