• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Fear-Trap (Dar ki Nayi Inteha)...

Niks77kill

New Member
76
75
34
Level 1 Completed
Update 26
"Congratulations Contestants... You Have Found The Omni-Letter..."
kagaz uthate hi ek teekhi awaaj waha goonji.
Ek baar to kisi ko apne kaano par yakeen hi nahi hua ki ye unhone kya
suna. Bahar jaha kisi ko kuch samajh nahi aa raha tha ki achanak ye
omni-letter kaha se mil gaya to wahi andar avi andhere mai bhi apne
hath mai pakde us kagaz ko hi dekhe ja raha tha. Usse kuch doori par
khada ankit ye awaaj sunte hi aise chaunk gaya ki uske hath se torch
hi chhut gayi. Usne jameen par ludakti torch uthayi aur jaldi se
avinash ke paas aaya.
"Omni-letter mil gaya?? Kabb?? Kise??" Usne avi ke muh par torch ki
roshni marte huye poocha.
Jawab mai avi ne uske samne apne hath mai pakda kagaz thama diya.
Ankit ne torch ki roshni mai us kagaz ko dekha jis par bas itna hi
likha tha "Level 1 Completed... Proceed To Next Level..."
"Tum logo ko omni-letter milah ai kya??" Bahar se aditya ki awaaj
aayi to ankit ne letter avi ko wapas dete huye kaha "Ha.. hume mila
hai.. aa rahe hai abhi bahar.."
Isi ke sath dono us deewar par bane soorakh se wapis vault-room mai aa gaye. Unke aate hi sabne un dono ko gher liya aur tarah-tarah ke sawal ek sath poochne lage. Kaha hai?? Kaisa hai?? Dikha kaha hai?? Kaha mila?? Kaise mila??
"Ek minute ruko to.. dikha raha hu.." apne hath mai pakda kagaz unhe dikhate huye ankit bola, "Mujhe nahi avi ko mila tha.. Use hi pata hai in sare sawalo ke jawab.."
"Mujhe nahi pata tha ye omni-letter hai.. mere to bas pair ke neeche
kuch mehsoos hua to maine uthakar dekha.. tabhi ye awaaj goonj
uthi.." avi ne kaha.
"Pakka ye omni-letter hi hai na.. kyuki is par to bas yahi likha hai ki
level completed.. proceed to next level.." us letter ko achhi tarah
upar-neeche se dekhte huye aditya bola.
"Yahi hai.. har baar jab bhi contestants ko letter milta hai.. yahi
awaaj to sunayi deti hai.." avi ne kaha.
Pooja: "Par is par to aage kuch bhi nahi likha.. aur kaha ye gaya tha ki
omni letter ke jariye hi hume aage badhna hai.."
Priya: "Aur agar ye omni letter hai to phir vault mai kya hai?? Uske
liye chabhiya dhoodna kya sab bekar tha??"
Aditya: "Aur sabse badi baat.. ye next level par kaise jana hai?? Yaha
to kahi koi rasta nahi hai.."
Avinash: "Mai nahi janta..."
Abhi avi apni baat kehte huye vault ki taraf muda hi tha ki usne
dekha vault ka darwaja halka sa khula hua hai. Wo hairani se use hi
dekh raha tha. Darasal vault ka darwaja to tabhi khul gaya tha jab wo
awaaj goonji thi lekin kisi ne dhyan hi nahi diya.
Avi ko vault ko hi ghoorte dekh harshit, ankit aur tara ne bhi us
taraf dekha to hairat se unke bhi muh khule reh gaye. Bina chauthi
chabhi ke vault kaise khul sakti hai. Wo log halke-halke kadam bhadate huye vault ke paas aaye aur uske halke se khule huye darwaje ko dekhne lage. Kuch der tak jab kisi ne bhi aage kadam bhadaya to tara jhuki aur vault ke darwaje ko ek jhatke mai hi khol ke wapas aise uchhli jaise usme current daud raha ho.
Vault ka darwaja 'charr' ki ek tej awaaj ke sath khul gaya aur usme
andar jo rakha tha wo dekhkar to sabki aankhe hairat se khuli reh
gayi.
"Ye kya mazak hai?? Aisa kaise ho sakta hai?? Aur kyu??" Pooja
ashcharya se boli.
Andar vault poori tarah se khali thi siway us cheez ke jise dekhkar
wo sab khud ko thhaga sa mehsoos kar rahe the. Andar rakhi thi
chauthi chabhi jis par likha tha '1'.
"Jab letter isme tha hi nahi.. to phir ye sab kis liye??" Tara bhi uska
samarthan karte huye boli. Uski awaaj mai bhi thoda narazgi ka bhav
tha.
Unki baato par dhyan diye bagair harshit ne aage badhkar wo chabhi
uthayi aur use ulat-pulat kar dekhne laga. Chabhi par '1' likha dekh
harshit ne bina soche samjhe vault ka darwaja aage kiya aur chabhi
akhiri bache keyhole mai laga di.
Keyhole mai chabhi lagate hi vault ka darwaja 'khattt' ki tej awaaj
ke sath band ho gaya aur isi ke sath-sath vault room ka darwaja bhi
usi raftar se band ho gaya. Ekdum huyi is gjatna se sab buri tarah
dar gaye aur ek dusre se chipak kar khade ho gaye. Harshit ne agar
apna hath jaldi se hataya na hota to shayad vault ka darwaja uski
ungliyo ko kaat-ta hua hi band ho jata.
"Ye kya hua harshit??" Pooja ne kaapti awaaj mai poocha.
"Bhaiya.. mujhe bahut dar lag raha hai.." moni ruansi hote huye boli.
"Mujhe bhi.. please bhaiya.. kuch karo na.." rahul bhi ruansa hote
huye bola.
Unki baato ka harshit ka koi jawab de sake isse pehle hi ek aur azeeb
nazara unke samne aa gaya. Vault ka darwaja mom ki tarah pighalne
laga aur kuch hi palo ke andar pighal kar jameen par bikhar gaya. Sab log vault ko ghoor rahe the janne ke liye ki ye kya ho raha hai aur kyu
ho raha hai.
Kuch der baad jab vault ka darwaja poori tarah se pighal gaya tab
unhone dekha ki vault ke andar phir se ek chabhi rakhi hai.
"Ye chabhi kaha se aa gayi??"
Harshit ne pighalte lohe se bachate huye hathandar dala aur wo
chabhi nikal li. Us par likha tha 'L2'.
"Level 2 ki chabhi hai ye..." chabhi par likhe shabdo ka matlab
samajhte huye harshit bola.
"Kya?? Level 2 ki?? Par.. ye lagegi kis darwaje par??" Aditya ne
poocha.
"Jawab samne hi hai.." avi bola.
"Kaha??"
"Mai dikhata hu.." harshit ke hath se chabhi lete huye avi bola aur
phir vault-room ke babd darwaje ki taraf chal diya. Usne kuch der socha aur phir wo chabhi us darwaje ke knob mai bane keyhole mai ghusa di. Jaise hi usne wo chabhi ghumayi 'Kattt' ki awaaj ke sath darwaja khul gaya. Usne ek nazar peeche sab logo ko dekha aur phir darwaja poori tarah khol diya.
"Studio kaha gaya?? Hum to studio mai hi the na??" Samne ka nazara dekh ankit bola.
Samne jaha darwaje ke paar wo studio ka second floor ka hall hona chahiye tha uski jagah waha ab ek mand roshni se bhara ek galiyara tha. Darwaja khulte hi ek tej gandh unki naak mai ghus gayi.
"Ye kaunsi jagah aa gayi?? Aur ye tej gandh kis cheez ki hai??" Apni naak par hath rakhte huye tara boli.
"Ye dawaiyo ki mehak hai.. hum..hum hospital mai hai..." us gandh ko
peh chante huye tanisha boli, "Mere papa ek surgeon hai.. bachpan se
is mehak ko pehchanti hu.."
"Par hum yaha pahuche kaise?? Mera matlab hum to studio mai the
na.." priya ne kaha.
"Chalo bahar chal kar dekhte hai.. kya mazra hai.." tanisha ne kaha.
"Nahi.. mai nahi jaungi.. bahar pata nahi kitne bhoot aur honge.. mai
to yahi rukungi.. ye jagah kam se kam safe to hai.." priya ne peeche
hatte huye kaha.
Jaha sab log bahar jane hi wale the priya ki baat sunkar sab ruk gaye
aur uski shakl dekhne lage.
"Soch le ek aur baar.. agar hum logo ke jane ke baad ye darwaja agar
band ho gaya aur tu wapas studio mai pahuch gayi to waha akeli kab
tak tikegi??" Use thoda darate huye aditya bola.
"Tu mujhe dara raha hai??"
"Dara nahi raha hu.. bas bta raha hu ki is show mai peeche hatne ke
liye koi jagah nahi hai.. yaha ya to sirf aage jaya ja sakta hai ya
upar.."
"Matlab??"
"Matlab ye ki jab hum canteen mai gaye the chabhi ke liye.. tab waha
hume pichhle season ki contestant riya mili thi.. usi ne hume chabhi di
thi.. aur bhi kayi log the jinme se adhiktar sabhi purane seasons ke
contestants the.. sab log zombies jaise lag rahe the.. shayad
hypnotized the aur kafi gusse mai bhi the.. pata nahi kyu par chabhi
dene ke baad riya ne khud hi apna gala apne hi hatho se cheer diya
aur tadap-tadap kar mar gayi.. baki sabne bhi aisa hi kiya.. isliye keh raha hu ki agar koi bhi peeche chhut gaya to uska haal bhi aisa hi ho
sakta hai.."
"Kyaaaa?? Aur tu ye baat ab bata raha hai.. itni der baad??"
"Mauka hi nahi mila.. par ab to bata diya na.. ab bata kya faisla hai tera?? Yahi rukna hai ya chalegi hamare sath??"
"Aur koi chara hai kya??" Itna kehkar priya bhi baki logo ke sath aa gayi. Jaise hi un sabne bahar kadam rakha ek baar phir wahi teekhi awaaj goonji.
"Level 2 Begins.."
To be continued...
 
  • Like
Reactions: Sidd6897

Niks77kill

New Member
76
75
34
27. Level 2: Hospital
Update 27
Is waqt wo log ek lambe aur patle galiyare ke bilkul beech mai khade
the. Hospital ki halat kafi buri thi. Wo galiyara kareeb 100 foot
lamba tha lekin mushkil se 3-4 lights jal rahi thi. Dawaiyo ki mehak yaha aur buri tarah se unki naak mai ghus rahi thi lekin aas-paas ki halat dekhkar to lag raha tha ki waha salo se koi parinda bhi nahi aaya patient to bahut door ki baat hai. Galiyare ka plaster kayi
jagaho se ukhada hua tha aur har taraf makdi ke jale latak rahe the.
Farsh dhool se bhara hua tha jaha kayi sare syringes, kaanch ki khali bottles aur tampons wagerah pade the.
Ankit ne palatkar dekha to paya vault room ja chuka hai aur uski jagah par wo log hospital ke private rooms mai se ek room no. 313 ke bahar khade the.
"Ye kaisa jaadu hai?? Pehle studio ki jagah hospital.. aur ab vault
room bhi gayab..." ankit bola.
Sabne peeche palatkar dekha aur vault room ki jagah us room ko
dekha to wo log bhi chaunk gaye. Halaki ab unhe kisi bhi azoobe se
jyada hairani nahi hoti thi kyuki ab dheere-dheere unhe in sabki
aadat si ho rahi thi.
"TV par to kayi baar dekha tha levels ko yu badalte.. par haqeeqat
mai dekhkar malum pad raha hai ki wo sab camera tricks nahi balki
asliyat hoti thi.." Harshit ne kuch palo tak dekhte rehne ke baad
kaha.
"Sahi kaha bhai.. lagta tha ki sab drama hai.. par jab tak khud na
dekho yakeen hota bhi nahi hai.." aditya ne uske kandhe par hath rakhte huye kaha.
"Par ye hua kaise??" Room ke darwaje ko chhu kar dekhte huye tara boli.
"Didi.. ye bhooto ne hi kiya hoga.. wo bahut taqatwar hote hai.. aur wo log jaadu bhi jante hai.. maine tv par dekha hai.." masumiyat se moni ne jawab diya. Uski baat sunkar sab log muskuraye bina na reh sake.
"Chalo chalte hai yaha se.." Harshit ne kaha.
"Chale?? Par jana kaha hai?? Hum to ye bhi nahi jante ki karna kya hai.." Tanu ne Harshit ko dekhte huye poocha.
"Omni-letter mai bhi to kuch nahi hai.." hath mai pakde omni-letter ko hawa mai fadfadate huye Aditya bola.
"Jara dikha to ise.." uske hath se letter lete huye ankit bola, "Ispe kuch likha hai shayad.."
"Are wahi likha hai.. level 1 clear ho gayi.. next level pe jao.." aditya galiyare ki deewar par ek hath tikate huye nirasha ke sath bola.
"Nahi kuch aur likha hai ab.. ye..ye. ek p..paheli hai.." ankit ne kaha to sabki aankhe ekdum se chamak uthi. Sab uske hath mai pakde letter mai jhankne lage jaha sachmuch ab kuch aur likha tha.

"Ghis lo chahe jitna
chamak meri kabhi nahi jati,
Apno ki chot ke siwa
koi chot mujhe nuksan nahi pahuchati.
Sada rahunga mai bana
likha hai kismat mai meri,
Dhoodo mujhe waha
jaha se umeed bhi wapas nahi aati."

Ankit ne wo shabd padhkar sunaye jinhe sunkar sab soch mai pad
gaye.
"Ye kya hai?? Is paheli ka akhir matlab kya hai?? Pehle to ye nahi
likha tha is letter par..." aditya bola.
"Ab samajh aaya ki kyu kabhi kisi season mai contestants ne nahi bataya ki omni-letter mai kya likha hai.. kyuki unhe khud nahi malum hota tha.. shayad level clear karne ke baad hi omni-letter madad karta hai.." harshit aadatan apni angoothi ko ghiste huye bola.
"Wo sab to theek hai.. par ab hum kya kare.. is paheli ka hal kaise dhoode.. mujhe to kuch samajh nahi aa raha..." Avinash sir khujate huye bola.

"Ye to hum jante hi hai ki har baar contestants ko kuch cheeze.. kuch
artifacts dhoodne hote hai.. iska matlab jarur kisi artifact ya usse
judi kisi cheez se hoga.." harshit ne kaha.
"Kisi ko kuch yaad aa raha ki ye paheli kis cheez ki ho sakti hai??"
Tara ne poocha.
"Bhaiyaaa..." rahul ne paas khade avinash ki shirt pakadte huye kaha.
"Ek minute rahul.. sochne do jara.." avinash ne use jhidka aur phir
kuch sochte huye kaha, "hmmm chamak meri kabhi nahi jati.. iska
matlab ye koi chamakne wali cheez hai.."
"Bhaiyaaaa.. suno to..." rahul ne phir kaha. Uski awaaj mai dar saaf
mehsoos kiya ja sakta tha.
"Ruk na bhai.. sochne de na.." Avinash ne use phir jhidak diya par
Aditya ne uski awaaj mai mojoud dar ko bhaap liya.
"Kya baat hai rahul?? Mujhe batao kya hua??" Aditya ne uske sir par
hath ferte huye kaha.
"W.w..woooo..." galiyare ki ek disha ki taraf ungli dikhate huye rahul
bola. Sabne us taraf dekha jidhar ab tak sbki peeth thi aur waha
dekhte hi unhe samajh aa gaya ki rahul kya kehna chah raha tha.
Waha ek shaks jisne wardboy ki uniform pehni thi ek stretcher ke
sath araam se chalte huye unhi ki taraf aa raha tha. Usne apna sir
kafi jhukaya hua tha isliye uska chehra nazar nahi aa raha tha. Uski
uniform jagah-jagah se phati huyi thi jaha se kapde ke sath-sath
thoda maas bhi latak raha tha par khoon ki ek boond bhi nahi thi.
Uske hath-pair aur khopdi jitni bhi dikh rahi thi usse malum pad raha tha ki wo shaks had se jyada kala hai. Sir par ek bhi baal nahi tha aur waha bhi kayi jagah chot ke nishan dekhe ja sakte the.
"Bh..bhaiya... u.us...uske p..pair..." rahul ne uske pairo ki taraf ishara
karte huye kaha to pata chala ki wo kyu itna dara hua tha.
Stretcher ke peeche se jab uske pair dikhayi diye to unhone paya ki
uske pair ghutno ke neeche the hi nahi. Wo hawa mai jhoolta hua
usko stretcher ko dhakel raha tha. Pairo ki jagah ghutno ke neeche
maas aur haddi latak rahe the. Khoon waha bhi nahi tha aur wo hissa
buri tarah sad chuka tha.
Us shaks ki aisi halat saaf bayan kar rahi thi ki wo insan to bilkul nahi
hai.
Us wardboy ko dekhkar wo log itna dar chuke the ki waha se hilne ke
liye bhi unke pair nahi uthe bhagna to bahut door ki baat hai. Waise
bhi wo wardboy kafi kareeb aa chuka tha aur unse mahaz kuch foot
ki doori par tha.
Jab wo unse mahaz do foot door reh gaya tab achanak wo ruka aur
apni gadan upar uthayi. Un sabko dekhkar uske hath se stretcher
chhut gaya jisse wo neeche gir pada. Par neeche girte hi wo ghisatte
huye peeche itni tezi se bhaga ki koi pairo ke sath bhi nahi bhag
sakta tha. Uski ye harqat dekh wo sab jaha abhi tak dare huye the
wahi ab hairan bhi ho gaye the. Par unki aankho ke samne abhi bhi wo
chehra ghoom raha tha jab usne gardan uthakar unki taraf dekha
tha. Bhale hi wo chehra unke samne mehaz do seconds ke liye aaya
tha lekin ab wo marte dum tak unko yaad rehne wala tha.
Uske chehre par sir ke neeche chamdi thi hi nahi. Andar ka maas
dikh raha tha jo buri tarah sadkar bhoora pad chuka tha. Hoth na
hone ke karan uske sad chuke jabde aur toote daat dikh rahe the.
Aankhe uske rang ki tarah bilkul kali pad chuki thi jinse khoon behkar neeche gaalo par ek line ke roop mai jama tha mano kafi samay pehle behte huye jama hua ho. Khoon bhi sada hua tha aur bhoora pad chuka tha. Naak ke naam par ek sada gala maas ka tukda latak raha
tha aur kaan to the hi nahi. Agar wo wardboy khud na bhagkar bas ek
minute ke liye wahi khada rehkar unko ghoorta rehta to ek do ki
maut to heart attack se wahi ho jani thi.
Jis stretcher ko wo la raha tha wo ab bhi wahi pada tha. Uspar
chadar dhaki huyi thi aur dekh kar lag raha tha ki uske neeche kuch
na kuch to hai. Wo chadar beech mai se thodi ubhri huyi thi aur baki
jagah poori tarah se stretcher se chipki huyi thi jisse ye to saaf tha
ki shayad uske neeche koi lash to nahi hai. Achanak un logo ko peeche
se kisi cheez ke apni taraf aane ka abhaas hua to unhone palatkar
dekha. Ek stretcher apne pahiyo par ghisatta hua unhi ki taraf aa
raha tha aur wo bhi unke bilkul nazdeek pahuchne ke baad apne aap
ruk gaya. Us par bhi chadar dhaki huyi thi jisme beech mai ek chhota
ubhaartha bilkul pehle wale ki tarah. Wo log ab dono taraf se
stretchers se ghire huye the jinke bare wo kuch nahi jante the.
Ek minute pehle jaha wo log shanti se khade aapas mai us paheli ke
bare mai discuss kar rahe the wahi ab kisi ke muh se choo tak nahi
nikal rahi thi. Kisi tarah himmat jutakar priya boli, "Aee.. adi...
d.d..dekh na.. in stretchers mai k.kya hai..."
"M.m..mai k.kyu dekhu?? T..tu dekh le.." aditya ladkhadati awaaj mai
bola.
Achanak dono stretchers ke ubhaar ek sath hilne lage aur chadar ke
andar wo jo kuch bhi tha unki taraf khisakne laga. Aisa lag raha tha
jaise un logo ko dono taraf se ghera ja raha hai. Dar ke mare ab unki
sehanshakti jawab de rahi thi kyuki unke neeche jo kuch bhi tha wo unke liye koi achhi cheez to nahi ho sakti thi aur dono taraf stretcher hone ke karan wo kahi bhag bhi nahi sakte the. Islliye isse pehle ki wo dono 'cheez' un tak pahuche wo log furti se wapas room no. 313 mai ghus gaye.
Unke ghuste hi dono stretchers se ek sath wo ubhar wali cheez yani sade huye khoon se lathpath ek-ek dil farsh par gir pade aur ghisatte huye room no. 313 ke darwaje tak pahuch gaye.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
28. Heart Attack
Update 28
Sab log room mai jaise hi ghuse ankit ne peeche turant darwaja band
kar diya. Aisa karte hi room mai gupp andhera chha gaya kyuki waha
ek bhi light nahi jal rahi thi. Moni aur rahul dono ki hi ye andhera
buri tarah dara raha tha lekin aditya ki 'Sshhhh' wali awaaj ne unhe
shant rehne ko mazboor kar diya tha. Wahi harshit apne andhere ke
fobia ki vajah se ek kone mai simatta ja raha tha aur aankhe poori
taqat se meech kar yahi soch raha tha ki andhera uski aankhe band
hone ki vajah se hai.
Room ke bahar wo dono dil jameen par ghisatte huye darwaje ki taraf
badh rahe the. Dono hi dil buri tarah sad kar kale pad chuke the
jiske karan ghisatne se unke peeeche sade khoon ke bhoore nishan
pad rahe the. Darwaje tak pahuchkar wo dono dil hawa mai kareeb 3
foot upar uthe aur us darwaje se aise paar ho gaye mano wo waha ho
hi nahi. Andhera hone ke karan kisi ko ye nahi malum tha ki jis cheez
se darkar wo is room mai aaye the wo cheez ab unhi ke sath us room mai mojoud thi. Wo dono dil bina kisi awaaj ke hawa mai dheere￾dheere aage badh rahe the un logo ki taraf jo room ke ek kone mai
khade andhere ko taak rahe the. Bina kisi awaaj aur dard ke wo dil waha khade do shareero mai ja ghuse. Un dono abhago ko malum bhi
nahi chala aur un naye mar chuke kale dilo ne unke komal aur jeevit
dilo ki jagah le li. Dono kale dilo ne un shareero mai pehle se mojoud
dilo ko hatakar unki jagah khud ko sthapit kar liya tha wo bhi bina
kisi dard ya cheed-faad ke.
"Aaahhhhh..." harshit ko apne theek pairo ke paas kuch cheez ke
girne ki awaaj aayi to wo cheekhta hua wapas darwaje ki taraf bhaga.
Uske fobia ne us par poori tarah niyantran kar liya tha. Harshit ko
bhagte dekh uske theek bagal mai khadi pooja bhi uske peeche gayi
aur uske peeche-peeche priya, aditya aur rahul bhi. Moni bhi jana
chahti thi lekin ek anjane dar ne uske pair jakad rakhe the. Girne ki
awaaj usne bhi suni thi par us par iska ulta asar hua tha. Dar ke mare
wo buri tarah se jam gayi thi aur ek inch bhi hilne ko taiyar nahi thi.
Darwaja kholkar wo turant dayi taraf wale stretcher ko hatata hua
us taraf bhaga aur uske peeche baki wo charo bhi. Rahul ke nikalte hi
darwaja apne aap ek tej jhatke ke sath band ho gaya aur kamre mai
baki reh gaye ankit, tara, tanisha, avinash aur moni.
Jana wo log bhi chahte the par sab kuch itni teji se hua ki wo log
kuch samajh hi nahi paye. Waise bhi unme se kisi ne wo awaaj nahi
suni thi siway moni ke isliye wo log samajh hi nahi paye ki ye ek
second ke andar akhir hua kya. Andhere ke karan wo bas unki ek
jhalak dekh paye jab wo darwaja khol kar bahar nikle the.
Par chooki bichhadne ka dar tha isliye wo log bhi bina waqt gawaye
darwaje ke paas pahuche aur jaise hi bahar nikle to unhone dekha wo
log ja chuke the. Corridor mai koi nahi tha. Bayi taraf ka stretcher deewar se chipka hua tha aur pairo ke nishan bhi us dhool bhare farsh par bayi taraf jate dikh rahe the.
"Wo log to dusri taraf gaye the.. maine dekha tha.." tara ne nishan
dekhte huye kaha.
"Galatfehmi huyi hogi tumhe.. dekho.. nishan is taraf ja rahe hai..
hume bhi isi taraf jana chahiye.." ankit ne kaha.
"Ankit sahi keh raha hai.. jaldi chalo isi taraf warna hum unse
bichhad jayenge.." tanisha ne kaha.
"Par isi taraf to wo bhoot.. mera matlab hai wo wardboy bhi gaya
tha.. harshit bhala is taraf kyu jayega???" Tara ne phir shanka jahir
ki.
"Ab jo bhi ho.. nishan is taraf ja rahe hai matlab wo log bhi idhar hi
gaye hai.. ab agar hum yahi behas karte rahenge towo log aur bhi
door nikal jayenge.."Ankit thodi awaaj uchi karte huye bola jiske
baad tara kuch nahi boli.
"Bhaiya jaldi chalo.. mujhe bahut tej dar lag raha hai..." moni ne bhi
vinti ki to phir sab log turant usi taraf bhage jidhar wo nishan ja
rahe the.
Unke jate hi room ka darwaja dheere-dheere bina kisi awaaj ke band hone laga. Darwaja band hone ke ke sath hi roshni bhi room mai wapas simatti ja rahi thi. Usi simatti roshni ke kendra mai room ke bilkul peeche jaha wo sab khade the, do dil pade the. Taza, khoon se bhare huye, laal jeevit dil joabhi dhadak rahe the. Yahi wo cheez thi jiske girne ki awaaj sirf harshit aur moni ne suni thi. Do jinda dilo ki jagah kale aur mare huye dilo ne le li thi. Kamre mai simatti roshni ke sath hi unke dhadakne ki gati bhi dheemi pad rahi thi. Aur jaise hi Darwaja poori tarah band hua unki dhadkane bhi usi ke sath tham gayi. Un paacho ke corridor se jate hi wo stretchers hile aur bayi taraf wala stretcher wapas beech raste mai khada ho gaya aur dayi taraf wala deewar se chipak gaya jaisa harshit use dhakelkar gaya tha. Isi ke sath wo pairo ke nishan bhi bayi ki jagah dayi taraf pahuch gaye aur bayi taraf ka corridor bilkul pehle jaisa ho gaya.
Ankit aur baki logo ke pairo ke nishan tak gayab ho chuke the.
Harshit bina ruke bhage ja raha tha aur uske peeche wo charo bhi.
Corridor mai dayi taraf ke hisse mai aage jakar daye ek aur corridor
tha wahi bayi taraf seediya thi jo upar aur neeche dono taraf ja rahi
thi. Harshit daye wale corridor ki taraf bhaga aur jab tak us
corridor ke ant tak nahi pahuch gaya ruka nahi. Usc orridor ka ant
baye mudne se hota tha jaha samne hi ek lift thi. Waha pahuchkar
usne ek lambi saans bhari aur peeche dekhne laga jaha se pooja,
priya, aditya aur rahul aa rahe the.
"Kya hua harshu?? Tu waha se bhaga kyu??" Pooja ne aate hi usse
poocha.
"Ha yaar.. tu to waha se aise bhaga jaise tere peeche kisi ne rocket
laga diya ho..." aditya bola.
"T..tum logo ne wo awaaj nahi suni??" Harshit unke chehre ko vismit
tareeke se ghoorte huye bola.
"Konsi awaaj?? Maine to bas tumko bhagte dekha to tumhare peeche
aa gayi.." priya bhi usi tarah dekhte huye boli.
"Aur hum dono isliye aaye kyuki tum dono ko bhagte dekha.. aur
shayad isliye hi rahul bhi aaya.. hum mai se kisi ne koi awaaj nahi
suni.." aditya ne priya ki taraf ishara karte huye kaha.
"Sahi kaha bhaiya.. maine bhi kuch nahi suna.. lekin itna dar lag raha tha ki mai bhi bhag aaya jab aap sabko bhagte dekha.." rahul ne kaha.
"To phir baki log kaha hai?? Wo kyu nahi aaye??" Harshit ne poocha.
Ab tak aditya apne bag-pack se pani ki bottle nikal chuka tha aur pani pee raha tha. Uski dekha-dekhi rahul ne bhi apni bottle nikali aur pani peene laga.
"Jaha tak mujhe yaad hai.. rahul ke baad aur koi room se nahi nikla
tha.. wo log shayad abhi bhi ya to room mai ho honge ya idhar hi aa
rahe honge hume dhoodte huye.." priya ne kaha.
"Lagta nahi wo yaha aa rahe hai.. warna ab tak dikh jate.." Aditya ne
pani peete huye poocha aur bottle harshit ki taraf badha di, "Hum
logo ko wapas jana chahiye kya??"
"Jana to chahiye lekin.. wo room mai dobara nahi jaunga.. bahut
andhera hai waha.." uske hath se bottle lete huye harshit ne kaha aur
pani peene laga.
Harshit ke peene ke baad aditya ki bottle khali ho chuki thi wahi
pooja aur priya ki bottles to tabhi khali ho chuki thi jab un logo ne
vault-room mai khana khaya tha. Hatshit ke paas bhi adhi se bhi kam
bottle pani tha wahi rahul ki bottle phir bhi kafi bhari huyi thi.
"Hamara pani khatam ho raha hai.. jaldi hi pani dhoodna padega
hume.. nahi to pyase hi mar jayenge.." harshit ke hath mai apni khali
bottle dekhkar aditya bola.
"Pehle wapas un logo ke paas chalte hai.. pani uske baad dhoond
lenge.." priya ne kaha.
Uske baad sab log wapas jane ko razi ho gaye. Wo log wapas udhar hi
pahuche to dekha room no. 313 ka darwaja band hai aur unke pairo ke
nishan ke ilawa waha aur kisi ke pairo ke nishan nahi hai. Bayi taraf
wala stretcher jise wo wardboy ghaseet kar laya tha waise hi bilkul
beech mai corridor ko rokkar khada hai. Room ke andar se ek bahut hi dheemi aur azeeb si awaaj aa rahi thi jisse unhe laga ki wo log abhi bhi andar hi hai.
Aditya ne dheere se darwaja khola par waha andar bhi koi nahi tha.
Wo do dil bhi ab waha mojoud nahi the aur wo awaaj bhi unke darwaja kholte hi band ho gayi.
"Hello?? Koi hai?? Ankitttt?? Avinash?? Koi hai??" Wahi darwaje par hi khade hokar aditya dheemi awaaj mai phusphusaya par andar se koi awaaj nahi aayi. Usne ek-do baar aur awaaj lagayi par mamla jas ki
tas bana raha.
"Yaha to koi nahi hai..." peeche bakiyo ko dekhte huye wo nirash hote huye bola.
"Wo log is taraf to gaye nahi hai.. warna dhool par unke pairo ke
nishan jarur hote.. jaise hamare hai.. waise bhi wo wardboy bhi isi taraf gaya tha.. wo log itne bewkoof to nahi hai ki us taraf jaye.."
pooja bayi taraf dekhte huye boli.
"Kahi wo log un seediyo ki taraf to nahi gaye?? Hum mudkar lift wale hisse ki taraf khade the isliye shayad ek dusre ko dekh na paye
ho??" Harshit bola.
"Yesss.. ye ho sakta hai.. wahi chalte hai.. aur jaldi karni hogi warna wo log bahut door nikal jayenge.." aditya ne kaha aur isi ke sath room ka darwaja band kar diya.
"Chalo phir.. chalte hai.." kehte huye wo log wapas un seediyo ki taraf chal diye.
Room ka darwaja band hote hi uske peeche ki taraf khadi ek 'cheez' ki battisi khil gayi. Uske dono hatho mai wahi dono dil the. Unke jate hi wo wapas apne kaam mai lag gaya yani un dilo ko khane mai aur unhe khane ki wo dheemi awaaj phir shuru ho gayi.
To be continued...
 

rahul.das

乂D??️
523
585
108

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 
Top