• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

rgcrazyboy

:dazed:
Prime
1,962
3,395
159
bechari chidiya ko badanam kar ke rakha hai khane kuch dete nhi or khet pura khake khatam kar diya ye ilzam or laga diya :verysad:
birthday party to pure kardete tau
 
  • Like
Reactions: Ravi

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Bhai apne ye achchha nahi kiya update ko suspense me chhor diya. Wese update bohot achchhe hai.
 
  • Like
Reactions: Ravi

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
Noice update bichare manish aur jawed ko bahut intejar karwaya jassi aur uski behen ne:D
 
  • Like
Reactions: Ravi

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,483
159
Update do
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 66

Aaj College mein Fresher Day hai. Main aur mere dost bas tayyar ho rahe hainCollege jaane ke liye. Yun to hum college kabhi time se nahin jaate lekin Fresher Day par sabki ragging karne jaroor waqt se pehle pahuchna hota hai chahe dharti yahan se wahan kyun na ho jaye.

Gharwale bhi mujhe dekhkar hairan ho gaye ki Ravi aaj suraj kahan se ug gaya, Roz 10-11 baje uthne wala tu aaj 7 baje hi uth gaya. To maine kahan mummy aaj ek dost ke saath bahar jaana hai (yun to keh nahin sakta tha ki College jaldi jaana hai class ke liye kyunki use sunke to unke hosh hi ud jaate ). Unhone bhi koyi khaas dhyaan nahin diya aur mera naasta table par laga diya.

Naasta karke maine apne doston ko phone lagaya aur jaldi college pahuchne ke liye kaha aur apni Motorcycle par nikal pada college ke liye. College hamaara 9 baje shuru hota tha aur main 15 minutes pehle wahan pahunch chuka tha. Itne mein maine dekha ki mere dost Jay, Pawan aur Sanju teeno ek saath do motorcycle par aa rahe hain. Bas fir kya tha hum log tayyar ho gaye Freshers ki ragging ke liye.

Ragging to karne pahunch gaye lekin hamein ab bhi apne khaas do doston ka intezaar baaki tha. Khaas isliye kyunki wo dono ladkiyan thi. (Aap samajh hi gaye honge ) Intezaar karte karte 9:15 ho gaye lekin wo nahin aayi. Idhar students bhi aane shuru ho gaye the kuch seniors hamaari tarah ragging karne ke liye aur kuch freshers apni ragging karwane ke liye. Maine kayi baar phone lagaya lekin unka phone nahin lag raha tha.

Mujhe bahut chinta hone lagi to maine Pawan ko bola yaar tu jaa kar dekh to dono kahan reh gayi. Chinta unke naa aane ki nahin thi balki hamaara ragging karne ka jo tareeka hai uske chaupat hone ki thi. To Pawan ne kaha theek hai wo chala jayega lekin use aaj shaam ko Riya ke saath Movie dekhne aur dinner karne ka saara kharcha tujhe uthana hoga. Marta kya na karta mujhe uski baat manni padi.

Lekin haye ri meri kismat mujh par kaise meharbaan ho gayi ki wo mujhe saamne se aati dikhai di. Maine dekha ki Pawan ka chehra unhen khaas kar ke Riya ko dekh kar khilne ki bajay Shaam kharab hone ke ehsas se murjha gaya hai. Mujhe uska chehra dekh kar hasi aa gayi aur maine kaha ki yaar kyun tension le raha hai. Dono aa gayi hai to kya hua Ravi ka waada khali nahin jayega. Pawan meri baat sunke bahut khus ho gaya aur mujhe gale se laga liya.

Wo dono akeli nahin aayi thi unke saath ek aur ladki bhi thi jise main nahin dekh paya tha kyunki unke hamaare paas pahuchne ke dauran mujhe Cold Drinks and Some Snacks lene jaana pada (Kya hai saara kharcha mujhe hi uthana padta hai sabka ) Lekin jab wapas aaya to hairan reh gaya ki unke saath ek behad khubsoorat ladki khadi hai. Mere pair wahi door rook gaye aur use dekhne lage. Pehle to maine socha ki koi fresher hai jise inlogon ne milkar ragging ke liye pakad liya hai lekin jis tarah se wo ladki hamaari doston se baat kar rahi thi usse pata chalta tha ki wo kaafi acchi tarah se ek dusre ko jaanti hain.


To be continued....
Yeh update mere ko same hi laga bhai jaise update 1 tha waise
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 67

Gora doodh jaisa rang, sangmarmar jaisa badan, kanchan, komal kaya, badi badi gehri kaali aankhen jisme doob jaane ko dil chahe, patli hirni jaisi lachakti kamar jisme naam matra ki bhi charbi nahin hai, kamar tak lambe kaale baal, surkh laal honth jaise gulab ki do pankhudiyan ho, kanon par latakti baliyan jo hawa se hil rahi thi aisi lag rahi thi jaise sawan ke mahine mein kunwari kanya jhule par madmast ho jhulti ho, galon par laali jo aurat ke sharmo-haya ka prateek hai, chehre par atamvishwaas, safed rang ke salwar suit mein Ravi ke saamne khadi thi. Ravi ki to palak hi jhapakni band ho gayi thi. Uske roop ke saudarya mein khoya Ravi man hi man yun hi budbudane laga

Kisi ne dil ko is kadar chu liya

Ki hum kisi aur ko chu na sake

Hum to chale the apko dost banane

Magar aap dhadhkan bante chale gaye

Achanak Ravi ne dimaag ko jhatka diya aur sochne laga ki ye use kya ho gaya hai. Wo kyun aisa soch raha hai. Use in sab jhanjhaton mein nahin padhna. Chaar din ki jindagi hai use ladkiyon ke peeche waste nahin karna hai. Bas use ignore kar deta hoon saara maamla hi sulajh jayega. Waise bhi itni gori hai to jaroor foreigner hogi to iska to chance hi nahin. Bas aise hi dil mein khyaal liye Ravi baaki doston ke paas chal pada.
Wahan Pahunch kar usne baaki doston se us ladki ke bare mein poocha. Sanju to ladkiyon ke maamle mein waise hi expert tha to usne pehle se hi sab kuch details pooch lit hi uske bare mein. Ladki ke bolne se pehle hi wo bol pada Ravi ye Monika hai. Kal hi England se aayi hai aur baaki ki padhai hamare college se poori karegi. Iske papa ka London mein bahut bada business par yahan ye apne bhai ke saath rehti hai. Ravi Sanju ki uske bare mein jaankaari sunkar chaunk gaya.

Usne kaha to iska matlab fresher hai. Lekin agar iske papa itne bade businessman hain to ye to kisi bhi bade college mein admission le sakti thi phir hamare college mein admission lene ki koi khaas wajah. Is par Monika ne kaha “Very Good Question. I m impressed. One of my hobby is wild photography and this college is very near to forest. That’s why I take admission here”

Ravi ne ye sunkar kaha “Wow! You are a wild photographer. Its amazing. Hope you didn’t scared by Indian tigers.” Ravi ke itna kehte hi sab jor se hasne lage. Phir Ravi ne kaha England mein padhi badhi ho to Indian values to tumhe pata nahin hongi. Halanki tumne salwar suit pehna hai lekin baatein English mein kar rahi ho. Monika ye sunkar thodi si gussa ho gayi aur Ravi se kaha “England mein rehne ka ye matlab nahin hai ki main Indian values bhool gayi hoon. Badon ka adar, aurat ki sharmo haya, choton ko pyaar ye sab mujhe bachpan se sikhaya gaya hai. Lekin main tumhe kyun ye sab samjha rahi hoon”

Ravi: “Achha agar itna hi pata hai to Gayatri Mantra sunao”

Achanak ek pal ke liye khamoshi cha jaati hai. Ravi aur uske dost Monika par hasne lagte hain. Ravi hanste huye kehta hai baatein badi badi aur kam bilkul nahin. Lekin itne mein uske kanon mein ek madhur si awaaz goonjti hai.

Om Bhur Bhuva Swaha, Tat Savitur Vareniyam

Bhargo Devasya Dhimahi, Dhiyo yonaha Prachodayat
Ek pal ke liye sannata cha jaata hai jo Riya ki taaliyon ki awaaz se tootta hai. Phir sabne milkar us ladki se aur dher saari baatein kari halki fulki ragging ke naam par usse kuch na kuch sunane ko kaha gaya. Ravi ne bhi kayi sawaal daag diye lekin Monika ne Ravi ko ignore karna hi theek samjha. Use Ravi ek bigda hua ladka sa lag raha tha. Kabhi kabhi majak karna bhi bhari pad sakta hai iska andaza agar pehle lag jaye to bewajah ke faltu majak ho hi na.

Iska baad sabne kuch aur bachon ki healthy ragging li aur canteen mein jaakar masti karne lage. Ravi aur Monika dono hi ek doosre ko ignore karne ki koshish kar rahe the lekin Ravi ki aankhen baar baar usi ka chehra dhoondh rahi thi.

Diya ye jaankar ki Ravi us ladki ko dhoondh raha hai jal kar rakh ho jaati hai aur Ravi se kehti hai ki tumhara dhyaan kahan hai. Jab se wo ladki aayi hai tum khoye khoye se ho. Ravi aise ghabra jaata hai jaise uski chori pakdi gayi ho lekin phir sambhal kar kehta hai “Diya tum bhi kaisi baatein kar rahi ho. Tum to jaanti hi ho ki main kabhi ladkiyon ke peeche nahin bhagta. Mujhe isme koi interest nahin hai. Main to ye soch raha tha ki usne sabke saamne gayatri mantra kya gaa diya apne aap ko turram khan samajhne lag gayi hai. Mujhe ignore kar rahi thi. Meri insult ki. Use to main aisa sabak sikhaunga ki jindagi bhar yaad rahegi.

Diya ko laga ki accha mauka hai is Monika ko door bhagane ka kyunki use darr tha kahin Ravi uske husn ke jaal mein fans na jaaye aur wo Ravi ko kho na de. Dono aage ke liye plan banane lage ki kaise use sabak sikhaya jaaye.
Poora din aise hi gujar gaya lekin Ravi ya Diya dono mein se kisi ko kuch na sujha. Agle din subah Ravi ne newspaper lekar padhna shuru kiya (Padhna kya tha sirf ye dekhna tha ki kahan aur kaun si film lagi hai) aur beech beech mein kuch khabron mein sarsari taur par najar bhi dal deta tha. Tabhi uski najar ek khabar par padi aur uski bachen khil gayi.


To be continued....
Maza aa gaya phele toh shayri ne dil jeet liya phir england se aayi monika ne jo bacha tha sab le liya ab dekho yeh ravi aur diya kya plan banate hai monika ke khilaf
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 69

Do din aise hi gujar gaye lekin Monika ko koi raasta najar nahin aaya. Udhar Ravi ko kya tension honi thi, wo mast khushi se life college enjoy kar raha tha. Monika ko ab jhijhak hoti thi uska saamna karne mein ki kahin wo uska majak na banana shuru kar de. Halanki Ravi itna bura nahin tha jitna Monika sochti thi lekin kehte hain na doodh ka jala chach ko bhi foonk foonk kar peeta hai. Isliye Monika ab koi risk lena nahin chahti thi.

Ek din rojana ki tarah Ravi apne ghar se bike par college ke liye akela nikla kyunki Pawan kuch beemar tha. Halanki Ravi ka man nahin tha Pawan ke bagair jaane ka lekin Pawan ne force karke use jaise taise bhej hi diya. Ravi chala jaa raha tha ki raaste mein use ek burkhe wali aunty bike rokne ke liye haath deti huyi dikhi.

Ravi ne pehle socha shayad kisi aur ko ishara kar rahi hogi lekin jab us aunty ne use awaaz dekar rukne ke liye kaha to usne bike rok li. Aunty uske paas aayi aur boli “Beta tum ABC college (Naam jop chahe rakh lo kya fark padta hai ) mein jaa rahe ho na.” “Haan Aunty, kyun aapko kuch kaam tha”

“Beta wo meri beti wahan padhti hai. Uski fees jama karani thi aur aaj last date hai. Wo jaldi jaldi mein ghar par paise bhool gayi hai. Main bahut der se bus ka wait kar rahi hoon lekin koi bus nahin mili. Agar tumhe takleef na ho to kya tum mujhe college tak chod sakte ho”

Ab apna Ravi to hai hi dariyadil. “Haan haan kyun nahin aunty. Main to wahin jaa raha hun. Baith jaiye main apko chod deta hoon.” Aunty uski bike ke peeche usse kuch fasla bana kar ek taraf pair karke baith jaati hain, jaisa ki aamtaur par ladkiyan baiththi hain (Ab apni GF wali style mat samajh lena sab ). Ravi ne bike chalani start kar di lekin raaste mein ek restaurant pada to aunty ne Ravi ko rukne ko kaha. Ravi ke yahan rukne ka karan poochne par aunty ne bataya ki aaj college ke chakkar main bahut late ho gayi hoon. Ab ghar par khana bhi nahin bana paungi. Bus yahan rukti nahin jo main wapsi mein le lun isliye khana yahin se pack karwa rahi hoon.”

Ravi ko kya fark panda tha. Usne dubara bike start kar di. Lekin ye kya aunty jo pehle fasla bana kar baithi huyi thi ab usse ek dum chipak kar baithi huyi thi. Ravi ne socha shayad aunty ko dar lag raha hoga to usne bike dheemi kar di lekin aunty par to jaisa koi asar hi nahin hua. Wo waise hi Ravi se chipak kar baithi rahi. Usne burkha bhi hata diya tha lekin Ravi ki nigaahein to saamne thi to use us aunty ka chehra dikhai nahin de raha tha. Aunty ne chipakne ke saath kuch kuch harkatein bhi shuru kar di.

Kabhi pet par haath firati, kabhi jaangho par, kabhi gardan ko sehlati to kabhi gaalo ki chikoti kaatti. Aakhir Ravi kab tak bardhast karta. Usne aunty ko tok diya aur mana kiya lekin aunty kahan maanne wali thi. Ab to usne chalti bike mein hi ek taraf se dono taraf pair kar liye aur Ravi se ekdum chipak gayi. Ravi ka to bura haal tha. Raaste ke saare log unhen dekh kar hans rahe the. Ravi kya kehta, usne socha college aane wala hai hi. Jaise hi college aayega ye apne raaste main apne raaste.

College pahunchne tak Ravi bahut pareshan ho gaya. Usne socha ki bahar gate par utarunga to aunty fir mere chep ho jayegi ki mujhe fees counter pata nahin wahan chod kar aa. Isse to acha hai ki main pehle se hi unhe wahan chod dun. Ravi ne apni bike ko fees counter ki taraf mod liya.

Fees counter par pahunch kar Ravi ne aunty se kaha “Aunty yahin par fees jama hoti hai. Aap fees jama kar do main chalta hun. Mujhe class ke liye late ho raha hai”. Lekin tabhi uske kaano mein jo awaaz padti hai use sunkar wo chaunk jaata hai.

“Aye haye mere raja. Baja dungi tera baja. Mujhe yahan kyun laya hai. Mere se shaadi karega. Main tayyar hun. Kitna gora hai re tu. Maja aa jayega.Chal aa ja mere paas aise sharma kyun raha hai”

Ravi ne peeche mud kar dekha to taaliyon bajata ek hijda burkhe mein bol raha tha. Ravi ki to halat kharab thi. Sab Ravi ko dekh kar hans rahe the. Sabne Ravi aur us hijde ko bike par chipakte huye dekha tha.

Ravi ki to bolti hi band ho gayi thi. Saara college uspar hans raha tha. Itne mein Sanju aur Jay ko pata chala to wo bhagte bhagte uske paas aaye aur usse sab haal poochne lage. Ravi ne bata diya to wo use dusri taraf le gaye. Lekin Ravi ka mood upset tha usne bike utahi aur ghar par aa gaya. Poore din wo yahi sochta raha ki uske saath ye kya ho gaya. Lekin use kuch bhi nahin soojha. Usne socha kal tak sab bhool jayenge aur koi dikkat nahin aayegi.

Agle din jab Ravi Pawan ke saath college pahuncha to usne dekha ki jaise usne Monika ke posters deewar par chipakwaye hain waise hi uske kal hijde ke saath chipka chipki wale posters saare college mein chipke huye hain. Tabhi unhen saamne se Monika hansti huyi aati dikhai di. Usne Ravi se kaha “Dekh liya mujh se panga lene ka anjaam” aur itna kehkar :thumbdown: dikha kar chali gayi.

Ravi ka chehra gusse se laal ho gaya tha lekin wo kuch nahin kar sakta tha. Wo bus ab is beizzati ka badla lene ki soch raha tha.

Isi tarah roj Ravi aur Monika koi na koi bahana dhoondhte rehte the ek doosre ko neecha dikhane ke liye lekin ise saubhagya kahiye ya durbhagya dono ko hi aisa koi mauka nahin mila jisse woe k doosre ko neecha dikha sake. Halanki baaki dost dono ke hi common friends the lekin shukar hai in dono ke ladai jhagde ki wajah se dono ki apne apne doston se abhi tak anban nahin huyi thi. Shayad iska ek karan ye bhi tha ki sab samajh gaye the ki Ravi aur Monika aise hain jaise aag aur paani. Dono ek saath ho hi nahin sakte. Isliye dono ke jhagde ko ignore karna hi unhen behtar lagta tha.


To be continued....
Hayee re ravi ka kya haal ho gaya aisa kahe kiya monika ne par maza aa gaya tit for tat padh ke maza aa gayi ab dekho yeh aag aur pani kab tab alag rahate hai
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 72

Jassi ki behan ko to kai dost pehchante the lekin uske saath jo ladki aayi thi wo sabke liye anjaan thi. Wo aisi lag rahi thi jaise swarg se koi apsara jameen par utar aayi ho. Kaale lambe baal kamar tak jinhe bade saleeke se banaya gaya tha. Gora rang aur us par gehri kaali aankhen jinme doob jaane ko ji chahta hai. Kul milakar ye kaha jaye ki wo kudrat ki banayi huyi behtareen nakkasi ka namuna hai to kuch galat nahin hoga. Sab use dekh kar achambe mein the ki ye kaun hai aur yahan kaise aayi.

Ek taraf Jawed ye sochkar khus tha ki Jassi nahin aayi to uska peecha chuta aur doosri taraf is ladki ko dekhkar ho gaya tha. Kya koi ladki itni khoobsurat bhi ho sakti hai. Kaash Jassi ki bajay mujhe is ladki ki dekhbaal karne ko mil jaati to maja aa jata
Lekin ab koi mujhe uske paas fatakne bhi nahin dega. Manish bhi hairan tha ki Jassi ki behan ke saath wo do saal se relation mein hai lekin usne kabhi bhi is ladki se na to milwaya aur na hi kabhi iske bare mein bataya. Aaj achanak ise yahan kaise le aayi.

Sabhi uski or ek tak dekhe jaa rahe the aur Jassi ki behan aur wo ladki dono muskura rahe the. Ek ajeeb sa sannata wahan pasar gaya tha. Manish ne hi is sannate ko bhang kiya aur Jassi ki behan se poocha ki ye ladki kaun hai. Jassi ki behan ki to hansi foot padi aur kaafi der tak wo hansti rahi. Sab bhauchakke se use dekh rahe the khaskar Manish kyunki use kuch samajh nahin aa raha tha ki usne aisa kya pooch liya jo ye itni jor se hans rahi hai.

Jab thodi der mein Jassi ki behan ka hasna band hua to usne bola “Kyat um logon ne ise nahin pehchana. Tumme se kaafi jane to ise ache se jaante hain khaskar Jawed” Ab chaunkne ki baari Jawed ki thi kyunki jaanne ki baat to door usne to isko kabhi dekha bhi nahin tha. Wo hairan sa kabhi Jassi ki behan ki taraf dekhta to kabhi us ladki ki taraf. Wo ladki mand mand muskura rahi thi lekin jaise hi uski najrein Jawed se takrayi usne sharma kar najrein chura li. Jawed ko bada ajeeb laga ki ye ladki aisa kyun kar rahi hai. Jawed hi kya sab dost hairan the.

Manish ne Jassi ki behan se doobara poocha “Yaar paheliyan mat bhujao. Batao na ye kaun hai. Hum mein se isko koi nahin jaanta”

“Are jaante ho guess to karo”

Lekin ab Manish ko gussa aane laga tha jise dekhkar Jassi ki behan shararati muskaan ke saath boli “Are gussa mat ho batati hoon. Ye hai husn ki pari, kal ki modeling superstar, ham sab ki chaheti meri pyaari behan Saloni jise aap log JASSI ke naam se jaante ho.”

Sabka muh hairat se khula ka khula reh gaya. Jay, Jawed aur Manish sab se jyada the kyunki unhone hi to use dekha tha baaki sab ne to kewal uske bare mein suna tha. Manish ne kaha “Yaar majak mat karo. Jassi Sorry Saloni aayi hai to use bula lo. Nahin to aise majak mat karo pls”

“Are main majak nahin kar rahi hoon. Yahi Saloni urf Jassi hai.”

“Lekin ye, ye to” kehte kehte Jawed beech mein ruk gaya.

“Haan Jawed Ji ye sab aap hi ke kaaran hua hai.”

“Mere kaaran. Main kuch samjha nahin. Main to us din ke baad isse mila bhi nahin”

“Wohi to. Us din aapne ise ignore kar diya tha kyunki ye dekhne mein achhi nahin thi. Isne chasma laga rakha tha yaa iske daanton mein taar pade the isliye”

Jawed ka chehra sharam se jhuka huya tha. Sach hi hai insaan ki asli sundarta to uske man se hoti hai. Bahari sundarta to chanik bhar hai lekin aantarik sundarta sthayi hai. Use koi chura nahin sakta aur wohi sundarta use sundar aur achha insaan banati hai.

“Us din se isne kasam kha li thi ki aapke saamne tabhi aayegi jab ye apne aap ko poori tarah se badal legi taaki aap ko ye achhi lage”

“Mujhe achhi lage par kyun”

“Kyunki ye aapse pyaar jo karti hai.”
Halanki dono ko akele milne dene se pehle fatafat cake katkar karyawahi kar di gayi aur turant in dono ko akela chod diya gaya. Cake baad mein bhi kat jaata lekin sabko pata tha ab dono kaafi der tak baat karte rahenge. Ladkiyon ko apne ghar jaana tha aur baaki doston ko bhi to college jaana tha. Lekin Sab betaab bhi the ki Jawed aur Saloni mein kya baat hogi. Kya Saloni ka pyaar Jawed ko manjoor hoga.

Sab tarah tarah ke anumaan laga rahe the. Kisi ne socha Jawed kyun nahin manega, aakhir Saloni padhi likhi, behad khubsyurat aur apne pairon par khadi hai. Koi soch raha tha ki bhale hi Saloni ab khubsoorat ho gayi hai lekin Jawed lalchi logon mein se nahin hai ki ladki sundar dikhi to fisal gaye. Shayad wo inkaar kar de Saloni ko. Koi soch raha tha ki Saloni Jawed ko aakhir mana hi legi. Sab apni apni soch mein doobe huye the aur intezar kar rahe the ki kab dono bahar aaye aur faisla sunayen.

Idhar kamre mein Jawed ko kuch bhi samajh mein nahin aa raha tha ki kya baat kare. Kaafi der tak dono mein se koi kuch nahin bola. Jawed ko to sabse jyada tajjub is baat se tha ki ab jab Jassi sorry Saloni ke paas rupaya, paisa, ijjat, career aur sabse badi baat bala ki khubsurti hai to wo kyun us jaise mamuli insaan ke bare mein soch rahi hai jisne use kabhi theek se dekha tak nahin.

Lekin kehte hain na pyaar andha hota hai. Ye oonch neech, jaat-paat, chota bada kisi dharm ko nahin manta. Bas jahan do dil mil jaye wahin premiyon ke liye jannat ban jaati hai.

Ye Sunta hai sirf apne dil ki awaaz.
Karta hai to sirf aankhon se fariyaad.
Hai use apne mehboob se bepanah mohabbat.
Iske liye chahe ho jaye barbaad.

Jawed ne hi aakhir uski kuch bolkar is chuppi ko todna chaha. “Tum mujhse pyaar karti ho. Lekin kabse. Jahan tak mujhe yaad hai ki hum sirf ek do baar hi mile hain ab tak aur wo bhi 5-10 minutes ke liye”

“Aap ke liye sirf 5-10 minutes honge lekin mere liye wo sadiyon barabar the. Us 10 minutes mein maine kitna kuch paa liya aap uska andaaza nahin laga sakte. Apne mehboob ke saath bitaya huya ek ek second mere liye sadiyon barabar tha.”

“Lekin main kab se tumhara mehboob ban gaya. Tum kab se mujhe chahti ho.”

“Ye to main bhi nahin jaanti ki main tumhe kabse jaanti hoon shayad kayi janmon se lekin agar is janam ki bolun to bachpan se hi aapko chahti hoon main. Mujhe aaj bhi wo din yaad hai jab mera school mein pehla din tha aur sab ladke-ladkiyan mera majak bana rahe the aur kaise aapse dekha nahin gaya aur aapne un sabko daantkar bhaga diya. Saath hi mujh se kabhi koi badsaluki na ho iske liye unhen ek tarah se warning bhi de di thi”

“To usme kya hai. Tumhari jagah koi aur bhi hota to bhi main yahi karta”

“Aapke liye ye bhale hi mamuli baat thi lekin mere liye bahut badi baat thi. Main usi din se aapse pyaar kar baithi thi. Pehle socha shayad sirf akarshan hoga lekin kab ye sachi mohabbat mein badal gaya mujhe khud hi pata nahin chala”

“To ab tum is roop mein matlab kaise badal gayi hmmm…. Mera matlab samajh rahi ho na main kya kehna chahta hoon”

“Haan samajh rahi hoon ki aap kya jaanna chahte hain. Yahi jaanna chahte hain na ki ek badsurat ladki jise dekhkar sabko JASSI JAISI KOI NAHIN ki JASSI ki yaad aa jaati thi aur sabne uska naam bhi jassi hi rakh diya tha aaj kaise ek safal model ban gayi. Isme bhi aapka hi haath hai”

“ Mera haath par main to tumse mila bhi nahin aur na hi maine kabhi tumhare rang-roop ke bare mein kaha”

“Kabhi kabhi aankhen wo sab keh deti hai jo zuban chahkar bhi nahin keh sakti. Yaad hai na aapko ki jab aap aur aapka dost Sonali ka pata poochne aaye the to mujhe dekhkar aapne kaise react kiya tha jaise ki main koi achoot hoon. Mujhe us din bahut dukh huya. Ghar aakar saara din meri aankhen geeli rahi. Reh reh kar gala khushk ho jata. Lagta jaise kisi ne mujhe jeete ji maar diya ho. Mere do tukde kar diye hon.”

“Jis insaan se main pyaar karti hoon, jiske liye main kuch bhi kar sakti hoon wohi mujhe ek najar dekh bhi nahin sakta. Laanat hai aisi jindagi par. Maine to apne aapko khatam karne ka bhi man bana liya tha kyunki aapke bina jeena bhi kya jeena mere liye. “

“Aur shayad kar bhi deti lekin usi waqt meri behan ne mujhe sambhala aur meri jindagi badal di. Usne mujhe haalaton se ladna sikhaya, is kaabil banaya ki main apne pairon par khadi ho sakun. Halanki in sab ke liye usne bhi kayi takleefe jheli lekin usne uff tak nahin ki. Meri guru, meri margdarshak, meri dost, meri hamraaj sab meri choti behan hi hai. Aaj main job hi kuch hoon sab isi ki badaulat hai.”

Jawed ki aankhen aansuon se geeli aur sharm se jhukti chali gayi. Wo apne kiye par pachta raha tha. Aaj use ehsaas ho raha tha ki bhagwan ne sabko bhale hi rang-roop kaise bhi diye hon lekin uski asli pehchaan uske behaviour se aur uske vicharon se hoti hai.

Saloni shayad is baat ko samajh gayi thi. Ye sab batate huye uski bhi aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed se kaha “Kya ab bhi aap mujhe nahin apnayenge”

“Main is kaabil nahin hoon Saloni. Main tumhare pyaar ke layak nahin hoon. Tum mujhse itna pyaar karti ho aur main tumhi se ab tak door bhag raha tha. Mujhe maaf kar do”

Jawed ne apne dono haath jodne chahe lekin Saloni ne unhen beech mein hi pakad liya aur Jawed ke gale se lipat gayi. Jawed neb hi use kaskar apne seene mein chupa liya. Dono ek doosre ke seene se lagkar kaafi der tak rote rahe.

Aur shayad wo sadiyan bhi bita dete yun hi ek doosre ki baahon mein agar unka dhyaan taaliyon ki awaaz ki taraf nahin jaata jo sab dost baja rahe the. Dono sharam se paani paani ho gaye jisme Jawed kaafi sharma raha tha aur ho bhi kyun na jo Jawed aaj tak kisi ladki ko aankh uthakar bhi nahin dekhta tha aaj kisi ladki ke gale laga huya tha.

Aur iske baad sab doston ne Jawed aur Saloni ko unki nayi jindagi ke liye badhai di aur fir to party mein aisi dhoom machi ki kehna hi kya. Us 10 saal purane cassette player se bhi wo sangeetmay dhune nikal rahi thi ki bas sirf aur sirf unki taal par nachne ka dil kare. Aakhir is fiza mein pyaar ka rang jo mil gaya tha.

Jawed aur Saloni kaafi der take k doosre ki baahon mein baahon dale nachte rahe. Lekin idhar Ravi ko sab bada ajeeb lag raha tha. Wo soch raha tha ki aaj Jawed bhi gaya kaam se. Is pyaar ke chakkar mein padne ke baad sab sale bekaar ho jaate hain. Na kisi kaam ke rehte aur na hi inse kuch hota hai.

Idhar sab pyaar aur masti ke rang se sarobar the wahin Ravi Monika se badla lene ki planning kar raha tha. Ab ye planning kya gul khilayegi kise pata?


To be continued....
 
  • Like
Reactions: Guffy and Mbindas

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Bohot hi khubsurat sa update hai bhai
 
  • Like
Reactions: Ravi
Top