- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 110
Sameer ko Priya ki baat bilkul bhi samajh me nahi aaya…Priya ki baat se uske dimaag me alag alag khayal aaya.
Wo sochne laga.
Sameer:- (In his mind) Kya keh rahi hai ye…Kaun mujhse pyar karti hai…Aur mere aas paas bhi hai.
Sameer yahi sab soch raha tha ki uske dimaag me ek aur khayal aaya.
Sameer:- (In his mind) Mere aas paas to abhi Priya hi hai…Kahi iska matlab Priya mujhse pyar to nahi karti…Nahi nahi…Mai bhi pata nahi kya kya soch raha hu…Do chaar din aise hans ke baat karne ka matlab pyar nahi hota…Pata nahi mai kya kya soch raha hu…Shaayad Priya mujhse majaak kar rahi hai.
Sameer yahi sab soch raha tha tab tak Priya ko bhi ehsas ho gaya tha ki usne jaldbaazi me kya keh diya hai…Usse bhi laga ki ye baat indirectly hi sahi usnebahut jaldi keh diya hai…Baat sambhaalne ke liye usne kaha.
Priya:- Kya soch rahe ho?
Sameer:- Kuch nahi.
Sameer ne ye keh to diya lekin uski aawaj se hi pata chal raha tha ki wo uljha hua hai.
Priya:- Nahi kuch to soch rahe ho.
Sameer:- Tumhaari kahi baato ke bare me hi soch raha hu…Kaun mujhse pyar karti hai…Aur wo mere aas paas bhi hai…Mujhe to koi aisi ladki dikhi hi nahi.
Sameer ne apna uljhan ki vajah bata diya.
Priya:- Maine to wo baat aise hi keh diya tha…Mera matlab ye tha ki kabhi hamaare aas paas aise bhi log hote hai jo hame chaahte hai lekin kisi dar ki vajah se keh nahi paate…Bas itna kehna chaahti thi ki agar hame ye ehsas ho jaaye ki koi hamse sacha pyar karta hai to uska saath kabhi nahi chhodna chaahiye.
Priya ne Sameer ko samjhaaya…Sameer ko kuch baatein samajh me aaya aur kuch nahi.
Sameer:- Lekin…
Sameer kuch kehne hi wala tha ki Priya ne usse bich me hi rok kar kaha.
Priya:- Lekin wekin kuch nahi…Ghar bhi jaana hai aur pehle hi ahut late ho gaya hai.
Priya ne Sameer ki sawalo se bachne ke liye kaha...Wo jaanti thi ki Sameer abhi bhi confused hai aur wo apna saara confusion Priya se puch kar hi rahega…Aise me Sameer kuch aisa sawaal bhi puch sakta tha jiska jawaab Priya ko dena shaayad mushkil ho jaaye.
Priya ki baat sunne ke baad Sameer ko bhi mehsus hua ki shayad abb sach me late ho raha hai.
Sameer ne Priya ko baithne ke liye bola aur jab Priya baith gayi tab usne apna bike start karke sidha ghar ki taraf chalaane laga.
Ghar me bike parking karne ke baad dono apne apne room ki taraf jaane lage…Ghar ke gate se andar jaane ke baad jab dono sheedhi se apne room ki taraf jaa rahe the tab dono ka najar ek dusre se takraya aur gir dono ke chehre me smile aa gaya…Dono aise hi muskuraate hue apne room ki taraf jaane lage iss baat se anjaan ki niche hall me baithe Mr. Sharma ne unhe ek dusre ko dekh kar muskuraate hue dekh liya hai.
Dinner Time
Raat me dinner ke vakt sabhi dining table par baithe the…Sabhi khana suru karne hi wale the ki Mr. Sharma ne kaha.
Mr. Sharma:- Priya…Tumse Sameer ki bare me kuch kehna hai.
Mr. Sharma ki ye baat sun kar Sameer aur Priya ke saath Mrs. Sharma bhi chaunk gayi…Sameer ko thoda sa dar lag raha tha ki uske Papa abb kya puchne wale hai…Priya ko bhi kuch samajh me nahi aaya ki Mr. Sharma kya puchne wale hai.
Priya:- Ji uncle…Puchiye?
Priya ne thoda dheemi aawaj me jawaab diya.
Mr. Sharma:- Jab se tum dono tumhaare ghar se aaye ho…Maine tum dono ke bich bahut badlaaw mehsus kiya hai…Abb tumhaari najro me Sameer ke liye koi nafrat nahi dikh raha hai…Kal raat jab mai chat me pahuncha tab tum dono ko baat karte hue dekha tha…Tum dono aise muskura kar baat kar rahe the jaise tum dono dost ho aur tumhaari saari naarajgi aur nafrat khatam ho gaya hai…Tum dono ne kya baat kiya ye to maine nahi suna lekin aisa laga ki tum dono ke bich haalat bahut badal gaya hai.
Aaj bhi tum dono ko ek dusre ko dekhne ke baad muskura kar jaate hue dekha tha.
Mr. Sharma jo baat itne dino se kehna chaahte the aaj unhone keh diya.
Mr. Sharma ki sawaal ka jawaab Sameer dene hi wala tha ki bich me Priya ne hi keh diya.
Priya:- Maine Sameer ko maaf kar diya hai aur abb Sameer se koi naarajgi nahi hai.
Priya ne jawaab diya…Abb chaunkne ki baari Mr. Sharma ka tha.
Mr. Sharma:- Achanak aisa kya ho gaya tum dono ke gaanw se aane ke baad…Pehle to tum isse bahut naraaj thi.
Mr. Sharma ne thoda hairaani ke saath pucha.
Uske baad Priya ne bhi Sameer ko maaf karne ki vajah bata diya…Sameer ka sacche dil se maafi maangna, khud ki galti par pacchtaana, galti ka ehsas hona aur Shruti ki saajish…Yahi vajah Priya ne bataya.
Priya ki jawaab sunne ke baad Mr. Sharma kuch der tak chup hi rahe…Fir unhone kaha.
Mr. Sharma:- Mai ye to nahi kahunga ki jo hua thik hua…Iski galti se tumhaari jindagi me itna bada tufaan aa gaya...Lekin fir bhi baat jyada bigda nahi.
(Sameer ki taraf dekh kar) Tera kismat sach me bahut accha hai…Itna bada galti karne ke baad bhi tujhe Priya ne maaf kar diya.
Mr. Sharma ki chehre me raahat ke bhaaw the…Wo bahut khus the ki abb sab kuch thik ho gaya hai…Unke bete ki galti ki vajah se Priya ke saath jyada galat nahi hua.
Sameer:- Mai sharmindaa hu apni galti ki vajah se…Anjaane me bahut bada galti ho gaya tha…Abb aage se aisi koi galti nahi karunga…Bas aap iss baar mujhe maaf kar dijiye.
Sameer ne maafi maangne ke baad Mr. Sharma ko dekha…Usse umeed tha ki Mr. Sharma unhe maaf kar denge.
Mr. Sharma kuch der tak Sameer ko dekhte hue kuch sochne lage…Fir unhone kaha.
Mr. Sharma:- Abb Priya ne tujhe maaf kar diya hai to mera inkaar karne ka vajah bhi nahi hai…Shaayad tune apne galti ka praayaschit bhi kar liya hai…Iss baar to tujhe maaf kar raha hu lekin aage kabhi aisi galti karne ka sochna bhi mat.
Mr. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ke chehre me khushi ke bhaaw aa gaya…Apne Papa se maafi milne ke baad usko aisa laga jaise uske sar se bahut bada bojh utar gaya hai.
Khushi ke saath usne kaha.
Sameer:- Thanks a lot Papa…Abb aisi galti kabhi nahi karunga.
Mr. Sharma ne Sameer ka iss baat ka koi jawaab nahi diya…Unhone apna najar Mrs. Sharma aur Priya ki taraf ghumaaya…DOno ke chehre me khushi ki bhaaw najar aa raha tha.
Mr. Sharma:- Abb khaana khaate hai…Thanda ho raha hai.
Fir uske baad sabhi khaane lagte hai.
Khaana khaa lene ke baad Mr. Sharma ne Sameer se fir kaha.
Mr. Sharma:- Ek cheej tune bahut accha kiya…Jab tujhe pata chala ki Priya ka shaadi karwa kar tu galti kar raha hai tab tune apne galti maan kar usko sudhaarne ki koshish kiya.
Ye baat mujhe bahut accha laga…Agar Priya ka shaadi uss bewde ke saath ho jaata aur mujhe kisi se teri ye kartut ke bare me pata chalta to bata nahi sakta hu mai kya haal karta tera?
Jab tu Priya ke saath shaadi karke aaya aur shaadi ki vajah bataya tab tujh par itna gussa aa raha tha ki tujhe laat maar kar ghar se nikaalne ka soch raha tha lekin haalat ko samajhte hue maine aisa nahi kiya.
Mr. Sharma ne Sameer ki acchaaayi aur buraayi dono ek saath bata diya.
Sameer:- Sorry Papa…Gusse me mai paagal ho gaya tha aur badla lene chala gaya aur itna bada galti kar baitha.
Sameer ne ek baar fir apni galti ki vajah bata diya…Iske alawa uske paas Mr. Sharma ko jawaab dene ke liye koi baat nahi bacha.
Mr. Sharma:- Tu galat na ho kar bhi galat ban gaya…Vajah hai ye gussa.
Gussa sabhi ko aata hai lekin ye gussa kisi ka apna nahi hota…Teri baat sun kar mujhe apni jawaani ka yaad aa gaya.
Uss vakt mai bhi short tempered tha…Gussa shaayad tujhse bhi jyada aata tha…Lekin jab mai MBBS padhne laga tab ehsas hua ki mai doctor banne jaa raha hu…Aur doctor par gussa bilkul bhi suit nahi karta.
Kisi tarah khud par kaabu kiya aur khud ko shaant karne laga…Mera koshish safal ho gaya…Uske baad mai kisi bhi chhoti baat par gussa nahi hota tha.
Gussa ko kaabu karne ke baad mujhe mehsus hua gussa ko kaabu karne se kitna faaidaa hota hai…Sabhi ke saath accha dosti ka rishta ban jaata hai…Shaant rehne par aur dusro ki madad karne se sabhi pasand karte hai aur mushkil vakt me bhi saath dete hai.
Gussa aane par insaan maanasik roop me kabhi thik nahi rehta hai…Hamesha kisi na kisi cheej ki frustration rehta hai aur apne routine aur kaam se bhi bhatak jaata hai.
Gussa khud ke liye aur apno ke liye dono ke liye haani karak hai…Jitna kaabu me rahega utna hi accha hai.
Agar tujhe gussa nahi aayega to t u apna kisi bhi kaam se nahi bhatkega…Kisi ke liye nafrat nahi hoga aur sabhi ke liye accha hi sochega…Sabhi tujhe pasand bhi karenge aur izzat bhi denge.
Aur sabse badi baat kisi se badla lene ke liye nahi sochega…Aur accha aur galat ka faisla bhi kar paayega.
Tune khud hi mehsus kiya hoga ki tera gussa hi tha jiski vajah se tu Priya se nafrat karne laga aur jab gussa khatam ho gaya tab tera dimaag acche se kaam karne laga…Tab jaake tujhe apne galti ka ehsas hua aur tune Priya se maafi maanga...Aur aaj tum dono ka dosti ho gaya.
Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye…Aur Sameer ko dekhne lage.
Sameer:- Sahi kaha aapne…Koshish karunga apne gussa par kaabu karne ka.
Sameer ko sach me Mr. Sharma ki baat sahi laga aur usse mehsus hua ki uski galti ki vajah uska gussa hai…Agar suruwat me hi usne apne gusse ko kaabu me kar liya hota to uska aur Priya ke bich kabhi dushmani nahi hota aur naa hi ye sab hota.
Mr. Sharma:- Jis din tu yaha aaya tha shaadi karke…Uss din mujhe bhi itna gussa aa raha tha ki bata nahi sakta…Lekin kisi tarah gusse par kaabu karke teri baat suna aur saari haalat ke bare me pata chala.
Last me yahi kahunga ki insaan ko gussa hona bhi chaahiye lekin itna bhi nahi ki gusse ki vajah se uske paas kuch sochne ka aur samajhne ka taakat hi na rahe.
Kabhi gusse me aa kar aur bhaawana me dub kar koi faisla nahi karna chaahiye.
Sameer:- Ji Papa…Aage se yaad rakhunga aur gusse par kaabu karunga.
Mr. Sharma:- Iss baar tujh par vishwaas kar raha hu...Aage se iss vishwaas ko todna mat.
Mr. Sharma ki iss baat ka jawaab Sameer ne sar ko haa me hila kar diya.
Mr. Sharma:- 11 baj gaya…Abb sone ka time ho gaya…Abb baaki baatein kal karenge.
Itna keh kar sabhi apne apne room ki taraf jaane lage…Sheedhi par hi Sameer ne Priya se chhat me aane ke liye kaha.
Dono apne room me na jaa kar chhat me chale gaye.
Chhat me jaate hi Sameer ne Priya se khus ho kar kaha.
Sameer:- Thanks a lot Priya…Aaj tumhaari vajah se Papa se bhi maafi mil gaya.
Sameer ki baato se hi pata chal raha tha ki wo kitna khus hai.
Priya:- Aisa maine kya kar diya…Bas yahi kaha ki maine tumhe maaf kar diya hai.
Sameer:- Bas yahi to vajah tha Papa ka mujhe maaf karne ka…Jab tak tum mujhe maaf nahi kar deti Papa mujhe kabhi maaf nahi karte…Kyu ki mai tumhaara sabse bada gunehgaar tha.
Priya:- Mujhe bhi bahut accha lag raha hai ki tumhe Uncle se maafi mil gaya.
Sameer:- Bata nahi sakta hu Priya tumhe aaj mai kitna khus hu.
Sameer ne apna khusi jaahir karte hue kaha.
Priya:- Wo to tumhaara chehra se hi pata chal raha hai.
Sameer:- Wo to lagega hi…Aaj bahut bada bojh jo utra hai…Papa ka naarajgi mujhse sehan nahi ho raha tha…Aaj jab unhone maaf kar diya aur sab kuch thik ho gaya to aisi khushi mehsus ho raha hai ki bata nahi sakta.
Thanks a lot Priya once again…Mujhe aisa lag raha hai jaise mujhe jindagi me saari khushiyan mil gaya hai.
Kuch der pehle Sameer gusse ko kaabu karne ki baat kar raha tha…Lekin abb wo apna khushi kaabu nahi kar paa raha tha.
Priya bhi Sameer ki khushi me muskura kar uska saath dene lagi…Wo bhi Sameer ke liye bahut khus thi.