• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Awesome update bhai
Bhai ek update me Nandini ko jab Nischal ki sachayi pata laga tab Nandini ne Nischal ke hath me pin chubhoi thi tab nischal ka blood red tha is update me khoon ka rang alag kaise hagaya ???

Khun ka rang laal hi hai black bhai... But ye waisa lal nahi jaisa aam insan ka hota hai.. karib se dekhne par har koi ye bhanp sakta hai.. aaj bhi chadar khun se lal hi thi bhai :)
 

piyanuan

Active Member
1,318
806
128
Kya aap aage kar sakte hain .. total 38 badlaw hai 43 update me ... Wo pata hai kya aap ko .. aaj ke 3 update 80%. Naye theme ke sath hai...

Aap ko lag raha hai bahut piche hai to jab sath hogi tab aap apne vichar de denge to mujhe khushi hogi...

Ye nayi kahani nahi hai yeh sab ko pata hai.. kayi log yahan naye hain aur kayi purane .. kisi ne ye nahi likha ki piche hai ya aage ..

Haan kisi ko jyada utsukta hoti hai to bol jate hain ki bhai ek sath sabhi update de do..

So please .. aap kahani par comment den .. aage piche ki jimmedari meri hai.. wo main dekh lunga


Dhanywad
ok ji, ab nahi bolenge hum
 

Ssking

Active Member
1,302
1,568
144
Update:-6



After cold war :- Nischal aur Jivisha....

Dono alag-alag disha me nikal chuke the. Nischal jab Jivisha ko chhor kar aage badha to usse pata nahi kyon kuch achha nahi lag raha tha. Usse aisa laga jaise usne koi galti ki ho. Uske liye sayad zindgi me ye pahla ehsaas tha jab khud me wo kuch bura mehsus kar raha tha..... "Aakhir ye ladki hai kaun, iske liye mujhe kyon bura lag raha hai?"


Khair Nischal bhi aage chal diya. Idhar Jivisha bhi alag rasta pakar li. Wo bas chalti hui yahi soch rahi thi ki uske wajah se Nandni ka break-up ho gaya. Nandni ko kayi sari padesaniya uthani pari jab wo sath college me the.



Jivisha ko rah-rah kar ye feel hota raha. Tannnn.... jaise dimag ki batti jali ho. Turant cyber cafe me gayi aur fb account se Saroj ka number nikaal layi.... Jivisha, Saroj ko call lagati hui....


Saroj.... Hello kaun..

Jivisha..... Main hun Jivisha...

Saroj.... Jivishaaa !!! Tumhari himmat kaise hui mujhe call karne ki. Rakh phone...

Jivisha.... Wait, wait, wait... call disconnect mat karna. Ek jaroori information deni hai...

Saroj.... Jaldi bolo... mere pass time nahi...

"Kamina, samne se call kari to kitna bhaw kha raha hai".......... Jivisha.... "Nandu ab bhi tumhe chahti hai, aur tumhare liye usne aaj mujh se jhagra bhi kiya. Sorry meri bachkana harkaton se tum dono alag ho gaye.

Saroj.... Hmmm ! Iss baat ka ehsaas tumhe tab hua hota. Kash uss waqt tumhari buddhi itni bharsht na hoti, to aaj humari ek pyari si duniya hoti.

Jivisha.... Bas ussi pyari si duniya ke khatir call ki hun. Nandu ki shadi kal tay hone wali hai. Tum fatafat Indore aa jao aur bacha lo apne pyar ko. Tumhare bina to wo mar jayegi....

Saroj.... Nahi…. main aisa bilkul bhi nahi hone dunga. Tum fatafat adress likhwa do, main abhi Indore ke liye flight le raha hun.


Fir kya tha Jivisha ne Nandni ka adress likhwa diya, aur Saroj bhi Pune se Indore ke liye turant rawana ho gaya..... "Hmmm !! Chalo jo bigara tha, wo to sudhar diya, ab jarra main apne ghar ki bhi soch lun. Pata nahi wahan ka mamla kab tak sudhrega"...


Idhar Saam ko jab ghar me Nandni ne Jivisha ko dhundha to wo gayab thi. Nandni bahut jyada shocked thi, usse yakin nahi ho pa raha tha Jivisha ne bhi baton ko seriously lena sikh gayi hai. Usse rona aa gaya apni harkat par....


Wo apne kamre me baith kar ro rahi thi, tabhi uska bhai Ashis wahan aa pahuncha. Ashis ne Nandni ko rote dekh uss se puchh diya... Nandni ne bhi Jivisha ki tragic story roti hui suna di, kaise wo ghar se bhagi, fir Kalyan station ka har wakya.....


Ashish, usse dilasa dete huye kahne laga.... "Koi baat nahi abhi jyada waqt nahi hua hai, chal, chal kar dhundhte hain sayad Jivisha ab bhi Indore me he ho."....


Dono nikal gaye dhudhne un dono ko. Idhar Jivisha aur Nischal dono he bhatkte-bhatkte pahunch chuke the bus stand par. Bus stand k eek gate se Nischal to dusre gate se Jivisha nader ghus rahi thi. Dono lagbhag ek hi samay par alag-alag raste se bus stand mein kadam rakh rahe the, aur dono apne he dhun me chal rahe the...


Jisvisha ki wahi purani aadat, chal kahin aur rahi thi, dekh kahin aur... wahi haal Nischal ka bhi tha, wo chalet huye aas-pass ke logon ke baat karne ka tarika samjhte huye chala aa raha tha.... aur chalte huye fir se dono takra gaye...... Ek baar fir Jivisha, Nischal ke bahon me jhul rahi thi, aur Nischal uske kamar me hath dale usse thame hua tha.....


Jivisha.... Ab aise he pakre rahoge, ya main khadi ho jaun...

Nischal.... Pichhli baar aise situation me tumne mujhe kiss kiya tha, socha iss baar bhi kahin koi jugad lag jaye.

Jivisha..... Tum kyon mujhe itna paresan kar rahe ho. Kuch der pahle to kahe the ki tum meri shakal tak nahi dekhoge, aur mera pichha karte-karte yahan tak bhi pahunch gaye….

Nischal.... Tum ladkiyon ki problem kya hai, haan.... yahi baat main kahun to kaisa lagega... ki tum mera pichha kar rahi thi, main to apne raste tha...

Jivisha..... Tum itna akad kar mujh se kyon baat karte ho. Tumhe main pasand nahi aur mujhe tum, to baat he khatam karte hai na, baat badhane se kya fayda.

Nischal..... Mujhe aise he baat karni aati hai. Tumhe yadi problem hai to mujhe sikha do.

Jivisha..... Jab kah rahi hun ki baat badhane se koi fayada nahi, fir bhi jabardasti ka topic utha kar jabardasti lage pare ho. Main kyon tumhe kuch sikhaungi jungli. Wapas jao jis jungle se aaye ho. Chipku kahin ke, tum se to chillakar he baat karo to achha hai. Tabhi tum bhagoge.


Nischal.... Chilla kar to dekh, muh na tod dun tera...

Jivisha.... Sadak chhap kahin ke, bolne bhi nahi aata. Tamij he nahi ki khoobsurat ladkiyon se kaise baat karte hain.

Nischal.... Tujhe bahut tamij hai, isliye ladkon ki tarah chillati rahti hai. Tu ladki bhi hai kya ?

Jivisha.... Ab ek aur sabd bola to main tumhara khun pi jaungi....

Nischal.... Lagti he hai dayan ki tarah, tabhi to khun pine ki baat kar rahi ho... chudail kahin ki.


"Bas bahut hua band karo kutte-billi ki tarah ladna. Aise koi sadak par jhagra karta hai kya”. Nandni ko achanak hi bus-stand par dekh Jivisha soch me pad gayi…. “Ye achanak yahan kaise pahunch gayi, koi pir baba ka chamtkar hua tha kya".


Jivisha.... Bahut bara nautnaki hai ye Nandu. Ye bol bhi sakta hai aur sun bhi sakta hai, fir bhi situation ka maza utha raha tha. Mujhe to ye koi bahut bara fraud lagta hai.

Nischal.... Teri to, ye kya bakwas kiye ja rahi hai....

Itna kah kar Nischal ne to iss baar Jivisha ka collor he pakar liya. Sab shocked ho gaye... Public place upar se aisa tamasa, ek ladki ke kamij ka collar pakadna .... Ab to bhid ke sath-sath police bhi pahunchi wahan.


In dono ke jhagre me kai bus ruki pari thi. Sab ke nikalne ka time ho raha tha, par dono to uss jagah se hilne ka naam he nahi le rahe the. Upar se masaallah public, wo to chatkara maar kar iss jhagre ka luft utha rahe the.


Police bhid ko bhagati, dono ko apne sath le jane lagi. Ab to teeno ki he fat gayi.... Jivisha ne socha kahin police ne puchh-tachh aur I'D mangi to ghar par pata chal jayega... Jivisha turant he Nischal ke gale lagti, roni awaz me jor se chillane lagi....


"Hay daiyya, main lut gayi barbaad ho gayi... ek to mera pati mujhe chhor kar ja raha hai, upar se ye police wale, ye nahi ho raha ki mere pati ko samjhaye ki wo apni iss eklauti biwi ko chhor kar na jaye... to ulte hume he hawalat le jana chahte hain"


Bas fir kya tha, ladki ka rona dekh kar kai ladies ab Jivisha ke bachaw mein aa gayi. Haan fark itna tha ki police se sari ladies sirf itna kah rahi tui ki... "aise patiyon ki hawalat me le ja kar dande mar kar samjhana chahiye".


Kaun uljhe ladies se. Police bhi dono ko bhid se bahar la kar harkane lagi.... "Ghar ke jhagre ghar me kyon nahi suljhate. Chalo, tum dono ki baat main police station me he sunuga"....


Ashis..... Arre sir, kahan aap inhe hawalat me le jaoge. Ab aap ki bhi to shadi hui he hogi, to aap samjh he sakte ho, in patniyon ke jid. Bas issi baat par dono ki bahas hui, aur mera dost ruth kar bhagne laga.


Police.... Kamal ka banda hai ye to. Sach me daring wala hai. Biwi se ruth kar ja raha tha aur biwi yahan tak aayi manane ke liye. Wow yaar, iski ek photo lene do, main subah saam iss daringbaaz pati ki tasveer dekhunga. Lekin fir bhi, public place me humgama kiya hai to thane to le jana he hoga...


Ashish, 500 ka ek note badhate kahne laga .... "Sir ab to public place par humgame ka matter solve ho jayega na"...


Police..... Nah, manhgai badh gayi hai, itne se kya hoga. Par iss ladkey ki daring ke karan main itne paise me matter close karta hun. Jao sab ke sab ab bhago yahan se.


Sabhi bina ruke nikle wahan se. Charon ghar pahunche.... Nandni pure raste Jivisha ko bhrikuti (eyebrow) tane use ghurti hui aa rahi thi, mano kah rahi ho tug har chal tujhe main batati hun..... Lekin Nandni ke iss gusse par hall mein hi viram lag gaya jab uske mom-dad ne charon ko ek sath aate dekh liya…… "Tum sabhi kahan gaye the"


Iss sawal ke jawab me Nandni kuch bolti, uss se pahle he uske darwaja par knock hui.... Samne Saroj khara tha. Saroj ko dekh kar Nandni ki mano sasen he ruk gayi ho. Nandni shocked, ab ye yahan kaise tapak para. Nandni ki maa gate par khadey Saroj ko gaur se dekhti kahne lagi..... "Ye to wahi tasveer wala ladka hai"




Shock par shock.... Pune wale sare rahu-ketu ek sath ab Nandni ke ghar par the. Nandni bhrikuti tane, dono aakhen bari ki hui.... Jivisha ki taraf aise ghuri jaise wo abhi usse kha jayegi....


Idhar Nandni ki maa Durga devi Saroj ko gaur se dekhtey huye uske pass pahunch gayi.... Saroj ko ghurti hui kahne lagi.... "Tum Nandni ke sath padhte the na"


Nandni, Jivisha se fusfusate..... "Ye teri he harkat hai na duffer"


Jivisha, chhota sa muh banaye, haan me jor-jor se apna sir hila di. Mamala garbar hote dekh ek baar fir Jivisha ne dimag laga diya..... Teji se wo gate ke ore gayi aur Saroj ko dekh kar kahne lagi..... "Aunty ye mera bhai hai, aaj saam me jab baat hui to maine he isse bula liya"


Jivisha ki baat par Nandni ki maa kahne lagi...... "Tune saam ko bula liya aur ye urr kar yahan chala aaya. Tumhari koi gangue to nahi, jo ek-ek kar ke mere ghar pahunchoge aur loot kar nikal loge".

Jivisha.... Aap bhi na, achha mazak kar leti hain aunty ji.

Durga Devi.... Nahi main bilkul mazak nahi kar rahi. Tu gori chitti hai, aur ye sawla. Dono kahin se bhi dekhne me bhai bahan nahi lagte. Kal jab main tasveeren dekh rahi thi, tab to tumne nahi kaha ki ye tera bhai hai. Kuch to mujh se chhipaya ja raha hai. Ashis... Ashis....


Ashis..... Kya hua, chilla kyon rahi ho...


Durga devi.... Ashis jarra in dono ko dekh kar bata to, kya sakal se dono bhai-bahan lagte hain...


Ashis.... Ab isme bhai bahan nahi lagne jaisa kya hai. Sirf rang he nahi milta na, baki nain-naksh sab milte to hain. Chhote mamu to kitne kale lagte hain, to kya wo aap ke bhai nahi.... Aur Jivisha ko maine he kaha tha isse bula lene, bechari bahut miss kar rahi thi apne bhai ko.


Durga devi.... Mujhe sab garbar kyon lag raha hai. In dono ki shadi hui, aur pati-patni alag-alag the. Train me bhi iss ladki ko kai log dhundh rahe the, mujhe laga iski love marriage hui hai. Jab love marriage hui to ye apne bhai ko kaise bula sakti hai. Aur jab arrange marrige hui hai to ye dono bhag kyon rahe the.... Nah mujhe bilkul yakin nahi. Tum sab mile huye ho aur koi na koi khichdi pak jaroor rahi hai....


Ashis.... Haan khichdi pak rahi hai to aap usse pet bhar kar kha lo. Maa tum na budhape me sathiya gayi ho....


Durga devi.... Ab main he pagal ho gayi. Main he budhi ho gayi. Mujh par he chillayega....


Ashis.... Mom... mom... please mujhe 2 min do aur shanti se pahle baat sun lo... ye lo line par Jivisha ke papa hain...


Ashis ki baat sun kar sab shocked..... Idhar Nandni ki mom ne call pick kee .... udhar se...


"Sorry bahan ji mere wajah se aap sab ko taklif hui. Darasal meri beti ki jo shadi hui hai usse humare backward samaj walon ne kabool nahi kiya, aur wo un dono ko mar dena chahte hain. Isliye majboori me mujhe un dono ko bhagana para. Maine suna ki aap mujh se kuch baat karna chah rahi thi".....


Durga devi.... Haan, main baat karna chah rahi thi. Main bhi ek beti ki maa hun. Bache jab ghar se bhag jaye, upar se intne sandeh jab paida kar rahe ho to guardian se baat karna hi sab jyada sahi vikalp hai. Aap ko sunne ke baad mujhe bahut santusti mili, aur sare sandeh bhi dur ho gaye. Aap ke faisle par mujhe garv mehsus ho raha hai. Ek gunge-bahre ko aap ne apna jamai banaya, iss se bari insaniyan kya ho sakti hai.


Call disconnect aur Durga devi, Jivisha se hath jor kar manfi mangti hui kahne lagi....."Mujhe manf kar do beta, tum pahle se itni paresan thi aur maine tum par shaq kiya.... aao beta ander aao tum ab tak bahar kyon khare ho.... Jivisha beta tumhari shadi kal he hui hai na….. Jivisha "Haan" me sir hilane lagi....


Durga devi..... Haan to thik hai tumhare shadi ke baad ki rashmen hum yahan puri karenge. Yun samjho ki tum bhi meri he beti jaisi ho. Nandni, Ashis... Hum bahar ja rahe hain shadi ke baad ki rashmen jo hoti hai usse pura karne ke liye pandit ji ko bulane... dhyan rahe tab tak ye dono sath na rahe....


Durga devi apne pati ke sath ussi waqt market chali jati hai... idhar ghar me...


Ashis.... Koi batayega ye tum logon ka kya naya natak chal raha hai.. Nandni enough, main kab tak tumhe save karta rahunga..... hamesa tumhari he problem tumhari he tragedy... tumhare karan mujhe ghar me 100 jhoot bolne parte hain.


Nandni.... My sweet bhaiya, ab ek he to bahan hai tumhari to kya mujhe nahi bachaoge to apni gf ko bachaoge. Aur meri ek he to dost hai, haan thodi pagal hai par uske liye 7 khoon manf.


Ashis.... Aur in dono ladkon ka kya....


Saroj.... Mujhe to yahan Jivisha ne bulaya, kahi Nandni ki shadi tay ho rahi hai aur wo mere bina mar jayegi....


Ashis.... For your kind information Mr Saroj, Nandani ki shadi pahle se tay ho chuki hai, wo bhi ussi ke pasand ke ladkey se. Aur uske liye isne mujh se 100 tarah ke jhoot aur 200 tarah ke kukarm karwaye hain isne. Dusri baat ye ki tum ek bhai ke samne khade ho kar ye jata rahe ho ki tum uski bahan ko pasand karte ho. Tum ek reason batao ki main tumhara muh kyon na tod dun.


Jivisha, Ashish ki baten sunte he chupke se kadam badha kar wahan se khisakne lagi, tabhi wahan Ashis ki awaz gunji.... "Pichhe se aap kahan nikal rahi hain mohtarma"


Jivisha.... Maine socha aap ke aur Nandu ke bich baat chal rahi hai, bhala yahan mera kya kaam.


Nandni... Bhaiya, aap apna jarra sawal jabaw baad me karoge. Mujhe abhi thoda hisab kitab karna hai...


Ashis... Thik hai kar lo...


Nandni.... Jisa tu ghar se kyon gayi....


Jivisha.... Bas mujhe realise hua ki maine aaj tak tumhare liye kuch kiya nahi, ulte padesani khari karti aayi hun. Bas yahi soch kar chali gayi....


Nandni.... Jyada over smart ho gayi hai na... kuch bol diya mazak me to tere dil me chhed lag gaya.


Jivisha.... Bas baba sorry... ab to khush.. chal hans bhi de. Mujh se tu muh fula kar rahe ye mujhe achha nahi lagta....


Nandni.... Mera ego satisfy nahi hua, chal murgi ban fir mera ego satisfy hoga.


Jivisha charo ore najar ghumayi.... Ashis, Saroj, Nischal.. sab hall me he khadey the..... "Nandu, yahan sab ke samne"


Nandni.... Haan yahan, abhi... sab ke samne....


Jivisha.... Tu sach me serious hai....


Nandni.... Haan sach me serious hun, aur jis tarah se tune mera dil dukhaya hai, yadi murgi na bani to teri kasam main tere se baat nahi karungi.


Jivisha..... Huhh ! Aisa bhi kya ego... sab ke bich murgi ban'ne kah di... tumhe yahi achha lagega to yahi sahi...


Jivisha bhi tau me aati apne dono kaan pakar kar position me aane he wali thi ki tabhi Nandni ne usse roka..... "Bas baba, aur sorry jo tumhe uss waqt ulta bola aur abhi tumhe aisi saza di"


Jivisha.... Ab formality band bhi kar... aur mujhe ye bata ki teri shadi ho rahi aur tumne mujhe bataya bhi nahi....


Saroj, jo ab tak chup tha..... "Tum aise kaise kar sakti ho shadi, main tumhare liye he itni dur se aaya hun"


Ashish.... Tum dono ka bharat milap ho gaya ho to dono me se koi ye batayega ki ye ladka yahan kya kar raha hai....


Nandni, Jivisha ko aakhen dikhati.... "Ab tera ye kaun sa naya drama tha tu jarra samjhayegi. Subah tu aayi aur saam ko ye aa dhamka"


Jivisha.... Ab tune mujhe itna taunt kiya to mujhe laga mere wajah se tera pyar dur ho gaya, isliye maine Saroj ko call laga di. Kitna bhaw khaya ye jab maine isse call ki to. Lekin tere wajah se maine wo bhi sah liya....


Nandni apne hath jorti..... Sun meri maa aage se na tu meri yadi bhalai karna chahe to ek baar mujhe bata diya kar, ki main tere liye kuch achha karne ja rahi hun, taki main mentally prepare ho jaun ki mujh par koi bijli girne wali hai. Bhaiya iss namune ko kah do yahan se jaye.


Saroj.... Aisa to na kaho Nandni, tumhare liye main kitni dur se aaya hun.


Nandni.... Tumhe yahan aane ki jaroorat nahi thi Saroj, chup-chap wapas laut jao....


Saroj... Nandni ek baar meri baat to suno...


Ashis..... Suna na Nandni ne kya kaha, ab chup-chap bahar nikal jao....


Saroj.... Ye tum achha nahi kar rahi ho Nandni. Bilkul he galat ho raha hai ye....


Ashis usse ek thappad lagata...... Galat hai to galat he sahi, abhi tu nikal warna ab jute bhi parenge...


Saroj ko dhakke maar kar Ashis ne bahar kar diya. Nandni ke chehre par mayusi saaf najar aa rahi thi aur wo khud ke thake hone ka natak karti sidha sone chali gayi. Nischal bhi Ashis ke sath bahar nikal gaya, akeli bachi Jivisha...


Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.
Bahut badi nautanki baajz hai chhori pr cute cherector hai yar❣️❣️??
 

Ssking

Active Member
1,302
1,568
144
Update:-7



Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.



"Hey bhagwan ye Pune me ho kya raha hai, chirag ko phone kar ke samjha dun ki bahar bikul na nikle".


Jivisha, apne number par call lagayi, par kai baar call connect karne ke baad bhi call waiting he show hua..... "Ye chal kya raha hai, mera phone busy kyon aa raha"


Jivisha soch he rahi thi ki tabhi wapas udhar se call back hua.... Jivisha call pick kar ke bas shant rahi aur udhar ki awaz sun'ne ki kosis karne lagi. Tabhi udhar se Chirag ne "Hello" kaha...


Jivisha.... Oyeee, itne der se mera phone busy kyon aa raha tha...

Chirag... Chhoro na di biti baton ko Di, abhi to maine call lagaya na. Aap thik to hai ki nahi. Khana pina thik se mil raha hai na. Paison ki jaroorat ho to batana, main bhijwa dunga. Thik hai bye Di, aap se baat karke achha laga…


Jivisha....Oyeeee, hoshyari haan. Beta mera hi sikhaya aaj tu mujhe ko padhane laga haan. Chal ab bakna suru kar, kis se baat kar raha tha?


Chirag.... Aap bhi na jabardasti puchhti rahti ho. Phone busy hai to samjhna chahiye na main apni gf se baat kar raha tha. Aap to mera breakup karwa kar manogi.


Jivisha.... Haynnn ! Tu apni gf se baat kar raha tha. Uske pass bhi phone hai kya ?


Chirag.... Nahi di, uske pass phone nahi hai, par maine usse class me he bol diya tha ki main raat ko baat karunga, to wo apne papa ka phone maar kar le aayi.


Jivisha.... Dekh rahi hun, tu bahut bara ho gaya hai...


Chirag.... Di aap bhi kahan mere pyar ki dushman bani ho. Aakhir meri uss se shadi hogi to wo sewa aap ki he karegi na...


Jivisha.... Bas bahut hua. Sun dhyan se meri baat, Pune me koi janwar ka humla ho raha hai, isliye aaj se bilkul tera bahar nikalna band. Jab tak wo pakra nahi jata tu bahar nahi khelne jayega.


Chirag.... Ye kya baat hui, janawar bahar khule me ghumega aur main ghar me band...


Jivisha.... Mera pyara betu hai na, mera kaha nahi manega...


Chirag... Ok Di maan liya aap ka kahna. Waise aap jaroori baat to suno.


Jivisha... Haan, puchhne he wali thi, udhar ki khabar bata. Sab kaise hain. Mamma papa, bhaiya bhabhi aur chote bhaiya, sab kaise hain. Jyada paresan to nahi. Mere vajah se unhe kitni paresaniyan uthani pari hongi. Unka samna main kaise kar paungi.


Chirag..... Nahi to di, itni to baten yahan hui he nahi. Haan, dadi ka bata nahi sakta, sayad wo aap ko dekhe to aap ke baal pakar kar sut de, wo alag baat hai. Idhar baki ke sare logon ko bas aap ki he fikr hai.


Jivisha.... Nahi re pagla, in mother india ko samjhna aasan nahi. Paresan wo bhi hongi. Khair tu wo sab jane de, aur jo boli hun wo karna. Apna aur sab ka khyal rakhna.


Chirag.... Di suno 2 min.


Jivisha.... Haan bol na...


Chirag.... Di wo hai na jin se aap ki shadi hone wali thi, wo aap ke sapno ke prince charm banege aise puri family ko kaha aur tab wo aap se shadi karenge...


Jivisha.... Chhor jane de usse. Usse jo ban'na hai bane, mere sapno ka prince charm jab mujhe milna hoga tab mil jayega.


Chirag.... Thik hai di. Aap aaram se kuch din wahin raho aur baat karte rahna, aap ki bahut yaad aati hai...


Jivisha.... Mujhe bhi tum sab ki bahut yaad aati hai. Rakhti hun phone, baad me baat karungi....



Ashis & Nischal... At walk....


Nischal ko lekar Ashis ghumne chala aaya tha. Ghumne kya aaya tha, usse to bas pata karna tha ki aakhir ye hai kaun. Usse bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki koi anjaan ladka uske ghar me rahe. Rah-rah kar bas itna he khyal aa raha tha.... Kaun hai, kahan se aaya hai aur pata nahi ye humare ghar me rah kar kya gul khilayega.....


Ashis, Nischal ko le kar apne doston ke group me pahunch gaya. Jahan Sudeep, Ajit, Manjit aur Ankit tha. Ashis, Nischal ko sab se milwaya. Sab apna naam ke sath apna short bio-deta bhi bata rahe the.... Wo kahan rahte hain aur kya karte hain.


Sab log apni-apni kah kar Nischal se puchhne lage..... "Apne bare me bhi kuch batao dost".


Nischal..... Meri sirf itni kahani hai ki main ek anath hun. Mujhe waqt ne pala aur haalat ne bara kiya hai.


Ajit.... Fir bhi koi to pahchan hogi...


Nischal.... Pahchan kya kah sakte ho. Dekha jaye to kuch bhi nahi...


Manjit.... Paglon jab wo anath hai to pahchan kahan se layega. Jane do Nischal, tum ye batao kaun si jagah se aaye ho aur Indore kaise pahunch gaye.


Nischal.... Jise jahan pahuchna hota hai, phunch he jate hain. Mujhe yahan ke jaghon ke naam pata nahi. Bas yun samjh lo bhatakte-bhatakte pahunch gaya.


Asis, Nischal ko apni jagah par rukne ka bol kar sare dost thodi dur khadey ho gaye... Ashis sare doston ke samne sawal rakha..... "To doston ye batao ki iss ka kya kiya jaye. Ye to pura doubtful hai".


Ankit.... Arre ye to humari baat sun raha hai...


Sab chaunk kar Ankit ki ore dekhe.... Phir Nischal jahan khada tha wahan dekhne lage..... "Oye pagal, wo to wahin khada hai apni jagah, ab kya urr kar aa gaya yahan"


Ankit.... Nahi yaar wo abhi yahin khada tha...


Ashish... Khair jane do usse, bharam ho gaya hoga... to tum sab batao ab iss ka kya kiya jaye.


Sudeep... Karna kya hai, bhagao isse... ghar par bol dena ki ladka kahin bhag gaya.


Manjeet... Nahi to kah dena kahin gum ho gaya. Kuch bhi bahane bana dena situation ke hisab se par main kah raha hun ki ye khatrnak hai... isse bhagao.


"Oho, to anjaan aadmi ka bhay sata raha hai inhe. Koi nahi kosis kar lo main bhagne wala nahi. Filhaal to nahi, jab tak main iss jagah ko samjh na jaun. Jab tak ki mujhe meri khoyi chijen wapas nahi mil jata. Fir tum kaun aur main kaun"


Idhar sare log meeting kar ke sidha pahunche Nischal ke pass..... "Dekho Mr. Ab tak jo bhi hua wo mahaj ek ittifaq tha, lekin ab tumhe apne raste jana hoga".


Nischal.... Kyon, meri galti kya hai... sirf itna na ki meri koi pahchan nahi, aur tum sab mujhe nahi jante.


Ashis.... Dekho dost tum kuch bhi kah lo sau baat ka ek jabaw, tumhe jana hoga...


Nischal.... Aur yadi maine naa kaha to...


Ashis..... Na kaha to... fir jute maar kar bhaga denge...


Nischal.... Sochna bhi mat, tum char logon se to nahi he ho payega. Ek kaam karo tumhare jitne dost hain sab ko bulao aur ek kosis kar ke dekh lo. Yadi tum jute marne me kamyab ho gaye to main chala jaunga. Warna main Jivisha ke sath he rahne wala hun, wo mujhe bahut pasand hai aur usse main nahi chhor sakta.


Sudeep.... Bahut bolta hai, maro sale ko. Ye sale sadak chhap bina jute khaye baat nahi man'ne wala.


Sudeep ka itna kahna tha ki Manjeet aur Ankit badhe aage.... bechare kitna aage badhte... daurte rahe dono par Nischal hath nahi aaya. Kya speed me bhag raha tha. Nahi hath aaya Nischal anth me dono thak kar sab ke pass pahunch gaye.


Ankit.... Sala pakka ye chor hai, kitna tej bhagta hai. Olympic me bhage to jaroor gold madel jit layega.


Nischal.... Juban sambhal kar, main koi chor nahi. Ye tum sab ke liye achha hoga ki mera ego hurt na karo, warna main wo tandav karunga ki fir tum sab usse sah nahi paoge.


Ashis.... Stadium khula hai isliye na, abhi kisi gali me hote, fir batate.


Nischal.... Kitni bari gali mile to mujhe pakar kar dikhaoge batao.... 2 fit chauri 8 fit lambi gali banao yahin. Yadi line se bahar gaya ya tum charo me se kisi ne mujhe pakar liya to main chala jaunga...


Ashis.... Rahne de bhai, main samjh gaya tu pakka veer hai. Par ye bata tu anjaan ladka hai, main tumhe apne ghar par kaise rahne dun.


Nischal..... Suno dost tumne bhai bola na, to bhai par viswas rakho. Tumhe kisi bhi waqt yadi aisa laga ki mere wajah se tumhe paresani hui to bata dena main ussi waqt chup-chap chala jaunga...


Manjeet, hafte huye.... Maan le iski baat, banda jab itna kah raha to ek baar bahrosa kar lete hain...



Idhar kamre me Nandni...


Saroj ko samne dekhte he uske purane dard samne aa gaye. Pariwar ke samne apni nam aankhen dikha to nahi sakti thi, par jab se kamre me ghusi uske aankhon ke aanshu tham he nahi rahe the.... Roti aankhon ke samne bhi kewal Saroj ka he chehra ghum raha tha.
Bahutttt hi shandar bhai koi na ghar to ruk hi Gaya ladki bhi Dil me jagah de hi degi dheere se
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Update:-43




Sawalker aur Nischal dono meeting khatm karke commissioner aawas se nikle aur sidha commissioner office letter lene pahunch gaye. Sawalker ne crime branch ke kuch officer ke sath ek chhoti si team ka gathan kiya aur sabhi soorat-e-haal ko bayan karne ke baad sabko kaam par laga diya.


Pure mamle me Nischal bhi Sawalker ke sath raha jo dhyan se bus kewal sun raha tha aur khamoshi se baar baar biti raat ki ghatna par hi focus kiye huye tha…


Police station me kuch waqt bitane ke baad Nischal wapas flat laut aaya aur akar sidha apne kamre me let gaya. Wajah yah nahi thi ki pasliyon ke chot ke wajah se wo padesan tha. Jab se Nischal ne iss case ke liye haan kiya tha tabse wah Sapna ke bare me hi soch raha tha.


Biti raat jab usne khud ko Sapna ke sath jodne ki kosis ki thi tab se uske dimag ke ander hi bhayawah pira mehsus ho raha tha, jo ek insan ko jinda hosh me rahkar usse chirne ki hoti hai. Rah-rah kar uska dimag Sapna se jud kar uske aakhri pal ke dard ko uske dimag se gayab karna chah raha tha.


Nischal khud par kabu to karna chah raha tha, lekin na chahte huye bhi uska anterman dur rahkar bhi Sapna se judne ki kosis kar raha tha… ye kyon ho raha tha wo to Nischal ko bhi nahi pata, lekin flat par laut kar jaise hi Nischal bistar par gaya, wo anyerdhyan ho gaya.


Nischal ki chetna uss lab tak pahunch chuki thi jahan dhundhli si parchhayi me wo Sapna ko dekh raha tha, lekin wahan ka vision uske kosison ke bawjoood bhi saaf nahi ho rahi thi...


Nischal abhi lab me tha lekin uska sharir jo iss waqt Nandni ke flat me tha, wo kya pratikriya kar raha tha, gyan tak nahi. Nandni ke flat me para uska badan chhatpata raha tha. Naak se khun ki dhar bah rahi thi aur uska sharir garam hota ja raha tha..


Nischal ke body ka temperature bhi kisi aam insan jitna nahi badh raha tha balki jahan 103 ke paimane par high fever mana jata hai, Nischal ka badan 300 cross kar chuka tha…


Idhar Nandni sab logon ke jane ke baad wo bhi Ansh ko surprise dene aur usse kaam ke bich me thoda padesan karne hospital chali gayi thi. Jab se Nischal ki dastak Nandni ke jeevan me hui thi, tab se uski bhid me tanhai ki zindgi bhi khatm si ho chali thi. Isi ki ek kadi Ansh bhi tha, jo uske dil ke umang ko pahle ki bhanti hi jaga raha tha.. aur Nandni wo khushiyan wapas se mehsus kar rahi thi jo kisi ek ke jane se dur ho gayi thi.


Nandni appolo pahunch kar sidha uske chember mein ghus gayi, jahan Ansh kuch sathi doctors se baat kar raha tha. Jaise hi Nandni ander pahunchi... "Ye kya hai Ansh.. ye log mujhe tumhare pass aane se rok kaise rahe hain."…


Nandni, 2-3 security guard ke ore ishara karti bol rahi thi, jo Nandni ke piche usse rokte huye aa rahe the…


Ansh:- Tum iss waqt yahan kya kar rahi ho Nandni..


Nandni, Ansh ke karib jati, uske chair ke hand rest par baithkar samne baithe doctor ko sunati hui kahne lagi… "Aap hi log bataeye bhai sahab, patni itni dur chalkar pati ke liye khana lekar aayi hai aur ye hain ki mujhse ulta puch rahe hain, main yahan kya kar rahi hun"…


Samne uske sathi doctor aur Nandni lagbhag uske gode me baithi, bechara thoda sankoch mehsus karte … "thik hai sir hum baad me charcha kar lete hain"..


Nandni:- Haan sir jaeye-jaeye abhi to main inhe apne hathon se khilaungi.


Dono doctor muskurate huye…. "Kash hume bhi aisi biwi ka sukh mila hota ansh babu.. chaliye ab kal hi iss vishay par charcha hogi, waise bhi 4.30 baj gaye hain"..


Un dono ke jate he Nandni, Ansh ke gal par hath ferti uske gal ko chum lee… Ansh thandi aahen bharte…. "Nandu please ruk jao, yahan charo ore cctv hai."


Nandni:- Haan to main tumhare sath romance kar rahi hun kisi aur ke sath nahi… tumhe nahi pasand yahan mera aana to kah do, wapas kabhi nahi aaungi tumse milne hospital…


Ansh:- Nahi baba aisi koi baat nahi hai… tum bekar me kuch bhi nahi socho…..


Nandni, muskurai, aur Ansh ko dekhti hui kahne lagi... "Jab aisi koi baat nahi to fir mujhe gale lagakar chumo"..


Ansh, thoda chaunkte… "yahan"..


Nandni kursi se utar kar khadi hoti…. "Ja kar yahan ki nurse ko chumte raho.. main ja rahi hun…"


Ansh:- Acha ruko.. ruko aise muh fula kar mat jao warna mujhe guilty feel hoga.. waise tum pakka sure ho na yahin kiss karna hai…


Nandni:- off o baba .... Kitna ghabrate ho.. tumse na ho payega, main Nischal ko hi bol deti hun kiss ke liye…


Ansh char kadam aage badhkar Nandni ko kamar se khinchte uske hoton se honth lagakar chumne laga.. Nandni bhi apni aakhen band karke uske gale me hath dalkar kiss me dubti chali gayi…


Dono gahre kiss ke nashe me the tabhi Nandni, Ansh se alag hote huye kahne lagi… "Ansh mujhe thodi ghabrahat ho rahi hai, chalo ghar chalte hain"..


Ansh:- Badmash kahin ki.. I am too excited baby, but mujhe ek case ke liye lab bulaya gaya hai.. janwaron ka fir se ek brutal mamla samne aaya hai...


Nandni:- Hmmmm ! Koi baat nahi hai Ansh, but ye main kisi excitment ki wajah se nahi kah rahi thi.. wakai kuch acha nahi lag raha iss waqt.. thik hai tum kaam karo, main baad me call karti hun…


Nandni wahan se kafi khamosh bahar nikli, Usse jate dekh Ansh ko bhi acha nahi laga… piche se wo bhi daura.. Nandni ki khamoshi usse itni khal gayi ki wo bhul gaya ki yah hospital hai aur Ansh yahan ka ek doctor. Nandni Nandni karta wo hospital me hi awaz lagakar daurne laga.


Ansh ki Awaz sunkar Nandni pichhe palti aur Ansh ka aana uske chehre par muskan le aaya. Dono sath me hi flat pahunche aur mukhya dwar aise hi khula hua… "Ansh, ye Nischal bhi na ek dum pagal ho gaya hai. Darwaja aise hi khula chhod gaya hai"…


Nandni gusse me ander gayi aur jaise hi wo Nischal ke kamre me ghusi… "Anshhhhh… Anshhhhhh…. Anshhhh".. wo paglon ki tarah Ansh ko pukarne lagi.. aakhon se Nandni ke aanshu bahne lage aur wo bhagkar bistar par baithkar Nischal ko sidha ki aur uske sir ko apne gode me rakhkar usse jagane lagi..


Nandni ki awaz par Ansh jo apne kamre me change karne gaya tha wo bhi bhagkar wahan aaya… samne ka najara dekha… Bistar khun se laal ho chuki thi... Naak se ab bhi bleeding ho rahi thi aur Nandni ka ro rokar bura haal ho gaya tha...


Ansh aage badhkar Nischal ka matha chhu liya aur teji ke sath hath pichhe khinchte aschrya me pad gaya… wo chadar par lage khoon ko apni ungliyon me liya aur usse bariki se dekhne laga... Ansh ko ab shanke ne gher liya tha…


Nandni ke aashu barshat ki tarah Nischal ke chehre par gir raha tha. Wo apne dupatta se lagatar uske naak se bah rahe khun ko saaf karne ki kosis kar rahi thi, lekin khun band hone ka naam nahi le raha tha…. "Tum putle ki tarah wahan khade kyon ho… please kuch karo na Ansh… pleaseeeeeee"..


"Ukhunnn .. Ukhunnnn… Unkhunnn… Fir doctor par chilla rahi ho Nandni"… Nischal hanste huye apni nind se jaga… Uski aakhen khuli dekh Nandni usse lipat gai… "Pagal hai kya tu… jaan hi nikal di thi meri"..


Ansh… Ab uski jaan me jaan aa gayi hai na Nandni… calm down baby…


Ansh Nandni ko sambhalte usse dilase dete kahne laga.. Ansh ki baat par Nischal bhi niche kahne laga… "Main thik hun… likin aise hi mere chehre se lipti rahogi to pakka main dum ghutne se gaya kaam se"..


Nandni apni aashu saf karti hui uske upar se hati aur gusse me usse 2-3 thappad marti hui puchne lagi…. "Ye sab kya hai"..


Nischal baat ko ghumate huye kahne laga.... "Main marne ka illusion try kar raha tha aur issi chakkar me paitra ulta par gaya… hato main jara fresh hokar aaya".


Nichal, Nandni ki gode se uthakar jaise hi khada hua, thoda ladkhada gaya… "thik hum main… kuch nahi hua"… aur kahta hua bathroom me ghus gaya…Nandni bhi kitchen me gayi wahin pani bhi pi aur apne chehre par pani ki chhinte bhi marne lagi…


Ansh:- Main ambulance bulawn kya .. kafi blood loss hai..


Nandni:- nahi shayad ab wo thik hai. Fir bhi main usse dekhti hun, yadi jaroorat lagi to main tumhe call kar dungi.


Ansh:- Jaisa tum thik samjho Nandni. Acha tum Nischal ka khyal rakho, maine bataya tha na mujhe lab jana hai, isliye main ja raha hun… tumhare pass paise hain kya..


Nandni:- haan mere pass paise hai ..


Ansh:- Fir bhi ye mera card rakho aur ye hospital pass bhi. Yadi main call ka respond na karun to emergency me ye tunhare kam aayenge..


Nandni, Ansh ke gale lagti…. "Thankyou so much Ansh"..


Ansh:- Ab tum aise pyar se gale lagaye rakhogi to main kahin bhi ja nahi paunga.....


Ansh bhi thoda sa mazak karte wahan se nikla. Uske poket ki chhoti sisi me Nischal ka blood sample tha aur environment ka temperature jis'se lete hain, uspar Nischal ke body ka temperature tha jo ki lagbhag 300⁰ celcius tha. Fahrenheit me yadi reading liya jaye to lagbhag 572⁰ ki reading thi. Ansh kuch bhi niskarsh nahi nikal pa raha tha isliye wo sidha lab chala gaya.


Idhar Nischal fresh hokar wapas hall me aaya. Thode hi der me wo pura recover ho chuka tha. Nandni jabtak khun se lage chadar ko dustbin me dalkar wo bhi fresh hone chali gayi thi. Thodi he der me wo bhi fresh hokar hall me aayi aur khamosh hokar uske pass baith gayi.


Nischal 6 jug pani ke sath dawa pi chuka tha... Wo gahri shwans lete Nandni ke ore dekha aur muskurate huye kahne laga…. "Tumne wapas bula liya warna main Sapna ke dimag ke mayajal me ulajh gaya tha"..


Nandni:- Nischal jab guru ji kitab se tumhe koi madad nahi milne wali, wo hum dono jante hai, fir kyon itna jokham bhada kaam kar gaye… jante ho kuch der pahli meri kya haalat thi.. aisa laga jaise tum mar rahe ho…


Nischal:- Jo tumne mehsus kiya wo mera dard nahi balki Sapna ka tha, jise kal raat berahmi se mara gaya hai. Uske mirt sarir se maine apna dimag jod diya hai.. ab jabtak uske dimag se wo dard nahi jata tabtak main uske sath juda hua he rahunga… Maine apne aukkad se bahar ki chijon ko aajma lia hai…


Nandni:- Padeshani mat batao… mujhe batao iska hal hai ya nahi, warna main hi khushi se mar jaungi aur tum apna dimag mujh se jod lena… tumhe hero banne kisne kaha tha Nischal.. bina uske dimag me ghuse bhi to tumhe pata hi hain na ki shayad Jivisha ke vesh me koi alian hai, jisne ye sab kiya…


Nischal:- nahi Jivisha bilkul tumhari tarah insan hi hai.. uspar baad me baat karenge … wo narbhakshi alian hi hain aur wo log wahi Josefer ke group ke log hain.. jise aaj raat hi unke kiye ki saja milegi…


Nandni:- aur wo mirt dimag se jo tumhara dimag juda hai uska kya…


Nischal:- "Main thoda andhera hote hi forensic lab jaunga akele… aur wahan main purn awlokan karunga… tab jakar kahin main Sapna ke dimag se alag ho paunga, aur fir uske baad dard mitane ke liye doshiyon ko saza dunga aaj ki hi raat… Wo ladki bahut hi himmatwali thi. Jab uska jibh khinch kar nikala ja raha tha, uss dard mein bhi usse yakin tha ki koi aakar uski zindgi wapas kar dega... Isliye uska majboot dimag mujhe aakarshit kar raha ha"i...

Ek baar awlokan ho gaya uske baad uske katilon ko saza dunga… uske baad finally main ek baar aur uske dimag me jakar apni yaad usme dalunga, jis se uska dard chala jayega… Tum sari chinta chhod do aur mujh par bhadosa rakho.. aur haan tum, aaj meri wajah se kafi dipress hui ho.. isliye jabtak tum ek achi nind lo tabtak main Sapna ke dimag ke mayajal se khud ko bahar nikal kar aaya aur tumhe ye khushkhabri diya…
Fantastic update bhai
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,406
150,123
304
Nischal is shy, by the way the boy is hot. :stupidp:Jivisha's condition was worth seeing, innocent was thinking everything upside down.:lotpot: Kasak has the dog Josefer in his hand, meaning that he knows that Nischal is injured, he will certainly take advantage of it. What are the two doing in each other's eyes? :blush1: Even in today's update my Jivisha was sad.:angryno:
Chirag is very small but dangerous, now he has brought new problems, I like him and his dialogue very much, Both Chirag and Arasi are similar and I like them very much.
:lol1::lol1::lol1:
Now let's see what magic works in the lab. Though we know the murderer, but it is very important to punish him.
On hearing Nischal's name, the fear inside Ansh disappears. :lol1:Nandini is very caring and good so I like her.:love3:
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...

???
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
ek chhoti si example.... ek romantic kahani ki thread joh abhi abhi suru huyi hai... Aap ne jaake wahan revo diya aur thoda bahot chit chat bhi kiya...baat yeh hai ki ab dekhiye kitne readers aa gaye us thread pe revo dene..
Yeh hai aapki power.. bas naam hi kaafi hai.. aur wahan toh aapne revo de aaye... readers ishi jigyasha vash wahan aayenge ki story line superb hi hogi..
Baaki aur kya kahu...
nain11ster sahab ko chane ke jhad par achchhe se chada diya aapne :D :D
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Wese bhai aapko aur kitne golo (planets) ka knowledge hai. Is gole ke alawa 2 ka to detail de diya hai, kahi NASA wagera me to nahi ho na? Wese ab to Nishchal gaya kyo ki dr. Sahab ne Nishchal ke sample le liye hai. Dekhte hai ki ab aage kya hota hai.
 
Top