• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-50



Nischal…… Jo kiss tum ne platform par kiya tha, uss se mujhe tumhare pyar ka ehsas hua, ek aur kiss kar ke wo pyar mita do. Bas iss kiss ke baad main apne pyar ka dhindhora nahi pitunga.


Jivisha, thoda sochti….. "Pakka na, jaise tum ne kaha waisa he karoge"


Nischal, Jivisha ke bilkul karib aa kar uske aakhon me aakhen dal kar kahne laga…. "Haan bilkul.... main tab tak apne pyar ka zikr nahi karunga jab tak ki tum khud mujh se nahi kahti, ki tumhe bhi mujh se pyar hai.


Nischal, Jivisha ki aakhon me aakhen dal usse pyar se dekhe ja raha tha. Pahle to Jivisha bas iss baat ko soch rahi thi ki ek kiss jab main apni marji se kar sakti hun to iska bhi ye bichhadne se pahle wala kiss feel kar lun. Baki maal to apna hi hai, jayega kahan…


Lekin Nischal ka iss kadar aakhon me aakhen dal kar dekhna, Jivisha ke soch par parda dal diya aur sahmati me bas usne apni aakhen mund li. "Jaise kisi kavi ki kalpana ho tum, itni pyari aur masoom…. Uffffffff". Apne man me aaye khyal se Nischal muskura diya.


Jivisha aakhen munde bas Nischal ke kiss ka intzar kar rahi thi, aur tabhi Nischal, Jivisha ke kamar me hath dal kar dhire se apne ore khinchte, khud me sama liya.


Jivisha, Nischal ki pakad se aise khili, jaise barshat ke baad chhayi hariyali ho. Wo ehsassss, jab saans Jivisha ke chehre se takra rahi thi, halki madhoshi jaise chhayi ho aur uske hont, Nischal ke hoton ki chhuan pane ke liye taras uthe….


Jivisha ki chadhti saans mano iss pal tham si gayi ho, aur tabhi jaise usse ehsas hua ki Nischal ke hathon ki pakad uss ke badan se alag ho gayi hai. Chehre par parti sasen ab band ho gayi hai.


Apni ruki sason ko samanya karti hui Jivisha ne apni aakhen kholi, Nischal uss se kuch duri par khada Jivisha ko he dekh raha tha.


Jivisha, khumari si awaz me puchne lagi…. "Kya hua"?


Nischal….. Pahle to socha kiss kar lun par jab tumhe pyar he nahi to main kiss kyon karun.


Jivisha….. Nahi aisi koi baat nahi.


Nischal….. Oh to fir kaisi baat hai ?


Jivisha, apne khumari ke lay me bol gayi, lekin jab wo apne kahe shabdon par gaur ki to apne danton tale jibh daba kar…. "Woo.. Woo.. To mere muh se nikal gaya. Haan mujhe tum se pyar nahi, bas iss ek kiss ke matter par tum hamesha mujhe jo tane dete ho, uss roj roj ke tane se mujhe mukti pani hai".


Nischal…. Its ok, main ab kiss ki baat fir kabhi nahi karunga, tumhe beman ho kar kiss karne ki koi jaroorat nahi.


Itna kah kar Nischal apni najar Jivisha se hata kar idhar udhar dekhne laga aur Jivisha ne bhi apna dhyan Nischal se hata liya.


Jaise he Jivisha ek kadam aage badhi….. Nischal usse piche se tokte huye…. "Kya wakai me tumhe mujh se pyar nahi".


Jivisha….. Kitni baar kahun Nischal, nahi hai… nahi hai.. nahi hai….


Nischal….. Kya wakai me tumhe mujh se pyar nahi….


Jivisha, chidhti hui….. "Ab itna force karoge to tumhe mana bhi nahi kar sakti ki pyar nahi. Tum itne pyare ho ki tumhara dil nahi dukha sakti lekin baat fir wahi ho jayegi.. maine pyar se tumhare pyar ko kabool kiya aur jabardasti haan kahna para…


Nischal…. Itna karne ki koi jaroorat nahi, sirf tum mujhe ek mauka do, yadi main uss ek mauke me tumhare dil me apne liye pyar na jaga saka to fir kabhi tumhe samne apni shakal nahi dikhaunga.


Jivisha….. Kaisa mauka…..


Nischal….. Mere sath bas ek pura din bitao, kewal ek din. Aur uss ek din me main tumhare dil me, apne liye pyar na jaga saka to fir main apni shakal tumhe kabhi nahi dikhaunga.


Jivisha…. Pakka na, tum apni baat se mukad to nahi jaoge….


Nischal….. Nahhh…. Bilkul nahi mukad sakta...


Jivisha…. To thik hai kal main pura din, subah ke 10 baje se raat ke 10 baje tak tumhare sath rahungi. Jao khush ho jao de diya mauka...


Mare khushi ke Nischal "thanks, thanks" kahte Jivisha ke gale lag gaya, aur Jivisha uss ke iss pratikirya par hans rahi thi, "Ye to pura pagal hai"…


Nischal ke gale lagkar Jivisha ko sukoon sa milne laga. Kuch der uske bahon me khoye rahne ke baad jhatke alag hiti….. "Suno iss tarah se koi mujhe touch kare, mujhe pasand nahi. Isliye kal mere karib aane ki kosis bhi mat karna, mujh'se 2 fit ki duri banaye rakhna. Aur haan aaj raat ek treat hai, raat 8 baje Nandni ko le kar hume pick karne aa jana, ab jao...


Jivisha aur Nischal ko dur se yadi dekha jaye to sirf aisa he pratit ho raha tha jaise do premi aapas me pyar se mil rahe ho. Halanki ander ke haal-e-dil ki vastavikta bhi yahi thi kintu filhaal upar se to bus pyar nahi hai, yahi chal raha tha.. Inke bich hui baten, na pata chalne ke karan kuch log galatfehmi ka shikar ho gaya. Jin me se ek tha Kunal…



College se laut'te waqt Nischal aur Nandni..


Nandni:- I want party .. party … I want party .. party ..


Nischal:- Aaj raat to treat dene bulaya hi hai Jivisha ne, ab kaun si party legi..


Nandni:- Tere love ki gadi chal padi uski party …


Nandni, Nischal ke liye itni khush thi ki car chalate-chalate excitment me staring chhod kar, side se nischal ke gale lag gayi….. nischal teji se staring pakadte huye………… "Pagal gadi thik se chala le, tere chakkar me dusre mar jayenge. Aur haan koi bhi aisi baat nahi hai, kam se kam Jivisha ke ore se to nahi hé hai"… apni baat khate huye Nischal thoda mayus ho gaya..


Nandni:- Tu mayus na hua kar, teri chahat par mujhe pakka yakin hai. Waise ek baat bata..


Nischal:- Haan puch na…


Nandni:- Tum dono love to karoge lekin romance…


Nischal:- Haan romance.. ka kya..


Nandni:- Duffer wahi to romance… matlab tum samjh rahe ho na…


Nischal:- Main kosis kar raha hun ki tu mere hath se mar na kahye par aise betuki baat bolkar puchegi 'samajh rahe ho na' to main ache se tujhe samjha dunga… jo bhi bolna hai aaram se bol aur clear puch kya puchhna chah rahi hai.


Nandni:- Pagal kahin ka.. ek ghuma fira kar pucha gaya sawal samjh me nahi aata.. ohk cool.. Ye batao tum physical relation kaise banaoge…


Nischal:- What ???? Tu pakka aaj subah se nasha kiye baithi hai…


Nandni:- Nahi main serious hun, aur teri kasam koi nasha nahi kiya hai… bata na tu to alian hai na to kya tere pass wo hai…


Nischal, Nandni ke bal pakad kar staring par uska matha de mara… "Jyada bolegi to car se bahar hi fek dunga".. Nandni car me break lagati.. "Dekh abhi tu sorry kah de warna mujh se bura koi nahi hoga"..


Nischal:- Acha thik hai. Waise bhi mujhe jhagra nahi chahiye… sorry..


Nandni muskurati hui… "Thats my boy".. aur kahti hui uske hath ko pakad kar ek solid jhatka wo bhi 10 sec ka dete huye uska hath chhodti hui kahne lagi… "Tune mara, maine jhatka diya, badla pura hua… shant ho ja.. come on tej tej shwans le"..


Nischal:- Thik hun main, tu car chala. Aur sorry mujhe aise over react nahi karna chahiye thi. Tere sar me chot to nahi lagi na..


Nandni:- Pagal tune chot dene ke irade se mara hota to na chot lagti. Waise tumhare gusse aur control ki main fan ho gayi hun…


Nischal:- Ji shukriya.. lekin dekh ye aise paglon wala sawal na pucha kar.. main tumse puchne jata hun, tum aur doctor kya karte ho…


Nandni:- Tujhe kya nahi pata hum kya karte .. acha aaj raat gate khula chhod dungi tu porn show samjhkar enjoy kar lena...


Nischal:- Chhi… tu itni personal chijen kaise aasani se kah deti hai mujhse.. Pagal hai tu pure...


Nandni:- Tu janta hai, mujhe tujhme koi ladka ya ladki nahi dikhta isliye kah deti hun… waise bhi tera ghor ashrya wala chehra dekhne ka maza hi kuch aur hai.. chal wo sab chhod aur ye detail de ki tere pass bhi sab aam ladkon jaisa hai ya kuch biologically change hai…. compare to human…


Nischal:- Mere body ka basic structure human body ke jaisa hi hai, bus internally aur cell structure me change hai samjhi.. ab please ye sab mat puch .. ajib lagta hai…


Nandni:- Gadha hai tu…. Lagta hai meri baat tu samjhna nahi chahta… Main tujhse gender basic hokar apni baat nahi karti. Jaise main Jivisha se sab kahti hun, thik waise hi hai... Na to Jivisha se kuch bhi share karne ya kuch bhi puchne ya kahne me koi problem hoti hai, thik waise hi tu hai.. isliye baten gender basic hokar na socha kar, mujhe bura feel hota hai..


Nischal:- Haan samjh gaya.. lambe lambe bhasan dekar bore mat kar… samjh gaya ki dost matlab dost no gender basic.. now happy…


Nandni:- Very happy... Chhod ye aur chalkar treat ki taiyari karte hain …


Nischal:- Lekin treat ki taiyari, ye kuch jyada nahi ho gaya…


Nandni, nischal ko ghurte huye dekhi aur dono wapas apne flat ke ore nikal gaye…



College se laut'te waqt Kasak aur Jivisha....



Kasak:- Finally na na karte huye tere pyar ki gadi aage badh hi gayi…


Jivisha:- Mere pyar ki gadi aage badhi, ya puncture pari hui hai, ya fir main ek gadi se utar kar dusre gadi me baithne ja rahi hun ye to waqt hi batayega. Lekin abhi to hot story teri kahani hai, chhupi rustam bina humari jankari ke sabkuch kar liya aur hume pata tak nahi.


Kasak:- Nahi bataya tum dono ko, aur jaan-bujh kar nahi bataya, warna mera ghar basne se pahle hi ujar deti. Sochi, pahle ek pagal ki aadat lag jane do, fir 2 paglon se mulwaungi.


Jivisha:- Bhag kamini kahin ki, dekhna aaj tera break-up karwa kar rahungi.


Kasak:- Tujh par ek kya 50 ladke kurban meri jaan… meri life mein to pahle tu hai.. waise bhi jo tujhe acha nahi laga wo mujhe kaise lag sakta hai…


Jivisha:- oh ho ho hooo ! Aisa hai to Nischal ke liye fir kya kahne hai tere…


Kasak:- U can run and hide but never escape from your destiny darling.


Jivisha drama queen thi to Kasak bhi uski gurumata thi. Jivisha apne baton ke dauran kitni bhi kosis karti rahi ki Kasak ko uske BF ke naam se ghera jaye. Lekin har baar yahi hota, baat shuru to hoti Kasak se lekin discussion Nischal aur Jivisha par hone shuru ho jata…


Aise hi khatte nok-jhonk ke bich Jivisha aur Kasak ghar pahunchi. Dono ne jaise hi ghar mein kadam rakha wahan ka mahol hi badla hua tha... Jivisha ki bhabhi Nandita bich hall me Chirag ke kaan pakde uske hoton ko jalane ki kosis kar rahi thi, aur wahan Jivisha ki Maa Priya, Chirag ko chhod dene ki minnat to kar rahi thi, lekin jyada jor nahi dal rahi thi.


Haalanki priya ka dil kar to raha tha ki apni bahu ko 2 thappad khinch kar lagaye aur apne jigar ke tukde, pote ko chhuda le, lekin wo aisa kar nahi sakti thi. Iske pichhe ki wajah thi Nandita ka gussa. Yun to wo kafi milansar thi aur kitna bhi uksa lo gussa nahi aata, kintu ek baar yadi gussa aa gaya fir wo kisi ki suune se rahi.


Aisi hi ek ghatna kuch sal pahle ghati thi jab Jivisha ki sharaton par usse khub sunaya ja raha tha. Waise Jivisha ka dant sunna to inke pariwar ke aam jivan ka hissa tha, lekin Jivisha bhi thehri puri dhit aur moti chamri wali. Kuch bhi kah lo usse koi fark nahi parna...


To baat kuch aisi hui ki Priya bolne ke kram me itna bolti chali gayi ki wo Jivisha ke sath-sath Nandita ko bhi lapet li, yahan tak to thik hi tha. Lekin lapetne ke kram me Priya ne Nandita ke mata pita ko bhi ghasit lee. Thoda gussa to aaya lekin Nandita ne baat ko tul nahi di aur sochi uske mata-pita, uski saas ke samtulya hai, aur unka rista aisa hai ki ye sab to aam baten hain.


Kintu Priya ke kaleje ko yahan bhi kahan thandak mili thi aur isi kram me wo Nandita ke mata pita se badhkar sidha uske khandan par pahunch gayi. Ufffff !! Kya bhoot chadha tha Nandita par fir to. Uska gussa tha ki pure hafte din tak shant nahi hua tha aur Priya apne hi ghar me jyadatar dubki aur dari sahmi si ghumti thi.


Bilkul aaj bhi ussi roop me Nandita dikh rahi thi. Priya kafi atihatan apne pote ko bachane ki kosis kar rahi thi. Jivisha ne apne aakhon ke aage ka mahol dekhi to wo daud kar bhagi aur Chirag ko Nandita se dur karti, apne bahon me samet kar, tej-tej shwans leti usne apni aakhen mundi. Aakhen mund kar usne jhatke se apni aakhen kholi aur badi badi, gusse se laal aakhen usne apni bhabhi par dali… Jab wo gusse me apni aankh dikhyi, har kisi ne hawa me ek kampan mehsus kiya, aisa jo kisi ke bhi ander bhay paida kar de.
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-51




Jivisha ne apne aakhon ke aage ka mahol dekhi to wo daud kar bhagi aur Chirag ko Nandita se dur karti, apne bahon me samet kar, tej-tej shwans leti usne apni aakhen mundi. Aakhen mund kar usne jhatke se apni aakhen kholi aur badi badi, gusse se laal aakhen usne apni bhabhi par dali… Jab wo gusse me apni aankh dikhyi, har kisi ne hawa me ek kampan mehsus kiya, aisa jo kisi ke bhi ander bhay paida kar de.


Uski aakhen dekhkar to ek pal ke liye Nandita aur Priya bhi khauff me chali gayi…. "Khabrdar bhabhi jo mere bache ko aap ne aise punishment diya to, mujh se bura koi na hoga"..


Nandita:- Jivisha apni najren nichi karo aur Chirag ko yahan lao uski sara pagalpan ka bhoot aaj mai utar deti hun. Jivisha tumne suna nahi maine kya kaha.. apni najren niche karo.


Jaise hi Nandita ne gusse se unchi awaz me Jivisha se uski najren nichi karne kahi, tabhi Jivisha ko ehsas hua ki wo ye kya kar rahi hai… wo apne bhabhi ka chehra dekhi aur guilt feel karti hui mafi magne lagi. Kasak bhi wahin pass khadi thi, wo bhi bilkul aschrya me Jivisha ko dekh rahi thi.


Nandita, Jivisha ko ghurti hui… "Hmmm ! To mujhe tum bataogi ki bina karan jane isse kyon tumne bacha liya."


Itne me Kasak chupke se pichhe se aayi aur Nandita ke sar par ek pura jug pani urrelti hui kahne lagi… "Yahan hum 2 hain aur aap akeli bhabhi, jara shanti se baat karo"..


Kasak jaise hi pani dali, Nandita uski ore mudi aur khadi hokar gusse wala look de hi rahi thi, ki itne me Kasak ne uske chehre par sukha laal rang urrel diya… "bhabhi, ab tumhara gusse se laal chehra pura dikh raha hai"..


Kasak ki is harkat par dono bahne jor-jor se hasne lagi. Nandita ko bhi hansi aa gayi aur uska bhi gussa hawa hota wo hasne lagi, lekin apne upar ude rang ka badla to usse lena hi tha, isliye wo teji dikhati Kasak ko pakadne ke liye jhapti.. Kasak to hath nahi aayi lekin itne waqt me Jivisha ne piche se Nandita ke blouse ke ander 4-5 ice cube dal chuki tha.


"Wah bhabhi kya mast dance kar rahi ho".. piche hath na pahunch pane ki stithi me Nandita sidha apne kamer me bhagi aur bathroom me ghus gayi. Wahin dono bahne Chirag ko bhi apne sath leti chali gayi.


Kuch der baad sab log change karke wapas se hall ki baithak me sharik huye, jahan aaj ka mujrim Chirag tha. Nandita, Jivisha aur Kasak ko sunati hui kahne lagi…. "Janti bhi ho isne kya kiya tha"….


Chirag jo kisi mujrim ki tarah bich me khada tha, bhag kar Jivisha ke gode me baith'te huye kahne laga… "off o mamma, aap na dadi se bhi old model ho. Bahut hi picchdi hui soch hai."


Uski is baat par chaunk kar sabhi apna muh khole hasne lage… "betu aisi baten tumhe kaun sikha raha hai. Chalo kan pakad kar abhi sorry bolo mamma ko"..


"Didi bol rahi hai so main sorry bol raha hun, jarra puri kahani batao mamma, didi bhi aap ko yahi kahne wali hai".. Chirag gussa dikhate apni maa se sorry kaha aur wapas Jivisha ke gode me aakar baith gaya.


Jivisha Chirag ko chumti hui kahne lagi… "tu ja betu aur dobara kabhi aise mammi se baat kiye to hum sab tumse baat nahi karenge. Ja tu ab khel, tunhara mamla hum dekhte hainl".. Chirag bhi Jivisha ko chumte wahan se bhag gaya…


Kasak:- ab baat ko khincho mat, jaldi se bata do hua kya tha…


Nandni:- nawabjade ko pyar hua hai..


Kasak aur Jivisha jo-jor se hansne lagi…. "Bhabhi, Chirag kya gusse ke natije me paida ho gaya tha"… Kasak, Nandita ko chhedte huye kahne lagi..


Nandita, Kasak ke sir par ek hath marti…. "Pagal kahin ki, kuch bhi bolti hai."..


Jivisha:- shopping karwaoge, tab hum seriously sunege aap ko.


Nandita:- pagal wo to aise bhi karwa dungi… bata kya chahiye..


Kasak:- bhabhi aap bolo hun sun rahe hain.. kya shopping karna hai wo hun wahin tay kar lenge…


Nandita:- kya bataun main iske bare me. Bitte bhar ka aur iski nautanki tum dono se bhi bahut aage hai… Aaj school gayi thi lene to 4-5 police walon se lad raha tha.. akele ye nahi balki iski so called piddi jitni girlfriend hai na Aarshi wo bhi..


Jivisha:- hihihihihihi… kuch aisa kaho jo nahi pata ho.. ye hume pata hai..


Nandita:- aur kya ye bhi pata hai ki dono kiss kar rahe the..


Kasam:- Thik hi to kaha tha Chirag ne, aap ki pichhadi soch hai…


Jivisha:- haan bhabhi betu ne sach hi kaha tha..


Nandita:- Thik hai lip to lip kiss karte huye yah kahna ki… "ye humare pyar ka pahla kiss hai.. taki duniyawale samjh le, hume koi juda nahi kar sakta. Fir aandhi aaye, ya toofan ya fir duniya bhar ki military"…


Nandita ki baat sunkar dono bahne ashrya se apna muh fade hasne lagi.. Nandita apna sir pit'ti hui kahne lagi… "batao mai kya karun, ye to kisi ki sunta hi nahi… Jivisha tu sambhal apne bete ko, aaj se main to surrender karti hun.. mujh se nahi ho payega"..


Jivisha thode gusse me Chirag ke kamre me gayi, wahin uske piche jab Kasak ja rahi thi, usse rokte Nandita apne sath apne saas-shasur wale kamre me lekar chali aayi. Priya ab bhi Jivisha ke us vikral roop ko yaad karke ro rahi thi aur apne pati Himanshu se apni beti ko kisi tarah bacha lene ki guhaar laga rahi thi.


Himanshu wo waqt yaad karne laga jab ek prakashth guru achanak hi Jivisha ke janm ke waqt aaye aur bhawaishywani kar gaye the ki yadi upyukt samay par Jivisha ki shadi nahi hui to behtar yahi hai ki usse jahar dekar maar de, taki kayi hone wali anhoni ghatnayen tali ja sake.


Jivisha ke ander jis shakti ne jnam liya hai, uske bahar aate hi na sirf iss prithvi par apitu kayi aise hisse hain jo prabhawit honge… kayi caror logon ke jaan jane se behtar hai kisi ek ki jaan jaye.


Himanshu apni hi chinta me tha aur koi upay na mil pane ki stithi me usne apna aakhri vichar rakh diya… "Us sadhu ki baat satya ho rahi hai. Jivisha ke ander ki shaktiyan bahar aa rahi hai. Yadi ab uski shadi nahi hui to bahut sare logon ki jaan khatre me aa jayegi. Mera prastaw hai ki Jivisha ki shadi jald hi issi hafte me karwa diya jaye.


Kasak se iss bare me vichar liya gaya aur Kasak Nischal ka naam leti hui kahne lagi.. "Jivisha ke dil me Nischal basa hai aur dono ek dusre ko chahte bhi hain".


Himanshu achanak hi Nischal ke naam se bhadkte huye kahne lage… "Acha ladka hai lekin karta kya hai.. kewal pyar se zindgi to nahi chalti. Kya arrange marriage me log aapas me pyar nahi karte… kaise main jaan bujhkar apni beti ko andhkar me dhakel dun. Yadi us ladke ko meri beti se shadi karni hai to usse khud ko sabit karna hoga. Uske pass ek hafte ka samay hai.. Itne samay me wo yadi khud ko sabit kar saka to thik, warna main Jivisha ki shadi Shresh se karwa dunga. Jakar bata dena apni bahan ko"..


Kasak ko kuch bhi samjh me nahi aa raha tha ki wo kya kare aur kya Jivisha ko kaise samjhaye. Himanshu ki baat bhi sahi thi aur Jivisha ki haalat dekhne ke baad, Kasak ke dil me bhi dar ka ehsaas ho chala tha... Wo apne hi udher bun me kadam badha rahi thi, tabhi Jivisha Chirag ke sath khelti hui uske pass pahunchi… "Oye tu itni gumsum kyon hai.. mujhe batayegi"..


Kasam:- Yaar hum kisi ko khush nahi rakh sakte, bus hume sabko pareshan karne aata hai.. .


Jivisha:- kya hua… tu bhabhi ke sath gayi thi na wahan ander koi meeting chal rahi thi kya?


Kasak:- haan chhote papa bahut hi dukhi najar aa rahe the. Unhone kaha hai maine apni beti ko puri chhut di, lekin wo ek aise nakare ko chahti hai jo koi kaam nahi karta.. kya aisi shurat me wo kaise apni beti ki shadi uss se karwa de…


Jivisha:- mukhiya ji sathiya gaye hain. Padhte huye kaun kaam karta hai. 2 sal kaho ruk jane, fir wo bhi kuch acha kar hi lega. Yadi wo kuch nahi karega to maine kyon padhai ki hai.. main kaam karungi aur wo ghar ka chulha chauka karega. Waise dusra idea jyada achha hai.


Kasak usse ek thappad khinch kar marti… "Tumhe har baat mazak lagti hai, nahi… aur baki ke emotions koi mayne nahi rakhte, kyon? Kya kabhi teri shararton par unhone apni marji thopi… jaymala ke baad bhag gayi.. kitni bejjati jhelni padi sabko, lekin teri hansi me sab bhul gaye… tujhe jo karna hai kar ab main iske baad nahi samjhane wali… haan ek hafte ka samay diya hai chhote papa ne, yadi Nischal kuch bhi dhang ka iss dauran kar leta hai to tumhari shadi usse se karwa denge warna Shresh se tumhe shadi karni hogi"…


Pariwar walon ke Nischal se mafi magne ke baad jo Jivisha ki khushiyan lauti thi, wo ek pal me hi jaise dur ho gayi ho. Aankhon ke samne Nischal ki pahli mulakat se lekar uski har nadaniya.. uska wo mayus chhota sa chehra, Jivisha ke jhagra karne ke baad… college ki wo yaden, jab impress ke naye-naye tarikon ko dhundhna… aashu se bhinge chehre par achanak hi tej hansi aa gayi jab wo parking ke pass baith kar gaane ka kissa yaad aaya……


Iss ghar ki sari udher bun Josefer apni aakhon se dekh raha tha. Usse Aizem grah se aaye wo 2 Jasoos Ruki aur Suki ki baat yaad aane lagi…. Jab usne kaha tha waqt hamesa Nischal ke paksh me rahe, aisa sambhaw to nahi. Jis daur se Jivisha gujar rahi thi, usme bus Nischal ko bura to sabit karna tha, baki kaam khud-w-khud ho jana tha.. Aur aaj ke club ki praty se acha kaun sa mauka hota iske liye….


Waqt tha Kasak ka brainwash karke, Jivisha ko club tak lana aur iske liye Jatin kis din kaam aata… Josefer ka behrupiya kutta bahar gaya aur uske kuch samay baad hi Kasak ke mobile ki ganti baji..


Kasak bhi ek khamosh mahol ko jhel rahi thi, jisme rah-rah kar usse bura lag raga tha, ki usne apni bahan ko thappad mara.. bechari ke sath pahle se itna kuch chal raha hai. Kasak bhi bistar me, apni bahan ke liye roti, bus itna hi mana rahi thi ki koi to meri bahan ko iss musibat se bacha le…


Phone ki ghanti sunkar Kasak apni aashu saaf ki aur phone uthati… "Abhi mood thik nahi hai.. baad me baat karti hun Jatin".. itna kahkar Kasak call disconnet kar di.. dobara se phone ki ghanti baji aur Kasak thodi unchi awaz me baat karti hui kahne lagi… "Ek baar se tumhe samjh me nahi aata ki mera mood kharab hai"..


Jatin:- Phone rakhne se pahle meri baat sun lena fir call disconnet karna..


Kasak:- bolo..


Jatin:- agar mood kharab hai to mujhe tum bata sakti ho.. kewal bike par ghumane wala boyfriend nahi hun, balki tumhara har sukh mera sukh aur tumhara har dukh mera dukh hai... Ab jaldi se colony ke pas wale park me pahuncho.. main intzar kar raha hun..


Jatin apni baat kahkar call disconnet kar diya. Uski baat par kuch der Kasak sochti rahi, fir achanak hi uske chehre par thodi khushi aa gayi.. wo bhagkar jatin ke pass pahunchi…


"Hello handsome... So mera sukh tumhara sukh aur mera dukh tumhara dukh hai.. to batao main iss waqt kis baat se dukhi hun"…. Kasak Jatin ke pass baith'ti hui puchne lagi.

Jatin:: Ammmmm ! Tumhare chehre se lag raha hai ki tum royi ho. Iska matlab ki tumhari shadi tay ho rahi hai aur tum apne gharwalon ko humare bare me bata nahi payi..


Kasak:- aur bata kar kya karti.. puchte ladka kya karta hai to kya kahti mujhe bike par ghumana hi uska only ambition hai.


Jatin:- Yesssssssssssss … tumhe bike par ghumana he only ambition hai aur kaam karne ke liye mujhe bus 1 ghanta chahiye, taki main apne staffs ko manage kar sakun.. tumne samjh kya rakha hai.. 20 lakh rupye mahine tak salary banta hun... Minimum starting 40k salary deta hun… kal hi main papa ko bhejta hun riste ke baat ke liye...


Kasak:- Acha aisa hai kya … matlab tumhare papa bahut bare industrialist hain kya? Yadi aisa hai to apna break up pakka.. kyonki tum jhute ho Jatin .


Jatin:- Kya ek Kishan ka beta softwere engineering nahi kar sakta aur kya wo apni company developed nahi kar sakta.. ruko main tumhe kuch dikhata hun…


Jatin apna ipad open karke, usse apni company ke bare me sab kuch dikhane laga… "Ab yakin hua.. ya bank se sara cash nikalkar tumhare kadmon me dal dun"…


Kasak:- Ji nahi, bus mere ek dost ko 2 lakh ki naukri de do... Ab koi qualifications nahi puchna aur na hi wo kis tarah ka kaam kar sakta hai.. samjho ki ek bina kaam ka staff badha rahe..


Jatin:- pagal ho kya.. aisa bhi hota hai kya?


Kasak:- Oye tumse hoga ya mere mood hamesa kharab dekhna chahte ho..


Jatin:- Baat kya hai Kasak.. puri baat batao mujhe …


Kasak Jatin se puri baat sajha karti hui kahne lagi… "Bus main apni bahan ko dukhi nahi dekh sakti. Mang thodi najayaj hai.. par agar kar sako to"…


Jatin:- Tum kaho to 2 lakh kya 10 lakh ka job de dun.. Lekin Kasak jo log free ka job lete hain, wo bhi aisa ki kaam na karna pade, fir wo khud to kaam karte nahi aur wahan kaam karne wale mahol ko bhi bigad dete hain…


Kasak:- Hammm ! Koi baat nahi rahne do..


Jatin:- Itna mayus nahi hote .. aaj sham tum usse disco me le aao… main usse parakh lunga.. bus Sharif dikh jaye fir to business partner bhi bana sakta hun.. lekin yadi kahin galat insan nikla to ek baat bata dun, meri company 500 logon ko jivika deti hai.. 1 ke wajah se main itne logon ka bhawishya daw par nahi laga sakta…


Kasak khush hoti hui Jatin ke gale lag gayi. Uska chehra bayan kar raha tha ki wo kitni khush thi… Kasak ko aisa lag raha tha, jaise bhagwan ne uski sun lee ho aur Jivisha ki samasya aaj sham disco me solve ho jani hai…
very nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-52




Kasak khush hoti hui Jatin ke gale lag gayi. Uska chehra bayan kar raha tha ki wo kitni khush thi… Kasak ko aisa lag raha tha, jaise bhagwan ne uski sun lee ho aur Jivisha ki samasya aaj sham disco me solve ho jani hai…


Kasak ander se kuch acha mehsus karti Jivisha ke pass pahunchi. Jivisha ke liye bhi khamosh sa sama tha, jaise anterman me andhera chha raha ho aur sab kala-kala dikh raha tha...


"Hmmmm ! Naraj hai mujhe se"… Kasak, Jivisha ke kandhe par hath deti hui kahne lagi…


"Nahi bus aise hi leti thi.. aur naraj main tum se ho sakti hun kya"… Jivisha uthkar baith'ti hui kahne lagi..


"Tere chehre par likha hai, kitna tension me hai tu.. Janti hai jab kuch nahi samjh me aaye to kya karna chahiye"… Kasak apni baat kahti hui, Jivisha ko dekhkar muskurane lagi…


Jivisha, bhi thodi si khushi ka izhar karti…. "Haan pata hai, jab kuch samjh me nahi aaye to… Go With Flow.… Shayad bite dino ki gahri chhap aisi pari hai Kasak, ki dimag ne kaam karna band kar diya ho jaise. Kabhi-kabhi to lagta hai, sara jahan mera hai aur main iss jahan me khushiyon ke rang bhar rahi hun. Wahin kabhi-kabhi aisa lagta hai jaise sab jar-jar ki stithi me hai, aur main kisi virane me kahin akeli pari hun".. ..


Kasak:- Sorry bahna, wo chhote papa ko sunkar main thodi paresan ho gayi thi, aur apni pareshani me ye tak bhul gayi ki yadi maine sabke samne tumhari jhuti shadi ki baat nahi kahi hoti to ho sakta tha Nischal yahan ka chaheta ban jata.


Jivisha:- Shayad wo meri kismat me hi nahi Kasak, isliye jab bhi mere karib aata hai, kuch aisi ghatna ghat jati hai ki wo mujhse dur chala jata hai… Uski chahat mujhe khinchti hai bahan…


Kasak thodi bhawuk hokar Kasak ke gale lagti apna dil halka karne lagi… kuch der tak dono bahan shant rahi. Fir Kasak, Jivisha ko khud se alag karti hui, uske aanshu ponchhti kahne lagi…. "Rone se koi samsya ka samadhan to hona nahi hai.. isliye….."


Jivisha hansti hui… "Isliye… Go With The Flow. Kismat ko apna kaam karne do, hum apna kaam karte hai aur parinam waqt par chhodna hi samjhdari hai"..


(Kasak ki ek theory, jise usne apni bahan ko bhi sikhaya tha. Aksar un mamlon ke liye, jab dono he shararat karti payi jati thi. Parinam ki parwah kiye bagair kuch bhi karte chale jana)


Kasak:- Acha sun, chhote papa ne tumhare aur Nischal ke riste se aitraj nahi jataya hai... Bus wo khud me santusht hona chahte hai.. ab sab tere upar hai..


Jivisha:- Dekhte hain Kasak, humari kahani kis mod par hume le jati hai… ab to jo hona hoga wo hokar rahega…


Dono bahano ko bich kafi lambi baat chit hoti rahi… sham ke 6.30 baje Nischal, Nandni ke sath unhe pick up karne pahunch gaya aur wahan se teeno disco nikal gaye…


Disco pahunch kar teeno ladkiyan bar counter par baith'kar 2 taqila shot marne ke baad dance floor par pahunch gayi, wahin Nischal bar counter par baith'kar Jivisha ko dekhne me vyast ho gaya…. Usse dekh'kar arman jaise bahen faila rahe ho. Aur hasrat sirf itni si thi ki Jivisha bus chand lamhe usse bhi dede. Chand lamha jo sirf un dono ka ho.


Haal-e-dil to Jivisha ka bhi, kuch Nischal ke jaisa hi tha... Uspar se jab wo taiyar hokar aaj samne aaye, na chahte huye bhi Jivisha ki tirchhi najar, baar-baar Nischal par hi rahti. Uska pyara sa chehra aisa lag raha tha, dhire-dhire dil me utar raha ho…


Kuch der dance karne ke baad Jivisha aakar Nischal ke pass baith gayi…. "Papa mujhe Shresh se shadi ke liye kah rahe the"… aate hi Jivisha, Nischal se apni baat kahi aur uske ore dekhne lagi..


Nischal:- Kal ka wada yaad hai na..


Jivisha muskurati hui… "Haan mujhe to yaad hai lekin tumhe pata hai na, kis shart par tum mujhe le ja rahe ho"..


Nischal:-.Chhodo ye sab, wo to bhawishya hai, aur bhawishya ke bare me koi kuch nahi kah sakta.. Abhi na to tumhari shadi ho rahi hai aur na hi tum mujhse dur ho..


Jivisha apni hath aage badhati… "Ek dance ho jaye fir"..


Shadi ki baat par Nischal ka utra chehra aise khila, jise dekhkar Jivisha pyari si muskan dene se khud ko rok nahi payi. Kuch lamhe dono ek dusre ko muskura'kar dekhte rahe. Nischal, Jivisha ke hath ko thamte chal diya.


Dono ek dusre ke sath dance floor par chal diye. Dhimi awaz ki wo madhur sangit, Jivisha, Nischal ke gale me hath dal kar apne paun dhire-dhire dance floor par chalane lagi aur Nischal uske kamar me hath dal'kar, uska sath dene laga. Dono ek dusre ko mehsus karte apne kadam chala rahe the aur uss pal me khote chale ja rahe the...


Dono ko sath dance karte dekh Nandni aur Kasak dono muskura rahi thi. Itne me Jatin bhi wahan pahunch gaya aur Kasak ke pass baith'te huye… "You are looking gorgious sweetheart"..


Nandni:- Acha !!! Kya yahan isklauti yahi gorgious hai, baki sab to asur kul ke hai na..


Jatin:- Hey Nandni.. shristhi par paida hua har jiv sunder hai.. lekin mere liye to meri ek hi duniya hai…


Kasak:- Hum log filmy hai aur ye pothi wale hain.. suno Jatin tunhari baten bhakti channel par hi achi lagegi.


Waqt shayad sach me Nischal ke anukul nahi tha aur virodhi apni chaal, chal chuke the. Kuch pal ek-dusre me Nischal aur Jivisha khoye huye honge, Kasak ne Jivisha ko bula liya. Dance ka mahol khatm hote hi Nischal aakar bar counter par baith gaya. Idhar Jivisha, Kasak aur Nandni ke pass jakar baith gayi aur Kasak, Nischal ke sath kaise uski shadi ho uske upay par puri charcha karne lagi.


Tabhi uss mahol me ek jordar hooting honi shuru ho gayi. Ansh bhi un sab ke bich pahunch gaya aur wo sab aapas me baat karne lage… Nischal dur se hi sabko hanste aur bolte dekh raha tha.. aur un sab ko aise hanste bolte dekh uska chehre par halki mayusi si aa gayi…


"Shayad ye shama kabhi mera tha hi nahi".. Nischal wine ka pyala ek jhatke me pite huye khud se hi kahne laga…. "Bahut dukhi lag rahe ho Nischal"… Shresh aka Apini uske karib baith'te huye kahne laga…


Apni baat samapt kar, Apini ne 2 large wishkey mangwaya aur ek glass Nischal ke ore badhate…. "Piyo aur jahan se aaye ho wahan laut jao, waise bhi Malkia to 2 din me udd jayegi.


Nischal, wishkey ka wo large peg pite…. "Koi nahi 2 din to hai na Jivisha mere pass, wahi kafi hai.. baki tu jara mujhse dur rah, kyonki tujhe dekhta hun to Sapna mujhe yaad aati hai… gaya tha tere adde par aaj kal tera pura kunwa gayab hai wahan se"..


Apini:- humne suna tha ki koi sanki hume maarne ka pran kar chuka hai. Samjhdari issi me thi ki jis'se jit na pao uss se bhag lo.


Nischal:- Viswas rakh jis din main pakdne aaunga na, bhagne ke liye sara bhrahmand kam par jayega. Tu uss din ko kosega jab tune khushi se yahan prithwi ka kaam apne jimme liya… main tere ander wo dar daalunga ki tu marne se pahle kai maut marega.. ye wada raha.. ..


Apini:- Main uss waqt ka itnzar karunga. Waise tere 2 fan, Ruki aur Suko to tujhe yaad hi honge na…


Nischal ne jaise hi Ruki aur Suko ka naam suna, wo hairani se Apini ko dekhne laga…. "Aise aakhen kyon faad raha hai.. acha shocked ho gaya. Khair tu apna expression continue rakh, main tujhe batata hun un dono ne kya kaha… dono ne kaha hai ki bus ek purn grah ki raat, ek toofan Aizem me aayega aur Nischal ka naam jan'ne wale har kisi ko mitti me mila diya jayega, siway tere Jaal Mahal ke. Kyonki tera bhai Sabaiyya, usse apne kabje me le chuka hai."


Apini ki baat sun'kar Nischal ki aakhon me khun utar aaya… baithe hi baithe usne Apini ka gardan apne ek hath se pakda aur utha kar bar counter par patak diya. Wo pakad itni majboot thi ki Nischal ke hath ka nishan Apini ke gale par chhap gaya.


Bar counter par rakhe kanch ke glass, fut kar jagah-jagah Apini ke pith me chubh chuke the, aur patakne ke karan aayi andruni chot ke bare me to Apini ko hi gyan hoga…


"Jaan hai wo meri… aur koi meri jaan ko chhu bhi le main barbaad kar dunga barbaad… Jakar bata dena sabko"… Nischal bilkul garjte huye aise bola ki wahan maujood logon me, bhay ke karan bhagdar mach gayi.


Chhanik mamla tha… Apini dwara uksaye jane baad ki jo pratikriya thi, wo mahaj chand pal ka tha... Jabtak daudkar sab log pahunche, tabtak Nischal apni baat puri karke bar counter ke ander ghusa aur 2 bottol wine ki nikal kar bahar ka rasta pakad liya… piche se Nandni awaz deti rah gayi, lekin wo ansuna karke nikalte bana… aur Nandni bhi uske piche bhagi… Ab engine jahan jayega, wahan bogi to jayegi hi.. isliye Ansh bhi teji ke sath Nandni ke piche gaya…


Jivisha daud kar jab tak un dono ke pass pahunchi, tabtak Nischal apni baat kah'kar wahan se nikalte bana. Jivisha ko to kuch samjh me hi nahi aa rahi thi ki wo kya react kare..


Wahin in sab mamle ko hota dekh, Kasak bhi apni jagah se utne lagi, lekin Jatin uska hath pakad'kar bithate huye kahne laga…. "Ache dost banaye hain tumne Kasak. Is puri ghatna me yadi dosh main dusri party ka bhi maan lun, to bhi yahan aise gundon ki tarah jhagra karna… baki main tum par chhodta hun".


"Bhaad me gaya wo"… Kahti hui Kasak, Jivisha ke pass chali gayi… "Soch kya rahi hai Jivisha, kabhi-kabhi galat faisle ho jate hain.… Kuch waqt Shresh ko bhi tumhe dena chahiye… Jao isse hospital le jao"…


Jivisha, Kasak ki baat sun'kar khamosh hi rahi aur Shresh ko lekar wahan se hospital nikal gayi, aur Kasak wapas laut'kar Jatin ke pass wapas aa gayi... "Kya hua tum itni khamosh kyon ho"..


Kasak:- Chalo yahan se chalte hain Jatin, ye bhid aur ye shor mujhe ab pasand nahi aa raha.


Jatin muskurate huye Kasak ka hath thama aur apni bike par bitha ka usse ek bade se bunglow me le aaya.. Kasak uss bunglow ko dekh'kar puchhne lagi… "Ye tum kahan le aaye mujhe, Jatin"…


Jatin:- Yahi hai apna chhota sa aashiyana…


Kasak hansti hui…. "Iss hall me to football khela ja sakta hai aur tum kahte ho chhota sa aashiyana. Shandar bunglow hai Jatin."


Jatin:- So my would be, batao ki dinner me kya logi..


Kasak:- Ye koi bhut bunglow hai kya Jatin, yahan to kisi insan ki awaz tak nahi aa rahi..


Jatin:- hahaha.. nahi bhut bunglow nahi hai.. yahan kewal main rahta hun.. ek saaf safai wali aati hai, wo sham tak apna kaam karke chali jati hai.


Kasak:- Nah ye bakwas jagah hai… bada hua to kya hua, lekin yahan ghar wali feeling nahi hai.. jatak 5 log na ho ghar me.. chahal, pahal na ho tabtak wo maza nahi...


Jatin:- Koi baat nahi agar kosis achhi rahi to mehnat karke hum 4-5 bache jaldi-jaldi paida karke yahan bhi chahal, pahal wala mahol bana sakte hain…
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:- 53





Jatin:- Koi baat nahi agar kosis achhi rahi to mehnat karke hum 4-5 bache jaldi-jaldi paida karke yahan bhi chahal, pahal wala mahol bana sakte hain…


Kasak apni badi si aakhen ki … "Oyeee, Jyada bole to tumhara khun kar dungi… jao chup chap jaldi se kahan pakao, jabtak main fresh hokar aati hun…


Jatin:- Upar jakar left se pahla kamra…


Kasak:- Kya..


Jatin:- Arre upar jakar left se pahle kamre jao.. bus.. samajh jaogi…


Kasak, Jatin ke bataye kamre me chali gayi aur jaise hi wo kamre ke ander ghusi, charo ore ki deewar par apni badi-badi tasveere dekhkar khush ho gayi.. kayi sari tasveere thi.. kayi aise pal, jisme wo kabhi Jivisha ke sath khulkar hans rahi hai to kisi me pure pariwar ke sath baithi hui hai…


Kasak jod-jod se chillati hui Jatin ko awaz lagane lagi… Jatin teji se wahan pahuncha… "Kya ho gaya, itni ghabrayi hui awaz me kyon pukar rahi ho"..


Kasak:- Ghabrayi main hun aur kaanp tum rahe ho, kahin koi raaj to chhipa nahi rakhe yahan?


Jatin:- Ab tum aise chilla'kar pukar lagaogi, tab darna to swabhawik hai..


Kasak:- Chor !!! Tum meri jasoosi karwate ho. Jaldi batao ye sab tasveere tumhare pass kaise aayi..


Jatin Kasak ko khinch kar apne bahon me bharte, uske chehre par aaye laton ko apne hath se hata'te huye kahne laga…. "Jab tumhe dekhne ke liye pagal sa ho jata hun to ye kuch tasveere jo maine chupke se bina izazat ke khinchi hai.. usse dekh, khud ko shant kar leta hun…


"Achha, aur jab ye tasveren nahi thi, tab kya karte the"… Kasak apni bahen Jatin ke gale me dalti hui puchhne lagi…


Jatin apni aakhen mund'kar kahne laga… "Bus Yun hi aakhen mund'kar tumhare khyalon me kho jata hun"..


Jatin apni baat kah'kar apni aakhen khol'kar, Kasak ki najron se najar mila kar dekhne laga… Kasak kabhi apne palkon ko niche jhukati to kabhi Jatin ke najron par thehra leti… "Hume chalna chaiye ab"…


Jatin, Kasak se alag hote huye bilkul dhime se kahne laga… "Thik hai".. aur wo palat kar apna ek kadam aage badha liya.. Kasak thik piche se uska hath pakad lee… Jatin apne gardan ko ghuma kar piche dekha… dono ki najren jaise ek dusre par thehar kar bahut kuch kahna chah rahi ho…


Dono apni jagah thehar kar ek dusre ko kuch der dekhte rahe.. Kasak apne ek kadam aage badhati, thik Jatin ke samne pahunchi aur apni aeriyon ko uncha karke Jatin ke honth se honth lagakar chumne lagi..


Jatin jis baat ko nahi hone dena chah raha tha, wahi kahani hote ja rahi thi... Jatin ke sabhi sathiyon ne shikar kiye the, aur lagatar karte aa rahe the, isliye unki body santulit thi.. lekin Jatin ne kayi dino se Shikar nahi kiya tha aur Kasak ke chumte hi uski pyas bhi badhne lagi…


Uske sharir ka ek swabhawik pariwaratan jo sahwas ke waqt hota hai, wo abhi se dikhne laga tha… Jatin, Kasak ko khud se dur karte huye kahne laga… "Nahi Kasak ye sab thik nahi"..


"Haan ye sab thik nahi warna jaise hi tum sex me khoti chali jaogi, ye tumhari boti-boti noch lega.."


Nischal thik uske piche bistar par baith'kar apni baat kahne laga… Nischal ko dekh'kar Jatin teji se darwaje ke ore bhaga… zoom se ek hawa gujri aur darwaje ke aage Nischal khada tha… "Aaram se baith jao, jabtak tum Kasak ke sath ho wo tumhari sequrity hai… Kasak se dur gaye to tumhara patta saaf hai"..


Jatin ne jab Kasak ko dekha to wo bistar par behosh pari thi… Usse achet awastha me dekh'kar Jatin ghabrate huye puchhne laga…. "Usse kya kiya"..


Nischal, apni badi si aakhen kiye uske ek jangh par paun rakh'kar, uske gale ko daboch liye. Apna chehra thik uske chehre ke upar le jate huye, apni bhadi si awaz me kahne laga….

"Viggo jab samne aa jaye to jante ho kya hota hai… Viggo ko kabhi apne aas-pass mehsus kiya hai.. Kya hoga jise tum Aizem ka sahjada samjhte ho, wo ek Viggo ho.


Nischal ki pakad ka pahili bar Jatin ne maza liya tha. Jaise hi gala chhuta, wo hafte huye khasne laga. Viggo naam sunkar hi Jatin ke pasine chhutne lage… wo Nischal ke vikral roop ko dekhte huye kahne laga…. "Viiii.. Viggo.. lekin ye jan-samuh to kai varshon purv aapas me lad'kar samapt ho gayi thi"


Nischal:- Yahan tum mujhe mera istihas mat batao… mujhe jo jaan'na hai kewal wo batao. Wo bhi bina bhatkaye…


Jatin, apna hath jod kar sar ko niche jhukaye…. "Viggo, Kasak ko kya hua hai.. wo aise kyon pari hai"..


Nischal:- Ye jinda rahe ya mar jaye, tumhe koi fark parna hai kya…


Jatin:- Viggo aap jaisa soch rahe hai, waisa sabhi Zoren niwasi nahi hote…


Nischal:- Jinda maans to tumne bhi khaya hai.. nocha to tumne bhi hai kaiyon ko… Jatin kuch naya batao…


Jatin:- Hmmm ! Aap sahi ho.. Main kuch bhi kar lun rahunga unme se ek hi..


Nischal:- Tum jante ho maine uss raat tumhari jaan kyon baksh di thi...


Jatin:- Koi idea nahi… waise aapne pahchana kaise mujhe...


Nischal:- Ajib si ghinn wali badbu aati hai tum logon se.... Kabhi us ghrina ke gandh ko mehsus kiya hai ki nahi..


Jatin, khud me ander se bebas aur lachar mehsus karte huye…. "Viggo aap ko kya jaan'na hai mujhse"…


Nischal:- Malkia ki jankari do mujhe..


Jatin:- "Viggo main bus itna janta hun ki Malkia ki shaktiyan asim hoti hai. Ek Malkia huamare mahamahim ko kayi varshon tak jivit rakhti hai aur unhe asim takat pradan karti hai"…

"Ab tak hum prithvi se 12 Malkia, Zoren ki seema tak le ja chuke hain… lekin Mahamhim aur Rijo, Malkia Jivisha ke liye pagal bane huye hain... Inki shakti Zoren tak mehsus ho rahi hai. Unka ye kahna hai ki ye Pahli (first) hai.. Aur ek baar yadi Juvisha hath lag gayi, fir pure bhrhmand me kewal Mahamahim ka jhanda lahrayega"…


Nischal:- Aisi kaun si shaktiyan hain Jivisha ke ander, jo tumlog usse chain se rahne nahi de rahe…


Jatin, Nischal ki baat sunkar jor jor se hanste huye kahne laga…. "Ek Viggo Malkia ke prem me hai… hahaha… Viggo ka dil bhi prithwi par dhadkne laga"…


Nischal:- Mujhe aisa kyon lag raha hai ki main apne hath ka dawab tere gardan par dala aur tera gardan tamatar ki bhanti kachumar hokar ajib si haalat me hai.


Jatin:- Maf karna Viggo.. Jahan tak Malika ki shatiyon ki baat hai, uska namuna aap dekh chuke ho, Jab Malkia apni soyi ikcha shakti se aap par humla ki thi. (Jatin kuch pal khamosh rahkar Nischal ko gaur se dekhne ke baad)

"Jahan tak mujhe lagta hai, wo afwah sahi hai jisme ek Viggo ka jikr aata hai… Purn santulit.. shakti ke hote huye bhi shaktiyon ka prayog na karne wala… to wo cross mutant aap hi ho… Ek Viggo rani aur Aizem ke sabse surveer aur shanti priya shasak ka bacha… Nischal"..


Nischal:- Tere yahan ke school book me hai kya Viggo ka chepter, ya ek research subject hi Viggo ke upar rahta hai tumhare yahan… Ye batao Malkia ki itni shaktishali prajati ke bare me hume kaise pata nahi… inka itihas kya hai.. inke log kahan hai... Aur ye Malkia apne samaj me na paida hokar aise aam insano ke bich kahan se paida ho jati hai..


Jatin:- Iski jankari mujhe to kya pure Zoren me koi nahi bata sakta siway Mahamahim ke. Rijo tak ko iski puri jankari nahi hai. Upar se Malkia, Prithvi par basse, kamjor prajati ke yahan paida leti hai, jiski shaktiyan bahar aane se pahle hi hum Zoren ki seema tak pahuncha dete hain… Aisi shurat me Malkia ki jankari kahan se kisi anya grah par hogi….


Nischal:- "Ha ha ha… Teri Malkia, Prithvi par hai aur tu yahin ke mul niwasi ko kamjor bata raha hai. Sach me jitna suna tha, uss se kahin adhik gire huye prajati ke tum log ho… Yahan ki jalvayu kisi vardan se kam nahi.. yahan ki technology wakai kamal ki hai.. aur sabse kamal ke to yahan ke log hai… Lekin tu aur tere log nahi samjhenge.. bahut hi nich kism ke ho na"..

"Khair tu ye bata mere rahte Jivisha ko 2 din me le jane ki baat ho rahi thi … iski wajah…….."


Jatin:- Viggo, humara Rijo sabse khatrnak tukdi ke sath aa raha hai… aur uske sath kayi adrishi janwar kal raat tak yahan pahunch jayenge… Malkia ke pure pariwar ko mar'kar, sab uska roop lenge aur Malkia ko bharmakar apne sath le jaynge..


Nischal:- hahahaha… aur mere bare me kya yojna thi…


Jatin:- Viggo wo .. wo..


Nischal:- Kya wo..


Jatin:- wo kal aap ke doston ko marne ke liye samst sena toot paregi, jabtak aap udhar vyast rahenge… tabtak wo Malkia ko le jayenge…


"Hahahaha…. Ja jakar mere liye 1 bottol daru le aa aur apna mobile dete jana"… Jatin chala gaya yah kahte ki.. "bus aakhri bottol hai mere pass" aur mobile dete chala gaya…


Nischal, ne Nandni ko call lagaya, lekin iss'se pahle ki wo kuch bolta, Nandni usse ghar wapas na aane ka bol'kar call disconnet kar di. Idhar Jatin bhi apni aakhri bottol lakar Nischal ko bhent kar diya… Nischal puri bottol ek baar me samapt karte...

"Achhi yojna hai … lekin main kyon na aisa karun ki tumhare khatrnak tukdi ke pahunchte hi, main unpar humla kar dun aur sabka safaya ek sath kar dun"…..


Jatin:- Viggo wo humari khatrnak tukdi hai… uske samne tik nahi paoge..


Nischal:- "Chalo maan liya main tik nahi paunga, lekin yadi main aisa micro device bana kar, yahan ke prashashan ko de dun, jo tumhare micro practical ko orignal shape me dikha sake. Fir to tum.. tumhara wo kamjor sa adrishi janwar aur tumhara sare viman, unke najar me hoga…"

"Aukkad to mujhe tum logon ki pata hi hai… ek ladki par jhund me humla karte ho. Jab tum logon se akeli si ek ladki nahi sambhalti, fir tum inke latest hathiyar aur ache trained officier se kya ladoge re Gotiya.. Tu to lut jayega re Gotiya..


Jatin:- Hammm ! Iska matlab aap wo device bana chuke ho… Mujhe Ruko aur Suki ne Jaal Mahal ke vishay me bataya tha, yakin nahi hua.. ab samjh me aa raha hai ki unhone sahi kaha tha… Waise bhi pata to ab chal raha hai ki aap ek Viggo ho. Jahan tak mujhe lagta hai, aap prithvi par bhi apni jigyasa ke karan hi aaye ho"..


Nischal:- Pata nahi kyon tu mujhe pahle din se pasand hai. Tujh se abhi baat kiya, tera dimag bahut sharp hai.. iska matlab tera Mahamahim aur Rijo kafi buddhiman log hain, jo logon ko uske talent ke hisab se kaam saunpta hai… Ek chaalak shasak aur uske sath ek yogya mantri.. Kamal ka combo hai…


Jatin:- Haan Viggo..


Nischal:- Tu apni Malkia aur uski shaktiyon ko janta hai… Mere yani ek Viggo ke bare me bhi tu suna hai. Ab tu hum dono ki shakti se tulna karke andaza laga ki Jivisha ki shakti mujh se kitne guna jyada bhadi hogi..


Jatin hanste huye…. "Bahut chahne lage ho aap Malkia ko… Khair hume Malkia ki shakti ko dekhne ka kabhi mauka nahi mila.. to kya kahun main kis tarah ki shaktiyan hai. Bus jo sunta aa raha hun wo itna ki Malkia ke pass asim shaktiyan hoti hai. Unki ikchha shakti ke virudh koi tik nahi pata…

"Main tulna karne ki stithi me nahi hun.. kyonki ek to aap Viggo upar se aise cross mutant ho jiski shaktiyon ki kalpan hi ki ja sakti hai bus. Dekhne wala to kabhi bata bhi nahi sakta, kyonki wo jivit bhi nahi bacha hoga… Ek kaam karna Viggo, aap aur Malkia ek din aamne samne ki ladai ladna fir main Judge karke bataunga"..


Nischal:- Tu to bada hi close ho raha hai.. ladwa kar dobara meri pasli tudwane ka plan hai, ya mujhe marwa dene ka…
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-54




Nischal:- Tu to bada hi close ho raha hai.. ladva kar dobara meri pasli tudwane ka plan hai, ya mujhe marwa dene ka…


Jatin:- Aap ko khud kuch bhi andaza hi nahi tha ki Jivisha ke ander koi shakti bhi ho sakti hai.. ussi ka parinam tha wo pasli tootna… warna aap aam Viggo to nahi ho... Main jab aap se pahle din mila tha, mujhe laga bhi tha ki aap ek aam sahjade nahi ho sakte… lekin baat ko maine tul isliye nahi diya, kyonki aap ke bhai ya uske jasoos ne kabhi nahi bataya ki aap ek Viggo ho.. Kya hua tha wahan ke Viggo ke sath, aap aur aap ki maa pahchan kyon chhipaye hain..


Nischal:- Tu beta jitne mere sawal ke jawab na diye, uss se jyada sawal to mere bare me puchh liya… chutiye tu Zoren me baith kar Aizem ki afwah ache se yaad kiye hai, lekin sala tujhe apne grah ki ek bhi baat pata nahi..


Jatin:- Sala… Acha laga sunkar.. meri ek bahan hai "baby".. uss se jode banwa lo Viggo.. fir to aap hi wahan ke Mahamahim hoge..


Nischal:- sale nich .. tu chahta hai main teri tarah maans noch-noch kar khane wala banu..


Jatin:- Humara narbhakshi samuh nahi tha Viggo.. Maine to 2 mahine se koi shikar bhi nahi kiya, fir bhi jivit hun.. ye sab Mahamahim ki maya hai… Malkia ki puri shakti to unhi ke ander nihit hoti hai…


Nischal:- To kya tumlog bagawat nahi kar sakte apne Mahamahim se..


Jatin:- Mahamahim hai wo, uss se bagawat.. hahaha.. Aisa to khyal bhi shayad hi kisi kis ko aata hoga aur jise aata bhi hoga wo chupchap jakar atmhatya kar leta hoga... Kyonki Mahamahim ke darbar ki saza jhelne se acha hai aatmhatya karna…


Nischal:- Ek baat batao sala tumlogon ko pata kaise chalta hai ki yahi Malkia hai, aur usse fasne ke liye kya-kya tarike apnate ho… 12 Malkia ko le gaye ho to jara fasne ke tarike par bhi gaur farma le…


Jatin:- koi 15 ya 18 sal me ek yog banta hai.. Sabhi grahon ki ek vises stithi hoti hai aur tabhi Malkia ka janm hota hai… Malkia ka janm hua hai ye kewal Mahamahim ko pata hota hai. Mahamahim khud prithvi par aate hain… Unke ghar kisi sadhu ke vesh me jate hain aur kahte hain ki upyukt samay par yadi ladki ka vivah na hua aur uska kamurya ko bhang na kiya gaya to iske ander ki shakti sampurn vinash kar degi…


Nischal:- Kya baat kar raha hai.. Matlab Jivisha ki kamurya bhang aur udhar uski shakti gayi..


Jatin:- Kya Viggo, Inheritance power ka sex se kya lena dena hai… kayi baar to rashmon ke chakkar me kayi khoji ko yahin Malkia ke sath suhaagrat manani padi thi….


Nischal, Jatin ko khinch kar ek thappad marte huye…. "Sala ye shadi aur suhaagrat wali baat batani jaroori thi. Samjh to gaya tha main inheritance power. Tu aage bata…


Jatin, Nischal ke chehre ke bhaw ko dekh'kar hanste huye aage batana shuru kiya….

"Mahamahim apna kaam karke chale jate hain. Fir yahan humari 2 khoji team hai.. Ek Apini ki aur ek meri. Humara kaam hota hai, Malkia ki soyi ikchha shakti ko jagrit hone ke purv unhe yahan se Zoren ki seema tak pahunchana. 14-15 sal baad hume bataya jata hai ki Malkia kaun hai… Hum sabhi sambhawna par gaur karte hain aur jis-jis ladke se shadi ho sakti hai, usko badal diya jata hai… Dar ka mahol to gharwalon me pahle se rahta hai, isliye kuch samay baad kisi ek ladke se shadi ho gayi aur fir humara kaam aasan."

"Lekin eklauti Jivisha aisi thi, jiski umr lagbhag 21 ki hui, tab jakar uske ghar wale shadi ke liye jaage.. wo bhi tab jab humne apne shikar ko jaan bujh kar pune me fekna shuru kiya. Is ghatna se uske pitaji ko lagne laga ki anhoni ghatnayen shuru ho chuki hai… Upar se samsya ye bhi thi ki Jivisha kisi ladke ko pasand bhi nahi karti aur na hi uske pitaji kabhi charcha karte ki Jivisha ki shadi kis ladke se karni hai".

"Shadi ki baat clear hote hi hume ladke ki detail pata chal gayi thi, aur hum sari taiyarion ko pukhta karne ke baad, bus shadi khatm hone ka intzar kar rahe the. Humara kaam lagbhag ban chuka tha, lekin lagbhag aadhi shadi ke baad Malkia bhag gayi… shayad unki soyi ikchha shakti ne unhe aagah kiya hoga… uske baad kya hua wo to aap ko bhi pata hai Viggo.. Humari kismat me aap aa gaye .. aur mujhe ab lagta hai, wapas Zoren jana to dur ki baat hai.. jinda bachunga ya nahi uspar bhi shanka hai"..


Nischal:- Tere se baat karke laga ki tu utna bhi bura nahi hai lekin masoomo ko to mara hi hai.. ek hi baat kahunga… Kasak se dur ho ja aur apni jindgi bacha le… Tumlog ek aise apradh me samlipt ho, jisme koi mafi nahi milegi… Haan lekin yadi wada karo ki dobara Kasak ko apne moh jaal me nahi fasaoge, to main tumhe jivit jane dunga…


Jatin:- Maine Kasak ke liye moh jaal ka istamal nahi kiya tha Viggo, lekin jane do. Puri kosis karunga ki main ab Kasak ke najdik bhi na aaun. Lekin Viggo aapke dimag me chal kya raha hai… aapne device bana lee… humari tukdi ki information bhi nikal liye… Shayad aap yahan ke logon ki madad se abhi ke liye unhe wapas bhaga bhi do… lekin tab kya hoga jab Mahamahim aamne-samne ki ladai me honge…


Nischal:- "Tab tum apni Malkia ki shakti ko pahli baar apne aakhon se dekh paoge. Mehsus hoga Jivisha ke ander ki shaktiyan, jab wo Mahamahim se lad rahi hogi… Mujhe yah to yakin tha ki tumhe kitni jankari hogi Jivisha ke shakti ke bare me.. Lekin ummid thi ki iss shakti ke origin ka tumhe pata hoga"

"Khair koi nahi.. Mujhe pata hai ki Jivisha ke shakti ka origin ka kaise pata lagana hai aur kaise main Jivisha ko uski shaktiyon par kabu karna sikha sakta hun...


Jatin:- Aur aap ka pyar Viggo..


Nischal:- Shayad adhura hai... Khair samay kitna ho gaya Jatin wo to bata de…


Jatin:- Viggo 10.10 baj gaye.. waise ek varshon ki jigyasa hai jiske jawab ke liye main bahut vyakul hu… please sun lo..


Nischal:- Abe main tujhse jankari nikal raha hun ya tu mujh se…


Jatin:- "Bus yun hi ek jigyasa thi man me kahin dabi. Aaynek planet ke tabah hone ke baad, Viggo ka ek samuday jo khud ko Hayfa Viggo batata tha.. wo humare yahan migrant tha. Chhota sa samuh tha aur aapas me kafi pyar se rahte the.. Tab jo Mahamahim the Salvik, unka ek sainik hua karta tha Mittoso.. Mittoso ne badi hi chalaki se un chand mutthi bhar Hayfa Viggo ko apne sath milaya .. aur tab ke tatkalik Mahamahim aur Rijo ko usne Viggo ki madad se samapt kar diya…"

"Khair uss waqt humari seema bhi chhoti thi aur sainya bal bhi, kintu itna bhi kam nahi tha ki mahaj 100 log unhe dwast kar jaye. Lekin 100 Viggo ke samne koi nahi tika… Mittoso jo aaj ka Mahamahim hai. Usse Mahamahim banane me Viggo ka pura yogdan tha... Zoren ki puri tecnology ke janak wahi log hai... Mahamahim ek cross breed chahte the.. Viggo aur apna … lekin Viggo wo cross breed ke liye raji nahi huye, kyonki unke hisab se Mahamahim ne kewal unka istamal kiya tha apne bharm ke kshmta par, aur aise me unhe cross breed swikar nahi tha"..

"Wo Viggo chahte to Mahamahim ka badi aasani se takhta palat kar sakte the… naye generation ke Viggo iske liye taiyar bhi the, lekin unke purane generation ne Zoren ko chhodne ka faisla kar liya… Bechare… jis viman me sawar the ussi me malwa ho gaye"

"Aisa hi kuch humne Aizem aur Miyaka planet ka bhi suna tha.. wahan to Viggo ke 2 generation ke bich, aapas me hi matbhed itna badh gaya ki sabhi lad'kar mar gaye, lekin ek bhi cross breed sambhaw nahi ho paya.. Mujhe ye bata do.. aap logon ke pass kashmta hote huye bhi aap kyon nahi ladte.. aap ka itna bara samuday Aaynek se palayan hokar Zoren, Aizem, Miyaka, Yahan tak Luceto bhi gaye.. Chahte to in sabhi par Viggo ka hi Raj hota, fir bhi koi pagalpan ki bimari thi jo sab kuch chhod kar mar gaye"

"Marna hi tha to Aaynek jab tabah ho raha tha, wahin mar lete. Wahan se fir bhage kyon?"


Nischal:- Aur daru rakha hai kya yahan.. wo pilayega tab main jawab dunga iska…


Jatin daud kar daru le aaya… Nischal bade maze se aadha khambha gatakne ke baad thodi shwans liya… "Abe aise aakhen kyon faad rara hai"..


Jatin:- Viggo wo jawab..


Nischal:- Tu pahle time bata…


Jatin:- 10.20…


Nischal:- Tune jo sawal puchna na Jatin, uska jawab bhi tere baton aur teri kahani me hai… thoda sochega to mere khyal se pata chal jayega.. Thik hai ab main ja raha hun... Kasak ko ghar bhi chhodna hoga..


Jatin:- Acha suno to bhai .. 2 min ruk to jao….. ek baat aur janne ki jigyasa hai… waise to sanka mujhe ussi ka ho raha hai, lekin fir bhi aapke muh se sun lun to.. aap kaun se varn ke Viggo ho..


Nischal:- wahi jo tu samjh raha hai… Viggo Sigma .. Alpha, unidentified first class..


Jatin hairani se Nischal ko dekhne laga… aur Nischal bade aaram se bachi hui bottol khali karne laga… jaise hi Nischal ki bottol khali hui…. "Abe pagal fir aise ghur raha hai. Ja jakar so ja"


Jatin:- Bhai ek request hai…


Nischal:- bol sun raha hun…


Jatin :- Yadi Malkia se baat nahi bani to kya aap meri bahan ko chun sakte ho…


Nischal uski ore dekhte huye hasne laga…. "Tera Viggo puran me kya jawab hai iske bare me jara bata"….


Jatin:- Ek Jindgi Aur Ek partner… Itihas nahi aisa ki ek jindgi me kisi Viggo ne 2 partner banaye ho. Shayad yahi ek badi wajah hai ki Viggo kabhi kisi dusre samuday me cross breed ke liye taiyar nahi hote, kyonki wahan partner badlna samanya si ghatna hoti hai, jabki ek Viggo ne kisi ko pasand kiya to fir uske baad koi dusra na to usse chhal se jit sakta hai na bal se… marna pasand karte hain lekin partner badal jaye, aisa khyalon me bhi nahi hota…


Nischal:- Shabash.... Ab tu ye bata tujhe itni jankari kaise Viggo ke bare me..


Jatin:- Mera 2rd generation pariwar se Rijo rahe hai mere ghar ek sadsya. Ussi ne Viggo ko Zoren par basaya tha.
Unhi ki kahani sunte hum bade huye hain... Aur unki sabhi kahani me Viggo hi the.…


"Thik hai Jatin ab main ja raha.. ab teri soorat dekh kar bore ho gaya… jabtak Jivisha ko na dekhun chain na milega. Baki tu mera sandesh Rijo tak pahuncha dena ki maine parso sham ke waqt, baatchit ka prastaw rakha hai, aur main khud akele aaunga baatchit karne. Sath me mere device ke bare me bhi sangyan dena, jise maine ab tak kisi manav ko nahi diya hai… Ek aur baat, Kasak se dur rah, teri lambi umr hogi"…


Nischal, Kasak ko utha'kar wahan se le gaya aur sidha uske kamre me lita diya. Jivisha ko bahut dhundha lekin wo apne kamre me nahi thi... Dekhne ko vyakul man usse hall me taak- jhank karne par majboor kar raha tha..


Nichal ne jab hall me dekha, tab uske chehre ki khili muskaan byan jar rahi thi ki wo Jivisha ko dekh'kar kitna khush hai, lekin ye matr ek chhanik khushi thi… kyonki hall me sabhi pariwar ke log khushiyan mana rahe the… karan Jivisha ne Shresh ke sath shadi ke liye haan kar di thi…


Nischal ko ek pal me hi jaise laga ho ki uski sari khushiyan bikhar gayi ho. Gum ye nahi tha ki Jivisha ne ek aise aadmi ko chuna, jo ek behrupiya tha aur uska marna to tay tha… dukh to iss baat ka tha ki Jivisha bhi iss shadi ke liye raji thi. Mayus hi wo lauta aur khamoshi ke sath apne bistar par jakar let gaya…



Idhar Nandni


Nischal Apini ko uske bhadkane ki saja dene baad, badi teji se bahar nikal raha tha aur uske piche-piche Nandni bhi bahar nikli. Jaise hi wo mukhya dwar se bahar nikli uske paun ke niche Nischal ka mobile gira aur wahan Nischal ka koi pata bhi nahi tha...


Nandni mobile utha'kar bhadkti hui jor-jor se kahne lagi… "Aa tu wapas fir batati hun. Jab pachti nahi hai to pi kyon leta hai kamina… Nischal.. Nischal"..


"Wo nahi hai yahan, Kyon chilla rahi ho"… Ansh pichhe se kahndhe par hath rakhte huye kahne laga...


Nandni:- Batao pagalpan ki had hoti hai.. ek to public place par jhagra karta hai, upar se attitude dekho bhai sahab ke.. Paun me mobile fek kar bhag gaya hai… Iski to main puri khabar lungi…
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:- 55




Nandni:- Batao pagalpan ki had hoti hai.. ek to public place par jhagra karta hai upar se attitude dekho bhai sahab ke.. Paun me mobile fek kar bhag gaya hai… Iski to main puri khabar lungi…


Ansh:- Lekin Nandu usne Shresh se jhagra kab kiya tha..


Nandni:- Jab wo Shresh ke sath jhagra kar raha tha, tab kya kisi ladki ko tar rahe the?


Ansh:- Usne Shresh se jhagra nahi kiya tha.. balki Shresh ko to usne gala pakad kar uthaya aur dharam se bar counter par patak diya… yahan dhyan dene wali kuch baaten hain.. pahli baat to ye ki Nischal ne ek hath se Shresh ka gala pakda tha aur thik uss waqt dusre hath me uske wine ki glass thi … dusra paun jamin me touch nahi kar rahe the.. teesra wo apni jagah se bina hile ye karnama kar chuka tha…


Nandni, Ansh ko ghurti hui… "Tumhe tv serial ki bimari lagi hai kya, jo ek saas ki tarah behave kar rahe ho aur bahu ki har bariki ko janch-partal me lage ho"..


Ansh:- Pagal ho gayi ho tum Nandu.. Wo koi insan nahi lagta.. mujhe to koi alian lagta hai.. dekhi nahi bina koi pakad banaye kaise usse utha kar patak diya..


Nandni:- Mere ander bhi ek alian wali power hai, jante ho kya?


Ansh:- Kya?


Nandni:- Apne aakhon ke ishare se tumhe raat bhar bahar sula sakti hun.. dekhna pasand karoge kya… pata nahi tumhare dimag me ye sab bakwas baaten aati kahan se hai…


Ansh:- lekin Nandu..


Nandni:- ekdum chup, yadi uss bare me ek shabd bhi nikale to tumhe alian banakar space ship me dalwa dungi…


Ansh ki baat par puri tarah se naraj hokar, Nandni, Ansh ko akele chhod'kar, wahan se car lekar nikal gayi. Ansh bhi uske pichhe-pichhe bhaga lekin Nandni usse ansuni karke nikal gayi…


Piche se taxi lekar Ansh bhi flat pahuncha… "Kya bachpana hai yaar, aise naraj hokar chali aayi"…


Nandni, apne kapde nikalti… "Tum analysis karte raho ki kaun alian hai aur kaun insan"…


Ansh, Nandni ka hath pakad kar uske kadmo me baith'te… "Sorry baba, ab mujhe jo laga wahi to maine kaha tumse.. Ab main tumse nahi share karunga to kis se karunga…


"Isse baat share karna nahi kahte hain Ansh. Baat mazak ki ho to hansi me kahin jati hai, lekin tum jis tone me kah rahe the usse yakin ke sath shaq hona kahta hain".... Nandni apni baat kahti hui, bijli ka bilkul halka jhatka Ansh ko de di.. Ansh jhatke se apna hath khincha aur hairan hokar dekhne laga ki ye jhatka kahan se laga..


Ansh jabtak jhatke aur aashraya se uabarta, tabtak Nandni apne upar kapde dal'kar kitchen me pahunch chuki thi… Ansh bhi Nandni ke piche-piche kitchen tak aaya, lekin Nandni usse jakar hall me baithkar tv dekhne bol di.


Takriban ghante bhar baad Nandni pasine se tar hoti hui kitchen se nikli… tabhi siti ke awaz ke sath… "Pasine me naha'kar aur bhi namkin ho gayi ho"… Nandni ko apne kano par yakin nahi hua tha.. wo ander he ander hanti hui khud se hi kahne lagi… "What… Doctor ne comment kiya.. ye kab se sudhar gaya"..


Baharhaal Nandni bika koi pratikriya diye sidhe jakar bathroom me ghus gayi. Nandni jaise hi ander kamre me gayi , thik ussi waqt Ansh, mukhya darwaja band karke sidha bathroom me ghus gaya… tabhi ek aur siti ki awaz aur… "gore badan par ye kali bra kayamat lag rahi hai"..


Nandni:- Chhi aisi baton ka koi tuk bhi banta hai kya… aur tum bathroom me kya kar rahe ho... Nischal aa jayega kabhi bhi..


Ansh:- Kaise aayega, maine mukhya dwar band kar diya hai..


Nandni:- To uske pass hamesa key hoti hai ek... Samjhe…


Ansh:- What, uske pass key hai.. koi nahi main yahan ka gate band kar'ke aata hun..


Nandni apne bache kapde utar'ti hui shawar chalayi… "uske pass mere room ki key bhi hai"..


Ansh… What ??? Iss room ki key..


Nandni:- Haan iss room ki key…


Ansh:- Lekin kyon???


Nandni:- Bharosa hai isliye... Kyon jaisi kya baat hai..


Ansh:- Aur kabhi hum dono sath huye exactly jaise abhi tum ho to…


Nandni:- Litrally ye tumhari query hai?


Ansh thoda gussa hote huye… "bhadosa, dosti aur close hone ke naam par kya tum kuch bhi karogi"..


Nandni, Ansh ki baat par thodi bhadki jaroor thi lekin shanti se uski stithi ko aakalan karne ke baad, aaram se puchhne lagi…. "Hmmmm ! Yadi mere mammi papa aa gaye aur hum dono ander huye fir kya hoga Ansh..


Ansh:- Wo to mammi papa hai yaar … wo honge to hum aisa karenge hi kyon ..


Nandni:- Aur Nischal hoga to koi fark nahi padega … manate raho rangraliya…


Ansh:- Haan to kisne kaha tha usse sath rakhne ke liye… Humari sari privacy chali gayi..


Nandni:- U know mr Ansh .. tumhe insecurity feel ho rahi hai. Nischal hai isliye tum ho iss ghar me Ansh, warna main yahan akeli hi thik thi..


Ansh:- Ye kuch jyada nahi ho raha hai kya?


Nandni:- Tum itna chidh kyon rahe ho Ansh. Main to aaram se baat kar rahi hun na... Ek baat batao kya humari shadi ho gayi Ansh..


Ansh:- Aaj na kal to ho hi jani hai..


Nandni:- Aur agar main abhi break up kar lun fir…


Ansh:- Yahi to hai tum ladkiyon me, kuch bhi ho to break up kar lo… lekin apni galti mat mano..


"Main tumse na to chidh kar puchh rahi hun aur na hi mera tone high hai. Ek sawal puchhi jawab do"… Nandni apna badan ko tauliye se pochhti hui puchne lagi…


Ansh:- Mujhe nahi pata… yadii break up hua to main ji nahi paunga…


Nandni:- wo to tumhara side hua… aur mere sath jo sex kiye … wo to bina relation ke maze lekar nikal jana hi hua na…


Ansh:- Hadd bewakoof ho tum Nandni… relation hai tab to hum aage badhe na… ek Nischal naam ke complication ke karan yadi tum break up karti ho, aur fir ye sawal puchhti ho to kahan tak jayaj hai…


Nandni, apne upar kapde dal chuki thi.. Ansh ko apne pass bulayi aur usse bistar par bitha'kar uske balon ko bikherti hui kahne lagi….


"Ansh pyar to bahut karte ho tum mujhse lekin fir bhi relation insecure hai"….. "Nahi aisi baat nahi hai Nandu, wo to bus Nischal ko lekar"…. "Now let me finish first" .


Nandni:- "Ek insecure relation, fir wajah chahe jo bhi rahe. Aaj wajah Nischal hai to kal Jivisha ho sakti hai. Fir ye bhi ho sakta hai ki tum apne hospital me pura samay do, aur tumhare pass aaj ke itna kal samay na ho… To break up ki wajah to kuch bhi ho sakti hai na baby… Center kewal Nischal hi kyon?"..

"To ek insecure relation me, main tumhare secure pyar ko feel karti, jab main secure ho sakti hun… Fir to Nischal ke sath mera complete relation hai. Purn viswas samjhte ho. Ruko samjhati hun kitna viswas hai. Main yadi achet awastha mein, complete nude bhi hoti hun to bhi uski najar nahi fisal sakti hai. Tane de dega meri haalat par openly.. ho sakta hai mujhe tease bhi kar de, lekin bhadosa itna hai ki uska meri ore dekhna, mujhe incesure nahi kar sakta."

Bhadose ka bahut bada aur shayad ghatiya example diya hai tumhe…. Shayad thoda asamajik example tha, lekin Nischal ke prati mere viswas ki kahani tum nahi samjh sakte aur na ye samjh sakte ho ki hum me dosti ke alawa koi relation ki feeling tak nahi. Waqt parne par mere liye wo maa bhi hai, baap bhi hai.. bhai bhi hai .. aur un sab se kahin badh'kar ek sacha dost hai"..

"Fir tum kaise soch sakte ho ki main bina shadi ke husband and wife wali privacy kar dun aur usse apne kamre me aane se mana kar dun"..


Ansh:- I am sorry Nandu..


Nandni:- Kamal hai Ansh, yadi mere mammi papa yahan honge to tab tum kyon mere sath romance karoge.. kyonki wo mere blood relation hai, aur abhi hum unmarried. Humari shadi bhi hui hoti, to bhi hum kuch aise rahte jaise unhe kuch pata na chale… lekin baat agar Nischal ki ho to tumhare dimag me sirf itna hi hota, ek anjaan ladka yahan kya kar raha hai…


Ansh, sharminda hote… "Baby I am sorry"


Nandni:- Tumhre dimag ke channel me to yahi chalta hoga na Nandni apne ghar ke kapde aise pahnti hogi, waise pahnati hogi.. pata na uss ladke ki najar hamesa kahan rahti hogi… lekin wahi yahan mera bhai ya baap hota, to Ansh babu ko koi fikr nahi hoti, kyonki ek ladki ka kapda pahn'na relation par depend karta hai… Bhai baap hoga to ache se kapde pahnegi … Aur yadi koi dost hoga jispar pura badhosa hai… oh sorry chhota sa correction… Flat me Nandni ke sath koi anjaan ladka ho to Nandni badan dikhati firegi…


Ansh, uth'kar Nandni ke pass baith'te huye usse side se pakad kar…. "Hey cutieeee… main apni baton ke liye behad sharminda hun… Gadha hun main jo gusse me kuch bhi kah gaya"…


Nandni:- Gusse me nahi nikla hai Ansh, jo khyal dimag me chalte hain, wahi juban par aa gayi tumhare... Kamal hai na Ansh, baap aur bhai apni kuwari beti ya bahan ke kamre me aa jaye to koi objection nahi, lekin Nischal hota kaun hai… Abhi nikal do usko. Tum to abtak humare physical relation ke bare me bhi soch chuke ho... My friend Nischal … Main tumse abhi baat karna chahti hun … please kisi tarah mujhse contact karo… just contact me any how….


Ansh:- Nandu main bahut sharminda hun…


Nandni:- Khana khao Ansh.. thanda ho jayega...


Abhi 10 minute bhi nahi huye the… Ek unknown number se ghanti bajne lagi. Nandni ki aakhen bhar aayi aur wo call utha'kar bus "hello" ki awaz ka intzar karne lagi. Nandni ko jaise hi pata chala dusri ore se Nischal hai...... "Nischal tumhe yahan aane ki koi jaroorat nahi hai.. tum ab apna kahin aur intzam dekh lo…"


Nandni, Nischal se baat karke call disconnet kar di aur apne kamre ko band karke lagatar roye ja rahi thi. Ansh darwaje par khada knock karne laga, lekin kafi der tak knock karne ke baad bhi jab Nandni ne koi jawab nahi diya tab Ansh khud ki baton par guilt feel karte, wo Nischal ko dhundhne ke liye Sawalker ki madad lene chala gaya.


Sawalker thane me nahi tha. Isliye uss se milne ke liye wo uske ghar chala gaya… Sawalker apni patni jyoti ke sath baithkar fursat ke pal bant raha tha aur dono pyar se ek dusre se baaten kar rahe the…


Tabhi unke ghar ke darwaje ki ghanti baji… "Are doctor sahab aap.. aaeye ander aaeye"…


Jyoti, Ansh ko dekhti hui puchhne lagi, "ye kaun hai".. Sawalker bhi uska parichay dete huye Ansh ke vishay me sari jankari de diya. Ek chhote parichay ke baad Sawalker, Ansh se uske aane ka karan puchhne laga…

Ansh kya kahe aur kya nahi… Dabe huye shabdon me bus itna kaha ki kuch gadbad ho gayi hai aur Nandni ne Nischal ko flat par wapas aane se mana kar diya…


Jyoti jise mamle ke bare me kuch bhi nahi pata tha.… "Doctor sahab humare shadi ko 12 sal ho gaye hain.. aur mera pati ek police wala hai. Police wala ka matlab samjhte ho aap. Main batati hun, kisi par yakin nahi karna. Aap ke pass baitha hai mera pati, puchh lo ki yadi Nandni ke jagah wo humare sath rahta to wo kya sochta"..


Sawalker:- Nischal ke case me sochna jaisa to kuch bhi hai hi nahi. Wo to dwapar yug ka koi balak lagta hai jiski bhasha aur najar dono me koi chhal nahi... Pahle din wo raat ke 2 baje mujhe sadak par mila tha deewano ki tarah bhatkte.. bus uss waqt usse 2 line suna tha aur samjh gaya sab kuch uske bare me..


Jyoti:- Itne salon me ek wahi hai jise main ghar me aana allowed nahi ki, balki uske yahan aane ya jane se koi fark hi nahi parna hai. Aisa lagta hai pariwar me ek pyara sadsya ne entry le lee hai. Bus iss piyaakad ne uss bache ko bigad diya hai..


Ansh:- Mujhse bahut badi galti ho gayi. Nandni ne khana bhi nahi khaya aur darwaje lagakar soyi hai..


Jyoti:- Soyi nahi hogi ro rahi hogi. Jyada socho nahi Ansh, yah ek aam ghatna hai… dampatti jivan me aisi samsya to hote rahti hai… Lekin riston ke bich jhagra aur pyar hi rakhna .. nafrat aur shaq nahi. Ab jao tum Nandni ko manao, Nischal ko bura lagega to bhi wo flat wapas aayega.. aur bura nahi lagega to bhi wo flat wapas aayega…


Ansh:- Bura laga hoga to kyon aayega wo wapas..


Sawaker:- Kyonki wo sacha dost hai, usse samjh me aa gaya hoga ki Nandni gusse me hogi, isliye uss se jhagra karega usse 4 baten sunayega, lekin wapas aayega…


Sawalker aur Jyoti se milne ke Ansh ko apne dil ka bojh kuch halka sa lagne laga… wah flat wapas gaya, lagbhag 1 ghante lage honge usse khade-kahde darwaje par tab kahin jakar Nandni ne darwaja khola…
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Updated:- 56


Sawalker aur Jyoti se milne ke Ansh ko apne dil ka bojh kuch halka sa lagne laga… wah flat wapas gaya, lagbhag 1 ghante lage honge usse khade kahde darwaje par, tab kahin jakar Nandni ne darwaja khola…


Uske baad lagbhag 2 ghanton tak wo Nandni ko manate raha… aur apni bewakoofi aur gusse me kahe gaye baton ke liye sharminda hota raha. Nandni muskurai jaroor lekin uski muskurahaton me wo baat nahi thi. Khair kisi tarah Nandni ko sulane ke baad Ansh bhi so gaya…


Nandni jab subah jagi, tab Nischal apne kamre me he tha. Sayad raat ke waqt kafi let aaya ho, gahri nind me so raha tha. Usse apne kamre me soya dekh Nandni ka chehra khil gaya aur aakhon se aashu chhalak aaye…


Nandni uske sir ke pass baith kar uske balon par hath ferne lagi. Aashu ki kuch bunde Nischal ke chehre par giri aur Nischal had-bada kar uth'te huye Nandni ko gaur se dekhne laga... Nischal, utha'kar baith'te huye, Nandni ke aashu saaf kiya.. aur uska chehra thoda upar karke, ek thappad laga diya..


Nandni gusse me usse ghurti, uske baal pakad kar jitni takat se ho sakti thi, utni takat laga kar pakar kar khinch di… "Aao.. pagal kahin ki ganja ho jaunga.".. Nandni usse dekhkar hansti hui apne pass bulayi aur uske gale lag kar kahne lagi…. "Soory yaar, kal gusse me main kuch bhi kah gayi thi".. unke bich Ansh bhi aate huye… "Me too sorry.. in sab mamlon ke piche main hi tha... Yaar thodi jagah mujhe bhi de do"..


Nandni:- Nischal doctor ko bol de yahan se chala jaye.. warna main kuch bhi bol dungi to muh chhota sa ho jayega.


Nischal, ek side se thoda alag hote Ansh ko bhi bich me le liya… Ansh bich me ghuskar hanste huye kahne laga… "Muh chhota ho ya dil chhota ho jaye.. ab tumhe hi sun'na hai aur tumhe hi jhelna hai sweetheart"..


Nischal:- Kya baat hai doctor sahab lage hain, lage raho.. aur ek baar pyar ho jaye to umr bhar pyar aise hi jatate raho… waise subah ki latest news ye hai ki Jivisha ne Shresh ke sath shadi ke liye haan kar di hai… aur apna pack up…


"Teri raat ki harkaten gadhe"…. Nandni, Nischal se alag hoti gusse se usse ghurne lagi lekin kuch bol nahi rahi thi, kewal gusse me ghurti rahi…. "Ab tum kya chahti ho main sorry kahun. Kyon doctor sahab aap ko kya lagta hai.. mujhe sorry kahna chahiye kya?"


Ansh apne dono hath jodte… "tum dono ka mamla hai, tum dono samjho.. main chala hospital"… Ansh apni baat kahte wahan se nikal gaya…


Nandni….. Raat ko khana khaye the.


Nischal….. Bhukh nahi thi….


Nandni…. Kal wahan se chale kyon aaye?


Nischal…. Maine Ansh ko msg kiya tha, wo bade bhaiya ne mujhe bula liya tha, to jana para.


Nandni…. Sawalker ne bula liya haan, jhuthe Ansh kal tumhe dhundte unke ghar gaya tha. Ab bolo….


Nischal….. Ab jane bhi do na, chhodte hain iss baat ko…..


Nandni, Nischal ka utra chehra dekhti…. Gadha kahin ka. Jivisha ka hone wala pati hai Shresh, abhi hua nahi hai. Itni si baat ke liye tu himmat harega.


Nischal….. Nahi himmat harne wali baat nahi hai, bas pata nahi kyon mere dil me ajib si jalan ho rahi hai uss Shresh ke naam se…


Nandni….. Tu to giyo beta, aaj kal jalan bhi ho rahi. Kya baat hai. Waise ek baat bata….


Nischal…. Kya ?????


Nandni….. Tumhe to shaq tha ki Jivisha ke jagah koi alien hai, fir tu uss alien ke liye itna emotion kyon dikha rahe.


Nischal…. Nahi mera shaq be-buniyad tha. Wo Jivisha he hai. Tujhe pahle bhi to bataya hai uske bare me..


Nandni….. Haan tabhi to tumhare emotion uss ke liye fut-fut kar nikal rahe the. Oye devdas aage kya karna hai socha hai….


Nischal…… Socha to bahut kuch tha. Badi muskil se aaj apne sath jane ke liye raji bhi kiya usse, par….


Nandni….. Par kya ….


Nischal…. Sidhe shabdon me kahun to meri fat rahi hai.


Nandni…. Oye fattu, waise to mar-pit me bara mard banta hai, aur ladki ke sath jane par fat rahi. Yaad hai na kis shart par wo tumhare sath jane ke liye taiyar hui hai….


Nischal….. Haan pata hai, tabhi to itni fati hai. Kahin aaj main fail ho gaya to….


Nandni…. Aisa kuch nahi hoga, tu mast ready ho kar ja, aur baki sab kismat par chhod de.


Nischal, Nandni ki baat mante pure josh me taiyar hua. Sabhi log college pahunche. Sab ek jagah ekant me baithe the aur khamosh sa mahol tha… Kasak Nischal ko dekh'kar chidti hui kahne lagi… "Kal tum Jatin ke bunglow par kya bakwas kar rahe the.. wo sex aur noch'kar khane wali baat".


Nandni:- Kya ??? Disco se sidha bunglow… kafi fast haan..


Kasak, wahan ke mahol ko dekh'kar jhenp gayi… usse kuch samjh me hi nahi aaya wo kya jawab de… "Ye pagal ho gayi hai… Raat ko sapna bhi dekho tab bhi mujhe ghasit lo. Ye puri pagal ho gayi hai".


Kasak:- Sorry, thodi confuse ho gayi thi. Shayad raat ko kuch jyada hi ho gaya tha.. Mujhe ye tak yaad nahi ki main ghar kaise pahunchi…


Jivisha jo khamoshi se sabko sun rahi thi.. uski najar baar-baat Nischal par hi tik jati .. Ghar walon ki khushi ke liye Jivisha ne bhale hi haan kah diya tha, lekin ander se usse apne pyar par pura yakin tha… Ek baar pahle bhi haan kar chuki thi, ek baar aur haan kar di. Haan karne se yadi sabko khushi milti hai to harj he kya hai… Baki raat bhar to wo aaj ke hi bare me soch kar romanchit ho rahi thi. Na to Jivisha ke man me koi second though thi aur na hi koi doubt. Sab clear tha…


Jivisha ka dil baiman, Nischal ko dekh'kar ander ke arman hasraten bharne lagi.."Hay mera sona.. love you.. Umaahhhhh"…. Jaise hi uske arman dil se nikle, Nischal apni najar ghuma kar Jivisha ko dekh'kar muskurane laga… Jivisha ko ek pal ke liye aisa laga jaise Nischal ne uski dil ki baat sun lee ho… wo turant apni najar idhar-udhar karti.. apna dhyan Nischal ke upar se hatayi… Thodi der baad Nandni aur Kasak wahan se chali gayi.. aur ye dono car me aa gaye…


Jivisha….. Haan to hum pahle kahan ja rahe hain….


Nischal….. Aaj tum bahut pyari lag rahi ho. Tumhare chehre se najar he nahi hat rahi.


Jivisha…… Tumhari marji hai, tum chaho to aaj pura din mujhe dekh sakte ho.


Nischal, khushi se uchhalte huye….. "Wakai, kya ye sach hai".


Jivisha……. Haa tum ne bilkul sahi suna, bas apna promise yaad rakhna, yadi aaj impress na kar paye to dobara apni shakal mat dikhana.


Nischal…… Hmmm ! Samajh gaya. Achha subah ki suruwat tum se karte hain. Chalo tumhare pasand ke kisi jagah par chalte hain.


Jivisha, kuch sochti hui….. "Chalo Shresh se milne chalte hain. Kal raat uss bechare ki bina baat ke pitai ho gayi thi".


Nischal ka bujha sa jawab…. "Haan thik hai chalo chalte hain".


Dono jane ke liye taiyar the. Nischal side seat par baith kar usse dekhte rahne ki ikchha jatayi aur Jivisha ko car drive karne bol diya.


Nischal bas apne man me yahi soch raha tha ki…. "Baar-baar ye Shresh uski kundli me kaise chala aata hai". Jabki Jivisha, Nischal ki haalat par ander he ander hase ja rahi thi.…. "Hayyyy, chhota sa muh banaye kitna pyara lag raha hai. Ye bhi na, main kya uss gadhe se shadi karungi. Lekin fir bhi pata na ye itna insecure kyon feel kar raha"?


Gari chal pari thi. Shresh ke office ja kar dono mile, jahan Jivisha Shresh ke zakhmon ke sath kuch jyada he close ho rahi thi.


Jivisha ka "sorry-sorry" kah kar touch karna aur Shresh ke liye itna jyada emotion dikhana…. Ufffff jal kar bechara Nischal bhun chuka tha, aur usse jalane me Jivisha koi kasar nahi chhod rahi thi.


Jab Jivisha ko laga ki ab jyada ho raha hai tab wo Shresh ko bye bol kar Nischal ke sath chali aayi. Car sadak par chal rahi thi aur kahan jana hai Nischal ne ab tak nahi bataya tha.


Achanak he Nischal….. "Jivisha meri pasliyan bhi suzi hui hain"


Jivisha….. Dr to tumhare flat me he rahta hai, tab bhi ab tak ilaj nahi karwaye.


Jivisha tirchhi najar ghuma kar ek baar Nischal ko dekhi, aur uss ka latka hua muh dekh kar…. "Hayyyy inna sona".


Nischal ko laga Shresh jaisi sympathy usse bhi milegi, magar yahan to usse mur kar dekhi tak nahi Jivisha. Nischal jhunjhlate huye…. "Kahan ja rahe hain hum"?


Jivisha….. Mujhe kya pata, Tum ne he aaj ka din maga tha. Tum jano.


Nischal kuch der shant raha, fir Jivisha ko car rok kar side seat par aane ke liye kaha aur khud drive karne laga.


Gari ab Mumbai pune ke highway ke ore chalne lagi. Jivisha…. "Itni teji se kahan ja rahe ho. Wapas sahar ke ore chalo".


Nischal…… Meri najron se tum nature ko dekhna. Jitni pawitarta, aur swakshta uss jagah tumhe milegi, utni he pawitrata meri mohabbat me hai. Jitna manmohak wahan ka drishya hai, utni he manmohak humare pyar ki kahani hogi. Bas ek mauka do, wahan chalo mere sath, uss jagah ki wadiyon me tumhe bhi mujh se pyar ho jayega.


Jivisha….. Nischal, tum baat samjhne ki kosis karo, main wahan nahi ja sakti. Wahan mukhiya ji ke site ka kaam chal raha hai. Main wo jagah kayi baar ghum chuki hun.


Nischal…… Nahi main ek nahi sunuga, wahan chahe koi bhi ho, tumhe darne ki koi jaroorat nahi. Mera viswas karo, main hun na.


Jivisha…… Nischal, kya bachpana hai ye.


Nischal, car ko side me laga kar, Jivisha ka hath apne hatho me le liya. Uss ke aakhon me jhakte huye…… "Thoda bachpan jinda rahne do. Thoda pagalpan kar lene do. Janti ho khushi ke lamhon ke liye bahut tarsa hun, thoda khush ho lena do".


Khamosh sama me, apni dil ki gahrai se, apne arman kahne ke baad, Nischal khamosh, Jivisha ko dekhne laga.


Dono khamosh bas ek dusre ko dekhte rahe. "Thoda risk hai, par ye ishq hai", Jivisha, khud se kahi aur Nischal ko aakhon se ishara kar di, chalne ke liye.


Nischal behad khush tha, usse laga jaise aaj he Jivisha uss ke pyar ko haan kah degi. Uske chehre ki chamak se saaf pata chal raha tha ki wo ander he ander jit ki khushi mana raha hai.
beautiful update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:- 57





Nischal behad khush tha, usse laga jaise aaj he Jivisha uss ke pyar ko haan kah degi. Uske chehre ki chamak se saaf pata chal raha tha ki wo ander he ander jit ki khushi mana raha hai.

Lekin Jivisha ka mood to kuch aur he tha. Usse Nischal ko chidhane me maza aa raha tha aur wo usse khub chidha rahi thi.


Dono jab site scene ke liye pahunche, Nischal jab bhi kahta "ye dekho Jivisha", tab wo tedha muh jawab deti, isme dekhne jaisa kya tha. Raste ke jit ki khushi yahan aa kar jaise fus ho gayi ho.


Nischal pura mayus ho gaya. Usse lag gaya ki ye pyar uss ke bas ki baat nahi. Jivisha hans kar uss se baat to kar sakti hai, lekin pyar nahi.


Jivisha aage ki ore pahad ki khai dekh rahi thi aur Nischal piche raste ko dekhta, apne pyar ke nakami par mayus khada tha….


Nischal…… Jivisha pichhe mudo..


"Isme dekhne jaisa.… kya hai". Jivisha khai ke ore dekh'kar jaise hi pichhe mudi… Tabhi samne se awaz aayi….. "Haan mujh me dekhne jaisa kya hai. Baap matlab ghar ka naukar hota hai, jo sab ke liye achha soche aur sab usse he dhutkaro. Tum iss fraud ke sath kya kar rahi ho. Ek ladka ko shadi ke liye haan kah'kar, dusre ladke ke sath ghum rahi. Sharm naam ki chij hai ki nahi tum me".


Nischal…. Nahi uncle wo mere jid ke karan….


Himanshu….. "Ek sabd bhi nahi, chup ho jao aur jao yahan se. Aur tu khadi-khadi kya sun rahi hai"….


Raat ke waqt…. Nischal jab se wahan se lauta tha, man me yahi soch raha tha…… "Kuch bhi achha nahi ho raha. Filmon me aise situation banane wale mil jaye to main usse goli mar dun. Impress hona to dur ki baat hai, ab to lagta hai mujhse kabhi baat bhi nahi karegi. Phone kar ke puch to lun, meri wajah se usse sab padesan to nahi kar rahe".


Nischal, darte huye Jivisha ko call lagaya…. Jivisha, Nischal ka call dekhti….. "Dobara fir kabhi mujhe call mat karna, aur jo wada kiya tha uss par kayam rahna. Tum fail huye aur ab humare bich kuch nahi".


Nischal, Jivisha ki baat sunkar pure aawesh me aate huye khud se hi kahne laga…. "Bhad me jao tum Jivisha.. Bahut ho gaya tumhara natak"…


Ussi Raat, Rajeev gandhi zoological park, Pune…


Rijo aur uske sath aayi sainya tukdi ki purn vayvastha karne ke liye, Apini aur uski puri team ne 3-4 din me hi pura park me aatank machaye huye the… Saanp aur Sheron ke humle se pura park prashashan sakte me aa gayi thi aur pure park ko agle aadesh tak ke liye band kar diya gaya tha..


Rijo, Apini se Malkia ke vishay me purn jankari lekar, aaj ki raat ke plan ko jald se jald pura karne ke liye logon ko taiyar kar raha tha… Jivisha ke ghar ke har sadsya ke roop ke liye bahrupiye ki puri team ban chuki thi, jise khud Rijo lead karne wala tha…


Apini aur uske pure team ko rest diya gaya tha... Siway Josefer aka Jatin ko. Josefer ko 400 khatrnak tukdi aur 200 adrishi janwar ke sath Nischal par humla karke, ya to usse raat bhar tak uljhaye rakhna tha ya fir usse mar'kar jit ki khushkhabri deni thi…


Back up plan ke hisse me, yadi Josefer fail hota hai to bache sainya bal… 600 khatarnak tukdi aur 300 adrishi janwar ke sath Apini, Nischal par purn humla karke adhura kaam pura karega… Rijo ke dimag me yah baat bhi thi ki kahin dono hi fail ho gaye to bhi usse itna waqt mil hi jayega ki wo bharma kar Jivisha ko viman tak le aayega…


Sari planning lagbhag tay ho chuki thi. Sab log apni puri taiyari kar chuke the.. Josefer bhi taiyar hokra wahan pahunch chuka tha…


"Rijo, Apini mujhe aap se kuch baat karni hai… tukdiyon ko kuch samay vishram ka aadesh de"… Josefer ghutne par baith'te huye sar jhuka kar apni baat kahi...


Rijo, Josefer ko utha'kar puchne lage… "kya ye baat itni jaroori hai"..


Josefer:- Yah main tay to nahi kar sakta ki baat kitni jaroori hai? Lekin mujhe itna jaroori to lag hi raha hai ki 2 minute ka vishram lekar aap meri baat suno..


Rijo ne sabko vishram ka ishara diya aur Josefer ko baithne ka ishara karte huye..… "Haan Josefer, kaho apni baat"..


Josefer:- Nischal Viggo Sigma hai. Wo bhi Alpha, unidentified first class…


Josefer ki baat sunkar sab log hasne lage…. "Viggo itihas me kewal 2 he Viggo Sigma huye.. aur tum kah rahe ho ki wo upar se Alpha unidentified first class bhi hai.. mujhe lagta hai uska khauff tumhare dil me baith gaya hai Josefer. Jinke itihas me aaj tak ek bhi Alpha ne nahi janm liya, usme tum Alpha, wo bhi unidentified first class bata rahe ho.. Ye zene kya aasman se tapak padi. Faltu ka hunra samay nasht kiya tumne"..


Apini:- Rijo, Josefer ki baat jhut bhi to nahi kah sakte.. Jis tarah usne hume pareshan kiya hai, uske Viggo hone se to main bhi inkar nahi kar sakta…


Rijo:- To kya humari itni badi sainya tukdi se wo akela bidh jayega…


Josefer:- Rijo usne ek device banaya hai, jo humare body micro praticle ko orignal shape me dikha sakta hai.. wo ye brihat paimane par bana chuka hai.. sath me ek khatre ke alert alarm system bhi Malkia aur apne doston ke ghar me laga chuka hai… Yadi usse lagega ki wo safal nahi ho pa raha hai, tab aisi soorat me wo humare yahan hone ke saboot prithwi ke rakhwalon ko de dega..


Rijo thoda chinta jahir karte… "Annhhhh ! Iss Viggo ko bhi iss aakhri kaam ke bich me hi aana tha… Aur koi jankari Josefer"


Josefer:- Haan ! Usse pata hai ki hum sab kahan hai.. kal raat wo yahan baith'kar baat karne aa raha hai..


Rijo:- Usse jankari hai ki hum yahan hain.. fir to wo sainya tukdi ke sath aayega… Jab yahan ke sainya tukdi se ladna hi hai, to aaj raat hi ye risk kyon na liya jaye…


Josefer:- Rijo usne sahmati dee hai ki wo akele hi baat karne aayega aur baat karke masle ka hal nikalega…


Rijo:- Uss Viggo Nischal ne sach me apni sahmati diya hai ki wo akela aayega…


Josefer:- Haan Rijo…


Rijo:- Josefer, tumhari suchna kamal ki hai… Thik hai tum uss Viggo par najar diye raho… Sabhi tukdi kal raat tak vishram karegi… Kal ke baat-chit ke baad, dobara se ranniti tay hogi…


Rijo ke aadesh par Josefer, Nischal par najar rakhne chal diya. Idhar Josefer ke jate hi Rijo aur Apni ki ek behad aham baithak hui jisme yah tay kiya gaya ki kal baat-chit ke dauran Nischal ki chhal se bali leni hai…


Idhar Josefer, Nischal par najar kya rakhne jayega, aisa lag raha tha jaise bhagwan se milne bhakt ja raha ho… Josefer sidha flat ka bell bajaya… Nandni darwaja kholi, fir jhat se darwaja band ki aur fir wapas se darwaja kholi… "Ji kahiye"..


Josefer:- Nischal se milna hai mujhe..


Nandni:- Aaeye ander aaeye… Akele hain ya aur bhi koi aaye hain...


Josefer:- Main samjha nahi…


Nandni:- Aap aaram se baith jaeye bhaiya.. pani piyenge…


Josefer nahi kahta rah gaya lekin Nandni steel ke glass me pani le aayi… Josefer, Nandni ke vyawhar se hairani me tha. Fir bhi ab wo samne glass hath me pakdi thi, to majboori me usse hath badhana hi para..


Jaise hi Nischal ne wo glass pakda, achha tej jhatka khaya aur wo bijli ke jhatke se piche feka gaya. Pahle jakar deewar se takraya fir 1-2 flower pot toote, aur finally wo lakdi ke table se takrane ke baad, dhamn se niche jamin par land hua…


Ab itni tej awaz ho aur Nischal ko sunai na de…. "Kya patak rahi hai Nandu"… kamre ke ander se hi awaz lagate Nischal bahar aaya… aur floor par Josefer ko dekh'kar, Nischal apne muh par hath rakhkar usse hi dekhne laga…


Nandni, Nischal ke kandhe par apne hath tikati… "Dekha kaise iss janwar ko sidha maut ka jhatka de di"


Nischal dhire se apna gardan ghuma kar dekhte huye… "Meri maa maut ka jhatka kyon de di.. aur itna bada jhatka dene ke liye kya khyal layi thi"…


Nandni:- Mujhe laga ye sala mere ander ka body organ chaba-chaba kar kha raha hai… aur wo bhi mere sath wo sab karte.. chi chi chi... Bus fir dil me josh aur hathon me shakti.... Aur natija dekh le, mitti me mil gayi iski hasti."


Nischal hawa ki furti me gayab hua aur 2 minute baad bahut sare saman ke sath wapas aaya… jaldi se Josefer ke sine me ek chhota sa surakh banaya aur apne hont se uske muh me hawa dene laga... Sath me uske sine ko bhi pump karne laga..


Takriban 10 minute ke upchar ke baad Josefer bahut hi jar-jar ki stithi me jaga.. Nischal medicine ke kuch ghol taiyar karke, ek glass me rakha aur usme apne sath laye ek chhote se patthar ko uske ander dal kar 2 minute tak chhod diya..


Kuch der tak patthar ko ander dubaye rakhne ke baad Nischal ne wo ghol chhan kar pani Josefer ko diya aur patthar apne bag me rakh aaya… Wo pani pine ke baad Josefer apne sharir me kuch takat mehsus karte, farsh se utha aur sofe par baith gaya…


Nandni to bus tukur-tukur Nischal ko hi dekh rahi thi… "Kamine tu apne grah ka doctor hai kya?"..


Nischal:- Sab samjha dunga kaun sa main bhaga ja raha hun…


Nandni:- Kutte ki dum, aaj tak to bataya nahi ki aisa kya hua tha jo tu yahan pahuncha. Upar se aur ek sawal dimag me store karne bol raha hai…


Nischal:- Koi ghar me aaya hai.. tu sabke samne aise bol rahi..


Nandni:- Kaun ye… ye wahi Jafar hai na jo ladkiyon ke sath kukarm karke uske maans ko kha jata hai.. iss sale ko tune bachaya kyon..


Josefer…. 1.2 decimal, bole to 12000 volt ka jhatka wo bhi still ke ek glass se current pass karwa diya… Viggo ye aap ki he tecnology ho sakti ha,i aur usse istamal karne wali bhi kamal ki hai.. Kya santulan hai uske pass.. kya timing hai.. aur kya knowledge hai ki marna kitne power me hain..


Nandni:- Tarif ka shukriya lekin iss pagal ne tumhe bacha liya... Ab raaj se koi parda hatayega ki tum dono ek sath kaise ho?


Nischal, idhar udhar dekhte… "doctor kahan hai Nandu"


Nandni:- Shayad hospital hai.. uss se naraj hun na, isliye 2-4 din ghar par kam hi rahega. Kafi intelligent hai mera doctor, usse pata hai ki gusse ke waqt main kuch nahi sunti, isliye 2-4 din gusse ke thande hone ka intzar karta hai.


Josefer:- Ye teeno film ki deewani ladkiyan… baat kuch bhi shuru ho.. khinch kar bakwas par hi le jayegi..


Khinch kar ek uddta hua chappal Josefer ke muh par para aur Nandni pil gayi, pass pari jhadu le kar… Nischal usse pakadte huye…. "Chhod de usse, bacha hai wo, usse pata nahi kahan kaun sa communication karna hai. Basically pahli baar mazak try kar raha hai"..
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-58





Khinch kar ek uddta hua chappal Josefer ke muh par para aur Nandni pil gayi, pass pari jhadu le kar… Nischal usse pakadte huye…. "Chhod de usse, bacha hai wo, usse pata nahi kahan kaun sa communication karna hai. Basically pahli baar mazak try kar raha hai"..


Nandni:- Chhod de tu mujhe … isse dobara jhatke dene de..


Nischal:- Maaf kar de bechare ko.. fir raaj se bhi to parda uthana hai.. warna ye mar jayega aur tu suspence me rah jayegi…


Nandni, haanfti hui piche hati… "Nischal ne kaha isliye chhod rahi hun.. chalo ab raaj se parda uthao"..


Josefer:- Are yaar... Viggo mujhe Nandni se 2 minute presonal baat karni hai, fir yahan ka mahol friendly ho jayega..


Nandni:- Abe ye "we go" "we go" kya kar raha hai.. "we go" mujhe Nandni se 2 minute ke presonal baat karni hai… Yaar ye kahna kya chah raha hai…Ye kahan se pagal utha laya hai…


Nischal:- Acha chal raha hai yahan ka mahol, kuch to boriyat ghati. Josefer tumhari baat kisi ko nahi samjh me aa rahi hai.. ye Viggo kahna band karo.. aur Nandni madam ka suspense over karo. Aur Nandni 2 minute jarra shanti se baith ja..


Josefer:- Kal raat se hi main Nischal ka bada fan ho gaya hun.. die hard wala. Shayad inhe bhi ye mehsus hua hoga tabhi meri jaan bachayi hai… Khabar ye hai ki wo log kal raat ki batchit ke liye maan gaye hain aur aaj ka apna pura program cancel kar diya hai…


Nischal:- kis soch me dub gaye tum.. Josefer..


Josefer:- Jab main laut raha tha tab Rijo ka maine chehra dekha tha, uske chehre se aisa laga jaise wo jung jit chuka hai… aap samjh rahe hai na… Kuch bhi ho aap wahan akele nahi jaeyega…


Nischal:- Hmmm ! Thik hai samjh gaya… mujh par najar rakhne ke aadesh mile hain tumhe…


Josefer:- Haan..


Nischal:- Thik hai, tum apna kaam karo.. main samjh lunga..


Josefer, jate-jate… Ek Viggo ke liye marna koi bari baat nahi, lekin aap ke marte hi un yodhayon ki khani bhi mar jayegi jiske jinda rahne ki ummid ek afwah me chhipi thi. Jo ki mahaj ek afwah na hokar satya hai…


Nischal:- Kya pata kahin kisi sudur ilake me aur bhi yodhha apne pure samaj ke sath basse ho, aur apni pahchan chhipaye ho.


Josefer:- Sambhawnayen kuch bhi ho sakti hai.. lekin hum sambhawna ko mul aadhar to nahi hi manege.. Chalta hun Nischal, aap jara dhyan rakhiyega..


Nischal:- Suno ek minute Josefer, mujhe haal me huye, Rajeev Gandhi park ki ghatnao ka visuals chahiye.. arrange kar sakte ho sham 5 baje tak..


Josefer:- kaam hote hi main aapko call karta hun…


Josefer ke jate hi Nandni jo darsak bani hui thi… "Wo shabd "we go" nahi tha na.. wo tumhe kisi aur naam se bula raha tha… sab kuch samne se baat karte huye bhi kuch pata nahi chalne diye… Mujhe bura feel hua. Aur wo tumhe kis baat ki chetawni dekar gaya hai Nischal. Usne kyon aisa kaha ki tumhare liye marna koi badi baat nahi.. Nichal mujhe dar lag raha hai.. tum kuch bewakoofi bhada kaam to nahi kar rahe na..


Nischal, apne kandhe se tike Nandni ke sir par hath ferte huye kahne laga... "Main tumhe sari baat batata hun Nandu.. lekin yadi mujh par bharosa ho to please panic mat hona"


Nischal ne haal hi me hui sari ghatnao ko bade aaram se samjhate huye kahta ja raha tha. Pahli baar Nandni ko aisa lag raha tha ki kahan se aaya ek ladka anjaane me hi kitna kuch kar raha hai.


Nischal har ek baat batane ke baad kahne laga… "Yadi dhairya banaye rakhogi to main sab thik kar dunga.. Jivisha ko khabar tak nahi ki uske ander kya hai aur kaun log uske pichhe pare hain. Aur please mere piche aane ki jid mat karna. Kal ka kaam mujhe aaram se karne do.. wada karo mujhse ki tum uss park ke aas-pass nahi bhatkogi…


Nandni:- Tumhe main jitna jaan rahi hun Nischal, tunhare liye utna jyada proud feel hone lagaz1 0160l hai. Main itni bewakoof nahi ki un logon ke bich jakar phans jaun aur tumhara kaam muskil kar dun..


Nischal:- Thanks Nandni… Haan lekin main tumhe ek muskil kaam dunga… tumhare control power ne mujh me ummid jagayi hai.. aur mujhe in Zoren washi par bharosa nahi..


Nischal ke pass waqt bahut kam tha, isliye Nandni ko wo gode me utha'kar, apne uss thikane tak le gaya jahan usne chhote viman rakha tha, aur earth ki technology ke sath apni tecnology ko mila kar kuch prayog kiye the..


Nischal ne Nandni ko 1 hathiyar ka prayog sikhaya.. freeze wall protection. Ye hathiyar atmospheric gas aur air ko freez karke ek pardarshi protective layer banata tha… Iske prayog se jitne radius ka chahe, ek pardarshi protective cover banaya ja sakta tha, jise bhedne ke liye kafi force ki jaroorat parti hai. Ek hathiyar se, kam se kam 1 kilometre ke radius me 200 baar protective layers banaye ja sakte the.. yadi room ke tulna me iski baat ki jaye to bachne ke liye 5 din tak lagatar protective layer ka nirman kiya ja sakta tha... Iske alawa Nandni ke pass bijli ke jhatke to the hi.


Nandni ko sari baten samjhane ke baad wapas gode me utha'kar flat laya. In sab kamon me lagbhag raat ke 1 baj chuke the... Lekin raat ka kaam pura nahi hua tha… Kal ke sari planning yojnabadh tarike se dimag me bithane ke baad, Nischal raat ke takriban 1.30 baje Sawalker ke gahr pahunch gaya...


Itni raat gaye Nischal ko darwaje par dekh, Sawalker thode chinta me par gaya.. lekin jab Nischal ne apne aane ka karan bataya tab Sawalker pahle jakar chay bana laya, fir apne soye dimag ko pura jagate huye Nischal ko sun'ne laga.


Lagbhag hafte din baad ek aham case solve hone ja raha tha.. Sawalker khushi se jhumne laga… Puri kahani samjhate-samjhate subah ke 4 baj gaye the.. sara kaam to ho gaya tha.. lekin jab akele huye to wapas se tanhaeyon ne gher liya.. Aakhon me nind ki jagah halka dard utar aaya tha..


Har raat ki ek subah hoti hai. Har gum ke baad kuch khushiyan haath lagti hai, lekin Nischal ke liye mano raat ki subah jaise hi hone wali hoti hai ki fir ghanghor bhadal chha jate hain. Gam se ubar kar khushiyan aane ki sanket jaise hi hote ki gam ke kuch aur karan pahle se dastak dene shuru ho jate…


Fir se ek subah ho rahi thi.. Nandni college ke liye taiyar ho kar hall me aayi thi aur fir se Nischal ki mayus haalat ko dekh'kar wo uske pass pahunchi..


"Hammm ! Raat me soya nahi na".. Nandni uske pass baith'te huye puchhne lagi..


Nischal:- Aaj raat ko khub pikar chain se sounga..


Nandni:- Aur devdas ban jaunga.. Hey Nischal, tu mayus bilkul acha nahi lagta.. kal fail ho gaya.. kyon..


Nischal:- Haan.. aur Jivisha se maine wada kiya hai, main usse apni shakl bilkul nahi dikhaunga…


Nandni:- Mera duapatta lele aur muh dhak kar chale jana…


Nischal:- Rahne de yaar kosis bekar hai..


Nandni, apne hathon se Nischal ka banaya wo mask utar kar uske hath me rakhti hui kahne lagi… "Aisa bhi koi aawishkar ho sakta hai ye to kalpna se bhi pare hai. Tumne isse sambhaw kiya. Mujhe batao kitne sal lage iss globes se dikhne wale mask ko banane me"..


Nischal:- Lagbhag 11 sal lage mujhe.. wo bhi main ye project band kar chuka tha, lekin yahan ke scientist kamal ke hain. Unki light, current aur anya theory itni kamal ki hai ki bus ek chhota sa change ne isse sambhaw kar diya.


Nandni:- Matlab kayi baar fail huye lekin isse pura karne ki hasrat dil se nahi gayi..


Nischal:- Hammm ! Tum kya kahna chah rahi ho main samjh gaya.. lekin wo Jivisha hai, koi object nahi.. hum dono ke pass seperate emotions hain.. ab wo mujhe nahi like karti to main kya karun..


Nandni:- Sach he kaha hai kisi ne, pyar nakara kar deta hai.. dil ke sath thoda dimag bhi lagao sab samjh jaoge.. main chalti hun.... Ummid hai ek aur prayas ke sath tumse college me mulakat hogi.. aur haan ek baat aur.. aaj thode swarthi hokar aana.. uski feeling hurt hogi iss baat ko kinare rakh kar kewal apne arman kaise pure ho uspar focus karna…



Idha Jivisha…


Baat kuch aisi bigdi thi ki ab to dil tootna tay tha. College na jane ka ghar walon ka dawab aur Nischal ko dekhne ki chahat. Jivisha ghar se nikal to aayi thi lekin dil me ek hi khyal baar baar aa raha tha, na to wo ghar walon ke hokar rah payi aur na hi apne pyar ke….


Inhi sab udherbun me wo college pahunch gayi. Na to raste me Kasak se koi baat hui aur naa hi jab college aayi to Nandni se baat ki, uski najar to bus Nischal ko dhundh rahi thi. Jivisha ka mann do rahe par tha aur khyalon me kewal aur kewal Nischal…


Na jane kitne dino se Jivisha, Nischal ko jaan bujh kar chidha rahi thi, aur jab waqt tha ek lambi si bechaini ko aaram dena to haalaton ne Nischal ko chidha diya aur Jivisha tamasha dekhti rah gayi….


Pahli class bit gayi... Wo nahi aaya… Jivisha ke chehre ki mayusi ab udasi me badal gayi thi. Dusra class bhi khatam, ab bhi Nischal nahi dikha… Udasi se ab rone ka sabab paida ho raha tha. Jivisha apna sar niche jhukaye ro bhi rahi thi aur apne aashu bhi saaf kar rahi thi…


Tabhi achanak se pure class ke hasne ki awaz aayi. Nischal ki awesome entry se pure class me hansi ka mahol tha. Wo sidha jakar Jivisha ke pass baith gaya. Jivisha ab bhi sar jhukaye bus apne aashu hi saf kar rahi thi.


Tabhi class me jaise hi professor pahunche… "Ye humare class me pagal kaun aa gaya hai. Kaun ho tum aur apna huliya aisa kyon bana rakha hai. Bahar jao class se"..


Nischal apni jagah par khada hote… "Sir aap mere poshak ka apman nahi kar sakte. Ye humare community ki pahchan hai"..


Jivisha jaise hi Nischal ka awaj suni, wo sir jhukaye hi rote-rote hasne lagi aur hanste-hanste fir se rone.. Jivisha apna sar niche jhukaye Nischal ko sunna chah rahi thi.. itne me hi..


Professor:- Tum kya pagal ho, jo yahan aise kapde pahan kar aaye ho…


Professor ki baat par Jivisha halka najar tirchhi karke Nichal ke kapde ek baar dekhi… "Upar aur niche kewal black pahne hai.. fir ye professor itna garam kyon ho raha hai. Lagta hai Biwi se jhagra karke aaya hai"..


Nischal:- Sir apne biwi ka gussa mujh par mat nikalo… Yadi mere poshak ke bare me kuch kaha to ye bejjati hai humare community ki…


Jivisha, Nischal ki baat sunkar ander hi hansti hui... "Daring hai mere hero me, isse Naktode ke muh par bol diya.. hihihihihi..


Professor:- Are kaun si community..


Nischal:- wahi saar.. Ninja community.. kisi ne mujh se kaha apna chehra mat dikhao to maine Ninja community join kar liya..


"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..
good update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-59




"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..


Nischal:- Tumse wada jo kiya tha apna chehra nahi dikhaunga.. so ye Ninja look… aaj ek mauka aur milega kya..


Jivisha:- Aur aaj bhi fail ho gaye to…


Nischal:- Wade me tod nikal'kar, kal fir samne aa jaunga..


Jivisha, ander se khush hoti hui… "Aur kahin gayab hone ke liye kah di to"..


Nischal:- Fir Mike par jor jor se chillaunga… main Laila laila chillaunga kurta far ke…


Jivisha:- Pagal kahin ke.. upar ka mask hatao..


Nischal:- Dekho wade ke mutabik main tumhe apna chehra nahi dikhaunga, lekin yadi tum khud mask utarogi to iska matlab hoga ki main apne kaam se kahin bhi ghum sakta hun bina mask lagaye. Fir chahe tum hi kyon na ho wahan aas-pass.


Jivisha uska mask utar'ti hui… "Nautanki karna mera department hai, tumhara nahi.. ab ye batao ki ander kya pahne ho..


Nischal:- Itne tight kapde ke niche bhi koi kuch pahan sakta hai kya… only three kapde the sharir par... Ek utar diya tumne. Do tumhe dikh rahe honge..


Jivisha:- Pagal, fir main aise kapdon me tumhare sath nahi ghumne wali..


Nischal:- Thik hai fir kal ka program rakhte hain .. chalo class me..


Jivisha:- Oye ruko… Kal kyon .. kal meri engagement hai.. aaj ka hi mauka hai tumhare pass…


Nischal:- Fir tum hi kuch solution batao…


Jivisha:- Ammm ! Ek kaam karte hai, yahan se shopping mall wahan se change aur fir wahan se tumhare adhure samay ko pura mauka dena…


Nischal:- Haan kal raat 10 baje ka bol'kar mujhe sham ke 4 baje tak hi samay mila tha… ye baat dimag me rahti to Ninja look nahi lena parta.. waise tumhe yaad tha fir kyon kahi ab muh mat dikhana…


Jivisha:- Off O ab chalo bhi pakao mat…


Dono shopping mall pahunche, wahan Jivisha ne apne pasand ke kapde kharidi aur Nischal ko trial room bhej'kar change karke aane ke liye boli.. jab wo change kar'ke bahar aaya.. Jivisha usse dekhti rahi gayi… Dil kiya fatak se gale lag kar jhatak se apne arman kah de. Fir muskurati wo apne hi sar par hath marti khud se kahne lagi… "thoda usse hi mauka deti hun"


Jivisha bill counter par aage badh kar bill dene lagi aur piche se Jivisha ka pura khandan pahunch gaya… "Baap yahan hone wale dulhe ke liye shopping karne aaya hai.. aur beti ek nakara ke liye shopping kar rahi hai"..


Bill counter par kuch jyada hi bhid hoti hai.. har koi iss family drame me intrest lene laga… Jivisha jab apne papa ki baat suni to wo sah nahi payi.. juban ladana nahi chahti thi aur Nischal ki bejjati sun'na usse gawara nahi. Ander se usse mehsus ho raha tha ki wo na jane kya kar de abhi, khud usse bhi pata nahi. Isliye wo bina kuch bole wahan se chali gayi.


Idhar Nischal ke liye yah apman jaise jamir par chhap gaya tha. Pahne huye kapdon par sawal uthana.. khud me apmanit mehsus karte Nischal apna gussa pikar rah gaya. Un logon ke tane kewal aur kewal aisa lag raha tha jaise uske nakarepan ki kahani bayan kar rahi ho…


Kisi bhi chij ki hadd hoti hai, lekin kuch log bolne ke kram me har haden paar kar jaate hain. Ghar ke mahol ko pichhle kayi dino se Nandita bhi bhanp rahi thi... Wo bhi bahut kuch soch to rakhi thi, lekin majboori me kadam wahan par thehar jate jahan bus dimag me yahi chalta ki ab tak uski bachi ne kabhi apni khwaish nahi jatayi, ki usse Nischal ye pyar hai ya Nischal se vivaah hi karna hai...


Lekin abhi ka uske saas-sasur aur pati ki harkaten kisi bajaru se kam nahi tha.. aur yahi ladka hai jo apni izzat utarte dekh'kar bhi samne wale ko kuch kah tak nahi raha tha... Apne pariwar ke logon ka vaywahar dekh'kar Nandita ka para apne charam par pahunch gaya….


"Aap jise nakara kah rahe hain, aaj se, infact abhi se wo mera bhai hai.. mere pita ke dusri santan. Jaise wo Shresh apne baap ke paise par ek bahut bada kaam kaji ladka ho gaya waise hi aaj se ye bhi hai. Aur agar ab kisi ne mere bhai ke liye kuch bhi bola to acha nahi hoga".


Nandita apne hath jodti sabse kahne lagi… "Ab chalo sab yahan se, sabne bahut drama kar liye. Wo to bus shopping kar rahi thi, lekin aap sabko jaan bujhkar drama karna tha. Bhid me bejjati kar rahe ho.. ab chaliye aap log yahan se warna beti ko to khote ja rahe hain, kahin aisa na ho ki main bhi chirag ko lekar nikal jaun aur dobara kabhi uss chaukhat par kadam na rakhun"…


Nandita ne jab apne tevar badle tab jakar kahin sabko hosh aaya. Pura pariwar wahan se laut gaya. Idhar Nichal bhi apne dhime kadmon se parking ke ore badhne laga. Usse khud me ander se acha nahi lag raha tha... Nischal khud ki haalat par khud hi hans raha tha… Aaj tak jisne ek ulte shabd nahi sune the, wo baar-baar bejjat huye ja raha tha…


Vida lene se pahle apne aakhri kuch shabd Jivisha se kahne the, isliye uske kadam Jivisha ke piche chal diye… Yun to chand duri ke faslon par Jivisha najar aa rahi thi, lekin ander ke fasle jo paida ho gaye the, uski duriyan ab tay kar pana mushkil tha...


Jivisha, ki najar jaise hi Nischal par gayi, wo bhag kar uske pass pahunchi aur bechaini se uske chehre ko tham kar…… "Mujhe maaf kar do, mujhe tumhe yahan lekar nahi aana chahiye tha… bahut kuch suna gaye na… main maafi mangti hun.. please Nischal, aise udas na ho"..


Nischal, Jivisha ke hath ko hatate huye, uske chehre ko dekhne laga… Jivisha ko dekh'kar Nischal muskuraya…

"Main ek bhatkaw tha aur tum thehraw. Kash tum mili na hoti to mere yahan hone ki wajah nahi hoti. Ye dil bechain hona, kisi se na mil pane ki tarap aur haan, kisi ke baton ki chubhan kya hota hai kabhi pata hi nahi chalta, yadi tum se na mila hota."

"Mere yahan hone ki wajah tum thi. Shyad itna hi tumhe dekhna aur mehsus karna, meri kismat me tha Jivisha. Main ek aise khwaish ke piche para raha, jiski khwahishon kabhi main tha hi nahi."

"Janti ho tumhare papa ne kuch kaha, wo baat utni nahi chubhi, jitna tumhara wahan se chup-chap chale aana chubha. Aur ye chubhan koi pahli baar maine mehsus nahi kar raha tha. Lekin baat fir wahi ho jati hai, ek tarfa chahaten aur ek tarfa pyar. Main nahi janta, kabhi chhoti si feeling bhi tumhare ander thi ya nahi, bus aisa laga jaise tumhe apne manoranjan ke liye ek khilona chahiye tha… jab ji me aaya thode se pyar se baat karne ke baad uske satha ho liye aur uski bewakoofi par bahut enjoy kiya, aur baad me fir dhutkar bhi diye"

"Khair … Maine tumhe chaha hai .. aur chahta rahunga.. ye Sathya hai… thik waise hi, jaise aaj raat ke baad fir yahan rukne ki koi wajah nahi hogi. Alvida"…


Nischal apni baat kah'kar mud chala. Sab kuch luta'kar khud me khoya sa wo chala. Aise chala jaise sab alvida kah chala ho.


Nischal apne khoye se aalam me bahar ke ore ja raha tha aur Jivisha bhagti hui usse na khone ki chahat me announcing room mein pahunch gayi… Shopping mall me lage har speaker se ab Jivisha ke arman nikal rahe the jise sab sun rahe the….


"Oye Jungli, apni chahat bata gaye.. jane se pahle meri chahat to sunte jao.…. Tum khade the kisi deewano ki tarah, charo ore aise dekh rahe the jaise ye jahan tumne pahli baar dekh rahe the… main train se bhag rahi thi anjano ki tarah.. aur meri kismat mujhse takra rahi thi"..

"Wo pahli najar ka hi pyar tha jab tum mujhse takraye the... Koi second thought nahi tha, isliye apne pyar ko main chum rahi thi… be-jhijhak aur be-hichak…"



"Haan galtiyan hui mujhse. Thodi duriyan thi lekin kuch meri majbooriyan thi. Tumse kitni chahte hain, ye dil me dabi thi, najron me chhipa tha. Lekin haal-e-dil kabhi izhar nahi kar payi aur najron se kabhi wo pyar jata nahi payi."

"Main nahi janti ki tum mujhe chhod'kar kahan jaoge, lekin yadi tum dur jaoge to wo tarap main jhel na paungi. Wada hai tumse kabhi tumhara dil na dikhaungi.. Jahan itni baar mujhe maaf kar chuke, kya ek baar aur maafi nahi milegi."

"Rok lo apne kadam, mud jao piche, aaj fir ek baar, jahan tarpe hain ek duje ke bina itne din, sath jine ka bhi maza lete hain. Bus ek tum mil gaye to samjhungi sara jahan mil gaya."

"Ab aa bhi jao Nischal, tumhare liye bahut royi hun, ab aur rone ki himmat nahi bachi hai. Ab aa bhi jao na.. please.. Ya fir wo chand shabd hi sunkar samjhoge jo log izhar me kahte hain"…


"Aur mukhiya ji ka kya, jo mujhe bhadi sabha me nakara kahte hain".. Nischal thik Jivisha ke samne, muskurate huye khada tha…


Wo najron ke samne jaise Jivisha ki puri khushiyan khadi thi… fir to khud ko rok pana bhi muskil ho raha tha… kadam daud chale khushiyon ke ore… yun lipti aaj dub kar Nischal me, ki uski ho kar rah jana hai… tej dhadkane Jivisha ki bechani bata rahi thi wahin paglon ki tarah uske chehre ko chumna uske vyakul mann ki shanti ko jata raha tha…


Fir se wahi sama tha, ek baar fir wahi najara tha.. Jivisha apni vyakulta shant karke, poori tarah toot chuki thi. Nischal apna ek hath uske kamer me dal'kar Jivisha ko thame khada tha aur dusre hath se chehre par aaye bikhre baal ko hata raha tha..


Aakhon ke samne wahi najara pahli mulakat ki thi bus fark itna tha ki aaj dono ek dusre ko dekh'kar itni pyari muskan de rahe the ki in muskano me dub'kar puri umr kati ja sakti thi..


Jivisha apni aeriyon ko unchi karti Nichal ke hothon tak apni honth lekar aayi aur apne hoton se Nischal ke hont ko sparsh karti, apne pyar ke sparsh ka wo pahla ehsas Nichal ko kara gayi.


Hont ko saparsh karke kuch inch dar fasle par dono ke honth alag the. Shwans ek dusre ke chahere se takra rahi thi aur aakhen aaj band hokar iss pyare se ehsaas me dub chuka tha…


Jivisha ke hothon ka pyara asprash ab bhi Nischal ke dil me utar raha tha. Chahten fir se deewani hokar hoton ke sparsh ko mehsus karne ke arman jaga gaye aur dono ke honth ke inch dar fasle khatm hokar, ek dusre ke hoton ko chumte chale gaye… shwans lambi aur gahri hoti rahi.. dhadkane bekabu hokar dhadkane lage aur dono ke pyar ko wahan maujood log mehasus karte taliyan banane lage..


Taliyon ke aawaj ne dono ke bojhil aakhon ko kholne par majboor kar diya.. Jivisha khadi bhid ko jab samne dekhi to sharmakar apne chehre ko Nischal ke sine me chhipa lee.. tabhi bhid ko side karte wahan police pahunch gayi…
lovely update
 
Top