• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-70




Zoren Grah Tatkalik Samay...


Kuchh din pahle hui gahtna se mano ek samrajya hila hua sa tha... Hazaron varshon se arjit ki gayi shaktiyan maano dheh si gayi thi aur Surpmarich mahaj ek joker sa ban'kar rah gaya tha…


Ek sandhi jo Surpmarich kar chuka tha, Jivisha aur uske logon ke pichhe na jana.… Aur badle me Jivisha bhi uska rasta nahi kategi... Uss sandhi ke tahat wo Zoren to chhod chuka tha, lekin sath me wo 40 hazar vansaj ki fauj bhi Zoren ki seema me chhod chuka tha, jo Arhcemia ko yahan le'kar aayi thi…


Uss fauj ki ab mukhiya thi judwa bahne Koyyi aur Moyi, jo Hella ki tarah apne sharir ko kosiskaon me pariwartit kar sakti thi, aur jab dono sath me ho fir inhe hara pana lagbhag namumkin.… Astak ke ant'hin fauj ke lakhon chand-sitare me se ek thi ye judwa bahne Koyyi aur Moyi, jo apni shakti samay ke sath sudridh (consolidate) to kar rahi thi, lekin aaj tak kabhi kisi yudhh me, prayog me nahi aaya tha...


Surpmarich, Arhcemia ke sath ek vansaj planet me ja chuka tha aur Astak ke kahne par wo puri vansaj fauj wahin apni sthiti banaye huye thi… Kuchh sandesh Astak, Nischal aur Serin ko dena chahta tha. Shayad sandesh dene aur baki kamo ke liye unhe judwa Koyyi aur Moyi hi behtar vikalp laga hoga, isliye Arhcemia ke waqt jo iss tukdi ko malik thi, Vardaly, usse hata'kar ab bus nigrani ke liye rakha gaya tha.…


Jivisha jaise hi hunkar bhadi, sabhi log uske sath aa'kar khade ho gaye. Wo awaj itni buland thi ki dayre ke bahar sabhi dragon baby halla macha rahe the... Jivisha ne wo 5 kilometer ka dayra bhi khol diya aur sabhi bachhe bilkul Jivisha ko poora gher'kar khade ho gaye...


Serin:- Yahan ke mahol se hum anjaan hai... Apni surakha ghera se jayenge...


Nandni:- Matlab rendom ladai ke liye hum log ja rahe ho...


Nischal:- Kuchh to hume dushman bhi sikha jata hai... Hum apne surakha ghere me jayenge baki dekhte hain kya hota hai... Ert, Nilbhut samuday ko tum suchna do ki poore Zoren ko gher le... Main, Jisa aur Serin bahar honge… Luna ander se tum poora backup dogi...


Kasak:- Makka laye ki nahi… popcorn ka maza lenge action time me...


Luna:- Kasak main video game khelne ka mauka bhi dungi... Bus target lock kar'ke ek chhota sa to button dabana hai...


Sabhi ek sath kahne lage... "Hum bhi khelenge"…


Luna:- Kafi joshili team hai mere pass...


Sabhi log baton ke dauran hi Zoren Planet ke bilkul bich me land kar chuke the… Jivisha apne dono baahn aise failayi mano apne 8400 bacchon ko unme samet rahi ho..… "Tum me se koi bhi bahar nahi aayega warna main kisi se baat nahi karungi"…


Dragon baby ko jaise ye baaten pasand nahi aayi ho, wo sab ke sab apna sar upar karke koi aaj ugalne laga koi barf to koi muh se alag-alag kshmta dikhate, gusse ka izhar karne lage...


Jivisha jor se chillati hui...… "Tum sab ko maine kah di na... Bus wahi karna… chup'chap yahin rahoge aur koi bahar jane ke liye tamasha kiya, usse yahin chhod'kar main chali jaungi"…


Sabhi bacche jaise Jivisha ki baat sun'kar roni soorat bana liye ho. Bilkul mayus aur ab ro hi parenge... Koi Kasak ke gardan par apna sar maarne laga to koi Luna ke... Mano kahna chah rahe ho... "Main bhi bahar jaunga ya jaungi, maa ko kaho tum"…


Viman ke land hote hi Jivisha kuchh pal ka dhyan lagayi aur charo kayi hazar kilometer ke kshetr ko apne aakhon se bhanpne ke baad Nischal aur Serin ke sath niche jane ki taiyari karne lagi...


Luna sabko le'kar sidha control room me pahunchi aur sab ko jode me baithne ke liye bol dee... Turnat hi usne command diya. Hawa me dron se 4 guna size ke udan tastari wahan ke aakash me charo ore fail gaye... Ert bhi wahan se nikal chuki thi... Aur ye teeno (Nischal, Serin aur Jivisha) sari taiyari ke baad apne kadam badhate huye niche utre...


Luna apni najar charo ore banaye hui thi..… Wahin Nandni aur Kasak dono popcorn banane me vyast thi.… Ert bhumigat ho'kar Nilbhut samuday ki seema ke pass hi thi lekin jaise-jaise wo aage badh rahi thi, dil ki bechaini bhi badh rahi thi….


Pratibandhit seema ke pass jab wo pahunchi tab wahan ka najara dekh'kar usski ruh kaanp gayi ho jaise... Ret ke maidan par ek fauj ki tukdi thi, bilkul alag aur bilkul naye... Sambhavtah ye lagbhag 1000 logon ki vansaj tukdi thi, jo ret ke maidan par chal rahe the. Ret ke niche jahan kahin bhi usse jivan mehsus hota apne hath niche le ja'kar jaise hi khinchte, sarp roop me rah rahe Nilbhut samuday ke 8-10 log unke hathon me hote aur agle hi pal utni hi nirdayita se unke muh me... Poora kaccha hi chaba ja rahe the….


Kaleja dahla dene wala ye kashn tha... Ert wahin bhumigat hoti wapas se Zoren ke center point ke liye nikli... Ert ki khabar pahunchne se pahle hi ye dil dahla dene wala najara Luna sabko dikha chuki thi...


Yah ghatna na sirf Nilbhut ke kshetr me ho rahi thi, balki Dridh aayu rastr ke kshetr me bhi jari thi... Fauj ki tukdi rah rahe aam logon ke gala pakad'kar kaccha maans hi chaba rahe the, fir chahe wo insan ho ya jaanvar.…


Nischal aur Serin ke aankhon me jaise khun utar aaya ho.… Dono apna hath thame uss bhumi par khade the...


Jivisha:- Main yahan ke logon ko Surpmarich ke dimagi changul se nikalti hun. Main jab lautun baby to wo sab narbhakshi mujhe iss jagah par jama chahiye, warna main apna aapa kho dungi...


Nischal aur Serin ek sath... "Aur hum bhi"…


Jivisha wahin bhumi par baith gayi aur agle hi pal ek ujla shaya Jivisha ke ander se nikal aur hawa me gayab... Nischal ek baar apni aakhon par hath fera... Mano apne chhalke aanshu ko saaf kiya ho.… Luna ne Nischal aur Serin ki aawaj pahunchane ka intzam kiya.….


Aisa laga Nischal poorn roop se dard aur gusse me ho.… Uski aankhon me poora khun utar aaya tha .. Serin, Nischal ka hath thamti.…


"Yahan na to yudhh hua, na dushman samne se aaya tha... Jis barbarta ka parichay pahle iss grah par tum logon ne Aizem ke sainikon ke sath diya hai, aur ab yahan ke logon ke sath kar rahe…. Wada hai jis din tumhare ant'hin duniya me ghusungi... Tumhara kaleja kaanp raha hoga... Tumhari aankhen badi ho'kar bahar nikal rahi hogi aur main tumhare jinda sarir se kaleja chid'kar, tunhara dil nikal lungi. Aur tab tum khud ko wahin tadapte huye pal-pal marte dekhoge… Wada hai ye mera"….. Serin apni buland aawaj ke jod par unhe ehsas karwayi ki kaun yahan aaya hai.…


Nischal apni aankhen munda. Serin ka hath aur jod se thamte.… "Astak aur uske Vansaj... Astak aur uske Vansaj... Astak aur uske Vansaj...… Ek hi jivan mila hai mujhe... Main kahaniyon me yakin nahi karta... Aur na hi meri bahan Serin yakin karti hai"….

"Hum dono ne bachpan se bahut lashon ka khel dekha hai... Kabhi itne hatash nahi huye... Kyonki hum dono ki maa ne hume jivan sanjona sikhaya tha... Hume shant rahna sikhaya aur hum dono ko sath rahna sikhaya… lekin shayad aaj lagta hai unhone hume thoda galat sikhaya tha... Iss se pahle ki hum dono bhai-bahan ashant ho jaye... Shanti se yahan chale aao"…

"Ek kadam ki jamin, ek chhota bund jitna hissa maans ka, aur ek katra aanshu bhi yahan kisi prani ke bahe, to yahan fir lashon ka khel shuru hoga, jo tabtak nahi thamega, jab tak ki uss Astak ke dhar se uska sar alag nahi kar deta... Aur ye ek Viggo ka wada hai"….


Apni baat kahte huye Nischal ne apne anguthe se apna laal rang lipt naag-dansh bahar nikala aur utne hi gusse me usne bhumi me usse gaad diya... Laal rang ki tej lahar wahan se failni shuru ho gayi...


Mahol jaise poora shant sa ho gaya tha... Khamosh, bilkul khamosh… aisa lag raha tha wahan ki ruki hawyen, apna shwans roke bilkul shanti se apni najren banaye hain… Iss shant se mahol me ek aur viyog ka aabhash hua... Jivhisha apne sharir me jaise hi wapas lauti, agle hi pal apna naag-dansh nikal'kar thik Nischal ke pass wale naag-dansh ke samanantar gaad di...


Nischal ke naag-dansh ki laal raushni aur Jivisha ke naag-dansh ki nili raushni... Dono aamne samne se nikalte huye takra rahe the... Kamosh se mahol me Jivisha apni urja apne shwanson me sameti.… "Main bus tum sab ko yahan aane ka kewal ek minute ka samay deti hun, uske baad humari dharya ki seema tum sab laangh chuke hogeeeeeee"…


Aur apni tej chinkh ke sath apna poora ka poora panja bhumi par de mari... Kampan ki ek tarang poore Zoren me mehsus ki ho jaise sabne... Hath ke uss thap se, nili-laal mishrit wo raushni bhi ek sath hawa me poore Zoren par fail gayi jo Astak ke vansaj ko alag hi bechain karne lagi.…


Serin, Jivisha aur Nischal teeno be-intaha dard aur gusse me khade the, jab 40 hazar ki tukdiyon ke sath Koyyi aur Moyi wahan pahunchi .. Gurur dono judwaa bahan ke rom-rom se jhalak rahi thi...


Pichhe 40 hazar Astak vansaj ki fauj, jiske 10 logon ki chhoti si tukdi ne bhi Dark Universe ke khatrnaak se khatrnaak fauj ko maut ke ghat utar diya ho... Abhi to fir bhi 40 hazar vansaj sena thi, gurur hona to swabhavik tha.…


Gurur aur ahankaar me dubi vansaj tukdi ki sipesalar judwaa Koyyi aur Moyi, apne fauj ke aage khadi thi, jiski najron me 3 bebas insan dard aur gusse me khamosh samne khade the. Aur unme se kisi ek ki jaan le'kar, Astak ka sandesh un tak pahunchana tha… "Vansaj sena ko maarne ka jo dus'sahas tum dono bhai-bahan ne kiya hai, jald hi tum sab ke samuday ka astitv mit jayega"…


Wahin Jivisha, Nischal aur Serin jitne shant khade the, utne hi ander se baukhlaye... Teeno ki lambi khinchti shawans jab dhime se bahar nikalti, wahan ke charo ore kee jalvayu ka mann bhi utna hi aakroshit ho jata. Hawaon ne hi yuddh ka bigul funk diya tha…. Mahadev jaise raudr tandav ko aatur ho aur charo ore bhishan nagade aur damru baj uthe ho, ye khamosh mahol ussi raudra dhun ka aabhash karwa raha tha...


Haan teeno bilkul khamosh khade ho'kar, apne ander uthne wale jwalamukhi se aise hi mahol ka parichay de rahe the… Agle hi pal uss khamosh se mahol me attahas bhadi hansi un judwa bahno ki... Hansi bhi mano aisi, jaise teeno ki vivashta par hans rahi ho.... Uss hansi ko bhedte Nischal ne puchha…. "Kya tum hi iss sena ki tukdi ki sena-nayak ho"


Nischal ki baat sun'kar dono bahane ahanhakri bhade uchh sawar me chinkhi.… "Haan"… Lekin iss se pahle ki "haan" ke aage wo kuchh kah pati... Nischal aur Serin ke ek hath se chain nikal chuki thi aur agle hi pal un 40 logon ko jo najar aaya, wo tha bhumi me gade 2 naag-dansh ke bich se, jale huye kaale awses dhire-dhire upar aa rahe hai aur wo hawa me ghul rahe...


Judwaa bahno ki ek aathas bhadi hansi, uspar Nischal ka ek chhota sa sawal jiska javab me ek sath nikla ahankaar bhadi "Haan". Uske baad ke 2 second ke samay me kya hua, vansaj sena ko usse dekh pane ki naakam kosis aur samjhne kee jaddo-jahat jari thi. Kintu un 2 second me kya hua unhe kuchh samjh me nahi aaya aur antim naitja, Nili aur laal raushni jahan takra rahe the, uske sath hawa me kaale jale huye kan phail rahe the.


"Luna jarra slow motion video chalao, taki yahan sab samjh jaye ki hua kya, fir baat karte hain"… Nischal apna aadesh diye aur slow motion video play hone laga... Iska time frame second ke 1000 we hissa jitna slow liya gaya tha...


Video me jaise hi Koyyi aur Moyi ne haan kaha, agle hi pal Serin aur Nischal ki chain unke ore badh chali… 1 second ke 1000we hisse jitne slow chalane ke baad bhi, kewal hath ke tej jhatke jo Nischal aur Serin ne twins ke ore dee, wo kewal najar aa raha tha...


Chain jitni tej ja'kar Koyyi aur Moyi ko lapeta, utna hi tej khinch bhi liya. Yah itna tej khinchaw tha ki utne slow motion me hone ke baad bhi aisa laga jaise twins Koyyi aur Moyi gayab ho'kar pahunchi ho... Aur takkad hone se pahle hi... Chain ki raftar ko hi match karti Nischal aur Serin ke hath... Jinme ek hath me khanjar to dusre hath me blade thi...


Ek unclassified Viggo Sigma Nischal, to dusri class 1 Viggo Serin… aur kisi bhi speed ko apni khuli aankhon se dekhne ki kshmta... Dono ne raftar me jab apne hathiyar chalana shuru kiye fir to juwdaa bahano ko sochne ka samay nahi diya...


Itne slow motion me video chalne ke baad bhi unke hathiyar chalate hath badi muskil se dikh rahe the... Aur uss raftar se jab dono bhai-bahan ne Koyyi aur Moyi ko kaatna shuru kiya, tab matr 1.5 second me poore sharir ko 0.00001mm² me kat chuke the... Jaise hi dono bhai-bahan ke hath ruke, Jivisha utni hi tej hath ghuma'kar, chidhre udde pure Kate badan ko, dono naag-dansh ke bich khinch'kar le aayi... Jahar ka prabhav iss kadar hawi hua un .0.00001mm² tukdon me, ki uske ander ki har kosiska, jal'kar kali padti un mishrit nile aur laal rang ke sath hawa me bikharne lagi….


Pure 2 second ke video ko lagbhag 15 minute me dekha gaya. Fir bhi Nischal aur Serin itne tej lage ki, Viggo viman me baithe sabhi logon ne aur slow kar'ke chalane ki jid karne lage... Aur idhar vansaj sena ki muh se juban gayab ho gayi thi.…


Nischal:- "Abhi ke abhi ye grah tum sab chhod do.… Dimag ka para high hai aur tumhare sena-naykon ne jo salikha tumhe nahi sikhaya wo main bata deta hun... "Kisi ke yahan jao to tarike me raha karo, warna eklaute tum nahi ho universe me jiske pass ahankapar hai"... Vishwas karo jab hum aham me aayenge... Dark Universe ke 22000 planet me se, jitne bhi vansaj planet hai... Wahan ke har jagah se, aise hi tumhara ghatiya sharir, humare jahar ke sampark me jal'kar, dhuwan ban'kar hawa me udd jayega"...

"Ab bhago yahan se iss se pahle ki main ye bhul jaun ki ye koi yudhh nahi tha aur jab kamjor aur ashaya Astak ke vansaj apne mutthi bhar fauj ke sath yahan aaye, tab humne tumhe dardnak aur khuffnak tarike se maar dala... Tumhare sena nayak ko uski galti ki saja main de chuka... Ab bus uss din tak ji lo, jab hum apne logon ke iss tarah ki ghinauni maut ka badla lene tumhari jamin par khade honge"...

"Aur vishwas mano, jis din hum badla lene tumhari jamin par khade honge, fir tumhare bhagne ke liye pura universe kam par jayega... Aur haan video le ja'kar apne baap Astak ko dikha'kar bolna... "Papa-papa hume ek itni badi sena la'kar dena, jise Nischal jab katne lage to kam se kam mahine din lag jaye, taki lashon ke dher par jab wo hum sab tak pahunche, tab tak hun kuchh mahine aur ji leennn"...


Jab ek sher ki awaj jungle me daharti hai, tab jungle ko apne jhund se darane walon ki jaise ghighi bani rahti hai, thik ussi prakar vansaj sena ka haal tha... Ek nirbhik aur nidar shashak apni jamin se unhe bhaga raha tha jo khud ko shrv'shteth aur khud ko ajay, amar maante the. Unki haalat aisi thi ki jaise hi bhagne kaha gaya, fir lagbhag 40 hazar vansaj fauj pichhe mud'kar nahi dekhe...


Un sab ke bhagte hi Jivisha ladkhada kar wahin jamin par baith gayi.… Uske yahan na hone aur uske logon ko bhojan ki tarah nigal jane ka gum, dil me dard ban'kar chubh raha tha... Jivisha roti hui kahne lagi.…

"Ab bardast nahi hota Nischal.. Ye bhumi mujhe dhikkar rahi hai... Mujhe ab bus badla chaiye... HuYu kahan hai bulao usse... Aur bhej do sandesh Dark Universe me.… Hum jald hi uski jamin par honge..… Yahan liye gaye har jivan ka hisab karne"...
super se bhi uper update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-71



"Ab bardast nahi hota Nischal.. Ye bhumi mujhe dhikkar rahi hai... Mujhe ab bus badla chaiye... HuYu kahan hai bulao usse... Aur bhej do sandesh Dark Universe me.… Hum jald hi uski jamin par honge..… Yahan liye gaye har jivan ka hisab karne"...


Wah hatash thi. Wah nirash thi. Jis barbarta ka parichay Dark Universe walon ne diya tha Jivisha bilkul toot chuki thi...


Sabhi log wahan se sidhe Dridh Aayu Rastr me pahunche... Jahan Jivisha sabse kati-kati gahre sok me dubu hui thi. Yah thik ussi prakar ka dard tha jo kabhi Jivisha ne Aarsi ki bahan sapna ke jane ke baad mehsus kiya tha. Bus frak sirf itna tha ki iss baar kisi insan ko wo apni aankhon se jinda chabati hui dekh rahi thi...


Nischal Sabha bhavan me pahunchte hi, Organization of middle Universe ke mukhyalay, Gleto Planet par Zoren me hui sabhi gahtan ki footage bhej diya. Jisme Dark Unverse ki kartut aur Nischal dwara di gayi saja bhej diya gaya tha... Na sirf Middle Universe me yah khabar Nischal bhej chuka tha, balki Dark Universe par bhi poori footage bhej chuka tha...


Vansaj sena ki kururta aur Zoren par usse di gayi saza, aag ki tarah pure universe me fail gayi thi. Middle Univese sangathan, Astak aur Dark Universe ke against farman jari karte huye, unke viman ko kisi bhi grah ke orbit me ghusne se pahle hi Universe me hi maar girane ke order jari kar chuke the, taki jamini yudhh jaisi koi sbhavna hi na ho... Aur idhar Dark Universe me...


Dark Universe ke core planet me matam sa pasra hua tha.… Pahle se Astak ke liye Vansaj planet sambhalna kafi muskil ho raha tha, upar se Koyyi aur Moyi ke sath huye bhayavah maut ko sabhi Vansaj Planet dekh rahe the.…


Jaise hi Koyyi aur Moyi ke maut ki khabar faili thi, Astak ka control bhi khatm hua. Core aur 4,5 vansaj planet ko chhod diya jaye to takriban 2000 palnet se 40 carore bade aur medium size viman paglon ki tarah Zoren par humle ke liye nikal chuke the…


Sabhi ke sabhi viman dark universe ke uttri seema se, aage-pichhe bina kisi sena commander ke nikle... Jaise hi dark universe ke viman Wishper Planet ke aage badhe, khabar aag ki tarah fail chuki thi ki Drak Universe se fauji viman ki badi si tukdi Zoren par humle ke liye nikal chuki thi...


Middle Universe Organisation ne turant hi ek khabar jari karte huye, sabhi planet ke sabhi country ke pass sandesh bhej'kar Zoren planet par hawai madad bhejne ke orders jari kar diye, jo ek sena commandent Serin ke ander kaam karti...


Khair Middle Univeser organization se madad milti ki nahi milti, Aizem ke 1 carore Sanya viman aur Zoren ke bache takriban 12 lakh viman agle din hi poore Zoren ke Air Space ko ghere huye the… Earth par apni kabliyat sabit karne ke baad First commandent Luna bani hui thi aur 22 commander ke adhin tha pura oreder pranali...


Lagbhag 2 din tak unverse ke alag-alag grah se, takriban 80 lakh bade sainya viman ki madad pahunch chuki thi... Middle Universe ke sath-sath Drak Universe bhi poora najar baanye huye the...


Astak apne core planet par baitha... "Kya lagta hai Messa, humri vansaj sena kitni safalta hasil karegi"…


Messa:- Vasnaj sena yadi kisi ke bhumi par kadam rakh de to humara ek viman uss pure planet ke liye kafi hai... Lekin Middle Universe wale unite hai aur unki kosis hai ki sabhi viman ko Universe me hi dhwast kar dena… kyonki sabko pata chal chuka hai ki hum purani technology istamal karte hain... Aur ek baat... ..


Astak:- Kya???


Messa:- Jitni viman Dark Universe ke bahar gayi hai, bina kisi command ke gayi hai... Na to pahle kisi yudhh me samil huye hain aur naa hi sabhi viman ek sath unite honge... Sab apne hisab se ladenge aur Universe me vansaj sena ka sharir khtam ho jayega..


Astak:- Aur wo Javo...


Messa:- Javo ke pass ran'niti to hai aur ussi par ummid bhi hai... Baki sabhi mare bhi jaye to humare liye fayda hi hai...


Astak:- Ye Surpmarich humare kitne kaam ka hai….


Messa:- Jahan tak kaam ki baat hai to wo Arhcemia se jyada kaam ka hai lekin bahut jyada dhurt hai... Ek din ke kaam ko jaan bujh'kar 1 saal ka samay diya hai... Wo kuchh to apna maksad sadh raha hai…


Astak:- Main janta hun usse kya chahiye... Arhcemia ke sath usse core planet bulao... Hume Arhcemia chahiye warna itna lamba faila samrajya mujhe sikudta hua najar aa raha hai.… Aur ek baat..


Messa:- Kya...


Astak:- Beron ki fauj lekar tum Hella ki madad ke liye prithvi jao... Hum Hella ko kho nahi sakte hain... Prithvi par Orja ko dhundho aur pakad kar lao... Dhyan rahe mujhe tum dono yahan Dark Universe me jinda chahiye... Yahan Surpmarich se jaise hi baithak samapt hogi wo prithvi par humari poori madad karega...


Messa:- Baba ek baat kahun… Prithvi par aap Namia aur uske Vansaj ko bhi to bhej sakte ho...


Astak:- Meri raniyan bahut kimti hai... Aur unke baad tum teeno (Hella, Messa aur Orja) ho... Dobara khyal rahe… Raniyon ko yuddh me bhejne ka vichar bhi na aaye...


Messa "Haan" me apna sar hilata wahan se ek Vansaj Planet Noren par nikal gaya. Ye un 5,6 planet me se ek tha, jo Astak ke hukm ke bina koi kaam nahi karta tha… aur ye Middle unverse ke sabse pass ka planet the jahan se Messa any prajati ke sainikon ke sath apni muhim ko aage badhata tha...


Astak apne bade se screen ke aage baith'kar apne vansaj sena ko aage badhte dekh raha tha.… Serin ko idhar vansaj sainikon ke pal-pal ki khabar milti ja rahi thi... Settelite viman, Universe ke kayi hazar kilometer tak, chappe-chappe par najr dale huye thi.…


Kasak:- Yaar Luna… ek baat bata... In logon ke viman jo Universe me malwa banege to unme baithe fauj ka kya hoga...


Abhishek:- Tujhe universe me fenk'kar dekh lete hain kya hota hai...


Luna:- Hona kya hai, pura sharir chhilka ban'kar udne lagega... Fir pata bhi nahi chalega ki kaun sa aisa skin tha jise koi hathiyar bhed nahi sakti thi...


Asis:- Aisa kya hota hai Universe me...


Luna:- Wahan ka Tapman jo anant minuse digree me hota hai... Aur uss Tapman me koi skin kaam nahi aata hai... Bus ek baar uss Tapman ke cotanct me aa gaye fir khud ke sharir ko parat dar parat Universe me samate huye pate hain…


Abhishek:- Fir to in maans'bhakshi ko main pyaj ki tarah chhilte dekhunga aur mera hi highest score hoga…


Kasak:- Oye Luna ki bacchi mujhe na ek aisa missile de jo pani loaded ho aur uske sath hi ek aur missile nikle. Kewal lohe ka hathoda type missile... Baki main aaj inki nani yaad dila dungi...


Sahil:- Baby bomb se to unka viman bhi tootega lekin unpar pani barsakar aur hathoda maar'kar kya pahle varsha se swagat aur baad me dhol pitogi..


Kasak:- Yahan highest socre chahiye ki nahi to bus khamosh raho aur dekhte jao...


Luna apni team ko turant inform karti, Viggo viman me load pani ko empty missile me load kar'ke Kasak ke command button me de dee, aur sath hi sath kayi sare dummy missile bhi load kar dee jo hathoda ka kaam karte... Jaisa ki kasak ka demand tha…


Kasak ke iss idea par kisi ko yakin tha ki nahi tha, lekin Luna ko Kasak ke idea par itna bharosa hua, ki usne turant Serin se discuss karke, saman dhone wale viman ko bhej'kar Zoren se pani khinch liye aur apne command me bhi aise kayi lakh pani aur dummy missile load kar liye.…


Hansi mazak ke bich 5 din nikal gaye jab pure fauj ko hi alert kiya gaya... Dushman ke viman bade-bade badal saman, jahan se guajar rahe pure hawai kshetr ko ghere aage badh rahe the... 3000 kilometer ki manak duri se unke karwaan ko rokna tha… Serin ne poori fauj ko alert par dala....


Serin ne Astak ke fauj ka poorn jayja liya aur apne aankhen badi karti... "Ye kya musibat hai"…


Viman ki sankhya dekh'kar hi kayi sare Planet ke commander ki haalat kharab ho gayi... Inke 1 viman se ladne ke liye Dark universe ke lagbhag 20 se 21 viman the. Aur aisa bhi nahi tha ki wo chhote-chhote viman me aaye the... Unka medium size viman bhi Middle unverse ke large viman se 2 guna bara tha… Eklauta Viggo viman chhod'kar jiske barabar to kya aadhe ke barabar bhi koi nahi tha…


Jahan 22 commander me se 8 other planet ke commander the unki ghabrahat aur sawal jawab aise hawi huye, ki Serin command sambhalti hui kahne lagi.… "Yahan ke poori sena ki kaman mere hath me hai aur ladai ke waqt ghabra jane wale sainik mere command me nahi chahiye, jinhe dar lag raha ho abhi chale jayen... Luna tum apni report do...


Luna:- 2000 ke dayre par ladenge... Ghera banana mera sujhao hai...


Serin:- Thik hai fir 6 commnder ki team ko tum lead karte huye bhago yahan se... Issi prakar 6,6 aur commander ki team ko Zoren ki vayu seema se tod diya gaya aur unhe seperate command de diya gaya... Seperate command milte hi wo log bade bade viman ke sath charo ore diaperse ho gaye...


Unhe disperse hote dekh vansaj sena ke hausle buland ho gaye... Tabhi Viggo viman me sandesh aana shuru hua... "Majah mutthi bhar fauj hai mere samne… tik nahi paoge kiron-makodon. Ya to raste se hato ya marne ko taiyar ho jao...


Serin:- Abe harami Astak ke faltu ki paidaish... Astak ke school me ek galat path bade jodon se padhaya jata hai... Wo hai khud ko shresth maan'na. Iss se pahle wo tera Dreda, baad me Hella, fir wo judwaa bahan Koyyi aur Moyi... Ab tu... Wada hai tumse, jab ye ladai samapt hogi... Tab tumhare Dark Universe se ek chepter hata diya jayega... Hum hi sarvshresth hain... ..


Baton ke dauran hi Vansaj fauj 3000 kilometer ki duri paar kar chuki thi... Serin ne sab ko hold kiya... HuYu apne seperate viman me baitha lagatar keyboard par apni ungliya chalaye ja raha tha... Dushman badi teji ke sath pass aa rahe the...


Serin:- Prithvi se aaye humare sathi, sabhi ko pahla mauka score banane ka.… Baki sabhi sainya daste hold karenge...


Kasak:- Ye hui na baat..… Sahil jaldi se shuru ho jao... Target lock karo...


Idhar, Abhishek aur Asis ke pass unki patniyan nahi thi... Luna apna fauji jattha le'kar nikal chuki thi aur Ert Zoren grah par hi thi, isliye ye dono ab sath kam kar rahe the.…


Asis:- Abhi bhai kya kahte ho, inhe pahle kis chij ka maza diya jaye...


Abhishek:- Wo Chocklet missile ka command do... Inki anti-blastik missile system ko jarra jhatka den... .


Serin apni aankhen badi karti…. "Dono Chor, mera idea tum dono ne churaya hai... Kasak tum gawah rahna iss baat ka... Main to Luna aur Ert ko bataungi.... Kaise dono me mere choclet missile istamal kiya...


Asis:- Jealous girl... Chalo ab jarra hume score karne do...


Asis target lock karta gaya aur Abhishek button press kar raha tha... Ek sath 10 missile alag-alag target par chala chuke thr… Jaise hi unke missile 1000 km ki duri par the, tabhi Vansaj fauj ki anti-blastik missile se uske sabhi missile takraye... 2 missile ke bich takkad se Asis dwara bheje sabhi mssile ka cover dhwast ho gaya...


Har missile dhwadt to hua, lekin unke missile me barud tha nahi jo fat jata. Barud ke jagah ek bade missile ke ander, syring numa chhote-chhote 2 fit ke missle bhade the, jo aadhe se jyada barbaad hone ke baad bhi, 1 missile me se kam se kam 50 syring nikle honge, aur har syring ko dobara command diya gaya... Ye siyring 40 ke jhund me wapas se 10 alag alag target ko ore chal diye…


Unhe rokne ke liye fir 200 se 300 anti blastik missile aur chalti… Jab'tak vansaj sena 2 baar me 200 se 300 anti-blastik missile chalate, pichhe se 10-10 ke set me Asis aur Abhishek aur missile ka chhod dete... Fir se wahi sab hota, lekin in sab ke bich Serin ke team se bheje gaye 10 missle me unke 210 se 310 anti blastik missile lagne shuru ho chuke the...


Idhar HuYu lagatar apne haath chalate huye finally key board par enter dabate... "Pure visuals ab humare control me hai... Koi bhi palnet iss yudhh ko dekh nahi payega... Shuru ho jao ek set humle ke liye"…


Idhar jaise hi HuYu ne Serin se jankari sajha ki Serin hansti hui... "Mere pass aao HuYu tumhe chumne ka mann kar raha. Abhi gurumata ka humla to dekh lun uske baad command deti hun"…


Kasak:- Haan kar rahi hun meri humshakal pahle abhi dekhne to do kahan humla karna hai...


Serin:- Main hint deti hun... Niche pendi me... Thik viman ke bich me engine ka ek section hota hai, wahan ka external layer patla hota hai, poore viman ki apeksha… aur sath me wahan par engine ka air space bhi rahta hai, jis se viman ke ander ghusa ja sakta hai...


Kasak:- Thanks humshakal…


Itni info kafi thi… Kasak ne Missile daga... Uske missile ke sath bhi wahi hua... Raste me hi dwast kar diya gaya. Lekin har missile se uske bhi 2 kilo pani ka pouch lohe ke gol box me band... Ghinghinate huye aage badhne laga...


3000 se 2000 km ke bich me aane tak kewal 2 log hi humla karte rahe aur unke anti blastik missiles ke stock ki dhajjiyan udda chhuke the... Iss baat par bhannaye vansaj sena ne anti-blastik missile ke sath-sath apna missiles ke bhi humla shuru kar diya aur har kisi ka nishan viggo viman…


HuYu:- Ye Shikar to chara nigal gaya Serin... Sala kitne bewkoof hai...


HuYu ki baat par Serin bhi hansne lagi. Vansaj sena ke arbon missile ek sath Viggo viman par chale the. Ye sankhya itni jyada thi ki Serin se sabhi 4 tukdi milkar bhi ek sath anti-blastik missile chalati to bhi lakhon missile ek sath Viggo viman se takra'kar uski dhajjiyan uda deti.


Lekin aage jo hua wo kisi chamtkar ki tarah tha, jo Astak Sena ke humla ka balatkar kar chuka tha. Sabhi missile poora hawa ko dakti chali to thi Viggo viman par humla karne, lekin 200 km tak ka safar karne ke baad har missile ek chhote se virtual point par humla kar raha tha… Astak fauj ke viman ke 200 km aage jakar arbon missile aise blast kar rahe the ki uske dhamakon ki dahsat se khud vansaj sena ke viman dahsat me aa rahe the...


Sabhi vansaj sena ne aanan fanan me dobara humla shuru kiya... Fir teesra chautah... Lagatar humala kiye ja rahe the aur aage badh rahe the lekin unka humla mano Viggo viman me na lag'kar sab aapas me hi takra gaye ho...


Bhannaye kuch viman ne apne humle ka target badal diya ab wo Viggo viman ko chhod'kar anya viman me nishana lagane lage... "Not bad enemies… lekin salon bahut der kar diye"…


Darasal Viggo viman ki virtual frequency set ki gayi thi... Jiska virtual point kayi hazar km dur ek chhote se point ko bana diya gaya tha... Ye log paglon ki tarah ek sath arbon missile aise chhodte ki anant brahmand ka khulla hissa bhi missile se poora dhaka hua najar aa raha tha. Lekin Sabhi missile ek chhote se point par aise dhwast ho rahe the ki teji se badhne wala Astak Vansaj ke viman apni jagah ruk'kar humla karne par vivash the kyonki matr 200 km par unhi ke missile aise blast ho rahe the ki unki Chapet me khud unka viman aa jata...


Ek to aage badhne ka abhiyan ruk gaya upar se paglon ki tarah missile par missile dagne ke karan unke 70% missile khatm ho chukr the… haan lekin ye apni 30% kshmta me bhi in logon se kayi guna jyada missiles rakhte the...


Jaise hi Vansaj ke kuch viman ne Serin ke dusre viman ko target kiya, tab kahin jakar Anti blastik missile chalaya gaya... Haan lekin ab Serin ke liye samasya badhne wali thi..


Serin sabhi viman ke anti blastik missile ke sath apni sabhi 4 commander tukdkiyon ko humla karne ka order deti hui... "Sabhi disperse team ek sah alag-alag disha se close range humla karo…. Yadi inke sabhi viman humari team par ek sath humla karte hain, fir humare pas ek waqt me utni sari anti-blastik missile nahi hogi...


Sabhi commander ek sath... "Don't worry... Hum postion par hai"…


Luna ko jaise hi apne Aizem ke 6 tukdi ka command mila, bade viman ko chhod'kar sab ke sab chhote ladake viman me pahle se sawar the... Takriban 18 lakh chhote viman aur 18 lakh fauji command ke intzar me...


Luna single command oreder deti... "Sabhi ek sath close range me aaj unhe dikha do ki Universe ke hero humare siwa koi nahi"


Luna ke sabhi viman ghum'kar thik unke pichhe pahunch chuki thi… 18 lakh viman apni purn gati se madrane lage... Jaise hi wo unke karib aane lage... Vansaj sena pichhe ke ore humla karne ki sochte uss se pahle hi dayen, bayen aur samne se humla shuru ho gaya...


Aur samne ka humla me iss baar Viggo viman apni purn kashmta me humla kar chuka tha... Pani ke pouch ke piche lohe ke utne hi bade gole, toot'kar jab unke viman ke nichle hisse se takraye… pahle to enegine jama aur baad me lohe ki ball aise bhed rahi thi mano koi kanch ko lohe ki ball bhed raha ho...


Wahin dusri ore wo syring jaise hi viman ke diwaar se takarati, uske ander ka acid jamne se pahle viman ke chhat ko damage kar jata aur ek sath 40, 50 acid chhat me aise surakh bana jate, ki fir to Universe ka temperature hi ander sab kuch jama jata... Emergency exit se nikalne wale jitne bhi panel the, fir to unpar bhi wahi humle hone lagte...


Abhi itna sitam kam tha ki Luna ke ek ishare par 300 se 400 meter ki duri par close range se humle hone lage... Ye humla itna kaargar tha ki unke anti bilastik missile tak kaam na aaye... Idhar Aizem ke chhote viman par jab humla hota aur wo blast karti, tab'tak pilot emergency panel me sawar aur fir un emergency exit panel ko wapas se bade viman dwara khinch liya jata...


Luna ki puri team restless thi aur koi viman blast bhi hota to pilot wapas se apne naye aur chhote viman me sawar ho jata... Dekhte hi dekhte 40 caror ki tadat jab kamti hona shuru hui tab uska poora najara universe ko dikhaya jane laga...


Ab chhote missile ki jagah bade-bade kargar missile dage ja rahe the... Kyonki unke anti blastik missile to ho chuke the khatm...


Charo ore se jab shikast hasil shuru ho gayi, ussi bich 5 carore ka ek bada viman ka jhund khud ko tabah karte huye aage badhne laga..


Ye Javo ki tukdi thi jo kuchh vansaj sena ke tukdi ke sath cordinate karke aage badhne lage... Aisa laga jaise ab aakhri dav khelne nikle ho... Na humla kar rahe the na humla se bach rahe the .. Apne bich me 10000 viman ko safe rakhte huye utni hi teji se badh rahe the...


Dekhte hi dekhte ye itni teji se karib panhunche ki takriban 2000 viman Zoren ke vayumandaliya kshter me the... Jisme takriban 5 lakh vansaj sena, Joyo ke command wali force thi… Jab wo Zoren me ghus rahe the tabhi Serin ne unhe sandesh bhej diya...


"Hawa ka swad to humne chakhya... Jamin ka swad ab Nilbhut aur Dridh Aayu Rastr ke log tumhe chakhayenge... Aur unke shashak aur Shashika jab tumhe maut ke darshsn karwayege, tab aaj tum mishrit paidaish ko apna vansaj kahne wale Astak ke dil me bhi khauff paida ho jayega.… Jao maut tumhari pratiksha me hai"..
super action update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-72



"Hawa ka swad to humne chakhya... Jamin ka swad ab Nilbhut aur Dridh Aayu Rastr ke log tumhe chakhayenge... Aur unke shashak aur Shashika jab tumhe maut ke darshsn karwayege, tab aaj tum mishrit paidaish ko apna vansaj kahne wale Astak ke dil me bhi khauff paida ho jayega.… Jao maut tumhari pratiksha me hai"..


5, 6 din beet chuke the. Jivisha ab bhi ekant vash me hi thi..… Usne bahar aane se mana kar diya tha. Iss dauran wo Shwetna se 2 baar mili iske alawa wo kisi se bhi nahi mil rahi thi. Baki mahal ke jis bade hisse me Jivisha thi wahan kewal dragon baby aa-ja rahe the...


Ladai wale din Nischal ek jhil ke kinare baitha hua tha. Kayi sare dragon baby pet bhar machhli kha'kar wahin Nischal ke pass hi lot-pot kar rahe the... Kuchh dragon baby thode bore dikhe aur unhe shararat sujhne lagi. Koi Nischal ke baal khinch raha tha, to kisi ne Aag ka chhota sa spray uski ungli par kar diya...


"Abe baap ke dushman, apni maa ko ja'kar bolta kyon nahi ki wo itne din se sok me kyon hai???... Janta sok ke sath-sath ab to mujhe patni sok bhi hota ja raha hai"…. Nischal apna sar ghuma'kar un dargons baby ko aankhen dikhate huye kahne laga...


Sabhi dragon ek katar banate huye apna sar uncha karke, apni aankh Nischal par gurraye aur gusse se dekhne laga… Nischal bhi unhe hul dete... "Chal nikal le beta warna baap ko hul dena manhga na par jaye"…


"Bus bhi kar in bacchon ko dantna... Jise daantna chahiye usse to kuchh kah nahi pate"…. Nandni, Nischal ke pass baith'ti...


Ek Kinare se Ansh uske pass baitha aur beer ki ek bottol badhate.… "Kya baat hai Jivisha ka khunnas uske bacche par nikal rahe"…


Nandni, Nischal ke sar par hath ferti... "Kya hi kare bechara... Suhagraat ki subh muharat bit gayi aur iska subh milan na hua".…


Nischal:- Kamine ho tum dono miyan biwi... Hat yahan se, mazak urrane aa gaye...


Ansh:- Ab maine kya kar diya jo mujhe khinch rahe ho isme...


Nischal:- Bahut dhil de rakhi hai aapne doctor sahab... Biwi ko control me rakho..


Nandni:- Tu to rahne hi de re jodu ke gulaam. Aaj tak kabhi teri himmat hui hai Jivisha se kuchh kahne ki... Iss jaisa lover na dekha hoga Ansh...


Ansh:- Kaise..


Nischal:- Bus bhi kar maze lena, warna dono ko niche jhil me fenk dunga..


Ansh:- Chup karo Nischal... Janu tum kuchh lover ke bare me kah rahi thi...


Nandni:- Arree pahli mulkat me hi iski madam ko love at first site hua aur wo isse.…


Nischal, Nandni ka muh apne hathon se dabate... "Tu kuchh nahi bolegi samjhi... Samne screen par dekh, action shuru hone wala hai"…


Ansh bada sa 100 futiya screen par samne ka najara dekhte.… "O' teri ye to lag raha hai 8, 10 lohe ke grah move kar rahe hai"…


Nandni bhi apni aankhen badi karti hui... "Abe ye kya hai... Ye jahaj ka beda kya hum par humla karne aa rahe hain"…


Nischal:- avrage viman ka size 600 meter² bhi maan le. Dark universe ke 40 carore viman hain total soch le kitne kshetrfal me faile honge. Aur unpar lagbhag 2400 caror log sawar hai…


Nandni:- Ye sala Astak mental ho gaya hai kya???...


Ansh:- Kayi carore kilometer tak kewal viman hi viman faila hua hai kya???... Ye sab kya pure universe par dadagiri karne aaye hain???...


Nischal:- Naah.. ye sirf Zoren par humla karne aa rahe hai...


Nandni:- WTF,... Itne viman ki to parking na hogi pure Zoren grah me... In salon ke pass dimag ka abhav hai kya???


Ansh:- Kash inke mukhiya se baat kar'ke puchh sakta… kyon be mental, ye fauj bheja hai haahaakaar...


Nischal, beer ki bottol aage badha'kar toast karte…. "Haan to hum live commentary karenge, aur yadi jit rahe honge tab Astak se bhi contact karenge...


Nandni:- Oye mujhe na marna hai abhi... Mere abhi bacche bhi nahi huye hain... Ek beta aur ek beti to chahiye hi.… Mujhe na marna...


Nischal:- Tera to waise bhi jyada charbi wala maans hai... Maze se tujhe hi pahle chabayenge...


Nischal hanste huye Doctor sahab ke sath hi-fi karne laga aur idhar aa gaya Nandni ko gussa... Aisa dhakka dee ki Nischal sidha pani me chhapak... "Pagal bhinga dee pura.… Doctor sahab ne bhi to hi-fi kiya tha, usse to kuchh na kahi"..


Ansh:- Nahi Nandu wo hum dono ke bich aag laga raha... Jalta hui hume dekh'kar.…


Nandni:- Baby kudo...


Ansh:- Kya???


Nandni:- Ya to kud jao ya mai pichhe aag lagwa dun... jarra aaju baju dekh lo... Aur kudo...


Ansh bechara apne charo ore dekha, charo ore udte dragon babies hi najar aa rahe the... Majboori me wo bhi kud gaya.…


Niche se ek paun Nischal aur dusra paun jaise hi Ansh ne pakda, dono ko unke hisab se jhannatedar jhatka laga... "Agar dobara pani me khinchne ki kosis kiye na to dekh lena"…


Ansh:- Ye to galat hai hume bhinga'kar khud bahar baithi ho...


Nandni:- Baat ko samjho baby, fir kabhi hum pool party kar lenge...


Ansh upar aa'kar ek aur beer ki bottol kholte... "Sarasar nainsafi. Hume bhinga'kar tum upar rahi aur jabardasti kiya to power istamal kar rahi ho"


Nandni Ansh ke kaan me kuchh kahi aur wo "Ohhh" karta hua "Sorry" kah diya. Dono hi muskura'kar ek dusre ko dekhne lage... Tabhi Nischal dono ki nautanki dekhte... "Ab ye to had hai doctor sahab... Kaan me Nandni ne aisa kya romance ka mantr foonk di, jo sikayat se sidha romance par utar aaye"…


Ansh, Nandni ke aankhon me khote... "Bechari ne ander bra nahi pahna hai"…


Nischal apne muh par hath rakh'kar hansne laga aur khoye se mahol me jab doctor sahab ko dhyan aaya ki wo kya bewakoofi kar chuka tha... Tab'tak Nandni uske baal noch'kar wahan se ja chuki thi...


Kuchh der baad jaise hi wo wapas pahunchi.… "Ab pani me kudne ki taiyari se aa gayi kya???"


Nischal apni baat bola aur dono (Ansh aur Nischal) thahake laga'kar hasne lage...


Nandni:- Pagal ho dono.… Besharm kahin ke.. Screen par dhyan do. Dushman lagbhag dware khade hain..... Unke viman 3000 km ke dayre me aane wale hai… ruk main HuYu se sampark karti hun...

Jaise hi upar space me line connect hua.... "HuYu dar to nahi lag raha hai"…


HuYu:- Bus bhid hai itna hi kah sakte hain... Baki abhi pahla focus unke teji se aage badhne ki gati par break lagaana hai...


Nischal:- Jitna ho sake utna sambhalna... Zoren me najdik jab ye aa jaye, fir unko niche utarne ka rasta de dena... Yahan Shwetna apni poori taiyari me hai… Aaj ka yudhh khatm hone tak inhe joker na ghoshit kar diya tab kahna...


HuYu:- Oh ho aisi baat hai kya... Bus ek stretgy complete ho jane do fir main Middle Universe aur Dark Universe ko ek sath connect kar dunga... Ye dark Universe wale jitna khud ke sarvshresth hone ka dhol pite hain... Poore universe me samne ek shandaar bejjati to ye deserve karta hai...


Nandni:- Wada raha, iss Astak ki bejjati karne me koi kasar na chhodungi... HuYu bus dhyan rahe ki iss baar apni yuddh niti koi chura na paye...


HuYu:- Pura visuals control kar raha hun… uske alawa pura ka pura inka contact pranali thap karne wala hun... Main ek viman se dusre viman tak information na pahunchne dun.… Bus apna stretgic part sab plan ke hisab se ho... Tab jakar main poore universe ko connect karunga... Taki dushman se le'kar dost tak sab humare air-strike dekh sake...


HuYu ke sath baat'chit ho hi rahi thi, itne me Aasis aur Abhishek ka humla shuru ho gaya... Nandni ne missile ko jab sub-missile me toot'te dekhi... "O' teri ye kiska idea tha"...


Nischal:- Aur kiska, jo sena ko command de rahi hai ussi ka.... Hawai yudhh me Serin jaisa sena nayika poore universe me nahi hai.…


Nandni:- Ye Middle Universe me sabhi kanjar planet hai kya??... Yahan 6000 palnet se matr 80 lakh viman aaye aur wo Astak walon ne to jaise poore universe par hi kabja karne layak viman ka beda laye hon...


Nischal:- Unhe tadat me yakin hai aur Serin ko apni ran'niti me…


Yudhh shuru hote hi shwans tab tham si gayi, jab missile ka jakhira upar me kayi hazar kilometer ki chhat banate, Viggo viman ke ore badhe... Nischal, Nandni aur Ansh teeno hi apne shwans thame bus screen dekh rahe the...


Lekin kuchh hi pal baad, teeno apne beer ki bottol takrate huye jhum uthe... Astak vansaj dwara chhode gaya missile jab kuchh hi dur aage ja'kar blast hona shuru hua, fir to Serin ki poori ran'niti ne vansaj sena ke caroron kilometer tak faile jahaj ke bedon ko hi naap diya...


Ek kusal sena nayika ke jaal me Astak ki ant'hin fauj ka ek bada sa hissa lapeta ja chuka tha... Fir to rahi sahi kasar Luna ne apni kashmta se poora kar dee, jab uske command ke 18 lakh ladaku viman, najdik se vansaj viman ke sar par nishana laga'kar badhte chale ja rahe the...


Vansaj sena ke king size caroron viman VS Luna ke command ke piddi se viman... Jo Astak ke bade viman par ek missile daag deta... Javavi karyavahi me jab Luna ke sianikon par humla hoti... Wo teji se upar niche hokar kartab dikhate wo vansaj sena ke 2 bade vimano ke bich se aisa nikalta ki aadhe se jyada to un logon ka humla khud ke hi viman par ho raha tha..


Luna ka command aur Aizem ke 18 lakh viman... Jab vansaj sena ke bade viman ko tabaah karti pichhe se aage badhne lagi fir to Vansaj sena khud me asahay samanya mehsus karne lage the…


HuYu jab sunischit hua ki ab ladai kitni bhi der chale, jit apni tay ho gayi hai, fir usne mirchi lagane ka kaam shuru kiya... Astak ke bare me jitna bhi HuYu ne suna tha, itna hi suna tha ki ab tak isse kisi ne thik se sunaya nahi..


HuYu, Nischal aur Nandni ko unki baaten yaad dilate huye, Middle Universe aur Dark Universe ko connect kar diya. Middle state palnet organization ke mukhyalay Galeto Planet me jaise hi prasaran shuru hua, wahan ka mukhiya screen par aate.… "Kya status hai wahan ka"…


Nischal:- Shahsak Koredor kya lagta hai in chuhon ki fauj ka kya status hona chahiye...


Koredor:- Serin poore bede ko udher dali kya?... Wo line par hai kya jo khud ko sarv'shresth kahta hai, Astak...


Nandni:- Muh chhipa liya hoga kahin, wo mishrit bacche paida karwa'ke apna naam dene wala Astak... Na aayega samne muh jo kaala ho gaya hai...


Koredor:- Tumhe pahli baar sun raha hun... Kaun ho tum...


Nischal:- Ye Nischal ki female version hai Nandni.. aur ye hain inke jodi doctor Ansh... Medical science ke vidwan aur dono prithvi se hain…


Koredor:- Kya baat kar rahe ho... Prithvi niwasi hume dekh rahe hai... Kya main inhe apne mehmnanvaji ke liye nimantran de sakta hun... Meri badi jigyasa tha...


Nandni, hairani se dekhti isharon me hi... "Abe ye mujhe kyon invite kar raha hai"…


Nischal:- Koredor abhi nahi, abhi to pahle usse line par bulao jo khud ko sharv'shresth kahta hai... Astak, sale ganda khun, kahan muh chhipaye baitha hai... HuYu jarra hack to karo iss Astak ke planet ko... Aur Astak ka visuals dikhao jarra..


Nischal ka itna bolna tha ki samne se wo ghinauna chehra wapas se dikhne laga... Wahi bada sa singhasan aur uss par baitha Astak...


Jaise hi samne screen par Astak najar aaya, thik ussi waqt poore middle Universe ke sabhi planet ki sabhi countries ke shasak, ek sath online aa gaye...


Nandni, jor se hansti hui.… "Ye joker kaun hai jo villan ke getup me itne bade singhasan par baitha hai...


Nischal, ungli ko point karte…. "Issi ghonchu ka naam Astak hai... Jo apne yahan ke mahilaon ke garv me 10-12 tarah ke bij ko dal'kar bacche paida karwata hai, aur fir kahta hai ki wo mera vansaj hai... Kyon be chutiye bolta kyon nahi"..


Astak apne aakhon se hi sole barsate.… "2400 se 2500 carore vansaj sena ki tukdi tumhe bahut badi lag rahi hogi, lekin ye humare fauj ka 10va hissa bhi nahi... Aur na hi wo kisi sena ki command me hain... Ye man mauji fauji hai... Inhe dekh'kar tu Astak ka andaza laga raha"…


Nandni:- Abe O pakau bus kar... Wo dekh harami teri fauj.man mauji fauj… chutiye, kya sikhaya re inhe. Kitna bhi command na ho to kya hua, ek jahaj to maar nahi sakte aur khud ko Universe ka dada bulata hai.… (Fir samne se thukti hui)… Ja'kar kahin dub mar, gandi nali ke me rengne wale badbudar kide.…


Nandni ki baat sun'kar Astak bilkul pagal sa ho gaya tabhi Nischal….. "Yaar Nandu, kahin wo tere baton se mar gaya... Fir main ghasit, ghasit'kar marunga kise"…


Astak:- Aaj tumhara waqt hai... Bol lo... Jis din tumhara samna mujhse hoga...


Nandni:- Uss din tu joker ke sath-sath bander bhi ban jayega. Idhar se udhar uchhal kud karte Nischal se jaan bachata firega… aur yahi hoga likh le...

Nandni ki baat sun'kar Nischal aur Ansh dono jod jod se hasne lage... Fir to jaise uska poora mazak, poora Middle Universe hi uddane laga... Ek ore jahajon ke bede dhwast ho rahe the, wahin dusri ore Astak ka wo kauff hawa hota najar aa raha tha... Upar se Nischal aur Nandni ki jodi... Aur bechara Astak... Nandni bolti to Nischal baat ko aage pakad'kar khinch deta, aur Nischal jab apni baat kah'kar shant hota tab Nandni shuru ho jati...


Astak mano tabla bana hua tha, jispar Nischal aur Nandni bari-bari se hath saaf kar rahe the, aur bich-bich me doctor sahab bhi taal thok dete...


Nandni:- Kyon be jokar, kuchh kahega bhi ya muh se fu, fu bus karta rahega... Nischal jitna ye aur iske najayaj gande khun, khud ko Astak vansaj bulate hai... Unhe update ho'kar aaj se Joker ke vansaj kahte najar aane chahiye...


Issi bich Astak chillate huye..... "Itni dur se kutte bhi sher ko dekh'kar bhaukne lagte hain"…


Nandni:- Haan lekin tu sust kutta hai..… Thik se bhaunk bhi nahi paya... Tu ek kaam kar pahle kutte ke sath rah'kar traning poori kar le...


Astak:- Aukaad me rah'kar baat karo…


Nischal:- Yaar tu chillate huye kafi funny lag raha hai...


Nandni:- Haan aisa lag raha hai jaise joker gussa dikha raha hai... Waise suna hai ek joker ki jodi (Surpmarich) ko tu apne saran me rakha hai...


Astak:- Tumhari technology shandar hai isliye itna uchhal rahe ho... Koi baat nahi aaj se pahle Universe me aisa khatra hoga humne uss par gaur nahi kiya... Koi baat nahi humari jald hi mulakat hogi... Tab tum napunsak kidon-makodon par humre fauj ki chhoti si tukdi hi hawi hogi... Ye jitni tadat se mere vansaj gaye hain... Uska chhota sa hissa bhi kafi hota yadi wo tumhare jamin...


Nischal:- Ruk be chomu... Ye bata tere hisab se yahan ke liye kitni fauj kafi hogi...


Astak:- Javo ki 10 hazar ki tukdi hi tumhe tumhari aukaad dikha degi...


Nandni:- "Na be joker ye attitude aata kahan hai tum me... Nischal abhi 5 lakh se upar ki fauj ko yahan utarne ka rasta batayega... Aur hum teeno yahan baith'kar commentry karenge aur tere jokergiri ke kayi namuno ko marte dekhenge"...

"Sale yadi tu haar gaya to jaisa ki mere doston ne wada kiya tha ki wo teri jamin par honge aur un 40 hazar ki lash wahin girayenge, jo yaham ke masoom ko chaba'kar gaye the... Bus harna to un 40 hazar ke sath apni sena bhejna... Wo kya hai na malal na rahe ki wahan gaye aur faltu me sabo chid-faad diya Nischal ne, aur jise maarna tha usse maar na paye...


Astak:- Haaa haaa haaa haa..


Nischal:- Abe chutiye hasna baad me, haan ya na bol jaldi... Warna meri bahan tere Javo ko wahin Universe me vilin kar degi aur humare sath jude Middle Universe ke baki log tere joker'giri ke aur namune dekh nahi payenge…


Nischal ki baat par Astak ne shart manjoor kar liya... Nischal ne turant Astak ke sare viman ke ander ki visuals lena shuru kiya... Kuchh hi der me Astak ke confirmation ke baad Nischal, Javo se sampark karte...


"Sun be chutiye… Najayaj paidaish ko naam dene wale tere baap Astak ne mujhe challnge kiya hai ki tere 10 hazar ki fauj kafi hai humare liye..... Rasta main batata hun... Jaldi karega to tere 5 se 10 lakh log mere jamin par honge... Hawai humle me fisadi sabit huye, jamin par kuchh takkar dena tum napunsak 12-15 bij ke natijon...


Javo, pure aawesh me.… "Hum jab wahan honge".…


Dr Ansh:- Chup me kutte... Abhi yahan aa hi raha hai na to kar'ke bata na kya krega.… Muh se kaahe hag raha hai...


Nischal aur Nandni dono hairani se ghurte.… "O Teri doctor sahab"…."Ansh baby.. tum to surprise machine ho gaye... Kabhi-kabhi lambe jhatke de jate ho"…


Ansh:- Areee bus bhi karo aur pahle mujhe ye batao ki yahan se jab tum dono live commentary karoge, to kya wahan Jivisha akeli ladegi.…


Nischal aur Nandni dono ek sath...… "Ab bol diya so bol diya... Jo hoga dekha jayega"….
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-73 (A)



Nischal aur Nandni dono ek sath...… "Ab bol diya so bol diya... Jo hoga dekha jayega"….


Ansh unhe ghurte... "Tum dono hi pagal ho"…


Teeno baat kar hi rahe the tabhi wahan tej music bajne laga, jo kisi ke swagat ka background music jaisa aabhash karwa raha tha.. Teeno ki najar jaise hi screen par gayi... Nischal ka muh khula rah gaya... "Hayyy kya lag rahi hai meri jaan"…. "Kafi mast dikh rahi hai... Khatrnaak, katilana"…


Udhar HuYu ne Jivisha ke bahar nikalne par swagat me nagade baja diye aur idhar kayi dino baad uske first look ko dekh'kar Nischal ka muh khula hi rah gaya... Ansh bhi khud ko rok na paya, fir uske roop varnan me apne chand shabd kahne se..


Ek to ati-khubsoorat aur rachayita ki banayi uttam nakkasi ki bhartiya nari... Upar se uski wo laal saree. Laal saree me dikhti uski wo dilkash kamar, jiske upar ke kamar'band ko hata'kar khud lipatne ki chahat jaag jaye...


Tikhe nain-naksh aur uske khubusrat chehre ki shant bhavna par wo halki pratit hoti hui gurur, jo uske shashaktikaran ki parichayak thi... Chalne ke haav-bhav fir to aise ki, halke chham-chham ki awaj uske gurur aur vajood ka aisa aabash karwaye, jaise uss se jyada pratibhavan, gunvaan aur shaktishali stri iss sampurn brahmand me koi nahi...


Chehre par pyari si muskkan aur bilkul shant mann. Jivisha jaise hi bahar nikli, charo ore se dargon baby madrane lage. Jivisha ke dayen, bayen aur uske sarir se lag kar apni khushiyan jahir karne lage…. Jivisha apni gahri shwans khinchti apni dono baanh wo aise failayi, mano hawa ko hi apna baahn bana liya ho aur usme sabhi 8400 bacchon ko samet li ho.…


Sabhi dragon babies jaise chahak rahe the... Jivisha muskura'kar dhime se unse kahi.… "Ja'kar sab khelo aur koi shararat nahi karega.… HuYu Nischal, Nandu aur Ansh jiju mujhe sun rahe hain kya?"


HuYu:- Haan bhabhi aapko sab sun to rahe hain lekin Nischal abhi kuchh bolne ki haalat me nahi hai... Waise to aisi haalat iss waqt poore universe ki hai.. Sab aankhen fade, jitni khubsurat utne hi khatarnak stri ko dekh rahe hain...


Jivisha:- Fir to kuchh din baad ye poora Universe bharm me rah jayega... Kyonki main apne jaisi 6 aur stri ko janti hun. Aur jis din hum sab aise sath honge… nari shakti ki alag hi pahchan hogi... Khair Suno ji... Mere love, mere sona.. aap beer ki bottol ke sath, Ansh jiju aur Nandu ko le'kar wahin se kyon commentry nahi karte, jahan wo Astak vansaj land karne wale hain... Main pahunch rahi hun aap sab bhi pahuncho…


Jivisha ko lene uski sawari pahunch chuki thi. Wo sidha ladai ke vishal maidan me pahunchi... Jahan Shwetna uss virane me kayi shandar singhasan bichhayi hui thi… Aur Unhi singhasan me ek par Shwetna aaram se baith'kar, apne dushmano ka intzar kar rahi thi...


Jivisha sabse pahle wahan pahunchi… Shwetna khadi ho'kar ek beer Jivisha ko pura dekhi aur gale lagati... "Aap ko dekh'kar hi yahan ki Vishesh Rani hone jaisa aabash ho raha hai. Aapko dekh'kar achha laga shasika"…


Jivisha:- Main to hatash thi... Aur tum yahan ke logon ki himmat bani hui thi... Shashika sahi mayne me tum ho aur main sahayak... Ab iss par koi bahas nahi hogi..


Shwetna:- Ziddi kahin ki...


Jivisha:- Pagal… Kya hua Lin itna khamosh kyon hai...


Lin:- Nahi bus mai suchna sun raha hun... Yahan se 6 kilometer dur, wo log land kar chuke hai... Unke kuchh logon ki tukdi taiyar ho'kar yahan ka muwayna karne ke liye shayad niklenge...


Shwetna:- Ranbhumi sajao aur unko suchna pahuncha do ki hum yahin 6 km dur hain aur poora yudhh issi ladai ke maidan me ladenge...


Jivisha:- Nahi itne prem ki bhasha aur sam'maan se yudhh ke aamtran dene layak nahi hai ye log... Unse kaho 'Tumhare najayaj khoon ke jayaj naam dene wale Astak ne jitne logon ko yahan utarne ki bhikh maangi thi, uske mukable tum log 50 guna jyada ko humne aane diya... Apne ghinaune badan ki thakan mita'kar, jab yudhh karna chahe, ek baar apni jungli boli me suchna de de... Kyonki uske baad hum unhe chu shabd bolne ka mauka nahi denge...


Idhar Javo ke pass jaise hi suchna pahunchi, wo apni baukhlayi najron se Lin ko dekhte…. "Tu sab itna hi mahan khud ko samjhte ho, fir kyon humare sanchar pranali ko band kiya the... Jaise space me tum sab apni baat middle Universe se Dark Universe tak pahuncha rahe the, mujhe bhi Dark Universe baat karni hai"…


Lin:- Jaisa tum chaho... HuYu isse iske baap se connect karwa do... Aakhri pal me apne bachne ke jitne gyan le sakta hai le le... Taki Universe bhi dekh le ki ye kitne kabil hai….


Idhar Lin aur Javo ki baat chal rahi thi... Aur 6 kilometer dur baithe commentry team pahunchti hui... "Nandu aaj to aisa lagta hai jaise ye Astak sach me koi joker ho... Kyon be Astak ab kisi ladai ke maidan me ghus'kar, tere yodhha ko tujhse baat karni hai... Kahan gaya wo yakin, 10 hazar ki fauj kafi hai... 5 lakh se jyada log utar diye, tab bhi ladai ke maidan me tere man mauji fauj ko stretgy discuss karni hai... Ghar se sikha kar nahi bheja... Chhi chhi chhi... Ab lage hath ye bhi bol dena... Jit na pao to inke sahari aabadi me ghus'kar utpaat machana"
..


Astak:- Yaad nahi kuchh din pahle tumhare iss grah par kya hua tha... Humari 40 hazar ki tukdi ne ise grah ke 2 lakh aabadi ko jinda chaba gaye the…


Shwetna:- "Sale mutthi bhar gunde... Aur gundon ke bich baitha tha ek dimag control karne wala kutta, wo Surpmarich. Sab joker ka hi samuh to tha. Kyonki dridh aayu me shasan karne wala wo bewakoof Jatin aur uski bahan Baby, surksha ke naam par hi lull the... Hum bus gum kha gaye, kyonki jab yudhh hoti tab tere 40 hazar napunsak fauj, un dirdh aayu rastr ke sainikon ke pichhe chhip jate... Maine aaklan kiya aur mujhe laga ladai me kam se kam 4 se 5 carore jane jayengi... Isliye main shanti se gum khaye baithi thi...

"Tere 5 lakh fauj taiyar kar… aur wo kya aaj nautanki dikhaya tha tune Universe me… 2400 carore fauj... Aaj jab ye yudhh samapt hogi, tab tera ye bharm toot jayega ki tu aur tere vansajon se koi lad nahi sakta. Tumhari abhedi chamri hai aur Universe ke kisi bhi grah ko jit sakte ho"...


Nandni:- Bus kar Shwetna kitna lamba dialogue maar rahi hai... Tu action kar hum hai na dialogue ke liye... Aur miliye mere sathi Mr...


Nischal:- Aapka dost, aap ka host.… Universe traveller Nischal se.…


Ansh:- Aur hum phooti kismat wale in mahashay ke sang, tang jate hain...


Tabhi jaise wahan ke vayu me parivartan sa hone laga tha... 'Dhamnn dhamnnn' ki awaj kano me saaf sunai de rahi thi... 6 kilometer dur yun to pahle kuch bhi najar nahi aa raha tha, aur ye log baat karne me mashgul the. Lekin jab jamin me kampan hui aur sabka dhyan Ranbhumi me gaya...


Astak:- Kyon dar se sabke pesab to nahi nikal rahe na...


Samne bhimakay sharir aur 600 se 700 fit unche giaent vansaj ki sena... 1,2 giant nahi the, balki Javo ke control ki lagbhag 1 lakh tukdi itne hi hight ke giant the aur ab to sab ke sab dur se najar bhi aa rahe the...


Har ek giant ke upar 4 Vansaj fauji chadhe huye the... Sabhi giant vansaj fauji ke katar ki tarah line up hokar aage badh rahe the aur har koi apne hath me apne size ka hathiyar rakhe huye tha….


Ansh:- Bc ye kya bawasir hai...


Nandni, Ansh ko jordar thuski dete... "Nikal gayi student life wali baten... Bhulo mat tum ek medical vidwan ho... Medical vidwan...


Ansh:- Itne bade giants ko dekh'kar medical vidwan ki gaan nahi fategi kya… kah to aise rahi ho jaise tumhe to jarra bhi dar laga hi na ho...


Nandni:- Dekho, main janti hun ki ye humara kuchh bhi nahi bigad sakte... Lekin fir bhi mere paun kaanp rahe...


Nischal, jod jod se hanste huye... "Abe Astak sale, ye to tune puri nangi fauj bhej di hai be... Sale video ko kayi planet par blur karke chalana par raha hai... Paise na the kya in jaise fauj ko kapde pahnane ke liye...


Astak:- Tu khushnasib hai ki marne se pahle tune Astak se itni baten kar lee hai... Teri maut, teri dharti ka sina dahlaati hui pahunch rahi hai...


Shwetna, Nilbhut samuday ki sardar, apni jagah se khadi hui... Uske hath me bhi ek sharp dansh tha... Yah Nilbhut samuday ke sardar ka sharp dansh tha... Takriban 8 fit lambi... Jiske upar bada sa sarp bana tha aur niche mota rodnuma koi dhatu se laga tha... Haan lekin ye permanent sharp dansh tha, jo Jivisha ya Nischal ke sharp dansh ki tarah anguthe me nahi samatha tha...


Shwetna sharp dansh ke nichle shire ko bhumi par de mari... Ek tarang sa utha tha jo hawa ke sath failte huye poori sena ko alert kar gaya... Jaise hi sharp dansh bhumi se takraya, hawa ka rukh badal chuka tha… hawayen tej aur sansanati hui bahne lagi... Jamin faad'kar Shwetna ki sena ne apna parichay diya...


Wo size me matr 4 se 8 fit tak lambe the. 1mm se lekar 6 inch ki tak round shape ki motai thi... Lekin jitne bhi shape shifter Nilbhut samuday ke saanp the, sab ke sab nidar the... Yudhh ka bigul jaise hi Shwetna ne funka, saanpon ka jhund bhumi faad'kar hawa me the… itna bada jhund ek sath charo ore se nikal raha tha, ki wo sabhi gients ek second pahle tak dikh rahe hote, lekin saanp jab uchhaal marte, tab wo giants poore ke poore unke bich me dhake huye najar aa rahe the…


Agle hi pal Shwetna ne apne sharp dansh ko half round ghumayi... Iss baar charo ore ladai ke maidan me, Adrishi jaanvar ek pal dikhte aur dusre pal me gayab... Taadat itni jyada thi Adrishi janvaron ki, ki jab wo sab ek dusre ke upar chadh'kar uchhal kud karte, sabhi vansaj sena bharma jate ki abhi to najron ke samne tha, kahan gayab ho gaya...


Javo ki fauj fir bhi badhti rahi.... Dar aur shikast se aaj tak vansaj ki iss fauj ka kabhi samna hua hi nahi, to un par Shwetna ki fauj ka koi bhi kartab asar nahi kiya hoga...


Shwetna:- Shahsika, apna shikar chun lo, jise latkana ho...Baad me mujhe kuchh mat kahna.…


Javo ki fauj karib 1 kilometer ki duri par thi aur tabhi Astak tej chillate huye humle ka aadesh diya... Aadesh milte hi Vansaj fauj apni jagah par ruk gayi. Sabhi giants apni jagah khade ho'kar, ek sath apna paun patakte huye bhumi par aisa kampan karne lage, ki Nischal aur Jivisha jis jagah baithe the pura kaapne lagi...


Agle hi pal un giants ke upar sawar vansaj fauj ke baki logon ne apna hath se vayumandaliya energy ko capture karne lage... Tabhi Javo jor se chillahat huye... "Jala do yahan sab ko"…


Agle hi pal takriban 1 lakh hath hawa me lahraye aur aisa laga jaise aage ke 1 km ka poora vayumandaliya kshetr hi aag ki Chapet me tha... Unchi tej lapten aur aag 1 kilometer bich ke fasle ko apne chapet me lete huye, aage badh rahi thi...


Jivisha apni jagah se uth'kar Shwetna ke sath khadi ho gayi... Usne bhi apna naag dansh nikala... Shwetna aur Jivisha ne ek sath bhumi par naag dansh ko maara aur agale hi pal dono ne naag dansh ko apne sar ke upar se gol-gol lahrane lagi...


Aag dariya lagbhag unke karib pahunch chuka tha. Aag ka wo vishal bavander dekh'kar poora universe apne daton tale ungliyan daba'kar shwans roke huye the... Lapte itni bhishan thi aur itne karib ki sambhavtah wo lapten bhale kisi ko naa chhu pa rahi thi, lekin jhulsa jaroor dete...


Kintu aisa laga jaise aag ki lapton ka patla 2 kinara ban gaya ho, aur dono kinare ka ek-ek kinara, ja'kar Shwetna aur Jivisha ke naag dansh ke upar bane sharp ke chhote aur patle muh se connect ho gaye....


Jivisha aur Shwetna, jaise-jaise naag dansh ghuma rahi thi... Aag ki lapte mano naag dansh se connect ho chuki ho aur naag dansh ke gol ghumne ke ishare par, aag hawa me lahra'kar upar aakash ki ore uncha uth'te ja rahi thi...
awesome super update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-73 (B)




Shwetna aur Jivisha jaise-jaise naag dansh apne sar upar gol-gol ghuma rahi thi, wo apne sar ke upar aag ka bhimkay, gol ghumavdar, aasman ko chhune wali bawandar bana chuki thi, jo kafi teji ke sath uss naag dansh ke muh ke ander simatne lagi. Kewal ek minute ki yah chhoti si ghatna thi... aur puri aag sama chuki thi. Astak, Dark universe ke sath-sath yah adbhut karnama pura Middle Universe dekh raha tha...


Fir to badal garje... Tej kadadkti bijliyan bhi gir rahi thi... Agle 10 minute tak tarah-tarah ke vayumandaliya energy se humla badastur jaari rahe... Lekin ye kamal ke naag dansh... Har vayumandaliya energy mano apne ander samati chali ja rahi thi...


Kadakti bilkul ki puri chhat hi giri thi lekin aise laga tha jaise wo chhat sar ke kayi fit upar hi ruk gayi ho aur kadakti chamchamati bijli ka bhi wahi hashar hua jo aag ka hua tha…


Naag dansh hawa me gol gol ghumane se aas paas ki samparkiya hawa mano koi majboot shuraksha ghera sa banaye thi, jisme kisi bhi prakar ki vayumandaliya energy prawesh nahi kar pati… Astak ke vansaj ki jo sabse badi takat thi usse matr 2 logon ne mil'kar dhul chata dee...


Fir to Ladai ke maidan me Astak vansaj ke ore se tarah-tarah ke prayog shuru ho chuke the, jo Jivisha aur Shwetna ke isharon ki gulaam thi... Jaise jaise wo apne naag dansh ko prayog karte unke ghatak se ghatak humle bhi barbaad ho ja rahi thi… Astak aur unke vansaj ke gurur bhi gol-gol ghum'kar usnke naag dansh me dum tod rahe the...


Nandni yahan ke high voltage action dekhti hui… "Kyon jalil Astak, tere pillon ke pass aur bhi kuchh joker'giri bachi hai, ya kuchh ghanton ke liye hum apni screen ko band karen... Taki jab tere in abhedi pillon ko hum yahan maar rahe hon, to tu unke marne ke viyog me hi na kahin mar jaye...


Nischal:- Areee Nandu kahan iss begairat ko heart attack aane wali hai... Abhi Universe me to lagbhag 2400 carore inke logon ki lash giri, fir bhi iske chehre par sikan tak na aayi...


Shwetna:- O commentator sar yahan ka pura prasaran balank karoge, taki ab hum apna kahar dikha sake...


Nischal:- Jaisa aap chaho malik... HuYu sara prasaran close karo... Jivisha vayumandaliya radio tarangon ko bhi rok do taki suchna prasaran natural tarike se bhi band ho jaye...





Idhar ye log humla karne ki soch hi rahe the utne me hi sabhi giants daud laga chuke the... Puri jagah hi kaanp gayi... 1 kilometer fasla hi kya tha unke liye... Aisa laga jaise ab to sabko kuchalne ki than kiye hon.. Apne hath ke gada numa bade aur vishal hathiyar chala'kar sabki leela hi samapt kar deni hai...


Idhar Nischal ki baat sun'kar Jivisha ne apna naag dansh ko anguthe me samet'kar, apne dono hath ka gola banati hui, usme suchna prasaran ki tarangon ko uss poore ilake se gayab kar dee. Lekin jab'tak Jivisha apne kaam me lagi hui thi, pura middle universe hi jaise aankh mund chuki thi… aur sabhi chillate huye Nischal, Nischal kar rahe the... Aur jab poore middle universe ki aankhen khuli, unke aage ka screen ja chuka tha... Sab ke sab suspence me... Aur yahan ladai ke maidan me sabke muh se nikla... Adbhut... Prasaran band hone ke sath hi Jivisha sabhi giants ko ek sath hawa me taang chuki thi...


Yah adbhut najara tha, jise aakhen faade sab dekhte rah gaye... Aur ab waqt tha javavi humle ka… "Sabko thodi dur dhakel'kar niche chhodo"… Shwetna chillayi aur Jivisha apni shakti hatayi... Sabhi giants hawa se niche gire, siway ek ke... Wo tha inka sena-nayak Javo..


Idhar Shwetna bhi bilkul taiyar, jaise hi Jivisha ne apni shakti hatayi aur wo niche gire, agle hi pal Shwetna apne naag dansh ko bhumi par maarti hui garji.…


"Surpmarich ke aavishkar paun me pahan'ne se, pahan'ne walon ko bhumigat nahi kiya ja sakta tha. Lekin uske iss bhed ko jan'ne ke baad, humne apna tarika hi badal diya aur ab hum kisi insan ko bhumigat karne ki nahi sochte, balki pura ilaka hi bhumigat kar dete hai.. Ab tum sab ho jao bhumigat, jahan niche tumhara samna pani se hoga, jiske ander tumhari shari shaktiyan dhari ki dhari rah jayengi".…


Shwetna itna kah'kar 2 baar apne naag dansh ko bhumi par jod se patki. Jabtak giants uth'kar fir se daudte, Nilbhut sainikon ne uss poore ilake ko, jis'par vansaj sena khadi thi, poori bhumi ko hi bhutal ke pani me kayi hazar feet neeche le gaye...


Jaise hi wo poora kshtr pani me duba... Jivisha hath badha'kar Nischal ko jhatke me uthayi aur usse khinchti hui, uske sine sine se ja lagi aur utni hi teji se Nischal ke honth se honth laga di...


Jivisha ke naram honth ka wo aanandmay sparsh aur Nischal ka chehra poora khil sa gaya... Apne dono hath se Jivisha ke dono gaal ko pakad'kar wo bhi pyar se chumne laga... Kayi dino ke pyase honth jab mile to dono ek dusre me kho'kar chumte rahe... Aaj na to najre mili thi aur na hi aankhon se kuchh ishare huye the… Shayad lambe arse ki ye tadap thi aur pahle Jivisha apni bhavnao ko rok nahi payi...


Jo haal dil ka idhar tha, wahi aag to Nischal ke sine me bhi lagi thi.... Ek lambi tadap… Judai ke lambe se arse ke baad yun to dono sath hi the, lekin pyar jatane ke pal kam hi mile the... Isliye aaj jab fursat ke pal mile, tab pahle honth mile aur bhavnayen to baad me swatah hi jaag gaye...


Jitni tadap ye dono apne sine me dabaye the, shayad utni hi jyada badla lene ki tadap Nilbhut samuday aur uski sardar Shwetna ke dil me bhi thi… Shwetna jo Nilbhut samuday ke 40 hazar masoom log aur lagbhag 1 lakh 60 hazar dirdh aayu ke masoom logon ke jinda chabaye jane ka dard sameti hui thi...


Shwetna jise Jivisha ki tarah hi yah baat pal-pal mehsus hota raha ki log kisi bhi karan se mar jate.… Lekin unki hi jamin par unke hi logon ko, aakar koi jinda chaba gaya…. Dil me asim pira jaga jati… tab to rah-rah kar ek hi khyal aata... Ghar... Wo ghar jahan log khud ko sabse jyada surakhit mehsus karte hain, wahin unke ghar me ghus'kar aisi himakat... Fir to yah ehsasa bhi dil me jaah uth'ta, kya chand mutthi bhar darindon ke samne na kewal ek rastr, balki ek pura grah ghutne tek chuka hai...


Yahi wo baaten thi jisne Jivisha ko vichlit kiya aur usse 5,6 din tak dhyan lagane par vivash kar gayi... Sok ki wahi lahar har Zoren niwasi ke dil me thi, lekin Shwetna khud yadi sok me hoti tab ye pura grah hi ek apang shashak Jatin ke jimme hota.


Karma... Shwetna apne kartvya se muh mod nahi sakti thi, isliye muskurati rahi aur ye ussi ke dil ki aag thi jise bujhane ke liye Astak ke vansaj khud yahan aa pahunche… apne karmon ki instant karma pane ke liye...


Shwetna ne black hole ki kahani prithvi par hi suni thi... Shwetna yah bhali-bhanti samjhi ki kaise aquatic medium me universe ke 2 mahan yoddha asahay ho gaye the. Aur yah aquatic medium na kewal Nilbhut samuday ke liye ek anukool medium tha, balki un adrishi janvaron ke liye bhi jo 15 se 20 fit ke bade janvar the.… Jiski kaali upri chamdi itni majboot thi ki metal ki tarah chamkti thi... Astak aur uske Vansaj ne to kisi process se abhed sharir paya hoga... Adrishi janvaron ka to poora natural skin tha...


Pani ke ander doobte hi sabhi vansaj sena satah par aane ki kosis karne lage, lekin 5 lakh ki tadat Nilbhut samuday ke liye mahaj mutthi bhar thi... Fir to vishalkay sharir ko ek sath itne saanp ne jakad liya ki unka pura badan saanp se dhak gaya....


Vishalkay sharir ki visheshta thi ki kitne saanp usse kyon na jakad le, aur bhale hi Astak vansaj pani me apni shakti na prayog kar paye... Fir bhi Nilbhut samuday wale unhe duba kar maar nahi sakte the aur naa hi unke skin ko bhed sakte the...


Kintu bade sharir ka khamiyaja yah tha ki uske naak aur pichhe se kayi hazar saanp uske pet ke ander ghus chuke the… Dil ko sukoon dene wala wo pal tha, jab sabhi vishalkay giant, pet, dimag aur badan ke har ang ki pira se chhatpata rahe the...


Lekin tej pira me wo chhatpatane ke alawa kuch kar bhi nahi sakte the, kyonki ek saanp dusre saanp ki punchh ko muh me daba'kar, kafi lambe saanp ka nirman kar bhi chuke the aur uski kundliyon ke bich poori tarah giants ka sarir jakda bhi ja chuka tha….


Koi bhi giant vansaj apna hath nahi hila pa rahe the. Muh khol'kar wo chillana to chahte the, lekin muh band tha... Aisa lag raha tha jaise, sar se lekar paun tak me poora palstic lapet diya gaya ho aur wo sab giants apne dard bhadi chinkh apne jahan me samete huye, bus apna kamar hila pa rahe the...


Unki aankhen fat'kar baahar aane ko thi... Badi aankhen bahar ko nikalti aur dard me dubi laal aankn. Sabhi giants apni aankhen poori takat se aise faila rahe the mano aankhon ke dayen aur bayen chhed kar'ke, tej-tej chinkh bahar nikalna chah rahe ho... Lekin in Nilbhut samuday ke logon ki darindgi... Har giants ki aankhen tab bahar chali aayi, jab saanp unke aankhon se hi ghusna shuru kar chuke the…


Aankhon ke kinare, dayen, bayen upar niche jin kono se ghusne ki jagah mil rahi thi, saanp ghus rahe the… Koi bhi saanp naa to aankhon ke bahar aa rahi retina ko phod rahe the aur na hi unke abhed palkon ko band hone de rahe the... Sabhi saanp apne tej daton ke bich sabhi giant vansajon ke palkon ko poori takat se upar khinche the... Unki palken aankhon ko pichhe palat'kar charrr ki awaj ke sath khinch rahi thi... Retina par saanp rengte huye kono se ghus rahe the... Dard itna haawi tha ki poori gati se chhatpatate huye giants bus yahi dua maang rahe the ki ab maar do lekin dard na do...


Giant jab asahay aur past ho gaye, tab bahari sarir ko sabhi saanpon ne chhod diya aur un saanpon ki madad karne pahunch gaye, jo chhote size ke vnasaj ko pakde huye the aur unke sharir ke ander chhote-chhote saanp ko ghusne me madad kar rahe the...


Ab tak wo sabhi vansaj kisi tarah apne samanya bahubal se saanpon ko roke huye the, lekin jaise hi 1 lakh badan ke upar ke saanp ne unka badan ke ore lapke, fir to bache huye 4 lakh astak vansaj ki bhi wahi haalat hui thi…. Unhe bhi lapet'kar pura pack kiya gaya tha aur dard jab beintahaan hua, fir to maut ki bikh ander hi ander wo sab bhi maang rahe the...


Kintu sabhi saanpon ne abhi to beinthaan dard diya tha, maut ki bhikh maangne wali dard. Abhi unko maut kahan diya tha… Unhe maut dene ke liye pahle giants vansaj ko dabocha Adrishi janvaron ne...


Size me bhale hi chhote the lekin... Dono hath, paun, aur sar ko viprit disha me jab hazaron ki sankhya me Adrishi jaanvar, ek sath mil'kar giants ke badan ko khichna shuru kiya... Fir to pol bhi khul gayi inke abhedi skin ki, jise bhed to nahi sakte the, lekin har ek ang ke bich itna khinchav paida karte chale gaye ki charrrr charrrr charrrr ki awaj ke sath unka badan Adrishi jaanvar ki jhund ne faad diya….


Berahmi se maut ka tandav takriban 1 ghante tak chalta raha. Nilbhut samuday wale jab wapas se poori jamin ko jab upar le'kar aaye... Fir to ek hi jagah par vansaj sena ke chithre huye badan ko jama kar rahe the... Wo dher itni dur me faila aur uncha tha ki, dur se jitne masoom log dekh pa rahe the, apne priyajano ke jane ka gum bhula rahe the... Khud me yakin sa ho chala tha apne satta aur shashan ke prati, ki sala koi aankh utha'kar humari jamin ko dekho to sahi.…


Haan lekin ek vansaj ab bhi bacha hua tha, aur wo tha Javo... Jiski maut ka pradarshan poore universe me karna tha aur dikhana tha ki Zoeren grah kisi se kamjor nahi…. Shwetna jab prasaran shuru karne ke liye Jivisha ke ore dekhi... "O Teri ye fevicol ka jod kab chipka"…


Ansh aur Nandni dono hanste huye.… "Jabse sabhi kamine pani me gaye the"…


Shwetna apni aakhen badi karti…. "Ek ghante se honth par hi atke hain… shudhh prem ek dusre ko mehsus karne wala... Main hoti to ab tak poore maze le chuki hoti... Aree koi jagao re dono ko"..


Ansh:- O madam ji abhi niche in par hi najar hai... Jarra sar utha'kar aakash me dekho upar kya ho raha hai.…


Shwetna ne jaise hi dhyan upar aakash me kee, aaschrya se uski aankhen badi ho gayi… muh khula ka khula rah gaya... "Ab ye kya hai?????"
very nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-74



Shwetna ne jaise hi dhyan upar aakash me kee, aaschrya se uski aankhen badi ho gayi… muh khula ka khula rah gaya... "Ab ye kya hai?????"


Nischal aur Jivisha ke badan ek dusre me pura samaye the. Jivisha, Nischal ke gardan me haath dal'kar uss se poora chipki hui thi... Aur Nischal apna ek hath Jivisha ke kamar ke upar aur dsura hath uski pith par dale, khud se poora chipkaye huye tha…


Hotnth, honth se lage huye the… Dono ke badan ke darmiyan inch bhar ki bhi jagah nahi thi.… Lekin dono ke thik sar par, kafi alokik raushni ho rahi thi... Aisi raushni Zoren grah par pahle bhi dekhi ja chuki thi, Jab Nischal aur Jivisha ne apni jodi banayi thi...


Lok kahtaon ki maane to Viggo apne jode ka nishan ek dusre ke chhati par lagate hain.... Aur unke prem jode ki raushni wahin se nikalti hai.… Chunki Nandni, Ansh aur Shwetna teeno hi yah kahani jante the, isliye upar phail rahi raushni ka source Shwetna bhi dhundh rahi thi...


Nandni:- Dono ek dusre se chipke hai... Sina se raushni nahi nikal rahi...


Shwetna:- Haan main bhi wahi dhundh rahi thi… fir iss divya raushni ka source...


Nandni:- Inke anguthe me jo naag dansh samaya hai ussi se nikal raha...


Shwetna:- Dono ke prem ko hi samjhna muskil hai Nandni... Sath rahte hain to ek dusre se jyada hum sab ke liye prem dikhta hai... Aur yahan dekho...


Nandni:- Haan main bhi wahi soch rahi thi… Viggo itihaas ke hisab se to Viggo ka dil milne aur sacchi chahat ki raushni to purn jivan kaal me ek hi baar dekhi ja sakti hai na...


Un dono ke kandhe se Serin lagti... "Haan lekin dono ke sine se sacchi chahat ki chhap chali gayi thi aur mere khyal se iss baar Bhabhi ke sine par bhi ek sath chhap aayi hai...


Shwetna aur Nandni, Serin ko sawaliya najron se ghurti... "Matlab"..


Serin:- Matlab wo hriday jo ek Viggo ki sacchi chahat ko mehsus kare... Tab ja'kar kisi anya samuday ke partner ke sine par bhi wo nishan aane shuru ho jate hain.... Ek sath hriday par sacchi chahat ke nishan ka matlab hai, bhabhi bhi apne sathi ke liye komal hridayni hai aur... aur uska hriday bhi ek Viggo ke jaisa hi hai jo apne…


Ansh:- Bus aage nahi samjhao... Aur un dono ke fevicol ka jod hatao...


Serin:- Rahne bhi do... Kabhi kabhi to dono ek dusre se pyar jatate hain..


"Ye taali taali aanthe"….
"Ye gole gole gaal"….

Fuuuuuuhhhhh.… Fuhhhhhhhhhh...

"Alle gaana ga lahe... Aad kahe bhalka lahe"…..

"Ye gana Nandu masi ne nahi sikhaya... Sab katar me aaooo.. Sab ek sath gayenge aur har koi shararti bitti aur uski toli ko pakad kar rakho... Chalo ab gao"..

"Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye Gulon ki shokhiyaan jo bhanwre aake loot gaye"

"Hav ke dhoke aad mamon te looth gaye"

"Humala pulana dana tahi tha"
"Tab wahi gao.. gole gole gaal wale"…


Jivisha ke dragon babies ki kachhi-pakki aawaj jaise hi Jivisha ke kaan me padi.. wah hont ko chhodti hui alag hui... Idhar sar ke upar totli boli me lagbhag sabhi dragon babies bol rahe the...


Achanak hi mahol khamosh. Itni badi baahn uthi jisme sabhi dragon babies sama gaye... Sabhi chahakne lage.. Jivisha muskurati hui sabko thoda bahon me samti, aisa ki apne sine se laga rahi ho... "Kitna pyara bolte ho... Kisne sikhya"


Ande se nikla phla dragon baby Gopal... "Aap to gumsum rahti thi hume nandni massi ne sikhaya"…


Tabhi wahan kayi sari totli boli ek sath nikalne lagi... Ek gopal ko chhod diya jaye to lagbhag sabhi dragon babies tutla rahe the…. Ek sath 8400 totli awaj..... "Ek dum khamosh.... Ja'kar khelo... Machhli bajar mat banao"… Nischal jhunjhlate huye kahne laga..


Jivisha, aur baki sab Nischal ki haalat par jor-jor se hansne lage…. "Mere sath bahut laad pyar dikha liye... Jao ab tum log khelo.. Yahan hum kuchh jaroori kaam kar rahe"…


Shayad ye baat kisi bhi dragon babies ko achhi nahi lagi... Ek baar fir se wo sab Jivisha ke sar par mandrane lage.. kacche pakke totli boli me 2 shabd gaate aur gardan hawa me kar'ke… aag, pani, hawa muh se jis chij ka spray nikalta, nikal lete..


Jivisha hansti hui un sab ko daanti aur aakar Nandni ke gale lagti... "Maasi haan... Aur kitna cute bolte hain na bacche"…


Nandni:- Tu to meri bahan hai... Nischal se rista gahra hai iska ye matlab thode na hota hai ki tujhse kamjor hai...


Shwetna:- Areee jahilon... Kahin bhi romance, kahin bhi emotion aur jhagre ka to puchho hi mat... Pahle ranbhumi ka kaam samapt kar len... Ya wapas se sab apne apne sathi ke sath, chonch me chonch mila'kar chipakne wale ho...


Nandni:- Tu bhi chipak ja Lin ke sath... Humse chhipane ki kya jaroorat hai ki dono pyar me nahi...


Shwetna:- Chuppp ho jaooo sabhi... Warna poore grah se main sab ko tadipad kar dungi... Aur ek shabd nahi counter reply me...


Shwetna jaise hi garji waise hi sab apne apne muh par tala laga'kar, apna aasan grahan kar liye... Jaise hi mahol shant hua Shwetna HuYu se..... "HuYu poore universe ko connect karo"…


Lagbhag ghante bhar baad middle aur dark Universe ko connect kiya ja raha tha... Sabhi grah bilkul suspence me the lekin jaise hi visuals aaye aur fate huye lashon ka dher dikha... Middle Universe wale khushi se jhum uthe aur Dark universe wale bilkul fati aankhon se dekh rahe the...


Shwetna apna naag dansh liye… poore abhimana aur Swabhiman ke sath khadi hui... "Jaisa ki main pahle kahi thi, mutthi bhar gundey... Ab sun lo Astak.. 2400 caror tumhare joker ho ya 24000 carore... Bhale hi sab tarah-tarah ke kala me maharat hasil kyon na kiye ho, aur bhale hi unke sharir ko hum kisi bhi astr ya shastr se bhed na paye… lekin yahan aakar tumhare sabhi sainikon yahi anjaam hoga... Hum uske sarir ko faad kar tumhe yah sandesh denge ki.… Zoren na kabhi kamjor tha aur na wo kabhi kamjor rahega... Bus apne logon ke liye jhuka tha"

"Tujhe to dhanywaad kahna chahiye iss Universe ki ek mahan sena nayika Serin ka, jisne tumhare gande aur ghatiye mansikta wale vansaj ko dard bhari maut se bacha liya warna tu dekhega... Bol tu dekhega kaise humne inhe dard bhari maut di hai... Vish-Jivisha, iss badjaat ko niche bhumi par aane djiye... Aur yahan baithe sab log apna kaan band kar lijiye"…


Jivisha ne jaise hi Javo ko mukt ki, uska vishalkay sharir niche dhamnn se gira.. jaise hi wo niche gira... Teji se khada ho'kar apne viman ke ore bhagne laga... Lekin bhumi se saanp nikale aur Javo ke paun ki bediyan ban gaye...


"Astak humari dahsat ko mehsus kar apne iss bhagte vansaj ko dekh'kar... Aur ab pesh hai humari darindgi... Nilbhut yodhha humla"…


Jaise hi Shwetna humla kahi... Fir to wo 700 fit ka vishalkay sharir, jamin par aundhe muh gira... Jaan bachane ke liye wah apne hath se vayu ke enegry se humla karna chah raha tha. Lekin wo asahay sa tha aur sabse pahle uske dono haath hi bandhe the…


Uske baad jo hua fir to Dark Universe aur Astak ke liye aisa sabak tha, jise dekh'kar uske ahankar ki dhajjiyan hi udd gayi... Javo ke har dard bhari chhat'patahat par Shwetna ki wo khufnak dahar aur aakhir me Adrishi janvaron dwara jab uske sarir ko hi khinch'kar faada ja raha tha....


"Tere aur tere vansajon ke liye to bhayanak maut intzar kar rahi hai Astak... Koi dusra dushman hota to hum uske sine me khanjar utar dete... Lekin tum to abhedi ho na jiske sharir ko koi bhed nahi sakta... Isliye apne bhavishya ki maut apne aakhon se dekh le"…


Jaise hi wo aakhri lash giri... Shwetna l ne HuYu ko ishara kiya aur sare visuals band... "Aise hi sabhi log khamosh achhe lag rahe ho... Mujhe aap sab ki maujoodgi me ek aur aham kaam nipta lene do chalo sath me"…


Shwetna sabko le'kar sabha bhavan pahunchi jahan pahle se hi hazaron logon ko doshiyon ki jagah khada kiya gaya tha, jisme sabse aage Jatin hi tha... Yun to Jatin, Nischal, Jivisha, Ansh aur Nandni ka kafi madad'gar raha tha aur Mahamahim ke pass se, Jivisha ko quid se chhudane ki aham kadi tha... Tabhi to Zoren ke Dirdh Aayu rastr ke satta ki kaman Jatin aur uski bahan Baby ko mili thi...


Chunki Shwetna ne shakt hidayat dee thi isliye sab chup hi the. Shwetna ek baar Serin ko dekhi, dono ke aankhon ke bich kuchh sahmati sa banne ke baad, Shwetna ne faisla sunana shuru kiya...


Shwetna ne satta me rahkar pure rastr ko khatre me dalne ke liye 800 logon ko tatkal faansi ki saja de di. Wahan ke tatkal shashak Jatin aur Baby ko wahan ke satta se hata'kar, poore Zoren ko Shwetna apne shashan me le lee.


Issi ke sath Jatin, 2000 aala adhikari aur Sena ke 20 lakh lonon ko planet se tadipad kar dee, jisne na to pahle surkasha ke intzamat kiye aur na hi vipatti ke samay yojna bana'kar bahar se aaye gundon ko apne rastr se bhaga sake... Ulta poore middle universe me apne viman bhej'kar afratafri ka mahol paida karwaya… Aur kisi any rastr ke svabhiman ko iss sabha bhavan me beejat hota dekhe...


Hakani jin 800 satta dhariyon ko maut ki saja hui, wo sabha me upasthit wo badi hastiyan the jinke dimag ko Surpmarich ne control nahi kiya tha fir bhi wo bejjat hote dekhte rahe... Kuch khamosh rahe to kuchh maze lete rahe...


Wahin tadipad wale list me takriban 100 bade aise naam the jisnka dimag control tha aur bakiyon ko chup rahne athva Surpmarich ke sath mil'kar galat me haami bharne ki saja mili thi...


Un sab tadioadon ko, 20 sal ke liye desert planet par visham paristithi me khud ko jinda rakhne aur wahan jivan basane ke liye bhej diya gaya... Tadipad logon ko 3 mahine ke anaj ke sath mulbhut suvidha ke sath bheja jane ke aadesh mile, taki kuchh mahino me usse viran planet par apne rahne aur khane ka intzam kar le...


Shwetna issi ke sath sabse aakhri farman jaari ki.… "Mamahim se ladai samapan ke baad ek narbhakshi ko maaf karna aur bina jane usse satta ka sarvochya banana ek bahut badi galti thi... Aur issi galti ka bhugtan na sirf Zoren ne kiya, balki 2 lakh narbhakshiyon ke sath 1 lakh Adrishi jaanvar prithvi ki seema me pahunche. Yah ek gair jimmedarana faisla tha."


Serin, kuchh bolne hi wali thi uss se pahle hi Nischal aur Jivisha ne usse hath dikha'kar shant rahne kaha... "Humari saja kya hai Shashika"…


Shwetna:- "Jabtak saja ka purn bhugtan nahi hota, Zoren ke har musibat me, pahli khabar ke sath hi yahan dono ko upasthit hona hoga... Humse sada sampark me rahenge… Dono kisi bhi planet ke satta aur shasan ke mamle me hatschhep nahi karenge"…

"10000 Nilbhut aur 10000 Dridh Aayu ke log aapke sath rahenge... Unme se jyadatra sainik hain... Kuch doctors aur kuchh scientist... Apne sath rakh'kar unhe trained karna hoga... aur jab wo trained ho jaye to yahan chhod dijiyega... Aur agla 20 hazar logon ko lekar jaeyega"...


Nischal aur Jivisha jab'tak samne doshiyon ki jagah par aa chuke the… dono Shwetna ke samne apna sar jhukate.… "Hume manjoor hai.. aur koi saza"…


Shwetna:- Aap dono wahan khade na ho... Aaj ki sabha samapt hoti hai...


Jaise hi sabha samapt hui... Shwetna daud'kar dono ke pass pahunchi... Nischal aur Jivisha dono muskura rahe the...


Nischal:- Ye 20 hazar angrakshak dene ka matlab... 20 hazar kya main to poore fauj ko sanyukt abhyas karwane wale tha Aizem ke fauj ke sath...


Shwetna:- Mujhe aap dono ke safar ke bare me pata hai... Issi bahane humare 20 hazar log trained bhi ho jayenge aur main thoda sukoon me bhi rahungi...


Jivisha:- Pagal ladki..


Shwetna:- Ziddi aap bhi kam nahi...


Jivisha:- Waise haan galti to hui thi mujhse... Shayad main saja kee hakdar hun, bura bus Nischal ke liye lag raha hai...


Nandni:- Kisi ko koi bura maan'ne ki jaroorat na hai, galti ka bhugtan aise hi sar jhuka'kar karo baccha... Waise Kasak aur Sahil nahi dikh rahe yahan...


Jivisha:- Main nahi chahti thi ki Jatin aur Kasak ka aamna-samna ho... Isliye usse Viggo viman me hi sabke saath runkne bol di thi…


Thodi der baat-chit ke baad sabhi Viggo viman ke ore hi nikle... Viggo viman par sabhi baithe, antriksh aur jamin par huye ladai ke baare me hi charcha kar rahe the... Jaise idhar se sabhi pahunche... Kasak.… "Kya tum dono (Jivisha aur Shwetna) ne chhadi ghumayi thi, wo aag wala stunt kafi romanchak tha"…


Nischal, hanste huye Kasak ke dono gaal khinchte.… "Tumhara pani aur lohe ka hathoda wala idea bhi adbhut tha... Ab to hum apne sare viman water proof karwane wale hain"…


Kasak:- Achha ab samjhi... Issi ladai ke liye yahan jaldi jaldi me aaye the na tum sab...


Jivisha:- Nahi hume to kahin aur jana hai
.. shayad 2-3 mahine ki uddan hogi, jab uss raste par honge... Lekin haan uss se pahle 3-4 planet ho'kar jayenge…


Luna:- Abhi ek gahra dard Astak ko diya hai... Hum Middle Universe nahi chhod sakte...


Serin:- Hmmm baat to sahi hai Luna... Aaj se main apni service se khud ko relief karti hun... Aizem ki total battlian control ke sath, organisations of miidle universe planets ki Air commandent chief tum ho…


Luna:- Lekin main..


Nischal:- Apne sub ordinate dhundh lo... Kyonki raaj parivar ke log hi sarvochya pad par rahe wo din chale gaye... Lobhu se hum baat kar lenge..


Luna:- Kya main apne husband ko apne mayke le ja sakti hun...


Luna ki baat par sabhi hasne lage issi bich Kasak... "Ab main bhi ye udd-udd kar bore ho gayi hun... Main aur Sahil bhi, Luna ke sath chipak jate hain... Itni badi post par hai.. maan swagat to waise bhi hoga...


Ert:- Mera bhi Aizem ghumne ka mann hai..


Abhishek:- Fir main akela thode na in sab ke sath jaunga...


Ert:- Jodi akele ghumne ke liye thode na banayi hai... Dono sath mil'kar nagin dance karenge...


Nischal:- Hmmm ! Ek kaam karo fir sena ka training aur aur total command control mere sahar me hi develope kar lo... Issi bahane Rajdhani aur Lobhu ke sar se kuchh bhar bhi kam ho jayega aur mere mahal ko rennovate karwa lo... Wahin tum sab rahna...


Luna ki badi badi gol aakhen hairani se Nischal ko dekhti... Serin Adhmya ko le'kar Luna ki padesani samjhti hui... "Aree chidiyaghar ke itne bhanti-bhanti prakar ke janvar ja rahe hain... Adhmya to bilkul khush ho jayega"…


Nischal:- Ek kaam kar na Serin, Adhmya aur uske parivar ko le hi aao... Main kuchh waqt uske sath bitana chahta hun. Soch raha hun usse sath rakhun…


Serin:- To sab sath me hi chalte hain... Kuchh din Aizem me ruk'kar wahin se niklenge...


Iss baar hairan hone ki bari Nischal ki thi... Lekin Jivisha ke shabd jaise amritvani ban'kar nikle ho... "Nahi Zoren par hum kuchh din rukenge.. tum Adhmya ke pariwar ko le bhi aana aur wahan ruk'kar Aizem ko poora dekh bhi lena"…


Serin kutil hansi hansti…. "Jaisa tum chaho bhabhi... Thik hai fir na jane wale log iss viman se utar jayen... Hum abhi nikalte hain"…


Wahan kewal 4 log bach gaye baki sab Aizem ke liye nikal gaye... Unogon ke jane ke baad Jivisha, Nischal, Nandni aur Ansh ke sath Nilbhut rajya pahunchi... Jahan poore garm joshi ke sath swagat kiya gaya...


Wo madhur sa bajta inka dhun aur sab kuchh bhul'kar jhumte, nachte log... Issi bich ek baar fir Nilbhut Samuday ki ladkiyon ne Nischal ko gher liya... Haan lekin iss baar kewal Nischal hi nahi ghira tha, balki Ansh bhi ghir gaya tha... Jivisha jor se hooting karti hui... "Khub nachao mere jiju ko"…


Idhar se Nandni bhi hooting karti... "Nischal ko to chhodna mat"…


Pichhe se Shwetna ki awaj aayi.… "Kisi ne naag phaans ka istamal kiya to usse suli par taang dungi aur ye mera wada hai... Isliye apne armano ko masti aur mazak tak hi samete rahna... Aur jab'tak main in dono ke sath thodi masti karti hun"…


Shwetna, Jivisha aur Nandni ko le'kar bich me aa gayi... Jaise hi wo bich me pahunchi.. teeno ko hi kayi parivaron ne gher liya... Sabke bich Shwetna, Nandni aur Jivisha masti bhikherti hui nachne lagi... Nachne ke kram me Jivisha ko dragon baby ka dhyan aaya. Wo praty se nikal'kar, wahin kuchh dur aage aa'kar ret par baith gayi aur muskurate huye... "Mere baal gopal kidhar hain"…


Turant hi jhund ke jhundh dragon baby wahan pahunchne lage…. Nischal bhi ladkiyon ke bich se nikal'kar Jivisha ke pass baith gaya. Apne pass Nischal ko baithe dekh, Jivisha uske honth par pyar bhara apne hont ka chhota sa sparsh deti.… "Baby sorry, meri vajah se tumhe bhi doshi samjha gaya"…


Nischal:- Wo to main hoon hi... Mujhe Jatin ko maar dena chahiye tha... Uska hriday parivatan iss baat ki bharpai nahi kar sakta tha ki usne bhi jinda maans noche tha..


Jivisha, apna sir Nischal ke kandhe se tika di.. aur apne hath ke pass aaye dragon baby ke upar pyar se hath pherti... "Galtiyon se hi to sikhte hain... Hum bhagvan thode na ban sakte hain"


Unke pichhe se Ansh aa'kar dono ke gale me hath daalte.… "Aaj raat jhil ka kinara mera hai... Isliye please tum dono wahan mat aana"…


Jivisha aur Nischal hanste huye....


"Doc chinta nahi... Aadhi raat ke baad main, Jivisha, Nandu aur Shwetna sab uss Surpmarich ke mahal jayenge… wahan ke tilishm ko aaj raat tod'kar, wahan dekhna hai ki aisi kaun si siddhi hai jiske bute par Zoren ko wo baar-baar apne control me le leta hai"…
nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-76



"Doc chinta nahi... Aadhi raat ke baad main, Jivisha, Nandu aur Shwetna sab uss Surpmarich ke mahal jayenge… wahan ke tilishm ko aaj raat tod'kar, wahan dekhna hai ki aisi kaun si siddhi hai jiske bute par Zoren ko wo baar-baar apne control me le leta hai"…


Nischal ki baat sunkar Ansh ke meethe arman par jaise kainchi chal gayi ho, wo mayus ho'kar wahan se uth gaya... Tabhi 4-5 dragon babies jakar Ansh ke kandhe par baith gaya... "Doc, humale taath theloge"..


Ansh apne hath dayen-bayen le ja'kar kandhe par baithe dragon babies ko sahlaya, itne me aur kayi sare uske ore udte huye pahunch gaye...


Jivisha, wapas se Nischal ke kandhe par pana sar rakhti.…. "Tumhare sath hona kitna sukoon deta hai na... Kash meri life kuchh saal pahle jaisi hoti aur tum bhi mere wahi Nischal hote station par wale... Bilkul bhole aur masoom... Waqt ne wo sari sharaten aur pagalpan kahin dur kar diya...


Nischal:- Hat badmash, haan ab tum jimmedar ho gayi ho lekin sharten aur pagalpan.. wo tumhari kabhi band nahi hone wali...


Jivisha:- Ab to waqt hi nahi milta love... Shararat karun ya chal rahe mahol par baat.. fir gambhirta apne aap aa jati hai..


Nandni wahan pahunch'kar Nilbhut samuday ke 3 som-rash pyale un dono ke hath me deti... "Chal bich se jagah khali kar... Wo meri jagah hai...


Nischal aur Jivisha dono pichhe mud'kar Nandni ko dekh'kar muskuraye aur bich se jagah chhodte… "Aaja darling baith"…


Nandni, dono ke bich baith'ti... "O melle pyale bhanje... Tum sab idhar kya kar rahe... Chalo jao khana khao aur khelo kudo"..


Nischal:- Sale dagabaj, ye sabhi dragon babies tum dono ki baat sunte hain, lekin meri sunte hi nahi... Dekho Nandu ne bola aur jaise wo 1 kilometer dur wala bhi sun liya ho...


Jivisha aur Nandni dono hansne lagi. Jivisha... "Ab tum mere bacchon se meri hi sikayten karoge to tum par khis to badhegi hi"…


Nischal:- Ohhh hooo hoo... Bacche jab se aaye tab se to mera samay bhi usse de dee.. khis kyun na badhegi...


Jivisha:- Dhatt !!! Kaisi baat kar rahe.. wo bacche hain aur abhi apni maa se dur hai... Aur maine kab waqt nahi dee ye batao... Uss raat sej ke sath-sath armaan bhi saje the, lekin janab anuvansik gun me badlav aur andon ke chhilke par experiment kar rahe the... Tab to main kuchh nahi bolne gayi thi…


Nandni:- Kya ye sach hai...


Nischal aur Jivisha.… "Kya???"


Nandni:- Wahi???


Dono:- Kya???


Nandni:- Wahi jo sab kah rahe hain...


Dono:- Sab kya kah rahe hain???


Nandni:- Areee wahi…


Nischal, Nandni ke baal pakad'kar khinchte huye uska poora sar hi ret me ghusa diya.... Jab Nischal usse chhoda to bechari ke poora muh ret laga hua tha aur baal poore bikhar gaye... Jise dekh'kar Jivisha jor-jor se hasne lagi....


Usse aise hanste dekh, Nandni poora gussa hoti... "Bacchon... Apne iss baap ke sar ke baal jalaooo abhi"..


Nischal:- Ae pagal, bacchon ko supadi de rahi hai kya???


Jivisha:- Love..


Nischal:- Kya??


Jivisha:- Baby bhago.. warna takla hona pakka hai..


Nischal:- Kyun, iske kahne par wo gaye huye dragon babies sun lenge kya...


Jivisha:- Upar aasman me dekhte to aisa nahi kahte.… Ab bhago warna sar ke baal gaye...


Nischal wahan se uth'kar sarpat daud lagate... "Sale kamino, Nandu to chillayi bhi nahi... Kano me blutooth laga'kar ghumte ho kya"…


Nischal ki baat sun'kar Nandni aur Jivisha hi-fi karti jor-jor se hasne lagi… "Bhaga di na bechare ko... Abhi to baithi thi baat karne"…


Nandni uske dono gaal khinchti... "Soooo sorryyy.. Achha ye bata tu Aizem kyon nahi gayi... Aur wo gadha Aizem kyon nahi jana chahta"…


Jivisha:- Nahhh !!! Wo baat par baten baad me karenge... Pahle hum dono ko kis baat par pareshan kar rahi thi... 'ye suna, wo suna' puchh'kar firki le rahi thi...


Nandni:- Oh haan achha yaad dikayi. Apna sina dikha… kya wakai wo panje ka nishan hai sine par hai...


Jivisha apna sar teji se hilati hui haan kahne lage… kya chehre ki muskaan thi... Nandni uska khila chehra dekh'kar hansti hui.m. "Aree duffer kya apne gardan me spring lagaayi hai… khol'kar nishan dikha na"…


Jivisha, Nandni ko ghurti... "Pagal kahin ki... To kya abhi Nischal baitha hota, to uske samne bhi yahi kahne wali thi"…


Iss baar Nandni haan me sar hilaya... Thik Jivisha ki tarah usske chehre par bhi khili si hansi thi.…


"Kamini besharm... Chal ab tu bhag".. Jivisha aankh dikhati hui kahne lagi...


Nandni:- Kyun... Tu bhi dragon babies ko supadi dene wali hai kya???


Jivisha:- De chuki...


Nandni bhi uth'kar bhagti hui... "Sale kamine, main itna dular pyar dee lekin hoga apni maa ka hi... Aana kal se tum log"…


Aadhi Raat ka waqt hoga... Shwetna sabhi logon ke sath Surpmarich ke gupt mahal ki jaanch karne nikli. Yah mahal kafi sudoor me banaya gaya tha jiske kayi hazar kilometer tak koi aabadi nahi basti thi. Chhota sa mahal tha, jiski boundry wall bilkul mahal se hi laga hua tha. Yah ilaaka kafi lambe samay tak partidbadhit raha tha isliye iss mahal ke bare me kisi ko jaankari nahi thi...


Surpmarich jab lauta aur usne jaise hi dimagi jaal bunkar Zoren ko apne kabje me liye. Iss baar Shwetna bhumigat hone ke sath hi apne logon ko bhumigat hokar jasoosi karne bhej dee thi….


Shwetna ke logon dwara chhan-bin ke dauran iss jagah ko sandehspad ghoshit kar diya gaya tha… 30 meter ka chhote mahal jiske 200 meter ke dayre me kuchh to aisa tha, jiske pass jane par hi kayi Nilbhut Jasoos atmhatya kar chuke the… Uske baad se hi Shwetna ne iss jagah ko pratibandhit kar diya...


Pancho mahal se takriban aadhe kilometer pahle utar'kar phail gaye aur aas-pass ke jagah ka jayja lete huye mahal ke ore badh rahe the... Nischal baar-baar Nandni ko pichhe se sar par marte huye, shaam ki ghatna ke liye usse tok raha tha...


Baar-baar sar par tafli khane ke vajah se Nandni poore aawes me aa gayi aur bijli ka itna tej jhatka de di ki Nischal sidha ja'kar 100 fit dur gira.. Nischal jhatka kha'kar jamin par bichh gaya aur Nandni teji se uske upar ja'kar, uske baal ko apne mutthi me dabochti... "Kamine mujhe bhi to instant karma mila na... Tujh par dragon babies chhodi to dekh ye mere baal... Kitni mehnat se badhayi thi... Aag ka spray maar diya isme"…


Nischa:- Jungli chhod mujhe... Aisa kiya hi kyon... Thik hua tere sath... Afsos hai niche ka sirf kuchh inch baal gaye... Tu takli ho jati tab maza aata...


Nandni, Nischal ke upar se hat'kar rone lagi… Nischal harbari me uth'kar Nandni ke sar ko apne sine se lagaate... "Pagal mazak kar raha tha... Dil chhota kyon karti hai"…


Nandni:- Chhod mujhe… tujhe kya pata kitni mehnat lagti hai baal bada karne me... Mujhe apne baal ke liye rona aa raha hai... Upar se ek hi baat ke liye tu sham se chidha raha hai... Ho gayi galti, ab kya main tere paun pakad lun...


Nischal:- Shant ho ja re... Dil chhota na kari... Mere pass kuch jadi buti hai.. Baal jaldi bade ho jayenge...


Nandni:- Rahne se mujhe apne balon par koi experiment nahi karna... Ruk Nischal...


Sab alag-alag disha se aage badh rahe the… chuki ye dono jhagra karte-karte aage nikal aaye aur sath ho gaye the... Nischal, Nandni ke sar ko sine se lagate apne kadam badha'kar, idhar-udhar dekhte huye chalta ja raha tha... Tabhi Nandni ke kaan me dragon babies ki awaj sunai dee thi...


Nischal ko rok'kar Nandni ne jaise hi najar upar ki... Aage dragon babies unka rasta roke khade the... "Hat ja, main tum logon se baat nahi karti... Mujhe manane ki kosis bhi nahi karna"…


Nandni dragon babies par gussa dikhati hui kahne lagi... "Bacche hain kyon gussa kar rahi"…


Nischal apni baat kahte jaise hi apna kadam aage badhaya, tabhi dragon babies ki lambi katar ne, ek sath Nischal ke paun par aag ka lamba spray dete huye apni jagah par khade rahne ke liye majboor kar diya...


Nandni:- Nischal ye piddi humara rasta rok rahe hai... Maar'kar bhagao …


Nandni ki baat sun'kar sabhi dragon baby lagbhag chillane lage .. Nischal aur Nandni ek dusre ka chehra dekhe... Nischal aage na ja'kar, dayen mud'kar chalne laga... Uske kadam ke sath hi sare dragon babies bhi dayen ore udne gaye...


"Kamal hai... Aage jane se hume rok raha hai... Lekin dayen-bayen jane se nahi rok raha… iska matlab"…. Nandni, Nischal ko sawaliya najron se dekhti hui puchhne lagi...


Nischal:- Aage kuchh bahut hi khatarnak hai... Isliye hume rok raha hai... Khatron ko bhanpne ki adbhut kshmta hoti hai inme...


Nandni:- Kitna khatarnak ho sakta hai...


Nischal:- Shayad humari aur tumhari kashmta se kahin jyada, isliye hume rok raha hai ..


Nandni:- Oh my god... Udhar Jivisha, Shwetna aur Ansh...


Nandni itna bol hi rahi thi ki issi bich wo teeno bhi najar aane lage… Shwetna dur se hi chillati hui puchhne lagi… "Dragon babies tumhara bhi rasta rok rahe hain kya?"


Nischal:- Sab pichhe hat jao...


Paancho kuchh dur pichhe hat'te... "Yahan aisa kya hai jo ye dragon babies rok rahe"…


Tabhi Jivisha Dragon baby Gopal ko awaj lagayi... Jaise hi pahuncha… Jivisha uske sar par hath ferte... "Kya hua mere natkhat gopal, yahan tum sab ke chehre ki rangat kyon uddi hai"…


Gopal:- Mat jao, mat jao.. mat jao..


Jivisha:- Aisa kya ho gaya jo hum aage nahi jayen...


Gopal:- May jao, mat jao, mat jao…


Shwetna:- Daro nahi gopal, hum poori taiyari se aaye hain...


Gopal ne wahin se chillana shuru kiya... Sabhi 8400 se dragon sab ko gherte huye ek sath chillate huye unhe kewal aage jane se rok rahe the...


Nischal:- Koi aage nahi jayega... Sab pichhe hato... Shwetna Nilbhut Rastr se yahan ka 3 period ka map kaho lane... Aur wahi 3 periods ke map Dridh Rastr ke bhi chahiye... Aur haan kuchh mirtydand mile kaidi ko bhi le aao...


Shwetna:- Hmmmm Abhi mangwati hun...


Nandni:- Ye koi bhutiya mahal hai... Kafi majboot shakti ko madhya me rakh'kar nirman ki hui ek mahal... Do alag-alag duniya ka darvaja...


Jivisha:- Aur iss theory ka aadhar...


Nandni:- Jaanvar bhoot aur pret ko mehsus kar sakte hain...


Jivisha:- Kya baat hai Nandu... Main sahmat hun... Bus yahan jinda bhoot hai... Guru Vashudhar ke jaise... mujhe aisa lagta hai...


Nandni:- Matlab kisi ka aansik kalpnik sharir...


Nischal:- Yahan kisi ek ka aanshik kalpnik sharir nahi hai...


Ansh:- Matlab…


Jivisha:- Matlab ye hum logon ke soch se bhi jyada khatarnak aur uss se bhi kahin jyada shaktisali hai.…


"Aisa hi ek mahal humare yahan core planet par bhi hai... Astak aur uski raniyan aise hi mahal me rahte hain, jiske dayre ke aas pass bhi hum nahi ja sakte. Wo mahal iss mahal ke 10 se 12 guna jyada badi hogi lekin bahari banavat bilkul ek jaisi hi hai"…


Uss jagah par kisi anjaan ne jaise hi apni baat rakhi… Shwetna apne naag dansh ka sira uske gardan se tikati.… "Tum Astak vansaj ho na, humari najron se ab tak chhipi kaise rahi"…


Nischal:- Hathiyar hata lo Shwetna wo Orja ki dost hai Vardali... Orja ki dimagi dost... Jiske dimag me Orja kabhi praves nahi kar payi, lekin dono ko baat karna itna pasand tha ki Vardali usse khud apne dimag me praves karwati thi...


Sabhi ek sath Nischal ko ghurte.… "Tumne kitne raaj paal rakhe hain"…


Nischal:- Hume Dark Universe ke bare me koi idea nahi tha... Orja ne hi wahan ke bhinn-bhinn prakar ke shaktiyon wale log ke bare me hume batayi thi, jisme ek naam Vardali aur Messa jaise community ki bhi thi… Vardali bhi ussi community ki pure breed hai, jis community ki Orja hai... Aur ye bhi maans'bhakshi nahi… Bus Vardali Orja ke purv samay ki hai...


Nandni, Nischal ka thuddi pakad'kar chahra upar karti…. "Jarra najren mila'kar bata to kitna purv"…


Jivisha:- Pakka ye jholer kuchh chhipa raha hai...


Vardali:- Main Orja se 200 sal purv ki hun... Aur Astak vamsaj me mere 50 bacche hain aur ek bhi pure breed nahi hai....


Shwetna:- Yani ki tumhare bacche bhi narbhakshi hai…


Vardali:- Kisi ko majboor karke bacche paida karwaye jaye aur uss bacche ko fir chhin'kar kahan le gaye pata na chale, aise me kya main kah dun tum sab ko judge karne aur apni safai me kya hi bata dun...


Ansh:- Had hai... Baat suru hui thi iss haunted villa se aur baat kya ho rahi hai...


Jivisha:- Tumhe safai dene ki jaroorat nahi hai... Hume Astak ke kisi bhi rastr ke aam janta se koi samsya nahi hai... Wahan kayi to aise honge jinhe Arhcemia ke control hatne ke baad samjh me hi nahi aaya hoga ki wo kya aur kyon kar rahe hai...


Vardali:- Galat... Kisi ko kuchh samjhne ki jaroorat hi nahi hai, kyonki Vishal faile samrajya me aaj tak kabhi unhe yudhh me le jaya nahi gaya... Matr kuch vansaj tukdi ko chhod diya jaye to… Messa aur uski anth'hin gulaam fauj hi Dark Universe ke planet ko jit'te aayi hai..


Vardali kah hi rahi thi itne me sainik ki tukdiyan pahunch chuki thi... Aur unke sath 20 mirtydand wale kaidi the...


Shwetna, kaidiyon se... "Tum sab ko uss mahal ke ander se bahar aana hai... Fir tum sab ka mirtydand main rajya bahiskar me badal dungi…


Sabhi kaidi sunte hi daur laga diye... Jaise hi wo log daure, sabhi apni aankh samne laga diye... Lekin iss baar bhi sabhi dragon babies ne unka rasta rok diya... Ek baar fir se sabko hairani hone lagi... Ye sabhi dragon babies in kaidiyon ke liye bhi aise rasta roke kyon khade hain...


Nischal aur Jivisha jaise hi dragon babies ko awaj lagane wale thi, tabhi Nandni.… "Nahi mat jane do unhe uss kshetr me... Un dragon babies ko khatre ka aabhash hai.... Parinaam kuchh bhi ho sakta hai"...


Sabhi ek sath:- Jaise ki...


Nandni:- Vasikarn aur in logon ko khatarnak murt roop dena...


Jivisha:- Lekin jab koi jayega hi nahi to hume khatre ka andaja kaise lagega...


Nandni:- Mujhe kafi strong feeling aa rahi hai ki iss jagah par ghuspaith ke parinaam kafi khatarnaak ho sakti hai, tabhi isse Dridh aayu rastr ke virane me banaya gaya tha... Aur jahan tak lagta hai iske pichhe ke itihaas ki kisi ko jaankari nahi hogi...


Shwetna:- Haan Mahamahim ke samay se hi ye puri jagah pratibandhit hai... Uske baad Jatin aur Baby ne bhi usse open nahi kiya tha...


Jivisha:- Main ja'kar check karun kya… I mean dhyan laga'kar iss jagah ka muwayna karun kya???


Nischal:- Nahi iss kshetr me machine ko bhej'kar dekhte hain... Kuchh to pata chalega...


Nischal ki baat par har kisi ki sahmati bani... Thodi der baad kuchh machine ko un ilakon me chhoda gaya jo badi teji se ander ghus rahe the... Har machine par audio-video devices lage huye the… jis seema se dragons kisi ko aage badhne nahi de rahe the, wahan se dhire-dhire sabhi device aage badhne lage...


Har koi apni khuli aankhon se wah device aage badhte dekh raha tha… wahin Doctor sahab aur Nandni dono screen ko dekh rahe the... "Oh my goddd... Sabhi machine ko apni jagah rok'kar, tum logon ko ye screen dekhni chahiye"…


Nandni aur Ansh itni hairan bhari najron se dekh rahe the mano koi daitya dekh lee ho... Haalanki din ke waqt jo daitya dekhi thi ye utna hairan nahi kiya tha, jitna hairan abhi ka screen kar gaya...


Nandni ki hairani to fir bhi thik thi lekin Jivisha aur Nischal ne jaise hi wo screen dekha, apne aap hi muh se nikal gaya.… "Ye nahi ho sakta... Aisa kaise sambhav hua"…
nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-76



Nandni ki hairani to fir bhi thik thi lekin Jivisha aur Nischal ne jaise hi wo screen dekha, apne aap hi muh se nikal gaya.… "Ye nahi ho sakta... Aisa kaise sambhav hua"…


Raat kaali aur andheri thi, kintu charo ore itni raushni thi ki din ka ujala bhi maat kha jaye. Aakhon ke aage bilkul saaf najara tha. Dur se hi mahal ko dekha ja sakta tha...


Nandni aur Ansh ki hairani yah thi ki machine me lage video image, wahan kohre ka aabhash karwa rahe the, lekin khuli aankhon se charo ore saaf dekha ja sakta tha... Wahin Jivisha aur Nischal ko jo dikha wo kalpna se bhi pare tha...


Ek sampurn universe ko dono 200 meter ke dayre me dekh rahe the... Jo najara screen par tha wo koi aam kohra nahi tha, balki uss 200 meter ke poore ilake me ek poori brain ki hi sanrachna thi. Jivisha aur Nischal iss baat se jyada hairan nahi hote, yadi wahan artificial brain nirman hota. Lekin wahan koi artifial brain ka nirman nahi tha, balki yah purntah ek natural brain hi tha, jo 200 meter ke dayre me faila hua tha…


Ek kaala mansikta jiske ander prawes karte hi wahan ka mahol poora manhushiyat mehsus karwa jaye... Aur iss manhushiyat bhade mahol ko Jivisha aur Nischal, 1000 km dur se iska aanshik bhag bhi dekhte, to samjh jate ki wo jagah kaun si hai... Tabhi to dono ki aankhen hairani se fati rah gayi thi...


Ab uss jagah par rukne ki koi vajah nahi ban rahi thi, kyonki uss dayre ko paar karne ke baad kisi ki bhi shaktiyan dum tod jati aur aage hota wahi jo uss dimag ka malik chahta, kyonki kisi jivit ke dimag me ghusna aur nikalna aasan hota hai... Lekin uss jagah par koi jivan nahi tha balki kewal ek natural brain tha, jo aakar me insani brain se kayi guna jyada badi thi...


Ek poori raat har panne, har pustak aur har kisi se jaankari li gayi... Khas'kar HuYu se. Kyonki purane mahal aur nirman ki jitni artitecture thi, wo kahin na kahin Decca planet se judi hui thi...


Bechara HuYu… manoranjan bhavan me apni jodi Serin ke sath tha... Dono kamukta ka pravah karte jalshay ke ander the, shwanse bilkul chadhi hui aur ek dusre ke kamuk armaan ko poorn unchai de'kar bus ab shuru hi hone wale the. Itne me hi pahle to manoranjan bhavan me kaan faad sandesh mila aur HuYu ko na chahte huye bhi kamre me lautna para...


HuYu kaam jaldi nipta'kar wapas aata, lekin aisa ho na saka... Usse poori raat ke kaam par laga diya gaya tha... Poori raat HuYu kaam karta raha aur Serin usse pyar se kaam karte dekh bhi rahi thi aur jhunjhlate arman ke baad HuYu ka wo khincha sa chehra dekh'kar hans bhi rahi thi…


Agle din der subah tak aaram kar'ke sab jaag chuke the. Serin bhi kuchh der me Viggo viman ke sath pahunchne wali thi... Sabhi apni nind poori kar'ke, Nilbhut Samuday ke ussi alokik bhavan me mil rahe the, jahan Nilbhut samuday ke hisab se Nischal aur Jivisha ki jodi banayi gayi thi... Nischal, Jivisha, Ansh aur Nandni ki Khoobsurat yaden…


Jivisha jaise hi uss sabha bhavan me pahunchi, apni dono bahen faila'kar nachne lagi... Nischal bhi pichhe se uske karib pahunch'kar, dono faile baahn ke niche se apna pura haath uske sine par lapet kar gardan ke niche chum liya...


"Wahhh besharmon, aaye ho meeting ke liye aur kar rahe romance"… Pichhe se Nandni ne toka... Tabhi wahan Shwetna Nandni ka hath pakad'kar ek kinare laati… "Doctor sahab vatika me tumhara intzar kar rahe hai"…


Nandni:- Hat pagal... Abhi dopahar ka waqt hai…


Shwetna:- Kisi bhi disha se kewal tum dono ke najron ke alawa, uss poore vatika ko koi teesra nahi dekh sakta.... Mujhe lagta hai tumhe ek baar ho aana chahiye... Doctor sahab ka dil na thode...


Nandni ke chehre par failti muskaan aur dharkate armaan ke sath jaise hi wo pahla kadam badhayi... "Nandu ji, hathon me pahna aapna hathiyar yahan mujhe dete jaeye"…


Nandni:- What ????


Tabhi dur se Nischal aur Jivisha ke jor-jor se hasne ki awaj aane lagi... Unhe hanste dekh Nandni ki bhi hansi nikal gayi... Apne hath se electric gloves khol'kar Nandni, Shwetna ke hath me rakh di aur un dono ko dhime se pagal bolti hui wahan se nikal gayi...


Jitni tej wo jhil kinare ke swarg vatika pahunchi, utni hi besabri se uski najren Ansh ko dhundhne lagi… aur tabhi pichhe se Ansh usse jakadte... "Fantasy movie me bhi aise jagah ki kalpna nahi kar sakte"…


Kahte huye Ansh ne Nandni ke dress ko kandhe se sarka diya... Nandni khil-khika'kar hansti hui samne mudi aur Ansh ke sine par ungli rakhti usse pichhe ke ore dhakka di, aur ek-ek kadam pichhe leti apne kandhe se apni dress ko sarka'kar niche paun me gir jane diya.…


Khili dhup aur outdoor ka alokik mahol... Aur aise me pahli baar Nandni ko kewal painty me dekhna... Ansh Nandni ke ore daur lagaya... Aur Nandni bhi utni hi teji se mud'kar pani me dive laga di... Chhapak... Aur ussi ke chand pal baad Ansh ke kudne ki awaj...


Ansh kinare se kuch dur ander khada ho'kar Nandni ko dhundhne laga... Tabhi Nandni pani ke niche se tairti hui pahunchi aur Ansh ke kamar par chikoti kaat'kar bhag gayi...


Ansh bhi teji me pani me dubki lagaya... Ansh aur Nandni, dono pani ke ander hi dubki lagaye the... Dono me se koi bahar to nahi aaya, lekin udta hua Ansh ka shirt jaroor kinare tak aaya, aur itne me hi kuchh duri par dono ke sar bahar najar aaye...


Dum fulne se shwans chadhi thi aur dono hi tej-tej shwans le rahe the... Shwans kuchh samaya hote hi Ansh ek najar Nandni ko dekha... Ansh lapka, Nandni khil-khika'kar hansti hui fir se pani me... Dono pani ke ander, iss baar bhi dono ke sar bahar aane se pahle hawa me uddti hui Nandni ki painty kinare tak pahunch gayi...


Iss baar dono ki jab shwans samanya hui... Tab ek dusre ko dekh'kar hans rahe the aur bich ke fasle ko mita'kar honth se honth aise jude, jaise pyas se tadap rahe the... Dono ki aakhen band thi... Hathon ke sparsh pani ke niche poore badan par chal raha tha...


Idhar sabha bhavan me Shwetna ke aate hi teeno round table meeting ke liye baithe... Nischal aur Jivisha dono ek dusre ka hath thame, baithte huye ek dusre ko aise dekh rahe the mano kahin kho se gaye ho dekhne me... "Love Yahan ke baad chalte hain na Viggo viman me"… Jivisha dhime se kahi aur muskurati hui najron ka sampark thodi...


Shwetna:- Sidha natija hi charcha kar lete hain… mujhe lagta hai HuYu ke pass bhi iss mahal ki jaankari nahi hogi...


Jivisha:- Pyar humara jaag raha aur meetning jaldi khatm karne ko tu utavli ho rahi hai...


Shwetna:- Main soch rahi thi mere bhi 8-10 bacche ho aur ek bada sa parivar...


Shwetna jab apni baat kah rahi thi, muskurate huye bus Nischal aur Jivisha ka chehra hi dekh rahi thi... Uski baat sun'kar dono apni jagah se utha'kar Shwetna ke pass panche, Jivisha aur Nischal uss se bari bari gale lagte...


Jivisha:- Aaj humare shasika ki jodi banegi aur jashn pura middle universe manayega...


Nischal:- Haan jit ke baad ek bada event to banta hai Zoren me... Sabko aamantarn bheji ki nahi"…


Shwetna:- HuYu ne organization ke headquarter me sandesh de diya hai… sabhi shaam tak ikattha ho jayenge...


Iska baad to Jivisha aur Nischal ruke hi nahi... Shwetna ko bich me pakde aur teeno jhumne lage... Shwetna ke liye Jivisha aur Nischal kafi khush the… mann bhar jhumne ke baad dono sidha pahunche announcement room... Aur sabhi stations ko ek sath connect karke poore jor shor se announcement kar diya... Lagbhag 1, 1.5 ghante baad Shwetna sabko khinch'kar sabha bhavan me le aayi...


Jivisha:- Aarreee pagal jashn ka mahol hai ye meeting tumhare bina bhi ho jayegi, natija aaj bata denge... Detail fursat se sun lena…


Shwetna:- Koi baat nahi hai... Bus kuchh der ki hi to baat hai...


Jivisha:- Lin kahan hai...


Shwetna:- Wo puri taiyariyon me juta hai...


"Ab usse yahan bula lo, aur apne sath rakho... Aur sari taiyari ki jimmedari humari"…. Serin uss sabha bhavan me shirkat karti hui kahne lagi...


Shwetna:- Baith'kar pahle jaldi kaam khatm kar lete hai...


HuYu:- Kaam khatm to karenge hi lekin ek khushkhabri aur de dun... Organization of middle Universe ke tamam member ki kal raat baithak hui thi... Nischal ki jagah Serin ne hissa liya...


Nischal:- Aur aaj raat se... Tumhare upar Zoren ke bhar ke sath-sath poore organization ka bhi bhar aa gaya hai... Kal raat hi fasla le liya gaya tha aur aaj raat se tum organisation ki mukhiya hogi...


Shwetna aaschrya se sabko dekhne lagi... "Ab sab look dena band karo aur meeting khatm kar len"… Jivisha sabka dhyan abhi ki meeting ke ore dilayi...


Jivisha iss baar Shwetna ke pass baithi aur sab ne 15 minute tak uss rahashymayi mahal ki charcha karne lage... Kisi ke pass koi pukhta jaankari nahi thi ki wo hai kya... Siway Nischal aur Jivisha ke...


Dono bhaanp chuke the ki wo mashtisk jaal hai kiska... Lekin dono ke liye chunauti ye thi ki uska nirman kaise hua... Kyonki dono ko hi pata tha, sahi jankari hi takat hai warna takat to har koi arjit kar sakta hai...


Khair baton ke dauran HuYu ne Far Universe ke uss bhishan yudhh ki charcha karne laga jiske baad lagbhag poore middle universe ko hi tabah kar diya gaya tha… Ussi yudhh ke baad Decca planet ke ek philospher ki mangadhant katha ki charcha HuYu karne laga...


Uss katha ke anusar ek rachna kahin ek jagah banayi gayi, jise fir kafi kusalta se, kudart ke niyam ke virudhh 18 jagah sthapit kiye gaye. 18 alag-alag tarah ke shakti ke liye... Grahon ki badalte disha ke sath, uske prabhav jis sthan par sabse adhik hota, wahan par kayi hazar kilometer tak Jan jivan ko nasht kar'ke uss rachma ko asthapit kiya gaya tha.


Un 18 nirman ko asthapit karne ke baad ek bharm jaal aisa paida kiya gaya ki na to hawa se pata chale uss jagah ka... Na jamin ke niche se... Yadi bhumi ke upar se jo uss jagah par jayenge, fir wo bata nahi payenge ki wo kahan gaye the… Rahashymayi wo shakti khand, kisi ko dhundhne se bhi na mile... Aur jise mile wo pata batane layak na rahe...


Jivisha:- Uske baad kya hua, koi uss jagah ko dhundhne gaya...


HuYu:- Ab jiske hone ka koi saboot hi nahi mila, usse sab ne mangadhant kahani ghoshit kar diye aur uske kuchh dino baad uss darshnik ne atmhatya kar lee...


Nischal, kafi utsukta se.… "Kya uski orignal lekh ab bhi Decca me rakhi hui hai"…


HuYu:- Nahi, Decca me bina praman ke likhi gayi theory ko ek nischit kaal ke khoj ke baad, jab praman nahi milta tab jala diya jata hai...


Serin:- Hmmm !!! Fir tumhe pata kaise chala...


HuYu:- Wo philospher jiske purvaj rahe the, unhi ke logon se suna tha... Unka maan'na hai ki yah kahani unke parivar par yah ek daag saman hai, jise kabhi na kabhi mita'kar rahenge...


Jivisha:- Shayad uske purvaj ne issi mahal nirman ke bare me kaha hoga… HuYu ek kaam karo, usse offer karo ki uske purvaj ne jo katha kahi thi, uss se milta julta ek praman mila hai... Iss katha se judi jitni bhi research uske pass hai usse le'kar wo Zoren pahunche...


HuYu:- Ye suchna un tak pahuncha dee gayi hai... Lekin aap dono ne ab tak nahi bataya ki universe me humare aane ka maksad kya hai... Jabki prithvi par hum uss Surpmarich se duri bana chuke the… To kya hum ye maan le ki aap Astak ke liye laute hain… Orja se Dark Universe ki poori detail lene ke baad...


"Main batati hun... Hum ab bhi Surpmarich ke shikar par hi hain jo ja'kar Astak ke gode me baith gaya hai... Prithvi ki baat bhul jao ki wahan kya hua... Hume ek hi waqt me Surpmarich ke charo ansh ko khatm karna hai... 2 humare hisse me hai... Aur 2 Sattvik Aasharam ke hisse... Ab sab clear hai"…


Nandni apni baat kah'kar Shwetna ke pass pahunchi aur usse gale laga'kar badhai di... "Kyon doctor sahab aap dur khade hain... Aap khush nahi kya???".. Shwetna Ansh ko chhedti hui puchhne lagi...


Ansh:- Maine suna hai ki yahan shadi hone wali saali ko uske jijaji kiss ke sath apni badhaiyan dete hain.... Wahi soch raha tha ki badhai yahan de dun ya akele me...


Shwetna, Ansh ke gale lagti… "Maine to apne jija se jabardasti badhai le li. Ab aapko kiss wali badhai deni hai to Chalo na fir wahin vatika me chalte hai... Ji bhar kar badhaiyan dete rahna"...


Nandni, dhakka de'kar Shwetna ko apni jagah par bithati... "Baith chup chap... Jyada dilfek hone ki jaroorat na hai. Sab milkar bigad doge Ansh ko"


Shwetna:- Lo ab tumhare yahan ajib hoga iss se mujhe kya... Kisi-kisi grah par to first night on air hota hai aur log usse dekh'kar couple ke romance ko rating bhi karte hain.... Main aur Lin bhi on air honge aaj raat...


Ansh thoda chahakte huye... "Kitne baje se se programme aa raha hai"…


Ansh ka aisa utavlapan aur udti hui sandel sidha mathe par... Jivisha aur Shwetna ke muh se "aao bechara" nikal gaya... aur dono jor-jor se hasne lage...


Wahin Shwetna ki baat sun'kar 2 logon ko ek sath hichkiyan aa gayi... halanki Shwetna, HuYu aur Jivisha ko iss hichki ke pichhe ki kahani pata thi... Fir bhi dono (Shawetna aur Jivisha) maze leti hui.. pahle to pani ka glass aage badhayi...


Jivisha:- Kya hua tumhe hichki kyon aayi Nischal… Sharm nahi aati apne bich ke kisi ladki ko nang-dharang unke prem milaap ko dekhne ki kalpna kar rahe...


HuYu:- Waise aise scene me to doctor sahab ki tarah aankhen char honi chahiye, lekin na sirf Nischal balki Serin ki bhi hichkiyan nikal gayi...


Serin:- Kaun se garh se ho tum log... Pagalon ek shadi ke jashn me jana hai.. ek rashaymayi mahal chinta ka vishay bana hai, in dono mukhya mudde ko chhod'kar kaun-kaun si bahas me lage ho...


Bechari Serin kisi tarah topic ko divert karne me lagi hui thi...


Nandni:- Bahas koi bhi ho... Shwetna yadi apna romance on air karti hai, to main ja rahi hun... Hat yaar kaisa lagega jab log aisi haalat me dekh'kar tarah tarah ke comment karenge.… Bhale kahin ka bhi aisa culture ho. Jise karna hai wo kare, lekin Shwetna nahi karegi... Warna main uske sath-sath tum sab ki bhi shakl nahi dekhungi... Ansh chalo packing karne...


Shwetna, Nandni ka hath pakadti.… "Kasam se mazak kar rahi thi… koi on air nahi hoga"….


Nandni:- Koi mere doston ko gandi najar se dekhe, unki aankhen noch lun... Aur aise me mere dost hi dusron ko aisa mauka de, fir mera khun jal jayega aur kisko kya bol sakti hun... Na gandi najar walon ko rok sakti, na hi doston ko kuchh kah sakti.. isliye aise ghutan se achha hai khud ko hi aise mohol se alag kar lun...


Jivisha:- Mahol thoda tension wala ho gaya hai aur ye meeting khinchti hi jayegi... Abhi jo hum baat karne aaye the usse khatm karte hain... Fir hum sab chalenge Shwetna ki shadi enjoy karne... Janu final planning batao...


"Beda taiyar karo... Hum Dark Universe par humla karenge... Prithvi par Surpmarich ke 2 Ansh, Yuvi aur Arf ki kahani likhi ja rahi hai... Yahan hum uske 2 Ansh Pratham aur Joy ki kahani khatm karenge, ek hi waqt par… aur ussi ke sath hum Astak ko bhi ukhad fekenge"..

"Sadi ke 2 super villan Astak aur Surpmarich ko hum ek sath lapetenge... Isliye jo galti Dark Universe walon ne apne hawai bede ke sath ki thi wo galti hum nahi karenge... Ye pura mission main khud lead karunga"...

"Main jab tak lautun poore middle Universe ki combined force taiyar honi chahiye. jitne tarah ke natural energy ke humle maine system me upload kiye hain, unse nipatne ke liye pure force ko Serin aur Luna prashikshit karegi"...

"HuYu poore middle universe ke technical team ko collect karna aur yudhh ke liye hathyar aur devices banana tumhara kaam hoga... Jab main lautun, technician ki poori team mujhe Zoren me milni chahiye... Technical team me kitne log honge wo HuYu tum decide karna, kyonki hume kam se kam waqt me, 1 carore viman ko upgrade karna hoga... Aur dhatu hum lekar aa rahe hain hurriyat planet se... ishare to samjh hi gaye hoge... Itna taiyar karke rakho"...

"Ek jashn hum dark Universe me manayenge aur Vansh badha'kar poore universe ke ek hisse ko haradpne ki taiyari ko rokenge aur unhe poora khatm kar denge... Issi ke sath ye meeting samapt hoti hai".…
super duper update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-77



Sabha samapt hui. Jivisha khushi se hurreeeyy karti hui Nandni ke dono gaal khinchti.… "Ab muh kyon latka hai tera... Bahan ki shadi hai chalkar aaj masti karenge"…


Shwetna, ek hath se Nandni ko khinchi aur dusre hath se Ansh ko khinch'kar dono ke kandhe par ladti... "Ye dono kewal mere sath rahenge... Aap aur Sahjada ke jimme humari jodi banane ki hogi.… Jaeye aur mukhiya hone ka farj nibhaeye"…


Jivisha, Shwetna ka gala dabati... "Mujhe bhaga rahi hai"…


Ansh:- Fir main Jivisha ko company dene ja raha... Pata na shadi hone tak aur kitne sandel khaun...


Nischal:- Shwetna 2 minute idhar aao…


Shwetna sab se alag ho'kar Nischal ke pass pahunchi. Shwetna ek baat rah gayi thi... Main aur Serin ja rahe hain uss mahal me 2 fence lagane... Pahle 300 meter ka ilaka bandhenge, uske baad aage ke 5km ke ilake ke fence karenge... Decca planet se jo bhi aaye, uss ke sath Ert aur Abhishek ko laga dena... Aur kya warning deni hai wo Ert ko samjha dena... Main aadhe ghante me kaam nipta'kar aaya, fir jashn hoga aur jalsa...


Shwetna:- Aaram se 1 ghante ka waqt lena… aur haan Aizem ki baat kisi ko pata nahi chalegi aur na hi koi yahan uski charcha karega ye mera wada hai.… Isliye dil khol'kar enjoy karna… .


Shwetna apni baat kah'kar chali gayi taiyar hone... Idhar Jivisha Nandni ko le'kar vatika me aa gayi aur pahredaron ko shakt hidayat de dee ki idhar koi bhi nahi aana chahiye...


Jivisha ek baar fir Nandni ka gaal khinchte.… "Kya hua aise upset kyon hai"..


Nandni:- Mujhe wo on air romance wali baat achhi nahi lagi...


Jivisha apni bhauh sikodti hui apne aankhen chhoti kar'ke Nandni ko natkhat sa look deti.…. "Jaldi bata kya bura laga"..


Nandni, thodi mayus hoti... "Serin aur Nischal ka chaunkna, Shwetna ko apni baat kahte waqt kutil najron se Nischal aur Serin ka dekhna"…


Jivisha:- Tune puchha tha na ki Nischal aur Main Aizem kyon nahi jana chahte... Uski vajah Nischal ki 4 Jodi.. yani ki 4 shadiyan usne ek raat me ki thi...


Hairani aisi ki Nandni ko ek pal laga ki kya usne sahi suna hai... Uske aaschrya ki koi seema nahi thi…. Chehre par sawal bahut the lekin honth khamosh...


Jivisha:- Haan aur wo on air bhi hua tha…

Nandni:- Lekin wo.. matlab..


Jivisha, Nandni ko muskurati hui uske sar par haath rakhti…. "Teri kasam mujhe jarra bhi afsos nahi iss baat ka... Aur na hi koi shikayat hai Nischal se... Bus tu uss se khaffa mat hona on air ki baat par warna kahin wo suside na kar le... Tumhara, Nischal ko galat samjhna uski jaan le lega, wo bardast nahi kar payega…


Nandni:- Ruk ja kuchh mat bol... Shant..


Nandni apna sar pakad'kar wahin kinare ek patthar par baith gayi... Dimag ne jaise javab dena band kar diya ho… Usse kuchh samjh me hi nahi aa raha tha... 10 minute tak sar jhuka'kar baithe rahne ke baad...


"Ye tune jo abhi kaha kya uske liye tune khud bhumika bandhi thi"..

"Haan kah sakti ho"…


Jivisha fir ek poore daur ki kahani kah gayi, jisme Serin aur Nischal ki maa ka dard chhipa tha... Fir apna dard bata gayi... Usse kewal 6 betiyan hogi jo anuvansik roop se ek bhi Viggo nahi hogi... Yahi niyati hai... ab batao maine sahi kiya ya galat...


Nandni gahri shwans leti... "Yaar hanste hanste dono aurton ne kitna kuchh jhela tha….. Mujhe to iss par sochna hi nahi ki tune kuchh galat kiya, bas fakr sa ho gaya tujhpar... Jo tune kiya uske liye mansik roop se poorn himmat chahiye... Mere pass shabd nahi kuchh kahne ke liye... Bus tere khatir main Nischal ko maanf kar rahi, warna on air romance ke liye main usse rula deti"


Jivishsa:- On air inka culture tujhe bura sirf isliye lag raha hai na ki tere koi dost on air hua...


Nandni:- Exactly…


Jivisha:- Achha aur yadi tu yahan hoti, aur Nischal bhi yahan hota... Dono me itne hi pyara bonding hota, fir on air romance ke bare me tumhara kya vichar hota..


Nandni:- Dekh fansa mat..


Jivisha:- Open culture hone ke baad bhi Luna aur Ert ne suhagraat ki rashm ko utni hi ahmiyat dee na... Shadi me har rashm ko jabardasti ki thi kya??... Aizem aur Zoren me paun chhune ka riwaj nahi, par dono ne khushi-khushi aur bina kuchh kahe ristedaron ke paun chhu liye na...


Nandni:- Main yadi yahan ki hoti to abhi Shwetna ko suggest kar rahi hoti ki uske humsafar ke sath kaise emotion hone chahiye... Kaise wo sab kuchh bhul'kar ek hoti, taki uske prem milan ko dekh'kar sab feel kar sake...


Jivisha:- That's like a good girl... Chahti to Shwetna hume taal sakti thi, lekin usne tumhari feeling ki respect ki..


Nandni:- Haan cultural differences to hain, thoda ajib lag raha hai.. lekin thik hai unhone humare culture ko respect diya hume unke culture ko dena chahiye... Waise kya tu aur Nischal bhi on air...


Jivisha:- Gopal beta..


Nandni uchhal'kar Jivisha ka muh band karti... "Bus kar 6 inch chhote ho gaye baal"…


Jivisha:- Bhag kamini nautanki... Tera wo purana hair style mast tha… aur tujhe kab se baal ki chinta hone lagi...


Nandni:- Huhhhh !!! Kuchh bhi, mujhe apne balon se, shuru se pyar tha...


Jivisha, ek thappad lagati…. "Mujhe mat sikha samjhi"…


Nandni:- Haan thik hai.. Ansh bade pyar se mujhe lambe baal rakhne kahe the... Aur issi baat se dil bhar aaya ki mera Ansh kabhi-kabhi to koi maang karta hai... Warna aaj tak to wo hans'kar meri har jayaj aur najayaj maang puri karte aaya hai... Baal ke liye bhi kuchh nahi hi kahete yadi main apni short curlee hair style rakhti to... Lekin..


Jivisha:- Chal koi na... Waise ek baat hai hum sabko pati bahut achhe mile... Aam patiyon ki tarah nahi...


Nandni, Jivisha ke gale lagti... "Mujhe to dost bhi aise mile, proud feel karwane wale"…


Jivisha:- "Same hare... Tere samne nahi kahna chahti, kyonki kah'kar tere kiye ka apman nahi karna chahti thi. Lekin yaadast jane ke wo 6 mahine jo tera sath tha... Atulniya... Mujhe to kisi ne ek marmik kahani sunayi... Usse maine mehsus kiya… Mujh se pahle wo kahani Serin ke jahan me thi, Nayla ke jahan me thi. Vishawas maan un dono ki bhi feeling mere jaisi hi hai Nandni... Koi anter nahi hai"...

"Yadi uss kahani ko sunne ke baad koi ladki hum teeno ki tarah feel na kare, fir to uske sine me dil hi nahi... Wahin tune jo mere liye kiya uske pichhe koi emotional story nahi thi... Aur sath me mera poora parivar bhi tha, jo mujhse behad pyar karta hai... Lekin un parivar ke pyar par bhi sala tera eklauta pyar bhadi par gaya Nandu.… Tune jo kiya na wo sala life long dil me chhapa rahega"...


Nandni, Jivisha ke aanshu saaf karti… "Bus bhi kar aur jaldi chal... Bechara wo Nischal ghabraya-ghabraya ghum raha hoga.... Mujhe aisa lag raha hai jaise wo ro raha hai"…


Jivisha:- Tune kah diya samjh sab settle ho gaya, warna Njschal ki 4 shadiyan apne 1 sal ka entertainment tha.… chal jarra main apne hubby ko masti karne ka full licence de dun....


Idhar Serin aur Nischal jaise hi nikle dono Nandni ke reactions par hi sochte huye khamosh chal rahe the… Site par pahunch'kar 10 minute lage honge unhe double fencing karne me, lekin iss bich unki kal raat wali machine ke awses mahal se 3 kilometer dur mile...


Serin usse hath lagane ja rahi thi lekin Nischal usse mana karte... "Iss par acid dalkar mitti me milao Serin hath mat lagana"...


Serin:- Hmmm !!! Aisa kya hai iss ilake me Nischal…


Nischal:- Isse anti-nature activity kah sakti ho... Yahan jo mahal hai uska nirman far universe ke kisi ek grah par hua tha jise yahan asthapit kiya gaya....


Serin:- Puri sanrachna ko kisi bade air craft se lekar aaye the kya???


Nischal:- Iska javab to dhundhna hoga... Lekin uspar abhi kaam nahi karenge… filhaal ye area fence karte hain... Yudhh viram ke baad iss par sochenge... Pahle pata to lage ki ye mahal hai kya chij... Aur kaise yahan laya gaya... Aur issi jagah ko kyon chuna gaya...


Baton ke dauran hi inke fencing ka kaam khatm ho gaya... Jaise hi fencing ka kaam khatm hua, Serin apne dono kaan pakadti… "Sorry bhai, maa ki ikchha ke chakkar me mujhe aisa lag raha hai teri jaan fansa dee"…


Nischal, Serin ke sar ko, khud ke sine se laga'kar, uske aanshu pochhte... "Jo hoga dekha jayega... Mera dil kah raha hai Jivisha aur Nandni dono hume samjhenge"


Serin:- Itna hi bharosa hai to tere aanshu kyon aa rahe hai... Tu apni jodi ke bina nahi rah sakta aur main tere bina... Abhi se bata de rahi hun..


Nischal, Serin ki baat ka koi javab nahi de paya... Serin sine me sar chhip'kar ro rahi thi aur Nischal apna sar upar kiye ro raha tha… Tabhi dur se hi dono ko engine ki aahat sunai di aur dono apne aanshu pochhte aankh saaf kiye...


"Kya hua dono aise gumsum kyon ho, ro rahe the kya?"…. Jivisha dono ke karib aa'kar puchhne lagi…


Nandni:- Inki haalat ka jayja baad me lena Jivusha, pahle puchh inse ki on air romance ki baat par dono ko hichki kyon aayi, kya gul khilaye hai in logon ne Aizem me...


Nischal se uski sacchi jodi juda na ho jaye kahin, iss baat ko soch'kar hi Serin ke sine me itna tej dard hua ki wo ladkhada gayi... Nischal vyakulta se sambhala Serin ko... Aaram se usse niche baith'kar usske sar ko apne gode me lete... "Pagal hai kya… kuchh nahi hua hai... Dekh Jisa aur Nandu dono yahin hai... Tum hi dono bolo na... Tum kahin nahi ja rahi"…


Jivisha:- Oyeeee Nanad rani... Mere 6 bete hone chahiye aur sab ke sab gol matol bilkul Nischal jaise...


Nandni:- Aur main chupke se tera on air wala video dekh kar rate bhi kar dungi ki romance kaisa raha tha...


Jivisha:- Ohhh haan ek baat aur... Zoren chhodne se pahle maine hi Nischal ki 4 jodi chuni thi aur Nayla ko warning de'kar aayi thi, main nahi janti ki kya chakkar chalega lekin mujhe kewal yahi charo chahiye... Nayla, Shwetna aur HuYu teeno ko pata thi ye baat lekin maine hi mana kiya tha...


Nandni:- Meri Jisa ki kismat me to 6 betiyan hai aur universe traveller uska pati… ab uski bahno ki dekhbhal ke liye uske bade bhai chahiye ki nahi, duffer... Wo kahan se aayega...


Jivisha:- Areee upar se meri dono saas ki aatma mujhe bhut ban'kar nahi stayegi kya... Jab wo mujhse puchhegi, ki mujhe jab pahle se pata tha ki meri santan me kewal aur kewal mere anuvansik gun honge, wo ek Viggo kabhi nahi ho sakti, fir bhi uska samuday badhane ke liye koi kargar kadam nahi uthayi...


Nandni:- Kewal teri hi saas kyon.. teri wo par par par wo jahan tak par jaye, par dadi Vish-Kritima p tera khoon na kar degi kya Jivisha… Jiske jimme brahmand ke kayi grah me jivan basana tha, ussi ki vansaj ne ek samuday ko hi samapt kar diya...


Jivisha:- Hoooo Nandu, genious haan... Ye point to mere dimag me hi nahi tha... Dono bhai-bahan se puchh le ki masti karne chalenge, ya yahin aise hi pare rahna hai…


Serin aur Nischal ka dimag jaisa kaam karna hi band kar diya ho... Dono khade ho'kar aanshu bahate huye apne haath jod liye... Serin aur Nischal ko aisa karte dekh, tis si uthi ho jaise Jivisha aur Nandni ke sine me... Dono (Jivisha aur Nandni) unke hath niche kar'ke, Nischal aur Serin ke aanshu pochhte… "Happy time me rote nahi" ..


Jivisha apni baat bol hi rahi thi, itne me chatakkk ki jordar awaj aayi aur Nischal ka gaal laal ho gaya…. Nandni usse ek kadada fatka dete... "Kamine aise hath joda to sar phod dungi"…


Nischal, ghurti najron se dekhte... "Humne jaan'kar nahi kiya, wo bhavna me apne aap ho gaya. Thappad kyon maari pagal...


Nischal bol hi raha tha ki dusra jordar laafa, dusre gaal par... "Ab ye kaahe jahil"…. Nandni aattitude se... "Mera mann"


Nischal gusse me usse maarne ke liye jhapta, lekin tab'tak Nandni daud laga chuki thi... Aur pichhe se "ruk pagal" kahta hua Nischal bhi bhaga... Jivisha aur Serin, un dono ko bhagte dekhte huye hasne lagi… Jivisha fir Serin ko aankhen dikhati... "Ye sab kya tha haan"..


Serin:- Kuchh nahi bhabhi, wo aap logon ko dekh'kar thoda sa natak... tabhi to aap pighal gayi...


Jivisha:- Hunn … wakai me..


Ek baar fir Serin roti hui, sidha Jivisha ke gale lagti…. "Jivisha aur Nandni ko dekhti hun to lagta hai Venyata aur Marta (Nischal aur Serin ki maa) mere samne khadi hai... Main nahi chahti thi ki jab'tak Viggo ka samuday badhe tab'tak Nischal ki koi chahat mile. Lekin mere sochne se kya hota hai. Niyati ne apna khel rach chuki thi... Main kaise kah deti aapse ki Nischal ko baant do.… Mere sath to dono hi samasya phan faila'kar khadi ho gayi... Sacchi chahat milne ke baad Nischal kisi aur ko dekh bhi nahi sakta tha aur Koi bhi stri apna chahat nahi baant sakti"..


Jivisha:- Chal jhooti... Aisa tha to 4 ladkiyan ek sath Jodi kaise bana lee.…


Serin:- "Tum na jaan bujh'kar point pakadti ho bhabhi. Main sacchi mohabbat kahi, na ki koi prastavit jodi... Aur Aizem grah par pahli baat ye ki humare yahan sadi shuda jode bhi apne sex life enjoy karne ke liye, bahar se logon ko bulate hain. Ye unka tarika hai sex enjoy ka... lekin dilon ki chahat aur sharirik maze alag-alag rakhte hain"...

"Kayi shashak ya aala adhikari, apne jodi ke marji ke khilaaf 1 se adhik jodi bhi banate the... Yahan samasya hai, kyonki log apne auhde ka galat istamal krte hain, jabki uske sathi ko kabhi ganvara nahi hoti ye baat, isliye ab humne ek jodi rahte naya jodi banana gair kanooni ghoshit kar diya… tab'tak, jabtak ya to pahli Jodi ke sath uska rishta na khatm ho jaye, ya fir uski pahli jodi nayi jodi ke liye raaji na ho jaye...


Jivisha:- Ab kya Aizem ka poora law hi samjhaogi… samjh gayi wo charo nafrat me andhi thi...


Serin Jivisha ko dhyan se dekhti… "Bhabhi tumhe bura nahi lag raha kya?"…


Jivisha:- Ek patni ko tabhi chubhi thi ye baat, jab faisla liya gaya tha ki Nischal ki jodiyan banegi. Waise kya tumhe ek maa ki khushi najar nahi aa rahi, jo apne 6 beton ke liye pagal hai... Haan ek patni ke roop me main thodi dukhi hui thi, lekin uske baad to yahi laga ki jo bhi hua wo Nischal ke mere jivan me aane se pahle hua hai, isliye ab ek patni ko bhi koi dukh nahi. Lekin tum meri khushi ka andaja nahi laga sakti… aur yahan ke chal rahe mahol me main apni khushi thik se jahir nahi kar pa rahi.… Wahan Jitne bhi garv hai wo Vish-Jivisha ke garv hai...


Serin, Jivisha ki utsukta aur dridh shabd sun'kar apni muskurahat rok nahi payi… "Haan bhabhi main samjh gayi"…


Jivisha:- pagal tum kuchh nahi samjhi.. mujh me jivan srijan karne ki shakti hai... Aao main tumhe apne bacchon ko mehsus karwati hun...


Jivisha Serin ke kaan ko apne pet se tika di... Aur apni lambi shwans khinchi... Garv ke ander jaise koi baccha sukoon se ho. Serin saaf mehsus kar sakti thi... Tabhi dhimi aawaj Serin ke kano tak pahunchi... "Ye Dhuri ke garv ka mera beta... Kafi swasthya hai na"…


Serin bilkul bhauchakki hokar apna sar upar kar'ke Jivisha ko dekhne lagi... Jivisha utne hi pyar se muskurati... Arree abhi apne aur bhi btaije se to mil lo... Serin wapas se kaan lagayi… Jivisha ek-ek karke usse Apurvi, Tiya aur Miya ke garv ko bhi mehsus karwayi… ..


Serin jab khadi hui tab wo khamosh thi lekin uske chehre sawal saaf najar aa rahe the… "Ye kaise kiya".. Jivisha, Serin ko bhavnao ko samjhti hui kahne lagi….


"Meri ikchha shakti ne meri aatma ko mere bacchon se jod diya hai... Main kayi baar der raat Nayla ko pareshan bhi kar deti hun, jab mujhe lagta hai mere bacche taklif me hain... Yahi vajah bhi hai ki yadast wapas aane ke baad main apne Love se milan ko tadap to rahi lekin duri bhi banayi hui hun... Main khud me mayritv ka ehsaas kar rahi hun"…
amazing update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-78 (A)



Ikchha shakti... Shayad isse koi poorn paribhashit to nahi kar sakta tha, lekin Vishesh samuday kyon vishes kahi jati thi, isko Jivisha paribhashit kar rahi thi...


Serin, Dhime se muskurati hui, bas dhyan se Jivisha ko dekhne lagi. Jivisha apni lalaat unchi karti sawaliya najron se ishare kee. Serin tab bhi muskurati hui rahi. Sar hila kar "kuchh nahi" ka sambodhan ki aur wapas se Jivisha ko bade dhyan se dekhne lagi… Dono ke hi chehre par khushi aur santushti ke bhaav the...


Wahin kuchh dur aage 2 dost jhagad rahe the. Nischal gusse me khada, Nandni ke baal ko noch'kar chidiya ka ghosla bana raha tha aur Nandni hafti hui apni haath dikhati.… "Ruk ja bhai... Thoda shwans to le lene de"…


Nischal bhi "haan thik hai" kahte huye ruka... Dono sidhe khade the, Nandni apni shwans samnya karti, wapas se Nischal ko ek chipka di... Nischal gusse me ghurte jaise hi aage badha...


"Sun, sun, sun... Please please please, wo thoda gussa mehsus hua tha isliye haath uth gaya... Please tu gussa thuk de."… Nandni uss se minnaten karti hui kahne lagi...


Nischal thoda relax ho'kar sidha khada hua... Nandni bhi sidhi khadi hui... "Sorry, pata nahi aaj tere par itna gussa kyun aa raha"… baat kahte huye fir se ek baar aur chipka dee...


Nischal:- Pagal ho gayi hai kya… Kitni ijjat aur rutva hai yahan. tu ek ke baad ek chipkati ja rahi hai.. Kisi ne dekh liya to izzat ka bhaji lala ho ho jayega...

Nandni fir se ek chipkati…. " Sahi se bol le, bhaji pala hota hai. Sun gadhe mera haq hai, tujhe main kahin bhi maar sakti hun... Jyada izzat aur pratistha ki baat kiya na, to jahan tu aur teri biwi sabhi rashmen nibha rahe honge, wahin marungi"…


Nandni poore gusse ke sath Nischal ko dhamka rahi thi... Usse dekh'kar Nischal hanste huye... "Pagal, nautanki kahin ki... Aaj main aur tu... Khoob enjoy karenge.. aaj daru ki nadiyan baha denge"..


Nandni:- Pine ke baad kahin maine drama kar diya to...


Nischal, Nandni ke kandhe par hath rakh'kar kadam Jivisha aur Serin ke ore badhate.…


"Main hun na... Chinta kyon karti hai"…. "Duffer pine ke baad mujhe dusron ki nahi, teri chinta jyada ho rahi hai"….. "Haan, haan.. ittu si tu, pine ke baad mujhe chinta me dalegi"…. "Mujhe kya hai, mera kaam tha tujhe batana"…


Khili si hansi wahan charo ore gunj rahi thi... Aur kandhe par hath dale dono, Serin aur Jivisha ke pass pahunch gaye... Charo wahan se nikle... Aisa lag raha tha charo bawre ho gaye hain aur inke sath me thi poore mastano ki toli... Yani ki 8400 nanhe saitan...


Nischal, Nandni, Jivisha aur Serin ke ishare par ye nanhe shaitan kabhi kisi ke pichhe aag laga rahe the, to kabhi kisi ke sar ke baal noch lete… poore Nilbhut smudhay ko hi tang kar rahe the...


Masti karte huye jab ye charo chal rahe the, tabhi samne se bache huye mastano ki toli dikh gayi... Kasak aur Ert ek round table par chadhi hui thi... Ufff dono kya hot lag rahi thi... Sleevless laal rang ka silk libas, jiske v shape ka gala halka gahra tha… upar sine se chipka wo gaawn, kamar aur nitamb tak aate aate pura chust tha aur niche bada sa ghera banate paun tak lahra raha tha...


Kewal chehra hi nahi balki badan ka har hissa jo dikh raha tha, ufff kyaa aakarshak lag raha tha, najar hi thehar jaye... Upar se kamal kar rahe the dono ke lahrate baal aur gale me jhul rahi 3,4 bade chhote haar…


Masti bhade dhun par, dono yuvtiyan haath me Nilbhut samuday ka som ras liye, jhum rahi thi... Kuchh pi rahi, kuchh apne upar gira rahi thi aur kuchh bhid ke upar urrel rahi thi… aur dono ki adaon par niche kya sab uchhal rahe the... Aisa lag raha tha sab jumping rope khel rahe ho... Apne jagah se sidha hawa me uchhal'kar Kasak aur Ert ka sath nibha rahe the...


Jivisha aur Nandni ko sujhi shararat aur dono ne dragon babies ko Kasak aur Ert par chhod diya... Natkhat gopal sab ka team leader... Usse supadi mili thi Kasak aur Ert ke baal ko chidiya ka ghosla banana.…


Kafi aagyakari balak aur balika the… jaa'kar chidya ka ghosla to banaye hi, sath me balon ke ander dubak bhi gaye... Kasak apne hath upar le jakar bari-bari se sabhi dragon babies ko haath se sahlayi aur fir jhumne lagi...


Kasak jhumti hui kabhi left ke taraf jati to kabhi right ke ore… to kabhi bich me gol-gol ghumti… Sabhi nanhe saitan, Kasak ke sar ke upar lamba gol aakriti me panktibadhh ho gaye aur adbhut team work ka najara pesh krate, sabhi dragon babies bina wo gol pankti tode, ek sath Kasak ke sath left, right aur gol gol ghum rahe the... Aur gol gol ghume ke dauran hi apne muh se aag pani aur hawa ka spray kar rahe the...


Wahin Kasak ke baal me fase dragon to jaise singhasan par baithe hon... Unhe thirakne ke liye mehnat to nahi karni pad rahi thi, lekin apna sar upar karke wo sab bhi aag ka spray foonk rahe the…


Adbhut hi fir wo najara ho gaya, jise poore universe me dikhaya ja raha tha… Issi bich Kasak ki najar jab sabhi par gayi... Kasak bejaan ho'kar bhid par giri aur log usse apne hathon par utha'kar bhid ke bahar tak pahuncha diye...


Kasak ne ek ishara kiya aur Nilbhut Samuday ke kayi volenteer daru lekar sabke pass pahunch gaye… Kasak ka pati Sahil bade dhyan se Kasak ko dekhte... "Tumhari Kafi jyada fan following ho gayi hai Kasak"… Kasak hansti hui Sahil ke gaal ko thap'thapati... "O mera jealous baby... Ruko yahan ke dilfek ladkiyon se milwati hun"…


Abhishk:- Haan wo to main Ert ko dekh'kar hi samjh gaya...


Ert:- Aaj humari Shashika ki jodi ban rahi hai Abhi… Dekha hi kahan hai yahan ka jalsa... Ye to trailor tha... Badan me aag to tab lag jayegi jab hum jalse wale maidan me honge.. Aur haan hume khas aamntran hai Shashika ke sath rahne ka, lekin abhi se kah deti hun hum bhid ka hissa rahenge...


Abhishek:- Ab sasuraal me hun to jaisa tum chaho baby...


Ert khush ho'kar wahin Abhishek ke gale me haath daal kar usse chumne lagi… jise dekh'kar bechari Kasak aur Jivisha khanati hui wahan apne hone ko jahir karne lagi... "Iss nalayak ko sahi jodi mili hai"… Nandni Abhishek ko dekh'kar hansti hui kahne lagi...


Abhishek:- Tere bhai ka pol khol dun kya… jab dekho tab maze leti rahti hai...


Luna:- Bus bhi karo... Aur Asis hum bhi bhid ka hi hissa honge… mere khyal se master Serin aur HuYu...


Luna itna hi boli thi ki tabhi HuYu… "Dono humshakal (Serin aur Kasak) ka pahle se hi kuchh alag programme hai... Jab Aizem se chali thi tabhi sanghosthi ho gayi thi…


Kasak:- Areee jahilon... Itna bada parivar le'kar hi ghumna paap na banao... Aaj shadi hai. Abhishek bhaiya gustakhi maaf jarra hum pee ke aaj jhum le... Ert apne pati ko humse dur le jao... Aree main to kah rahi hun jab'tak samaroh nahi shuru hota, in sab mardon ko jarra Nilbhut ki dilfek ladkiyon ke he darshan karwa do...


Nandni:- Bus kar nautanki... Aur sabko jarra, aaj kal ke social drink ko paros de... Bhaiyon se anurodh hai ki aaj bahno ki gustakhi maaf kar de...


Nadni ka kahna tha aur daru ki bottol sabke haath me thi… tabhi Serin, Jivisha ko khinch'kar alag le aayi, idhar Nandni kuchh sochti hui Nischal, Kasak, Ansh aur baki sab ko le'kar dusri ore chali aayi...


Serin, Jivisha ko ghurti... "Bhabhi ye jo tum sharab pee rahi ho... Uss se bacche ke swasthya par asar padega ki nahi... Wahan apni shadi me bhi gatak gayi thi, aur wo Surpmarich se bhi ladai... Aise khyal rakh rahi ho"…


Jivisha, Afsos bhada chehra banati... "Main bhi na Jhalli hun... Sab ke bich hoti hun to bhul hi jati hun. Darasal aankhon ke samne sabki khushi dikhti hai na... Kabhi Nandu, Kabhi Kasak, Kabhi mere love, kabhi tum... Naye aane walon ke liye apne sabhi logon ki khushiyan thode na najarandaj kar sakti, shayad isliye jab apno ke bich hoti hun to bhool jati hun"…


Serin:- Ab se ye baat yaad dilane koi na koi aapke pass rahegi...


Jivisha:- Kaun...


Serin:- Aap dekhogi to khush ho jaogi... Aao...


Serin aur Jivisha paidal chalte kuchh dur aage aaye... Jivisha jaise hi samne dekhi, bhagne lagi. Adhmya aur uska poora parivar pahuncha hua tha... Adhmya bechara apne sar par hath diye baitha tha aur uske 8-10 bacche, usse padeshan karne me lage huye the... Wahin pass khadi uski jodu Adhmee apne bacchon ki dekhbhal kar rahi thi..


Haan lekin wahan ek baat to thi… Nilbhut Samuday ke log jo kisi jaanvar se na dare, wo bechare Adhmya ko dekh'kar ghabra bhi rahe the, aur jugle ke raja ke sam'maan me, dur se hi apna sar jhuka'kar nikal lete...


Jivisha jaise hi unke karib pahunchi... Adhmee apne bade se panje ki ek nakhun uske sine se tika dee... Aise jaise koi insan apne hath se, kisi dusre ko rokne ki kosis karta hai... Thik waise hi, Adhmee apne 4 bade aur nukile nakhun ko niche mod'kar, ek nakhun Jivisha ke sine se tika'kar apna muh dusre ore mor lee...


Jivishsa:- Aarreee baap re mujh se itna gussa, kaahe...


Adhmee Jivisha ke chehre se kuchh inch dur, Adhmee apna vishal sa chehra la'kar... Ghurti najron se dekhti, kafi tej gusse ki dahar lagaa di...


"Areee yaar, ye tum dono miyan-biwi apna pyar dikhao ya gussa muh par poora thuk kaahe urrel deti ho"….. Jivisha apna chehra saaf karti hui kahne lagi..


Adhmee Jivisha ki baat sun'kar muh se "Huhhh" ka ek gahra sound ki, aur fir se chehra dusre ore mod lee... "Ohhh bahut naraj hai... Abhi tumhari narajgi dur kiye deti hun"… kahti hui Jivisha ne uske bade panje ko apne hath se pakdi... 4 bade aur nukile nakhun jo pichhe mude huye the usse sidha kar'ke, panje ko apne pet se tika di...


Adhmee apna muh dusri ore fere hui thi... Panja jaise hi pet se tika, kuchh pal baad Adhmee apna gardan dhime se ghumati hui, apne aankhen badi kar'ke Jivisha ko dekhne lagi... Jivisha wahan khadi bus muskura rahi thi…


Aur fir agle hi pal, Jivisha wapas se apna muh saaf kar rahi thi... "Aareeeeee Yaarrr... Ye fir pura muh bhigo dee"… Adhmee khushi se aise chillayi ki uske bacche jo Serin ko dekh'kar uss se hisab kitab karne gaye the...


Serin Adhmya aur Adhmee ke bacchon ko apne sath ghumaane ka jhansa dekar layi thi, lekin jab se wo yahan land kee, na to wo Adhmya ke bacchon ko ghumane le gayi aur na hi un bacchon ko yahan koi maza aa raha tha... Gusse me ab tak to un bacchon ne 8-10 Nilbhut samuday ke logon ko aise daraya tha ki bechare iss vikral Sher ke pariwar se apni doori banane me hi bhalai samjhe... .


Jaise hi Adhmee khushi se garji... Uss ki shaandar khushi ki dahar charo ore gunji... Ye dahar insani kano tak to simit duri tak hi suni jaa sakti thi, lekin poore Zoren ke pashu-pakshi iss aawaj ko sun sakte the...


Adhmee ke bacche aur uska jodi Adhmya sab apna gardan niche jhuka kar, daharte huye hawa me apne gardan upar tak laye. Adhmee ke khushi ki dahar ko uske poore parivar ne poore Zoren me achhe se faila diya...


Shayad Adhmee ne apne parivar ko Jivisha ke bare me samjha diya tha. Bacche apne kaan bari-bari se, Jivisha ke pet se laga rahe the aur jab unhe kuchh mehsus nahi hota, garadan upar karke Jivisha par gusse se dahar rahe the... Unki utsukta dekh'kar to na sirf Jivisha aur Serin, balki Adhmya aur Adhmee dono hi hasne lage.…


Kuchh der baad Adhmya ne apna sar jhukaya aur Jivisha ko upar baithne ka ishara kiya... Jivisha Adhmya par sawar ho gayi aur idhar Adhmee ne Serin ko apne upar sawar kiya. Sabhi pahunch gaye jhumne wali bheed me... Jahan pahle jab sheron ke parivar ne, pichhe se jhumte logon ko dhakka dete kinare kar rahe the, tab gusse me log pichhe dekhte aur najron ke samne sher ke poora parivar ko dekh'kar, fir to khud-w-khud sar jhuka'kar bich se jagah de rahe the... Sabhi ek bade se stage par pahunche jahan sabhi sher jhumne lage...


Unhe jhumta dekh'kar pichhe se 8400 dragon baibies bhi wahan aa gaye... Ufff ye natkhat bacche... Inke liye kaun jungle ka raja aur kaun jungle ka prani... Upar se ye dragon baibies pale bhi the to kinke chhatr-chhaya me... Jivisha aur Nandni… natkhatpan to aise hi aa jana tha...


Jivisha ko dekh'kar ye dragon babies bhi bhid ke upar se hat'kar, sidha stage par pahunche aur jhumte huye sabhi sher ke bacche ke upar mandrane lage... Koi saitani me Adhmya ke bacchon ke bade-bade kaan khinch raha tha, to koi Adhmya ke bade se naak me hi aag kaa chhota sa spray maar deta. Jab Adhmya khasne lagta, tab ye dragon babies tahake laga'kar hanste huye udd jate...


Issi bich bhanna'kar Adhmya ke sabhi bacche ne, gussa'kar kayi dragon babies ko hi muh ke ander gap se daba diya... Ye bacche bhi na khel-khel me jung ka mahol bana gaye... Stage par hi ek ore Adhmya ke 12 bacche aur thik samne hawa me dragon ka poora parivar, jo chhote-chhote spray maar'kar, sabhi Adhmya ke bacchon ko warning de rahe the... Lekin jawabi pratikriya me sher ke bacche apna muh nahi khol rahe the, taki muh ke ander ka dragon babies bhag na jaye..


Shayad dragon babies ne muh ke ander dabe hi kuchh kaha ho, jaise hi Adhmya ke bachhon ne apna bada sa muh khola.… Kuchh dragon babies aaage ke daant par khade the, to kuch kinare ke nukile daant ko pakad kar latak rahe the, aur bahar ke ore aag ka spray karke apne sathyon ko samjha rahe the ki wo khel rahe…


Jaise hi dragon babies ne ye naya khel dekha, sabhi line laga'kar Adhmya aur Admee ke muh ko apne panje se poori takat laga'kar kholne lage... Jivisha aur Serin ka hans hans kar boora haal tha... Adhmee apni gardan pichhe mod'kar Jivisha ko dekhne lagi... Jivisha uski manodasha samjhti... "Apni maa se door hain ye bacche"…


Jaise hi Adhmee ne ye suna, apne pati ke samne gusse me khadi hokar uska muh khulwayi... Bechara Adhmya… poora muh, na chahte huye bhi khol diya... Ab to sab jahum rahe the aur Adhmya ke poore parivar ke muh se hi aag ka spray nikal raha tha...


Jivishsa mann hi mann Nandni ko hi dhanywad kah rahi thi. Ussi ke vajah se usne pahli baar khul'kar apni khushi ko dikhayi thi… iss se pahle tak to apni khushi ko sameti hi thi... Aur aaj jab matr 2 logon me baanti, un dono ne khushi ko dugna kar diya...


Wahin idhar Nandni sab ko alag isliye gayi kyonki usse lag raha tha, sach ko jitni der tak sab se dur rakha jaye, galatfehmi utni hi badhegi... Upar se Kasak, aur baki sab log wapas Aizem hi jane wale hain. Dekha jaye to wo Nandni hi thi, jisne sabse pahle Viggo viman me Nischal ki maa Venyata aur Serin ki maa Martha ka sach jana tha...


Haan lekin ek dard bhade lambe yug ko sun'ne ke dauran, Nischal ne jo hissa Nandni se sajha nahi kiya tha, wo Jivisha ne usse bata diya... Aur jab Nandni ne usse yahan sab ke samne rakha... Sunkar hi sabke aankhon me aansu the…


Haalnki Jivisha aur Nandni, Nandni aur Jivisha.. Dono ek dusre se behichak Nischal ke 4 jodiyon ke bare me discuss kar sakte the… ek dusre ko samjhaane ke liye unhe bahut jyada mehnat nahi karni parti... Lekin Nandni ke samne samsya yah thi ki samjhaana kewal Kasak aur Ansh ko nahi balki sath me Asis, Abhishek aur Saahil bhi khade the...


Ek hissa to wo bata chuki thi... Lekin uske baad Nandni ko jaise sankoch ne gher liya ho... Wo aakhri baat bhi bata'kar sab saaf karna chah rahi thi, lekin uski himmat hi nahi ho rahi thi… Thik ussi waqt stage par daudte huye Adhmya aur uska parivar pahuncha tha, aur un logon ka itna khush ho'kar jhumna, kahin na kahin sabko unki khushi mehsus karwa rahi thi.…
beautiful update
 
Top