- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 130 (FINAL)
Priya:- Kisne kaha tha tumhe unse milne jaane ke liye? Aur wo bhi mujhe bataye bina?
Priya ne thoda darte hue aur naarajgi ke saath kaha.
Sameer:- Are shaant ho jaao…Kitna bhadak rahi ho…Pehle mera baat to suno.
Sameer ne pyar se kaha.
Priya:- Kya sunu? Tum to mere koi baat sunte hi nahi? Kitni baar kaha hai kahi bhi jaa rahe ho to mujhe bata kar jaao…Aur aaj to itni badi baat nahi bataya tumne aur bina kuch soche samjhe unn dono se milne chale gaye?
Sameer:- Jaruri tha iss baar jaana…Aur kaam bhi thik se ho gaya…Abba age se tumhe bata kar hi kuch karunga…Abb to maan jaao aur ek smile de do.
Sameer ne Priya ko manaane ke liye kaha.
Priya:- Ha ho gaya kaam…Lekin agar tumhe kuch ho jaata to…Jaante nahi ho kya kaise insaan hai wo dono? Mujhe to abhi bhi vishwaas nahi hai unn dono par.
Sameer:- Mujh par vishwaas hai na tumhe.
Priya:- Bahut…Khud se bhi jyada.
Sameer:- To fir yakin kar lo…Wo sach hi bol rahe the…Saaf pata chal raha tha ki dono sach bol rahe the…Aur ek baat mehsus kiya ki wo dono utna galat bhi nahi the jitna mai soch raha tha.
Aur accha hua ki vakt me hi ye sab pata chal gaya aur maine unse badla lene ka khayal dimaag se nikaal diya…Abb hamaare jindagi me koi bhi dushman nahi hai…Sab kuch thik ho gaya abb.
Priya:- Accha hua jo sab kuch thik ho gaya…Aur agar wo nahi maante aur tumhe kuch ho jaata to pata hai mujh par kya gujarta.
Sameer:- Aur mai aisa hone deta kya? Socha tha unhe acche se samjhaaunga iss ummeed se ki wo mere baat samajh jaayenge…Agar fir bhi nahi samajhte to mai aage ki haalat ke liye bhi taiyaar tha.
Abb ye baat bhul jaao na…Koi acchi si baat karte hai…Shaadi ke baare me baat karte hai…Apne future ke baare me.
Sameer ne iss baar kuch jyada hi pyar ke saath kaha.
Priya:- Nahi…Mai abhi bhi tumse naraaj hu.
Sameer:- Aur wo kyu?
Priya:- Dekh rahi hu aaj kal tum apne man maani kuch jyada hi karne lage ho…Mere liye time nahi dete ho aur apne hisaab se hi kaam karte ho.
Priya ne shikaayat kiya.
Sameer:- Hmm jaanta hu…Aaj kal pehle jitna time nahi de paa raha hu…Thoda job ki vajah se busy tha aur thoda Papa ko hamaare baare me bataane ki tension me.
Lekin abb tension ki koi baat nahi…Abb chaahe jitna bhi busy kyu na ho jaau…Weekend me kuch ghante saath bitayenge.
Priya:- Sach me?
Priya khus ho kar boli.
Sameer:- Bilkul sach.
Priya:- Vaada karo?
Sameer:- Promise.
Priya:- Soch lo…Abb mai sirf tumhaara girlfriend aur lover hi nahi hu…Tumhaari wife bhi hu…Aur wife se jhuth bolne ka matlab samajhte ho na…Mujhse bura koi nahi hoga.
Priya ne Sameer ko ghurte hue kaha lekin pyar se.
Sameer:- Abb tumhaari dhamki ke saamne kya kar sakta hu…Koshish karunga kabhi apne vaade se piche nahi hatu.
Priya:- Koshish nahi kisi bhi keemat par picche nahi hatoge?
Sameer:- Accha agar workload jyada na hua to.
Priya:- Tabhi to tumne promise bhi kiya aura bb fir picche hat rahe ho.
Priya ne naraaj hone ka acting karke kaha.
Sameer kuch soch raha tha Priya ko jawaab dene ke liye ki tabhi Priya ne kaha.
Priya:- Sach me buddhu hi rahoge tum…Mai to majaak kar rahi thi…Sabse pehle apne kaam par dhyan dena aur uske baad job hi vakt mile kaafi hai mere liye.
Pyar ke liye vakt hi sab kuch nahi…Ek dusre ka vishwas aur saath bhi utna hi jaruri hai…Mujhe yakin hai mera Sameer par…Chaahe wo kitna bhi busy kyu na ho mere liye uska pyar kabhi kam nahi hoga? Aur yahi pyar to mujhe chaahiye.
Mai tumhe sirf apna aashiq hi nahi ek successful insaan bhi hota dekhna chaahta hu…Iske liye sirf pyar nahi kaam me mehnat bhi chaahiye.
Priya ki baat sunne ke baad Sameer ko Priya par aur bhi jyada pyar aane laga aur usne Priya ki gaal par kiss karte hue kaha.
Sameer:- Mujhse pyar hone ke baad bahut samajhdaar ho gayi ho.
Priya:- Kya?
Sameer:- Kuch nahi…Tumse pyar hone ke baad mai samajhdaar ho gaya.
Sameer ne darne ki acting karte hue kaha.
Sameer ki aisi harkat par Priya ko bhi hansi aa gaya aur hanste hue wo boli.
Priya:- Buddhu ho tum.
Sameer:- Sirf tumhaare liye.
Priya:- Aur sirf mere liye hi rehna.
Sameer:- Aur kiske liye ho sakta hu?
Sameer ne ye keh to diya lekin agle hi pal uske dimaag me ek majaak aa gaya.
Sameer:- Naam kya tha uska…Ha Anjali…Uske liye hone ka bhi chances hai…Wo mujhe impress karne ka koi mauka apne haath se jaane nahi de rahi hai.
Priya:- Ha ha ha…Accha joke tha…Tum pehle hi mujhe bata chuke ho…Uska attraction bas pehle din ke liye hi tha…Jab tum mere saath mere ghar gaye the tab usse koi aur pasand aa gaya.
Sameer:- Ye to galat hai…Tum mera acting bhi jaan jaati ho.
Priya:- Mai hu hi smart…Lekin tum Shruti ka naam bhi to le sakte the…Wo tumhe impress karne ka koi mauka nahi chhodegi.
Sameer:- Uska naam bhi mat lo…Itna gussa aata hai ki uske baare me sochna bhi chhod diya hai…Pratap aur Ramesh ke paas to ek vajah tha badla lene ka lekin Shruti ki vajah to bakwas tha.
Sameer ka mood ek dum se off ho gaya Shruti ka naam sun ke.
Priya:- Maine bhi usse kuch din pehle phone karke samjha diya hai ki abhi bhi agar sudhar jaayegi to aage jindagi me uske liye bahut accha hoga aur pehle jaisi hi rahi to baad me uska apna koi bhi nahi hoga.
Sameer:-Koi faaidaa nahi…Kutte ki puchh kabhi sidha nahi hota…Lekin usne kya jawaab diya?
Priya:- Kuch bhi nahi…Ummeed hai wo sudhar jaayegi.
Sameer:- Mujhe koi matlab nahi hai…Jo man me aaye wo kare…Lekin meri life me fir dakhal andaazi kiya to mujhse bura koi nahi hoga.
Iss baar Priya ne bhi mehsus kiya ki Sameer ka mood kuch jyada hi off ho gaya hai.
Fir wo iss topic ko chhod kar Sameer se pehle ki tarah hi baat karne lagti hai.
Kuch hi der me Sameer ka mood bhi thik ho jaata hai Priya ki pyari baaton se.
Sameer:- Accha Priya ye bataao…Tumhe kaisa mehsus ho raha hai…Abb to hamaara shaadi bhi hone wala hai.
Priya:- Shabdon me bayaan nahi kar sakti…Lekin itna khushi milega mujhe kabhi socha nahi tha.
Thanks Sameer mere life me aane ke liye aur meri life me itna khushi lane ke liye.
Priya ne Sameer ko dekh kar kaha…Uski baato me aur aankho me Sameer ke liye bahut pyar tha.
Sameer:- Pagli…Ye dialogue mujhe bolna chaahiye…Tumhaara mere life me aane ke baad hi to mujhe pata chala pyar kya hota hai…Abhi mera life me jitna bhi khushi hai uss sab ki vajah tum ho.
Sameer ne bhi bahut pyar ke saath kaha.
Priya:- Hmm…Abb to bas yahi ummeed hai ki hamaara pyar hamesha aisa hi rahe.
Sameer:- Aisa hi rahega…Bas itna kahunga ki agar kabhi koi shikaayat ho mujhse to mujhse jarur bataana warna kabhi kabhi aisi hi baaton se galatfehmi ho jaata hai..
Aur galatfehmi hone se kya hota hai ye mujhse behtar kaun jaanta hai.
Bas itna hi request hai tumse ki hamesha mujhse aisa hi pyar karna aur job hi baat ho dil me bejhijhak bolna.
Priya:- Agar tum ye na kehte to bhi mai karti.
Sameer Priya ki iss baat ka koi jawaab nahi deta hai bas usse dekhta rehta hai.
Priya:- Aise kya dekh rahe ho…Kaha na aine mai smart hu.
Priya ne kuch aise andaaz mai kaha ki Sameer ke hontho me apne aap muskaan aa gaya.
Fir dono kuch der aise hi pyar bhari baatein karte hai aur dono ek dusre ki hone ki khushi ek dusre ke saath mehsus kar rahe the…Ye raat dono ke liye bahut khaas aur khushi se bhara hua tha.
Raat ke 11 baje.
Priya:- Accha to abb mai chalti hu.
Sameer:- Itni jaldi…Baitho na kuch der aur…Tumse baat karne me accha lag raha hai.
Priya:- Buddhu…Kal subah mujhe ghar bhi jaana hai Maa aur Papa ke saath…Agar abb nahi soyi to subah utthna mushkil ho jaayega.
Sameer:- Kyat um ghar jaa rahi ho? Lekin kyu aur wo bhi kal…Kuch din to ruk jaao.
Sameer ko jaise Priya ki baat par vishwas hi nahi hua.
Priya:- Shaadi hai 1 month ke baad…Aur shaadi gaanw me hi hone wala hai.Shaadi ki taiyaari ke liye jaana hai.
Sameer:- Uske liye to 1 month baaki hai…Abhi kyu jaa rahe ho?
Priya:- 1 month!!!Ye tumhe jyada lag raha hai…Kuch hi din me beet jaayega aur jab maahaul shaadi ka ho to.
Mujhe bhi tumhe chhod kar jaane ka man nahi hai…Par kar bhi kya sakte hai…Bas 1 month wait karo…Uske baad to mai tumhaari hu hamesha hamesha ke liye.
Sameer:- 1 month…Bahut hai intejaar karne ke liye…Abb to bas yahi dua hai ki galti se hi sahi gaanw me tumhaara phone lag jaaye.
Priya:- Kabhi intejaar ka bhi to maja lo…Intejaar mai pyar aur bhi badhta hai.
Priya ne Sameer ko chidhaate hue kaha.
Sameer ne koi jawaab nahi diya…Uska chehra hi latak gaya.
Priya:- Chinta mat karo…Gaanw se thodi hi dur me shehar hai…Waha se roj phone karungi.
Priya ki iss baat se Sameer ko thoda sukoon mila.
Sameer:- Koi baat nahi…Kabhi kabhi phone karogi to bhi chalega…Abb tum bhi apne ghar me 1 month ke liye ho…Ye vakt tum apne Maa, Papa, saheli ke saath gaanw me hi bitaao.
Kisi tarah 1 month wait kar lunga…Ha mushkil jarur hai lekin kar lunga.
Sameer ne Priya ke baare me sochte hue kaha.
Priya:- Issi vajah se hi to tumse pyar karti hu…Kitna sochte ho mere baare me…I love you.
Sameer:- I love you too.
Priya:- Tumhaara pyar se bhi jyada.
Sameer iss baar jawaab nahi deta aur Priya ko hi dekhte rehta hai.
Priya:- Accha abb mai chalti hu.
Sameer bhi saar haa me hilaa deta hai.
Priya abb utth kar gate ki taraf jaane lagti hai…Sameer usse piche se dekhta hai…Priya chhat ke gate me pahunch kar kehti hai.
Priya:- Meri yaad me jyada aansu mat bahana…Milenge 1 month baad fir se hamaare issi romantic spot (chhat) me…Jaha se hamaara pyar ka suruwaat hua, propose hua aur bahut saare pyar bhare lamhe beeta.
Itna keh kar Priya chali jaati hai aur saath me Sameer ke hontho me fir se muskaan chhod deti hai.
Issi tarah Sameer aur Priya ki pyar ko ek manjil mil gaya…Nafrat se suru hua iss kahani ka anjaam pyar me aa kar khatam hua…Aisa pyar aur vishwas ki shaayad hi kabhi koi kami aaye…Aur pyar ka aisa taakat ki kabhi koi musibat aaye to bina kisi dar ke mukabla kar sake.
Friends yahi tak tha ye story…Iss kahani me maine ek ladka ka bhool, paschataap, aur nafrat se suru hua pyar ko dikhaane ki koshish kiya hai…Inn sab ke baawjud chhoti si misunderstanding aur jaldbaazi me liya hua faisla se kya kya ho sakta hai ye dikhaane ki koshish kiya hai…Kahani me pyar ke alawa, dosti, dushmani, Parents ke liye pyar aur samman aur kayi saari alag haalaath bhi dikha paaya iss baat ka bahut khushi hai.Ummeed hai aap sabhi ko story pasand aaya hoga…Aur agar mujhse kahi bhi koi bhi galti hua hai aur story mein koi kami rakha ho to aap sabhi se maafi chaahta hu.
THE END
Last edited: