• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,483
159
dhamakedar update
aise hi thode couples bnane do
har jagh breakup jarrori nhi
achi story hai
agle update ka intezar rahega
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 73

Lekin Ravi ko kuch nahin soojh raha tha. Jab kaafi der tak kuch nahin soojha to usne thak haar kar sochna band kiya aur party enjoy karne laga. Thodi der baad sab dheere dheere karke party se jaane lage. Pehle sab ladkiyan gayi. Ladkiyon ko gaye huye thodi hi der huyi thi ki sabne unko phone ghumane shuru kar diye jaise Pawan ne Riya ko, Manish ne Jassi ki behan ko aur to aura b to Jawed ne bhi Saloni ko phone mila diya (Tum ghar pahunchi ki nahin, koi pareshani to nahin hui, maine tumko bola tha ki main chod deta hoon lekin tum maani nahin, kabhi to meri baat mano, yuh mujhe mat tadpaya karo wagairah wagairah).

Ravi ko ye sab ek drama sa lag raha tha. Ladkiyon ke ghar door hi kitne the. Do gali chodkar sabke ghar the lekin ye log pareshan to aise ho rahe hain jaise wo saat samundar paar jaa rahi hon. Itna pareshan to ye apne exam ke result wale din bhi nahin hote jitney ki aaj ho rahe hain.

Ravi ko reh reh kar Pawan ki baatein yaad aa rahi thi. Kaise wo Riya par lattoo tha. Riya ne khana khaya ya nahin khaya ye use roz poochna tha. Bhale hi khud bhookha rahe lekin pehle usko jaroor poochega. Aur agar kisi din galti se usne tab tak khana nahin khaya hota tha to ye bhi khana chod deta tha aur jid pakad leta tha ki jab tak wo nahin khayegi ye bhi nahin khayegi. Bewkoof kahin ka. Are Riya ko jab bhookh lagegi tab kha legi usme aisa pareshan hone wali baat kya hai. Saala khud to bhookha rehta hi tha uski wajah se main bhi kai baar bhookh reh gaya.

Bina matlab ghanton park mein baithe baithe pata nahin kya kya baatein karte rehte hain. Khud to ek bhi class attend nahin karte the aur mujhe inke liye notes banane padte the. Kabhi kabhi to chal jaata hai lekin poora saal. Saala is dosti ne to marwa diya. Agar dost nahin hota to phir batata. Dosti ko pyaar par kurbaan kar diya. Ye pyaar to kuch hi din rehta hai aur baad mein wohi majnu wali haalat. Sirf dost hi hai jo hamesha kaam aata hai chahe dukh ho such. Lekin isko dost ki kadar kahan. Jab se ladki mili hai bas usi ke aage majnu bana firta hai.

Abhi se joru ka gulam ban gaya hai. Wo kahegi to khayega, wo kahegi to uthega, baithega, wo jahan kahegi uske peeche kutte ki tarah dum hilata chala jayega. Aisa bhi kabhi hota hai. Maana ki Riya achhi ladki hai lekin iska ye to matlab nahin ki bas use hi importance do.

Pehle hum dost kitna mast rehte the. Saath saath khelna, khana peena, life maje mein kat rahi thi. Lekin jab se Riya aayi hai bas apni dosti hi hello tak hi reh gayi hai. Sahi kaha hai kisi ne ladki ke chakkar mein padkar kitne ghar barbad ho gaye hain. Ladkiyon se to do foot ki doori hi bana kar rakhni chahiye. Haan ignore mat karo unhen lekin is pyaar vyaar ke chakkar main bhi nahin padna chahiye.

Kitno ko dekha hai ladkiyon ke peeche ladke maar kha rahe hain, ek doosre se lad rahe hain, doston ke beech dushmani ho jaati hai aur yahan tak ki maa-baap se badhkar ladki ho jaati hai jiske liye ladka maa-baap tak ko chodne ke liye tayyar ho jaata hai.

Bakwaas cheez hai ye pyaar, ishq aur mohabbat. Sirf paisa kamane ka jariya bana rakha hai logon ne. Valentine day isiliye bana gaya hai taaki bhole bhaale logon ko loota jaa sake. Koi phool kharid raha hai, koi chocolate to koi aur gift lekin kisi ke bhi ye dhyaan mein nahin aata ki jo phool kal tak 10 Rs. main milta tha aaj wohi phool 100 Rs. main mil raha hai. Bas kharidna hai to kharidna hai ladki ko impress jo karna hai. Jaise phool nahin kharidega to wo use chod kar chali jayegi. Ab kaun samjhaye inhen. Kabhi 10 rupaye dost par kharach nahin karenge lekin ladki ke upar hajar rupaye bhi kharch ho jaaye to koi baat nahin. Main to kabhi na padun is pyaar vyaar ke chakkar mein.

Aise hi na jaane kitne khyaal Ravi ke man mein aate jaa rahe the. Tabhi uska dhyaan Pawan ne apni awaaz se thoda. “Chal bhai ghar nahin jaana. Raat kaafi ho gayi hai.”

Sab doston ne ek doosre se wida li aur apne apne ghar chale gaye. Raaste bhar bhi Ravi inhi baaton ko soch raha tha lekin jab ghar pahuncha to sharirik aur maansik dono roop se itna thak gaya tha ki bistar par girte hi neend aa gayi use. Khana pehle hi kha liya tha sabne isliye ab to seedha bistar hi pakadna tha. Kab neend aayi aur kab agli subah huyi kuch pata hi nahin chala.

Ab Ravi raat ko der se soya tha to jaahir si baat hai subah der se bhi uthega. College 9 baje se shuru hota hai aur use uthne mein 10 baj gaye the. Ravi ne aankh malte huye ghadi ki taraf dekha to chonk utha. Wo turant naha dhokar tayyar huya aur nashta college mein hi karne ka bolke seedha Pawan ke ghar chala gaya jahan jaakar use pata laga ki wo to aaj jaldi college chala gaya hai. Ravi ka to ye sunkar paara hi chad gaya. Wo samajh gaya ki ho na ho ye jaroor Riya se milne hi jaldi gaya hoga. Use to college mein dekh loonga aur apni bike teji se bhagate huye jaldi se college pahunch gaya. Lekin ab wo kisi ko bhi lift nahin deta tha apni bike par khaskar kisi burkhe wali ko.


To be continued....
 
  • Like
Reactions: Guffy and Mbindas

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Ravi ko to achchha sabak sikha diya us burkhe wali ne :DD:
Wese update bohot achchha hai bhai.
 
  • Like
Reactions: Ravi

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,483
159
Jaisa ki mera manana hai ravi ka chutiya kta pawan ke chakkkar mai..to pawan to pitega..
Ek dam correct update tha
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 70

Idhar Ravi aur Monika ek doosre se baat karna bhi pasand nahin karte the to wahin doosri or Jay aur Sonali chahte huye bhi ek doosre se khul kar baat nahin kar paate the. Jahan Jay is baat se pareshan hai ki agar maine apne pyaar ka ijhaar kiya to pata nahin Sonali mere bare mein kya sochegi, kya wo Raj ko bhula kar mujhe apnayegi, kahin wo ye na sochne lage ki Raj mar gaya aur uska sasur jail mein chala gaya to main use pyaar ki baatein karke uski jaydad ke peeche pada hoon.

Nahin nahin wo aisa nahin soch sakti, lekin samaj humein kya milne dega. Ek widhwa ko to waise bhi samaj achhi drishi se nahin dekhta aur us par se punah vivaah. Agar Sonali maan bhi gayi to bhi kya hamara bhavishya ujjwal rahega. Kya samaj ke thekedaaron ka saamna hamara pyaar kar payega. Kya Sonali is sab mein mera saath degi.

Kya wo din wapas aayenge jab wo dono ek saath haathon mein haath dale ghumte the, ped ke neeche ek doosre ki baahon mein ghanton bitate the, ek doosre ki khinchai, meethi meethi takraar, phir pyaar se manana, wo jhule par jhulna, wo baarish mein nahana, wo school bunk karke picture dekhne jaana, wo shopping ki list, wo wade, wo kasme kya ab kabhi aisa hoga. Jay ki aankhon mein ye sab sochkar aansu aa gaye.

Idhar Sonali bhi kuch alag nahin soch rahi thi. Manjil ek thi lekin raaste alag alag the. Sonali ke man mein hamesha ek dwandyudh chalta rehta tha. Ek taraf wo Raj ko bhula nahin paa rahi thi to doosri taraf Jay ko bhi nahin apna paa rahi thi. Kahin kahin Jay ki is halat ke liye wo khud ko doshi maanti thi jiski ishwar ne use bahut badi saja de di thi. Na wo Jay ko reject karti aur na hi use ye din dekhne padte. Ab to usne apne jeene ka ek hi maksad bana liya tha ki apni poori jindagi apne hone wale bacche ke saath bitani hai. Uski dekhbhal, padhai likhai, shaadi aur bhi na jaane kya kya sapne Sonali ne dekh liye the.

Dono jaise ek aag mein jal rahe the. Sonali jitna Jay se door jaane ki koshish karti uska dil use wahin khinch lata. Use baar baar Jay ka masoom chehra, uska bholapan, uski sadgi, uski khuddari, uska tarah tarah se help karna, jab Sonali ka koi nahin tha (Matlab pati mar gaya tha aur sasur jail chala gaya tha) tab Jay hi tha jisne use sahara diya tha. Sonali ko routine checkup ke liye le jaana, uski dawaiyon ka khyaal rakhna, uske khaane peene ka dhyaan rakhna sab Jay hi to kar raha tha. Wo kaise bhool sakti hai uski meharbaaniyon ko.

Jay subah subah ek baar Sonali ka haal pochne jaroor aata tha aur college chootne ke baad ek round laga kar aata tha. Jab bhi Sonali ko checkup ke liye jaana hota tha Jay college se chutti kar leta tha. Lekin har kadam Sonali ka saath nibhana hi jaise ab uski jindagi ban gayi thi. Kabhi kabhi Sonali use mana bhi karti thi lekin Jay ki jid ke aage uski ek na chalti thi. Wo bhi jyada jor nahin deti thi kyunki wo Jay ke saath surakshit mehsoos karti thi.

Lekin kehte hain na ishq mushq chupaye nahin chupte. Poore mohalle mein baat fail gayi thi dono ke rishte ko lekar. Logon mein aisi dharna ban chuki thi ki dono ke beech najayaj sambhandh hai. Halanki Jay ko to isse koi fark nahin padhta tha lekin Sonali ab bade khandan ki bahu thi. Halanki Sikander ek mujrim tha lekin phir bhi uska kuch to samaj mein naam tha hi. Parivaar ki maryada, uski ijjat in sab baton ka khyaal to ab Sonali ko hi rakhna tha.

Lekin is dil ka kya karen. Dil insaan ko kabhi kabhi kitna majboor bana deta hai. Sab kuch uske haath mein hote huye bhi uske haath mein kuch nahin hota. Aksar Jay Sonali ko park wagairah mein ghumane le jaata tha. Halanki pehle jaise wo park mein milte the waisa mahaul to nahin tha lekin phir bhi yahan aakar Sonali ka dil khushi se jhoom uththa tha lekin jab kabhi use purane din yaad aate to use apni Jay ke prati berukhi yaad aati to uski aankhen nam ho jaati. Jay kabhi samajh nahin paaya uske man ko. Use hamesha yahi lagta tha ki Sonali Raj ko yaad karke ro rahi hai.

Wo Sonali ko dilasa deta rehta tha lekin Sonali ko jo takleef hai jiski wajah se wo ghut ghut kar jee rahi hai use Jay ko kaise bataye. Kya kare wo uski samajh mein kuch nahin aa raha tha. Kya wo Jay ke paas wapas chali jaye? Kahin Jay use thukra na de kyunki ek baar wo bhi aisa kar chuki hai. Kya wo jindagi bhar widhwa bani rahegi. Kya uski jindagi ka aisa hi ant likha tha bhagwan ne.

Dono apne apne jajbaaton ko seene mein chupaye ek doosre se milte the, baatein karte the lekin kabhi kabhi dono ki aankhen hi sab bol deti thi lekin jhijhak ki wajah se dono ke hoth seal the. Jarurat thi to us waqt ki jab dono premi ek doosre ke wapas ho jayen kyunki pichli baar to shayad sirf ek akarshan tha jo ek dum se toot gaya lekin is samay dono ke beech sachha aur pavitra ankaha prem panap raha tha jise abhi samaj ke saamne apna sar uthana hai.

Kya aisa hoga?


To be continued....
Galati ki hai toh saza toh bhugatani padegi hi dekho ab kya hota hai jay kadam badhayega ya sonali pata nahi lekin jo bhi ho dekhane wali baat hai story mein intrest badahate hi jaa raha hai
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 71

Jay aur Sonali ki jindagi bhi ajeeb khel khel rahi thi unke saath. Kabhi dono ek doosre se juda rehne ki koshish karte the to kabhi ek doosre ki yaad mein aansu bahate the. Aakhir wok arte bhi kya dono ki hi position aisi thi ki wo jamane ka saamna nahin kar sakte the. Jahan Jay abhi berojgar tha aur use apne pairon par khada hona tha taaki wo apna aur Sonali ka bacche samet palan kar sake.

Sonali bhi ek widhwa hone ke naate majboor thi kyunki hamare samaj ne widhwa par kai bandhise laga rakhi hain. Na wo usse milne jaa sakti thi aur na hi use apna sakti thi. Lekin jab dono milte the to duniya jahan ke dard, musibatein bhulkar ek sukhad anubhuti mehsoos karte the. Dono chahkar bhi kuch bol nahin pate the. Jahan ek prem kahani kisi nateeje par nahin pahunch rahi thi to wahin doosri aur ek nayi prem kahani janam le rahi thi.

Sabki life mast chal rahi thi ki ek din achanak ek ghatna se kai logon ke jeewan mein parivartan la diya. Huya yun ki Saturday ka din tha aur Manish ka birthday tha. Usne Jay, Jawed aur baaki doston ko birthday party mein invite kiya. Ab Manish ki birthday party thi to uski Girlfriend ka aana to tay tha lekin pareshani ye thi ki wo akeli nahin aayegi uske saath uski behan Jassi bhi aayegi. Ab Jassi ko kaun jhelega. Use ignore bhi nahin kar sakte kyunki agar use ignore kiya to Manish ki to band baj jayegi.

Ab sawal ye tha ki use jhele kaun. To sabne faisla liya ki bali ka bakra pehle ki tarah Jawed hi banega. Jassi ke saath poori party ke dauran rehna aur uska khyaal rakhna Jawed ke jimme aa gaya. After all birthday boy ki GF ki behan jo thi. Ab Jawed kya kehta uska to chehra aise ho gaya tha jaise kisi ne use maut ki saja suna di ho. Hatasha bhari awaaz mein usne hami bhar di. Iske baad sab party ki tayyariyon mein lag gaye.


Halanki sab college mein aa gaye the lekin janamdin wohi bachpan ko yaad karta huya mana rahe the. Wohi rang birange gubbare jise fulane mein sabki saans ful gayi. Kagaj jisse HAPPY BIRTHDAY likhne mein sabke haath gond se chipak gaye the aur chipke bhi aise ki Fevicol ka AD sabko yaad aa gaya (Ye Fevicol ka majboot jod hai tootega nahin). Ek bada sa choclate cake jis par sab apni lar tapka rahe the. Do teen tarah ki namkeen, biscuits, snacks etc. plates mein sajane mein sab lage the. Kami thi to bas sar par lagane wali topi ki jo Manish janbhujkar nahin laaya kyunki laata to use hi sabse pehle pehanni padti.

Sab dost dopahar se college chutne ke baad se hi Manish ke ghar dera jamaye huye the. Manish bhi man mein gali de raha tha saala itna kharcha to party mein bhi nahin hona jitna ye log dopahar se shaam tak kha kha kar denge. Kabhi inko wafers chahiye, kabhi colddrinks, kabhi sweets to kabhi kuch. Saala isse to achha tha ki main akele sab arrangement kar leta.

Lekin wo kehte hain na Ab Pachtaye Hot Kya Jab Chidiya Chug Gayi Khet. Bas ab jab sabko bula liya hai to jhelo. Lekin dost hote kaise hain jab dekho tab ek doosre ki jeb kate rehte hai lekin jab waqt aata hai to ek doosre ke liye jaan dene mein bhi peeche nahin hatte. Bas Manish unhen dekh dekh kar khush tha ki sab uske liye kitna kar rahe hain. Itna to koi saga bhai bhi nahin karega.

Shaam tak sab tayyariyan ho chuki thi. Cake bhi aa gaya tha jispar rangeen candles laga di gayi thi. Charon taraf gubbare chipke huye the, kagaj se Happy Birthday deewar par likha huya tha. Usi se phoolon ki chadar jaisa chat par bana diya gaya tha. 10 saal purana cassette player jise kal hi thok pitkar gaane sunane ke liye specially tayyar kiya gaya tha. Chamchamate kapde jo kal hi road side par lagne wale bazaar se kharide the aur us par khusbudar scent chidka tha jisme se ab khusbu aa rahi thi ya badbu ye to pata nahin haan lekin lagaya jaroor tha.

Sab intezar kar rahe the ladkiyon ke aane ka aur reh reh kar Jawed ko chidaya ja raha tha. Jawed ki bolti band thi. Use wo din yaad aa raha tha jab aisi hi kuch halat Jawed ki Jassi se milne jaate waqt huyi thi. Lekin tab aur aaj mein jameen aasman ka antar tha. Sabki nigahein darwaje ki taraf thi. Sanju ne to bahar door take k round bhi lagaya lekin dono ka kuch ata pata nahin tha.

Aakhir kitna intezar karte sabko apne apne ghar bhi jaana tha. 7 baje ka time tha aur 9 to aise hi baj gaye the. Shayad dono kahin fans gayi hongi ye sochkar sabne cake katne ka man banaya. Idhar Jawed Bhai man hi man bahut khus the ki unka peecha chuta. Jaan Bachi to lakho paye aur Laut ke budhu Ghar ko aaye wali kahawat unpar fit baith rahi thi.

Manish bhi man marker centre table ke paas pahunch gaya jahan cake rakha huya tha. Wahan jaakar usne mombatti jalai aur ek aas ke saath darwaje ki taraf dekha lekin koi fayda nahin. Shayad wo nahin aayengi to unke chakkar mein baaki dost ka waqt kyun barbad karun yahi sochkar jaise hi Manish ne mombatti par phoonk marni chahi ki use saamne se do ladkiyan aati dikhai hi jise dekhkar sab chaunk gaye.


To be continued....
Jawed ko fasa diye re sab ne mill kar ab dekh jassi uska kya karti hai aur yeh manish ka birthday gift kaha hai kisi ne laaya nahi kya aur manish ko uski gf kya dene wali hai birthday gift mein dekhane wali baat hai
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 72

Jassi ki behan ko to kai dost pehchante the lekin uske saath jo ladki aayi thi wo sabke liye anjaan thi. Wo aisi lag rahi thi jaise swarg se koi apsara jameen par utar aayi ho. Kaale lambe baal kamar tak jinhe bade saleeke se banaya gaya tha. Gora rang aur us par gehri kaali aankhen jinme doob jaane ko ji chahta hai. Kul milakar ye kaha jaye ki wo kudrat ki banayi huyi behtareen nakkasi ka namuna hai to kuch galat nahin hoga. Sab use dekh kar achambe mein the ki ye kaun hai aur yahan kaise aayi.

Ek taraf Jawed ye sochkar khus tha ki Jassi nahin aayi to uska peecha chuta aur doosri taraf is ladki ko dekhkar ho gaya tha. Kya koi ladki itni khoobsurat bhi ho sakti hai. Kaash Jassi ki bajay mujhe is ladki ki dekhbaal karne ko mil jaati to maja aa jata
Lekin ab koi mujhe uske paas fatakne bhi nahin dega. Manish bhi hairan tha ki Jassi ki behan ke saath wo do saal se relation mein hai lekin usne kabhi bhi is ladki se na to milwaya aur na hi kabhi iske bare mein bataya. Aaj achanak ise yahan kaise le aayi.

Sabhi uski or ek tak dekhe jaa rahe the aur Jassi ki behan aur wo ladki dono muskura rahe the. Ek ajeeb sa sannata wahan pasar gaya tha. Manish ne hi is sannate ko bhang kiya aur Jassi ki behan se poocha ki ye ladki kaun hai. Jassi ki behan ki to hansi foot padi aur kaafi der tak wo hansti rahi. Sab bhauchakke se use dekh rahe the khaskar Manish kyunki use kuch samajh nahin aa raha tha ki usne aisa kya pooch liya jo ye itni jor se hans rahi hai.

Jab thodi der mein Jassi ki behan ka hasna band hua to usne bola “Kyat um logon ne ise nahin pehchana. Tumme se kaafi jane to ise ache se jaante hain khaskar Jawed” Ab chaunkne ki baari Jawed ki thi kyunki jaanne ki baat to door usne to isko kabhi dekha bhi nahin tha. Wo hairan sa kabhi Jassi ki behan ki taraf dekhta to kabhi us ladki ki taraf. Wo ladki mand mand muskura rahi thi lekin jaise hi uski najrein Jawed se takrayi usne sharma kar najrein chura li. Jawed ko bada ajeeb laga ki ye ladki aisa kyun kar rahi hai. Jawed hi kya sab dost hairan the.

Manish ne Jassi ki behan se doobara poocha “Yaar paheliyan mat bhujao. Batao na ye kaun hai. Hum mein se isko koi nahin jaanta”

“Are jaante ho guess to karo”

Lekin ab Manish ko gussa aane laga tha jise dekhkar Jassi ki behan shararati muskaan ke saath boli “Are gussa mat ho batati hoon. Ye hai husn ki pari, kal ki modeling superstar, ham sab ki chaheti meri pyaari behan Saloni jise aap log JASSI ke naam se jaante ho.”

Sabka muh hairat se khula ka khula reh gaya. Jay, Jawed aur Manish sab se jyada the kyunki unhone hi to use dekha tha baaki sab ne to kewal uske bare mein suna tha. Manish ne kaha “Yaar majak mat karo. Jassi Sorry Saloni aayi hai to use bula lo. Nahin to aise majak mat karo pls”

“Are main majak nahin kar rahi hoon. Yahi Saloni urf Jassi hai.”

“Lekin ye, ye to” kehte kehte Jawed beech mein ruk gaya.

“Haan Jawed Ji ye sab aap hi ke kaaran hua hai.”

“Mere kaaran. Main kuch samjha nahin. Main to us din ke baad isse mila bhi nahin”

“Wohi to. Us din aapne ise ignore kar diya tha kyunki ye dekhne mein achhi nahin thi. Isne chasma laga rakha tha yaa iske daanton mein taar pade the isliye”

Jawed ka chehra sharam se jhuka huya tha. Sach hi hai insaan ki asli sundarta to uske man se hoti hai. Bahari sundarta to chanik bhar hai lekin aantarik sundarta sthayi hai. Use koi chura nahin sakta aur wohi sundarta use sundar aur achha insaan banati hai.

“Us din se isne kasam kha li thi ki aapke saamne tabhi aayegi jab ye apne aap ko poori tarah se badal legi taaki aap ko ye achhi lage”

“Mujhe achhi lage par kyun”

“Kyunki ye aapse pyaar jo karti hai.”
Halanki dono ko akele milne dene se pehle fatafat cake katkar karyawahi kar di gayi aur turant in dono ko akela chod diya gaya. Cake baad mein bhi kat jaata lekin sabko pata tha ab dono kaafi der tak baat karte rahenge. Ladkiyon ko apne ghar jaana tha aur baaki doston ko bhi to college jaana tha. Lekin Sab betaab bhi the ki Jawed aur Saloni mein kya baat hogi. Kya Saloni ka pyaar Jawed ko manjoor hoga.

Sab tarah tarah ke anumaan laga rahe the. Kisi ne socha Jawed kyun nahin manega, aakhir Saloni padhi likhi, behad khubsyurat aur apne pairon par khadi hai. Koi soch raha tha ki bhale hi Saloni ab khubsoorat ho gayi hai lekin Jawed lalchi logon mein se nahin hai ki ladki sundar dikhi to fisal gaye. Shayad wo inkaar kar de Saloni ko. Koi soch raha tha ki Saloni Jawed ko aakhir mana hi legi. Sab apni apni soch mein doobe huye the aur intezar kar rahe the ki kab dono bahar aaye aur faisla sunayen.

Idhar kamre mein Jawed ko kuch bhi samajh mein nahin aa raha tha ki kya baat kare. Kaafi der tak dono mein se koi kuch nahin bola. Jawed ko to sabse jyada tajjub is baat se tha ki ab jab Jassi sorry Saloni ke paas rupaya, paisa, ijjat, career aur sabse badi baat bala ki khubsurti hai to wo kyun us jaise mamuli insaan ke bare mein soch rahi hai jisne use kabhi theek se dekha tak nahin.

Lekin kehte hain na pyaar andha hota hai. Ye oonch neech, jaat-paat, chota bada kisi dharm ko nahin manta. Bas jahan do dil mil jaye wahin premiyon ke liye jannat ban jaati hai.

Ye Sunta hai sirf apne dil ki awaaz.
Karta hai to sirf aankhon se fariyaad.
Hai use apne mehboob se bepanah mohabbat.
Iske liye chahe ho jaye barbaad.

Jawed ne hi aakhir uski kuch bolkar is chuppi ko todna chaha. “Tum mujhse pyaar karti ho. Lekin kabse. Jahan tak mujhe yaad hai ki hum sirf ek do baar hi mile hain ab tak aur wo bhi 5-10 minutes ke liye”

“Aap ke liye sirf 5-10 minutes honge lekin mere liye wo sadiyon barabar the. Us 10 minutes mein maine kitna kuch paa liya aap uska andaaza nahin laga sakte. Apne mehboob ke saath bitaya huya ek ek second mere liye sadiyon barabar tha.”

“Lekin main kab se tumhara mehboob ban gaya. Tum kab se mujhe chahti ho.”

“Ye to main bhi nahin jaanti ki main tumhe kabse jaanti hoon shayad kayi janmon se lekin agar is janam ki bolun to bachpan se hi aapko chahti hoon main. Mujhe aaj bhi wo din yaad hai jab mera school mein pehla din tha aur sab ladke-ladkiyan mera majak bana rahe the aur kaise aapse dekha nahin gaya aur aapne un sabko daantkar bhaga diya. Saath hi mujh se kabhi koi badsaluki na ho iske liye unhen ek tarah se warning bhi de di thi”

“To usme kya hai. Tumhari jagah koi aur bhi hota to bhi main yahi karta”

“Aapke liye ye bhale hi mamuli baat thi lekin mere liye bahut badi baat thi. Main usi din se aapse pyaar kar baithi thi. Pehle socha shayad sirf akarshan hoga lekin kab ye sachi mohabbat mein badal gaya mujhe khud hi pata nahin chala”

“To ab tum is roop mein matlab kaise badal gayi hmmm…. Mera matlab samajh rahi ho na main kya kehna chahta hoon”

“Haan samajh rahi hoon ki aap kya jaanna chahte hain. Yahi jaanna chahte hain na ki ek badsurat ladki jise dekhkar sabko JASSI JAISI KOI NAHIN ki JASSI ki yaad aa jaati thi aur sabne uska naam bhi jassi hi rakh diya tha aaj kaise ek safal model ban gayi. Isme bhi aapka hi haath hai”

“ Mera haath par main to tumse mila bhi nahin aur na hi maine kabhi tumhare rang-roop ke bare mein kaha”

“Kabhi kabhi aankhen wo sab keh deti hai jo zuban chahkar bhi nahin keh sakti. Yaad hai na aapko ki jab aap aur aapka dost Sonali ka pata poochne aaye the to mujhe dekhkar aapne kaise react kiya tha jaise ki main koi achoot hoon. Mujhe us din bahut dukh huya. Ghar aakar saara din meri aankhen geeli rahi. Reh reh kar gala khushk ho jata. Lagta jaise kisi ne mujhe jeete ji maar diya ho. Mere do tukde kar diye hon.”

“Jis insaan se main pyaar karti hoon, jiske liye main kuch bhi kar sakti hoon wohi mujhe ek najar dekh bhi nahin sakta. Laanat hai aisi jindagi par. Maine to apne aapko khatam karne ka bhi man bana liya tha kyunki aapke bina jeena bhi kya jeena mere liye. “

“Aur shayad kar bhi deti lekin usi waqt meri behan ne mujhe sambhala aur meri jindagi badal di. Usne mujhe haalaton se ladna sikhaya, is kaabil banaya ki main apne pairon par khadi ho sakun. Halanki in sab ke liye usne bhi kayi takleefe jheli lekin usne uff tak nahin ki. Meri guru, meri margdarshak, meri dost, meri hamraaj sab meri choti behan hi hai. Aaj main job hi kuch hoon sab isi ki badaulat hai.”

Jawed ki aankhen aansuon se geeli aur sharm se jhukti chali gayi. Wo apne kiye par pachta raha tha. Aaj use ehsaas ho raha tha ki bhagwan ne sabko bhale hi rang-roop kaise bhi diye hon lekin uski asli pehchaan uske behaviour se aur uske vicharon se hoti hai.

Saloni shayad is baat ko samajh gayi thi. Ye sab batate huye uski bhi aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed se kaha “Kya ab bhi aap mujhe nahin apnayenge”

“Main is kaabil nahin hoon Saloni. Main tumhare pyaar ke layak nahin hoon. Tum mujhse itna pyaar karti ho aur main tumhi se ab tak door bhag raha tha. Mujhe maaf kar do”

Jawed ne apne dono haath jodne chahe lekin Saloni ne unhen beech mein hi pakad liya aur Jawed ke gale se lipat gayi. Jawed neb hi use kaskar apne seene mein chupa liya. Dono ek doosre ke seene se lagkar kaafi der tak rote rahe.

Aur shayad wo sadiyan bhi bita dete yun hi ek doosre ki baahon mein agar unka dhyaan taaliyon ki awaaz ki taraf nahin jaata jo sab dost baja rahe the. Dono sharam se paani paani ho gaye jisme Jawed kaafi sharma raha tha aur ho bhi kyun na jo Jawed aaj tak kisi ladki ko aankh uthakar bhi nahin dekhta tha aaj kisi ladki ke gale laga huya tha.

Aur iske baad sab doston ne Jawed aur Saloni ko unki nayi jindagi ke liye badhai di aur fir to party mein aisi dhoom machi ki kehna hi kya. Us 10 saal purane cassette player se bhi wo sangeetmay dhune nikal rahi thi ki bas sirf aur sirf unki taal par nachne ka dil kare. Aakhir is fiza mein pyaar ka rang jo mil gaya tha.

Jawed aur Saloni kaafi der take k doosre ki baahon mein baahon dale nachte rahe. Lekin idhar Ravi ko sab bada ajeeb lag raha tha. Wo soch raha tha ki aaj Jawed bhi gaya kaam se. Is pyaar ke chakkar mein padne ke baad sab sale bekaar ho jaate hain. Na kisi kaam ke rehte aur na hi inse kuch hota hai.

Idhar sab pyaar aur masti ke rang se sarobar the wahin Ravi Monika se badla lene ki planning kar raha tha. Ab ye planning kya gul khilayegi kise pata?


To be continued....
Jassi jaisi koi nahi wali jassi aaj ki model ban gayi hai Miss. Saloni maza aa gaya padh kar aur jawed ne bhi haa kar diya maza aa gaya padh kar aur yeh ravi isko toh munhe mill gaya na goli mar deni hai isko maine sala pyar se dur bhag raha hai jo sab se main chiz hai zindagi mein aur monika wala lafda kab khatam karega yeh ab kya plan bana raha hai dekhane wali baat hogi
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update 73

Lekin Ravi ko kuch nahin soojh raha tha. Jab kaafi der tak kuch nahin soojha to usne thak haar kar sochna band kiya aur party enjoy karne laga. Thodi der baad sab dheere dheere karke party se jaane lage. Pehle sab ladkiyan gayi. Ladkiyon ko gaye huye thodi hi der huyi thi ki sabne unko phone ghumane shuru kar diye jaise Pawan ne Riya ko, Manish ne Jassi ki behan ko aur to aura b to Jawed ne bhi Saloni ko phone mila diya (Tum ghar pahunchi ki nahin, koi pareshani to nahin hui, maine tumko bola tha ki main chod deta hoon lekin tum maani nahin, kabhi to meri baat mano, yuh mujhe mat tadpaya karo wagairah wagairah).

Ravi ko ye sab ek drama sa lag raha tha. Ladkiyon ke ghar door hi kitne the. Do gali chodkar sabke ghar the lekin ye log pareshan to aise ho rahe hain jaise wo saat samundar paar jaa rahi hon. Itna pareshan to ye apne exam ke result wale din bhi nahin hote jitney ki aaj ho rahe hain.

Ravi ko reh reh kar Pawan ki baatein yaad aa rahi thi. Kaise wo Riya par lattoo tha. Riya ne khana khaya ya nahin khaya ye use roz poochna tha. Bhale hi khud bhookha rahe lekin pehle usko jaroor poochega. Aur agar kisi din galti se usne tab tak khana nahin khaya hota tha to ye bhi khana chod deta tha aur jid pakad leta tha ki jab tak wo nahin khayegi ye bhi nahin khayegi. Bewkoof kahin ka. Are Riya ko jab bhookh lagegi tab kha legi usme aisa pareshan hone wali baat kya hai. Saala khud to bhookha rehta hi tha uski wajah se main bhi kai baar bhookh reh gaya.

Bina matlab ghanton park mein baithe baithe pata nahin kya kya baatein karte rehte hain. Khud to ek bhi class attend nahin karte the aur mujhe inke liye notes banane padte the. Kabhi kabhi to chal jaata hai lekin poora saal. Saala is dosti ne to marwa diya. Agar dost nahin hota to phir batata. Dosti ko pyaar par kurbaan kar diya. Ye pyaar to kuch hi din rehta hai aur baad mein wohi majnu wali haalat. Sirf dost hi hai jo hamesha kaam aata hai chahe dukh ho such. Lekin isko dost ki kadar kahan. Jab se ladki mili hai bas usi ke aage majnu bana firta hai.

Abhi se joru ka gulam ban gaya hai. Wo kahegi to khayega, wo kahegi to uthega, baithega, wo jahan kahegi uske peeche kutte ki tarah dum hilata chala jayega. Aisa bhi kabhi hota hai. Maana ki Riya achhi ladki hai lekin iska ye to matlab nahin ki bas use hi importance do.

Pehle hum dost kitna mast rehte the. Saath saath khelna, khana peena, life maje mein kat rahi thi. Lekin jab se Riya aayi hai bas apni dosti hi hello tak hi reh gayi hai. Sahi kaha hai kisi ne ladki ke chakkar mein padkar kitne ghar barbad ho gaye hain. Ladkiyon se to do foot ki doori hi bana kar rakhni chahiye. Haan ignore mat karo unhen lekin is pyaar vyaar ke chakkar main bhi nahin padna chahiye.

Kitno ko dekha hai ladkiyon ke peeche ladke maar kha rahe hain, ek doosre se lad rahe hain, doston ke beech dushmani ho jaati hai aur yahan tak ki maa-baap se badhkar ladki ho jaati hai jiske liye ladka maa-baap tak ko chodne ke liye tayyar ho jaata hai.

Bakwaas cheez hai ye pyaar, ishq aur mohabbat. Sirf paisa kamane ka jariya bana rakha hai logon ne. Valentine day isiliye bana gaya hai taaki bhole bhaale logon ko loota jaa sake. Koi phool kharid raha hai, koi chocolate to koi aur gift lekin kisi ke bhi ye dhyaan mein nahin aata ki jo phool kal tak 10 Rs. main milta tha aaj wohi phool 100 Rs. main mil raha hai. Bas kharidna hai to kharidna hai ladki ko impress jo karna hai. Jaise phool nahin kharidega to wo use chod kar chali jayegi. Ab kaun samjhaye inhen. Kabhi 10 rupaye dost par kharach nahin karenge lekin ladki ke upar hajar rupaye bhi kharch ho jaaye to koi baat nahin. Main to kabhi na padun is pyaar vyaar ke chakkar mein.

Aise hi na jaane kitne khyaal Ravi ke man mein aate jaa rahe the. Tabhi uska dhyaan Pawan ne apni awaaz se thoda. “Chal bhai ghar nahin jaana. Raat kaafi ho gayi hai.”

Sab doston ne ek doosre se wida li aur apne apne ghar chale gaye. Raaste bhar bhi Ravi inhi baaton ko soch raha tha lekin jab ghar pahuncha to sharirik aur maansik dono roop se itna thak gaya tha ki bistar par girte hi neend aa gayi use. Khana pehle hi kha liya tha sabne isliye ab to seedha bistar hi pakadna tha. Kab neend aayi aur kab agli subah huyi kuch pata hi nahin chala.

Ab Ravi raat ko der se soya tha to jaahir si baat hai subah der se bhi uthega. College 9 baje se shuru hota hai aur use uthne mein 10 baj gaye the. Ravi ne aankh malte huye ghadi ki taraf dekha to chonk utha. Wo turant naha dhokar tayyar huya aur nashta college mein hi karne ka bolke seedha Pawan ke ghar chala gaya jahan jaakar use pata laga ki wo to aaj jaldi college chala gaya hai. Ravi ka to ye sunkar paara hi chad gaya. Wo samajh gaya ki ho na ho ye jaroor Riya se milne hi jaldi gaya hoga. Use to college mein dekh loonga aur apni bike teji se bhagate huye jaldi se college pahunch gaya. Lekin ab wo kisi ko bhi lift nahin deta tha apni bike par khaskar kisi burkhe wali ko.


To be continued....
Jalta hai sala ravi aur aaj gaya pawan kaam se dekhane wali baat hai kya hoga waiting next
 
  • Like
Reactions: Ravi
Top