If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Sameer:- Meri haalat aise ho gaya hai ki chhain se jee bhi nahi paa raha hu aur mar bhi nahi paa raha hu....Picchle 1 mahino se jindagi me bahut kuch sehna pad raha hai yaar.....Mujhe nahi pata tha meri ek bhool mujhe aisi din dikhaayega....Majburi me Priya se shaadi karna pada....Maine apne saath saath uski bhi jindagi barbaad kar diya....Priya to pehle se hi mujhse nafrat karti thi abb iss shaadi se to aur bhi nafrat karne lagi hai ..... Mai uska gussa sehan nahi kar paa raha hu.....Lekin majboori hai kuch kar bhi nahi paa raha hu.....Khud ki najaro me gir gaya hu....
Jab Maa aur Papa ko bataya to dono mujhse bahut naraaj ho gaye....Papa to itne jyaada naraaj ho gaye ki unhone mujhe bol diya ki jo maine kiya usse behtar mai mar jaata.....Aur Maa bhi itni naraaj hai ki unhone mujhse ek shabd tak nahi bola.....Bahut toot chuka hu mai yaar andar se....Abb mujhme taakat nahi bachi ki mai inn paristhitiyon ka saamna kar sakoo.....Ab aage kya hoga ye bhi nahi pata.....Sochne par bhi dar lag raha hai .....Ek do baar to socha ki suicide kar loo.....Aise ghut ghut kar jeene se to mar jaana hi behtar hai....Fir agle pal socha ki suicide to darpok log karte hai.....Aur mai apni galti se bachne ke liye apne Maa, Papa aur Priya ko iss haalat me nahi chhod sakta....Tu hi bata kya karu mai.....Naa jee paa raha hu aur na hi mar paa raha hu.... Kabhi kabhi to aankho me aansu aa jaate hai....Lekin sabhi ke saamne ro nahi paata....Khud hi musibat ki gaddha khod liya....
Sameer ne apne dil ki dard Mahesh ke saamne rakh diya.....Uski aankho me aansu aur dil me dard dekh kar Mahesh ko bahut buraa lag raha tha....Usko samajh me nahi aa raha tha ki kya jawab dena chahiye.....Wo to puri baat bhi nahi jaanta tha ki Sameer ki aakhir aisi kya majboori tha jiske liye usse Priya se shaadi karna pada.....Usne Sameer ko samjhaate hue kaha....
Mahesh:- Bhai.....Please aise udaas mat ho....Kuch na kuch raasta nikal hi jaayega.....Yahi vakt hai khud ko majboot bana kar rakhne ki aur mushibaton ki saamna karne ki.....Bhai abb galti tune kiya hai to usse sudhaarna bhi tujhe hi hai....Maine aaj tak jis Sameer ko dekha hai wo Sameer itna kamjor nahi hai yaar....Wo har mushibaton ka saamna kar sakta hai.....Bas yaar tu khud par vishwaas rakh aur jo bhi hua usko bhul jaa aur aage kya karna hai uss par dhyaan de.....
Mahesh ne Sameer ko samjha kar uske dil ko thoda halka kar diya.....Sameer ko bhi lagne laga ki koi hai jo uski baaton ko samajh sakta hai.....Wo abb rona band kar chuka tha lekin fir bhi soch raha tha ki aage kya karna hai.....Kaise khud ko aur Priya ko iss mussibat se nikaale.....
Sameer ki chehre me aayi kuch raahat ki lakeer ko dekh kar Mahesh bhi khush ho jaata hai.....Aur usne socha ki yahi sahi vakt hai Sameer se sach jaane ka....
Mahesh:- Mujhe samajh me nahi aa raha ki tujhse kya galti hua hai.....Jitna mai jaanta hu tu hamesha soch samajhkar faisla leta hai aur tu kisi ke saath galat bhi nahi karta.....To tu kaise koi majburi me fass gaya aur Priya ki jindagi barbaad karne ke liye khud ko jimmedaar maanta hai....Please Sameer mujhe sab kuch bata yaar....Mai sab jaana chahta hu ki tune aakhir itna bada kadam kyu uthaaya....
Mahesh ne Sameer se bataane ke liye request kiya....Sameer soch raha tha ki usko Mahesh ko bataana chahiye ya nahi....Sameer ko aisa shaant dekh Mahesh ne fir se usko request kiya....
Mahesh:- Please yaar bata de.....Mai jaanta hu tune koi galti nahi kiya hoga......Itna vishwaas hai mujhe tujh par....Jarur teri koi majburi rahi hogi....Please bata yaar....Ho sakta hai meai tera kuch help kar paau....
Mahesh ki baat sun kar Sameer ki hontho par ek halka sa muskaan aa gaya aur usne kaha...
Sameer:- Nahi yaar......Tu mera help karna chahta hai lekin nahi kar paayega yaar....Yaar bas tujhe hi nahi mujhe bhi apne upar vishwaas tha ki mai kuch galat kaam nahi kar paaunga.....Lekin aisi galti kar baitha jo mujhe jindagi bhar jhelna hoga....Ha kuch majboori bhi thi lekin mai apni galti ko chupa nahi sakta.....Tu jaana chahta hai na maine aisa kyu kiya....To chal mai tujhe kahaani bataata hu....
FLASHBACK
2 YEARS AGO
Tujhe yaad hai na jab hamne BBA complete karne ke baad maine alag college me admission liya tha.....Mere saath saath Rajesh bhi mera hi college me join kiya tha.....Bas wahi tha jisse mai college me jaanta tha.....Kisi se koi jaan pehchaan nahi tha.....Luckily ham dono same class me the.....Dhire dhire hamaare friends banne lage lekin mai aur Rajesh kuch jyaada hi close the....Ham log same time college aate, canteen me bhi same time jaate the aur ghar bhi saath hi jaate the....Itna jaan le ki teri kami ko Rajesh hi pura karta tha....Kabhi bore nahi hone diya kameene ne....
Aise hi ek din ham subah college saath aa rahe the......Maine jab bike park kiya to mera mobile me ek dost ka call aaya....Maine Rajesh ko bhej diya aur phone me baat karne laga....Phone uski Papa ka tha.....Mai Rajesh ko bulaane laga lekin wo chala gaya aur maine hi call uthaa liya....
Sameer:- Hello Uncle.....Aapne iss vakt call kiya.....Koi kaam hai kya???
Rajesh's Dad:- Ha beta...Darasal baat ye hai ki mujhe Rajesh se kuch baat karni hai....Uska mobile off aa raa raha hai....To tumhaare mobile par call kar liya....Beta kya tum Rajesh se mera baat kara sakte ho???
Sameer:- Ha Uncle.....Aap call ko hold me rakhiye....Mai phone Rajesh ko deta hu....
Iske baad mai daud kar Rajesh ko phone dene chala gaya....Jab parking se nikal kar class ki taraf gaya to dekha Rajesh gate par hi mera wait kar raha tha....Mai gate ke pass pahuncha hi tha ki mai apne speed par control nahi kar paaya aur ek ladki se takra gaya....Mai nichhe gir gaya aur wo ladki bhi mere side me gir gayi.....
Mai Rajesh ko mobile dene ki jaldi me tha iss liye uss ladki ka parwaah na karte huye uttha aur Rajesh ko kaha....
Sameer:- Ye le tera Papa ka phone hai....Baat kar le....
Rajesh ne phone le liya aur side me chala gaya baat karne....Tab tak wo ladki bhi utth chuki thi aur gusse me meri taraf aayi aur mujhe thappad maarne hi waali thi ki maine usska haath rok liya aur kaha.....
Sameer:- Sorry.....Mai jaldbaazi me thaa iss liye aapse takra gaya....Isske liye mai aapse maandi maangta hu.....Lekin mai ye bardaasht nahi kar paaunga ki koi mujhpar haath uthaaye.....
Maine suru ke lines politely kaha aur baaki ke line gusse me....Meri aisi harkat se wo ladki aur bhi gussa ho gayi aur boli....
Ladki:- Ye kya badtameezi hai....Haath chhodo mera....
Maine bhi uska haath chhod diya aur class ki taraf jaane laga.....Lekin uss ladki ki aawaj ne rok diya....
Ladki:- Tumhaare pass aankhe nahi hai kya.....Jo bina dekhe chalte ho aur kissi se bhi takra jaate ho.....
Ye baat uss ladki ne gusse me kaha tha .....Maine bhi thoda gussa me uski baato ka jawaab diya.....
Sameer:- Are yaaar....Tumhaara problem kya hai.....Mai sorry bol chuka hu naa...Abb tum apni bakwaas dialogue maarna chhodo aur mujhe class me jaane do....
Meri baato se uss ladki ka gussa aur bhi badh gaya aur fir wo boli....
Ladki:- Ek to khud galti karta hai aur upar se mujhse hi bahas kar raha hai....Ruk tujhe to mai abhi majaa chakhaati hu.....
Sameer:- Mai abhi padhne aaya hu koi majaa karne nahi.....Issliye majaa chakhaane ki jarurat nahi aur dusri baat mujhse jab baat karna hai to izzat se baat karo .....Iss tarike se koi mujhse baat kare ye mujhe pasand nahi.....Give respect and take respect....
Wo Ladki kuch kehti usse pehle picche se uski dost aa gayi aur uski dost ne usse kaha....
Ladki 2:- Kya kar rahi hai Priya....Aise ladko ke munhh nahi lagte.....Chal tu class me....
Itna keh kar wo dusri Ladki Priya ko class me le gayi....Mujhe uski baaton se gussa aa raha tha lein idhar udhar dekha to kuch students jamaa ho gaye the tamasha dekhne .....Issliye mai kuch nahi bola aur class ki taraf chala gaya.....Rajesh bhi mere pass aaya aur usne mujhse kaha....
Rajesh:- Mai sab kuch dekh chuka hu.....Aur mujhe yakin nahi ho raha Sameer tu kaise koi ladki se iss tarah baat kar sakta hai.....Galti bhi to teri hi thi.....
Sameer:- Maanta hu galti mera tha....Aur mai usko sorry bolne hi waala tha....Lekin wo mujh par haath uthaane lagi aur mujhe bhi gussa aa gaya aur uski baaton ko uske hi tarike se jawaab de diya...
Aur ham dono bhi class me chale gaye.....Issi tarah suruwaat huyi Mera aur Priya ki nafrat ki kahaani.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
यहां पर पूरी गलती समीर की ही है। अगर वो किसी से टकराया था तो उसे माफी मांग लेनी चाहिए थी, जो उसने सही समय पर नहीं किया और बाद में अपने अहम को सामने लाकर मामले को बढ़ा दिया।।
Class me mai aur Rajesh saath hi baithe the...Mera mood off ho gaya tha Priya se uss ladayi ke baad...Bahut dino baad kaha suni hua tha mera kisi se...Mood off hone ke baad mai lecture par dhyaan nahi de paa raha tha...Iss baat ko teacher Mr. Khanna ne notice kar liya tha aur apna lecture dena band karke mere pass aa gaye aur kehne lage.
Mr. Khanna:- Hey you! Stand up.
Mr. Khanna ne thoda gussa ke saath kahe the...Mujhe kuch bhi samajh me nahi aaya ki sir ki aise kehne ki picche kya vajah thi.
Mr. Khanna:- Tumhaara dhyaan kaha hai? Mai tabse tum logo ko lecture de raha hu aur tum to kisi aur hi duniya me khoye ho...Padhne ka man nahi hai kya.
Sameer:- Nahi sir aisi baat nahi hai...Actuallly aaj mera mood off ho gaya tha...Issliye concentrate nahi kar paa raha tha.
Mr. Khanna:- Bas tum jaise students ko koi bahana chahiye lecture se bachne ka...Mujhe to ye baat samajh me nahi aa raha ki tum jaise students college aate hi kyu hai jab padhne ka man hi nahi hai...Apne parents ki mehnat ko barbaad karne ke liye tum log college aate ho masti karne ke liye...Kam se kam unki mehnat ki to izzat karo jo tumpar ummeed laga kar baithe hai ki tum padh likh ke bada insaan banoge.
Mr. Khanna to non stop bole jaa rahe the...Aage bhi bahut kuch bolne waale the...Lekin mujhe unki baaton par bahut gussa aaya aur maine unki baat ko rokte hue kaha.
Sameer:- Sir...Please kuch der ke liye chup ho jaayiye aur meri baat bhi suniye...Aap mere baare me galat samajh rahe hai...Mai padhne me accha student hu aur aaj mood thoda off hai issliye concentrate nahi kar paa raha hu.
Mai Sir ko samjhaane ki bahut koshish kar raha tha lekin unhone apne mind me mere liye negative image bana chuke the aur meri baato ko rokte hue kaha.
Mr. Khanna:- Oh...Tum accha student ho...Jara apna BBA ka percentage to bataao...Isse pata chal jaayega ki tum kaisa students ho.
Sir itna keh kar chup ho gaye...Mai kuch bolne hi waala tha ki picche se ek ladki ki aawaj aayi.
Just pass hua hoga aur abb badi badi baat kar raha hai.
Jaise hi maine ye suna mujhe bahut gussa aaya aur jab picche mudke dekha to gussa aur badh gaya...Wo Priya thi...Mai shocked ho gaya usko apne hi class me dekh ke...Wo mere saamne se hi class me gayi thi lekin mai gusse me usse nahi dekh paaya aur uss vakt kuch sochne ki haalat me nahi tha.
Ek to mera mood aaj uski vajah se bigda tha aur sir se bhi bahut baat sun liya tha upar se ye mujhe aur chiddha rahi thi...Gussa to itna aaya ki mai ye bhi bhul gaya ki mai classroom me hu aur bina parwah kiye Priya se gusse se kahaa.
Sameer:- Tumhaara problem kya hai? Mera marks kitna hai isse tumhe kya lena dena? Mai accha hu ya fir bigda hua hu ye tumhaari business nahi hai...Tum apne kaam pe dhyaan do samjhi...Agli baar fir se mere baare me kuch kaha to accha nahi hoga....Aur tum hamaare baaton me apna naak kyu ghused rahi ho...Agar kuch der pehle ki galti ke liye ye sab kar rahi ho to please maaf kardo maine uss vakt galti kiya tha...Abb khush.
Gusse me pata nahi kya kya bol diya maine...Mai to aur kehna chahta tha lekin Sir ki gusse bhari aawaj ne mujhe rok diya.
Mr. Khanna:- Bas...Bahut hua...Tumhe ladki se baat karne ki tameej bhi nahi hai...Kya yahi sanskaar mila hai tumhe ghar se?
Abb tak to mai Sir se politely baat kar raha tha lekin jab sanskaar ki baat inhone kaha to mujhe bhi gussa aa gaya...Fir bhi gusse ko dabaate huye bola.
Sameer:- Sir please ye ghar se kaisi sanskaar milli hai iss baat pe mat jaaiye...Fir bhi agar aap jaana hi chahte hai to bata deta hu ki mujhe acche sanskaar mile hai...Issi acchi sanskaar ki vajah se mai abb tak politely aap se baat kar raha hu...Issi acchi sanskaar ki vajah se itna gussa me hone ke baawjood uss ladki se acche se baat kar raha hu...Agar meri jagah koi aur hota to uske moonh se pakka do chaar gaaliyan nikal gaya hota...Sir mai abhi jyaada baat karna nahi chahta...Mood off hai...Kahi mera sabra ka baandh na toot jaaye aur aapko mera baat accha naa lage.
Fir waha par kuch der ke liye sab chup ho jaate hai...Sir aur Priya dono meri harkat ki vajah se gussa the...Iss khaamoshi ko todte hue maine kaha.
Sameer:- Sir aap mera BBA ka percentage jaana chahte the na ...Agar mai aapko bata du to aapko vishwaas nahi hoga issliye please meri admission form me check kijiye aapko pata chal jaayega...Sorry Sir naam bataana to bhul gaya...My name is Sameer Sharma...Iss name ka form dhund lijiyega aapko mera marks pata chal jaayega...Aur Sir mai study me weak nahi hu...Mere Papa mujhe unki hi tarah ek successful doctor banana chahte the aur maine MBBS me free scholarship me apna naam bhi nikaala tha lekin mujhe medical line me koi interest nahi tha iss liye dosto ke saath BBA join kar liya.
Meri baato ne Sir ko aur gussa dilaa diya...Unhone gusse me kaha.
Mr. Khanna:- Teacher se kaise baat karte hai ye tumhe nahi pataa...Aaj college band hone ke baad mujhe office me milna.....Bahut bol rahe ho na abb office me principle sir ke saamne bhi aise hi bolna.
Sameer:- Sir mujhe koi parwaah nahi...Maine jo bhi kiya sahi kiya hai...Sir mai aapse izzat se hi baat kar raha hu...Bas apni aur se kuch safaayi bhi de raha hu...Waise to mai sabhi ka respect karta hu...But self respect bhi koi cheej hoti hai...Aur jab meri galti nahi hota hai aur koi mujhe kuch bolta hai to mai control nahi karta...Abhi bilkul aisa hi condition hai.
Pata nahi mujh me uss vakt itna josh kaha se aa gaya tha...Mujhe to ye bhi nahi pata tha ki mai kaha hu aur kisse baat kar raha hu...Mujhe laga ki mai kisi ko jawaab de raha hu jisne mera insult kiya hai...Agar uss vakt gusse me na hota to shaayad Sir ke saath aise baat nahi karta...Sir to mere aisi agression dekh kar shocked the aur saath me bahut gussa bhi...Wo kuch bolte isse pehle lecture off ho gaya...Wo mujhe ghoorte huye class se nikal gaye.
Jab sir class se nikal gaye to maine chaaro taraf dekha...Sabhi mujhe hi shocked ho kar ghoor rahe the...Jab maine sabhi ki aankho me aankhe daali to unhone apni najare hata li siwa Priya aur ek Ladke ko chhod kar...Priya ka to samajh me aa raha tha ki wo gussa hai...Lekin wo Ladka bhi mujhe gussa se dekh raha tha...Maine ek do baar to ignore kiya lekin fir bhi wo mujhe gusse se ghoore jaa raha tha...Jab mujhe control nahi hua to mai bhi usse gusse se ghoorne laga...Fir bhi wo apni najre nahi hata raha tha...Kuch der me next lecture shuru ho gayi...Maine socha ki iss ladke ko baad me dekh lunga.
Issi tarah lunch break ho gaya...Mr. Khanna ke baad kisi bhi teacher ne mujhse kuch nahi pooncha...Jab Lunch hua to sabhi students lunch ke liye nikal gye Priya uski dost aur uss ladke ko chhod kar...Wo log meri hi taraf aa rahe the.
Priya mere pass aa gayi aur gusse me boli.
Priya:- Tumne sabke saamne mera insult kiya...Mai tumhe nahi chhodungi.
Gussa to mujhe bhi aa raha tha ...Maine bhi uske hi tarike se jawaab diya.
Sameer:- Pehle pakdogi tab chhodogi na...Aur mai tumhe pakadne hi nahi dunga.
Meri baat sun kar Rajesh hasne laga....Mai to gusse me baat kar raha tha lekin usko comedy lag raha tha...Priya to aur bhi jyada gussa ho gayi aur wo kuch kehne hi waali thi ki uski dost ne usko bola.
Ladki:- Chal Priya...Aise ladko se baat karke kuch faaidaa nahi...Kicchad pe patthar fenkegi to wo ham par hi lagegi.
Priya:- Aise kaise chhod du Divya isko...Isne pure class me meri insult kiya hai.
Mujhe Divya ki baaton par pehle se hi gussa aa raha tha...Jaise hi Priya ka bolna khattam ho gaya maine Divya se kaha.
Sameer:- Agar kicchad tum par padega to bhi koi fark nahi padega...Kyuki tum pehle se hi kicchad jaisi ho.
Aaj pata nahi kya ho gaya tha mujhe...Lagatar bahas kiye jaa raha tha...Shaayad jindagi me pehli baar itna gussa aaya tha...Warna aaj tak kisi bhi ladki ke saath koi ladayi nahi kiya tha...Aaj to Priya aur Divya dono ko jawaab de raha tha...Abhi mai yahi soch raha tha ki wo Ladka bhi maidaan par aa gaya aur mujhse kaha.
Ladka:- Tu Ladkiyon ko jawab dekar khud ko kya samajh raha hai...Dam hai to mujhse baat kar.
Wo bhi bahut gusse me tha...Lekin mujhe samajh me nahi aa raha tha ki wo aise overreact kyu kar raha hai...Uska to iss maamle me koi lena dena nahi tha.
Sameer:- To mai kaha picche hat raha hu...Aur tujhse baat karne me koi dam nahi chahiye...Tu to comedian jaisa dikh raha hai aur teri dialogue bhi comedy hi lag raha hai...Saala copy paste.
Maine uska majaak udaate hue kaha...Rajesh hamaari baaton ko majaa lekar hanss raha tha...Udhar Priya aur Divya gusse me mujhe ghoore jaa rahi thi...Ladka ko pata nahi kya hua wo gusse me aage badhkar mujhe thappad maarne laga...Maine uski haath pakad liya.
Ladka:- Mujhe comedian bol raha hai.....Dikhaata hu mai tujhe mai kya cheej hu...Tu karan ko comedian bol raha hai...Mujhe.
Usski baato par mujhe gussa hone ke baawjood hanssi aa gaya aur mai hanste hue bola.
Sameer:- Abe pehle haath to chhuda le aur baad me dikhaana tu kya cheej hai.
Iske baad maine Karan ki haanth ko ulta ghuma diya aur wo dard me chillane laga.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
कक्षा में भी समीर ने ही गलती की है। पहले दिन सभी विद्यार्थी एक शिक्षक के लिए बराबर होते हैं क्योंकि उस दिन उसे किसी विद्यार्थी के बारे में पता नहीं होता है। यहां पर समीर ने ज्यादा आक्रामकता दिखाई शिक्षक जो जो किसी भी दृष्टि से उचित नहीं है।।
Lekin mujhe uss par daya nahi aa raha tha....Maine uske haath ko aur ghuma kar aur kaha.
Sameer:- Abb kya hua...Tabhi to bahut badi badi baatein kar raha tha ki tu kya cheej hai...Tu ek darpok aur comedian hai jo baate bahut karta hai lekin kar kuch nahi sakta...Abb teri comedy aur himmat khattam ho gaya ho to hame jaane de...Bahut jor ki bhukh lagi hai aur gusse me mera bhookh aur bhi badh jaata hai.
Itna keh kar mai aur Rajesh canteen ki taraf jaane lage...Lekin wo Karan fir tapak pada...Wo daud kar gate ki taraf aaya aur hamaara raasta rok liya...Mujhe to aascharya ho raha tha ki abb aur kitna maar khaana chahta hai ye ladka.
Sameer:- Dekh aaj mera mood accha nahi hai...Kahi aisa naa ho ki aaj tu mere haatho se acche se peet jaaye...Abhi warning de raha hu.
Lekin Karan ko to meri baat samajh me hi nahi aa raha tha...Mai jaise hi chup hua wo meri taraf badhke fir se thappad maarne laga...Fir maine uski haath pakad liya aur kaha.
Sameer:- Abhi tak to mai kuch nahi kar raha tha...Lekin abb bardasht ke baahar ho raha hai...Tu mujhe kya samajh raha hai ki tu mujhe maarega aur mai tujhe aise hi chhod dunga...Dekh bacche mujhe meri self respect se bahut pyaar hai aur tujh jaisa kutta mujh par haath uthaaye aur mai chup rahu...Aisa soch raha hai...Saaale tujhe tera aukaat dikhaana padega.
Itna keh kar maine uske chehre pe ek thappad laga diya...Sabhi log shocked ho gaye aur mujhe ghoor rahe the...Thappad maarne ke baad maine kaha.
Sameer:- Pehle hi warning diya tha...Aur mai jo bolta hu wo karke dikhaata hu samjha comedian...Abb aur maar khaane ka man hai to aaja...Aaj hi tujhe peet kar tera pet bhar deta hu aur tujhe kabhi maar khaane ka man nahi hoga.
Itna keh kar mai Karan ko gusse se dekhne laga....Wo abb kuch bolne ki haalat me nahi tha...Wo gusse se gaal par haath rakh kar nicche dekh raha tha...Usko kuch na bolta dekh maine gusse se Priya aur Divya ko dekha...Wo dono chup thi aur shaayad thoda dar bhi gayi thi.
Iske baad mai aur Rajesh canteen me chale gaye...Hamare jaane ke baad Priya ne picche se Karan ki kandho par haath rakh kar kaha.
Priya:- Thanks Karan...Tumne mera saath diya lekin kya jarurat tha tumhe aise ladko ke saath fight karne ki...Aise ladko ke moonh nahi lagna chahiye.
Karan ka saara gussa Priya ki baaton se gaayab ho gaya...Aur wo bhi muskuraane ki koshish karte huye bola.
Karan:- Are isme thanks ki kya jarurat hai...Ye to mera farz tha...Mai iss Sameer ko acche se jaanta hu...Paise ki ghamand me apna manmaani karta rehta hai...Dekha naa tumne Sir se kaise baat kar raha tha aur tumse bhi kitna badtameezi kar raha tha...Mai isko nahi chhodunga...Isko sabak sikhaa kar rahunga aur isko iski aukaat bataunga...Dekhna ek din ye khud tumhe aakar sorry bolega...So please dont say thank you.....Ye ek accha insaan hone ka farz hai ki jab koi galat kar raha hai to uska virodh karu.
Karan ne mauke ka faaidaa uthaate hue Priya ko Sameer ke khilaaf bhadka diya aur uski najaro me khud ko accha saabit kar liya.
Priya:- Sach me tum bahut acche ho Karan...Sirf tumne hi mera saath diya...Ye Sameer sacch me badtameez ladka hai isko to sabak sikhaana hi chahiye...And sorry Karan tumhe meri vajah se maar khaani padi.
Karan ko Priya ki maar khaane waali baat bilkul bhi pasand nahi aaya aur usko apna apmaan mehsoos ho raha tha...Fir bhi khud ko sambhaalte hue usne kaha.
Karan:- Maine aapse kaha na ki please mujhe thanks aur sorry mat kahiye...Ye to mera farz tha...Aap iss baat ki tension mat lijiye dekhna ek din mai Sameer ko sabak sikhaa kar hi rahunga.
Priya:- Ok Karan...Abb hum jaate hai lunch ke liye...Bahut time lost ho gaya hai uss Sameer ki vajah se...Baad me fir baat karenge.
Itna keh kar Priya muskuraati huyi canteen ki taraf jaane lagi...Karan usko aisa hansta dekh khush ho gaya aur apna seat par jaakar baith gaya...Khushi me usne aaj lunch bhi nahi kiya.
Canteen me pahunchne ke baad bhi mera gussa kam nahi hua tha....Puri life me pehli baar itna gussa aa raha tha wo bhi uss Karan par....Rajesh ne ham dono ke liye naashta order kar diya...Nashta karte vakt mai utth kar do pepsi ki bottle le aaya....Rajesh ne mujhe jab pepsi laate hue dekha to mujhse bola.
Rajesh:- Tujhe pata hai na mai cold drinks nahi peeta...To fir kyu laaya???
Sameer:- Abe tere liye nahi laaya hu...Dono bottle mere liye hi hai.....Aaj dimaag kharaab kar diya iss Priya aur Karan ne...Thoda refresh hona chahta hu issliye do bottle le aaya...Acche se chill hona hai...Fir baad me Principle sir ke saath interview bhi to hai.
Rajesh:- Ek baat pucchu tujhse...Gussa to nahi hoga naa.
Sameer:- Dekh yaar abhi mai bahut gusse me hu...Tu baaton me suspence rakh kar mujhe aur gussa mat dila...Jo bhi punchna hai jaldi se puchh.
Rajesh:- Yaar jab se tere saath dosti kiya hai pehli baar tujhe gussa hote hue dekha hai...Hamesha tu kitna khush rehta hai aur aaj tu itni chhoti baaton ke liye itna gussa ho gaya...Ye baat mujhe samajh me nahi aaya yaar.
Gusse me hone ke baad bhi maine Rajesh ki baat ko thoda mushkuraa kar jawaab diya.
Sameer:- Dekh bhai...Mai badi se badi baat ko bhi ignore kar sakta hu lekin jab baat self respect par aata hai to mai bardaasht nahi kar sakta...Jab Sir mere baare me ulta sidha bol rahe the to bhi mai unse acche se baat kar raha tha...Lekin apni taraf se safaayi bhi de raha tha...Mai unka izzat bhi kar raha tha aur apna self respect ka bhi khayaal rakh raha tha...Abb mai chup chaap unki har baat to nahi sun sakta...Issliye jarurat padne par jawaab bhi de raha tha.
Aur wo Priya mujhe class me sabhi ke saamne beizzat kar rahi thi...Ham dono me hui chhoti si ladaayi ko pure class ke saamne dikhaane ki kya jarurat thi? Aur agar mai chup reh jaata to sabhi mere baare me galat hi sochte...Iss liye usko uske hi tarike se jawaab de diya...Abb wo kabhi bhi aisa karne se pehle dus baar jarur sochegi.
Aur wo Karan usspar to itna gussa aa raha hai ki agar mai abhi college me nahi hota to usko maar maar ke buraa haal kar deta...College me thaa issliye hungama nahi kiya aur upar se aaj principal sir ke pass bhi jaana hai...Mujhe ek baat samajh me nahi aaya ki wo apna naak hamaare bich kyu ghusaa raha tha...Aur mujh par haath bhi uthaa raha tha...Uss ko aaj ek baat to samajh me aa gaya hoga ki mujhse panga lene ka anjaam kya hota hai...Agar aage bhi ye mujhe aise hi pareshaan karta raha to dikha dunga ki Sameer ka gussa kya cheej hai...Kutte ko dikha dunga ki mai jaldi gussa to nahi hota lekin agar gussa ho gaya to kya kya kar sakta hu.
Uske baad waha kuch der shaanti chaa jaati hai...Rajesh bhi kuch bol nahi paa raha tha...Kuch der ham dono bina kuch bole apna naashta karte rahe...Rajesh ka chup rehna mujhe thoda ajeeb lag raha tha.
Sameer:- Kya hua bey? Kyu chup ho gaya?
Rajesh:- To kya karu? Abb mahaul hi serious ho gaya hai ki kuch bol nahi paa raha hun.
Sameer:- Chill yaar...Kuch serious nahi hai...Lagta hai tu college ki iss ladayi jhagade aur bahas ke baare me jyaada nahi jaanta...Ye sab to aam baat hai...Aur mere liye koi nayi baat nahi...Jab bhi koi mujhse pange leta hai mai uska band acche se baja deta hu...Ye sab to hota rehta hai...Aisi chhoti chhoti baato me mood off nahi karte.
Rajesh:- Lekin fir bhi mujhe aisa lagta hai ki hamne bekaar me hi chhoti baaton ko itna bada kar diya...Bina matlab kuch dushman ban gaye...Karan ki baato se to lagta hai ki wo kuch na kuch to jarur karega apni beizzati ka badla lene ke liye.
Sameer:- Tu mera dost ho kar yeh sab keh raha hai...Tu itna darpok kab se ho gaya? Aur tu uss comedian ki baato se dar gaya...Kuch nahi karega wo aur agar kuch karne ka socha bhi to uske saath uss vakt nipatenge.
Rajesh:- Ye sab baate chhod aur tu ye bata ki tu kabhi sudhrega ya nahi.
Sameer:- Kya matlab hai tera? Mai bigda hi kab tha jo mujhe sudharna chahiye.
Rajesh:- Bigada to nahi hai lekin tujhe nahi lagta ki tujhe apni kuch aadatein badalna padega...Jab dekho tab kisi se lad jaata hai...Kabhi bhi koi baat pe serious nahi hota...Jo marzi me aata hai wahi karta hai...Kab tak aisa hi rahega...Ek na ek din to badalna hi padega na.
Sameer:- Are yaar...Abhi ham college me hai...Ye bas padhne ka aur masti karne ka time hai...Bhagwaan ki meharbaani se accha dimaag mila hai...Jo bhi padhta hu dimaag me set ho jaata hai...Aur rahi baat masti karne ki to yahi vakt hai apni life ko khulke jeene ka aur jo marzi aaye wahi karne ka...Baad me ye vakt kabhi nahi aayega...Aur baad me jab job hogi, shaadi karunga tab matured ho jaaunga aur ussi tarike se sochunga...Filhaal to pura masti karunga aur badalne ka bilkul bhi nahi sochunga.
Rajesh:- Tujhse baat karna hi bekaar hai...Kabhi kisi ka baat nahi maanta...Abb ye bata ki class me jaake kya karega?
Sameer:- (Smiling) Acche se jaan gaya hoga ki mai kabhi nahi badlunga kisi ke kehne pe...Aur class me jaake kya karna hai lecture pe dhyaan dunga.
Rajesh:- Mai padhaai ki baat nahi kar raha...Mai to ye poonch raha hu ki tu abb Karan aur Priya se kaise react karega jab class me jaayega.
Sameer:- Mujhe koi farak nahi padta wo log class me rahe ya nahi...Mai to bas apna kaam se matlab rakhunga...Aise react karunga jaise wo log class me hai hi nahi...Aur fir se panga lene ki koshish kiya to bhagwaan hi unhe bachaye.
Abb teri nautanki khattam ho gaya ho to chale class me? Yaa fir tujhe aur bhi bakwas karna hai?
Rajesh:- Nahi abb koi baat nahi karna...Chal class me lecture ka time ho gaya hai.
Iske baad ham dono class me chale gaye...Lecture suru hone me kuch der aur baaki tha iss liye class laghbhag khaali tha sirf Priya, Divya, Karan aur ek ladki ko chhod kar.
Priya aur Karan to mujhe ghoor rahe the...Mai bhi muskuraata hua apni jagah par baith gaya...Meri muskuraane ki vajah se unka gussa aur badh gaya lekin wo log kuch nahi kar paaye...Mai kuch books nikaal hi raha tha tabhi ek ladki aa gyi mere pass aur boli.
Ladki:- Hi Sameer.
Mujhe vishwaas hi nahi hua ki ek ladki khud saamne se aa kar mujhe hi bol rahi hai...Mujhe to samajh me bhi nahi aa raha tha ki usne hi kyu kaha...Maine usse pooncha.
Sameer:- Ji kahiye...Kya baat hai... Aur aapko mera naam kaise pata?
Ladki:- Tumne hi to Khanna sir ke class me kaha tha ki tumhaara naam Sameer Sharma hai...And my name is Shruti.
Uski baato se to mai kuch soch hi nahi paa raha tha ki wo kyu mujhse baat kar rahi hai...Usne koi kaam ki baat nahi kaha tha...Maine fir se Shruti se poonchaa.
Sameer:- So Miss. Shruti kya aap mujhe apna introduction dene aayi hai...Mai to soch raha tha ki koi kaam ki baat hogi issliye aap mujhse baat karne aayi hai!!
Meri baat sun kar Rajesh hansne laga to Shruti hadbada gayi...Lekin khud ko sambhaaalte huye usne kaha.
Shruti:- To kya tum kisi se tabhi baat karte ho jab koi kaam ho....Waise mai tumse dosti karne aayi thi...Aur tum mujhe aap kehna band karo...Ham log same class me hai.
Sameer:- Ohh to ye baat hai...Aur ye batao ki tum mujhse dosti karna kyu chahti ho?
Mai to hamesha ki tarah usse jawaab de raha tha lekin meri har jawaab sunne ke baad pehle wo meri baato ka matlab samajhne ki koshish karti aur fir jawaab deti....
Shruti:- Mujhe tumhaara himmat bahut accha laga...Sir se bina kisi dar ke tumne baat kiya...Aur to aur uss Ladki ko majja chakhaaya.(Shruti hansne lagi aur Priya usko gusse se ghoorne lagi)...Aur uss ladke ko bhi acche se maara (Abb Karan bhi usko gusse se dekhne laga)...Mai gate ki baahar se pura live show dekh rahi thi...Mujhe tumhaara daring bahut pasand aaya issliye socha ki tumhe apna dost banaana chahiye.
Shruti ki baato ko sunne ke baad aur Priya aur Karan ki chehre ke gusse ko dekhne ke baad mai bhi muskuraa kar bola.
Sameer:- Waise dosti karne me mujhe koi problem nahi hai...Mai to har kisi ko apna dost maanta hu aur sabhi se friendly behave karta hu...Mujhe bas vishwaasghaati dosto se nafrat hai...(Priya aur Karan ki taraf dekhte hue) Aur jo log mujhe apna dushman maante hai mujhe unse koi matlab nahi.
Shruti:- Tum baat bahut ajeeb tarike se karte ho...Samajhna bhi mushkil hai...Bas itna kaho ki tum mujhse doshti karoge yaa nahi.
Sameer:- (Muskuraate hue) Yes...Aajse ham friends.
Maine bas itna hi kaha tha ki students class me aane suru ho gaye...Wo muskuraate huye apni jagah par chali gayi...Ek najar Priya aur Karan ki taraf dekha to wo log abhi bhi mujhe gusse se hi ghoor rahe the...Maine koi parwaah nahi kiya aur iske baad lectures me busy ho gaya.
Jab saari lectures khattam ho gaya to mai apna bag uthaa kar ghar jaane laga...Principal sir se milna hai ye baat dimaag se nikal gaya tha...Kucch aage hi pahuncha tha class se nikalne ke baad ki tabhi Khanna sir mil gaye aur unhone mujhse kaha
Mr. Khanna:- Kaha jaa rahe ho tum? Bola thaa na maine lectures ke baad principal sir ki office me aana.
Khanna sir ki aawaj se gussa saaf jhalak raha tha...Wo abhi tak subah waali baat ko bhulaa nahi paaye the.
Sameer:- Oh. Sorry Sir...Dimaag se ye baat nikal gaya...Chaliye chalte hai principal sir ki office me.
Iske baad Mai aur Khanna sir dono principal sir ki office me chale gaye...Waha jaakar dekha to Principal sir hamaara hi wait kar rahe the aur gusse me bhi lag rahe the...Mujhe iss baat se koi farak nahi pada aur maine kaha
Maine bas itna kaha...Sir kuch der mujhe gusse se ghoorte rahe aur bole.
Principal:- Aayie Mr. Sameer Sharma...Aapka hi intejaar kar raha tha.
Principal sir ki baat se mai soch me pad gaya ki unhone mujhe kaise pehchaan liya aur mera intejaar kyu kar rahe the?
Sameer:- Sir...Aap mera intejaar kar rahe the...Ye baat samajh me nahi aaya...Aur aapne mujhe kaise pehchaan liya?
Principal:- Aapko iss liye pehchaana kyu ki aap hi wo sincere student hai jiski complaint mere pass sabse pehle aayi hai...Aur uske baad maine aapka pura detail check kar liya...Ek baar aapse baat karna chahta tha iss liye aapka intejaar kar raha tha.
Principal sir baat to bahut meethi meethi baat kar rahe the lekin unki baat me unka gussa koi bhi samajh sakta tha...Mujhe pata tha ki maine koi galti kiya hi nahi hai to darne ki koi baat nahi...Maine bhi Sir ko keh diya.
Sameer:- Sir mujhe lagta hai ki Khanna sir aapko sab kuch bata chuke hai...To mai iss matter ko aur explain nahi karunga...Aur mujhe nahi lagta iss me meri koi galti hai...Khair mai jyaada baat nahi karna chahta...Aap apna faislaa suna dijiye.
Maine sir ko bahut hi halke tarike se keh diya...Mera makshad unka apmaan karna nahi tha...Lekin sir ko meri baat bilkul bhi accha nahi laga...Wo kuch bolne hi waale thhe ki Khanna sir ne Principal sir se kaha.
Mr. Khanna:- Dekha sir aapne...Kitna badtameez hai ye ladka...Baat karne ki bilkul bhi tameez nahi hai...Class me bhi mere saamne aise hi baat kiya tha issne...Mai to kehta hu nikaal dijiye aap isko college se.
Mr. Khanna ki baat sunne ke baad mujhe thoda hairaani hua ki wo itni chhoti si baat ke liye mujhe college se nikaalna chahte the...Mujhe iss baat se bhi kuch fark nahi pada aur mai chup raha...Principal sir ke faisla ka wait kar raha tha.
Principal:- Sameer tum Dr. Sharma ke beta ho na?
Sameer:- Yes Sir...Mai unhi ka beta hun.
Principal:- Jaante ho wo mera dost hai...Bahut din ho gaya usse mile hue...Wo to bahut hi accha insaan hai...Sabhi ke saath acche se behave karta hai...Lekin mujhe tumhe dekh aascharya ho raha hai ki tum uske beta hone ki baawjood itna badtameez kaise ho...Tum aur tumhaara baap ki nature me jameen aasmaan ka difference hai.
Principal sir thoda hairaan aur thoda gussa bhi the...Mujhe bhi unki baat kuch accha nahi lag raha tha...Fir bhi maine aaram se jawaab diya.
Sameer:- Sir...Mere Papa ne mujhe ye hi sikhaaya hai...Apne se bado ki izzat karna aur sabhi se acche se behave karna...Lekin ye bhi sikhaaya hai ki jab koi bewajah tumhe pareshaan kare to chup mat baithna...Aur jhutthe ilzaam ko mat sehna...Khud acche se raho aur jab koi pareshaan kare to usko ushike tarike se samjhaaao...Mai to Khanna sir se acche se baat kar raha tha lekin sir ne jab mere baare me ulta sidhaa bolna suru kiya tab maine jawaab diya...Fir bhi mai inhe acche se hi jawaab de raha tha..Agar unki jagah koi aur hota to mai uski acche se band baja deta.
Ye kehte hue mujhe Karan ki yaad aa gaya aur last ki line maine thoda gussa me bhi kaha tha...Meri baat sunne ke baad Principal Sir gussa me bole.
Principal:- Bas Sameer bahut hua...Ye mera office hai...Tameej se baat karo...Aaj mai tumhaare Papa se baat karta hua aur unhe tumhaare kartut ke baare me batata hu...Aur Sameer mai tumhe tumhaare iss harkat ki vajah se tumhe college se nikaal bhi sakta hun.
Abhi tak to mai aaram se baat kar raha tha...Lekin sir ki iss baat se mujhe bhi gussa aa gaya...Aur maine thoda gussa ke saath kaha.
Sameer:- Sir aapko jo karna hai kijiye...Mai kuch nahi kahunga aur mujhe koi fark bhi nahi padega...Mujhe iss college me free scholarship me admission milaa tha...Agar iss college ko chhod diya to bhi koi fark nahi padega...Bahut si college hai iss city me...Kisi ek me padh lunga...Aur Sir Papa ko jo bhi bataana hai bata dijiye...Mai unhe sab sach sach bataa kar samjhaa dunga...Itna to yakin hai mujhe ki wo mera baat par vishwaas jarur karenge.
Mera achanak se gussa ho jaana aur iss tarah baat karne se Khanna sir aur Principal sir dono hairaan ho gaye...Wo dono kuch nahi bol rahe the...Kuch der wahi khada rehne ke baad mai bola.
Sameer:- Sir aap kuch bol nahi rahe hai...Mujhe lagta hai abb mera yaha rehne ki koi kaam nahi hai...To Sir mujhe lagta hai ki abb mujhe nikalnaa chahiye.
Meri baat sunne ke baas Principal sir ne gusse me kaha.
Principal:- Jaao.
Mai bhi waha se nikalne laga aur gate me pahunch kar picche mood kar sir ki taraf dekhte hue kaha.
Sameer:- Sorry Sir...Mujhe aise gusse me baat nahi karna chahiye tha...Lekin mujhe afsos bhi nahi hai...Maine jo bhi kaha mujhe nahi lagta ki maine kuch bhi galat kaha hai.
Iske baad mai waha se nikal gaya aur ghar ki aur chala gaya.
PRESENT
Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Mahesh ki mobile me kisi ka phone aaya...Wo phone pick karke kuch der baat karta hai...Phone cut karne ke baad Mahesh Sameer ko kehta hai.
Mahesh:- Sorry yaar...Ghar me kuch emergency kaam aa gaya hai aur Mom ne mujhe abhi ghar bulaya hai...Kal subah fir yahi milenge...Aur baad ki baat karenge.
Sameer:- Thik hai yaar...Tu jaa...Teri family ko teri jarurat to hai...Mera family ne to mujhe ignore kar diya...Mera waha hone aur naa hone se unko koi fark bhi nahi padta...Kya karu yaar...Galti bhi mera hi hai..
Sameer ne bahut hi emotional ho kar ye baat kaha...Mahesh ko bahut dukh hota hai Sameer ki haalat dekh kar...Lekin usko apne ghar me kuch urgent kaam bhi thaa...Issliye wo Sameer ko samjhaate hue kaha.
Mahesh:- Yaar tu himmat rakh...Agar tu hi himmat haar gaya to kaise chalega...Tu chinta mat kar yaar...Mai hamesha tere saath hu...Kal tu mujhe puri baat bataana uske baad mai kuch na kuch jarur sochunga yaar.
Mahesh ne Sameer ko samjhaate hue kaha...Sameer ko Mahesh ka saath se uski dard me bhi thoda sa sukoon mila...Usko lagne laga tha ki usko ek saccha dost mil gaya hai jo usko hr mushibat me saath dega.
Sameer:- Tu mera saath hai...Yahi mere liye bahut hai...Abb tu ghar jaa...Aisi emergency me deri nahi karte...
Mahesh:- Tu bhi sambhal kar jaana...Bahut beer pee liya hai tune...Gaadiyon ko dekh kar chalna.
Sameer:- Chinta mat kar yaar...Agar mar bhi gaya to hi shaayad koi aansu bahayega mere liye...Sabhi ki najaro me galat ban gaya hu...Yaha tak ki khud ki najaro me bhi...Mai galli se hote hue chala jaaunga...Udhar koi gaadi nahi aati...Aaram se pahunch jaaungaaa...Lekin tu der mat kar...Jaldi se jaa.
Sameer har pal khud ko kamjor mehsoos kar raha tha...Mahesh ko uski iss haalat par bahut dukh hota hai...Wo to soch raha tha ki Sameer ko uske ghar tak chhod kar ghar jaaye...Lekin jis tarah se uski Mom ne usko bulaaya tha ussko sochte hue usko thoda dar bhi lag raha tha...Aur wo abb bina der kiye apne car ko apni ghar ki aur teji se dauda deta hai.
Idhar Sameer bhi ladkhadaate hue apna ghar pahunch jaata hai...Aaj uska bhaagya kuch accha tha...Mr. aur Mrs. Sharma aaj ghar par nahi the...Kuch kaam ke liye ek ghante ke liye baahar gaye the...Ussi vakt Sameer apne ghar me enter karke siddhiyon se ladhkhadaate hue apna room me pahunch jaata hai.
Jab wo apna room me pahunchta hai to Priya bhi room me hi maujood thi...Priya usko iss haalat me dekh kar shocked ho jaati hai aur gusse se poonchti hai.
Priya:- Tum kaha se aaye ho aur ye kaisi haalat bana liya hai tumne...Jarur daru piya hoga tumne.
Priya ki aawj me uska Sameer ke liye gussa aur nafrat saaf jhalak raha tha...Sameer bhi bas itna hi keh paata hai.
Sameer:- Dost se milne gaya tha.
Sameer ne bahut dhire se ye baat kaha...Uske pass abb itna himmat nahi tha ki Priya ke saamne thodi bhi uncchi aawaj me baat kar sake...Sameer apni haalat dekh khud par hi taras khaa raha tha...Wo Priya se pehle din ki mulaakat ko yaad karta hai...Wo ek aisa samay tha jab Sameer Priya ko apne khilaaf kuch bolne nahi deta tha lekin aaj wo khud wahi Priya ke saamne kuch bol nahi paa raha tha...Kitna majboor ho gaya tha Sameer jo kabhi koi agar uski beizzati kare to seh nahi paata tha lekin aaj wo khud hi apni najro me gir gaya tha.
समीर अपनी वर्तमान जिंदगी से निराश है क्योंकि प्रिया से शादी हो जाने के बाद प्रिया तो नाराज है ही लेकिन उसके साथ उसके मम्मी पापा भी समीर से नाराज हैं, क्योंकि समीर ने बहुत बड़ी गलती की है।।
Priya:- Tumhaara himmat kaise hua dare peekar mere saamne aane ki? Jaldi se baahar jaao.
Priya ne Sameer se najar hatate hue ye baat kaha...Iss baar Sameer ko bhi gussa aa gaya aur upar se pehli baar daaru peene ka nasha...Usne bina soche samjhe bol diya.
Sameer:- Tu hoti kaun hai mujhe mere room se nikalne wali aur mujhe samjhaane wali ki mujhe daaru nahi peeni chahiye...Mera life hai aur mera marzi...Mai daru piyu ya fir drugs lu tujhe isse kya matlab...Itna mujhe khud par vishwaas hai ki mai chaahe jitna bhi nasha me kyu na rahu tujhe kabhi touch nahi karunga...Abb mera dimaag aur kharaab mat kar...Agar tujhe mera daaru peene se problem hai to tu khud hi baahar chali jaaa.
Sameer ne apna saara gussa nikaal liya aur sofe pe lait kar blanket apne upar chaddha liya.
Priya Sameer ki harkat me achanak aisa badlaaw aane se shock ho jaati hai...Shaadi ke baad ye pehla mauka tha jab Sameer ne uske saath itni tej aawaj me aur gusse ke saath baat kiya tha...Usko to Sameer ki baat par bahut gussa aa raha tha...Isse pehle ki wo kuch kari uske mobile me kisi ka phone aa jaata hai.
Wo apna mobile me dekhti hai to phone Divya ka tha...Usko Divya par bhi bahut gussa aa raha tha...Usne call ka koi response nahi diya...Call katne ke baad fir se Divya ki call aa jaata hai...Wo iss baar bhi call nahi uthaati...Jab 4 baar aur call aata hai to Priya sochti hai ki shaayad Divya usse kuch jaruri baat karna chahti hai...Aur call uthaate hue gusse me kehti hai.
Priya:- Ha bol...Kya kaam hai???
Divya:- Abhi bhi naaraj hai kya mujhse...Please yaar maaf karde...Hum sab majboor thhe.
Divya ne Priya se maafi maangte hue kaha.
Priya:- Mai kaise tujhse naraaj ho sakti hu...Tum logo ne bahut accha kiya meri shaadi karwa kar...Tune apni dosti acche se nibhaayi hai.
Priya ki aawaj se hi uska gussa pata chal raha tha...Priya kehna to aur bhi bahut kuch chahti thi lekin kuch soch kar chup ho gayi...Priya ka gussa dekh Divya ki himmat gayab ho gayi bolne ki aur wo chup ho gayi...Kuch der ki khaamoshi ko todte hue Priya hi boli.
Priya:- Tu chinta mat kar...Mai tujhe kuch nahi kahungi...Jab mere maa baap ne hi mera saath nahi diya to tujhse kya ummeed rakh sakti thi...Paiso ke liye meri jindagi barbaad kar diya.
Abb Priya ki aawaj me gussa ki jagah ek dard tha...Wo Divya se roti hui boli...Divya ko Priya ki baat pe dukh bhi ho raha tha aur thoda gussa bhi aa raha tha.
Divya:- Ye tu kya bol rahi hai...Tu apni maa ki baare me aisa bol bhi kaise sakti hai...Maana ki teri baap ne paise ke liye teri shaadi karwaa diya lekin issme teri Maa ki koi galti nahi hai...Wo bhi bahut majboor thi...Issliye teri shaadi Sameer se karwaana pada...Tu to apni Maa ko bacchpann se jaanti hai naa...To kaise unke baare me aisa soch sakti hai...Sharam aani chahiye tujhe unke baare me aisa bolte hue bhi.
Itna keh kar Divya gusse me phone kaat deti hai...Priya Divya ki baat sunne ke baad ek baar sochne par majboor ho jaati hai.
Priya:- (In her mind) Kya Maa ki koi galti nahi hai? To fir unhone kyu mujhe apna kasam de diya shaadi ke liye? Kyu jabardasti meri shaadi karwa di gai? Divya keh rahi thi ki koi majboori thi unki...Lekin kaisa majboori ho sakti hai? (Kuch der sochne ke baad) Kahi Sameer ne to majboor nahi kiya? Shaayad ye shaadi ki picche koi na koi badi vajah jarur hai...Mujhe ye jaana hi hoga....Kisse pucchu? Agar Sameer se pooncha to ye jarur koi jhoothi kahaani sunaa dega...Shaayad Divya se hi poonchna sahi hoga.
Ye sab sochne ke baad Priya fir se Divya ko call lagane lagti hai lekin uski haath ruk jaati hai jab uski najar Sameer ki haath par padta hai...Sameer ki haath sofa ki sheet se blanket se baahar nikal kar niche latak raha tha...Aur uski haath me jo ghadi thaa usko dekh kar Priya hairaan ho jaati hai.
Wo apni jagah se utth kar Sameer ke pass jaati hai aur ghadi ko gaur se dekhne lagti...Jab wo ghadi ko acche se dekhti hai to uski hairaani aur badh jaati hai...Wo gusse se Sameer ko uthaati hai aur kehti hai.
Priya:- Sameer ye kya hai?
Ye kehkar Priya Sameer ka ek haath uthaa kar uske dusre haath me rakh deti hai...Sameer jaag to gaya tha lekin fir bhi nashe ki vajah se usko neend lag raha tha...Usko Priya ki iss tarah se uthaane ki vajah se aur uski iss question se gussa aa jaata hai.
Sameer:- Tumne bhi piya hai kya jo nahi pehchaan rahi ho...Ye mera haath hai...Abb chhodo aur mujhe sone do.
Itna keh kar Sameer phir se lait jaata hai sone ke liye...Priya ko uski baat se gussa aa jaata hai aur wo bhi kehti hai.
Priya:- Mai haath ki baat nahi kar rahi hu...Mai tumhaare haath ki ghadi ki baat kar rahi hu.
Priya ki sawaal ka jawaab Sameer aankh band karke hi deta hai.
Sameer:- To kya problem hai tumhe meri ghadi se?
Priya:- Tumhaare pass Karan ki ghadi kaha se aaya...Kahi tumne uski ghadi to nahi churaaya?
Priya ki iss baat se Sameer shocked ho jaata hai...Khud par chori ki ilzaam lagne se uska saara neend gaayab ho jaata hai...Wo utth kar bed par baith jaata hai aur kehta hai.
Sameer:- Kya...Kya kaha tumne?Maine Karan ki watch churaaya...Mera abhi aise bhi bure din nahi aaya ki mujhe uss comedian ki koi cheej churaana pade.
Priya:- Tameej se baat karo.....Agar fir se Karan ko comedian bola na to dekh lena...Agar tumne ye ghadi nahi churaaya to ye tumhaare pass kaise aaya? Ye to Karan ki ghadi hai.
Abb tak Sameer puri tarah se hosh me aa gaya tha...Aur usko kuch yaad aaya aur kaha.
Sameer:- Abb samajh me aaya...Yaad hai tumhe ham sab ek baar college tour me gaye the...Tab maine ek baar mera iss watch ko khol kar ek jagah me rakh diya tha...Baad me lene gaya to gayab tha...Baad me Karan ke pass mila...Usne mera watch ko uthaa liya tha...Shaayad tumne ussi time dekha hoga iss watch ko uske paas.
Sameer ki baat sunne ke baad Priya ko aaj ki din ka dusra shock laga...Usse bhi yaad aaya ki usne Karan ki haath me uss ghadi ko bas ek baar hi dekha tha...Wo waha se utth kar apni bed par chali gayi aur baith kar aaj ki pure din ke baare me sochne lagi.
बहुत ही बढ़िया।
समीर इतना ज्यादा दुःखी है कि वो अपना गम भुलाने के लिए शराब पीकर घर आया तो प्रिया उसपर भड़क गए। प्रिय तो एकदम पत्नियों जैसा बर्ताव कर रही है।
ये करन तो सचमे बहुत ही घटिया आदमी निकला। उसने प्रिया को धोखा देकर अपने प्यार के जाल में फंसाया।।
Sameer Priya ke jaate hi ulta ghum kar fir se sone ki koshish karta hai...Priya aaj Sameer aur Divya ki baat sun kar hairaan ho gayi...Lekin Sameer ki baat sunne ke bad usse vishwaas hi nahi ho raha tha...Wo kuch sochte hue turant utth kar Sameer ke pass gayi.
Priya:- Sameer. (Uski baato se abhi bhi thoda gussa jhalak raha tha)
Sameer sone ki koshish kar raha tha aur abb sone hi waala tha ki Priya ki baat ne uska neend fir se tod diya...Usko gussa to bahut aa raha tha aaj Priya par...Jab wo shaam me mushkil se ghar me aaya tha tab Priya ka uss par chillaana, aur jab wo soo gaya tha tab fir se jaga kar uspar hi chori ka ilzaam laga diya aur abb jab Sameeer fir se sone laga tha fir jaga diya...Sameer ko to itna gussa aaya thaa ki agar Priya ki jagah koi aur hota to pakka uska band baj jaata...Lekin Priya se usko abb kis tarah se baat karna chahiye ye usko samajh nahi aa raha tha....Jab bhi Priya ki taraf dekhta usko apni galti ka yaad aa jaata aur wo Priya se najre nahi maila paata...Fir bhi usne Priya se kaha.
Sameer:- Abb kya hua...(Ghadi ki taraf dekhte hue) Raat ka 11:00pm baj raha hai...Iss vakt kyu jagaa rahi ho...Sone do abhi bahut neend aa raha hai.
Sameer ne apne gussa ko dabaate hue kaha lekin wo fir bhi apni aawaj me se frustration ko nahi dabaa paaya tha...Lekin Priya ne uski baat ka koi parwaah na karte hue kaha.
Priya:- Tum apna ghadi utaaro.
Sameer ko Priya ki baat thoda ajeeb laga...Wo kyu usse apna ghadi utaarne ke liye keh rahi hai? Lekin wo abb koi bahas nahi karna chahta tha...Aur apna ghadi utaarkar Priya ko diya.
Sameer:- Ye lo ghadi aur ab mujhe sone do.
Itna keh kar Sameer ne Priya ki taraf ghadi badhaa diya...Usko pata hi nahi tha ki Priya kaha khadi hai...Jab se wo jagaa thaa wo Priya se apna face ghumaa kar baat kar raha tha...Priya ki taraf ek baar bhi nahi dekha tha...Jab kuch der tak bhi Priya ne uske haath se ghadi nahi liya to wo thoda gusse se bola.
Sameer:- Abb kya hua...Kuch der pehle hi ghadi maang rahi thi...Abb de diya to nahi le rahi ho...Tumhaari problem kya hai...Nahi lena hai to mat lo...(Sameer ghadi waapas apne pass rakh leta hai) Abb please jaao aur mujhe sone do.
Iss baar Sameer ki aawaj me thoda gussa bhi thaa...Aakhir kab tak wo khud par control rakh paata...Lekin abhi bhi kucch hadd tak control me tha.
Priya:- (With attitude) Mujhe tumhaara ghadi nahi chahiye.
Priya kuch der se lagataar Sameer ki haath ko ghur rahi thi...Iss baar wo bas itna bol kar fir se Sameer ki haath ko gaur se dekhne lagi lekin jis jagah par wo dekhna chahti thi wo dekh nahi paa rahi thi.
Sameer:- Ghadi nahi chahiye thaa to nikalwaaya kyu aur tum kyu mera dimaag kharaab kar rahi ho.
Har baat par Sameer ka gussa badh raha tha...Lekin abb isse aage wo kuch kehta Priya ne Sameer ka left hand khinch liya.
Sameer:- Ye kya kar rahi ho tum...Mujhe lagta hai aaj tum sach me paagal ho gayi ho aur aisi paagalo waali harkat kar rahi ho...Abb mera haath chhodo.
Iss baar Sameer ki aawaj me gussa ki jagah hairaani tha...Usse samajh me nahi aa raha tha ki Priya ne achanak se uska haath kyu pakad liya.
Priya:- Apna haath ghumaao....(Priya ne utsukta ke saath kaha)
Sameer ne bhi usse bahas karne se accha uski baat maana hi sahi samjha aur apna haath ghumaa diya.
Jab Sameer ne apna haath ghumaaya to uski haath me lagi gahare ghaaw ki nisaan dekh Priya chaunk gayi aur chaunkte huye boli.
Priya:- Ye ghadi tumhaara, iss jagah pe ghaaw ka nisaan matlab uss din tumhi the jisne mujhe bachaaya.
Priya ka iss tarah se bolne se Sameer ko bhi hairaani hua...Uska neend iss baar bhi puri tarah se gaayab ho gaya aur usne hairaani se pooncha.
Sameer:- Abhi tak maine tum se kuch nahi puccha lekin abb mujhe tum ye bataao ki tumhe meri ghadi aur ghaaw ki nisaan se kya kaam aur jis tarah se tumne mujhe mera ghaaw ki nisaan dikhaane ko bola usse to yahi lagta hai ki tumhe pehle se pata tha ki mere ghadi ki nicche waali hisse par ghaaw tha aur sabse badi baat maine tumhe kab bachaaya...Mujhe to kuch yaad nahi aa raha hai.
Sameer ko Priya ki baat sun uski harkat dekh kar sach me hairaani ho raha tha.
Priya:- Yaad hai tumhe wo college tour...Tumne ek ladki ko bachaaya tha ek pahad se nicche girne se...Ussi vakt tumhaara haath ek patthar se chhil gaya tha aur ye ghaaw ka nissaan wahi hai...Mai hi wo ladki thi jisko tumne bachaaya...Uss time tej barshaat aur baadalon ki vajah se mai tumhaara face nahi dekh paayi thi...Bas tumhaara ghadi aur ghaaw ko hi dekh paayi thi.....Jab tumne mujhe bachaaya tab tum jaldi se kahi chale gaye the...Tumhe thanks bhi nahi keh paayi.
Iss vakt Priya ka saara gussa gaayab ho gaya tha Sameer ke liye...Usse hairaani ho raha tha ki Sameer ne hi usko bachaya tha...Abb usse samajh me nahi aa raha tha ki abb kaise react kare...Udhar Sameer ko bhi hairaani ho raha tha ki jis ladki ko usne bachaya tha wo Priya thi.
Sameer:- Ohh...To wo ladki tum thi...Mai bhi barshaat ki vajah se tumhe nahi dekh paaya tha...Accha hua ki nahi dekh paaya agar dekh leta to pata nahi tumhe bachaata bhi ya nahi...Mai har kisi ka help karta hu lekin apne dushmano ka nahi...Lekin uss condition me mai kya karta ye mujhe bhi nahi pata...Aur jab maine tumhe bachaaya tha tab jaldi se Shruti ki birthday ke liye chala gaya tha...Wo mera hi wait kar rahi thi...Pehle hi tumhe bachaane ki chakkar me late ho gaya tha aur upar se agar tumse baat karne lagta to aur bhi time waste ho jaata...Aur mai nahi chahta tha ki kisi bhi ladki ke liye mai Shruti ka birthday party miss kar du...Aakhir wo meri best friend hai...Maine apna kaam to pura kar diya tumhe bachaane ki yahi mere liye kaafi tha...Iss liye mai chala gaya bina thanks sune.
Aur jab Shruti ki birthday party par pahuncha to haath se khun thoda jyaada behne laga tha...Issliye apni ghadi utaar kar camp ki side me rakh diya aur kisi ko pata nahi chale iss liye kisi ko nahi bataya ki mera haath buri tarah se kat gaya hai...Maine apna rumaal se apna haath baandh liya...Aur baad me jab ghadi lene aaya to kisi ne uthaa liya tha...Baad me pata chala ki wo tumhaara Karan ka kaam hai...Uss time to itna gussa aa raha thaa ki do thappad laga diya kameene ko ...Mera birthday gift tha jo mujhe mere Papa ne diye the aur ussi gift ko usne churaa liya tha.
Sameer ne to puraa baat bat diya Priya ko...Lekin Sameer ka usko dushman kehna, Shruti ke baare me accha bolna Priya ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha...Sameer ki baat sunne ke baad Priya ko abb Karan par bhi gussa aane laga...Wo Sameer ko bas itna hi keh paayi.
Priya:- Abb tum so jaao...Aur disturb nahi karungi.
Itna keh kar Priya apne bed par chali gayi...Aur sochne lagi.
Priya:- (In her mind) Iska matlab Sameer ne mujhe bachaya....Wo to mujhe apna dushman maanta thaa aur hai to fir usne mujhe kyu bachaya....Usne mera chehra nahi dekha tha issliye aur usne abhi to kaha ki usne mujhe nahi pehchaana aur pehchaanta to bachaata chi yaa nahi usse nahi pata....Bachaa kar bhi kaun sa accha kaam kiya hai usne...Meri life ko barbaad kar diya...Saare sapne tod diya aur Karan se bhi alag kar diya...Mai iss kaam ke liye Sameer ko kabhi maaf nahi karungi.
Aur Karan usne mujhe kyu jhoonth bola...Wo ghadi uska nahi tha aur naa hi usne mujhe bachaya...Lekin usne jhooth bola aur kaha ki ye uska ghadi hai aur usne mujhe bachaaya...Tabhi se to mai Karan se pyaar karne lagi thi...Karan ne mujhse jhooth bola aur wo bhi itna bada jhooth...Jhooth se hi hamaara pyaar ki rishte ka suruwaat hua...Lekin usko kaise pata chala ki mai pahaad se niche girne waali thi....Shaayad usne kahi se dekh liya tha....Ek baar usse iss baare me baat karna hi padega.
Priya apne man me ateet ki wo saari baat ko yaad kar rahi thi aur sabhi baato ko gaur se soch bhi rahi thi...Idhar Sameer bhi Priya se baat karne ke baad kuch hi der me so gaya lekin kisi ke phone ne fir se usko jaga diya...Wo bhi gusse se mobile ki taraf dekhne laga...Mobile ki screen me Rajesh ka naam show kar raha tha...Abb wo gusse me phone pick kar leta hai aur apna saara gussa Rajesh pe phone par hi utaarne lagta hai.
समीर नर अनजाने में ही सही प्रिया को मौत के मुंह में जाने से बचाया था। जिसके बाद प्रिया को कारण से प्यार हुआ था, लेकिन उस प्यार की नींव झूठ पर राखी गए थी। इसलिए करण ने प्रिया से किनारा कर लिया।
Sameer phone recieve karne se pehle apne room se baahar nikla aur phone uthaakar chhat ki taraf chala gaya...Wo Rajesh ke saath Priya ki maujoodgi me baat nahi karna chahta tha.
Sameer:- Ha kya hua? Itni raat ko phone kyu kiya?
Sameer ki aawaj se uska gussa ka pata chal raha tha...Udhar se Rajesh ne thoda darte hue kaha.
Rajesh:- Mujhse naraaj hai kya? Itna gussa kyu hai?
Rajesh ki iss baat ne Sameer ka gussa aur badha diya.
Sameer:- Abe kameene...Tune mujhe yahi pucchne ke liye itni raat ko phone kiya...Yahi baat subah nahi pucch sakta tha kya....Mera neend tod diya tune kameene...Aaj to koi chhain se sone bhi nahi de raha.
Sameer ka abb sir aur aankh dono me dard hone laga tha...Pehle to daru ki nasha aur abb neend ki nasha dono ne Sameer ko jakad liya tha...Usne gusse me Rajesh ko daant diya.
Rajesh:- Itne din se lag raha tha ki tu mujhse naraaj hai iss liye tujhse baat karne ki himmat nahi hua...Socha aaj himmat karke baat kar leta hu...Pehle to tujhe raat ke 12:00am me phone karta to bhi tu uthaa leta tha...Iss liye socha abhi der nahi hui hai...Bas bhai itna kehna chahta hu ki jo bhi hua unn sab me maine jaanboojh kar kuch bhi nahi kiya...Mujhe maaf karde yaar...
Sameer:- Nahi yaar...Isme tera koi galti nahi hai...Jo bhi kiya maine kiya...Mai tujhse naraaj nahi hu...Lekin bhai abhi mujhe sone de yaar...Bahut jor ki neend lagi hai...Upar se daaru ki nasha...Sir dard se fata jaa raha hai...Jo bhi baat karni hai kal kar lenge.
Sameer ne bahut mushkil se ye baat kaha...Usse to bolne ka man bhi nahi tha...Fir bhi usne bahut mushkil se itna keh diya.
Rajesh:- Thank God...Mai to yahi soch kar ghut raha tha ki maine bahut badi galti kiya hai aur mai tujh se kabhi najre nahi milaa paaunga...Sameer ek baat pe dhyaan dena...Mujhe Shruti ke upar doubt ho raha hai...Jarur iss khel me uska koi haath hai...Mujhe wo thik nahi lag rahi hai.
Rajesh ne apna shak Sameer ko bata diya...Sameer ko bhi hairaani hua Rajesh ki baat sun kar.
Sameer:- Ye tu kya keh raha hai Rajesh...Wo dost hai hamaare...Uske baare me aisa kaise soch sakta hai...Jab usko mera aur Priya ki shaadi waali baat pata chala to pata hai wo kitna dukhi huyi thi...Wo mujhse pyaar karti hai yaar...Wo aisa kaise kar sakti hai...Jarur tujhe koi galatfehmi hua hai.
Sameer ko Rajesh ki baat se bahut hairaani ho raha tha aur wo sab uski baato se bhi jhalak raha tha.
Rajesh:- Mujhe bhi pehle laga tha ki wo hamaari dost hai...Lekin abb mujhe uspar shak ho raha hai...Maana ki wo tujhe pyaar karti hai lekin ye baat tu bhi jaanta hai ki wo Priya se nafrat bhi karti hai...Mujhe to lagta hai usne Priya ko nukshaan pahunchaane ke liye koi planning kiya tha...Bhai mere baat ko halke me mat lena...Iss par ek baar dhyaan se jarur sochna...Chal abb rakhta hu phone and good night.
Itna keh kar Rajesh ne phone cut kar diya...Sameer ko Rajesh ki baat ne ek baar fir se sochne par majboor kar diya...Wo fir se Shruti aur Priya ki dushmani yaad karne laga...Usko abb kuch samajh me nahi aa raha tha neend ki vajah se...Usne socha ki wo iss baare me baad me sochega aur chala gaya apne room me sone ke liye.
Jab wo apna room me gaya to usne dekha ki Priya usse ghoor kar dekh rahi hai...Usse bahut hairaani hua aur usne aankho se hi puch liya ki "Kya hua?'' Jawaab me Priya ne usko hi sawal pucch diya.
Priya:- Kaha gaye the?
Sameer ki hairaani aur badh gaya Priya ki iss sawaal se...Priya ne ye sawal kyu puccha usse iss baat ki hairaani ho rahi thi.
Sameer:- Rajesh ka phone aaya tha to chhat par gaya tha...Aur tum ye sab kyu pucch rahi ho?
Priya:- To tum yaha baat nahi kar sakte the? Aisi kaun si baat hai jo mujhse chupa kar Rajesh se baat kar rahe the?
Sameer:- Kyu? Tumhaare saamne mai baat kyu karu? Mera life hai mera marzi...Mai kisi ke saamne dosto se baat karna pasand nahi karta...Iss liye mai akele maine jaake usse baat kiya...Tumse shaadi karna mera majboori tha...Maine tumhe dil se apna patni nahi maana...So tum apna ye acting band karo?
Aaj daaru ki nashe me Sameer ne dusri baar Priya se gusse me baat kiya tha...Daaru ne usko kuch pal ke liye hi sahi waapas puraana Sameer bana diya tha...Agar koi aur pal hota to Sameer shaayad Priya ki har ek baat ko seh leta lekin daaru ne abb apna asar dikha diya tha...Priya ko Sameer ki baat bilkul bhi accha nahi lagta lekin wo kuch bolti nahi...Bas Sameer ko gusse se ghur rahi thi.
Sameer bhi abb kuch nahi bolta hai...Aur sofa me lait kar so jaata hai.
Sameer ke sone ke kuch der baad hi Priya ko waapas Divya ka call aa jaata hai.
समीर को भले ही लगता है कि श्रुति उसकी दोस्त है लेकिन राजेश को श्रुति के उर शक है। उसे लगता है कि आज प्रिया और समीर की जो हालात है उसकी जिम्मेदार श्रुति ही है। जिसके बारे में उसने समीर को आगाह किया । लेकिन समीर के सिर पर श्रुति के झूठी दोस्ती की पट्टी बंधी है।।
Priya:- Abb kya hua? Tabhi to bahut gusse me tune call cut kiya tha...Jo bhi baat hai jaldi se bol aur phone rakh.
Priya ka abhi baat karne ka koi mood nahi tha...Divya se to pehle se hi wo gussa aur naraaj thi.
Divya:- Please meri baat dhyaan se sunn...Abhi mai jaanti hu ki tu mujhse bahut naraaj hai...Lekin mai jo bhi kahungi uss ko dhyaan se sunna.
Priya:- Mujhe pata hai abb tu yahi kahegi ki Sameer accha ladka hai...Uske saath tu bahut khus rahegi...Sab log acche hai bas tu hi acchi nahi hai...Yahi kehna chahti hai na tu...Tu ne kya sab ko accha saabit karne ki kasam khaayi hai kya?
Divya:- Sameer ka to pata nahi lekin Karan bilkul bhi accha nahi hai...Bas yahi bataane ke liye tujhe phone kiya tha.
Divya ki iss baat se Priya ka gussa aur bhi badh gaya...Abb wo Divya par bhadak gayi.
Priya:- Bas kar teri bakwas...Tab se dekh rahi hu...Bas mujhe gussa hi dila rahi hai...Ye accha hai wo buraa hai bas yahi sab kahi jaa rahi hai...Mujhe nahi pata kaun accha hai aur kaun buraa...Bas tu hi logo ko samajhti hai...Meri najro me Sameer, mere Papa, mere Maa aur tu meri gunehgaar hai...Jisne meri marji ke khilaaf meri shaadi karwa diya Sameer se...Tum log ko mai kya lagti hu insaan ya koi khilauna...Maine Sameer se bahut baar manaa kiyaa tha ki mai usse shaadi nahi karungi...Lekin usne meri ek baat nahi maani...Pata nahi kya makshad hai uska...Jab Maa se kaha to unnhone mujhe apna kasam de diya...Tu meri dost ho kar bhi tamasha dekhti rahi...Kuch nahi boli...Aur Papa ...Unke baare me to kucch nahi bolna chahti...Wo to Sameer ki paison ke saamne jhuk gaye...Unhe hamesha paison se pyaar tha...Iske liye wo kitna bhi niche gir jaaye unhe koi fark nahi padta.
Aur tu Karan ke baare me galat bol rahi hai...Bas wo hi ek hai jisne mujhse pyaar kiya...Ha abhi wo naraaj hai mujhse lekin dekhna wo mujhe jaroor maaf karega...Aur mujhse shaadi bhi karega...Itna to mujhe uss par aur mere pyaar par bharosha hai.
Priya ki aawaj me dard aur gussa dono hi tha...Usko apne pariwaar waale aur Sameer par bahut gussa aa raha tha...Aur apni haalat dekh bahut dukh bhi ho raha tha...Bas wo hi jaanti thi ki wo yaha Sameer ke saath kaise ghut ghut kar jee rahi hai...Naa hi uska koi saath de raha tha aur naa hi uski dard me saamil hone waala koi tha...Akeli pad gayi thi wo...Bas ek hi aasa tha ki ek din Karan usko maaf kar dega aur yahi baat usko himmat de raha tha jeene ka...Warna wo to ussi pal mar gayi thi jab uski shaadi Sameer se hua tha...Aur usne jo bhi kaha tha Divya se wo apni jagah par bilkul sahi thi...Usko puri baat ka pata nahi tha...Jitna pata tha usko usne wo sab keh diya.
Divya bhi chup ho kar sabhi baat ko sunn rahi thi...Usko accha lag raha tha ki Priya apni dil ki saari bhadaas nikaal rahi hai...Ek baar to usne socha ki jo baat kehne ke liye usne Priya ko phone kiya tha wo baat abhi nahi bataani chahiye.....Fir agle hi pal socha ki agar abhi nahi bataya to shaayad bahut der ho jaayegi...Jab Priya shaant hui apni baat keh kar tab Divya ne kaha.
Divya:- Mai jaanti hu Priya abhi tu kaisa feel kar rahi hai...Bahut mushkil pal hai tere liye...Jo bhi hua accha nahi hua...Lekin abb kya kar sakte hai...Sab majboor ho gaye the tere Papa ko chhod kar...Mujhe lagta hai iss shaadi me jarur koi teesre ka haath hai...Wo waha maujood nahi tha lekin sab ushi ne kiya hai...Jitna Sameer ke baare me tu galat sochti hai utna wo nahi hai...Haa galti usne jaroor kiyaa tha lekin usne uss galti ko sudhaarne ke liye ye sab kiya tha...Mai bataati hu tujhe ki Sameer ne tere saath shaadi kyu kiya....Wo bas tujhe uss maahaul se nikaalna chahta tha aur socha ki teri shaadi baad me Karan se ho jaayegi...Iss tarah se wo apni galti bhi sudhaar lega aur teri jindagi barbaad hone se bach jaayegi...Lekin ham sab me kisi ko bhi yakin nahi tha ki Karan tujhse shaadi karne se manaa kar dega.
Aur tu jo Karan ka pyaar me andhi ho gayi hai aur uski taarif kar rahi hai...Maine tujhe uske baare me hi bataane ke liye phone kiya hai...Tu uska intejaar kar rahi hai naa...Lekin tujhe pata hai kal wo shaadi kar raha hai...Usne tujhe aur tere pyaar ko dhokha diya hai...Aur tu ushi ki taarif kar rahi hai...Mujhe to bahut pehle se wo accha ladka nahi lag raha tha...Bahut baar samjhaaya tha tujhe...Lekin tune kabhi meri baat ko seriously nahi liya...Abb dekh usne kaise tere saath pyaar nibhaaya hai...Agar wo tujh se pyaar karta to tera har haal me saath deta...Lekin wo tujhe iss tarah bicch me hi chhodkar kisi aur se shaadi kar raha hai...Bas tujhe yahi bataane ke liye phone kiya tha.
Mujhe ye baat abhi nahi batana chahiye tha...Abhi tujhe koi buri khabar dene ka mera man nahi tha lekin kya karu agar abhi nahi bataati to shaayad der ho jaata...Socha vakt me hi sab bataana sahi hoga...Ek baar Karan se baat kar ke dekh...Shaayad koi baat ban jaaye...Lekin mujhe nahi lagta ki aisa kuch hoga.
Priya Divya ki baat iss baar dhyaan se sunn rahi thi...Karan ki shaadi ki baat sunn kar usko bahut dukh hua...Uska aakhiri vishwaas bhi aaj toot gaya tha ki Karan uska saath dega...Uska to baat karne ka koi man hi nahi tha...Wo call cut karke rone lagti hai...Sameer ne abb tak uski aur Divya ki koi baat nahi sunaa thaa...Wo to gehri neend me so gaya tha...Kuch der ro kar apna dil ko halka karne ke baad usne himmat karke Karan ko phone lagaya...Dusri taraf se Karan ka aawaj aaya.
Karan:- Ha kya hua? Abb phone kyu kiya tumne? Maine kaha thaa na abb hamaara koi rishta nahi.
Priya:- Karan kya tum shaadi kar rahe ho?
Priya ne sidha mudde ki baat kahi...Uski aawaj me ek dard tha aur rote hue usne Karan se puccha tha...Lekin Karan ko abb uske dard aur aansu ki koi fikar nahi tha...Lekin usko thoda aascharya jarur hua ki Priya ko ye baat kaise pata chala.
Karan:- Haan...Abb tumne to mujhe dhokha de diya...To kya mai tumhaare yaadon ki sahaare jinda laash ban kar rehta...Maine bhi aage badhne ka faisla le liya.
Priya:- Tum kehte ho ki tum mujhse pyaar karte ho...Agar pyaar kiya hota to ek baar bharosha to kar lete...Khair abb tumse baat karne se koi faaidaa nahi...Hamaari rishte ki shuruwaat hi jhooth se suru hua tha to fir vishwaash aur bharosha jaisi cheej kaha se aata...Tum mujhse rishta todna chahte ho na...To thik hai aaj se mai tumhaare jindagi me kabhi nahi aaungi aur tum bhi meri jindagi me kabhi mat aana...Aaj se hamaara saara rishta khatm.
Priya ne itna keh kar phone cut kar diya...Usne ye sab to keh diya lekin wo hi jaanti thi ki kitni mushkil se usne ye sab kaha hai...Uske 1 hafte ke andar hi sabhi rishte toot gaye the...Aaj pyaar ka rishta bhi toot gaya...Wo iss vakt kitna dard me hai sirf wahi jaanti thi...Phone kaatne ke baad wo jor se rone lagi aur apne kismat ko kosne lagi...Bina koi galti kiye wo aisi sazaa bhugat rahi thi...Kucch der rone ke baad jab usne Sameer ka chehra dekha to ek dam se rona band kar usne ek faisla le liya...Jindagi me aage badhne ka faisla...Wo Sameer se iss baare me kal baat karne ka soch kar bed par lait kar so gayi.
ये करन तो बहुत ही घटिया इंसान निकला। जिस प्रिया से प्यार के दावे करता है उसी प्रिया की बीच मजधार में छोड़कर शादी कर रहा है। साथ ही प्रिय के फ़ोन का जवाब भी बहुत ही रूखेपन से दिया। कुछ ऐसी बातें कहीं जो शायद प्यार करने वाले नहीं कहते एक दूसरे से।।
Agli subah Sameer subah hi utth gaya...Uthne ke baad jab wo fresh ho kar aaya tab uska najar fir se Priya par pada...Priya ko dekhte hi uska mood off ho gaya...Jab bhi Sameer Priya ko dekhta tha usko sharmindagi mehsoos hota tha...Abhi ke liye Priya se bacchne ke liye Mahesh ko phone karta hai...Udhar se Mahesh ki aawaj sunne ke baad Sameer kehta hai.
Sameer:- Kaha hai yaar...Jaldi se kal jis park me mile the wahi pahunch...Mai bhi aa raha hu.
Mahesh:- Sorry yaar...Aaj nahi aa paaunga...Bhaiya ka kal accident ho gaya tha to abhi hospital me hu...Kal Maa ne bhi iss liye jaldi me bulaaliya tha.
Sameer:- Koi baat nahi yaar...Baad me fir kabhi mil lenge...Abhi tu hospital me hi rehna aur apni family ka khayaal rakhna.
Mahesh:- Tu bhi apna khayal rakhna...Jaldbaazi me koi galat kadam mat uthaana.
Sameer:- Aaj bhi mai wahi Sameer Sharma hu jo pehle hua karta tha....Bas Priya ke saamne kuch nahi bolta...Warna mai aaj bhi pehle ki tarah majboot hu jo kitna bhi bada aandhi kyu na aa jaaye uska saamna acche se kar sakta hu...Tu chintaa mat kar mai koi galat kadam nahi uthaaunga...Bas sahi kadam nahi uthaa paa raha hu...Lekin jald hi iss problem ka solution nikaal hi lunga.
Sameer ne ye baat bahut hi aatmavishwaas ke saath kaha...Iske baad dono kuch der aur baat karte hai aur phone rakh dete hai.
Kuch der baad Priya bhi utth jaati hai...Wo bhi fresh ho kar Sameer ke pass aati hai aur kehti hai.
Priya:- Mujhe tum se kuch baat karni hai.
Priya ne thoda rookhapan ke saath kaha.
Sameer:- Ha kaho.
Priya:- Mujhe lagta hai abb hame decision lena chahiye aage ki jindagi ka.
Sameer:- Thik hai.....Tumhaara decision jo bhi hoga mai bina kisi condition maan lunga.
Priya:- Maine soch liya hai...Mujhe divorce chahiye...Mai tumhaare saath nahi reh sakti...Bahut ghutan mehsoos hota hai tumhaare saath rehte hue aur tumse nafrat bhi bahut karti hu... So maine socha hame alag ho jaana chahiye.
Sameer Priya ki baat ka koi reply nahi deta...Priya uski chehre ko padhne ki koshish kar rahi thi lekin wo bhi confused ho gayi thi ki Sameer kya soch raha hai...Sameer ki chehre me kabhi khushi to kabhi dukh ka bhaaw najar aa raha tha.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।
समीर अपनी गलती के लिए इस हद तक शर्मिंदा है कि वो प्रिया की जलीकटी बातें भी चुपचाप से सुन लेता है। प्रिय उससे तलाक लेने का निर्णय ले चुकी है जिसकी सहमति समीर ने भी दे दी है उसकी खुशी के कारण।।