Update:-43
Sawalker aur Nischal dono meeting khatm karke commissioner aawas se nikle aur sidha commissioner office letter lene pahunch gaye. Sawalker ne crime branch ke kuch officer ke sath ek chhoti si team ka gathan kiya aur sabhi soorat-e-haal ko bayan karne ke baad sabko kaam par laga diya.
Pure mamle me Nischal bhi Sawalker ke sath raha jo dhyan se bus kewal sun raha tha aur khamoshi se baar baar biti raat ki ghatna par hi focus kiye huye tha…
Police station me kuch waqt bitane ke baad Nischal wapas flat laut aaya aur akar sidha apne kamre me let gaya. Wajah yah nahi thi ki pasliyon ke chot ke wajah se wo padesan tha. Jab se Nischal ne iss case ke liye haan kiya tha tabse wah Sapna ke bare me hi soch raha tha.
Biti raat jab usne khud ko Sapna ke sath jodne ki kosis ki thi tab se uske dimag ke ander hi bhayawah pira mehsus ho raha tha, jo ek insan ko jinda hosh me rahkar usse chirne ki hoti hai. Rah-rah kar uska dimag Sapna se jud kar uske aakhri pal ke dard ko uske dimag se gayab karna chah raha tha.
Nischal khud par kabu to karna chah raha tha, lekin na chahte huye bhi uska anterman dur rahkar bhi Sapna se judne ki kosis kar raha tha… ye kyon ho raha tha wo to Nischal ko bhi nahi pata, lekin flat par laut kar jaise hi Nischal bistar par gaya, wo anyerdhyan ho gaya.
Nischal ki chetna uss lab tak pahunch chuki thi jahan dhundhli si parchhayi me wo Sapna ko dekh raha tha, lekin wahan ka vision uske kosison ke bawjoood bhi saaf nahi ho rahi thi...
Nischal abhi lab me tha lekin uska sharir jo iss waqt Nandni ke flat me tha, wo kya pratikriya kar raha tha, gyan tak nahi. Nandni ke flat me para uska badan chhatpata raha tha. Naak se khun ki dhar bah rahi thi aur uska sharir garam hota ja raha tha..
Nischal ke body ka temperature bhi kisi aam insan jitna nahi badh raha tha balki jahan 103 ke paimane par high fever mana jata hai, Nischal ka badan 300 cross kar chuka tha…
Idhar Nandni sab logon ke jane ke baad wo bhi Ansh ko surprise dene aur usse kaam ke bich me thoda padesan karne hospital chali gayi thi. Jab se Nischal ki dastak Nandni ke jeevan me hui thi, tab se uski bhid me tanhai ki zindgi bhi khatm si ho chali thi. Isi ki ek kadi Ansh bhi tha, jo uske dil ke umang ko pahle ki bhanti hi jaga raha tha.. aur Nandni wo khushiyan wapas se mehsus kar rahi thi jo kisi ek ke jane se dur ho gayi thi.
Nandni appolo pahunch kar sidha uske chember mein ghus gayi, jahan Ansh kuch sathi doctors se baat kar raha tha. Jaise hi Nandni ander pahunchi... "Ye kya hai Ansh.. ye log mujhe tumhare pass aane se rok kaise rahe hain."…
Nandni, 2-3 security guard ke ore ishara karti bol rahi thi, jo Nandni ke piche usse rokte huye aa rahe the…
Ansh:- Tum iss waqt yahan kya kar rahi ho Nandni..
Nandni, Ansh ke karib jati, uske chair ke hand rest par baithkar samne baithe doctor ko sunati hui kahne lagi… "Aap hi log bataeye bhai sahab, patni itni dur chalkar pati ke liye khana lekar aayi hai aur ye hain ki mujhse ulta puch rahe hain, main yahan kya kar rahi hun"…
Samne uske sathi doctor aur Nandni lagbhag uske gode me baithi, bechara thoda sankoch mehsus karte … "thik hai sir hum baad me charcha kar lete hain"..
Nandni:- Haan sir jaeye-jaeye abhi to main inhe apne hathon se khilaungi.
Dono doctor muskurate huye…. "Kash hume bhi aisi biwi ka sukh mila hota ansh babu.. chaliye ab kal hi iss vishay par charcha hogi, waise bhi 4.30 baj gaye hain"..
Un dono ke jate he Nandni, Ansh ke gal par hath ferti uske gal ko chum lee… Ansh thandi aahen bharte…. "Nandu please ruk jao, yahan charo ore cctv hai."
Nandni:- Haan to main tumhare sath romance kar rahi hun kisi aur ke sath nahi… tumhe nahi pasand yahan mera aana to kah do, wapas kabhi nahi aaungi tumse milne hospital…
Ansh:- Nahi baba aisi koi baat nahi hai… tum bekar me kuch bhi nahi socho…..
Nandni, muskurai, aur Ansh ko dekhti hui kahne lagi... "Jab aisi koi baat nahi to fir mujhe gale lagakar chumo"..
Ansh, thoda chaunkte… "yahan"..
Nandni kursi se utar kar khadi hoti…. "Ja kar yahan ki nurse ko chumte raho.. main ja rahi hun…"
Ansh:- Acha ruko.. ruko aise muh fula kar mat jao warna mujhe guilty feel hoga.. waise tum pakka sure ho na yahin kiss karna hai…
Nandni:- off o baba .... Kitna ghabrate ho.. tumse na ho payega, main Nischal ko hi bol deti hun kiss ke liye…
Ansh char kadam aage badhkar Nandni ko kamar se khinchte uske hoton se honth lagakar chumne laga.. Nandni bhi apni aakhen band karke uske gale me hath dalkar kiss me dubti chali gayi…
Dono gahre kiss ke nashe me the tabhi Nandni, Ansh se alag hote huye kahne lagi… "Ansh mujhe thodi ghabrahat ho rahi hai, chalo ghar chalte hain"..
Ansh:- Badmash kahin ki.. I am too excited baby, but mujhe ek case ke liye lab bulaya gaya hai.. janwaron ka fir se ek brutal mamla samne aaya hai...
Nandni:- Hmmmm ! Koi baat nahi hai Ansh, but ye main kisi excitment ki wajah se nahi kah rahi thi.. wakai kuch acha nahi lag raha iss waqt.. thik hai tum kaam karo, main baad me call karti hun…
Nandni wahan se kafi khamosh bahar nikli, Usse jate dekh Ansh ko bhi acha nahi laga… piche se wo bhi daura.. Nandni ki khamoshi usse itni khal gayi ki wo bhul gaya ki yah hospital hai aur Ansh yahan ka ek doctor. Nandni Nandni karta wo hospital me hi awaz lagakar daurne laga.
Ansh ki Awaz sunkar Nandni pichhe palti aur Ansh ka aana uske chehre par muskan le aaya. Dono sath me hi flat pahunche aur mukhya dwar aise hi khula hua… "Ansh, ye Nischal bhi na ek dum pagal ho gaya hai. Darwaja aise hi khula chhod gaya hai"…
Nandni gusse me ander gayi aur jaise hi wo Nischal ke kamre me ghusi… "Anshhhhh… Anshhhhhh…. Anshhhh".. wo paglon ki tarah Ansh ko pukarne lagi.. aakhon se Nandni ke aanshu bahne lage aur wo bhagkar bistar par baithkar Nischal ko sidha ki aur uske sir ko apne gode me rakhkar usse jagane lagi..
Nandni ki awaz par Ansh jo apne kamre me change karne gaya tha wo bhi bhagkar wahan aaya… samne ka najara dekha… Bistar khun se laal ho chuki thi... Naak se ab bhi bleeding ho rahi thi aur Nandni ka ro rokar bura haal ho gaya tha...
Ansh aage badhkar Nischal ka matha chhu liya aur teji ke sath hath pichhe khinchte aschrya me pad gaya… wo chadar par lage khoon ko apni ungliyon me liya aur usse bariki se dekhne laga... Ansh ko ab shanke ne gher liya tha…
Nandni ke aashu barshat ki tarah Nischal ke chehre par gir raha tha. Wo apne dupatta se lagatar uske naak se bah rahe khun ko saaf karne ki kosis kar rahi thi, lekin khun band hone ka naam nahi le raha tha…. "Tum putle ki tarah wahan khade kyon ho… please kuch karo na Ansh… pleaseeeeeee"..
"Ukhunnn .. Ukhunnnn… Unkhunnn… Fir doctor par chilla rahi ho Nandni"… Nischal hanste huye apni nind se jaga… Uski aakhen khuli dekh Nandni usse lipat gai… "Pagal hai kya tu… jaan hi nikal di thi meri"..
Ansh… Ab uski jaan me jaan aa gayi hai na Nandni… calm down baby…
Ansh Nandni ko sambhalte usse dilase dete kahne laga.. Ansh ki baat par Nischal bhi niche kahne laga… "Main thik hun… likin aise hi mere chehre se lipti rahogi to pakka main dum ghutne se gaya kaam se"..
Nandni apni aashu saf karti hui uske upar se hati aur gusse me usse 2-3 thappad marti hui puchne lagi…. "Ye sab kya hai"..
Nischal baat ko ghumate huye kahne laga.... "Main marne ka illusion try kar raha tha aur issi chakkar me paitra ulta par gaya… hato main jara fresh hokar aaya".
Nichal, Nandni ki gode se uthakar jaise hi khada hua, thoda ladkhada gaya… "thik hum main… kuch nahi hua"… aur kahta hua bathroom me ghus gaya…Nandni bhi kitchen me gayi wahin pani bhi pi aur apne chehre par pani ki chhinte bhi marne lagi…
Ansh:- Main ambulance bulawn kya .. kafi blood loss hai..
Nandni:- nahi shayad ab wo thik hai. Fir bhi main usse dekhti hun, yadi jaroorat lagi to main tumhe call kar dungi.
Ansh:- Jaisa tum thik samjho Nandni. Acha tum Nischal ka khyal rakho, maine bataya tha na mujhe lab jana hai, isliye main ja raha hun… tumhare pass paise hain kya..
Nandni:- haan mere pass paise hai ..
Ansh:- Fir bhi ye mera card rakho aur ye hospital pass bhi. Yadi main call ka respond na karun to emergency me ye tunhare kam aayenge..
Nandni, Ansh ke gale lagti…. "Thankyou so much Ansh"..
Ansh:- Ab tum aise pyar se gale lagaye rakhogi to main kahin bhi ja nahi paunga.....
Ansh bhi thoda sa mazak karte wahan se nikla. Uske poket ki chhoti sisi me Nischal ka blood sample tha aur environment ka temperature jis'se lete hain, uspar Nischal ke body ka temperature tha jo ki lagbhag 300⁰ celcius tha. Fahrenheit me yadi reading liya jaye to lagbhag 572⁰ ki reading thi. Ansh kuch bhi niskarsh nahi nikal pa raha tha isliye wo sidha lab chala gaya.
Idhar Nischal fresh hokar wapas hall me aaya. Thode hi der me wo pura recover ho chuka tha. Nandni jabtak khun se lage chadar ko dustbin me dalkar wo bhi fresh hone chali gayi thi. Thodi he der me wo bhi fresh hokar hall me aayi aur khamosh hokar uske pass baith gayi.
Nischal 6 jug pani ke sath dawa pi chuka tha... Wo gahri shwans lete Nandni ke ore dekha aur muskurate huye kahne laga…. "Tumne wapas bula liya warna main Sapna ke dimag ke mayajal me ulajh gaya tha"..
Nandni:- Nischal jab guru ji kitab se tumhe koi madad nahi milne wali, wo hum dono jante hai, fir kyon itna jokham bhada kaam kar gaye… jante ho kuch der pahli meri kya haalat thi.. aisa laga jaise tum mar rahe ho…
Nischal:- Jo tumne mehsus kiya wo mera dard nahi balki Sapna ka tha, jise kal raat berahmi se mara gaya hai. Uske mirt sarir se maine apna dimag jod diya hai.. ab jabtak uske dimag se wo dard nahi jata tabtak main uske sath juda hua he rahunga… Maine apne aukkad se bahar ki chijon ko aajma lia hai…
Nandni:- Padeshani mat batao… mujhe batao iska hal hai ya nahi, warna main hi khushi se mar jaungi aur tum apna dimag mujh se jod lena… tumhe hero banne kisne kaha tha Nischal.. bina uske dimag me ghuse bhi to tumhe pata hi hain na ki shayad Jivisha ke vesh me koi alian hai, jisne ye sab kiya…
Nischal:- nahi Jivisha bilkul tumhari tarah insan hi hai.. uspar baad me baat karenge … wo narbhakshi alian hi hain aur wo log wahi Josefer ke group ke log hain.. jise aaj raat hi unke kiye ki saja milegi…
Nandni:- aur wo mirt dimag se jo tumhara dimag juda hai uska kya…
Nischal:- "Main thoda andhera hote hi forensic lab jaunga akele… aur wahan main purn awlokan karunga… tab jakar kahin main Sapna ke dimag se alag ho paunga, aur fir uske baad dard mitane ke liye doshiyon ko saza dunga aaj ki hi raat… Wo ladki bahut hi himmatwali thi. Jab uska jibh khinch kar nikala ja raha tha, uss dard mein bhi usse yakin tha ki koi aakar uski zindgi wapas kar dega... Isliye uska majboot dimag mujhe aakarshit kar raha ha"i...
Ek baar awlokan ho gaya uske baad uske katilon ko saza dunga… uske baad finally main ek baar aur uske dimag me jakar apni yaad usme dalunga, jis se uska dard chala jayega… Tum sari chinta chhod do aur mujh par bhadosa rakho.. aur haan tum, aaj meri wajah se kafi dipress hui ho.. isliye jabtak tum ek achi nind lo tabtak main Sapna ke dimag ke mayajal se khud ko bahar nikal kar aaya aur tumhe ye khushkhabri diya…