• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Fear-Trap (Dar ki Nayi Inteha)...

Niks77kill

New Member
76
75
34
35. Changed Aditya
Update 35
Ek pal ke liye to aditya ko samajh hi nahi aaya ki ye achanak hua kya.
Wo chillana chahta tha lekin nahi kr paya. Cheekhne ke liye muh khola
to muh mai dabi torch chhutkar wahi keechad mai kahi gayab ho gayi.
Uski cheekhein wahi us keechad mai hi dabi reh gayi. Muh kholne par
keechad uske muh mai ja raha tha jisse use saans lene mai takleef ho
rahi thi. Wo chhatpata raha tha lekin us anjan pakad se chhut nahi pa
raha tha. Uska sir us keechad mai tha par dono hath bahar jo use
bahar nikalne ke liye idhar-udhar chhatpata rahe the.
Aditya ko mehsoos ho raha tha ki uski gardan kisi cheez ki giraft mai
hai lekin wo use dikh nahi rahi thi. Kuch agar dikh raha tha to bas wo
kala keechad aur uske sath hi nazdeek aati maut. Aisa lag raha tha mano wo keechad hi zinda ho gaya ho aur use apne andar sama lena chahta ho. Ek anjana dabaw use apni gardan ke sath-sath apne poore sir mai mehsoos ho raha tha. Wo jitni baar bhi apna sir bahar nikalne
ke liye uthata utna hi dabaw uske sir par badhta.
Dheere-dheere uski saansein ukhad rahi thi. Aditya samajh chuka
tha ki agar usne abhi turant kuch nahi kiya to uski maut tay hai. Usne
apne dono tub ke andar liye aur unke sahade khud ko upar kheechne
laga. Usne apne hath tub mai tikaye to use apne daye hath mai koi
lambi si cheez mehsoos huyi. Usne poori taqat ke sath tub mai apne
hatho ko dhakela aur akhirkar khud ko bahar nikal hi liya. Usne apne
hatho ko dekha to paya daye hath mai uski torch thi. Wo lambi-lambi
saansein bhar raha tha aur khud ko samhalne ki koshish kar raha tha.
Use ulti aa rahi thi aur jaise hi usne ulti ki to jaisa usne socha tha
waisa nahi hua. Kale keechad ki jagah usne gande hare pani ko khud
mai se nikalte dekha. Usne wapas tub ko dekha to keechad wapas us
gande sade hare magar bilkul shant pani mai badal chuka tha. Wo is
cheez ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki achanak usne dekha
ek parchhayi jaisi cheez us bathtub mai se nikli aur farsh par lehrati
huyi bahar chali gayi apne naye shikar ki talash mai. Aditya ascharya
se aankhe fade us parchhayi ko dekh raha tha aur uske darwaje se
bahar nikalne ke baad waise hi aankhe chaudaye baitha raha.
Kuch seconds baad aditya ko hosh aaya aur apni bottles sametkar
khada ho gaya. Usne ek baar phir us tub par nazar dali aur bahar ki
taraf chal diya. Bahar usne dekha ki harshit abhi bhi apne papa ke
bed ke paas baitha hua hai to wahi pooja, priya aur rahul visitor's
bed par baithe gappe maar rahe the. Unko aise haste-bolte dekh
aditya ke dil mai ek gusse ki ek tej lehar daud padi.
"Waha andar mai marte-marte bacha hu.. yaha ye sab gappe lada
raha hai.." usne man hi man socha.
"Are adi.. badi der laga di.. kaha reh gaya tha?? Pani mila kya??" Adi
ko dekh pooja ne poocha.,"Yaha to kisi ko kuch parwah hi nahi hai..
waha maut se bach ke aa raha hu.. aur in sabko abhi bhi pani ki padi
hai.. itni der ho gayi thi to andar aakar nahi dekh sakte the kya.. ehsaan faramosh kahi ke..." pooja ki baat sunkar uska gussa aur badh
gaya par kisi se kuch nahi bola. Bas man hi man apni bhadas nikalta
raha.
Wo un teeno ke paas aaya aur rahul ki bottle uski taraf uchhal di.
Rahul iske liye taiyar nahi tha isliye bottle seedha uske naak par
pada. Rahul apni naak sehlate huye use gusse se dekhne laga to uske
dil ko ek azeeb se thandak mili aur ek muskan barbas uske hotho par
aa gayi.
"Sorry..." adi ne apni muskan ko dabate huye kaha halaki uski awaaj
mai ek alag hi put tha jo saaf bata raha tha ki use aisa karne mai
maza hi aaya tha. Achanak use khud par sharam mehsoos hone lagi ki
wo ye kya kar raha hai, kya soch raha hai.
"Mai ye kya kar raha hu.. in logo par kyu bhadak raha hu.. inko kaise
malum hota ki mere sath andar kya hua tha.." usne socha.
Pooja aur priya dono ne uski ye harqat dekhi par jyada dhyan nahi
diya aur phir uske 'sorry' kehne ke baad to jaise ye aayi-gayi baat ho
gayi.
"Are adi baith na.. poo ek mast joke suna rahi thi.. tu bhi sun.. aaja.. "
priya uske baithne ke liye jagah banati huye boli. Un logo ne bed ki
chadar aur bistar se dhool vagerah jhad di thi.
"Theek hai shuru se sunati hu.. ek baa... ye adi tere gale par ye nishan
kaha se aaya??" Pooja sunane hi ja rahi thi ki adi ki taraf dekhte
huye boli. Waha uski gardn ke charo taraf laal nishan bana hua tha mano kisi ne kafi taqat ke sath uski gardan dabayi ho.
"Andar aakar dekhti tab to malum chalta na.. yaha baithe-baithe chutkule sunane se to fursat mile pehle.." Adi ke andar gussa phir badhne laga.
"Pata nahi.. mujhe to koi nishan nahi dikh raha.." gussa dabate huye bola.
"Abe idiot.. tujhe kaise dikhega.. tu kya apni gardan dekh sakta hai??
Tujhe sach mai nahi pata ye nishan kaise bane?? Ye to kafi gehre
lagte hai.. ja mirror mai dekh ke aa.." priya uski baat sunkar boli.
Priya ke muh se idiot sunkar adi ka gussa aur badh gaya aur wo apne
daat kitkitane laga.
"Ha bhaiya.. pooja di aur priya di sahi keh rahi hai.. ye nishan to kafi
gehra lagta hai.. aur dekho kahi-kahi par to aapki neck chhil bhi gayi
hai.." rahul bhi beech mai tapakte huye bola. Rahul ki baat sunne ke
baad mazburan adi ko mirror mai dekhne ke liye uthna hi pada.
Fridge ke bagal mai hi ek round mirror laga hua tha aur us par bhi
dhool ki moti parat jama thi. Adi ne apni torch on ki aur us mirror ke
paas gaya aur uski dhool saaf ki. Mirror mai dekhkar adi ko samajh
mai aa gaya ki wo log itne sawal kyu kar rahe the. Uski poori gardan
laal huyi padi thi aur kayi-kayi jagaho par to neele nishan bhi pad
chuke the. Aur to aur gardan ki dono sides par to nishan itne gehre
the ki waha ka maas chhil chuka tha aur halka sa bhi nikal aaya tha.
"Ye to sach mai kafi gehre nishan hai adi.. sach bata ye nishan kaha
se aaye??" Harshit ki awaaj adi ke kaano mai padi. Usne mirror mai
dekha ki harshit theek uske peeche khada hai aur gaur se uske
nishano ko dekh raha hai.
"To fursat mil hi gayi janab ko apne papa se.. jo uske papa hai bhi
nahi hai.." adi ne socha aur phir bola, "Mujhe sach mai nahi pata ye
nishan kaha se aaye.. ho sakta hai ye pehle se hi ho.." Use har chhoti
se chhoti baat se chid ho rahi thi bas ye sochkar ki jab use jarurat
thi tab uske dost waha uski madad ke liye nahi the.
"Na ye pehle to nahi the jab tu bathroom gaya tha.. sach-sach bata.. tujhe aunty ki kasam.." harshit ke itna kehte hi adi ka sara gussa achanak gayab ho gaya. Wo khud par sharminda tha ki wo apne dosto se hi chida ja raha tha aur wo bji bewajah. Yaha tak ki wo is baat ka
bbhi koi karan nahi dhoond paya ki wo bathtub wali baat apne dosto
se akhir chhupa kyu raha hai.
"Theek hai.. batata hu.. wo andar abhi jab mai pani bharne gaya tha
tab....." kehte huye aditya ne shuru se lekar ant tak sab kuch bata
diya.
"Kya.... itna sab ho gaya.. aur tu ab bata raha hai.. aur tu chillaya kyu
nahi.." uski baat sunkar harshit us par banavati gussa karte huye
bola. Ab tak pooja bathroom tak pahuch chuki thi aur uske darwaje
ko achhi tarah band karne ke baad uska lock laga rahi thi.
"Koi fayda nahi.. wo parchhayi ab ja chuki hai.. aur maine koshish ki
thi chillane ki.. par gale se awaaj nikli hi nahi.. us keechad mai
shareer bilkul sunn pad chuka tha..bas kisi tarah hath-pair chalakar
bahar nikal kar aaya hu bas.." adi ne kaha.
"To ye baat tu humse chhupa kyu raha tha?? Kya hume tere sath huyi
itni badi baat janne ka bhi haq nahi hai??" Harshit abhi bhi apne
gusse wale role mai hi tha jo ab kafi emotionsl hota ja raha tha.
"Sorry yaar.. mai tum sabko aur pareshan nahi karna chahta tha..
waise bhi tu apne paa ko lekar pehle hi kafi tension mai hai.." adi ne
akhiri line bade hi vyang bhare lahze mai kahi jise harshit ke alawa
aur koi nahi samajh paya."Ye kya baat huyi.. agar tujhe andar kuch ho
jata to..." priya boli. Mote-mote ansoo uske gaalo par utar rahe the.
Aaj pehli baar use ehsaas ho raha tha ki agar adi na ho to wo kiske
sath ladegi, kiske sath jhagdegi. Pehli baar use mehsoos hua ki adi ke
bina uski jindagi kitni sooni ho jayegi.
"Kuch hua to nahi na.. aur tu kab se itni si baat par rone lag gayi
jungli billi.." adi ne uske ansuo ko dekhte huye kaha. Par uski awaaj
mai vyang ka put pehle se bhi jyada tha mano keh raha ho ki agar wo
mar bhi jaye to ye itni badi baat nahi hai ki jiske liye roya jaye.
"Ye tu kaise baat kar raha hai humse.. tere dost hai hum.. isliye hume
teri fikra hai.. aur tu hum par hi chada ja raha hai.. baat kya hai??
Saaf-saaf bol.." uski awaaj ka put samajhte huye pooja us par baras
padi. Use gusse mai dekh jaha rahul ki dar ke mare hawa nikal gayi
wahi aditya ka gussa aise gayab ho gaya jaise gadhe ke sar se seeng.
Aisa laga mano wo khud mai hi nahi tha. Bewajah ka gussa us par hawi
hota ja raha tha.
"Sorry... sorry yaar.. wo mujhe pata nahi kya ho gaya tha.. mujhe pata
nahi kyu aisa lag raha tha ki mai andar mar raha tha aur bahar tum lig
maje se baithe the.. shayad isi karan mujhe gussa aa gaya tha.. mujhe
maaf kardo.. i am really.. really sorry.." dabdabayi aankho se adi ne
kaha.
"Koi baat nahi.. sorry ki jarurat nahi hai.. hume bhi sochna chahiye
tha ki tere ko andar itni der kaise ho gayi hai.. wo bhi jab mahaul aisa hai.. we are sorry too.." uske gale lagte huye harshit bola. Uski aankhe bhi bhar aayi thi.
"Harrr..sh..hittt...." achanak ek ladkhadati dheemi awaaj unhe sunayi di.
Ye harshit ke papa Mr Gupta ki awaaj thi jinhe hosh aa chuka tha.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
36. The Bomb
Update 36
"Papa... papa... aap.. theek to hai na.." turant apne papa ke bagal mai
pahuchte huye harshit bola.
"H..har..harshu.. t..tu aa gaya beta.. t..tu aa gaya.." harshit ko
dekhkar uske papa rote huye bole. Wo uthna chahte the par unke
jhakhm bilkul taaza the aur unka shareer bhi kafi kamzor tha isliye
harshit ne unhe rok diya.
"Ha mai aa gaya papa.. kuch nahi hoga ab aapko.." aankho mai ansoo
harshit ke bhi the.
"H..h.arsh..itt.. beta.. k..kaha ch..ala.. gaya tha.. tu.. hume
ch..hoddkar.. it..tne din tujh..ee.. yaad nahi a..aayi.. hum l..lo..go ki.."
Mr gupta ne ladkhadati awaaj mai apni baat kahi.
"Papa.. abhi aap araam kijiye.. aapki halat abhi theek nahi hai.. hum
baad mai baat karenge.." harshit ne unke sir par hath ferte huye
kaha mano wo uske pita nahi hai balki wo unka pita hai.
Harshit ke kehne ke sath hi Mr gupta aankhe band karke let gaye aur
hatshit unke paas se uthkar wapas apne dosto ke paas visitor's bed
par aa gaya. Harshit ke dosto ko abhi bhi yahi lagta tha ki ye Mr
Gupta nahi hai isliye wounke paas nahi ja rahe the.
"Inhone aisa kyu kaha ki itne din tujhe yaad nahi aayi?? Hume to
yaha is show mai aaye huye hi abhi mushkil 30 ghante huye hai.."
harshit ke paas aate hi aditya ne sawal daaga.
"Mai..mai.. nahi janta.. mai nahi janta.. maine dhyan hi nahi diya.. yaha
aakar to waise bhi yahi lag raha hai ki kitne saalo se yahi fase hai.."
harshit ne hatasha ke sath jawab diya.
"Jawab tabhi milega jab ye baat karne layak halat mai honge.." priya
ne kaha.
"Hmmm.. sahi kaha..." pooja ne bhi lambi saans chhodte huye hami
bhari.
Agle 3 ghante mai Mr Gupta kafi had tak normal ho chuke the aur
trauma se bahar aa chuke the. Thoda pani aur khana milne ke baad
wo kafi had tak behtar mehsoos kar rahe the. Unki pattiya bhi badal
di gayi thi aur ghaavo par betadine bhi laga diya tha jo unhe usi
kamre mai mil gaya tha. Halaki is dauran bhi aditya ka vyavjar thoda
ukhda aur udasin hi raha aur wo baar-baar kabhi priya ke to kabhi
pooja ke kaan mai phusphusakar Mr Gupta ke asli ya nakli hone ki
debate chhed deta jo unhi teeno tak seemit rehti. Wo is baat se bhi
naraz tha ki harshit ne unke hisse ka khana aur pani 'barbaad' kar
diya tha.
"Papa.. Ab kaisa lag raha hai??" Harshit ne unhe peeth ke sahare
baithate huye poocha.
"Kafi theek hai.." behad kamzor lekin sadhi huyi awaaj mai unhone
kaha.
"Badhiya.. mai aapki dressing ke liye kuch aur pattiya lekar aata hu..
yaha room mai to ab kahi bachi nahi hai.." kehte huye harshit uthne
laga to Mr Gupta ne turant uska hath mazbooti ke sath pakad liya aur
bole, "Tu.. tu.. room ke bahar n..nahi jjjj..jayega.. ttt..ujhe meri
kasam.."
"Koi baat nahi papa.. sab theek hai.. kuch nahi hoga mujhe.." unke
hath ko hatane ki nakaam koshish karte huye harshit bola par unhone
uska hath nahi chhoda.
"Theek hai... mai nahi jaunga.. ab to mera hath chhod dijiye.." harshit
ne akhir haar mante huye kaha par ye sun kar bhi unhone uska hath
nahi chhoda par pakad jarur dheeli kardi. Harshit ne halka sa hath
kheecha aur unki pakad se ajaad ho gaya. Idhar aditya aur baki log bhi bade dhyan se ye scene dekh rahe the aur dheere-dheere unke
man mai ye baat uth rahi thi ki ye asli Mr Gupta hi hai.
"Tum log yaha mere paas kyu nahi aa rahe?? Adi?? Poo?? Priya?? And
kid.. mmm.. rahul.. right?? Isiliye na kyuki tumhe lagta hai ki us nakli
ankit ki tarah mai bhi kahi nakli to nahi hu??" Mr gupta ne un charo ki
taraf dekhte huye kaha to unko azeeb sa dhakka laga. Wo aankhe
faade unki taraf dekh rahe the.
"Aa..a.ap j.."
"Ha mai janta hu uske bare mai.. is thursday ko hi wo episode aaya
tha.."
3 Ghante se jyada samay ho chuka tha aur thakaan ke karan sab log
neend ke aagosh mai sama chuke the. Yaha tak ki ankit bhi so chuka
tha par avinash abhi bhi jaaga hua tha. Neend uski aankho se koso
door thi aur is waqt wo kisi gehri soch mai dooba hua tha. Waha bed
par tara coma mai padi thi aur sab log uske aas-paas hi farsh par
soye pade the. Avinash unse kuch fasle par pani ki khali bottle hath
mai liya baitha tha aur ek sath do maslo par man hi man faisle lene ki
koshish kar raha tha.
"Tara ka bachna.. namumkin tha.. itne blood loss aur itni badi chot ke
baad bhi ye bach kaise gayi.. medical history mai ye kisi chamatkar se
kam nahi hai.."
"Kya in logo ko sach bata du?? Mai kaun hu aur yaha aane ka maqsad
kya hai?? Lekin aisa karne se wo bhi jaan jayenge.. kya karu?? Kaise
batau ki ye medical ka gyan kaha se aaya??"
Dono hi uljhane badi thi aur avinash ko kuch samajh nahi aa raha tha
ki kya kare. Usne apne sote huye sathiyo ki taraf dekha aur ek azeeb sa aur chid bhara khyal uske man mai aaya.
"Itna bada hadsa hokar chuka hai aur ye log kaise araam se so rahe
hai.. jara bhi parwah nahi hai ki agar sote huye hi koi aakar hamla
karde to kya hoga.. is ankit ko to dekho.. behan marne ko padi hai aur
ye ghode bechkar so raha hai.."
Aise hi na jane kitne bekar ke khyal uske man mai aate rahe aur use
lagatar pareshan karte rahe. Halaki use pata nahi tha ki wo log so
nahi rahe balki pichhle 3 ghante se behosh pade hai.
"Bachaooo....." door se aati ek cheekh uske kaano mai padi to wo
hadbadakar uth gaya. Use jhapki lag gayi thi ki tabhi is awaaj ne use
utha diya. Usne baki sab par nazar dali to sab abhi bhi araam se 'so'
rahe the. Usne ise man ka veham samjha aur wapas aankhe band
karke sone hi ja raha tha ki wahi awaaj ek baar phir uske kaano mai
padi.
"Ye..to harshit ki.. awaaj hai.." usne man hi man socha. Wo poori tarah
hadbada chuka tha. Ek baar phir wahi awaaj uske kaano mai padi jisse
use yakeen ho gaya ki ye harshit ki hi awaaj hai aur wo musibat mai
hai. Lekin tabhi uske man ek dusra khyal bhi aaya ki ye ek chaal bhi
ho sakti hai unhe fasane ki. Awaaj bahar se aa rahi thi aur ruk-ruk
kar lagatar aa rahi thi. Har baar awaaj mai takleef aur dard bhi
badhta ja raha tha. Ab usse raha nahi ja raha tha. Use check to
karna hi tha par ye ek chaal bhi ho sakti thi. Isliye usne akele hi jane
ka faisla kiya taki koi aur musibat mai na pade.
Usne apni torch uthayi, backpack mai se ek gun nikalkar bag ko wahi
table par rakha aur ek baar un sab par sarsari nazar dalne ke baad
room se nikal gaya. Awaaj abhi har kuch second baad aaye ja rahi thi.
Bahar abhi bhi poori tarah andhera tha aur farsh abhi bhi pani mai
dooba hua tha. Usne darwaja band kiya aur torch on karke us awaaj ke peeche-peeche chal pada.
"Ye aap kya keh rahe hai uncle.. hum yaha 13th june yani kal aaye
the.. aur kal friday tha.. to phir wo episode thursday ko kaise aa
sakta hai??" Adi ne hairani se poocha.
"Kal?? Ye kya keh rahe ho.. aaj 12 july hai.. wo episode parso hi aaya
tha.. jisme wo dusra ankit aaya tha.. aur tum logo ko wo
sledgehammer mila jiske jariye deewar todi tum logo ne aur omni
letter dhooda.. hospital mai enter karte hi wo episode khatam ho
gaya tha.." Mr Gupta ne jaise hi ye bomb fodasab uchhal pade. Unhe
yakeen nahi ho raha tha ki ye kya keh rahe hai. Aditya ne to yehi
samajh liya tha ki itni choto ki vajah se uncle ka screw dhhila ho gaya
hai ya phir ye bhoot hi hai jo unhe uljhana chahta hai.
"Par papa.. ye impossible hai.. hume savh mai yaha aaye mushkil se 30
ghante huye honge.. phir.. aaj.. 12 july.. kaise??" Harshit ne bhi hairan
hote huye kaha.
"Mai nahi janta tum logo ko yaha 30 ghante hi huye hai ya nahi.. par
bahar asli duniya mai.. tum logo ko 30 din ho chuke hai is show mai
aaye.." Mr Gupta ne kaha. Unki baat ne harshit ko sochne par mazbur
kar diya tha.
"Iska matlab yaha bitaya hamara har ek ghanta.. bahar ek din ke
barabar hai.. yani ek episode.. ek ghanta.. ek din.." harshit unke paas
se uthte huye bola.
"Par ye kaise mumkin hai?? ye kaise.. kaise ho sakta hai?? Hum log
yaha 30 din se hai??" Pooja ne poocha. Uski awaaj mai dar ki vajah se
halka sa kampan tha.
"Ye.. lagta hai.. koi.. time-dilation hai.. mai.. mai nahi janta ye kaise hua
hai..par.. I don't know.. mai..mai.." harshit ko samajh nahi aa raha tha
ki wo kya kahe. Wo wapas apne papa ki taraf muda aur unse poocha-
"Papa.. aa ko yaha aaye kitni der ho chuki hai?? Aur usse bhi badi baat aap yaha aaye kaise aur kyu?? Aur aapki ye halat kaise huyi.."
"Mujhe ab 5 ghante ho chuke hai yaha aaye.. aur agar tera andaza
sahi hai to iska matlab ab bahar 12 nahi balki 15 ya 16 july hogi.. mai
yaha kaise aaya ye.. ye thoda azeeb hai... mujhe bhi theek se n..." apni ghadi mai dekhkar wo bole par bolte-bolte achanak ruk gaye.
Unki nigahe darwaje par tiki huyi thi aur aankhe fail chuki thi. Sabne unhe darwaje ko ghoorte dekha to peeche palatkar dekha. Waha avinash ek hath mai torch liye aur dusre mai Mr Gupta ki taraf gun taane khada tha.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
37. Bomb-Part II
Update 37
"Ye.. ye.. kaun hai??" Avi ne apni gun par apni pakad mazbut karte
huye poocha. Uske chehre par un logo se wapas milne ki khushi kam
aur ek naye shaks ko waha dekhne ka jhatka jyada dikh raha tha.
"Avi.. gun neeche karo.. ye mere papa hai.." harshit ne uchi awaaj mai
kaha. Apne papa par gun tani dekh use gussa aa raha tha.
"Tujhe yakeen hai??" Avinash ne kamre mai aate huye poocha.
Harshit ki baat sunne ke baad bhi na usne gun neeche ki aur na hi
trigger se apni ungli hatayi.
"Ha mujhe yakeen hai.. ab gun neeche kar.." gusse se daant peeste
huye harshit bola.
Is baar avinash ne gun jhuka di aur teji se harshit ke paas aaya.
"Ohhh.. shukra hai tum sab log mil gaye.. tu theek hai na?? Maine teri cheekhein suni thi.. dard bhari cheekhein.." avinash ne gun apni belt
mai thooskar harshit par upar se neeche ek nazar marte huye kaha.
"Cheekhein?? Meri?? Nahiii... mai nahi cheekha.. na hi hum mai se koi
aur.." harshit ne kaha jiska samarthan bakiyo ne bhi kiya.
"Par wo awaaj.. teri hi thi.. mai yak.." avinash kuch aage kahe usse
pehle hi Mr Gupta beech mai bol pade, "Avinash.. wo ek chaal thi..
tumhe fasane ki.."
"Nahi.. mujhe.. mujhe nahi lagta.. ki wo koi chaal thi.. agar aisa hota
to.. to wo awaaj mujhe yaha tak kyu lekar aati.. us awaaj ka peecha
karte huye hi to mai yaha aaya hu.." avinash ne unki taraf mudte huye
kaha.
"Mera yakeen karo.. wo beshak ek chaal thi.. ya to tumhe fasane ki ya
tumhe..." Mr Gupta ne apni baat adhoori chhod di.
"Door le jane ki.." avinash ne unki baat poori ki aur phir apne sir par
hath rakhte huye bola, "Oh my goddd... taraaa... wo tara se mujhe
door karna chahte the.. wo adhoora kaam poora karna chahte hai..
jaldi chalo.."
"Tara ko kya hua hai??" Priya ne poocha.
"Us par hamla hua hai.. coma mai hai wo.. shayad hi kabhi uth paye.."
avinash wapas apni gun nikalkar bola.
Uski baat sunkar wo log bhauchakke reh gaye.
"Tara par hamla?? Kab?? Kaise??" Sab ne use gher liya aur sawalo ki
jhadi laga di.
"Sab bata dunga.. pehle jaldi se chalo waha.." avinash ne kaha.
"Tum log jao.. mai yahi rukta hu.. papa abhi chalne ki halat mai nahi
hai.." harshit ne kaha.
"Tu pagal hai kya?? Hum tujhe akele chhodkar nahi jayenge?? Wo bhi
inke sath?? Jo shayad.." aditya ne kaha par Mr Gupta bech mai hi bol
pade, "Adi sahi keh raha hai harshu.. hamara yaha akele rukna theek
nahi hai.. waise bhi mai theek hu.. chalna kya mai to daud bhi laga
sakta hu.."

"Nahi aap theek nahi hai.. aapko araam ki jarurat hai.. mai aur aap
yahi ruk rahe kuch aur time tak.. aur yeh mera final decision hai.. ab
tum log jao.. jaldi karo.." harshit ne apna faisla sunate huye kaha.
"Theek hai.. hum ja rahe hai.. par hum kuch dair baad wapas aayenge..
aur tab tujhe hamare sath chalna hoga.. theek hai??" Aditya ne kaha.
"Jao.. jaldi karo.." uski baat ansuni karte huye harshit uchi awaaj mai
bola.
Un logo ne bahar jane ke liye apne kadam badhaye hi the ki achanak
aayi ek awaaj ne unke pair jaam kar diye. Awaaj bathroom se aayi thi
aur bathroom mai jo Adi ke sath hua uske baad ye awaaj aana is baat
ka sanket tha ki picture abhi baki hai.
"Krrrrr..." ki awaaj ke sath bathroom ka darwaja khula aur andhere
mai koi cheez farsh par rengti huyi bahar nikli. Turant kayi torches
ki roshni us cheez par padi jise dekhte hi pooja aur priya ki cheekh
nikal gayi.
"Ye nahi ho sakta.. ye namumkin hai.." kehte huye avinash ne apni gun
tara ke hath ki taraf taan di par na jane kyu fire nahi kiya. Uske
hath buri tarah kaap rahe the aur chahkar bhi wo fire nahi kar pa
raha tha.
Tara ka ukhda hua hath jameen par kisi saap ki tarah raing raha tha
aur un logo ki taraf badh raha tha. Mr Gupta aur harshit bhi ab un
logo ke sath waha darwaje ke paas pahuch chuke the.
Hath raingte huye unke paas aa raha tha aur un logo ke pair aise jam
gaye the mano farsh se chipak gaye ho. Unse kuch door pahuchkar wo
hath ruk gaya aur isi ke sath dheere-dheere hawa mai uthne laga.
"Y..y..ye kya ho raha hai adi..." priya ne kaapti awaaj mai poocha.
"M..m..mu..jhe kya malum.." adi thodi rookhi magar ladkhadati awaaj
mai bola.
Jaise-jaise wo hath hawa mai uth rha tha wo log avi ke peeche
khisakte ja rahe the jiski gun abhi bhi tani huyi thi. Tara ka hath
hawa mai kareeb 3 foot upar uthne ke baad ruk gaya aur phir wo hua
jiski sapne mai bhi kisi ko asha nahi thi.
Tara ka hath wahi hawa mai ghooma aur ab hatheli wala hissa unki
taraf tha. Par waha sirf hatheli hi nahi thi. Do badi-badi bilkul safed
kanche jaisi aankhe bhi waha thi aur nukile daato ki do rekhaye bhi.
Ye najara aisa tha ki kisi ka bhi heart-fail ho jaye.
"Bhag jao yaha se..." ek behad hi darawani aur kharkharati awaaj us
hatheli mai se nikli aur isi ke sath ek tej dhamake ke sath wo hath
kisi bomb ki tarah phat gaya.
Khoon aur maas ke tukde un sabke chehre aur poore badan se
takraye jisse wo sab khoon se sarobar ho gaye. Par ye abhi khatam
nahi hua tha kyuki wo hath abhi hawa mai hi tha halaki ab sirf
haddiya hi bachi thi jin par kahi-kahi kuch maas abhi bhi chipka hua
tha.
Unke pairo mai jaan dalne ke liye ye kafi tha isliye wo log sab turant
bhag nikle. Room se nikalkar wo log wapas seediyo ki taraf bhage aur
tab tak nahi ruke jab tak us pani bhare galiyare mai nahi pahuch
gaye. Mr Gupta bakiyo ki tarah tej nahi bhag sakte the isliye harshit
unke sath dheere-dheere bhagte huye aa raha tha. Ek-do baar
peeche palatkar wo ye ye bhi confirn lete the ki wo hath unke peeche
to nahi aa raha hai.
"Wo hath.. wo.. wo.. uske paas.. muh tha.. wo. wo bol raha tha.." pooja
ne haafte huye kaha.
"Wo.. tara.. tara ka hath tha.." ghutno par hath tikaye khade avi ne
haafte huye kaha.
"Kya matlab wo tara ka hath tha.." un logo ke paas aate huye harshit
ne poocha. Usne avi ki baat sun li thi.
"Wo.. mai..... tum log chalo.. sab malum chal jayega.. ek baar room mai
pahuch jaye to sab bata dunga.. waise bhi tara ko dekhkar sab
samajh hi jaoge.. ab jaldi karo.." avi ne kaha aur us galiyare mai aage
badh gaya. Sab hairani se use dekh rahe the aur uske peeche-peeche
aa rahe the. Galiyare mai kuch door ek darwaje ke neeche se kuch
roshni aa rahi thi jise dekhte hi avi ne apni speed badha di aur
majburan bakiyo ne bhi. Avi lagbhag daudte huye us darwaje tak
pahucha aur dandanate huye jaise hi usne wo darwaja khola wo samne
ka nazara dekh apni aankho par yakeen nahi kar paya. Usne 3-4 baar
palke jhapkayi ar nazara nahi badla. Baki logo ne bhi jab apne samne
ka nazara dekha to unki aankhe bhi ascharya se fail gayi.
Tara apne coma se bahar aa chuki thi aur bilkul theek dikh rahi thi
siway iske ki ab uska ek hath nahi tha. Par uske chehre ko dekhkar
aisa nahi lag raha tha ki wo kisi dard ya takleef mai hai. Ankit, rahul
aur tanisha bhi jaag chuke the aur tara ke sath baatein kar rahe the
jab tak ki avi darwaje ko lagbhag todta hua andar nahi aaya.
"Avi... harshit.. tum log aa gaye.. dekh avi tara ko hosh aa gaya.."
ankit avi ke paas aate huye bola aur uske gle lag gaya, "maine kaha
tha na meri behan ko kuch nahi hoga.."
Avi tara ko hosh mai dekhkar ye tay hi nahi kar pa raha tha ki kya
bole. Pehle itna khoon behne ke bawjood bhi tara ka bach jana aur ab
is coma se itni jaldi bahar aa jane se tara use kisi azoobe se kam nahi
lag rahi thi. Avi ke baad ankit harshit aur baki sab ke bhi gale laga jo
abhi bhi Tara ke gayab hath wale hisse ko hi dekh rahe the. Unhe ab
samajh aa gaya tha ki avi ne aisa kyu kaha ki wo hath tara ka tha.
Ankit ke hatte hi avi fauran washroom ki tarf gaya aur jaisa ki usne socha tha wahi nikla. Tara ka hath waha ab nahi tha.
"Ye.. ye.. kya hua tara ko??" Harshit ne ankit se poocha.
"Mai batati hu..." jawab tara ne diya aur phir isi ke sath usne poori
baat batani shuru ki. Is dauran ankit aur tanisha ki nazre Mr Gupta
par padi jo tara ki kahani sunne mai vyast the. Ankit ne isharo mai hi
aditya se unke bare mai poocha to adi ne bhi isharo mai hi harshit ki
taraf ishara kar diya ki yahi batayega ye kaun hai.
"Mujhe kuch yaad nahi ki mai kitni dair behosh thi.. par jab hosh aaya to dekha samne koi khada hai.. aankhe dhundli ho rahi thi isliye uska chehra nahi dekh payi.. par ye tay ki wo kafi chhote kad ka tha.. waise bhi mere ankhe kholte hi wo hawa mai gayab ho gaya.. shayad usi ne mujhe coma se bahar nikala aur ye kiya..." kehte huye tara ne apna ukhda hua hath wala hisaa dikhaya. Waha ab koi chot nahi thi.
Jaha se hath hona chahiye tha waha ab maas chad chuka tha aur ghaw aise gayab ho chuka tha mano tara ka hath bachpan se hi nahi tha.
"Fear-trap mai hum akele nahi hai.. koi aur bhi hai jo hamari madad kar raha hai.." Mr Gupta ne rehasmayi awaaj mai kaha to sab unhe hi dekhne lage.

To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
38. Entry
Update 38
Mr Gupta ki baat sunkar jaha lagbhag sabhi ke chehre par azeeb si
khushi aur ascharya ka bhaw tha wahi harshit ke chehre par chinta
ka. Is baat ka matlab agar wahi hai jo wo samajh raha hai to ye ek
buri khabar thi. Itni buri ki uska dil kaapne laga tha. Harshit ne ek
nazar apne papa par dali to wo usi ki taraf dekh rahe the. Usne
turant nazre fer li kyuki unki aankho ki chamak use aur dara rahi thi
ki uska andaza sahi hai.
"Ye kaun hai??" Ankit ne paas khade adi se poocha.
"Ye to harshit hi batayega.." adi ne jawab diya.
"Ye mere papa hai.. asli..." harshit ne apne aapko samhalte huye kaha.
Usne 'asli' shabd par kuch jyada hi jor diya jisse adi ke chehre par
aaye bhaw dekhne layak the.
"Par ye yaha aaye kaise??" Ankit ne agla sawal poocha. Use ye janne
se jyada ki woasli h ya nahi is baat ki dilchaspi thi ki wo yaha aaye
kaise. Agar ye malum pad jaye to ho sakta hai ki shayad us raste ka
istemal karke wo log bahar ja sake.
"Ha papa.. aapne bataya nahi ki aap yaha aaye kaise??" Ankit ki baat
sunkar harshit bhi bola.
"Theek hai.. jitna mujhe malum hai aur jitna mujhe yaad hai.. utna
bata deta hu.." Mr Gupta ne kaha.
"Pppffffff..." Unki baat sunkar adi ne azeeb si awaaj nikali jaise use
unki kisi baat par bharosa na ho.
Uski ye harqat dekh harshit ko bahut tej gussa aaya par Mr Gupta ne
uski harqat ko andekha karke apni kahani sunani shuru ki.
"Us din jab mai tum logo ko waha studio mai chhod kar gaya tha.. us
din mujhe waha ek aadmi mila.. usne kaha ki ye studio saalo se band
hai.. aur har saal kuch log yaha kisi fake reality show ke contestant
bankar andar jate hai par kabhi bahar nahi aate.. wo ye bhi bola ki ye
studio haunted hai.. mai turant andar gaya tum logo ko rokne ke liye
par tab tak dair ho chuki thi.. tum log waha nahi the.."
"Mai turant police ke paas gaya.. par fear-trap ka naam sunte hi un
logo ka chehra safed pad gaya.. unhone kuch nahi kiya.. ulta mujhe hi
darane dhamkane lage ki is bare mai kisi se na bolu.."
"Maine jab teri maa aur adi, pooja aur priya ke gharwalo ko batayi to
unka ro-rokar bura haal ho gaya.. pooja ki maa to kayi din hospital mai
bhi rahi.. wahi harshit ki maa...."
"Kya hua mom ko papa?? Boliye na kya hua hai mom ko?? Wo theek to
hai na??" harshit ne maa ka jikra sunte hi poocha.
"Wo theek nahi hai harshu.. wo theek nahi hai.. pehle sameer aur ab
tere bhi gayab hone ke baad wo maa toot gayi.. uski dono jaan se
pyari doni auladein use chhodkar ja chuki thi.. usne apna dimagi
santulan kho diya.. jis din se maine ye baat teri maa ko batayi hai.. us
din se mere yaha aane tak ek din bhi aisa nahi gujra jab use daure na
padte ho.. us dauran wo poore ghar mai tera naam lekar chillate huye
bhagti aur kabhi kabhi to darwaja khula dekh bahar sadak par nikal
jati aur har aane-jane wale ko pakad kar usse tera pata poochti..
kabhi-kabhi to naubat ye aa jati ki use janjeero se bandhkar rakhna
padta.. jab daure nahi pad rahe hote to wo gumsum si tere kamre mai
baithi rehti aur teri tasweer seene se lagaye roti rehti.. uski wo
pyari awaaj na jane kaha kho gayi.. khana-peena sab chhod diya.. jis
episode mai tune aoni kahani in logo ko batayi thi us episode ke baad
to uski halat itne buri ho gayi ki kuch dino baad hi use mental asylum
bhejna pada.. din ka koi hissa agar tha jisme wo pagalo wali harkat
nahi karti thi to wo fear-trap ke telecast ka samay tha.. raat ko jab
bhi fear-trap aata wo chupchap baithkar tujhe niharti rehti.."
Unki baatein sunkar harshit ki kya sabhi ki aankhein geeli ho gayi.
Apni mom ko aise halat mai dekhne ki to kya sochne ki bhi kalpna karna harshit ke liye maut aane jaisa tha. Apni mom ko is haal mai dekhne se jyada wo marna pasand karega. Papa ki baat sunkar wo
bachho ki tarah bilakh kar rone laga.
"Par uncle.. contestants ke ghar to fear-trap dikhaya hi nahi jata
na.." avi ne apni aankho par chhalak aaye ansoo ke ek katre ko
pochhte huye poocha. Uski baat sunte hi sabki nazre usi ki taraf mud
gayi. Un sabki sawaliya nazre apni taraf dekh kar avi bola, "Aisa
maine suna tha.."
"Ye sach nahi hai..hamare ya adi, pooja aur priya kisi ke bhi ghar mai
aisa kuch nahi hai.. har roz raat ko fear-trap apne tay samay par
shuru ho jata tha.. poore ek ghante bina kisi ad ke non-stop chalta
rehta.. show dekhne ke sath hi mai har roj waha studio par bhi jata
par waha kuch nahi tha.. jis hisse ko bhi episode mai dikhaya jata
agle din mai studio ke us hisse mai jata par koi surag nahi mila tum
logo ka.. log mujhe bhi ab pagal kehne lage the.. kisi ko yakeen nahi
tha ki fear-trap naam ka bhi koi show hai.. yaha tak ki mere sabse
achhe dost sudhir ko bhi mujh par yakeen nahi tha.. unke yaha us
channel par fear-trap aata hi nahi tha.. aur phir us din..."
"Us din kya papa?? Aage bataiye na.."
"Jisdin teri maa ko mental asylum bheja gaya us din mai bahut
depressed tha.. kuch samajh nahi aa raha tha ki kya karu.. kaam￾dhandhe se to man usi din uth chuka tha jis din tu gayab hua tha..
aise mai sudhir us din mere sath ghar par hi ruka.. halaki use phir bhi
mujh par yakeen nahi tha.. use yakeen dilane ka ek hi tareeka tha..
agar wo khud ye show dekh le to.. raat 11 bajte hi maine channel
lagaya to episode shuru ho chuka tha.. par ye na jane kya azeeb jadu
ya maya thi.. fear-trap mere liye channel par aa raha tha.. lekin use nahi dikh raha tha.. use agar kuch dikh raha tha to bas blank screen.."
"Ye namumkin hai.." pooja aur tanisha ek sath boli.
"Huhhh.. aisi ab tak kitni cheezein hum dekh chuke hai jinhe hum namumkin samajhte the.. par wo utni hi asli thi jitne ki hum sab.." aditya ne un dono ki baat sunkar kaha. Uncle ki kahani sunne ke sath
shayad use bhi yakeen ho raha tha ki wo asli hai.
"Ye mumkin hua meri hi aankho ke samne.. ye wahi episode tha jisme
tum logo ko letter mila tha.. poore episode ke dauran mai use yakeen
dilata raha ki episode chal raha hai.. aur wo mujhe yakeen dilata raha
ki screen blank hai... kuch nahi aa raha us par.."
"Khair ab mujhe yakeen ho chala tha ki mere bete ki madad agar is
waqt koi kar sakta hai to wo sirf mai hu.. isliye maine us raat usi pal
us studio mai jane ka faisla kiya.. letter milte hi episode khatam ho
gaya tha isliye mujhe nahi malum tha ki studio ki jagah ab hospital le
chuka hai.."
"Par.. sudhir ko mai yakeen nahi dila sakaki fear-trap naam ki bhi koi
cheez hai.. isliye wo mujhe ab bhi pagal samajh raha tha.. adhi raat ko
wo mujhe aisi 'halat' mai kahi nahi jane de raha tha.. akhir kafi dair
tak behas karne ke baad wo raji ho gaya aur khud bhi chalne ke liye
taiyar ho gaya.."
"Hum log raat ko takreeban 1 baje waha studio par pahuche to waha
koi guard nahi tha.. barish ho rahi thi.. waise bhi sab us studio ke
nazdeek jane se bhi darte the.. phir raat mai pehra dena to door ki
baat hai.. hum waha pahuche to....."
Flashback:
"Mai ab bhi keh raha hu yaar yaha se chal.. is studio mai kuch nahi
hai.." sudhir ne kaha.
"Dekh yaar sudhir.. tere ko jana hai to ja par mai apne bete ko dhood
kar hi rahunga.. aur mujhe pakka yakeen hai wo yahi hai.. chal andar chalte hai.." maine jawab diya aur isi ke sath barish mai lagbhag bhagta hua us studio ki taraf chal diya.
"Ye theek nahi hai.. bilkul bhi theek nahi hai.." kehte huye sudhir bhi
mere peeche-peeche aane laga.
Waha andar mai seedha upar wali manzil ki taraf chal diya script￾vault room ki taraf.
"Upar kaha ja raha hai??" Peeche se sudhir ne awaaj lagayi.
"Upar ek room hai.. jaha script rakhi jati hai.. agar hamari kismat
achhi huyi to is wat uski ek deewar tooti huyi hogi.." maine seediyo se
hi jawab diya. Wo hairani se mujhe dekhta hua peeche-peeche aa
raha tha.
"Maine kaha tha na.." vault-room mai ghuste hi maine sudhir se kaha.
Pehli baar studio mai koi saboot mila ths ki show asli hai. Samne ki
deewar mai ek bada sa soorakh mojoud tha. Paas hi vault bhi rakhi thi
jiska darwaja halka sa khula hua tha.
"Tujhe kaise malum deewar tooti huyi hai??" Sudhir ne ascharya se
poocha.
"Aaj hi ke episode mai dikhaya tha.. chal aaja andar chalte hai.."
"Andar kaha?? Deewar mai??"
"Haa.."
"Mai nahi jaunga.. na tujhe jane dunga.. na jane kya ho andar.."
"To ab tujhe yakeen ho gaya ki andar kuch hai.. yani show bhi asli
hai.."
"Nahi mujhe ab bhi yakeen nahi hai.. ho sakta hai deewar pehle se hi
tooti huyi ho.. aur tu yaha itni baar aa chuka hai ki tune pehle dekhi
ho par aisi 'halat' mai yaad na ho.."
"Agar isi baat hai to phir andar jane se dar kyu raha hai??"
"Mai dar nahi raha.. mai to bas ye keh raha hu ki...."
"Chhod bhi.. chal aaja.. ho sakta hai ki mere harshu ka andar koi
surag hi mil jaye.."
Itna kehkar mai sokrakh se andar chhad gaya. Mujhe andar jate
dekh sudhir bhi mere peeche-peeche aa gaya.
Andar kafi andhera tha. Kuch bhi nahi dikh raha tha par mere paas
torch thi. Maine torch jalayi hi thi ki achanak 'khhaddaammmm" ki
tej awaaj ke sath us soorakh se giri sari eentein ek sath jakar chipak
gayi aur wo soorakh band ho gaya. Aisa hote hi mere hath se torch
chhut gayi aur ludak kar door jne lagi. Mai uske peeche lapka hi tha
ki torch apne-aap band ho gyi aur kamre mai phir se poori tarah
andhera chha gaya.
"Ye kya ho raha hai yaar?? Ye kaise??" Sudhir ki dari huyi awaaj
mere kaano mai padi.
"Ab yakeen hua meri baat ka.." andhere mai apni torch tatolte huye
maine kaha.
Mere hath jaise hitorch par pade sudhir ki ek tej bhayanak cheekh
mere kaano mai padi jisne mujhe andar tak kapa diya.
"Sudhhhirrrr..." mai palatkar torch jalate huye chillaya to torch to
jal gayi par sudhir ab waha nahi tha. Uski jagah waha ab do air khade
the ghutno se neeche ke. Meri cheekh nikal gayi unhe dekhte hi aur
jab torch ki roshni maine idhar-udhar mari to dekha ye koi morgue
room tha.
Back To Present:
"Uske baad mai is hospital mai pahuch gaya.. halaki mujhe pakka
yakeen hai ki pehle wo morgue room waha nahi tha.. uske baad maine sudhir ko ab tak nahi dekha.. pata nahi wo jinda bhi hai ya.." Mr gupta aage ke shabd chah kar bhi nahi bol paye.
"Matlab sudhir uncle bhi yaha aaye hai??" harshit ne ascharya se
poocha. Uski aankho mai khauf saaf dekha ja sakta tha.
"Kya hua harshu?? Kya baat hai??" Harshit ko dara dekh pooja ne poocha.
"Wo sudhir uncle the.. wo.. wo.. mai pehchanne ki koshish kar raha tha par chehra itna bigda hua tha... aur wo kala rang..." harshit rote huye bola.
"Kaun harshit?? Tu kiski baat kar raha hai?? Tune sudhir ko dekha kya??" Mr Gupta ne use rote dekh poocha.
"Wo wardboy.. wo wardboy jo hume yaha aate hi dikha tha.. wo.. wo. sudhir uncle the.."
To be continued...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,684
8,511
219
Update 32 tak padha, tara wala scene bahut hi natural likha gaya tha.
Aage vo dil wala ayega, par abhiyaad nahi kiska dil bdla tha, aage padunga to yaad aye :hmm:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,684
8,511
219
33. Is It Real??
Update 33
Tara farsh par bilkul shant soyi huyi thi. Uska chehra kisi gehri jheel
jitna shant tha aur yahi shanti ankit ke dil ko aur ghayal kar rhi thi.
Bachpan se hi tara ke chulbulepan aur shararto ka aadi ban chuka
ankit use itna shant dekhkar chhalni hua ja raha tha. Use ab bhi yakeen nahi ho raha tha ki tara ka poora dahina hath uske shareer se
alag ho chuka hai aur shayad wo ab kabhi nahi jagegi.
"Par tujhe kaise malum ye coma mai hai?? Tu koi doctor hai kya??"
Apni awaaj ko jitna ho sake ankit ne samanya rakhte huye poocha par
rookhpan ab bhi mojoud tha.
"Ek tarike se.. ha.. wo mai baad mai bataunga.. mudde ki baat ye hai ki
excessive blood-loss ki vajah se iska dimag mai khoon nahi pahuch
raha hai jis karan ye coma mai chali gayi hai.. hume pehle iska ye
khoon behna tokna hoga.." uske ghule ghaav ki taraf ishara karte
huye usne kaha. Ankit ko kuch samajh nahi aaya ki avi ye sab kaise
janta hai kyuki jaha tak use yaad aata hai avi ne unhe bataya tha ki
wo b.tech 3rd year mai hai.
"Aur ise fauran khoon bhi chadana hoga.. warna ye mar jayegi.." itna
sunte hi ankit ka dimag fauran sunn pad gaya. Tara ko khone ka gham
wo abhi seh kar dekh chuka tha. Uski behan uski jaan thi aur wo
dubara us gham ko nahi jhel sakta tha.
Ankit ne avi ke sath milkar tara ko waha wash room se uthaya aur
bahar lekar aaye. Tanu bhi chalti huyi unke peeche bahar aa gayi aur
washroom ka darwaja band kar diya. Moni ko hosh aa chuka tha aur
wo abhi bhi tara ko sadme se dekh rahi thi. Wo wahi us bed ke paas
khadi thi jab ankit aur avi tara ko lekar waha aaye aur us par lita
diya. Ankit ne jab paas hi khadi moni ko dekha to dar aur gusse ki
mili-juli awaaj mai bola, "Aeee... h..h..hat ja w..waha se..." Ye tay
karna mushkil tha ki uski halkahat dar ke karan thi ya gusse ke par
wo galat kar raha tha isliye avi turant usse uchi awaaj mai bola,
"Ankitttt.. isme moni ki koi galti nahi hai.. tune bhi us saaye ko dekha
tha na.. moni par usi ne kabza kiya hua tha..tu ye achhe se samajh le.. moni bilkul bekasoor hai.. wo bhala poore hoshohawas mai tara ko
nuksan kyu pahuchayegi.."
Uski baat sunkar moni ke chehre par mojoud dehshat ka bhaav aur
gehra ho gaya.
"Bhaiya.. ye maine kiya?? D..idi ko chot m..m..aine di??" Uski ungli
pakadte huye tara ne rote huye poocha.
"Na bachha.. na.. rote nahi.. tune kuch nahi kiya.. ye to us saaye ka
kaam hai... usi ne tujhe vash mai kiya tha.. tune kuch nahi kiya.." use
apne gale se lagate huye avi ne use dilasa diya. Ankit abhi bhi moni ko
ghoor raha tha mano us saaye ki shaitaniyat ke saboot dhoond raha
ho.
"Par.. iske andar.. ab bhi..." kehte-kehte ankit ruk gaya kyuki moni ab
use unhi masoom nazro se dekh rahi thi jinke wo aadi the. Ye nazre
ye batane ke liye kafi thi ki wo saaya ab moni ko chhod kar ja chuka
hai.
"Kya tumhe ye azeeb nahi lagta ki itna khoon beh jane ke baad bhi
tara ab tak jinda hai.." itni der se khamosh khadi tanu ne kaha to
ankit ne kha jane wali nazro se use dekha. Ab tak avi moni se alag
hokar doctor ki table par dressing ka samaan dhoodna shuru kar
chuka tha. Tara ki baat sunkar uske hath bhi ruk gaye aur wo bhi
tanu ko ghoorne laga.
"Meri baat ka galat matlab mat nikalna.. mera matlab tha ki jitna
khoon tara ka baha hai utne mai to kisi bhi normal insan ki maut ho jati.. ye chamatkar hi hai ki ye abhi tak jinda hai.." tara ne ankit ki
nazro ko samajhte huye apni baat poori ki.
"Tumhari baat sahi hai.. mai bhi yahi soch raha hu.. lekin isse bhi jyada ek aur azeeb baat ho rahi hai.." avi ne wapas table ko check karte huye kaha aur jab use dressing ka saman mil gaya to usne dekha ki ankit aur tanu dono use sawaliya nazro se dekh rahe hai.
"Azeeb baat ye hai ki aaj se pehle kabhi is show mai kisi contestant
ko marte yaha tak ki chot pahuchte bhi nahi dikhaya gaya.. par is
baar kuch azeeb ho raha hai.. logo ko screen ke samne hi mara ja
raha hai.. is baar.. kuch.. alag ho raha hai... is baar humne.. kuch alag
kar diya hai.. kuch bahut hi alag.. aur bura bhi.." dressing ka samaan
lekar aate huye avi bola.
Harshit aur uske sathiyo ke hath apni torches par kase huye the aur
wo bahut hi sawdhani ke sath aage badh rahe the. Sab log khamosh
the aur hawa mai ek ajeeb si sansanahat thi jise sirf harshit
mehsoos kar raha tha. Upar wale floor tak jane ke liye unhe jyada
seediya nahi chadni padi. Jaise hi wo log upar pahuche unhone dekha
ki yaha neeche wali manzil se jyada andhera hai. Neeche phir bhi
kuch lights jal rahi thi lekin yaha to gupp andhera tha. Roshni ka
ekmatra jariya unki torches thi jinki roshni wo idhar-udhar fenk rahe
the taki aas-paas ki cheezein dekh sake. Torch ki roshni mai unhone
dekha kiwo ek seediya ek mod par thi jaha se samne aur dayi dono
taraf ek-ek lamba galiyara jata tha bilkul neeche wale floor ki tarah.
Par jo cheez yaha alag thi wo ye ki ye sabse upari floor tha kyuki
seediya iske upar nahi ja rahi thi. Aur to aur yaha ke galiyaro ki halat
bhi neeche wale floor se jyada kharab thi. Yaha to aisa lag raha tha
ki koi toofan aaya tha. Poore farsh par cheezein bikhri huyi thi, kamro aur darwajo ki khidkiya tooti huyi thi jinke kaanch ke tukde pade huye the, deewaro par paint ke sath poora plaster hi ukhad aaya tha, stretchers ulte-seedhe pade huye the.
"Ankittttt.... avinashhhhhh.... taraaaaaa....." harshit ne ek jordar awaaj lagayi jo waha mojoud dono galiyaro mai goonjti huyi nikal gayi. Goonj itni tej thi ki uska kampan unhe saaf-saaf mehsoos ho raha tha.
"Yaha to awaaj goonj rahi hai..kisi pahaad ki tarah.." pooja ne kaha.
Halaki usne bilkul normal aur dheemi awaaj mai ye baat kahi thi lekin
phir bhi ye goonjne lagi. Iski goonj kafi kam thi lekin ye kam hairani
ki baat nahi thi ki ye goonji hi kyu. Is goonj ne unke dil mai ek anjane
dar ko janam de diya tha. Achanak ek tej aah us anjane mahaul mai
goonji jisne unke dar ko kayi guna badha diya. Ye awaaj pehchanne
mai harshit se koi galti nahi ho sakti thi par wo ye nahi samajh pa
raha tha ki wo yaha kaise ho sakte hai. Ek baar phir wo dard bhari
aah waha goonji jisne un sabko andar tak hila diya khaskar harshit ko.
"Pappppaaaaa...." wo jitna ho sake utni tej awaaj mai chillaya. Uski
cheekh sunkar waha khada uska har ek sathi dar se kaap gaya. Ye
awaaj un teeno ko jani pehchani lag rahi thi par harshit ke muh se
papa sunkar unhe bhi yakeen ho gaya ki ye Mr. Gupta ki hi awaaj thi
jo unhe studio tak chhodne aaye the.
"Aaaahh.. h..h..ars..hitttt...." ek bahut hi mari huyi si awaaj waha
goonji jo dayi taraf wale galiyare se aayi thi.
"Papaa.. mai aa raha hu.. papaaa.." chillate huye usi taraf bhaga jisse
uski awaaj ki tej goonj waha charo taraf fail gayi.
"Harshhittt.. ruk harshittt.. ruk ja..." chillate huye aditya bhi uske
peeche-peeche bhaga aur priya, pooja aur rahul bhi.
"Harshittt.. ruk to sahi.. wo uncle nahi hai..." pooja chillayi.
"Harshitttt.. ruk ja.." priya chillayi par harshit to jaise kisi ki sun hi
nahi raha tha. Wo 'papa-papa' chillaye huye bhag raha tha aur jitna
wo aage aata utna hi awaaj use aur door se aati malum padti. Galiyara
unki umeed se kayi guna lamba tha aur aisa lag raha tha ki ye kabhi
khatam hi nahi hoga. Harshit raste mai bikhre stretchers se takra
raha tha, kayi baar girte-girte bhi bacha lekin phir bhi ruka nahi.
Aditya ne use na rukte dekh apni speed thodi badhayi aur uske nazdeek pahuchte hi uska hath pakad liya aur use akhir rok hi liya.
"Ruk kar sun to sahi yaar.. ye uncle ki awaaj nahi hai.." harshit bhagne
ke liye chhatpata raha tha lekin uski baat sunte hi uska chhatpatana
band ho gaya.
"Tujhe kaise malum ye papa ki awaaj nahi hai??" Apni awaaj mai
hikarat aur adheerta ka put late huye harshit ne poocha.
"Ye in shaitano ki koi chal hai.. yaad hai na waha studio mai mera ek
humshakal aaya tha jo in ladkiyo ko kahi le jana chahta tha.. ye bhi
wahi hai.. hume alag karne ki saazish.." aditya ne use samjhaya.
"Adi sahi keh raha hai harshu.. ye uncle nahi ho sakte.. wo to hume
waha studio tak chhod kar chale gaye the.. wo yaha kaise ho sakte
hai??" Pooja ne uska hath apne hath mai lete huye kaha.
"Aur agar tum log galat huye to?? Agar ye papa hi huye to??" Usi
hikarat ke put ke sath apna hath jhatakte huye wo bola.
"Wo nahi ho sakte.. samajh is baat ko.. ye hume alag karne ki sazish
hai.." aditya ne uske rookhepan ko nazarandaj karte huye kaha.
"Tere liye kehna asaan hai.. kyuki tere papa to hai nahi.. par...."
harshit apni baat poori kar bhi nahi paya tha ki ek thappad uske gaal
par itni teji se pada ki use duniya ghoomti nazar aane lagi. Pooja ke is
chhate ne use turant hi ye ehsaas kara diya ki usne abhi-abhi apne
sabse achhe dost se kitni kadwi baat kahi hai. Is jagah ki burayi uske
upar hawi ho rahi thi jis vajah se aaj uske dost ki aankho mai ansoo
the
"Harshhittt... tujhe jana hai to ja.. koi nahi rokega tujhe lekin aaj ke
baad agar tere muh se aisi ghatiya baat dubara nikli to mai.. to mai..
tujhe hamesha ke liye chhod dungi.." ansoo bahate huye pooja ne
kaha.
"Sorry... sorry.. mujhe nahi pata mere muh se ye kaise nikal ga..."
pooja ke hath pakadne ki koshish karte huye harshit bola par usne uska hath jhatak diya. Use aur rota dekh harshit adi ki taraf muda aur use gale se lagate huye bola, "Yaar maaf karde.. mujhse bahut badi galti ho gayi.. mera irada aisa nahi tha.. mai nahi janta ki ye mere muh se kaise nikal gaya.. please mujhe maaf karde.."
Aditya ki aankhe motiyo ki tarah ansoo baha rahi thi. Wo samajhdar tha isliye samajhta tha ki harshit jhoot nahi bol raha.
"Mujhe pata hai ki tera aisa irada nahi tha.. tu t.... uncleee..." aditya apni baat keh pata isse pehle hi uchhal pada. Samne andhere se Mr Gupta ladkhadakar chalte huye unki taraf aa rahe the.
To be continued...

Meko ye yaad nahi aa raha dubara padh raha hu kahani adi ka hamshakal kahan ban kar aya tha bhai? Please batana taki mei dubara padhu :hmm:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,684
8,511
219
Bhai literally ye best part tha abhi tak ki story ka, rongte khade kr diye matlab jab se harshit ke papa aye tab se kahani alag hi modh par aa gayi thi.
Par still doubt ki nakli ankit kahn se aya? kuch miss hua kya mujhse kahani mei lagta to nahi to phir ye yaad kyu nahi aa raha?
 
Top