Sanvy is something else. He knows what he is doing and what he wants. Even he can beat Sam in every area but somehow his anger for his father's death keeping him away from everything his father was good at.AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY ANJALI KI SHARTH PURI KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF SONU AUR NITS SANVY AUR USKI MOM VERONICA KI BONDING DEKHKAR SHOCKED HO JAATE HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
MEGA UPDATE-4
CITY-DEHRADUN
PLACE-SANEEL'S RESIDENCE
GOOD MORNING CHAMP.....UMHHH...
har subah ki tarah aaj bhi bahar kaafi waqt ghumne ke baad wapas aa maine apne ghar ka main gate khola hi tha ki aangan me flowers ko paani de rahi mom mere gate ke andar aane se pehle hi meri taraf lapki aur gate ke dusri taraf hi mujhe pakad mere gaal par kiss kiya jispar...
EWWWW...
MAA....i am all sweat...
is waqt paseene se bhiga hua tha mai aur isiliye mom ke kiss karne ke baad,jo woh hamesha karti hain,mere baalon ko bigaadne se pehle hi unki side se jhukta hua tezi se aage badha aur andar ki taraf bhaga mai...
wahin mujhe aisa karte dekh mom ke face par ek smile aa gayi aur woh dobara shower pointed pipe se plants ko paani dene lagi...
khair,ghar andar ghuste hi meri nazar wall clock par gayi jo mujhe lagatar ye bata rahi thi ki mai thoda late ho chuka hun aur isiliye mai bhi turant apne room ki taraf lapka..
agle aadhe ghante me mai school ke liye completely ready hokar wapas hall me aa chuka tha jiske baad..
MAI-MAA, breakfast...
MAA-bas 5 minute champ...
MAI-aur 5 minute...!!! MAA mai already late hun..10 minute me toh school bas aa jaayegi..
breakfast rehne do...mai recess me canteen se kuch khaa lunga...
MAA-chupchaap baith..bina breakfast kiye kahin nahi jaa raha tu...
canteen me khaa lunga...
aakhir me meri hi baat ko tanj ki tarah repeat karte hue kaha MAA ne jispar mai bhi halka kanjhanta hua dining table par baith gaya tha...
khair,zyada wait nahi karna pada mujhe kyunki wakayi agle 5 minute ke andar andar hi MAA mera breakfast aalu ke parathe le aayi jiske saath dhaniye ki chutney aur tomato ketchup bhi the joki mere favourite flavour addition the aalu ke parathon ke saath...
par parathen joki kul paanch dikh rahe the plate me,unka size hamesha ki tarah bada tha aur ye dekh maine ghura MAA ko jispar woh muskura bhar di aur parathe ka pehla niwala tod usse chutney me dooba mere mooh ke paas le aayi..
MAA ko ghurte hue hi woh niwala khaya maine par mera unhe ghurna ab bhi jaari thi aur reason MAA ko pata tha..
darasal mujhe hadbadi me khaana bilkul pasand nahi tha.. agar bhook kaskar bhi lagi ho aur mujhe kahin urgent nikalna ho tab bhi mai khaane ke maamle me compromise nahi karta..
yaa toh jahan jaana hota hai,wahan jaana cancel kar deta hun yaa phir khaana..
aur aaj baat school ki thi jo cancel nahi ho sakti thi aur isiliye hi maine breakfast cancel karne ka bola tha MAA ko jo ab mai karne bhi laga tha ki tabhi...
POOOWWWW...POOOOWWW...
mere ghar se kuch aage hi is colony ka jahan hum rehte the,hamare bus ka stoppage tha,aur wahin se baji hamare school bas ki horn...
is area ke saare saare SIRIUS students time se pehle hi stoppage par khade ho jaaya karte hain kyunki bus sirf 2 minute hi har stop par rukti hai..
aaj bhi yahi hua..2 minute hote hote hi mujhe bus ke engine ki awaaz sunayi di jiska matlab tha ki bus nikal chuki thi..
aur ye feel kar ek baar phir ghura maine MAA ko jispar is baar bhi woh mujhe dekh bas muskurati rahi..
ab late toh ho hi chuka tha..sir shake karte hue maine apna pura dhyan breakfast par lagaya aur agle 10 minute baad jab mera nashta pura hua toh..
MAI-mai nahi jaa raha aapke saath aapki scooty me school...!!!
MAA-kyun,MAA ke saath school jaane me sharam aati hai....!!!
MAI-bohot zyada...
baat darasal ye thi ki mera school mere ghar se kareeb 10 kms door tha,aur 5 km door tha mom ka bank but disha puri opposite thi..
waise hi mom ko morning se uthne ke baad kaafi kaam ho jaaya karte the,toh aise me mujhe bhi school chhodna..
extra baggage MAA ko mai dena nahi chahta tha aur MAA bhi ye baat jaanti thi..
tabhi toh mere jawab ko sunanane ke baad bhi unke face par narazgi waala look nahi aaya..
balki apne trade mark harkat,yaani ki mere baal bigaade unhone jiske baad..
MAA-chal... ek surprise hai tere liye..
ye bol hall se bahar jaane ki taraf rukh kiya unhone par tabhi..
MAI-bike,i guess..(bike as an cycle)
isiliye hi thodi der pehle gate me raasta roka tha naa aapne mera aur dhyan bhatkaya tha taaki surprise par nazar na pade meri...
meri is baat ko sun naa sirf mom ke badhte kadam turant rook gaye balki woh apne face par hairangi liye turant palti meri taraf aur ye dekh...
MAI-what...!!!poudhon me paani dete waqt aap kabhi beech me nahi rukti..
par aaj aap ruki...saath hi saath meri taraf badhte waqt aapki nazar right wall ki taraf aise ghumi thi maano kuch rakha hai wahan jo aap mujhse chuppana chahti hon...
mere andar aate waqt bhi aap normal tarah se side nahi hui thi..
aise right ki taraf mudi maano kuch cover kar rahi hon...
MAA-aur bike hogi surprise,ye kaise guess kiya...???
MAI-common MAA..school timing ke maamle me aap mujhse kahin zyada punctual aur strict hain..
par aaj aapne achanak hi mera late hone casually liya...aur jab maine kaha ki mai aapke saath nahi jaa raha,toh hamesha ki tarah emotional blackmail karni ke bajaye aap smile karti rahi...
ab ye saari chizen toh ek hi taraf ishara kar rahi hain that you have bought a bike for me..
MAA-bas bas mere sherlock holmes...tujhe toh surprise dene ke liye bhi lagta hai, saal bhar planning karni padegi...
MAI-hahaha,very funny...
ye bol mai excitement se bhara pada tezi se aage badh mom ko cross karte hue aangan ki taraf badh gaya...
wahin mere face par dikh rahe excitement aur khushi ko dekh mom apni hairangi jaise bhul hi gayi..
par ek naya scene ya phir ye kahun ki purana vaakya unki aankhon ke saamne ghum gaya...
darasal do saal pehle jab ROHAN aur uske friends ke saath SANVY ki ladhayi hui thi,usme uski purani ranger bike puri toot gayi thi..
SANVY ki pehli bike thi woh isiliye woh us nirjeev bike ko bhi apne chote bhai ki tarah treat karta tha...
us ladhayi se pehle tak us bike me ek scratch tak nahi aane di thi SANVY ne aur jab aayi toh aisi aayi ki bike ka har part toot gaya..
aaj bhi us bike ke saare parts piche store room me rakhe hain SANVY ne...
khair,us din SANVY ko aayi toh bohot chote thi par uske face par taklif bas us bike ke tootne ka hi dikhta tha...
SANVY ki mom ne us haadse ke baad SANVY ko kayi baar nayi bike lene ke liye kaha tha par SANVY har baar mana kar deta tha...
par jab bhi woh kisi ladke ko bike ride karte dekhta tha,toh uske face par apni tooti bike ka pain saaf dikhta tha jo usse zyada uski mom ko pain deta aaya tha..
but kuch waqt se SANVY dusron ko bike chalata dekh normal dikhne laga tha aur ye dekh uski mom samajh gayi thi ki ab woh SANVY ko nayi bike lekar de sakti hai..
unka toh plan SANVY ko school ke first day par hi bike dena tha par bank ke kaam ki wajah se unhe DOIWALA jaana pada aur bike ka surprise jisse SANVY mahodaya ne surprise rehne hi nahi diya, 1 din delay karna pada tha..
I LOVE IT MOM....
yahi sab soch rahi thi VERONICA jab unke kaano me aangan me khade SANVY ki awaaz gunj uthi jisse sun naa sirf woh apne soch se bahar aa gayi balki woh bhi turant apne bete ki taraf badh chali..
bike ki covering puri khol chuka tha mai...black colour me CAYA ki hypermax matte black 20 T BMZ CYCLE mere saamne thi..
colour mere last bike jaisi hi thi par handle me light yellow imprint se likha company ka naam ise zyada aakarshak bana raha tha..
bike check out karta hua jab maine saamne dekha toh mom ko mujhe dekh smile karte paaya..
MAI-thanks MAA..
MAA-ohho..etiquette..woh bhi apni MAA ke saamne...
MAI-haha..very funny..waise MAA...
MAA-10 thousand se kam ki hai..bill dikhaun....
jo mai puchna chah raha th,uska jawab pehle hi de diya tha maa ne....
darasal ye ek pact tha mere aur mom ke beech ki woh mujhe 10000 rs se upar ki koi bhi chiz lekar nahi dengi...
yahi wajah thi ki mere paas apna personal mobile bhi nahi tha...
mom ko ye pact pasand nahi tha par meri zidh ke aage haar maan unhone haan keh diya tha...
khair,mere puchne se pehle hi jawab dene ke baad...
MAA-par ek baat pehle hi clear kar deti hun...tere board exams tak hi tera ye pact ko maan rahi hun mai..
board ke baad mai tujhe real bike lekar dungi aur woh bhi apni pasand ki jisse tu chupchap bina koi noutanki accept karega..
MAI-asli bike, matlab..ye nakli hai kya...???
MAA-jab lekar dungi tab dekh lena...
MAI-tab ki tab dekhenge... right now,off i go...bye MAA..thanks again...
ye bol bag jo already bahar aate waqt le liya tha maine,daala apne kandhon par jiske baad apni new bike par baith turant gate se hote hue bahar nikal gaya...
wahin MAA bhi mujhe jaata dekh aur khaaskar new bike ki wajah se mere face par dikh rahi smile ko yaad kar kuch pal wahin khadi khush hoti rahi aur phir wapas mood andar chal padi....
PLACE-IN SIRIUS
GANDU,SACH SACH BATA BE,KAHAN GAAND MARWAATE REHTA HAI TU...AAJ BHI LATE AAYA HAI AUR TU SCHOOL BUS ME BHI NAHI THA...
MAALVIYA SIR ke jaate hi apne normal tone me kahi ye baat NITS ne..
new bike milne ke kaaran aaj mai sidhe school aane ke bajaye apne new BMX par dehradun ki galiyon me joki i must say,aisa lagta hai jaise BMX aur bike rides ke liye hi bani hain,ghumta hua araam se jab tak ESSEMBLY khatm hue 5 minute se upar ho chuke the,pahuncha school..
school entry gate par morning duty rehti hai PURAN bhaiya ki jisse badhiya jamti hai meri, isiliye bina kuch kahe mujhe enter karne dete hain woh...
anyways,jab tak class pahuncha mai tab tak first period shuru ho chuki thi..
mere may i coming sir bolne par MAALVIYA sir ne mujhe aise ghura tha jaise ANSHUMALA MISS ko unse chhinane waala unka pati nahi balki mai tha..
par bina kuch bole bas mujhe andar aane ka ishara kiya unhone jiske baad mai class ke andar apni regular jagah par baith gaya..
ab sir ke saamne toh NITS aur SONU mujhse kuch puch sakte the nahi isiliye class khatm hone par jaise hi sir nikle toh apne peth me lagatar ghum rahe sawal ki ulti kar hi di NITS ne jispar maine bina kuch kahe bas apni BMX ki key saamne desk par rakh di..
kuch pal lage, NITS aur SONU ko us key ka logic samajhne me par jaise hi unhe ganit samajh me aaya..
NITS-oh teri...nayi bike..bhosdike, abhi bata raha hai tu..
bata bhi kahan raha hai, dikha raha hai gaandu jaise teri akeli ki ho bike.
ghante ka...abhi jaate waqt tu SONU ke saath scooty me aayio,bike se mai aaunga....
SONU-llauudde kka ttu chhallayegga BBIKE...ttu SANVY kke ssath aanna,bbike mmai cchalaungga...
NITS-chutiye,tere abhi bole line ke dobara bolte tak toh mai bike ke saath ghar bhi pahunch jaaunga..
bike me hi chalaunga,tu kal chala liyo..
MAI-abbe oye jhaantuon...kiraye par dene ke liye bike nahi mili hai mujhe...
bike sirf mai chalunga...
meri baat par saale dono aise dekhne lage mujhe jaise bina pant khole hi gaand maar li ho maine dono ki..
kasam se,un dono ke faces ko dekh taras se zyada hasi aa gayi mujhe par ab kya karen..dost the, jhelna toh tha hi inhe aur inki khawishon ko isiliye..
MAI-mare hue kutte ki tarah mooh banana band karo be...chala liyo jisko chalana hai...
NITS-bhaag gaandu.. permission kisne maangi be tujhse..
PIN DROP SILENCE...
NITS ki baat par mai kuch kehta ki tabhi ye awaaz padi hum sabke kaan me joki thi hamari HISTORY ki teacher MRS RENUKA GURUNG ki...
par jahan normally teacher ki awaaz sun students bilkul shaant ho jaate hain,wahin RENUKA GURUNG ki baat sunanane ke baad bhi class ki chapad chapad chaalu rahi..
REASON...
reason janane ke liye in mohotarma ka intro janana zaroori hai..
RENUKA GURUNG...AGE 42.. MASTER'S DEGREE IN HISTORY...
history ki kaafi deep knowledge hai inke paas aur prachin chizon par jo bhi naye naye facts saamne aate jaate hain,unke baare me bhi updated rehti hain ye.
history jaise boring subject ko bhi padhane ki style badi achi hai inki lekin phir bhi zyadatar students inhe seriously nahi lete...
aur iska kaaran ye khud hain.. asal me inki ek mythical kahani hai..inke according swayam GOD ne inke sapne me aakar inhe kaha tha ki inka janm hi history subject ki teacher banane ke liye hua hai...
ab bhala aisi fekayi ke baad inhe koi seriously le bhi toh kaise..yahi reason hai ki inki class me moujudgi ke baad bhi sabhi students baaton me lage rahe jisse dekh inka para aur chadh gaya aur..
RENUKA MISS-i said, pin drop silence...ab agar kisike mooh se ek bhi awaaz aur nikli toh mai usse sidhe principal ma'am ke paas le jaaungi...
aur ye tha woh RAM BAAN jiske baad wakayi saare students chup ho gaye aur ye dekh ek proud smile naach uthi RENUKA MISS ke face par aur..
RENUKA-thats more like it..jab tak class khatm nahi ho jaati,aap sab aise hi shaant baithenge..
halka sa bhi shor,faltu ka hilna dulna aur agle hi minute aap sab principal's office ke bahar khade honge..
CCHHNNNN..DHHAKKK..DHAKKKK..
apni baat bol RENUKA MISS book open karne hi waali thi ki tabhi mai khada hua aur apni desk ko aage piche adjust karne ka naatak karte hue usse teen chaar baar zor se bajakar apni seat par baith gaya...
ab MISS jaanti thi ki ye maine jaan bujh kar kiya hai..
aur mere aisa karne se awaaz toh bohot aayi thi jiske liye MISS ne mana kiya tha..
par us awaaz ke nikalne ka kaaran aisa tha ki naa toh woh mujhe kuch bol sakti thi aur naahi principal se complaint kar sakti thi..
jahan apne daant chabati woh mujhe bas ghurne lagi wahin meri harkat ko dekh puri class mooh dabakar hasne lagi...
SONU aur khaaskar NITS ka toh bura hi haal tha...woh dono zor zor se hasna chahte the but MISS ke saamne woh aisa kar nahi sakte the..
aur in sabke beech mai maasum si shakl banaye MISS ko aise dekh raha tha jaise mujhse sharif baccha is duniya me koi tha hi nahi...
anyways,kuch der mujhe ghurte rehne ke baad MISS wapas book ki taraf ghumi aur ye dekh.
NITS-bohot bada harami hai be tu..saale, kamsekam bata diya kar jo karne waala hota hai,aise achanak kuch naya karega toh idhar control nahi ho paata hai..
MAI-chup kar jaa chutiye..MISS ne sun liya toh unka khudpar le dekar kiya control chhut jaayega...
RENUKA MISS-toh is saal aapke history book me total 12 chapters hain..
pehle chapter ka naam hai HOW,WHEN & WHERE jiske baare me aaj hum padhenge...
wahan RENUKA MISS ne padhana shuru kiya aur yahan mere,NITS aur hamare jaisa maha talented logon ne apni sabse adhbhudh ka shresth hunar ka pradarshan bhi shuru kar diya..
aankhon ko pura khole rakh kar sona..batao..mazak hai bhala..
aur hamara is mudra me dhyan lagana itna zyada dedicated tha ki class off hone ka syrun,as in bell bajne ke baad madam chali bhi gayi par hume khabar tak naa hui....
woh toh sonu ne hum dono ke chote magaj par book maara tab jaakar kahin hum dono hosh me aaye...
anyways,next class environmental science ki thi jiski naa hume padi thi aur naahi hamare RAJESH CHAUHAN sir ko....
kul 10 chapters hi the us subject me woh bhi chote chote..
hafte me ek aadh baar hi class lete the CHAUHAN sir aur jab lete the toh ek baar me 2 chapters nibta dete the..
but luckily aaj woh din nahi tha..woh class me aaye,"jisko jo karna hai karo bas awaaz nahi aani chahiye",ye bola aur chair par gaand tikakar baith gaye...
sir ke us ravvaiye ko dekh kabhi kabhi toh mujhe lagta hai ki saala yahi reason toh nahi ki SWATCH BHARAT ABHIYAN barabar result nahi de raha...!!!!
batao,bhala woh mudda jiska base hi hamara ye subject hai,jab iske teacher ko hi iski nahi padi toh aam janta ko kya ghanta fark padega...
anyways,ab sir ne apna tika liya tha toh hum sab bhi apni apni bakarchodi me lag gaye...
aur is bakarchodi ke beech class kab khatm hui,pata hi nahi chala...
infact,kyunki aaj bhi kaafi students nahi aaye the toh baaki bache teeno classes me bhi sirf HINDI ki hi class joki hamare priya DUBEY SIR ki thi,ussime padhayi hui jisme aaj mai bhi shaant hi raha..
kyunki kal ke mere kiya utpaath ke baad agar mai aaj bhi koi nayi bakchodi pelta toh sir aaj mujhe pel dete...
anyways, kyunki filhal holidays se pehle ki 1 month summer classes chal rahi thi, isiliye class toh sirf 6 lagte hi the par saath hi saath regular 45 minutes ki jagah har class ki timing bhi 35 minutes ki hi hoti thi...
hindi ki class aaj ki hamari aakhri class thi joki bell horn bajte hi off ho gayi jiske baad...
SAM-hey bro...aaj woh desk sarkane waala mazaak cool tha...
bohot hardly apni hasi roki thi maine...
mere paas aakar desk par baiththe hue kahi ye baat SAM ne jispar mai bas muskura diya..
EKPREET-tu nahi beta puri class apni hasi roke hui thi us waqt..
saale SANVY,ye naye naye khurafaat aate kahan se hain tere dimag me....!!!
ANJALI-ye utpatang harkaton ke alawa aata kya hai isko...
SAM, EKPREET ke saath RAJATH, NAISHA aur ANJALI bhi mere desk ke paas aa chuke the jiske baad har baar ki tarah is baar bhi poke kiya mujhe ANJALI ne jispar..
MAI- meri harkatein utpatang hai ya nahi,ye toh unsure hi hai but ye zaroor pakka hai ki bachpan me utpatang tarike se giri zaroor thi tu...
nahi toh jabran har baat me ghusne ki aadat nahi hoti tujhe...
jahan meri baat par sab has diye wahin mujhe ghurte hue...
ANJALI-samajh nahi aata teri bakwas zyada sadi hai ya teri shakal...
MAI-challenge barabar ka rakhna hai toh competition me apni shakal rakh naa..
HEY GUYZZ.. WHAT'S UP......???
meri baat par ANJALI kuch kehti ki tabhi uske piche se ye awaaz ubhri jispar sabhi awaaz ki disha me palath gaye..
RASHI SEHGAL khadi thi entrance door ke paas jisse dekh NITS ne dheere se "HAAYE"karte hue apne dil par haath rakh liya tha...
anyways,jaise hi hum sabki nazar RASHI ki taraf gayi toh..
RASHI-agar tum sabki koi group meeting me interupt kiya ho maine,toh sorry,haan...
hamari taraf aate hue kahi ye baat RASHI ne jispar...
MAI-haan, desh ke budget par discussion chal raha tha....
SAM-chup be.....iski baaton ko seriously mat lena RASHI...
ANJALI-iski baaton ko kya,isko hi kabhi seriously mat lena..
MAI-haan,par isko seriously lena...nahi toh kaat leti hai ye...
pichle saal mujhe kaata tha isne..20 injections lene pade the,tab jaakar condition theek hui thi meri...
ANJALI-kyaa...
SAM-oh stop it,both of you yaar...jab dekho chaalu ho jaate ho dono...
ANJALI ki baat ko kaaththe hue beech me bola SAM ne jispar haste hue..
RASHI-ye dono kya hamesha aise hi ladte rehte hain...
RAJAT-non stop...
RASHI-cool..acha SAM,i need a favour...
SAM-anything yaar..just say it..
RASHI-woj actually mai bhi apna transfer issi section me karana chahti hun..apne class teacher se bola maine toh unhone kaha ki ye sirf PRINCIPAL MA'AM hi kar sakti hain..
par reason worthy hona chahiye..!!ab mai toh isiliye wahan se yahan transfer lena chahti hun kyunki us section ke boys kuch zyada hi irritating hain...
jab dekho,chance maarte rehte hain..
MAI-RASHI,tharki toh har jagah hote hain..is class me bhi hain..
NITS ke pair par pair maarte hue joki laar tapkate hue RASHI ko hi dekhe jaa raha tha,kahi ye baat maine jispar hadbadate hue hosh me aaya woh..
wahin meri baat sun...
RASHI-true but still,i dont like that section..
but jo reason maine abhi bataya,woh princi ko toh nahi bol sakti naa..toh i was hoping ki SAM,may be you could help me with it...
SAM-ROHAN se nahi maangi tumne help...
RASHI-bola tha but usne kaha ki PRINCI bina solid reason ke kisi ki baat nahi sunti..uski bhi nahi..
SAM-same goes with me babes..school me meri reputation,mera naam,kuch kaam nahi aata hamari princi ke saamne...
SAM ki baat sun chehra utar sa gaya RASHI ka jisse dekh..
RAJAT-itni jaldi upset hone ki zaroorat nahi hai RASHI..SAM ya ROHAN ki naa sahi,par koi hai,jiski request shayad PRINCI maan jaaye..
RASHI-really..kiski..??
jahan RASHI ke sawal par sabhi ki nazar padi mujhpar wahin mai toh pehle hi aisa kuch accept kar raha tha aur isiliye apna mooh apne bag me hi thoos liya tha maine..
wahin sabka ishara samajh..
RASHI-SANVY...really...???wow... but how....???
MAI-wow how chhodo..!!!aur RAJAT ki baat theek se suni nahi tumne..usne shayad kaha,confirm nahi...
SAM-oh common yaar,try toh karke dekh...
RASHI-yaar SANVY, please naa yaar...
ye bol RASHI aage badhi aur sidhe aakar mere baaju me hi baith gayi..
baaju me baith usne apna ek haath mere haath ke upar rakh liya aur request se bhari aankhien liye meri taraf dekhne lagi..
wahin RASHI ki harkat par NITS ne apna haath apne dil par rakha aur behadh dheere se..
NITS-dost dost naa raha..pyar pyar..
SONU-cchppp madarchod...
dheere se uske kaan me ghudki si di SONU ne jispar NITS usse ghurne laga..
anyways,RASHI ke face jispar request ka pura akhbar chappa hua tha,usse dekh...
MAI-well I can't promise anything..but chalo,try karke dekhta hun...
RASHI-oh,thanks SANVY..you are really a true friend...
ye bol side se hi hug kiya mujhe RASHI ne jisse dekh..
ANJALI-dekh ke RASHI.....tumhare normal gesture ko kahin dil se na laga le ye...
MAI-ANJALI MADAM..
"SANVY ka dil koi zukaam ka maara nahi nahi jo sardi ke lagne bhar se hi aa jaayega"..
jahan bas itna bol uth kar aage badh gaya mai wahin mere tark ko sun ANJALI toh lajawab ho chuki thi aur RASHI...!!!
RASHI-wow..that was deep...
EKPREET-well, that's SANVY for you..school ki har championship me apne SAM ka competitor ROHAN hai but debate me, baaton me SANVY ka competitor nahi...
he can literally kill anyone with his talk...
RASHI-well,i am impressed...hope ki PRINCI ke saamne bhi SANVY ki baatein kaam kar jaaye..
SAM-that we hope to...
baat karte hue ye sab pahunch chuke the GROUND FLOOR me bane ek bade se room ke saamne joki tha SIRIUS ka "THE ATTIC OF GLORY"....
SIRIUS me aaj tak jitne bhi champions rahe the,un sabke honour me banaya gaya tha ye room jiske side se ek aur raasta jaata tha sidhe is ATTIC OF GLORY ke peeche bane PRINCIPAL'S OFFICE ki taraf..
PRINCIPAL'S OFFICE isiliye hi is ATTIC OF GLORY room ke piche banaya gaya tha taaki jab bhi koi parents principal se milne aayen toh sabse pehle unki nazar SIRIUS ke is pride possession ko dekhen...
anyways,jab tak RASHI aur baaki sab us room me enter karte,mai already us room ko cross karta hua piche bane principal's office ke entrance door ke paas pahunch chuka tha...
jiske baad..
KNOCK KNOCK KNOCK...
COME IN...
mere door knock karte hi andar se aayi ye awaaz joki hamari PRINCIPAL MRS RANJANA MATTHEWS ki thi..
ma'am se ijazat milte hi mai knob ghumakar gate kholta hua andar chala gaya..
princi apne laptop me kuch type kar rahi thi ki tabhi unki nazar saamne padi jahan mai khada tha aur mujhe dekh naa sirf unke face par ek smile naach uthi balki unhone turant apni typing band ki aur..
PRINCI-SANVEER AHARYA...how are you my boy...???
MAI-i am good ma'am...
PRINCI-ofcourse you are... so,tell me then, what brings you here young man...???
MAI-i need a favour MA'AM... actually,one of my friend needs it...
PRINCI-toh usse yahan hona chahiye, right...???
MAI-usse laga ki shayad aap mana kar dengi isiliye...
PRINCI-usne tumhe bheja.. interesting.. tumhe lagta hai ki tumhari request ko reject nahi karungi mai...???
MAI-mujhe nahi,mere doston ko lagta hai...
PRINCI-tumne toh dost kaha tha,doston toh plural hai...
MAI-idea doston ka tha, request ek dost ki thi joki singular hai...
PRINCI-hahaha..i liked the way how you put those words..exact and perfect..
naa ek word zyada aur naahi ek word kam...
jaisa ki PRINCI ke intro me bataya gaya tha,SOCIAL PSYCHOLOGY ki MASTER DEGREE hai inke paas..human behaviour ko judge,guess aur read karne me expert hain ye..
baatein karte waqt sidhe aankhon me kuch yun dekhti hai ye maano aakhon ke zariye dil ke zaare raaz pata kar rahi hon..
abhi bhi mujhe kuch unhi dhundti nazaron se dekh rahi thi woh par meri aankhein kuch yun shaant thi maano unke zariye mujhe talashne aur janane ka koi zariya aur thikana hi naa ho...
kuch seconds mujhe dekhte rehne ke baad....
PRINCI-ok then..tell me SANVEER AHARYA.naam kya hai tumhari friend ka aur kis chiz me help chahiye usse...???
MAI-the name is RASHI SEHGAL... mere hi class ke B section me hai woh...usse apna section change karwana hai... she wants a transfer to my section..
RANJANA-RASHI SEHGAL...the girl from spain..
MAI-yes ma'am...
RANJANA-can i know the reason...!!!!
MAI-humse bonding achi hai ma'am uski...and in that case,aapko toh pata hai ki ROHAN joki B section me hai,he can create trouble for her...
RANJANA-you are lying SANVEER AHARYA....kyunki agar wakayi RASHI tumhari friend hai toh ye baat janane ke baad ROHAN kabhi usse tang nahi karega...
itna toh darta hi hai woh tumse...
MAI-with all due respect ma'am..but dar kabhi kabhi kuch zyada GALATH bhi karwa deta hai...
PRINCI-agreed...aur kabhi kabhi kuch GALATH nayi GALTIYON ko bhi paida karta hai...
aisi galtiyan jo agar naa ki jaati toh mahoul hi kuch aur hota...
anyways, your request has been granted.....
apni friend RASHI se keh dena ki kal first class se pehle ek transfer application apne abhi ke class teacher ko de de aur tumhari class me shift ho jaaye...
baaki dono section ke class teachers se mai baat kar lungi...
MAI-thank you MA'AM...
jahan ye bol mai palath kar unki office se nikal gaya wahin ma'am mujhe jaata hua dekhti rahi..
anyways,jab mai PRINCI se baat kar raha tha,toh GLORY ROOM me mere sabhi friend's wahan tange SIRIUS ke har era ke CHAMP aur HEART THROBBS ko dekhne aur admire karne me lage hue the...
SAM aur baaki sabhi RASHI ko ek ek kar saare X champions ke baare me bata hi rahe the ki tabhi RASHI ki nazar padi un saare badi photos me se sabse badi photo par joki un saare champions se alag ek dusri diwaar par tangi thi..
us puri diwaar par sirf us ek champion ki photo tangi thi aur bas ussiki achievements ke baare me hi likha hua tha..
ye dekh RASHI us photo frame ki taraf point karne hi waali thi ki tabhi...
MAI-done RASHI... section transfer ho jaayega tumhara...
meri awaaz aur kahi gayi baat ko sun jahan RASHI khushi se palti,wahin baaki sab ke faces par hairangi thi aur isiliye...
SAM-really...!!!
MAI-oscar jeet kar nahi louta hun be jo itna hairan ho raha hai..
EKPREET-but kaise bhai..??i mean, convince kaise kiya tune..??
MAI-sidhe jaakar PRINCI ke desk par chaaku gaad diya maine aur bas...
permission mil gayi.aur ab chaabna band karo & RASHI...
kal first period se pehle apne class teacher ko ek section transfer application de diyo..
RASHI-thanks SANVY...
ye bol side se hug kiya mujhe RASHI ne jiske baad..
MAI-ab chalen...
RASHI-bas ek minute SANVY..guyz,inke baare me toh batao..who is this handsome hunk jinke liye ek puri wall alag se rakhi gayi hai, aur itne saare achievements...
seriously man..looks like an all time icon of SIRIUS...
waise mujhe aisa lag raha hai ki inse milta julta resemblence kahin dekha hai maine...!!!
EKPREET-ofcourse dekha hoga..aur jinhe dekha hai,woh koi aur nahi yahin hai..the man in the picture himself..
he is the one and only JAIDEN CHOWDHARY...
aur haal filhal me tumne inhe news channels, newspapers,magazines ki headlines me dekha hoga...
kyunki right now, he is in the list of top 10 industrialist of our country.
but jis waqt ki ye tasvir hai,us time sirf SIRIUS me hi nahi,pure dehradun me, infact pure uttarakhand ke kisi bhi college me inke jaisa kabhi koi nahi aaya tha,infact ab tak koi inke achievements ko cross toh door ki baat hai,touch tak nahi kar paaya...
RASHI-really....!!!!
RAJAT-well,we have seen his achievement tapes..ACADEMICS, SPORTS, STUDY... you just name the criteria..
JAIDEN CHOWDHARY was the ultimate best of his time..infact,inke performances ko dekhkar mujhe toh aisa lagta hai ki shayad pure INDIA me inhe takkar dene waala koi nahi tha, aur naa kabhi hoga..
SAM-yup..and he is my role model too.. i hope,wish ki ek din mera naam bhi inki tarah chamke...
but ye mushkil hoga..i mean bohot zyada mushkil..he was and is the bloody best..
EKPREET-yaa man.. JAIDEN CHOWDHARY..the perfect synonym of INVINSIBLE....
NOW THATS NOT TRUE...
EKPREET ki baat par koi kuch kehta ki tabhi hum sabke peeche se ye awaaz ubhri joki thi hamari respected PRINCIPAL ki jinhone shayad JAIDEN CHOWDHARY par ki gayi saari baat sun li thi..
wahin ma'am ki awaaz sun hum sab palte aur unhe apne saamne dekh..
SAB-good afternoon MA'AM...
PRINCI-afternoon..so,as i was saying,haan JAIDEN CHOWDHARY wakayi SIRIUS ke history me ab tak ke sabhi champion's se bohot aage the..
ye bhi sach hai ki shayad pure uttarakhand me unki takkar ka koi nahi tha but woh invincible the,ya phir ye kahun ki unbeatable the,aisa bilkul bhi nahi tha...
PRINCI ki baat sun sabke faces par hairangi ke bhaav the aur isiliye...
RAJAT-but ma'am,jahan tak SIRIUS ki champions history me likha gaya hai,MR JAIDEN CHOWDHARY kabhi koi competition nahi haare hain..
PRINCI-officially...yes...aur jis CHAMPIONS OF SIRIUS HISTORY ki baat tum kar rahe ho,usme sirf official marking ke according achievements likhe gaye hain..
but JAIDEN CHOWDHARY ne unofficially bhi ek baar delhi state meet championship ke charity event me participate kiya tha..
woh ek friendly competition tha jisme MR JAIDEN CHOWDHARY ne 100 aur 200 metres race me participate kiya tha..
aur us competition ko unhone nahi kisi aur ne jeeta tha aur woh bhi just like that...
JAIDEN CHOWDHARY,the champions of champions ko bhi us bande ne aise haraya tha jaise woh koi amatur ho..
to be precisely accurate,100 metres ki race me 10 metres ki gap se aur 200 metres ki race me 25 metres ki gap se haraya tha unhone JAIDEN CHOWDHARY ko..
PRINCI ki baat sun sabhi ke aankh apni aakhri hadh tak faile chuke the joki laazmi bhi tha...
after all,100 metres ki race me 10 metres ki margin se aur 200 metres ki race me 25 metres ki margin se jeetna woh bhi JAIDEN CHOWDHARY se,mazak toh tha nahi...
kuch seconds lage sabhi ko PRINCIPAL MA'AM ki baat ko hazam karne ke liye jiske baad...
ANJALI-who was the guy MA'AM jinjone itni easily JAIDEN CHOWDHARY ko hara diya tha...
ANJALI ki baat par PRINCIPAL MA'AM ki nazar mujhpar padi joki is pure conversation ke dauran bas apni nazarein hi idhar udhar kar raha tha..
mujhe dekh halki si smile di PRINCIPAL MA'AM ne aur..
PRINCI-SANEEL AHARYA.....
WHAT.....!!!!!
PRINCIPAL MA'AM toh naam lekar chali gayi,par unke mooh se nikle naam ko sun RASHI ko chhodkar joki us naam se anjaan thi,sabhi aankhein faade mujhe dekhne lage the..
wahin mai khada toh normally hi tha,but man mera utna hi ashaant tha kyunki kaise kisi ko batata mai ki...
jiske jaisa banana kabhi mera KHWAAB THA....
koi saamne khada tak naa ho paaye,jiske naam me aisa TAAP THA....
har baazi,har mukaabla jeeta tha jisne,magar...
khud fanaah ho apne hi bete ko hara gaya,woh SANEEL AHARYA mera BAAP THA....
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J.....
Bahut hi khoobsurat update.