- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 6
Next Day at College
Atul agle din class start hone se aadha ghanta pehle hi college pahunch gaya…Ye aadha ghanta usne sabhi students se introduction me beeta diya.
Thodi der baad Nisha aur Anjali saath me class me aaye…Dono hi ek dusre se hanste hue aur baat karte hue aa rahe the…Atul ko dekh Nisha ki hansi gaayab ho gaya…Aur jab Atul ne bhi Nisha ko dekha tab wo bhi baat karna chhod Nisha ko dekhne laga…Usse bhi samajh me nahi aa raha tha kaise react karna chaahiye…Usne bas thoda sa smile kiya.
Jawaab me Nisha ne koi reaction nahi diya aur Anjali ke saath piche seat ki taraf chali gayi.
Atul ne bhi iss baat ko ignore kar diya aur fir apne naye bane hue dosto se baat karne laga…Itna to usse pata chal hi gaya tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur usne bhi abb soch liya ki wo bhi abb be vajah Nisha ke paas nahi jaayega.
Jab class start hone me 5 minute baaki tha tab Atul bhi piche seat ki taraf jaane laga.
Usne dekha ki front rows sabhi pack ho gaya tha…Bich me do seat khaali tha…Middle aur Left column me…Middle column me Nisha ke paas ek seat khaali tha aur left column me bhi ek seat khaali tha aur uss khaali seat ke paas ek ladki thi.
Nisha ne bhi Atul ko dono seat ki taraf dekhte hue dekh liya aur wo man hi man sochne lagi.
Nisha:- (In her mind) Oh no…Lagta hai fir ye mere hi paas aayega…Pata nahi kyu ye mera picha nahi chhod raha hai.
Nisha yahi sab soch rahi thi ki Atul bhi abb dono seat ki taraf aage badhne laga aur Nisha ke ummeed se thik ulta wo left column me chala gaya…Nisha ko iss baat se thoda hairaani aur khushi dono hua.
Atul aur Nisha abb alag alag column me the lekin dono ek hi row me the…Atul apne seat me baith kar apne paas wali ladki se kehta hai.
Atul:- Hello…I am Atul.
Ladki:- Hi…I am Kajal.
Itna keh kar Kajal apna haath Atul ki taraf badha deti hai…Atul bhi apna haath aage badha kar handshake karta hai.
Handshake karne ke baad Atul wapas sidha apni jagah baith jaata hai…Usse samajh me nahi aa raha tha ki abb usse kya bolna chaahiye…Hamesha ladkiyo se dur rehne ki vajah se usse Kajal se baat aage badhaane me mushkil ho raha tha.
Kajal:- Tum bahut shaant dikhte ho.
Kajal ki baat sun kar Atul fir Kajal ki taraf ghumta hai aur uski baat ka matlab samajhne ki koshish karta hai…Kajal fir se thoda smile ke saath kehti hai.
Kajal:- Tumhe kuch der pehle se notice kar rahi thi…Tum bahut kam bol rahe the aur sirf jarurat ke hisaab se hi bolte ho.
Kajal ki iss baat par Atul ne bhi thoda muskaan ke saath kaha.
Atul:- Thoda kam hi bolta hu…Ek do baar koshish kiya tha jyada bolne ki lekin kisi ko accha nahi laga…Tab ehsas hua ki over smart hona bhi thik nahi hai…Jaisa hu waisa hi thik hu…Bahut hi kam close friends ke saath khul kar baatein karta hu.
Atul ne muskura kar kaha.
Kajal:- Ha baat to sahi hai…Logo ko dikhaane ke liye jabardasti badlaaw laana bhi thik nahi hai.
Kajal ne itna hi kaha tha ki class me teacher aa gaye.
Uske baad dono ke bich baat cheet bhi band ho gaya.
Atul kal ki tarah aaj bhi pura dhyan laga kar padh raha tha aur important points note kar raha tha…Atul ko aisa karte hue Kajal notice kar rahi thi…Atul se thodi dur baithi Nisha bhi na chaahte hue bhi Atul ko notice kar rahi thi.
Issi tarah kuch der me class bhi khatam ho gaya.
Kajal:- Lagta hai padhne me bahut interest hai tumhaara…Puri class me ek baar bhi tumhara najar lecturer aur book se nahi hata.
Atul:- Ha padhna accha lagta hai…Aur study ke time me mind divert bhi nahi karta hu…Lekin itna bhi nahi padhta hu ki bas padhne me hi laga rahu…Vakt milte hi entertainment bhi karta hu…Jaise cricket khelna aur guitar bajaana.
Padhaai apni jagah aur baaki ke kaam apni jagah.
Kajal:- Sahi hai…Life me sab kuch jaruri hai…Kabhi kabhi kuch students ko dekh kar ajeeb bhi lagta hai…Hamesha padhaai me hi lage rehte hai…Padhna bahut accha baat hai lekin bas padhaai me hi busy reh kar dusre kaam ko bhul jaana…Ye thoda ajeeb lagta hai.
Atul:- Mujhe iss bare me jyada idea nahi hai to kuch nahi keh sakta hu…Shaayad unhe padhaai ke alawa baaki ke cheej me utna interest nahi hoga…BTW tum kya karti ho entertainment ke liye.
Kajal:- Movie dekhti hu, gaana sunti hu, drawing banati hu aur kabhi kabhi poem likhti hu…Mood fresh ho jaata hai.
Atul:- Creative mind hai tumhaara…Mujhe to drawing banana bahut mushkil lagta hai…11 aur 12 me bhi biology ka drawing bahut mushkil se bana paata tha…Aur poem likhna to dur koi essay bhi dhang se nahi likh paata hu.
Atul ne hanste hue kaha…Kajal bhi saath me thoda hansne lagi.
Atul:- Lekin poem sunna mujhe bahut pasand hai…Agar tumhe problem na ho to tumhaara poem sunna chaahunga.
Kajal:- Abhi thik se yaad nahi hai...Diary me likhti hu…Kisi din suna dungi.
Issi tarah Atul aur Kajal khali time me pure din baat kar rahe the…Dono dhire se hi baatein kar rahe the…Itna dhire se ki unn dono ke alawa aur koi sun nahi raha tha…Waise bhi class me baaki ke students aapas me baat kar rahe the aur unke aawaj ke saamne Atul aur Kajal ki baatein koi sun nahi sakte the.
Issi tarah pure din dono saath me baat karte rahe…Aur dono me dosti bhi badhne laga.
College chhuti hone ke baad sabhi students apne apne ghar ki taraf jaane lage…Nisha aaj khushi ke saath ghar jaa rahi thi aur apne man me soch rahi thi.
Nisha:- (In her mind) Aaj bahut acche se padh paayi…Accha hua jo wo Atul mere paas nahi baitha…Kaash wo hamesha mujhse dur hi rahe…Aaj wo Kajal ke paas jaa kar baitha…Bechari Kajal…Bahut jald usse pata chal jaayega ki ye Atul kitna pakaau ladka hai.
Itna soch kar Nisha apne ghar jaane lagi.
PRESENT
To Doctor saahab aapka bhi pyar nafrat se hi suru hua tha.
Atul ko bich me hi rok kar Shreya ne pucha.
Atul:- Nahi ye nafrat nahi tha…Bas thoda sa misunderstanding tha.
Thoda sa udaasi ke saath Atul ne kaha.
Shreya:- Abhi tak tumhaara kahani sun kar itna to pata chal gaya ki tum aaj bhi waise hi ho jaise pehle the.
Atul:- Nahi badlaaw to bahut aaya hai…Hamesha pyar par vishwaas nahi karne wala Atul ko kuch aise vakt se gujarna pada tha jaha usse apne pyar ke liye sabhi se bheek maangna pada tha…Kiske saamne maine haath nahi joda…Apne Papa ke saamne, Nisha ke saamne aur Nisha ke parents ke saamne…Lekin kisi ne meri ek nahi suna.
Hamesha jindagi ko hansi, majaak aur dosti ke saath jeene wala Atul aaj jindagi iss tarah se jee raha hai jaise uska jindagi ek shraap hai…Pata nahi kaise jee raha hu aur kyu jee raha hu aur ye bhi pata nahi iss jindagi ka kya makshad hai.
Jab bhi kisi ka ilaaj karta hu aur kisi ki taklif dur karta hu to uske chehre ki khushi dekh alag hi khushi milta hai…Bas yahi ek khushi reh gaya hai jindagi me…Nisha aur apne pariwar se dur hone ke baad to waise bhi mera jindagi me kuch baaki nahi hai.
Itna kehne ke baad Atul ki aankho me aansu ke kuch boond aa gaya…Ek baar fir usse khud me haara hua Atul dikhaai diya...Ek haara hua aashiq aur insaan...Kitna majbur tha wo aur hai.
Shreya:- Sambhaalo khud ko…Shaayad maine hi galat sawaal puch diya hai…Sorry.
Shreya ne Atul ke kandhe ko pakad kar kaha…Atul ko udaas to usne bahut baar dekha tha lekin rote hue aaj pehli baar dekha hai…Atul ko iss tarah se rote dekh Shreya andaaja laga rahi thi ki wo Nisha se kitna pyar karta hai.
Atul ne bhi jald hi khud ko sambhaal kar aur aansu pocchte hue kaha.
Atul:- 4 saal ho gaya hai Nisha se dur hue…Sambhalna seekh liya hai maine…Aaj achanak wo pal yaad aa gaye to aankho me thoda aansu aa gaya.
Shreya:- Aisa kya hua tha kit um aur Nisha alag ho gaye…Ye ek tarfa pyar tha ya fir Nisha ki bewafaayi ya fir koi aur vajah thi?
Shreya Atul ki puri kahani sunne ko utshuk thi…Wo ye bhi chaahti thi ki Atul apni saari kahaani bata de aur halka ho jaaye…Usne bahut dino se mehsus kiya tha ki Atul apne man me hi bahut saari baatein chupa kar ghutan ke saath jee raha hai.
Atul:- Nahi nahi…Nisha kaise bewafayi kar sakti hai...Wo mera pyar hai...Wo bhi mujhsemutna hi pyar karti thi jitna mai...Shayad mujhse bhi jyada.
Hamaara judaai bhi ussi daraawna sapna jaisa hi tha..Shayad sapne se bhi jyada daraawna...Sapna ko to majaak me udaa diya tha...Lekin hakikat...Hakikat ne aaj mera hmera hi jindagi ko majaak bana diya.
Shreya:- Tumne Nisha ke parents ko manaane ki koshish nahi kiya?
Atul:- Kiya tha…Bahut koshish kiya tha...Lekin jab mere hi Papa mere khilaaf ho gaye to mai bhi kya kar sakta tha…Dono hi pariwar me bahut jhagada ho gaya aur Nisha ke Papa bhi kaise apne beti ki shaadi aise ghar me kara sakte the.
Bas yahi mera pyar haar gaya…Apne bhai ki nafrat aur Papa ka Nisha ke ghar se dushmani…Bas yahi tha hamaare judaai ki vajah.
Ye kehte hue Atul ki chehre me fir dard ke bhaaw aa gaya…Iss baar uske chehre me thoda gussa bhi tha.
Shreya:- Bahut galat hua tumhaare saath…Jab apne hi saath chhod de to kya kar sakte hai…Waise Nisha abb kaha hai?
Shreya ko Atul ke liye bahut bura lag raha tha.
Atul:- Pata nahi…Jab uska shaadi Ravi se hone ki baat hua tab mai apne ghar chhod ke chala gaya…Aur jee nahi paa raha tha mai waha…Paagal sa ho gaya tha…Ek to mera aur Nisha ka rishta se sabhi ne inkaar kar diya aur upar se Nisha ka shaadi Ravi se tay hona.
Mujhse bilkul bhi bardaast nahi ho raha tha…Ravi hi ek aisa ladka tha hamaare class me jo mujhe bilkul pasand nahi tha…Hamesha sabko niche dikhaane ki koshish karta tha aur bahut baar hamaare bich ladaai bhi hua tha.
Aur jab Nisha ka shaadi ussi se tay hua tab mujh se aur bardaast nahi hua…Aur mai sab kuch chhod kar bhatakte hue yaha iss gaanw me aa gaya…Aakhir kaise mai ye sab dekh paata...Itna himmat nahi tha mere paas...Apni Nisha ko kisi aur ka hota dekh nahi paaya.
Abb to bas bhagwan se itna hi dua hai ki Nisha jaha bhi hai hamesha khus rahe.
Har aashiq ki khwahish...Atul muskurate hue bol gaya.