• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
ab to maa ke samne hi aisi situation me fans gaya.............
oopar se priya ne poora juloos hi nikaal diya

waise maa ko maja aa gaya

bahut badhiya ...........hansta-hansata update
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 113


Priya:- Sameer kya hua? Tumhaara mood off kyu hai?

Dinner ke baad Sameer ko chhat me akele dekhne ke baad Priya ne pucha.

Sameer:- Hmm…Thoda sa mood off hai.

Priya:- Kyu? Dopahar tak to bilkul thik the…Aur achanak se bina bataaye hi room se nikal gaye…Aur fir bike lekar baahar chale gaye…Ar jab se aaye ho tumhaara mood off hai.

Kya mera wo majaak tumhe itna bura laga?

Priya ko Sameer ka mood off hona aur chhat me iss tarah se aakar akela baithna bilkul bhi accha nahi lag raha tha aur usse kuch samajh me bhi nahi aa raha tha ki vajah kya ho sakta hai.

Sameer:- Aaj Principal ke ghar gaya tha…Issi liye mood off hai.

Sameer ne bina kisi bhaaw ke jawaab diya.

Sameer ki iss baat se Priya dusre uljhan me padd gayi…Sameer ka Principal ke ghar jaane ki vajah Priya ke samajh me nahi aaya.

Priya:- Kyu?

Hairaani me Priya ne bas itna hi kaha.

Sameer:- Neha ke bare me baat karna tha unse…Neha hi thi wo planning karne wali jiski planning me mai fans gaya aur wo bhool kar baitha jo aaj bhi yaad karne se khud par hi gussa aata hai.

Sameer ke chehre me abb dhire dhire gussa ke bhaaw aane laga.

Priya ko abb Sameer ki baat samajh me aaya ki wo Principal ke ghar kyu gaya tha…Lekin usne Sameer ka gussa ko mehsus kar liya jab Sameer Neha aur Principal ka naam le raha tha…Usse dar lagne laga ki kahi Sameer ne Principal ke ghar me jaake kuch galat to nahi kiya.

Priya:- Tum to gusse me lag rahe ho…Waha kuch hua kya?

Sameer:- Nahi…Kuch nahi kar paaya…Uss kamini ne mera life ke saath itna bada majaak kiya lekin mai kuch kar nahi paaya…Khud par hi gussa aa raha hai…Man to kar raha hai ki usse wohi jinda gaad deta lekin kuch nahi kar paaya…Pata nahi kyu ho gaya tha mujhe ki mai kuch kiye bina hi aa gaya.

Sameer ne gusse me diwaal me ek punch maar kar kaha…Uski ye harkat dikhaa raha tha ki wo kitna gussa me hai…Usne apni najar Priya ki taraf se hata liya aur diwaal ki taraf gusse se dekhne laga.

Priya Sameer ka achanak itne jaldi iss tarah gussa hone ka kaaran jaan paati usse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Lekin itna to kiya ki aaj Principal aur uski beti Neha ko acche se jawaab diya.

Wo Buddha Principal mujhe discipline sikhaa raha tha jab maine kuch galti nahi kiya tha…Usne mujhe aur Papa ko bahut kuch sunaaya tha…Papa ki baat maan kar mai uss vakt chup ho gaya tha…Lekin aaj khud par control nahi kar paaya.

Usse keh diya ki agar Neha ne fir se koi saajish ki planning kiya to mujhse bura koi nahi hoga…Aisi haal kar dunga dono ki jindagi bhar sochte rahenge ki kisse panga liya hai…Mai accho ke liye accha hu aur buro ke liye unse bhi kahi jyada khatarnaak…Vakt rehte hi maine usse apni beti ko sambhaalne ke liye keh diya.

Aur uss kamini Neha ko bhi acche se samjhaa diya…Ye bhi kaha ki agar mai galatfehmi aur puri sacchaayi jaane bina Priya ke liye itna khatarnaak soch sakta hu to uske saath koi action lene se pehle bilkul bhi nahi sochunga.

Itna keh kar Sameer ne thoda saans liya aur Priya ki taraf dekha.

Sameer:- Agar usne fir se kuch karne ki koshish kiya aur mujhe uski saajish pata chal gaya to uski jindagi ko nark se bhi bura bana dunga…Jindagi bhar sochegi kyu mujh se panga liya tha.

Man to kar raha tha acche se sabak sikhaau usko lekin kisi tarah gusse par kaabu kar liya…Socha ek baar acche se usse samjhaata hu usko…Agar maan gayi to thik hai warna mera gussa ka saamna karna padega usko…Waise bhi abb jindagi thik thaak chal raha hai…Issi liye badla lene ka soch se sirf tension hi hoga…Abb mai jindagi me sirf khushi aur shaanti chaahta hu…Issi liye ek baar usko samjhaa kar chhod diya.

Itna keh kar Sameer abb chup ho gaya…Uska laal aankh aur teji se chal raha saansein iss baat ka sabut tha ki wo abhi bhi bahut gusse me hai.

Priya:- Principal aur Neha ne kya kaha?

Sameer:- Unki bolne ki himmat hi kaha tha mere saamne…Neha ko dekh kar aisa lag raha tha ki wo meri baato se dar rahi hai…Aur Principal aisa dikhaa raha tha ki wo Neha ki kartut se anjaan hai aur Neha ko daant raha tha…Mujhe to wo sab buddhe ka acting lag raha tha.

Sameer ki aawaj me gussa pehle jaisa hi tha.

Sameer ki baat sun kar Priya ko thoda raahat mila ki gusse me Sameer ne koi gadbad nahi kiya…Warna gusse me wo kuch bhi kar sakta tha…Sameer ne Neha ko acche se jawaab de diya yahi bahut tha uske liye…Abb wo bh confirm thi ki Neha aage se uske aur Sameer ki life me kuch nahi karegi.

Wo bhi abb Neha ki chapter ko bhul jaana chaahti thi…Abb Neha ko fir se yaad karne ka matlab apni buri past ko yaad karna jaise tha…Abb wo sirf aage ka sochna chaahti thi…Neha ki uss planning me ulta Priya ke saath bahut kuch accha ho gaya...Wo ek hokha aur chhal se suruwat hua rishta se bach gayi aur apne aas paas ke sabhi insaan ka asli roop pehchaan paayi thi.

Ye sab baatein sochne ke baad usne Sameer ko dekha…Abb Sameer ka gussa dhire dhire kam ho raha tha…Wo Sameer ka mood thik karne ka soch rahi thi.

Kuch der wo chup rahi aur Sameer ko bhi akela chhod diya…Jab usse laga ki Sameer ka gussa abb bahut kam ho gaya hai tab usne kaha.

Priya:- Cigarette piyoge…Saari tension dur ho jaayega aur mood bhi thik ho jaayega.

Priya ne muskuraate hue kaha…Wo Sameer ko Principal ki ghar wali yaadon se baahar nikaalna chaahti thi.

Sameer ne Priya ki iss baat par Priya ko iss tarah se dekha jaise usko apne kaano par yakin hi nahi hua…Jab Priya ne apni baat ko dobaara dohraaya tab usne kaha.

Sameer:- Mai cigarette nahi peeta.

Sameer ne hairaan ho kar jawaab diya.

Priya:- Lekin daru to peete ho.

Sameer:- Wo bhi nahi peeta hu…Shaadi ke baad 2 din tension bhulne ke liye piya tha…Uske baad fir kabhi nahi piya.

Lekin tum ye kyu puch rahi ho?

Priya:- Mai to aise hi ye jaane ke lie puch rahi thi ki tum cigarette aur alcoholic products peete ho ya nahi?

Priya ne baat taalne ke liye kaha…Wo jo chaahti thi usne kar diya…Usne Sameer ka dhyaan Principal ke ghar se nikaal diya.

Sameer:-Waise soch raha hu ki abb tumne maaf kar diya hai to fir 1 bottle peekar khushi manaata hu…Dekhte hai khushi me kaisa taste hota hai?

Sameer ne bhi iss baar majaak karte hue kaha tha…Kuch der akela rehne par aur Priya se baat karne ke baad wo apna gussa lagh bhag bhul hi gaya tha…Abb wo bhi kuch pal Priya se acche se baatein karke mood thik karna chaahta tha.

Priya:- Agar firse peena suru kar diya to kabhi maaf nahi karungi.

Priya ki baato me request kam challenge jyada tha.

Sameer:- Tab to mai daru ki bottle ko kabhi haath bhi nahi lagaunga.

Sameer ne muskura kar kaha.

Priya:- Issi me tumhaara bhalaayi hai.

Itna keh kar Priya bhi hasne lagi…Iss baar Sameer ne bhi uska saath diya hansne me.

Maahaul abb pura badal gaya…Dono saath saath hansne lage aur hanste hue Sameer sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Yakin nahi hota…Kuch der pehle itna gussa aa raha tha ki kuch samajh me nahi aa raha tha ki agle hi pal kya kar baithunga…Paagal hi ho gaya tha…Lekin abb hansi aa rahi hai…Aur iss hansi me ek alag sa sukun hai.

(Priya ko dekhte hue) Jab bhi Priya ke saath hota hu…Baatein karta hu…Gam bhi khushi me badal jaata hai…Ek alag hi sukoon milta hai…Man karta hai baatein karta hi rahu.

(Khud se naarajgi jataate hue) Kitna galat tha mai aur mera soch…Itni acchi ladki se choti si baat ke liye jhagada kiya aur dusmani kar liya…Mai bhi gadha hu…Agar pehle hi Priya se dosti kar leta to life kitna alag hota…Shaayad Shruti ki jagah Priya se pyar ho jaata.

Itna sochne ke baad Sameer apne soch se baahar aaya…Fir se apni iss soch par hanste hue sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Mai sach me paagal ho gaya hu…Pata nahi kya kya sochne laga hu…Pyar aise thodi hi hota hai…Priya ki baatein aur mere saath uska behavior accha lagta hai iska matlab ye thodi na hai ki mujhe Priya se pyar ho gaya hai…Pata nahi kya kya sochne laga hu aaj kal.

Sameer ne ek baar fir se apne dil me paida hua pyar ke ehsas ko alag hi naam de diya.

Isse aage wo kuch sochta…Priya ki baato se wo waapas hosh me aaya.

Priya:- Kya soch rahe ho?

Sameer:- Kuch nahi.

Sameer ne kuch iss tarah se jawaab diya jaise abhi bhi soch me vyast ho.

Sameer ka iss jhuth se fir se Priya ki chehre me muskaan aaya…Wo Sameer ko dekh kar aur bhi muskuraane lagi.

Sameer ne bhi Priya ko dekh kar smile kiya.

Achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne kaha.

Sameer:- Thanks a lot.

Sameer ne dil se Priya se thanks kaha.

Priya:- Kis liye?

Priya ne thoda hairaan ho kar pucha…Sameer ka thanks bolne ki vajah usse samajh me nahi aaya.

Sameer:- Aaj jab mai shaam me Maa ke room me gaya tha tab gate me pahunchne ke baad dekha ki tum bhi waha room me thi…Maa ko halka bukhaar tha…Tumhaara unka care karna dekh kar bahut accha laga…Chehre me koi swarth ke bhaaw nahi tha…Aisa lag raha tha ki tum dil se wo sab kar rahi thi.

Thanks a lot Priya…Utna to shaayad mai bhi nahi karta…Thoda sa bukhaar samajh kar utna care nahi karta jitna tumne kiya…Bahut saaf aur nekdil ho tum.

Ussi vakt tumhe thanks kehna chaahta tha…Lekin mood off tha.

Sameer ne ek baar fir se Priya ko dil se thanks kaha.

Priya:- Maine to wohi kiya jo mujhe laga ki karna chaahiye uss vakt…Agar kisi ko bhi taklif hota hai to mai jitna ho sake utna madad karti hu.

Priya ko Sameer ki taarif bahut accha laga.

Sameer:- Yahi to tumhaari acchaayi hai.

Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi diya…Wo Sameer ki taarif se itna khus ho gayi thi ki usse samajh me nahi aa raha tha ki wo kya bole.

Sameer:- Maa ki uss baat par kya khayaal hai?

Sameer ne chehre me shararati muskaan late hue kaha.

Priya:- Kaunsi baat?

Sameer:- Wohi baat…Jab Maa ne kaha tha ki unhe tumhe apna bahu banaane me koi problem nahi hai.

Ye kehte hue Sameer ki chehre par wo shararati muskaan aur badh gaya…Wo Priya ki jawaab ka intejaar karne laga.

Sameer ki iss baat se Priya ekdam se shocked ho gayi…Usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki Sameer itni jaldi ye baatein puchega…Priya Sameer ki iss baat se bahut khus ho gayi thi…Shocked hone ki vajah se aur thoda sharm se wo jawaab nahi de paa rahi thi.

Sameer:- Pata tha tum kuch bol nahi paaogi aur aise hi shocked ho jaaogi…Chaunkne ki jarurat nahi hai…Mai majaak kar raha tha.

Priya ki dil ki haal se anjaan wo itna keh kar Sameer thoda hansne laga.

Priya ko Sameer ka ye majaak wali baat bilkul bhi pasand nahi aaya…Usse aisa lag raha tha ki wo koi haseen sapne dekh rahi thi aur kisi ne usse paani daal kar jaga diya hai.

Thode gusse me usne kaha.

Priya:- Aage se aise majaak kabhi mat karna.

Itna keh kar wo utth kar apne room ki taraf chali gayi.

Room me pahunchne ke baad kuch der tak usko bahut gussa aa raha tha…Gussa jab kam hone laga tab usne socha.

Priya:- (In her mind) Shaayad maine kuch jyada hi over react kar diya…Sameer bas majaak hi to kar raha tha aur usse abhi apne pyar ka ehsas bhi to nahi hua hai…Mujhe iss tarah se gussa ho kar nahi aana chaahiye tha.

Itna sochne ke baad wo waapas chhat me gayi Sameer se maafi maangne lekin jab wo chhat me pahunchi tab Sameer waha nahi tha…Uske baad Priya Sameer ke room ke paas gayi…Gate locked tha aur aisa lag raha tha ki lights bhi off hai…Use room knock karne me thoda dar bhi lag raha tha…Usne man me hi kaha.

Priya:- (In her mind) Kal maafi maang lungi…Shaayad Sameer abb soo raha hai…Disturb karna nahi chaahiye.


Dusri taraf jab Priya chhat se apne room ki taraf jaa rahi thi…Tab Sameer ko fir khud par gussa aaya…Usne bhi socha.

Sameer:- (In his mind) Mai bhi bewkoof ho gaya hu…Bahut bakwas majaak kiya…Apni baat kehne se pehle socha bhi nahi ki mai kya keh raha hu aur Priya kya sochegi.

Thoda sa dosti kya ho gaya mai apni hadd bhul gaya…Priya ne mera mood thik kiya aur maine hi usse gussa dilaaya.

Mai to apne feelings ke bare me soch raha tha ki Priya mujhse pyar karti hai ya nahi aur Mai usse pyar karta hu ya nahi lekin meri baat se wo pyar karna to dur kahi dosti bhi na tod de.

Sab meri bewkufi hai…Acchi khaasi dosti bhi tut sakta hai meri iss bewkufi se.

Kal subah maafi maangta hu…Kaash wo maaf kar de…Aage se aisi bewkufi bhul kar bhi nahi karunga.

Itna soch kar Sameer bhi apne room me chala gaya…Abb chhat me rukne ke liye uske paas koi vajah nahi tha.

Jab wo room ke andar pahuncha tab son eke liye bed par lait gaya…Room me aaye usse 5 minute hua hi tha ki tabhi Priya uske room ke paas aa kar chali gayi thi.

Laite hue 20 minute ho gaya tha…Abb Sameer ko neend aane hi wala tha ki phone ki ring tone ne uska neend tod diya.

Usne mobile ke screen me dekha to Mahesh ka number tha.

Sameer:- Ye gadha kabhi kabhi hi phone karta hai…Aur jab bhi karta hai manhus vakt me hi karta hai…Mujhe pata hai abb ye koi manhus baat hi bataane wala hai phone me.

Itna keh kar Sameer ne phone utha liya aur kaha.

Sameer:- Haan bol.

Itna keh kar Sameer ne phone kaan me laga liya…Dusri taraf se Mahesh ne ek manhus baat bataya Sameer ko…Baat manhus to bilkul bhi nahi tha lekin Sameer ke liye manhus baat se kam nahi tha…Uska saara neend gaayab ho gaya…Aur na khus aawaj me usne bolna suru kiya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 114


Sameer:- Nahi…Bilkul nahi…Mai kahi nahi jaaunga...Ghar se baahar nikalne ka man nahi hai.

Mahesh:- Please yaar…Bahut din baad kahi saath jaa rahe hai…Aakhiri baar BBA ke last year me tour me saath gaye the…Tab se aaj tak 3 saal ho gaya hai…Life me itne busy ho gaye ki kahi baahar ghumne gaye hi nahi.

Aaj dimaag me aaya ki vakt aur haalat dono badal gaya hai…Kyu na kahi baahar jaaye ghumne ke liye…Mind fresh ho jaayega aur boring jindagi me firse maja aa jaayega.

Sameer:- Mera mind ek dam fresh hai…Na koi tension aur na hi koi problem. Mera last tour MBA last tour me tha…Aur wo itna ghatiya tour tha mera life ka ki mai bata nahi sakta. (Wohi tour jab Karan ne Sameer ka ghadi churaya tha.) Abb to mujhe tour aur kahi baahar ghumne jaane me koi interest bhi nahi hai.

Aur agar tu chaahta hai ki teri boring jindagi me majaa aajaaye to kamine gf bana le…Uske baad jindagi maje me beet jaayega.


Mahesh:- Banaya to tha…Aur ussi vakt se jindagi ekdam boring aur bojh jaisi ho gayi hai…Breakup ke pehle ke kuch din tak samajh me hi nahi aa raha tha ki kya karu aur kya na karu…Jeene ka makshad tak pata nahi tha…Suicide karne tak ka soch liya tha…Lagta tha jindagi me sab kuch haar gaya hu…Lekin kisi tarah nahi kar paaya.

Job karne laga khud ko uss haalat se nikaalne ke liye aur busy rehne laga…Tab se aaj tak wohi haal hai…Jindagi ke puraane din jab ham saath me hanste the, masti karte the, ek dusre ka majaak udaate the, ladte the sab kuch miss kar raha hu.

Sameer ne anjaane me kahi hui baton se Mahesh apne ateet me chala gaya…Ek aisa ateet jo wo aaj tak bhula nahi paaya tha aur baar baar uss yaad me tadapta rehta tha.

Sameer:- Sorry yaar…Anjaane me fir se tera bhara hua jakhm tajaa kar diya.

Sameer ne pachtaate hue kaha…Usne Mahesh ki aawaj me pehle wala dard mehsus kiya…Usko Mahesh ko samjhaane ke liye koi baat bhi nahi mil raha tha.

Mahesh:- Koi baat nahi…Aadat ho gaya hai…3 saal ho gaya hai…Khud ke feeling par control karne ki aur aage badhna sikh liya hai…1 ghanta baad sab thik ho jaayega…Bhul jaaunga puraane kadwi yaadein.

Sameer:- Maana padega yaar…Bahut strong hai tu andar se…Itna pyar ke baawjud tujhe dhokha mila lekin tu fir bhi aage badhta raha.

Sameer ne Mahesh ki taarif karte hue kaha…Kehne ke liye uske paas isse jyada lafz baaki nahi tha…Sameer abb yahi chaahta tha ki kisi tarah topic ko badal kar dusri topic par baat karne ke liye.

Wo baatein soch hi raha tha ki kuch hi der me Mahesh ne kaha.

Mahesh:- Tu keh raha tha ki koi girl friend banaunga to jindagi maje me beet jaayega.

Kuch sochte hue Mahesh ne kaha.

Sameer:- Ha…Kya galat kaha?

Sameer ko Mahesh ki baat ka matlab samajh me nahi aaya…Itna to wo jaanta tha ki Mahesh ki har baa ke piche koi na koi matlab jarur hota hai…Wohi matlab Sameer jaane ki koshish kar raha tha.

Mahesh:- Tu itna yakin ke saath kaise keh sakta hai…Aaj se pehle to tune mujhse pyar aur gf wali topic par kabhi baat nahi kiya hai…Pehle to tu inn sabse dur rehta tha…Aur aaj tu mujhe gf banana ki suggestion de raha hai.

Itna badlaaw kaise aaya tujh me aur tera soch me…Kahi tune koi gf to nahi banaya aur tub hi mujhe aise suggestion de raha hai…Daal me jarur kaala hai?

Mahesh ko Sameer par abb doubt hone laga…Lekin usse kya pata tha ki usne daal me kaala nahi dekha hai balki pura daal hi kaala ho gaya hai.

Mahesh ki baatein sunne ke baad Sameer ke dimaag ne kaam karna band kar diya…Wo soch bhi nahi sakta tha ki Mahesh ki baat me itna bada matlab hai.

Mahesh ki baato ka jawaab to Sameer ke paas bhi nahi tha…Wo to abhi tak issi baat ko soch raha tha ki Priya uski bas friend hai ya wo Priya se pyar karne laga hai.

Sameer:- Kuch jyada hi soch raha hai…Mera dil koi itna aasani se nahi chura sakti hai mere bhai…Mai soch raha tha ki vakt ke diye hue jakhm ko vakt hi bharta hai…Issi liye tujhe wo suggestion diya tha…Lekin tera dimaag kuch jyada hi fast chalta hai.

Sameer ne topic badalte hue kaha.

Mahesh:- Lekin tu itna hakla kar kyu jawaab de raha hai.

Mahesh ne muskuraate hue pucha.

Sameer:- Wo iss liye kyu ki mujhe abb neend aa raha hai…Neend me acche se jawaab nahi de paa raha hu.

Abb kal baat karte hai…Good night.

Sameer ne baat khatam karne ki koshish kiya.

Mahesh:- Aise kaise good night…Pehle bol kit u bhi ghumne ke liye jaa raha hai.

Mahesh ne jaise kasam khaa liya tha ki wo Sameer ko bhi apne saath lekar hi jaayega.

Sameer:- Yaar fir ghuma fira kar baat wohi le aaya.

Sameer ne maayus aawaj me kaha.

Mahesh:- Baat to wohi tha…Tera bakwas baato ne topic ko divert kar diya.

Sameer:- Yaar tujhe mai hi ek bakra mila hu kya…Kisi aur ko jaa kar dhund…Kyu mera sukhi aur shaanti se bhara hua life ko barbaad karna chaahta hai.

Sameer ne pareshaan hone ki acting karte hue kaha...Wo Mahesh ko direct naa bhi nahi keh sakta tha…Lekin usko ghar chhod kar baahar jaane ka man bhi nahi tha.

Mahesh:- Ek bakra ko pehle hi fasa chukka hu…Rajesh…Abb dusra bakra yani tujhe fasaane jaa raha hu.

Sameer:- Kya…Rajesh jaane ke liye taiyaar ho gaya? Kaise mana liya tune usse? Abhi abhi uska aur Divya ka pyar ki gaadi aage badha hai aur wo tere saath iss bakwas topic par jaane ke liye taiyaar ho gaya?

Sameer ne chaunkte hue kaha…Rajesh ka Mahesh ke saath jaane ke liye maan jaana bahut hairaani ka baat tha Sameer ke liye.

Mahesh:- Wo khud aane ke liye ready nahi tha…Mujhe ready karna pada…Abb ussi tarah se tujhe bhi ready kar raha hu…Aur jyada jaankaari ke liye tu ussi se puch lena.

Sameer abb kuch bol bhi nahi paa raha tha…Uske paas abb koi idea nahi tha jisse wo iss tour me jaane se bach jaata.

Achanak uske dimaag me ek idea aaya.

Sameer:- Mai chaah kar bhi tere saath nahi chal sakta hu…Maa ko fever hai yaar…Mujhe hi unka khayal rakhna padega…Sorry yaar.

Itna keh kar Sameer bahut khus ho gaya…Usse pata tha ki Mahesh uski iss baat par kuch nahi keh paayega.

Mahesh:- Mai kal jaane ki baat nahi kar raha hu…1 week baad ka program hai.

Abb Mahesh ne Sameer ki sabhi darwaaja band kar diya.

Kuch der sochne ke baad Sameer ko kehna hi pada.

Sameer:- Chal thik hai…Ek aur ehsaan kar deta hu tujh par.

Sameer ko na chaahte hue bhi kehna pada…Bahut dino baad uske aur Priya ke bich acche se baat hone laga tha aur ghar me sab kuch thik thaak chal raha tha…Aur abhi Mahesh ka phone karke 1 week ka tour par chalne ki baat usse bilkul bhi pasand nahi aaya.

Lekin wo bhi kya kar sakta tha…Ek majburi bhi tha…Bahut dino baad Mahesh ne usse kuch karne ke liye kaha tha…Direct mana bhi nahi kar sakta tha.

Mahesh:- That's my friend…Jaanta tha tu majaak kar raha hai…Socha nahi that u itni jaldi maan jaayega…Waise koi problem to nahi hai.

Mahesh ne khus hokar kaha.

Sameer:- (In his mind) Agar koi problem hoga to bhi tu thodi na samjhega…Itna samjhaaya lekin tujhe majaak lag raha hai sab kuch…Abh tujhe thodi keh sakta hu ki kuch din mai ghar me hi reh kar Priya se baatein karna chaahta hu.

Tera iss tour ke program ne sach me mood off kar diya hai.

Sameer ka ye soch Mahesh ki baato se hi tuta.

Mahesh:- Hello.

Sameer:- Nahi…Koi problem nahi hai.

Sameer ne jabardasti kaha.

Mahesh:- To fir thik hai…Ready ho jaa…Next week challenge tour me…Fir se puraani yaado ko dohraayenge aur bahut masti karenge.

Mahesh ki baato me Sameer ne bahut dino baad excitement mehsus kiya.

Sameer:- Ok…Thik hai yaar…Location aur Date message kar dena.

Mahesh:- Thik hai yaar.

Itna keh kar Mahesh ne phone kaat diya.

Sameer:- (In his mind):- Keh to diya lekin jaane ka mood bilkul bhi nahi hai…1 week tak bore hona padega.

Sameer yahi sab soch kar pareshaan ho raha tha tabhi dusre khayal uske dimaag me aaya.

Sameer:- (In his mind) Lekin accha bhi lag raha hai Mahesh me aaya hua iss badlaaw ko dekh kar…Abb ye bhi pehle ki tarah life ko enjoy karna chaahta hai…Warna iska life ghar aur office tak hi tha…Tera iss khushi ke liye 1 week to kya 1 month bhi bore ho sakta hu.

Bahut dino baad tere liye kuch karne ka mauka mila hai.

Ye soch aate hi Sameer mentally prepare ho gaya tour par jaane ke liye.

Next Day at Dinner Time


Sameer aaj dinner ke liye bahut late ho gaya tha office ki kaam ki vajah se…Usne pehle hi ghar par phone karke bata diya tha ki wo dinner time me hi aayega.

Aur apne kahe hue baat jaise hi wo dinner time me hi apne ghar pahuncha.

Ghar ke andar jaate hi dekha dinner ki taiyaari ho raha tha…Wo bhi jaldi hi fresh ho kar baith gaya chair me khaane ke liye.

Sameer:- Maa…Abb aapki tabiyat kaisa hai?

Chair par baithte hi Sameer ne pucha…Subah jab wo office ke liye nikla tha tab uski Maa ki tabiyat me sufhaar ho raha tha lekin iss vakt unki taiyat ke bare me usse pata nahi tha.

Mrs. Sharma:- Thoda sa bukhaar tha…Dawaai khaane ke baad thik ho gaya. (Priya ki taraf dekhte hue) Dawaai khaane ki jarurat bhi nahi tha…Aise hi thik ho jaati lekin isne jidd karke dawaa khilaaya.

Sameer:- (To Priya) Thanks…Maa ko jidd karke dawa khilaane ke liye…Pata nahi tumhaari baat kaise maan liya…Aaj tak shaayad hi mera koi jidd maana hai inhone.

Sameer ne Priya ko fir se dil se sukriya kaha.

Mrs. Sharma:- Jidd ko manana har kisi ki bas ki baat nahi hota hai…Tera bas a to bilkul bhi nahi hai…Priya se jaake sikh.

Mrs. Sharma ne bhi majaak karte hue kaha.

Sameer:- Jaise aap sabhi ki iccha(choice)…Jald hi training lunga.

Sameer ne bhi muskuraate hue kaha.

Priya bhi apni taarif par bahut khus thi…Sabhi ke saamne wo kuch bol nahi paa rahi thi lekin Sameer aur Mrs. Sharma ki taarif se wo bahut khus ho gayi.


Mr. Sharma:- Aaj itna late kyu hua office me?

Kuch der ki khaamoshi ko tod kar topic badal kar Mr. Sharma ne pucha. Unki aawaj me aaj koi bhi gussa aur rukhapan nahi tha…Unhone aise hi normal tarike se pucha.

Sameer:- Aaj office me resignment ke process me thoda time lag gaya.

Sameer ki iss baat se sabhi ko hairaani hua.

Mr. Sharma:- Resignment lekin kyu?

Sameer:- Mai wo job nahi karna chaahta hu abb…Koi acchi si job dhundne ka soch raha hu jaldi se…Aaj bahut din ke baad office gaya to office walo ne mujhe nikaalne ki baat kiya tha…Issi liye maine socha khud hi resign kar deta hu.

Waise bhi maine wo job time pass ke liye kiya tha…Itna padhne ke baad aur acche marks lane ke baad wo job karne ka koi sochta bhi nahi hai…Jald hi apne laayak ka job dhundta hu.

Sameer ne apni baat bataya…Usse thoda dar bhi lag raha tha ki kahi Mr. Sharma fir naaraj na ho jaaye.

Mr. Sharma:- Koi baat nahi...Dusra job dhund lena…Lekin iss tarah se tujhe resign nahi dena chaahiye tha…Acche se tujhe unhe office na aane ki vajah samjhaa kar respectfully resign karna chaahiye tha…Har chij me discipline jaruri hai.

Mr. Sharma gussa to nahi the lekin unhone Sameer ko samjhaate hue kaha.

Sameer:- Maine koshish kiya tha samjhaane ka…Lekin wo log sunne ko taiyaar nahi the…Issi liye resign kar diya taaki baat aage na badhe.

Mr. Sharma:- Ok thik hai….Abb aage ka kya program hai? Kab se next job join kar raha hai?

Sameer:- Next job join karne me abhi thoda time hai…Isse pehle soch raha hu ki Mahesh ke saath 1 week ke liye ek tour par jaane ka soch raha hu…Bahut dino ke baad usne kuch kaha hai mujhse.

Sameer ka 1 week ke liye tour par jaane ka baat Priya ko bhi accha nahi laga…Sameer ki tarah wo bhi soch rahi thi ki bahut dino ke baad sab kuch thik ho gaya hai aur fir aise me Sameer ka iss tarah baahar jaane ka sochna wo bhi 1 week ke liye.

Usne socha ki wo Sameer se raat me iss topic par acche se baat karne ke liye.

Mr. Sharma:- Accha thik hai…Mujhe koi problem nahi hai…Lekin kis baar kuch galat mat karna…Aadat ho gaya hai tujhe jab bhi tour par jaata hai kuch na kuch galat karke hi aata hai.

Mr. Sharma ne hanste hue kaha…Sameer bhi samajh gaya ki wo majaak kar rahe hai.

Sameer ne unki baat ka jawaab muskura kar diya.

Sameer ne to tour ke liye haa keh diya...Lekin wo iss baat se puri tarah se anjaan tha ki ye tour uske life ka ek turning point hone wala tha.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 115


Tour ke liye 1 week ka time baaki tha…Sameer ne job se resign kar diya tha…Abb karne ke liye uske paas kuch nahi tha…Din me 2, 3 baar Priya se baatein karne ke liye mauka mil jaata aur wo ussi me khus tha…Har beet te din ke saath uske dil me Priya ke liye feelings aur badhne laga…Ye baat wo bhi mehsus kar raha tha ki uska aur Priya ke bich dosti bahut gehra ho chuka hai…Lekin wo apne pyar ke ehsas ko mane ke liye abhi bhi taiyaar nahi tha.

Raat me chhat me baat karte hue aur din bhar kisi tarah time pass karte hue ye 1 week bhi beet gaya…Abb usse na chaahte hue bhi tour ke liye jaana tha…Usne kisi tarah fir se khud ko prepare kar liya tour ke liye.

Next Day


Agle din Sameer subah hi apne bike se nikal pada tour ke liye…Rajesh aur Mahesh ne bhi bike se hi jaane ka decide kiya…Teeno dost ne pehle hi bus stand me aane ka decide kiya tha aur wohi se teeno ne apne safar ke suruwat karne ka decide kiya tha.

Kuch der baad Sameer bus stand pahunch gaya…Wo abhi akela hi tha…Rajesh aur Mahesh abhi tak nahi pahunche the waha par.

15 minute ke baad Rajesh aaya.

Sameer ko dekhte hi Rajesh ki chehre me ek alag sa smile aaya…Aate hi usne Sameer se pucha.

Rajesh:- Jyada wait to nahi karna pada na?

Rajesh ne muskuraate hue pucha.

Itna wait karne se Sameer pehle hi frustrated ho gaya tha…Fir bhi gusse ko control karte hue usne kaha.

Sameer:- Dekh bhai…Pehle hi mood off hai…Abb jyada dimaag kharaab mat kar.

Rajesh:- Aaj ke din me bhi tera mood off hai…Chehre pe thoda smile laa yaar…Aise din roj roj nahi milte.

Sameer:- Aisi bakwaas din na aaye to hi accha hai…Mahesh ke liye chalne ke liye taiyaar ho gaya…Warna aisi bakeaas tour ke bare me soch bhi nahi sakta.

Sameer ki baat se hi pata tha ki wo kitna frustrated hai…Sameer ke baat sun kar Rajesh ke chehre me fir se smile aa gaya…Ek aisa smile jo bata raha tha ki uska koi plan kaamyaab hone wala hai jald hi.

Rajesh:- Bakwaas tour…Tour kab se bakwaas hone laga bey?

Sameer:- Ye bakwaas tour hi to hai…Mere paas aur koi kaam nahi hai kya…Jo aise bakwaas tour me time waste karu?

Rajesh:- Tune to abb job se bh resign bhi kar diya…Abb tere paas kya kaam baaki hai?

Rajesh ne Sameer ko aur ukshaate hue kaha.

Sameer:- Ha office ka kaam nahi hai…Ghar ka to hai na.

Rajesh ki sawaal ne Sameer ko soch me daal diya jawaab dene ke liye…Fir bhi usne kisi tarah jawaab diya.

Rajesh:- Wo to tere Papa karte hai ghar ke liye kharche ke kaam…And I am sure baaki ke ghar ke kaam jaise khaana pakana, kapde dhona, ghar saaf karna tu nahi karta hai…To fir tu ghar me kya kaam karta hai.

Rajesh ki iss sawal ne Sameer ko uski hi baato me fasa diya…Abb usse koi jawaab nahi mil raha tha…Wo ye to nahi keh sakta tha ki Priya se baatein karna uska kaam hai.

Sameer:- Hai kuch kaam…Jo tere samajh se baahar hai.

Kisi tarah baat sambhaalne ke liye Sameer ne kaha.

Rajesh:- Mere samajh se baahar hai…Aisa kya kaam karta hai tu?

Rajesh bhi jaanta tha ki Sameer abb uski baato me fass gaya hai…Aur wo Sameer ko aasani se apne jaal se baahar nikalne dena nahi chaahta tha.

Sameer:- Kya har baat jaana jaruri hai…Waise bhi aaj ke din to dimaag kharaab mat kar yaar…Pehle hi mood off hai…Aur upar se teri baatein aur pakaa raha hai.

Sameer ne iss baar gusse ke saath kaha…Apna bachaaw ke liye usse yahi idea sabse best laga.

Sameer ki baat se Rajesh ko laga ki abb Sameer ko jyada ukshaana bhi thik nahi hai…Lekin Sameer ka frustration dekh kar uske chehre me fir se wohi kutil muskaan aa gaya…Sameer ka bhi najar Rajesh ka chehra par nahi tha aur usne kabhi Rajesh ka chehra padhne ka aur uski baato ke piche ka matlab samajhne ka koshish nahi kiya.

Kuch der tak dono ke bich ek gehra khaamoshi chaa gaya…Sameer ka mood off tha aur Rajesh jyada bolna nahi chaahta tha.

Achaanak hi Sameer Rajesh ki taraf muda aur muskuraate hue usne Rajesh se pucha.

Sameer:- Sach bata…Kya tu apni khushi se iss tour par aaya hai?

Rajesh ko samajh me nahi aaya ki Sameer ka iss sawaal ka kya matlab hai…Wo khud me hi uljha tha ki Sameer ne hi kaha.

Sameer:- Mere saath saath usne tera bhi acche se band baja diya…Mera to bas tour me jaane ka mood nahi hai…Lekin tera to aur bura haal kar diya usne…Pyar ka suruwat acche se hua nahi ki tujhe bhi apne saath ghasit kar le jaa raha hai.

Itna keh kar Sameer Rajesh ki haalat par hasne laga.

Acche se hansne ke baad usne Rajesh ko dekha.

Rajesh:- Sach kahu to mujhe bhi ye tour ka idea bakwaas hi lag raha hai…Lekin bahut dino ke baad usne kuch kaha hai karne ke liye to maana hi pada…Dosti ke liye hi taiyaar ho gaya.

Rajesh ne Sameer se itna kaha aur apne man me khud se kaha.

Rajesh:- (In his mind) Ha jo kar raha hu…Dosti ke liye hi kar raha hu.

Sameer:- Yahi vajah tha mera bhi tour me jaane ke liye…Warna aisi tour par jaane ka sochta bhi nahi.

Rajesh:- 3 ya 4 din ki hi to baat hai…Fir uske baad sab thik ho jaayega…Mahesh bhi khus aur sabhi khus.

Rajesh:- (In his mind) Ye 3, 4 din hi kaafi hai iss plan ko successful banana ke liye…Sameer tera frustration hi kaafi hai hamaare plan ko kaamyaab banana ke liye…Hame jyada kuch karna bhi nahi padega…Bas aag me ghee daalne ki jarurat hai.

Rajesh yahi sab soch raha tha ki Mahesh bhi aa gaya.

Mahesh jab Sameer aur Rajesh ke paas pahunch kar bike se utra tab Sameer ne kaha.

Sameer:- Aa gaye bhai sahab?

Sameer ne kuch iss tarah se kaha jaise wo Mahesh ke late aane par bahut gussa tha.

Mahesh:- Sorry yaar…Thoda late ho gaya.

Mahesh bhi Sameer ki baat ka matlab samajh gya aur usne muskuraate hue maafi maanga.

Sameer:- Raat me phone karke tune hi kaha tha kisi tarah 8:00 am par pahunch jaane ke liye lekin tu khud 9:00 am par aa raha hai…Aur 1 ghante tak iss Rajesh ki baatein sun kar pak gaya hu.

Sameer ne frustrated ho kar kaha.

Mahesh:- Traffic me fass gaya tha…

Mahesh isse aage kuch kehta usse pehle hi Sameer ne usse rok kar kaha.

Sameer:- Naa tu school student hai aur naa mai teacher…Aisi ghatiya excuse dene ki jarurat nahi hai.

Pehle hi late ho gaye hai…Abb aur der karna thik nahi hai…Hill station jaana hai aur wo bhi 200 km dur…Baaki ki baatein baad me bhi hota rahega…Filhaal hame safar ka suruwaat karna chaahiye.

Sameer ki baat par kisi ne kuch nahi kaha…Sab bike par baith gaye aur start karne hi lage the ki Sameer ne hi kaha.

Sameer:- 5 minute ruko…Mai kuch cold drinks lekar aata hu…Raaste me jarurat padega…Cold drinks aur bike ki safar…Maja aayega.

Itna keh kar Sameer bike se utar gaya aurkisi ki baat sune bina shop ki taraf chala gaya.

Sameer ke kuch der pahunchne ke baad Mahesh ne Rajesh se pucha.

Mahesh:- Kya kya hua ye ek ghante me?

Rajesh:- Mujhe yakin hai…Bahut jald hamara plan successful ho jaayega…Sameer abhi se frustration me hai jo bahut jaruri hai.

Mahesh:- Nice…Waise ham thik kar rahe hai kya…Kahi bhi kuch galat ho gaya to bahut mushkil ho jaayega…Tune hi plan kiya tha iss tour ka…Maine kisi tarah se Sameer ko manaya hai…Agar plan me kuch bhi gadbad ho gaya to mai fass jaaunga sabse pehle.

Mahesh apne soch me uljha hua tha…Wo abhi tak soch nahi paaya tha ki usne job hi kiya hai thik kiya hai ya galat.

Rajesh:- Are kuch galat nahi hai yaar…Tu bekaar me dar raha hai…Maine sab kuch soch liya hai…Kya karna hai aur kaise karna hai…Bas tujhe mera saath dena hai.

Rajesh ne confidence ke saath kaha.

Iske baad dono ke bich koi bhi baat cheet nahi hua…Baat karne ke liye koi topic bhi nahi tha aur Sameer ka aane ka bhi dar tha.

Kuch der ke baad Sameer bhi Coke ka 3 bottle lekar aa gaya…Aur chal pade apne safar ke liye.

Ek aise safar par jaha kya hoga iske baare mein Sameer kuch soch bhi nahi sakta tha…Apne doston ka planning uske life me kya badlaaw lane wala hai uske bare me usse bilkul bhi khabar nahi tha aur naa hi soch sakta tha ki uske dost uske saath aisa kuch kar sakte hai.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,597
34,900
219
sameer bechare ki to kismat hi kharab hai...............jo aise dost mile
ya yu kaho ki uski buddhi kharab hai jo aise dost chune :D

ek dost mili shruti........... jisne apni farmaishon aur possesiveness se sameer ki jindgi nark kar di............aur last mein priya se badle ki planning me to jindgi hi badal di..........sameer, apni aur priya ki

ab doosra dost........ usne apne us accident ka to sach pata laga nahi paya..... jiske chakkar mein sameer se bhool hua..........
ab sameer ne kuchh pata laga ke bataya hai to...................... ye shayad shruti se badle ki planning mein sameer ko ghaseet raha hai tour ke bahane

matlab ...............dost aise jo use sukoon se jeene na dein

dekhte hain...............ye hi bat hai ya aur kuchh .......................kya hai rajesh ke dimag mein
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
sameer bechare ki to kismat hi kharab hai...............jo aise dost mile
ya yu kaho ki uski buddhi kharab hai jo aise dost chune :D

ek dost mili shruti........... jisne apni farmaishon aur possesiveness se sameer ki jindgi nark kar di............aur last mein priya se badle ki planning me to jindgi hi badal di..........sameer, apni aur priya ki

ab doosra dost........ usne apne us accident ka to sach pata laga nahi paya..... jiske chakkar mein sameer se bhool hua..........
ab sameer ne kuchh pata laga ke bataya hai to...................... ye shayad shruti se badle ki planning mein sameer ko ghaseet raha hai tour ke bahane

matlab ...............dost aise jo use sukoon se jeene na dein

dekhte hain...............ye hi bat hai ya aur kuchh .......................kya hai rajesh ke dimag mein
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Ye tour ki piche ki vajah bhi jald pata chalega ..Keep supporting bhai.
 
Top