• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hamara Gaon

Story kaisi lagti hai aapko apne vote se btaye?


  • Total voters
    38
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Last benchers

Well-Known Member
3,049
6,819
158
Awesome fantastic Mind-blowing update Bhai...
Bahut hi sandar update hai..
Chandra ke dusre rup sb daene lge hai.
Jokram ko v hosh aagya..jokrm JB behoos hua tha to maharni ke father ko chora skta tha .
Maharni Chandra PR believe krti hai ya nhu dekhna hoga..
Ye part bahut lambi ja rhi hai
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,054
188
Super fantastic update bhai ?
 

Tiwari_baba

Active Member
1,358
3,786
159
#UPDATE 54

Jokram:- To jao or jaa kar waha ki suraksha or badha do sab sainiko ko waha laga do, main kuchh samay baad tumse milta hun.

Itna bol wo waha se gayab ho gaya.

Ab Aage................

Ek bahut hi andheri or bhayanak guffa ke andar kisi ke zor zor se mantrocharan ki aawaze aa rahi thi, aaiye hum bhi dekhe ki ye koun hai.

Are baap re hum to andheri guffa soch rahe the lekin yaha to bahut bada hawan kund jal raha hai, wahi samne me ek bahut badi shaitan ki murti hai, or ye koun hai ,,, are ye to jokram hai, jo zor zor se mantrocharan karte hue hawan kund me aahuti de raha hai.

ओम शैतान मम वश्य कुरू कुरू स्वाहा
Om Shaitan mum vashya kooru kooru swaha
ओम भूतेश्वरी नम: स्वाहा
Ok Bhuteshwari namah swaha
क्रीं क्रीं सदात्मने भूताय मम मित्र रूपेण
Krimm krimm sadatmane mum mirtay rupen
सिद्धिम कुरु कुरु क्रीं क्रीं फट् स्वाहा॥
Siddhim kooru kooru krimm krimm phat swaha||

Jokram:- Shaitani mere akka mujhe darshan do, meri prathna suno, makin mere akka darshan do.

Aise hi wah kafi der tak mantrocharan karta raha, tabhi hawan kund ki aag or bhadak gai uski lapte unchi or unchi jaa rahi thi.

Jokram:- hahahahaha shaitan ki jai ho shaitan ki jai ho,,, mere aaka mere malik.

Shaitan:- Hahahahahha hahahhhahahaaha .

Tabhi wahan bhanak hasi gunj gai or un aag li lapto me se ek aakriti nikali kareeb 12-12 foot uncha.

Shaitan:- kaho kis liye mujhe yaad kiya, agar tumhara prayojan mere santosh janak nahi hua to uska dand bhugatne ke liye taiyaar ho jao.

Jokram:- Nahi mere malik mujhe kshama kare meri iss bhul ke liye kitnu mujhe aapki awashyakta th, prabhu mera marg darshan kare, aaj ek ek insaan ne mujhe murchhit kar diya, bhala ye kaise ho sakta hai apka diya ashirwad or shakti aise vifal kaise ho sakta hai.

Shaitan:- Kya kaha, ek insaan ne tumko murchhit kar diya asambhav hai ye.

Phir shaitan ne apni ankhe band kar kuchh padha or usko sab kuchh dikhne laga or jab usne mujhe or mere hath me divya talwar ko dekha to usko samajh aa gaya aisa kyohua tha, phir usne ankhe kholi.

Shaitan:- Tum itne kamzor nikaloge maine socha nahi tha, tum ek insaan se haar gaye.

Jokram:- Mere akka wo koi sadharan insaan nazar nahi aata jarur koi baat hai, meri raksha kare mujhe rashta dikhaye mere maalik.

Shaitan:- (man me) han ye satya hai wo koi sadharan balak nahi hai, wo tumhari mrityu ban kar aaya hai, isme main bhi kuchh nahi kar sakta ab.

Shaitan:- To bolo tum kya chahte ho mujhe, main tumhari kaise sahayta karu.

Jokram:- Mere aaka aap mujhe ajay amar kar de, yaa phir koi aisi shakti pradan kare jisse main us insaani kide or maharani ramika ko apne vash me kar saku.

Shaitan:- Hahahahahaha amar hahahahaha amar to koi bhi nahi hai jokram, han lekin tumhari mrityu ka raaz koi nahi janta isliye ek tarah se tum amar hi ho, or rahi shakti ki baat to main tumko wo de shakta hun kintu uske liye keemat deni padegi tumko.

Jokram:- Mere malik aapke liye maine navjaat shishuo ke rakt ka pyala taiyar kar raha hai ,,, aap uska paan kar sakte hai mere akka.

Shaitan:- hahahahahha swadisht waaahh maza aa gaya, lo maine tumhe ye kawach or talwar deta hun jisse tum haroge nahi.

itna kah kar shaitan gayab ho gaya, usne or kuchh nahi kaha.

Jokram:- hahahahahha ab main tujhe dekhta hun insaani kide tu ab nahi bach payega, aa raha hun main ramika hahahahhaha.

Wahi mere paas se jane ke baad ramika dusre kamre me baithi jane kya soch rahi thi, phir usne kuchh soch kar dhayan me baith gai, Jab dhyaan me baithi to usne kuchh dekha or phir uski dhayan toot gai.

Jab wah mere paas aai to uske haav bhav badle hue the, jo main samajh nahi paa raha tha.

Ramika:- Main tumko wah pushtak de dungi lekin usse pahle meri kuchh sharte hain jise tumko pura karna hoga, bolo tumko manjur hai.

Main:- Maharani ji waise to wah pushtak mere paas aa hi jayegi, Lekin boliye kya hain aapki sharte, main bhi to janu.

Ramika:- Meri pahli shart ye hai ki tumko merepita ji ko jokram ki kaid se chhudana hoga, or dusra tumko jokram ko khatam karna hoga, bolo hai manjur.

Main:- Are wah jaisa baap waisi beti har baar mujhe hi bali ka bakra bna rahe ho, aap khud hi kyo nahi khatam kar deti maharani aap Bhi to sarvshaktiman hain.

Ramika:- Tumne sawayam hi dekha main uska samna karne me samathwan nahi hun.... wah chhal se har baar bach jata hai, agar main usko maar pati to itne samay tak uski kaid me nahi rahti, agar tumko wo pushtak prapt karni hai to usko marna hoga, kyoki wo bhi usi pushtak ke pichhe hai.

Main:- Ohhhhh to ye baat hai isiliye usne mujhe kaid kiya tha aki mere zariye yaa to wo pushtak tak pahunch jaye or jab maine koi jawab nahi diya to usne mujhe marne ki koshish ki.

Ramika:- Han Agar tum usko khatam kar dete ho to ek to wo phir pushtak ke pichhe nahi aa payega or dusra hamara nagar bhi shnnti purwak rah payega.

Ramika:- Agar tum mere liye ye nahi kar sakte to apne in dosto ke liye hi use khatam kar do, kyoki inke mata pita ko marne wala wah jokram hi tha, jo meri or maharaj ki raksha karte hue apne pran tyag diye the.

LIo/Miru:- Kya? Kya Hamare mata pita ko marne wala wah dusht hai, main use nahi chhodunga.

Ramika:- Pagal maat bano wo jab mujhse roka nahi gaya to tum kya ho uske samne, to bolo tumhara kya faisla hai chandra.

Main:- Thik hai main jokram Ko khatam kar dunga kintu usse pahle tumko wo pushtak muhe deni hogi.

ramika:- Nahi aisa nahi ho sakta agar tune hamare sath chhal kiya to.

Main:- Main vachan deta hun main tumko dhokha nahi dunga, ye ek brahan ka vachan hai, tumko wo pushtak mujhe deni hogi kyoki uss pushtak me hi ush dusht ki mrityu ka raaz likha hai, to pahle pushtak.

ramika:- Thik hai chalo mere sath, tum dono koi galti karne ki koshish maat karna hum aate hai.

Itna kah kar ramika or main gayab ho gaye or pahunche ek guffa me, phir hum uske andar jane lage, jaise jaise hum andar jaa rahe the uss guffa me masal jal rahi thi.

Mujhe aage badhte hue aisa lag raha tha ki andar se bachaini or khushi ho kisi se milne ki,or aisa hi uss chi ko bhi ho raha ho.

Hum ek jagah jaa kar ruk gaye or ramika ek asan par baith gai, or dhyan mudra me chali gai main wahi khada dekhta raha, kuchh chhan bite ki waha roshni failne lagi, kuchh der me waha itni roshni ko gai ki puri guffa roushan ho gai.

Jab maine samne dekha to ek bahut sundar sunahri pushtak hawa me prakat ho gai thi, usko dekhte hi bahut shanti or khushi mahsus ho rahi thi.

taabhi ramika ne apni ankhe kholi or us pushtak ke samne jhuk kar naman karne lagi.

Ramika:- Hey divy pushtak hey gyan ki devi main aapko naman karti hun, aapne jo kuchh bhi mujhe gyan swaroop diya hai main uske liye koti koti dhanywad karti hun.

Itna karne ke baad ramika ne mujhe dekha, to main waise hi khada tha jaise pahle tha uss pushtak ko dekh raha tha.

Ramika:- kya tumhare andar ye bhi sishtachar nah ki tum iss divy pushtak ka samman kar sako , isko naman kar sako.

Main abhi kuchh bolta tabhi kahi se aawaz aai, jise sun main to chaunk hi gaya.

Awaaz:- Kya kabhi swami ko apne bhakt yaa sewak ko pranam karte dekha hai tumne ramika.

Main to idhar udhar dekhne laga ki ye kaha se aawaz aai, lekin ramika uss pushtak ko hi dekh rahi thi.

Pushtak:- Han tumne sahi suna, ye meri swami hain isliye naman karne sishtachar mera hai unka nahi, SUSWAGATAM chandra, mere swami, mujhe aapki seva karne ki avsar mila main dhany ho gai.

Main:- Ye... ye aap kya kah rahi hain, main bhala apka sawami kaise hua, main to aapse pahli baar mil raha hun, or waise bhi main ek sadharan sa manav hun.

Pushtak:- Swami ye to aapka badapan hai jo aap khud ko abhi pahchante nhi, Aap mujhe itna samman de rahe hain iska dhanywad, mera naam prashtuti hai jise swayam tripurari hamadev ne aapki seva me bheja hai.

Ramika ye sab sun ke stabhdh ho gai thi , aaj tak jiski aradhya karke jisne us pushtak se shaktiyan arjit kiya, use aaj us pushtak ka naam malul hua tha, or sath hi mere bare me sun kar bhi use yakeen karna mushkil ho raha tha.

Ramika:- Mujhe kshama kare chandra mujhe aapke bare me gyat nahi tha, maine agyanta was jane kya kya bol diya hai.

Main:- Ye kya kar rahi ho maharani, aap yah ki maharani hai or main ek sadharan manav aisa na kare, chaliye ab aapke pita ji ko bachate hain.

Prashtuti:- usse pahle swami aapko mujhe apne andar samahit karna hoga, taki main aapke hriday ka sathan le saku, mera wahi vaas hoga.

Main:- Thik hai jaisa aap kahe, ..... or main aage padh gaya pushtak ki taraf.

Ramika:- Kshama kare devi kintu mera ek prashn hai kya main puchh sakti hun.

Prashtuti:- Main janti hun tum kya kahna chahti ho, yahi naa ki mere jane ke baad kya tumhari shaktiyan raegi yaa nahi.

Ramika:- Ji devi main yahi janna chahti hun.

Prashtuti:- To iska jawab yahi hai ki maine jo gyan or shaktiyan tumko pradan ki hai wo sadaiv tumhare sath hi rahegi, kintu uske atirikt tum swayam shakti ka handar ho, isliye pni shaktiyon ko jagrit karo unko pahchano.

Ramika:- Dhanywad, jaisi aapka agya devi, mera akhri pranam swikar kare.

Prashtuti:- Swami aapko mere upar hath rakh kar ye mantra bolna hai, PRAVITHTAM HRIDAYA STHANAM GRANAM.

Jaise hi maine hath rakh ke ye mantra bola dekhte hi dekhte wah pushtak mere andar samahit ho gai.

Aaj ke liye itna hi.

Thank you.
 

Last benchers

Well-Known Member
3,049
6,819
158
Very good bro aapke pass pervious update ka data save tha.
Awesome fantastic Mind-blowing update Bhai..
Jokram ko kawaj or talwar mili hai but saitaan v janta hai Chandra uski mot bn KR aaya hai.
Maharani bechari sock hai jis pustak SE use power mili uska malik uske samne hai but Jan nhi Pai...
Chandra ko book mil gai .dekhte hai Kon kon si power aai hai uske pass
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,045
218
#UPDATE 48

Main:- Are han ye mere dimag me kyo nhi aaya, bas ab kal ka intezar hai, lekin aapki putri tak main pahunchu kaise ye to btaiye?

Ab aage..................

Rinoma:- main tumko kya btaunga uske bare me, main to khud pichhle 1 saal se iss kaid me hun, uske baare me tumko khud pata karna hoga.

Main:- thik hai aap chinta na kare main khud hi pata kar lunga.

Rinoma:- agar tumne meri beti ko bacha liya to main tumhara ye ehsaan kabhi nhi bhulunga, kabhi nhi.
*****************************************************

Wahi dusri taraf

Awaaz:- He hello bhaiya, uska kuchh karna padega bhaiya, usne mere sabhi aadmiyon ko jail me band kar diya haai, uska kuchh kariye aap nhi to mujhe ijazat de dijiye.

Thakur:- Kyaaa? lekin ye sab hua kaise tumn hi kuchh kiya hoga, maine jab mana kiya tha to usse ulajhne ki kya jarurat thi?

thakur bhai:- bhaiya maine kuchh nhi kiya, usne hi mere admiyon ko pakad ke mara.

Thakur:- mujhe maat batao kya kisne kiya, mujhe sab khabar hai.

Thakur bhai:- Bhaiya wo..

Thakur:- Achcha thik hai main kuchh karta hun, lekin tu isse door rahna .

itna kah kar thakur ne phone kat diya.

"Hello, Jai hind sir"

SP:- Jai hind, kaise ho Vijay? kya ho raha hai udhar?

Vijay:- Sab thik hai sir, aap btaye aap kaise hain?

SP:- Sab thik hai, tum btao kya ho raha hai case ke bare me? wo jo body mili thi usse related kuchh mila yaa nhi?

Vijay:- Abhi tak to nhi mila kuchh sir but main ussi kaam par laga hun jaldi hi mujrim hamare hath me hoga.

SP:- Achcha thik hai, Aur ye main kya sun raha hun tumne thakur ke admiyon ko pakda hai, mamla kya tha?

Vijay:- Kya sir aapne us sab ke liye call kiya hai?

SP:- Vijay main janta hun tum kaise ho but maine uske liye call nhi kiya hai, mere paas abhi commisner ka call aaya tha, wo bol rahe the ki tumne thakur ke logo ko pakda hai mamle ka pata karu or unko chhod dun, ab tum btao matter kya hai?

Phir maine SP ko pura mamla btaya.

SP:- Ohhh i see, well to aage kya karne wale ho?

Vijay:- Chhod dunga sir but abhi nhi thoda to sabak sikh lene dijiye hamare bhi pathshala me.

SP:- Hahahahahahah achchi baat hai jaisi tumhari marzi.

Vijay:- Waise sir kya commisner sir ne khud se phone kiya tha? you know sir what i am mean..

SP:- I know what are you saying, han thakur ka call aaya tha or usne dhamki bhi di hai agar nhi chhoda to anjam dekh lena.

Vijay:- Ohhh aisa hai to lagta hai thakur ko kuchh jhatka to dena hi padega?

SP:- Be carefull, jo bhi karna soch samajh ke or iss case ko jaldi khatam karo, tumhare liye or bhi bahut kuchh waiting me hai.

Vijay:- Thik hai sir, Jai hind.

SP:- Jai hind.

Vijay:- (man me) hmmm to thakur commisner tak pahunch gaya, inka to kuchh karna padega, bas ek baar koi saboot hath lag jaye tab dekhta hun inko, filhal to abhi inko dekhu.

Apne office se bahar aa kar kursi pe baith gaya, jahan thakur ke aadmi hawalat me band the or mujhe hi ab ghoor rahe the, main unko dekh ke muskura diya.

Vijay:- Are pandey ji kaha ho bhai sahab, roshan singh are bhai yaha tabale pade hue hain or aap logo ne ab tak bajana shuru nhi kiya?

Roshan :- kya kaha sir, tabala kahan hai yaha?

Vijay:- Yelo inko tabale hi nhi dikh rahe, pandey ji aap btao kahan hai tabale?

Pandey mujhe dekhne laga ke naa jane main kya baat kar raha hun.

Vijay:- kya hua pandey ji aapko bhi nhi pata, lagta hai aap naa apna dimag bhabhi ke paas bhul aaye ho chalo aaj ghar tab dilwata hun?

Meri baat sun ke sab hasne lage.

Vijay:- Are bhai ye hain naa apne tabale, kitne mote tagde mast moti chamdi wale tabale, to ab samajh aaya, chalo bajana shuru karo?

Sab log meri taraf dekhne lage, jaise maine kuchh ajeeb baat bol di ho.

Vijay:- Are bhai mera muh kya dekh rahe ho, sunai nhi diya kya, achcha btao koun koun bajana chahta hai?

Pandey:- Magar sir ye to.....

Vijay:- kya pndey ji ye aap naa ye wo chhodo aapko bajana hai yaa nhi ye bolo, jisko tabale bajana hai aage aaye?

Sab ek dusre ko dekh rahe the, tabhi pichhe se ramdhani hawaldar nikal ke aaya.

Vijay:- Sabas kya baat hai mere bahudur sher aa gaya, or koi hai yaa nhi?

tab pandey aage badha uske baad to oor bhi aa gaye, or sab hawalat ki taraf dekhne lage.

thakur admi:- Ye inspectar tu ye achha nhi kar raha hai, agar thakur sahab ko pata chala to tujhe wo jinda nhi chhodege?

Vijay:- Iski thakur ki aisi taisi aye maro re sab milke mujhe inki awaz sunna hai.

Mere itna kahte hi sab hawalat me ghus gaye apne apne hatho me dande leke, or kar diya chadhai, thkur ke 8 aadmi the, or usme dusre mujrim bhi band the, wo sab darr ke diwaaron se chipke pade the.

Ek Ek par teen teen log lage pade the, maine bahar baith ke tamasha dekh raha tha, sabke chuttadon pe dande toot rahe the, thene se bahar tak aawaze jaa rahi thi, kai to dekhne aa gaye kya ho raha hai.

lekin jab hawalat ke andar ka nazara dekhte to sabke sab darr ke mare bhag jate.

Thakur admi:- Inspectar ye tu achcha nhi kar raha hai, iska anzam tu dekhna, sab ke sab pachhtaoge sab.

Vijay:- Achcha kya karega tu or tera thakur, bula apne thakur ko main bhi to dekhu kaisa dikhta hai wo, or mera kya ukhad lega wo.

Thakur admi:- Tune apni maut likh di hai inspectar, tu maar jitna marna hai, bachega tu bhi nhi, mere sharir par jitne ghav hoga usse dugna tujhpar hoga, maar maar mujhe aye hawaldar maar mujhe dekhta kya hai, maaaarrrr hahahahahahahahaha.

Vijay:- Ohhho tu or tera thakur hi yamraj ho gaye jo meri maut likh diye ho, haahahaha, saale tere samne khud yamraj khada hai, pandey ji iske khilaf case file taiyar karo sale ki akad min nikalunga, waise bhi isne bahut se paas kiye hain jinki koi ginti hi nhi.

Meri baat sunte hi woaadmi mere taraf dekhne laga.

Vijay:- Beta aise maat dekh mujhe tere puri janm kundali pata hai, khair tere paar to main alag hi case bnauga, pandey ji likho.... aaj tak jitni bhi ladkiyon ka apharan hua hai unn sab me iska hath tha, or han isne unka apharan karke rae kiya or phir unko maar dala, abhi jo mamla sukhiram ke beti ke sath hua tha wo bhi isi ka kiya dhara tha.

Meri ye baate sunte hi uske hosh udh gaye, wo mujhe hi dekh raha tha or saki sare meri thane ke log bhi, mujhe bhi pata tha ki ye sab isne nhi kiya hai lekin mujhe apne plan par chalne ke liye ye jaruri tha.

thakur admi:- ye sab jhuth hai inspectar tum mere sath aisa nhi kar sakte, maine aisa kuchh nhi kiya hai?

Vijay:- kya kaha main nhi kar sakta, are amin sab kuchh kar sakta hun,or koi mujhe rok bhi nhi sakta.

Thakur admi:- Maine koi rape nhi kiya naa maine kisi ko mara hai, tum mujhpar jhutha ilzaam laga rahe ho?

Vijay:- Achcha lekin tune apharan to kiya hai naa ......

meri baat sun ke sabke kaan khade ho gaye, yaha tak ki us admi ki khud ki ankhe bade bade ho gaye meri baat sun ke.

Aaj bas itna hi.....

thank you.

Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar
 
Status
Not open for further replies.
Top