• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 50


During Lunch Break


Sameer ka aaj mood thoda off tha iss liye wo canteen me nahi gaya...Shruti aur Rajesh ne bahut koshish kiya canteen tak le jaane ka lekin Sameer nahi maana...Sameer ke jidd ke saamne Rajesh aur Shruti ko jhukna hi pada.

Dono chale gaye canteen me aur akele akele baith kar lunch karne lage...Rajesh aaj kuch jaldi hi apna lunch complete karke class me chala gaya.

Shruti kuch pareshaan najar aa rahi thi...Chehra dekh aisa lag raha tha ki wo kuch soch rahi hai...Iss soch ke chakkar me wo thik se khaa bhi nahi paa rahi thi...Tabhi uske paas Neha aa kar baith jaati hai.

Neha:- Kiski yaad sata rahi hai madam?

Neha ki iss majaak se Shruti ka dhyan toota...Wo Neha ko bas ghurti rahi.

Neha:- Sorry Madam...Aapko aapki aashiq ke baare me sochne aur dhyan hatane ke liye maafi chaahti hu...Par kya karu...Ye college hai madam...Yaha aap aise react karengi to sabko pata chal jaayega ki aapko pyaar ho gaya hai...Please apne feelings ko thoda control me rakhiye nahi to pura college ko aapki love story ke baare me pata chal jaayega.

Neha ne muskuraate hue fir se kaha.

Shruti:- Ye kya bakwas kar rahi hai tu...Mujhe kyu kisi se pyar hoga aur kaun hai mera aashiq?


Shruti ne dikhana chaha ki usko Neha ki baat se kitna gussa aaya hai...Koi sun na le iss vajah se dhire aur gusse ke saath usne kaha.

Neha:- Calm down dear...Mere saamne tera ye naatak nahi chalega...Jitna bhi ye jhutha gussa kyu na dikha de tu mujh par koi asar nahi padne wala...Waise bhi sacchai chupane se chhupta nahi...Dekha hai maine aaj kal teri behavior ko...Teri har harkat se pata chalta hai ki tu Sameer se pyar karti hai...Bas acche se jataa nahi paati hai...Are yaar pyaar karti hai to Sameer ko bhi iss baat ka ehsas dilaa ki tu usse pyaar karti hai...Kab tak aise hi chup baithegi.

Shruti Neha ki iss baat par kuch nahi kehti hai...Wo fir se Neha ko ghurne lagti hai...Lekin iss baar naa to wo gussa thi aur naa hi khus...Bas Neha ko dekhe jaa rahi thi aur soch rahi thi ki kya jawaab de Neha ke iss baat ko.

Neha:- Abb ye mat kehna ki mai fir se jhuth bol rahi hu aur tujhe Sameer se pyar nahi hai.

Iss baar Neha ne majaak nahi kiya.

Shruti:- Nahi sach keh rahi hai tu...Mai Sameer se pyar karti hu...Bahut pyar karti hu...Kitni baar ehsaas dilaaya maine Sameer ko...Pura paagal hai wo...Kabhi samajhta hi nahi hai mujhe aur mere pyaar ko...Mere ishaare ko majaak me le leta hai...Sidha propose nahi kar paa rahi hu mai lekin usko bhi to samajhna chaahiye naa.

Jab bhi pyaar ke baare me baat karti hu to pata nahi kyu topic hi badal deta hai...Kabhi pyaar ko seriously leta hi nahi...Pata nahi mai kya karu kuch samajh me nahi aata...Wo Rajesh bhi hamesha Sameer ki pucch ki tarah piche hi pada rehta hai...Kabhi mauka mil nahi paata Sameer ko khul kar apni baat kehne ka...Jab bhi mauka milta hai Sameer baat ko majaak bana kar taal deta hai.

Sochti hu ki wo bahut jald mera baat samajh jayega aur mujhe hi propose karega lekin 1 saal ho gaya naa hi wo mujhe samajh paaya aur naa hi mere pyaar ko. :sigh:

Itna keh kar Shruti chup ho gayi...Uski aawaj me ek bebasi tha...Bahut koshish kiya tha usne Sameer ko apne pyaar ka ehsaas dilaane ko...Lekin abhi tak kaamyab nahi ho paayi thi...Aur kaamyaab ho paayegi iss baat par khud par vishwaas bhi nahi tha usse.

Kuch pal chup baith kar aur kuch sochne ke baad Neha ne thoda gambhir ho kar kaha.

Neha:- Abb to ek hi raasta bacha hai.

Shruti:- Kaun sa raasta?

Shruti ki aawaj me koi utshuktaa nahi tha...Usse pehle hi pata tha ki Neha ki sabhi ideas bakwas hota hai...Fir bhi usne socha ki ek baar sunne me kya jaata hai.

Neha:- Sidha Sameer ko propose hi kar daal...Aaj aar ya paar kar de baat ko...Kab tak aise hi ghut ti rahegi? Mai jaanti hu Sameer ko bhi ehsas hai tere pyaar ko aur shaayad koi vajah hoga jis vajah se wo tujhe accept nahi kar paa raha hai...Aaj baat karke jaan le kya baat hai.

Agar usse sach me tujhse pyaar nahi hota to kisi bahaane se tujhse alag ho gaya hota lekin usne aisa nahi kiya...Meri baat maan aur sidha propose kar daal Sameer ko...Aage kya hoga usse baad me dekhenge.

Itna keh kar Neha chup ho gayi aur Shruti ki taraf dekhne lagi...Shruti ko bhi Neha ki baat thik laga...Kuch der sochne ke baad usne kaha.

Shruti:- Thik hai...Bahut jald propose kar dungi.

Neha:- Abb aur der mat kar...Aaj hi propose kar de...Warna aisa na ho ki koi aur hi Sameer ko pataa le...Kahi mai hi usse na pataa lu. :hehe:

Neha ne aakhiri ki do line hanste hue kaha...Abb wo maaaul ko fir se halka banana chaahti thi...Shruti ko bhi pata tha ki Neha majaak kar rahi hai.

Shruti:- Tu karegi Sameer ko propose? Hahaha :lol:....Bahut comedy karti hai yaar tu? Tere pyar ko accept karna to dur ki baat hai wo teri taraf dekhega bhi nahi...Hahaha...Agar Sameer ne mujhe tere saath dekh liya to kahi wo mujhe hi na reject kar de...Bahut manhus hai tu...Mujhse dur hi raha kar. :lotpot:

Agar kisi aur ne Sameer ko pataane ki koshish kiya to uska mai munh noch lungi. :angrywife:

Issi tarah majaak me lunch break khatam ho jaata hai...Shruti aur Neha apne apne class me jaati hai.

Class ki taraf jaate jaate Shruti ne tay kar liya ki aaj har haal me wo Sameer ko propose karegi...Class me bhi Shruti ka dhyaan padhai me naa ho kar Sameer par hi rehta hai...Wo aaj kaise Sameer ko propose karegi bas issi baare me soch rahi thi.


In parking


Khair jald hi ye vakt bhi aa gaya...College khatam hone ke baad Sameer aur Rajesh parking se apne ghar ki taraf jaane hi waale the ki picche se daud kar Shruti aati hai aur chilla kar kehti hai.

Shruti:- Sameer ruko...Mujhe tumse kuch baat karni hai.

Shruti ne itna jor se chillaya tha ki Sameer ka naa sunne ka sawaal hi nahi tha.

Sameer:- Ha Shruti kaho...Kya baat hai?

Shruti ke paas aane ke baad Sameer ne kaha.

Shruti:- Yaha nahi...Private baat hai aur bahut jaruri hai.

Shruti ki baat sunne ke baad Sameer ne socha kia aakhir kya private baat ho sakta hai...Usko kuch kuch andaaza to ho gaya tha lekin wo bas yahi dua kar raha tha ki jo wo soch raha hai wo naa ho...Wo Rajesh ko akele jaane ka keh deta hai aur Shruti ke picche picche chala jaata hai.


Shruti Sameer ko ek akele jagah me le jaati hai aur bina dare, bina sharmaye himmat karke bol deti hai.

Shruti:- Sameer I Love you.

Sameer jo nahi chahta tha aakhir wohi hua...Shruti ki baat sunne ke baad Sameer 2 saal picche hue ek ghatna ko yaad karne laga...Sameer uss ghatna ke baad pyaar se bhaagne ka bahut koshish kar raha thaekin aaj Shruti ne fir se usse do raaho par laa khada kiya.

Uss ghatna me jo bhi hua tha uske baad Sameer ke paas pyar karne ki taakat nahi tha...Pyaar se vishwaas utth gaya tha uska...Uss ghatna ko yaad karte hue uski aankho se do bund aansu apne aap gaalo par gir gaya aur himmat karke usne jawaab diya.

Sameer:- No Shruti...I Dont Love You...And I cant love anyone.


Sameer ki aawaj me ek dard tha jisse sun kar Shruti ke dil toot gaya...Kitna yakin ke saath usne Sameer ko propose kiya tha ye soch kar ki Sameer uska pyar accept kar hi lega...Lekin Sameer ne uske dil ka tukda tukda kar diya...Bahut chot pahuncha Shruti ko...Kuch pal yunhi wo chup rahi...Lekin wo abhi bhi haar maane waali nahi thi.
Mantarmugdh si karti hai nayi update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 51


Kuch pal ke liye ek khaamoshi chhaa gaya tha...Dono ko apna dard mehsoos ho raha tha...Koi kuch bolne ke mood me nahi tha...Shruti bas Sameer ko dekh rahi thi aur uske chehra dekh aisa lag raha tha ki kabhi bhi wo roo sakti hai...Sameer bhi niche dekh kar fir se ateet ke baare me sochne laga.

Shruti Sameer ko kisi haal me khona nahi chaahti thi...Pehle hi usko ek jhatka laga tha jab Sameer ne uske pyaar ke prastaav ko inkaar kar diya tha...Shruti ko Sameer ki aawaj se Sameer ki baatein ek dam sach lag raha tha...Usse itna to pata chal gaya tha ki jo bhi karna hai abhi karna hoga warna bahut der ho jaayega.

Iss khaamoshi ko todte hue usne ladkhadaate jubaan se Sameer se puchha.

Shruti:- Kyu? Kyu mujhse pyaar nahi karte ho aur pyar se itna bhaagte ho?

Sameer:- Hai ek vajah. :(

Sameer ne ek dard ke saath kaha....

Shruti:- Kahi tum kisi aur se pyaar to nahi karte?

Darte hur Shruti ne puccha ki Sameer kahi ha na keh de.

Sameer:- Nahi...Mai kisi se paar nahi karta aur naa hi kabhi karunga.

Sameer ki har ek lafz se uska dard ka pata chal raha tha.

Sameer ne jab ye kaha tab Shruti ki dard ki jagah gusse ne le liya.

Pehli baar Sameer se gusse ke saath boli.

Shruti:- Tum itna insensitive kaise ho sakte ho Sameer? Tum insaan ho ya nahi...Agar insaan ho to tumhaare paas dil kyu nahi hai...Kehte ho ki kisi se pyaar nahi karte aur naa hi kabhi karoge...Kyu? Kya kabhi tumhe mere pyaar ka ehsaas nahi hua...Itne time se mai tumhaare picche deewani ki tarah pyar ka ehsaas dilati rahi...Tumhaare picche paagalo ki tarah ghumti rahi...Lekin tumne kabhi iss baat ka parwah kiya hi nahi...Kabhi mujhse pyar kiya hi nahi aur naa hi kabhi mujhe apne pyaar ke kaabil socha...Aakhir kyu Sameer? Kyu tum mujhse pyar nahi karte? Kya kami hai mujh me? Aur tum kyu pyar se itna bhagte ho? :mad:

Shruti ki aawaj me gussa aur dard dono tha...Usse Sameer ki inkaar ki vajah samajh me nahi aa raha tha...Upar se Sameer ki chuppi usse aur tadpa raha tha.

Lekin iss baar Sameer chup nahi reh paaya...Shruti ki iss tarah se baar baar pucchne se usne bhi abb sach bataane ka faisla kar hi liya.

Sameer:- Sunna chaahti ho...Kyu mai pyaar se dur bhagta hu? To suno...Mai bhi ek insaan hu...Mai koi insensitive insaan nahi hu aur mere paas bhi dil hai.

Lekin darta hu iss dil se...Kahi dhokha na de de mujhe hi...Kahi kisi se pyaar na ho jaaye...Ye umar hi kuch aisa hai ki har kisi ko pyaar ho hi jaata hai...Na chaahte hue bhi opposite sex ki taraf attract ho hi jaate hai.

Lekin abhi tak maine khud ko rok rakha hai...Bas tum hi wo ladki ho jisse mai apna dost manta hu aur baat karta hu...Tumhaare siwaa koi ladki mera dost bhi nahi hai aur naa hi banana chaahta hu.

Dekha hai maine saccha pyaar karne wale ka kya haal hota hai...Jo galti unki hoti nahi hai unhe wo sazaa bhi milta hai...Pyaar karna gunaah hai kya...Agar hai to mai ye gunah nahi karna chaahta hu...Agar nahi hai to kyu mere dost Mahesh ko bina koi galti ki saza mila.

Usko wo sazaa mila jo saccha pyar karne wale ko akshar milta hai...Saccha pyar ki koi keemat nahi aaj ki jamaane me...Dekha tha maine kitna toot kar usne ek ladki se pyar kiya tha...Ekdam saccha aur niswarth pyaar...Wo uss ladki ke liye kuch bhi karne se picche nahi hat ta tha...Apna pyar ke khushi hi uske liye sab kuch tha...Wo ladki bhi aisa behave karti thi jisse lagta tha ki wo bhi Mahesh se pyar karti hai...Lekin wo sirf apne faaida ke liye Mahesh ka istemaal karti thi...Bewafa to wo thi hi lekin saath me chaalbaaz aur makkar ladki thi. :mad:

Jab Mahesh ko pata chala ki wo ladki Mahesh se pyar nahi karti hai to kitna toot gaya tha wo...Pyar insaan ko puri tarah se badal deta hai...Bigde hue insaan ko sudhar sakta hai to acche insaan ko paagal aur kamjor bana deta hai...Andar se puri tarah se tod deta hai...Aisi haalat bana deta hai ki wo naa khus hone par bhi khus dikhne ka naatak karna padta hai.

Ye sab maine Mahesh ke saath hota dekha hai...Rajesh aur maine jaise taise usko sambhaal liya...Uss din se ek baat pata chal gaya ki aaj ke duniya me saccha pyar shaayad hi kahi ho...Ye hamaara career banaane ka time hai...Aur hume aise time ka istemaal bewafawo ke liye waste nahi karna chaahiye.

Ye pyar aakhir hai kya...Kya hum iske bina jee nahi sakte? Agar pyaar nahi hua to hum mar jaayenge kya? Kya ye rule hai ki college me padhte vakt hame compulsory pyar karna chaahiye?

Sameer ne gusse se Shruti se puccha...Shruti Sameer ka achanak itna gussa dekh dar gayi aur kuch bol nahi aayi...Bas sir ko naa me hilaa diya.

Sameer:- To issi vajah se maine soch liya ki kabhi pyar nahi karunga...Jo galti Mahesh ne kiya hai usse mai nahi dohraaunga...Maine Mahesh ki galti se sabak liya aur khud ko pyar karne se rok liya...Yaa ye keh lo ki mera pyar par se vishwaas utth gaya hai...Pyaar se jitna sukoon milta hai usse jyada dard bewafayi aur bicchdan me milta hai.

Pyar ek meetha jehar hai jiska swaad accha lagta hai lekin pata nahi chalta kab ye hamaare hi jindagi ke liye haanikaarak ban jaaye.

Pyaar se jitna dur raho utna hi bhala hai.


Sameer ne apne dil ki bhadaas gusse me nikaal diya aur Shruti ko samjha diya ki kyu wo pyar nahi karna chaahta...Aur pyaar ke baare me wo kya sochta hai.


Shruti ko bhi pata chal gaya ki Sameer pyar se dur kyu bhaagta hai aur kyu wo Shruti ko accept nahi kar raha hai.




Shruti ko abb samajh me nahi aa raha tha ki Sameer ko kaise manaye...Usko manaana to abb aur mushkil ho gaya tha...Sameer to pyar par vishwash bhi nahi karna chaahta tha.

Shruti:- Trust me Sameer...Mujhe nahi pata uss ladki ne Mahesh ko kyu dhokha diya...Lekin mai tumhe kabhi dhokha nahi dungi...Mai tumse bahut pyaar karti hu...Aur mera pyar saccha hai...Please mere pyaar ko mat thukraao...Jee nahi paaungi tumhaare bina. :pray:

Shruti ne laghbhag gidgidaate hue kaha...Sameer abb bahut uncomfortable feel kar raha tha.

Sameer:- Maine kab kaha ki tum mujhe dhokha dogi....Lekin Shruti please mera baat bhi samajhne ki koshish karo...Mai iss pyaar ke lafde me padna nahi chahta.

Sameer ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kaise Shruti ko samjhaye.

Sameer aur Shruti ki bich ek baar fir se khaamoshi chhaa jaati hai aur dono bas ek dusre ke bolne ka intejaar kar rahe the aur ye bhi chaah rahe the ki wo dono ek dusre ki baat samajh jaaye.

Kuch pal aise hi sochne ke baad Shruti ke dimaag me ek idea aaya aur usne kaha.

Shruti:- Tum shaadi to karoge na?

Sameer:- Haan karunga...Lekin tum abb ye kya puch rahi ho? :hmm2:

Shruti:- Love ya arranged marriage?

Abb Shruti ki har ek lafz ke saath confidence badh raha tha ki wo Sameer ko apna bana kar hi rahegi.

Sameer:- Kisi se love nahi karunga to definitely arranged marriage.

Sameer ne bhi confusion ke saath jawaab diya...Wo ye soch kar confuse ho raha tha ki aakhir Shruti ye sab kyu pucch rahi hai.

Shruti:- To fir mujh se hi arrange marriage karlo.

Shruti ne ek muskaan aur chehre me chamak ke saath ye baat kaha...Usse yakin tha ki abb Sameer bach nahi paayega.

Sameer:- What? Ye kya keh rahi ho tum?

Sameer aage kuch bol paata...Uski baato ko bich me kaat kar Shruti ne kaha.

Shruti:- Iska matlab mai tumhe acchi nahi lagti aur mujhse piccha chhudana chaahte ho?

Sameer:- Nahi aisi baat nahi hai.

Shruti:- To kya baat hai? Tum kisi na kisi se shaadi to karoge hi...To kya problem hai tum mujhse shaadi kar loge to...Mera love bhi success ho jaayega aur tumhe koi problem bhi nahi hoga...Tumhe pyar me padne ki jaruri bhi nahi padegi...Mai tumse pyar kar lungi...Sab kuch thik ho jaayega aur sab khus.

Shruti ne vijay muskaan ke saath kaha...Sameer abhi bhi confused tha.

Sameer:- Lekin tum meri dost ho to mai kaise tumse shaadi...

Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Shruti uski baat ko bich me kaat kar gusse se boli

Shruti:- Love stories ki suruwat dosti se hi hota hai...Aur ye pyaar baad me shaadi me badal jaata hai...Abb chup...Abb kuch mat kehna tum...Final ho gaya ki tum mujhse hi shaadi karoge...Tumhaare liye arranged aur mere liye love marriage.

Shruti ne apna faisla suna diya...Sameer ko bhi pata chal gaya tha ki abb wo Shruti se jeet nahi paayega...Ek din usse shaadi to karna hi hai to Shruti se kyu nahi? Shruti ki iss chaturai par wo muskuraye bina reh nahi paaya.

Sameer ko muskurate dekh Shruti ne Sameer ki taraf se haa samajh liya aur Sameer ko gale laga kar fir se keh diya
"I Love You"...Lekin iss baar feeling ke saath :love:.
Premrash se bhari hui update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 52


Issi tarah dhire dhire din bitne laga...College me Shruti Sameer ke saath aur Priya Karan ke saath time bitaane lage.

Rajesh aur Divya bhi kabhi kabhi baat kar lete the...Rajesh Divya ko lekar confused tha ki uske dil me Divya ke liye kya feelings hai...Kya Divya uska sirf dost hai yaa fir wo Divya se pyar karne laga hai wo issi confusion me tha...Usse Divya ke feelings ke baare me bhi pata nahi tha...Usne khud ko thoda time dene ka socha ye jaane ke liye ki wo Divya ke baare me kya sochta hai...Aur Divya uske baare me kya sochti hai...Lekin usse kya pata tha ki aane waale vakt me kuch aisa hone waala hai usse sambhalna to dur ki baat hai samajh me hi nahi aayega kaisi musibat hai ye.

College me to sabhi ko pata chal hi gaya tha Sameer aur Shruti ke baare me...Aise hi ek din Shruti ki parents Sameer ke ghar aaye Shruti aur Sameer ka rishta lekar...Sameer ke parents ko bhi koi problem nahi tha ye jaan kar ki dono ek dusre se pyar karte hai...Sameer ne bhi kuch nahi kaha...Usne socha ki gharwaale aur Shruti dono khus hai to usse bhi koi aitraaz nahi hona chaahiye...Sabki khushi me hi uska khushi hai...Unn dono ki engagement aur shaadi ki date unki studies ke baad me rakhne ka socha sabhi ne...Jo abb kuch hi months baad hone wala tha..

Shruti ke liye ye sab koi vardan se kam nahi tha...Usse har khushi mil raha tha jo usne socha tha yaa kismat se maanga tha...Shruti bhi ek mauka nahi chhodti thi Sameer ke aur kareeb aane ki...Jaha bhi jaati Library, Canteen, park ya class room Sameer ko apne paas hi le jaati thi...Sameer ko ye sab bilkul accha nahi lagta tha lekin fir bhi wo chup hi rehta tha...Kuch nahi bolta tha...Bas jo Shruti usse bolti thi wohi karta tha aur Shruti ka saath deta tha.

Shruti Sameer ko apne pyaar ki ehsaas dilane ki bahut koshish karti thi lekin pata nahi kyu Sameer ko bilkul accha nahi lagta tha Shruti ke pyar karne ka tarika...Sameer ko abb Shruti ka koi bhi harkat accha nahi lagta tha...Andar hi andar wo Shruti aur uski behavior se chhidh raha tha...Wo Shruti se dur jaa bhi nahi sakta tha...Jab bhi jaane ka sochta usse Shruti ka dosti aur uske saath bitaaye hue dosti ke pal yaad aa jaata tha...Abb to waise bhi bahut der ho gaya tha inn dono ke rishte jud jaane se.

Abb Sameer bas khud me hi ghutne laga tha...Shruti ne uski azaadi bhi cheen liya tha...Har baar apna pyar ka ehsaas dilaati thi jo Sameer ko bilkul pasand nahi tha...Abb Sameer bas ek hi dua kar raha tha ki kisi din Shruti badal jaaye aur apna pyar chhod Sameer ke baare me bhi soche, usse samjhe...Sameer ne Shruti ko samjhaane ki koshish bhi bahut kiya tha lekin Shruti baar baar iss baat ko taal deti thi aur Sameer par apna hukum chalati thi...Shruti ko bhi Sameer ka dard aur ghutan nahi dikh raha tha...Wo to bas issi baat se khus thi ki uska pyaar usse mil gaya hai aur abb intejaar tha to Sameer se return me pyar paane ka...Bas wo intejaar karti thi ki Sameer bhi usse pyar kare.

Sameer ko agar koi pyar aur dosti me kisi ek cheej ko chunne ka kehta to Sameer jarur dosti ko chunta...Lekin usse nahi pata tha ki dosti me bhi usse itna ghutna pad sakta hai...Usne abb apni life ko kismat aur apno par chhod diya ek aasha ke saath ki jald hi sab kuch thik ho jaayega.

Issi tarah aur din bitne laga...Abb exams aane me bas 1 months hi baaki tha...Priya aur Karan apne life me khus the...Shruti bhi apni life me bahut khus thi lekin Sameer pehle se jyada frustrated rehne laga tha...Na kisi se kuch bolta na kisi se apni feelings share karta.

Rajesh bhi apni hi soch me vyast tha aur usne soch hi liya ki wo Divya se pyar karta hai...Abb wo Divya ki feelings jaana chaahta tha.

Rajesh ki iss tarah khud me hi busy ho jaane se Sameer aur akela pad gaya...Abb wo bas apna study aur na chahte hue bhi Shruti ki bakbak me time spend karta tha...Bas abhi ke liye ek study hi tha jo uska saccha dost tha...Raat me wo tension se dur hone ke liye padhayi par dhyan deta jisse usko thoda bahut sukoon mil jaata tha. :sigh:


A Day In College


Aaj bhi Shruti akele canteen me baith kar lunch kar rahi thi...Saath hi apne shadi ke sapna dekh muskuraa rahi thi...Wo khud ke khayalon me itna khoyi thi ki usse pata hi nahi chala ki aas paas kya ho raha hai.

Tabhi uske paas aa kar Neha baith gayi aur boli.

Neha:- Abhi se shaadi ki sapne dekh rahi hai.

Neha ne muskuraate hue kaha aur Shruti bhi hosh me aa gayi.

Shruti:- Please tu jaa abhi yaha se...Abhi kuch der ke liye disturb mat kar.

Aise achanak Neha ka disturb Shruti ko accha nahi laga aur usne chhidhte hue Neha se kaha.

Nrha:- Itna natak kyu kar rahi hai...Sidha bol na..."Neha tu chali jaa aur mujhe Sameer ki khayalon me khone de...Disturb mat kar"

Neha ne fir se muskuraa kar kaha...Iss baar Shruti Neha ko bas gusse se ghurti rahi aur kuch nahi boli.

Neha:- Waise bhi mai tujhe disturb karne nahi aayi hu...Tere hi kaam ke liye aayi hu aur iss me tera hi faaidaa hai.

Neha ne iss baar apne chehre ke bhaaw ko badal diya aur issi se pata chal raha tha ki wo kuch serious baat karne wali hai...Abb Shruti usko gusse ki jagah chaunk kar dekhne lagi lekin boli kuch nahi...Bas aankho se ishaare me puccha ki "Kya baat hai?"

Neha:- Tujhe Sameer ka milne se itna khushi hai ki tu ye bhi bhul gayi ki tera koi dushman bhi hai jisse tujhe badla lena hai...Bhul gayi kya Priya aur uski dosto ko...Aur Rajesh ko bhi bhul gayi jo baar baar Sameer aur tere bich me aa jaata tha.

Neha ne iss tarah se kaha jaise iss kaam se sabse jyada faaida usse hi hone wala hai.

Shruti:- Nahi...Nahi bhula hai maine...Sabse badla lungi...Lekin abhi nahi...Pehle exam aur shaadi khatm ho jaaye uske baad sochungi unka kya karna hai...Kisi ko nahi chhodungi...Mere ego ko hurt kiya hai unhone aur meri beizzati bhi...Nahi bhul sakti mai uss beizzati ko...Aaj bhi yaad karte hue mera khoon khaul utthta hai...Bas shadi ho jaane de uske baad sochungi kya karna hai aur kisi ko nahi chhodungi. :mad:

Shruti ne behadd nafrat aur gusse se kaha.

Neha:- Tujhe sochne ki jarurat nahi hai...Humne ek accha sa plan soch liya hai...Bas plan par kaam karna baaki hai.

Neha ne confidence ke saath kaha to Shruti hairaani se Neha ko dekhne lagi aur boli.

Shruti:- Kya? Tune plan bhi bana liya...Nahi koi jarurat nahi hai tujhe plan karne ka...Tera plan kisi kaam ka nahi hota...Aur tujhe itni jaldi kya hai...Kahi isme tera to koi faaidaa nahi?

Shruti ki aawaj se pata chal raha tha ki wo kitna hairaan hai Neha ki baat se.

Neha:- Tu meri dost hai iss liye tera help kar rahi hu...Agar tu nahi chahti meri madad to thik hai mai jaa rahi hu...Lekin itna kahungi ki ek baar meri baat sunle...Tera hi faaidaa hai isme.

Neha ne jaise taise khud ko sambhala aur kaha...Usse dar bhi tha ki kahi Shruti ko ye na pata chal jaaye ki isme uska hi faaidaa hai aur wo bhi bahut bada faaidaa...Shruti ka help bhi wo apne plan ko anjaam dene ke liye le rahi thi.

Shruti:- Kaun sa plan?

Shruti ne bhi utsukta ke saath puccha kyuki usse laga ki ek baar sun lene me kya buraai hai.

Neha:- Yaha nahi...College chhuti hone ke baad tujhe mai apne dosto ke paas le chalungi aur plan ke baare me bataaungi.

Shruti ko samajh me nahi aa raha tha ki aisa kya plan hai jo Neha usko yaha bataana nahi chaahti thi aur apne dosto ke saath kisi aur jagah par batane wali hai...Usse lag raha tha ki koi na koi gadbad jarur hai...Par usne soch liya ki wo baat jaankar hi rahegi.

College khatam hone ke baad Neha Shruti ko apne ghar me le gayi aur baithne ko kaha...Shruti baith kar soch hi rahi thi ki tabhi room me do ladka aaye jisse dekh Shruti buri tarah se chaunk gayi aur hairaani se boli.

Shruti:- Ramesh aur Pratap tum dono. :eek:
Shaandaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 53


Shruti Ramesh aur Pratap ko Neha ke ghar me aur uske room me dekh kar bahut shocked ho gayi thi...Usse samajh me nahi aa raha tha ki ye dono yaha kya kar rahe hai aur Neha ka plan me inka kya kaam hai...Usse itna to pata chal gaya tha ki chaahe jo bhi plan hai wo bahut khatarnaak hai.

Neha:- Aise chaunk mat...Maine hi inhe bulaya hai...(Ramesh ki taraf ishara karke) Ye hai mera boyfriend Ramesh aur (Pratap ki taraf ishara karke) ye hai Pratap, Ramesh ka dost...Hum teeno ne milkar ek plan kiya hai aur wohi batane ke liye tujhe bulaaya hai.

Neha ki baat ne Shruti ko fir se jhatka diya...Priya aur uski dost se badla lena to koi badi baat nahi tha...Aur iss chhoti si baat ke liye itna plan...Ye baat Shruti ki samajh me nahi aaya...Wo itni buri tarah se shocked thi ki thik se bol nahi paa rahi thi...Bas aankho se hi ishara karke Shruti ne puccha "Kya plan hai?"

Fir Neha ne Shruti ko utna hi bataya jitna jaruri tha...Wo Shruti ko apna mohra bana rahi thi aur jab Shruti apna kaam kar degi tab baaki ka kaam wo karne wali thi.

Jab sara plan Shruti ko samajh me aa gaya tab uska chehra ek dam gambhir ho gaya...Wo soch rahi thi ki usse ye karna chahiye ya nahi.

Neha:- Kya soch rahi hai Shruti? Plan pasand nahi aaya kya?

Shruti ko aise gambhir dekh Neha ne pucha.

Shruti:- Plan to badhiya hai...Par ek cheej accha nahi laga...Rajesh ko marna jaruri hai kya? Nahi usse mat maarna...Bas chhota sa accident hi kaafi hai.

Mai unse badla lena jarur chaahti hu lekin kisi ko jaan se nahi maarungi aur naa hi tum logo ko ye karne dungi.

Shruti ne ekdam gambhir ho kar kaha aur saath hi uske kehne se hi pata chal raha tha ki uski baat me kitni sachchayi hai.

Neha:- Sameer ke dil me Priya aur uski dosto ke liye nafrat paidaa karne ke liye Rajesh ka marna bahut jaruri hai...Tabhi to wo gusse me aake Priya aur uski dosto se badla lega...Aisa badla lega ki saari jindagi Priya aur uski dost tadapte reh jaayenge aur unn sab ko tadapta dekh tera badla bhi pura ho jaayega.

Shruti:- Nahi...Sameer ke gusse ke liye Rajesh ka marna jaruri nahi hai...Acche se jaanti hu Sameer ko aur shaayad hi koi mujhse behtar Sameer aur uski aadat ko jaanta hoga...Dekha hai Sameer ka gussa aur nafrat Priya ke liye...Jab usse pata chalega ki Rajesh ka accident Karan aur Priya ne kiya hai...Tab Karan aur Priya ka khair nahi.

Aur agar Rajesh mar gaya aur usse pata chala ki Karan aur Priya ne ye kiya hai to gusse me Sameer kahi kuch buraa na kar de...Aur agar usse pata chal gaya ki iss game me hum shamil hai to pata nahi kya hoga...Mai Sameer se pyaar karti hu...Usse kisi haal me khona nahi chaahti aur naa hi uski najar me dhokebaaz banna chaahti hu...Wo to bas Priya se badla lena chaahti hu iss liye iss kaam me tum sab ka saath de rahi hu.

Rajesh ko maarne ka khayal chhod do...Uss ka koi faaidaa nahi aur naa hi mai ye sab karne dungi...Apne swarth ke liye kisi ki bali nahi dungi...Agar Rajesh ko maarne ka khayal chhod do to mai ye plan par mai kaam karungi warna nahi.

Shruti apne faisle se picche nahi hatne waali hai ye dekh Ramesh ne kaha.

Ramesh:- Ok thik hai...Hum sirf Rajesh ka accident karenge.

Shruti:- To thik hai...Abb taiyaari karenge Priya aur uski dosto se badla lene ka...Jeena mushkil kar diya tha unhone mera 2 saal tak...Aur mujhe sabke saamne beizzat bhi kiya...Abb Priya apni har galti ka kimat chukayegi aur sochegi kis se panga liya hai.

Shruti ne bahut nafrat se kaha...Abb uske dil me chhain aaya tha Priya se badla lene ka soch kar.

Shruti:- Waise mujhe ek baat samajh me nahi aaya ki tum sab itni chhoti baat ke liye itna kuch soch rahe ho aur tumhe to Priya aur uski dosto se kuch matlab bhi nahi hai...To fir ye sab kyu?

Shruti ne apni confusion ko apne baat se pucch liya.

Neha:- Tu meri dost hai iss liye...Tune mere liye bahut kuch kiya hai...Bahut help ki hai...Abb meri bari hai...Mai bhi tera kuch help karna chaahti hu...Iss liye maine Ramesh se ye sab kaha aur hum teeno ne ye plan banaya...Accha laga jaan kar ki tujhe ye plan pasand aaya.

Fir kuch der ke liye Neha aur Shruti ne aage kya kya karna hai iss baare me baat kiya aur tay kiya ki exams ke baad hi apne plan ko anjaam denge.

Kuch der ke baad Shruti waha se khushi ke saath chali jaati hai ki uska badla bahut jald pura hone wala hai...Lekin usse kya pata tha ki Ramesh aur Pratap ka asli plan kya hai.

Shruti ke jaane ke baad...

Neha:- Ramesh tumne kyu Rajesh ko maarne se mana kar diya...Uske marne ke baad hi to hamara plan acche se kaam karta.

Ramesh:- Humaara target Sameer hai Rajesh nahi...Shruti bhi sahi keh rahi thi...Hame Rajesh ko maarne ki jarurat nahi hai...Usko maare bina hi ham kaam kar sakte hai...Bas Sameer ka gussa aur nafrat ka istemaal acche se karna hai...Aur agar Rajesh mar gaya to ye game kahi ham par hi bhari na pad jaaye...Hume sambhal kar aur bina kisi ko pata chale apne plan ko anjam dena hai.

Sameer se ham saamne se aur aasani se nahi jeet sakte...Usko kamjor karna hi hoga...Aur koi bhi insaan sabse jyada kamjor tab hota hai jab wo emotionally kamjor ho jaaye...Thik wahi karenge ham...Wo gusse me Priya se badla to lega lekin bahut jald ham usse ehsaas dilaayenge ki Priya ki koi bhi galti nahi tha...Tab tak bahut der ho jaayega...Aur Sameer ko aatmaglaani hoga...Wo khud ki karm par pacchtayega...Tab wo emotionally itna kamjor ho jaayega ki ham sab aasani se usse badla le payenge.

Tab hame sukoon milega...Bahut beizzat kiya hai usne hume wo bhi hamara junior ho kar...Usse bhi to pata chale ki usne kis se panga liya hai....Usse sabak sikhaa kar rahenge ki ham jaise bure logo se panga lena nahi chaahiye. :evillaugh:

Sameer abb tera barbaadi suru ho chuka hai...Jitna din chhain se jeena hai jee le...Kyuki abb tujhe ye mauka nahi milega...Jald hi tu kuch aisa karega ki wo khud hi teri barbadi ka vajah ban jaayega...Aatmaglaani se na chhain se Jee paayega aur na mar paayega...Tab bhi tujhe nahi chhodunga...Aur tadpaunga aur tadpa tadpa ke maarunga.

Itna keh kar Ramesh jor jor se hasne laga aur saath saath Pratap aur Neha bhi...Sabhi Sameer se apna badla ka intejaar kar rahe the aur Shruti ki saath se unhe yakin ho gaya ki jald hi wo din dur nahi jab wo Sameer se apna badla lenge.
Majedaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 54

After 1 month


Aise hi din bitne laga aur sabhi ka exams bhi khatm ho gaya...Sameer ka exam bhi waisa hi gaya jaisa usne socha tha itne tensions ke baawjud bhi...Sameer ke saath saath sabhi ka exams unke expectations ke hisaab se gaya.

Exams ke baad Sameer ko thoda sa chhain mila...Warna wo pichle kuch mahino se Shruti ke saath ghut ghut kar jee raha tha...Na kisi ko apna dard bataa paata aur naa hi khushi ke saath jee paata...Kabhi kabhi to sochta ki college na jaaye lekin isse uski study par asar pad sakta tha issliye wo majbur ho gaya tha Shruti ke paas jaane ke liye. :sigh2:

Rajesh bhi Divya me hi khoya rehta aur usse bhi Sameer ki iss haalat ka kuch pata nahi tha...Sameer ghar me bhi ekdam shaant rehta aur iss baat se uske parents anjaan nahi the...Lekin wo samajh rahe the ki Sameer ka study abb khatam ho raha hai aur exams ki vajah se tension me hoga.

Aise hi ek din Sameer apne room me baitha khud ke baare me soch raha tha...Pehle wo kaisa tha aur abb kya ban gaya hai...Kaha pehle ho hamesha khus rehne waala, masti majak karne waala aur hamesha dusro ke saath rehne waala Sameer tha aur kaha abb wo puri tarah badal gaya tha...Hamesha shaant rehna, chhoti si baat par bhi gussa aana, akela rehna aur hamesha chhidha hua rehna...Kitna badal gaya tha uska aadat. :sigh:

Yahi sab baato ko dhyan me rakhte Sameer sochne laga ki kahi wo Shruti se shaadi karke koi galti to nahi kar raha hai wo...Aise me uski jindagi aur barbaad ho sakta tha...Lekin kuch der sochne ke baad usne faisla kiya ki wo Shruti se shadi karega aur intejaar karega Shruti ke badalne ka...Issi me sabhi ka khushi hai aur sabhi ki khushi ke liye ye kadam uthana jaruri hai...Yahi sab soch kar usne Shruti se shaadi karne ka faisla le liya.

Aise hi kuch der sochne ke baad usse Rajesh ka yaad aaya...Tab jaake Sameer ko ehsaas hua ki Rajesh se baat kiye bahut din ho gaya hai aur wo apne ghum aur ghutan me Rajesh ko bhul hi gaya tha...Usne aur der na karte hue Rajesh ko phone par bula liya baat karne ke liye aur kuch jaruri baat karne ke liye ek restaurant me.


In Restaurant


Karib ek ghante baad Rajesh aur Sameer dono restaurant me pahunch kar chair par baith gaye.

Rajesh:- Kya baat hai yaar? Aise achanak kyu bula liye mujhe?

Rajesh ki baat se yahi pata chal raha tha ki wo yaha iss vakt aana nahi chaahta tha lekin Sameer ki vajah se usse yaha aana pada.

Sameer:- Tujhse baat karne ka man kiya iss liye bula liya...Abb baat karne ke liye bhi vajah chahiye tujhe...Aur tera baat se to yahi lag raha hai ki tu mujhse baat karna nahi chahta...Agar tera man nahi hai to jaa sakta hai.

Rajesh:- Are nahi yaar...Thoda busy tha aur tune aise bula liya to munh se galti se nikal gaya...Chal bata kya baat hai?

Rajesh ne baat sambhaal liya.

Sameer:- Jaanta hu kis kaam me busy tha.

Sameer ne mudde par aane ki koshish kiya lekin sidhe tarike se wo bataana nahi chaahta tha.

Rajesh:- Kya? Kya kaha tune? Mai kis kaam me busy tha tujhe ye aise pata chala? Bahut din ho gaya tujhe mujhse baat kiye aur dekhe...To fir tujhe kaise pata chala? :eek:

Rajesh ne haklaate hue puccha...Usse dar tha ki Sameer ko kahi sach pata na chal jaaye.

Sameer:- Yahi ki tu Divya ke pyar me aur Divya ki yaad me busy tha.

Sameer ne jhutthe muskaan ke saath kaha...Rajesh ko jis cheez ka dar tha wahi hua...Sameer se chupana chahta tha wo ye baat ki wo Divya se pyar karta hai...Lekin Sameer ko pata chal hi gaya...Rajesh ko samajh me nahi aa raha tha ki kya jawaab de.

Sameer:- Mai jhuth bol raha hu kya? :huh:

Iss baar Sameer ne gambhir bhaaw ke saath kaha.

Rajesh:- Nahi...Mai Divya se pyaar karta hu.

Rajesh ne bhi gambhir bhaaw me jawaab diya aur sath hi aane wale pal ke liye khud ko taiyaar kar liya...Aaj chahe Sameer se fight hi kyu na ho jaaye wo picche hatna nahi chahta tha...Apne pyaar ki baat abb wo Sameer se keh kar hi rahega...Ye usne apne man me soch liya.

Sameer:- Jaanta hai naa Mahesh ko kya sazaa mila tha pyaar karne ka?

Rajesh:- Jaanta hu...Aur mujhe bhi utna hi dukh hua tha jitna ki tujhe...Wo mera bhi dost tha...Dekha hai maine bhi kitna roya tha wo...Kitna aansu bahaaya tha usne uss bewafa ke liye...Uski tadap uska dard aaj bhi aankho se saamne aa rahe hai...Mahesh ko dekh bilkul aisa lag raha tha ki uski jindagi tabaah ho chuka hai abb kuch baaki nahi hai uski jindagi me...Bahut mushkil se sambhala hai humne usse....Bhagwaan aisi sazaa kisi ko na de. :pray:

Jo Rajesh kuch der pehle ekdam se aakramak ho gaya tha wo abb Mahesh ko yaad karke bahut emotional ho gaya...Uski baato se lag raha tha ki kitna dard hua tha usse bhi Mahesh ka wo haal dekh kar.

Sameer:- Issi liye keh raha hu...Sambhal jaa abhi bhi vakt hai...Kahi aisa na ho ki tujhe bhi pyar me dhokha mile aur tu bhi apni galti chupane ke liye bhagwaan ko mat kosna.

Sameer Rajesh ko samjhana chahta tha ki pyaar se jitna ho sake utna dur rehna lekin usse kya pata tha Rajesh bas issi baat ka intejaar kar raha hai sabhi baat clear karne ke liye.

Rajesh:- Tu Divya ko uss bewafa se compare kar raha hai? Bahut baar kaha hai maine tujhe Divya ke baare me kuch mat bol...Lekin tu maanta hi nahi...Har baar Divya me khilaaf kuch na kuch kahe jaa raha hai...Kahi aisa na ho jaaye ki teri baat mere bardasht ke bahar ho jaaye...Tab pata nahi kya ho jaayega hamare beech...Agar tujhe hamara dosti ko sahi salaamat rakhna hai to Divya ke baare me kuch mat bol.

Maine kabhi tera aur Shruti ke maamle me dakhal nahi diya to tu kyu hamaare bich kawaab me haddi ban raha hai? Ye mera life hai aur mai jo chahunga wo karunga...Rokne waala tu hota kaun hai? College me bhi baar baar tang adaata raha hai jaise mai tera naukar hu aur teri marzi se hi mujhe pyaar karna hoga...Bas dost samajh kar kuch nahi kehta tha...Lekin aaj to hadd hi ho gaya.

Jaise tere liye Shruti hai waise mere liye Divya hai...Tu bhi to Shruti se pyar karta hai maine kuch kaha kya...To tu kyu mujhe apna free ka advice de raha hai.

Baat to tu abb samajh hi gaya hoga...Agli baar fir se Divya ke bare me kuch mat kehna...Bardaast nahi kar paaunga.

Itna keh kar Rajesh chup ho gaya...Jab usne apni baat khatam kiya tab uski aankh laal ho gaya gusse se...Bahut dino se jo bhadaas tha uske dil me usse aaj Rajesh ne nikal hi diya.

Sameer ko to vishwash hi nahi ho raha tha ki Rajesh kabhi kabhi bhi usse itna gussa ho sakta hai...Wo to accha kaam hi karne jaa raha tha Rajesh ko samjhaane ka...Lekin Rajesh ne iss baat ka galat matlab nikal liya.

Sameer:- Shaant ho jaa yaar...Mera wo matlab nahi tha...Mai to tujhe samjhana chaahta tha...Lekin shayad samjhane ka ye accha tarika nahi tha...Agar tujhe lagta hai ki tu sahi kar raha hai to koi baat nahi...Kar Divya se pyar...Abb mai kawaab me haddi nahi banunga...Jee le yaar apni jindagi...Bas yahi dua karunga ki tu hamesha khus rahe aur Mahesh ke saath jo hua wo tere saath na ho.

Rajesh:- Mujhe lagta hai abb koi topic nahi hai hamaare paas baat karne ke liye...Sab kuch clear ho gaya hai...Abb mai jaa raha hu...And all the best for your marriage...Uske liye bahut bahut badhayi.

Rajesh gusse me hone ki vajah se baat rookhe pan se kaha :mad:...Aur nikal gaya restaurant se baahar bina Sameer ka jawaab sune.

Rajesh ne shaadi ke liye jo badhayi diya usse Sameer ki chehre par dard bhara muskaan aa gaya...Wohi jaanta tha kitna buraa lag raha hai usse.

Sameer wohi par baith kar Rajesh ko samjhaane ki nakam koshish ke baare me soch raha tha ki tabhi restaurant ke baahar se kisi ka dard bhara cheekh Sameer ke kaano me pada...Sameer ko samajhte der nahi laga ki ye cheekh Rajesh ka hai...Daudte hue wo restaurant se baahar nikla...Bas yahi dua ke saath ki uska soch galat ho aur ye cheekh Rajesh ka na ho. :pray:

Jab Sameer restaurant se baahar nikla to saamne ka najara dekh wo bahut ghabra gaya...Rajesh road ke ek side par pada hua tha...Kamar aur sar me se khoon nikal raha tha...Aur charo taraf aadmiyon ne apna circle bana liya tha saamne ka najara dekhne ke liye...Koi help nahi kar raha tha...Sameer ka dimag ne jaise kaam karna band kar diya tha ghabraahat me...Lekin jaldi se usne khud ko sambhaala aur darte hue teji se Rajesh ki taraf badha.
Parsanshniye update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 55


Shayad Sameer ka luck accha tha uss din kyu ki wo car se aaya tha restaurant me...Agar bike se aata to mushkil bahut badh sakta tha...Shaayad hi koi car lift deta Sameer ko Rajesh ko hospital tak pahunchane me.

Sameer ne bina kuch soche Rajesh ko car ki picche wali seat par acche se rakh kar teji se car ko drive kar ke hospital ki taraf le gaya...Wo jitna jaldi Rajesh ko surakshit tarike se hospital pahuncha sakta tha usne pahuncha diya.

Hospital me pahunchne ke baad usko ek pehchan ka doctor mil gaya..Mr. Sharma bhi ek doctor thhe to Sameer ka doctors se pehchaan hona koi badi baat nahi tha...Bina der kiye Rajesh ko ICU me bheja gaya aur uska treatment ka process suru ho gaya...Police case ki vajah se treatment me koi deri nahi hua.

Andar Rajesh ka treatment chal raha tha aur Sameer ward ke bahar baitha hua tha...Uske chehre me koi bhaaw nahi tha...Andar se wo ekdam dar gaya tha...Aur Rajesh ka aage kya hoga yahi soch kar tension me aa gaya tha...Na jaane kitne bhagwan ko yaad kar liya tha usne...Apna dost ko iss haal me dekh khud par kya gujarta hai ye to sirf wohi jaan sakte hai jinhone ye mehsoos kiya ho.

Kuch pal ke liye to Sameer ko koi hosh hi nahi tha...Dheere dheere uski aankhon se aanshu nikalne laga aur wo khud se hi kehne laga.

Sameer:- (To himself) Maaf karde yaar mujhe...Sab meri hi galti hai...Naa mai tujhse wo sab kehta aur naa hi tu waha se iss tarah nikalta aur naa hi ye sab hota...Lekin yaar yakin kar mera mai tere bhalayi ke liye hi keh raha tha...Mujhe bhi Divya acchi ladki lagti hai...Lekin ye pyar par vishwash nahi raha...Tere liye jarur pray karunga...Pehle tu thik ho jaa aur tera pyar tujhe mil jaaye.

Kuch der tak yun hi Rajesh ke baare me sochne ke baad Sameer ko Rajesh ka parents ka bhi yaad aaya...Abb Sameer ka dar aur badh gaya...Rajesh ke parents ko kaise ye baat bataye ye usko samajh me nahi aa raha tha...Kya gujrega unn par jab unhe apne beta ka iss haal ke baare me pata chalega...Ye soch kar wo bahut dar gaya tha.

Kuch pal aise hi dar aur chinta me gujarne ke baad doctor baahar aa gaye.

Doctor ke baahar aate hi Sameer ekdam se utth kar doctor ke paas gaya aur darte hue puccha.

Sameer:- Doctor abb kaisa hai Rajesh?

Isse jyada Sameer kuch bol nahi paaya...Doctor ne bhi Sameer ka haalat dekh uske kandhe par haath rakhte hue kaha.

Doctor:- Relax Mr. Sharma...Darne ki koi baat nahi hai...Rajesh is out of danger...Jis gaadi ne Rajesh ko thakkar maara tha usne Rajesh ke kammar ma daaye taraf takkar maara tha...Iss vajah se jyaada chot nahi aaya...Sir jameen me takrane ki vajah se bleeding hua tha aur thoda ghaaw kammar me bhi ho gaya hai...Ha agar vakt me na laate to kuch bhi ho sakta tha blood loss hone ki vajah se...Bilkul sahi vakt par laaya usse aur jyada khoon nahi beh paaya...Warna hamaare liye bahut mushkil ho jaata usse bachana.

Sameer ne jaise hi he suna...Wo ekdam se khus ho gaya...Man hi man bhagan ko thanks kaha aur doctor se bola.

Sameer:- Thanks a lot Doctor.

Jyada khushi me Sameer aur bol nahi paaya.

Iske baad Sameer ne Doctor se kuch formal baat kiya aur dawai ke baare me information liya...Doctor ne kaha ki abhi Rajesh ko hosh aaya nahi hai...Kuch ghanto me usse hosh aa jaayega tab wo usse mil sakta hai.

Doctor ke jaane ke baad Sameer ne Rajesh ke parents ko phone lagaya aur hospital me bula kar sab kuch bata diya.

Pehle to wo bahut dar gaye the lekin puri baat sunne ke baad Rajesh ke papa ne kaha.

R. Papa:- Nahi beta...Tumhara koi galti nahi hai...Khud ko doshi mat maano....Mushibat kisi ke saath kahi bhi aa sakta hai...Tumne to accha kiya hai usse sahi vakt par hospital laa kar.

Rajesh ki papa ka baat sun kar Sameer ke dil se thoda bojh kam hua...Wo to dar raha tha ki Sameer ke Papa usse kya kahenge lekin unki baato ne Sameer ko raahat diya.

Kuch pal hi hua tha Sameer ko unse baat karke ki tabhi Shruti ka phone aaya.

Sameer ne na chaahte hue bhi uthaya lekin jaise hi usne phone uthaya Shruti ne jo baat usse bataaya usse sun Sameer ek dam se shocked ho gaya.

Shruti:-Sameer... Rajesh... Rajesh... Rajesh ka accident kiya hai kisi ne jaan bujh kar...Kaha ho tum? Jaldi se hospital pahucho.


Shruti ne haklane aur darne ka naatak karte hue kaha.

Shruti ki baat sun kar Sameer ekdam se shocked ho gaya :eek:...Rajesh ka accident kaun karwa sakta hai aur Shruti ye kya bol rahi hai yahi soch kar Sameer ne chaunkte hue bas itna hi kaha.

Sameer:- Mai yahi hospital me hu...Tum bhi yahi aa jaao.

Iske baad Sameer ne Shruti ko hospital ka address send kar diya...Wo Shruti se mil kar baat karna chaahta tha...Jab tak Shruti hospital pahunchti Sameer ne khud ko mentally prepare kar liya aane wale pal ke liya.

Jab Shruti ko hospital ki main gate se enter karte Sameer ne dekha wo jaldi se Shruti ke paas pahunch gaya aur Rajesh ki parents se dur le jaa kar kaha.

Sameer:- Abb bataao...Kisne karwaya Rajesh ka accident?

Sameer ne nafrat aur gusse ke saath kaha...Uske chehre ka gussa dekh aisa lag raha tha jaise agar Sameer ko wo insaan mil jaaye to wohi jindaa gaad de.

Shruti:- Priya aur Karan...Shruti kuch der chup rehne ke baad himmat karke boli.

Sameer ko to iss baat par vishwash hi nahi hua.

Sameer:- Kya bakwas kar rahi ho? Yaha Rajesh ka ye haal hai aur mai yaha itna tension me hu...Lekin tumhe majaak sujh raha hai...Agli baar fir se ye bakwaas majaak kiya naa to dekh lena...Abb jaao yaha se isse pehle mai kuch karu...Bahut jhel liya hai tumhaari bakwas....Abb aur nahi...

Sameer ka saara gussa Shruti par utar gaya...Usse vishwash hi nahi ho raha tha ki Priya aur Karan aisa kar sakte hai.

Shruti bhi kuch nahi boli...Bas haath me rakhe tape recorder ko on kiya.

Uss me ek ladka aur ladki baat kar rahe the.

Ladki:- Waao Karan...Tumne aakhir kar hi diya ye kaam...Abb Karan iss duniya se chala jaayega aur Sameer bechara tadapta rahega uska yaad aur dosti me...Fir baad me usse bhi iss duniya se bidaa kar denge.

Karan:- Ye sab tumhaare liye hi to kiya hai Priya...Bahut beizzat kiya hai na usne tumhe...Ussi ka badla le rahe hai hum...Chhodunga nahi uss kameene ko. :evillaugh:

Iske baad Shruti ne tape band kar diya aur Sameer se kaha.

Shruti:- Abb to maanoge na tum....Iss me unka haath hai.

Sameer:-(Nafrat se) Socha nahi tha kameene itna gir jayenge ki picche se vaar karenge...Mera hi galti hai inki galtiyon ko najar andaaz kiya...Chhodunga nahi iss Karan aur Priya ko...Abb dikhata hu Sameer ka gussa kya hai...Bahut seh liya inn sab ko...Socha tha sudhar jaayenge lekin nahi laato ke bhoot baato se nahi maante. :mad:

Sameer ki aawaj se lag raha tha ki wo kitna gussa hai...Agar Karan aur Priya paas hote to unka kya hota ye to uparwala hi jaane.

Sameer ka haal iss vakt kuch aisa tha ki uska sochne samajhne ka shakti bahut kam ho gaya tha...Pehle Shruti ki vajah se ghut ghut kar jee raha tha...Uske baad Rajesh ke saath ye haadsha...Aur achanak Karan aur Priya ke baare me ye sab pata chalne se wo kuch soch hi nahi paaya aur Shruti ka wo voice dubbed record ko sach maan liya. :doh:

Kuch pal yun hi gusse me niche dekhne ke baad Sameer ko kuch yaad aaya aur usne Shruti se puccha.

Sameer:- Lekin tumhe kaise pata chala ki ye Karan aur Priya ne kiya hai? Tumhe ye tape kaha se mila? Aur kisne record kiya hai ye?

Sameer ki iss sawaal se Shruti ki jeet ki khushi achanak gaayab ho gaya...Kaha wo andar hi andar khus thi aur kaha abb wo Sameer ki iss sawaal se darne lagi.

Lekin achanak hi Shruti ke dimaag me ek idea aa hi gaya.

Shruti:- Sab hamare jaise acche nahi hote Sameer...Karan aur Priya...Unhe sab college me jaante hai ki wo kaise hai...Tumne kabhi dhyan nahi diya unhe lekin college me saare students unn se nafrat karte hai aur bahut se dushman bhi hai unke...Unhi me se ek ne ye record kar liya tha chhup kar aur mujhe de diya taaki hum unhe sabak sikhaaye...Jisne ye tape diya usne chehre par nakaab pehna tha privacy ke liye.

Shruti ne bahut hi aasani se apna safayi de diya aur Sameer ne bhi uski baat ko sach maan liya ki Rajesh ka accident me Karan aur Priya ka hi haath hai.

Uske baad Sameer ne Priya aur Karan se badla lene ka thaan liya aur uske dimaag me kuch aisa aaya jisse soch uske chehre par ek kutil muskaan aaya...Uss kutil muskaan dekh kar hi pata chal raha tha ki uska soch kitna khatarnaak hai...
Aur ussi khatarnaak soch ke kaaran kar baitha Sameer ye bhool.
Avarananiye update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 56


Sameer aise hi kuch soch raha tha ki tabhi Shruti ne uska dhyan bhang karte hue puccha.

Shruti:- Abb ham kya karenge?Kuch na kuch to karna hi hoga...Har baar ye log apna manmani karte hai aur ham log chup rehte hai...Issi vajah se inka himmat badhta hai...Abb hame kuch na kuch jarur karna chaahiye aur inhe sabak sikhana chaahiye.

Sameer:- Karunga...Bahut bura haal karunga inka...Jindagi bhar sochenge kis se panga liya hai.

Sameer ne bahut nafrat ke saath kaha.

Shruti:- Kya karoge...Kuch socha hai iss baare me?

Shruti Sameer ko aur bhadkate hue boli.

Sameer:- Abhi jyada socha to nahi...Lekin jo bhi sazaa dunga wo bahut khatarnak hoga ye to yakin ke saath keh sakta hu.

Shruti:- Mere khayal se hume Police ko saara case bata dena chaahiye...Police unn dono ko arrest kar lenge...Tab attempt to murder case me kuch saal jail me sadenge.

Shruti ne keh to diya ye baat lekin wo khud nahi chaahti thi ki aisa ho...Wo chaahti thi ki Priya aur Karan ko aur bhi badi sazaa mile...Sameer ko uss par shak na ho jaaye iss liye jaldbaazi me koi kadam uthana nahi chaahti thi.

Sameer:- Nahi ye koi sazaa nai hai...Jail me 2 ya 3 saal sadenge uske baad free...Mai chaahta hu unhe jindagi bhar ka ghum du.

Bardasht karne ki bhi ek hadd hota hai...Bahut jhagde hue humare bich...Lekin chup raha...Sochta tha 2 saal ke liye hi to college me hai uske baad wo apne raaste ham apne raaste...lekin nahi unhe badla lena hai humse...Dushmani mujhse lekin hamla mere dost par...Jaanti ho bahut mushkil se bacha hai wo...Agar kuch pal aur der hota to pata nahi kya se kya ho jaata.

Ye log itna gir jayenge socha nahi tha...Aaj tak kisi ka bura nahi chaha...Lekin aaj majbur hu khud se...Shaayad aaj inhe chhod du to pata nahi kal kya karenge...Jaldi kuch na kuch karna hoga aur inhe jindagi bhar naa bhula paane wala sazaa dena hoga.

Sameer ne behad nafrat ke saath kaha...Uska haaw bhaaw dekh kar lag raha tha ki kitna vyakul hai wo...Bas jaldi se Priya aur Karan ko sabak sikhaana chahta tha wo...Shruti Sameer ki baat se ekdam khus ho gayi aur wo chup hi rahi...Usse yakin ho gaya tha ki bahut jald Sameer apna kaam kar lega.

Issi tarah idhar udhar chalne ke baad Rajesh ki papa ne aa kar Sameer ko bataya ki Rajesh ko hosh aa gaya hai...Sabhi Rajesh se mil chuke the...Bas Sameer hi baaki tha.

Sameer bhi Rajesh se milne andar gaya...Rajesh ki sir me ek patti tha aur ek patti kamar ki daayi hisse me.

Sameer ko Rajesh ka ye haal dekh bahut buraa lag raha tha...Ek bund aansu uski aankho se nikal gaya aur bhari awaaj me usne kaha.

Sameer:- Kaisa hai yaar abb?

Sameer ki bhaari awaaj sun Rajesh ko bhi bahut buraa lag raha tha...Aatmaglaani waali aawaj me usne kaha.

Rajesh:- Sorry yaar...Dimaag kharab ho gaya tha mera jo tujh par shak kar baitha...Tujhe apna pyar ka dushman samajh liya tha...Socha ki tujhse meri khusi dikhi nahi jaati...Lekin abhi pata chala papa se ki kaise tune mujhe hospital laaya aur kitna dukhi tha.

Sameer:- Waah yaar...Kya dosti nibhaaya hai tune? Ha kabhi kabhi gusse me baat karta tha...Kabhi kabhi Divya se alag rakhta tha...Wo iss liye nahi ki mai teri khusi se jalta hu balki iss liye ki mai tujhe khus dekhna chaahta hu...Ek dost ki dard dekha hai aur mai ye nahi chahta tha ki tera bhi wahi haal hota dekhu...Sorry yaar...Tera bhalaayi socha tha maine burayi nahi...Jo karna hai kar yaar aaj se mai tujhe nahi rokunga...Please maaf kar de picchli galti ke liye aage se aisa nahi karunga.

Ye kehte kehte Sameer ekdam emotional ho gaya tha aur Rajesh ki aatmaglani badhta jaa raha tha.

Rajesh:- Abb aur kitna sharminda karega mujhe...Maaf karde yaar...Anjaane me galti ho gaya...Ye gussa ka sabak mujhe mil gaya hai yar iss accident se...Pata chal gaya hai ki gusse me apna dimaag par se kaabu khona nahi chaahiye...Tujhse ladne ke baad mai itna gussa me tha ki bina kuch dekhe chal raha tha aur ye sab ho gaya.

Bhai yakin kar pyar ka maamla aisa hi hota hai...Apne bhi paraye lagne lagte hai jab wo pyar ka virodh kare to...Uss vakt dimaag kaabu me nahi rehta...Na chaahte hue bhi tujhe galat samajh liya.

Abb aage se aisa kuch nahi hoga...Agar tujhe galat lagta hai to mai Divya ki taraf dekhunga bhi nahi.

Rajesh ki aawaj se lag raha tha ki usse sach me paschataap hai apni galti par.

Sameer:- Overacting band kar...Nahi bhul paayega Divya ko agar tu usse saccha pyaar karta hai to...Pyaar ke baare me itna to jaanta hi hu...Tujhe pyar karne se nahi rok raha hu...Bas ye keh raha hu ki galat ladki se pyar mat karna...Divya ko mujhse jyada tu jaanta hai to acche se soch le kya karna hai...Tera life hai aur tujhe hi ye decision lena hai.

Sameer ne behad suljha hua jawaab diya...Issi ke saath dono ki bich gile sikwe bhi khatam ho gaya.

Rajesh:- Yakin kar yaar Divya waisi ladki nahi hai...Wo mujhse keh degi "I dont love you" lekin dhokha nahi degi.

Sameer:- Ok thik hai...Bas yahi dua karunga ki tujhe tera pyar mil jaaye aur tu hamesha Divya ke saath khus rahe.

Iske baad Sameer aur Rajesh thodi der aise hi normal baat karte hai...Sameer ne ye nahi bataya Rajesh ko ki uske accident ke piche Priya aur Karan ka haath hai...Wo nahi chahta tha Rajesh ko koi tension dena.


Rajesh ki ward se nikalne ke baad Sameer ne Shruti ko ek kone me le jaa kar pucha.

Sameer:- Tumhe Priya aur Karan ka address pata hai kya?

Shruti:- Nahi...Lekin kyu?

Sameer:- Pehle unka address pata lagaunga fir baaki ka kaam...Bahut bura haal kiya hai unhone Rajesh ka...Kitna dard ho raha tha usko ye haal me dekh kar...Chhodunga nahi kameeno ko.

Sameer ka chehra me ekdam se nafrat ka bhaaw aa gaya.

Sameer:- Kal pehle college jaaunga aur unn dono ka address dhund nikalunga...Uske baad...

Itna kehte hi Sameer chup ho gaya aur ek kutil muskan uske chehre par aa gaya.


Next Day


Sameer subah 10:00 am ke kareeb apna college pahuncha...Wo jaise hi administration ki taraf jaane wala tha piche se ek haath Sameer ki kandhe par pada.

Sameer ne picche Mudd kar dekha to ek 50-55 saal ka aadmi khada tha aur uski aankh nashe me laal tha...Pair ladh khada raha tha...Dekhne se hi pata chal raha tha ki unhone sharab piya tha.

Aadmi:- Beta tum Priya ko jaante ho kya?

Uss aadmi ki munh se aa raha sharab ka badbu Sameer ko bilkul accha nahi lag raha tha...Wo usse dur jaana chahta tha lekin Priya ki nam sunkar wo wahi ruk gaya.

Sameer:- Kaun Priya? :hmm2:

Uske baad uss aadmi ne ladhkhadaate jubaan me Priya ka huliya bataya...Sameer ko yakin ho gaya ki ye aadmi wahi Priya ke baare me bata raha hai jisse dhundne wo yaha aaya tha.

Sameer:- Aap usse kyu dhund rahe hai? Kaun hai aap?

Aadmi:- Mai Priya ka papa hu...Bahut din ho gaye usse mile iss liye uski Maa ne jabardasti mujhe milne ke liye bhej diya...Ye Maa Beti aur inka torture. :sigh:

Sameer ne jaise ye suna usse ek dam se shock laga :eek:...Koi baap apne beti ke baare me aisa kaise keh sakta hai? Koi baap aise sharabi aur gair jimmedar kaise ho sakta hai? Unki baat se aisa lag raha tha ki unhe Priya se koi lagaaw nahi hai aur usse milne bhi nahi aana chaahte hai.

Kuch der aise hi sochne ke baad Sameer ki dimaag me ek baat aaya aur saath hi chehre par kutil muskaan...Usne ek plan bana liya Priya ka Papa ka istemaal karke Priya ki jindagi barbaad karne ka....Ekdam se uske chehre me raunak aa gaya aur khushi ke saath bola.
Nice update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 57


Sameer:- Wo to apne ghar me hogi...Iss vakt yaha college me kya karne aayegi wo? Course aur exam to complete ho gaya hai humaara.

Priya's Dad:- Abhi abhi gaaw se aaya hu...Jab uske flat me gaya to wo nahi thi...Phone par puccha to college me hu bola tha usne...Iss liye aa gaya college me dhundne...Aur jaate jaate uske padhaai ki baare me puch bhi lunga college me.

Sameer:- Wo aapko apne padhaayi aur exam ke marks ke baare me bataati nahi hai kya?

Sameer ko Priya ki Papa ki behavior sach me hairaan kar raha tha...Koi bhi pita apne santaan ke prati aise careless kaise ho sakta hai? Wo bas yahi soch raha tha. :hmm:

Priya's Dad:- Bataati to hai...Kehti hai ki accha marks laati hai har exam me...Lekin mujhe viswash nahi hai ki wo sach bol rahi hai...Jhuth bhi to bol sakti hai...Ye ladki padhne ke liye kuch bhi kar sakti hai...Lekin padhne me kamjor hai...Iss liye mujhe lagta hai ki ye jarur jhuth bol rahi hai aage padhne ke liye...Yahi baat aaj college walo se puchunga.

(Kuch sochte hue) Beta tum to uske dost ho na...To tumhe to pata hi hoga wo kaisi hai padhne me...Padhne aati hai college me yaa fir masti karne aati hai?

Priya ke Papa Sharab ki nashe me aa kar kya bol rahe hai ye bhi unhe pata nahi tha...Apni hi beti ki buraai kisi dusre insaan se kar rahe the.

Sameer:- Uncle kehna to nahi chaahiye...Ye aap dono baap beti ka maamla hai...Lekin aap puch rahe hai to bata deta hu...Priya padhne me bahut kamjor hai...Bahut mushkil se pass ho rahi hai exams me.

Sameer Priya se badla lene ke liye kuch bhi karne ko taiyaar tha...To fir ye toh ek maamuli sa jhuth tha uske liye...Usse itna to pata chal chuka tha ki Priya ke Papa Priya ko utna nahi chahte hai bas issi baat ka faaidaa utha kar Sameer Priya ke Papa ko Priya ke khilaaf hi bhadkane ka soch raha tha.

Aur hua bhi waisa...Sameer ki baat sun kar Priya ke papa ke chehre par teji se gusse ki bhaaw aa gaye aur wo bole.

Priya's Dad:- Itna bada jhuth...Aane do uss ladki ko...Maine pehle hi mana kiya tha usse aur padhne ko...Lekin ye Maa Beti meri baat maane tab na...Waise bhi ladkio ka padhne se kya faaidaa...Shadi ke baad to pati ka sewa hi inka dharm hai...Lekin ye Priya bahut ziddi hai...Aur iski Maa bhi iska hi saath de rahi hai...Mujhse lad jhagad kar aa gayi padhne lekin padhaai nahi masti kar rahi hai...Aur humse jhuth bolti hai ki padhayi accha chal raha hai...Aane do usko....Khabar leti hu uska acche se gaanw le jaa kar. :mad:

Priya ke Papa ne behad nafrat ke saath kaha...Sameer ko apna kaam ashaan hota najar aane laga.

Sameer:- Haan uncle...Ekdam sahi kaha aapne...Ye aajkal ki ladkiyaan...Aajkal to fashion ban gaya hai inka padhna, likhna aur mard ka har kaam karna...Mera bhi yahi maana hai ki ladki ko ghar ka kaam hi karna chaahiye...Issi me ghar ka izzat, sanskar aur maan maryada tika rehta hai...Warna dekhiye na aajkal ki ladkiya kitni besharm ho gayi hai...Inka ye fashion dekh kar to aisa gussa aata hai ki puccho hi mat...Galti bhi humaara hi hai...Aakhir humne hi inhe chhoot de rakha hai.

Sameer ko pata chal gaya tha ki Priya ke Papa purane khayalat ke hai...Aur Sameer ki ye baat se wo jarur sehmat honge.

Idhar Sameer apne man me soch raha tha.

Sameer:- (In his mind) Oh God....Naa chahte hue bhi mujhe kya kya bolna pad raha hai :ohno:...Aisa bolna to dur sochta bhi nahi hu mai...Lekin iss Priya ki vajah se ye sab bolna pad raha hai aur khud ki najro me girna pad raha hai...Lekin koi baat nahi Priya ko sabak sikhaane ke liye ye sab karna hi hoga...Buraai ko sabak sikhane ke liye buraai ka istemaal karna galat nahi hoga. :yes2:

Itna sochne ke baad Sameer ne ek najar Priya ki Papa ki taraf ghumaya...Wo bahut gusse me najar aa rahe the...Sameer ne mauka dekh ek aur prahar kiya.

Sameer:- Uncle aap mujhe accha aur ekdam sidha insaan lagte hai iss liye ek jaruri baat keh deta hu...Priya aapke siddhapan aur acchayi ka faaidaa utha rahi hai...Aap jaante hai padhaayi me wo kamjor kyu hai...Kyuki uska ek boyfriend hai...Ek ladka ke saath chakkar chal raha hai uska...Aise me wo time padhayi par degi ya apne boyfriend par...Priya ekdam chalu type ki ladki hai.

Sameer ne Priya ki Papa ko bhadkaane ka koshish kiya...Usse thoda dar bhi lag raha tha ki kahi Priya ke papa kahi usse hi gussa na ho jaaye aur usko peet na de...Lekin tir jaake thik nishaane par laga.

Priya's Dad:- Mujhe to pehle se hi shak tha iss ladki par...Pehle se hi ladko ke saath baat karti hai...Bahut bigad gai ye ladki aur college me wo ye sab kar rahi hai...Kya karu iss ladki ka kuch samajh me nahi aa raha.

Priya ke Papa ka gussa saatwe aasman par tha...Wo gussa aur sharaab ki nashe me aakar apne beti ke liye hi nafrat ko bahar nikal rahe the aur Sameer ki baat par andhe tarike se yakin bhi kar rahe the...Nasha aur gussa me unke sochne samajhne ki shakti bhi khatam ho gaya tha. :doh:

Sameer ne jaisa socha tha Priya ke papa usse bhi gire hue nikle...Koi anjaan unki beti ke character par ungli uthaaye uss par bhi wo kuch nahi keh rahe the...Ulta saath de rahe the...Abb Sameer ko apna manjil jyada dur nahi lag raha tha.

Aise hi sochne par Sameer ke dimaag me Priya se badla lene ka ek jabardast idea aaya...Wo pura confirm nahi tha ki ye plan kaam karega ya nahi...Fir se usne Priya ke Papa se kaha.

Sameer:- Waise mere paas ek idea hai Priya ko sudharne ka aur aapki izzat mitti me naa milne ka...Aapka hi faaidaa hai isme.

Sameer ne Priya ke Papa ki aankho me aankh daal kar kaha.

Priya's Dad:- Kya idea?

Priya ki Papa ne utshukta ke saath puccha...Sameer ki baato se itna to unhe yakin ho gaya tha ki Sameer unke saath hai...Unhone ye tak nahi socha ki kis liye aur Sameer ka kya faidaa unka saath dene me...Bas Sameer ki baat par andha yakin kar rahe the.

Sameer:- Priya ki shaadi karwa dijiye.

Sameer ne ek krur aawaj me ye kaha...Uski iss krur aawaj se pata chal raha tha ki wo kitna nafrat karta hai Priya se...Uski baato se Priya ke Papa ko ek jhatka sa laga...Gusse me wo bole.

Priya's Dad:- Shaadi karwa du...Paagal ho gaye ho kya? Aise kaise shaadi karwa du uska...Dahej ka paisa kaise dunga...Kaun karega bina dahej ke usse shaadi...Pehle hi wo mere liye bojh hai...Itna paisa kaha se aayega mere paas uske liye? Aise bakwaas idea apne paas hi rakho. :angry:

Ye pehli baar tha jab Priya ke Papa Sameer se gussa hue the.

Sameer:- Are nahi nahi uncle...Aapne meri baat ka galat matlab nikal liya...Iss shaadi me aapka hi faaidaa hai.

Sameer ne jaldi se baat ko sambhaalte hue kaha...Priya ki Papa kuch nahi bole bas Sameer ki baat ka intejaar kar rahe the.

Sameer:- Dekhiye Uncle...Meri baat maaniye aur Priya ki shadi kisi sharabi se kara dijiye...Priya khubsurat to hai hi...Usse shaadi har koi karna chahega...Kisi ameer Sharabi ko pakadiye aur usse Priya se shaadi ke liye manaiye...Mujhe yakin hai wo Priya ko inkar nahi karega...Ulta aap ko hi dahej dega wo. :approve:

Priya ka ek ladka ke saath chakkar chal raha hai...Agar Priya uske saath bhaag gayi to kya izzat reh jaayegi aap ke gaaw me...Aur wo ladka bhi accha nahi hai...Jaanta hu mai usse...Wo kuch hi din me Priya ko chhod dega tab sochiye kitna beizzati hoga aapka...Fir koi bhi Priya se shaadi nahi karega.

Iss liye behtar yahi hoga ki aap kisi sharabi se uska shaadi kara dijiye.

Sameer ki baat sun kar Priya ke papa soch me pad gaye :hmm2:...Unhe bhi Sameer ki baat sahi lag raha tha.

Priya's Dad:- Lekin beta sharaabi se shadi kara dena thik rahega kya? :hmm:

Pehli baar Priya ki Papa ko Priya ka thoda sa fikar hua...Lekin iss feeling se wo anjaan the...Wo abhi bhi yahi maan rahe the ki wo Priya se nafrat karte hai.

Sameer:- Iss me aapka hi faaidaa hai...Bas Sharabi log hi dahej ulta aap ko denge...Aap bhi to ek sharabi hai to kya aap apna ghar nahi chala rahe? Apni biwi aur family ko time de rahe hai ya nahi? :hinthint: Kuch nahi hoga Uncle...Priya bhi khus rahegi aur aapko bhi paisa mil jaayega.

Sameer ki iss baat se Priya ke papa ne usse gusse se ghoora...Sameer ko jald hi apna galti ka ehsaas ho gaya.

Sameer:- Oh sorry Uncle...Mai bhi sharabi hu...Sharabi baat par itna gussa kyu ho rahe hai? Sharabi hona koi galat baat to nahi...Bas duniya waale hume galat maante hai.

Sameer ne jald hi baat sambhaal liya aur Priya ke Papa ke chehre me ek muskaan aa gaya...Aakhir ek to mila jisne unki taarif kiya. :toohappy:

Kuch der sochne ke baad Priya ke Papa bole.

Priya's Dad:- To tum kyu nahi kar lete Priya se shaadi?

Sameer ko iss baat se ek bada jhatka laga :yikes:...Jaise taise usne khud ko sambhaal kar kaha.

Sameer:- Are nahi Uncle...Mere paas aapko dene ke liye kuch nahi hai...Do vakt khaane ka jugaad nahi ho paata acche se...Garib pariwaar me paida hua hu...Daaru bhi chhup chhup kar peena padta hai. :(

Priya's Papa:- Oh...Thik hai...Gaanw me hi koi dhund lunga...Waise beta tumne ye bataya nahi ki tum mera madad kyu kar rahe ho? Aajkal to koi kisi ka madad nahi karta aur ek sharabi ka to bilkul bhi nahi.

Sameer:- Ek sharabi hi to dusre sharabi ka kaam aata hai. :D

Iske baad Sameer Priya ki Papa se unke gaanw ka address leta hai...Aur waha se chala jaata hai.

Raaste me Sameer khud se hi baat kar raha tha.

Sameer:- Priya abb aayega maja...Dekhna teri life ko nark se bhi badtar bana dunga...Bahut khel liya tune mere aur mere dosto se...Naa chaahte hue bhi mujhe tere khilaaf aisi plan banana pad raha hai jo mai kabhi nahi chaahta tha...Tune hi mujhe majbur kiya hai. :angry++:

Tu Karan se pyaar karti hai naa...Jald hi ye pyar ka khel par full stop lag jaayega...Jaanta hu pyar tutne ka dard kya hota hai...Dua karunga ki tujhe bhi ye dard mile aur jindagi bhar tu roti rahe.

Agar tera pyar Karan ke liye sacha nahi hai to bhi koi fark nahi padega...Tera laalchi baap ko tere khilaaf bhadka kar ek sharabi se shaadi karwa raha hu...Sharab hi rishte bigadne ka kaam karta hai...Jab tera shaadi kisi sharaabi se ho jaayega tab to teri life apne aap barbaad ho jaayega...Jindagi bhar roti rahegi...Tujhe mai jindagi bhar ke liye ghum dene jaa raha hu...Jiski vajah tu hai sirf tu.

2 din baad tera gaanw aaunga aur tera dukh aur dard dekhunga apni aankho se...Tab jaa kar mujhe chhain milega...Tujhe rota hua dekhna chaahta hu...Teri shadi wo bhi bina teri marji ke dekhne me maja aayega...Teri barbadi dekhne aa raha hu mai.


I am coming soon.

Itna keh kar Sameer apne chehre me ek kutil muskaan lekar apne ghar ke liye nikal gaya.
Khubsurat update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 58

2 Days Later


Sameer subah subah hi nikal gaya Priya ki gaanw ke liye, Priya ke papa ke diye hue address ki madad se...Ghar me usne bataya ki 1 ya 2 hafte ke liye ghumne ke liye kahi baahar jaa raha hai.

Mr. Sharma ne bhi unki baat maan liya...Unhone socha ki abhi abhi exams khatam hua hai aur Sameer ka study bhi complete ho gaya hai...Kuch din baad usse job karna hai to yahi mauka hai kahi ghum kar mood fresh karne ka...Unhe iss baat se koi aapatti nahi tha aur naa hi Sameer ki Maa ko bhi.

Sameer ne iss baare me Shruti se kuch baat nahi kiya tha...Sameer ne socha ki 1 ya 2 hafte ka hi to kaam hai aise me batana jaruri nahi hai.

Karib 5 ya 6 ghante ki bike ki safar ke baad Sameer Priya ki gaanw pahunch gaya...Jab usne Priya ki gaanw me kadam rakha to apne aap hi uske chehre par ek kutil muskaan aa gaya.

Usne bike rok kar aas paas ke maahaul ko dekha...Gaanw dekhne me naa hi bahut bikashit(developed) thaa aur naahi jyada abikashit...Gaanw dekhne me thik thaak tha...Gaanw ki log middle aur low class family se belong karte the...Bas ek ya do hi honge jo upper class se belong karte ho.

Gaanw me hariyaali charo taraf tha...Pollution shehar ki tulna me bahut hi kam tha...Sameer gaanw me aa kar khud ko ekdam fresh mehsoos karne laga...Thodi der usne gaanw me ghumne ka socha...Ghumte ghumte uske dimaag me ek baat aaya.

Sameer:- (In his mind) Kya mai jo kar raha hu wo sahi kar raha hu? Kahi mai ye sab karke kisi ki life barbaad to nahi kar raha yaa fir mai koi galti to nahi kar raha...Kya mujhe Priya ko maaf kar dena chaahiye? :hmm2:

Issi baat ko soch kar Sameer idhar udhar tehelne laga...Iss sawaal ki jawaab ko dhundne laga...Aur bahut jald hi usse jawaab mil gaya aur khud se hi kehne laga.

Sameer:- Nahi mai Priya ko maaf nahi karunga...Usne maafi laayak kaam nahi kiya hai.
..Uski vajah se Rajesh ki jaan jaa sakti thi aur kayi aur jaan ko gam me jeena padta...Kya hota Rajesh ki parents ka jab wo budhaape me apne jawaan bete ko kho dete kisi ki ego ki vajah se.

Kitni baar samjhaya Priya tujhe please humse dur reh...Hume jyada ukshane ki koshish mat kar kuch karne ke liye...Lekin tu nahi maani....Bahut kar liya apni manmaani aur har baar maine tujhe samjhaya...Lekin laato ke bhoot baato se nahi maante...Teri har galti ko maaf kiya yaa fir badla lene ka iccha hote hue bhi nahi liya...Socha sab kuch thik ho jaayega...Lekin kuch thik nahi hua...Ulta aur bigadta chala gaya...Aaj tujhe chhod diya to pata nahi kal kahi tu Shruti aur mujhe bhi nukshan pahuchane ka koshish na kar le.

Tune mujhe majboor kar hi diya Priya ye sab karne ke liye...Mai kabhi nahi chaahta tha ye sab karne ko lekin aaj majbur hu...Pehle teri shaadi jo tere marji ke khilaaf hoga usse apni aankho se dekhunga fir yaha se ek sukoon ke saath jaaunga...Majaa aayega tujhe jindagi bhar ki dard aur aansu dene me.

Agar wo Karan aa gaya to bhi tujhe bacha nahi paayega...Tere baap ko bahut bhadka dunga aur wo aasani se bhadak bhi jaayega...Pehle tera khel khatam karta hu uske baad Karan ka.

Itna sab kehne ke baad Sameer ki aankho me nafrat aa gaya...Usne tay kar liya ki yahi uska aakhiri faisla hoga aur wo apni faisle se kabhi piche nahi hatega...Aur saath hi Priya ki barbadi dekh kar hi jaayega.

Iske baad Sameer gaanw ki ek dhaabe me chala gaya aur kaha.

Sameer:- Bhaiya...Iss gaanw me mujhe kuch kaam hai...1 ya 2 hafta rukna pad sakta hai...Kiraye me ek room milega...Paisa ki chinta mat karo...Har din ka 500 dunga.

Sameer ne ek aasha ke saath kaha...Wo gaanw ke kone me tha...Waha room mil jaata to koi pareshaani nahi hone waala tha...Agar gaanw ke bich me hota to shaayad Priya usse dekh sakti thi.

Dhaabe wala ne jab ye suna wo ekdam se khus ho gaya...Har din ka 500 uske liye badi baat tha...Aise me 1 ya 2 hafte tak wo bahut kama sakta tha...Khushi ke saath wo bola.

Dhaabe wala:- Haan bhai...Ek kamra to hai...Par shaayad wo aapke haisiyat aur paisa ke hisaab se utna accha na ho.

Dhaabe wala ke last ki line me kuch chinta thi lekin Sameer ki jawaab ne usse khus kar diya.

Sameer:- Koi baat nahi bhaiya...Bas ek bed aur thoda saaf suthra room chaahiye aur khane ki acchi subidha.

Dhaabe waala:- Ho jaayega...Kab se rahenge? Aur agar buraa nahi manenge to ek baat pucchna chaahta tha "Aap kis kaam se aaye hai"?

Sameer:- Abhi se rahunga...Aur kaam koi khaas nahi hai aur aap ki samajh se baahar hai...Bas rehne ke liye jagah nahi hai iss liye yaha pucchne aaya tha.

Sameer thoda chhidh gaya tha Dhaabe waale ki sawal se.

Dhaabe wala:- Koi baat nahi bhai...Agar nahi chaahte to mat bataaiye...Chaliye aapko room dikhaa deta hu.

Iske baad Sameer ko Dhaabe wala Sameer ko room dikha deta hai...Room thoda chhota tha lekin ek insaan ke liye kafi tha...Facility ke naam me koi saaman nahi tha par fir bhi Sameer ne manage karne ka aur apne kaam par dhyan dene ka socha.

Room dekh lene ke baad Sameer ne Dhaabe waala se Priya ki Papa ke baare me puccha.

Dhaabe wala:- Aapko kya kaam hai bhai usse?

Dhaabe wala ne nafrat se jawaab diya.

Sameer:- Kuch khaas nahi...Jab wo shehar aaye thhe tab mujhse kuch paisa udhar liya tha jo abhi tak unhone nahi lautaya...Iss liye puch raha hu.

Dhaabe wala:- Wo sharabi aisa hi hai...Sabhi se udhar leta hai par lautata nahi hai...Abb gaanw me koi udhar nahi deta to shehar jaane laga.

Ek bar fir Dhabe waala ne nafrat se kaha...Aur Sameer ko Priya ki ghar ka address de diya...Sameer ne kuch nahi kaha bas dhabe waale ki baat se ye pata chal gaya ki Priya ki Papa ki gaanw me utna izzat nahi hai.

Sameer ne ek topi aur sunglass laga liya aur chhote chhote daadhi shave kar liya taaki Priya usse aasani se nahi pehchaan sake...Aur chala gaya Priya ki gaanw dekhne.

Kuch der chalne ke baad Sameer Priya ki gaanw ke saamne pahunch gaya jo gaanw ke bich me tha...Priya ka ek kaccha ghar tha jo mitti se bana tha...Ghar ka haalat dekh anuman lagaya jaa sakta tha ki ghar ki aarthik sthiti kuch khaas accha nahi hai.

Iske baad Sameer waapas apne room me laut aaya aur aaram karne laga aur bahut jald thakan ki vajah se usse neend aa gaya.

Lekin shaam me uska neend toot gaya...Fresh ho kar baithne ke baad uski kaan me ek aawaj aaya...Aawaj me ek dard mehsoos ho raha tha aur aisa lag raha tha wo insaan andar se ghutan sa mehsoos kar raha hai...Sameer ne jab khidki se baahar dekha to paaya ki wo Priya hai.

Priya ki murjhaye chehra dekh Sameer ki chehre me thoda muskaan aa gaya...Priya apne saheliyon ke saath gaanw me chal rahi thi...Shaayad wo sabhi gaanw me ghumte ghumte waha tak pahunch gayi thi...Priya ki saheli usse baat kiye jaa rahi thi lekin Priya ekdam khaamosh thi...Ye dekh kar Sameer ki chehre me apna jeet ki khushi aa gaya.
Parsanshniye update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 59


Sameer abhi bhi Priya ki saheli aur Priya ki baatein sun raha tha...Priya apne 3 saheli ke saath ghum rahi thi.

Saheli 1:- Priya tu itni chup kyu hai? Pehle to kitna bolti thi...Abb ekdam se chup ho gayi hai...Kya baat hai...Shehar me jaake tujh me aisa kaun sa badlaaw aa gaya hai jo humse baat bhi nahi kar rahi hai abb.

Ye baat sun kar Priya kuch bolne hi wali thi ki Saheli 2 bich me hi bol deti hai.

Saheli 2:- Abb ye shehar me jaakar padh likh kar aayi ladki hum jaise gawar se kyu baat karegi...Kaha inka haisiyat aur kaha humara.

Ye baat sun kar Priya ko bahut buraa laga lekin firse wo kuch bolti uski teesri saheli ne kaha.

Saheli 3:- Are nahi nahi...Ye baat nahi hai...Bechaari ka college me koi boyfriend hoga jisse na mil paane ki vajah se ye udaas hogi.

Teeno saheli ne to hasi majaak me ye sab keh diya...Lekin unhe kya pata tha ki unka ye majaak Priya ko kitna taklif pahunch raha hai...Jab bardaast ke baahar hua ye baatein tab Priya ekdam gusse se boli.

Priya:- Band karo tum sab apni bakwaas...Tab se jo man me aaye wohi boli jaa rahi ho...Ye bhi nahi dikh raha hai ki saamne waala kya mehsua kar raha hai aur tum logo ki baato se usse kitna taklif pahunch rahi hai.

Itna keh kar Priya chup ho gayi...Priya ki aawaj me gussa aur bahut saara dard tha...Priya ki baatein sun uski sabhi saheli wohi ruk gayi aur ekdam shaant ho gayi...Sabhi ko pata chal gaya ki koi to baat hai jis vajah se Priya itna dard me hai. :mad:

Saheli 1:- Sorry Priya...Hum to bas aise hi majaak kar rahe the.

Itna keh kar wo chup ho gayi...Priya kuch nahi boli.

Saheli 2:- Kya baat hai Priya...Kabhi tujhe itna dukhi nahi dekha...Please yaar bata kya baat hai...Lagta hai jarur kuch hua hai.

Priya fir bhi chup rahi...Wo itna dukhi thi ki kuch bhi bola nahi jaa raha tha usse...Abb dhire dhire uski aankho se aansu behne lage. :cry2:

Priya ko rota dekh uski sabhi saheliyan dar gayi...Bahut samjhaane aur support ke baad aur jor dene ke baad Priya rote hue boli.

Priya:- Papa ne meri shaadi tay kar di hai. :(

Priya ne rote hue kaha.

Priya ki iss baat se kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki isme aakhir rone ki kya baat hai...Shaadi ke pehle aisa rona normal baat to hai nahi...Lekin kisi ko kya pata tha iss vakt Priya ke dil me kya baat hai.

Saheli 3:- Iss me rone ki kya baat hai...Teri umar ho gayi hai shaadi ki...Aur tune to shehar jaa kar apni padhaai bhi khatm kar liya...Aakhir kisi na kisi din shaadi to karni hi hai. :dazed:

Usne bas itna hi kaha tha ki Priya uss par bhadak gayi aur gusse se boli.

Priya:- Band kar apni bakwaas...Aur apna gyan apne paas hi rakh...Tab se tum logo ki bakwaas sun rahi hu...Bina kuch soche samjhe kuch bhi bak kar rahi ho.

Mai Karan se pyar karti hu aur ussi se shaadi karna chaahti hu...Papa meri shadi jabbardasti karwa rahe hai...Aur mai iss shaadi se khus nahi hu.


Suru me to Priya ne gusse me kaha lekin last ki kuch lines rote hue...Apni baat khatam karne ke baad Priya wahi niche baith kar jor jor se rone lagi.

Uska dard ab uski saheliyon ne samjha...Uski dard sabhi mehsoos kar rahe the...Kuch der sabhi ne Priya ko rone diya...Jab wo roo kar shaant hui tab fir se uski saheli ne kaha.

Saheli 1:- To fir apne Papa ko samjha yaa fir maa ko...Aise rone se kuch nahi hone waala...Jab tu unse baat karegi tabhi to baat banega.

Priya:- Tujhe kya lagta hai maine koshish nahi kiya hai? Jab 2 din pehle Papa ke saath yaha aayi thi tabhi maine keh diya apne aur Karan ke baare me...Ye bhi kaha ki mai Karan ke saath shaadi karna chaahti hu.

Lekin unhone saaf mana kar diya aur kaha ki unhone ek ladka dhund liya hai aur mujhe ussi se shadi karna hoga.

Maa ko bhi samjhaya...Maa to maan gayi aur Papa se baat bhi kiya unhone.

Lekin Papa nahi maane...Aur kaha ki agar maine unki pasand se shaadi nahi kiya to wo jehar khaa lenge aur unhone unn logo se bahut karz liya hai aur ussi ko chukane ke liye mera shaadi karwa rahe hai.

Mai aur maa majbur hai.

Priya ne fir se rote hue kaha.

Saheli 2:- Tab to ek hi raasta hai...Tu uss ladka se baat karle...Agar nahi maana to ham usse baat kar lenge...Aur bhaga denge usse yaha se.

Usne Priya ko samjhaate hue kaha aur maahaul ko bhi accha karne ke liye hanste hue kaha...Lekin uski hansi ko Priya ki agli hi baat se gaayab ho gaya.

Priya:- Jaante ho wo kaun hai...Pratap. :

Saheli 2:- Kaun Pratap....Kahi wohi Pratap to nahi. :eek:

Priya:- Ha wohi Pratap...Gaanw ka sabse awaara ladka jo mujhse ek saal senior bhi hai...College me bhi wo dono Pratap aur Ramesh aise hi awaaragardi karte the...Pehle se hi bahut bigad chuka hai.

Kal maine usse baat kiya tha lekin wo nahi maan...Kaha ki har haal me mujhse shaadi karega.

Abb kya karu...Majburi ho gayi hai mere liye ye shaadi karna...Sab Papa aur unki sharab ki aadat se ye sab hua hai...Wo to bachpan se mujhe pasand nahi karte the...Jo bhi hu Maa ki vajah se hu...Papa har haal me mera shaadi karwa kar rahenge. :cry:

Naa hi jee paa rahi hu aur naa hi mar sakti hu....

Ye sab kehte hue fir se Priya ki aankho me aansu aa gaye...Uski dard bas wo uski Maa aur uski saheliya hi samajh rahe the.

Abb uski saheliyan bhi chaah kar kuch nahi kar pa rahi thi...Bas bhagwaan se dua kar rahe the ki ye shaadi naa ho.

Aise hi kuch der tak Priya roti rahi saari bat yaad karke aur apna future ke baare me soch kar...Uski saheliyon ne usse kissi tarah samjha kar waha se le gayi.

Unke jaane ke baad Sameer soch me pad gaya.

Priya ko rote dekh ek pal ke liye to Sameer pighal gaya tha lekin agle hi pal usne apne dil ko majbut bana liya aur apne faislaa par tike rehne ka faisla kiya. :yes2:

Unke jaane ke baad Sameer ne khud se kaha.

Sameer:- Dekha Priya...Bhagwaan sab dekhta hai...Tumhe tumhaara paap ki sazaa mil raha hai...Ek din tumne Rajesh ki life se khelne ka koshish kiya tha lekin aaj Pratap ki haatho me hai tumhaari life.

Aaj tum jo iss tarah se roo rahi thi iski vajah bhi tum khud hi ho...Naa tum Rajesh ke saath ye sab karti aur naa mujhe aisa kuch karna padta.

Yaad hai ek din maine tumhe issi Pratap aur Ramesh ki ragging se bachaya tha aur unse dushmani kar liya tha ye jaante hue bhi ki tum meri dost nahi ho.

Insaniyat ki khaatir tumhaara saath diya.

Lekin aaj kuch aisa haal hai ki mujhe khushi ho raha hai tumhaara aur Pratap ki shaadi ki baat sun kar...Ek sukoon mil raha hai.

Pratap jaisa pati paa kar tumhaara life acche se barbaad ho jayega...Wo bhi tumhaari Papa jaisa hi banega baad me jaa kar aur saari jindagi tumhe apne kiye aur kismat par rona padega.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Usse yakin ho gaya ki uska plan kamyaab ho gaya aur issi ke saath uske chehre par ek muskaan aaya jo uski jeet ka gawaahi de raha tha. :woohoo:


After 2 Months
Atiutam update hai mitr.
 
Top