Idhar Veenu aur aslam archan ke samne baithe hue the archan unse sawal karte hai
Archan – kya baat hai bacchon tum log achanak yaha kaise
Aslam – hum yaha apse madad mangne aaye hai
Archan – kya baat hai tumhari awaz me dar shanka aur chinta teeno jhalak rahi hai kya hua sab theek toh hai na
Aslam ek gahri saans lekar veenu ki taraf dekhta veenu archan ko apna sapna vistaar poorvak bata deti hai kise sunne ke naad archan ke chahre par bhi pareshani saaf dikhne lagti hai magar phir bhi wo kahte hai
Archan – hmm toh is me badi baat kya hai hai toh ye ek sapna hi
Unki baat sunke aslam bolta hai
Aslam – agar he sirf ek sapna hai toh fir aapke mathe par mujhe wahi chinta kyu dikh rahi hai jiski wajah se hum yaha aaye the
Archan – hmm manna padega shiva ke saathiyon ka dimaag bahut tez chalta hai
Unhone tareef karte hue kaha aur apni baat ko aave badhaya
Archan – jo tumhe lagta hai wo bilkul sahi jo veenu ne dekha wo bhi sach ho sakta magar he sapna abhi kyu aya yahi kadi mai jod nahi paaraha
Veenu – toh ab hume kya karna hoga
Archan – philhal tum araam kar lo mai tab tak apne kuch doston se is vishay par baat kar lun shayad wo kuch nateeja nikal saken
Idhar qabeele me ek baccha daudte hue mahaguru aur bakiyon ke paas aata hai Aur kahta
Baccha – amba didi aap logon ko shiva bhaiya ne jungle me bulaya hai hathiyaron ke saath
Amba aur baki sab mahaguru ki taraf dekhte hai jaise ijazat maang rahe ho mahaguru bhi palken jhapka kar apni anumati de dete hai.
Sabhi apne apne Hathiyar lekar jungle me jane lagte hai toh bhadra chalte hue bolta hai
Bhadra – ye shiva ne hume jungle me kyu bulaya wo bhi hathiyaron ke saath
Saloni – kya pata shayad yojna batane ke liye
Mandar – toh uske liye hathiyaron ki kya zaroorat thi
Amba – ye toh shiva hi bata sakta hai
Bate karte karte sab log jungle ke beech o beech pahuch jate hai jahan shiva unki taraf peeth kiye khada cigarette pee raha unke aate hi shiva bagair unki taraf dekhe bolta hai
Shiva – tum log soch rahe hoge ki maine tum logon yaha hathiyaro ke saath kyu bulaya
Sabhi log hairani se shiva ki taraf dekh rahe the kyu ki unhe yakeen nahi ho raha tha ke shiva ko unke pata chala toh chala kaise sur to aur un ke man uth raje sawal ke bare me kaise pata chala
Shiva unki taraf mudta hai aur kahta
Shiva – mai janta hun tum log kya soch rahe ho magar wo sochna chhodo aur is baat par dhyan do ki maine tum logon ko yaha kyun bulaya hai
Shiva ek nazar saki taraf dekhta hai aur kahta
Shiva – tum log apni apni khoobiyon mujhe batao aur kaun sa hathiyar chalane me mahir ho wo bhi
Shiva ne cigarette ka kash lete hue kaha
Amba – mai aur saloni teer kaman chala lete hai thodi bahut pistol bhi
Bhadra – pistol aur rifle
Mandar – talwar chaku aur kulhadi
Ambika – talwar aur urmi
Shiva – hmm theek hai ek team hone ke nate hume ek dusre ki kamzori aur taqat ka pata hona chahiye warna jung ke maidan me maut pakki mai dekhna chahta hun ki tum log apni inn khoobiyon ka jung ke maidan me kaise istemal karoge
Shiva sab par ek nazar dalte hue Kaha
Amba – hmm theek magar kaise hume kisse ladna hoga
Amba ne is andaaz me kaha jaise use shiva ki baat samjh me na aai ho
Shiva – mujhse
Shiva ne bilkul thande laheze me kaha
Idhar archan ke kahne par veenu aur aslam ko ek kamre me aram karne ke liye bhej diya gya tha ye kamra waisa hi kamra tha jaisa shiva ka magar isme ek chhota bed tha aur ek chair thi aslam is waqt chair par baitha hua tha veenu par tek laga kar adh leti thi aslam deewar ko aur veenu aslam ko dekhe ja rahi thi jaise use observe kar rahi ho kafi der aise hi baithne ke baad veenu aslam se kahti hai
Veenu – kya hua aslam tum kuch zyada hi pareshan lag rahe ho
Aslam jaise neend se jaga ho wo veenu ki taraf dekhta hai jaise poochh raha ho tum kya kaha
Veenu uski pareshani samjh kar apna sawal dohrati hai Toh aslam jawab deta
Aslam – tum banogi toh tum bhi pareshan ho jaogi
Veenu – matlb kya baat hai
Veenu ne seedhe baithte hue kaha
Aslam use uski shiva aur deva ke beech hui sari baat nata deta hai toh veenu kahti hai
Veenu – matlb tum kahna chahte ho ki shiva ko is baat ke bare me pahle se pata tha toh usne kuch batya kyu nahi
Veenu ki awaz me ek gehra dar saaf jhalak raha tha
Aslam – tum shiva ko janti ho na wo apni pareshani kisi se nahi kahta
Tabhi bahar ek ladka aata hai unse kahta hai ki archan ne unhe bulaya hai
Jab wo log archan ke paas jate hai toh dekhte hai ki waha do log aur hai Unmese ek koi Britisher lag raha aur usne grey color ka suit pahna tha aur monk tha magar chinese nahi tha jab ye dono archan ke paas aate hai toh dekhte hai ki archan unse baat kar rahe the magar un dono ko dekh kar chup ho gye aur un dono se bolte hai
Archan – aao aao beta in se milo Ye mr james para nominal research association ke head aur ye mr ton yun gung humari shaulin temple ke bade pujari.
Unhone bari bari dono ki taraf ishara karte hue kaha
Mr james – toh veenu aap sapne me kya dekha
Unhone saaf hindi me kaha jise sun kar cheeni aur aslam chaunk gye toh wo bolte hai
Mr james – janta aap meri hindi sun kar chaunk gye honge toh mai bata dun ki 15 saal india me hi raha aur yaha ye ved puran aur kathaon ka behan adhyan kiya ab batao aap ne sapne me kya dekha
Veenu unhe apna poora sapna bata deti hai uski poori baat sunne ke baad james sur yung ek dusre ko dekhte hai toh archan bolte hai
Archan – kya hua kuch samjh me aaya aap logon ke
Yung – hmm samjh me toh aa gya hai ye wahi hai jisse chhutkara pane ke liye shiva psychic room me gya tha uske baad toh kabhi aisa nahi hua
Aslam – nahi kabhi nahi magar usne ek baar mujhse kaha tha ki uske andar kuch aisa hai jo agar bahar aa gya toh poori duniya tabah ho jayegi
James – usne aisa kaha
Aslam – han
Archan – kab
Aslam – ek humpar kisi experiment ne humla kiya tha toh shiva ne hum sab waha se nikal diya aur khud us experiment se bhid gya us waqt hum mese koi wahan nahi tha jab mai waha pahucha toh shiva behosh tha aur experiment mara pada tha
James – matlab shiva ne us experiment ko marne ke liye samjhauta kiya
Yung – matlab us shaitan ne uska shareer nahi chhoda
Veenu – ek min kya wakai shiva ke andar koi shaitan hai
Archan – han
Aslam – air agar wo bahar aa gya toh kya hoga
Yung – sarvanash
Update continue