Hmm, interesting.... To tufan ki Shuruwat Rahul se hogi... I think Rajiv apne faisle me akela hi pad jayega, Divya, Kiran use support nahi karenge... Aage to Writer ji hi jante he. Waiting
Thanks bhaiAwesome update...
Bhai time ke sath sab pata chal jayega. Thanks for your support bro.Hmm, interesting.... To tufan ki Shuruwat Rahul se hogi... I think Rajiv apne faisle me akela hi pad jayega, Divya, Kiran use support nahi karenge... Aage to Writer ji hi jante he. Waiting
bhai aap ka yeh story aaj hi 30 updates tak pad liya, bohot achha lag raha hey, Kiran & Divya ke saath Rahul ka camestry bhi achha laga but uska papa ka eisa negative role mujhe achha nahi lag raha hey bhai, kon baap apne bachhe ke khushi main kush nahi hota, aur yeh janab toh Rahul ke tarakki ka road ka rada ban raha hey aisa kyu bhai, lagta hey Gaurav aur Riya ka kuch chakkar hey aur dono ne mil kar Rahul ke baap ke property ke liye yeh sab unse karba raha hey, ho sake toh aap reply karke bataiye please.UPDATE 30
Toh dosto jaisa k humne pichhle updates mein dekha k finally Rahul ne dono devion ko mana hi liya. Thode papad velne pade par ant mein kaam ban hi gaya. Rahul se anjane mein bhale hi unka dil tut gaya ho par wo chutiya nahi hai k baar baar same galtian repeat kare. Usne is sab se seekha aur ab wo roj dono ko barabar time de raha hai aur sath hi sath apni professional life par bhi dhyan de raha hai. Lagta hai launda syana ho gaya. Toh pichhle kuchh dinon se Rahul apne restaurant ki tyarion mein busy hai. Ek taraf yahan usne plot ki registration hote hi Construction ka kaam shuru karwa diya hai toh dusri taraf wo restaurant se related sab legal permits bagera v banwa raha hai. Bawjud iske wo apni family aur friends ke liye time nikal hi raha hai. Kul milakar uski life ek dum settle lag rahi hai. Par kehte hain na k jaise hi apko yeh ehsas ho k sab kuchh smoothly chal raha hai tabhi apko life ke agle jhatke ke liye prepare ho jana chahiye. Kionk nahi toh speed mein chal rahi gaadi ki aisi halat hoti hai k kayi baar wapis chalne ke v laale pad jate hain. Ab yeh toh nishchit hai k Rahul ki life mein kuchh bada tufaan ane wala hai aur vaise v main aur kya karne ko baitha hun yahan. Yahi toh kaam hai mera dusron ki mayia chodna. Par dekhne wali baat yeh rahegi k kya Rahul is musibat ka samna kar payega yah fir uski life ke laude lagne wale hain. Khair kuchh v ho par hamara maja toh aise hi chalta rahega. Toh saari tension ko jameen mein gaad kar hum chalte hain aur dekhte hain k akhir chal kya raha hai.
“Pichhle kitne dinon se yahi bakwas sun raha hun main. Mujhe chutiye samjha hai kya jo roj roj ek hi baat sunkar baith jaun.” Rajiv apne office mein pure gusse se tamtamaya huya Riya par baras raha tha. Aur Riya mundi neeche kare Rajiv ke samne khadi thi.
Rajiv: ab kuchh bolti kion nahi ho. Tumhe maine bas ek kaam diya tha k Rahul ko kisi v tarah roko. Par mujhe lagta nahi hai k yeh tumhare bas ka hai. Shayad maine kuchh jayada hi umeed rakhli tumse.
Itni daant sunne ke baad Riya ki ankhon se ansoo tapkane hi wale the par usne khud ko sambhala aur Bhari gale se Rajiv ki baat ka jawab diya.
“Sir, main kosish kar rahi hun aur plz mujhe thoda aur waqt dijiye main kisi v tarah Rahul sir ko restaurant kholne se rok dungi.”
Rajiv: akhir kab rokogi use. Jab wo already restaurant khol lega?
Riya: sir I am trying my best.
Rajiv: nahi Riya tumse na ho payega. Tum rehne do main khud hi dekh lunga aur abhi aur kuchh mat bolna mera dimag already fata ja raha hai.
Rajiv ki baat sunkar Riya kuchh na bol payi aur ruyansi si shakal lekar office ke bahar chali gayi. Jaise hi wo bahar nikli tabhi Mr. Kapoor aur unka beta Gaurav office ki taraf ja rahe the. Gaurav ne ek baar Riya ki taraf dekha jo k mundi neeche kare hi age nikal gayi par jaise hi uska dhyan uski matkati gaand par gaya toh uske dil se aah nikal gayi aur Rajiv ki kismat ke bare mein soch kar uski jhant ke baal sulgane lage.
Khair wo dono age badh kar office mein enter huye toh Rajiv pareshan sa apni chair par baitha kisi soch mein duba huya tha.
Kapoor: namaskar Sinha Sahab. Ander a sakte hain kya?
Rajiv(Unki taraf dekh kar): aiye Kapoor sahab. Ap hi ka intezar kar raha tha main. Aiye baithiye.
Rajiv ne Apni chair se uth kar unka swagat kiya aur unhe apne table ke samne wali chairs par baitha kar khud wapis apni chair par jakar baith gaya.
Kapoor: are kya baat hai jo ap aise pareshan se lag rahe hain.
Rajiv: kuchh nahi sinha saab bas kayi baar aulad humein itna majbur kar deti hai k na toh hum usko rok pate hain aur na Unka sath de pate hain.
Kapoor: toh abhi kya kar diya Rahul ne jo apko aisi tension mein daal diya.
Rajiv: hona kya hai, bas wahi uska restaurant ka bhoot hai jo uske sir se utar hi nahi raha. Ab ap Gaurav ko hi dekh lijiye kaise apke sath reh kar business ke gur seekh raha hai par hamare sahebzade sahab ko toh bawarchi banna hai.
Rajiv ki baat sunkar Kapoor apni baglein si jhankne laga kionk uska beta kitna uske kehne mein hai yeh toh wahin jaanta tha na. Udher Gaurav apni tareef sunkar Ander hi ander fule ja raha tha.
Kapoor: abhi kya batayein Sinha sahab kuchh bache hote hi aise hain, belagam. Vaise agar ap chahein toh main apko Ek sujhav de sakta hun.
Rajiv: han boliye jarur. Main apne ladke ko seedhe raste laane ke liye kuchh v kar sakta hun.
Kapoor: mere khyal se apko apne bete ko thodi lagam daalne ki jarurat hai.
Rajiv: main samjha nahi k ap kya kehna chahte hain?
Kapoor: mere khyal se usmein talent ki koi kami nahi hai par shayad use apni jimmedarion ka ehsaas nahi hai. Mujhe lagta hai k apko uski shadi karwa deni chahiye.
Rajiv: vaise apka khyal toh achha hai par ap toh jaante hi hain k wo meri baat manta hi nahi hai aur vaise v uske liye achhi ladki v dhundhni padegi.
Kapoor: ladki toh shayad apko aas paas hi mil jaye bas apne dimag par thoda jor daal kar sochiyega.
Kapoor baaton hi baaton mein apni beti ka tanka Rahul ke sath bhidana chahta tha aur yeh baat Rajiv v samajh chuka tha par Gaurav ko is bare mein soch kar hi chidh ati thi k uska baap us ladke ko uska jeeja banana chahta hai jisse wo bachpan se hi khunas khata aya hai.
Gaurav(beech mein hi kudte huye): vaise uncle bura mat maniyega par mujhe nahi lagta hai Rahul mein ap jaisi baat hai jo wo is business ko sambhal payega. Mujhe toh lagta hai k apko Divya ko age laana chahiye.
Kapoor(gusse se): Gaurav beta badon ke beech mein nahi bolte.
Rajiv(Gaurav ka paksh lete huye): are rehne dijiye Kapoor sahab. Abhi wo bada ho gaya hai aur uski baat mein dum hai. Main v is bare mein soch raha tha k Divya Rahul se jyada layak aur samajhdaar v hai. Bas dar lagta hai k ladki hai toh kahin kamzor na pad jaye.
Gaurav: uncle ap faltu mein tension lete hain Divya darne walon mein se nahi hai aur vaise v toh mainnn… ap aur papa hain na uska sath dene ke liye.
Kapoor: han wo toh hai. par main toh abhi v yahi kahunga k agar Rahul raste par a jaye toh wo apke business ko jyada achhe se samabhal payega.
Rajiv: han soch raha hun k ek baar Rahul se baith kar baat karli jaye. Nahi toh fir mujhe lagta nahi hai k Divya ke ilawa mere paas koi aur option rahega?
Kapoor: are ap ek baar baat karke toh dekhiye mujhe pura yakeen hai k wo samjhega.
Gaurav is waqt apne baap ki baatein sunkar gusse se daant pees raha tha par wo bolta v toh kya. Wo Rajiv ke age apni izzat kam nahi karna chahta tha. Akhir use abhi uski jarurat jo thi. Udher Kapoor man hi man khus tha k usne Rajiv ke dimag mein khyal toh daal hi diya tha apni beti ko lekar. Agar kisi tarah Rahul aur uski beti ki shadi ho gayi toh uska rasukh is sehar mein doguna ho jayega. Wahin Rajiv in dono ki baton ko sunkar apne dimag mein aur v uljha ja raha tha k akhir sahi raasta konsa hoga?
Udher Rahul is waqt ek shandar se café mein baitha Aditi ke sath coffee pi raha tha.
“Achha vaise tumne kabhi bataya nahi k tumhare ghar mein aur kon kon hai?”
Rahul ne coffee ki ek sip lete huye Aditi se sawal kiya toh Aditi ne v uska jawab dete huye kaha “mere ilawa mere ghar mein mere maa baba hi hain bas aur wo gaon mein hi rehte hain.”
Rahul: toh tum yahan akeli rehti ho toh ajeeb sa nahi lagta?
Aditi(Rahul ki ankhon mein dekhte huye): tum ho na mere sath. Mere best friend.
Abhi Rahul ka dhyan is waqt Aditi ki cleavage par tha jo uski lambe gale wali dress se kafi ubhar kar dikh rahi thi.
Rahul: main toh abhi aya par pehle toh tumhe akelapan feel hota hi hoga na.
Aditi: han pehle toh bas aise hi time pass karti thi. Ghar se kaam aur kaam se ghar. Do chaar friends thin par sabki apni personal life v thi toh kisi ke paas time hi nahi hota tha mere liye. Vaise ab tum chhodo yeh sab aur batao k kahin bore toh nahi ho rahe na mere sath.
Rahul(majak mein): nahi jab tak tumhari cleavage dikh rahi hai tab tak kaise bore ho sakta hun.
Rahul ne Aditi ko yeh bolte huye ankh maari toh Aditi sharam se paani paani ho gayi.
“besharam kahin ke. Yahan tum meri cleavage dekhne aye the?”
Rahul: nahi aya toh aur v bahut kuchh dekhne tha par ab itni public mein itne se hi kaam chala lunga.
Aditi: tum na ek dum pagal ho. Ab jaldi se coffee khatam karo fir humein movie dekhne v toh jana hai.
Rahul: yaar agar bura na mano toh ek baar kahun.
Aditi: han bolo.
Rahul: yaar mujhe na construction site pe kuchh kaam tha. Agar tum kaho toh hum movie dekhne next weekend chalein. But agar tumhe koi dikkat na ho toh.
Rahul ki baat sunkar Aditi ko bura toh laga tha but wo samjhti thi k Rahul ke liye uska restaurant kitna important hai isliye wo use apne sath ane ke liye force nahi karna chahti thi.
Aditi(smile karte huye): no problem Rahul, tum jao hum movie dekhne fir kabhi chalenge aur vaise v main samajh sakti hun k tum aj kal kitne busy ho aur fir v mere liye 2 ghante nikal kar aye. It’s enough for me. Abhi mera pura week achhe se nikal jayega.
Rahul(khus hote huye): thank you so much Aditi. Mujhe toh tension hi ho gayi thi k tum manogi yah nahi but tum ho hi itni samajhdar. You are sweetest girl in the world.
Rahul ke munh se apni itni tareef sunne ke baad toh Aditi ke dil mein movie na dekh pane ka koi gum hi nahi raha. Uske dono gaal toh khusi se laal huye ja rahe the. Aj ka din uske liye sach mein lajawab raha.
Aditi: thank you Rahul for this amazing day.
Rahul: ab jyada formal mat ho. Dosti mein no sorry and no thank you. Ab chalo main tumhe ghar chhod dun fir main wahin se seedha nikal jaunga.
Aditi: nahi iski koi jarurat nahi hai. Main rikhsaw se chali jaungi tum seedha kaam ke liye nikal jao main nahi chahti k meri wajah se tum late ho jao.
Rahul: pakka na?
Aditi: han ismein konsi badi baat hai. Main chali jaungi pakka.
Rahul: toh theek hai main niklta hun. Mujhe late ho raha hai.
Aditi: han tum jao. Main v bas nikal hi rahi hun.
Fir Rahul ne café ka bill pay kiya aur Aditi ko bye bol kar wahan se nikal pada. Usne ghadi mein time dekha toh sham ke 5 baj rahe the aur uski shakal se saaf pata chal raha tha k use kahin jane ko late ho raha hai. Uper se sham ke waqt delhi Ka traffic. Rahul jaise taise gaadion ke beech se nikal kar ja raha tha aur ghadi ki suyian uski tension ko aur badha rahi thin. Tabhi uske phone ki ringtone baji.
Rahul(apne ap se): lo agayi call. Ab kya bolun ise?
Rahul ne bike ko ek side mein roka aur call pick ki. Aur call pick karte hi samne se jo us par sawalon ki barsaat huyi uske liye toh sach mein kisi chhatri ki jarurat thi.
“bhaiya main kab se yahan wait kar rahi hun aur ap abhi tak aye hi nahi. Apne promise kiya tha na k ap aj mere sath movie dekhne chalenge. Abhi show shuru hone mein bas 15 minute hain. Ap kab ane wale hain. Maine yeh soch kar apko call v nahi kiya k ap kaam mein busy honge aur khud time par a jayenge par apse toh umeed lagana hi gunah hai.” Divya kisi non stop radio ki tarah bole hi ja rahi thi. Rahul baar baar bolne ke liye munh kholta par isse pehle wo kuch bol pata Divya beech mein hi apni baat ghusa deti. Tabhi Rahul ne beech mein time dekh kar jump laga hi diya.
Rahul: are meri behna meri baat toh suno. Main bas a hi raha hun. Tumhe gaadion ki awaj nahi sun rahi kya. Main bas pahunchne wala hun.
Divya: par ap kab aoge? Aur ab tak kahan the?
Rahul: yaar bola toh tha k main construction site pe hun. Aur main bas pahunchne hi wala hun par agar tum call cut karogi fir hi toh bike chala paunga.
Divya: theek hai main phone rakhti hun par ap jaldi a jaiye. Agar apki wajah se meri movie miss huyi toh aj apki Khair nahi.
Rahul: han devi ji main a jaunga. Abhi main rakhun.
Divya ne bina kuchh bole hi call cut kardi aur Rahul ko ab aur v tension ho rahi thi. Usne phone pocket mein daala aur helmet pehan kar wapis se bike ko lekar utar pada gaadion ke us samandar mein.
“Ab ek taraf behan ki warning hai aur dusri aur gaadion ki katar||
Lagta hai aj toh laude lagne wale hain mere yaar||”
Thanks bhai. And bhai sab ho jayega bas ap thoda sabar rakhiye. And aise hi comments karte rahiye.Wah yaar marvellous. Maza aa jata hai aapki story padh ke. Ab divya ke saath movie dekhne ja pata hai ke nahi dekhte hain next update mein aur inka pyar kahan tak pahuchta hai aur kab in dono ka intimate scene dekhne ko milega dekhte hain
Sahi kaha bhai.Do pato ke bich Rahul bura fansa hai. Waiting for next update
Bade tez nikle bhai. Ek hi din mein nipta diye. Vaise bhai yeh Rajiv ki dushmani Rahul ke kaam se hai. Aur aisa aksar hota hai jab koi baap apne bete se kuchh aur umeed kare aur beta kuchh aur sapne dekhe toh aksar conflict ho hi jate hain. Aur logon ka toh kaam hi hota hai logon ke ghar mein aag laga kar rotiyan sekna. Baki sab age chal kar clear ho hi jayega bro. thanks for your love bhai.bhai aap ka yeh story aaj hi 30 updates tak pad liya, bohot achha lag raha hey, Kiran & Divya ke saath Rahul ka camestry bhi achha laga but uska papa ka eisa negative role mujhe achha nahi lag raha hey bhai, kon baap apne bachhe ke khushi main kush nahi hota, aur yeh janab toh Rahul ke tarakki ka road ka rada ban raha hey aisa kyu bhai, lagta hey Gaurav aur Riya ka kuch chakkar hey aur dono ne mil kar Rahul ke baap ke property ke liye yeh sab unse karba raha hey, ho sake toh aap reply karke bataiye please.