Update:- 55
Nandni:- Batao pagalpan ki had hoti hai.. ek to public place par jhagra karta hai upar se attitude dekho bhai sahab ke.. Paun me mobile fek kar bhag gaya hai… Iski to main puri khabar lungi…
Ansh:- Lekin Nandu usne Shresh se jhagra kab kiya tha..
Nandni:- Jab wo Shresh ke sath jhagra kar raha tha, tab kya kisi ladki ko tar rahe the?
Ansh:- Usne Shresh se jhagra nahi kiya tha.. balki Shresh ko to usne gala pakad kar uthaya aur dharam se bar counter par patak diya… yahan dhyan dene wali kuch baaten hain.. pahli baat to ye ki Nischal ne ek hath se Shresh ka gala pakda tha aur thik uss waqt dusre hath me uske wine ki glass thi … dusra paun jamin me touch nahi kar rahe the.. teesra wo apni jagah se bina hile ye karnama kar chuka tha…
Nandni, Ansh ko ghurti hui… "Tumhe tv serial ki bimari lagi hai kya, jo ek saas ki tarah behave kar rahe ho aur bahu ki har bariki ko janch-partal me lage ho"..
Ansh:- Pagal ho gayi ho tum Nandu.. Wo koi insan nahi lagta.. mujhe to koi alian lagta hai.. dekhi nahi bina koi pakad banaye kaise usse utha kar patak diya..
Nandni:- Mere ander bhi ek alian wali power hai, jante ho kya?
Ansh:- Kya?
Nandni:- Apne aakhon ke ishare se tumhe raat bhar bahar sula sakti hun.. dekhna pasand karoge kya… pata nahi tumhare dimag me ye sab bakwas baaten aati kahan se hai…
Ansh:- lekin Nandu..
Nandni:- ekdum chup, yadi uss bare me ek shabd bhi nikale to tumhe alian banakar space ship me dalwa dungi…
Ansh ki baat par puri tarah se naraj hokar, Nandni, Ansh ko akele chhod'kar, wahan se car lekar nikal gayi. Ansh bhi uske pichhe-pichhe bhaga lekin Nandni usse ansuni karke nikal gayi…
Piche se taxi lekar Ansh bhi flat pahuncha… "Kya bachpana hai yaar, aise naraj hokar chali aayi"…
Nandni, apne kapde nikalti… "Tum analysis karte raho ki kaun alian hai aur kaun insan"…
Ansh, Nandni ka hath pakad kar uske kadmo me baith'te… "Sorry baba, ab mujhe jo laga wahi to maine kaha tumse.. Ab main tumse nahi share karunga to kis se karunga…
"Isse baat share karna nahi kahte hain Ansh. Baat mazak ki ho to hansi me kahin jati hai, lekin tum jis tone me kah rahe the usse yakin ke sath shaq hona kahta hain".... Nandni apni baat kahti hui, bijli ka bilkul halka jhatka Ansh ko de di.. Ansh jhatke se apna hath khincha aur hairan hokar dekhne laga ki ye jhatka kahan se laga..
Ansh jabtak jhatke aur aashraya se uabarta, tabtak Nandni apne upar kapde dal'kar kitchen me pahunch chuki thi… Ansh bhi Nandni ke piche-piche kitchen tak aaya, lekin Nandni usse jakar hall me baithkar tv dekhne bol di.
Takriban ghante bhar baad Nandni pasine se tar hoti hui kitchen se nikli… tabhi siti ke awaz ke sath… "Pasine me naha'kar aur bhi namkin ho gayi ho"… Nandni ko apne kano par yakin nahi hua tha.. wo ander he ander hanti hui khud se hi kahne lagi… "What… Doctor ne comment kiya.. ye kab se sudhar gaya"..
Baharhaal Nandni bika koi pratikriya diye sidhe jakar bathroom me ghus gayi. Nandni jaise hi ander kamre me gayi , thik ussi waqt Ansh, mukhya darwaja band karke sidha bathroom me ghus gaya… tabhi ek aur siti ki awaz aur… "gore badan par ye kali bra kayamat lag rahi hai"..
Nandni:- Chhi aisi baton ka koi tuk bhi banta hai kya… aur tum bathroom me kya kar rahe ho... Nischal aa jayega kabhi bhi..
Ansh:- Kaise aayega, maine mukhya dwar band kar diya hai..
Nandni:- To uske pass hamesa key hoti hai ek... Samjhe…
Ansh:- What, uske pass key hai.. koi nahi main yahan ka gate band kar'ke aata hun..
Nandni apne bache kapde utar'ti hui shawar chalayi… "uske pass mere room ki key bhi hai"..
Ansh… What ??? Iss room ki key..
Nandni:- Haan iss room ki key…
Ansh:- Lekin kyon???
Nandni:- Bharosa hai isliye... Kyon jaisi kya baat hai..
Ansh:- Aur kabhi hum dono sath huye exactly jaise abhi tum ho to…
Nandni:- Litrally ye tumhari query hai?
Ansh thoda gussa hote huye… "bhadosa, dosti aur close hone ke naam par kya tum kuch bhi karogi"..
Nandni, Ansh ki baat par thodi bhadki jaroor thi lekin shanti se uski stithi ko aakalan karne ke baad, aaram se puchhne lagi…. "Hmmmm ! Yadi mere mammi papa aa gaye aur hum dono ander huye fir kya hoga Ansh..
Ansh:- Wo to mammi papa hai yaar … wo honge to hum aisa karenge hi kyon ..
Nandni:- Aur Nischal hoga to koi fark nahi padega … manate raho rangraliya…
Ansh:- Haan to kisne kaha tha usse sath rakhne ke liye… Humari sari privacy chali gayi..
Nandni:- U know mr Ansh .. tumhe insecurity feel ho rahi hai. Nischal hai isliye tum ho iss ghar me Ansh, warna main yahan akeli hi thik thi..
Ansh:- Ye kuch jyada nahi ho raha hai kya?
Nandni:- Tum itna chidh kyon rahe ho Ansh. Main to aaram se baat kar rahi hun na... Ek baat batao kya humari shadi ho gayi Ansh..
Ansh:- Aaj na kal to ho hi jani hai..
Nandni:- Aur agar main abhi break up kar lun fir…
Ansh:- Yahi to hai tum ladkiyon me, kuch bhi ho to break up kar lo… lekin apni galti mat mano..
"Main tumse na to chidh kar puchh rahi hun aur na hi mera tone high hai. Ek sawal puchhi jawab do"… Nandni apna badan ko tauliye se pochhti hui puchne lagi…
Ansh:- Mujhe nahi pata… yadii break up hua to main ji nahi paunga…
Nandni:- wo to tumhara side hua… aur mere sath jo sex kiye … wo to bina relation ke maze lekar nikal jana hi hua na…
Ansh:- Hadd bewakoof ho tum Nandni… relation hai tab to hum aage badhe na… ek Nischal naam ke complication ke karan yadi tum break up karti ho, aur fir ye sawal puchhti ho to kahan tak jayaj hai…
Nandni, apne upar kapde dal chuki thi.. Ansh ko apne pass bulayi aur usse bistar par bitha'kar uske balon ko bikherti hui kahne lagi….
"Ansh pyar to bahut karte ho tum mujhse lekin fir bhi relation insecure hai"….. "Nahi aisi baat nahi hai Nandu, wo to bus Nischal ko lekar"…. "Now let me finish first" .
Nandni:- "Ek insecure relation, fir wajah chahe jo bhi rahe. Aaj wajah Nischal hai to kal Jivisha ho sakti hai. Fir ye bhi ho sakta hai ki tum apne hospital me pura samay do, aur tumhare pass aaj ke itna kal samay na ho… To break up ki wajah to kuch bhi ho sakti hai na baby… Center kewal Nischal hi kyon?"..
"To ek insecure relation me, main tumhare secure pyar ko feel karti, jab main secure ho sakti hun… Fir to Nischal ke sath mera complete relation hai. Purn viswas samjhte ho. Ruko samjhati hun kitna viswas hai. Main yadi achet awastha mein, complete nude bhi hoti hun to bhi uski najar nahi fisal sakti hai. Tane de dega meri haalat par openly.. ho sakta hai mujhe tease bhi kar de, lekin bhadosa itna hai ki uska meri ore dekhna, mujhe incesure nahi kar sakta."
Bhadose ka bahut bada aur shayad ghatiya example diya hai tumhe…. Shayad thoda asamajik example tha, lekin Nischal ke prati mere viswas ki kahani tum nahi samjh sakte aur na ye samjh sakte ho ki hum me dosti ke alawa koi relation ki feeling tak nahi. Waqt parne par mere liye wo maa bhi hai, baap bhi hai.. bhai bhi hai .. aur un sab se kahin badh'kar ek sacha dost hai"..
"Fir tum kaise soch sakte ho ki main bina shadi ke husband and wife wali privacy kar dun aur usse apne kamre me aane se mana kar dun"..
Ansh:- I am sorry Nandu..
Nandni:- Kamal hai Ansh, yadi mere mammi papa yahan honge to tab tum kyon mere sath romance karoge.. kyonki wo mere blood relation hai, aur abhi hum unmarried. Humari shadi bhi hui hoti, to bhi hum kuch aise rahte jaise unhe kuch pata na chale… lekin baat agar Nischal ki ho to tumhare dimag me sirf itna hi hota, ek anjaan ladka yahan kya kar raha hai…
Ansh, sharminda hote… "Baby I am sorry"
Nandni:- Tumhre dimag ke channel me to yahi chalta hoga na Nandni apne ghar ke kapde aise pahnti hogi, waise pahnati hogi.. pata na uss ladke ki najar hamesa kahan rahti hogi… lekin wahi yahan mera bhai ya baap hota, to Ansh babu ko koi fikr nahi hoti, kyonki ek ladki ka kapda pahn'na relation par depend karta hai… Bhai baap hoga to ache se kapde pahnegi … Aur yadi koi dost hoga jispar pura badhosa hai… oh sorry chhota sa correction… Flat me Nandni ke sath koi anjaan ladka ho to Nandni badan dikhati firegi…
Ansh, uth'kar Nandni ke pass baith'te huye usse side se pakad kar…. "Hey cutieeee… main apni baton ke liye behad sharminda hun… Gadha hun main jo gusse me kuch bhi kah gaya"…
Nandni:- Gusse me nahi nikla hai Ansh, jo khyal dimag me chalte hain, wahi juban par aa gayi tumhare... Kamal hai na Ansh, baap aur bhai apni kuwari beti ya bahan ke kamre me aa jaye to koi objection nahi, lekin Nischal hota kaun hai… Abhi nikal do usko. Tum to abtak humare physical relation ke bare me bhi soch chuke ho... My friend Nischal … Main tumse abhi baat karna chahti hun … please kisi tarah mujhse contact karo… just contact me any how….
Ansh:- Nandu main bahut sharminda hun…
Nandni:- Khana khao Ansh.. thanda ho jayega...
Abhi 10 minute bhi nahi huye the… Ek unknown number se ghanti bajne lagi. Nandni ki aakhen bhar aayi aur wo call utha'kar bus "hello" ki awaz ka intzar karne lagi. Nandni ko jaise hi pata chala dusri ore se Nischal hai...... "Nischal tumhe yahan aane ki koi jaroorat nahi hai.. tum ab apna kahin aur intzam dekh lo…"
Nandni, Nischal se baat karke call disconnet kar di aur apne kamre ko band karke lagatar roye ja rahi thi. Ansh darwaje par khada knock karne laga, lekin kafi der tak knock karne ke baad bhi jab Nandni ne koi jawab nahi diya tab Ansh khud ki baton par guilt feel karte, wo Nischal ko dhundhne ke liye Sawalker ki madad lene chala gaya.
Sawalker thane me nahi tha. Isliye uss se milne ke liye wo uske ghar chala gaya… Sawalker apni patni jyoti ke sath baithkar fursat ke pal bant raha tha aur dono pyar se ek dusre se baaten kar rahe the…
Tabhi unke ghar ke darwaje ki ghanti baji… "Are doctor sahab aap.. aaeye ander aaeye"…
Jyoti, Ansh ko dekhti hui puchhne lagi, "ye kaun hai".. Sawalker bhi uska parichay dete huye Ansh ke vishay me sari jankari de diya. Ek chhote parichay ke baad Sawalker, Ansh se uske aane ka karan puchhne laga…
Ansh kya kahe aur kya nahi… Dabe huye shabdon me bus itna kaha ki kuch gadbad ho gayi hai aur Nandni ne Nischal ko flat par wapas aane se mana kar diya…
Jyoti jise mamle ke bare me kuch bhi nahi pata tha.… "Doctor sahab humare shadi ko 12 sal ho gaye hain.. aur mera pati ek police wala hai. Police wala ka matlab samjhte ho aap. Main batati hun, kisi par yakin nahi karna. Aap ke pass baitha hai mera pati, puchh lo ki yadi Nandni ke jagah wo humare sath rahta to wo kya sochta"..
Sawalker:- Nischal ke case me sochna jaisa to kuch bhi hai hi nahi. Wo to dwapar yug ka koi balak lagta hai jiski bhasha aur najar dono me koi chhal nahi... Pahle din wo raat ke 2 baje mujhe sadak par mila tha deewano ki tarah bhatkte.. bus uss waqt usse 2 line suna tha aur samjh gaya sab kuch uske bare me..
Jyoti:- Itne salon me ek wahi hai jise main ghar me aana allowed nahi ki, balki uske yahan aane ya jane se koi fark hi nahi parna hai. Aisa lagta hai pariwar me ek pyara sadsya ne entry le lee hai. Bus iss piyaakad ne uss bache ko bigad diya hai..
Ansh:- Mujhse bahut badi galti ho gayi. Nandni ne khana bhi nahi khaya aur darwaje lagakar soyi hai..
Jyoti:- Soyi nahi hogi ro rahi hogi. Jyada socho nahi Ansh, yah ek aam ghatna hai… dampatti jivan me aisi samsya to hote rahti hai… Lekin riston ke bich jhagra aur pyar hi rakhna .. nafrat aur shaq nahi. Ab jao tum Nandni ko manao, Nischal ko bura lagega to bhi wo flat wapas aayega.. aur bura nahi lagega to bhi wo flat wapas aayega…
Ansh:- Bura laga hoga to kyon aayega wo wapas..
Sawaker:- Kyonki wo sacha dost hai, usse samjh me aa gaya hoga ki Nandni gusse me hogi, isliye uss se jhagra karega usse 4 baten sunayega, lekin wapas aayega…
Sawalker aur Jyoti se milne ke Ansh ko apne dil ka bojh kuch halka sa lagne laga… wah flat wapas gaya, lagbhag 1 ghante lage honge usse khade-kahde darwaje par tab kahin jakar Nandni ne darwaja khola…