• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hamara Gaon

Story kaisi lagti hai aapko apne vote se btaye?


  • Total voters
    38
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,045
218
#UPDATE 49

Thakur admi:- Maine koi rape nhi kiya naa maine kisi ko mara hai, tum mujhpar jhutha ilzaam laga rahe ho?

Vijay:- Achcha lekin tune apharan to kiya hai naa ......

meri baat sun ke sabke kaan khade ho gaye, yaha tak ki us admi ki khud ki ankhe bade bade ho gaye meri baat sun ke.

Ab Aage......................

Main abhi ek bahut bade maidan me khada tha or mujhe janjeeron se jakad ke sipahi khade the, ye ek bahut bada yuddh ka maidan tha, kinare me yaha ke log khade the jo mujhe saza dete hue dekhne aaye the, paata nhi kya prachar kiya gaya tha mere bare jo sab mujhe aise ghur rahe the.

iisse maaroooo.... iisse maaaroooo.... iisse maaroooo....

" shantttttttttt raho sab, maharaj aa rahe hain"

ye awaaz senapati ki thi, jise sun ke sab chup ho gaye.

Maharaj aake apne gaddi par baith gaya or mujhe dekh ke ek kutil muskan diya.

main abhi khada apne vicharo me hi khoya hua tha ki uss maharaj ke bolne ki aawaz mere kano me padi.

Maharaj:- Mere nagar wasiyon ye ghuspathiya jo aap sabke samaksh khada hai, isne nagar me utpat machaya or hamare nagar me chhup ka ghus paith kar raha tha, jiske apradh me isse maut ki saza di jati hai, senapati iss ghuspaithiye ka sar dhad se alag kar do.

itna sun kar senapati mere taraf badh chala, mujhe kaise bhi kar ke yaha se niklna tha, jaise hi senapati mere pass aaya maine apne puri taqat juta ka un janjeeron ko apni taraf khincha jo sipahiyon ne paad rakhi thi.

Mere khinchte hi or sab meri oor khichte aa gaye, maine unko dhkka de kar janjeer ko jhatka diya or unke hatho se chhuda liya, tab tak senapati mere kareeb aa chuka tha or aate hi apne takwar se mujh par hamla kar diya.

maine apne hath ke janjeer se uska vaar rok diya or dusre se usko mara jisse wo door ja geera, itne me sainik bhi aane lage mere taraf, maine jaldi se apne hath ke janjeero ko nikala or ek talwar ko apne hatho me prakat kiya.

Phir kya jo bhi samne aata gaya sab ko kat-te hue main waha se aage badhne laga, lekin main jitno ko marta ustne phir aa jate, mujhe abhi unn sab se bhidne ka mauka thik nhi laga mujhe kaise bhi yaha se bahar nikalna tha.

Main apni tarafjyada sainikaata dekh waha se bhaga ... or waha ke deewaro ko kud kar bahar nikal gaya, mere pichhe sainik lage hue the, iiss liye abhi chhupne ki jagah chahiye thi, isliye main nagar me hi ek ghar me ghus gayakyoki sara nagar khali hi tha sab to meri maut dekhne maidan me the, main ek ghar me ghus kar baith gaya.

main:- Kaha fans gaya hun main, mujhe pushtak ke chakkar me kya kya karna pad raha hai, jaan jate jate bachi, ab mujhe raat me hi mahal me dekhna hoga koun saa maharani kaha hai, yaar bhuk bhi lagi hua hai.

tabhi gate khulne ki aawaz aai, sayad iss ghar me rahne wale aa gaye the, maine jhank kar dekha to ye koi ladki thi.

main wahi chhup kar intezar karne laga kab raat ho, iss bhag daud se main thak gaya tha iss liye main wahi so gaya.

abhi thoda hi soya tha ki koi zor se chillaya, main hadbada ke uth gaya samne dekha to wahi ladki chlla rahi thi wo mere samne hi khadi thi, main daud ke uska muh band kiya.

Main:- sshhhhhhh..sshhhhhhh chuppp..chupppp nhi to main tumko maar dung chup ho jao.

lekin wo chhatpatane lagi or usne laat maar kar waha ka saman geera diya, itna sab aawaz or chillane se udhar se koi bhagta hua aaya.

unkwon:- Kya hua miru kya geer gaya kyo chillai tum?

Tabhi wo Mujhe dekh ke chaunk gaya or bhagne ki koshish kare laga.

Main:- Hey wahi ruk jao nhi to isko jaan se maar dunga.

Meri baat sun wo ruk gaya, lekin tabhi wo ladki ne mere hath me zor se kaat liya jisse mujhe bat dard hua.

Main:- Aaaaahhhhhhhh....... tumko meri baat samajh nhi aati kya ... pagal ho, maine ek thappad usse maar diya.

Ladka:- Usse maat maro usse chhod do, wo kuchh nhi karegi ... bhagwan ke liye meri bahan ko chhod do, hum kisi ko kuchh nhi btayege.

Main:- dekho main kisi ko kuchh nhi karunga, mujhe bas raat tak yaha rahne do main kisi ko oi nuksaan nhi karunga, mujhe bas maharani se milna hai, raat tak mujhe yaha rahne do.

Ladka:- Thik hai tum yaha rah sakte ho, hum nhi kahege kisi ko.

phir main wahi baitha raha, ab wo sab bhi shant the.

Ladka:- Tum bhojan karoge hum bhojan karne jaa rahe hain?

Ab mujhe to bhukh to lagi hi thi to maine han bol diya.

Main:- Tumhara Naam kya hai, iss ghar me tum dono hi rahte ho?

Ladka:- han hum do hi rahte hai, hamare mata pita nhi hai, mera naam LIO hai or Ye meri bahan MIRU, Tum koun ho?

Main:- Main dharti se aaya hun, mera naam chandra hai, main manav hun.

LIO:- Kya tum manav ho, lekin manav to pani me swas nhi le sakte, kintu tum to..

Main:- Shaayad main sabse alag hun isliye le paa raha hun.

Main:- Tum Dono karte kya ho, or miru maaf karna maine tum par hath uthaya mujhe aisa nhi karna chahiye tha, bhojan ke liye bahut bahut shukriya.

Meri baat par bas miru muskura di or kuchh nhi bola.

Lio:- Main nagar me aapni dukan chalata hun, meri bahan mahal me kaam karti hai sevika ka.

Itna sun main bahut khush hua.

Main:- Achha kya tum mujhe maharani se milwa sakti ho, mujhe unse milna bahut jaruri hai.

Lio:- Waise tum maharani se kyo milna chahte ho, unse to 1 saal se koi nhi mil paya hai, wo bahar nhi aati hai.

Main :- Kyo aisi kya wajaha hai jo wo bahar nhi aati, jabki ye rajya to unke hi adhin hai to ye maharaj kahan se aa gaya?

Miru:- Wo maharani ke pati hai, maharani kisi se nhi milti unki tabiyat thik nhi hai, isliye unko kaksh se bahar nhi aane diya jata, unki seva me kuchh vishesh dasiyan hai wahi jati hai unki kaksh me or sainiko ka bahut pahra hai waha koi nhi jata.

Main:- Ohh aisa kya tab main kaise milunga unse.

aise hi baate karte bhojan hua hamara or phir aise hi bate chahti rahi.

*****************************************

Wahi dusri taraf

Jokram Maidan me jo kuchh bhi hua tha usse bahut gussa tha aur apne kaksh me idhar se udhar tahal raha tha.

Jokram:- haaaaa... nahi chhodunga tujhe insaani kide, tune abhi meri taqat nhi dekhi teri maut ab mere hatho hi likhi hai, uss pushtak ko meri siva koi hasil nhi kar sakta.

Phir wo kuchh mantra padhta hai kuchh hi time me waha do saye aa jate hain jo dekhne se hi bhayanak the, wo jokram ke samne jhk gaye.

Jokram:- jao mere gulamo jao or uss insaani kide ko dhundh kar uska shikar karo or mere kamsksh le kar aao, taki main usko apne hatho se saza de saku.

shaitan Gulam:- jo huqum malikkk.

Aur wo dono waha se gayab ho jate hain meri talash me wo dono sidha pahunche uss maidan me jaha se main bhaga tha, taki mere sugandh se wo pata kar sakke ki main kis or gaya hun.

Wo dono mera pichha karte un rasto par chal diye jaha jahan se main gujra tha or ant me wo lio ke ghar ke bahar aa kar ruk gaye.

jaise hi wo bahar ruke mujhe kuchh khatre ka ehsaas ho gaya, mere bhediye wali khoobiya ye bta rahi thi ki kuchh to hone wala hai, abhi main ye sonch hi raha tha hi tabhi darwaza tod kar do ajeeb se janwar andar aa gaye.

usnko dekh kar miru or lio ek taraf bhage, unhone aise janwar kabhi nhi dekhe the wo sab bahut hi khatarnak lag rahe the, muh se khoon tapak raha tha , chokh nukile dant the or kali ankhe. un dono ne ek zordar dahad mara or mujh par kud gaye.

Maine kudte dekh kar dusri taraf chhalang laga di or maine bhi apna roop badal liya bhediye me or dahad mara, pura ghar kanp gaya.

Mera ye roop dekh kar to lio or miru kanp gaye unko yakeen hi nhi hua jo apne ko manav kah raha tha uska ye roop bhi ho sakta hai.

wo dono janwar meri taraf daude or maine apne hatho me dono ki gardan hawa me hi pakad li, or kud kar ghar se bahar aa gaya.

Phir maine unko zameen pae de mara, lekin un salo ko kuchh nhi hua, wo phir khade ho ke mere dono taraf se gher ke chakkar katne lage, mainbiche me khada unko ghurr kar dahad raha tha,

tabhi pichhe se ek ne mere upar jhalan lagai or mere kandhe me dant gada diya ... main ne usko pakad ke zameen me mara or usko beech se faad diya. tabhi.........

Aaj itna hi.

Thanks

Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar
 

sunoanuj

Well-Known Member
2,950
7,951
159
Bahut hee badhiya mitr ...
Waiting for next part ..
 

Tiwari_baba

Active Member
1,358
3,786
159
Kyo bhai log maa ko nhi aara story me, chalo koi naa main abhi bor ho gaya hun , ab nahi likhunga ,,,,, hero ko uski book mil gai matlb power mil gaya ,,, ab mauj karega hero, so yahi story close hoti hai ....... enjoy last update ....
 

Tiwari_baba

Active Member
1,358
3,786
159
# UPDATE 56

usne socha iss baar bhi wah pani ki shakti se bavandar ko vifal kar dega, lekin iss baar ramika ne bavandar me hawa ke sath vidhyut ki shakti se bijli bhi samil kar diya, jaise hi senpati ne pani ki shakti ka istemal kiya usko bahut jor ka jhatka laga or bilji uske upar geerne se wah jaal kar maar gaya.

Ab Aage.....................

Main jail ke paas gaya or jaise hi usko chhne wala tha, tabhi prashtuti ki aawaz aai.

Prashtuti:- Naahi sawami aap usse maat chhuna nahi to aapko jhatka lag sakta hai, aapka ye roop bhi isko nahi tod sakta, aapko ise todne ke liye apne talwar ka istemal karna hoga.

Jaise hi maine ye suna main apne asli roop me aa gaya or apne talwar ko yaad kiya wo mere hath me aa gai or maine uska ek tagda prahar uss jailkhane pat kiya, talwar ke chhote hi wo ret ke ghar ki tarah bikhar gaya, andar dekha to wahan rinoma the.

Jab maine jail toda tab lio or miru ramika ke sath wahi aa gaye, ramika apne pita ke liye ab bhi dukhi thi, kintu andar dekhte hi wah khush ho gai kyoki uske pita uske samne the.

Unko dekhte hi jaise hi ramika ne unki taraf apne kadam badhaye waise hi...... " hahahahhaha naa naa naa maharani ramika naa aisa sochna bhi maat anyatha tumhare pita abhi to jeevit hai lekin mrityu jyada door nahi unse, or iss baar koi maya yaa koi chhal nahi hoga.

Humne dekha to jokram unke pichhe se nikla or sath hi usne rinoma ki gardan par katarr rakhi thi.

Main:- tum aisa kuchh nahi karoge, ab tumhara khel khatam ho chuka hai, tumhare sare sainik gulam mare gaye hain, isliye apni haar man lo.

Jokram:- hahahahahaa haar maan lu, wo bhi tum jaise insaani kide se kadapi nahi, Khel khatam nahi abhi suru hua hai, isliye maharani ramika ko idhar bhejo or wo pushtak bhi mujhe abhi chahiye.

Ramika:- Mere pita ko chhod do main nahi janti kisi pushtak ke vishay me or naa hi koi pushtak hai mere paas.

Jokram Ohh to thik hai main tumhare pita ko maar deta hun.

Main:- Nahi unko tum kuchh nahi karna, main deta hun pushtak, wo pushtak mere paas hai.

Jokram:- Kya ? achha to lao wo pushtak hahhaha lao jaldi do.

Maine ankhe band kar ke kuchh mantra padha or wahan prakash fail gaya, itna ki kisi ko kuchh dikhna band ho gaya.

Iska fayda utha ramika jokram ki taraf chali gai, or apni jagah apni ek pratibimb ko chhod diya. dheere dheere prakash kaam hua to waha par ek pushtak hawa me thi.

Jokram:- hahhahah ab mujhe koi nahi rok sakta, lao lao wo pushtak do mujhe.

Maine apne hatho se ishara ki to pushtak usko taraf chali gai, jaise hi usne pushtak ko chhua wo gayab ho gai.

Jokram:- Dhokkha mere sang chhal kiya ab ye nahi bachega.

Ramika:- Naa aaj aisa nahi hoga dusht, aaj har uss chiz ka hisab dega jo bhi tune mujhse chhina hai.

jaise hi rinoma ko marne ke liye jokram ne hath uthaya, waise hi ramika ne uske hath bandh diye apni jadi tarango se, or humne rinoma ko khinch liya( aap log soch rahe honge rinoma bole nahi kuchh to aisa hai ki iss baaar unke muh band the)

Jokram:- tu mujhe kaid nahi kar sakti ramika ye tere bas ka nahi.

or jokram ne apni kali shaktiyon ka prayog kar chhut gaya, phir unse ramika ke upar kai prahar kiye jiska jawab ramika bhi apni shaktiyon se de rahi thi.

Hum rinoma ko le kar bahar aa gaye jail se, phir rinoma ka muh bhi khol diya.

Rinoma:- Chandra tum pahle ramika ko bachao wo uske kabu me nahi aayega, main janta hun wo meri beti ko maar dega.

Main:- Thik hai main jata hun aap in dono ke sath jao, lio inko leke bahar nikalo hum aate hain.

Main jab wapas gaya to wahan ramika ki halat kharab ho gai thi jokra uske upar havi tha, usko apni shaktiyon se bandh diya tha or apni talwar se uske upar prahar karne wala tha ki maine apne talwar se uske waar ko rok diya.

Main:- Ek nihathe par waar karte hue tumko lajja nahi aati, agar itne hi taqat ka ghamand hai to mujhse lado.

Jokram:- Haaaaaaaaaaa,,,,, Tu insaani kide main tujhe bahut badi galti ki tujhko kaamzor samajh kar lekin ab nahi, tera antim samay aa gaya hai, teri mrityu yaha or mere hatho se likhi hai.

Main:-(Maine usko pichhe dhakela) Kiski mrityu kiske hath likhi hai ye to prabhu ke alawa to koi nahi janta, lekin itna to mujhe yakeen hai ki meri mrityu prabhu ne tere hatho nahi likhi.

Jokram:-(Mere upar talwar se prahar karte) Uska jawab abhi mil jayeg, shaitan ki jai h.

Main:- Har har mahadev.

Hum lagatar ladte hue ek dusre par talwar se waar kar rahe the, tahkhane me ab sirf hamre talwaro ke takrane ki aawaze aa rahi thi, itne me ramika ne khud ko sambhal liya tha or wah apne ko chhuda li thi.

Jab jokram par main waar karta to usko kuchh bhi nahi hota ek bhi waar se koi bhi ghav nahi hota tha usko, aisa lag raha tha ki main sirf hawa me waar kar raha hun, or sath hi uske sath bhi kuchh kuchh aisa hi tha, jab wah mere upar waar karta to, mere sharir par ghav to hote the kintu kuchh hi der me bhar jate the.

jab usne dekhaki aise kaam nahi hoga tab usne apni maya or chhal karna prarambh kar diya, Mujhse yuddh karte karte hi wah gayab hone laga or agle hi pal dusri jagah pragat hota or mujh par samla kar deta.

mujhe ab bahut hi jyada gussa aane laga tha uski ye chhal se, or guuse me mera takshak wala roop bekabu hone lagta hai, maine gusse me apna roop badal liya or jokram ko pakad ke door fenk diya .

wooooohahahhaaaaaaaa wooooohahahhaaaaaaaa"

Usne mujhe aise dekh kar apna sharir bada kar liya or mujhe apne pairo se kuchane ki koshish karne laga, main bhi koun saa usse kam tha, usi tang ko pakad ke maine khich liya wo zameen pe geer gaya, maine uska par pakad ke ghuma ke door fenk diya wp diwaar ko tod kar dusri taraf geera.

wooooohaaaaaaaaa woooooohhaahhaaaaaaa"

Maine bhi daud lagaya or usko phir pakad liya lekin wp phir uth gaya or iss baar usne mujhe utha kar patak diya, main phir khada hua or iss baar maine patak mara, usne dekha ki mujhse paar nahi paa payega to usne phir apne asli roop me aa gayaor apne talwar se marne laga,

Meri dahad sun ke nagar ke sabhi log jutne lage the or ramika bhi hawa me khadi hamari fight dekh rahi thi, uske pita or lio or miru bhi aa gaye the wahi.

Jokraam ne phir se apne gulamo ka nirmaan kiya but iss baar pahle ke taraf nahi the ye ye ek kutte or bhediyo ki tarah the lekin bahut hi gande bhayanak, sab mere taraf kood pade, kisi ne mere hatho me apne dant gada diye kisi ne mere paro me.

Mujhe bahut dard ho raha tha meri sirf chikhne ki hi aawaze aa rahi thi, waha sara nagar zama tha, apne purane maharaj ko dekh or maharani ko dekh sab achambhit the ye sab ho kya raha hai.

Lio:- Maharaj mharani hame kuchh karna chahiye nahi to chandra bhai ko kuchh bhi ho sakta hai.

Maharaj:- hum kuchh nahi kar payege beta, uski taqat ke aage hum sab kuchh nahi hain.

Ramika:- magar pitaji chandra ko bachana to padega na, usne hamare liye apni jaan daav par laga di hai.

Jokram:- Hahahahahha bada masiha banne aaya tha, aaj tu yahi marega, or uske baad main in saabko khatam kar dunga hahahahahha, magar main teri jaan ab bhi baksh sakta hun agar tu mujhe wo pushtak de de.

Tabhi maine dahad mara or sabko ek jhatke ke sath door fenk diya baki jo mere hath lage sabko chir diya, woooohaaaahahahahaaaaaa"

Maine apni talwar ko yaad kiya or normal roop me aa gaya, apni talwar se un kutto ko katta main jokraam ki taraf badhne laga, ye dekh usne mere pe apni shakti ka prahar kiya.

Maine apni takwar se uski shakti ko rok diya, tabhi ramika waha aa gai or usne bhi jokram par shakti ka prahar kiya, lio ne bhi apni talwar se un kutto ko katne laga.

Maine dekha ki maharaj or miru bhi ab maidan me the, sabne un gulamo par hamla kar diya tha.

Jokram:- Haaaa amaharani tu ... ab tu nahi bachegi.

Ramika:- Aaj tera or tere paap ke samrajya ka ant hai dusht.

Jokram:- Koun mujhe maarega hahahahhahaha main ajay hun, mujhe koi chhu bhi nahi sakta hahahha.

Lio:- Main tujhe nahi chhodunga shaitan mere pita ke hatyare.

jaise hi liyo ne uske upar war kiya usko kuch hua hi nahi, ye dekh lio achambhit ho gaya.

Jokram:- tujh jaisa tuchh prani mujhe kya marega haaaaatttt

usne lio ko ek laat mari lio door geera, uski ek laat me halat kharab ho gai, ye dekh miru bhi uske taraf bhagi.

Miru:- Mere bhai ko mara main tujhe nahi chhodungi kameene aahaahhhhhh.

Bwchari miru jaise hi wo paas gai jokram ne ek hath mara usko wo bhi door jaa geeri, mujhe ye dekh kar bahut tez gussa aaya.

Prashtuti:- Swami yahi sahi waqt hai iss khel ko khatam karne ka aap usko aise nahi maar sakte. o maine aapko bataya tha, waise hi wah marega.

Main:- tumne thik kaha waisa hi karna hoga hame.

(Prashtuti ne mujhe dhayan awastha me bataya tha ki, jokram ko mara hai to pahle uski takwar uske hath se chudani hogi, phir uske sar ko uske dhad se alag karna hoga, tat pashchat uske hriday me apne talwar se war karna hoga)

Jokram:- Ab bolo ramika ab tumhara kya hoga hahahhaha.

Ramikane usko baato me lagaya hua tha tabhi maine apni talwar se uske hath par war kiya jisse uski talwar chhut gai, or maine samay nasht naa karte hue uski gardan dhad se alag kar di.

Maine jaise hi uska sar kata or ramika ki taraf dekha wo chakit thi ki ye maine kaise kiya, itna jaldi ki usko samajh nahi aaya, jab maine jokram ki taraf dekha to uska sar apne dhad ki taraf badh raha tha phir se judne ke liye.

Prashtuti:- Swami vilamb maat kijiye nahi to wah phir jud jayega, uska sar kat-te hi uska kawach nasht ho gaya hai, jaldi se uske hriday par war kijiye.

Itna sunte hi maine jaldi se uske hriday par apne talwar ka parahar kiya, or talwar ko uske seene me utar diya.

Jokram:- Naaahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii............

Aaj ke liye tna hi.

Thank you.
 
Status
Not open for further replies.
Top