• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,855
32,678
259
Final Chepter :-: The Master:- C





Saatvik aasram walon ne aakar vaidh ke parivar ko poorn sacchai batayi ki uske parivar ke sath kya ho gaya aur kaise ek gyani, alokik putr moh me amanviya kaam kar gaya... Jo bacchi paida hui uska kya karna hai uska faisla to pahle ho chuka tha. Itna samjhane ke baad bhi kisi ne unki ek na suni, upar se jab pata chala tha ki ye log ussi aashram se hain jahan se Maruti tha, fir to sainikon ne unhe bhi dhar dabocha...


Bacchi ke upar aakrosh ko dekh'kar, Saatvik Aashram walon ne usse apne sanrakshan me liya aur ek suchna tatkal guru ko bhej diya. Sunvai chali, Aashram walon ne saaf kah diya, yadi darbar unhe doshi maanti hai to wo saja ko khushi-khushi manjoor karenge…


Raaj darbar me kayi buddhiman vyakti the, jinhone Raja ko unhe doshi na maan'ne ki salaah dee... Haan lekin ek chuk darbar se hui, jab unhone kah diya tha bacchi ko uske adhikarik parivar ke pass chhodna hoga, aur wo uska jo kare…


Khair fir to Sattvik Aasharam ke guru ka kalpnik sharir darbar me tha aur saaf shabdon me kah gaye, poori sena taiyar kar le Raja, lekin kisi masoom ko yadi kisi ne apne parivar ke vinash ka karan samjh'kar usse maarne ki kosis kiye, fir hum pichhe nahi hatenge...


Ek guru se uljahne ki anumati to kanoon vyavastha bhi nahi de sakti thi, upar se ek guru ne saaf ladai ki chunauti hi de daali thi. Saatvik Aashram wale uss bacchi ko apne sath le aaye... Ye Vishes samuday ki pahli stri bani thi aur issi ke pidhi me Vish-Kritima ka janm hua tha, jo ki 7 grahon ke milne ka nakshtr tha...


Ek viprit nakshtr ki anuvansik shakti jo Vish-Kritima me thi aur dusri 7 grahon ki sidhi shakti, jisme Vish-Kritima ka janm hua... Yah ek alokik bacchi thi, jasme "lom-volom" dono shaktiyan thi. Tatkalik guru, Guru Vashisth Kritima ke janm par bhav vibhor ho'kar aanshu bahane lage the...


Unhone dekh'kar hi uska naam Kritima rakha tha... Jiska arth tha karm, aur kala ka anokha sangam... Aur tha bhi kuchh aisa hi... Kritima wakai me prakriti ki koi kala hi thi, jiski shkatiyan adbhut thi aur usse jivan nirvahan ke karya me lagana tha...


Idhar Bengal ki khadi me girne wala parivar jab aankh khola to ek alag hi duniya me tha... Siway Maruti ke koi nahi janta tha ki wo kaun si jagah par hai... Jabki maruti apni jigyasa me wah siddhi haisl kar chuka tha jisne viprit duniya ke raste khol diye...


Maruti ko pata tha ki uske aur uske parivar ki jaan to bach gayi, lekin ab usse iss duniya me jine ke liye sangrash karna hoga... Usse yah bhi pata tha ki yahan ke sidhh purush ka mukabla maruti nahi kar sakta, isliye ek sudur ilaka jahan iss viprit duniya me kisi ke hone ke aasar nahi the, wahan chhip'kar apne parivar ke sath rahne laga...


Jabtak uska beta bada nahi ho jata, tab'tak wo viprit urja ko khud me sametne laga. Saal dar saal bit'te gaye aur jab wo viprit nakshtr ka ladka, pahle mul duniyan ki sabhi siddhiyan hasil karne ke baad, wahan ki kaali shaktiyan batorne laga, tab jaise brahmand ki sabhi viprip shaktiyan usme nihit ho gayi ho... Uske baba ne uska naam Surpmarich rakha tha...


Yuvakaal ke padav ko paar karte-karte Surpmarich, Prakrit ke kayi sare gudh rahasyon ko samjh chuka tha aur chal para wo apne mata-pita ke ek lambe kaal se ekantvash ko khatm karne…


Viprit Duniya me kayi sare universe par gaya, wahan kayi sare yuddh kiye apne naam ke jhande charo ore gaad diye... Shaktiyan aisi koi bachi hi nahi jo usse rok sake. Usne itni shaktiyan arjit ki, kee wo Viprit Duniya duniya ka bhagwan ghoshit ho chuka tha aur khud ko prakriti maan'ne laga tha...


Viprit Duniya me maujood wo har kisi insan ko sun sakta tha aur uske pran harkar uske dukh dur kar sakta tha. Uske samne khade hone ki himmat kisi ki nahi thi. Surpmarich ke pass apni ek vishal fauj thi lekin uski jitni badi fauj thi, un sab ko kitna guna bhi kar do, uske barabar, akela Surpmarich tha...


Surpmarich ki 2 raniyan thi... Kaardha aur Apra... Ye dono bhi kali shaktiyon ki malikin aur utni hi siddhi prapt thi... Pidhi dar pidhi ye dono bhi apne purwajon ki siddhi sikhti aayi thi aur kaali-safed dono shaktiyon ki malkin thi... Dono hi apne vigyan me kushal aur sansadhno ke chhote se bhandar se bada sa bada fayda utha sakti thi.… Kushal khagolshastri aur vigyaan ki gyata...


In dono se Surpmarich ko 6 putr huye aur ek putri... Sabhi ko poora gyan aur Surpmarich ki siddhiyan mili. Poorn gyan prapt karne ke baad Viprit Duniya me saaton ko wahan ke sabse khatarnak mahol yani ki viprit duniya ke kaal jiv wale ilake ke mayajaal me chhod diya jahan Surpmarich ka mashtisk mahal tha...


Surpmarich afsos karte huye kahne laga…. "Mere baba ne mujhe unki virasat dee aur mujhe chhod diya sabit karne. Meri dono patniyon ke baba ne unhe apni siddhiyan di aur chhod diya sabit karne... Humne khud ko sabit kiya... Lekin lagta hai humari virasat ko humare putr aur putri sambhal nahi paye"…


Uski dono patniyan... Kaardha aur Apra thodi bhavuk hoti hui kahne lagi... "Apne hi khoon hai"…


Surpmarich:- Haan apne hi khun hai isliye main unhe sab kuchh de sakta hun, siway apni satta ke, kyonki ek ayogya poore samrajya ko dooba dega..


Kaardha, aur Apra ki vinti par fir Surpmarich ne sabhi ko 7 mauke diye, lekin kewal uski beti aakhri mauke me kisi tarah se uss mashtishk mahal se bahar nikal payi...


Surpmarich aur uski dono payniya khush thk, kyonki samrajya sambhalne wala na sahi par ek yudhh niti banane wale to parivar se the.. Surpmarich apne sabhi beton ke upar 6 alag rajya ka bhar saunp kar apni putri Soroha ke sath apne bade se samrajya ko aur failane me lag gaya...


4 parivar ke logon ke alawa Surpmarich ke pass 3 yogya senapati the, Gagan, vayu sena ka mukhiya, Kshitij, thal sena ka mukhiya aur Nir, jal sena ka mukhiya tha. Teeno mil'kar yudhh karne ki ran'nitiyan banate the....


Jabse Surpmarich ki beti ne apni kabliyat sabit ki thi, tab se Surpmarich samrajya vistar ki poori jimmedari Soroha ke upar daal'kar apne purane khawab ko poora karne chal diya...


Apne mata pita ko uske hi jagah se bhagaye jane ka badla lena. Uss Saatvik Aashram ko purntah barbaad kar dena aur Mul duniya me vapsi ki yojna. Mul duniya aur viprit duniya ke bich aisa rasta kholna tha jahan se wo mul duniya ki aham takat ko bhi le sake jiske bina Surpmarich ke bete aur beti me wo prakritik kashmta nahi rahi..


Haan wahi nakshtr ke yog se jo prakritik shaktiyon ka srijan hota hai, khas'kar viprit nakshtr yog se. Viprit Duniya me unka ek bhi prabhav dekhne nahi milta, jis vajah se uss ke pass sabhi siddhiyan hone ke baad bhi, wo apne pidhi ko nakshtr yog ki shaktiyan nahi de saka... Aur yahi wo vajah thi ki wo parellel worl ke viprit duniya se mul duniya me jana chahta tha...


Bakiyon ki tarah maruti ko parellel duniya me ghusna to aata tha kintu wo apne bete Surpmarich ko samjha nahi paya ki kaise Viprit Duniya me ghusne ki siddhi ko sadhte hain.


Na jane wo kitni baar apne pita ke dimag me ghusa tha, lekin fir bhi usse parellel duniya ke bich ke raste ka raaj pata nahi chala.... Aur Viprit Duniya se Mul Duniya me jane ka rasta to usse waise bhi nahi pata tha…


Viprit Duniya me ek Mashtisk mahal ka nirman prithvi par ho chuka tha. Bus ye pahla mashtishk mahal hi tha jise banane me kayi 100 varsh bit gaye the… ab to bus kewal poore brahmand ko bandhna tha...


Ek aisi aprakritik bandhan jo poore parellel world ko hi kamjor karne lage. Aisa shakti khand jo Viprit Duniya ka na ho'kar Mul duniya ka ho. Jiske parinaam swaroop ye viprit duniya uss shakti ko mul duniya ki shakti maan le aur usse ukat'kar mul duniya me wapas bhej de...


Apni 2 jenius vaigyanik patniyon ke sath apne kamal ke viman me wah nikla... Yah viman na ho'kar lagbhag aadha planet hi tha... Jisme matr 3 log sawar the... Poora universe ka ek chakkar lagane ke baad prthvi ke alawa usne Viprit Duniya me 17 aur points dhundhe. Agle 200 varshon tak wah sabhi 18 mashtisk mahal me jaan funk chuka tha...


Sabse bada mashtishk mahal far Universe ke ek planet par bana tha... Yah ek planet na ho'kar mano 50 planet ke ko mila diya gaya tha... Jahan ka mashtisk mahal lagbhag ek planet ke barabar tha...


Surpmarich apni poori fauj, unke parivar aur apne sabhi logon ke sath nikla. Sabhi logon ko le'kar Viprit Duniya ke mashtishk mahal me ghus gaya... Ghusne ke sath hi usne sabhi 18 mahtishk mahal ko jaise hi aapas me joda, poori Viprit Duniya hi bandh gayi, aur thik kuch pal baad uski poori fauj aur logon ke sath, Surpmarich, Mul Duniya ke Far Universe ke ussi planet par tha.


Jab wah far Universe pahuncha tab Surpmarich ko laga ki yahan usse yuddh karna hoga, kintu aisa kuchh bhi nahi tha… Far universe ke hisse me maujood kisi planets par jivan hi nahi tha… aur naa hi jivan ko anukool banane ke koi sadhan..


Surpmarich apne 18 mashtisk mahal se poore universe ko sun sakta tha... Takriban 10 varsh lag gaye ek aprakritik ko uss grah par jivan ke anookool Prakriti ko banane me... Iss dauran usne apne mashtisk mahal se kayi baar dark Universe jane ki kosis to kiya, lekin jis nirman ke jariye wah yahan tak pahuncha tha thik uske viprit mahal ke nirman karne ke baad hi wah wapas dark universe tak ja sakta tha aur fir ek poorn rasta banta… Haan lekin iss mashtisk mahal se Surpmarich ko universe ke 18 hisson me usse 18 gulaam bhi mile the. Jinme se ek Astak bhi tha...


Har mashtisk mahal ki alag-alag shaktiyan thi aur wahan ke gulaam ban'ne ke liye bhi kayi sari siddhiyon aur utna hi shaktisali hone ki aawsykta thi... Der sawer lekin har mashtisk mahal ko gulaam mil hi gaya... Un sabhi gulaamon ko mili mashtisk mahal ki shakti, aur mashtisk mahal ko mila un gulamon ki nayi nayi siddhiyan...


18 gulamon ko takriban 200 sal ke liye chhoda gaya, taki wo khud ko aur majboot bana le aur mul duniyan me mashtisk mahal ke nirman ke liye arbob prani ki aahuti de sake, taki uss mashtisk me jivan daala ja sake...


Idhar mahstisk jis urja par tika rahta hai, uske liye 18 alag-alag urja ke patthar chahiye the, jiske liye Surpmarich ne apne sena ke 7 tukdi kiye aur parellel world ke viprit duniya se, jahan-jahan se wo patthar hasil kiye the, thik ussi postion par pahuncha'kar wahan se Mul Duniya ke patthar ko dhundh laye... Mashtishk mahal banane me sabhi jaroori chijon ka kaam lagbhag samapt ho chuka tha… ab waqt tha mul duniya me, mashtisk mahal ke nirman karne ka..


Surpmarich, Vayu sena ke sena nayak Gagan, apni patni Apra aur 80% fauj ko lekar bada sa vimano ka beda taiyar karwaya. Nikalne se pahle apni beti sahora ka vivaah senapati Nir aur kshitij se sampann karwa'kar, Surpmarich kaardha ke upar jimmedari shaunpkar nikla... 2 sal baad lagne wale viprit nakshtr me ek santan uttapati ka...


Apni varshon purani, Sattvik Aashram ko barbaad karne ki mansa jahir kar Surpmarich apne bade se viman ke bede ko lekar chal para. Universe ke jis hisse me gaya wahan aatank machaya. Mashtishk mahal ke liye arbon lashen usne girayi... Jis Universe ke hisse se gujra wahan ke jivan ko tabah karte gujra.


Sabse aakhri me wo Middle Universe pahuncha tha. Kyonki usse apne dono kaam ek sath sadhne the, aakhri me prithvi par mashtisk mahal ka nirman karna, lekin uss se pahle Saatvik Aashram ko tabah kar dena...
romanchak update ...satvik ashram me bahut saari siddhiya haasil karnewala maruti apne bachche ka janm viprit nakshatra me karwana chahta tha isliye usne dusri jagah jaane ka socha apni patni ke saath ...

vish kritima ke purvaj earth se thi jisne vaidya ke bahu se janm liya tha ..


par kya sarpmarich ko sab sikhane ke baad maruti aur chandralekha ki maut ho gayi yaa wo jeevit hai .?????.

agar astak gulam tha sarpmarich ka to usne sarpmarich ko maara kyu tha jab wo dark universe me jana chahta tha ????.
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,855
32,678
259
Final Chepter :-: The Master:- D





Sabse jyada nuksan usne middle Universe ka hi kiya tha, kyonki middle universe ke 2 planet par mashtisk mahal tha, ek to Prithvi aur doosra Zoren... Prithvi ki aabadi seemit aur wahan ke sabhyta ke vikas ko dekhte huye, Zoren ke gulaam ko aadesh mile the ki anya grahon se insano ke intzam kiye jaye..


Usne bhi waisa hi kiya, jiska ek natija desert planet tha, jahan par kabhi jivan basta tha, usne virodh kiya aur poore grah se rahne layak anookool mahol hi samapt kar diya gaya. Desert planet se bhag rahe logon ko pakad'kar prithvi ke antartica tak pahunchaya gaya, jahan ke Mashtisk mahal me unke bali ka kaam shuru ho chuka tha…


Zoren par mashtisk mahal ka kaam samapt karne ke baad Surpmarich sidha prithvi pahuncha tha... Antartica me aatmaon ko bandh diya gaya tha... Uski patni Apra ko wahan nirman karne ke liye chhod'kar, Surpmarich pahuncha Himalaya ke uss hisse me jahan basa hua tha Saatvik Aashram.


Shakti ke mad me chur, akela hi pahuncha tha. Uski shakti apaar thi, aur Surpmarich ko rokna kisi ke bus ki baat nahi thi... Saatvik Aashram ne abhi kuchh waqt pahle hi ek utsav sa manaya tha jab Kritima ka janm hua tha…


Kisi ko kuchh pata nahi ki Himalaya ke uss kshetr me kaun aaya tha, bus koi kaal sa lag raha tha, jo logon ki aankhon me dekh'kar uske pran khinch leta... Guru Vashisth 200 sanyasiyon ke sath mahapoojan ki taiyari kar rahe the, jab unhe kisi ne suchna aa'kar di, "koi vikrut prani, bahari sansaar ka yahan aa'kar sidhe pran khinch raha hai"…


Guru Vashisth apne 101 sanyasiyon ke sath kanchanjangha ke uss kendr gaanv se nikle... Kuchh hi dur wo chale honge jab samne se Surpmarich chala aa raha tha... Guru Vashisth dur se hi dekh'kar samjh gaye ki ye dusri duniya see aaya hua prani hai...


Shaktiyan apar thi Surpmarich ke pass kitu Himalayas ke iss kshetr me aana uske liye bhool sabit ho gaya, kyonki Himalaya ke kshetr me bhi 2 duniya basti thi... Ek Devon ki aur dusri insano ki, aur dono duniya ko ek khas tarh ke pushp se baatan gaya tha…


Ek khas tarh ka pushp jo Himalaya ke 2 seemaon ke bich tha... Jiski maujoodgi me koi uss paar nahi ja sakta tha. Agyani Surpmarich ke pass, bal, buddhi aur kshmta to apar thi, lekin kshetriya gyan ki kami thi. Uska gyan yudhh ke bare marak ko janta tha lekin mul duniya ke chhote-chhote rashahyon ko nahi...


Guru Vashisth ne usse wahin na sirf roka balki ghera bana'kar baandh sa diya... Poore 121 din ka hawan chala tha, iss bich guru Vashist ke sanyasi poore prithvi bhraman par nikle the... Kewal Surpmarich hi tha jiske pass viprit nakshtr ki shaktiyan thi, baki uske kisi bhi sainik ya prithvi par maujood uski patni ke pass yah shakti nahi thi...


Unhe sanyasiyon ne antartika me ghera tha aur fir wahin un sabko, ussi pushp ke ghere me bandhkar na to kahin bhagne diye aur na hi unki kaali siddhiyon ko hawi hone diye... Antim natija mirtyu thi... Apra aur uski beti Sohoro ko pal pal yah ehsas ho raha tha ki uske log mar rahe hain, Surpmarich fansa hua hai..


121 din tak ki poorn yagya karwaya gaya… viprit shaktiyon par mul shaktiyon ko aakarshit karwaya gaya... Surpmarich kosis to kar raha tha lekin uski shaktiyan ghere ke ander simat kar rah gayi thi aur khud ki shaktiyon ko ek-ek kar'ke wah hawa me uddte dekh raha tha...


Surpmarich apni galti samajh chuka tha... Usse akele aane ka khamiyaja bhugatna para tha... Dushman ko bina jaane humla karne ka natija apni khuli aankhon se dekh raha tha aur thik 121 din baad Guru Vashisth ne Surpmarich ke pran ko uske sharir se alag kar diya...


Poorn yagya ki shampti ke baad Guru Vashist ne apni divya dristi se brahmand ka wo narsanhar bhi dekh liya... Thoda afsos jahir karte huye khud se hi kahne lage.… "Dusri duniya ke logon ka aatank kafi bhayawaah hai"…. Ussi kshan guru Vasisth pritvi bhraman par nikle apni khoj me...


Kayi varsh bhatakne ke baad unhone sansaar ke vibhinn kono se subh nakshtr ke kuchh aise Bahadur aur buddhi wale insan ko dhundh nikale, jo 2 duniya ke bich prahari ka kaam kare… vikrut ko insano se dur rakhe... Aur apne issi uddhesya ko sadhte huye un sabhi prahri ko poorn prashikshan ke liye taiyar kiye. Uss waqt Guru Vashist ne pahli pustak ka nirman kiya, jis pustak ki jimmedari prahari ke mukhiya Vaidhayan ko shaunpi gayi…


Behad hi Divya suraksha wali iss pustak me pahle to Guru Vasisth ne tarah-tarah ki shaktiyon ka ullekh kiya... Fir prithvi par paye jane wale kayi sare jiv, jisme aquatic medium ke jivon ka poora jikr tha. Fir 2 duniya jikr...


Pustak ke pahle adhyay me shaktiyan aur Prithvi par paye jane wale jiv ke ullekh ke baad dusra adhyaya Surpmarich ka hi likha gaya, jiske bare me Guru Visisth ne likha "Ek kaal jiv jo dusri duniya ka tha"..


2 adhyay likhne ke baad guruji ne prahri mukhiya ko ek vises jimmedari di.…. "Prahri apne kaam ke dauran 2 duniya ke bich shanti sthapit karne ke liye har jaroori kadam uthayenge. Na sirf ye parellel duniya ke bich khade honge, balki mul duniya me bhi base 2 duniya ke jivon ke bich khade honge aur shanti sthapit karenge"

"Apni sewa ke Duran unhe mile har naye jiv ya purane jiv me aayi nayi vikruti ka poorn ullekh karenge.. Uss jiv ke sath kya hua, uski ek poori ghatna to hogi hi... Sath me prabhavit elakon se lekar uske uttpatti sthan tak pahunch'kar, har uss baat ki jaankari lena, jo uss jiv ke hone ke prabhav ka anubhav karwaye, taki hum bhavishay me un aabhashon se aaklan kar sake, ki koi nayi vikruti aayi hai ya kisi ne poorani siddhiyan hasil ki hai"

"Sath hi sath uss vikrut jiv ke jane ke waqt se la'kar, kuchh varshon tak uske marne ke sthan par najar banaye rakhna, taki uske marne baad kya hua aur kisi bhi prakar ke sanyog se koi dusra to vikrut nahi hua. Har ghatna ka bariki se ullekh hona chahiye, taki aane wali pidhi ko har tarah ke vikrut ki jaankari rahe."


Guru Vashisth ne jaise hi kitab ke likhne ka vivran kiya, prahri mukhiya jigyashavash puchhne laga, …… "Kya ho jab koi prahri mukhiya vikrut ho jaye"…


Guru Vashisth muskura'kar kahne lage…. "Ye pustak najar pahchanti hai.. Ek baar koi prahri mukhiya vikrut hua, fir ye pustak jiski amanat hai usse dundh legi... Aur wo apne Guru ko dhundh lega... Haan lekin itna sochne ki jaroorat nahi, kyonki har prahri mukhiya par Sattvik Aasharam ke Guru ki najar bani rahegi"…


Prahari, guru ko naman karte wahan se nikal gaye, apne ek prahri sathi ko chhod'kar, jise purv ke mahol ka gyan lena tha aur iss bahri jiv ke marne ke baad ka..


Ek bahri jiv ki leela shampti ke baad sab apne dincharya me lag chuke the, lekin jaise Surpmarich ko yahan ke mahol ke bare me nahi pata tha, thik waise hi Surpmarich ke bare me bhi kisi ko gyan nahi tha… Dark Universe aur Zoern ke mashtishk mahal ki shaktiyon se Surpmarich apni poori aatma aur bachi hui shaktiyon ko ek jivit kosika me kaid kar chuka tha… lagbhag 4 varsh baad wo ghera vilupt hua tha aur uske hatne ke agle kshn, Surpmarich apni kosiska ko ek garv me pahuncha chuka tha...


Kuchh dino baad Surpmarich uss bacche ke sath janm liya lekin khud ko wo uss bacche ke dimag me niskriya sa rakha tha... Uss bacche me khud ko nishkriya to rakha tha, lekin uske maa ke dimag me ghus'kar usne ussi naam ki chahat jatayi, jo wo viprit duniya se le'kar aaya tha... "Surpmarich"…


Santon ke bich pala wo baccha, Kritima ke sath hi prasikhit hota raha.. Kritima ke kayi bhaiyon me se Surpmarich bhi chhote bhai jaisa tha, jise ek jivan srijan karne wali Kritima ka poora sneh mila... Guru Vashisth ke gaanv ki chulbuli aur natkhat, jiske hone se kabhi kisi ki hansi nahi gayi...


Poorn siksha samapt jab hui thi, tab Guru Vashisth ne Surpmarich aur Kritima ko brahmand me sabhyta ka nirman karne bheja... Surpmarich, apne naye sharir me ab bhi nishkriya ho'kar wah mul duniya ki kayi alokik siddhiyan hasil kar chuka tha, jo uske baba Maruti apne jivan kaal me usse kabhi nahi de paye...


Surpmarich ne Far Universe chuna tha to wahin Kritima ne thik viprit ka sudoor antriksh chuna... Kayi salon baad wah apni Dharti par pahunch chuka tha... Mul duniya ke viprit mahol aur Surpmarich ki siddhiyan na hone ke karan, uski lagbhag fauj mar chuki thi bus kuchh gine chune 1000 log jivit bache the jisme kewal uski raani bachi thi aur uski beti ke garv se janme ek putr aur putri... Jo ab issi duniya ke the aur dono subh nakshtr me paida liye judwaa the..


Prasav ke baad hi Sohora ki maut ho gayi kyonki nakshtr teen din baad aapas me milti aur Sohora ka labour pain 3 din pahle shuru ho gaya. 3 din jabardasti bacche ko roke rahne ka natija Sohora ki mirtyu hui thi, lekin marne se pahle wo uss santan ko deti chali jo Surpmarich ko chahiye...


Beti aur apne logon ki mirtyu ne jaise usse tod diya ho... Siddhiyan uski bhi ja chuki thi... Bus jo bacha tha wo mashtisk mahal ke gulaam aur yahan bache chand log..


Surpmarich ne wapas viprit duniya jakar siddhiyan hasil karne ki sochi aur tab wapas aa'kar kahar barsane ki... Kyonki pichhli baar uske pass mul duniya ki wah siddhiyan nahi thi, lekin aaj uske pass sab tha...

Kintu uske liye sabse pahle prithvi ka aakhri mashtisk mahal ka nirman jaroori tha… Surpmarich apni biwi, dono judwaa aur bache logon ke sath Zoren ke shakti khand me pahuncha, kyonki Kritima wahin basne wali thi aur usse apne bacche ko Kritima ke sanrakhan me palna tha...


Core plant par Astak alag hi muhim par tha tab... Wo kewal aur kewal vansh badhane me laga tha, jisme Kritima ko tab koi burai nahi dikhi, kyonki wahan ki sabhyta fal ful rahi thi. Dark universe jin grahon par jahan jyada nuksan hua tha, wahan ke jivan sabhyta asthapit karne ke baad Kritima ne middle Universe me sabhyta ko sanjoi aur Zoren aakar basi thi...


Zoren bhi isliye basi thi kyonki nakshtr ka prabhav iss kshetr me aisa tha ki yahan ki 2 samuday shape shifetrs ban gaye the... Haan lekin dono hi samuday me Nilbhut kafi yogya hone ke baad bhi kafi shanti aur prakriti ke gode me rahte the...


Jaal bichha, jaal buna gaya... Surpmarich ka vivaah ek aisi aurat, Kaardha se hui jo 2 bacche ki maa thi, lekin gode ujar di gayi... Kritima jise vishes ka darja poore universe ne diya tha apne chhote bhai ka tyag dekh'kar bhav vibhor ho gayi...


Vish-Kritima ke poorn jivan kal tak Surpmarich ek sudhh aatma ki tarah uske pass raha… apne nati, aur natin ke alawa uske 6 putr aur huye jisme kewal ek grahon ke prabhav ko apne ander poorn samet saka, aur uska vivaah Vish-Kritima ne ek kushal Nilbhut ladki ke sath karwayi, jabki uske 7 putron me ek sabse durbal kintu hansmukh sa beta tha, uska vivaah apni ek putri se karwayi...


Surpmarich poorn jaal bun chuka tha… Ek lambe yug ke samapan ke baad, Vish-Kritima apna jivan tyag chuki thi, aur usske marnoprant, Surpmarich dhire-dhire Nilbhut samuday se duriyan banata chala gaya. Apne kaan ke logon ko le'kar ek baar aur wapas se Far universe ke ore rukh kar chuka tha, isme uske sath uski patni Kaardha, judwa navasa aur navasi, uske bacche aur apne bete ke sath uske ek prabhavi bacche ko le'kar bhraman ko aaya tha, aur fir unke maut ki ek khabar Zoren pahunchi...


Ye mixed generation aur uske sath sabhi alag kiye huye sudhh aur viprit yog me paida huye bacche... Sab kamal ke the... Surpmarich ab bhi apne lakshya ko nahi bhula... Lekin uske liye kewal itni shakti kafi nahi thi... Usse dark Universe lautna tha...


Surpmarich Far Universe ke mashtishk mahal se sidha pahuncha Zoren ke mahal, jahan Vish-Kritima ke marne ke baad uske 2 sewakon ko bandi bana liya gaya tha… Sab sok me lin the isliye kisi ka dhyan nahi gaya aur baad me unhe lapata ghosit kar diya gaya tha… Unke pass siddhiyan to pahle se thi lekin poora gyan nahi tha, wahin Surpmarich ke liye khud prithvi jakar uss mashtishk mahal ka nirman karna sambhav nahi tha kyonki prahari usse pahchan jate…


Surpmarich ne dono ke ander apni aatka ke 2 chhote tukde nihit kiya, dekhte hi dekhte uska chhota sa ansh ne dono ki aatmaon par kabja kar liya, aur taiyar tha Surpmarich ka clone... Kayi saal ke prasikshan ke baad Surpmarich ne apni aatma ko khud se tor'kar, swatantr kar diya aur chhod diya apne 2 pagal ko prithvi par apna muhim poora karne…


Kayi sadiyan biti, itne waqt me Surpmarich far Universe me apna parivar ke sath prithvi par payi siddhiyon ke sath sab ko prasikhit karta gaya.... Surpmarich ke clone ke pass siddhiyan aur lakshya to tha, lekin ek poore mashtisk mahal ki rachna in dono ke liye utna hi bada kaam tha, jo kafi dhire-dhire poora ho raha tha wo bhi prahri ke najar me aaye bina...
sarpmarich ka pariwar bhi hai jisme uske beti ke 2 judwa bachche bhi hai jinhone shubh nakshtra me janm liya hai 🤔🤔..

apne baap ka badlaa lena nahi bhula hai sarpmarich isliye prithvi par bhi mahal banana chahta hai .
kritima ka bhai bankar saari siddhiya haasil ki usne ..aur kisiko pata bhi nahi chala ki us bachche ke ander sarpmarich ka dimag hai jisko guru vashisht ne maar diya tha ..
sarpmarich ko maarkar guru ne prahari bhi chun liye jo 2 duniya ke raste ko surakshit karte rahe ..
marne ke baad saatvik ashram ke mahila ke garbh me jagah banayi sarpmarich ne aur shadi bhi aise aurat se ki jiska naam pehle janm wala tha 🤔..


ab ye sarpmarich ka pariwar kaha hai ,aur lagta nahi ki koi maara gaya hai abhitak 🤔..

samajhne me thoda mushkil isliye lag raha hai kyunki laakho varsh beet te rahe aur sarpmarich apna sharir ,, par uska naam same hi hai ..
 

Sharad97

Active Member
853
1,386
138
Mind-blowing, lajawaab fadu updates the sab ke sab

Lekin vo updates jisme Nischal or serin ke back 2 back punches barsana vo bhi bina ruke sabse best tha

Mere khyal se jo last updates main dikhaya gaya vaha koi planning ho sakti hai jis tarike se sab ke sab mare gaye kuch ajeeb laga
Kyuki un main jivika khud shaktiyo ka bhandar hai

Aur sabse bada naam NISCHAL jo unclassified alfa viggo hai jiski capacity kya hai kisiko nahi pata lekin Nischal khud ke baare main bahut kuch janta hai jo kisi ko dikhata nahi
Mera ye sab bolne ka karan bhi hai uske guru ka kalpanik sharir jisne kabhi bhi kisi ko pura gyan nhi diya lekin nischal ke liye unka prem jisse unhone sab kuch nischal pr luta diya aise hi nahi kuch toh bat hai unka kitni pidhiyo ka gyan jo Nischal unse le chuka hoga or vispar planet ke jivo ka Nischal par vishvas

Nischal shayad sabse upar hai jiske aaju baju koi nahi sirf Tej daudna hi uski kabiliyat ho thoda ajeeb lagta hai

Mere khyal se Nischal ki kshamta abhi bhi dikai nhi di jo uske character ko nikhare

Vaise abhi tak kisi bhi writers ne aise itne saare ending main updates nhi diye
Maza bhahot aaya or apasyu abhi tak samne nhi aaya jiska matlab kahani abhi bahot baki hai

Aur ha kuch bura lage toh maf kar dena itne bade bade comments kar ne ki aadat nahi hai


Waiting more updates
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,855
32,678
259
Final Chepter :-: The Master:- E





Mul duniya ke niwasi, jivan aur mirtyu ke chakr se jude rakhte hai isliye Surpmarich, uski patni Kreedha aur bache kuch 1000 logon ne apni kayi pidhiyon ko apne aankhon ke samne marte dekhte... Aur kayi santan ko bade hote... Kuch samanya roop se paida hote unhe vayask hone ke baad jivan samajhne ke liye any grah par basa diya jata aur kewal khas yog me paida liye bachhon ko vikrut karne se lekar prashikshit karne ki jimmedari Surpmarich ki hoti...


Ussi dauran Vish-Nilayani satta me aayi jab uski ek mulakat Surpmarich ke clone se ho gayi.... Uske purvanuman ne kuchh aasanka jatayi thi aur tabhi usne pahchan liya tha ki ye koi purv ki aatma hai jo khud ko sanjoye hain… kyonki bahut se siddhiyon ka prasikhsn to kayi guruon ne band kar diya tha aur Vigyaan ke ore rukh karne ka faisla kiya, taki shakti samanya roop se sabke pass ho aur uska labh samast prajati le sake...


Fir to ek ore Surpmarich ke clone apni ladai ladte aur dusri ore mashtisk mahal ka nirman karte rahe... Ussi dauran Surpmarich ke swatantr clone ne kar 2 kaarname anjaam diye... Ek to mashtishk mahak ka nirman poora kar diya aur dusra Ek atyant vises yog, jisme kayi sari shaktiyan samahit thi, uss yog me Vish-Nilayani ke garv se ek vikrut aatma ki uttpatti hui thi...


Surpmarich ke mastisk mahal uske paida hone ke pahle din hi shakti ko bhanp chuka tha… Jab wah ladka Adharv thoda bada hua aur Vish-Nilayani apne pran tyag rahi tab Guru Vashudhar ko apne putr Adharv ko maarne ka kaam shaunpi... Lekin Guru Vashudhar ko wah ladka nahi mila tha kyonki Surpmarich usse apne sath lekar pahle far Universe pahuncha…


Mashtisk mahal se ab dono ore ka rasta khul to chuka tha, lekin Surpmarich, Adharv ko mul duniya me hi prasikhsn dene ke baad le'kar jaana chahta tha... Adharv ke sath Surpmarich ki beti bhi prashikshit ho rahi thi aur dono ussi yog me janm liye the... Fark sirf itna tha ki jivan srijan karne wali Vish-Nilayani ke garv se ek viprit bacche ne janm liya tha... Viprit arthat Vish-Nilayani ki aatma toot rahi thi thi aur ussi waqt ek vikrut bacche ne janm liya, jo jivan samapt karne ki pravirti rakhta tha aur usne kiya bhi aisa hi... Vish-Nilayani ke sabhi betoyon ko maar'kar…


10 varshon ke poorn prashikshan ke baad Surpmarich apne logon ke sath ja chuka tha wapas viprit duniya... Iss baar Surpmarich ko apni siddhiyan hasil karne me kafi lamba waqt laga tha, kintu 2 mahashakti ka uday bhi bhi hua aur dono ke bich panapta prem. Vish-Nilayani ka beta Adhrav aur Surpmarich ki beti Savdha, ne viprit duniya me Surpmarich ke itihaas ko na sirf dohraya, balki uske aage kahin lambi rekha khinch dee...


Surpmarich pichhli galti ko iss baar dohrana nahi chahta tha, isliye apne samast logon ko dono hi duniya ka banaye rakhne ke liye 1 varsh mul duniya to 1 varsh viprit duniya me rakhta...


18 Mashtisk mahal ke gulaam apna paun aise faila chuke the, ki unse ab jitne wala koi dusra mul duniya me khada nahi ho pa raha tha, siway 2 mashtisk mahal ko chhod'kar jahan prithvi ke siddhiyon ka prabhav shuru se bana rakha, wo tha Zoren aur Prithvi... Bhavishya ko dekhte huye Atharv aur uski pyari patni Savdha ne mashtisk mahal ki shaktiyon ko wah unchai dee, ki ek baar bina unki marji ke isme aaye fir wo kabhi bahar hi nahi nikal paye...


Mashtisk mahal ko shakti dene ke kram me haalanki Adharv aur Savdha se badi si chuk ho gayi thi aur uss mahal ko ab chinhit kiya ja sakta tha, jo ki pahle sambhav nahi tha, sanyog matr to sadaiv hote rahte hain. Iss baat ke ore to dhyan dono ka nahi gaya kintu uss mashtishk mahal kee khud ki takat itni thi ki yadi koi gulam apne malik ko khush kar de, to malik ke barabar to nahi, lekin ek asim takat wah mashtisk mahal se samet sakta tha...


Viprit duniya ki 2 mahashakti jo viprit duniya me baith'kar apne 18 mashtisk mahal ko poorn sanchalan kar sakte the, jabki ek Mashtisk mahal poore brahmand ke barabar tha.… Surpmarich lakshya ab bhi nahi bhula... Aur bus apni ek aakhri taiyari me laga hua tha.…


Halaanki Adhrav aur Savdha, apne sabse pyare abhibhavak yani Surpmarich se kahte rahe ki hum dono duniya ke barabar hain aur iss baar hume koi nahi rok sakta, lekin Surpmarich dono ko apni aankhen dikhate huye itna hi kahta.… "Yahi galti mujhse hui thi ab tum wo galti mat karo"…


Takat to Surpmarich ne bhi asimit bator lee bus wo viprit nakshtr jaisi baat nahi thi.…


Ek lambe daur ka chhipa hua hua khiladi, jiske pass khud ki asimit takat, aur uske beti damad ke pass to behisab takat jiski kalpna bhi kabhi Surpmarich ne nahi ki thi... Wah Far Universe se apni fauj humla ke liye nahi nikal raha tha... Adharv aur Savdha ko iss intzar ki kahani nahi samjh me aa rahi thi, lekin Surpmarich kuchh to raaj apne ander sameta tha….


Prithvi par Nischal aur Jivisha, apne khoyi yaad wapas aane ke baad, jab dono ke liye chijen samanya hone lagi. Guru Vashudhar ke uss vikrut ansh par charcha shuru hui, jisne uttpat macha rakha tha....


Uss waqt ek hi baat nikal'kar aayi thi ki Guru Vashudhar ka sharir ab bhi jivit hai, jis vajah se uski aatma yah sansar nahi chhod pa rahi … aur ho na ho Vish-Nilayani aur Surpmarich ke pratham sharir ko bhi sanrakhit rakha gaya hai.


Surpmarich ke jivit sanrakshit sharir ke vajah se hi, jab Surpmarich ka jivit sharir hi mirtyu lok me nahi gaya, to fir aatma kahan se mirtyu lok me jayegi. Yahi karan hai ki Surpmarich apna roop badal kar wapas aa jata hai.…


Ek majboot aur pramanit theory, jisne Surpmarich ke amar jivan ke raaj khol diye the. Vish-Nilayani jab khoj ke liye nikli thi tab Far Universe ka jikr aaya tha... Far Universe ke uss brutal humle ka jikr tha... Ye baar-baar far Universe kano tak aa raha tha, isliye aasanka yahi jatayi ja rahi thi ki Surpmarich ka sharir far Universe ke kisi grah par ho sakta hai...


Jivisha prithvi par Surpmarich se anubandh ke sath nikli thi, ki na wo Surpmarich ke raste me aayegi aur na hi Surpmarich uss ke raste me... Aur issi aunbandh ka natija tha jo Surpmarich ke 2 ansh Zoren se rato raat nikle the.…


Sattvik Aasharam me jab yojna bani thi, tab Astak uss kahani me dur-dur tak nahi tha, aur naa hi kisi ko pata tha ki, jis dhurt ne kayi hazaron salon se uttpaat macha rakha hai, wah to mahaj ek swatantr mukhauta hai, jiska malik mashtisk mahal ke jariye apne kaam ko usse karwata hai.


Naa hi unko yah pata tha ki Surpmarich jo bhi takat chori karta tha, wah sabhi shaktiyan mashtisk mahal ke jariye unke malikon tak pahunch jati thi... Koi jadu nahi tha jo wo log siddhiyan sidhe grahan kar len. Sadhna ki jaroorat unhe bhi padti thi, lekin jab rasta hi pata nahi to sadhna kis chij ke liye karenge... Na sirf mulhota Surpmarich balki unke sabhi gulaam bhi apne malik ko update karte the...


Mukhote Surpmarich se pahle nipatna tha aur iske liye tay hua ki uss Mukhote ke jaankari me aaye bina, sab Far Universe niklenge. Yahi vajah thi ki Mukhote Surpmarich ko maarne ke liye 3 se 4 mahine ka waqt liya gaya tha. Pahle far Universe se uske sharir ko nasht karna tha. Ek baar sharir nasht ho gaya, fir uske charo ansh ko ek sath maarne ki yojna banegi... Iss baat se bekhabar ki Mukhote Surpmarich ko naya jivan kahin aur se milta hai aur uske sharir ka malik to kahin aur hai, apni poori yojna bana chuke the.


Zoren pahunch'kar yah tay hua ki Viggo viman down the line Deep universe ke ore jayegi, jiske thik 90⁰ ke upar ka hissa far Universe ka tha... HuYu ki madad se shurwat me Deep Universe jate dikhaya jayega aur jab Jivisha sunischit hogi ki ab Surpmarich unhe jate nahi dekh raha, tab sidha far Universe badh jayenge...


Yojna to jane ki thi far Universe, lekin Surpmarich jab Zoren se bhaga tha tab wah mashtisk mahal ko hi istamal kar raha tha… aur istamal hui mastisk mahal tarange khinch rahi thi, kyonki wah niskriya nahi hui thi aur issi vajah se pahli baar sabke samne mashtishk mahal aa chuka tha…


Gahre raaj aur kewal gutthi thi... Chunki Nischal ek Universe traveller raha hai, isliye kabhi bhi kisi nayi chij ke seema me tab tak nahi ghusta, jab tak parakhn na le... Aur issi parakhne ke kram me usse ek poora mashtisk ka jaal mila...


Nischal ne apne information center, HuYu ko iske bare me kaam par lagaya aur udhar poora Saatvik Aashram sakte me tha. Yah kaisa mayajaal hai... Iss mayajaal ki gutthi to nahi suljhi, lekin HuYu ki dee hui suchna ne sab ko ek mat kar diya...


Jaise hi far Universe ke humle aur ussi humle ke waqt kuchh bhu-bhag par viksit huye divya mahal ki charcha, jo uss Decca planet ke darshnik ne kiya tha... Halanki mashtishk mahal ki asthapna to Surpmarich ke, middle Universe ke humle se saikdon varsh purv hi ho chuka tha, lekin shayad uss darshnik ko bhi khincha ho uss mahal ne aur usne Far Universe ke humle se usse jod diya...


Uss mashtishk mahal ko fence karne ke baad Decca se uss darshnik ke vansaj ko sodh ke liye bulaya gaya aur sath me wahan pahuncha tha Apasyu. 1 mahine ke sodh ke baad yojna me poora badlav aaya...


Iss yojna ke badlav ka sutradhar bani thi Vardali... Vardali ne jab raaj khole ki Dark Universe me bhi ek aisa hi mahal hai, lekin Surpmarich aur Astak ek dusre ko nahi jante... Aisa Vardali ka maan'na tha…


Kafi vichitr si ghatna thi... 2 ek jaise mayajaal, 2 alag-alag jagahon par. Dono jagah ke alag-alag sewak aur dono sewak ko ek dusre ke bare me pata nahi. Ye saaf sanket the ki iss mashtishk mahal ki rachna kisi teesre ne kiya hai aur ye dono iss mayajaal ke gulaam hai, jinhe iss mahal ke malik ke bare me koi gyan nahi. Lekin wo hai kaun jo ek nahi balki 2 mrit mashtisk ka nirman hazaron varsh purv kar gaya aur kisi ko bhanak tak nahi, ye ek bada sawal tha???


Fir sawalon ki ek poori shrinkhla samne thi..… Kya aise mahal aur bhi hain universe me, jahan ka sanchalak ek dusre se anjaan hai... Aur aakhir 2 anjaan mahal ke samnchalak ek mahal me mile, to kya ho sakta hai... Aur kya Surpmarich ke amar gatha ke pichhe mashtisk mahal ka koi haath hai...


Kayi aise sawal the jiska jawab kewal ek hi aadmi de sakta tha, jisne iss mayajaal ka nirman kiya. Ab sawal ye tha iss mayajaal ke nirmata ko bulaye kaise, taki iss nirman ke pichhe ke raaj khule...


Vardali ke khulase ke baad kayi tarah ke sawal samne the... Lekin Apasyu ek natija bhaanp chuka tha…. "Jaise hi wo mahal tootega, uska malik humare samne hoga aur jo itne shaktishali mahal ko bana sakta hai... Uski shakti ko hum hara nahi payenge"…


Ab kahani me na to Astak rah gaya tha aur naa hi Mukhota Surpmarich. Ab to poori taiyari kewal mashtishk mahal ko todne ko le'kar shuru hui. Jahan Zoren ke prabhavi location ko dekhte huye, yah faisla liya gaya ki ek mrit mashtisk me ghusna hi poorn mayajaal me ghusna hai, upar se Zoren ka mahal poorn shakti kendr par bana hai, isliye iss mahal ko, baad ke anubhavon ke aadhar par dekhna tha, pahla number Astak ke mahal ka hoga...


Iske liye bhi 3 se 4 mahine ka waqt liya gaya kyonki raste me khade the 2 shaktisali dushman aur ek poora mayajaal, jiske bare me poori jaankari hasil karni thi aur yahi vajah bhi rahi thi ki Apasyu poora mahina Zoren grah par, Decca ke darshnik ke vansajon ke sath kewal uss mahal par sodh karta raha.


Apasyu apne hisse ka kaam le chuka tha. Ek poorn aaklan aur uske sare samikhaon ke baad, Nischal ne Hurriyent planet ka rasta liya... Hurriyent Nischal ko kis vajah se jana tha, iska koi mukhya uddhesya nahi tha. Kewal dil ki pahli awaj thi wo... Dimag me na to Hyber metal tha aur na hi Roffa ke bare me kabhi usne suna...


Bus ek to baar-baar Decca ke ek mahan engineer aur artitecture, HuYu ke muh se Hurriyent ka naam sunte, ek universe traveller ke dil me jigyasa si jaag jati, ek baar ja'kar dekhunga... Wahin jab 2 poorn shakti (Astak aur Surpmarich) ko harane ke upar vichar hua to Nischal ne jane ki majboot vajah bhi bana lee, Hyber metal le aao... Kahin mahal tootne ke baad far universe ki asankhya viman iss kshetr me ghus gaya to apne logon ki rakhsa kaise karoge… Haan Hyber metal ko Far Universe ke humle ko bhi dhyan me rakh'kar laane ka faisla hua tha…


Nischal ke dil ki pahli aawaj aur wo lagbhag 2.5 se 3 mahine ke safar par tha. Itna hi waqt Jivisha ko apni nayi siddhi sadhne ke liye chahiye thi aur itna hi waqt Serin aur Luna ne bhi sena taiyar karne ke le'kar, Astak aur Surpmarich ko harane ke liye har tarah ki niti taiyar karne ke liye liya tha.… Orja ke information aur Mahal ka raaj khulne ke baad na to Astak ab koi samsya rah gaya tha aur naa hi uski vansaj fauj...


Haa lekin inki taiyari mahal ke sath-sath Surpmarich ke dono ansh Partam aur Joy ko le'kar poori focus thi, kyonki wah apni siddhi sabit kar chuka tha kayi ladaeyon me, aur uske pass mahal ki di hui shakti se jyada uski apni siddhiyan thi... Iss baat ka aaklan Nischal aur Serin ne hi kiya tha, jab Orja ki information ke hisab se Astak vansajon ki shaktiyon ka aaklan kar rahe the, usme ek baat hamesa nikal'kar aati, Surpmarich ki shaktiyan in sab se kahin aage hai, iska matlab ye kewal mahal ki shaktiyon par nirbhar nahi...
bahut se raaz khul rahe hai ..to sarpmarich alag baithkar sabko control karta aaya hai ..
mastishk mahal ke gulaam ek dusre ko jaante hi nahi ..

sarpmarich ki beti aur vish nilayni ke bete ki shadi kara di ..adharv bhi viprit paida hua tha isliye usko maarne ke liye guru vasudhar ko kaha tha par wo mila hi nahi ..

saari planning tab shuru huyi jab nischal aur jivisha ki yaade vaapas aa gayi ..
aur tab inko pata chala ki koi aur hi sarpmarich aur astak ko control karta hai ..

to iska matlab main villain sarpmarich abhi jinda hai 🤔🤔..
aur uski biwi ,beti aur damad bhi .
 
10,458
48,860
258
Update 113 G.

इस ऐतिहासिक युद्ध की जब भी चर्चा होगी नंदिनी को याद किया जाएगा ।
कुरूक्षेत्र के युद्ध में अभिमन्यु की मृत्यु इसीलिए हो गई थी कि वो चक्रव्यूह के अन्दर ऐसा बुरी तरह फंस गया था कि बाहरी मदद मिल ही न पाई थी । यदि भीम उसके साथ चक्रव्यूह में प्रवेश किए होते तो अभिमन्यु की जान बच सकती थी ।
नंदिनी ने अस्तक की विशाल सेनाओं और उनके चक्रव्यूह में फंसे निश्छल एवं शेरिन की मदद न की होती तो शायद रिजल्ट कुछ और ही होता । वो ड्रेगन बेबी सोनु के साथ मिलकर जहर वाली रणनिती के साथ साथ निश्छल और शेरिन के लिए मास्क पहनाने की जो दूरदर्शिता दिखाई , वो सच में काबिले-तारीफ था ।

Update 113 H.

युद्ध के मैदान में निश्छल और नंदिनी के बीच जो नोंक-झोंक था , टेंशन मुक्त करने वाला था । जहां पल पल करोड़ों की तादाद में लोग मारे जा रहे हों , जहां हर पल निश्छल और शेरिन की जिंदगी दांव पर लगी हो वहां नंदिनी का आना , उनकी मदद करना और फनी बातें करना मन को मोहित करने वाला था । युद्ध कौशल के बारे में क्या लिखूं ! कभी हवा में उछल कर युद्ध करना तो कभी सेकेंडों में जमीं पे पहुंच कर युद्ध करना , कभी खड़े खड़े एक दूसरे को ढा़ल बनाकर युद्ध करना तो कभी घुटनों के बल बैठे बैठे युद्ध करना ! - ऐसा नैन भाई की कलम से ही निकल सकता है ।

Update 113 (1) & ( j )

इस अपडेट की जितनी तारीफ की जाए कम है । अस्तक का जो शारीरिक रूप था - दो किलोमीटर क्षेत्रफल में फैला हुआ लम्बा चौड़ा शरीर , चार सौ फुट के आसपास मुंह , शरीर के हर हिस्से से इच्छानुसार निकलते हुआ बड़े बड़े हाथ , उन हाथों में भी आंखें , शरीर को हरेक दिशाओं में घुमाने की क्षमता - इतना तो खतरनाक कुम्भकरन भी नहीं था । लेकिन अस्तक को देखकर मजा आ गया । मेन विलेन के रूप में इससे बढ़िया और क्या चाहिए था ।
अस्तक का जबड़ा फाड़े लोगों को चबाना , निश्छल और शेरिन के साथ उसका अविस्मरणीय युद्ध ! मुझे तो शब्द ही नहीं मिल रहा है कि इसे किस तरह से व्यक्त करूं !
हजार टन की शक्ति वाले हथौड़ा और बिजली प्रवाहित करती हुई चैन , खंजर और तीव्र गति और मजबूत इच्छाशक्ति - यही हथियार था उस महा दानव से लड़ने के लिए ।
अस्तक और दोनों भाई बहन के बीच जैसा युद्ध हुआ - या ये कहें कि जैसा लिखा गया वो अद्भुत था । आउटस्टैंडिंग था । अमेजिंग था ।

अस्तक का सिर जब धड़ से अलग हुआ , ऐसा लगा जैसे हमारी सांसें जो कब से अटकी पड़ी थी , सुचारू रूप से फिर से चलने लगी ।

इस पुरे अध्याय के लिए दिल से सिर्फ एक ही चीज निकलती है - Superbbb.... You are such a Zems nain11ster bhai.
 
Last edited:
Top