• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Jadui PARIVAR aur main CHUDAKKAD 💜

Sabse behtarin superpower kiski hai ?

  • Tejaswini chachi

  • Nirmala bua

  • Guddu didi

  • Shweta didi

  • Maa

  • Others


Results are only viewable after voting.
Status
Not open for further replies.

Gaurav1969

Nobody dies as Virgin. .... Life fucks us all.
590
1,138
123
bhai different scenes ka chhota chhota part se accha hai 1 ya 2 scenes ka thoda bada part .kahani acchi hai par itne sare scenes connect karna mushkil hai .1 short recap story ke start mein de diya karo.
 
  • Like
Reactions: hemya

king1969

Well-Known Member
3,489
4,806
143
Bahut hi lajawab update
 
  • Love
Reactions: hemya

avi757

The Lion🦁
110
72
28
Interesting update
 
  • Love
Reactions: hemya

avi757

The Lion🦁
110
72
28
Bhai story bahut shandaar hai isme koyi shaq nhi, par aapse ek request hai, update post karne se pahle spelling mistake aur kahi-kahi par words gaayab hai uska dhyaan rakhiye, kya hai ki mistake ki wajah se dimaag par jor dena padta hai matlab samjhne ke liye , baaki sab thik hai , meri baat buri lagi ho to maafi 🙏🙏
 
  • Like
Reactions: hemya

ayush01111

Active Member
1,777
1,935
143
UPDATE 34

Ghar mein sannaata chhaya hua tha, aisa sannaata jo kano mein goonj raha tha. Shital purane, fate phoolon waale palang par baithi thi, uska rang-roop uske sapnon ki tarah fika padta ja raha tha. Kamal ka khaali kamra, jiske diwaron par kabhi poster bhi the ye use jaise yaad hi naa ho, ye baat use yaad dilayi jaa rahi thi.
kyuki kitne din ho Gaye Shital kamre me nahi aayi.
Kamal chala gaya tha. bina piche mude, ek ,Bass apna bag le jaakar jismein bas kapde nahin the, balki uska dukh, uska gussa, aur un sab dhutkar thi har ek chij se jo unhone Kamal ko diya tha, ya sahi kahe,To nahin diya tha.

Vah drushya uske dimag mein baar-baar ghoom raha tha, jaise ek toota hua record

Kamal, ek sadharan sharir vala ladka, sharmila ladka, aankhen aansuon se bhari hui, kaha raha tha, "vo koi nahi aap thi jisne mujhe ghar se nikala." Kya shabd the aur kya bhav the use yaad nahi the lekin use aansu dikh rahe the, use vo shabd sunai de rahe the Jo use nahi sune. "Ye Ghar tumhara nahi hai." Shital ke shabd ab khudke kaleje me badi si sui daal rahe the.
"Ise kitna bhi khilau ye vaise ke vaise hi rahega vishal thodi banne vaala hai."
Shital ab khudke shabdo par sirf pachhta nahi use ghin aa rahi thi khud se.


Vishal, uska sabse bada beta, Parivar ka garv aur khushi, Kam umr mei apni shaktiyan prakat kar chuka tha. Usi aayu me uski takat ek 30 saal ke tandrust aadmi ki tarah thi.
Lekin Kamal, unka sabse chhota beta, shaktiheen tha. Vah sirf... sadharan tha. Aur uski nazar mein, sadharan hona kaafi nahin tha. Uski lagatar tulna, Vishal ke prati unka spasht pakshpaat, yeh sab khud usne hi kiya tha. Usine use khudae door use dhakela tha.

Ab, khaali kamre ko dekhte hue, apraadh uske andar ek bhookhe jaanwar ki tarah kutar rahe the. Unka dil ek aisi lalasa se dard kar raha tha jiska varnan karna mushkil tha jiska har aurat ko Darr hota hai usne vahi Kiya ki ek maa ke roop me vo shaitan nikli.

Maa to sabse badi jimmedari hoti hai, usme to manavata hai, Lekin vo bass ek achhi maa hi nahi sabse buri maa bhi ban gayi vo bhi apne bachho ki najro me, jo ki vo sahi tha.

Vo ab bite hue samay ko mitana chahti thi, use wah pyaar dikhana chahti the jo unhone itne samay tak rok kar rakha tha. "Mujhe maaf kar do, beta please." shabd uske muh mein rakhkar aasha karne lagi ki sab badal jaaye. Lekin maafi mangana ab kaafi nahin tha. Ab use kuchh to karna tha jisase Use uska beta vapas mile jise usne kho diya tha.

Aage ka safar chunautipurna tha, lekin vo jaanti thk ki use kaheen se to shuruwat karni hogi. Use toote hue tukdon ko jodna hoga, tukde-tukde karke, chahe iske liye kuchh bhi tyag karna pade. Usein uski maa banna hoga, aakhirkar, sirf Vishal ki nahin. Use uska parivar banana hoga, sirf parivar ka ek hissa nahin.
________________



Kamal ki nigaahe Sulochanaji par tiki hui thi. Ye baat Amrita aur Ashu bhi jaan rahi thi, lekin iske baare me baat vo baad me karna chahti thi.

Tabhi Divya ne Kamal ki taraf aankho se Ishara kiya.

Kamal kuch bhi samajh naa paya.Phir Divya uske karib aa kar dhire se boli.
"Mujhe sab pata hai." Ye kahte hue ek kutilta uski najaro me aa rahi thi.

Kamal ne apna sar jhatka aur aankhe badi karte hue gusse se Divya ki taraf dekha use laga ye Divya ka koi majak hai.

Divya muh banate hue Kamal ke behad kareeb aayi.

"Main aapse naraj hu. Aapne mujhe Bhabhi se pahle nahi milvaya."

Kamal Divya ki baat par khudko spasht karne vaala tha ki Divya ne otho par ungli rakhte hue rokte hue boli.

"Koi baat nahi, mujhe ab milva dijiye."

Kamal ab soch me pad gaya, Sulochanaji ke saamne milvana tha isliye nahi balki ab vo kisase milvaye. Kamal soch hi raha tha ki tabhi Divya bol padi.

"Itna kyu Darr rahe hai, mummy se puchh liya hai vo pahle mana kar rahi thi phir unhone bata diya."

Kamal ka thuk ab gale me atak gaya tha.

"Thik hai main hi mil leti hu." Itna bol vo uthke chali gayi.

Aur sidhe Amrita ke pass khadi ho gayi.

"Bhabhi, Aap bataiye ki aap bhaiyya se kaise mili."

Is baat par bahot soch kar Amrita mere taraf dekhne lagi.
Mene haa me sar ghuma diya aur Sulochanaji ki taraf dekha vo ab muskura rahi thi. Itna dekh mujhe achha laga.

_________

Ek gruhasth Kharad ke Mahal ke andar ghuskar kisi ko khabar pahuncha vaala tha. Ye khabar milte hi kisiko jindagi badal jaane vaalo thi. Is bade se aashiyaane me aakar vo dekh raha tha ki isase Sundar chij usne kahi dekhi nahi thi. Har taraf laal aur kaale rang Lage hue the. Vo to bass ek shaks ko dhundhana chahta tha. Use pata tha ki isase uski Jaan chali jayegi lekin Karan jinda hai ye baat kisi ke liye pata lagna bahut jaruri tha. In Badi si diwaro me use ye khabar koi nahi pahunchane vala tha. Isiliye apni Jaan jokhim me daal vo Tripti ko ye baat batane aaya.

Tripti yaani samiksha apni soch me sidiyo se bade se mahal se niche ki aur jaa rahi thi.
Tabhi uski najar gruhasth se aadmi par padi. Use vo jaanti thi kyuki ye Usike gaav se tha. "Ye yaha kya kar raha hai?" Itna soch Tripti jaldi jaldi niche utari aur us insaan ke pass ka hath khich kar use ek galiyare me le aayi.


"Guruji aap yaha?"

" Haa beta, tumhe ek jaruri baat mujhe batani thi."

" Konsi jaruri baat?" Unhe pichhe se ek aavaj aayi ye aavaj sun dono behad darr gaye. Ye koi nahi Kharad hi tha.


Vo apne hath me sharab ka pyala pakad kar un dono ke pass aaya. Us vyakti ne kharad ki taraf darte hue kaha.

" Vo main aapse Milne aaya tha."


"Achha, Maine to suna hai ki aap bade achhe shikshak hai tumhare gaav se, tripti tumhe bhi inhone hi sikhaya hoga naa."

" Tripti?" Us insaan ne Tripti jise vo Samiksha naam se jaanta tha uski taraf dekhte hue kaha.

" Vo Tripti ka naam to maine hi badal diya, ab aapki vidyarthi puri tarah se badal chuki hai."

"Sirf naam badlane se insaan nahi badlata uski chahat ko badalna padta hai." Tripti ne is baat par apne shikshak ki taraf dekha.

" Waa guruji, kya baat kahi hai!" Kharad ne kaha.
Phir usne Tripti ki taraf dekha.

"Haa" Tripti ne uski taraf dekh haa me jawab diya.

"Are isme darne ki kya baat hai, main to bass Inka shukriya karna chahta tha ki inhone itne achhe se tumhe sikhaya jis vajah se tum itni kabil bani."

Tripti ne dhire se haami bhari.

"Haa to tumhare guruji kuch kahne aaye the ab unki baat bhi sun leni chahiye."

" Vo maine aaj subah 50 se upar jahaje, hamare gaav ke taraf aate hue dekhi hai."

" Achha to isase kya? Main yaha ka raja hu main kuch bhi Karu." Kharad ne sharab ka ghut pikar aankhe dikhai.

Us insaan ki dhadkan itni tej thi ki 'thud' 'thud' aavaj kaano me gunj rahi thi.

"Nahi, mera matlab vo nahi tha... Vo to.." achanak se uski saase band hone lagi.

"Are guruji aapko darne ki koi jarurat nahi hai, main to majak kar raha tha , lage to aap apni vidyarthini se puchh sakte hai."

Usne tripti ki taraf dekha.

"Kya hua tripti apne guruji ko batao na ki majak kar raha tha , bechare dar Gaye hai."

Tripti ne apni aavaj jaise vapas laayi ho us tarah se kaha.

" Haa." Tripti is poore vartalap me asahaj mahsus kar rahi thi.

" Haa , kya ?.. jaane do, to guruji Aap ki jo chinta hai vo main samajh sakta hu, khaskar ki agar aapko apni taraf 73 hajar ozor aate hue dikhayi de."

Vo aadmi ab dar ke maare apna sukhe gale ko pine laga.

"L.. Lekin...Vo.."

" Are guruji aap to darr rahe hai, main tripti ke gaav vaalo ko kaise taklif de sakta hu Tripti to meri behad khass hai. Ye sena to Ghor vaasiyo ke liye hai."

" Hamare gaav ki taraf se aane ki kya jarurat.. hai O...ozoro ko, Vo to mukhya raste se hamla kar sakte hai aur pass bhi hai vo rasta.."

Kharad ekdam unke pass khada hon Gaya.

"Itna darne ki koi jarurat nahi hai guruji.
Vaise us raste par ek shaitani janvar hai jis vajah se saamne se jaana pad raha hai."

"Achha, Maine bhi suna hai ki purvaj uski puja kiya karte the us jaanvar ki."

Kharad ne us aadmi ki baat par gusse se dekha.

"To bataiye aap itni chhoti si baat ke liye yaha kaise aa gaye."

Vo kuch bol nahi paya. puri tarah stabdh kya bole? unhe sujh nahi raha tha.

"Ji vo apne gaav ki chinta me yaha aaye honge unhe laga hoga ki unki vidyarthi Kharad Maharaj ki sevak hai, to koi sawal unke man me hai to puchh lenge." Tripti ne ek jhatke me apne guru ko bachane ke liye bol diya. Use pata tha ki Kharad ko thodi bhi chidh pasand nahi thi.

Kharad ne Tripti ki taraf muskurate hue kaha.

" Thik hai, vaise aapne sikhaya kya hai Tripti ko."

" Vo .. kya sikhau vo to pahle se mahir thi in sab me, use apne jaise logonko ke sath rah kar kaise ladhna hai sabh aata tha."

Tripti apne guruji ki ajibo garib baat samjh nahi payi. Kharad ne muskurate hue apna hath us insaan ke chehre par rakha.

" Vaise aapki shaktiya aankhe nahi dekh paati usase kayi jyada dekh paana hai naa."

Ab guruji apni shaktiyo ke baare me Kharad se sun thode chinta me pad Gaye. Kharad ke hath dono kaano ki taraf aa gaye. Tripti bass apni aankho se vinti karne lagi ki kuch galat naa kare.

Kharad ne phir halki si muskan chehre par laakar halke se hath Guruji ke sar se phera.

"Achha dekhte hai."

'stch...klork!'

Us insaan ki dono aankhe bahar aa gayi. Kharad ne sirf halke se sar ko dono bajio se dabaya tha. Sar par bhi kisi Sade phal ki tarah darare ban chuki thi. Aankhe laal nasonse Sani Hui thi. Ye dekh Tripti ko achanak ulti ho gayi.

_______

Raat ka andhera ghar ke chhote se baramde mein faila hua tha. Ek tooti hui batti ki mand roshni aas paas ke pedon ki pattiyon par jhilmila rahi thi, thik usi tarah man me Kamal ke anek vichar uthal puthal ho rahe the.

Wah baramde ke kinare par baitha tha, aankhen band karke, apne haathon ko apne sir par rakhkar. Ek ankahi peeda uske chehre par chha gayi thi, jaise uske dil mein patthar rakh diya gaya ho. Wah ek aise bhaar ko dho raha tha jiske liye wah kabhi taiyaar hi nahin hone vaala tha.

Uske kandhon par ab ek nayi zimmedari ka bojh tha, jo pehle se kahi zyada bhaari tha. Jo Kamal ab taal nahi sakta tha.

Wah ab ek bachcha nahin tha Jo din bhar rota rahe to usase kisi ko padta tha. Uski duniya badal gayi thi, aur uske saath uski zindagi bhi.

Baramde se aati hawa ne uske chehre ko sahllaya, lekin wah uski thandak mahsus nahin kar paa raha tha. Wah andar se hi thanda ho gaya tha, ek aise dukh mein fans gaya tha jiska use koi hal nahin dikh raha tha.

Tabhi uske pichhe se use Payal ki chhanak sunai di. Halke se apna muh modte hue usne dekha.

Sulochanaji ne uske kandho par hath rakhke uske pass baithne lagi.

"Kya hua aap soyi nahi?"

"Achcha main soyi nahi , aur tum?" Itna kahkar Kamal ko aankh dikhayi.
Kamal ne muskurate hue apna sar niche kar diya.

" Kyu tumhe Sona nahi hai?" Is baar sawal sulochanaji ne karte hue Kamal se puchha.

" Haa.. nahi vo nind nahi aa rahi thi."

"Kyu kya hua?" Sulochanaji ne chinta jatate hue usase puchha.

Kamal ne dhire se apna sar naa me hilaya.

Sulochanaji shant ho kar Kamal ko dekhne lagi. Kamal ne achanak apni aankhe Sulochanaji ki taraf ki jo ki dukh se bhari thi.

"Kya maine hamara rishta bhi khatam kar diya hai."

" Nahi.. nahi kyu ?" Sulochanaji ne Puri tarah chinta me bol padi. "Aisa kyu kahoge , beta. Mere liye tum sunny ki tarah ho." Sulochanaji ne is baar Kamal ke dono hatho ko apne hatho me liya.

" Nahi main sunny nahi hu, main uski jagah nahi Lena chahta."

Sulochanaji ne Kamal ki taraf ek alag bhav se dekha.

"Kya bol rahe ho tum?"

" Nahi rahne dijiye, main is parivar ko khona nahi chahta."

" Dekho , Kamal tum Jo bhi soch rahe ho vo hamare bich nahi ho sakta, upar se ab to tumhari do do premikaye hai." Sulochanaji ne haste hue kaha.

" Haa hai lekin, main aapko khush rakhna chahta hu, shayad sunny ko ye baat pasand nahi aati lekin main sunny nahi hu. Shayad vo hota to is baare me main sochta bhi nahi."

Sulochanaji kuch bolna chahti thi lekin kuch nahi boli muh phir se band kar Diya.
Phir Kamal bola.

" Lekin main aapko khona bhi nahi chahta, aap Mera parivar hai. Main is Ghar ki jimmedari ek bete ki tarah nibhana chahta hu."

Sulochanane apni najar is baar dusri aur pher di aur uthkar andar chali gayi.

___________

"ye ladki paagal ho gayi hai!" Shital chillane ki aavaj sun bahar aayi. Abhi Tak vo akeli kamre soch me dubi Hui thi.

Usne bahar aakar dekha to Nirmala chilla rahi thi, vahi Meena aur Shweta shant karne ki koshish kar rahi thi.

Shital kuch puchhti tabhi Sunil bol pada.

"Maa, use aane dijiye phir use achhe se samjhayenge."

"Itna samajhane ke baad bhi nahi samajhi, main to Kamal ko bhola bhala samajhti lekin usne meri beti ki jindagi barbaad kar di."

" Haa, Bhabhi aur vo Amrita vo to mahmaan hai naa, bhalehi itni Sundar hai lekin aisi harkate karne ka adhikar thodi mil jaata hai." Tejaswini Chachi bich me bol padi.

" Haa, lekin apna hi sikka khota nikle to kya kare, usne meri beti ko dhoka Diya aur is baat ko sabke samne showoff bhi kar raha tha." Meena ne Nirmala ki baat par oth kaste hue sochne lagi.

Sunil bhi bich me apni roti sekne laga.
"Kamal ki harkate pahle se hi gayi hui thi, isme kuch Naya nahi tha, Main isiliye kahta tha ki Kamal se use door rakho uska fayada to nahi utha pata vo."

"Beta Teri baat sahi hai, maine sharada ji ki kaha hai ki vo apni Amrita aur baaki Parivar ko leke kahi aur rahe main nahi chahti ki vo bhaiyya ke yaha rahe." Nirmala ne Shital ki taraf dekhte hue kaha. Shital ka yaani Kamal ke pita ka Ghar jisme abhi sabhi mahman rah rahe the. Aur usi Ghar me baaki Parivar vaale jab unka man ho rah lete the. Ghar unke liye sirf naam ke the. Is baat se un ke Ghar ke bujurg bhi khush the.

"Nahi." Aavaj sun baakiyo ki najar us taraf hui. Meena ye dekh kar Puri tarah se tense ho gayi use ye achha nahi lag raha tha.

" Kya nahi didi?" Tejaswini ne puchha.

" Nahi, vo mahman is ghar se kahi nahi jayenge." Shital ki baat par shweta ,Meena aur rupali ek dusre ki taraf dekhne lagi.

"Lekin didi, aapko pata hai naa us ladki ne kya kiya."

"Haa, unhone Jo bhi kiya bura kiya, lekin main mere bete ki baat sune bagair koi faisala nahi lungi."

Tejaswini ne ek baar najar Nirmala par daali use yakin nahi ho raha tha Jo bhi usne suna tha. Lekin Nirmala gusse se aage badhte hue boli.

"Ye kya bol rahi hai aap? yaha galat meri beti ke sath ho raha hai, aur aap ho ke unki jagah le rahi hai."

"Main kisi ki jagah nahi le rahi, main bass ek baar unki baat sunna chahti hu."

Tejaswini ne Shital ko ek side karte hue dhire se kaha.

"Didi, ye aap kya kar rahi hai? Isase unhe kya lagega ye soch to rahi hai naa aap? Jhagde hoge parivar me."

" Hone do lekin main jab tak Kamal ke muh se sunata ki vo ladki uski koi nahi lagti main use ghar se bahar nahi nikal sakti."

"Didi, aapko pata hai naa ispar vishwas ji kya kahenge aur vaise bhi itna sab Kamal ke liye karna thik nahi lagta mujhe."

"Maine jo bhi aaj tak uske sath kiya hai us hisab se ye to kuch bhi nahi hai, agar in sabse kisiko aapatti hai to main bhi is ghar se chali jaungi."
Tejaswini apni badi bahan ki baat sun samajh naa payi ki kya kahe, vo apni bahan ko jaanti thi aur usne apni bahan ko itna kisi chhij ke liye khambir bahut kam baar dekha tha. Vo chhoti bahan ho kar Tejashwini hamesha shital ki badi bahan ki tarah kaam karti thi jis vajah se uski shadi pahle hui. Lekin aaj vo apni bahan ko alag tarah se dekh paa rahi thi.

"Didi main unke khilaf nahi jaa sakti, Sunil ki bahan hai aap sochiye jara."

"Mujhe maaf karna lekin main kuch nahi kar sakti."

Meena ne jaise hi nirasha se mudkar Tejaswini ko vapas aate dekha vo samajh gayi ki kya hua hai.

Usne nirmala ji ko ishara kiya vo bhi gusse se vaha se chali gayi.

________

"malik ye aap kya kar rahe hai" jangal me samundra ki tatoe ke aavaj ghum rahi thi vahi kuch log hatiyar chamaka rahe the. Ye aavaj kisi ki nahi balki Sanjay ki thi jo Jamal ko itni tayari karta dekh bola.

"Sanjay, tumne Aaj subah khabar nahi suni ki is taraf ozoro ki bahot badi sena, ham par vaar karne aa rahi hai."

"Nahi , lekin ozors kyu war karenge ab vo bhi itne dino ke baad."

"Kyuki ab Jo hamara Sultan hai, vo kah raha hai ki use Pritam mila hai, pure Ghor vaasiyo ko apni is jhuti kahani me vishwas karana chahta hai."

" Ye to pagalpan hai, vo hamari sabhyata nasht ho jayegi agar kharad ne ham par hamla Kiya to."

" Achhi baat to vahi hai ki vo nahi hamla kar raha, lekin sena hamare pure Is gaavise 3 guna badi hai vo bhi ozors ki bhediye bhi milkar ham unki aadhi sena ko nahi hara payenge."

Sanjay chinta me tha, vahi nahi balki Jamal ke sabhi sathiyo ke chehre par chinta fail gai thi.

" Nahi ye to pagalpan hai, phir us samudra devta ka kya usase unhe Darr nahi hai ab tak to ek bhi hamla unhone us devta ke karan nahi kiya hai." Sanjay tilmilate hue bola.

"Samudra devta yaa rakshak vo jo bhi usase unhe Darr to hai Shayad usi vajah se Kharad nahi aa raha lekin vo hamla is baar saamne se kato ki taraf se karenge.shayad us vajah se hame tayari me koi samay mil jaye."

"Lekin pritam ka kya agar vo hai to use hamari raksha karni chahiye."

"Malum nahi shayad Saakhoo use lekar aayega aaj dekhenge ki vo sachme pritam hai yaa nahi."

"Kaha sabhay ne hame fasa diya, vo khud ladhta yaa tumhe bhejta to use yu hara diya jaata." Sanjay ne talwar uthakar use banane laga. Vo laal rang se bani talwar thi.jisase ozor maare Jaa sakte the. Kyu ki unke sharir se koi bhi dhatu chhuu bhi nahi sakta tha. Jamal bhi soch me pad gaya.

_____


"Abhi unhe yaha tak pahunchane ke vakt lagega, kamse kam 4-5 din to lagenge hi."

"Lekin tumhe lagta hai ki ham unhe hara payenge " Sabhay ne Karan se tikhi najro se sawal puchha vo kille ke upar baithe hue jaha se lagbhag unka pura gaav aur samudra kinara dikh sakta tha. Rat ke andhere me vo 6 log baithe hue the. Shama, Sabhay, Mathews, shanti , Abby aur Karan aage upasthit chunoti par charcha kar rahe the.

"Bilkul nahi, lekin hame naseeb ka Sahara lena hoga." Karan ne kaha.

" Aor ye naseeb ka Sahara kon Pritam jiski jhuti kahaniyan do din sultan bane hue nahi ki pure gaav ko suna rahe ho unka vishwas jitne ke liye."

"Vo kahaniya sachhi hai." Mathew bich me bol pada.

"Aisa hai to darne ki kya jarurat , ab hamare mahan Mathew ji batayenge jinpar khud sukantji bharosa nahi karte the vo aadmi."

"Bhaiyya ye sach hai, kyuki Pitaji ne khud Saakhoo se kaha tha aur Pitaji se behtar pritam ko koi nahi jaanta vo yaha par saakhoo aur unke jhund se pahle se rah rahe hai."

Is baat par sabhay kuch nahi bola. Kyuki usne kahaniya suni thi ki Pritam ki jadui shiksha uske chacha Sukant ne hi puri ki thi. Sukant ke pahle yaha par sultan 100 pahle hua kar tha. Aur log bhi maante the use.

______

Surya kshitij se niche dooba, laal rang se saagar ko rang raha tha lekin aasman me phir bhi kaali parchhayi thi. Hazaron aag se jale hue jahazon ki ek aandhi, Ghor dweep ki taraf badh Rahi thi. unke jahazon ke dhakkan, aag ki vajah se kaale ho gaye.ye Kamal us dhatu ki thi jo abhi pighal nahi Raha tha. Har jahaz par, ek jalti hui shakl, unke pigale hue badan se nikalti garmi se hawa ko badal dete hue, khade the. Yeh Ozirs aur unke ozors ki pigale hue rosh ki lahar jo Ghor ke kinaron par girne wali thi.

Sabse aage, ek bahut bada jahaz, purane, obsidian-kaale lakadi se bana hua, saagar mein ek samudra jaise chal raha tha. Yeh dusron se bada tha, uske dhakkan Ozors se bhare hue, unke badan bechani se chamak rahe the. Yahaan benaam khada tha, jo sabse bada Ozir, apne bhaiyon ke bich me khada Samundar ki taraf dekh raha tha.

Unki aankhen, pigale hue gussey ki do angaare, kshitij ko dekh rahe the, woh dweep dhund rahe the jo jaldi hi unka jung ka maidan banne wala tha. Unki maujoodgi ek sakht shakti thi, garmi ki ek lahar jo armada mein badhti thi, unke aane walon ke dil mein dar aur Ghor par intezaar karne walon ke dil mein bhayanak bharti thi.

Unke saath 72 aur Ozirs khade the, har ek sharir ek jeeta hua jwalamukhi, unke chehre ek nishchay se bhune hue the Jo unhone Ozoro ka netrutv karte hue Kiya hua tha. Woh aag thi, har ek apne andar hazar yoddhaon ki shakti liye hue, unki mila hui rosh ek aisa toofan tha jo pahadon ko tod sakta tha aur dharti ko jala sakta tha.


_________
Raste par gaadi rok do ladke baithe hue the.


"Nahi ye nahi ho sakta?" Ladke ko bharosa nahi ho raha tha uske Bhai ke shabdo par.

"Yahi hua, tumhari maa sidhe shabdo me kahe to Amrita ko apne Ghar me rakhegi kyuki vo shayad Kamal se pyar karti hai, chahe uske liye pure parivar vaalo se jhagda karne ko tayyar hai." Sunil ki baat par use behad achambha ho raha tha. Lekin use khushi bhi thi ki Amrita uske Ghar rahegi. Lekin dukh jyada tha ki uski maa ne Kamal ko chuna hai ye aaj tak nahi hua tha .

"Tum chinta mat karo, main meri maa ko samjha dunga , aur vo maan bhi jaayegi dekhna tum." Vishal pure aatmavishwas ke sath bola.

" Mujhe nahi lagta ,kyuki unhone tumhari chachi ki baat tak nahi maani."

"L
ekin maa meri baat jarur maanegi, mujhe bharosa hai, kisi ne kuch bol Diya to naraj ho gayi hogi lekin Maan jayegi. Unhone hamesha mujhe Kamal se upar rakha hai aaj bhi rakhegi."

" Thik hai tumhe lagata hai to." Sunil bhi aasha kar raha tha. Kyu ki vo bhi Kamal se badla lena chahta tha apni bahan ke liye.

to jaisa ki maine kaha agli update 24 tarikh aayegi, aur bahut logo ko ye 1 week me ek update pasand nahi aa rahi samajh sakta hu. Lekin agar mujhe story likhni hai to mujhse itna hi possible hai. Jo chahte hai ki jab time mile tab likha karu to aisa to kabhi ho nahi sakta har time busy hu. Ab story upload is tarah se post ho sakti hai bhalehi ye mujhe pasand naa aaye kyuki iske baare me kuch nahi kar sakta. Aur like kar diya karo bhaiyyo.
Nic one
 
  • Like
Reactions: hemya

Gaurav1969

Nobody dies as Virgin. .... Life fucks us all.
590
1,138
123
Next update kab hai hemya bro
 
  • Like
Reactions: Skb21
Status
Not open for further replies.
Top