• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-37



Khair Nischal ko iss hasi se koi fark nahi pad raha tha kyonki uske aakhon ke samne jo chal raha tha wo uss ke dil me chhed kiye ja raha tha. Samne ke chair par baith kar, wo bhi kafi close ho kar Jivisha aur Kuṇal baten kar rahe the.


Evening time… Apini ke ghar…


Kal raat ke huye hadse ke baad sabhi aaj mil rahe the. Jahaṅ pariṇam ko le kar Ruki aur Suko pahle se sunishchit the, wahiṅ Josefer ko bhi akal aa ġayi thi. Lekin aaj ki iss baiṭhak me ye tay nahi hona tha ki Nischal ki taqat kya hai, balki aaj ye tay hona tha ki, Nischal ko parajit kaise kiya jaye…..


Ruki…. Josefer ab sayad tumhe chiḍh nahi honi chahiye, yadi hum Nischal ke baḍe me kuch kahe to.


Tanisha…. Mujhe to lagta hai ye bhi ab tum dono ki tarah uss ka fan na ban gaya ho. Dushman se haar kar aa gaya…. Aur najren hain iski apne rajya ke kisi ek sima ka senapati ban’ne par.


Josefer, ġusse se uska gala dabochte…. “Shant ho jao”


Apini…. Josefer, Tanisha ko chhodo, chhodo usse. Aur Tanisha ab tum koi bakwas nahi karogi.


Suko…. Apne ġusse par kabu pana sikho Josefer, warna tumhara ġussa kisi ke liye nahi achha hoga. Ab agar tum sab kal ki ussi baat ko discuss karna chahte ho, jiska pariṇam hum pahle se bata chuke the, to tumhari marji hai. Ya fir hum aage ki baton par najar dal le.


Apini…. Tum kaho, hum sab sun rahe hain.


Suko…. Apini tumhara kaam kabil-e-tarif tha. Kuṇal ko kya plot kiya hai tumne. Bilkul tir nishane par baiṭha hai.


Apini…. Apne shikar ko kaise fasana hai, wo main achhi tarah se janta huṅ Suko. Aur Malkia to aisi shikar hai, jis par hum ne research kiya hai.


Suko….. Achhi baaṭ hai. College me tum plot ho gaye. Josefer kya tum wada karte ho ki apne ġusse par kabu kar sako, to tum Jivisha ke ghar wahan ka pet ban kar ja sakte ho.


Josefer….. Haaṅ main wada karta huṅ, main khud par kabu karuṅga. Aur apni haar ke baad main Apini ko apna malik ghoshit karta huṅ. Ab se wo mujhe hukum dega aur main uss ke kahe anusar karta jauṅga.


Apini…. Sukriya Josefer, lekin tum mere dost he achhe ho. Suno Kasak ko chhote pappi se bahut pyar hai, aur kal he tumhe uss ghar me tumhe pappi ban kar ghusna hoga.


Suko….. Ek baar tum uss ghar me ghus jao, fir hum batayenge ki aage kya karna hai. Apini tum Jivisha ke aur karib pahuṅcho. Kaise ye sayad tum behatar tarike se jante ho.


Apini….. Haaṅ ṭhik hai, main janta huṅ Jivisha ke aur karib kaise pahuncha jaye.


Aage ki raṇniti tay karne ke baad, Tanisha aur Apini dono ek bar fir nikal gaye apne kal ke adhure kaam ko pura karne aur apne shikar ko ḍhuṅḍhne ke liye. Idhar Nischal ki sam kuch boaring si chal rahi thi. Nandni, Ansh ke sath ghumne nikal gayi aur Nischal ko man nahi lag raha tha….. “kya karuṅ pahle to kabhi itna boar feel nahi hua, chalo reference ke liye kuch movie he dekh leta huṅ”


Nischal apni boriyat miṭane baith gaya tv ke samne. Aaj to movie bhi boaring lag rahi thi aur rah-rah kar aakhon ke samne Kuṇal aur Jivisha ke close up tasveer samne aa jati. Fir bhi kisi tarah man ko mare bechara wo aage badha-badha kar movie dekh raha tha…..


“Idea” … dimaġ ki batti jali ho jaise, wo jhaṭpaṭ taiyar hua aur sab se najren bachate pahunch gaya apne sasural. Apne sasural me ja kar wo sidha Jivisha ke kamre gaya, jahaṅ Jivisha palang par baithi kuch paḍh rahi thi. Wo padhne me itna vyast thi ki Nischal uss ka dhyan apni ore khinchna chahta tha, lekin wo thi ki dhyan he nahi de rahi thi. Itne me darwaje se Kasak ko aate dekh Nischal chhip gaya…..


Kasak…. Oh my god, Jivi tu aur kitab….


Jivisha…. Haaṅ main aur kitab, kyoṅ mujhe kitab nahi paḍhna chahiye kya ?


Kasak…. Haaṅ paḍhna to chahiye, par tumhe nahi lagta ki exam se pahle kitab ko chhuna kuch ajib hai.


Jivisha…. Aaj to mujhe padhne me maza aa raha hai. Janti hai, Kuṇal na bahut he smart hai, uss ne mujhe sikhaya ki kitab kaise paḍhna chahiye. Aur dekh mujhe aaj maza aa raha hai padhne me.


“Sala yahaṅ bhi Kuṇal, pata na ek he mulakat me kaun sa jadu kar diya hai. Main uss ka khun pi jauṅga”… Nischal ġusse me lal pila hote khud se he kahne laga,


Kasak…. Ye Kuṇal wahi na, jo tere sath canteen me tha.


Jivisha…. Haaṅ wahi…


Kasak…. Kya baat hai, bilkul sahi ja rahi hai. Waise tum dono kafi close dikh rahe the aaj, kahin love at first meet to nahi ho gaya.


Jivisha…. Kasak tu bhi na, tere dimaġ me kachra bhaḍa hai aur kuch nahi. Wo funny hai, first meet me main impress hui uss se, to hans kar baat kar li. Iss ka matlab ye nahi ki tu kuch bhi bole….


“Oh my sweetheart, tumhare dil me to main rahuṅga, to fir wo kamina kaise tum se pyar kar sakta hai. Bilkul sahi jawab, aise he rahna tum”….. Aahhh, Nischal ko jaise rahat mili ho. Wo aakhen band kar ke hasin sapne dekhne laga.


Kasak…. Ohhh !!! Matlab ab bhi tumhe apna first crush he pyara hai, wo Nischal. Aaj kitna cute lag raha tha na, jab wo tere liye gana ga raha tha.


Jivisha…. Kasak, yadi tu uss duffer ka naam lene wali hai to main tum se baat nahi karungi. Gadha kahin ka. Maine socha ki thoda sudhar aaya hai. Lekin hai to kutte ki ṭeḍhi dum rahega jungli ka jungli he.


“Aisa to na kaho Jivisha, bas main bhi tumhe impress karna chahta huṅ, lekin pata nahi kaise impress karuṅ”.


Kasak…. Ek min mammi ka phone hai….


Kasak bahar chali gayi baat karne, aur Jivisha ek baar fir apne kitab me ghus gayi. Wo bilkul kitab me khoyi thi tabhi Nischal ne aa kar uss ke gal ko chum liya aur muskurata hua khada ho gaya. “Gal par kiss” Jivisha ki aakhen badi ho gayi. Usne apne gal ko hath lagaya, aur slow motion me muḍi…. Aakhon ke samne Nischal ka muskurata hua chehra.


Jivisha ki aakhen aur bari ho gayi, wo apni aakhen mij kar wapas apni aakhen kholi. Charo ore najren ghumayi, hairan ho kar wo idhar, udhar pure kamre me najar dauṛane lagi. Tabhi puche se Kasak uss ke kandhe par hath ḍalti…. “Kya hua, kya dhuṅdh rahi hai”


Jivisha…. Yaar wo abhi yahaṅ aaya tha….


Jivisha ki haalat dekh kar Nischal khi-khi kar ke hasne laga…..


Kasak…. Jivi, kaun aaya tha yahaṅ….


Jivisha…. Yaar wahi aaya tha. Mere galoṅ par pappi liya aur ġayab ho gaya…


Kasak joṛ, joṛ se hasti…. “Kaun aaya aur tere galoṅ par pappi le kar bhag gaya. Kahin haunted wala bhut to nahi tha. Waise jawab nahi vikram bhaṭṭ ka, uss ka bhut kitna rasiya hota hai na”.


Jivisha…. Chup kar pagal, tujhe to filmy kiḍe ne kat liya hai. Yaar wo Nischal aaya tha, aur meri pappi le kar yahin khada hans raha tha. Pata nahiṅ achanak kahaṅ ġayab ho gaya.


Jaise he Kasak ne Nischal ka nam suna….. “Ohhh to mamla yahaṅ tak pahunch gaya, ki muh se usko do galiyaṅ, aur jahaṅ me uss ki tasveer. Yahaṅ koi nahi aaya, balki tujhe Nischal ka waham hua hai”.


Jivisha…. Pagal, mujhe koi waham nahi hua. Main sach kah rahi huṅ, wo aaya bhi aur mere galoṅ ko chuma bhi.


Kasak…. Haaṅ sach kah rahi hogi, koi nahi ye to kahani ghar-ghar ki hai….


Jivisha yakin dilati rahi, lekin Kasak uss ki baton ko haṅsi me urrate rahi. Iss bich ek baar fir Kasak kisi kaam se kamre ke bahar gayi aur ek baar fir Nischal ne uss ke galoṅ ko chum liya. Ek baar fir Jivisha aakhen fade samne kaḍhe Nischal ko he dekhti rahi…..


Kasak jab lauṭi aur wapas se Jivisha ko ussi haalat me dekha to sidha puchh he di…. “Kyoṅ fir se Nischal he tha na, gal ko chum kar bhag gaya hoga”.

Jivisha apni aakhen bari kiye huye, “haaṅ” me sir hilati dhime se boli… “haaṅ yaar”. Jivisha ki baat par Kasak muh fad kar hasti hui kahne lagi, “Tu maan ya na maan, tere anterman me Nischal he basa hai, isliye tujhe har jagah wahi dikh raha”.


Jivisha, Kasak ki ore sawaliya najron se dekhti….. “Kya sach me aisa hai”


Dono bahne lag gayi discussion me, Nischal ke dil ko jaise sukoon mil raha ho. Agli baar jab uss ne Jivisha ko kiss kar ke muskurata khada hua, to masoomiyat se Jivisha uss se puch di…. “Kya tum mere man ka waham ho, ya sach me mujhe tum dikh rahe ho Nischal”


“Hayyy… kya masoomiyat thi”, Nischal ghayal ho gaya Jivisha itni pyari baat sun kar. Usse laga ab aur aage karna jyada ho jayega, isliye wo wapas laut aaya. Flat me baith kar baar-baar ussi masoom wakya ko yaad karne laga. Jab Jivisha masoomiyat ke sath pyar se kah rahi thi…. “Kya tum mere man ka waham ho, ya sach me mujhe tum dikh rahe ho Nischal”. Bas ussi wakya ko yaad kiye ja raha tha aur muskuraye ja raha tha.



Puṇe me Apini aur Tanisha ke sahikar…..


Shikar ki khoj me dono narbhakshi shikari sath me nikal chuke the. Yadi har shikar se kaam chal jata to baat kya thi. Lekin dur grah se aaye in logoṅ ke shikar ka tarika alag tha. Ye insan ki manodasha aur uss ke saririk majbooti ke hisab se rating tay karte the. Jin insano ki rating 7 se upar ki hoti thi, wo insan inke shikar ke liye upayukt hote the.


Tanisha….. Apini yahaṅ to koi bhi shikar ke layak nahi. Sab ki rating 4/5 se jyada nahi.


Apini…. Dekhte hain, 8/10 ki rating ka shikar na mila to inhi se kaam chalana paḍega.


Tanisha….. Apini in me fir wo maza nahi aata. Aisa lagta hai jaise bhukhe he rah gaye. Hume chahiye koi tandrust shikar jiski manasik isthiti itni majboot ho ki uss ke shikar ka maza aa jaye. 10 ki rating wala shikar ḍhuṅḍho na Apini.


Apini…. Ek kaam kar, tu alag dhuṅdh main alag ḍhuṅḍhta huṅ. Aaj apne hath koi na koi achha shikar hath lag he jayega.


Dono disco se bahar aa gaye aur alag-alag shikar ḍhuṅḍhne lage. Disco in logoṅ ke shikar ka sab se aasan jagah tha, kyonki yahaṅ lagbhag sabhi yuvak ya yuvatiyaṅ joṛoṅ me aaya karte hain. Ek baar shikar tay hone ke baad uss ke partner ke vesh me aa kar ye log unhe apni jagah par le jate aur indriyaṅ jagrit kar ke shikar karte the. Afsos inhe yahaṅ aaj koi shikar nahi mila.


Dono alag-alag rastoṅ par shikar ke liye nikale the. Tabhi jab Tanisha kisi sadak se gujar rahi thi, usse apne ek shikar ki bu aa gayi. Wo uss bu ko suṅghti dhire-dhire uss ke karib aur karib hote chali gayi. Aur jab wo shikar ke pass pahuṅchi to uss ka man hara-bhara ho gaya.


Tanisha apne shikar ke pichha karti, turant Apini se contact ki….. “Haaṅ Tanisha, mil gaya kya shikar”?


Tanisha…. Ummmmmm… you will love this shikar. 15 rating aa rahi uski. Main ab bardast nahi kar pa rahi iski khusbu. Kahin main iss ka jabardasti shikar na kar lun….


“Mere hote huye tumhe jabardasti shikar karne ki kya jaroorat hai, 15 rating ke shikar roj-roj nahi milte. Iss ka shikar to hum baḍe pyar se karenge”
nice update
 
  • Like
Reactions: Naina

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Dekhiye aisa hai ki main apna kaam niyamit roop se kar raha hun .. wo hai update dena... Aap log bhi niyamit roop se comment dete rahen..

Aaj agar comment reply karta to update shayad late ho jati posting me .. isliye aaj aur kal ka pending comment sab kal subah reply kar dunga.. tabtak .."Ishq-Risk" enjoy karne ka aur mast wale comments aise fenk kar chale jane ka ..
awesome super update
 
  • Like
Reactions: Naina

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-39



Apini ke kadam upar ke kamre ki ore baḍh chuke the. Wahiṅ Sapna ko samjh me aa chuka tha ki ye ek trap hai, isliye turant uss ne apne mobile se group msg kiya “I am in danger”… aur wahan se bhagne ka rasta dhuṅdh rahi thi. Idhar Apini ke kadam upar baḍh rahe the aur udhar Sapna balcony se niche jane ke liye chadar laṭka chuki thi.


Sapna jaise he balcony se niche jane wali th,i usse upar kisi ke aane ki aahat sunai di aur Sapna ne plan drop karte sidha bathroom me ghus gayi. Bathroom me pani chala kar wo key hole se bahar dekhne lagi.


Apini apne hath me ek packet liye uss kamre ke ander aaya aur bathroom ka darwaja khat-khata kar bas itna kaha.... “kapdey aa gaye hain, bed par rakha hai”... aur itna kah kar Apini bahar chala gaya.


Sapna kuch der tak ussi key hole se jhankti rahi, jab wo khud me puri santust ho gayi fir uss ne dhire se darwaja khola aur bade atihat se charo ore najar daurati balcony ke pass pahunch gayi.


“Hey little bird, kahan bhag rahi ho”... achnak he Apini ka hath Sapna ke kandhe par tha, aur usne pichhe se puch diya. Sapna ka kaleja jaise dhak se rah gaya ho, wo 2 kadam pichhe hat’ti.... “dekho mere pass mat aana, mujhe pata hai tumlogon ne mere liye jaal bichhya hai”


Apini, Sapna ke aur close ho kar uske hoton par apna angutha rakh kar, hont ko ander ki ore maslte huye..... ”littile bird, jaise jaal me fans kar far-fara rahi ho”


Sapna, Apini ke hath ko jabardasti apne hoton se hata kar...... “Dur ho jao mujh se, tumhari himmat kaise hui mujhe chune ki”


Apini ek baar fir uss ke pass aa kar, uske hoton ko maslte huye kahne laga..... “Tum mujhe jitna dur karne ki kosis karogi, main utna he karib aata chala jaunga”.


Iss tarah se kisi anjaan ladkey ka chuna Sapna ko irritate kar raha tha. Uss ne Apini ko dhakka de kar khud se dur kiya, aur wahan se bhagne lagi. Ek paun balcony ke boundry par, aur dhar pura niche jhuka jamin ko dekhte. Aur wo ussi pose me khadi rahi.

Apni, Sapna ke juke kamar ko pichhe se aa kar pakrte huye kahne laga...... “Oopsss !!!! Yahan ki chadar kisne nikal diya, bechari fans gayi”.


Sapna ko samjh me nahi aa raha tha ki wo kya kare, aur ab tak wo in logon ka maksad bhi nahi jaan payi thi ki aakhir ye log aisa kar kyon rahe hain. Upar se Apini ka iss kadar se jabardasti karna.....


Sapna khud ko chhurati hui..... “Aakhir tum mujh se chahte kya ho” ?


Apini..... Marne ka dar sab ko hota hai, tum khud ko bachane ke liye 15 fit ki unchai se nahi kud payi, to ummid hai, mera chhuna bhi tumhe bura nahi lagna chahiye. Kyonki hum to tumhe jaan se mar denge.


Sapna, sahmi apne jagah par khadi rahi aur shanti se Apini ko sunti rahi. Sapna, apni najren jhuka kar.... “ Please mujhe jane do, maine kya bigada ha tumhara”. Sapna ki nikli baton me jaise uss ka samarpan chhipaya hua ho. Ek baar fir Apini uss ke karib tha aur uss ke chhati par hath firate huye kahne laga.... "Bas yun he chup chap mera sath deti raho tumhe koi nuksaan nahi hoga". Sapna bas najren niche jhukaye jamin ko dekhti rahi



Sapna apni najren nichi kar jamin ko dekhne lagi. wo samajh chuki thi ki aage kis baat ki mansa rakhta hai Apini. Sapna to bas apni jaan bachana chahti thi, isliye wo bina koi partikirya diye khadi rahi. Sapna ko ab bhi samjh me nahi aa raha tha ki ye anjaan log usse chahte kya hain. Sabko sandesh bhej chuki thi aur madad milne tak kisi tarh inhe uljhaye bhi rakhna tha.


Sapna khamosh hokar unke kritya ko dekh rahi thi. Apini ke hath uske chhati ko, kapdey ke upar se masal rahe the. Fir ek-ek karke uski shirt ke sare button khul gaye. Tanisha, Sapna ke karib pahunchkar uske hoton se apne hont laga chumne lagi.


In dono ko apne badan par yun hawi hote dekh, Sapna ander se ghut gayi, lekin wah bina kisi pratikriya ke bus jo ho raha tha usse hone de rahi thi. Kuch hi palon me ek-ek karke uske sare kapde utar chuke the.

Aisa nahi tha ki Sapna ke nange badan par Apini aur Tanisha toot pare hon. Dono bade he pyar se uske pure badan ke sath khel rahe the. Isi kram me usse uthakar bistar par le jaya gaya. Bistar par litakar wapas uske badan se dono khelna shuru kar chuke the.

Tanisha se ab bardast kar pana mushkil ho raha tha. Usne Apini ko ishara kiya aur Apini, Sapna ko apne gode me chadha kar sambhog ki kriya shuru kar chuka tha. Sapna ab bhi ghut'ti hui uske sahwas ki kriya ko bardast kiye sabkuch hote huye dekh rahi thi.

Isi bich usse wahan 6 log aur najar aane lage jo usse ghere huye the. Un sabko dekhkar Sapna ke aakhon se aashu bahne lage. Bechari ke dimag me to yah tha ki usse ab 6 aur log bhogne wale hain aur issi paristhithi ko sochkar uski ruh kanp rahi thi.

Sapna ki dekhkar Tanisha ko jagrit indriyan me wapas girawat hone ka ehsas hua. Usne sab ko ek sath ishara ki aur khud uska chehra Apini ke kandhe se alag karke uske hont ko khol kar chunsne lagi.. Apni jibh uske jibh se laga chuki thi.

Sapna ki aankhen jo nam thi Tanisha ke chumne ke kuch hi pal baad bilkul badi ho gayi. Wo apna chehra ghuma kar kahin najar nahi dal sakti thi lekin uski wo asim pira muh ke ander hi ghut rahi thi. Sapna ki badi aakhen puri laal aur fatkar bahar aane lagi. Lambi aur pira me dubi ek dahar jo halakh me rah gayi, Sapna ke vocal cord ko ander hi ander fad chuki thi, aur jab Tanisha Sapna ke muh chumkar alag huye wo halakh se puri juban ko hi ukhad kar bahar aayi. Farfarati jibh ab bhi uske danton ke niche se latak kar farfra rahi thi aur ghun ki chhinten charo ore fail rahe the.


Sapna ka bejan sharir bistar par tha aur sabhi ke muh khun se sane Sapna ke jism ke ander ke organ ko chaba kar uske maze le rahe the...

"Ye Josefer kahan rah gaya… lagta hai kal ke apni haar se shikar karna to nahi bhul gaya"… Tanisha, Apini ke muh se latke hriday ko apne muh me lene se pahle bolne lagi.

Apini apna hissa khinchkar baki Tanisha ke liye chhodte huye kahne laga…. "Wah shuru se bhawuk tha Tanisha, Shayad uska pariwar Zoren par na hota to wah yahan kuch karta bhi nahi"..

Tanisha:- To fir wo yahan humare sath kya kar raha hai Apini. Wo kafi kamjor aur humare liye kisi kaam ka nahi hai.

Apini teji se uska gala pakadte huye kahne laga…. "Wo Josefer hai, aise dushman se hara jiska samna shayad hum bhi nahi kar sakte, isliye yah kahna ki wo kamjor hai tumhari bewakoofi ki nishani hai. Ab chhodo isse aur chalo yahan se…


Raat 10.30 baje



Kaam se free ho kar Sawalker ne Nichal ko apne pass he bula liya. Dono ka aaj fir pine ka plan bana tha, lekin aaj dono disco nahi gaye balki ek kopche me baith kar pi rahe the. Pichhle aadhe ghantey se ek he peg ko dono uthaye, sip-sip me maza lete huye..... Sawalker apni patni ki jyadtiyan par ro raha tha, aur Nischal se apna prem viyog alap raha tha.


Achanak he Sawalker ke wireless par emergency massage mila, aur usse turant Sapna ke pichhe jane ke liye kaha gaya. Sawalker jaldi se bacha jam khatam karte.... “chal bhai, aaj ka to ho gaya. Ja kar dekhne de kya gul khila diya commisoner ki beti ne, jo baap ka emerrgency massage aa gaya”.


Nischal.... Thik hai bade bhaiya aap ho aao, main chala apne flat.


Sawalker..... Arre kahan flat jayega chhote, chal usse dhundh kar wapas uss ke ghar pahuncha de aur fir baithak jamate hain.


Nischal.... Chalo ye bhi sahi hai.....


Sawalker kopche se nikala. Sawalker 2 thane me wireless bhej kar 2 team ko uss area me Sapna ko dhundhne ko kaha, aur khud Nischal ke sath 2 constable ko lekar nikal gaya. Kafi der tak sab usse dhundhte rahe.... cell phone ke last signal location ke charo ore puri team Sapna ko dhunndhne me lagi hui thi. Kafi der ke baad bhi jab surag nahi mila to khoji kutte ko bula liya gaya.


Sawalker ko to ab tak yahi lag raha tha ki commisnor ki nakchadi beti ko dhundh raha hai, lekin kutton ki madad se jab Sawalker uss clinic tak pahuncha to uss ke hosh he urr gaye the.


Clinc ke pahle floor ke uss kamre me jaise he Sawalker aur uss ke do constable ander dakhil huye, samne bistar ka najara dekh kar teeno ko ultiyan hone lagi. Upar khopdi khuli thi aur niche ke sarir ko aisa fara gaya tha jaise kapdon ko far kar faila diya gaya ho, aur ander ka sare body organ gayab.


Nischal jaise he darwaje se pahla kadam ander liya...... Tej sans ander aur, najre ghuma kar charo ore dekhne laga. Kuch bhayanak, bahut he bhayanak ghatne ka aabahsh jo nirdayita aur kururta se paripurn thi, aur uska natija bilkul aakhon ke samne tha.


Nischal ek-ek kadam aage badhata Sapna ke lash tak pahunha. Hath ko lash ke 2 inch upar rakha Aur paun se le kar sir tak hawa me hath firane laga.....


Wo bade dhyan se uss mahol par vichar karne laga. Kafi ander wo uss mahol me ghusta chala ja raha tha. Aakhon ke samne kuch bhi clear nahi tha, lekin dhundhli si parchhayi me khun se sani Sapna ka khufnak ghut'ti chinkh ka pura aabhash ho raha tha aur usse giddh ki tarah noch rahe kai log.


Nischal uss mahol me itna ander ghus chuka tha ki usse ye ehsaas na raha ki, jo chijen wo apne anterman se dekhne ki kosis kar raha hai, uske liye wo taiyar nahi hai. Nischal ki sasen jaise atak-atak kar ander-bahar ho rahi thi aur naak se khun ki dhar chalne lagi thi.


"Ye aise kyon kar raha hai. Kuch bhi ho pahle isse yahan se bhejna hoga, warna ajib si harkat karne ka kahin isse jurmana na bhugtna pad jaye".…. Sawalker...... "Nischal tum yahan se jao, ye ek murder spot hai aur hume yahan par kuch protocols follow karne padte hain" .


Sawalker ki baton se Nischal ka dhyan toota aur jab wo apne anterman se bahar nikla to tej-tej sasen lene laga. Khud ko thoda normal karte Nischal bhi kahne laga..... "Hmmm !!!!! Thik hai main ja raha hun. Waise murder ab se 10 min pahle he hua hai" .


Nischal jab bahar aaya to wo bas Sapna ke bare me he soch raha tha. Usse samjh me nahi aa raha tha ki aakhir itni kururta se kaun aise kaam ko anjaam diya hoga. Wo sari baton par gaur karte flat pahuncha.


Agli subah college parking ke bahar....


Kasak aur Jivisha dono college jane ke liye sath nikli thi. Jivisha pichle sam ki ghanta par ab bhi soch rahi thi aur chehre se kuch jyada he hairan dikh rahi thi. Kasak uss ke mathe par aaye chinta ki lakid ko bhanp gayi..... "Kya hua aise ghabrayi si kyon hai"


Jivisha.... Kasak kal raat mujhe kya hua tha. Mujhe baar-baar Nischal kyon najar aa raha tha, wo bhi mere galon ko chumte.


Kasak.... Tu pagal ho jayegi, aur kuch na hoga tera. Mujhe lagta hai tujh par uss first kiss ka asar hua hai, isliye tumhe aisa lagta hai ki Nischal ab tum se kiss ka badla kiss se lega, aur issi wajah se tumhare man me bas bharam paida ho gaya hai.


Jivisha.... Dekh-Dekh aisa laga jaise wo abhi mere pass se gujra hai. Ye mere sath ho kya raha hai. Mujhe har jagah Nischal he kyon dikh raha.


Kasak.... Jivisha ye kewal bharam hai tumhara. Ab please uss ke bare me sochna band kar. Aur haan, yadi fir wo aas-pass dikhe to usse itna jor se marna ki uski nani yaad aa jaye.


Jivisha.... Lekin wo to bharam hai na mera, fir usse chot kahan se lagegi.


Kasak..... Arreee Nischal ko chot lage ki na lage par uss ke bharam ko to ghayal kar he sakti hai.


Jivisha.... Good idea.


Idhar Nandni, Nischal se..... "Kyon kal raat se usse padesan kar rahe ho"


Nischal.... Jab wo mere bare me sochti hai, to bahut pyari lagti hai. Ek baar aur usse padesan kar ke aata hun.


Nandni..... Arre sun Nischal jane de, jyada tang karna achhi baat nahi hai... Sun to, ruk ja. Gadha kahin ka, main to ja kar Jivisha ko sab sach-sach bata deti hun.


Nandni bhi gusse me nikli Jivisha ko sab sach-sach batane. Nischal to raftar se nikla tha aur Nandni apne normal chal se chali...


Nandni unke karib pahunch rahi thi. Jaise-jaise wo aage badh rahi thi usse bada ajib sa lag raha tha. Nischal usse jamin par gira hua najar aa raha tha aur aisa lag raha tha Kasak aur Jivisha unke pass baithi hai.


Nandni jab aur pass pahunchi to awazen bhi saf sunai dene lagi.... "sorry thodi misunderstandings ho gayi thi. Kal se main kuch padesan thi. Tumhe main samjha nahi sakti ki kal se kya ho raha hai mere sath".


Nandni...... Kya hua Nischal aise jamin par kyon para hai, aur Jivisha sorry-sorry kyon kahe ja rahi.


Kasak.... Darasal kal se Jivisha ko ye bharam ho raha tha ki....


Jivisha, bich me he usse rokti..... "Kasak tu itni jhalli kaise ho sakti hai".


Kasak.... Par ye to Nandu hai na Jivisha, iss se kya chhipana.


Jivisha.... Haan to baad me bata dena meri bahna, abhi yahan par Nischal bhi hai.


Nandni..... Kya confusion hai yaar. Ok, tum dono class jao main isse le kar aati hun.


Jivisha jate huye..... "Sorry Nischal, main tumhe chot pahuchana nahi chahti thi"


Jivisha pachtawe me bolti wahan se nikal gayi. Unke jate he Nandni, Nischal par jor-jor se hasti.... "Aaya maza, boli thi na ki jyada mat kar, jyada mat kar pakda gaya na"


Nischal..... Hans mat car lao, hume abhi flat chalna hoga.


Nandni..... Tu kya subah-subah chadha kar aaya hai, jo wapas ghar chalne ki baat kar raha.


Nischal...... Nahi main sach kah raha hun. Mujhe kafi chot aayi hain, 2/3 pasliyan bhi chatak gayi hai.


Nandni.... Jivisha ke achanak marne se pasliyan chatki hai. Ab bahane band kar....


Nischal..... Tum pagal ho kya? Tumhe kya lagta hai, tab se main jamin par leta nagin dance practice karne ki soch raha hun. Ahhhhh !! Ullu sach mein pasliyan tooti hain aur mai uth bhi mahi pa raha. Ab jao aur car le kar aao.


Nandni "aanhhhhh" kar ke apne gusse ka izhar ki aur wahan se parking me chali gayi. Aur Nischal abhi achanak huye iss ghanta ko samjhne ki kosis karne laga.


Aankhen mund kar wo uss pal ko yaad karne laga jab wo badi teji se aage badh raha tha. Ab Nischal ne dhyan lagana shuru kiya.


Wo aage badh raha tha. Uski speed unmatched thi. Par jaise he wo Jivisha ke pass pahuncha..... Abhi usne apna hona jahir nahi kiya, lekin Jivisha fir bhi uss ke ore mudi, najren mili, aur fir sab blank.... Jahan me uss ke baad ki tasveer nahi.
superb update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-40




Wo aage badh raha tha. Uski speed unmatched thi. Par jaise he wo Jivisha ke pass pahuncha..... Abhi usne apna hona jahir nahi kiya, lekin Jivisha fir bhi uss ke ore mudi, najren mili, aur fir sab blank.... Jahan me uss ke baad ki tasveer nahi.


"Ye kaise tej-tej sasen le raha hai, tu thik to hai na".... Nischal dhyan laga liya tha jis wajah se uss ki tej-tej sasen chalne lagi thi. Dhyan toot'te he Nandni ke baat ka bina koi jawab diye car ke gate ko pakad kar khada hua.... "ghar chal"


Nandni drive karti..... "Hospital chalun kya"


Nischal..... Nahi hospital gaye to unhe mere bare me pata chal jayega. Tum flat he chalo.


Nandni.... Par Jivisha ke marne se tumhari pasliyan toot gayi, ye baat meri samjh se pare hai.


Nischal.... Ye baat to main bhi samjhne ki kosis kar raha hun ki uss waqt aakhir hua kya tha....


Nandni.... Matlab kya hai tumhare kahne ka. Tumhe yaad nahi kya hua tha?


Nischal…. Mujhe bas itna yaad hai ki main Jivisha ke thik pichhe tha. Uss ke baad Jivisha mere ore mudi hai aur fir yaad nahi kya hua.


Nandni...... Ho sakta hai accident ke waqt jaise dimag kaam karna band kar deta hai aur dimag me thik accident ke waqt ki tasveer nahi hoti, waisa he tumhare sath hua ho..... Lekin baat to ghum fir kar wahi aa jati hai, Jivisha itna tej humla kaise kar sakti hai... Kahin wo Alian to nahi, jis ne tum par humla kiya....


Nischal...... Sahi pakdi ho, ho na ho ye Jivisha ke vesh me alian he tha. Lekin ye un alian me se ek nahi jo Kasak ke room me tha. Ye to bahut he takatwar aur kafi furtila hai. Aur haan, sayad inko ye aabhas ho jata hai ki koi pichhe se aa raha hai....


Nandni..... Agar ye Jivisha alian hai to asli Jivisha kahan hai. Nischal ye sari ghatnayen tumhare aane ke baad he ho rahi hai. Tumhe ne in sab ko humare pichhe lagaya hai.


Nischal...... Nalayak ladki, uss raat jaan bachaya wo bhi bhul gayi, aur ulta mujh par ilzam laga rahi hai.


Nandni..... Tumhi ne karwaya hai to tum kyon nahi jaan bacha sakte, mujhe to ab sari ghantnao me tum par he shaq ho raha hai.


Nischal..... Nandni ek min jarra pass aao.


Nandni.... Pass kyon aana hai, tum ab kya mujhe mar dialoge...


Nischal.... Main to nahi marunga, lekin tumhare sir par ek jahrila kida hai wo tumhe maar dega.


Nandni ne jaise he jahrila kide ke bare me suni, wo dhire-dhhire apne sir ko Nischal ke karib le aayi.... "Dekh kar hatana, kahin ye kida mujhe kate na le"


Jaise he Nandni thoda aage jhuki, waise he "Chatakkkkkk" ek thappad Nandni ke gaal par padi........... "Ummid hai ab akal thikane aa gayi ho, nahi aayi hai to bol main dobaara treatment shuru karun".


Nandni gadi rok kar Nischal par bhadakti usse marne lagi, Nischal usse shant karta dhyan se uss ki baat sun'ne ko kaha. Fir uss ne kal raat Sapna wala kand ko batate huye kahne laga.....


"Bahut he kurur narbhakshi tha wo. Kahin Jivisha ke vesh me wahi narbhakshi to nahi chhipa hua hai".


Jaise he Nischal ne ye samiksha kiya, Nandni ke to paun tale se jamin khisak gayi. Usse Jivisha ki chinta satane lagi..... . "Yadi ye nakli Jivisha hai to asli kahan hai... Kahin usse bhi to Sapna ki tarah" ......


Nischal..... Iss ka pata kaise lagaya ja sakta hai....


Nandni.... Ek takrib hai, tum to kisi ke bhi dimag me jhank sakte ho na to kyon na iss alian wale Jivisha ke man me jhank kar tum dekho....


Nischal.... Lekin iss vidya me main nipun nahi hun.....


Nandni..... Haan to thik hai, tum wo apne guru ji ki kitab le aao. Ho sakta hai hum dono uss par kaam kare to koi naya rasta nikal aaye.


Idhar college me......


Jivisha ko ander se bilkul bhi achha nahi lag raha tha, wo bas issi baat ko soche ja rahi thi ki, bharam wale Nischal ko chot pahunchane ke chakkar me bechara original ko chot lag gayi.


Halanki wo bhi ye tay nahi kar pa rahi thi ki kewal uss ke chhote se dhakke se, aakhir Nischal itni tej gir kaise gaya. Lekin na to khud Jivisha aur na he uske aas-pass logon ko ye aabhash tha ki Jivisha ke ander kya hai aur wo kitna acha ya kitna kharnak ho sakta hai.


Raste bhar wo Nischal ke bare me he sochti rahi. Class ke ander aaj jab Kunal uss ke pass aakar baithne laga to wo usse kahin aur ja kar baithne ke liye bol di. Ander sirf yahi khyal chal raha tha ki Nischal yadi uss ke pass aa kar baith'ta hai to wo usse sorry bol degi.


Khair pure class intzar ke baad bhi jab wo aur Nandni nahi dikhi to Jivisha ko chinta satane lagi. Uss ne turant Nischal ka haal puchne ke liye Nandni ko call laga diya.


Jivisha ka call jab Nandni ke pass pahuncha tab wo dono sabhi baton ki samiksha kar rahe the, aur jaise he guruji ke kitab ki baat samapt hui waise he Jivisha ka call Nandni ke pass aa gaya.


Abhi kis Jivisha ne call ki thi, Asli ya behrupiya Jivisha, iss sachai ka pata lagane ke liye Nandni ne Nischal ke accident ko bahut bara batati Jivisha ko apne ghar bula lee, taki aaj he iss mamle lo nipta liya jaye.


Idhar Sawalker ke upar media aur superiors ka itna jyada pressure aa gaya ki usse iss case ko jald se jald, har haal me solve karna tha. Katil ne apni haiwaniyat ke sath-sath dimag ka bhi saboot diya tha.


Forensic janch kar rahi team ko janch karte 12 ghante ho chuke the par iss case se juda ek bhi surag unke hath nahi laga tha. Sawalker ko rah-rah kar Nischal ki wo harkat yaad aa rahi thi jo usne lash ke upar apna hath rakh kar kiya tha....


Uss ke dimag me ek sandeh sa paida hone laga tha. Usse kahin na kahin ye ehsas ho raha tha ki ho na ho Nischal iss prakar ke mahol se kafi jyada wakif hai. Apne case me help ke irade se Sawalker bhi Nischal se milne uss ke liye Nandni ke flat ke ore chal diya


Jivisha ke Ghar…


Sabhi bache apne-apne kaam se nikal chuke the. Nandita bhi apne kamre me baithkar aaram kar rahi thi. Jivisha ke papa Himanshu aur maa Priya hall mein hi baithe the..


Himanshu akhbar ki uss khabar ko padhkar pura achambhit ho gaya, jisme sapna ki kururta purn hatya ka ullekh tha. Himanshu, Priya ko ek najar akhbar iss khabar par dene ke liye kahne laga. Kintu Priya apne khyalon mein kahin gum thi aur wo Himanshu ki baat par dhyan nahi de saki….. "Kya hua Priya, kahan gum ho"..


Priya:- Wo ab shararat nahi karti hai to ghar khane ko daudta hai. Dekho na jahan pahle pura din kam rahta tha, aaj sochna par raha hai kya kaam karun.


Himanshu:- To kya karen Priya, bachon ko manmani karne den. Haan uss waqt main bahut jyada gusse me tha, lekin jab gusse se ubra to bhi main Jivisha ko samjhane nahi gaya.. janti ho kyon..


Priya, Himanshu ko sawaliya najron se dkhti hui puchhne lagi … "kyon"


Himanshu…. Kyonki Jivisha ko khud faisle lena sikhna hoga. Yaad hai wo baba ne kya kaha tha.... Yadi nischit samay ke purv Jivisha ki shadi nahi hui to kaal gherna shuru ho jayega… uske jagne se pahle kayi apriya ghatna shuru hogi… aur ek baar jab wo Jivisha ke ander jag gaya fir Jivisha ke kiye faisle hi tay karegi ki sabka bhawishya acha hone wala hai bura…


Priya… Aap ke kahna kya chahte hain ji, mujhe dara to nahi rahe iss baat se…


"Kis baat se papa ji aap ko darane lage maa. Kahin dusri shadi to nahi kar rahe"... Nandita bhi dono ke pass baith'ti hui kahne lagi..


Priya…. Dusri shadi kar to le tumhare papa ji, lekin us bechari ka kya hoga jo yahan aayegi.. main to chahti hun ki ye shadi kar he le, taki kuch sukoon main bhi le lun..


Nandita:- rahne bhi do maa. Aap ke tano se aaj ye pura ghar khamosh hai. Maine to Ravi se bol diya hai, yahan se kahin aur shift karne ke liye.


Himanshu aur Priya dono chaunkte huye…. "Kyon kya ho gaya… tum dono ne itna bada descision le liya wo bhi akele. Humara jarra bhi khyal nahi aaya..


Nandita:- Aap logon ko bhi to khyal nahi aaya tha. Ek ladki jo ghar se pure lade gahno mein bhagi thi, wo surakhit aur apni purani muskan ke sath iss ghar me wapas lauti. Lekin kisi ne bhi iss baat ko mehsus nahi kiya…


"Ek ladka, jiske liye sej saji thi, wo suhagrat ke liye samne se mana kar deta hai. Jitne din ruka kewal har kisi se hans kar baat kiya aur Jivisha ke tane bhi jhelta raha. Ji haan thik suna aap ne Jivisha ke tane."


"Us din itne sare ghar walon ke hote huye bhi, wah ladka najane kahan se aakar humse pahle Chirag se mila, uske ander ke dar ko khatam kiya aur aap ne maa.. aapne kya kiya. Aapne na sirf Jivisha ko sunaya, uske sath-sath Nandni ko bhi kya kuch nahi kaha. Kya kisi ladki se galti nahi ho sakti. Lekin aap khud ek aurat hokar kisi dusri ladki ke bhawana ko thes pahunchane ke baad khyal tak na karen ki aap se kitni badi galti hui hai to hume bhi ghar chhodne ke faisle ko aap se kyon puch kar len, ek karan batayen."


"Hospital me bhi maa puri raat meri pyari si bachi ko sunati rahi. Sach kahun maa uss raat agar mujhme thodi bhi himmat bachi hoti na to fir aap mera ugr roop dekh leti. Subah schhai pata lagne ke baad bhi, aap log bus afsos kar rah gaye, uske baad sab bhul gaye.."


"Aap logon ke sine me dil hai ki nahi mujhe aaj tak samjh me nahi aaya. Aawsesh me aap sabne galtiyan kiye.. koi baat nahi har kisi se hoti hai… kya schhai pata chalne ke baad apni galti ko ek baar bhi sudharne ki kosis kiye… manf kijiyega papa ji, dosh aap ka bhi kam nahi… gusse me aap aur aap ka beta kisi ke girewan ko pakad kar pit to sakte hain, lekin schai pata chalne ke baad ek kadam aage badhkar apne kiye ke liye mafi nahi mang sakte…"


Aisa lag raha tha mano Nandita aayi he thi dono ko yahan sunnane ke liye. Nandita ki baaton ko sunne ke baad dono dampatti jaise puri tarah se sharminda ho gaye ho…


Himanshu:- Tumne thik kaha beta, hum apne swarth me itne andhe ho gaye, ki hume ek achhe ladke ki achai kabhi dikhi hi nahi. Main bhi kya karta, pahle to laga ki beti ke bhagne me ussi ladke ka hanth hai, fir pote ko achet awastha mein dekhkar main apne pure hosh kho baitha.


Nandita:- papa pahli baat to ye ki Jivisha ka bhagna koi pahle se tay plan nahi tha, usne achanak me yah faisla liya tha.


Nandita ki baat par dono chaunkte huye… "Yah tum kya kha rahi ho?"


Nandita:- haan aap ne thik suna.. pahle to aap dono ne uspar dawab banaya shadi ka. Usne bhi apni man ki jigyasha ko markar shadi ke liye raji ho gayi. Jaymala tak kiya… aakhir ain mauke par kuch to usse Shresh me aisa dikha hoga ya ander se kuch to aisi feeling rahi hogi, ki wah jaymala ke baad bhag gayi. Jara soch kar dekhiye to aap ko sabhi baten samjh me aa jayengi, lekin yahan sochta kaun hai. Yadi Jivisha ko bhagna hi hota to uske liye safe side tha ki wo shadi ke ek din pahle ya 2-4 din pahle bhag jati. Uske pass pura mauka tha. Wo shadi se bhagna nahi chahti thi, lekin uski kismat kahiye ha anterman ki pukar. Usne achanak se ye faisla kar gayi, jo shayad mujhe ek had tak thik bhi lagta hai…


Himanshu:- wo kaise?


Nandita:- Kyonki mujhe to apni bachi ke liye Nischal se acha koi ho hi nahi sakta, aisa lagta hai?


Priya:- lekin Nandita na to uske bare me hume kuch pata hai aur na hi uske kul aur khandan ka kuch pata hai.


Nandita:- Maa kul aur khandan ko jaan kar kya uske naam ka dhol pitna hai. Cheracter hi sabse bada certificate hai, jise Nischal ne shabit kiya hai. Ek ore Shresh ko dekh lijiye jo kewal baten to achi-achi karta hai, lekin sab ek bhrm jaisa lagta hai, wahin uss ladke ko dekhiye.. sab kuch karta bhi hai aur kuch kahta bhi nahi. Baki mai to yahi kahungi Shresh ho ya Nischal ho ya koi aur, aap log bina kisi dawab ke Jivisha ko faisla karne dijiye… Manti hun shararten bahut hai Jisa ke ander, lekin wo murkh nahi jo sahi galat na pahchan sake. Haan lekin aap logon ka dawab aise hi bana raha, jaise kayi dino se uske sath begano ki tarah bartaw karte aa rahe hai... Fir bhul jaeye ki wo khud se koi sahi faisla bhi kar sakti hai.…


Aaj to jaise bite dino ke pure anubhaw aur schai ke itihas ko Nandita ne ulat kar rakh diya ho. Dono dampatti lagatar apni kiye ke liye sharminda par sharminda huye ja rahe the. Jivisha ki hansi ke bina iss ghar ka sunapan kahin na kahin to dono ko pahle se khal hi raha tha, kintu baat ab tir ki tarah chubhne lagi thi. Dono dampatti ander se yah sochne par majboor ho chuke the…… Yadi unka shadi ko lekar galat faisla na liya gaya hota to ek ke baad ek itni sari ghatnayen na hui hoti… Unke kewal ek galat faisle ne, ek puri nayi kahani ko he janm de diya tha.


Himanshu aur Priya se lagbhag ab rukna namumkin sa ho gaya tha... Unhone sari baton ki jankari aur sahi galat ka aaklan, apne dono beton ko bhi bata kar, ghar bula liya. Pure priwar ne anth me yah faisla kiya ki aaj Jivisha ki hansi wapas lane ke liye har koi uske college jakar Nandni aur Nischal se dil se mafi mangege aur Jivisha se bhi mafi mangte huye usse puri tarah se khud ke faisle lene ke liye swatantr kar denge.


Pura he pariwar college pahunch gaya.. lekin college mein to koi tha he nahi. Idhar behrupiya Apini jo Kunal ke vesh me tha, usse pata tha ki Jivisha aur Kasak kahan gayi hai. Pariwar me aur tanaw badhane ki mansa se usne sabko Nandni ke flat ka adress dete huye tane bhade shabdon me kah diya, "Sab raas lila manate wahin ussi ke flat me mil jayenge"…


Ek ore jahan Jivisha aur Kasak, Nandni ke flat par pahle nikal chuki thi, wahin ab Sawalker apne case ki tahkiqat ke liye Nischal ke pass pahunch raha tha.. aur ab ye pura khandan.. surprise dene ke irade se nikle to the lekin college aakar khud hi surprise hokar teji me Nandni ke flat ke ore nikal gaye…
awesome update
 

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Update:-41



Nandni ke flat me iss waqt….



Idhar jab tak Nandni, Jivisha se baat kar ke usse flat par bula rahi thi, ussi bich Sawalker, Nischal se baat kar yahan aa raha tha aur in sab mamle me Nischal ki tooti pasliyan rah he gayi.


Nandni jaise he Jivisha se baat kar ke hall me aayi.... "Tu kya pagal hai Nandu, main yahan dard me hun aur tu phone par gappe lada rahi hai".


Nandni..... Oh sorry main to teri haddi bhul he gayi. Arre Jivisha ka call tha, to maine usse kisi tarah bahane se yahin bula liya.


Nischal..... Duffer kahin ki, usse abhi bulane se pahle puch to leti, bede bhaiya bhi abhi yahan aa raha hai.


Nandni.... What???? Wo kyon aa raha hai....


Nischal..... Chhod ab to aa he rahe hain na, dono. Tu ilaz shuru kar, mujhe bahut dard ho raha hai.


Nandni..... Wait, wait... Nischal main koi Dr thode na hun jo tera ilaz karungi. Tu kya pagal ho gaya hai?
.…. Arre kuch nahi hoga bas kuch pattiyan lagani hai.


Nandni.... Had hai, pattiyan lagani thi to batana tha na, raste se he le leti.


Nischal..... Nah uss ki jaroorat na hai, mere bed ke niche ek bag rakha hoga, ussi me hai wo pattiyan, aur pttiyon ke pass hi ek tharmas rakhi hai, usse bhi nakal lana.. chhod pura bag hi le aa..


Jab tak Nandni wo bag nikal kar lati, tab tak Nischal apni shirt utar kar sofe se tik kar baith gaya. Jaise he Nandni hall me aayi..... "Woooooo Nischal, macho man. Body to tune ek dum mast banayi hai. Uffff teri body dekh kar to niyat gandi ho gayi".


"Hat besharam, kahin ki".... Nischal thoda uncomfortable feel karte, apne sine ke upar t-shirt dal liya. Nischal ki iss harkat par Nandni lotpot hoti kahne lagi.... "Cool look Nischal, aisa lag raha hai jaisa suhagrat ke scene me kisi heroine ko dekh rahi hun"


Nischal..... Tu pakke wali besharm hai. Sala filmon me jitni sarif ladkiyon ko dikhate hain, actual life me wo utni hoti nahi. Ab dant dikhana band kar aur kaam kar le kuch.


Nandni..... Kyon chhed-chhad kewal ladke he kar sakte hain kya, hum ladkiyan nahi. Hume bhi chhed-chhad me bahut maza aata hai, bus talash aise ladke ki thi jis'se safely chhed chhad kar sakun.


Nischal:- Aur iss pure jahan iklauta bakra main he mila tujhe..


Nandni:- yessss, Khair ab baat band kar main nahi chahti ki teri sexy body koi bahar wala dekhe, isliye jaldi bata patti kahan lagani hai


Nischal.... Pahle bag se pattiyan to nikal le... Lekin usse pahle wo tharmas dede.


Nandni bag se wah tharmas nikal kar nischal ko badha di. Nischal ek jug pani me tharmas ke ander ka dawa usme thoda milaya aur dhire-dhire pine jaga. Jaise jaise wo pani gale ke niche utar raha tha, Nandni ki aankh fati ja rahi thi.


Nichal ke ander ka food pipe line chamakne laga, jahan se wah dawa mila pani gujar raha tha. Niche dhire-dhire karke ander ke pure parts dikhne lage the. Achambhit karne wale kashn the. Aisa lag raha tha mano ander ki puri banawat chamak rahi thi.


Nischal pani pikar jaise he fursat hua…. "Ye kya piya tune… ander ki sari chij bahar dikh rahi hai."


Nischal:- Dawa ke bare mein bataya to tha tujhe. Us janwar ke chirne par jitna damage mere body ne feel nahi kiya tha, usse kahin jyada damage Jivisha ke dhakke ne diya hai mujhe…


Tabhi ek tej raushni pasliyon ke hisse mein bhi hui, jahan Nandni saaf dekh sakti thi ki Nischal ki pasli crack hokar alag ho chuki thi. Nischal ne jab ye baat batayi thi, tab mahaj ek majak matr he laga tha, lekin abhi dekhne par usse pura yakin ho chala tha ki Nichal ko kitna damage hua hai.


Nischal:- Bus re show khatm ho gaya, dawa apna kaam shuru kar chuki hai. Ab chamak bhi chali gayi hai. Tu pattiyan laga warna pasliyan upar niche jud jayegi.


"Oh haan" kah kar jaise he Nandni ne bag se pattiyan nikali usse dekh kar..... "Ye kaisi pattiyan hain. Iss se ilaz hoga ya torture".


Darasal bilkul tight rubber ke upar steel ke dhardar nukile blade dono he siron par lage the. Jise dekh Jivisha ascharya kar rahi thi.


Nischal.... Chawkne ki jaroorat nahi hai, pasliyon ki haddi ka ilaz humare yahan aise he hota hai.


Nandni..... Duffer teri pasliyan to ab judna shuru ho gaya na dawa ke karan. Fir normal pattiyon se wo haddi set kar na.


Nischal..... Ab Nandu please, aise shocking expression dena band kar ke yahan aao. Pichhe ek sire ko pith ki ribs line ke thoda sa left me ghusao aur right se ghuma kar dusra sira mujhe do.


Nandni ke hath kanp gaye, jab wo steel Nischal ke pith me ghusa rahi thi. Uss ke sarir ke ander se khun nikalne laga. Khun ko bhi dekh kar usse ascharya hua, kyoki wo aam insano jaisa laal nahi thi.


Chuki Nandni, Nischal ke bare me janti thi, isliye khun ko dekh kar jyada react na karte huye usne patti ka ek sire ko kisi tarah uss ke pith me adjust kar ke dusra sira Nischal ke hath me de di.


Nischal, kisi tarah dard ko bardasht karte, Nandni se kahne laga.... "Uss sire ko dono hath se tight pakde rakho, main dusra sira aage adjust karke piche badha raha hun".


Nandni kisi tarah himmat kar ke, pith me guse sire ko dono hathon se daba kar pakdi rahi, aur Nischal ne uska dusra sira pasliyon ke upar ache se chadha kar piche Nandu ke ore badha diya. Nandu ek hath se pith me ghuse sire par pura dabaw bana kar dusra sure ko ribs ke line ke pass ghusa diya.


"Kewal ek patti se kaam nahi chalegi, dusri patti bhi lagana hoga"…. Itna kahte huye Nischal ne usse dusra patti thik ussi ke upar se lagane ka ishara kar diya.


Pattiyan lag gayi thi. Nandni garam pani se uss ke khun ko saaf karne lagi tabhi wahan Kasak aur Jivisha bhi pahunch gayi.


Samne ka najara aisa tha ki, Nischal apne dono paun latka kar sofe par baitha tha aur Nandni uss ke dono paun ke bich sofe par ghutne ke bal baithi, kabhi dayen jhuk kar pichhe ka khun saf kar rahi thi, to kabhi bayen.

Samne se dekhne par Nischal ki pattiyan dikh nahi rahi thi aur aisa lag raha tha jaise Nandni, Nischal ke khule badan se lipat kar dono romance karne me busy ho.


Aisa najara dekh kar Jivisha aur Kadak ke paun ruk gaye. Jivisha ko pata nahi kya ho raha tha. Wo ander se bahut he bura feel kar rahi thi, kuch aisa jo wo bardasht nahi kar pa rahi ho. Khade-Khade usne apne sath laye ful ko maror kar jamin par bikher di. Tabhi Nandni ko wahan kisi ke hone ka ehsaas hua, aur wo khun saaf karke badi he chaturai se aise hati ki dono ko khun na dikhe.


Nandni..... Kasak, Jivi dono kab aayi. Sorry main jarra zakham saaf kar rahi thi. Aao baitho na, bas ye upar se pattiyan lagani baki hai.


Nandni jab Nischal ke upar se hati, to samne ka najara dekh kar Jivisha ke man ko ashim shanti mili. Uske kadam apne aap Nischal ki ore badh gaye.


Jivisha bade gaur se un pattiyon ko dekhti rahi. Dhire se apna hath badha kar un pattiyon ko chhuti hui puchne lagi..... "Dard ho raha hai kya"


Jivisha ke hathon ka asparsh matr he itna priya tha ki Nischal gahri shwans lete huye puri tarah sukoon mehsus karne laga. Nischal, Jivisha ke sparsh se he khota chala gaya. Khumari si awaz me usne kaha "Thoda-thoda". Aur sofe se tik kar apni aakhen mund liya.


Nandni.... Jivi, bura na mane to ek kaam kahun...


Jivisha... Haan bol na...


Nandni.... Ghar me ek guest aane wale hain, yadi tujhe bura na lage to kya tu ye pattiya Nischal ke badan par lapet degi......

Rubber ki tight patti par Sawalker koi sawal jawab na khade kar de isliye Nandni normal si patti Jivisha ke ore badhati hui kahne lagi….


Jivisha.... Haan-haan koi baat nahi hai, waise bhi in sab ke pichhe to jimmedar main he hun.


Nandni..... Oh thanks Jivi, tu yahan khade-khade kya kregi Kasak, chal mere sath kitchen me.


Kasak...... Mera wahan aana jaroori hai kya?


Nandni.... Haan bahut jaroori hai, aur haan sun wo jo tere hath me pappi hai usse tu yahin hall me chhod dena, kitchen me nahi le kar chali aana.


Kasak apne sath layi pappi ko hall me he chhod kar Nandni ke sath kitchen me chali gayi. Idhar Jivisha, Nischal ke chot par pattiyan dekhti afsos karti hui kahne lagi...... “Sooo sorry meri wajah se tumhe ye padesani uthani padi”.


Nischal.... Its ok Jivisha, tum ne jaan bujh kar thode na kiya tha.


Jivisha apne hath me pattiyan utha kar.... “Nischal thoda sidha baithna, main jarra pattiyan lapet dun”... Nischal sidha hua aur pith se le kar pet tak wo pattiyan roll karne lagi.... “Nischal, maine to sirf tumhe halka dhakka diya tha, fir itni jor se kaise lagi”.


Nischal... Darasal mere paun ke niche kele ka chhilka aa gaya tha aur ussi wajah se main fisal gaya. Tumhe afsos karne ki koi jaroorat nahi hai”


Jivisha... Aisa lag raha jaise tumhara dard main mehsus kar rahi hun. Baat jo bhi ho, par mera hath lagna hi tumhare unbalance ka karan hai.


Khumari bhari awaz me dono dhire-dhire baat kar rahe the, pattiyan lapet’te-lapet’te Jivisha aur Nischal ka chehra bikul karib aa gaya.... dono ke chehre par ek dusre ki sasen takrayi, aur Jivisha ka hath ruk gaya.


Khamoshiyon ke alfaj jaise ab aakhen kah rahi ho. Kabhi dono ki najren milti to kabhi njaren jhuka kar idhar-udhar dekhne ka bahana kar lete. Pyara pal tha dono ke liye aur ek dusre ko ko dekhna achha lag raha tha.



“Palken kaun pahle jhapkata hai, kya wahi game khel rahe ho dono”... Sawalkar gate par he khada ho kar dono ko tok diya. Usse distrub karte dekh, Kasak aur Nandni dono ke muh se yahi nikla.... “Sala kabab me haddi”....


Sawalker ki awaz sun kar Jivisha chaunk kar Nischal se thoda dur hat gayi aur Sawalker, Nischal ke pass aa kar baith gaya. Itne me Nandni aur Kasak bhi chay naste ke sath wahan pahunch gayi. Sawalker sukriya kahte huye chay liya aur kahne laga.....


Sawalker:- Ye chot kahan se lagi tumhe, Jivisha patti ko clip karke to hat'ti.


Nischal:- Kuch nahi bade bhaiya, wo mera paun fisla aur dayen bhag se girne ke karan pasliyon me chot aayi hai.


Jivisha:- Nahi sir, maine dhakka diya tha aur iss wajah se Nischal unbalance ho gaya aur ise buri tarah se chot aa gayi.


Sawalker:- Fir to police case banta hai. Lagta hai Jivisha ke papa se fir puchna hoga ki yahan kaun sa dhara lagana hai…


"Meri bachi par charge lagaoge, tunhari wardi na utarwa dun main… kiya kya hai meri bachi ne..".. Charge lagane ki baat jab shuru hi ho rahi thi tabhi Jivisha ka pura khandan Nandni ke darwaje aa dhamka.


Wardi utarne ki baat se to Sawalker pure taish me aa gaya…. "Nischal dekh aisi baat sunkar mera bheja sanak jata hai. Tera sasur sathiya gaya hai. Main to kahta hun in paglon ke khandan se rishta he tod de. Tere liye main Jyoti ki sabse chhoti bahan se baat chala dunga"..


"Bade bhaiya lagta hai badi jaldi wo incounter spot wali ghatna bhul gaye. Dobara agar aisi baat khyalon me bhi laye na to dukhi pati ki pira aur badh jayegi"….


"Nalayak, sasural ke liye bhai ko dhamki deta hai"… idhar Sawalker aur Nischal ki dhime baten shuru thi aur udhar kuch logon ke bich kamal ke isharon ka khel shuru tha…


Nandni jab Jivisha ke pure khandan ko darwaje par dekhi, Nandni juban se bina koi shabd nikale bus aankh aur chehre ke bhaw se Kasak aur Jivisha se puchne ki kosis karne lagi… "Kya tum dono ne yahan koi drama plan kiya hai"..


Dono hi ussi bhaw me bina koi shabd nikale fati aakhon se jawab dene lagi… "hume bhi pata nahi ye log yahan kyon aa dhamke"…


Jivisha ka bada bhai Ravi thode kade lahje me puchhne laga… "Tum dono yahan kya kar rahi ho"..


Nandita apne pati ko aakhen dikhati hui kahne lagi…. "Wahi jo shadi se pahle aap pipe chadh kar mere room me aakar kiya karte the. Choton se kaise pesh aate hain lagta hai aap bhul gaye"..


Sharafat ki misla kayam kar chuke Ravi ke karname sunkar…. "Kya… kya… kya"… karke sabhi gharwalon ka expression aur Ravi bechara bhid me sabse piche khada ho gaya. Jivisha ek bar fir kuch jyada he mayus hokar sochne lagi, "na wo Nischal ko dhakka deti aur na hi ye situation paida hoti"… Jivisha apne kadam aage badha kar bich mein khadi hoti hui kahne lagi…


"Dekhiye aap log jo bhi smiksha kar rahe hain, uski kewal jimmedar main hun, isliye jo bhi kahna ho mujhe kahiye, Nischal aur Nandni ko kuch bhi kahne ki jaroorat nahi hai. Rahi baat mahaj ek shadi ke karan itna bada bakhera hai na to jis kisi se bhi aap logon ko meri shadi karwani ho final kar dijiyega main taiyar hun"…
nice update
 
Top