• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-18



Nischal ... jiske bare me abhi dono pariwar yahi jante the ki Nischal aur Jivisha ne bhag kar shadi ki .... ab lo ji ek aur nayi baat ek dum se samne aa gayi.... Nandni aur Nischal ek dusre se pyar karte hain...... Shocked ho kar sab khadey ho gaye....


"Kya.... Kya.... Kya"...... Aschrya me dube sab ke bhaw aur charo ore se bas ek he awaz aa rahi thi...... Nandni ne sab ko apna hath dikhate huye kahne lagi..... "Ek min ruk jao aap sab... issse pahle ki aap sab koi drama shuru karo"..


Nandni ne itna he kaha tha ki Durga devi bich me kud gayi.... chillati hui wo jor se kahne lagi..... "Mar dalungi tujhe... aage jo kuch boli to.... Kya kahna chahti hai, isse pahle ki hum sab koi drama shuru karen usse pahle yahi batana hai na tum bhi iss ladkey ko chahti ho".


Nandni ke papa..... Nandni humare lad pyar ka tum galat fayda utha rahi ho. Jab tumhari shadi pahle se tay ho gayi hai, fir tum ek shadi shuda ladkey ke sath kaise aisa soch bhi sakti ho...


Durga devi.... Upar se wo gunga bahra bhi hai....


Jivisha ki maa Priya.... Kya ye gunga aur bahra bhi hai. Mere to nasib he fute hain.... aakhir tumne iss ladkey me kya dekh liya Jivisha....


Himanshu.... Wahi jo Nandni ne dekha hoga.... Ye aaj kal ki ladkiyan... Kya ho gaya hai tum dono ko....


Nandni..... Enough haan.... tab se aap sab kuch bhi bole ja rahe ho....


Pata nahi Nandni ki baat sun kar Durga devi ko kya hote ja raha tha. Aisa laga jaise uss par bhut sawar ho, wo to kuch sun'na he nahi chahti thi.... Nandni ki baat par ek baar fir Durga devi chillayi.....


Nischal..... Tanik sabhya logon ki tarah pesh aaeye, aur mamle ko shanti se suljhaeye....


Nischal bol bhi sakta hai.... Ek baar fir un sab ke chehre par hairani thi, jo ye samjhte the ki Nischal gunga hai... Hairani bhari aakhen... aur sab ghur rahe the Nischal ko.....


Tabhi Ansh bola..... Achha thik hai main ja raha hun... tum khush rahna Nandni....


Nandni..... Dr agar abhi tum bhage to main tumhara opration kar dungi.... chup-chap idhar khadey raho aur meri baton ka jabaw do.....


Ansh ruk gaya aur Nandni ki ore dekhne laga.... Nandni pure gusse me chillati hui puchhi.... "Jahil kahin ke tumhe kaise pata ki main iss se pyar karti hun"


Ansh.... Tum he to kah rahi thi iss ladke ko, "ki tumhe pyar ka matlab nahi pata"... to isne bhi to kaha ki tum isse pyar ka matlab samjhao to ye samjh jayega... aur tum raji ho gayi....


Nandni gusse me bilbilayi Ansh ka collor pakrti kahne lagi..... "Aadhi baat sun kar koi bhi natija nikaloge... teri to... chalo hospital main tumhara opration wahin karungi... baki ke public dhyan se sun le, mera aur Nischal ke bich kuch bhi pyar mohabbat jaisa nahi hai.... ab agar yadi dobara kisi ne iss bare me kuch kaha to main batati hun"...


Priya..... Thik hai samjh gayi tumhari baat, par iss pagal ka main kya karun... bhag kar shadi kar li.. hume bhi to bata sakti thi... upar se kaise-kaise isne jhut bole...


Nandni.... Uncle aap sab bhi over react kar rahe ho.... Dekho jarra Nischal ko ek dum perfect hai Jivisha ke liye....


Himanshu.... Jivisha hum kya itne gair the ki tum ne shadi se bhagna sahi samjha, par hume ek baar bhi kuch batayi nahi... hum kya 80's ke maa-baap hain...


Sare tamase ki jar Jivisha... jo ab tak bilkul shant chup-chap, iss chidiyaghar type wale mahol ko ander he ander enjoy kar rahi thi, apne papa ke baat par bol pari...


"Papa meri Nandu se baat hui thi.... aap sab chahte the ki main shadi karun, idhar main aur Nandu chahti thi apna Mca complete karna... Mamla yahin fasa tha aur tab maine Nandni se baat ki"....


Jivisha ke muh se apna naam sun kar Nandni ke kaan khadey ho gaye.... ajib si hansi thi... chehre par sikan aur hoton par mukaan..... "Jivisha.. tu chal side me.. mujhe bhi to bata jarra apni kya baat hui".....


Itna bolte-bolte Nandni, Jivisha ke karib aayi aur kano me fus-fusyi.... "Kamini apne problem se nikalne ke liye mujhe mat fasa"....


Durga devi... Nandni tum kya khusar-fusar kar rahi hai... bolne de usse...


Jivisha.... Kuch nahi aunty... Nandni thodi dari hui hai, kyonki hum dono ki ek jaisi haalat hai....


Nandni ke aakhon me aashu nahi the, baki aane wali musibat ko bhapte huye wo ander se thunak rahi thi... aur usse bara man kar raha tha ki wo abhi Jivisha ka gala daba de...


Priya.... Puri baat batao....


Jivisha.... Puri baat ye hai ki Nandni bhi aage padhna chahti thi aur main bhi... Nandni ne bhi ladka pasand kar rakha tha aur maine bhi... Nandni ko bhi abhi shadi nahi karni thi aur mujhe bhi... Par aap sab ne koi rasta nahi chhora.... maine Nandni se baat ki... sara mamla usse bataya.... pahle to boli ki main ghar me sab sach-sach bata dun ....


Himanshu.... Haan sahi he to kah rahi thi... tumne bataya kyon nahi...


Jivisha.... Kyonki aap ko bata deti ki main kisi aur se pyar karti hun to aap tab bhi meri shadi karwate bhale wo ladka Nischal he kyon na hota... isliye Nandni ne finally suggest kiya bhag jao...


Nandni bari si aakhen kiye Jivisha ko dekhne lagi... aur pichhe se ek baar fir Durga devi ke chillane ki awaz aa gayi....


Priya.... Shant ho jaeye Durga ji.... Nandni ka ye naam le rahi hai.... Nandni ne kuch na bhi kaha hota to bhi ye bhagti he. Main iski maa hun aur isse achhe se janti hun.... (fir Jivisha se kahne lagi) Achha, Nandni ne tumhe kaha bhag jao aur tum bhag gayi... par tumhe to shadi se inkaar tha na, fir isse shadi kyon ki ...


Jivisha..... Kya bataun maa... Shadi na karna tha isliye bhagi, par kismat... Nischal lagbhag kud he gaya tha train ke samne, yadi maine haan nahi kaha hota.....


Durga devi.... Tabhi main kahun ye bhag kar sidha yahan kyon aa gayi.... Main aap sab se manfi chahti hun, ki mere bachi ki wajah se ye sab hua...



Priya.... Nandni ne kya kiya wo mujhe pata nahi par aap bilkul na chinta karem Durga ji, kyonki meri jo nautanki beti hai uss ki baton par hume kabhi yakin nahi hota. Waise bhi ye to bache hain nadaniyan karte rahte hain, par ek baat main aap ko bhi kahna chahungi.... jaisa meri beti ne kiya waisa aap ki beti na kare.... inn se puch lijiye aur inhe padhne dijiye... kabhi socha na tha padhne ke liye itna hungama hoga....


Thode dukh ke he sath he sahi par sab ne aakhirkar Nischal aur Jivisha ka rista swikar kar he liya. Durga devi ki jid par Jivisha ki puri family ek din ki mehmaan nawaji ko swikaar kar liya....


Nandni ke kandhe par banduk chala kar Jivisha khud to bach gayi par usse fasa diya. Aur fasaya bhi kaisa.... fir se padhai.... Jab se Jivisha ne ye bomb phoda tha, Nandni uss se akele me milne ke liye betab thi.... Par Jivisha hamesa kisi na kisi ke pichhe chhipi he rahi.....


Bahut mauke talase Nandni ne, par Jivisha hath na aayi.... agle din Jivisha ko le kar uski family wapas Pune rawana ho gayi..... raste bhar Nischal ko Jivisha ki family ke tarah-tarah ke sawalon ko jhelna para....


Bechare ki haalat.... kya jabaw de unke sawalon ka... aur sawal bhi aise ki Nischal unka kya jabaw deta.... Uss ki chuppi, aur dher sara bak-bak Jivisha ka.... Kisi tarah se jabaw bana kar aakhirkar ghar walon ko santust kar he diya Jivisha ne...


Finally sab ghar pahunch chuke the.... Sab log ghar me pahunche.... Nischal sab se pichhe khada tha..... tabhi chahkti hui ek awaz hall me gunji.... "Wowww, Jivisha ne shadi kar liya... Kahan hai mere jiju"...


Sab log side hat gaye aur sab se pichhe Nichal khara tha..... Nischal ki najar jab uss ladki par gayi... wo bas ek tak dekhta he rah gaya.... Wo usse dekhne pura kho sa gaya... waise wo ladki thi he aisi .... jaise har jawan dilon ki dharkan ho... jo bhi ladka usse dekhe bas deewana ho jaye.....


Idhar... Apini aur Josefer..


Dono khoji aur janwar ke wapas laut kar aane ke baad Apini aur Josefer aapas me charcha karte huye..


Josefer.... Apini, Malkia ki shakti humare soch se bhi pare hain .... par ek baat jo samajh me nahi aayi.... Aakhir wo ladka kaun tha jo itni tej daur raha tha.... Uspar humla karne ke liye viman ko 8km dur rokna para aur itni duri hone ke bawjoood bus pal bhar ka samay mila humle ke liye.


Apini.... Koi idea nahi, par hume bahut safai ke sath sari baton ka pata lagana hoga.... aur sath me Malkia par najar bhi deni hogi, unke bare me bina jane, unke karib jana khatarnak hai....


Josefer.... Main uske ghar me uska pet ban kar ghusne ki kosis karta hun, aur sari baton ka pata lagata hun...


Apini.... Haan ye sahi rahega.... Aur main to ye kahta hun... yadi ho sake to uss ladkey ko wahin mar dena....


Josefer.... Chinta mat karo, main ek-ek kar ke Malkia ke pure pariwar ko he tod dunga. Taki jab wo tanha ho jaye fir hum hi unke eklaute sahara ho.
nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-19




Pune.. Jivisha Ka Ghar…


Sab log side hat gaye aur sab se pichhe Nichal khara tha..... Nischal ki najar jab uss ladki par gayi... wo bas ek tak dekhta he rah gaya.... Wo usse dekhne pura kho sa gaya... waise wo ladki thi he aisi .... jaise har jawan dilon ki dharkan ho... jo bhi ladka usse dekhe bas deewana ho jaye.....


Najren kewal Nischal ki he nahi balki ek najar aur thi jo lagatar uss ladki ko ghure ja rahi thi, aur wo thi uski bahan Jivisha ki najar..... Bare chacha ki beti, jo Aurangabad me rahti hai.... Naam Kasak Singh Rajput....


Jivisha, Kasak ko dekh kar do baar apni aakhen mizi.... "Sach me Kasak he hai"....


Tabtak Kasak, Nischal ke pass pahunch chuki thi, aur apna hath aage badha kar kahne lagi.... "Hello, jiju... hello"


Nischal jaise apne dhyan se jaga ho..... wo bhi hath milate huye "hello" kahne laga....


Kasak.... By the way aap kahan khoye the jiju....


Nischal.... Bas aap ko dekh raha tha, aap ka chehra dekh kar dang rah gaya... mere kisi apne se bahut he milti-julti hai...


Kasak..... Ishhh, Jiju line mar rahe ho kya... aisi lines pahle bhi sun chuki hun...


Nischal.... Ha ha ha... ab itna akarshit karne wala surat payi hain, compliments to milegi he na.


Kasak.... Kya baat hai jiju, aap to kafi fast nikle....


Nischal.... Main to fast hun, par tumhari bahan itni slow kaise ho gayi.... dekho kaise tumhe he ghure ja rahi hai.. Dono ke bich kahin koi chemistry to nahi....


Kasak.... Hehe, Jiju... rahne do aap ko iss chemistry ko samjhne ke liye flashback me jana hoga...


Nischal.... Itne logon ke bich flashback me jana sahi hoga kya....


Kasak..... Oh to aap ko flashback dekhna hai. Sidha bolon na flashback dekhna hai, dusron ki chinta kyon karte ho.... Aap bas flashback dekho... baki public ko pause mode par kar dete hain....


Flashback start.....


Aurangabad ka ek gawn.... Gawn me bara sa ghar.... Ghar me Ram aur Shyam jaise do bhai.... Sudhanshu aur Himanshu....


Nischal..... Wait, wait.... bahut pichhe se flashback ho gaya... thoda fast forward kar ke main scene par lao na.....


Kasak.... Ok ... aap flashback par concentrate karo.... maine forward kar diya hai....


Flashback resume....


Vidhyapith ka college.... College me 2 bahne... Kasak aur Jivisha.... Kasak aur Jivisha dono ne Bca me sath admission liya.... Kasak yani Jivisha ki humdum.. humrahi uski sathi....


Jivisha to iss bholi duniya se anjaan thi... Godmata ki tarah usse har kadam par duniya se ru-baru karwane wali Kasak... Papa ki cigarette chori kar ke pina sikhane wali Kasak.... papa ke kamre se wishkey gayab kar ke pina sikhane wali Kasak ... har situation ko kaise handel karna hai sikhane wali Kasak....


Nischal.... To kya usse lesbian bhi Kasak ne he banaya.....


Kasak.... Jiju, public pause mode par hai, lekin bahri nahi... gharwalon ke pass aisi baten na karo, baki aap ki sali hun... yadi aap ko adult baten nahi aati to aap ko bhi main ustad bana dungi... filhaal abhi flashback par concentrate kijiye....


Nischa.... Haa dono bahan ke pyar ko to samjh gaya, ab aage kya hua...


Kasak.... Aage khud he dekho..... "Barshat ki ek raat thi.... bijli joron se kadak rahi thi"...


Nischa..... Ab kya horror scene dal rahi ho....


Kasak.... Nahi re jiju... abhi ladai ka scene hai na to mahol ko thrilling bana rahi hun.....


"Wahh... ye to pagalpan me Jivisha ki maa lagti hai"..... "Haan haan mahol suit kar raha hai Kasak ji aage bataeye na"....


Kasak..... Haan jiju suno... par iss baar bich me mat tokna... pura flashback end karne dena...


"Haan to barsaat ki wo raat thi, aasman me bijli ki tej gar-garahat ho rahi thi.... hum dono bahne daru, chakhna aur murge ke sath baith kar dono DDLJ enjoy kar rahi thi.... SRk sir and kajol... wooo hooo"


"Movie khatam hone ke baad Kasak ek pak uthati puchhne lagi..... "Jisa humare life me ddlj ki story jaisa kuch hua na to tu preeti ka role karna"


Jivisha.... Main kyon preeti ka role karungi.... bhagwan ne mujhe simran ke role ke liye he banaya hai... tu ban ja preeti .....


"Bas behosi ke aalam me dono bahno me SRk ko le kar pahli baar toofani jhagra hua... aur pahli baar hum dono bahne ek dusre ki dushman bani.... dono jab khadi thi to bich me sepration wala bijli bhi kadka tha"......


"Gusse me dono bahne alag hui thi. Kasak yani guru ji Jivisha ki... isliye guru hone ke nate Kasak apni mahanta ki ore ek kadam aage badhati, Jivisha ko samjhane subah-subah pahunchi.... aur jab wo pahunnchi to".....


Nischal, jo khoya tha story me..... "Pause kahe le liya aage batao na"...


Kasak.... Jiju aap to aas-pass dhyan bhi nahi dete, public pause mode se active mode par chali aayi hai.....


Tabhi un dono ke pass Jivisha pahunchi aur Nischal ko dekhte huye, Kasak se kahne lagi.... "Tum ne to bhism pratigya liya tha ki tum yahan nahi aaogi... kya hua apni baat par kayam na rah saki".....


Kasak bhi Nischal ki ore dekhti hui kahne lagi...... "Bhagodey ab mujhe moral sikhayenge.... my life is all about family... aur main eklouti sali ka farz nibhane, apne aatmsamman ko tak par rakh kar yahan jiju ke liye aayi hun"......


Jivisha..... Ye kyon nahi kahti ki yahan muft ki dawat urrane aayi ho....


Kasak jor se chillati.... Chhote papa... chhoti maa dekho aap ki ladli kya kah rahi hai, main aap ke yahan muft ki dawat uarrane aayi hun....


Nischal, pure hall me dekhne laga.... pura pariwar jaise Kasak ki baton ko suna he na ho, sab apne-apne kamo me lage huye rah gaye... Kasak ek baar aur jor se chillayi ... lekin iss baar bhi kisi ne kuch respond nahi kiya....


Kasak... Sorry jiju... aap ka aur mera sath yahin tak ka tha, ab main ja rahi hun....


Tabhi Ravi apna kaam karte huye he kahne laga..... "Kasak emotion me bah kar ghar se jane ka faisla mat karna, warna bade papa bhi tujhe ghar me ghusne nahi denge... bhul gayi kya kah kar yahan aayi ho"...


Kasak.... Koi baat nahi bhaiya.... jab yahan koi apna he nahi to yahan bhi rah kar kya karungi... main platform par rah kar he padhai kar lungi.... chal urr ja re panchhi, ki ab ye ghar hua begana... yahan koi to mera apna ho... ek jiju hain unhone bhi muh mor liya apne eklauti sali se...


Nischa.... Arre kaisi baten kar rahi hain aap... aur koi begana nahi yahan... please aap apne jiju ke khatir ruk jao...


Kasak... uchhalti hui.... "Sirf jiju ne mujhe roka hai isliye ruk rahi hun... warna main ye baat kabhi nahi bhulungi ki sab ne mujhe ignore kiya tha"....


Jivisha... Haan to ruki kahe hai... apne sath apne jiju ko bhi platform par he rakh lena... sequrity bhi mil jayegi. Isse bhi leti ja....


Kasak.... Chup kar tu... mera ego mat badka... warna sine me dafan raaj ko ugal dungi...


Jivisha..... Maine bhi abhi tak bahut kuch chhipa rakha hai, bahar aa gaya to kahin ki nahi rahegi...


Nischal.... Haan to ek-ek kar ke bolna shuru karo ... main bhi to tum dono ka raaj jaan lun....


Shoking expression ... aur sare ghar wale pichhe mur gaye.... Avinash dur se he chillaya...."Maa jiju ko yahan ki sari rsahme samjha di kya".... Pichhe se Ravi bhi kahne laga.... "Nischal ji, chalo yahan se, main aap ko pure pariwar se introduce karwata hun"....


"Kamal hai, abhi to ye log apne-apne kaam me lage huye the... aisa kya ho gaya jo apna kaam chhor kar idhar itna concentrate karne lage"......


Nischal ko kya pata tha ki usne kya puch liya hai... aur kyon ye log itna react kar rahe hain....


Aizem Planet .... Nischal ka grah .....


Sabaiya ki puri team jo Nischal ko dhundhne gayi thi, wo wapas Aizem grah par laut aayi.... Raat ke waqt Serin ke sath Sabaiya ki meeting....


Serin.... Pura pata bata diya tha, fir bhi sab ko wapas bula liya....


Sabaiya..... Devices kisne activate kiya tha...


Serin.... Maine...


Sabaiya.... Kisne kaha tha uss device ko band kar pana kisi ke vash me nahi....


Serin... Maine...


Sabaiya..... Aur kal wo device kisne band kiya....


Serin.... Ho gaya kabhi-kabhi log muskil bhara kaam bhi sikh jate hain... lekin tumhare pass to uska pata tha na ... device band hua to kya ho gaya tum to uske piche ja sakte the... usse apne rsate se hata sakte the...


Sabaiya..... "Nischal ko koi nahi janta... Koi soch bhi nahi sakta uske bare me ki wo kya kar sakta hai aur kya nahi..... tum logon ne to bas itna he jana hai ki aizem grah ka chota sahzada bas aise he ghumta firta hai jise yahan hone wale ghatnao se koi lena dena nahi"...


"Lekin sabhi logon ke pass kewal adhuri jankari hai... wo mera bhai hai aur main usse bachpan se dekhta aa raha hun.... tumhe kya lagta hai 6 jahaj aur 36 log Nischal ko wahan se khatam kar ke aayenge.... aisa sochna bhi bharam aur bhul hai tumhari" .....


"Jab tum ne kaha ki wo kamjor hai to maine apne sabse satir katilon ka team bana kar bheja tha, lekin Nischal ne wo device band kar ke sabit kar diya.... brahmand me wo kahin bhi rahe kamjor nahi.


"Tum janti bhi ho, west sima se ladai chal rahi thi. Samne west sima ki ek puri tukri, aur Nischal akela. Jab west sima ki wo khunkhar tukri nahi tiki to aage tum soch sakti ho.... uss ke guts, uska caliber, uski planning, kabhi koi nahi samjh sakta. Usse marne ke liye kisi sena ki tukri nahi balki uss ke dimag ko maat dene wala koi chahiye".....


Serin.... Aur sayad aisa koi ho bhi nahi....


Sabaiya.... Galat .... Nischal ke liye ulti ginti shuru ho gayi hai... tum bas uss se contact banaye rakho... jald he tumhe sab kuch pata chal jayega....
very nice update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-20




Nischal ko kya pata tha ki usne kya puch liya hai... aur kyon ye log itna react kar rahe hain....


Idhar Kasak aur Jivisha dono ghur-ghur kar Nischal ko dekhne lagi..... dono aise react kar rahi thi mano abhi wo Nischal ko kha jayegi....


Jivisha..... Tum ho kaun ... batao ...


Nischal..... Tumhe kya ho hua... tum aise react kyon kar rahi ho....


Kasak.... Haan-haan usse batate kyon nahi..... Tum ho kaun...


Nischa..... Main to Nischal hun.... kyon kya hua so....


Jivisha...... Aur hum dono ko jante ho tum....


Nischal..... Haan do bahne jis ki apas me banti nahi.....


Kasak..... Teri to... humari apas me banti nahi to tu devide and rule apply karega.... your countdown begane .... bas ab taiyar rahna.....


Dono he apni-apni baat kah kar alag-alag disha me chali gayi. Nischal bari hairani se sab ki ore dekhte huye puchne laga.... "Ye dono abhi-abhi mujh se kya kah kar chali gayi"


Himanshu..... Ab bhi nahi samjhe beta..... Ye dono bas test karti hain har kisi ko ... aur tumhara bhi test kar ke chali gayi.....


Nischal..... Matlab...


Abhisek..... Matlab ye jiju ki ye dono jab alag hote hain to aise he jhagra kar ke alag hote hain aur jaise he samne aaye 1 se 2 ghantey me inka mel-milap ho jata hai .... piste wo log hain jo inke pachre me parte hain....


Nischal haste huye..... "Tabhi aap sab itna shocking expression de rahe the.... waise kaun-kaun in dono ke chakkar me fas chuka hai".....


Abhisek..... Humara pura ka pura khandan .... ek aap bache the jo aap bhi fas gaye... jarra chawkanna rahiyega....


Nischal..... Ha ha ha... thik hai main chawkanna rahunga....


Din ke 12 baje honge tabhi Nischal ko sab logon ki baat sahi sabit hote najar aane lagi.... Kasak aur Jivisha dono sath thi aur ek dusre me kafi ghuli mili si najar aa rahi thi..... Nischal khud me muskurte kahne laga...... "Iss ladki ke sath wale sab pagal he hote hain, mujhe ab ye baat hamesa yaad rakhni chahiye"......


Evening ... 7. Pm .....


Kasak aur Jivisha puri tip top ho kar... Cream powder laga kar chaka-chak ready ho gayi. Unka sajna sawrna dekh kar Priya bhi puchh he di..... "Ye tum dono itna saj sawar kar kahan ja rahi ho"


Kasak..... Main naye dampati ko ghumane le ja rahi hun.... aur kisi ko kuch puchna hai....


Priya..... Subah to dono me dushmani thi, fir saam ko achnak ye pyar kahan se umar para. Kaan khol kar sun lo koi kahin nahi jayega..... abhi tumhari bhabhi ke mayke se log aayenge unke aane ki taiyari karo....


Jivisha..... Maa tumhari bahu ab apne ghar ke mahmano ko dekhegi.... main apne sasural ke mehmano ko dekhungi..... bhul gayi shadi ke baad beti parayi ho jati hai.... kyon ji aap kuch bolte kyon nahi.....


Nischa..... Haan bolta hun na.... Maa ji bhale aap ki beti aap ke liye parayi ho gayi ho... par aap ka ye beta har waqt aap ke sath rahega.... ye mera wada hai....


Bare he viswas ke sath Nischal, Priya Rajput ki aakhon me dekhte huye ye baat kah gaya. Priya thodi si bhawuk hoti Nischal ke sir par hath ferne lagi...... "Ja beta tu ander ja, inke sath to aaj bilkul bhi kahin mat jana".....


Jivisha..... Mere pran-nath, aap ne apni sasu maa ko to apna farj bata diya lekin kuch farz aap ka apni patni ke liye bhi hai. Isliye ab aap mere sath chalenge ya apne farz se muh mor lenge...


Nischal..... Ohhh haan ye bhi sahi hai.... Maa ji main jarra in ko ghuma kar aaya... aap ko kuch bhi fikr karne ki jaroorat nahi hai...


Priya.... Lekin beta....


Priya apni baat kah kar Nischal ko dekh he rahi thi ki itne me Jivisha ne Nischal ki kalai pakri aur usse apne sath le kar nikal li.... dono ghumne ke bahane Nischal ko zoo me le aayi aur ek sunsaan sa kona dekh kar teeno baithe....


Kasak ne apne bag se pani ki bottol nikali aur Nischal ki ore badhate huye kahne lagi.... "isse ek he ghunt me pura pi jao"


Nischal..... Par mujhe pyas nahi lagi fir kyon main pani piyun....


Jivisha aakhen dikhati..... "Pyas nahi lagi to kya hua, ek bottol pani bhi nahi pi sakte kya apni pyari sali ke liye. Aur haan ek he ghunt me pura khali karna hai....


Nischal apna sir hilate pani ka bottol liya aur usse ek he ghunt me pura ka pura pi gaya..... "Yakkkk... ye pani to nahi tha... mera sir kyon chakra raha hai... mujhe ultiyan kyon aa rahi hai"....


Bas fir kya tha Kasak aur Jivisha ek dusre ki aakhon me dekh kar muskurai aur usse wahan se utha kar disco me le aayi.... Cham-chamati lighting par to Nischal ki dristi he dhundhli si par gayi thi.... Lekin un dono ka sath dete Nischal bhi dance karne laga....


Tabhi Jivisha muskurati hui Kasak se kahi..... "Jai ho filmy ideas ka" aur itha kah kar usne Nischal ke pass wali ladki ke bum par chikoti kaat di".....


Wo ladki piche mudi, Nischal ko dekhi aur usse khinch kar ek tamacha mar di.... Nischal gal par hath rakhe gusse me apni laal akhen dikhane laga....


Ladki, Nischal ka kalai thamte...... "Itni der se main yahan akeli hun, koi partner nahi mil raha aur tum ho ki itna late respond kar rahe.... sorry darling chidh kar thappad mar diya... ab please chalo na iss bhir-bhar se. Akele me tumhari jaisi marji ho... jahan par marji ho chikoti kat'te rahna".


Nischa, apne gaal se hath hatate..... "Koi nahi, itna to manage karna he hoga na tum jaisi hot babe ke liye".


Ladki.... chalo darling kahin akele me chalte hain... yahan kafi bhir-bhar hai....


Nischal.... Lekin apni wife se kya kahun....


Ladki..... Bol do usko ki tum new learning lession par ja rahe ho....


Jab tak ye drama ho raha tha Kasak aur Jivisha dono ek dusre ka muh dekhne lag gaye.... "Jivi ye ho kya raha hai... Chikoti pasand bhi aaye to ladkiyan muskura kar respond deti hai aur apne kaam me lag jati hai".....


"Haan na.. dek to Kasak aisa to kisi film ke script me bhi nahi tha.... aisa to kisi movie me bhi nahi dekha. Ye ladki to sidha kopche me he le jane ki baat kar rahi. Itne advance to na the"....


"Jivi mujhe to aisa lag raha hai jaise iske maze ke liye ladki ka intzam hum ne he kar diya ho... dekh to kaise uska hath pakdey hai".... Jivisha uss ladki ke hath me Nischal ka hath dekh kar chidh gayi.....


Jivisha..... Hath chhor iska... bari aayi isse le jane wali.... kamini bhag yahan se....


Ladki..... Ab ye kaun hai.....


Nischal.... Ye meri wife hai.....


Ladki.... Udhar dekh ae ladki... wo mera bf hai. Mujhe bas uss se itna kahna hai ki iss ladkey ne mere bum par chikoti kati.... fir tu dekhna badle me mera bf tum dono ki kahan-kahan chikoti kat'ta hai.....


Isse kahte hain aa bail mujhe maar.... Kise fasa rahe the aur kahan aa kar fas gaye... Nischal mahol ko bhapte huye wahan se Kasak aur Jivisha ko jane ke liye kaha.... aur khud uss ladki ke sath chala aaya...


Wo ladki car ko sadak par daurate huye Nischal ko dekhne ke liye palti..... ye kya hua.. Nischal to car me tha he nahi... Abhi to uss ke sath he baitha tha aur turant me he kahan gayab ho gaya... Nischal uss ladki ke palak jhapkte he ojhal ho chuka tha, aur wahan se bhag kar sidha ghar chala aaya....


Jab wo ghar pahuncha to sab uss ka iss tarah se akele lautne ka karan puchhne lage... Nischal apna shatir dimag lagate huye sab ke baton ka jabaw diya....


"Dono ne mujhe ek he ghunt me pani pine ko kahi... par uss me pani jaisa kuch nahi tha... mujhe sab ajib-ajib lag raha hai... mera sir ghum raha hai... isliye main chala aaya"....


Abhisek.... Jaroor in dono ne isse vodka pilaya hoga....


Priya.... Aane do dono ko.... koi aisa bhi karta hai kya..... ghodi jaisi bari ho gayi hain par sharten nahi jati....



Nichal.... Jane dijiye maa ji... abhi nasamjh hain... waise meri najar to abhi ek samjhdar si khubsurat lady par hai, jiske sath ek saithan sa ek bacha hai... kaun hain ye....


Nandita aage aa kar khud apna parichay dene lagi.... Nichal ne uss mahol ko pura hansi mazak se bhar diya..... Nischal ki company aur uska pagalpan sab log enjoy karne lage.... issi bich Kasak aur Jivisha bhi pahunchi...


Lekin dono ko andekha kar, sare family member Nischal par he concentrate kiye huye the.... Jivisha aur Kasak dono ko ye baat khatkne lagi... aur ander he ander chidh si gayi..... Dono ek dusre ka chehra dekhte..... "Iss nautnki ka nautanki kuch jyada he ho raha hai... isse jald he na bhagaya to sach ka na pati ban jaye"....


Kasak.... Mere pass ek idea hai....


Jivisha... Kaisa idea....


Kasak.... Apne sath iss ko bhi college me admmision ke liye bolte hain....


Jivisha.... Iss se kya hoga....


Kasak.... Duffer... admission ke liye certificate kahan se layega ye gawar.... fir bare aasani se fraud sabit kar ke iss se jaise jhuti shadi hui waise jhuta talak bhi ho jayega....


Jivisha, Kasak ke sir par do hath marti..... "Duffer .. iss se talak ho gaya to meri mother india fir se meri shadi karwane ki kosis karegi, wo bhi asli wali"....


Kasak... Ohh haan ... ye to main sochi he nahi....


"Ab kuch aisa plan karo ki, sanp bhi mar jaye aur lathi bhi na toote. Iss gawar ko ghar se bahar nikalne ka mission shuru kiya jaye.... Dekh to kaminey ne ek he din me jaise sab par jadu kar diya ho... hume to koi puch bhi nahi raha"...
good update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-21




"Ab kuch aisa plan karo ki, sanp bhi mar jaye aur lathi bhi na toote. Iss gawar ko ghar se bahar nikalne ka mission shuru kiya jaye.... Dekh to kaminey ne ek he din me jaise sab par jadu kar diya ho... hume to koi puch bhi nahi raha"...


Jivisha, jamhai leti ….. “haaawwwwwhhh… ye sanp laṭhi sun kar nind aane lagi. Ye sochne ka kaam mujh se na ho payega… chal sone chalte haiṅ, kal dekhte haiṅ iss ka kya karna hai”…


Kasak….. Wahan tere liye fulon ki sej sazi hai, ja bina sadhi ke suhag raat ke maje le…


Jivisha…. Suhag raat ke maze…. Uffff ab yahi baki rah gaya tha kya… tu he koi chakkar chala na….


Itne me Jivisha ki mom Priya, usse aawaz lagati…. “Suno beta, jamai ji ke yahaṅ koi riwaj hai isliye tum mahine din tak Kasak ke sath he sona… ṭhik beta”


Jivisha…. Ok mom….


Jivisha, kamre me aati…. “Yaar iss gadhe ko kya hua, matlab mujh jaisi khubasurat laḍki ke sath chance mil raha tha, fir bhi iss ne ek mahine ke riwaj ke bare me kyoṅ kaha… ye bhi apni tarah filmi hai kya”….


Kasak…. Sayad usse tum se pyar ho gaya hai, isliye tumhari fikr karta ho…


Jivisha…. So ja, dimaġ mat kha… ye achanak tumhe bari hamadardi kyoṅ hone lagi uss se…


Kasak…. Mujhe jo laga maine kah diya… good night…


Agli subah….............


Dono he laḍkiyaṅ apni chir-parichit andaz me ghoḍe bech kar so rahi thi, idhar ghar me subah-subah kya kahani chal rahi thi kisi ko pata bhi nahi tha. Tabhi Chirag kamre me ghusa. Dono ko jagane ki bahut kosis kiya par koi respond he nahi…


Chirag ko kuch na sujha to ek bar fir se uss ne pani urrel diya….. dono laḍkiyaṅ chaunk kar uṭhi….


Kasak…. Jivisha, apne ladle ko sambhal, subah-subah koi mujh par pani ḍale, mujhe jarra bhi pasand nahi…


Jivisha jaise he aaṅkh dikhati uss ki ore baḍhi…. Chirag joṛ-joṛ se chillane laga… “Emergency, Emergency”……


Jivisha…. Chirag, beta pahle se paresan huṅ, fir aise kahe mujhe emergency ke naam par jhaṭke deta hai. Tere jhaṭkoṅ se mujhe kahin heart attack na ho jaye….


Chirag…. Di, apne heart attack ka chhoro aur hall me jao jaldi… mukhiya ji fir se panchayat kar rahe haiṅ….


Kasak…. Ye mukhiya ji ki to… Chirag kis baat ki meeting chal rahi hai…


Chirag…. Nandni di ke kahne par sab fufa ji ko aage aap ke sath he paḍhane ki soch rahe haiṅ….


Jivisha aur Kasak ek dusre ka muh dekhti joṛ se chillayi…. “Kya” ???? Aur dono bhagti hui bahar aayi…. Hall me subah-subah he puri manḍli jama thi. Aisa lag raha tha jaise sab chay par desh ki arthvywastha discuss kar rahe ho, ṭhik waise he chehre ka expression dete aapas me baat kar rahe the…


Jivisha aur Kasak ki haalat dekh kar Priya dono ko 2 bateṅ sunati kahne lagi…. “Kuch bhi ho, par ye dono nahi sudharne wali, tab tak soti rahengi jab tak ghar ka sara kaam na ho jaye”.


Bhabhi Nandita….. Maa ji Chirag ne in ko emergency kah kar uṭhaya hai, tabhi dono bhagti hui aayi haiṅ… dekh nahi rahi bhigi haiṅ dono….


Jivisha… Heeheehee, kamal ka sense of humour bhabhi, main to yahaṅ nandu ko dekhne aayi thi…


Nandni…. Par mujh se to 2 din pahle he mili thi….


Jivisha aakhen dikhati…. “Chup kar Nandu, aur tu chal mere sath, abhi”…


Abhi…. Maa iski to love marriage hui hai, fir bhi isne ek baar bhi apne pati ko dekhi tak nahi, gauṛ kiya kya kisi ne….


Kasak…. Abhi bhaiya, bas bhi karo… aap cid ke Daya ho bas darwaza toḍte raho, ACP praduman ban’ne ki jaroorat nahi. Nandu tu chal abhi humare sath, kitne din huye tumhe dekhe…


Nandni wahan se sab ko “excuse me” bolti…. Jivisha ke sath chali aayi…


Teeno ke kamre me aate he… Kasak…. “Nandu, Ye suit kahaṅ se li, kafi mast fabric aur desine hai”


Nandni…. Kasak, ye to mere Dr ne mujhe gift kiya hai…


Kasak…. Tera Dr, ye kissa kab shuru hua, hume to kuch bhi maloom he nahi…. Waise iss suit ke sath matching sandle, nail polish, ear-ring, nacklace sab ussi ne gift kiye kya…


Nandni muskurati…. Yesss Kasak…


Kasak…. Hayyyy, main jealous… tu ne to palṭu bana diya hai usse… waise ye bata ander ke bhi sare matching to nahi de diye…


Jivisha, apne sir par hath marti…. “Hum yahaṅ par kyoṅ aaye haiṅ, aur tum dono ye kya faltu bateṅ karne lage”


Nandni…. Hum yahaṅ par kyoṅ aaye haiṅ, mujhe sach me nahi pata….


Kasak…. Haaṅ bata na hum yahaṅ kyoṅ aaye haiṅ …


Nandni…. Had hai, main yahaṅ problem me huṅ aur tumhe mazak sujh raha hai Kasak…


Kasak… Oh sorry… abhi khabar leti huṅ Nandu ki… kyoṅ re Nandu, ek to bina bataye yahaṅ aa gayi, aur aayi to aayi par tumhe kaha kisne uss lallu ke admission ka idea dene….


Nandni… Ghar ke sabhi baiṭhe the to mere muh se nikal gaya, nishchal aur Jivisha ki nayi-nayi shadi hui hai, dono ek dusre ke najron ke samne rahenge… isliye admission ka idea de diya….


Jivisha…. Ullu… uss gawar ke pass 10th ka certificate nahi hai, tu usse post graduation karwayegi… subah subah humari he laga di tune…


Nandni…. Haaṅ to jyada se jyada kya hoga, wo fraud hai sab ko pata chal jayega aur usse dhakke maar kar bahar nikal denge….


Kasak…. Arre nahi Nandu usse bahar nikal diya to Jivisha ki shadi fir se karwane ke liye sab pagal ho jayenge… humari tension se tumhe nahi lagta ki ye baat nahi honi chahiye thi…


Jivisha…. Haaṅ re Nandu…. Ye Nischal ek aisa tension hai jise bhaga bhi nahi sakte aur sath rakh bhi nahi sakte…


“Main koi idea bataun”….. teeno ek sath muḍi.. “tum.. yahaṅ” …


Nischal…. Haaṅ main yahaṅ … kyoṅ main yahaṅ nahi aa sakta kya…


Nandni…. Par aise chhip kar kisi ki bateṅ sun’na … tumhe kisi ne manner nahi sikhaya kya…


Nischal….. Sikh jauṅga ahista-ahista, waise apna importance sun kar baṛa achha lag raha tha….


Kasak…. To kya tum ne sab sun liya.. ..


Nischal…. Haaṅ sab sun liya… ye bhi suna ki Nandni ke Dr ne usse matching inner wear bhi diya hai…


Jivisha usse ghurti…. “Chhi saḍak chhap kahin ke”


Nischal…. Ab main jaisa bhi huṅ, filhaal main he tumhara sahara huṅ… tum teeno ki batoṅ ne to mera dimaġ khol diya…..


Jivisha…. Aeee.. aeeee… aeee… baat sun liye to jyada bhaw khane ki jaroorat nahi hai… waise bhi tum ho kaun jo hum tumhari batoṅ se dare…


Nischal… Haaṅ ye bhi sahi hai… main huṅ kaun aur tumhe ḍarne ki kya jaroorat… Ohk bye…


Nischal, bye bol kar jane laga… usse jate huye dekh kar Jivisha chain ki sans leti kahne lagi….. “Achha hua khud he bhag gaya”….


Nandni…. Jisa rok, rok usse… duffer wo bye bol kar kya karne ja raha hai wo to puch … uski batoṅ me koi raaj chhipa tha… rok usse..


Jivisha…. Roke usse meri juti, jane de usse … main bulauṅgi to iss ka aise he aage bhi drama rahega….


Kasak…. Tu pagal ho gayi hai Jisa… jiju… aaṛe o Nischal jiju… Arre suno to jiju….


Nischal…. Haaṅ kya hua Kasak ji, kuch kaha kya aap ne…


Kasak…. Kahaṅ naraj ho kar ja rahe haiṅ, idhar to aaeye…


Nischal…. Kasak ji aap ki bahan ko mera yahaṅ rahna pasand nahi, baat-baat par bhejjat kar deti hai… isliye ja raha huṅ…


Jivisha….. Haaṅ to jao na, aur bejjti karwane kahe ruke…


Nischal…. Dekha iski juban, ab mujhe mat roko…


Nandni…. Nischal, aao yahaṅ please….


Nischal, un ke pass pahuṅchte…. “Ṭhik hai … batao kya hai”…


Nandni…. Nischal ye bye bol kar kahaṅ ja rahe the…


Nischal…. Mammi ji, daddy ji ko ye batane ki main fraud huṅ aur humari koi shadi nahi hui…


Teeno ek sath…. “What”.. “what”… “what”….


Nischal…. Isse meri shakal pasand nahi, aur mujhe iss ki… fir kyoṅ ek dusre ko jhelna…


Jivisha, turant he apne sur badalti…. “Nischal ji, aap to jante he haiṅ aap ke sach batane se mujhe problem ho jayegi… isliye please aisa nahi kijiye”…


Nischal…. Uffff aisa lag raha hai juban se koi madhosh karne wale alfaz nikal rahe ho, par kya kareṅ aap ki bejjati ne mujhe bahut he mayus kiya hai…


Kasak…. Ye abhi manfi maṅgegi….


Nandni…. Haaṅ Jivisha apne kiye par sharminda hai, abhi manfi maṅgegi….


Jivisha, ghurti hui dono ko dekhti…. “I am sorry Nischal ji, please mujhe iss musibat me chhor kar nahi jaeye”…..


Nischal, muskurate huye….. “Aahhhh, tumhe aise manfi magte dekh kitna sukoon mil raha”… Idhar Jivisha ander he ander nischal ko gali deti…. “Utha le fayda, tumhe to main dekh lungi”


Tabhi Nischal apni ahamiyat jatate kahne laga…. “Par mujhe ye mafi nahi chahiye… haaṅ sabhi batoṅ ko compensate karna hai to, isse bolo wahi karne jo pahli mulakat me ye mere sath station par ki thi”…


Jivisha, bari si aakhen kiye…. “Kya”


Nischal… “Aeee badmas bhul gayi kya, wahi jisse karne ke baad pata nahi mujhe kya ho gaya tha … Arre wahi re”….. “Kisssssssssssssssssssssssssssssss”
full to comedy drama update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-22



Nischal… “Aeee badmas bhul gayi kya, wahi jisse karne ke baad pata nahi mujhe kya ho gaya tha … Arre wahi re”….. “Kisssssssssssssssssssssssssssssss”


Nischal apne armaan kah kar muskurate huye niche dekhne laga, wahiṅ bistar par baiṭhi Jivisha usse ghurte apne naak sikoṛ li, aur wahiṅ se Nischal ko marne ke liye, tamatamayi daurne lagi… Lekin Jivisha ka reaction dekhte huye, Kasak ne uski dono baheṅ pakaḍ li, aur Nandni usse kamar se pakṛi hui thi….


Nischal jab sir uṭha kar bistar par chal rahe ghama-gahmi ko dekha to sab ko dant’te huye kahne laga….. “Chhor bhi do meri janeman ko, dekho to kiss dene ke liye kitni taṛpi ja rahi hai… ruko, tumhe ye log nahi aane de rahe to main he aata huṅ… apna chehara aage kar ke, yuṅ, yun gol-gol hont nikal lo”….


Nandni…. Kasak tu isse pakaḍ, main Nischal ko yahaṅ se le jati huṅ….


Kasak, Jivisha ke bahn ko chhor kar uski kamar tham li…. “Kasak chhor mujhe, sala blackmail karta hai ye. Aaj iss ka khun kar ke main to fasi par he chaḍh jauṅgi”


Nandni, Nischal ka hath paarṭi….. “Chalo yahaṅ se bahar, Nischal”


Nischal…. “Ye mera khun karegi, Arre chhoro mujhe… main isko abhi batata huṅ…. Bari aayi khun karne wali. Ittu si hai ye, aur muh itna chhota sa. Bandariya kahin ki”


Nischal ki baat par nandni joṛ-joṛ se hasne lagi, aur usse khinch kar jabardasti bahar le aayi… wahiṅ Kasak pure joṛ lagati Jivisha ko rokne me lagi hui thi… fir bhi wo kisi tarah se chhut kar bas Nischal se jhagṛa karna chahti thi….


Bahar … Nandni aur Nischal…..


Nischal, Nandni ko ek side me rokte huye…. "Bus Nandu main nahi usse marne par utaru tha, jo ab bhi mujhe khinch rahi".


Nandni:- Oye ye Nandu kya hai, itne close kab se ho gaye hum.


Nischal:- Jab se main tumhare life me entry mara tab se. Khair jane do isse tum batao, college to shuru hone mein samay tha, fir itni jaldi Pune kaise pahunch gayi.


Nandni:- Bus aise hi. Thodi chinta ho rahi thi tumhari. Parso subah ki bahut si baten adhuri rah gayi thi, upar se tumhara wo kandha. Ghar me gahma-gahmi wale mahol mein, main bhul kaise gayi ki tum gambhir roop se ghyal ho gaye the.


Nandni ki chinta uske chehre se saaf pata chal rahi thi. Nischal pahli baar aisi bhawana se ru-baru ho raha tha. Usse apne ander ajib sa mehsus hone laga, jaise kisi apne ke bich hone ka ehsas...


Nandni:- Kya hua, aise ajib si shakl kyon banaye ho?


Nischal:- kuch nahi bus pahli baar laga aisa ki koi mera bhi hai. Ye ajib si feeling thi bata nahi sakta.


Nandni:- Buddhu, yahan koi paraya nahi hai. Haan bus tumhe unhe samjhne me aur unhe tumhe samjhne me thoda waqt lagega.


Nischal:- Haan so to hai. Waise Jivisha kamal ki hai Nandu, uske sath hone par aisa lagta hai, jaise wo khinch rahi ho mujhe apne ore. Alag hi aakarshan hai usme.


Nandni….. Oh isliye tumne sabke samne uss se kiss mang liya. Duffer, tumhe kya laga, Jivisha bistar se daur kar tumhe kiss dene aa rahi thi….


Nischal, apne chehre par muskaan lata….. “Nahi, main to janta huṅ, wo mujh se chiḍhi hui thi.. aur mujhe kiss dene nahi balki mujh se jhagṛa karne aa rahi thi”….


Nandni…. Smart haaṅ, matlab sab jante huye ye naṭak….


Nischal…. Chhoro bhi, waise bhi chiḍhata huṅ to wo mere pass rahti hai, bhale nafrat se he sahi… pyar se kitni bhi kosis kyoṅ na kar lun, wo jali kaṭi he sunayegi….


Nandni…. Hey, Nischal tum aise mayus achhe nahi lagte, Chalo smile karo. Waise Jivisha hai he dimaġ se paidal. Chhoro usse, uss se pyar ki koi ummid he nahi rakho….


Nischal….. Nah nandni, Jivisha to bahut he pyari hai. Wo to main he huṅ jo baat-baat par usse chher deta huṅ….


Nandni…. Achha bahut pyari hai wo… bahut pyari… aur main…. Main pyari nahi, meri tarif me to kuch kahte bhi nahi…


Nischal…. Tum bhi kiss do, to main tumhari bhi tarif karuṅga….


Nandni, aakhen dikhati….. “Kya bole”


Nischal….. Ab jo bhi bol diya usse adjust kar lo, baat karne ke naam par ek tum he to ho…


Nandni…. Haaṅ baat karne ke naam par to main huṅ, aur jhagṛa karne ke liye Jivisha….


Nischal….. Main jhagṛa nahi karta uss se nandni, bas thoḍa sa chher deta huṅ… taki ġusse se he sahi kuch waqt sath rahe….


Nandni…. Haaṅ dikh raha tha, tum usse chher rahe the ya chiḍhkar bandariya bol rahe the… aise koi laḍki se baat karta hai kya….


Nischal….. Opps !!!! Haaṅ wo thoḍa serious ho gaya tha…. Main bhi kya karuṅ Nandni, mujhse kisi ki badatamizi bardasht nahi hoti… aur main jaldi he ġussa ho jata huṅ…. Aise humare pahle bhi kai serious encounter ho chuke haiṅ, bawajood iske, wo mujhe behad pasand hai….


Nandni….. Hmmm !!! Samjh sakti huṅ main. Khair jitna sikhaya tha uss se bentrin performance diya hai tum ne…. Smart hote ja rahe ho. Lagta hai prithvi ki hawa lagti ja rahi hai…


Nischal…. Ji guru ji. Prithvi ki hawa bhi lag rahi hai, aur sath me aap se gyan bhi mil raha hai…. Pranam swikar kijiye….


Nandni…. Tatha astu bacha… tumhara kalyaṇ ho. Waise ek baat batao tum mujhe apni puri kahani kab bataoge, jab yahaṅ se chale jaoge tab…


Nischal….. Tumhe harbaḍi kis baat ki hai, abhi to yahin ho na. Abhi to tumhe bahut se kaam karne hai. Meri pyari Jivisha ko tumhe he pass lana hai. Yahaṅ jo feeling aayi hai, usse tumhe he manzil tak to pahuṅchana hai. Ab to uss din ka intzar hai jab wo bhi pyar se muskura kar mujh se baat kare…. Kya hasin pal honge wo mere liye….


Nandni…. Ohhh hooo, to mamla yahaṅ kuch jyada he serious lagta hai…. Achha suno meri baat….


Fir nandni ne Nischal ko college me admission lene ke sare upay bata diye, aur usse apne ġusse par kabu rakhne ki salah di. Lekin jab nandni, Nischal ko khinch kar upar chhat ki ore ja rahi thi tab Jivisha ki Maa Priya ne unhe upar jate dekh liya…


Dur se he wo dono ko sath dekh rahi thi… itne close ho kar jab dono ko ek dusre se baat karte dekh, Priya ke dimaġ me kuch aur he upaj gaya… aur ab usse apne beṭi ke ghar ṭooṭne ka dar satane laga… Priya apni soch me thi, nandni aur Nischal apni batoṅ me lage the… tabhi Jivisha ke chillane ki aawaz aayi….


Ander … Kasak aur Jivisha….


Jab Nandni aur Nischal dono bahar chale gaye, tab Kasak ne Jivisha ko chhor diya aur apni kalai ko dabane lagi…


Kasak…. Teri to jivi, tu khati kya hai, kalai ki haḍḍi chaṭka di. Tujh par kahin bhut to sawar nahi tha….


Jivisha… Haaṅ bhut he sawar tha !!! kasak, jaan se maar duṅgi usse… Kaminey ki himmat kaise hui, mujh se aise baat karne ki…


Kasak…. Jivi tumhe nahi lagta ki tum kuch jyada he over-react kar rahi ho… uss ne kya ġalat kaha… tum station par kisi anjaane ko chum sakti ho, fir jo tumhari madad kar raha usse kyoṅ nahi. Jab tum ne he usse rasta dikhaya hai, to ab ussi baat par aisa react kyoṅ kar rahi….


Jivisha…. Lekin Kasak, wo situation kuch aur he thi….


Kasak…. Kaun si situation jivi… kahin wahi situation to nahi, jisme tumhe apna swarth sadhna tha. Wahan tum ne ek aise ladkey ko kiss kiya, jisse tum ne na to pahle kabhi dekha, aur na he uss ke bare me janti thi. Kya ladkey kaise hote haiṅ tumhe pata nahi, uss ki jagah koi aur hota na tab samjh me aata….


Jivisha…. Par uss ki jagah koi aur kyoṅ hota….


Kasak…. Kyoṅ, tumhe to jaan bachani thi, isliye tum kisi ko bhi kiss kar sakti thi, fir chahe wo Nischal ho ya uss ki jagah koi aur….


Jivisha…. Tum bhi na gadheri…. Najar uṭha kar maine survey kiya tha…. Mujhe Nischal kafi masoom aur innocent dikha, aur haaṅ sath me thoḍa lallu bhi. Usse dekh kar man kiya ki isse kiss karuṅ so kar liya… mujhe kya pata tha meri kismat aise rang layegi aur wo ghar tak pahunch jayega….


Kasak…. Hunnn hunnnn … hunnn… hunnnnn, matlab Nischal tumhare man ko bhaya tha isliye mukhiya ji se bachne ke liye filmy kiss ka sahara liya… warna koi aur upay ḍhuṅḍhti….


Jivisha…. Not exactly darling… mujhe pata hai ki tumhare ishare kis taraf hai, par main tumhare batoṅ ke jaal me nahi fsungi…. Nischal hota ya uss ki jagah koi aur, par koi na koi hota jaroor…


Kasak…. Tu man ko kitna bhi bahla le, pahli mulakat ka kuch na kuch asar to tha he… mujhe to, gup-chup, gup-chup, gup song gane ka dil kar raha hai… lagta hai abhi ga dun… do dil mil rahe haiṅ magar chupke-chupke.


Jivisha… Aisa hai, aisa hai to abhi dekh…. Mammi… papa… mammi… ummmmmmmiiieee… chup kyoṅ kara rahi hai mujhe….


Kasak…. Tere dimaġ me chal kya raha tha pagal… tu chilla-chilla kar kya nautanki karne wali hai…


Jivisha… Sab sach-sach bata kar usse ghar se bahar karwauṅgi, bas itna he…


Kasak…. Pagal aise me to tu he fasegi…


Jivisha…. Fasti huṅ to fasne de, kam se uss pagal ke blackmailing aur tumhare iss faltu ke samiksha se chain to milega.


Kasak…. Ye jyada naṭak ho gaya haaṅ…. ab chup kar.


Jivisha…. Na na main to hamesha he natak he karti huṅ na. Tum logoṅ ne mujhe serious liya he kab hai… ab to main sab ko bata kar he rahuṅgi….


Aahhhh, kya adaa thi Jivisha ki… Kasak ne jaise he Jivisha ko shant rahne ki liye kaha, Jivisha ko mauka mil gaya apni bhaḍas nikalne ka… par tab tak Jivisha ka chillana sun kar Nandni aur Nischal bhi lauṭ aaye, aur unke pichhe-pichhe Priya aur Himanshu aur pura pariwar bhi pahunch chuke the.


“Kya batana hai, Jivisha aise chillayi kyoṅ” … dono baat me itne leen the ki unhe kisi ka aana pata bhi nahi chala. Aur jab Priya ki baat sun kar dono ne pass ka najara dekha to pura pariwar wahan jama tha…. Jivisha ki najar aise jaise bhutoṅ ka basera pass me khada ho gaya ho…


Kasak, isharo me hath dikhati, dhime se apne hont hilayi…. “Le sab aa gaye, ab kah de”


Jivisha dime se apni gardan hilati, Kasak ko na me ishara ki…. “Ye tum dono ke ishare fir shuru ho gaye, waise he mera dimaġ ghuma hai upar se tum dono. Kya kiya hai tum dono ne” dono ke isharon me chal rahi baat par Priya chidti hui kahne lagi…


Kasak….. Main batati huṅ…


Jivisha…. Kuch nahi mamma, maine cockroach dekha tha… kasak tu bhi na… heee heee heee


Kasak… Koi coacroach nahi tha yahaṅ… ye to bas ye batane ke liye chillayi ki, iss ki shadi nakli hai, aur bhare ka pati ye ghar lekar aayi hai….


Kasak bina ruke ek sans me apni baat kah gayi….. Shocked, shocked, shocked…. Sab ke sab shocked ho gaye…. Jaise abhi-abhi kisi ne pure khanḍan ko “statue” kah diya ho… jo jis mudra me the, muh khole ussi mudra me khaḍe, bas apne-apne gardan ghuma kar ek dusre ko dekh rahe the….
super duper update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-23…​



Kasak bina ruke ek sans me apni baat kah gayi….. Shocked, shocked, shocked…. Sab ke sab shocked ho gaye…. Jaise abhi-abhi kisi ne pure khanḍan ko “statue” kah diya ho… jo jis mudra me the, muh khole ussi mudra me khaḍe, bas apne-apne gardan ghuma kar ek dusre ko dekh rahe the….


Himanshu….. Itna baḍa fareb, itna baḍa dhokha. Ye kya film chal rahi hai, aur hum sab kya nautanki wale haiṅ, jo bhaḍe ka pati uṭha layi. Humne tumhe support kiya, aur tumne uss ka ye sila diya. Bharosa thoḍa hai Jivisha tumne humara, bharos….


Itne me Priya, Jivisha ko ek thappaḍ lagati…. “Tumhe sharm nahi aayi aisa karte”.


Himanshu…. Koi kuch nahi bolega, sab log apne-apne kamre me jao. Tumne humara viswas toḍa hai Jivisha. Aur tum mr fraud, kitne paise ki deal hui thi Jivisha se, wo paise uṭhao aur chalte bano yahaṅ se.


Nischal…. Ram, ram uncle ji. Main bikau nahi huṅ. Chalta huṅ main…


Nischal uss ghar se nikal gaya. Uss ghar ka mahol kafi shant-shant ho gaya. Ek khamosh si raat ho jaise, jise sab aakhon me kaṭ rahe the. Jivisha ke natak se aaj tak sab hase he the, lekin pahli baar sab dil se roye the aur unka bhadosa toota tha.


Har toofan kuch der ke liye aata hai aur fir un kuch he paloṅ me bahut kuch tabah kar ke chala jata hai. Jivisha ke sath bhi aisa he kuch hua. Uss ne palaṭ kar ek baar bhi Kasak se ye nahi pucha ki uss ne sab ko sachai kyoṅ bata di. Wo sayad samjh chuki thi ki aaj na kal… kabhi na kabhi iss jhuṭh se parda uṭh jata, aur jab kabhi bhi ye parda uth’ta, aalam yahi hona tha.


Idhar Nischal uss ghar se to nikal raha tha lekin jaise-jaise wo Jivisha se dur ja raha tha, usse kuch adhurapan aur akelapan sa mehsus hone laga tha. Thik ussi prakar ka anubhaw jis prakar ke anubhaw ke sath wo prithvi par aaya tha…


"Are suno to Nischal, kahan ja rahe ho, ruko to"… Nandni usse piche se awaz lagakar rokne ki kosis karne lagi, lekin Nischal apni dhun me chala ja raha tha. Tabhi Nandni ne apni car start ki aur teji se uske aage khadi ki… car ka darwaja kholti.. "Baitho"..


Nischal:- Koi baat nahi hai Nandni, tum jao main chal jaunga.


Nandni apni ghurti najron se usse dekhti hui… "Ek baar se samjh me nahi aata kya? Chupchap baith jao"


Nischal uski baat sunkar muskurate huye baitha… "Tum kya pagal ho Nandni, yahan log alian ke bare me sunege to daurne aur bhagne lagenge, aur ek tum ho"..


Nandni:- Wo sab chhodo aur pahle mujhe ye batao tumhare hathon ka zakhm kaisa hai. Tumhari to dayen ore ki haddi, pasliyan aur na jane kya-kya damage ho gaya hoga… fir bhi tum uss din hopital se aane ke baad, sab ke sath aise khade the jaise kuch hua hi nahi.


Nischal:- Isme kaun si badi baat hai. Abhi fir waise hi kat do, 1 ghante me thik ho jaunga aur kuch dino mein pura recover. Jaise yahan bimari hai aur ilaz ke liye treatment hai, thik waise hi humare yahan bhi hai. Bahut jyada se jyada mujhe Jaal Mahal me 2 din ke liye rukna para tha, jab main gambhir rup se ghayal hua gha…


Nandni aaschrya se apni aakhen phade… "1 ghante mein hi tumhare yahan aise chot thik ho jate hain?"


Nischal:- Haan, emergency ke liye main dawa lekar chalta hun. Kyon tumhare yahan kitna waqt lagta hai?"


Nandni:- Luckey raha to jinda bach jayega warna ram nam satya hai, aur tum puch rahe ho kitna waqt lagta hai.


Nischal:- kya baat kar rahi ho. Itne ke liye mar jayega. Humare yahan kisi ko marna ho to use bus Jaal Mahal tak nahi pahunchne do, warna uski shwans bachi hai to bachna to tay hai uska…


"Utro hum pahunch gaye".. Nandni car park karti hui kahne lagi aur Nischal samne ke apartment ko dekhne laga… "Hum se kya matlab Nandu"..


Nandni, Nischal ko aage dhakelti hui kahne lagi… "Tum yahan rahoge mere sath… ab chalo"..


Nischal:- Suno to chhodo bhi. Ek anjan rahon me kahin mil gaye.. raste me milne wale ko ghar nahi laya karte.


Nandni:- Sandal nikal kar marna shuru karungi to ye sari hoshyari bhul jaoge.. ab chalo chupchap.


Dekha jaye to Nischal aur Nandni ki ye dusri hi mulakat kahi ja sakti thi, lekin Nandni ko khud bhi pata nahi tha ki wo Nichal ke liye ye sab kyon kar rahi, bus dil ne kaha aur usne dil ki suni.


Waqt bit’ta gaya, log normal huye par uss toofan ka asar sab ki zindagiyoṅ me aa chuka tha. Jivisha se sabhi log lagbhag kate-kate se rahne lage. Aur fir Himanshu ne ye tay kiya ki Jivisha ki shadi ussi ladkey se dobara karwayi jaye. Issi silsile me Himanshu ne apne dost Punaya aur uss ke bete Shresh ko kal apne ghar bulaya.


Raat ka waqt, Jivisha aur Kasak apne kamre me leti hui thi, tabhi wahan Abhinash aaya. Usne darwaza knock kiya, Jivisha darwaze par aayi aur Abhinash ko dekhti puchne lagi….. “kya hua bhaiya”


Abhinash ek tak Jivisha ko dekhta raha, aur dekhte he dekhte uss ke aanshu chhalak aaye. Apne bhai ko achanak rote dekh Jivisha ko kuch samjh me nahi aaya, wo uss ke aanshu pochhte puchne lagi… “kya hua bhai”


Abhinash….. Tu khamosh bilkul achhi nahi lagti. Jo ho gaya usse bhul ja na…


Jivisha….. Achhi he huṅ main bhaiya, aap itna senty kyoṅ ho rahe haiṅ. Maine jo kiya uss ke liye main yahi deserve karti huṅ. Jaeye aap so jaeye.


Abhinash, Jivisha ke sir par hath ferte…. “chahe kuch bhi ho jaye main tumhari haṅsi wapas lauṅga.…. Filhaal to ye shadi nahi ho sakti, aur tab tak nahi, jabtak ki tum wahi khili hui Jivisha na ho jao jaisa pahle thi. Chalta huṅ main ab.


Avinash ki bateṅ sun kar usse bhi rona aa gaya. Jivisha apne aanshu chhipati chupchap apne bistar me chali gayi. Bistar par Kasak bhi leti thi jo khamoshi se dono bhai-bahan ki bateṅ sun rahi thi. Kasak raat ko aur gahra aur andhere hone ka intzar karne lagi.


Lagbhag 2 hafte ho gaye the Nischal ko ghar chhore. Nischal aur Nandni tab se sath me he the. Nandni ko ab bhi samjh me nahi aa raha tha ki aakhir uss din ye sab hua kaise… wo baar-baar Nischal se kahti ki usse Jivisha se ek baar baat kar leni chahiye. Aur Nischal har baar ek he jawab deta…. “Main he jabardasti uss ki life me ghusa tha, ab sari bateṅ khatam hai… main bas ab wapas jana chahta huṅ”


Iss ghaṭna ke baad se Nischal ab sirf apne grah par wapas lauṭne ka soch raha tha. Raat ke takriban 2 baje honge, jab wo Puṇe ke kisi gali me bhaṭak raha tha, aur ye soch raha tha ki kaise apne device ko fir se active kar le. Jab se Jivisha uss ke life se gayi thi, jitna karib wo uss device ko active karne liye pahuncha tha, ab uss se kahin jyada dur ho chuka tha…


Nischal saḍak par chalte huye ek cane ko laaṭ marta…. “Sali apni zindgi bhi aisi he ṭhokaroṅ me hai… kabhi udhar se usne laaṭ maar kar idhar mujhe fek diya, to kabhi idhar se kisi ne laaṭ mar kar udhar fek diya”.


Nischal apne upar he hasta bas chala ja raha tha…. Na to koi khyal tha aur na he koi soch, bas raat ke andhere me chala ja raha tha… tabhi achanak unhi saḍkoṅ par usse laga ki Kasak ja rahi hai. Nischal, wo to bilkul shocked ho gaya….


Kasak bari teji se aage baḍh rahi thi sath me idhar-udhar najar bhi daura rahi thi, kahin usse koi dekh to nahi raha. Andheri galiyoṅ se hoti hui wo Shresh ke ghar pahunch gayi. Ghar me pahuṅchte he usne apne sir se hood haṭaya…..


Nischal baḍe he atihat se Kasak ka picha karte uss ghar tak pahunch chuka tha. Kisi ko bhi aabhash nahi tha ki Nischal, Kasak ka pichha karte yahaṅ tak pahunch gaya hai…. Kasak jaise he wahan pahuṅchi, usse kuch logoṅ ne gher liya.


Aapas me sab logoṅ ki kya bateṅ ho rahi thi kuch pata nahi chal raha tha. Kasak thodi der wahan ruki, sab se kuch bateṅ ki aur wapas laut gayi. Nischal ne iss baar Kasak ka picha na karte huye uss ghar ko achhe se dekhne laga…..


Jald he wo pure ghar ki janch-paṛtal karne ke baad wahan se bahar nikla aur sidha Nandni ke pass pahunch gaya. Raat ke takriban 3 baje, Nandni aaram se apne bistar me leti thi. Nischal uss ke kandhe ko hila kar jagane laga…. Nandni chaunki…. “Bhut, bhut, bhut” chillati wo uṭh kar baiṭh gayi.


Nischal…. Arre main huṅ Nischal shant ho jao….


Nandni pahle to butt ban kar Nischal ko ghuri, fir khud ki haalat ka gyan hua…. Wo apne sine ko hathoṅ se cover karti… “Gadhe, bhago yahaṅ se… tamij nahi tumhe ki raat ko kisi laḍki ke kamre aise chori se nahi aate”


Nischal….. Haaṅ ṭhik hai, waise bhi jo tum chhipa rahi ho, net par bahut khula dekha hai… aur haaṅ mujhe tum me waise bhi koi interest nahi. Lekin tum kyoṅ ye bhul jati ho ki yahaṅ koi laḍka bhi rahta hai. Aise ardh-nang ho kar to soya na karo.


Nandni…. Nischal ab chup ho jao, warna main tumhara sir phod duṅgi.


Nischal…. Achha khud ko ṭhik karo, mujhe tum se kuch jaroori baat karni hai…


Nandni…. Haaṅ bolo main sun rahi huṅ….


Nischal…. Kewal kuch kahna hota to main subah tak ruk sakta tha, kuch dikhna bhi hai…


Nandni, ghaṛi me waqt dekhti….. “Abhi, iss waqt… tumhe mujhe kuch dikhana hai. Pagal ho gaye ho, jao mujhe sone do, subah baat karenge”.


Nischal…. Haaṅ, abhi aur iss waqt tumhe chalna hai… ab chalo bhi, subah tak nahi ruk sakta.


Nandni…. Main kahin nahi jane wali, mujhe abhi sona hai, good night. Tum bhi jao.


Itna bol kar Nandni ne apne upar chadar ḍala aur aakhen band kar ke so gayi. Nischal usse teen char bar joṛ-joṛ se hilaya, par wo jarra bhi ṭas se mas nahi hui. Mahol shant ho gaya tha. Thoḍa waqt intzar karne ke Nandni chain ki sans leti chadar se muh bahar nikal kar dekhne lagi….


Dekhte he usse rone jaisa man karne laga….. Nischal ṭhik uss ke aakhon ke samne khadey ho kar balti me pani liye tha…. “Nandu aakhri baar kah raha huṅ uṭh jao warna main pani dal duṅga”


Nandni, ṭhunakti hui…. “Unnhhhhhh, hunnnnnn, hunnnnnn…. Mammiiiii”


Nischal….. Chacha, mama, fufa tau… sab raste me kar lena, ab chalo…


“Chhapaak” aur apni baat bol kar Nischal ne uss ke upar pani dal diya….”Kamina kahin ka, uth to rahi thi main, fir pani kyoṅ ḍale. Ab bahar jaoge, to na main taiyar ho kar hall me aauṅgi”


Nischal….. Party me nahi jana hai jo taiyar ho kar aaogi… jaldi se kapdey dalo aur bahar aao… 5 min se jyada waqt laga to main ander aa jauṅga….


“Ajib musibat hai” … kahti hui Nandni washroom me gayi aur Nischal bahar hall me chala aaya… 10 min ke baad Nandni bhi hall me aayi aur kafi ġussa dikhati…. “Chalo, kahaṅ marne chalna hai”


Nischal, Nandni ko le kar ussi gali me chal diya jis gali se Kasak gujri thi. Colony ke aakhri me ek baḍa sa makan tha. Nischal, Nandni ko le kar uss makan me pichhe se dakhil hone wala tha…


Nandni, fusfusati…. “Hum yahaṅ kya chori karne aaye haiṅ”


Nischal….. Shiiiiiiiiiii ! Jarra bhi awaz mat karna… yahiṅ tumhe kuch dikhana hai…


Nandni…. Ṭhik hai ander chalte haiṅ… lekin main itni uṅchi diwar kaise kuduṅgi, iss ke upar to bar bhi laga hai.


Nandni bol kar Nischal ko dekhne lagi… Nischal muskurate huye Nandni se kaha…”Tumhare urrne ka samay aa gaya hai” …. Nandni jab tak Nischal ke batoṅ ko samjh pati tab tak uss ke muh par tight rumal bandh gaya tha aur Nischal ne usse kisi ball ki tarah hawa me uchhal kar uss paar fenk diya.


Ander se Nandni chinkh aur chilla rahi thi. Khud ko jamin par girte dekh uss ki aakhen band ho gayi… aur jab aakhen khuli to wo Nischal ke gode me safely land kar chuki thi…


Nandni ki shwans chadh aayi thi, kaleja jor-jor se dharak raha tha… bina kuch soche wo Nischal ko marne lagi. Nandni chikhna to chahti thi, par Nischal ne usse apne muh ka kapḍa haṭane nahi diya. Kuch der baad jab wo normal hui to Nischal ne uss ka muh khola…


Nandni, fusfusati….. “Kaminey mera heart-aatack ho jata, tum ek masoom si laḍki ke sath aisa kaise kar sakte ho”,


Nischal…. Itihas gawah hai ki aaj tak kabhi kisi ko ladki ko heart-attack nahi hua, chaho to net par check kar lena. Chaleṅ ab concentrate kare apne kaam par…


Dono aage baḍhne lage.. Nandni…. “Bahut jyada gyan lene lage ho tum aaj kal enternet se”


Nischal, apne hathoṅ se ishara karte…. “Ab hume uss 2 manzil upar, wahan ki chhat par jana hai”…


Nandni, apna sir upar karti…. “No, no, no, Nischal tum fir se wahi karne ki sochna bhi mat. Main koi ball nahi… iss baar heart attack pakka hai”….


Nischal ne iss baar bhi kuch na suna, Nandni ke aaṅkh, muh sab bandhe.. aur jab iss baar Nischal ne Nandni ko uchhala to uṅchai 4 manzil ki thi. Upar se niche girte waqt Nandni ko aisa lag raha tha jaise wo niche ja rahi hai aur uss ke praṇ upar, lekin iss baar bhi Nandni safely land hui thi.


Bhar pet galiyaṅ, laaṭ aur baat kahne ke baad Nandni shant ho gayi aur Nischal usse siḍhiyoṅ ke raste se niche utar kar ek kabaḍ room me le gaya…. Saran si badbu, dhul miṭṭi….. “Nischal tum mujhe itna risk me dal kar yahaṅ kyoṅ laye ho.. ye kabaḍ dikhane”


Nischal, Nandni ke hotoṅ se apni ungli laga kar… “shiiiiiiii” karne laga aur hathoṅ se ishara karte kaha…. “Udhar dekho” Nischal jis ore ishara kar raha tha, uss ore dekh kar to Nandni ke hosh urr gaye… “Nischal, ye yahaṅ kya kar rahi hai”



“Nandni, yahaṅ bahut sare sawal tumhe milenge. Mujhe kuch-kuch bateṅ samjh me to aa rahi hai, lekin kuch-kuch bateṅ nahi. Kuch log aur bhi haiṅ yahaṅ par, sayad unhe tum pahchan sako. Chalo tumhe dikhata huṅ”
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:24



“Nandni, yahaṅ bahut sare sawal tumhe milenge. Mujhe kuch-kuch bateṅ samjh me to aa rahi hai, lekin kuch-kuch bateṅ nahi. Kuch log aur bhi haiṅ yahaṅ par sayad unhe tum pahchan sako. Chalo tumhe dikhata huṅ”


Uss kabaḍ room se bahar aa kar dono chupke se ek darwaze ke samne aa kar khadey ho gaye, aur Nischal isharoṅ me ander jhakne ke liye kahne laga. Nandni ne jab key-whole se uss kamre ko dekha to ander so rahe aadmi ko dekh kar kahne lagi….. “Ye ṭo Shresh hai, jiss se Jivisha ki shadi hone wali hai”


Nischal, Nandni ka kandha pakaḍ kar hilaya. Nandni mud kar puchne he wali thi ki “kya hua” tabhi Nischal ne apne hotoṅ par ungli dal kar kuch na bolne ka ishara kiya. Nandni hathoṅ ke ishare se puchne lagi “kya hua”


Nischal apne dono hathoṅ se “ṭhehar jao” ka ishara kiya aur apne bayen ore ki lobby me dekhne ke liye bola. Jab pahli baar Nandni ne dekha to usse kuch najar nahi aaya… fir jaise he Nischal ne apne sath laye ek device ki raushni wahan kiya… Nandni ko samne ek bhimkay janwar najar aane laga.


Nandni uss janwar ko dekh kar puri tarah se ghabra gayi, aur dhire-dhire apne kadam khisakti, Nischal ke pichhe ja kar chhip gayi. Nischal bhala iss janwar ko kaise bhul sakta tha, jisne kuch din pahle he uss par humla kiya tha. Uss janwar ki najar ab bhi dono par nahi pari thi. Thodi der wo janwar wahiṅ gast lagata raha, fir chala gaya.


Jab wo janwar wahan se chala gaya tab Nandni apni aṭki saseṅ bahar chhoṛti…. “Kya tha ye”


Nischal…. Ṭhik se bolo, kuch samjh me nahi aa raha.


Nandni…. Kya tha ye….


Nischal…. Kya kah rahi ho kuch samjh me he nahi aa raha…. Chalo pahle nikalte haiṅ yahaṅ se fir baat karte haiṅ.


Daraasal Nandni uss janwar ko dekh kar itna ghabra gayi thi ki uss ke halakh se aawaz he nahi nikal pa rahi thi. Do baar uss ne sawal kiye par Nischal ko kuch samjh me he nahi aaya. Ek to wo pahle se ghabrayi thi, upar se fir 2 baar usse jump karwaya Nischal ne. Dono iss elake se bahar aa chuke the aur dono he uss jagah ke bare me soch rahe the.


Nandni…. Nischal aaj main 5 baar marte-marte bachi huṅ. Main wada karti huṅ ki ab se jo bhi tum kahoge uspar main aaṅkh muṅd kar yakin kar lungi. Lekin please, aaj ke baad mujhe aise khatroṅ ke khilaḍi mat banana.


Nischal….. Sorry Nandu. Chhoro ye aur batao tum kis natije par pahuṅchi.


Nandni…. Nischal, main kuch faisla karne ki haalat me nahi huṅ. Kal subah chay par isse aaram se discuss karte haiṅ na. Waise agar tumhare pass koi plan ho to main uss me abhi sath de sakti huṅ. Par natijoṅ ke bare me main kal he baat karuṅgi.


Nischal…. Nahi, filhaal to koi plan nahi hai. Chalo ghar wapas chalte haiṅ.


Dono bas apne he dhun me alag-alag point par sochte khamosh ghar ja rahe the, tabhi car ke ander Nandni ke mobile ke screen ki light jali.


Nischal…. Nandni, tumhare mobile par lagta hai kisi ka msg aaya hai…


Nandni, drive karti hui…. “Nischal please check karo, kis ka msg hai”


Nischal phone check karta hua…. “Tumhare network provider ko subah-subah bhi chain nahi, bhakti geet mala ke paise kaṭ liye haiṅ, ussi ka massage aaya hai. Ruko-ruko, tumhare Dr ka takriban 40 miss call pare haiṅ….


Nandni…. Very funny, main to shocked se behosh ho gayi.


Nischal, Nandni ke sir par ek hath marta…. “Duffer such me call aaya tha. Call back karo, pucho to kya padesani hai. Problem me hoga tabhi to itna call kiya hai”.


Nandni ne jaise he itne sare miss calls dekhe, usne turant car side me lagayi aur call back karne lagi…. “Gadha, itne call kar raha tha, abhi main call laga rahi huṅ to pick nahi kar raha”..


Nischal…. Cool down Nandu, phone pick up kar lega…



Pahla call bekar gaya, par Nandni ne jaise he dusra call lagaya, pahle he ring par call receive ho gaya…. “Ansh kya hua, iss waqt itne sare calls”


Phone ke dusri ore se…. “Tum Nandni bol rahi ho”


Nandni…. Haaṅ ji main Nandni bol rahi huṅ. Aap kaun bol rahe haiṅ, aur aap ke pass Ansh ka phone kaise aaya.


Dusri ore se…. Main ṬI sawalker bol raha huṅ. Aap jald se jald Aundh gawn police station aa jaeye.


Nandni, haḍabaḍi me apni gaṛi dusre ore mod di, aur car Aundh gawn police station ki ore le li. Achanak se aaye iss badlaw ko dekhkar Nischal puchne laga…. “Kya kaha Ansh ne, jo tum itni padesan ho gayi”


Nandni…. Ansh nahi, ṬI se baat ho rahi thi.


Dono jald he police station bhi pahunch gaye. ṬI ne jaise he Nischal ko dekha….. “Arre tum wahi ho na”


Nischal….. Aap police wale haiṅ…


Aisa laga jaise kab ke bichhde do yaar mil rahe the. Ek baar un dono ki baten shuru ho gayi to khatam hone ka naam he nahi le rahi thi. Ek to raat ki jagi, upar se kaam jaldi khatam karne ke badle Nischal uss Ṭi ke sath panchayat karne laga….. “Annhhhh, sare pagal mere he kundli me aa kar ghar bana liye haiṅ”.


Nandni, najren ghuma kar dekhi to Ansh dubak kar ek bench par baiṭha hua tha. Nandni, Nischal aur TI ke baat ke bich ghusti….. “Nischal, yahaṅ jo karne aaye the pahle wo kar len, fir tum sir ke sath darbar karte rahna”


ṬI sawalkar, Nandni ko gaur se dekhte….. “Nischal ye jaroor tumhari gf hogi, aur wahan wo iss ka bander bhai baiṭha hai jo colony ki deewar fanḍ raha tha”.


Ansh, jo dar ke mare dubka baiṭha tha, “bhai” sabd sunkar wo bol para…. “Nahi sir main Nandni ka hone wala pati huṅ. Aur ye uss ka dost hai”


Sawalker….. Ha ha ha, tab se ye bhigi billi bana tha. Ae Sinde chhod de re Dr sahab ko. Aur Dr sahab kisi ke yahaṅ jaeye to kayde se jaeye, aise colony ki deewar fandne ki kosis karenge to padesani hogi he.


Nischal…. Sir, ab hum chaleṅ kya?


Sawalker…. Kahaṅ ja rahe ho, ab ye dono pata nahi kitne din baad mil rahe honge, jane do in love birds ko, tum baiṭho, aao 2 peg lagate haiṅ.


Nischal….. Nandni, tum ek kaam karo, tum Dr sahab ko lekar jao. Main kal milta huṅ.


Nandni…. Haaṅ aur tum yahaṅ baiṭh kar peg maroge. Subah milo batati huṅ. Chalo Ansh, ab tum yahaṅ khadey ho kar kya sun rahe ho. Tumhe bhi peg marna hai kya ?


Finally Nischal wahiṅ ruk gaya aur dono wahan se chale aaye. Nandni jab police station se nikal rahi thi, khud ki haalat par ro rahi thi. Thodi der pahle Nischal ne usse maut ke darshan karwa diye aur abhi tak wo iss twist se bahar bhi nahi aayi thi ki ab ye Ansh ka kand ho gaya…


Nandni jaise he car me baiṭhi Ansh par bhaḍakti hui usse ghurne lagi. Halaṅki dono ke bich shabdoṅ ka koi adan-prdaan nahi hua, par Nandni ne apne aakhon se sab kuch kah diya. Subah hone ko aayi thi, aur Nandni nahi chahti thi ki usse aur koi twist mile isliye chup-chap gaḍi bhaga kar apne flat me aayi aur sidha bistar pakaḍ liya.


Agle din …. Jivisha ke ghar….


Puṇya aur uss ka beta Shresh lagbhag 11 baje aane wale the. Ghar ke log taiyariyoṅ me jute huye the. Ṭhik 11 am baje dono baap-bete uss ghar me pahuṅche. Himanshu gate se unka swagat karta hall me lekar aaya. Chay, coffee ke sath baton ka daur bhi shuru ho gaya.


Puṇya…. Humari bahu kahin dikh nahi rahi. Kyoṅ Himanshu, usse tune kuch kaha to nahi.


Himanshu apne dost puṇya se sab kuch bata chuka tha. Jivisha ke bhagne se le kar uss ki nakli shadi tak.


Himanshu, ne apni bahu Nandita ko ishara kiya, aur wo Jivisha ko le aayi. Jivisha ko dekh kar, ek baar fir Puṇya bolne laga…. “Jis bachi ke chehre par muskan aur baton me shararten bhari rahti thi, usse kaise khamosh butt ki tarah bana diya. Himanshu, bache haiṅ yaar, un par aise thode na koi sasan karta hai”.


Himanshu…. Hmmmm ! Puṇya. Khair wo sab chhod, shadi ki date final kareṅ.


Puṇya…. Tu 2 min ruk Himashu. Jivisha beta, aap ko iss shadi se koi aitraz to nahi.


Sawal Jivisha se tha, lekin Puṇya ke iss sawal par 2 awaz ek sath nikli. Ek Shresh aur dusra Abhinash ke muh se, aur dono ke ek he sabd the…. “Mujhe aitraz hai”


Puṇya ne Shresh ko dekha aur Himanshu, Abhinash ko ghurne laga. Himanshu pure ġusse me aate…. “Aitraz hai to apne kamre me chale jao”


Puṇya…. O’ Himanshu tu faltu ka ġussa dikhana band kar. Mere bete ko bhi aitraz hai to kya usse bhi bhaga dega.


Himanshu…. Haaṅ usse bhi bhaga duṅga. Usse kya lagta hai ki wo ab Jivisha se shadi nahi karega to main koi laḍka dhuṅdh paunga.


Priya, wahiṅ pass me he baiṭhi thi. Apne pati ko wo shant rahne ke liye kah rahi thi. Lekin Himanshu par to jaise bhut sawar tha. Iss chakkar me Priya ko bhi dant par gayi….


“Tum shant raho Priya. Mujhe iss topic par koi bahas nahi karni. Hum, bachon ke chain se sone ke liye khud ki nind haram kar lete haiṅ, aur ye bache kya karte haiṅ. Kuch jo hote haiṅ wo apne baap ke muh par kalikh pot kar apne pyar ke naam par bhag jate haiṅ to kuch uss se bhi aage nikal jate haiṅ aur humare sir par ek aise ladkey ko biṭha dete haiṅ jo bhaḍe par shadi nibhane aaya ho. Sala hum he gadhe haiṅ jo in bachon ki sunte haiṅ aur bachon ke liye marte haiṅ. Pahli baar iss laḍki ne mujhe ye ehsas karwaya ki kyoṅ humare samaj me laḍki ke paida hone par afsos karte haiṅ”.


“Tu to baḍa sanskari hai na, jo Jivisha ke shadi ki baat dobara kar raha hai aur dono baar apne baḍe bhai ko iktalla karne ki bhi kosis nahi kiya”…. Garam mahol me darwaze se Jivisha ke baḍe papa ki awaz gunjne lagi. Himanshu apne baḍe bhai ki baat sun kar shant ho gaya.


Himanshu….. Bhaiya aap nahi jante ki iss laḍki ne…


Himanshu ke baḍe bhai Shudhanshu ne usse bich me he ṭokte….. “Naam bhul gaya kya meri bachi ka, jo “iss laḍki, iss laḍki” kar raha hai. Aur haaṅ ek baat yaad rahe, meri beṭiyoṅ ko mera sah mila hai, isliye yadi us se koi bhul hoti hai to uss ki puri ġalti ki jimmedari meri hogi. Ab tu jarra shant rah aur mamla mujhe samajhne de”


Shudhanshu ke entry ne to puri kahani he palaṭ diya. Himanshu jo ab tak sher bana tha, apne baḍe bhai ke aate he bilkul khamosh ho gaya. Shudhanshu wahan sab ko sun’ne ke baad…. “Haaṅ hone wale jamai ji, bataeye aap ko kya aitraz hai”


Shresh…. “Uncle, mujhe shadi se koi aitraz nahi hai, lekin aise khamosh khadi Jivisha se main nahi shadi karuṅga. Jivisha ke sapne mujhe pata hai… aur jab tak main uss ke sapne ka Rajkumar ban kar nahi dikhata tab tak main ye shadi nahi karuṅga.


“Maine tab bhi Himanshu uncle se wada kiya tha jab Jivisha shadi chhod kar gayi thi. Lekin baad me pata chala ki Jivisha ne shadi kar li. Ye sun kar khud ke liye thoḍa dukh hua tha, lekin Jivisha ke liye khush tha ki usse apne sapno ka Rajkumar mil gaya. Main to sab kuch bhul kar apne kaam me laga tha, lekin ek baar fir bhagwan ne mujhe mauka de he diya. Ab main pahle Jivisha ko uska sapna duṅga, fir shadi karuṅga”.
superb update
 

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-25


Shresh…. Uncle, mujhe shadi se koi aitraz nahi hai, lekin aise khamosh khadi Jivisha se main nahi shadi karuṅga. Jivisha ke sapne mujhe pata hai… aur jab tak main uss ke sapne ka Rajkumar ban kar nahi dikhata tab tak main ye shadi nahi karuṅga.


“Maine tab bhi Himanshu uncle se wada kiya tha jab Jivisha shadi chhod kar gayi thi. Lekin baad me pata chala ki Jivisha ne shadi kar li. Ye sun kar khud ke liye thoḍa dukh hua tha, lekin Jivisha ke liye khush tha ki usse apne sapno ka Rajkumar mil gaya. Main to sab kuch bhul kar apne kaam me laga tha, lekin ek baar fir bhagwan ne mujhe mauka de he diya. Ab main pahle Jivisha ko uska sapna duṅga, fir shadi karuṅga”.


Shresh ki baten jaise bhramit kar rahi ho. Sab log uss ki baat ko sun kar ander se jaise “wahhhh” kar rahe ho. Sudhanshu ne fir Abhinash se pucha ki usse kya aitraz hai. Abhinash muskurate huye kaha… “jo bhi abhi Shresh ji ne kaha, yadi wo waisa he karte haiṅ to mujhe koi aitraz nahi”


Abhinash ko sun’ne ke baad Sudhanshu ne wahiṅ par meeting ko viram lagaya. Shresh ke faisle par jahaṅ sab khush the wahiṅ Jivisha ka koi reaction nahi tha. Na to wo khushi izhar kar rahi thi, aur na he usse koi dukh tha. Jaise he usse pata chala meeting khatam hui, waise he wo apne kamre me chali aayi.


Jivisha ke kamre me Chirag pahle se baiṭha tha, jo uss me aaye badlaw se kafi hatas tha. Ab uss ki bua usse pahle ki tarah baat nahi karti thi. Chirag, Jivisha ke gode me apna sir dal kar khamosh let gaya. Jivisha uske baloṅ me uṅgaliyaṅ dal kar chhat ko dekhne lagi. Na to Jivisha, Chirag ke ore dekhi aur na he Chirag ne kuch kaha par wo Jivisha ko samajhne ki kosis kar raha tha.


Idhar Nandni ke flat me….


Raat ke huye bhishaṇ wardat ke baad Nandni ghoḍe bech kar so rahi thi. Din ke takriban 2 baj rahe honge jab Nischal flat me pahuncha. Jab wo anḍer ghusa to Jivisha ka koi pata nahi tha aur Ansh wahiṅ hall me baiṭh kar gane sun raha tha…


Nischal, Ansh ke pass pahunch kar…. “Aur Dr sahab kaise haiṅ”


Ansh…. Main baḍhiya huṅ, aur aap…


Nischal…. Mujhe kya hoga, main to mast huṅ. Aap ki gf kahaṅ hai…


Ansh…. Wo ab tak so rahi hai…


Nischal…. To jaeye aap usse uṭhaiye, yahaṅ akele kyoṅ baiṭhe haiṅ…


Ansh…. Nahi rahne dijiye. Raat ko mere wajah se usse jagna para tha. Puri kar lene dijiye usse nind.


Nischal…. Police station se lauṭne ke baad tum dono ke bich jhagṛa hua kya?


Ansh, fiki muksaan hasta….. “Jhagṛa bhi karti to thoḍi khushi milti. Mujhe lagta ki kuch to parwah hai usse, lekin wo to bina kuch kahe he so gayi”.


Ansh ke chehre par aayi iss halki si mayusi, aur uss ke baat ki gahrai ko samajhte huye…. “Ansh bhai, raat ko sayad usse nind lagi thi, issi wajah se wo so gayi”.


Ansh…. Nischal bas 2 min jaag kar mujh se sirf…. Khair haṭao ye sab. Jo uss ke karam hai wo wo kare. Main to apna karam nibhauṅga. Waise tum uss raat hospital se rahsmayi tarike se bhage, kyoṅ ? Ab mile ho to batao, aisa kya istamal kiya tha ki utna gahra ghaw jo mahino me recover nahi hote wo miṇṭo me ho gaye.


Nischal, joṛ se haste…. Dr sahab, aap science ke student hokar, illusion ko nahi samjh paye. Suniye, maine ek fake ghaw banaya, aur illusion ke tahat usse bharte huye dikhaya.


Ansh…. You mean, ki tum jadu try kar rahe the. Bakwas main nahi manta kisi illusion ko. Tum mujhe bewakoof nahi bana sakte.



Nischal…. Lo, ab aap ko yakin nahi. Achha ṭhik hai, main abhi aap ke pass baiṭha huṅ na..


Ansh… Haaaann !


Nischal…. Ṭhik hai apni najar Nandni ke kamre par daliye…


Ansh, Nandni ke kamre ki ore sir ghumate… “uss se kyaaaaa”…. Aur Nischal usse Nandni ke kamre ke pass khada dikh gaya. Turant palak jhapak kar wo apne pass dekha… aur pass me baiṭhe Nischal ko badi hairani se dekhne laga…


Ansh…. Magar ye kaise kiya tum ne….


Nischal…. Bola tha na illusion Dr sahab, illusion. Ab yakin ho gaya na ki main jadu bhi kar sakta huṅ.


Ansh…. Haa yakin ho gaya….


“Raat ko sone nahi dete, din ko kaayynnn, kaaayynnn kar rahe ho dono hall me, bhago yahaṅ se warna main dono ka khun kar duṅgi”


Nischal…. Natije ke bare me bhul gayi kya (raat ki baat yaad dilaya pahle). Waise bhi subah ke 5 baje se jo soyi hogi, abhi din ke 2 baj rahe haiṅ. Chupchap jag jao.. warna mujhe achhe se jagana aata hai.


Ansh…. Mujhe bhi sikhao, kaise achhe se jagate haiṅ….


Nandni…. Nischal usse sikhana baad me, aaj tumhara turn hai… jab tak main fresh ho kar aati huṅ, nasta taiyar milna chahiye.


Nischal…. “Tum jao ready ho kar aao, tab tak main sab vaywastha banata huṅ ”… aur Nandni ke jate he…. “Dr sahab, yaar kuch bahar se he mangwa do mera khana banane ka mood nahi”


Ansh…. Waise tumhare turn se matlab, tum bhi yahaṅ rahte ho kya??…


Nischal…. Rahta nahi jabardasti laya gaya huṅ. Tumhari madam ko bhi jadu sikhna hai isliye usne mujhe yahaṅ bandi bana rakha hai.


Ansh ne bahar se he khane ka order de diya aur dono ki baten chalti he rahi. Idhar tabtak Nandni bhi naha-dho kar ready ho kar aa chuki thi, aur aate he sab se pahle khane par toot pari. Khana khatam hote he Nischal apni baat kahne laga. Tabhi Nandni ne usse rok kar Ansh ki ore ishara ki….


Ansh…. Kya Nandu, main kuch samjha nahi…


Nandni…. Kya se matlab… yuṅ achanak bina bataye raat ko aana… meri jasusi karne aaye the kya kal ??…


Ansh… Nahi main to surprise dena chahta tha, lekin watchman ne mujhe ander he aane nahi diya. Fir maine tumhe kai call lagaye par tum ne respond he nahi kiya…


Nandni…. Ansh, baby ye sab karne ki kya jaroorat hai. Mujhe surprise karne ke chakkar me jail ke chakkar to lag gaye na. Jante ho kitna ghabra gayi thi main.


Ansh… Sorry Nandu…


Nandni…. Waise Ansh tum yahaṅ apna hospital chhod kar mujh se milne aaye.


Ansh…. Pahle aisa he socha tha. Fir laga ki 1,2 din tum se mil kar wapas jauṅga to bhi wahan man nahi lagega. Isliye jab tak tum yahaṅ ho main bhi yahan government research lab me apne adhure assignment ko pura kar lunga, aur thoda waqt appolo walon ne le liya...

Nandni apni aakhen dikhati… Oye gold madelist bahenbaji haan. Ye kyon nahi kahte ki wapas se reasearch me dilchaspi shuru ho gayi hai.

Ansh:- Reaserch hi to karne aaya hun, lekin apni Nandni par.


Nandni, Ansh ke gale lagti…. “Love you Ansh”


Ansh…. Love you too Nandu. Ohk tum dono baten karo main hospital se ho kar aata huṅ.


Nandni…. Oye Dr sahab, yahaṅ to mere liye waqt rahega na….


Ansh… Yadi emergency case ko chhod de to, mere pass koi kaam he nahi, bas waqt he waqt hai tumhare liye…


Nandni…. Ṭhik hai baby, meri car lete jao. Raat ko jaldi aana, main tumhara khane par intzar karuṅgi.


Ansh “c u latter” bolta wahan se chala gaya. Ansh ke jate he Nischal, Nandni ko hairani se dekhne laga. Nischal ko apni ore aise dekhte Nandni samjh gayi ki Nischal ke man me kya chal raha hai….


Nandni…. Main janti huṅ tum kya soch rahe ho. Aur dekha jaye to tum sahi he soch rahe ho, mujhe ander se jarra bhi feel nahi hota Ansh ko lekar. Lekin kya meri he feeling sab kuch hai. Bhale main uss ke pyar ko feel na kar sakuṅ, lekin uss ehsaas ko feel jaroor kar sakti huṅ…. Jab ander se ye mehsus ho ki jin se hum pyar karte haiṅ, ussi ko humari kadar nahi.


Nischal…. Tum sab ke emotions ka khyal rakhti ho Nandu. You are great. Waise tumhara ye saddy face bilkul saḍu sa lagta hai, isliye face par smile lao taki hum kal raat ke bare me kuch baat kar le.


Nandni…. Haaṅ bolo, main sun rahi huṅ….


Nischal…. Nandni mujhe lagta hai Indore me jin logoṅ ne mujh par humla karwaya tha un sab ka saragna wo Shresh he hai. Ek Kasak uss ke ghar me quid hai aur dusri Kasak, Jivisha ke ghar me.. tumhe samjh me aaya mamla kya hai…


Nandni:- Nahi, bahut confusion hai Nischal, upar se wo jaanwar. Nischal wo mujhe kyon nahi dikha? Jo bhi tha mujhe to usme apni maut dikh rahi thi.


Nischal:- Fikr mat karo, jabtak main hun tumhe darne ki koi jaroorat nahi.


Nandni:- Achha !!! Tumhe jab wo chir raha tha tab to kuch kar nahi paye aur mujh jaisi masoom ke pass sekhi baghar rahe…


Nischal:- Are us raat ki baat alag thi. Ab mere gode me Jivisha thi aur meri najar uske upar se hat nahi rahi thi. Isliye main khatre ko bhanp nahi paya. Waise bhi mujhe kya pata ki yahan pahle se koi alian tum logon ke life me hai.


Nandni, chaunkti hui…. "Alian, to kya wo log bhi alian hai. Nischal ke bache ye sab tumhara kiya dhara hai".


Nischal:- kya ??????


Nandni:- Muh fad kar chaunk kyon gaye. Tum yahan aaye, tumhare piche tumhare wo dushman bhi aaye. Us raat tumhe marne ki kosis kiye, lekin tum bach gaye. Fir un logon ne socha hoga ki tumhe marne se acha hai ki tumhe trap karke wapas le jaye isliye wo log ab Jisa ke piche pare hain. Hey bhagwan.. tum se milna uske liye pran ghatak sabit ho gaya.


Nischal uske sar par ek hath marte huye…. "Kya kamal ki conspiracy theory hai, jaroor kisi film se ye idea mila hoga"


Nandni proud type feel karti … "Yess baby, dekha na jhat se case solve kar liya aur sare natija tumhare samne hai."


Nischal, Nandni ki baat sukar uske sar ko pakar kar niche table se takra diya…. Nandni apna sar pakad kar "aao" karti use ghuri aur khane ki table par pare plate ko de mari Nischal ke sar par. Wo gusse me dusra aur teesra sari plate uspar fekne lagi.


Nischal:- Are ruk pagal alian hun iron man nahi. Chot lag rahi hai Nandu.. ruk na.. pagal.


Nandni:- dobara aisa kiya na to ye chaku ghused dungi ander.


Nischal:- Bussssssssss… shant aur dhyan se suno..


Nandni:- Haan bol..


Nischal:- Main alag hun, wo alag alian hai. Upar se wo ladka jo Jivisha se shadi karna chahta hai wo bhi yahan pahle se hai. Iska matlab saaf hai ki wo log mujh se pahle yahan aaye hain.


Nandni:- Oh matlab tumhe yahan humari kismat khinch layi hai. Bahagwan ne socha ki itni masoom ladkiyon ka kya hoga, isliye humari raksha ke liye tumhe behja hai.


Nischal:- 2 min shant rahegi. Bakwas kiye ja rahi hai. Inki harkaton se ek baat to samjh me aa gayi hai ki inka mukhya target Jivisha hai aur Jivisha par najar rakhne ke liye asli Kasak ko nakli se badal diye hain…


Nandni…. Bhagwan jane ki unhone humshakal kaise banaye. Par maksad saaf hai ki unka ek aadmi Jivisha ke bilkul karib rahe. Tum kya sochne lage Nischal.


Nischal…. In logoṅ ki kahani to samjh me aa gayi, lekin ek baat samjh me nahi aayi ki aakhir ye log Jivisha se chahte kya haiṅ. Kyonki ye itne to saksham hai ki sab ke bich se Jivisha ko uṭha kar le jaye aur koi kuch kar bhi nahi sakta hai… fir ye log aakhir itni planning kyoṅ kar rahe haiṅ.
good update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-26



Nandni…. Bhagwan jane ki unhone humshakal kaise banaye. Par maksad saaf hai ki unka ek aadmi Jivisha ke bilkul karib rahe. Tum kya sochne lage Nischal.


Nischal…. In logoṅ ki kahani to samjh me aa gayi, lekin ek baat samjh me nahi aayi ki aakhir ye log Jivisha se chahte kya haiṅ. Kyonki ye itne to saksham hai ki sab ke bich se Jivisha ko uṭha kar le jaye aur koi kuch kar bhi nahi sakta hai… fir ye log aakhir itni planning kyoṅ kar rahe haiṅ.


Nandni…. To hume sabse pahle unke maksad ka pata lagana hoga. Kuch socho Nischal, kuch socho.. tumhara pyar khatre me hai.


Nischal…. Chup kar, kaam nikalwane ke liye dobara ye word use kiya to main bhag jauṅga.


Nandni…. Nischal dekh ṭo teri aur Jivisha ki kundli bhi kitni milti hai, tu bhi bhagoḍa, wo bhi bhagodi. Dono ek ho gaye to bhagte he rahoge.


Nischal…. Bakwas ho gayi tumhari….


Nandni….. Karela kha kar paida hua tha kya jo kaḍwa he bolta hai. Haaṅ ho gaya mera, par please tu kisi tarah Jivisha ko in sari musibatoṅ se nikal na. Un logoṅ ko to pata bhi nahi iss Shresh kaminey ki asaliyat.


Nischal…. Aur pata chalna bhi nahi chahiye. Warna raat ke andhere me wo janwar aayega, aur aage se apna punchh ghusa kar pichhe tak fad dega. Hume ek khabri ki jaroorat hai jo hum tak jaroori information de sake.


Nandni…. Uss se kya fayda hoga..


Nischal…. Fayda ye hoga, ki hum aage ka plan kar ke un alians ko trap kar sakte haiṅ.


Nandni…. To uss ke liye khabri ki kya jaroorat hai. Main Jivisha se he har baat puch liya karungi na.


Nischal…. Duffer kahin ki. Jivisha ke har movement par to unki najar hogi. Hume koi aur chahiye.


Nischal…. Idea, kyoṅ na hum Chirag beṭu se mile. Usse agar jhasan me le liya to wo apna pakka khabri banega.


Nischal…. Great idea. To ye sahabjaḍe kab milenge, jarra pata to karna.


Nandni…. 3:20 Pm par uss ke school ki chuṭti hogi… chalo chalte haiṅ. Aaj he usse apne jhasen me lete haiṅ.


Nischal ne bhi hami bhar diya aur dono Chirag ke school nikal gaye. Jab school ki chuṭti hui aur Chirag ko ye log dhuṅdh rahe the, tab Chirag bhi ek rashmayi laḍka ban kar inke samne aaya.


Nischal ne bhi hami bhar diya aur dono Chirag ke school nikal gaye. Lekin jab school ki chuṭti hui aur Chirag ko ye log dhuṅdh rahe the, tab Chirag bhi ek rashmayi laḍka ban kar inke samne aaya.



Puri class nikal aayi, lekin in dono ne Chirag ko nikalte nahi dekha. Tabhi Nandni ko “hi didi” kahta ek laḍka wahan se gujra. Nandni ko achanak yaad aaya, ye to Chirag ka dost hai. Nandni usse rokti… “Ae, ae, ae… sun sun”


Uss ladkey ne aage baḍh kar datoṅ tale aise jibh dabayi, mano uss se koi bhul ho gayi ho…. “Haaṅ didi”


Nandni….. Ye Chirag kahaṅ hai, pura school bahar aa gaya, wo abhi tak nahi aaya.


Laḍka…. Mujhe kya pata didi. Main dusre section me huṅ aur wo dusre section me. Ok, bye didi meri bus aa gayi hai.


Nischal….. Chirag ki mammi hospital me hai, ab jaldi batao kahaṅ hai wo.


Laḍka….. Mere bhi papa hospital me haiṅ. Mujhe bhi jaldi jana hai.. ok, bye.


Nandni…. Nischal, ye jaroor kuch hum se chhipa raha hai. Baḍa chalu banta hai. Le kar chalo isse.


Nischal ne badi safai se uss ladkey ko kidnap kar ke car me le aaya. Aur dobara uss se Chirag ka pata puchne lage. Lekin kai baar puchne ke baad bhi wo kahta raha… “main nahi janta”


Nischal…. Nandni, ye aise nahi manega. Lagta hai isse torture karna he paṛega.

Laḍka…. Sir ji bhale he aap mujhe maar dalo, lekin mujh se kuch ugalwa nahi sakte.


“Teri to” kahte huye Nischal aur Nandni dono ne apni uṅgaliyaṅ uss ke pet aur gardan ke aas-pass laga kar gudagudi karne lagi… aur anth me uss ne sare raaj ugal diye. Chirag to aaj school aaya he nahi, wo to school se guṭhali maar kar gf ghumane gaya tha.


Uss ladke ki baat sun kar Nischal aur Nandni ek dusre ka muh dekhte…. “Itni si umaṛ me he”… teeno he fir Chirag ki talash me nikle. Jyada mehnat nahi karni pari, dono he ek cafeteria me baiṭhe, hathoṅ me hath dal kar baten kar rahe the.


Nischal…. Wo raha Chirag, chalo chalte haiṅ…


Nandni, shararti muskaan apne chehre par lati…. “Nischal, jarra in piḍdiyon ki love story hum bhi to sune. Jao jarra apna jasusi mobile un ke table ke niche laga kar aao”


Laḍka…. Do premiyoṅ ki chhip kar baten sun’na ġalat hai.


Nandni…. Iss ladkey ka naak chhod kar baki ka chehra ḍhako….


Nischal pahle uss ladkey ko pack kiya, fir hawa ki tarah gaya aur uss ke table ke niche mobile laga kar aa gaya. Nischal aur Nandni ab dusre mobile me apna kaan lagaye, aur samne se dono ka aakhon dekha visuals mil raha tha…..


Chirag ke kandhe se sir tikaye, uss ki gf kahne lagi…. “Chirag, baby aisa kab tak chalega. In baḍe logoṅ ke chakkar me humari love life barbaad ho rahi hai”


Chirag…. Sakshi, itne tension se to achha hai ki hum kahin bhag jaye.


Sakshi…. Haaṅ chalo yahiṅ se bhag chalte haiṅ. Ye ghar wale humare masoom pyar ko kabhi nahi samjhenge.


Chirag….. Ṭhik hai Sakshi chalo bhagte haiṅ.


Sakshi…. Ruko to Chirag. Main school dress me huṅ, koi make up bhi nahi kiya. Track suit bhi na pahne aur na he paun me sport shoe haiṅ. Hum bhagenge kaise?


Chirag, Sakshi ko kiss karta…. Good point Sakshi. Tum kitni samjhdar ho. Kal hum track suit aur sport shoe alag se le kar aayenge, fir bhagte haiṅ…


Dono fir apne-apne mukke bhiḍate….. “done …. done”


Hairani ke sath-sath Nischal aur Nandni, dono ki baat par hans bhi rahe the. Dono ko jab laga ki Chirag aur Sakshi ab yahaṅ se uth kar bhagne wale haiṅ, tab Chirag ke dost ko sath le kar Nischal aur Nandni unke pass pahunch gaye.


Un logoṅ ko apne samne dekh Chirag unhe ghurte huye khada ho gaya. Chirag ko khadey hote dekh, Sakshi bhi khadi ho gayi…. “Kaun hai ye Chirag”


Chirag…. Humare pyar ke dushman aa gaye Sakshi, tum jarra bhi mat ghabrana, main tumhare liye har mushkil ko khatam kar ke aauṅga. Kuch hote haiṅ aise vibhishaṇ jo hum jaise chahne waloṅ ki khushi nahi dekh sakte.


Laḍka….. Chirag, meri koi ġalti nahi. Yadi mujhe marte-marte mar bhi ḍalte to bhi main apna muh nahi kholta. Par inhone mujhe bhar pet gudagudi kiya hai… main kya karta….


Chirag….. Baat chahe jo bhi thi Parag, lekin aaj ke baad humari dosi me darar aa gayi.


Sakshi…. Tum hume maar bhi dalo to bhi lahoo ke aakhri katre se yahi aawaz aayegi…. “I love Chirag”


Nandni…. Dono ab ek sabd bhi bole to khinch kar ek rafta lagauṅgi, pyar ka bhoot abhi utar jayega. Chupchap baiṭho apni jagah par. Ṭhik se khada hona aata nahi, aur ye ghar chhod kar bhagenge. Ek dum chup ek jarra awaz nahi.


Nandni jaise he garji, teeno ke teeno shant ho kar chupchap chair par baiṭh gaye. Nandni teeno se puchti…. “Kuch khaoge tum log”


Teeno ne menu card se dekh kar apna-apna order de kar fir se shant baiṭh gaye. Nischal Chirag ko dekh kar haste huye kahne laga…. “Tum bilkul apne bua ki parchhayi ho. Sahi ja rahe ho”



Chirag…. Kam se kam aap ki tarah to nahi huṅ na, jisne meri didi se uss ki haṅsi chhin li.


Nandni…. Kya hua Jivisha ko, wo ṭhik to hai na.


Chirag…. Bilkul ṭhik nahi hai. Pura din khamosh aur apne kamre me pari rahti haiṅ. Aur to aur wo Shresh bhi dobara shadi karne aa gaya. Kahta hai pahle meri di ka dil jitega fir un se shadi karega.


Nischal…. Beta Chirag, tum aur Sakshi ek dusre se pyar karte ho.


Chirag… Haaṅ fufa ji, hum dono ek dusre se bahut pyar karte haiṅ. Lekin jab se di ka haal dekha hai hume dar hai ki kahin hum pyar karne waloṅ ko bhi ye jalim duniya alag na kar de.


Nandni…. Tum dono ko koi alag nahi kar sakta ye mera wada hai. Lekin Chirag tum yadi bhag jaoge to tumhari di ka kya hoga wo nahi socha. Wo to bechari akeli he ho jayengi, aur unke dushman jit jayenge.


Chirag…. Hooooo, ye to maine socha he nahi. Fir ab main kya karuṅ.


Nandni…. Chirag tumhe humara intelligence officer ban’na hai. Humare har dushman par kaḍi najar rakhni hai aur koi bhi doubtful activity ho to turant hume batana hai.


Chirag…. Nandni Di, deal done. Aap mujhe dushman ki list do, main aap ko puri information duṅga.


Nandni ne fir ek-ek kar ke pure pariwar ko he dushman ke suchi me dal di, aur sath he sath Shresh ko bhi. Chirag ab sab ki jausi karne ke liye taiyar ho gaya. Nandni aur Nischal ne aakhirkar Chirag ko apni ore mila he liya. Sabha samapti ke waqt…. Jab sab uth kar khadey huye jane le liye…


Chirag, Sakshi se…. Sakshi paun chhu lo in dono ke. Aaj se yahi dono humare godfather aur godmother haiṅ, humari pyar ki nayya ko yahi paar lagayenge. Chirag itna kah kar khud dono ke kadmoṅ me gir gaya aur uss ke sath-sath Sakshi bhi unke kadmoṅ me gir gayi.


Dono ke natak ko dekhkar Nischal aur Nandni dono hanste huye kahne lage…. "Ye pakka Jivisha ki parchhayi hai".. wahan se Nischal ne Nandni ko wapas flat bhej diya aur kuch sochkar wahin school ke pass khada raha.



Subah ke samay… Jivisha ke ghar…


Chahakne wali Jivisha puri tarah khamosh ho gayi thi, aisa lag raha tha jaise achanak se uski shararten kisi ne chhin li ho aur usme gambhir ladki ki aatma dal di hon. Bina uthaye na uthne wali Jivisha subah-subah uth chuki thi, aur ghar ke kuch kamo me apni maa aur bhabhi ka hath bata rahi thi.


Priya aise usse kaam karte huye dekhkar kahne lagi…. "Agar aise sanskar suru se tere ander aaye hote to tumhare karan hume sabke samne aise sharminda nahi hona parta. Fir bhi koi baat nahi, der aaye durust aaye. Ab koi aur galti mat karna."


Jivisha fiki si muskan dikhati.. "ji maa" .. kahkar apna kaam karne lagi. Wahan par Nandita bhi kaam kar rahi thi, usne jab Priya ki baten suni to usse bilkul bhi acha nahi laga. Nandita jab shadi karke aayi thi, tab Jivisha kafi chhoti thi, bilkul Chirag jitni, shuru se Jivisha, Nandita ke liye bachi hi rahi thi.


Nandita:- Jisa, ye kaam chhod, main kar lungi.. tum jao Chirag ko taiyar kar dena ..


Jivisha kaam chhodkar Chirag ko taiyar karne nikal gayi. Chirag ab tak soya hua tha, jaise hi uski aankh khuli aur Jivisha ko apne samne dekha, wo Jivisha se lipat kar usse jodon se bhinch liya…. "Didi, aap mujh se ab pyar nahi karti na"..
awesome update
 
Top