Update continue
Jab uski ankhen khulti hai toh khud ko bandha hua pata hai wo abhi bhi hosh aur behoshi ke beech me use kuch awazen sunai toh de rahi thi magar wo samjh nahi paa Raha tha ki wo kahan dheer dheere use ye ehsas ho chala tha ki wo bandha hua aur khada hai magar wo hai kaha aur sab se aham baat wo yaha aya kaise wo toh ….
Wahi jab archan Mr yung aur Mr James jab us kitab ke us panne ko dekhte hai toh hairan rah jate hai wo turant veenu aur Aslam ko bulate hai
Veenu – kya hua archan sab theek toh hai na
Veenu ne aate hi sawal Kiya uski sawal me bechaini saaf thi
Archan – hum sab ko jald se jald ooasis qabeele ki taraf niklna hoga Shiva ki Jan khatre me hai
Aslam – use kuch nahi hoga wo pahle bhi kai bar maut se khel chuka
Aslam ne ye baat unko Kam khud ko zayda smajhhte hue kaha
Mr James – magar is bar khatra bahut bada sari bate raste me bataunga chalo jaldi
Idhar Shiva ki team pareshan thi kyuki veenu aur Aslam teen din se gayab the Shiva ka bhi koi pata nahi lag pa raha tha commissioner krishnamurti aur Deva apni poori taqat se Shiva veenu aur Aslam ko talash karne me lage hue magar kisi ko kuch samjh nahi AA Raha tha veenu aur Aslam akhiri bar archan ke yahan dekhe gye the magar archan khud teen din se la pata hai kisi ko nahi pata ki wo kahan hai puri academy bhi pareshan thi kyuki Aisa shayad pahli bar hua tha
Idhar dusri duniya me bahut halchal machi hui thi jahan dusre rajya pagal hue ja rahe the wahi death valley me jashn chal Raha tha wo bhala ho us samjhaute ka jo hazaron sal pahle hua tha ki koi bhi rajya apne se kamzor rajya ko pratadit nahi karega warna abhi Tak toh death valley ma naam o nishan bhi mita Diya gya hota.
Wo phir se hosh me AA Raha tha is bar uska hosh uski behoshi par bhari pad raha tha wo samjh raha tha ki wo kaha hai ye ek lab thi bahut adhunik wahan par aise aise equipments the Jo shayad ISRO aur NASA ke paas bhi nahi honge kuch stands bhi the jin par pracheen kism ki kitaben adh khuli rakhi hui thi wo dheere dheere apne isthiti ka jayza lene ki koshish kar raha tha ki tabhi uske kano me ek jani pahchani awaz padti hai
Kaise ho mere purane dost
Wo us awaz ki taraf dekhta hai toh pata hai ki ek admi apren pahne hue uske samne khada tha wo uske chahre ki taraf dekhta hai toh pata hai ki uske chahre par kale rang ka ek naqab hai Jo shayad chamde ka bana hua hai use dekh kar uske muh se ek naam nikalta hai
MICHAEL