- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 128
Kuch hi der me sab apne apne jagah baith gaye…Priya apne Maa aur Papa ke saath ek sofa me baithi thi aur Sameer apne Maa aur Papa ke saath dusre sofe me…Dono sofa ek dusre ke aamne saamne tha.
Chhai ki ek chuski le kar Mr. Sharma ne baat ki suruwaat kiya.
Mr. Sharma:- Koi dikkat to nahi hua samdhi ji…Aane me?
P. Dad:- Nahi…Koi dikkat nahi hua…Safar bahut accha raha…Accha ye bataaiye aapne dono ko kab bataya ki hamne dono ki rishte ko manjuri de diya hai.
Priya ki Papa ki sawaal sunne ke baad thoda hans kar Mr. Sharma bole.
Mr. Sharma:- Bas kuch hi der pehle…Aur iss tarah se diya ki dono ka chehra dekhne laayak tha…Aur khaas kar Sameer ka.
Pehli baar iss ko itna confuse aur dara hua dekha hai…Naa hi mera faisla maan paa raha tha aur naa hi mere khilaaf jaa paa raha tha…Wo to mujhe thoda taras aa gaya iss par aur Priya ki photo de kar chala gaya.
Isne shaadi kar ke aane ke baad hae surprise diya aur hamne bhi siki shaadi ki baat par surprise diya…Hisaab barabar.
Mr. Sharma ki iss baat par sabhi ko hansi aaya.
Mrs. Sharma:- Abhi bhi dekh sakte hai…Kaise chehra niche kar ke sarmaa raha hai.
Mrs. Sharma ki iss baat se sabhi aur hasne lage…Sirf Sameer ko chhod ke…Priya bhi Sameer ko dekh kar muskura rahi thi.
Kuch der baad jab sabhi ki hansi khatam hua tab,
P. Dad:- Kya hua Sameer…Itna chhup kyu ho?
Lekin iss baar bhi Sameer koi jawaab nahi de paaya…Wo iss vakt thoda uncomfortable feel kar raha tha…Aise maahaul me aur sabhi ke saamne kya bolna chaahiye aur kaise bolna chaahiye usse kuch samajh me nahi aa raha tha.
Mr. Sharma:- Shaayad abhi uncomfortable feel kar raha hoga…Haalat bhi thoda aisa hi hai…Warna ye itna bolta hai ki kaan pak jaata hai iski baatein sunte sunte.
P. Dad:- Abhi tak aisi baatein to nahi suna…Lekin mujhse jitna bhi baat kiya hai jitna jaruri hai utna hi kiya hai…Kisi insaan ko apne kaam me kaise lena, kisi ko acche se samjhaana aur baato se thappad maarna acche se jaanta hai.
Priya ki Papa ne unka Sameer ke saath jo bhi experience tha sab kuch keh diya.
Sameer:- Sorry Uncle…Uss vakt aise haalat tha ki mujhe kya karna chaahiye tha iski samajh bilkul nahi tha…Uss vakt aapse bahut badtameezi se baat kiya aur aapko bahut galat bhi kiya…Uske liye mai sharmindaa hu aur aapse maafi chaahta hu.
Abb jaa kar Sameer ne bola…Usne ye maafi dil se maanga tha.
P. Dad:- Nahi beta maafi maangne ki jarurat nahi hai…Tum bilkul sahi ho aur tumne sahi kiya…Mai to ye keh raha tha ki vakt ke hisaab se kaise baat karna chaahiye aur kya karna chaahiye iska accha samajh hai tumhe.
Hamesha aise hi rehna aur jaldbaazi me kabhi koi faisla mat karna…Baaki saari acchaayi tum me hai.
Priya ki Papa ki baato se hi pata chal raha tha ki wo Sameer se kitna impress hai.
P. Mom:- Ha accha sanskaar diya hai aap dono ne…Jisse bhi baat karta hai bahut respect ke saath baat karta hai, man me kisi ke liye buraai nahi hai…Ho sake to sabhi ka madad bhi karta hai…Bahut accha aur pyara ladka hai…Priya ke liye bilkul sahi hai aur mujhe vishwaas hai ki Priya bahut khus rahegi Sameer ke saath.
Priya ki Maa bhi Sameer ke baare me jo kuch jaanti thi sab keh diya.
Priya ki Maa aur Papa ki baat sun kar Sameer aur Priya ke saath saath Sameer ki Maa aur Papa bhi baht khus ho gaye.
Mr. Sharma:- Hmm…Baaki sab to thik hai…Lekin gussa par abhi bhi control nahi hai iska…Gussa me bina soche kuch bhi faisla le leta hai aur mushkil me fass jaata hai.
Ummeed hai Priya jald isse thik kar degi warna mai to hu hi…Iska gussa ka ilaaj karne ke liye.
Mr. Sharma ne ye baat bhi majaak me hi kaha.
Kuch der aise hi baat karne ke baad Mr. Sharma ne Sameer se kaha.
Mr. Sharma:- Aur kitna chup baithega…Kuch to bol.
Mr. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ne kaha.
Sameer:-(To Priya) Sabse pehle to mai Priya ko shukriya kehna chaahunga…Itna galat karne ke baad bhi mera saath diya aur wo Priya ka dosti hi tha jisne mujhe mere aatmaglaani se baahar nikaala aur fir mai apne life me pehle ki tarah aage badh paaya…Aur issi dosti me kab mujhe pyar ho gaya pata hi nahi chala…Bahur der se sahi lekin mujhe iss pyar ka ehsas ho hi gaya.
Aur jab maine apne dil ki baat Priya se kaha to usne mere pyar ko apna liya…Mai khud ko bahut khus kismat samajhta hu ki itna sab kuch hone ke baad bhi Priya ne mera pyar ko swikaar kar liya…Pata nahi mai Priya ka pyar deserve karta tha ya nahi lekin mai abb Priya ki uss vishwaas, uss decision ko galat saabit nahi hone dunga…Uska iss decision ka maan rakhunga aur hamesha Priya ko khus rakhne ki koshish karunga…Jitna pyar Priya mujhse karti hai mai bhi usse utna hi pyar karne ki koshish karunga jindagi ki har modh me aur har haalat me.
Priya se hi sikha hai maine pyar ka ehsas kya hota hai aur ye 1 month me hi maine jaana ki saccha pyar kya hota hai…Thanks a lot Priya for coming in my life and making me realize what true love is.
ABb bas yahi dua hai ki hamaara pyar me kabhi koi kami na aaye aur hamaara pyar kabhi kamjor na pade.
(To Priya's parents) Aap dono ko bhi dil se shukriya karna chaahta hu ki aap dono ne Priya ke liye mujhe chuna aur mujhe iss laayak samjha…Koshish karunga ki mai aap dono ke vishwaas par hamesha kaayam reh saku…Abhi tak maine jo bhi galti kiya hai unke liye maafi maang kar aage se Priya ka khayal rakhne ka vishwaas dilaata hu…Thanks for trusting me.
(To his own Parents) Ye to hamesha se kehta aaya hu ki mai lucky hu ki aap dono mujhe mere Maa aur Papa ke roop me mile…Bachpan se le kar abhi tak aap ka pyar aur sanskaar hi hai jiski vajah se aaj mai aisa hu…Maa ne to hamesha mujhe himmat diya aur mere paksh me hi khadi rahi mere galat hone ke baawjood bhi…Papa jab maine wo bhool kiya tab uss vakt aapne jo kiya uska mai bahut respect karta hu…Aapne hi mujhe uss vakt galti aur jimmedaari ka ehsas acche se karwaya.
Aapki naraajgi ne bhi mujhe bahut kuch sikhaaya…Aap dono ko bhi bahut bahut shukriya abhi tak mera itna saath dene ke liye.
Aur iske alawa mera do dost Rajesh aur Mahesh dono ne bhi mera accha saath diya jo mai kabhi bhula nahi paaunga.
Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Jab usne chup hua to dekha ki sabhi usse hi dekh rahe the…Ek pal to usse samajh me nahi aaya ki usne itna lamba kaise bol diya…Lekin jo bhi bola tha usne dil se bola tha issi liye bina ruke itna kuch bol gaya.
Sameer ki munh se apne liye taarif sun kar Priya fir khus ho gayi…Priya ki Parents bhi Sameer ki baat sun kar sukoon mehsus karne lage…Sameer ki acchaayi to unhone pehle bhi dekha tha lekin usme aaye jimmedaari ki ehsas se wo Sameer se aur bhi impressed ho gaye.
Mrs. Sharma:- Maar khaayega agar fir shukriya kaha to…Hamne jo kiya wo har Maa Baap ka farz hota hai…Abb tera bhi vakt aa gaya hai apne beta hone ka farz nibhaane ka.
Sameer:- Dil se nibhaaunga Maa…Hamesha yahi koshish karunga ki kabhi aap sabhi ko koi pareshaani na ho.
Mr. Sharma:- Accha Mr. Sameer Priya ke baare me itna bol diya tune…Mujhe dar lag raha hai ki biwi ki aane ke baad tu kahi hame bhul na jaaye.
Sameer:- Aisa kabhi nahi hoga Papa…Mere life me aapki jagah alag hai aur Priya ki alag…Mai hamesha khayal rakhunga ki kabhi kisi ke saath anyaay na ho aur sabhi jimmedaari ko acche se nibhaau.
Itna kehne ke baad Sameer bahut emotional ho gaya.
Mr. Sharma:- Sach me tu ek din maar khaayega…Tu mujhe nahi jaanta kya…Majaak karne ki aadat hai mera…Aur itna vishwaas hai tujh par kit u apni jimmedaari acche se nibha paau.
Fir kuch der issi tarah se baat chalta hai...Aur kuch hi der me maahaul halka ho jaata hai.
Mrs. Sharma:- Lagta hai dono ki shaadi thoda jaldi karaana padega…Tabhi se dekh rahi hu dono najar chura kar ek dusre ko dekhe jaa rahe hai.
Sameer:- Fir se shaadi…Pehle hi ho chuki hai na.
Sameer ne thoda hairaani ke saath kaha.
Mr. Sharma:- Ha ho gaya hai lekin hamaari gair maujudgi me…Tu hamaara ek lauta beta hai aur teri shaadi hamaari aankho ke saamne na ho ye sambhav nahi hai.
2 hafte pehle Priya ka ghar gaya tha aur wo hi tum dono ki shaadi ki date fix bhi kar liya hai…1 month baad shubh muhrat hai.
Iss baar dhum dhaam se hoga tum dono ka shaadi Priya ki ghar me.
Mr. Sharma ne bahut excited ho kar kaha.
Mr. Sharma ki iss announcement se Sameer aur Priya bhi khus ho gaye…Dono ki shaadi wo bhi apni aur pariwar ki marzi me…Ye dono ke liye bahut khushi ki baat tha.
Sameer Priya ko dekh kar pyar se aankh maar deta hai…Isse Priya sarmaa kar najar chura kar niche jameen ki taraf dekhne lagti hai.
P. Mom:- (To Priya) Tu to abhi kuch bol bhi nahi rahi hai…Tu bhi to kuch bol.
Priya apni Maa ki baat sunne ke baad kuch bolne ki koshish karti hai.
Priya:- Mai….
Priya sarm aur khushi ki vajah se isse aage kuch nahi bol paati hai aur sarmaa kar apne room ki taraf bhaagti hai.
Priya ka iss tarah bhaagne se sabhi samajh gaye ki wo kyu bhaagi hai…Sameer ko Priya ki iss adaa par aur bhi jyada pyar aane laga.
Fir waha sabhi kuch der aur baat karte hai shaadi ke baare me…Sabhi bahut khus the khaas kar Sameer.
Iss baar Sameer ne bhi khul kar Priya ke parents se baat kiya…Aur dhire dhire uska unke saath khul kar baat bhi hua.
Jab saari baatein final hua aur ye meeting khatam hua tab Sameer khushi ke saath chhath ki taraf badh gaya iss ummeed me ki Priya bhi waha hogi.
Lekin seedhi me pahunchte hi uske mobile me ek message aaya…Message Rajesh ka tha…Usme Ramesh aur Pratap ka mobile number tha.
Ye message dekhte hi Sameer ke chehre ka bhaaw badal gaya.
Last edited: