Update:-59
"What.. ye kale kapdon me Ninja bankar aaya hai".. Jivisha fatak se apna sar upar karke uske chehre ko dekhi aur uska hath pakad kar bahar khinch kar le aayi… "Ye sab kya hai Nischal"..
Nischal:- Tumse wada jo kiya tha apna chehra nahi dikhaunga.. so ye Ninja look… aaj ek mauka aur milega kya..
Jivisha:- Aur aaj bhi fail ho gaye to…
Nischal:- Wade me tod nikal'kar, kal fir samne aa jaunga..
Jivisha, ander se khush hoti hui… "Aur kahin gayab hone ke liye kah di to"..
Nischal:- Fir Mike par jor jor se chillaunga… main Laila laila chillaunga kurta far ke…
Jivisha:- Pagal kahin ke.. upar ka mask hatao..
Nischal:- Dekho wade ke mutabik main tumhe apna chehra nahi dikhaunga, lekin yadi tum khud mask utarogi to iska matlab hoga ki main apne kaam se kahin bhi ghum sakta hun bina mask lagaye. Fir chahe tum hi kyon na ho wahan aas-pass.
Jivisha uska mask utar'ti hui… "Nautanki karna mera department hai, tumhara nahi.. ab ye batao ki ander kya pahne ho..
Nischal:- Itne tight kapde ke niche bhi koi kuch pahan sakta hai kya… only three kapde the sharir par... Ek utar diya tumne. Do tumhe dikh rahe honge..
Jivisha:- Pagal, fir main aise kapdon me tumhare sath nahi ghumne wali..
Nischal:- Thik hai fir kal ka program rakhte hain .. chalo class me..
Jivisha:- Oye ruko… Kal kyon .. kal meri engagement hai.. aaj ka hi mauka hai tumhare pass…
Nischal:- Fir tum hi kuch solution batao…
Jivisha:- Ammm ! Ek kaam karte hai, yahan se shopping mall wahan se change aur fir wahan se tumhare adhure samay ko pura mauka dena…
Nischal:- Haan kal raat 10 baje ka bol'kar mujhe sham ke 4 baje tak hi samay mila tha… ye baat dimag me rahti to Ninja look nahi lena parta.. waise tumhe yaad tha fir kyon kahi ab muh mat dikhana…
Jivisha:- Off O ab chalo bhi pakao mat…
Dono shopping mall pahunche, wahan Jivisha ne apne pasand ke kapde kharidi aur Nischal ko trial room bhej'kar change karke aane ke liye boli.. jab wo change kar'ke bahar aaya.. Jivisha usse dekhti rahi gayi… Dil kiya fatak se gale lag kar jhatak se apne arman kah de. Fir muskurati wo apne hi sar par hath marti khud se kahne lagi… "thoda usse hi mauka deti hun"
Jivisha bill counter par aage badh kar bill dene lagi aur piche se Jivisha ka pura khandan pahunch gaya… "Baap yahan hone wale dulhe ke liye shopping karne aaya hai.. aur beti ek nakara ke liye shopping kar rahi hai"..
Bill counter par kuch jyada hi bhid hoti hai.. har koi iss family drame me intrest lene laga… Jivisha jab apne papa ki baat suni to wo sah nahi payi.. juban ladana nahi chahti thi aur Nischal ki bejjati sun'na usse gawara nahi. Ander se usse mehsus ho raha tha ki wo na jane kya kar de abhi, khud usse bhi pata nahi. Isliye wo bina kuch bole wahan se chali gayi.
Idhar Nischal ke liye yah apman jaise jamir par chhap gaya tha. Pahne huye kapdon par sawal uthana.. khud me apmanit mehsus karte Nischal apna gussa pikar rah gaya. Un logon ke tane kewal aur kewal aisa lag raha tha jaise uske nakarepan ki kahani bayan kar rahi ho…
Kisi bhi chij ki hadd hoti hai, lekin kuch log bolne ke kram me har haden paar kar jaate hain. Ghar ke mahol ko pichhle kayi dino se Nandita bhi bhanp rahi thi... Wo bhi bahut kuch soch to rakhi thi, lekin majboori me kadam wahan par thehar jate jahan bus dimag me yahi chalta ki ab tak uski bachi ne kabhi apni khwaish nahi jatayi, ki usse Nischal ye pyar hai ya Nischal se vivaah hi karna hai...
Lekin abhi ka uske saas-sasur aur pati ki harkaten kisi bajaru se kam nahi tha.. aur yahi ladka hai jo apni izzat utarte dekh'kar bhi samne wale ko kuch kah tak nahi raha tha... Apne pariwar ke logon ka vaywahar dekh'kar Nandita ka para apne charam par pahunch gaya….
"Aap jise nakara kah rahe hain, aaj se, infact abhi se wo mera bhai hai.. mere pita ke dusri santan. Jaise wo Shresh apne baap ke paise par ek bahut bada kaam kaji ladka ho gaya waise hi aaj se ye bhi hai. Aur agar ab kisi ne mere bhai ke liye kuch bhi bola to acha nahi hoga".
Nandita apne hath jodti sabse kahne lagi… "Ab chalo sab yahan se, sabne bahut drama kar liye. Wo to bus shopping kar rahi thi, lekin aap sabko jaan bujhkar drama karna tha. Bhid me bejjati kar rahe ho.. ab chaliye aap log yahan se warna beti ko to khote ja rahe hain, kahin aisa na ho ki main bhi chirag ko lekar nikal jaun aur dobara kabhi uss chaukhat par kadam na rakhun"…
Nandita ne jab apne tevar badle tab jakar kahin sabko hosh aaya. Pura pariwar wahan se laut gaya. Idhar Nichal bhi apne dhime kadmon se parking ke ore badhne laga. Usse khud me ander se acha nahi lag raha tha... Nischal khud ki haalat par khud hi hans raha tha… Aaj tak jisne ek ulte shabd nahi sune the, wo baar-baar bejjat huye ja raha tha…
Vida lene se pahle apne aakhri kuch shabd Jivisha se kahne the, isliye uske kadam Jivisha ke piche chal diye… Yun to chand duri ke faslon par Jivisha najar aa rahi thi, lekin ander ke fasle jo paida ho gaye the, uski duriyan ab tay kar pana mushkil tha...
Jivisha, ki najar jaise hi Nischal par gayi, wo bhag kar uske pass pahunchi aur bechaini se uske chehre ko tham kar…… "Mujhe maaf kar do, mujhe tumhe yahan lekar nahi aana chahiye tha… bahut kuch suna gaye na… main maafi mangti hun.. please Nischal, aise udas na ho"..
Nischal, Jivisha ke hath ko hatate huye, uske chehre ko dekhne laga… Jivisha ko dekh'kar Nischal muskuraya…
"Main ek bhatkaw tha aur tum thehraw. Kash tum mili na hoti to mere yahan hone ki wajah nahi hoti. Ye dil bechain hona, kisi se na mil pane ki tarap aur haan, kisi ke baton ki chubhan kya hota hai kabhi pata hi nahi chalta, yadi tum se na mila hota."
"Mere yahan hone ki wajah tum thi. Shyad itna hi tumhe dekhna aur mehsus karna, meri kismat me tha Jivisha. Main ek aise khwaish ke piche para raha, jiski khwahishon kabhi main tha hi nahi."
"Janti ho tumhare papa ne kuch kaha, wo baat utni nahi chubhi, jitna tumhara wahan se chup-chap chale aana chubha. Aur ye chubhan koi pahli baar maine mehsus nahi kar raha tha. Lekin baat fir wahi ho jati hai, ek tarfa chahaten aur ek tarfa pyar. Main nahi janta, kabhi chhoti si feeling bhi tumhare ander thi ya nahi, bus aisa laga jaise tumhe apne manoranjan ke liye ek khilona chahiye tha… jab ji me aaya thode se pyar se baat karne ke baad uske satha ho liye aur uski bewakoofi par bahut enjoy kiya, aur baad me fir dhutkar bhi diye"
"Khair … Maine tumhe chaha hai .. aur chahta rahunga.. ye Sathya hai… thik waise hi, jaise aaj raat ke baad fir yahan rukne ki koi wajah nahi hogi. Alvida"…
Nischal apni baat kah'kar mud chala. Sab kuch luta'kar khud me khoya sa wo chala. Aise chala jaise sab alvida kah chala ho.
Nischal apne khoye se aalam me bahar ke ore ja raha tha aur Jivisha bhagti hui usse na khone ki chahat me announcing room mein pahunch gayi… Shopping mall me lage har speaker se ab Jivisha ke arman nikal rahe the jise sab sun rahe the….
"Oye Jungli, apni chahat bata gaye.. jane se pahle meri chahat to sunte jao.…. Tum khade the kisi deewano ki tarah, charo ore aise dekh rahe the jaise ye jahan tumne pahli baar dekh rahe the… main train se bhag rahi thi anjano ki tarah.. aur meri kismat mujhse takra rahi thi"..
"Wo pahli najar ka hi pyar tha jab tum mujhse takraye the... Koi second thought nahi tha, isliye apne pyar ko main chum rahi thi… be-jhijhak aur be-hichak…"
"Haan galtiyan hui mujhse. Thodi duriyan thi lekin kuch meri majbooriyan thi. Tumse kitni chahte hain, ye dil me dabi thi, najron me chhipa tha. Lekin haal-e-dil kabhi izhar nahi kar payi aur najron se kabhi wo pyar jata nahi payi."
"Main nahi janti ki tum mujhe chhod'kar kahan jaoge, lekin yadi tum dur jaoge to wo tarap main jhel na paungi. Wada hai tumse kabhi tumhara dil na dikhaungi.. Jahan itni baar mujhe maaf kar chuke, kya ek baar aur maafi nahi milegi."
"Rok lo apne kadam, mud jao piche, aaj fir ek baar, jahan tarpe hain ek duje ke bina itne din, sath jine ka bhi maza lete hain. Bus ek tum mil gaye to samjhungi sara jahan mil gaya."
"Ab aa bhi jao Nischal, tumhare liye bahut royi hun, ab aur rone ki himmat nahi bachi hai. Ab aa bhi jao na.. please.. Ya fir wo chand shabd hi sunkar samjhoge jo log izhar me kahte hain"…
"Aur mukhiya ji ka kya, jo mujhe bhadi sabha me nakara kahte hain".. Nischal thik Jivisha ke samne, muskurate huye khada tha…
Wo najron ke samne jaise Jivisha ki puri khushiyan khadi thi… fir to khud ko rok pana bhi muskil ho raha tha… kadam daud chale khushiyon ke ore… yun lipti aaj dub kar Nischal me, ki uski ho kar rah jana hai… tej dhadkane Jivisha ki bechani bata rahi thi wahin paglon ki tarah uske chehre ko chumna uske vyakul mann ki shanti ko jata raha tha…
Fir se wahi sama tha, ek baar fir wahi najara tha.. Jivisha apni vyakulta shant karke, poori tarah toot chuki thi. Nischal apna ek hath uske kamer me dal'kar Jivisha ko thame khada tha aur dusre hath se chehre par aaye bikhre baal ko hata raha tha..
Aakhon ke samne wahi najara pahli mulakat ki thi bus fark itna tha ki aaj dono ek dusre ko dekh'kar itni pyari muskan de rahe the ki in muskano me dub'kar puri umr kati ja sakti thi..
Jivisha apni aeriyon ko unchi karti Nichal ke hothon tak apni honth lekar aayi aur apne hoton se Nischal ke hont ko sparsh karti, apne pyar ke sparsh ka wo pahla ehsas Nichal ko kara gayi.
Hont ko saparsh karke kuch inch dar fasle par dono ke honth alag the. Shwans ek dusre ke chahere se takra rahi thi aur aakhen aaj band hokar iss pyare se ehsaas me dub chuka tha…
Jivisha ke hothon ka pyara asprash ab bhi Nischal ke dil me utar raha tha. Chahten fir se deewani hokar hoton ke sparsh ko mehsus karne ke arman jaga gaye aur dono ke honth ke inch dar fasle khatm hokar, ek dusre ke hoton ko chumte chale gaye… shwans lambi aur gahri hoti rahi.. dhadkane bekabu hokar dhadkane lage aur dono ke pyar ko wahan maujood log mehasus karte taliyan banane lage..
Taliyon ke aawaj ne dono ke bojhil aakhon ko kholne par majboor kar diya.. Jivisha khadi bhid ko jab samne dekhi to sharmakar apne chehre ko Nischal ke sine me chhipa lee.. tabhi bhid ko side karte wahan police pahunch gayi…