Update:-40
Wo aage badh raha tha. Uski speed unmatched thi. Par jaise he wo Jivisha ke pass pahuncha..... Abhi usne apna hona jahir nahi kiya, lekin Jivisha fir bhi uss ke ore mudi, najren mili, aur fir sab blank.... Jahan me uss ke baad ki tasveer nahi.
"Ye kaise tej-tej sasen le raha hai, tu thik to hai na".... Nischal dhyan laga liya tha jis wajah se uss ki tej-tej sasen chalne lagi thi. Dhyan toot'te he Nandni ke baat ka bina koi jawab diye car ke gate ko pakad kar khada hua.... "ghar chal"
Nandni drive karti..... "Hospital chalun kya"
Nischal..... Nahi hospital gaye to unhe mere bare me pata chal jayega. Tum flat he chalo.
Nandni.... Par Jivisha ke marne se tumhari pasliyan toot gayi, ye baat meri samjh se pare hai.
Nischal.... Ye baat to main bhi samjhne ki kosis kar raha hun ki uss waqt aakhir hua kya tha....
Nandni.... Matlab kya hai tumhare kahne ka. Tumhe yaad nahi kya hua tha?
Nischal…. Mujhe bas itna yaad hai ki main Jivisha ke thik pichhe tha. Uss ke baad Jivisha mere ore mudi hai aur fir yaad nahi kya hua.
Nandni...... Ho sakta hai accident ke waqt jaise dimag kaam karna band kar deta hai aur dimag me thik accident ke waqt ki tasveer nahi hoti, waisa he tumhare sath hua ho..... Lekin baat to ghum fir kar wahi aa jati hai, Jivisha itna tej humla kaise kar sakti hai... Kahin wo Alian to nahi, jis ne tum par humla kiya....
Nischal...... Sahi pakdi ho, ho na ho ye Jivisha ke vesh me alian he tha. Lekin ye un alian me se ek nahi jo Kasak ke room me tha. Ye to bahut he takatwar aur kafi furtila hai. Aur haan, sayad inko ye aabhas ho jata hai ki koi pichhe se aa raha hai....
Nandni..... Agar ye Jivisha alian hai to asli Jivisha kahan hai. Nischal ye sari ghatnayen tumhare aane ke baad he ho rahi hai. Tumhe ne in sab ko humare pichhe lagaya hai.
Nischal...... Nalayak ladki, uss raat jaan bachaya wo bhi bhul gayi, aur ulta mujh par ilzam laga rahi hai.
Nandni..... Tumhi ne karwaya hai to tum kyon nahi jaan bacha sakte, mujhe to ab sari ghantnao me tum par he shaq ho raha hai.
Nischal..... Nandni ek min jarra pass aao.
Nandni.... Pass kyon aana hai, tum ab kya mujhe mar dialoge...
Nischal.... Main to nahi marunga, lekin tumhare sir par ek jahrila kida hai wo tumhe maar dega.
Nandni ne jaise he jahrila kide ke bare me suni, wo dhire-dhhire apne sir ko Nischal ke karib le aayi.... "Dekh kar hatana, kahin ye kida mujhe kate na le"
Jaise he Nandni thoda aage jhuki, waise he "Chatakkkkkk" ek thappad Nandni ke gaal par padi........... "Ummid hai ab akal thikane aa gayi ho, nahi aayi hai to bol main dobaara treatment shuru karun".
Nandni gadi rok kar Nischal par bhadakti usse marne lagi, Nischal usse shant karta dhyan se uss ki baat sun'ne ko kaha. Fir uss ne kal raat Sapna wala kand ko batate huye kahne laga.....
"Bahut he kurur narbhakshi tha wo. Kahin Jivisha ke vesh me wahi narbhakshi to nahi chhipa hua hai".
Jaise he Nischal ne ye samiksha kiya, Nandni ke to paun tale se jamin khisak gayi. Usse Jivisha ki chinta satane lagi..... . "Yadi ye nakli Jivisha hai to asli kahan hai... Kahin usse bhi to Sapna ki tarah" ......
Nischal..... Iss ka pata kaise lagaya ja sakta hai....
Nandni.... Ek takrib hai, tum to kisi ke bhi dimag me jhank sakte ho na to kyon na iss alian wale Jivisha ke man me jhank kar tum dekho....
Nischal.... Lekin iss vidya me main nipun nahi hun.....
Nandni..... Haan to thik hai, tum wo apne guru ji ki kitab le aao. Ho sakta hai hum dono uss par kaam kare to koi naya rasta nikal aaye.