• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY KHUDKO AUR NITS KO CRICKET TRIALS SE BACHA LETA HAI WAHIN DUSRI TARAF USKE AUR KHANAK KE BEECH KUCH ROMANTIC CONVERSATIONS HOTI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-10


CITY-DEHRADUN

PLACE-NITS HOUSE





"UMR DHALNE SE PEHLE HI AGAR DHADKANE THAK JAAYEN...!!!!

MOUT BHI KUBOOL HAI HUME JO AAKHRI-DIDAARE-RUKHSAAR TERA HO"....


haathon me gulaab liye,entrance door par apne ek ghutne ke bal baith thik propose karne ki position me saamne dekh kahi thi ye baat maine LAKSHMI aunty se..(NITS MOM)


(LAKSHMI BHATNAGAR:-a beautiful women but more importantly,ek aadarsh patni aur maa...apne SANVY ko bhi NITENDRA se kam pyar nahi karti hain ye aur SANVY,uske liye toh LAKSHMI uski aunty/g.f hain..hamesha flirt karta rehta hai inse jaisa ki abhi kar raha hai)


AHHHHH...

bade pyar se meri taraf badh ek haath se rose accept kiya aunty ne par agle hi pal dusre haath se kaan kheench liya unhone jispar jhuthe dard ki karah nikalta hua khada hua ma...


AUNTY-beta,teri ye noutanki,tera ye charm aaj kaam nahi aayega...

1 mahine baad shakal dikha raha hai tu... tera toh keema banaungi aaj mai...

MAI-hain..!!!khaane par toh mai aaya tha aur aap mera hi khaana banane waali ho...

koi naa...ishq kiya hai aapse...ab aapke hi zulm naa seh paaya toh phir ishq kaisa...????

AUNTY-sudhar jaa re SANVY,sudhar jaa...


meri baat sun haste hue kahi ye baat aunty ne jiske baad mai bhi unhe side se hug karta hua andar enter kar gaya aur phir...


MAI-uncle nahi aaye abhi tak....????8 p.m usual time hai naa unka...

AUNTY-haan,par aaj camp ke order ka aakhri din hai naa... isiliye thoda late ho gaye hain..

abhi aa jaayenge..kyun,tujhe abhi se bhook lag rahi hai kya..???rook,mai snacks lekar aati hun...

MAI-arre bhook wook kuch nahi lagi hai aunty....mai toh isiliye inquiry kar raha tha kyunki kya hai, uncle ke saamne aapse apni mohobbat ka izhar karta toh unhe bura lagta naa..

AUNTY-hahaha....tu toh unke saamne bhi baaz nahi aata...lekin unhe maalum hai...

MAI-aur kya maalum hain unhe...

AUNTY-yahi ki teri daal nahi galne waali... teri aunty bas tere uncle ki hi hai...


mujhe chidhate hue kahi ye baat AUNTY ne jispar..


MAI-aunty, mohobbat jab puri ek tarfa ho jaaye toh uski taakat kayi guna tak badh jaati hai...


DHAKKK...


meri baat par aunty kuch kehti ki tabhi ek sofa pillow aakar meri peeth par pada joki NITS ne pheka tha aur is waqt mujhe ghur raha tha...


AUNTY-dekho..jitna ladna hai lado par agar sofa ya kisi bhi table cloth ko kharab kiya toh pure ghar ki safayi karaungi tum dono se...


aunty jaanti thi ki ab hum dono ladenge aur isiliye ye bol kitchen ki taraf badh gayi woh aur jaise hi aunty hamare view se disappear hui toh...


NITS-bhosdike,meri maa ko line maarta hai...!!!


mujhe ghoorkar dheere par gurrate hue kahi thi ye baat NITS ne jispar...


MAI-chi chi chi..meri paak mohobbat ko line maarne jaisi tuche shabd ke saath jodta hai gaandu..

NITS-behenchod...


ye bol kooda mere upar NITS jispar sofe ki dusri taraf uchla mai aur tezi se bhaagte hue NITS ke room me ghus gaya..

NITS bhi bhaaga mere piche aur jab mai bed ke saamne pahuncha toh piche se kuda woh mere upar lekin uski movement bhaamp gaya tha isiliye turant side hath gaya mai jisse mere baaju se hota hua aage bed par gira woh aur isse pehle ki woh palathta,mai kood gaya uske upar..


AHHHHH...

NITS-bhosdoke...hath saale loudu..aahhh..abbe dukh raha hai chutiye...


uske upar kood NITS ke dono haath modte hue piche ki taraf jod se diye the maine jispar dard se chillata hua mujhe gaali dene laga woh par tabhi..


HEY BBHAGWAN..KKITNA BBADAL GGAYA INSSAAN....SSAALE MMUJHE PPEHLE SE HI MMALUM THA KKI TTUM DDONO GGAY HO...


SONU jo abhi abhi room me aaya tha,meri aur NITS ki position dekh kahi thi ye baat usne...


MAI-aaja phir.. threesome karte hain...

SONU-hath bbe loude...

NITS-abbe upar mere hai ye aur hata tu raha hai.. hath na chuth maarike...


NITS ke upar se hata mai par mere aisa karte hi NITS turant palta aur mere upar kood gaya...


NITS-teri chuth ka bhosda maaru saale..ab bata,lega baap se panga...

MAI-utar saale nahi toh patak dunga..

NITS-ghanta patkega tu.betal hun mai,jitna chhitkega ,utna chipkunga mai...HAHAHAHAHA...


NITTUUUU...YE KYA CHUTIYAPA HAI BE...NEECHE UTAR JAAHIL...


daanavon ki tarah haste hue kahi thi apni aakhri baat NITS ne jispar mai kuch kehta ki tabhi mere aur SONU ke priya JAGATH uncle prakat hue jinko dekh jahan mai aur SONU smile karne lage wahin humse ulath NITS ka mooh chota ho gaya aur woh turant mere peeth se utar gaya..


JAGATH UNCLE-mand hi reh buddhi se tu bhokwe...bandar hi rehna hai toh kaahe insaano ke school me padhne jaata hai re tu..

dehradun me pedon ki kami toh hai nahi...kudna utarna wahin theek se seekh le tu..

phir de dunga tujhe kisi madari ko,ghar me do paise toh aa jaayenge....


NITS ko uske future carrier par advise dene ke baad mere aur sonu ke sir par haath ferte hue ek baar phir NITS ko ghur uncle room se nikal gaye..


NITS-saala aaj toh confirm ho gaya,naa nikla mai inke lund ke paani se...

godh hi liya hoga mujhe pakka...

HAHAHAHA.....

BAAP ka jo anokha description abhi abhi NITS ne hume diya tha,usse sun peth pakad kar hasne lage the mai aur SONU...

wahin mooh fulaye ek takiye ko zor se jakade baitha NITS hume yun hasta dekh ghurne laga par kuch kaha nahi usne jispar..


MAI-waise baat sahi hai teri...

mai bhi kayi baar sochta hun ki aunty jaisi hoor ka beta tere jaisa langoor kaise ho sakta hai..????

NITS-betichod,teri toh.... phir shuru ho gaya tu...???

aunty-aajao baccho...dinner lag gaya hai...


mere upar chaddhte hue kahi thi ye baat NITS ne par tabhi aayi aunty ki awaaz jisse sun NITS utarne laga mere upar se aur tabhi..


MAI-dekha...majnu ke khatre me aate hi laila ne awaaz laga di..ab ye ishq nahi toh aur kya hai..??


NITS-bhosadchodike...

HAHAHAHAHA...


jahan meri baat sun zor se has pada SONU wahin khud ko loose chhod chuka NITS,meri baat sun phir bhadak gaya woh aur mujhe dabane ko hua par mai taiyar tha..

isse pehle ki woh mujhe dobochta,apne ghutne ko modte hue di maine saale ke gaand par ek laath jisse mere upar se hota hua NITS aage nikal gaya aur aisa hote hi mai aur SONU turant room se nikal hall ki taraf bhaag gaye...


AUNTY-arre arre arre...ghode ho gaye ho teeno par bachpana nahi gaya tum teeno ka...

jaao haath dho lo fatafat.....

MAI-as my queen commands...


hum teeno ki udham dekh sir par haath rakh kahi thi ye woh baat aunty ne par meri baat sun jahan woh has padi wahin mere peeth par ek chipka hi diya NITS ne aur..


NITS-saale meri hi maa milti hai tujhe har baar flirt karne ke liye..

MAI-haun..chal papa bol..

NITS-teri toh...


kitchen ke just bahar bhi ek wash basin tha jahan hand wash karte hue apni baat bol bhaag liya tha mai wahin meri aakhri baat sun gaali bakte hue mere piche aane ko hua NITS par saamne se chale aa rahe apne baap ko dekh uska mooh aur pair dono hi tight ho gaye...

ab tak mai dining table par baith chuka tha..mujhe ghurta hua NITS bhi theek mere opposite saamne waali chair par baith gaya..

SONU mere hi baaju me baitha tha aur NITS ko dekh dheere dheere hase jaa raha tha...

uncle joki head of the family the,table ke start matlab ki centre chair me baithe the aur aunty ne serve karna shuru kar diya tha..

is waqt table ke beech green salad jiske uske ird gird zeera rice aur daal makhni ke saath baigan bharta,matar paneer,malayi kofta,karari bheendi aur aalu jeera saja sa hua tha...

kitchen par kadhayi me just complete hua moong ka halwa bhi bana tha jisne dhake hone ke baawjud apni mehek bhar se hum sabke taste buds me paani bhar diya tha..

ye saare ke saare dishes mere favourite the aur aaj mere idhar dinner karne ki khushi me aunty ne bana diye the..

abhi bhi uncle se pehle aunty rice daalne ke baad side me saare dishes ko thoda thoda karte hue meri plate me hi saja rahi thi aur ye dekh...


UNCLE-lagta hai aaj hum sabka khaana bhi SANVY tere khaane ke baad hi shuru hoga...


UNCLE ke mazak par ghur kar dekha aunty ne unhe par is beech bhi karari bhindi ke baad kofte ko meri plate ke side me bin dekhe hi perfectly serve kar chuki thi woh..


MAI-wow... you the are best aunty...aise dishes daily banayengi toh yahi dera daal lena hai maine...

AHHHH...

meri baat sun jhat se kaan pakde aunty ne mere aur..


AUNTY-daily,haan...???aaj ek mahine ke baad shakal dikha raha hai apni aur woh bhi isiliye kyunki VERONICA out of town hai..

usme bhi dinner khud hi banane nikle the nawabzaade..woh toh acha hua ki NITTU ne bata diya mujhe aur bolne nahi,dhamki dene ke baad aaye hain janab...


aakhri baat yaa phir ye kahun ki meri complaint uncle ko dekh kar kahi thi aunty ne jispar..


UNCLE-ye kya sun raha hun bhai...??? humse kuch galti ho gayi hai kya jo idhar aana ab pasand nahi tumhe...!!!

MAI-galti toh hui hai aapse uncle par haal filhal me nahi,balki kayi saal pehle...

UNCLE-hain..!!!kayi saal pehle galti hui hai..!!!kaun si galti aur tumhara us galti se kya saarokaar...???

MAI-bilkul matlab hai uncle..mere paida hone se pehle hi meri mohobbat chinni hai aapne mujhse..

aur ab kehte hain ki aapko apni mohobbat ke saath dekh jalta rahun mai..naa,itna bada parwana nahi hun mai..

HAHAHAHAHA....

pehle aunty ko dekh aur phir haath aage kar naa me hilate hue kahi aakhri baat maine jisse sun jahan ek taraf uncle joki mera aunty ke saath mazak jaante bhi the aur enjoy bhi karte the, SONU ke saath has pade,aunty ne ek baar phir apne sir par haath maar diya wahin NITS pehle ghurta raha mujhe par phir woh bhi muskura diya...


AUNTY-chalo,bohot hua mazak..ab chupchaap khana khaao...

mere baad sabko parosne ke baad khudke liye bhi khaana nikala aunty ne aur uncle ke sabse kareeb ki chair par baith gayi..

meri mom ki tarah uncle aunty ki bhi aadat thi,khaana khaate waqt baat naa karne ki..

mai bhi khaate waqt sirf khaane par hi dhyan deta tha aur SONU bhi..

haan NITS ko is time bhi chapar chapar karna acha lagta tha but apne baapu ke dar se unke saamne chupchaap hi khaata tha woh...

agle 10 se 15 minute hall me bas chammach ke plates se touch hone ki hi awaaz aati rahi..

haan,is beech SONU aur NITS ke mobiles ka message tone ek saath beep zaroor hua tha par khaane ke beech me hone ki wajah se un dono ne hi dhyan nahi diya...


MAI-wow..as always,food was amazing aunty...

AUNTY-thank you..baithe raho,halwa lekar aati hun...

MAI-oh yeah...


apni baat bol aunty toh kitchen ki taraf badh gayi jiske baad..


UNCLE-toh baccho..kya chal raha hai phir school me aaj kal..is saal ke sports trial shuru hue ki nahi...

tumhare school me toh season arrival se hi ye sab shuru ho jaata hai naa...!!!

SONU-jji unncle..aaj hi sse sshuru hua hai...

MAI-waise uncle,apne teenage me aap sports khelte the...??

UNCLE-arre puch mat beta..hockey,football, kabaddi,sab khela hai maine...

cricket ka toh puch hi mat..school me toh mere hockey hi zyada chalti thi par apne mohalle ka best player tha mai cricket me..

aur ek ye hai... sports ka naam sunte hi bhaag khada hota hai...

bas naam hi kharab kar tu mera...


NITS ko ghurte hue kahi aakhri baat uncle ne jispar...


NITS-papa,sirf mai nahi,ye SANVY bhi sports ke naam se door bhaagta hai...

UNCLE-ab beta,kharbuje ko dekh kar hi dusra kharbuja rang badalta hai...teri sangati ka kuch toh bura asar padega hi naa ispar bhi..

HAHAHAHA...


meri burayi kar NITS ko laga tha ki uncle mujhe bhi daatenge par unki baat sun SONU has pada aur NITS ka mooh bigad gaya...

wahin paani ke glass ko haath me lete hue apni baat aage badhayi uncle ne...


UNCLE-waise kaun se sports ka trail shuru hua aaj..???

MAI-wahi uncle..

"lumb dund,gol pind,chatayi me dhakadhak pratiyogita"..

PHOOOO...

HAHAHAHAHAHA....

paani pee hi rahe the uncle ki meri baat sun woh paani sidhe NITS ke chehre par udel diya unhone aur ye dekh SONU apne pet pakde hasne laga..

NITS-PAPA...yuk...

mouth shower se bheega NITS ghusse se uncle ko ek baar dekh bathroom ki taraf badh gaya...

wahin paani mooh se toh nikla hi uncle ke par shayad kuch gale me fas bhi gaya tha aur isiliye halka khaanskar us paani ko nigalte hue aankhein badi kar dekhne lage mujhe woh jispar...


MAI-cricket uncle,cricket...lumb dand, matlab bat,gol pind,as in ball, chatayi hota hai mat aur dhakadhak pratiyogita yaani match..

UNCLE-beta,kaan sidhe pakadne ki jagah yun ghumakar pakadne ka kaaran...!!!

MAI-ab aap champ thehre uncle..socha bouncer maarun..

UNCLE-dhanya ho beta tum...

SONU-shit...


mere aage haath jodte hue naatakiya tarike se kahi ye baat uncle ne jispar mai kuch kehta ki tabhi apni jagah par ek jhatke se khade hote hue kahi ye baat SONU ne jisse dekh..


UNCLE-kya hua SONU beta..???kiska message hai jo pareshan dikhne laga tu...

SONU-uncle,hamare ek friend ka accident ho gaya hai...

UNCLE-oh..kaun sa dost..aur abhi kahan hai woh...???

SONU-SATISH naam hai uska uncle.aap nahi jaante usse..abhi hospital me hai woh...

UNCLE-toh chalo..mai chhod deta hun tum teeno ko..

MAI-nahi uncle.. hum chale jaayenge...haan,ek help chahiye hogi aapki..

UNCLE-kuch bhi beta...

MAI-aapko khudse help karne ki zaroorat nahi hai..help hote hi thanks bolta hun aapko..

UNCLE-hain...!!!help hote hi thanks bolta hun..!!!ab iska kya matlab hua...???


apni tedhi baat se uncle ko confused chhod unhe smile dete hue SONU ko apne saath aane ka ishara kiya maine aur washroom ki taraf badh gaya..

NITS bhi hand wash kar hamari taraf hi aa raha tha jisse wapas ghuma diya maine aur isse pehle ki woh kuch kehta..


MAI-panga hua hai..???


SONU se puchi ye baat maine..woh bhi jaanta tha ki uske SATISH ka naam lete hi mai samajh gaya tha ki baat kuch aur hai isiliye woh bhi surprise nahi hua..

par NITS ko kuch bhi samajh nahi aaya tha par mera serious thobda dekh woh bhi kuch bola nahi...

khair,mere sawal ko sun SONU ne kuch kaha nahi, bas apna phone meri taraf kar diya...


"ARZ KIYA HAI DOSTON"...

IRSHAD,IRSHAD....


"badan se badan takraye toh tu bhi MACHALTI HOGI"...

ek baar hume bhi practical karwa de,jaisa apne bande ke upar baith UCCHALTI HOGI"....

waah waah,waah waah..


ye ek whatsapp video message tha jo SAM ne SONU aur NITS ko bheja tha jisse dekh mujhe aur NITS ko saara maajra samajh me aa gaya...


NITS-behenchod..ye SAMRAT waale lounde hain naa...!!!

aur ye kariya jo woh behuda shayri bol raha hai,ye toh NAMITH KASHYAP hai...woh DUSHYANT,jisse pela tha tune,uska best friend...

MAI-hmm...video SAM ke paas se aaya hai matlab usse ANJALI ne bheja hai...NAISHA bhi saath hogi uske..

that means,ye behuda comment un dono ko hi dekh kar bol raha hai woh...

NITS-inki maa ka chodu...aaj toh saalon ka pura hisaab kar hi dete hain..

MAI-rook be...woh NAMITH bhi yahi chahta hai...

NITS-matlab???

MAI-video phir se chala...


SONU ne woh video phir se chalaya jispar..


MAI-dhyan se dekh... ANJALI ne chhupkar nahi, normally ye video capture kiya hai aur ye NAMITH, ANJALI ke saath saath mobile ko dekhte hue woh saari baatein kar raha hai..

SONU-iskka mmatlab woh cchahta hai ki ANJJALI wwoh vvideo bbanaye aur ssend kkare..

MAI-yup..SAM ko call kar...bol hero naa bane...SAMRAT ke bohot bande honge wahan...

NITS-bohot..abbe 4 hi toh dikh rahe hain...

MAI-chutiya hi rahiyo tu...zyada laundo ko dekh pehle haath nahi chhodega SAM...

aur yahi plan hai un sabka..BAMBOOZA me baithe hain ye sab...CLOCK TOWER area ke paas ka food square hai ye..

but sabse important baat,ye jagah issi NAMITH ke baap ki hai..

C.C.T.V'S se lais...haath agar SAM ya hamare bando me se kisi ne pehle uthaya toh baaki chhupe bando se toh maar khaayenge hi par maar peet shuru karne ke liye official charge bhi lagega...


mere NITS ko situation ka saari ganit samjhaate tak SONU ne SAM ko call laga maar peet naa karne ke liye bata diya tha aur aisa karne ki timing ekdum sahi baithi thi..

kyunki SAM aur uske saath EKPREET aur RAJAT is waqt BAMBOOZA ke entrace ke paas hi khade the...


MAI-thanks for the help uncle...


haath dhokar bahar jaane ke liye nikal chuka tha mai aur hall par baithe uncle ko dekh smile dete hue kahi ye baat maine aur main door se bahar nikal gaya..

SONU aur NITS bhi saath the mere....


UNCLE-phir thanks...arre ab toh bata,kis baat ke liye thanks....

aunty ke saath jinke haath me ab bhi mera favourite moong ka halwa tha aur jiska lutf mai ab utha nahi sakta tha, hamare piche aate hue pucha tha unhone ye sawal par aage bol nahi paaye woh..


REASON..


mere thanks ka reason practically dekh jo rahe the woh..

is waqt mai,NITS aur SONU uncle ki HONDA CITY me baithe the..

chaabi maine pehle hi nikal li thi jo ab car ki ignition ko start bhi kar chuki thi aur ye dekh aankhein badi karte hue..


UNCLE-oye,gaadi aati bhi hai chalani ya apne friend se seekh ek aur accident karani hai tujhe...


aage bhi kehte uncle par keh nahi paaye kyunki bade araam se pehle car ko halke right ki taraf back kar tezi se stearing ghumakar maine car ko sahi disha dete hue aage di thi..

NITS ke ghar ke main gate ka complete diameter gap kareeb 8 feet ka tha jisme uncle bade araam se car ko enter aur exit karwaate the par maine ek achi speed ke saath gate cross kiya aur car road par utaar di thi jisse dekh ek thandi saans chhodi uncle ne aur...


UNCLE-ye ladka ek din apne baap ka bhi baap banega...

AUNTY-kya matlab...???kya SANEEL bhai sahab bhi aise hi the...!!!

UNCLE-woh kya the,ye toh mai bhi kabhi samajh nahi paaya tha..

bhabhi ki tarah kisi tarah ke banker the woh par meri bigdi kismat ek phone se hi chamka di thi unhone..

kahan apna mill band kar kisi aur jagah jaane ka sochne laga tha mai aur unke ek baar kehne bhar se yahan ke saare camps ka life time tender mil gaya mujhe...

AUNTY-par in sabme SANVY ko kaise joda aapne...???

UNCLE-yaad hai pehle har sunday piche waale maidan me football khelta tha mai..

AUNTY-haan...

UNCLE-ek din hamare khelne ke douran SANEEL JI wahan se guzre the toh maine unhe hamare saath khelne ka pucha tha jispar kaha tha unhone ki "football hamare bas ki baat nahi"...

phir ek din pisaan (atta)delivery ke liye camp gaya tha mai aur tab wahan ke afsaron ke saath SANEEL JI ko football khelte dekha tha maine...

jiske bas ki football nahi thi,us din maine usse 5,5 logon ko akele hi nachate dekha tha..

wahan moujud kuch aur afsaron se pata chala tha mujhe ki woh paanch log jinhe SANEEL JI baccho ki taraf jhaka rahe the, unme se teen ne state aur 2 ne division level tak khela hua tha football..

unke pair se ho rahe chamatkar ko dekh lag gaya tha mujhe ki samandar hai SANEEL AHARYA jiski gehrayi ka sirf andaza hi lagaya jaa sakta hai par usse naapa nahi jaa sakta..

aur ab wahi ehsaas mujhe SANVY ko bhi dekhkar aati hai...iski aankhein, unme dikhta beshumar confidence kuch aisa hai jisse agar koi pratidwandi dekh aur samajh le toh maidan me utarne se pehle hi bhaag khada ho..




BACK TO SANVEER:-




BHOSDIKE,GAANDU,LOUDE KE BAAL...SAALE, MOUT KE KUEN ME CHALA RAHA THA KYA BHOSDIKE CAR...


theek BAMBOOZA ki parking ke saamne car roki maine jiske baad abtak meri driving se dar aankh band kiye baithe NITS ne kholi apni aankhein aur seedhe bakne laga mujhe jispar bina uski taraf dhyan diye car se utar gaya mai aur ye dekh..


NITS-bhoshdike,agar gaadi thuk jaati toh mera baap tujhe toh kuch bolta nahi,mujhe zaroor thok deta..

MAI-thuk jaati toh naa.thuki kya...!!!???

NITS-haan,ehsaan kar diya bhosdoke tune..saale,agar dobara MICHAEL SCHUMACHER bana na tu toh bata dunga aunty ko ki unki bank ki car tu hi raat ko bhaskakar sikhne jaata tha...

MAI-ye bhi bata dena ki keys churane unke room tu hi ghusta tha...

SONU-abbe,yye ttoh kkitne llog hhain..


meri baat par NITS react karta ki tabhi SONU ki kahi baat sun uski nazar padi saamne..

is waqt hum teeno BAMBOOZA ke entrace ke paas hi khade the...

glass covering se bana tha BAMBOOZA ka wall isiliye andar ka scenes hume saaf dikh rahe the..

is waqt left corner seats par baithe the ANJALI, NAISHA, RASHI jinke paas hi khade the SAM, EKPREET aur RAJAT..

jabki right ka pura area covered tha SAMRAT ke loundo se..

koi aur customer nahi tha wahan..

un sabhi SAMRAT waasiyon ke beech me baitha tha woh kariya NAMITH jo lagatar kuch na kuch bol raha tha joki i am sure ki waisi hi nonveg below the belt shayriyan aur slangs thi jiska ek sample mai SONU ke phone par dekh chuka tha....


(NAMITH-height lagbhagh mere hi jitni par rang gehra saawla...BAMBOOZA jaisi behatarin food square ka owner hai matlab paise waali party par chehre ki taraf dil se bhi kaala..iske baare me kaha jaata hai ki ye mooh chod bohot bada hai...sabko chholte rehne aur khud ko superior dikhane me bada maza aata hai isse)


anyways, NAMITH ki ghatiya comments ke baad bhi naa toh SAM kuch react kar raha tha aur naahi EKPREET, RAJAT...

ab ye ek sahi cheez thi kyunki un teeno ko bhadkana aur ladhayi shuru karwana hi toh us NAMITH aur uske doston ka maksad tha...

par un teeno ke shaant rehne ke kaaran hi ab SAMRAT ke woh chuppe bande bhi saamne aakar un teeno ka mazak udaa rahe the...

in sabke beech ANJALI,RASHI aur NAISHA bhi shaant hi baithe the but mujhe pata tha ki jis tarah ki baatein NAMITH kar raha tha,usse kitne uncomfortable feel kar rahe honge woh teeno...

par phir bhi woh wahin the..

REASON...

SIRIUS....

school ke andar ho ya bahar..mudda sahi ho ya GALATH...

SIRIUS waale haar maanana nahi jaante the..

competition me un sabke liye SAM akela kaafi tha aur yahan jo situation thi,uske liye mai un sabke liye zaroorat se zyada taklif deh tha..

aur mai aa raha hun,ye jaante the girls isiliye badi himmat aur sabr se baithe the woh teeno us gandagi ke beech..


NITS-dekh kya raha hai be..chal,chalkar maa chodte hai sabki...

MAI-maar peet yahan nahi kar sakte apan.. reason pehle hi bata chuka hun mai..

par agar kar bhi sakte, toh bhi filhal haath pair naa chalata mai...

SONU-kkyun...ahhiinsa kka vvrat llaga hai ttera abhi...


MAI-talwar ki nok ke aage bandookh ki nali nahi rakhi jaati...

jab ladhayi zubani shuru ki gayi ho toh palatwar bhi zubaani ki jaati hai beta...

shabdon se khelne ka bohot shouk hai lounde ko..

aur har shouk ko shock me badalna SANVY ko ache se aata hai..

rahi baat iski kutayi ki,toh woh bhi hoga aur woh bhi issike bune jaal me isse fasaane ke baad...


ye bol mai,NITS aur SONU BAMBOOZA ke us kaanch ki pardarshi gate ko kholte hue andar ghus gaye aur tabhi...

ek saath do reaction hue..

jahan ek taraf mere dost aur teeno girls hume dekh khush hote hue smile karne lage wahin dusri taraf BAMBOOZA ke teen chowthayi bhaag ko ghere baithe aur bhadde mazak karte SAMRAT ke bando ka khema jo kareeb 25 ke aas paas tha,woh khamosh sa ho gaya..

un sabke mujhe ghurte chehre khud hi ye gawahi de rahe the ki waakif the woh sab mujhse..

par un sab ghurti nazaron ke beech do 4 nazarein, 2 chehre aise bhi the jinme mujhko dekh ghusse se zyada dar tha...

ye dono un sab loundo me se the jinki kuch din pehle DUSHYANT ke saath pelayi thi maine..

maathe par patti aur haath me plasters chhadhe hone ka baawjud unka yahan hona is baat ka saboot tha ki maar phir bhi kam hi padi thi in dono ko aur gaand me chul kuch zyada hi thi isiliye sabak ab bhi naa sikha tha inhone..

khair,enter karte hi apne group ke paas pahunch gaya mai aur ye dekh..


NAMITH-toh tu hai SANVEER..saala,mai toh socha tha ki koi maacho,hatta katta banda hoga tu lekin sukhe hue chhuware se zyada toh nahi lagti teri body...

MAI-aag ki ek halki lou bhi jalan puri paida karti hai... yakin na ho toh haath laga ke dekh...

ye sukha hua chhuawara tere sharir ke maans ko unke andar chuppi haddiyon ke saath milakar dikha dega...

NAMITH-yahi toh baat hai..!!!!maarna hota toh ab tak tere in teen doston ki har haddi ko tod chuke hote hum...

aur is waqt mujhe kori dhamki dene ki jagah in teeno ko hospital le jaane ke jugaad me laga hota tu...

MAI-maksad tera yahi tha beta jo pura sirf isiliye nahi hua kyunki teri jaahiliyat se bhari baaton ko sunane ke baad bhi reaction kuch naa mila tujhe...

aur bina inke pehle waar kiye yahan khudse toh nahi naa maar sakte tum inhe..

ek aur baat me thoda GALATH hai tu...ho sakta hai ki agar ye teen saamne se bhidte toh tum sab milkar inki hospital pahunchane waali haalath kar dete..

par agar aisa hota toh agle 24 ghanton me tum sab bhi ussi hospital me in teeno ko company de rahe hote..

yakin naa ho toh apne dost DUSHYANT se puch lena..waise gawah yahan bhi hain....

kyun be, jhuth toh nahi bol raha mai..???


unhi dono loundo se jinhe kuch din pehle DUSHYANT ke saath kuta tha maine,dekh kar bola mai jispar woh dono hi idhar udhar dekhne lage..

wahin DUSHYANT ka naam sun kuch pal ghura mujhe NAMITH ne par phir..


NAMITH-us baat ko naa DUSHYANT bhula hai,naa mai aur naahi SAMRAT...

waise bataya mujhe DUSHYANT ne ki usse maarne ke baad koi shayri,koi dialogue bola tha tu..

hume bhi toh suna kuch..

MAI-kahin bahar mil..uske jaisi teri bhi haalath kar deta hun aur phir jab dard bardasht naa kar paane ki wajah se behosh hone lagega tu,tab sunaunga tujhe dialogue...

SAMRAT-see now that's the thing i am talking about...tum SIRIUS waalon ke paas har problem ka bas ek hi solution hota hai..

maar peet...

baat mai shabdon ki kar raha hun, samajh tujhe haath pair chalane ki aa rahi hai...

beta,zubani jung ka hathiyar dimag hota hai jisse istamal kar ladhayi jeeti jaati hai..

par shayad SIRIUS waalon ke paas baaki sab toh hai bas dimag nahi..

isiliye hi toh itni der se tere in SIRIUS ke superstars ke saamne unki girls ki izzat utaar raha hun mai par bebas goongo ki tarah ghurne ke alawa kuch bol hi nahi paaye ye...

MAI-EKPREET SINGH BAL... INTER SCHOOL LEVEL SWIMMING CHAMP...

RAJAT AGRAWAL-INTER SCHOOL LEVEL LONG TRACKS,POOL AND T.T CHAMP..

& SAM-INTER SCHOOL LEVEL CHAMPION..

jis bhi sports, acadamics me participate kiya hai isne,jeet SIRIUS ki hi hui hai...

aisa koi bhi qualification, achievement gina de tere SAMRAT waale kisi bhi ek bande ka toh sir jhuka lega SANVEER AHARYA tere aage...

beta, kisi bhi department ke koi bhi competition me jisse SIRIUS jeetathi hai,SAMRAT ka us list ke runner-ups me bhi naam nahi hota aur tu hume,SIRIUS waalon ko judge kar raha hai...

NAMITH-isiliye mere aage mooh band....

MAI-band isiliye tha inka mooh kyunki tu jo kar raha tha,woh inka criteria nahi hai...

SIRIUS ko illegal aur avaidhya tarike se push karne waale se nipatne ki zimmedari SANVEER AHARYA ki hai...

kuch din pehle yahi kaam tere dost DUSHYANT ne kiya tha aur us kachre ko saaf kar usse uski sahi jagah maine hi dikhayi thi..

aaj teri baari...

NAMITH-kaise,mujhe maarke..dude,maine bola naa ki..

MAI-zubani jung ka hathiyar dimag hota hai jisse istamal kar ladhayi jeeti jaati hai..yaad hai mujhe..

NAMITH-aur tujhe lagta hai ki you can beat me in words...???

BETA,NAMITH IS THE DEBATE CHAMPION OF SAMRAT... OFFICIALLY AUR NON OFFICIALLY,NAMITH KING HAI SHABDON KE SAATH KHELNE ME...


NAMITH ke ek friend ne aage aakar kahi ye baat jispar NAMITH smile karne hi waala tha ki tabhi..


HAHAHAHAHA..

SONU aur NITS ke saath itne der se khamosh khade hue SAM, EKPREET aur RAJAT zor se has pade..

ANJALI, NAISHA aur RASHI ke faces par bhi smile thi jispar un sabko halki hairani se dekhne laga NAMITH...


NITS-kya bola tu...KING OF WORDS... CHAMPION OF DEBATE...

tutututu..waise galti bhi naa hai teri...kuwen ke mendhak ko toh yahi lagta hai kuwen se gehra kuch nahi...

but let me tell you something...

beta, SANVY ke saamne khada hai tu..bina haath lagaye, sirf bolkar teri pichwade me fase mendhak ko samandar ki gehrayi napwa dega ye..

KING se kata hua LING banaane me waqt nahi lagata ye...

EKPREET-oh beta ji,laaya bhai,laaya...


jahan NITS ki baat sun taali maarte hue kahi ye baat EKPREET ne wahin ek baar un sabko aur phir mujhe ghurne ke baad...


NAMITH-dekhte hain..kaun kisko gehrayi napwata hai..

toh pesh hai aap teeno ki taarif me ek desi aur jungli RAP...


ANJALI, NAISHA aur RASHI ko dekh kahi ye baat NAMITH ne jiske baad..


NAMITH-give me the beat guyz...

FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICKFUCK...


NAMITH-


chehre par teri LAALI THI..
tu piya se chudne WAALI THI...

koi aur aaya CHOD GAYA..
lehenge pe lauda POCH GAYA...


FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICKFUCK


tum humse chudo ya GHODE SE..
ya guptaji ke LOUDE SE..

tumhe chudna hoga RAAT ME..
phir roti rehna BAAD ME....


FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICKFUCK


yahan dhol nagaade BIN BIN...
yahan ek ke upar TEEN TEEN...

tujhe patak ke chodu MASTI ME..
mujhe mili randiyan SASTI ME....


kaisa laga...???

awesome man,just awesone...

HAHAHAHAHAHAHA...


apne us achopan ki hadh ko chhune waali baaton ko jisse NAMITH rap keh raha tha,kehne ke baad ANJALI, NAISHA aur RASHI ko dekh pucha ye sawal NAMITH ne jispar jahan ek taraf uske dost uski taarif karte hue hume dekh hasne lage wahin girls aur unke saath hamare saare boys ke bhi jabde sakhti se bheenche hue the..

NAMITH-your turn man..show me what you got...???


dono baahein failate hue kahi ye baat NAMITH ne jispar mai palath girls ko dekhne laga jispar...


NAISHA-hume kya dekh raha hai...teri shudh vaani sunane ke liye hi ab tak in do tuke ke defaulters ke beech baithe hue the hum...

RASHI-bohot suna hai maine ki SANVY sirf apni zubaan se saamne waale ki kaan se khoon nikal deta hai...

dekhna hai aaj mujhe...

ANJALI-aur is baar beat hum denge...girls...!!!

DONO-oh yeah..


teeno ki baat sun halki smile karte hue wapas saamne NAMITH ko dekha maine aur...


MAI-ok then..give me the beat girls...


TEENO-


FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICKFUCK



teri gaand jo itni KAALI HAI...
CHUTTAD ke naam pe GAALI HAI...

kabhi nunu thi,aaj LOUDA HAI...
phir bhi tu gandu THODA HAI...


FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICKFUCK


jahan paani tha us GOTTE SE..
tu nikla hai loude MOTE SE...

tu paidaish ek RAAND KA..
par chut nahi re GAAND KA...


FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICK..FUCKDICKDICKDICKFUCK


kutte ki nikli TATTI TU....
suwar ke lund ki HADDI TU....

tere ghar me pada tha CHAAPA HAI..
100 se zyada tere PAPA HAIN....


kaisa laga..???

prabhu,prabhu,prabhu....nailed it bro..u just nailed it...

HAHAHAHAHAHA...


jahan apne haath jode mere paas aakar jhukne lage the mere sabhi dost wahin girls zoron se has padi thi...


NAMITH- CCTV band karo re...

behadh tez awaaz me chillaya NAMITH jiske baad laptop par baitha banda turant harkat me aaya...


wahin NAMITH ki baat sun ek behadh halki smile naach uthi thi mere face par jisse woh mere saamne khade hone ke baad bhi dekh nahi paaya....

DONE...

jaise hi laptop waale bande ne ye shabd bola...


MADAR.......


lagatar mujhe khunnas se ghurte NAMITH ne gaali se shuruat karte hue mere mooh par punch maarne ki koshish ki par naa toh uski gaali puri ho paayi aur naahi uska punch apna kaam kar paaya...

KRR...AHHHHHH

tezi se halka right ki taraf ghuma mai aur agle hi pal NAMITH ka haath uske elbow se hold hokar meri grip me tha aur aisa hote hi apne dusre hatheli se uske haath ke jod par pressure banate hue ek jhatka sa diya maine jiske baad halki awaaz ubhri NAMITH ke kandhe se jiske baad ek gaand faad cheekh uske mooh se nikal gayi..

shoulder dislocate kar diya tha maine uska par uske baad bhi uske ussi har pal soojte haath ke sahare NAMITH ko apni taraf ghumaya maine aur back to back 4 punches maare maine uske mooh par..

naak,gaal aur honth ke neeche aur side se khoon ki ek moti dhaar si nikal padi uske.

wahin ye sab itni tezi se hua tha ki NAMITH ke doston ko kuch samajh me hi nahi aaya tha..

upar se NAMITH ke mooh se nikli zordar cheekh aur phir khoon se sane chehre ko dekh gaand fath gayi thi un sabki par quantity zyada thi unki..

issi criteria se khudko benifit of doubt dete hue meri taraf tezi se badhne ko hue woh sab par tabhi....


DHAKKKHHH...

entrance door khol andar bhadbhadkar daakhil hue SIRIUS ARMY...

kareeb 40 students the woh sab jinhe car me baiththe waqt hi SONU ne yahan bulwa liya tha.

par jab SAMRAT ka koi banda humpar saamne se waar nahi karta,tab tak unhe chuppe rehne ke liye kaha tha maine aur NAMITH ke mujhpar waar karte hi woh bandish toot chuki thi..

sabhi ke haath me hockey,road stick,chains aur koi na koi pelna ka zariya tha jisse dekh naa sirf SAMRAT waale bando ke aage badhte kadam apni jagah rook gaye balki ab un sabke faces par dar dikhne laga tha...


MAI-pent,chaddi,dono kholo apni apni aur nange ho jaao loudo...


meri baat sun chupchaap hi khade rahe woh sab jispar mere pass hi SIRIUS ke ek bande se maine turant chinni uski hockey stick aur...


DHADHHH...DHADHHH...DHADHHH...

NAMITH-ahhhh...bhai,bhai,bhai...maaf kar de...maaf kar de bhai..aahhhhh...maa kasam, phir kabhi nahi karunga..ahhhh..bhai..

please bhai....aahhhhh....

MAI-maine bola maadarchod nahi karne..

DHADDHHHH..

kar na tu.. DHADHHHH..jitna man kare kar...


tezi se chali meri hockey stick NAMITH ke sharir par jispar maafi ki guhaar lagane laga woh par mai saale ko maarta hi raha..

par kuch der baad jab apni hockey stick ko rok saamne dekha maine toh aadhe se zyada SAMRAT waasi apni pent khol chuke the...

kuch ne chaddi bhi khol di thi par mere unki taraf dekhte hi baaki bache sab bhi jaldi se khudko unchain karne lage..

ek minute ke andar BAMBOOZA me moujud sabhi SAMRAT ke lounde neeche se nange the..

wahin NAMITH neeche zamin par pada karaah raha tha par jab meri nazar uspar padi toh apne bache ek sahi salamat haath se woh bhi apni pent utarne laga...

is beech itne saare nange ladko ko dekh ANJALI, NAISHA aur RASHI toh pehle hi yahan se haste hue nikal chuke the..

ANJALI ne toh nahi par yahan se jaate waqt baaki dono ne aankhon hi aankhon me thanks kaha tha mujhe...

RAJAT, EKPREET,SAM,SONU aur NITS toh ardh nange SAMRAT ke bando ko dekh pet pakadkar has rahe the...

ab tak kisi tarah NAMITH ne bhi apni pant aur underwear utaar di thi jiske baad...


MAI-NITS,bana be video sabki..

NITS-bana li bhai....is saale NAMITH kariya ki toh lulli itni kaali hai ki VIDEO me invisible dikh raha hai...


pehle meri aur phir NITS ki baat sun saare SAMRAT waalon ke mooh khul gaye the..

kuch bolne ko hue woh sab par meri haathon me ghumti hockey stick ko dekh chup reh gaye.

AHHHHH...

NAMITH ke baal pakad unhe kheenchte hue uthaya maine usse jispar dard se chattpatatha hua kisi tarah khada ho gaya woh.

par jitni maar maine usse maari thi, uske upar uska dislocated shoulder...

accesive pain ho raha tha NAMITH ko jo ab uske bardasht se bahar hone laga tha...

isiliye dheere dheere behoshi ki taraf jaane laga tha woh jisse dekh maine smile kiya aur...


MAI-yaad hai,kya kaha tha maine....

tere us dost DUSHYANT ki tarah jab dard bardasht naa kar paane ki wajah se behosh hone lagega tu,tab sunaunga tujhe dialogue...

toh sun ab...




jitne bhi bhide hain humse,sabke sab MARE HAIN...

SIRIUS waale hain hum,naa kisi ke aage jhuke hain aur naa kisise DARE HAIN...

humare saamne aane se pehle kadh toh naapa hota apna...

jeetna chhod,hamari race me hissa lena bhi teri aukaad se PARE HAI...












AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V...J...
Ek chaal mein paasa paltna koi Sanvy se seekhe. Ek dum mast.
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NITS KE DAD APNI WIFE KO SANEEL AHARYA SE JUDA EK KISSA SUNATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SANVY NAMITH KO PUNISH KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-11


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





GOOD MORNING AUNTY...

SAALE,TU ABHI TAK TAIYAR NAHI HUA..AUR YE NAWABO KI TARAH POSE MAARE KAR KYA RAHA HAI TU..??


mere ghar me ghuste hi pehle MAA ko dekh namaste kaha tha NITS aur SONU ne jiske baad un dono ki nazar padi sofe par baithe mujhpar aur mujhe dekh kuddhte hue apni baat kahi NITS ne..


REASON...


us waqt mai ek behadh dheeli t-shirt joki asal me mere dad ki thi,usse pehen sofe par kisi nawab ke pose me baitha hua tha mai.

neeche bhi jeans, snicker ya trouser nahi balki ek dheela pajama pehna hua tha maine.

mujhe yun dekh jahan ek taraf MAA ji ki vegetables kaat rahi thi,woh sir halka neeche kiya has rahi thi wahin SONU aur NITS jinhone kareeb ek ghante pehle hi phone karkar mujhe taiyar rehne ko bola tha,ghusse se bhar uthe aur dhadhdhadaate hue mere paas pahunch mujhe lapetne ko hue par tabhi..


MAA-arre relax baccho...woh taiyar hi hai...tum dono ko tang karne ke liye shirt ke upar apne dad ki t-shirt aur trousers ke upar pajama pehne baitha hai ye...

MAI-kya MAA...thodi der rook nahi sakti thi..


apni baat bolte hue us t-shirt aur pajame ko utaar diya maine..

white shirt of gehri khaakhi rang ke trousers pehne the maine jisse dekh...


SONU-kkya bbaat hai.. bhai appna smmart llag rraha hai...

NITS-kaaika smart..bandar ko kapde pehna diye hain,waisa lag raha hai..

MAI-toh sidhe sidhe bol naa teri tarah lag raha hun...

NITS-teri toh..ab uthega ki yahi pasre rehna hai..

MAI-pehle do baaton ka jawab chahiye mujhe..

pehli...ye clear karo ki jaana kahan hai..???bas taiyar reh,hum aa rahe hain,itna hi bola tha tune...

dusri-hamari shaan ko aur badhane ke liye car aayi hai yaa tum dono bas khudka manhoos mooh uthaye aa gaye ho...


meri baat sun SONU aur NITS,dono ne hi kuch pal ghura mujhe par phir..


NITS-car me hi aaye hain be...mera baapu mere naam se kuch de naa de,tera naam lete hi sab de deta hai...

SONU-driver uncle ke saath car bheji hai uncle ne..

MAI-driver uncle ki kya zaroorat..!!!hum khud.

MAA-tum khud kuch nahi chalaoge beta...driver bhaiya ke saath hi jaana padega tumhe..

din ka waqt hai,raat ka nahi..jahan tu NITS ke through car keys churakar chupchap car lekar nikal pade aur raaste me koi roke nahi..


MAA ki baat sun mai halka muskura pada par SONU aur khaaskar NITS ke mooh khul chuke the..

jisse woh apna secret samajh rahe the, MAA ko pata jo thi unki woh harkat..


NITS-aunty woh,mai naa is SANVY ke kehne par hi..

MAA-relax beta..itni shaitaniyan bhi zaroori hai nahi toh life boring ho jaayegi...

waise jaa kahan rahe ho tum sab jo aaj t-shirt me nahi, formal wear me ho..

SANVY ko bhi aisa hi ready rehne bola tha tumne...

SONU-wwo aunnty,hhamari ekk ffriend kki mmom ka STTEFERT SAROVVAR HOTEL me art exhibbition hhai.

hhum tteeno wwahin jja rrahe hhain...

MAI-let me guess...RASHI ki mom ka..


NITS ko ghurte hue kahi ye baat maine jispar apne khisse niporne laga woh..

MOM-arre waah..is she good...???

NITS-first time dekhenge aunty...waise bhi,hume toh arts, painting ka koi knowledge hai nahi...

woh toh RASHI ne puri gang ko invite kiya, isiliye jaa rahe hain..

MAA-jaana bhi chahiye aur ab jab jaa hi rahe ho toh koshish karna un paintings ko feel karne ki..

"aksar tarashi hui tasvire zindagi ke maayne sikha deti hain"...

MAI-bhains ke aage bin baja rahi ho aap MAA...inhe nahi aana kuch samajh...

SONU-hhaan aur ttu toh hhar painting ppar kkitab likh degga nna...

NITS-aur nahi toh kya..khud ke liye kaala akshar bhains barabar hai aur humare knowledge par comment karta hai...

MAI-knowledge...gyan ki bhi buddhi brasht ho jaaye jo tere mooh se apna naam bhi sun le woh...

chalo ab..aa raha MAA...

NITS-abbe aa raha nahi jaa raha hai tu...

MAA-jaakar wapas bhi toh loutega naa... isiliye jaate waqt aa raha hun, aisa kehte hain...

NITS-dekh be,ek gyan yahin mil bhi gaya mujhe aur mai seekh bhi gaya..ab naa ho rahi buddhi brasht gyan ki...

MAI-aur le le thoda gyan..mai aata hun exhibition se..

NITS-abbe rook...aa raha hun mai bhi aunty..

SONU-mmai bbhi..


mere piche lapakte hue kahi ye baat dono ne jispar MAA bas muskura uthi..

kuch hi palon me hum teeno hi NITS ke baapu ki honda city me the.. darwaze se mom hume hi dekh rahi thi aur gaadi ke aage badhte hi unhone door band kar diya tha..


IN THE CAR:-


ab batao sir..kya sochkar RASHI ki mom ke exhibition me jaane ka kasht kar rahe hain aap..???

saale, kuch bhi kar le,nahi pat sakti woh tere se gaandu...

NITS-kyun nahi pategi be..??aur tu saale,mujhe support karne ki jagah bas maarte hi reh meri..

khud toh apne liye koi na koi jugaad bana hi leta hai,aur hamari baari aati hai toh gaand dikha deta hai..

MAI-jahan jo dikhana chahiye,wahi dikhata hun mai..aur saale, RASHI hai ek alag league ki bandi..

nahi milega be tum dono ko yog...

SONU-aaisse kkaise...ttujhpe bbhi ttoh ussne ssamne sse intterest dikkaya ttha..

saammne se nnumbber ddiya ttha ussne ttujhe..wwoh ttoh ttune hhi intterest nnahi dikkhaya isiliye bbat aagge nnahi bbadhi ttum ddono kke bbeech..

NITS-aur tu hamare league se alag hai kya be...???aur mai toh interest dikha raha hun..mujhse kyun na pategi woh..??

MAI-kyunki usse power, influence waali company ke saath rehne acha lagta hai..

ab dhyan se sun RASHI BEHAVIOUR ANALYTICS & ENCYCLOPEDIA..

sabse pehle uski friendship hui thi us gaandu ROHAN se..

ab ROHAN jaise chutiye se koi uske behaviour ko lekar toh dosti karega nahi..

obviously,school me uski reputation ki wajah se impressed hui thi RASHI usse..

SATTU se RASHI ke baare me info ke dauran ye baat note ki thi maine aur isiliye uski class ki taraf tab gaya mai jab ROHAN bhi wahan aane waala tha...

aur shuruat me jab mai uski class me gaya,usse baat ki toh mujhe koi khaas bhaav nahi diya tha RASHI ne...

lekin jab ROHAN class me aaya aur mujhe dekh darne laga,tab pehli baar maine RASHI ki aankhon me apne liye interest waale bhaav dekhe the...

isiliye mai bina kuch aage kahe wapas lout aaya tha kyunki mai jaanta tha ki ab woh khud mere piche aayegi..

aur hua bhi aisa hi...uske section change karne ke piche bhi reason yahi tha..

RASHI bhaamp gayi thi ki hamara group ROHAN ke group se zyada strong hai isiliye usne waisa kiya..

bottom line, RASHI ko ye love shuv me filhal koi interest nahi hai..

usse bas influencual aur strong logon ke beech rehna hai jo woh hai ab..

toh chaahe kar de propose,par jab gaand ke saath dil tootega toh hugne mere paas may aayiyo..

NITS-louda tutega dil.. sirf attraction tha aur woh bhi nahi hota agar ye saari baatein pehle hi bata deta tu.. chutiya saale..

modo driver uncle gaadi..nahi jaana hume kisi exhibition me..

MAI-kyun nahi jaana be..!!!matlab gf nahi ban sakti toh frendship bhi gayi tel lene..

hum toh jaayenge..tu utar bhosdike..utar...

NITS-louda utrega mera..mai bhi jaaunga..


ye bol halka mooh phulakar baith gaya NITS par jab mai aur SONU usse ignore kar khudme hi bakarchodi karne lage toh ek ek hume chipkane ke baad woh bhi hamare saath mast ho gaya...



THE STEFERT HOTEL:-


AUR MUJHE LAGA ART EXHIBITION ANDAR HAI..


white colour ki short shirt aur blue colour ki jeans pehne ek khubsoorat bala joki KHANAK thi aur is waqt STEFERT SAROVAR HOTEL ki boundries ke entrance par bane garden me akeli khadi apna mobile scroll down kar rahi thi,SONU aur NITS ke saath uske paas jaate hue kahi ye baat maine...


KHANAK-hey guyz.. exhibition toh andar hi hai..

MAI-phir kala ki sabse khubsoorat jeevit pratima bahar kya kar rahi hai..???


meri baat ya phir ye kahun ki khudke liye compliment ko sun halka blush karne lagi KHANAK par phir..


KHANAK-stop it SANVY...???

MAI-stop..!!!maine toh ab tak shuru bhi nahi kiya kuch...

NITS-haan toh apna engine band hi rakh..waise jisne hum sabko invite kiya hai,woh madam kahan hain..???

KHANAK-RASHI...pucho mat yaar..5 se zyada baar call kar chuki hun..usse bhi aur SAM, EKPREET, RAJAT, NAISHA aur ANJALI ko bhi..

sabke sab bas pahunch hi rahe hain,ye bol bol kar ab tak pahunche hi nahi...

tumhe bhi toh lagaya tha..

NITS-aur hum aa gaye..

KHANAK-thank GOD for that..waise SANVYJI,aapka number nahi hai ab tak hamare paas...

MAI-i don't use a mobile..

KHANAK-woh pata laga mujhe..but kyun..?? actually,rehne do..mujhe reason nahi jaanana...bas tum turant mobile lo...

MAI-ab aapne kaha hai toh le lenge madam..

SONU-arre wwaah..hhume ttoh hhumesha ttarka ddeta hai..

MAI-shakal nahi hai naa tum dono ki aisi jisse dekh mooh se haan nikle...

SONU-abbe tteri ttoh..

MAI-chup be...

NITS-lo,aa gaye sab....


parking me joki jahan is waqt hum khade the,usse zyada door nahi thi,enter hui ek red colour ki AUDI Q-2 joki SAM ki thi aur ussike piche thi RASHI ki grey colour ki mercedes benz GLA...

apni apni car se nikalte hi un sab ki nazar hum par padh gayi isiliye hume wave karte hue woh sabhi hamari taraf badh gaye aur hamare paas aate hi..


SAM-whats up buddy...???


sabse baari baari side hug kiya maine aur phir NITS aur SONU ne jiske baad..


ANJALI-tu kitni der pehle pahunchi KHANAK...

MAI-punctual log on time hi pahunchte hain..

SAM-waah beta.. khud hi late karwaya tha kal raat ko tune...aur abhi taana de raha hai..

KHANAK-kal raat ko..!!!

EKPREET-haan woh BAMBOOZA se nikalne ke baad hum icecream joint chale gaye the.wahi M.G road waali jo 24/7 khuli rehti hai..

is SANVY ka hi plan tha..but wahan se nikalte nikalte midnight ho gayi thi..

KHANAK-par ye plan toh mujhe bataya nahi gaya tha.

NAISHA,-bata dete toh bhi kya ho jaata..tera toh 7 baje ke baad cerfue lag jaata hai...

par acha hi hua jo tu nahi thi kal..hum sabka toh hamesha ka hai par shayad tu kal jo ho raha tha,woh handle nahi kar paati..

KHANAK-matlab..!!kya hua tha kal..???


NAISHA aur ANJALI ne kal jo bhi hua,woh KHANAK ko bata diya jisse sun uski aankhein badi ho gayi.


KHANAK-itna sab ho gaya aur tu keh rahi hai ki tum sabke liye normal tha...

rookne ki zaroorat hi kya thi..jab un logon ne comment karna shuru kiya toh nikal nahi sakte the chupchaap..

MAI-chupchaap..hum SIRIUS waale hai madam..chup hum nahi,hamare saamne waala hota hai..

KHANAK-acha..abhi toh mai hi saamne tumhare..karao chup mujhe..


mujhe ghurte hue kahi ye baat KHANAK ne jispar..


MAI-kahan hai yaar tu RASHI... khud bulati hai aur khud hi gayab ho jaati hai...


RASHI jo formal hie hello ke baad hotel ke andar chali gayi thi,usse wapas aata dekh kahi ye baat maine jisse sun jahan ek taraf baaki sab mere KHANAK ki baaton se bail out ko dekh has diye wahin KHANAK bas mujhe ghurti hi rahi...


RASHI-call toh kiya tha maine SAM tumhe..you didn't pick up...

SAM-really..!?oh shit... silent tha phone yaar..


apne phone ko wapas ringing me karte hue kahi ye baat SAM ne jispar..


RASHI-lets go guyz... exhibition shuru ho gaya hai....


apni baat bol RASHI aage badh gayi wahin hum sab bhi uske piche ho liye..

THE STEFERT SAROVAR jheel ke kinaare bana ek paanch sitara hotel tha jiski khubsurati dekhte hi banti thi..

kareeb 2 acre khestra fal me faile is khubsoorat imaarat me kul 2 swimming pools the jisme se ek second floor par gym ke bahar bana indoor heated pool tha...

kul 10 manzila unche is imaarat ke har floor par ek ek hall tha jisme se sabse bada hall neeche ground floor par hi tha aur yahin par aaj RASHI ki mom ka art exhibition rakha gaya tha.

hotel ki khubsoorati ko nihaarte hue hum sab art exhibition ke entrance par pahunch chuke the jahan RASHI ke saath hone ki wajah se hume enter karne me koi taklif nahi hui...


ANJALI-wow yaar.RASHI,kya ye saari hi paintings tumhari mom ne banayi hain..!!!


exhibition me enter karte hi chaaron taraf tange kala ke behatarin namuno par nazar ghumate hue ye taarif ki thi ANJALI ne.

ANJALI ko bhi paintings ka bohot shouk tha aur isiliye hum sabme woh is jagah ko dekh sabse excited thi...


RASHI-haan ANJALI.ye sab mom ki banayi paintings hain..she doesn't like to co-exhibit...

ANJALI-well i must say.. paintings ko dekh kar ye saaf pata chalta hai ki your mom is quite a talent..sere genius...

RASHI-that she is..and she loves and adores talented people..SAM,maine bataya tha unhe ki you the the CHAMP of our school,infact the best student in all of dehradun..

unhone kaha tha tumse milwane..dekhna,bohot khush hongi woh tumse milkar..

RASHI ki baat par SAM bas smile kar gaya par maine halka sa sir shake kiya..

RASHI naam ki is water flow ke bahav ka kaaran jo jaan gaya tha mai...

RASHI-there she is..my mom..


ek disha ki taraf point karti jahan ek typical spanish apperance ke saath lagbhag 42 saal ki behadh khubsoorat mahila jinhone is waqt ek classy harbour olive green solid long shirt dress pehni thi, kuch logon ko unke saamne tangi paintings ke baare me kuch bata rahi thi..

RASHI ke saath saath hum bhi uski mom ki taraf badh chale.

hamare pahunchte tak woh log agli painting ki taraf badh chuke the..

waise badh toh RASHI ki mom bhi rahi thi par apni beti par nazar padte hi woh rook gayi thi..


RASHI-mama, estos son mis amigos...(this are my friends)...

friends..my mom..KATALINA GRACIA SEHGAL...

HUM SAB-hello ma'am...

KATALINA-hello bacchon..aap sab aunty bol sakte hain mujhe...

pura clear toh nahi,par kaafi achi tarah hindi me kahi apni baat RASHI ki mom ne jisse sun sabhi halke shocked ho gaye..

ANJALI-wow aunty...aap toh kaafi achi hindi bolti hain...

AUNTY-indian man se shaadi kiya hai, thoda toh unka language inherit karungi hi..waise bhi,i like learning different languages...

RASHI-mom,ye hain SAMEER..jiske baare me aapko bataya tha maine..

AUNTY-really..kaafi suna hai maine aapke baare me SAMEER...

SAM-thanks,but please,call me SAM aunty...

AUNTY-so SAM,look around,aur batao,kaunsi painting sabse zyada achi lagi aapko...


aunty ki baat sun chaaron taraf nazar ghumayi SAM ne..

har painting ke neeche uska price tag tha jiska lowest bid hi 50k tha..

khair,har taraf nazar ghumane ke baad ek taraf finger point ki SAM ne..

left ki taraf bohot se religion ke symbols bane the us painting me aur right ki taraf tha human brain..

par khaas baat ye thi ki religion waale symbols neeche ki taraf the aur brain upar ki taraf..

us painting ke upar uska title likha hua tha.."PRECIDE"....

AUNTY-hmm.. interesting choice..toh batao phir,kya samajh me aata hai aapko us painting ko dekhkar...

SAM-yahi ki human brain exceeds every religion... insaani dimaag har dharm se upar hai...

AUNTY-hahaha.. interesting thought.. par beta, optimistic hone ka asli matlab hota hai khudpar aur jisne hume banaya hai,uspar ek sa bharosa rakhna..

har dharm insaan ko uski human values samajhane ke liye banaya gaya tha..

us painting me bhi yahi dikhaya gaya hai..dhyan se dekho,har religion ke symbol se ek patli ray nikal human brain me pad rahi hai aur isiliye woh uncha utha hua hai..

matlab,woh saare religions,unke values us human brain ko uthne me,evolve hone me madad kar rahe hain...

SAM-wow aunty..that was deep..

AUNTY-ab maine banayi hai toh mujhe toh pata hi hoga naa..

aap,kya naam hai aapka...???

ANJALI aunty...

AUNTY-nice name..aap batao,aapko kaunsi painting sabse zyada bhaa rahi hai..??

ANJALI-that one aunty...


turant ek painting ki taraf finger point kiya ANJALI ne...

ye ek zamin par leti ladki ki painting thi jiske aankhein aadhi khuli aur aadhi band thi.. painting ka har shade dark tha siway us ladki ki ek hatheli ke jisme ek chota sa flower grow hua tha aur usse light nikal rahi thi..

HOPE..yahi tha us painting ka title...


AUNTY-nice choice..waise beta,aapka reason kya hai us painting ko pasand karne ka..???

ANJALI-reason wahi hai jo us painting ka title hai..HOPE...us ladki ke chaaron taraf andhera hai..aankhein bhi band ho rahi hai par uske haath me jagmagata woh phool uske aankhon ko band hone se roke hue hai..

sab kuch khatm hone ke baad bhi ummid bachi rehti hai,yahi bata rahi hai woh painting...


AUNTY-good..i am impressed...


ANJALI ke baad aunty ne EKPREET ki taraf rookh kiya par naa usse aur naahi uske baad hum mese kisi se bhi unhe satisfactory jawab mila jispar woh bas muskura uthi..

ab art ko samajhna har kisike bas ki toh baat hoti nahi isiliye RASHI ko hum sabko sabhi paintings ka tour dene ka bol woh dusre guests ki taraf badh gayi..

hum sab bhi RASHI ke saath pure hall me ghumne lage.saari paintings me kuch na kuch atrangi dhund NITS beech beech me masti kar raha tha jispar sabhi hase jaa rahe the siway mere..

mai bade dhyan se paintings ko dekhe jaa raha tha aur ye dekh..


NITS-tu kya paintings check out kar raha hai be.. kuch samajh me toh aana hai nahi,phir dekh kar kya matlab...

MAI-teri bakwas se toh achi hai naa ye paintings..

NITS-ghus jaa phir inme se kisiki gaand me..

dheere se mere paas aakar boli ye baat usne aur wapas apni masti me lag gaya...

wahin meri har taraf ghumti nazar achanak ek disha se guzarti theher gayi aur mai baaki sabko chhod us taraf badh chala..

ye ek painting thi jisse kareeb se dekhne mai uski taraf badha tha.

ye painting alag thi..alag in the sense ki baaki saari paintings line se kuch kuch doori par lagi hui thi par ye waali painting jis wall par thi,wahan bas yahi lagi hui thi..

naa is painting ke upar iska naam likha tha aur naahi ye koi bohot zyada khubsurat thi..

mai us painting ke saamne pahunch khada ho gaya...

painting me samandar bana hua tha par paani ka rang kaafi maila tha..paani ke upar bohot se chote chote waves bane the par aise jaise haath hon..

paani ke just upar chamakta hua tyre tha jisse paida ho rahe the kuch stairs jaise lines..aun un lines ke theek upar usse juda hua suraj bana tha...

ye thi us painting ki discription jisse mai bade dhyan se dekh raha tha ki tabhi...


AUNTY-kuch samajh aaya toh mujhe bhi samjha do...


apne guests aur clients ke saath khadi thi aunty ki tabhi unki nazar mujhpar padi aur mujhe us painting ke saamne khada dekh jiske saamne abhi tak koi bhi itni der tak khada nahi hua tha,woh pahunchi thi mere paas..

par kuch der pehle jab mere sabhi doston ke saamne unhone mujhse meri pasandida painting ke baare me pucha tha tab"sabhi achi hai aunty"ye kaha tha maine aur isiliye unhe mujhse koi ache jawab ki ummid nahi thi..

yahi wajah thi ki unke sawal me halka sa hi sahi taunt tha,jisse sun maine ek smile diya unhe aur..


MAI-nirmata ko nirdesh nahi diye jaate aunty..aur aap toh yahan nirmata aur nirdeshak, dono hi hain..


mujhse is tarah ke jawab ki ummid nahi thi aunty ko aur isiliye aankhon me halki hairani liye dekha unhone mujhe aur..


AUNTY-common son,tell me..kya samajh aa raha hai aapko is painting me,i wanna know..

MAI-"LAVIDA ES COMO ANDAREN BICICLETA PARA MENTAREN TU BALANCE DEBES SEGUIR MOVIENDOTE"...

"ZINDAGI CYCLE CHALANE KI TARAH HAI...BALANCE BANAYE RAKHNA HAI TOH LAGATAR AAGE BADHTE REHNA ZAROORI HAI...

ALBERT EINSTEIN dwara kabhi spanish me kahe is quote se prabhavit hai ye painting...aur isiliye hi kyunki ye rachna aapki soch se nahi balki kisi aur ke quote se prabhavit hai,koi title nahi diya aapne isse..

rahi baat, painting me dikh rahe drishya ki toh jo dikh raha hai,woh asal me hai hi nahi..ye samandar maila isiliye hai kyunki ye samandar nahi balki gilli mitti hai aur jo waves isse bahar nikal rahe hain,woh hai insaani prayas...koshish...

koshish us gilli mitti me fisalne aur usme dhasne ke baad upar uthne ki..

upar jo tyre sa bana hua hai,ye zindagi ka woh pahiya hai jisse chalate hue har problem ko paar kiya jaa sakta hai aur us pahiye ke upar bane suraj tak joki ek trophy hai,beech me bane lines joki raastein hain,unse pahuncha jaa sakta hai isiliye mitti se nikle haath us pahiye ko chhune ki koshish kar rahe hain..

afterall, zindagi ka woh pahiya pehli sidhi ki tarah hai aur sabse mushkil pehli sidhi chadhna hi hota hai...


painting ko lagatar dekhte hue kahi thi maine apne man me aayi baat jiske baad jab mai palta toh mere face par smile naach uthi..

ek taraf aunty thi jinki hairangi apne charam me pahunch chuki thi aur ussi expression ke saath woh mujhe dekh rahi thi..

dusri taraf the mere dost jo aunty aur mujhe saath khada dekh hamare paas aa chuke the aur meri painting par kahi defination bhi sun li thi un sabne..

khair, kuch seconds mujhe yunhi dekhte rehne ke baad..


AUNTY-how old are you...???how did you even imagined those things...

spanish bhi aati hai aapko..aur jab paintings ke baare me itna deep knowledge hai toh pehle jab pucha tha maine,tab kyun kuch nahi bataya aapne...???

kya baaki ki paintings achi nahi hain...??

MAI-bohot se sawal ek saath puch liye aunty aapne toh..!!!

umar meri utni hi hai jitni aapki beti ki.. aur imagination ke liye umr nahi,feel karne ki zaroorat hoti hai aur is painting ko dekhkar jo feel kiya maine,woh bata diya...

bhale hi language koi sa bhi ho,famous quotes read karna aur unhe memorize karna pasand hai mujhe isiliye is painting se juda quote yaad tha mujhe..

pehle kuch isiliye nahi bola tha maine kyunki siway iske,yahan jitni bhi paintings hain,unke neeche unka price tag laga hai, matlab woh sabhi bikaun hain aur for sale likhi chizon par raay dena sahi nahi lagta mujhe...

rahi baat baaki paintings ke ache na hone ki toh in sabko banate waqt jab aapne koi doubt nahi kiya toh mere yaa kisike pasand napasand se kya fark padta hai..

some people buy,some own but you,you have created all these master pieces...

taarif kam padenge aapke in rachnaon ke liye..


meri baat sun ek bohot khubsoorat smile naach uthi aunty ke face par..

muskura toh woh shuru se rahi thi par abki baar laga jaise ye smile unke dil se nikli hai..

aage badh gale laga liya unhone mujhe aur...


AUNTY-naam kya bataya tha aapne apna...???

MAI-SANVEER AHARYA...

AUNTY-SANVEER AHARYA...sahi kaha tha aapne beta...baaki sabhi paintings bikau hai par ye nahi..

aur woh isiliye kyunki isse banane ke baad mai tay hi nahi kar paayi ki kya keemat rakhun iski..

par ab samajh me aa raha hai ki aisa kyun hua...??ye painting bikne ke liye nahi balki gift karne ke liye bani thi..

its yours...ye tumhari hui..


aunty ki baat sun mere sabhi doston ke saath meri bhi aankhein badi ho gayi...

aur hona bhi tha..yahan sabse sasti painting bhi kamsekam 50k ki thi aur ye painting toh aisi thi ki agar iske neeche 2 se 3 lakhs ka price tag bhi laga hota tab bhi ye haathon haath bik jaati..


MAI-thanks for the gesture aunty but mai itni expensive gift nahi le sakta..

AUNTY-careful SANVEER AHARYA..aap apni hi baat se mukar rahe hain..

aap bhul rahe hain ki is painting ki koi keemat hai hi nahi..

MAI-phir bhi aunty..ye..

AUNTY-i will not hear anything..agar wakayi mujhe aunty maante ho and more importantly,agar mai sach me ek achi artist hun toh mana nahi karoge aap...

MAI- alright aunty..i will take it...

AUNTY-now that's more like it...counter par apna adress likhwa dena... painting aapke ghar pahunch jaayegi...

MAI-jee aunty...

AUNTY-RASHI... finally,some good company for you..stick with this guys..shayad aap bhi kuch sikh sako...

RASHI-ok mom...

aakhein neeche taaki unme aayi sharmindagi naa dikh jaaye,kahi ye baat RASHI ne par uske bhaav hum sabne hi dekh liye the..

MAI-aunty,is painting ko dekh ek aur khayal bhi utha hai mere dimag me..but mai us thought ko theek se explain kar paaunga ya nahi,iska doubt hai mujhe..

toh aap help karengi meri!!!!i mean jo puchun,uska jawab dengi aur aakhir me batayengi ki maine theek se explain kiya ya nahi...

AUNTY-sure beta, anything...

MAI-hai toh isme samandar hi jisse maine gilli mitti bana diya..

toh maan lijiye ki ye gilli mitti nahi balki samandar hi hai..toh kya lagta hai aapko,iske andar kya hoga..??

AUNTY-kya hoga matlab..agar ye presume kiya jaaye ki ye samandar hai toh mammals,fishes, reptiles,sab honge iske andar..

MAI-nahi aunty..sab kaise ho sakte hain..koi ek cheez hi hogi naa...sabko thodi naa jagah degi apne andar samandar..

AUNTY-beta SANVEER.. kuch seconds tak tum kaafi intelligent lag rahe the,but ab..

MAI-bewakuf lag raha hun naa..!!?

AUNTY-kind of...

MAI-reason aur defination bataun...???

kyunki samandar ek MAA ki tarah hoti hai... haan,zindagi nahi hoti usme.par phir bhi, bina bhedh bhaav,bina ye dekhe ki kaun kaam ka hai,kaun nahi,bas usme zinda reh sake, waise har jeevit jantu ko ye apne andar panah deti hai..

dimag nahi lagati apna..aur lagaye bhi kyun..???jab baat apne bacchon ki ho,toh dimag nahi dil lagaya jaata hai..

taakatwar,kamzor,chalak, bewakuf,ye saare gun aur avgoon toh dekhne waalon ke liye hain,par SAMANDAR ke liye usme basne waala har jantu khaas hai,kyunki woh uska apna hai...

aur woh jaisa hai,woh usse waise hi accept kar leti hai...

aakhir,jaan ho naa ho,samandar hai toh ek MAA..aapki tarah....


meri baat sun andar se jadh si ho gayi thi aunty..mere sawal aur explanation ka har word,har hissa unke dimag me kisi hathode ki tarah bajne laga tha..

apni beti ko competitive aur khudki tarah winner banane ke chakkar me unhone kab usse ek commodity,ek samaan ki tarah samajhna shuru diya tha,iska ab jaakar andaza hone laga tha unhe..

halki gehri saans lete hue jaise khudko theek karne me lagi thi RASHI ki mom.

wahin mere saare doston ko meri baaton ka matlab pata tha, isiliye woh sab bhi chupchap aunty ka reaction dekh rahe the..

kuch aur pal yunhi gehri saans lene ke baad ek baar RASHI ko dekha aunty ne aur phir woh chalkar mere paas aayi aur theek mere saamne khadi ho gayi jispar...


MAI-maine GALATH explain kar diya kya aunty...???

AUNTY-nahi beta,bilkul sahi tha..itna sahi ki mere andar ke GALATH ko khatm kar diya usne..thanks for the lesson..


aunty ki baat sun ek smile naach uthi mere face par..

mere frends bhi smile kar rahe the aur RASHI jiske aankh halke halke bheege hue the,usne dekha meri taraf aur ek mook thank you kaha mujhe...

anyways,aunty bhi ab wapas muskurane lagi aur..


AUNTY-lunch yahin karoge aap sab...

MAI-pata hai aunty..aur aap nahi bhi bolte toh bhi hum lunch kar ke hi jaate..

AUNTY-hahahaha... banquet hall ke exit ki right taraf me game zone hai.. pool table aur kuch extra indoor games bhi hain wahan..

lunch tak wahan khelen aurenjoy karen aap sab...

MAI-cool aunty..


ye bol baaki sabke saath us game zone waale direction ki taraf badh gaya mai..

RASHI bhi hamare saath aane lagi par tabhi..


AUNTY-ek minute beta...


RASHI ka haath thaamte hue roka usse aunty ne jispar woh unhe dekhne lagi..

hum sab aage badh chuke the isiliye apni beti ke gaal ko sehla..


AUNTY-sorry beta...i have really been very hard at you...

RASHI-its ok mom..chahti toh aap mera acha hi thi..

AUNTY-arre waah.. samajhdar ho gayi meri beti toh..


apne side se usse hug kar khud se sataate hue kahi ye baat aunty ne aur ab unki nazar SANVY par thi jo apne doston ke saath masti karta hua jaa raha tha.

usse dekh ek smile ke saath..


AUNTY-aapne toh kaha tha ki SAMEER aapke school ka,infact pure dehradun ka sabse talented aur extraordinary student hai..

well he is good but nothing compared to SANVEER...

RASHI-maine sach kaha tha mom... SAMEER is the brightest of SIRIUS.. infact he is literally a star their..

SANVY toh ek average student hai...

AUNTY-average aur ye ladka..hahahaha..beta,duniya ghumi hun mai..

aur jo ladka mujhe zindagi ka sabse important lesson samjha de,woh average toh ho hi nahi sakta..

ye bol mujhe piche se jaate hue dekhti rahi aunty aur phir..


MAN ME:-




jo khud hi GATI ho,usse koi BHAGA NAHI SAKTA...

siddh purush apni marzi se dhyan todta hai,usse koi JAGA NAHI SAKTA...

khaan se nikla woh heera hai ye ladka...

keemat jiski koi JOHRI, LAGA NAHI SAKTA...












AAJ KE LIYE ITNA HI....











AAPKA APNA V...J...
Umr guzaar di kudh ko sajaane mein
Jab aaina dekha to apna aks bhi paas nahi tha.

Beautiful writing and wonderful characterization. Superb character Sanvy.
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KO YE PATA HOTA HAI KI SANVY,NITS AUR SONU RAAT KO KEYS CHORI KAR CAR CHALATE THE WAHIN DUSRI TARAF SANVY SE RASHI KI MOM KAAFI IMPRESSED HO JAATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-12


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





BAS ITNE ME HI FAT GAYI.....2 AUR LAGA BE...


ground ke 5 chakkar maarne ke baad mere stand ke saamne ruk sir halka neeche kar haanfte hue apni saanson ko control karne me laga tha SAM aur yahi dekh taunt maara maine usse..

saturday tha aaj..new session ka 13th day...

aur isiliye P.T classes ke baad cricket trial ki practice shuru ho chuki thi..

cricket se pehle warm up ka daur chal raha tha but luckily, CHARLIE sir kuch kaam se school premises ke andar the abhi..

sirf DAS SIR the idhar jinhe bottle me utaar mai aur NITS stands par baith araam farma rahe the...

KHANAK,ANJALI, RASHI aur NAISHA bhi the stands par lekin woh agle stand par baithe apni girls gossip me lage hue the..

us dauran beech beech me meri aur KHANAK ki nazar bhi aapas me takra jaati thi jispar woh blush karne lagti thi...

NITS bhi ye sab dekh raha tha par apni aadat ke khilaaf bina kuch kahe bas saamne dekh muskura raha tha...

SAM ko taunt karne ke baad bhi ek baar meri aur KHANAK ki nazarein mili thi jinhe dekh liya tha SAM ne aur isiliye...


SAM-SANVY,a word...!!!


SAM jo mujhe hi dekh raha tha,apne paas bulaya usne mujhe apne paas...


MAI-aisa kya bolna hai be jo sabke saamne nahi bol sakta...


uske paas pahunch puchi maine ye baat jispar...


SAM-mujhe lagta hai hume apna challenge off kar dena chahiye...

you know,me impressing KHANAK...

MAI-kya baat hai..SIRIUS ka champ SAMEER CHANDER challenge se back out karne ki baat kar raha hai..

suit nahi karta tere repo ko ye..

SAM-common man..i can see..

mai dekh raha hun tera interest uspar aur KHANAK bhi,she is quite into you man...

phir ye sab sahi nahi lagta...mai toh shuru se hi nahi chahta tha aisa kuch...

MAI-really...??? isiliye pichle saturday jaan bujh kar ball maari thi tune KHANAK sur meri taraf...

meri baat sun halka sa hadbadaya SAM par phir..


SAM-kuch bhi haan...chest height par ball aayi thi,pull maarna pada tha mujhe aur ball ki direction tum dono ki taraf thi...

aur bhai, yaad hoga tujhe ki ball tumme se kisiko lage,usse pehle maine hi awaaz lagakar warn kiya tha tum dono ko..

MAI-mai kuch nahi bhulta SAM...

anyways, shuruat se shuru karte hain..

CHARLIE SIR ne tujhe sabko fielding practice karwane aur saath me,tere loose areas,jinme se ek quick short length bowl ko properly hit karna hai,usse theek karne ko kaha tha..

koi bowler bowl nahi kar raha tha tujhe..IBOT(bowling machine)se bowl aa rahe the teri taraf jisse tu saare fielders ki taraf hit kar raha tha..

kuch ground toh kuch air..par beech beech me sudden short pitch ball bhi aa rahi thi teri taraf jisse tu khudke liye practice kar raha tha..

in sab ke dauran do cheezen hui..pehli,teri nazar boundry ke just bahar baithe KHANAK aur mujhpar padi..


aur dusri..

tujhe andaza ho chuka tha ki IBOT se nikalne waali kaun si bowl short pitch hone waali hai...

aur jab aisa hua toh tu taiyar tha..tere chest ki taraf ball aate hi tune usse hamari taraf khela..

but thodi chuk ho gayi thi..ball tere mid chest par nahi,balki neck ke just neeche, tere upar chest ki taraf thi aur isiliye short neeche ground ki taraf naa jaakar upar hawa me lag gaya..

matlab pull nahi,hook lag gaya tha galti se tujhse jo sidhe KHANAK ke face me padne waala tha par maine rok diya..


bina reverse mode ke hi flashback dikha diya tha maine SAM ko jispar aankhein faade woh mujhe dekhne laga tha jispar...


MAI-hairan mat ho..jab mai bina dekhe ball pakad sakta hun toh obvio hi hoga naa ki dhyan mera sirf KHANAK se baat karne par hi nahi, ground par bhi tha...

ye saari baatein maine boli hi nahi hoti agar tune ye nahi bola hota ki tujhe interest nahi hai..

ofcourse tujhe interest hai but the thing is ki tujhe lagta hai ki kyunki in kuch dino me maine kayi baar teri gaand tootne se bachayi hai isiliye you owe me..

dude,logic simple rakhte hain..friendship apni jagah, sharth apni jagah...

back off kiya toh pure school ke saamne kaan pakadwa utthak baithak karwa dunga mai..

ab bata,acha lagega school ke champ ko waisa karte hue..???

SAM-saale...tere liye murga bhi banana pada toh ban jaayenge bhai...


mujhe side se hug karte hue kahi ye baat SAM ne jispar..


MAI-hath be gay saale...


haste hue ye bola hi tha maine ki tabhi meri nazar gayi saamne aur aisa hote hi face halka serious ho gaya mera aur sir halka shake kiya maine..

mere is changed reaction ko dekh SAM ki nazar bhi saamne gayi jiske baad..


SAM-ye chutiya yahan kya karne aa raha hai...???


ROHAN jiska 2 din pehle hi suspension off hua tha,apne class ke kuch ladke joki uske chele hi the,unke saath hamari taraf aa raha tha jisse ground ke ek taraf stretching karte SONU, EKPREET aur RAJAT ne bhi dekh liya tha isiliye woh teeno bhi turant hamari taraf lapke...

NITS toh already mere aur SAM ke paas aakar khada ho chuka tha..

wahin in sabke beech jab ROHAN bas kuch metres hi door tha humse,apni aastin upar karne laga mai aur ye dekh..


ROHAN-wowowo..relax SANVY...mai jhagda karne nahi aaya hun...

MAI-abbe aastin upar karne ka hamesha yahi matlab nahi hota ki tujhe pelunga mai...

ek baat aur,hamare beech jhagda nahi hota..tu gaand illi karta hai aur mai tujhe pelta hun..


ye bol mai badha ROHAN ki taraf aur mere aisa karte hi woh aur uske dost piche hatne lage par tabhi..


KHANAK-common guyz.school me hain hum..kisi teacher ne dekh liya toh fasna pakka hai..

waise bhi last baar jo bhi hua,uski wajah se pehle hi red spot me ho tum sab..

ROHAN aur mujhe dekh,KHANAK joki ANJALI,RASHI aur NAISHA ke saath hamare paas aakar khadi ho chuki thi, rakhi apni baat saamne joki sahi bhi thi..


MAI-aankhon me dar aur ghussa ek saath nahi reh sakte ALOK...ya toh dar ke sir jhuka le ya phir ghussa dikha maar kha le..


ALOK TRIPATHI.... ROHAN ka best friend..waise humse 2 saal senior hai ye par ROHAN ki wajah se uske class fellows ke saath ghumta hai..

but sabse important baat...SIRIUS ka sabse tez bowler hai ye banda.. height lagbhag 6 feet unchi hai iski aur abhi se 140 ki speed touch karti hai iski bowl..

filhal mujhe khundak aur ghabrahat, dono hi bhaaw liye dekh raha tha woh...

par meri baat sun ROHAN ne ek baar dekha usse jiske baad chehra aur aankhein dono hi shaant ho gayi uski..

SAM-what do you want ROHAN..???

ROHAN-i just wanna apologize...haan, nahi jamti meri tujhse aur tere group se par tum logon se badla lene ke chakkar me maine apne rival school ke bando se haath mila liya tha jo kahin se bhi sahi nahi tha..

so,sorry for that..i promise ki dobara aisa kabhi nahi hoga...


ROHAN ki baat sun ek baar mujhe dekha SAM ne jispar...


MAI-mujhe kya dekh raha hai..maafi tujhse maang raha hai,marzi teri..jo karna hai kar..

ROHAN-mai maafi tum sabse maang raha hun SANVY..

MAI-hamara hisaab barabar hai be..bataya naa,mujhe jitni baar ungli ki hai tune,utni baar us ungli ko toda hai maine..

mera naa tu pehle kuch bigaad saka hai aur naa aage kuch bigaad paayega...

tera competitor tere saamne khada hai jisse maafi maang li hai tune...

ab iski marzi..

SAM-ok..we are cool then...

ROHAN-really...!!!

SAM-yaa.. paperwork chahiye kya...?? bas itna yaad rakhna ROHAN..champion wahi jo saamne se bhide aur jeet kar dikhaye...

mujhe harana hai toh saamne se hara.. competition jeet ke dikha..yakin maan,pehli taali mere haathon se hi bajegi..

par ye backyard tantrums..

ROHAN-i said,that wont happen again...so we are cool right..???


haath aage badhate hue pucha ye sawal ROHAN ne jispar hand shake kar haan me sir hilaya SAM ne jiske baad..


ROHAN-great.. toh new beginning ke sake par ek friendly match ho jaaye...

SAM-what, cricket..???

ROHAN-yup...

SAM-sure...anytime...

ROHAN-now..

SAM-wait,what..??now..par abhi kaise...??i mean, CHARLIE SIR ne pehle hi aaj ka schedule bana diya hai...sirf fielding practice karwani hai aaj sabhi se...

ROHAN-baat ho gayi hai meri CHARLIE SIR se..aa rahe hain woh bhi..unhe bhi ek friendly match ka idea acha laga hai..

you know,isse unhe tere aur mere form ka andaza ho jaayega...

so what say,zyada nahi,bas 8 overs ka tere aur mere section ke beech ho jaaye ek match...

SAM-sir ne bola hai toh theek hai phir...

ROHAN-now that's like a true champ..10 minutes...apni team ikattha kar le..toss karte hain phir...aur haan, SANVY,aaj tu bhi khelna yaar...maza aayega..


ye bol aur indirectly mujhe challenge kar apne doston ke saath palath gaya woh..


MAI-sir ne bola hai toh theek hai phir... sir maraane bole toh bhi haan bol diyo tu...saale, dekh toh leta apni condition pehle...

team kahan hai tere paas...sirf tu,SONU, EKPREET aur RAJATH hi ho idhar.. apni class se baaki ke cricket players toh aaye hi nahi aaj school..

sirf 4 ke dum par haan bol diya tu..aur i am sure ki us ROHAN ne pehle hi apni taraf se sab set karke rakh liya hoga..

har player hoga available uska..aur baakiyon ko chhod,woh akela ROHAN hi bhaari hai tum sab par...

KHANAK-really.. par CHAMP toh SAM hai naa yahan ka..!!!!

EKPREET-haan kyunki overall har sports me acha hai ye..par ROHAN ki speciality hai CRICKET..

apna SAM allrounder hai par ROHAN is a very good batsman... actually the best of SIRIUS...

kuch zyada hi acha khelta hai woh...aur performance percentage bhi kaafi high hai uska...

isiliye CRICKET ke maamle me CHARLIE SIR ka jhukaav uski taraf zyada hai...

run machine bolte hain usko..aur aaj apne paas bowlers nahi hain..akele hi itne run bana dega woh ki ghanta na banta woh run humse..

MAI-sahi khel gaya lounda...sidhe tarike se nahi bheed sakta humse isiliye ye tarika apnaya usne.. timing bhi perfect hai..

SONU-abbe ittni ggandi ttarah haarenge nnaa kki ffazihat hi ho jjaani hai aaj...

RAJAT-upar se woh ALOK..saale,waise hi tufaan hai uski bowling aur aaj toh apna saara ghussa nikalega hum par woh...

SAM-relax guyzz.maana, apni taraf se khelne waale kam hai par 11 toh ho hi jaayenge..match 8 overs ka hi hai toh batting ki zyada tention nahi hai..

top order hi khel lenge itna toh..neeche waalo ki tention hi nahi hogi..

bas toss jeet jaayen toh pehle batting kar itna score khada kar denge ki bowling ke time 1,2 loose overs se zyada fark naa pade...

EKPREET-sounds good par uske liye toss wakayi jeetna padega..

SAM-ab bhai,utna optimistic toh rehna padega naa..

RAJAT-SANVY,tu khel raha hai.. koi bahana nahi..

NITS-khelo khelo,man lagakar khelo..apan chale class..match ke baad milte hain...


ye bol chupchaap katne ko hua NITS jispar piche se uski collar pakad...


MAI-khel raha hai tu bhi...jeetna hai hume,aur koi behes nahi..


meri baat aur jis tarah se bola tha maine,usse sun bas mujhe ghoor chupchaap khada reh gaya NITS..


EKPREET-mai baaki lounde dekhta hun...tu jaa,toss karwa le..

SAM-cool..

RASHI-all the best guyzz..give it your best..

ANJALI-aur SANVY,koshish karna ki contribution de na de,nuksaan naa kar baithna team ka...

MAI-mere har game ka penalty card toh tu hai..ab jab nuksaan hi ground se bahar hai toh andar sirf faayda hoga naa...!!!


meri baat par mujhe ghoor mooh banati hui RASHI aur NAISHA ke saath wapas stands ki taraf chal padi ANJALI jiske baad...


KHANAK-all the best.cheer karungi mai tumhe..

MAI-usse acha mere kaan ke paas aakar dheere se ek baar mera naam pukaar lo.. confidence 20 times badh jaayega mera..


meri baat sun smile karte hue mere kareeb aayi KHANAK aur..


KHANAK-all the best SANVY...


mere kaano me sargoshi sa kar meri aankhon me jhaank palatne ko hui woh jispar..


MAI-aayna rakh lijiye madam..

"meri aankhon me hi khud ke aks ko dekhti rahi toh zyada khubsurat hone ka gumaan naa ho jaaye.."


meri baat ya phir ye kahun ki khudke liye taarif sun ek behadh haseen sharm ko apne chehre par odhe baaki girls ki taraf chal padi KHANAK...

is beech door se mujhe SAM aata hua dikhayi diya aur uske murjhaye chehre ko dekh mai samajh gaya ki toss haar chuke hai hum aur pakka fielding naseeb hui hai hume..


MAI-lag gaye beta..baaton ka waqt toh khatam hua..ab hilane aur maraane ka time shuru hota hai..




THE MATCH:-



jab ye kaha jaata hai ki SIRIUS school international standards ka hai toh iska matlab hota hai ki iska har department us level par aata hai.

jaisa ki hamara cricket ground jo kahin se bhi kisi international erena se kam naa hai...

60,65,72,74 metres ke main dimension me bana ye ground wakayi dekhne layak hai...

lush green outfield jiske centre me bana hai ek behtarin peech.. normal schools ki tarah mat nahi lagta hamare ground ki pitch par..

dehradun me hone ki wajah se kaafi hard pitch banti hai yahan aur saath hi GREEN bhi..

season abhi shuru hua hai aur isiliye roll over karne ke baad bhi pitch ki ghaans puri tarah hati nahi hai..

matlab khelne ke liye 50 percent indian toh 50 percent english condition hai..

seem bowlers se zyada swing bowlers ko suit karta hai ye ground par haan,agar speed zyada ho,seem position perfect ho,aur normal se zyada hawa chalne waali case ho joki aaj ha toh ball swing bhi achi khaasi karti hai..

khair, section B ke dono openers jinme se ek ROHAN tha, dusre ka naam nahi rakha maine kyunki role nahi hai zyada saale ka,woh creeze ki taraf badh chuke the..

CHARLIE SIR bhi ab tak aa chuke the.. par woh aur DAS SIR umpiring karna chhod apna apna tika kar ground edge me baith chuke the.

pitch end par unki jagah umpiring me is waqt unhi ke do assistants coach teachers khade the.

SAM aadhi se zyada fielding position jama chuka tha jiske baad woh aaya mere aur NITS ki taraf...


SAM-haan sir,apni tashrif ka tokra kidhar tikayenge aap dono...???

30 yards ke andar ya out field me...

MAI-8 over ke match me bhi powerplay ka chutiyapa hai kya..??

SAM-naa..B waale kamsekam ek over ka bol rahe the,maine mana kar diya..

NITS-toh phir louda andar rahega mera...ye saale B section waale jaanbujh kar pelenge hume...

naa,mai toh bahar rahunga...

MAI-same...

SAM-abbe chomuon,andar bowl chhod bhi doge toh outfield waale rok lenge..

par bahar rahe aur ball chhuti toh boundary hi jaayegi...high shot me 6 ke bhi chance banenge...

MAI-haan toh phir rakh le kisi aur ko hamari jagah.. hum toh bahar rahenge yaa phir nahi rahenge..

SAM-saale rotlu... thik hai bhai,ab tum dono hi bata do,kahan rahoge..

MAI-deep square leg..

NITS-long leg...

SAM-jaao phir..aur bhai,catch bhale hi chhod diyo,par kamsekam boundry mat jaane dena..

NITS-arre fikar not..so jaayenge lauda par ball ko nikalne nahi denge...

SAM-alright than...


hamare apni position ki taraf badhne ke baad SAM turant bowling end ki taraf badha jahan is waqt SONU umpire ko khudka bowling info"right hand over the wicket, medium fast" dene ke baad apna run up naap raha tha..

SONU hamari team ka sabse sahi bowler tha...pace express nahi thi uski but line length ke maamle me MCGRATH tha saala..

6 me kamsekam 4 ball perfect good length me daal leta tha apna lounda...

strike me wahi gumnaam banda tha... ROHAN non striker end me khada strech kar raha tha...

SONU ko kuch samjhane ki zaroorat padti nahi thi isiliye umpire se ball le bas usse pakda diya SAM ne aur apni usual point position sambhal li thi usne..

EKPREET aur RAJAT, dono hi kaafi ache slip fielders the aur is waqt dono hi first aur second slip me khade ho chuke the...


PLAY....

batsman ke guard check karne ke turant baad haath neeche kar diya UMPIRE ne jiske baad apne sadhe aur naape hue kadmo se ek perfect lay bana doud pada SONU aur..

THAKKK...


CHARLIE SIR-good line SONU...keep it up..speed par dhyan de bas thoda...seem wobble nahi hui toh swing hogi ball...


pehli hi ball jisse kaafi respect se defend kiya tha batsman ne,usse dekh door baithe CHARLIE sir ne apni pratikriya di..


ROHAN-zyada defend karne ka nahi...andar,bahar dono nikal leta hai ye...

saale ne agar 3,4 ball ek hi point par daal di toh line set ho jaayegi iski aur gilli udaa dega ye...

line shuru se hi bigaadna hai iska..aage piche hokar khel...


wicket ke beech mil advice diya ROHAN ne jispar naa sirf haan me sir hilaya uske partner ne par saath hi saath us advice par turant amal bhi kiya...

SONU ke agle hi ball par creeeze se aage nikal ghumaya bat usne aur...

KHATTT...

deep extra cover ke upar se uthane ke liye lofted shot khela tha usne par ball bat ke beecho beech nahi lagi..

edge laga par healthy aur isiliye EKPREET joki first slip par khada tha,uske kaafi upar se nikal gayi ball..

natija..pehli boundry....


BADHIYA,BADHIYA..JAISE BHI AAYE,AANA CHAHIYE BAS...


ye awaaz thi B section ke wicket keeper ki joki hamare school ka bhi second keeper tha...

boundry par puri B section taali maarne lagi aur ye silsila aage bhi chala...

4th ball par third man ki taraf boundry aur 6th ball par deep mid on ki taraf double liya tha us bande ne...

pehle hi over me 10 aa chuke the joki acha hi score tha...

par run toh ab banane the aur shikar hone waala tha RAJAT..

ball ussike haathon me di thi SAM ne jiske baad apna balling nature bata delivery stride lene ke baad daud pada RAJAT par hua wahi jiska dar tha...

ROHAN tha ab strike par jisse ek ball bhi checkout karne ki zaroorat nahi padi...

pehli hi ball par ek behadh hi khubsurat cover drive maari usne jo badi tezi se boundry ropes ko touch kar gayi..

bat ki position hold me rakh ek baar RAJAT ko dekh aise muskuraya ROHAN jaise woh baccha hai uske saamne joki sach bhi tha...

kyunki agli paanch balls ki gath bhi buri hi ki ROHAN ne..

dusri par ek khubsoorat leg glance,teesri par square cut,chowthi jo ki chest area me aayi thi uske,usme pull joki mere aur NITS ke thik se hilne se pehle hi boundry touch kar chuki thi aur paanchwi me straight cover drive maara ROHAN ne...

paanch balls par paanch fours maara tha usne aur last ball par behadh araam se single le liya usne...

uske upar ek wide bhi daali thi RAJAT ne jo extra run add karwa gaya B waalon ke liye..kul 22 run aaye the is over se...

jahan ek taraf hamari team ka aur khaaskar RAJAT ka mood bigad chuka tha wahin dusri taraf ROHAN ki batting dekh CHARLIE SIR aur DAS SIR behadh khush dikh rahe the..


ALOK-arre ROHAN BHAI..araam se khel lo yaar..bache hain saamne...

HAHAHA...

ALOK ki baat par uske sabhi saathi has diye the..dono coaches ne bhi kuch nahi kaha tha kyunki matches ki beech itna comments normal hi tha...

khair,8 over ka match tha ye jisme 3 bowlers ko 2,2 aur do bowlers ko ek,ek over allowed tha...

repeat nahi karwa sakta tha SAM SONU se isiliye woh khud gaya bowling karne...

par koi khass faayda hua nahi...naa SAM ne warm up kiya tha aur naahi kaafi dino se bowling practice aur isiliye shuruat se line sahi rakhna mushkil tha uske liye aur issika faayda uthaya ROHAN ne...

pehle 4 ball ussine khele SAM ke jinme se 2 par boundry lagayi usne, ek par double liya aur chowthi ball par single le li usne...

paanchwi par beat hua dusra batsman aur aakhri me single hi bana...

ab tak ROHAN ke mukaabla dheere tha dusra batsman par ye dheemapan usne agli over me change kar diya...

pehle do ball toh beat hua woh lekin uske baad agle 4 balls me 2 chownke aur 2 chakke jad diye saale ne...

NITS-iski maa ka..4 over me 64 khaa gaye be...louda jeetenge ab...

MAI-abbe tera mooh hai ki frenchie,jab bhi khulta hai,louda nikalta hai...confidence rakh bhai.. jeetenge apan...

NITS-lou..matlab ghanta jitenge hum...


NITS ne apne bolne waale word ko change kar liya jispar has pada tha mai..

khair,is beech hamare sardaarji, EKPREET SINGH BAL bowling end me pahunch chuke the..

fast medium bowler tha EKPREET..speed achi thi uski par uska ROHAN ne waisa hi kuch kiya jo RAJAT ka kiya tha...

pehla ball toh beat hua ROHAN aur dusri par flick maar double liya usne..

par agli chaar me se do par chakke jade usne aur aakhri par single le liya..

15 aaye the is over se bhi aur score 79 pahunch chuka tha...

47 par toh akela ROHAN hi khel raha tha...

runs kuch zyada hi ho chuke the aur wicket saare intact the..

isiliye SAM ne SONU ko laaya wapas lekin strike me is baar ROHAN tha..

school team me saath khelte the ye sab aur har bowler ki kami read karna,ye pehla kaam hota hai ROHAN ka..

aur SONU ki ek hi kami thi jisee jaanta tha ROHAN...agar uske over ki feki pehli ball par boundry ya six lag jaaye toh line length stable nahi rehta hai uska...

aur issi kamzori ka faayda uthana tha ROHAN ko jo usne utha bhi liya...

THAKKK...

pehli ball off stump par good line hi fekega SONU,ye andaza lagaya tha ROHAN ne jo sahi baitha..

average speed par kamar se thode neeche ball aayi uske off stump par jispar room banata hua thoda aur hata ROHAN aur ek behatarin lofted shot khela usne..

long off aur deep extra cover ke beech gayi ball..waise toh wahan ek lamba gap tha par koi fielder hota toh bhi fark naa padna tha kyunki ball hawa me udti hui si boundry se 10 metre piche jaakar giri thi...

dikhne me bhi behatarin tha ye shot jisne ROHAN ki half century puri kar di thi...

uski puri team aur unke saath CHARLIE SIR aur DAS SIR bhi ROHAN ke liye clap kar rahe the..

wahin SAM SONU ko chill out rehne bol raha tha par mai aur NITS, dono hi jaante the ki uska focus hil chuka hai aur ab sutayi pakki hai..

aur hua bhi wahi..

agle 5 balls me se 4 balls par six maare ROHAN ne aur ek ball boundary gayi...

2 wides bhi fekhe the SONU ne aur isiliye bina 6 sixes ke baawjud over se kul 36 runs nikle..

aakhri ball par lage shot par sir neeche kar khada ho chuka tha SONU aur SAM, EKPREET aur RAJAT uska manobal badha rahe the par tabhi...


ALOK-kkya kkarte hho RROHAN BBHAI...ittna mmarogge ttoh rro ddega bbecchara..

HAHAHAHA...


SONU ki tarah haklate hue inact sa kiya ALOK ne jispar jahan ek taraf has pade uske team mates,dusri taraf sharmindagi badh gayi SONU ki aur teesri taraf SAM, EKPREET aur RAJAT ne ghoor kar dekha ALOK ko jiske face par abhi ek khilli udaane waali hasi thi...

stands par baithi hamare class ki girls ko bhi SONU ke liye bura lag raha tha..

par un sabke beech ek chowtha taraf bhi tha..mera aur NITS waala taraf...

dimag ghum chuka tha hum dono ka..ek baar ek dusre ko dekh kadam badh chale the hamare SONU ki taraf..

aise me jab ROHAN ki nazar hum dono par padi toh ek second ke liye hadbadaya woh par phir kuch GALATH kiya nahi tha usne,ye soch relaxed bhi ho gaya...


MAI-SAM.. bowling NITS karega...

SAM-what..???


meri baat sun hadbada sa gaya tha SAM par mere face par dikh rahi seriousness ko dekh bina aage kuch kahe ball fekh di usne NITS ki taraf...


MAI-kaisa set karna hai...???

NITS-7/2...

MAI-SAM.. koi bhi do bande bahar rakh..ek long on aur dusra third man..

baaki 7 andar rahenge...1slip,1 backward point,1 point,ek cover,ek extra cover ek mid off aur mai square leg me rahunga...

SAM-kya daalega tu...???SPIN...!!!

MAI-SPIN me ye field rehti hai kya..???tez daalega...

SAM-tu pace daalta hai..!!!saale,bataya nahi kabhi..aur SANVY,are you sure.!!!run waise bhi bohot ban chuke hain..


MAI-ab nahi banenge..chill kar.

oye keeper.. casually naa liyo..ball chhuti toh bohot pelunga...

chalo,move it...

sabko hairani me chhod apni baat puri ki maine jispar SAM mere kahe according fielding sajane laga aur is beech SONU jhat se pehle mere aur phir NITS ke gale lag gaya aur..


SONU-tthanks..

NITS-chup loude...mid off me tu rahega...

SONU-yes sir...


jahan SONU usse batayi fielding position me chal diya tha wahin ye sab dekh rahe B section ke ladke has rahe the humpar..

CHARLIE SIR aur DAS SIR bhi ye sab dekh hairan the..unhe toh ye samajh nahi aa raha tha ki SAM aisa allow bhi kaise kar raha hai...

hairan toh meri team ke bande sabse zyada the jo GALATH bhi nahi tha..aaj se pehle mujhe aur NITS ko fielding karte hue bhi fail hote dekha tha un sabne..

humse bhala kya ummid rakhta koi..

par NITS ki first ball se hi gaand fath jaane waali thi in sabki..

ek number bowler cum batsman tha apna NITS.. moholle me khub khelte the hum aur NITS ki bowling ke saamne khade rehne se bhi faththi thi kayi loundo ki..

fatte tez fekta tha NITS...aur ye baat yahan mere alawa sirf SONU ko pata thi..

school me naa khelne ka reason tha woh extra drill jo hamare SPORTS TEACHERS humse karwate the..

khair, apni bowling technique aur side bata line up ki taraf badh chuka tha NITS...

strike par is waqt woh gumnaam banda tha jisse ROHAN har ball par hit karne hi hidayat de chuka tha.

aakhir,uske hisaab se kamzor bowler jo tha NITS...

khair,batsman ke guard lete hi apni bowling run up par daud pada NITS aur phir..

THAPPPP..........

SILENCE.........

room banate hue hit karna chahta tha batsman par isse pehle ki uska bat theek se ball ke radar me bhi aata,middle stump ud chuki thi uski...


NITS-nikal laude....


zor se chillaya NITS aur uske us dahad se jaise pura ground shock se bahar aaya...

kisi ko kuch samajh me hi nahi aaya ki abhi hua kya... CHARLIE aur DAS SIR toh aankhein faade apni jagah par khade ho chuke the...


SAM-what the fuck... that was deadly dude...


doudkar aaya SAM aur kood hi pada woh NITS par jiske baad EKPREET,RAJAT aur baaki saare fielders bhi lapke NITS ke upar...

mai aur SONU hi aise the jo apni jagah par khade the..ab hume toh pata hi tha ki aage kya hoga...!!!


EKPREET-saale, itni khatarnaak ball fekta hai aur ab tak gaand tikaye baithe rehta tha.

RAJAT-bhai mujhe toh ball ALOK se tez lagi..

SAM-lagi kya thi, wakayi thi.. NITS,ab se tu team me hai...

NITS-bakwas na karo be..nahi kar sakta mai drill training...

RAJAT-acha..saale isiliye nahi khelta hai tu...

UMPIRE-baatein baad me karna boys...next batsman aa chuka hai..continue with the game...


UMPIRE ki baat sun sabhi turant apni apni fielding position me jaa chuke the jiske baad NITS ne daali apni dusri ball aur...


HOW'Z THAT......!!!


ball line par thi aur sidhe pad par lagi thi,woh bhi below knee roll aur isiliye ungli uth gayi umpire ki...

2 ball me 2 bande nipta diye the NITS ne jispar jahan ek taraf hum sab khushi se ucchal rahe the wahin dusri taraf B section waalon ke kheme me maatam chaa chuka tha...

ROHAN ka toh mooh chuse hue aam ki guthli jaisa chota ho gaya tha..

aur woh guthli tab aur patli ho gayi jab NITS ki agli ball joki good length area par thi,uspar new batsman ne bat ada diya aur uske aisa karte hi laga ek healthy edge aur ball gayi sidhe first slip ki taraf jahan EKPREET mustaidi ke saath khada tha..

lapak liya catch usne aur uske aisa karte hi khushi se cheekh hi pada NITS..

NITS kya,hamari puri team,stands par baithi girls bhi clap karne lage jo karna hi tha..

lounde ne hatrick jo le liya tha...

CHARLIE aur DAS SIR bhi hairangi ke saath behadh khush bhi the...

khair,is celebration ke beech maine kuch ishara kiya NITS ko jisse samajh gaya NITS..

uski agli ball middle stump ki taraf thodi full thi jisse aaye hue new batsman ne long on ki taraf maara..

finally ek run score hue NITS ki ball par jiske baad aaya strike par ROHAN...

yahi toh chahta tha mai..saanp ko poonch se nahi,mooh se jo kuchalna tha hume..

khair,ab tak ROHAN non striker end se NITS ki har ball ko behadh baariki se samajhne ki koshish kar raha tha..

NITS ki pehli ball ek in swinger thi,dusri sidhi thi aur teesri out swinger thi..

last ball jo usne feki thi woh sidhi thi aur is hisaab se abhi in swinger fekega woh,aisa anumaan lagaya tha ROHAN ne aur hua bhi wahi...

behadh tez in swinger feka tha NITS ne joki ROHAN ke knee level ki height par aaya tha...

par kyunki ROHAN ka anuman sahi tha, isiliye dono pairon ko saath laate hue defend kar liya usne lekin tappa padne ke baad ball itni andar aayi thi ki woh middle nahi kar paaya tha usse.

halki side me lagi ball bat ke aur square leg,jahan mai khada tha, udhar aayi ball jispar tezi se aage badha mai...

agle hi second ball mere haath me thi jisse wapas speedily feka maine ROHAN ki taraf..

hadbada sa gaya tha ROHAN par uske theek piche aaye keeper ne jab ball apne dastane me lapke toh shaant hua woh par is scene ko dekh door baithe CHARLIE SIR muskura uthe the..


CHARLIE-mind game..very good...

DAS-kya ball daal raha hai ye NITS toh...line length bhi badhiya hai iski...

CHARLIE-hmm..par bowling ye akela nahi, do log saath me kar rahe hain..

DAS-matlab...!!

CHARLIE-wait and watch..jahan tak mujhe andaza hai,abhi kuch alag hone waala hai...


pehli ball se dekh rahe the NITS ko CHARLIE SIR..aur unki anubhavi aankhon se kuch chuppa nahi tha..

woh dekh rahe the ki har baar ball fekne se pehle sir halka twist hota hai NITS ka..woh mujhe dekhta hai aur phir mere ishare ke baad aage badhta hai..

abhi tak 2ri aur 4thi ball sidhi daali thi NITS ne jiska matlab tha ki 6th ball bhi straight line hone waali thi..

logic toh yahi kehta tha aur ussi logic ko guess kar ROHAN bhi batting kar raha tha..

par sir ko lagne laga tha ki abhi kuch aur hoga...NIKON ki behadh portable binoculars nikaal chuke the woh aur ussise is waqt up and close hokar dekh rahe the chal raha scene ki tabhi kuch dekh aankhein choti ho gayi unki..

NITS doud chuka tha ROHAN ko apni aakhri gend daalne...seem presentation bilkul upright thi uski...

tezi se doudta hua aaya woh par isse pehle ki woh apni ball daalta,mai aage aate hue halka right ki taraf badh chuka tha..

puri taakat se ghumayi apni shoulder NITS ne maano ball fekne ke liye puri jaan laga di ho usne..

wahin pichli ball ke speed ko dhyan me rakh apne regular stance se thoda pehle hi bat utha liya tha ROHAN ne aur jaise hi ball chhuti NITS ke haath se,toh utni hi tezi se apne left pad ko saamne rakh bat neeche le aaya woh...

apna favourite leg glance maarne ka iraada tha uska aur jis length par ball aa rahi thi, perfect short maarne waala tha ROHAN par tabhi..

bat neeche laate laate hi hadbada gaya ROHAN...

REASON..

ball aayi toh ussi jagah thi jahan expect kiya tha usne par ball ki speed aadhi thi..

knuckle ball feki thi NITS ne jo zaroorat se bohot kam speed se aayi ROHAN ke bat par..

yahi reason tha ki bat ke middle me naa padh ball front edge me padi aur square leg ki left se pierce hone ke bajaye ball backward square leg ki taraf ucchal si gayi...

wahi disha jidhar ball ke bat me lagne se pehle mai badha tha...

par phir bhi ball thodi door ucchli thi mujhse...

par naa pair ki raftar kam hui meri aur naa meri aankhon ne ek pal bhi chhoda ball ki sight ko aur agle hi pal...

meri body kisi spring lage khiloune ki tarah 180 degree stretch hote hue aage ki taraf ucchal si gayi aur apni aakhri hadh ko chhute hue usne meri dono hatheliyon ke beech ball ko chuppa diya tha...

DHAKKK....

fisalta hua sa aage ki taraf slide ho gaya mai par aisa hote hue hi ball jo ab puri tarah control me thi meri,usse hawa me ucchal diya maine...

waise toh ROHAN ke liye beech waali ungli uthana hi sahi hota par umpire ne apni index finger upar utha di thi jiska matlab tha ROHAN out ho chuka tha...

ye sab dekh jahan ek taraf ROHAN jadh sa hokar khada ho gaya,dusri taraf B section waale the,jinke mooh aur gaand ek saath khul gaye the,wahin in sabke beech mere sabhi team mates ucchal hi pade aur bhaage meri taraf..



DAS-did you see what i saw...???ye SANVEER..

CHARLIE-yup... SANVEER...ball bhale hi NITS ke haath me thi,par us ball ki kismat is ladke ne tay ki...

aur sirf ye ball nahi,pura over plan kiya tha usne..

har ball kahan fekni hai, ishare se wahi bata raha tha NITS ko.. woh jaanta tha ki ROHAN bowler ke patterns follow karta hai...

unke thinking process ko khudke benifit ke liye use karta hai...

par aaj SANVEER ne wahi daav ROHAN par palath diya...

ROHAN cricket khel raha tha aur SANVEER uske dimag ke saath..

absolutely brilliant...


wahan sir NITS aur meri taarif kar rahe the aur yahan jo hua,woh pura game ab jaakar samjha tha ROHAN..

kaafi acha khela tha woh par jaise lapeta tha NITS aur maine usse,ego hurt ho gayi thi lounde ki..

mooh neeche kar kuch seconds khada raha woh aur phir jaane ko hua par tabhi....


NITS-ROHAN lounde...mazak udaya tha tere doston ne mere dost ka aur hasa tha tu...ab has...

NITS ki baat sun piche palta ROHAN par face abhi bhi dalle waala banaya hua tha usne jisse dekh..

NITS-kya hua,nahi aa rahi hasi naa..

saale itni pelayi ke baad bhi ab tak nahi samjha tu ki....





utaarna nahi padta hume agar tum chane ke jhaadh par CHADHE NAHI HOTE...

izzat utri nahi hoti tumhari jo apni hadh se aage BADHE NAHI HOTE...

khud ke kad par gumaan karna band kar do B waalon...

tum unche sirf tab tak ho jab tak hum tumhare saamne KHADE NAHI HOTE...




TO BE CONTINUED:-










AAJ KE LIYE ITNA HI....











AAPKA APNA V...J...
Mind game played with mindless Rohan. Ab iski batti banegi aur uss alok ki bhi.
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI NITS AUR SANVY KI SHAANDAR BALLEBAAZI KI MADAD SE SAM KI TEAM ROHAN KI TEAM KO HARA DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-15



30TH APRIL 2019



CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





MY,MY...AAJ TOH MERE DONO BACCHE KUCH ZYADA HI HANDSOME LAG RAHE HAIN..

WHAT'S THE OCCASION...!!!DOUBLE DATES PAR JAA RAHE HO KYA...???


SONU aur NITS ke ghar me aate hi puchi ye baat MAA ne..

BLACK SHIRT jisse kaafi ache se tuck in kiya tha apke wrangler blue JEANS me SONU ne aur kuch waise hi WHITE SHIRT ke saath blue jeans me tha NITS..

baal bhi dono ke aaj kuch zyada hi kareene se saje the maano jel ka lep lagaya ho unpar..

deo ke saath apni apni shirt par halka halka perfume bhi chhidka tha dono mahanubhavon ne..

shoes bhi brown aur black pointed pehne the aur jo kabhi nahi karte the dono, haath me watch bhi baandhi thi loundo ne..

ab unhe aisa chakachak ready hokar toh kahin jaate rare hi dekha tha kabhi MAA ne isiliye date waali baat par chedha unhone dono ko jispar..


SONU-isska ttoh ppata nnahi aunty ppar mmera aur ddate ka kkoi rrelation nnahi bban ssakta kkabhi...

NITS-hau,,aur kabhi banana bhi mat..kyunki tere chaar sentence bolne tak toh date ki timing hi khatm ho jaayegi..

MAA-NITTU.. GALATH baat...kabhi bhi kisike genuine problems ka mazak nahi udaate..

maana besty ho tum dono par phir bhi, it's not good...

SONU-itts ok aunty...mmujhe iskke aur SANVY kke mmazak ppar tthoda bbhi bbura nnahi llagta...

wwaise bbhi,inkki jjagah kkoi aur mmere sttamering kka mmazak uddaye ttoh ye ddono hhi uskki haallath kkharab kkar ddete hhain..


MAA ki baat dun sorry bolne jaa raha tha NITS par SONU ne jo kaha,joki sach bhi tha,usse sun bas muskura utha woh..

wahin smile toh MAA ke face par bhi thi jiske baad..


MAA-aisa hona bhi chahiye..agar kabhi teri problem me tere saath,infact tere aage nahi khade hue ye toh mujhe batana..

taange tod dungi in dono ke...waise ab bataoge ki itna ready hokar jaa kahan rahe ho..???

SONU-SANVY nne nnahi bbataya aapko..??? humare ppure ggroup kko KKHANAK nne apne gghar ppar ddinner mme bbulaya hai...

MAA-really.. that's good...

NITS-kya good aunty.. dinner timing 7 pm ki rakhi hai usne..batao bhala,itni jaldi koi dinner karta hai kya..??

mujhe toh aisa feel ho raha hai jaise snacks khaane jaa rahe hain...

MAA-hahaha..ye KHANAK ke dad army man hain..??

NITS-jee aunty.. aur woh bhi LIEUTENANT GENERAL...

MAA-toh beta,unki dinner timing toh aisi hi hoti hai..

and they are very very punctual too..time se pehle pahunch jaana warna first impression hi bigaad jaana hai..

NITS-isiliye toh 6 baje hi ready ho gaye hum.. waise woh kumbhkaran kidhar hai..

soya toh nahi hua ab tak hamesha ki tarah..


SANVY din me 10 ghante se zyada sota tha..ek saath nahi,gaps le lekar..

jaante the ye baat SONU aur NITS isiliye pucha unhone ye sawal jispar..


MAA-piche dekho.. sir araam se baithe hamari baatein sun rahe hain..

NITS-tu...abbe yahan kya hum koi performance de rahe hain jisse tu judge kar raha hai jo pair par pair rakh chupchap baitha hua hai..

aur ye kya kapde pehne hain tune...??


MAA ki baat sun jab NITS palte toh mujhe half red t-shirt aur black jeans me araam se baitha paaya jispar kahin NITS ne apni baat..


MAI-6.30 hi hue hai abhi..KHANAK ka ghar yahan se bas 10 minute ki doori par hai phir kaahe ki hadbadi..

isiliye apan baithe chill kar rahe the..aur kya kapde pehne hain matlab...???

abbe nayi khareedi hai ye t-shirt.isse better aur kya hoga sirf ek dinner ke liye..

NITS-bhai..army walon ke yahan jaa rahe hain..aur woh log appearance par kaafi dhyan dete hain..

MAI-bhai kapde chaahe GALATH ho,banda sahi hona chahiye jo hum hain...

aur saccha army man saamne waale ke badan ke ache bure kapde nahi,uski aankhon me saaf aur gandi niyat dekhta hai...

chale ab ki aur gyan chahiye...


apni baat bol mai aage badh gaya aur mere piche piche SONU aur NITS bhi ho liye..

wahin hamare ghar se bahar nikal NITS ki car me baiththe tak MAA hume darwaze se dekhti rahi aur car ke aage badhte hi man me chal rahe thought ke saath door band kar diya unhone..


MAA-kabhi 10 saal ka ziddi baccha hai toh kabhi 60 ka anubhavi buzurg...

woh waqt bhi bas kuch waqt ka hi mohtaj hai jab chaand ki sheetalta se lekar suraj ki ugrata ka ek vilakshan udaharan banega mera SANVY....






PLACE-THE RAWAT'S RESIDENCE





ABBE TUMLOG ANDAR NAHI GAYE...


SAM, EKPREET, RAJAT, NAISHA, ANJALI aur RASHI se puchi thi ye baat NITS ne...

KHANAK ke us military duplex bunglow ke bahar hi khade the sabhi jinke paas humne bhi apni car roki thi...


SAM-ab bhai hume laga saath hi chalna chahiye isiliye yahi wait kar rahe the tum teeno ka..

NITS-sidhe sidhe bol naa, KHANAK ke baap ke saamne jaane me phat rahi hai teri..

EKPREET-ye kya hum sabhi nervous hain bhai..

morning jab KHANAK ne kaha ki uske dad ne hum sabko aaj dinner ke liye invite kiya hai,tab tak sab normal tha par jab uske baapuji ka sahi intro pata chala toh suk puk suk puk chaalu ho gayi apni...

RAJAT-ab bhai,apne state aur idhar ki military academy ke senior most commandant officer hain woh...

kinhi royalty se milne jaa rahe hain,aisi feeling aa rahi hai...

MAI-abbe commandant officer, LIEUTENANT GENERAL,ye sab ohde unki work line ke liye hain,apne liye woh bas KHANAK ke baapu ji hain..

chill karo aur chalo andar.. dinner jaldi hoga,is chakkar me lunch bhi kam hi kiya tha aaj maine..

bhook lagi hai zor ki...

ANJALI-ye beda garg karega aaj hum sabka...yahan hum is baat se nervous aur excited hain ki itne respectable personality se milenge aur ye idhar bas khaana khaane aaya hai..bhukkad..

MAI-haan,mai hi khaana khaane aaya hun...tu toh paani peekar nikal legi..

aur kare bhi kyun naa,ghar par teen chaar logon ka khana aur phir lagatar sabka dimag jo khaati rehti hai,bhook kahan se lagegi tujhe..

ee SAM..leke jaa re isko...

ANJALI-tu toh rook.. batati hun tujhe aaj...

MAI-mujhe pehle se hi pata hai..naak dhaari surpnakha hai tu...


ANJALI lapki mujhe maarne par SAM ne usse pakadte hue rok liya aur..


SAM-oh stop it yaar..jab dekho shuru ho jaate ho..jagah toh dekh liya karo kamsekam..

ANJALI-tum chhodo mujhe...iska toh mooh tod dungi aaj mai..mujhe surpnakha bolta hai..

MAI-pura bol..naak dhaari surpnakha... aur bura tujhe kyun lag raha hai..

bura toh original surpnakha ko lagna chahiye jo tere saath comparison ho gaya uska...

ANJALI-teri toh...


kisi tarah chhuda liya ANJALI ne SAM se khudko aur pahunchi mere paas woh...

aur bas..

kameeni ne pakad liye mere baal aur kheenchne lagi..wahin maine pakda uska gala aur dabane laga..

zor se nahi, bas itna ki woh mujhe chhod de par isse pehle ki aisa ho paata...


GUYZZZ..WHAT THE HELL ARE YOU TWO DOING...???


KHANAK thi ye jo apne ghar ke main door se paas khadi aankhen faade hume dekh rahi thi..

wahin uski awaaz sun maine ANJALI ko aur usne mujhe turant chhoda jiske baad..


MAI-hey KHANAK.. looking good...isse bhi thode tips de dena, achi toh tab bhi nahi lagegi par haan,ladki toh ban jaayegi kamsekam...


GREEN POLY RAYON PARTY GOWN pehna hua tha KHANAK ne jisme woh kisi princess se kam nahi lag rahi thi..

waise toh dinner party ke liye suitable dresses sabhi girls ne pehna tha par un sabhi taare numa ladkiyon ke beech akeli KHANAK chaand nazar aa rahi thi..

wahin usse complete contrast outfit me tha mai..

KHANAK ki awaaz sun maine aur ANJALI ne chhod diya tha ek dusre ko par uska mujhe ghurna band nahi hua tha..

kabhi mere bikhre baalon ko toh kabhi mere college going outfit ko dekh rahi thi KHANAK aur mai kisi gadhe ki tarah bas usse tukur tukur dekh raha tha jispar kuch seconds baad halke se muskurayi woh aur..


KHANAK-bahar kya kar rahe ho tum sab...??? anyways,chalo andar, dinner aur mom dad,teeno hi tum sabse milne ke liye ready hain...

SAM-ok..just one second...


ye bol SAM apni car ki taraf badha.woh hi kya,ANJALI,RASHI,RAJAT,NAISHA bhi uske saath gaye aur agle hi kuch hi palon me un sabke haathon ne kuch na kuch wrapped gift boxes the..

par gazab toh tab hua jab un paanchon ki tarah SONU aur NITS bhi do gift wraps lete hue mere baaju me khade ho gaye jispar kai kabhi un boxes ko dekhta toh kabhi un dono chutiyon ko jinhone mujhe is baare me bataya bhi nahi.

mere un dono ke taraf dekhte hi dono ne apne apne kandhe uchka diye the..

anyways,sabke haathon me gift wraps dekh..


KHANAK-ye sab kya lekar aa gaye ho guyzz..???

EKPREET-arre pehli baar tere ghar aaye hain woh bhi tere mom dad ke invitation par toh itna toh banta hi hai..

RAJAT-aur chill kar tu,kuch khaas nahi laaye hum..

mai, EKPREET, RASHI aur NAISHA toh kuch home decor sculptures laaye hain...

aur SONU,NNITS SSWEETS aur FFRUITS laaye hain...

KHANAK-wow, great..aur SANVY, tum kya laaye ho...??

MAI-arre hum toh khud hi tohfa hain...

ANJALI-gift aur tu..bhangaar me bhi naa le tujhe koi...

MAI-kahan se lega..bhangar me waste materials lete hain, matlab teri jaisi chizen..mera kya kaam udhar..

aur EKPREET,SONU aur NITS kya laaye hain,tujhe kaise pata..???

EKPREET-mujhe kya,sabhi ko pata hai.. conference me hum sabne milkar hi toh tay kiya tha ki kaun kya laayega..

ANJALI-aur conference ke liye mobile ki zaroorat hoti hai jo tere paas hai nahi, isiliye tu reh gaya...

EKPREET-wait,tu sach me kuch nahi laaya...SAM ne toh bola tha ki woh tujhe ghar par call karkar bata dega..


EKPREET ki baat sun maine SAM ko dekha jisne mujhe dekh aankh maar di..

MAI man me-oh beta ji .khel gaya lounda...


KHANAK thi hamare beech isiliye kamine ne mujhe lapet liya tha is baar..

not bad...


KHANAK-ye kya discussion liye khade ho guyz..ab ye gift puraan chhodo aur chalo jaldi andar..


KHANAK ki baat sun hum sabko andaza hua ki 7 toh ab se 7 minute pehle hi baj chuke the aur isiliye sabhi turant ghar andar jaane ke liye lapke.


KHANAK-occasion ke hisaab se dress tumhari thodi alag nahi hai..


jab mai aage badha toh mere saath hi ho li thi KHANAK aur pucha mujhse usne ye sawal jispar..


MAI-ab invite bhi toh tumne mujhe sabse alag kiya tha.. toh socha,dress bhi sabse alag pehnu...

kyun,tumhare dad kuch kahenge kya..??

KHANAK-kahenge toh nahi par observe zaroor karenge..

MAI-karne do..mai kaun sa unki beti ka haath maange aaya hun..

KHANAK-kuch bhi bol dete ho naa..!!!


meri baat sun usne sharam se laal hote hue kahi apni baat jiske baad ek sahi mezbaan ki tarah hum sabse aage nikal entrace door par khade hote hue hume andar lekar aayi KHANAK....


KHANAK-mom, these are my friends...he is EKPREET, that's RAJAT,NAISHA,ANJALI,SAM,RASHI,SONU,NITS and he is SANVY...

HELLO MAM,NAMASTE MAM...


lagbhagh 5.7 inchi lambi ek georgette saari pehne hue behadh khubsoorat mahila,MRS SHILPA RAWAT as in KHANAK ki mom joki hall me hi sofe par baithi thi, unhe hum sabka intro diya KHANAK ne aur humne bhi apne apne tarike se wish kiya unhe jispar..


SHILPA RAWAT-hello baccho..so finally,we met... KHANAK bohot baatein karti hai aap sabke baare me..

and please,no MAM..aunty kahoge aap sab mujhe..


SHILPA aunty ki baat par hum sab bas muskura diye jiske baad..


EKPREET-aunty,some gifts..

AUNTY-itne gifts..itni formality ki zaroorat nahi thi beta..


EKPREET ke saath baaki sabne bhi apne apne gifts aunty ki taraf badhaye jisse dekh kahi ye baat unhone jispar koi kuch kehta ki tabhi..


KIS FORMALITY KI ZAROORAT NAHI THI BHAI...


andar ek room se bahar aate KHANAK ke dad MR PRABAL RAWAT ne apne dumdaar awaaz me pucha ye sawal jispar hum sab jo ab tak casually khade the, achanak hi kisi army man ki tarah saawdhaan ki mudra me khade ho gaye...


(INFO:-LIEUTENANT GENERAL MR PRABAL RAWAT..1989 tha inka first service year jo ab tak continued hai..waise toh 52 ke hain ye par dikhne me 45 ke bhi nahi lagte..kadh,6.2,saaf rang aur chehre par kisi proud Indian ka tej saaf jhalakta tha..muchen kisi typical army man ki tarah dono kinaro se hamare raashtra dwaj ke hi tarah hamesha upar uthi hui jo apne shaan ki gaatha bina bole hi bata rahi thi)

KHANAK-now that's my dad...dad,my friends..

SAB-hello sir..


hamare greetings ke baad aunty ki tarah hamara intro uske dad ke aage bhi diya KHANAK ne jispar..


UNCLE-hello bacchon...how are you all doing..??

SAB-fine sir, thanks...

UNCLE-you all can call me uncle..arre ye kya,itne gifts..??

AUNTY-issi formality ki baat kar rahi thi mai...

UNCLE-true...

SAM-uncle, this is for you...


baaki sabke haathon me gift wraps the par SAM ne ek patla aur lamba open gift bag sa pakda tha jisse uncle ke paas jaate hue aage kiya usne..


wahin uncle ne ek nazar daali SAM par jisne baakiyon ki tarah sirf formal shirt aur trousers nahi balki shirt ke upar ek bohot hi khubsoorat aur latest blazer bhi pehna hua tha..

impress hue the uncle SAM ke apperance se aur ye impression tab aur badh gaya jab uske laaye bag ke andar rakhi chiz nikali uncle ne..


UNCLE-"DOM PERIGNON,2008...


nice but beta,itna mehenge champagne laane ki zaroorat nahi thi tumhe..


DOM PERIGNON..one of the finest modern vintage champagne aur jo 750 ml ki bottle SAM laaya tha,keemat uski 25k se zyada thi jo uske manufacturing year ko dekh jaan chuki thi uncle ki paarkhi aankhein...


SAM-zaroorat nahi thi uncle,but because it's an honour to meet a personality like you,mujhe laga ki gift bhi aisa hona chahiye jo aapki glittering aur shining personality ko suit kare...

UNCLE-hahaha...if that's the case,i humbly accept your gift son..

come..aap sab bhi aayiye bacchon..


SAM ko apni side se lagate hue aage badhe uncle jiske baad hum sab bhi unke piche ho liye...


NITS-loundi pate na pate,loundi ka baap zaroor pat chuka hai is SAM se..


mere kaan me dheere se kahi ye baat NITS ne jispar mai bas smile kar gaya..

khair,hall kaafi bada tha is duplex bunglow ka aur jahan hum jaa rahe the, dining table par usse thoda pehle wall par ek bada sa board bana hua tha jisme tange the LIEUTENANT GENERAL PRABAL RAWAT ki shourya gaatha..

unke achieve liye hue medals ke square prints...

PVSM
ATI VISHISHT SEVA MEDAL
VISHISHT SEVA MEDAL
YUDH SEVA MEDAL
SENA MEDAL.


SAM-wow uncle... that's an incredible board of honour...

UNCLE-army pasand hai aapko...!!

SAM-pasand..!!!uncle ARMY is the backbone of our country.. pasand naapasand ka toh option hi nahi hai..

we are bound to respect them..i mean you...


SAM ka jawab bohot bhaaya tha uncle ko jo unke face par saaf dikh raha tha..

khair,us board of honour ke paas kuch der rook hum sab dinner table ki taraf badh chale..

is beech ek servent ne sabhi ke gift wraps collect kar liye the..

kuch dishes jo abhi just complete hui thi,unhe plates me sajane ke liye kitchen ki taraf badh chuki thi..

wahin dusra servent salads aur paani wagairah saleeke se saja raha tha...

is beech uncle hum sabhi ke saath dining table par baith chuke the jiske baad..


UNCLE-toh bacchon, how's your study going on..??

SAB-good uncle..

UNCLE-aur SAM...kya karte hain aapke parents..??

SAM-uncle mom dad toh divorced hain..mai apni mom ke saath rehta hun..

SMRITI CHANDER... that's my mom..she runs a diamond manufacturing company called GLITTERS...

UNCLE-GLITTERS...woh toh uttarakhand ki sabse badi diamond manufacturing company hai.. right..??

SAM-jee uncle..

UNCLE-toh aage chalkar mom ki company sambhalne ka iraada hai..!!!

SAM-abhi us baare me socha nahi hai uncle..par mai apne dum par mom ki tarah naam earn karna chahta hun...

UNCLE-thats good..par son, uske liye bohot hardwork karna padega...

tumhari mom ne ek bohot bade mukaam par hain..

unke aas paas bhi apne dum par agar pahunchna hai toh you got to be the very best..

EKPREET-that he already is uncle..SAM SIRIUS ka champion hai..study,sports, acadamics..

har chiz me number 1 hai ye..infact pichle saal interschool championship bhi issine jeeti thi..

he is the best of dehradun..


EKPREET ki baat sun uncle joki pehle se hi SAM se kaafi impressed the, us impression ka level aur badh gaya..


UNCLE-really.. that's very very good SAM...toh acadamics me bhi ache ho tum..kaun kaun se skills me knowledge rakhte ho...

EKPREET-pattern stuffs,unki note taking, acadamic thinking as in journalistic styles,communicating, collaborating skills..

aise hi kuch chizon ke baare me padhna aur janana acha lagta hai uncle..

UNCLE-what about the theoratical knowledge of your country's army..

SAM-oh i love to know as much as i can uncle..

UNCLE-toh kuch puchun hamari army ke baare me..???


ab ye pata tha mujhe.. students hain hum aur is waqt army man ke saamne hai toh ye topic toh uthega hi..

kyunki har reputative military man jisne apni zindagi ki kayi sadi di ho apne desh ko,woh ye zaroor janana chahega ki yuva pidhi apne desh ke sabse mahatpurn stambh "ARMY" ke baare kitna jaanti hai...


SAM-sure uncle.. puchiye..

UNCLE-dehradun me rehte ho tum sab aur is waqt apne sheher ke hi MILITARY ACADAMY ki boundry ke andar ho...

toh yahi batao, DEHRADUN MILITARY ACADAMY ka motto kya hai...???

SAM-VEERTA AUR VIVEK...

UNCLE-very good..acha ye batao,INDIAN ARMY kul teen bhaagon me baati gayi hai..

un teen bhagon ka naam kya hai..??

SAM-thal sena as indian army..
nou sena as in indian navy aur vaayu sena as in indian air force...

UNCLE-impressive..aur baccho,aap me se koi batao ki hamari thal sena ka motto kya hai..??


SAM se nahi,baaki sab se pucha tha ye sawal uncle ne jispar mujhe chhod baaki sab sochne waale thobde ke saath busy ho gaye jiske baad..


RAJAT-haan,yaad aaya, service before self.. khud se pehle seva..

UNCLE- right...

aur nou sena ka motto..???

SONU/EKPREET-SSHARNO VVARRUN

jal ke devta humari raksha karo.....

EKPREET ne saaf aur SONU ne halka atakte hue ek hi jawab diya joki sahi tha..

UNCLE-bilkul sahi aur vaayu sena ka dhyaye vaakya..!!!

NITS-ye mujhe pata hai..garv se aakash ko chhuo...

UNCLE-well jawab toh sahi hai par proper nahi..jo aapne kaha, woh exact moto ka hindi anuvaad hai..asal shabd nahi..

ANJALI-nabhsparsham diptam..

UNCLE-bilkul sahi..bohot acche beta..


jahan ek taraf ye dekh ki sirf SAM hi nahi,unki beti ke baaki dost bhi army ko lekar knowledgeable hain,khush the uncle wahin dusri in sab ke douran mujhpar bhi dhyan jaa chuka tha unka..

pehle toh meri dress joki college going look waali thi,dusri uncle ne notice kiya tha ki baaki sabke haathon me gifts the siway mere and at the end, uncle ne ye bhi dekha ki unke puche gaye sawalon par maine jawab dene ki koshish karna toh chhod, interest bhi nahi dikhaya hai..


UNCLE-kya baat hai beta..??aapko dekh kar lagta hai jaise apne desh ki army me bilkul interest nahi hai aapko..

mujhe pucha tha uncle ne ye sawal jispar..


MAI-bilkul hai uncle..waise puch sakta hun ki kyun laga aapko aisa...???


jahan baaki sab ab bhi uncle se koi bhi baat karne me halke hichak rahe the,wahin maine bindaas unki aankhon me dekh pucha tha ye sawal jispar mere sabhi dost hairan bhi hue aur mere mooh fath hone ki wajah se uncle ko bura na lag jaaye,iska dar bhi satane laga tha un sabko..

aur KHANAK...woh toh sabse zyada ghabra uthi thi..par saamne hi baithe the uske dad aur mai usse thoda door..

kuch keh ya ishara kar sakti thi nahi woh isiliye bas pray karti hui chupchaap baithi thi..

khair,mere sawal ko sun..


UNCLE-aapne mere puche kisi bhi sawal me interest nahi dikhaya..jawab dene ki koshish bhi nahi ki..

MAI-common sawal the uncle jinka jawab bhi utna hi aam tha..ye sabhi jaante the unka jawab phir ek extra awaaz ki bhala kya zaroorat..

UNCLE-really..toh aap kehna chahte hain ki army se related woh sawal jo normally zyada logon ko pata nahi hote,unke jawab aap de sakte hain..

MAI-uncle,mere according army par sawal jawab nahi hote.informations hoti hai jinhe jaanana bhi ek gourav ki baat hai..

for example,hamari army ke vaayu sena ka dhyaya vaakya hai,nabhsparsh diptam jo ANJALI ne bataya aur ussika hindi anuvaad,garv se aakash ko chhuo,jo NITS ne bataya,asal me ye moto geeta ke gyarve adhyay se liya gaya hai..

mahabharat ke mahayudh ke dauran kurukshetra me BHAGWAAN SHRI KRISHNA ARJUN ko updesh de rahe the..

hamari vaayu sena ka dhyaya vaakya ussi updesh se liya gaya hai...


meri baat sun joki sahi thi, uncle toh man hi man hairan hue the par mere sabhi dost mooh faade mujhe hi dekh rahe the...

khair,kuch seconds mujhe dekhte rehne ke baad..


UNCLE-info bilkul sahi hai son but the thing is ki agar MOTTO pata hai toh usse related ye jaankari nikalna jo aapne abhi batayi,ye common baat hai..

agar mai aapse inhi army mottos se related ek aisa sawal puchun jo out of the box hai aur zyadatar logon ko nahi pata toh doge jawab aap...??

MAI-jawab de hi dunga,ye kaise bata sakta hun mai uncle..ho sakta hai ki zyadatar logon ki tarah jawab mujhe bhi nahi pata ho.

but i will try..agar nahi bhi pata hua,toh aapke through kuch naya jaan jaaunga mai..


UNCLE ko laga ki ab unhe pampering kar raha hun mai taaki unke puche sawal ke jawab naa pata hone par bhi embarrassment naa face karni pade mujhe..

khair,sawal toh puchna hi tha unhe aur isiliye...


UNCLE-ok then..geeta ke through ek motto ki detailing di aapne toh ussise milta julta ek sawal hai par thoda tricky hai..

dhyan se sunana..

"yadi tum maare jaate ho toh swarg prapt karoge..yadi vijayi hote ho toh prithvi ko bhogoge.isiliye hey kunti putr arjun,yudh karne ka nishchay karkar khade ho jaao..."

ye wordings bhi GEETA se hi li gayi hai...kya aap bata sakte ho ki kis army regiment me in wordings se bana MOTTO use hota hai aur woh exact MOTO hai kya..???

MAI-gadhwal riffles...aur unka exact MOTO hai YUDHAYA KRUTH NISHCHAY...

matlab yudh ka nishchay karo..

"hatoh waa praapsyasi swarg jiswah waa bhokshyase mahim!

tasmadutisht kountyaya yudhyaya kruth nishchaya.

geeta ke issi shlok ke aakhri teen shabdon se liya gaya hai woh motto...


kehte hain ki kabhi kabhi soch badalne me waqt nahi lagta..aisa hi kuch abhi mere aur uncle ke beech hua tha..

jahan kuch seconds pehle tak woh mujhe ek carefree nonsense youth samajh rahe the,wahin mere is ek jawab ne joki completely deep aur accurate tha,unka mere prati percpective pura hi badal diya tha..

behadh khushi aur proudly dekh rahe the uncle is waqt mujhe par isse pehle ki woh mujhse kuch kehte..


DINNERS READY....


ye aunty thi jo ghar ke dono servents ke saath milkar pura dinner lekar aa rahi thi aur ye dekh KHANAK aur baaki teeno girls turant lapakne ko hue unki taraf par tabhi..


AUNTY-arre baitho beta.. it's not that much..


apni baat bolte hue aunty aur woh dono servents table par saari dishes sajane lage..

butter roti se lekar naan,zeera rice se lekar daal makhni,chicken tandoori se lekar paneer do pyaza,sab bana tha aaj is dinner me..

koi mini dawat se kam nahi lag raha tha ye dinner occasion..

saare dishes serve hue jiske baad hum sabka khaana shuru hua..

khaane ke beech baat karne ki pratha idhar bhi banned thi isiliye dinner badi shaanti se beeta par is beech uncle lagatar mujhe dekhe jaa rahe the..

waise pata toh mujhe bhi thi ye baat par khaana itna sahi tha ki meri nazar apni plate ko chhod kahin aur gayi hi nahi..

saala iska 10 percent focus bhi padhayi me nahi kiya tha maine kabhi...

anyways,kuch der me hamara dinner khatm hua jiske baad desert ke naam par servents ne vanilla aur black current ice-cream ke bade bade bowls hamare beech rakh diye the jinhe aunty ne hamari pasand ke flavour ke according hume serve kiya..

aur is dauran...


UNCLE-waise kya naam bataya tha aapne apna son..??

MAI-SANVEER uncle...SANVEER AHARYA..


mera naam sunte hi uncle ko man hi man laga halka sa jhatka aur..

UNCLE-your parents...???

MAI-mere dad kuch saalon pehle guzar chuke hain...i live with my mom..

woh yahin B.O.B main branch me FIELD OFFICER hain..her name is VERONICA PAUL AHARYA...

and my father's was...

UNCLE-MR SANEEL AHARYA...


meri jagah uncle ne naam liya mere dad ka jispar bas haan me sir hilaya maine par is douran kuch feel kiya tha maine..

mere dad ka naam lete waqt pehli baar halke nervous dikhe the uncle..

khair, uncle ke mere dad ka naam lete hi..


AUNTY-you knew him..???kya woh bhi army me the...

UNCLE-nahi,bas suna tha unka naam maine..sorry for your loss son...


uncle ki baat par bas halke se muskura bhar diya mai jiske baad..


AUNTY-so bacchon,ummid hai ki khaana pasand aaya hoga aap sabko...

MAI-it was yummy aunty...and thanks for inviting us..

UNCLE-pleasure was completely ours son..


ice cream khatm ho chuki thi hum sabki isiliye apni jagah par khade hote hue kahi apni baat maine jispar uncle aur aur aunty bhi khade ho chuke the..

mere sabhi dost, girls bhi uth chuke the aur uncle aunty ko farewell thanks kehne hi waale the ki tabhi..


MAI-uncle,a small gift..mehengi toh nahi hai par shayad aapko achi lage..


apne back pocket me se ek chota sa wooden box nikala maine aur uncle ki taraf badha diya jisse pakadte pakadte hi unki aankhon me hairani dikhne lagi thi..

DALBERGIA...wood joki sheesham ki tarah hi hota hai ya fir te kahun ki seesham hi hai bas ek aur swaroop bhi hota hai is lakdi ka jo thoda aur gehra rehta hai..

kaafi rare lakdi ka swaroop hai ye aur issi lakdi se bana tha woh chota sa box jo maine uncle ko diya tha aur unki anubhavi aankhon ne us lakdi ki vilakshanta ko pehchaan bhi liya tha..

par kotuhal unke man me us box ke andar rakhi chiz ke liye zyada ho chala tha aur isiliye unhone turant us box ko khola aur aisa karte hi jo chiz unke saamne aayi,pehle toh usse dekh woh zyada samjhe nahi par jab haath aage badha unhone us CHIZ ko chhua toh aankhein badi ho gayi unki...

ek chamkile peetal rang ki ring jiski chamikili rangat halki halki udi hui thi,woh thi us box ke andar..

us ring ke chaaron taraf "VANDE MATARAM"ye shabd gude hue the..

par uncle ki hairani ka kaaran na woh shabd tha aur naa woh ring balki us ring ko chhute hi uske nirman kriya ka abhaas ho chuka tha unhe aur isiliye aankhon me sawal liye woh mujhe dekh rahe the jispar..


MAI-jee haan uncle..you guessed it right.. used bullets se bani hai ye ring..

aur koi aisi waisi bullets se nahi balki hamare desh ki freedom fight ke one of the most important movement,THE NON COOPERATION MOVEMENT ke waqt hamare freedom fighters ke istemal kiye gaye bandhook ki goli se bani hai ye ring...

one of my dad's prized possession..maine socha isse unke paas hona chahiye jo isse sabse zyada deserve karte hain..

aap..toh mai yahi le aaya..i hope aapko acha laga..

meri baat toh shayad aadhi hi suni thi uncle ne..unka sara dhyan toh bas us ring ko chunne aur usse sach maanane me laga hua tha..

par meri aakhri baad sun unhone meri taraf dekha aur..


UNCLE-sach kaha tha tumne son..ye wakayi mehengi nahi hai.kyunki iski keemat lagayi hi nahi jaa sakti..

jung me bohot se medals jeete hain maine par ye ring,isse bada samman kabhi kisine nahi rakha mere haathon me..

thankyou beta, thankyou very very much...

aage badh kar gale hi laga liya tha uncle ne mujhe..army man the toh rona dhona toh hone se raha unse par us ring ko paakar kitne khush aur bhaavuk the woh,ye unki mujhpar pakad se saaf zaahir ho raha tha...

khair,kuch seconds baad jab uncle mujhse alag hue toh...


MAI-ok uncle,we will take your leave now..

aunty,thanks for the dinner..khana wakayi bohot tasty tha..

AUNTY-beta tumhara hi ghar hai..jab dil kare,aa jaana...


mere sir par haath ferte hue kahi ye baat aunty ne.

uncle ki khushi dekh woh bhi bohot khush thi..

khair,aunty ki baat sun mai aur baaki sab palat bahar jaane ko hue par tabhi..

mujhe apne kandhe par ek strong haath mehsoos hua..

ye uncle the jo mujhe saath liye mere saath hi baahar chal diye the aur ye dekh..


NITS-maan gaye bhai SANVY...100 rang birangi paintings bhi itne colours nahi dikhati jitne ek baar me tu dikha deta hai...

impression jhaadne ka jo dour SAM ne apni puri taakat dikhate hue shuru kiya tha,saale tune bina mehnet ke hi us dour ko apne waqt me badal diya..

maan gaye prabhu aapko..


khudse hi muskurakar ye budbudate hue mere piche piche ho liya tha NITS..

wahin uncle ke saath chalte hue meri nazar apne right par gayi jahan KHANAK thi aur usse dekh aankh maar di maine jispar sir shake karte hue bas muskura uthi woh..

khair,main door ke bahar aa chuke the hum jiske baad uncle,aunty aur KHANAK teeno rook gaye..

wahin hum sab bahar nikalte hue ek baar palte aur..


SAB-good night uncle,good aunty.. night KHANAK..

KHANAK-good night..

UNCLE/AUNTY-good night bacchon.. araam se jaana..


un teeno ko greet karne ke baad apni apni car ne baith hum sab nikal chuke the jiske baad..


KHANAK-kaise lage dad mere friends...???

DAD-jaise friends ko hona chahiye...they all are good..very good actually...

KHANAK-really..thanks dad..


apne dad ki baat ya phir ye kahun ki remark ko sun khush ho gayi KHANAK aur unhe aur apni mom ko baari baari hug kar apne room ki taraf chal padi jiske baad...


AUNTY-so...!!!

UNCLE-so what...!!??

AUNTY-pehli baar aapko kisise itna zyada impressed hote hue dekha hai...the kid must me special...???

UNCLE-special...!!!aap andaza bhi nahi laga sakti..

AUNTY-aur kahin iska ek kaaran SANVEER ke dad,what was his name,haan,SANEEL AHARYA toh nahi hain..

UNCLE-aur aisa kyun laga aapko...???

AUNTY- SANVEER ke dad ka naam lete waqt shock aur nervousness,dono ke bhaav jaage the aapke face par..

ab ye coincidence toh ho nahi sakta ki LIEUTENANT GENERAL PRABAL RAWAT yunhi nervous ho jaaye..

pehle toh nahi hua kabhi aisa...??

UNCLE-sharp observations,haan...!!!

AUNTY-aakhir biwi kiski hun..??

UNCLE-hahahaha..haan,ek kaaran woh bhi hai..

AUNTY-aap jaante the unhe..??

UNCLE-haan bhi aur nahi bhi...

AUNTY-iska kya matlab hua..???

UNCLE-pehli baar aur iske baad kayi baar MR SANEEL ko apne hi acadamy me kuch cadets ke saath yunhi baat chit karte hue dekha tha maine..

haste muskurate mazak karte hue hi notice kiya tha maine har baar unhe...

tab laga tha ki kisi cadet, officer ke rishtedar ya friend honge..

par ye galatfehmi thi meri jo bohot jald door ho gayi...

yaad hai,8 saal pehle FIELD MARSHAL AMAR DEEP SINGH BHINDER yahan aaye hue the...

tab kisi kaam se unke stay par gaya tha mai...

lekin hall me kadam rakhne se pehle hi jo dekha maine, woh kabhi nahi bhul paaya mai..

maine dekha ki SANEEL AHARYA hamare FIELD MARSHAL ke saath khade kuch baat kar rahe hain..

AUNTY-par isme hairan hone waali kaun si baat thi...???

UNCLE-jab army ke sabse bade ohde par kaabiz FIELD MARSHAL
AMAR DEEP SINGH BHINDER ek civilian SANEEL AHARYA ke saamne saavdhaan position me khada ho aur baat aise kar raha ho jaise koi student apne sabse senior teacher se karta hai,toh hairani hoti hi hai...


uncle ki baat sun aunty kuch bol hi nahi paayi..woh bas aankhein faade uncle ki baat ko sun khadi hui thi jisse dekh..


UNCLE-haan, aisa hi kuch reaction tha mera...

AUNTY-aapne kabhi jaanane ki koshish nahi ki MR SANEEL AHARYA ke baare me..

UNCLE-tumhe lagta hai nahi ki hogi..ki,bohot ki par kuch pata nahi chala..

aur jiske aage puri ARMY ka number one designated officer bhi saavdhaan position me khada ho,usse directly toh confront nahi kar sakta naa mai..

isiliye kuch waqt baad jab mujhe kuch bhi pata nahi chala toh jaane diya maine..

AUNTY-strange..

UNCLE-hmm,par utna hi strange ye ladka hai.. SANVEER..

AUNTY-strange..woh kaise...!!!

UNCLE-KHANAK ka ek friend bata raha tha ki SAM unki school ka champ hai..

but SANVEER ke hote koi aur kaise champ ho sakta hai...!!!

AUNTY-oh common,ye kya baat hui..???zaroori thodi naa hai ki agar dad khaas hon toh unka beta bhi waisa hi hoga...!!!!

UNCLE-khaas..!!!woh ladka kitna khaas hai,ye feel kar liya tha maine dining table par..

uski baatein, confidence ek alag level ki hain...

usse andaza nahi hai ki woh sahi hai,woh jaanta hai ki woh sahi hai...

ek aisa sitara jo apni chamak se 100 surya ki roshni bhi dhak de..par surprisingly, woh khudki chamak ko hi chhupaye hue hai...

AUNTY-mujhe toh WOH bas ek jolly,full of life aur open book ki tarah ladka laga..

suspicious toh bilkul nahi thi uski identity..

UNCLE-yahi toh sabse alag baat hai...jolly,full of life aur open bhi hai woh magar phir bhi usme kuch toh alag hai,kahin na kahin GALATH hai..kyunki...





jab zamin khudko udhede hi nahi,toh koi GADE TOH GADE KAISE...???

jab dushman dikhe hi naa toh koi LADE TOH LADE KAISE...???

khuli kitaab hai WOH par panne chipke hue...

aur jab woh panne alag hi naa ho toh koi kitaab PADHE TOH PADHE KAISE...???













AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Sanvy to har baar surprise pe surprise deta rahta hai. Ek second mein game palat deta hai chahe koi bhi game ho. Fantastic update.
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA APNE BETE KE THOUGHT PROCESS KO SUN EK BHAVISHYA KI KALPANA KARTI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY LIEUTENANT GENERAL PRABAL RAWAT URF KHANAK'S DAD KO IMPRESS KAR DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-16


CITY-DELHI

PLACE-INFRONT OF THE POLICE
HEADQUARTERS






JAISA KI AAPKO PATA HAI,KAL DELHI KE HEART AUR HAMARE DESH KE GAURAV KA EK STAMBH MAANE JAANE WAALE RASHTRAPATI BHAWAN KE IRD GIRD KUL 3 BOMB DHAMAKE HUE...


DELHI POLICE HEADQUARTERS ke bahar camara ke saamne haathon me mike pakde xxxx channel ki one of the youngest but at the same time,the most dynamic and popular female reporter SOUMYA BHOI latest aur live news update de rahi thi..

SOUMYA hi kya,is waqt desh ke sabhi bade news channels ke reporters aur crime media coverage waale is jagah moujud the...

khair, apni baat ko aage badhate hue...


SOUMYA-ab tak ki jaanch se pata chala hai ki ye teeno bombs asal me teen alag alag tarah explosives the..

NITROGLYCERINE, TRINITROTOLUENE AUR RDX..

ye teeno explosives highly destructible hain aur kal inke detonation se jo shock waves generate hue the,usne pure rashtrapati bhawan ki imarat ko hila kar rakh diya tha...

waise toh is blast me casualties ek bhi nahi hui hai par hamare desh ke sabse surakshit kille par hua ye humla apne saath ek bohot bada sandesh laaya hai...

ek message ki hamare desh ki sabse surakshit jagah bhi ab surakshit nahi rahi...

abhi tak is blast ki zimmedari kisi bhi aatankwadi sangathan ne nahi uthayi hai...

isiliye national security ki dhajjiyan udaane ke piche kaun log hain,unke maksad kya hain,ispar bas atkale aur anumaan hi lagaya jaa sakta hai...

abhi ke liye itna hi.. jaise hi is waardat par koi naya update aata hai,xxxx news usse sabse pehle aur sabse tez aap sabke saamne lekar aayega...

mai SOUMYA BHOI xxxxx,cameraman xxxxx ke saath aapke favourite news channel xxxx se....


SOUMYA ke mike neeche karte hi cameraman ne bhi apna vazani camara neeche kar liya..

aaj subah se hi SOUMYA aur uska crew kisi senior police adhikari se milne aur lead lene ki khwahish me yahan police head quarters ke saamne khade the par morning se hi headquarters ke andar lagatar chale rahe meetings ki wajah se koi bhi aala afsar bahar nahi nikla tha.

haan, alag alag area ke sub inspectors aur inspectors zaroor bahar dikhe the par naa unke paas koi zyada jaankari thi aur shuruati koshishon ke baad reporters ne bhi unse sawal jawab karna lagbhagh band hi kar diya tha...

anyways, SOUMYA ke mike neeche karte hi uske crew ki ek junior paani liye uske paas aayi..

april ka mahina chal raha tha isiliye delhi me dhoop ki aanch bhi kuch zyada hi tagdi thi...

lagatar bolte rehne aur dhup me continously khade hone ke kaaran SOUMYA ka gala bhi kaafi sookh gaya tha isiliye paani ki bottle dekhte hi usne usse jhapat sa liya par shayad aaj paani bhi SOUMYA k tarsane ke mood me tha..


CAMERAMAN-madam... COMMISSIONER...


headquarters ke gallery se hote hue is taraf aate INDRATAN KHATRI joki DELHI ke POLICE COMMISSIONER the,unpar nazar padte hi kahi thi ye baat CAMERAMAN ne jisse sun paani ki bottle wapas apni us junior ki taraf phekte hue apna mike lapak SOUMYA turant headquarters ki stairs ke taraf badh chali..

par aisa karne waali woh akeli nahi thi...wahan moujud sabhi reporters ki nazar bhi COMMISSIONER OF DELHI POLICE par padh chuki thi aur isiliye woh sab bhi SOUMYA ki hi tarah stairs ki taraf badh chuke the par ek seemit doori par un sabko rook jaana pada tha..

REASON...

barricades aur blocks jo stairs ke dono taraf lage hue the aur saath hi saath commissioner se pehle hi darjan bhar se zyada constables aur hawaldar ek chain sa banate hue apne department ke sabse badi adhikari ke liye raasta clear kar chuke the..

aur jaise jaise commissioner INDRATAN KHATRI stairs se neeche utar rahe the, reporters ke sawal joki ek dusre ki awaaz se takrakar sirf shor se zyada kuch nahi lag rahe the,padne lage unki kaano par lekin Commisioner sahab aaj kisi explanation ya breaking news dene ke mood me the nahi, isiliye sir sidha rakh woh tezi se stairs utar saamne hi khadi apni car ki taraf chal nikle the par tabhi...


SOUMYA-kya kal hue dhamakon ke peeche G.O.D hai sir...???


us naa samajh me aane waale shor ke beech ek clear awaaz padi commissioner ke kaano par jisse sun unke pairon par turant break sa laga..

awaaz ki disha me ghuma INDRATAN KHATRI ka chehra jiske saamne ab darjan bhar se bhi zyada mikes unke mooh ki taraf rookh kiye jaise unke bolne ka wait kar rahe the.

par INDRATAN KHATRI ki nazar us awaaz ki maalkin ko pehchan gayi thi jiske sawal se woh rooke the aur isiliye..


KHATRI-assume karke hi news banakar dikhate hue hi agar aapko T.R.P gain karni hai toh jo chaahe dikha dijiye..

SOUMYA-jab sach parde me ho toh assume karte hue hi us parde ko hataya jaata hai sir..

aap bhi toh case solve karne ke liye yahi tarika apnaate hain...

waise jawab nahi diya aapne,kya kal hue BOMB DHAMAKON ke piche G.O.D ka haath ho sakta hai...???

COMMISIONER-abhi tak koi pushti nahi ho paayi hai..jab hogi toh aap sabko pata chal jaayega...


ye bol turant wapas moode INDRATAN KHATRI aur agle hi pal woh apni car ke andar the jiske baad unka pura kaafila tezi se aage badhte hue gayab ho chuka tha..

commissionar sahab ke jaate hi ab reporters ka bhi wahan koi kaam nahi bacha tha aur isiliye woh sab bhi apne apne news truck ke paas loutne lage..

SOUMYA bhi apne cameraman ke saath ghum chuki thi par tabhi..


EXCUSE ME....

kisi dusre channel ki ek young intern thi ye jisne SOUMYA ko piche se awaaz di thi..

COMMISSIONER se sawal puchne ke dauran SOUMYA ke baaju me hi khadi thi ye ladki..

khair,uske awaaz par uski taraf palti SOUMYA jispar..


REPORTER-hye...myself MEENAL GUPTA...xxxx me haal hi me intership mili hai mujhe..

ma'am,first of everything,i have to say it..i am huge admirer of your work..

aapke saare reportings aur articles dekhti aur padhti aa rahi hun mai.aapke sabhi crime investigation ke process kaafi helpful rahe the mere college thesis me...

aapke saare articles,blogs aur interviews lene ke tarike ko dekh aapki intelligence saaf jhalakti hai jiska ek live suboot abhi de diya aapne..

COMMISSIONER INDRATAN KHATRI jaise camera ke saamne naa khade hone waale ka bhi ek tarah se interview le liya aapne...

SOUMYA-thanks MEENAL and i am sure ki ek din tum bhi apne liye naam zaroor banaogi.

bas itna yaad rakhna ki there is no short cut to success....


kandhe ko thapthapate hue behadh shaant par khushmijazi se mili SOUMYA us bhaavi aur bhavishya ki samvaddata se jiske baad..


MINAL-ma'am can i ask you a question...???

SOUMYA-reporters puch kar sawal nahi karte MINAL..jo man me aaya,bas puch lete hain..toh just shoot...

MINAL-aapne COMMISIONER SIR ke saamne GOD kaha tha..??? what's that...

SOUMYA-GOD nahi,G.O.D. it's an acronym...ek parivarni shabd..

MINAL-and what does this G.O.D acronym means..???aur hai kya ye..???is it a gang or something..???

SOUMYA-G.O.D....

GENESIS OF DESTRUCTION...

aur koi maamuli gang nahi hai ye....!!!its the biggest syndicate,the most dangerous underworld organization of ASIA....

human trafficking,drugs, aminations se lekar kayi terrorist organisation ko paise suppy karti hai G.O.D..

sabse zyada khatarnaak hone ke saath saath G.O.D is the most intelligent organization that has ever been surfaced...

infact,inki intelligency hi hai jo inhe itna deadly banati hai..har desh ki har political parties me dakhal hai inki aur woh bhi bina khud ke spear heads ko saamne laaye...

MINAL-really..than how come maine nahi suna is syndicate ke baare me...??

SOUMYA-woh isiliye kyunki pichle 6 saalon se hamare desh me iski ek bhi activity notice nahi ki gayi hai...

MINAL-phir aapne is organization ka naam kyun liya COMMISIONER SIR ke saamne...

SOUMYA-kyunki jurm karna is organization ke liye koi kaam aur junoon nahi hai,balki shouk hai..

G.O.D likes to challenge every government and there intelligence..

khelti ye syndicate har desh ki sarkaar se,mazak udati hai unki suraksha vyavastha se..

aur kal jo hua..

MINAL-woh aisi hi ek harkat thi...

SOUMYA-yup...but i wish ki kal ke blast ke piche G.O.D ka haath naa ho kyunki agar aisa hua toh is baar bhi wahi hoga jo G.O.D ke maamle me saalon se hota aa raha hai.

kuch bhi nahi...they are like a real GOD...dekha kisi ne nahi par haath sabhi ke jude hai unke aage..




2 SAAL PEHLE:-




CITY-DEHRADUN

PLACE:-OLD TRAINING GROUND




THAP,THAP,THAP,THAP....


apni puri jaan lagate hue badi tezi se doud raha tha SAM aur ussi tezi ko barkarar rakhte hue apna target,woh 100 metre race jiski practice woh pichle ek mahine se kar raha tha, uska ye lap bhi pura hua jiske baad..


HAANP,HAANP,HAANP,SHIT...

apna ye lap pura karte hi apni smart watch ke chaalu time analyser ko rok di thi SAM ne aur tezi se haafne ke beech jab uski nazar watch ke screen par padi toh halka jhunjhla utha SAM...

REASON...

aaj se mahine bhar pehle ek quarterly race hui thi SIRIUS me jisme senior batch ke students ko hara diya tha SAM ne..

par jahan uski speed ko dekh bohot khush hue the teeno SPORTS TEACHER aur khaaskar MAANIKPURI SIR joki khaas alag alag race ke specialist the,wahin jeetne ke baad bhi SAM thoda upset tha aur woh isiliye kyunki 100 metres ke track ko pura karne ke liye apne liye jo timing set ki thi usne,usse woh pure 5 seconds piche tha..

ab 100 metre ke race me 5 seconds 5 minute ke gap ki tarah hote hai.. bohot zyada..

apni ussi 5 seconds ke slow timing ko pichle ek mahine se cover karne ki koshish kar raha tha SAM jisme usse 2 second tak cover karne ki hi kaamiyabi mili thi aur aisa usne aaj se 7 din pehle hi achieve kar liya tha lekin uske baad uski speed 1 second bhi nahi badh paayi thi..

har din lagbhagh 1 ghante woh yunhi continously sprints maarta tha..

akele football ke chote paases ki bhi practice karta tha taaki uske pairon ki displacement timing badh jaaye..

par itni mehnat ke baad bhi jab woh ek hafte me ek second tak cover nahi paaya,toh aise me frustration toh hogi hi jo usse hui...


FRUSTRATION PERFORMANCE GROWTH KO AUR DHEEMA KAR DETI HAI...


SAM ke piche se aayi ye awaaz joki meri thi..

aaj sunday tha aur har sunday ki tarah mai apne BMX par yunhi pure dehradun ko naapne nikal gaya tha..

(NOTE:-the old one..jo ROHAN & party ke saath hui ladhayi me puri toot gayi thi)

aur yunhi bmx ride karte hue mujhe yaad aayi ye jagah,ye cold ground jahan SAM har morning running practice karne aata hai isiliye mai bhi is taraf aa gaya..

SAM ka last 100 metres sprint,stop watch calculations aur aakhri me uski jhunjlahat dekh maine muskurate hue apni baat kahi jispar...

SAM-tu nahi samjhega yaar..jab apni puri jaan lagane ke baad bhi desired results nahi milte toh kaisa lagta hai...

MAI-change the way then..i mean,jo jo tarike aazmaaye hain tune,unse kuch alag kar..

woh bolte hain naa, champions kuch alag nahi karte, bas jo karte hain,uska tarika baakiyon se alag hota hai..


meri baat ya phir ye kahun ki advice achi lagi thi SAM ko par sawal tha KYA...!!!

kya alag try kare woh par mujhe dekhte hue hi usse woh ALAG tarika strike kar gaya..


SAM-dude meri help karega...???

MAI-mere bas me hua toh bilkul...

SAM-mere saath race laga...

MAI-hain, hell no dude..mujhe nahi pasand doudna..

SAM-pata hai bhai...par please..dekh,ab tak mai continously akela hi douda hun..

par mujhe lagta hai ki agar koi mere saath doude toh meri speed me fark baithega..

MAI-bilkul baithega..mere saath douda toh aur slow ho jaayega tu...

SAM-oh common dude..akele doudne se jo result mil raha hai,i am sure ki usse behtar result aayega mera...

ek kaam karte hain.mai tujhe 10 metre ka heads up deta hun..mai 100 doudunga aur tu bas 90 doudiyo..

kya bolta hai..?? please bhai,dost ki help nahi karega yaar...

MAI-ro mat be..chal theek hai..


meri haami sun khush ho gaya SAM par saath hi usse jitna lagta tha ki woh jaanta hai mere baare me,woh soch....


SAM-great.. but hang on,dude mujhe pata hai ki tu running ke naam se aur slow ho jaata hai..

par bhai,aaj nahi..apna pura dum lagakar doudega tu,thik hai...tujhe meri kasam...

MAI-haan naa be..nahi marne dunga tujhe.. doud lenge jitna ban padega apne se..


mere reaction ko dekh aankhein choti ho gayi SAM ki aur..


SAM-tu nahi lagaye dum saale...kamsekam meri kasam par toh nahi..

isiliye....tu apni puri raftar se doudega..tujhe AUNTY KI KASAM...

MAI-SAM....


SAM ne toh haste hue kasam di thi mujhe par us kasam ko sun bohot ghussa chadh chuka tha mere dimag me.

SAM ka naam chillate hue uski taraf badha tha mai par phir aankhein band kar khudko rok liya tha maine..

apne ghusse ko pee raha tha mai wahin mere reaction ko dekh halka dar chuka tha SAM..

aur mere khudko shaant kar aankhein kholte hi kuch bolne ki hua woh par tabhi..


MAI-chal,lagate hain race...


jis tarah boli thi maine ye baat,aage kuch bol hi nahi paaya SAM..

chune se ek straight line kheenchi hui thi SAM ne race ki starting point par jahan jaakar khada ho chuka tha mai...

SAM bhi chupchaap aakar khada ho gaya mere baaju me aur..


SAM-bhai mai toh bas..

MAI-timing set kar..jaldi khatam karte hain ye..


uski baat beech me kaat kahi maine apni baat jisse sun..


SAM-tu 10 metre aage khada ho jaa..

MAI-zaroorat nahi padegi uski..chal,jaldi set kar timer apni...


meri baat sun SAM ne kuch aage kaha nahi aur chuchaap time analyser me stop watch screen open kar di jiske baad...


SAM-on our marks,get se..

MAI-lets go....

THAPPPP...THAPPP...THAPPP...THAPPP....


mere lets go bolte hi mai aur SAM doud pade the jiske baad jo hua,usse dekh SAM ka mooh doudte doudte hi khul chuka tha..

jahan usse laga tha ki mai running start karne ke agle hi pal piche reh jaaunga wahin ab tak lagbhag 30 metre ki doud puri kar chuke the hum dono aur is waqt mai SAM ke piche ya saath me nahi balki kareeb 1 feet usse aage nikal chuka tha..

ye dekh hairani toh bohot hui SAM ko par us shocking moment me bhi uske andar ka competitor active tha jisne uske pairon ki raftar kuch aur badha thi thi..

lekin us speed trigger ne SAM ka shock aur badha diya tha.. dimag ke saath gaand bhi fatne laga tha SAM ka..

REASON...

SAM ko samajh bhi nahi aaya aur uski speed badhne ke baawjud mere aur uske beech jo 1 feet ka difference tha,woh 10 feet me badal chuka tha..

HAANP, HAANP, HAANP, HAANP, HAANP...

is beech apni puri jaan lagate hue jab finally uske woh 100 metres pure hue toh..

TIK.....

apne stop watch ko rok chuka tha woh...

aur jab halke halke haafte hue uski nazar apne watch par dikh rahe race ke dauran uske use kiye time duration par gayi toh ek baar phir aankhein badi ho chuki thi SAM ki..

par is baar is hairangi ka kaaran ek nahi do tha...

pehla kaaran khud uski timing thi..jahan pichle ek week ke continous effort ke baad bhi woh apne us bache 3 seconds ke gap mese ek second ko bhi cover nahi kar paa raha tha,wahin bas is ek race me usne woh pure 3 seconds tak cover kar liye the..

matlab apna target achieve kar liya tha usne..par aisa hone ke baad bhi khush nahi tha woh aur yahi tha uske shock hone ka dusra kaaran..

MAI aur meri speed.. kyunki jis speed se maine apne 100 metres pure kiye the,usse ek andaze ke hisaab se dekh SAM jaan gaya tha ki uska jo time target tha,maine us target se lagbhag 3 seconds pehle hi woh race puri kar di thi..

jiska matlab tha ki mai SAM se sirf 3 seconds nahi balki pure ek saal aage chal raha tha kyunki meri abhi ki speed uska 1 saal aage ka target tha..

yahi sab dekhte,analise karte hue woh mujhe dekhe jaa raha tha..

par aisa karte waqt kab apni nakami par aur second hone par uski aankhon se aansu nikal pade,usse andaza bhi nahi hua...

wahin race khatm kar kuch seconds mai bhi SAM ko bas dekhta raha..

apni mom ki kasam diye jaane ki wajah se naraaz toh ab bhi tha mai usse par uski aankhon me aansu aur un aansuon ki haqiqat jaan shaant ho gaya mera dimag aur mai badha uski taraf aur..


MAI-fikr mat kar...SIRIUS school devision ka future champion tu hi hai...

mujhe in sabme koi interest nahi hai...

but,never ever repeat what you did today..

meri mom ke naam se,unki kasam se kabhi tempt mat karna mujhe warna yaad rahe, koi bhi race sirf tab tak teri hai jab tak us race me tere aage SANVEER AHARYA khada nahi hota...





PRESENT TIME:-




MAR GAYA KYA BE BAITHE BAITHE...???


zor se hilaate hue pucha tha maine ye sawal SAM ko..

subah ka waqt hai...aaj 4th of may hai...summer ki 1 month classes khatm ho chuki thi aur filhal holidays chaalu thi par saath hi saath cricket practice bhi..

subah 7 se 9 hoti thi ye practice par SAM 1 ghanta pehle hi school aa jaaya karta tha taaki extra excercises jinme se sprint uska main heads-up tha, woh kar sake..

aaj bhi school ke cricket ground ke baaju me bane TRACK STADIUM me jogging karne ke baad thak kar kuch der ka rest lene ke liye stands par aankhen band kar baitha hua tha SAM ki tabhi mai tapka uske paas aur usse uski woh do saal pehle ki yaad se bahar nikaal laaya..

wahin aankhen khol mujhe dekh thoda hadbada sa gaya SAM par turant khud ko normal karte hue...


SAM-hey buddy, what's up..??

MAI-tu bata,neend aa rahi thi toh nahi aana tha aaj..ek din me kya fark padh jaata..

SAM-aise kaise bhai..har ek din ke continous hard work se hi toh yahan tak pahuncha hun mai..

exercising, continous effort,ye ab meri life ka unbreakable part hai yaar..

MAI-regular rehna sahi lagta hai mujhe..

bas itna bol deta toh bhi kaafi tha..short essay about dedication ki zaroorat na thi bhai..

meri baat par muskuraya SAM aur phir..


SAM-meri chhod,tu bata ki tujhe subah subah yahan aane ki kya zaroorat padh gayi..

i mean,tu toh cricket practice me part bhi nahi leta...

MAI-par woh kamina NITS toh leta hai naa..ab CHARLIE SIR ne mere denial par toh kuch nahi kaha par NITS na bach paaya unse..

usse practice me aane ke liye strictly kaha tha sir ne jispar saala woh mere par bhadak gaya..

ab khelne ke liye toh pressurise nahi kar sakta woh mujhe par saale ne dhamki di ki mujhe bhi practice me daily aana padega..

nahi toh woh bhi nahi aayega..so here i am..

SAM-great, chale ab...!!!


ye bol uthne laga woh par tabhi...


MAI-ek second buddy...kuch puchna hai tujhse...??

SAM-ya..!!!kya...???

MAI-kuch dino se tere face par mujhe dekh ek saath do expressions aa rahe hain..

SAM-do expressions.. matlab kuch bhi...

MAI-you very well know that i am never wrong SAM...

SAM-kya tu bhi yaar.acha jab expressions tak guess kar raha hai tu toh ye bhi bata de ki kaun se do expressions aa rahe hain mere face par...

MAI-dar aur guilt..


meri baat sun ek second ke liye expression less ho chuka tha SAM ka face jiske baad khudko dobara normal kar kuch bolne ki hua par usse pehle hi..


MAI-cut the crap SAM..ghuma mat baat ko..kar nahi paayega...aur sidhe sidhe discuss kar matter ya woh bhi mai hi clear karun..???


meri baat par kuch kaha nahi usne aur bas chupchap mujhe dekhta raha jispar..


MAI-fine..pichle kuch waqt se jo ho raha hai,ussise dara hua hai tu..

tujhe lagne laga hai ki teri limelight chhin raha hun mai..tera har effort mere presence me useless padh jaa raha hai...

phir chaahe B section waalon ke saath hue friendly match me meri performance jispar sabhi khush the siway tere..

yaa phir KHANAK ke dad ko impress karne ke liye jo ARMY ke baare me thodi bohot research ki tune par woh bhi us shaam vein me gayi..

aur reason..mai...

teri har koshish fail ho rahi hai aur iska reason tu mujhe maanane laga hai...


meri baat sun sir halka jhuk gaya SAM ka jiske kuch der baad..


SAM-par...

MAI-par..ye par hi tere dusre expression aur feel yaani GUILT ki wajah hai..

har baar jab tera dimag ye kehta hai ki SANVY tere piche honi ki wajah hai,tera dil is blame ko deny karta hai..

woh jaanta hai ki jo bhi ab tak hua hai,woh coincident bhi hai aur normal bhi..

ek healthy competition me believe karta hai tera heart par 2 saal pehle jo hua tha,us wajah se tera dimag ye maanane laga hai ki sidhi tour par tu mujhse jeet nahi sakta..

tere dimag aur tere dil ke beech ho rahi ladhayi se paida hua hai tera ye guilt waala expression..

am i right or am i right...!!!


meri saari baat aur calculations joki sach the,unhe sun ek lambi saans chhodi SAM ne aur haan me sir hilaya apna jiske baad...


MAI-jaanta hai tu champion kyun hai...???

isiliye nahi kyunki mai participate nahi karta,balki isiliye kyunki apni mehnet ko performance me badal apne saath saath school ko bhi winner banata hai tu...

tera dedication, tera focus and most importantly,tere jitne ka jazba tujhe champion banata hai..

aur in saari chizon me se ek bhi quality mujhme nahi hai aur isiliye mai baakiyon ki tarah bas ek normal student hun...

koi ye nahi jaanta SAM ki kabhi maine tujhe race me haraya tha,par pura dehradun ye baat jaanta hai ki SAMEER CHANDER har race me first aata hai..

isiliye jo bhi tu feel kar raha hai,faayda nahi un thoughts ka..

bindaas reh and just feel like the champion that you actually are..


ABBE BHOSDOKE LOG...GAY GAY KHEL RAHE HO KYA UDHAR BAITHE BAITHE...AAO BE,SIR BHI AA GAYE HAIN..


ye tha NITS jo track stadium ke entrance se hi chillate hue bola humse jispar hum dono hi dheere se has pade..


MAI-ruk,aa rahe..


ye bol uth khada hua mai aur..


MAI-chalen ya aur gyan chahiye...!!!

SAM-kaafi hai bhai..tu chal, mai kit gather karke aata hun.. dusri taraf rakh diya tha maine..

MAI-cool..jaldi aayiyo..


ye bol mai NITS ki taraf badh gaya aur SAM opposite stands ki taraf par tabhi mai palta aur..


MAI-SAM...mai apna vaada nahi bhula..SIRIUS SCHOOL DIVISION ka champ tu hai aur tu hi rahega..


ye bol muskurate hue wapas palath gaya mai par SAM meri baat sun apni hi jagah par khada reh gaya aur khudse hi budbudane laga woh..


SAM-kya cheez hai yaar tu...???saala jaan laga deta hun mai apne number 1 spot par kaayam rehne ke liye aur ek tu hai jo us spot ko khudhi laath maar deta hai...

but i get it my friend...





jab koi khudhi zameen par ho toh usse aur neeche JHUKAAYE KAISE...???

jiski koi HADH hi naa ho,usse HADHON ka ehsaas KARAAYE KAISE...???

jo ladhe bina hi har jung jeetne ki kuwwat rakhta ho usse....

SIKANDAR bhi harana chaahe toh aakhir HARAAYE KAISE...???













AAJ KE LIYE ITNA HI....











AAPKA APNA V...J...
Jise jeene ka hunar aata ho use jeena seekhaye kaise,
Jo haar kar bhi jeet jaaye use haraaye kaise.
vj4u
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DELHI ME SOUMYA MEENAL KO G.O.D NAAM KE SYNDICATE KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY SAM KO EK BAAR PHIRSE PROMISE KARTA HAI KI SIRIUS SCHOOL DIVISION KA CHAMPION SAM HI RAHEGA.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-17


DATE-8 JUNE,2019


CITY-DEHRADUN

PLACE-E MARKET,GLOBAL CHOWK...






PATA NAHI WOH DIN KAB AAYEGA JAB EK SAATH PHATE TAK SHOPPING KAR PAAUNGA MAI...???


E market ki 20 se zyada galiyon me se ek me mudte hue khudse hi kahi thi ye baat NITS ne jispar...


SONU-kkabhi nahi..

NITS-manhooson waala mooh aur baatein bhi waisi hi..koi acha time dekhkar kar mar jaana bhosdoke...

SONU-abbe jjhaanttiyen, FUSION jjaate hhai hhum sshopping kkarne..

uddhar ffate sshopping kkarne bbaithe toh ppehle ggand ffategi tteri..

pprice jaanta hhai nna wwahan kke kkapdon kki...

MAI-ye baat toh sahi hai par beta chiz bhi toh sahi deta hai naa...best trendy kapdon ka stock sabse pehle udhar hi aata hai..

NITS-udhar nahi idhar..aa gaye dekh...


humse kareeb 30 metres door saamne left me FUSION SHOP ka naam uske top board par shine kar raha tha jidhar hum teeno ke hi kadam badh chuke the..

FUSION girls boys dono ke hi top aur latest trendy brands rakhne ki sabse sahi shop thi..

pichle 3 saal se hi mai,NITS aur SONU yahin se shopping karte aa rahe the...

kabhi kabhi mom ke saath bhi aa jaata tha mai idhar...

anyways,hum teeno hi chalte hue FUSION SHOP ke paas pahunche hi the ki tabhi saamne se ek white indigo car jiske front grill par bade bade aksharon me ARMY likha hua tha,FUSION ke theek saamne aakar ruki..

waise toh E MARKET me enter karte hi bike aur car parking thi jahan apni apni gaadi park karne ke baad market ke andar paidal hi aana padta tha..

humne bhi sonu ki scooty udhar hi park ki thi par as said, ARMY..ye ek shabd jiske maayne hamare dehradun me sabse zyada thi,issiki wajah se saamne shop ke aage rooki car ko aisa karne ki chhut mili hui thi..

khair,hum teeno hi ek baar us car ko dekh uske baaju se nikal shop ke andar jaane hi waale the ki tabhi us indigo ka back door open hua aur usme se bahar nikli MRS SHILPA RAWAT, KHANAK'S mom jinki car se utarte hi nazar humpar padi aur..


SHILPA RAWAT-SANVEER right...!!!

MAI-jee aunty... afternoon...


pehchan toh SONU aur NITS ko bhi liya tha aunty ne par naam shayad unhe sirf mera yaad tha isiliye meri taraf badhte hue bola mera naam unhone jispar maine aur mere baad SONU aur NITS ne bhi aage badhte hue unke pair chhue..

2019 aur woh bhi SIRIUS jaise super modern school me padhne ke baawjud jahan west ki tarah sidhe hugs aur kisses ka chalan rehta hai, hum teeno ka yun pair chunna bohot bhaaya tha aunty ko jo unke face par saaf dikh raha tha..


AUNTY-maaf karna bacchon.. pehchaan toh mai aap dono ko bhi gayi thi par naam yaad nahi raha mujhe aap dono ka..

SONU-itts okk aunty..mmai SSONU aur ye NITENDRA..

NITS-but you can call me NITS aunty..

AUNTY-kyun, NITENDRA naam me kya burayi hai..maayne pata hain aapko aapke naam ke...

NITS-nahi aunty..kabhi pucha nahi mom dad se...

AUNTY-LORD OF POLICY...NITI KE BHAGWAN..ye matlab hota hai beta aapke naam ka..aur aisa naam kisi bade pehchaan se kam nahi hota..

NITS-hain.. phir toh naam GALATH padh gaya bhai tera SANVEER...tera naam hona chahiye tha NITENDRA...

AUNTY-accha.. matlab aapke group ke sabhi planning yahi mohoday karte hain,kyun...??

MAI-kahan sun rahi hain aap iski baat aunty...kuch bhi bolta hai ye..infact,iski asli pehchaan bhi yahi hai..kuch bhi bolna..


jahan meri baat sun mujhe ghurne laga NITS wahin has padi thi aunty jiske baad..


AUNTY-waise SANVEER naam bhi bada rare hai aur iska matlab hota hai LEADER.... BAHADUR.. koi aisa jo apne grounds kabhi nahi chhodta...

kaafi soch kar naam rakha hai beta aapke mom dad ne aapka..

MAI-thanks aunty...

AUNTY-so shopping..!!!

MAI-jee aunty...just some casual wears...

AUNTY-come then..


hum sab ek saath showroom ke entrance ki taraf badh chuke the..

is beech..


AUNTY-let me guess.. Saturday,SAMEER ke resort me pool party ke liye hi shopping karne aaye ho,right..!!!

NITS-KHANAK ne bata diya aapko..??? please aunty,usse permission de dijiyega naa..bas one day ka overnight stay hai..

aur aise bhi,monday se school session resume ho raha hai, phir kahan kar paayenge hum party...

AUNTY-beta,pure vacation me hafte ke paanch din kahin na kahin party ki hai aap sabne..

pehle kabhi aisa nahi hua ki KHANAK ke dad ne usse late night bahar rehne ki ijaazat di hai par aap sabki wajah se usse ye chhut mil gayi hai..

aur rahi overnight stay ki baat toh abhi KHANAK ke dad bahar hain,kal aayenge toh bol kar dekhungi unhe...muskil hai par dekhte hain...

MAI-mushkil KHANAK ke liye hoga aunty,par aap joki one of the most beautiful women ke khitaab ko aaj bhi jeetne ki PRABAL daawdedar hain,unki request MR PRABAL RAWAT deny kar de, itni toh PRABAL naa hogi unke inkaar ki diwaar...

AUNTY-charming and buttering at the same time..nice beta...

MAI-charming keh sakte hain aap par buttering, bilkul nahi...ab jiske naam ke maayne hi ek khubsurat moorat ho,ek bejod pratima jo kala ke anjori sundarta ki parakashtha darshata ho, uski taarif toh laazmi hi hai...


apni kahi baat ko justify karne ke liye jin shabdon ka use kiya tha maine,shayad sune nahi the pehle aunty ne..

upar se unke hi naam ke maayne bade sahi tareeke se apne statement ke through bata diya tha maine isiliye aankhein faade dekh rahi thi woh mujhe..

wahin SONU aur NITS jinhe pehle hi andaza tha ki kuch toh aisa zaroor bolunga mai jiske baad aunty ka reaction shocking hi hoga,ab jab aisa hi ho raha tha toh dheere dheere has rahe the woh dono...


EXCUSE ME...


ek lady customer jiske haathon me shopping ke kaafi bags the,usne kahi ye baat jispar hum sab turant thode side ho gaye..

darasal baat karte hue hum sab shop ke andar thoda centre area me hi khade the jis wajah se aane jaane waalon ka space halka block sa ho raha tha..


HELLO MA'AM..HEY GUYZ,KAISE HO...???


FUSION ka sabse acha salesman SUBHASH tha ye banda jo hume aur aunty ko bhi jo shayad hamari tarah yahan ki regular customer thi,ache se jaanta tha..

actually,yahan ke owner MR JIGNESH PADHIAR aur meri mom ki achi jaan pehchaan thi..

aur unke through yahan ke saare sales man mujhe bhi jaante the..

anyways, subhash bhaiya ki greetings par hello kahan aunty ne jiske baad..


MAI-hey subhash bhaiya..kya haal chal...???

SUBHASH-badhiya yaar SANVY...kaafi ache jeans collection aaye hain, second floor chala jaa,banda hai udhar..dikha dega tujhe..

and ma'am bohot se latest designs aayi hain sarees me..mai SUNITA ko bhej deta hun,she will show you everything...

hum sab normally jo shop karte hain,ussike according guess karte hue apni baat rakhi SUBASH BHAIYA ne jiske baad...


MAI-naa bhai.is baar bas capri chahiye aur sandos chahiye..

SUBHASH-teeno ko..

MAI-yup...

AUNTY-pool party me pehenani hai nawabon ko...


AUNTY ki is mitthe kataksh par mai bhi muskura diya aur subhash bhaiya bhi jiske baad..

SUBHASH-capri,sandos ke liye third floor chale jaaon teeno..

MAI-cool...waise aunty,aap GEORGETTE me hi saari lengi shayad, right...!!!

AUNTY-aapko kaise pata..!!!

MAI-silk georgette,i assume..


abki baar aunty ki aankhein badi ho chuki thi meri baat sunkar..ekdum sahi jo guess tha maine..

AUNTY-how do you know this..??

MAI-well it's not that a big deal..abhi aapne silk georgette hi pehni hai..

aur us raat jab hum sab aapke ghar dinner par aaye the,tab bhi aapka ek servent kuch folded saaris ka bunch liye hamare saamne se nikla tha..

kareeb 5 saaris thi un folds me aur woh sabhi silk georgette hi the... isiliye assume kiya maine ki shayad aap georgette me silk matterial hi prefer karti hain...


exact clearification de diya tha maine jiske baad normally logon ke dimag shaant ho jaate hain par yahan kuch ulta hua..

meri baat ya phir ye kahun ki meri observation ke baare me sun aankhein aur badi ho chuki thi aunty ki..

aur shayad aisa hona bhi tha aur woh isiliye kyunki unke jis servent ki baat abhi maine abhi ki thi, jiske haathon me aunty ki saari's ka bunch tha,woh hamare saamne se kuch 10 second ke andar hi paas ho chuka tha aur itne waqt me hi uske haathon me thehre kapdon ke details jaan liye the maine..

aunty ko ab woh time bhi yaad aa raha tha jab ye sab hua tha..mai uncle se baat ka raha tha us waqt..

matlab dhyan mera uncle par hi tha..nazarein bhi unpar hi tiki thi meri lekin in sabke baawjud us servent par gaur kiya tha maine...

baat choti si thi par phir bhi deep thi aur isiliye mere baare me uncle ki us din banayi raay ke sahi maayne ab samajh aa rahe the aunty ko..


MAI-are you with me aunty...??

AUNTY-kya,haan,haan..toh kya keh rahe the aap..??


mere is sawal par apne thought process se jaise achanak baahar aayi thi aunty jiske baad..


MAI-mai ye keh raha tha aunty ki agar aapko silk georgette hi lena hai toh aaye hue latest collection se time hi waste hona hai aapka..

AUNTY-aisa kyun..??

MAI-well aajkal synthetic polyester fibres se bane georgette saariyon ka chalan hai,trend hai..

iske alawa poly aur satin georgette bhi kaafi chal rahe hain..

silk material ko ethnic type maana jaa raha hai isiliye woh aapko old collections me hi milega..


saari's ko lekar knowledge ladko ke maamlo me hadh se zyada rare chiz thi aur shayad mere umar ke ladko me toh impossible hi thi,aise me meri itni deep info ko jaan aunty hairan aur impressed dono ho gayi thi aur isiliye..


AUNTY-ab aap kapdon ke,woh bhi ladies outfits ke bhi expert ho gaye SANVEER...!!!

MAI-hahaha..aisa nahi hai aunty..woh mom ke saath unki shopping ke liye bhi aata rehta hun idhar isiliye thodi bohot knowledge hai..

AUNTY-ye thodi bohot thi..beta,itna toh ache ache salesman ko bhi nahi pata hota..

SUBHASH-true ma'am..ye jab apni mom ke saath aata hai toh hamare sabhi sales waale chup hi rehte hain.

isse kaun si cheez kahan rakhi hai,har rake tak ke baare me pata hota hai..

MAI-rake se yaad aaya, bhaiya,jahan aunty jaayengi,udhar fourth coloum, beech se last rake me rakhi hain silk georgette ki best sariyan...woh dikha diyo..

SUBHASH-dekha ma'am...

AUNTY-hmm.. bohot aage jaaoge beta aap... bohot aage..

MAI-aage as in sales me aunty...


mazak kiya maine aunty ki taarif par jispar pyar se haath fera unhone mere sir par aur...


AUNTY-woh option, choice aapka hai..par itna pakka hai,jis raah bhi chaloge aap,kamiyabi kadam chumegi aapke..

apne naam ka sahi paryay ho aap SANVEER..a born leader, simply the best...

ok,i will go shop now..aap bhi jaaiye aur haan,mai try karungi ki KHANAK ki uske dad night out ki permission de den..

but you will take care of her, right...???

MAI-i will aunty, that's a promise....

AUNTY-i know son...


jahan ye bol aunty shop ke saari collection's ki taraf badh gayi wahin jab mai ghuma SONU aur NITS ki taraf toh woh dono ek dusre se kisi topic par baat kar rahe the..

kya,aaiye khud jaan lijiye..jis waqt mai aur aunty baatein kar rahe the,theek ussi waqt...


SONU-abbe,ye ttoh unnhi bbandon mme sse ekk hhai naa jjise us ddin bbambboza me SANVY ne nanga karke suta tha..

ek bande ko jo hum sabke paas se hote hue upar first floor ki taraf jaane laga tha,usse dekh kahi ye baat SONU ne jispar..


NITS-abbe ye JIGNESH UNCLE ka ladka hai..KALPESH...

SONU-kkaun JJIGNESH UNCCLE...??

NITS-bhosdoke,unhike dukaan me khada hai tu..

SONU-arre hhaan,bbhul ggaya ttha bbhai..

NITS-saala us din isse udhar BAMBOOZA me dekh mujhe bhi laga tha ki kahan dekha hai isse.

baad me yaad aaya ki ye is FUSION SHOP ka waaris hai.. bencho,pata nahi upar waala aise madarchodon ko itna kuch fokat me kaahe ko deta hai...

SONU-abbe appne bbaap sse hhamari sshikkayat ttoh kkarne nahi jja rraha yye...!!!

NITS-ghanta.. TAPLESH UNCLE mast aadmi hai..sahi GALATH samajhte hain woh..us raat galti in logon ki hi thi..

unhe pata chala toh aur sutayi hogi iski...

MAI-kya khichdi paka rahe ho be...


yahi woh time tha jab in dono ki taraf palat sawal pucha maine jispar..


NITS-abbe woh KALPESH yaad hai tujhe jisse...

MAI-SAMRAT ka lounda naa..ye apne JIGNESH UNCLE ka beta hai woh..haan,pata hai..

SONU-ssaale,kkya nnahi ppata hhota ttujhe...!!!

MAI-abbe sou se zyada baar aaye hain idhar apan..itna nahi pata hoga kya...???

SONU-mmujhe ttoh nnahi ppata ttha...

MAI-kyunki chodu hai tu...

NITS-hahaha..upar floors ki taraf gaya hai woh,isse laga ki apne baap ko hamari complain karne gaya hoga..

MAI-badhiya..chalo,apan bhi chalte hain upar...

NITS-abbe pagal hai kya..??idhar lafda nahi karte bhai,panga ho jaayega..

MAI-ee mat raha karo re saath dono... chodupanti ka virus paas ho raha hai dono me..

loudon,capris aur sandos upar third floor par hi milte hain..ab chalo...

hang on,ek condition rakhte hain..jo third floor sabse pehle pahunchega,capri aur sando me sabse pehle khudke liye choose wahi karega.. baaki dono uske baad..

SONU-aisa..cchal pphir,rready hhun mmai...

NITS-arre hum toh paidaishi ready hain..

MAI-bacchon pair chhodo,ek ungli se hara dunga mai tum dono ko..

SONU-hhain..ekk unggli sse hara ddega.!!! wwoh kkaise..???

NITS-abbe fekh raja hai chutiya..

MAI-dekhte hain..

NITS-aisa,chalo phir,on your marks,

SONU-gget set..

MAI-GO...


mere GO bolte hi bhaage hum teeno par SONU aur NITS mujhse kaafi tez stairs par chadhe the..

aur saale doud bhi aise rahe the maano apne piche waale ko aage nikalne ka mouka hi naa dena chahte ho..

khair,in teeno ka race chalne dete hain,filhal is douran hum chalte hain us KALPESH PADHIAR ki taraf jo kuch ek minute pehle upar ke floors ki taraf gaya tha...



THIRD FLOOR:-



KNOCK KNOCK KNOCK...



teen floors me bane is shop ke is aakhri manzil par jisme boys ke liye shorts aur beach, swimming pool wears rakhe jaate the,iske edge par ek room bhi bana hua tha jahan KALPESH aur uske friends game wagairah khelte the aur chill-out karte the..

ussi room ke door par knock kiya tha KALPESH ne jiske baad..


KALPESH- abbe kholo darwaza gaanduon,maa chuda rahe ho kya apni apni...


pichle ek minute se lagatar darwaza knock kar raha tha KALPESH par is baar khatkhatane ke baad jab andar baithe loundon ne darwaza nahi khola,toh frustrate hokar halki dabi par gurraati awaaz me gaali di KALPESH ne jiske kuch seconds baad woh locked door khul gaya..

NAMITH ne hi khola tha door aur uske aisa karte hi SANCHA(charas waali cigerate)
ki ek tez badbu sidhe padi KALPESH ke naak par..

aankhein laal ho rakhi thi is waqt NAMITH ki jo ye saaf bayan kar rahi thi ki SANCHA ke anginat kash ab tak kheench chuka hai woh..

andar 3 bande aur the jinka haal bhi NAMITH ki tarah hi tha..

par KALPESH jiske liye ye badbu kisi mehek se kam nahi thi,usne bhi NAMITH ke haath se us SANCHE ka sutta lete hue ek gehri kash lagayi aur..


KALPESH-bhai, woh SIRIUS ke lounde aaye hain shop me...wahi SANVEER aur uske dost..


KALPESH ki baat sun pehle se hi laal hui padi NAMITH ki aankhon me jaise khun hi utar aaya tha...


NAMITH-iski maa ka..saalon ko idhar hi kaat deta hun...

KALPESH-arre shaant bhai..pelna toh mai bhi chahta hun usse par abhi dukaan me hain hum..

idhar koi lafda nahi kar sakte apan...par ek info hai mere paas jisse iski aur iske doston ki maa chod sakte hain apan...


NAMITH-aisa..toh bata phir...

YES,MAI JEET GAYA...TU....SAALE TU KAISE PAHUNCHA PEHLE...???


KALPESH kuch kehta ki tabhi ye awaaz aayi is floor ke pehle stairs se jisse sun...


NAMITH-wahi log hain..bhai,abhi ghussa sambhalna apna...

jaane de inhe,phir baat karte hain apan...



BACK TO HERO:-



YES,MAI JEET GAYA...TU....SAALE TU KAISE PAHUNCHA PEHLE...???


NITS tha ye jo sabse pehle pahuncha tha third floor aur aisa kar halke zor se apni khushi jata hi raha tha woh ki tabhi stairs se lagkar dusri taraf bane lift ki taraf dekh aankhein badi ho gayi thi uski..


REASON..

apne saamne ke saare daant dikhate hue mai jo khada tha us lift se lag kar aur ye dekh pehle toh mere idhar pehle pahunchne par sawal kiya usne par phir lift dekh woh khudhi maajra samajh gaya aur..


NITS-ye cheating hai saale..

SONU-bbilkul..

MAI-i object judge sahab..yaad kar,kya kaha tha maine... third floor par sabse pehle pahunchne ki sharth rakhi thi maine,kaise pahuncha hain yahan, iske baare me kuch nahi bola tha...


ab baat meri sahi thi..aur isiliye bas ek dusre ka mooh dekhne lage the woh dono jiske baad..


SONU-ppar kkaise..??i mmean,ttune ddoudna ttoh humare ssaath hhi cchalu kkiya ttha...pphir llift mme kkab gghus ggaya ttu..??

MAI-stairs par dhyan tha tum dono ka,lekin usssike baaju me fit lift par nahi jo thik ussi waqt khula tha jab hum teeno doudna start karne waale the..

aur jab tum dono ne stairs par chadhna start kiya,mai lift ke andar pahunch gaya..ab usme bas ek ungli se button hi toh dabana tha mujhe..

next stop..third floor...

NITS-isiliye hi bola tha tune naa ki ek ungli ke dum par jeet jaayega tu...

MAI-hint tha beta, samajh nahi paaye tum dono...

NITS-aam insaan hai prabhu hum..aapki maaya nahi samajh sakte..


haath hi jod diya tha mere aage NITS ne jispar hasa mai aur..


MAI-maaya nahi beta,dimag.. hamesha yaad rakhna,haath pair chaahe jitne hi tez kyun naa ho, dimag ke mukable dheeme hi hote hain...


mere is mahan gyan ko dene ke baad "chup gandu"is return jawab ke baad CAPRI CORNER ki taraf joki dusri taraf tha,badh chale the hum teeno...

NITS-ke haal bhaya...!!!maja maa...

sales waale bande se aadhi rajesthani aadhi gujrati me pucha ye sawal NITS ne jispar haath jodte hue ek oupcharik smile di usne..


SONU-ddikha bbhai..kkuch bbadhiya sshorts aur ccapris ddikha...

NAMITH-sshorts,ccapris nnahi milte yahan..shorts aur capris milte hain..


HAHAHAHA..


KALPESH ke mana karne ke baad bhi gaand ki chul ke chalte raha nahi gaya tha us NAMITH se isiliye mooh chodi karne bahar nikla tha woh room se jiske baad kahi usne ye baat jispar uske sabhi dost hasne lage aur ye dekh..


MAI-kyun..jab kapde ki dukaan me charsi log mil sakte hain toh ccapris aur sshorts kyun nahi...

HAHAHA...


ab baari thi SONU aur NITS ke hasne ki jispar kuch kehne ko hua NAMITH par uska haath daba shaant rehne ka ishara kiya KALPESH ne jiske baad apne ghusse ko peete hue bas hume ghurne laga tha NAMITH..

par fark toh padna tha nahi hume aur naa hume pada..

sharth ke according sabse sabse pehle bade maze se ek ke baad ek kayi capris,shorts aur sandos try kiye maine..

aur mere baad aayi baari number SONU aur NITS ki jo aur zyada waqt lete hue apne kapde select karne lage..

is douran...


MAI-abbe movie chale aaj...??

NITS-bhai man ki baat bol di yaar tune..chalte hain..

SONU-ppar kkoun ssi...!!!

MAI-wahin multiplex me soch lenge...abhi phone de apna..MAA ko bol deta hun...

mutaas bhi lagi hai, jaldi karo be,nikalte hain phir...

NITS-louda jaldi..pehle select kar sabse badhiya pieces toh utha liya tu..

time lagega chunane me ab apne ko..


NITS ki baat ke douran SONU se phone lete hue washroom ki taraf chal pada tha mai...


NITS-bhai waajib lagaiyo..

SALESMAN-bolna nahi padega sir..reasonable hi padega sab..


kuch der baad jab NITS aur SONU ne apne apne kapde chun liye toh billing ke maamle me kahi thi un dono ne apni baat jispar bade shaalinta se un dono ko aswast kiya SALESMAN ne par tabhi..

NAMITH-1500 ki ek ek capri hai..usme bhi discount chahiye..abbe isse mehengi toh underwear hoti hai meri...

MAI-bilkul hogi bhai..ab hydrocele chuppane ke liye material bhi toh alag se lagega naa...

HAHAHAHAHA


NAMITH ke comment par uske dost hasne hi waale the par tabhi mai pahuncha tha wahan aur jo baat boli maine usse sun SONU aur NITS has pade aur..


NITS-mat kar try be tu,mat kar..bina khole maar dega teri ye..us raat BAMBOOZA me jo hua,usse sikha nahi tu..

NAMITH-kuch nahi bhula mai..

SONU-ttoh bband kkar mmoohchodi pphir..yya mmarane mme mmaza aane llaga hhai..


SONU aur NITS ke baaton ke dauran apna card jisse hum teeno ki hi payment saath hone thi,de diya tha maine SALESMAN ko jiske baad woh usse swipe karne ke liye dusre section me rakhe machine ki taraf badh chuka tha..

anyways,apne apne shopping bags pakad liye the hum teeno ne jiske baad NITS,SONU ki un sabhi SAMRAT waalon se bas eye staring hoti rahi..

ye stairing aur badhti par tabhi bill receipt aur mera card liye woh salesman lout aaya...

card aur receipt lene ke baad ek baar phir un SAMRAT waalon ko ghur hum teeno chal pade wapas..


NAMITH-in maadarchodon ki haalath nahi bigadi toh mera naam bhi NAMITH nahi..

KALPESH-bilkul bigaadenge bhai,aur woh bhi issi hafte...

NAMITH-issi hafte..!!woh kaise..???

KALPESH-wahi toh batane jaa raha tha mai ki tabhi woh loosers aa gaye...

ye sab jab shop me aaye the toh kisi aunty ke saath ho rahi inki baatein suni thi maine..

inka woh dost hai naa,SAMEER CHANDER,saturday ko uske resort par party karne waale hain ye..

over night party hai matlab 2 din wahi rahenge ye sab...

NAMITH-SAMEER CHANDER ka resort..woh toh city se bahar hai, right..??

KALPESH-wahi toh.. minimum population hogi udhar..apni puri gang lekar chalte hain,araam se lapeth lenge in sabko udhar..


KALPESH ki baat sun ek devilish smile naach uthi thi NAMITH ke face par jiske baad..


NAMITH-koi gang lekar jaane ki zaroorat nahi hai...bina in sabke saamne aaye hi inki aisi lagayenge ki puri zindagi nikal jaayegi apni barbaadi par rote rote..

KALPESH-really..!!!kaise..???

NAMITH-pehle tu ye bata ki tera bhaiya ab bhi regular kheenchta hai kya..???(cocaine)

KALPESH-woh nashedi chhodega kya kabhi kheenchna..!!

aaj kal toh inject bhi karne laga hai saala..par kyun,usse kya kaam padh gaya tujhe...??

NAMITH-usse nahi,uske peddler se kaam hai mujhe..thodi khuraak leni hai...

KALPESH-abbe pagal hai kya..??bhai SAANCHA tak theek hai,par ye cocaine tak nahi jaate yaar..

dekha hai maine apne bhai ko,khurak nahi milne par baawla ho jaata hai saala..

NAMITH-apne liye nahi re..in sab SIRIUS waalon ke liye....

KALPESH-bhai,kuch samajh me aaye,aisa bol..


KALPESH ke sawal par jo plan bataya NAMITH ne usse aur uske baaki sabhi doston ko,usse sun khush ho gaye woh sab aur..

KALPESH-maan gaye bhai..kamal ka harami hai tu saale..sab kuch theek se ho gaya toh maza hi aa jaayega..lanka lag jaane waali hai un sabke life ki..

NAMITH-beta NAMITH ki planning hai,fail nahi hoti..barbaad kar denge behenchodon ko..

hume nanga kiya tha unhone.naam,izzat,reputation sab khatm kar denge saalon ki..


HHAATH HHATTA BBE...


SONU ki thi ye awaaz jisse dekh hadbada se gaye the NAMITH and party par phir jab NAMITH ki nazar SONU par gayi jo uske face ko nahi balki table par tikaye uske haath ko dekh raha tha,toh maajra samajh relax ho gaya woh..

SONU ki ek shopping bag jo woh yahan bhool gaya tha,ussike upar rakha hua tha NAMITH ka haath jisse utha liya usne..

SONU bhi ab tak un sabke paas pahunch chuka tha.

ek look sabko dene ke baad apna woh bag utha wapas ghum chal pada woh jiske baad..


KALPESH-behenchod hakle ki akad toh dekh...

NAMITH-akad hai tabhi toh todne me maza aayega naa..bas kuch hi dino ki baat hai..phir...





kya hoga in sabke saath,iska inhe ANDAZA NAHI HAI...

mere bichaye jaal par toh waqt ka bhi koi TAKAZA NAHI HAI...

sharir se jaan nikaal lena bhi bhala koi saza hui...!!!

chhin chuki izzat se taklif-deh koi JANAZA NAHI HAI...












AAJ KE LIYE ITNA HI....










AAPKA APNA V...J...
Iss saale Namith ki fir se lagne waali hai, Sanvy ne mobile recording on karke beg mein daala hoga inka plan jaanne ke liye.
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SHILPA RAWAT SANVY KO APNE LIFE KA SABSE DARK SECRET BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KHANAK SE KUCH
KUBOOLNAAME LETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-24

DATE-1ST JULY





SIR,I WAS THINKING,INTEREST PER ANNUM APF KE MUKAABLE ULIP AUR PPF KA ZYADA FLEXIBLE HONA CHAHIYE...BUT USME BHI INTEREST EK IMPORTANT CRITERIA KE BASE PAR DIFFER KARNA CHAHIYE JISSE RETURN MARGINE PERCENTAGE TOH ALAG ALAG AAYEGI PAR 100 PERCENT RETURN OF LOAN AMOUNT KE CHANCES KAAFI BADH JAAYENGE..


kaafi der se teeno hi national level loan schemes ke layout ko checkout karti VERONICA ne us layout par nazar gadaye rakh kuch sochte hue ye saari baatein kahi par jab kuch seconds baad bhi HARISH se koi response nahi mila toh saamne uski taraf dekha unhone jo unhe hi dekh raha tha..


VERONICA-kya hua sir..???

HARISH-dekh raha hun ki itni brilliant minded hone ke baad bhi cheezen bhul rahi hain aap..!!!

VERONICA-bhul rahi hun..!!!kya...???

HARISH-yahi ki aapke saamne baitha saksh pehle ki tarah sirf B.O.B manager nahi balki ab aapka dost bhi hai aur doston ko sir nahi kaha karte...

yaa ab tak dost nahi maana aapne mujhe...???

pichle do hafte se saath kaam kar rahe the un teeno loan projects par HARISH aur VERONICA...

is dauran halke open bhi ho chuke the dono ek dusre se.. offical aur formal connection ke saath HARISH ki badhayi friendship ki request ko bade saadgi se haan kaha tha VERONICA ne par ab bhi woh usse sir kehkar hi bulati aayi thi aur isiliye ye shikayat ki thi HARISH ne jispar halki smile ki VERONICA ne jiske baad...


VERONICA-friendship apni jagah hai aur profession apni jagah..yahan bank me mai ek field officer hun aur aap bank manager...

ohda aapka bada hai mujhse isiliye sir hi suitable word hai mera aapke liye..

HARISH-field officer ka aapka ye post aapki pehchan nahi balki aapki choice hai..

ye mai aur aap dono hi jaante hain ki agar aap chahti toh abhi us post par hoti jahan aapse milne ke liye mujhe bhi appointment lena padta...

toh is tarah se we are even...mai post me aapse senior hun toh aap experience aur expertise me mujhse kahin aage hain..

aur is lihaz se we are equals aur equals ek dusre ko sir aur ma'am kehkar nahi,friends ke hisaab se baat karte hain..

VERONICA-ek simple se call out gesture ke liye itna bada explanation...

fine HARISH...aise hi naam se bulaungi ab tumhe..khush...!!!

HARISH-very...


VERONICA ka pehli baar yun informal ho usse naam se pukaarne se HARISH ke face par ek victory smile naach uthi thi...

HARISH-toh ab batao VERONICA,kya suggest kar rahi thi tum teeno plans ke baare me..

VERONICA-arre haan...toh mai ye keh rahi thi ki ULIP aur PPF hamari tarah civilians ke liye hain..

both job aur business sectors ke liye..

but as we know kyunki ab business sectors me G.S.T ne excise,sales,payroll,in sabhi taxes ko take over karke one tax kar diya hai jisse business sector ko faayda bhi diya hai par nuksaan bhi..

small scale me 20 lakhs ki limit set ki hai government ne par digital transaction itna karte hi nahi factory owners...

A.T,B.T tax ko bhi G.S.T ne ek tarah se over shadow kar diya hai...

wahin dusri taraf job oriented logon ko kyunki zyadatar salary payslip ke through hoti hai isiliye tax deduction process me ye sector business waalon se zyada authentic hote hain...

isiliye mai soch rahi hun ki ULIP aur PPF dono me job sectors waalon ko 1 percent ka extra advantage mile...

HARISH-hmm...ULIP toh thik hai par is deduction plan se PPF plan ka profit ratio bigad sakta hai..

VERONICA-nahi bigdega...kyunki jis A.T,B.T tax ka faayda ab business guyz nahi utha paa rahe hain,hum ussi tax idea ko is plan me add karenge..

jitne bhi small scale industries ke owners pehle hi ek marginal amount bank me jama karenge,unka interest percentage bhi job waalon ki taraf kam kar diya jaayega...

and to make it more flexible,APF fundings jinme goverment koi extra tax add karegi hi nahi,usme hum 1 percent tak ka interest extra add kar sakte hain..

aur emi har mahine ka nahi balki quarterly banayenge taaki extra percentage ka load army ke logon ko naa ho...

aur is extra suvidha ko dekh naa sirf government khush hogi balki kuch waqt baad i am sure ki woh APF schemes ko temporary se permanent bhi kar degi...

national level loan schemes ke upar baat ho rahi thi is waqt..

aur is pure layout plan ke rough sketch ko sun face se toh normal hi raha HARISH par VERONICA ki doordarshita aur khaaskar uska is billions of rupees ke plan structure ko banate aur bataate waqt khud ke upar confidence ko sun man man hi man kaafi zyada impressed ho gaya tha HARISH...


HARISH-sounds good..ek kaam karte hain,ek specific amount ke saath is plan ka annual turnover check karte hain..

returns agar to the expected mark rahe,toh issi layout ko final kar denge..

VERONICA-mail check kar lena..annual returns bheje hain maine..

teeno hi schemes ke... figures matchable aur trustworthy lage toh send it to the divisional office...

ab is baar apni hairangi ko face me laane se nahi rok paaya tha HARISH..

billions of rupees ke in plans ko jiske baare me do hafte pehle hi bataya tha usne VERONICA ko, unke total layouts ke saath complete figures tak itni jaldi aur woh bhi akele ready kar dena,it was a huge thing..

upar se bhale hi teeno plans ke baare me abhi bataya tha usne HARISH ko par apne banaye plans par confidence itna zyada tha usse ki pehle hi unhe mail kar chuki thi woh usse...

matlab VERONICA ko ye pata tha ki koi loophole tha hi nahi uske banaye structure me aur HARISH isse ittafaq rakhega hi..

khair,jahan ek taraf apne laptop par kuch extra emails check kar rahi thi VERONICA wahin dusri taraf kuch seconds ussi hairangi se bhare face ko liye dekhta HARISH usse par phir khudko normal kar...


HARISH-ok then..annual chart hai toh waqt lagega mujhe proper calculations aur margines check out karne me..

i will do it in my home..

VERONICA-cool...

HARISH-coffee..

VERONICA-sorry par is time mai nahi peeti coffee...

HARISH-isme sorry bolne ki kya zaroorat hai..woh aadat hi kya jo yunhi badal diya jaaye..


HARISH ki baat sun ek friendly smile kediya VERONICA ne aur uththe hue apne cabin ki taraf nikal gayi..

wahin uske back ko check out kar rahe HARISH ne ek thandi saans li aur..


HARISH-well,you are a tough bitch...par apni kutiya toh bana kar hi rahunga mai tujhe...

dosti toh ho hi gayi hai,bas is kareebi ko itna badhana hai ki sirf sate naa balki chipak hi jaayen hum dono...

and i hope ki dimag jitna acha hai,bed par bhi utni hi achi hogi tu...




SAME DAY:-




YE SMART BOARDS ME AANE SE DUSTER KI PRATHA KYA CHALI GAYI,TEACHERS HUME HI GHISNE LAG GAYE...


jaise hi seventh period khatm hone ki bell baji aur teacher class se bahar gaye toh marathon bhaage khiladi ki tarah thakaan se choor awaaz me kahi thi ye baat NITS ne..

Monday to friday kul 8 classes lagti thi har roz SIRIUS me..aur 17th matlab jab se ye new session shuru hua tha,tabse hi classes sirf ek dukka hi free mile the..

baaki sabhi classes naa sirf continously chaalu the balki syllabus complete karne ki speed bhi kaafi zyada rakhi thi teachers ne...


SONU-abbe nnext yyear bboard hhai appna...ttab ttoh cchristmas vvacations ttak ppura ccourse hi ppura hho cchukka hogga..

ussikke according iss ssaal kki ssyllabus ccompletion sspeed bhi cchal rrahi hhai ttaaki rrevision kke lliye exxtra ttime mmil ssake hume..

NITS-abbe revision toh tab karenge na jab first hand me kuch magaj me ghusega...

saala aisa tez bhaga rahe hain saare chapters ki heading chhod kuch samajh hi nahi aa raha mujhe...

is saal ye haal hai toh pata nahi next year kya hoga...!!!???

MAI-tution kar le jhaantu warna next year bhul jaa..ye saal hi nahi nikaal paayega tu...

NITS-loudu tere se 1 percent zyada aaya tha mera pichle saal..

agar mai latkunga toh tu bhi latkega...

SONU-bbadhiya hhoga pphir ttoh..ssenior hho jjaunga mmai ttum ddono kka...

aggle sssaal sse bbhaiya bbolna ttum ddono mmujhe..

NITS-lund ka bhaiya... beta final exam ke kisi paper me lag bhar jaaye ki nipatne waala hun mai,tujhe bhi nahi dene dunga agla paper..

fail saath honge teeno.. phir agle saal jaayenge sarkari school teeno apna apna lund aur jhola hilaate hue...


GOOD AFTERNOON STUDENTS...


NITS ki baat ke jawab me awaaz class me enter ho rahi is rare awaaz ne di thi..

rare isiliye kyunki ye awaaz normally kisi class me sunayi nahi deti thi..

RANJANA MATTHEWS... hamari PRINCI thi ye jo do aur logon ke saath enter hui thi class me aur unhe dekh sabhi students itni tezi se apni apni jagah par khade hue jaise pichwade me achanak spring lag gayi ho..

grey work pants jinhe pearl white colour ki shirt ke saath tuk in kiya gaya tha..aur shirt ke upar grey colour ki cardigan jaisi dikhne waali coat me thi hamari princi RANJANA MATTHEWS jinme unka pehle se hi bright personality aur zyada nikhar kar saamne aa raha tha...

unke saath aaye dono male officials bhi formal dresses me the aur ek smile carry karte hue hum sabko dekh rahe the..

wahin PRINCI ke greet ke baad jab humne reply kiya toh..


PRINCI-students..meet MR SHADAB HUSSAIN & MR KARTIK KUKREJA...

Uttarakhand's I.C.S.E state department officials...

SHADAB/KARTIK-hello students...

SAB-hello sir...

PRINCI-jaisa ki aap sabko pata hai ki har saal I.C.S.E BOARD,NATIONAL LEVEL BEST I.Q HUNT competition arrange karti hai jisme hamare desh ke top schools ke sabse talented bacche participate karte hain...

aur har saal ki tarah i are very proud to say that hamare state uttrakhand ko represent karne ke liye jin do schools ko chuna gaya hai,SIRIUS is one of them....


CLAP,CLAP,CLAP.....


princi ki baat sun khush aur proud dono feel karte hue hum sabhi ne clapping ki jiske baad...


SHADAB-ye I.Q competition pairs me hota hai.. hamare state ko represent karne ke liye us pair ka ek part matlab ek student aapke school se hoga...

waise toh woh student kaun hoga, ye decision out and out school authority or to be specific,aapki PRINCIPAL MA'AM ka hoga aur isiliye hi taaki competition participant form par applicant details collect kar hum le jaa saken,hum yahan aaye hain but ek aur reason bhi hai hamare yahan ke visit ka..

NATIONAL LEVEL IQ TEST COMPETITION me hissa lena sirf aapke school ke liye hi nahi balki pure state ke liye bohot important hai...

isiliye wahan us competition me kya hoga,uska ek live demo bhi hum aap sabko dena chahte hain...

isse aapki PRINCIPAL MA'AM ko asaani bhi hogi us participant ko select karne me aur hum bhi satisfied honge us choosed participants ke IQ calibre par....

KARTIK-so,demo bada simple hai..hum aapse kul teen sawal puchenge...logical and tricky questions honge woh questions jinme se kamsekam 2 ke jawab aapme se kisiko bhi dene hai...

is waqt humari hi tarah kuch aur officials aapke class ke B section me aapke VICE PRINCIPAL ke saath moujud hain aur wahan bhi same questions ya toh puche jaa chuke honge ya phir puche jaane waale honge...

toh ye maan kar chaliye ki abhi bhi ek competition on hai jisme aap sabka mukaabla aapke hi class ke B section se hai...

so are you guys ready..???

SAB-yes sir..


kaafi excited yes nikli thi sabhi ke mooh se joki obvio thi..

aakhir B section se competition ke liye har second ready jo rehte the hamare class waale...


SHADAB-so, here's the first question... it's kind of a story...dhyan se sunana...

"do bohot hi gareeb bande hain...dono ke paas milakar kul 50 rs hain...us 50 rs se woh dono chillhar me aata lene kirana shop me jaate hain...

us shop ka maalik unhe jaanta hai aur daam ke badle zyada aate ki ummid liye hi woh us shop me gaye hote hain..

par us waqt shop ka maalik dukaan me nahi hota hai isiliye wahan kaam karne waala ek noukar un dono ko utna hi aata deta hai jitna 50 rs me diya jaata hai...

aata lekar jab woh dono shop se jaane lagte hain toh ussi waqt dukaan ka maalik wahan pahunchta hai aur un dono ko jaate hue piche se dekh leta hai...

jab noukar se puchne par unhe un dono ke shop me aane ka kaaran pata chalta hai toh woh apne noukar ko 5 rs dekar un dono gareebo ko lautane ko kehta hai...

par noukar thoda laachli rehta hai..woh pure 5 rs naa loutakar un dono ko sirf 3 rs loutata hai aur bache 2 rs woh khud rakh leta hai...

are you with me students...???

SAB-yes sir...

SHADAB-good...toh yaad hai shuruat me combiningly kitna amount tha un dono ke paas...

SAB-50 rs..

SHADAB-yes... matlab agar us paise ko individually divide karen toh dono ke paas 25 rs each tha.. correct....!!!

SAB-yes...

SHADAB-aur last me us noukar ne un dono ko kitne rupees wapas kiye..???

SAB-3 rs...

SHADAB-exactly...matlab ab unke 3 rs kam lage...ek baar phir agar hum un teen rupees ko individually divide karen toh un dono ko dedh rupees each kam pade...

25 rupees each se agar dedh rupees minus kar diya jaaye toh kitne bachte hain...???

SAB-23.50 rs...

SHADAB-yes...matlab dono ke 23.50 rs use hue...

ab agar ek baar phirse unke us used amount as in 23.50 ko combined amount ke hisaab se dekha jaaye..

matlab 23.50+23.50 toh kitne rupees hue...???

SAB-47 rs...

SHADAB-aur us noukar ne kitne rupay apne paas rakh liye the...???

SAB-2 rs...

SHADAB-matlab 47+2...jiska total hota hai 49...1 rs kahan gaya..???


ab tak kisi story ki tarah sun rahe the sabhi sir ki batayi theoratical equation ko par unki aakhri baat jo ki asal me main sawal tha,usse sun jaise neend se jaage sab..

ek hi second me us story ka har pehlu dobara rewind hone laga jiska mukhya bindu ek hi tha...

1 rs gaya toh gaya kahan..???

NITS-behenchod..ye ek rupaiya kiski gaand me ghus gaya be..


mere aur SONU se dheere se phusphusaya NITS jispar..


SONU-hhaan bbhai...yye acchanak ek rrupay kkaise kkam hho ggaya...

MAI-chutiya hi rahoge be dono ke dono...

NITS-haan louda tu hi ek gyani baitha hai idhar...toh bata phir,kahan gaya ek rupaiya...

MAI-udhar hi hai jidhar pehle tha...bas 50 ke note ko aise ghuma ke pakdaya hai sir ne ki saamne hokar bhi ek rupaiya dikh nahi raha...

NITS/SONU-mmatlab...

MAI-matlab saamne dekho..jawab milne hi waala hai..


jahan baaki sab us ghume hue ek rupees ko dhundne me apna apna dimag laga rahe the,wahin SAM ne apna haath upar kar diya tha jisse dekh..


KARTIK-yes...

SAM-sir ek rs kahin gaya hi nahi...len den pure 50 rs ka hi hua hai...

KARTIK-elaborate your answer..

SAM-sure sir.. ye ek linear equation question hai...jaise linear equation me hum x ya a lagate hue question solve karte hain,waise hi puche gaye sawal me A ya X wahi 5 rs hain jinhe dukaan ke owner ne un dono ko waapis karne ke liye bola par woh whole amount unhe mila hi nahi..

paise loutane ke process ko use me laane ki jagah jo paise unhe milne waale the,unhe use me laana hoga...

as said, dono ke individually 25 rs each use hue the aur agar ye maan liya jaaye ki dukaan ke maalik ne unhe paanch rupees loutaye the toh us surat me un dono ke combiningly 5 rs aur individually 2 and a half rupees kam lage the..

25-2.50 hota hai 22.50 rs...

22.50 rupees pade the un dono ko individually jinhe jodne par bante hain 45 rs..

ab exact proportion values par wapas aayen toh 3 rs us noukar ne un do logon ko loutaya tha jiski wajah se already unke paas moujud 45 rs ke saath milkar woh amount 48 ho jaata hai aur bacha woh 2 rs jo usne apni jeb me daala tha..

48rs me usse bhi add kar diya jaaye toh value ek baar phir 50 rs ki hi jaati hai...

toh aise woh ek rupee kahin gaya hi nahi tha..baat bas samajhne aur nazariye ki thi...

SHADAB-you are SAMEER CHANDER right...!!!

SAM-yes sir..

SHADAB-right answer SAMEER...very good...

SAM-thank you sir...

NITS-iski maa ka..saala ek rupay ke liye itna dimaag lagaya..mere se le leta woh ek rs chutiya...

aur tu...saale jab tujhe bhi anwer pata tha toh haath kaahe nahi uthaya...

MAI-same reason..ek rupay ke liye itna explain kaun kare...!!

NITS-ye baat bhi hai...


yahan hum dono apni bakchodi pel rahe the aur wahan...


KARTIK-so here's the second question...???

fifteen lakhs thirty five thousand one hundred and fourteen...

is shabdon ka naapa nahi jaa sakta...kyun...???


smart board par alphabetically un numbers ko likh ye sawal kiya tha sir ne...


NITS-ab ye kaisa sawal hua..?? chutiya toh nahi kaat rahe ye dono hum sabka...

MAI-har sawal ki apni gehrayi hoti hai aur kuch gehrayi naa samajh me aati hai aur naa naapi jaa sakti hai...

NITS-udhar un sir logon ke sawal samajh nahi aa rahe aur idhar teri ul julool bakchod baatein..


idhar NITS aur mai apne me lage hue the aur udhar puri class sir ke puche question ko samajhne aur crack karne me lagi thi...


SHADAB-sirf 2 minute ka hi waqt milega..ek minute already pass ho chuke hain that means you all have just 1 minute to crack the answer...

SAM-sir..


kuch aur seconds beete jiske baad ek baar phirse SAM ne hi haath halka upar kiya jispar smile karte hue...


KARTIK-yes..

SAM-aapne numbers ko alphabetically likha hai par hain toh woh numbers hi jinhe agar numbers me hi sidha likha jaaye toh woh aisa hoga..1535114...

par question me aapne numbers nahi balki shabd ka use kiya hai..

aur agar english alphabet chart ke hisaab se in numbers ko dekha jaaye toh...

15 hoga 0..
3 me hota hai C..
5 ka matlab E..
1 as in A..
aur lastly 14 joki alphabetically hota hai N...

OCEAN...jisse naapa nahi jaa sakta...

KARTIK-right answer..brilliant...

clap,clap,clap...


SAM ke jawab se sirf woh dono officials hi nahi puri class impressed hui thi...

par jahan ek taraf baaki sab SAM ke liye clap kar rahe the wahin dusri taraf SONU mujhe hairat se dekh raha tha..

REASON...

HAR SAWAL KI APNI GEHRAYI HOTI HAI AUR KUCH GEHRAYI NAA SAMAJH ME AATI HAI AUR NAA NAAPI JAA SAKTI HAI...

mere bole is paheli jaise jawab ka matlab ab jo samajh aaya tha usse..

meri us baat se ab jaakar SONU ko samajh me aa raha tha ki is second question ka answer mujhe pata tha..

par saath hi saath zyada hairan woh isiliye bhi tha kyunki us second question ko crack karne me jahan SAM ko lagbhag 2 minute lag gaye the wahin maine us paheli ke through jawab kuch seconds me hi de diya tha..

first question ka jawab bhi maine sahi diya tha par baad me masti me kahi meri baat ko sun zyada gour nahi kiya tha SONU ne par ab woh sure tha ki tab bhi tukka nahi lagaya tha maine...

anyways, kuch seconds mujhe yunhi hairangi se dekhne ke baad saamne dekha hi tha SONU ne ke tabhi...


SHADAB-so with this answer,best of three me se pehle hi dono sawalon ke sahi jawab dekar SAMEER aur inke saath apki puri class is demo test me qualify kar chuke hain but just for the sake of fun,aakhri sawal bhi hum puch hi lete hain aap sabse..

KARTIK-aur ye sawal kaafi important bhi hai..jaante hain kyun..???kyunki ye sawal humari taraf se nahi balki hum sabke beech moujud aap sabki respected principal ma'am ka hai..


KARTIK sir ki baat sun aakhein badi ho gayi sabki aur saath hi saath excitement level bhi badh gaya sabka..

aur bhala aisa hota bhi kyun nahi...??? RANJANA MATTHEWS ke sawal ka jawab dekar unke good books me aana,unse khudki taarif karwana joki next to impossible hi tha, kaun nahi chahega bhala..

SAM pure dehradun ka sabse honhar student tha..har criteria me number one par aaj tak uske liye bhi GOOD se zyada kuch nahi nikla tha ma'am ke mooh se...

khair,next question ke liye khudko mentally prepare kar chuke the sabke sab jiske baad..


PRINCI-how do you beat "GOD"...??

SAB-what...!!!!


PRINCI ke sawal par achanak hi WHAT nikal gaya tha sabke mooh se jisse sun..


PRINCI-english ki understanding kam ho gayi hai kya aap sabki...???

answer the asked question...is baar 2 nahi 5 minute hain aap sabke paas...

chaahiye toh group discussion bhi kar sakte hain aap sab...


5 minute...50 minute bhi kam the puche gaye sawal ko crack karne me..

ek dusre ka mooh dekhte hue hi 4 minute cross ho chuke the..

is beech kyunki ma'am ki paini nazar hum sabko ghur rahi thi isiliye NITS aur SONU bhi chupchaap bas sidhe dekh rahe the..


PRINCI-times up...

KRRRRR......

ma'am ke bolte hi final bell bhi baj chuki thi jiske baad..


PRINCI-college division jaaiye aap dono..in a hour,i will meat you their...

KARTIK-alright ma'am...

SHABAB-once again..very good SAMEER...now we will see you in DELHI...

SAM-sure sir..


hum sabhi students aur PRINCI ko ek formal smile dete hue KARTIK aur SHADAB sir class se nikal gaye..


MA'AM-SAMEER...kal first period se pehle office aakar apna participant form le jaaiyega..

SAM-yes ma'am...

PRINCI-SANVEER...aapke kuch re-ad docs mere office me rakhe hain.. come and collect it...

MAI-sure ma'am...


SIRIUS ka re-admission process thoda alag tha..

kyunki ye ek kaafi high expensive school tha jisse har saal efford kar paana sabke liye kaafi mushkil hota tha, isiliye re-admission ke waqt saare admission forms har baar repeat kiye jaate the jinpar PRINCIPAL MA'AM ke sign bhi hote the..

mere is baar ke woh saare form aur docs fill kar thoda late jama kiye the mom ne isiliye baaki sabko toh school ke pehle din hi unke docs mil gaye the,siway mere aur ussiko collect karne ke liye PRINCI ne kaha tha mujhe...


MAI-may i come in ma'am...


ma'am ke jaane ke kuch der baad pahuncha tha mai unke cabin me...

PRINCI apne office me hi baithi thi aur mere request par halka sa sir hilaya unhone jiske baad unki taraf badh chala mai..


PRINCI-here you go...


kuch docs jo pehle se hi ek file me apne table par nikaal kar rakha hua tha unhone,usse meri taraf sarka diya ma'am ne jisse collect kar liya maine..


PRINCI-so,tell me SANVEER AHARYA...how do you beat GOD...???

i think jawab tumhari pant ke left pocket me hai...


PRINCI ma'am ki baat par halka smile dete hue apne pant ki left pocket me haath gaya mera jo jab bahar aaya toh usme ek folded paper tha jisse aage badh ma'am ke table par jahan kuch seconds pehle tak mere docs the,rakh diye maine...

darasal jab PRINCI ne class me apna sawal pucha tha toh puri class including SONU and NITS,sahi jawab ki talash me apne dimag ke ghode douda rahe the,us waqt apne jawab ko rough book ki page par jo mere saamne open padi thi,usme likh raha tha mai..

woh sawal aur uska jo jawab maine likha tha, interesting laga tha mujhe isiliye jawab likhne ke baad us page ko faad apne pant ki left pocket me rakh liya tha maine jisse PRINCI ki tez nazron ne saaf dekh liya tha..

saath hi saath us pure waqt ke douran sirf mera hi face aisa tha jahan jawab pata hone ka confidence jhalak raha tha jisse human physiology ki expert RANJANA MATTHEWS ne asaani se samajh liya tha...

anyways,table par rakhe us paper ke tukde ko uthaya unhone aur usse unfold kiya..


QUES-HOW DO YOU BEAT GOD...???

ANSWER-MY KILLING HUMANITY...

PRINCI man me-perfect answer...


page ke upar likhe unke sawal ke just neeche likhe jawab ko padh man hi man ye kaha PRINCI ne...


PRINCI-can you elaborate your answer...???

MAI-file ke andar me reason rakha hai ma'am...


ussi file ko point karte hue jisme kuch der pehle tak mere docs the,kahi ye baat maine jispar aankhon me hairani liye khola unhone woh file jahan is waqt ek aur paper rakha hua tha..

apne docs lete waqt woh paper maine hi rakh diya tha wahan jisse PRINCI ki paini nazar bhi dekh nahi paayi thi..

yahi wajah thi ki us paper ko haathon me lete waqt mujhe dekh ek prashansaniya bhaav dikhne lage the PRINCI ke face par..


MAI-can i take your leave ma'am...

PHYSIOLOGICAL IMPRESSION OF UNDOUBTED CONFIDENCE...

medically, scientifically,yahi term use kiya jaata hai aise waqt par meri boli baat ka...

maine jaane ki permission maangi thi woh bhi bina ye jaane ki kya mere jawab ka elaboration sahi tha..!!!

apne jawab ke defination par atoot bharose ka sign tha ye jisse samajh muskurate hue haan me sir hilaya PRINCI ne jiske baad mai unke office se nikal gaya...

aur mere jaane ke baad us elaboration ko jo maine us paper me likha tha,padhne lagi ma'am..

chaar line ke us answer elaboration ko padhte waqt har guzarte pal ke saath PRINCI ke face par badh rahi smile ye saaf darsha rahi thi ki kitna sahi tha SANVEER...

woh chaar lines jo kuch yun thi...




"USKE" liye bhala kya koi saza isse bhi BADA HOGA...???

jab bas maze ke liye ek insaan dusre insaan se LADA HOGA...

USKA sabse bada daav,sabse khubsurat rachna hain HUM...jo kho di apni insaniyat humne toh...

apni hi adalat me HAAR ke katghare par KHUDA khud KHADA HOGA...












AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Amezing
 
Top