• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
champ bhai romance to sahi chal raha hai

lekin ye kis point par akar roka update :D

aap bhi reeaders ki bechaini ka maja lete ho


aaj ke update ka bahut bekarari se intzar hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Next update bas kuch hi der mein...Aur Ek Bhool 2 mein abhi tak aapke review ka intejaar hai :D...Keep supporting bhai.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 125


Sameer aaj apna office se leave le kar apne Maa aur Papa ko apne aur Priya ke pyar ke baare me bataane wala tha.

Lunch time


Aaj lunch ke vakt pura family ek saath lunch ke liye baithe the…Sameer lunch to kar raha tha lekin uska dhyan sirf iss baat me tha ki wo kaise apne pyar ki baat apne Maa aur Papa se kahega.

Mr. Sharma:- Sameer sab thik to hai? Pareshaan lag raha hai?

Sameer:- Nahi…Sab thik hai…Koi pareshaani nahi hai.

Achanak puche gaye sawaal ka jawaab Sameer ne thoda haklaate hue diya.

Mr. Sharma:- Lunch karne ke baad kuch jaruri baatein karna hai tujhse…Aaj office se aaj ek din ka leave le.

Sameer:- Mujhe bhi aapse kuch jaruri baatein karna hai…Office se pehle hi leave le chukka hu.

Mr. Sharma:- Hmm…Pehle lunch karte hai uske baad.

Fir sabhi apna lunch karne lagte hai…Mr. and Mrs. Sharma ki chehra me thoda muskaan tha…Sameer aur Priya ki chehre me thoda chinta aur tension ki bhaaw tha…Khaas kar Sameer ke…Usne abhi tak ye decide nahi kiya tha ki Papa ko wo ye baat kaise bataayega.

After Lunch


Mr. Sharma:- Aa yaha baith.

Mr. Sharma ne Sameer ko apne sofa ke side ki taraf ishaara karte hue kaha.

Sameer bhi unke paas jaa kar baith jaata hai.

Mr. Sharma:- Accha bol…Kya baat karna hai tujhe mujhse?

Mr. Sharma ne chehre me thoda muskaan aura ankh Sameer par jamaa kar pucha…Abb wo Sameer se ussi tarah se baat kar rahe the jaise wo pehle karte the…Dono ke bich laghbhag pehle jaisa relation ho gaya tha.

Sameer:- Pehle aap hi kahiye…Aapko bhi kuch kehna tha mujhse?

Nervous aur tension me Sameer abhi tak apni baat nahi keh paa raha tha.

Mr. Sharma:- Mujhe bataana nahi hai kuch dikhaana hai aur tujhe faisla karna hai?

Ye kehte vakt Mr. Sharma ka muskaan aur badh gaya lekin Sameer ne abhi tak ye baat notice nahi kiya tha.

Sameer:- Kuch nahi samjha…Aap kya dikhaayenge aur mujhe kya faisla lena hai.

Confusion me Sameer ne pucha.

Fir Mr. Sharma apne bag se ek plastic nikaalte hai.

Sameer:- Ye kya hai.

Itna keh kar Sameer unke haath se wo plastic lene lagta hai.

Mr. Sharma:- Abhi nahi…Pehle baat to sun…Uske baad dekh lena.

Fir Sameer Mr. Sharma ko dekhne lagta hai…Wo abhi tak ye samajh nahi paaya tha ki Mr. Sharma kya kehna chaahte hai…Aaj usse Mr. Sharma ki behavior thoda ajeeb lag raha tha.

Mrs. Sharma:- Sameer hamne tere liye rishta tay kar diya hai.

Mr. Sharma ki jagah iss baar Mrs. Sharma boli…Unki aawaj me bahut khushi tha…Waisa hi khushi jo har Maa ko apne beta ka rishta tay karne par hota hai.

Mrs. Sharma ki baat sunne se Sameer aur paas me alag sofe par baithi Priya ko ekdam se jhatka laga…Dono hi utth kar khade ho gaye.

Sameer aur Priya dono ke chehre ka rang ek dam se udd gaya…Chehre par maujud tension aur bhi gehra ho gaya.

Mrs. Sharma:- Laga na jhatka…Mujhe pata tha ye surprise sunte hi tu shocked ho jaayega.

Thodi hansi ke saath Mrs. Sharma ne kaha.

Dusri taraf Sameer ka haalat ye sunte hi kharaab ho gaya tha…Usne kya socha tha aur kya ho gaya…Sameer ne apne Maa aur Papa dono ka chehra dekha…Dono bahut khus najar aa rahe the…Abb Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kaise react kare…Uske paas to abb itna himmat bhi nahi tha ki Priya ki taraf dekhe.

Sameer:- Par Maa.

Himmat karke Sameer ne bolna suru hi kiya tha ki usko rokte hue Mrs. Sharma fir boli.

Mrs. Sharma:- Ha mujhe pata hai…Abhi tu kahega ki tu itni jaldi shaadi karna nahi chaahta hai…Pehle acche se job me settle hoga aur fir shaadi ke bare me sochega.

Tu iss baat ka fikar mat kar…Abhi tera aur Priya ka divorce hone me thoda vakt baaki hai…Fir uske baad hi shaadi possible hai…Tab tak tu acche se settle bhi ho jaayega…Aur fir ham sab mil kar tera shaadi dhum dhaam se karwaayenge.

Har ek shabd ke saath Mrs. Sharma ki khushi badhta jaa raha tha…Sameer ke shaadi ke liye wo abhi se excited thi.

Abb Sameer ka sar fatne laga tha Mrs. Sharma ki baat sun kar…Pehle hi usse kuch samajh nahi aa raha tha ki achanak se ye sab kya ho raha hai…Aur abb uski Maa aur Papa ka khushi aur excitement usse aur kamjor bana raha tha.

Sameer:- Papa…

Fir Sameer ne himmat kiya bolne ka aur fir usse bich me apna baat rokna pada.

Mr. Sharma:- Mere dost ki beti hai…Padhi likhi, khubsurat aur sanskaari…Tum dono ka Jodi khub jamegi…Mai jaanta hut u mere faisle se inkaar nahi karega…Issi liye maine pehle hi mere dost ko haa kar diya.

Mr. Sharma ki ye baat Sameer ke liye kisi emotional atyachaar se kam nahi tha…Unhone kuch iss tarah se kaha tha jaise unhe Sameer par pura yakin hai aur Sameer ke liye inkaar karna itna aasaan bhi nahi tha abb.

Mrs. Sharma:- Are Priya…Tum waha kyu baithi ho…Aao paas baitho.

Abb Mrs. Sharma kin ajar Priya par pada…Priya bhi paas me hi aa gayi.

Issi vakt Sameer ne Priya ko dekha…Priya ekdam shaant thi…Apna expression aur dard chupaane ki pura koshish kar rahi thi…Lekin Sameer se kuch chupa hua nahi tha…Usse apna aur Priya ka haal par bahut bura lag raha tha…Lekin wo abhi kuch kar bhi nahi paa raha tha.

Mrs. Sharma:- Beta tum itna shaant kyu ho…Ye to khushi ki khabar hai na…Tumhaara dost ka shaadi hone jaa raha hai.

Mrs. Sharma ki ye baat Priya ko aur bhi jyada chubh gaya…Abb Sameer uska sirf dost hi nahi tha aur unki aisi baatein aur hansi Priya ko aur bhi jyada taklif de raha tha…Sameer ka khaamoshi Priya ko aur bhi kamjor bana rahi thi.

Priya:- Nahi aunty…Mai bahut khush hu Sameer ke liye.

Ek jhuthi aur feeki muskaan ke saath Priya ne jawaab diya…Sirf wo aur Sameer hi mehsus kar sakta tha iss lafz ke piche ka dard.

Sameer apna mutthi kas ke bheench leta hai apne haalat par…Usse khud par hi gussa aa raha tha ki aise vakt me wo kyu kuch bol nahi paa raha hai…Lekin puraana dar ki Maa aur Papa se fir rishtabigad na jaaye iss dar usse shaant bana raha tha.

Usse thodi der ki shaanti ki jarurat tha taaki wo kuch soch kar apne Maa aur Papa ko mana sake lekin dono ki khushi aur excitement usse aur bhi jyada kamjor bana raha tha.

Mrs. Sharma:- (To Priya) Priya tumne abhi tak hamaara bahut saath diya hai…Ek aur request hai tumse iss shaadi ki planning aur taiyaari me bhi saath dena.

Abb tum bhi iss ghar ki sadasya ban gayi ho…Sameer ka khaas dost aur hamaare liye beti…Tumhaari maujudgi shaadi ka raunak aur badha dega aur Sameer ko bhi ek dost ka accha saath mil jaayega shaadi tak.

Bas ye request hai kit um Sameer ke shaadi ho jaane tak yahi rukna hamaare saath.

Pehle ki tarah hi excited ho kar Mrs. Sharma apni baat keh rahi thi.

Priya:- Jitna ho sakega utna help karungi.

Fir apni dard ko chupaane ki koshish karte hue Priya ne jawaab diya.

Mrs. Sharma:- (To Mr. Sharma) Aapne to abhi tak photo apne haath me rakha hai…Sameer ko dijiye…Wo bhi apne hone wali biwi ki photo dekh lega.

Mr. Sharma:- Oh ha…Baato me bhul hi gaya tha…Sameer ye photo le aur dekh…Tab tak ham dono thoda baahar jaa kar aate hai.

Itna keh kar Mr. and Mrs. Sharma dono apne hontho me muskaan le kar room se baahar chale jaate hai…Sameer ki shaadi tay hone ki khushi dono ke chehre me saaf dekha jaa sakta tha.

Dono ke baahar jaane ke baad room me khaamoshi chaa jaata hai…Sameer aur Priya dono baat karne ki haalat me nahi the.

Fir Priya apna sar utha kar Sameer ki aankho me dekhti hai aur fir Sameer bhi uski aankho me dekhne lagta hai…Dono ki aankho me aansu aane lagta hai…Dono me se koi bolne ki haalat me nahi the…Sameer ko ek dar andar se khaa raha tha ki kahi wo Priya se alag na ho jaaye agar uske parents ne inkaar kar diya to.

Wo apne pyar ke liye bhale hi duniya se lad sakta tha lekin apno se ladna utna aasan bhi nahi tha…Ek taraf Maa aur Papa ka pyar aur ek taraf Priya ka pyar…Dono hi pyar niswarth aur saccha tha uske liye…Ek taraf Priya ko jindagi bhar saath rehne ka diya hua kasam aur dusri taraf Maa aur Papa ka karz…Kisi ek ko chunna bhi uske liye aasan nahi tha…Ajeeb haalat me fass gaya tha wo.

Kuch hi pal me uske man me kayi saare khayal aaye aur gaye lekin abhi tak wo kuch bhi faisla nahi le paaya tha…Wo kisi ke saath bhi anyaay karna nahi chaahta tha aur nyaay karna aasan bhi nahi tha.

Priya bhi Sameer ko iss ummeed ke saath dekh rahi thi ki Sameer sab kuch thik kar de.

Fir kuch der baad Sameer apna aansu poch kar Priya ko aankhe se hi vishwas deta hai ki wo sab kuch thik kar dega…Kisi tarah apne Maa aur Papa ko mana lega.

Fir Sameer ne wo photo nikaala taaki wo uss photo ko faad sake…Lekin jab uski najar photo par pada tab uski aankhe hairaani me aur bhi jyada fail gaya…Wo hairaani se photo ko dekhta hi raha.

Jab Priya ne Sameer ko hairaan dekha tab usne bhi puch liya.

Priya:- Kya hua aur kaun hai photo me?

Dard bhari aawaj me pucha Priya ne…Iss baar Priya ka asli aawaj nikla tha aur uss dard bhari aawaj ke saath Priya ki aankho se do bund aansu bhi niche jameen me gir gaya.

Sameer:- Shruti.

Dard se bhara hua aawaj ke saath Sameer ne jawaab diya.

Aur apni baat kehne ke baad Sameer ne Priya ki taraf dekha…Priya ki chehre me maujud kuch aash bhi udd gaya Sameer ki jawaab se.

Sameer:- Pata nahi Papa ko kya ho gaya…Shruti ki asliyat jaane ke baad wo bhi Shruti ke khilaaf the…Lekin achanak unhone fir ye decision kyu liya.

Sameer aawaj me dard, hairaani aur halka gussa ke saath keh raha tha…Lekin Priya aur sun nahi saki…Wo teji se mud kar rote hue door ki taraf jaane lagi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 126


Priya gate tak pahunch paati usse pehle hi Sameer Priya ke paas pahunch daud kar pahunch gaya aur Priya ka haath pakad kar Priya ko apni taraf ghumaya aur kaske hug kar liya.

Priya ko apne baaho me bharne ke baad Sameer aisa mehsus kar raha tha jaise usse duniya ki sabse bada khushi mil gaya…Uski chehre me maujud dard ka bhaaw ek pal me badal gaya…Aur uske chehre me ek aisa muskaan aaya jo bata raha tha ki wo iss vakt kitna khus hai.

Jab usne mehsus kiya ki Priya uski baaho me aur bhi jyada rone lagi hai tab usne Priya ko apne baaho se alag kiya aur chehre ko hilaa kar na rone ka ishaara kiya.

Sameer ko muskuraata dekh Priya ko kuch samajh me nahi aaya…Wo Sameer ko khone ki dar se itna ro rahi thi aur wohi Sameer bahut khus dikh raha tha…Wo kuch samajh paati isse pehle hi Sameer ne apne haath ka photos Priya ki taraf badh gaya.

Priya ne Sameer se wo photo le liya aur photo dekh kar uski aankh bhi hairaani se fail gaya.

Saara gum aur dil me utth rahe dard ek pal me gaayab ho gaya…Usse apne aankho me vishwas hi nahi ho raha tha…Wo kabhi photo ko dekhti to kabhi Sameer ka khushi aur muskaan se bhara hua chehra ko.

Kuch pal me usse vishwas ho hi gaya ki jo wo dekh rahi hai wo sach hai…Khushi ke mare usne Sameer ko fir se hug kar liya aur iss baar usne Sameer ko hi apne baaho me kas liya.

Sameer ko ek pal ke liye to kuch bhi samajh me nahi aaya ki ye kya hua…Lekin jab usse samajh me aaya tab usne bhi Priya ko apne baaho me bhar liya.

Bahut hi sukoon dene wala aur meetha pal tha ye dono ke liye…Abb to unke pyar ko unke Parents ne bhi apna liya tha…Kuch der tak dono bas ek dusre ke gale me ek dusre ko mehsus kar rahe the…Iss pal dono ko aisa mehsus ho raha tha jaise dono ne ek dusre ko khone ke baad fir se paa liya hai…Abhi dono ek dusre ki baaho me aisa sukoon mehsus kar rahe the ki dono alag hona hi nahi chaahte the.

Kuch der baad Sameer ki dimaag me ek masti aaya…Usne apna sar thoda piccha karke Priya ki taraf badha diya…Priya ko bhi Sameer ke iraada samajhte der nahi laga…Wo Sameer ki baaho se alag ho gayi aur achanak se Sameer ke kandhe par mukka barsaane lagi.

Aise hi 10 - 15 baar mukka maarne ke baad Priya ne kaha.

Priya:- Tumne bilkul bhi accha nahi kiya…Jaante ho mai kitna dar gayi thi.

Priya ki aawaj me thoda gussa ke saath thoda naarajgi bhi tha.

Sameer:- Ye to ek chhota sa majaak tha.

Priya:- Ye bhi koi majaak tha…Mera to jaan hi nikal diya tha tumne…Aage se aisa koi bhi majaak mat karna.

Abb Priya ki gussa bhi badh gaya tha.

Sameer:- Accha…Bhul gayi tum…Jab tum bhi majaak kar ke mera jaan nikaalne me koi kami nahi chhodti thi…Aise majaak aur ruthne ki naatak karti thi ki dar se mera haalat kharab ho jaata tha.

1 mahine se jyada ho gaya maine tumhe propose kiya…Aur har din tumhaara naya drama, nakhre sehna padta tha…Ek propose kya kar diya tumne to mera buraa haal kar diya.

Sameer ne bhi Priya ko puraani baat yaad karate hue pyar se kaha…Sameer ki baat sunte hi Priya ka saara gussa ek pal me gaayab ho gaya…Aur fir se uske chehre me Sameer ke liye pyar aa gaya…Wo niche dekhti hui boli.

Priya:- Wo to bas aise hi…

Isse aage Priya kuch nahi boli.

Sameer:- Mai bhi thoda masti karna chaahta tha…Aur iss masti se ye bhi to pata chala ki mera Priya mujhse kitna pyar karti hai…Sorry yaar for that acting…Accha ye bataao mera acting kaisa tha…Lag raha than a mai film ki hero ki tarah.

Sameer ne maafi maangte hue kaha lekin aakhir me ek aur majaak kar diya usne.

Priya:- Mujhe tadpaane me bahut majaa aata hai na tumhe.

Thoda shikaayat ke saath pucha Priya ne.

Sameer:- Tumhe tadpaane me nahi tumse pyar karne me maja aata hai…Aur yahi to mera style hai darling…Pyar me agar hansi majaak aur ek dusre ko pareshaan na karna, aur ruthna manana na ho to pyar me koi maj nahi.

Sameer ne iss baar romantic andaaj me kaha.

Abb dono aa kar sofa me baith gaye.

Priya:- Sameer…Kya tumne hamaare pyar ke baare me kaha tha uncle ko?

Sameer:- Nahi…Issi liye to mujhe dar lag raha tha…Pata nahi kaise unhe pata chal gaya.


Mr. Sharma: Wo iss liye Mr. Sameer kyu ki aap hame jitna bewkuf samajhte hai utna mai hu nahi.

Mr. Sharma ne room ke andar aate hue kaha…Saath me Mr. Sharma bhi andar aayi…Dono ko ek saath andar aate dekh Sameer aur Priya ki haalat ek dam se kharab ho gaya…Dono ne unhe itni jaldi aane ki expect nahi kiya tha.

Sameer:- Papa aap…

Sameer isse aage kuch kehta usse pehle hi Mr. Sharma ne kehna suru kar diya.

Mr. Sharma:- Dar mat…Tum dono ki koi baat nahi suna uss baat ko chhod kar…Abhi abhi aaya hu ye soch kar kit um dono ki baatein khatam ho gaya hoga lekin tum dono ko dekh kar to lag raha hai ki shaayad hi tum dono ki baatein kabhi khatam hoga.

Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye…Unki chuppi ke saath hi waha khaamosh chha gaya…Ek gehri khaamoshi...Fir Sameer ne thoda himmat karke pucha.

Sameer:- Papa aapko hamaare pyar ke baare me kaise pata chala?

Mr. Sameer:- Pehle hi jawaab de chukka hu…Jitna tu mujhe bewkuf samajh raha hai utna mai nahi hu…Aur ye baat bhi mat bhul ki mera bhi love marriage hi hua tha.

Kya lagta hai tujhe kisi aashiq ko dekh kar ye nahi pehchaan paaunga ki wo kisi se pyar karta hai ya nahi…Tune to kuch nahi bataya par tum dono ki harkato se saaf pata chal raha tha ki dono hi ek dusre se pyar karte ho.

Lunch aur dinner ki time me bhi tum dono ki najar khaana par na ho kar ek dusre par hota tha…Aur mai nahi andha hu aur naa hi bewkuf jo ye baatein samajh na paau.

Aur sabse badi baat mai tera baap hu…Tu kya karta hai aur kya chaahta hai sab kuch jaanta hu.

Itna keh kar Mr. Sharma fir chup ho gaye aur Sameer ko dekhne lage…Sameer aur Priya dono hi iss baar sharm se apna sar jhuka lete hai…Dono soch rahe the ki dono ki aashiqui ke baare me kisi ko pata nahi par dono ka ye bhram ek pal me hi tut gaya.

Mrs. Sharma:- Sameer abb to tub hi sarmaane lag gaya.

Mrs. Sharma ne bhi Sameer ki haalat par majaak udaate hue kaha.

Mr. Sharma:- Abb sarmaana band karo aur bataao kaisa laga mera ye surprise.

Sameer:- Bahut bhayanak…Dar se ham dono ka haalat kharab ho gaya tha.

Sameer ne ye kehte vakt fir se wo dar mehsus kiya…Lekin agle hi pal usne isse ek bura sapna samajh kar jhatak diya.

Mr. Sharma:- Are dar kaisa…Mai thodi na tum dono ki love story ka villain hu.

Sameer:- Par lag to aisa hi raha tha.

Sameer bhi abb dheere dheere khulne laga tha…Mr. Sharma ko bhi Sameer ki iss baat par thoda hansi aa gaya.

Mr.Sharma:- Hame tumhaara pyar se koi aiteraaj nahi tha…Jab mujhe iss pyar ke baare me pata chala tab se hi mai bahut khus hu.

Priya ko kaun apna bahu banana nahi chaahega…Nahi bahu nahi beti…Hamesha ek beti ki kami mehsus kiya hai hamne…Abb shaayad ye kami bhi puri ho gayi Priya ke roop me…Itna to yakin hai ki Priya apni patni aur beti hone ka farz acche se nibhaayegi.

Mr. Sharma ne Priya ki tarag dekh kar kaha…Unki baato se hi lag raha tha ki wo Priya se bahut impressed hai.

Mrs. Sharma:- Bahut hi pyari hai meri bacchi…(To Sameer) Agar tujhe Priya se pyar na hota to fir bhi jabardasti tera shaadi karwa deta Priya se…Kuch hi din hua Priya ko iss ghar me aaye…Ek alag sa Maa Beti ka rishta ban gaya hai hamaare bich…Abb mai bhi bahut khus hu ki Priya hamesha ke liye hamaare paas aa gayi hai beti ki roop me.

Mr. and Mrs. Sharma ki baatein sun kar Priya ko bhi bahut khushi mehsus hua…Kuch hi pal me usse itna khushi mil gaya tha ki usse yakin karna bhi mushkil ho gaya tha ki ye sab sach hai…Khushi me wo bas itna hi bol paayi.

Priya:- Thankhs Uncle, Aunty…Mai apne farz aur jimmedaari ko acche se nibhaaungi.

Mrs. Sharma:- Abhi bhi Uncle, Aunty.

Priya:- Sorry…Thanks Maa aur Papa.

Itna keh kar Priya fir niche dekhne lagti hai.

Paas me khada Sameer kabhi apne Maa aur Papa ko dekhta to kabhi Priya ko…Sab kuch bin maange itni aashani se uske chaahne jaisa ho raha tha ki wo uska bhi khushi ka koi thikaana nahi tha.

Mr. Sharma:- Mai bahut dino baad aaj bahut khus hu…Abb sab kuch thik ho gaya…(To Sameer) Tujhe tera bhool ka ehsas bhi ho gaya aur shaayad ek baat sikh bhi liya ki kabhi bhi gusse me aa kar faisla nahi karna chaahiye.

Khair abb to bas yahi chaahta hu ki hamaare pariwar me hamesha ke liye ye khushi theher jaaaye.

Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye aur ek lambi saans le kar sabhi ko dekhne lage.

Fir achanak unhe kuch yaad aaya.

Mr. Sharma:- Mai to bhul hi gaya tha Priya ke parents baahar hall me hai…Aur mai yaha aise hi time waste kar raha hu…Chalo baahar chalo.

Itna keh kar Mr. Sharma apni jagah se utth gaye.

Ye baat sunte hi Priya ki khushi ka abb koi thikaana nahi raha...Abb usse yaad aaya kitna din ho gaya hai usse apne Maa aur Papa se mile hue…Abb usse aur intejaar nahi ho raha tha apne Maa aur Papa se milne ka.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 127


Priya hi sabse pehle apne Maa aur Papa se milne pahunchti hai.

Pahunchte hi usne dono ka pair chhu ke aashirvaad liya aur apne Maa ke gale lag gayi.

Gale milte hi dono ki aankho se aansu nikalne laga...Lekin ye aansu khushi ka tha.

Kuch der tak dono aise hi gale lag kar hi ek alag si khushi aur sukoon mehsus karti rahi.

Kuch hi dur me baithe Priya ki Papa ye sab dekh kar bahut khus thhe...Unhe khud nahi pata tha ki kab unhone apne patni aur beti ko itna khus dekha tha.

Ye khushi ke pal dekh kar unhe mehsus hua ki wo abb tak apne life me kya mehsus karte rahe...Khair unhone iss paschataap ko apne man se nikaal kar filhaal iss khushi ki pal jeene ka socha.

Wo bhi Priya ke paas aa gaye.

Jab Priya apne Maa ke gale se alag hui tab usne dekha ki paas me uske Papa khade hai aur wo muskuraate hue unhe dekh rahe hai...Fir wo jaake apne Papa ke gale lag gayi.

Priya ke Papa ne bhi usse apne baaho me bhar liya aur uske baalo ko pyar se sehla kar pucha.

P. Dad:- Kaisi hai meri bacchi?

Priya:- Thik hu Papa aur aap?

Iss baar Priya ki aawaj me apne Papa ke liye respect tha...Ye puchne ke baad Priya apne Papa ka alag se alag ho gayi aur unke chehre me dekhne lagi.

P. Dad:- Mai bhi thik hu...Dheere dheere Daru ki aadat bhi chhut raha hai...Pehle ki tarah hansi khushi baaki ka jindagi jeena chaahta hu...Lekin itna daru pee liya hai ki kab maut aa jaaye....

Priya ke Papa isse jyada kuch bol paate usse pehle hi Priya ne unka munh apne haat se band kar diya.

Priya:- Kuch nahi hoga aapko...Itne din khud ke liye jiya aapne abb ham sab ke liye jeena hoga.

Priya ki baat me shikaayat ke saath apne Papa ke liye care bhi tha.

Priya ki baat sunne ke baad Priya ki Papa ne thoda muskura kar kaha.

P. Dad:- Hamesha tum sab ke saath hi hu beti...Abb to teri nayi jindagi bhi suru hone jaa raha hai...Uske liye bahut bahut mubarak...Bhagwaan kare tujhe duniya bhar ki sabhi khushi mile.

Unhone Priya ki sar par haath firaa kar pyar se aashirvaad diya.

P. Mom:- Ye to khus rahegi hi...Itna accha rishta jo mila hai...Mujhe to dar hai ki kahi ye hame bhul na jaaye.

Priya ki Maa ne Priya ka taang khinchte hue kaha.

Priya:- Maa...Kabhi aisa ho sakta hai ki mai aap ko bhul jaau?

Priya ne bahut maasumiyat se kaha...Wo jaan gayi thi Maa ki baat ki matlab.

P. Mom:- Accha ye bata...Tu pehle kitne din me mujhe phone karti thi aur abb kitne din me?

Abb to hafte me ek baar tera phone aa jaaye wo hi bahut hai hamaare liye.

Priya:- Wo to mai busy thi issliye.

Priya ko iss vakt isse accha bahana nahi mila.

P. Mom:- Jaanti hu kaha busy hai.

Fir se Priya ki Maa ne Priya ka taang khinchte hue kaha...Iss baar apni Maa ki baat se wo thoda sarmaane lagi...Usne iss baar koi jawaab nahi diya.

P. Mom:- Tu to sarmaane lagi...Hamne to pehle hi tum dono ki rishte ke liye manjuri de diya hai.

Iss baar Priya ki Maa ne uske sar me pyar se haath firaa kar kaha.

P. Dad:- Agar ladka Sameer jaisa ho to inkaar ki koi vajah hi nahi hai.

Dusro se kaise behave karna hai, Sahi aur galat ka pehchaan, Padha likha hua, apne se bade ko respect dena aur mushkil vakt me bhi sahi faisle lene ki kaabiliyat.

Aur anjaane me hi sahi uski baato se mujhme jo badlaaw aaya wo mai kabhi nahi bhul sakta...Jindagi jeene ka tarika hi badal gaya.

Bas itna hi kahunga Priya ki tune Sameer ke roop me bahut accha jeevan saathi chuna hai...Mujhe yakin hai tu uske saath hamesha khus rahegi.

Agar maine apne jindagi me sabse accha kaam kiya hai to tera shaadi Sameer se kara kar...Maanta hu bahut galat kiya tha maine aur bahut galat makshad bhi tha lekin kabhi socha nahi tha uska natija itna accha niklega.

Priya ki Papa ki baat me Sameer ke liye taarif tha...Unki iss baat se pata chal raha tha ki wo Sameer se kitna prabhaawit hai.

P. Mom:- Bas ek hi khwaahish thi meri...Apni beti ki jindagi me khushi dekhna...Aur aaj wo bhi pura ho gaya...Teri Papa sah keh rahe hai...Shaayad hi Sameer me koi kami hai...Tu uske saath bahut khus rahegi.

Mujhe to Sameer ussi din pasand aa gaya tha jab wo hamaare gaanw pehli baar aaya tha...Uss vakt haalat aur maahaul alag tha lekin shaadi ki vakt bhi maine pehchaan liya tha usse...Jab tera shaadi usse hua aur jis majburi me usne tujhse shaadi kiya tha uss vakt mujhe itna to yakin tha ki teri jindagi puri tarah se tabaah nahi hua hai jo Pratap se shaadi hone se ho jaata.

Priya apne Maa aur Papa ki baat se bahut khus ho jaati hai...Unke munh se Sameer ke liye taarif sunna usse bahut accha lag raha tha.

Sabhi ki sehmati me uski shaadi uske hi pyar Sameer se hone jaa rahi thi...Iss vajah se uske khushi ka koi thikaana nahi tha.

Wo man hi man bhagwan se shukriya kehti hai usse itna khushi dene ke liye.

Wo kuch kehne hi wali thi ki uske Papa kehte hai.

P. Dad:- Aaiye samdhi ji...Aap sabhi ka intejaar kar rahe the.

Priya apne Papa ki baat sunne ke baad piche mudti hai...Sameer apne Maa aur Papa ke saath niche hall me aa raha tha.

Aaj jab Sameer ko pata chala ki dono ki rishte ko dono ki pariwar ne manjuri diya hai tab se wo bahut khus tha.

Jab uska najar Priya par padta hai tab usse Priya par bahut pyar aata hai...Aur ye sab uske chehre me bhi saaf dikhne lagta hai.

Sameer ko aise dekh kar Priya apne hontho me muskaan ke saath sarmaa kar dusri taraf dekhti hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends aaj 3 updates post kiya hai...Padh kar apna feedbacks jarur dijiye.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,770
37,559
219
ab to unke pyar par bhi official mohar lag gayi..............
dono ke maa papa ki

shadi to kar hi chuke hain dono

lekin pyar ka izhar hote hi priya ke andar chhupi hui patni ki atma ab bahar nikalne lagi hai :D

lekin ............... reality mein bhi
jo apko chahte hain wo apko bhula sakte hain........... lekin jo apke dushman hain ..........wo tab tak nahin bhoolte jab tak ap unko duniya ke samne beijjat karne ke sath sath ..........lachar aur majboor na kar do............
principal, neha in dono ka mujhe nahi lagta ki ........sameer ne unke ghar mein jo chupke se unhein beijjat kiya hai.........usse sudhare honge......
shruti ka to man sakte hain..........maa to tabhi sharminda thi aur uske papa se bhi yahi ummeed hai..... unke khilaf shruti jayegi nahi

lekin neha ka bap to neha se bhi jyada bada kameena hai...................
oopar se neha hi...........ramesh aur pratap se judi bhi hai

dekhte hain.............
aaj ke updates mein aisa kuchh hota hai ya nahin
 

Fzs25

Member
210
391
43
Badhiya story hai
Maine Puri padhi hai
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
ab to unke pyar par bhi official mohar lag gayi..............
dono ke maa papa ki

shadi to kar hi chuke hain dono

lekin pyar ka izhar hote hi priya ke andar chhupi hui patni ki atma ab bahar nikalne lagi hai :D

lekin ............... reality mein bhi
jo apko chahte hain wo apko bhula sakte hain........... lekin jo apke dushman hain ..........wo tab tak nahin bhoolte jab tak ap unko duniya ke samne beijjat karne ke sath sath ..........lachar aur majboor na kar do............
principal, neha in dono ka mujhe nahi lagta ki ........sameer ne unke ghar mein jo chupke se unhein beijjat kiya hai.........usse sudhare honge......
shruti ka to man sakte hain..........maa to tabhi sharminda thi aur uske papa se bhi yahi ummeed hai..... unke khilaf shruti jayegi nahi

lekin neha ka bap to neha se bhi jyada bada kameena hai...................
oopar se neha hi...........ramesh aur pratap se judi bhi hai

dekhte hain.............
aaj ke updates mein aisa kuchh hota hai ya nahin
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Dushman ke bhi updates aayega...Bas kuch hi der mein :D...Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Badhiya story hai
Maine Puri padhi hai
Welcome Fzs bhai on the story :hug: and thanks for your comment :thanks:...Jaan kar bahut accha laga bhai ki aapko story pasand aaya :toohappy:
 
Last edited:
Top