Nevil singh
Well-Known Member
- 21,150
- 53,000
- 173
lovely update dost.UPDATE 131
Maa aap aur Di ko shaadi mein aana hoga.
Atul ne khamoshi ko tod kar kaha...Kaha kuch der pehle sab khush thhe Atul aur Nisha ko saath dekh kar...Lekin Atul ki iss baat ne sabhi ko niraash kar diya...Khaas kar Atul ke Papa ko.
Atul:- Sirf aap dono.
Iss baar Atul ne Gaurav aur Papa ko dekhte hue kaha jo jakhm me namak daalne ka kaam kar raha tha.
Fir se ek khamoshi chhaa gaya...Maa aur Di bhi kuch bol nahi paa rahe thhe aur Gaurav aur Papa kuch bol nahi sakte thhe.
Atul:- Di, kya Nisha aapke room mein reh sakti hai kuch din ke liye?
Nidhi:- Haan...Jarur.
Bas itna hi bol paayi Nidhi...Kaha wo sasural se Atul ko milne aayi thi...Uski khushi dekhne aayi thi itne saalo ke baad lekin Atul...Wo Atul ke liye khush to bahut thi dono ko saath dekh kar lekin Atul ki ye kadwi baat...Ye baaton me bhi alag hi dard tha.
Atul fir apne room ki taraf jaane hi wala tha ki.
Gaurav:- Bhai.
Himmat kar ke Gaurav ne Atul ko rokne ki koshish ki.
Atul waapas mud kar Gaurav ko ghurta hai.
Gaurav:- Kam se kam Papa ko bhi bula leta.
Atul:- Mujhe fir se shadi nahi tudwana hai.
Papa ki taraf dekhte hue Atul ne kaha.
Gaurav:- Tujhse ye ummeed nahi tha.
Niraash aawaj me Gaurav ne kaha.
Atul:- Accha, Bura ka gyan de bhi kaun raha hai?
Atul hanste hue bola.
Gaurav:- Haan bura tha mai...Lekin iska ye matlab nahi ki aur bhi galtiyan karu aur kisi ki galti par chup rahu ye soch kar ki kabhi mai bhi galat tha.
Atul ne kuch nahi kaha.
Gaurav:- Maanra hun maine tere saath galat kiya hai...Nafrat karta tha tujhse...Lekin Papa...Unki kya galti?
Atul:- Galti unka nahi...Mera tha...Maine hi kuch jyada expectation kar liya tha unse...Ye expectation ki ek pitaa ko unke santaan ki prati farz nibhaane ki...Lekin shayad ye kuch jyada tha.
Puch Papa se...Kabhi wo mere kisi success ke liye khush thhe? Kabhi mera kisi iccha ko dil se pura kiya? Puch.
Hamesha tujhe hi apna beta maana hai unhone...Ye galat nahi...Apne beta se pyar karna galat nahi...Lekin bhedbhaaw?
Puch? Ye biased hai ya nahi? Puch?
Atul ki aawaj me jamaane bhar ka gussa tha...Bolna to aur bhi chaahta tha wo lekin bola nahi.
Gaurav:- Mujhe puchne ki jarurat nahi.
Ye sun Atul gusse mr bhi muskuraata hai ye soch kar ki Gaurav ke paas uske sawaal ke jawaab nahi hai.
Gaurav:- Kyu ki mai jaanta hun kitna pyar karta hai ye tujhe...Dekha hai, mehsus kiya hai...Puchne ki jarurat nahi hai.
Hamesha chaaha maine tere liye Papa ke dil me nafrat paida karu...Tera galtiyan dikha kar bahut baar tujh par gussa hone ke liye majbur karne ki...Lekin Papa me kabhi badlaaw nahi aaya...Ye jitna pyar mujhse karte hai utna tujhse hi karte hai.
Atul:- Tera ye joke itna bakwas hai ki mujhe hansi bhi nahi aa raha hai.
Gaurav:- Agar tu Papa ko galat samajhta hai to tu bhi galat hi hai.
Atul kuch nahi bola...Bas gusse se Gaurav ko ghurta raha.
Gaurav:- Papa ko tu jaanta hi hoga...Wo kabhi jyada baatein nahi karte...Bas jarurat ki hisaab se...Tujhe lagta hai ki Papa tere utna karib nahi thhe...To mai pucchta hun ki tune Papa ke karib jaane ki koshish kabhi kiya?
Atul iss sawal par kuch bol nahi paaya.
Gaurav:- Mai jaata tha...Haan makshad alag tha...Lekin fir bhi jaata tha...Issi liye tujhe lagta hai ki Papa sirf mujhse hi pyar karte thhe.
Lekin maine khud ko special kabhi feel nahi kiya iss maamle mein...Wo tujhse fir bhi utna hi pyar karte thhe.
Atul abb Gaurav ki baat seriously sunne laga.
Gaurav:- Aur tera MBBS mein admission ki vakt !!! Haan tera aur Papa ke bichaar alag thhe...Tera complaint ye tha ki Papa tere wish ke khilaaf hai.
Tu apni jagah sahi tha...Lekin Papa bhi galat nahi thhe...Unhone apne time ke struggle dekha hai...Unhe laga ki tu business ko continue karke accha khasa paisa kama sakta hai.
Tu chahta to Papa ko acche se samjha sakta tha...Lekin ek do baar samjhaya...Papa convinced nahi hue to apne dimaag me ye baat set kar li ki Papa teri wish pura karna nahi chaahte aur unhe aur samjhane ki koshish hi bekaar hai.
Atul abhi bhi bas Gaurav ki baat sun raha tha.
Gaurav:- Ek baat kahu...Agar jitna time tu Nisha ko deta tha usse aadha Papa ko deta to aaj baat aur hoti.
Atul:- Aeeee....
Gusse me chikha Atul.
Gaurav:- Sach baat hai ye...Aur waise bhi gu sirf unhi se baat karta tha jo tujhe pyar dikhate thhe...Maa, Di, Nisha aur tere dosto ke alawa kisi se tune kabhi time spend kiya hai?
Atul iss baar bhi kuch bol nahi paaya.
Gaurav:- Ghamand to tujh me tha...Iss baat ki ghamand ki tu sahi hai aur tujhe unki koi jarurat nahi jo tujhe matlab naa de.
Agar Papa ke saath thoda bahut time spend karta to pata chalta kitna pyar karte hai ye tujh se...Agar Papa me kuch kami hai to ye ki ye apne feelings ko acche se jaahir nahi kar paate.
Yaad kar...Tera pocket money...Tujhe lagta hoga ki ye tujhe Maa se milta tha...Lekin Papa hi Maa ko vakt se dete thhe...Ye keh kar ki tujhe koi kami nahi hona chaahiye...Bahut baar dekha hai maine khud hi...Tera har demand bike, laptop, Mobile, Internet, Sports, Tour...Kisi me bhi bina koi sawal kiye pura kiya hai.
Lekin tujhe...Tujhe to sabut chahiye.
Aur tujhe lagta hai ki unhe tera success se koi matlab nahi...Jab tu yaha se chala gaya tab maine kayi baar suna hai Papa ko apne dosto ke saath baat karte hue...Bahut taarif karte thhe ye teri acchaayi ki, teri success ki.
Lekin tu...Jab tak nahi sunega nahi dekhega vishwas nahi karega.
Aur Papa ka tere liye pyar ka ek aur example...Jab tunr Nisha se shadi ki baat Papa ko bataya...Kuch vakt lene ke baat ye maan gaye mere lakh bhadkaane ke baawjud...Tere liye apni dushmani tak bhula diya.
Atul:- Aur shaadi kisne toda tha?
Gaurav:- Papa ne...Lekin saamne kaun hai ye bhi to dekh...Mere plan ne Papa ko majbur kar diya ye faisla lene me.
Pehle bhi bata chuka hun...Ye hum teeno se barabar pyar karte hai.
Maine haalat aisa bana diya aur Papa ko bataya ki Nisha ki Papa ne mujhe unke ghar me maara aur Papa ko bhi bahut baatein sunaya.
Tere liye Papa mere saath galat nahi kar sakte thhe...Aur maine Nisha ki Papa ko villain ki tarah dikhaya...Aur ye bhi ki tujhe Nisha se bhi acchi ladkiyan mil jaayengi.
Warna Papa love marriage ke against nahi thhe...Maine bhi love marriage kiya hai aur Di ne bhi...Tera bhi hone wala tha...
Atul gusse se Gaurav ko dekhta hai ye sun kar ki usne saajish kiya tha dono ko alag karne ki...Ek baar fir wo pal yaad aa gaye.
Gaurav:- Aur Papa jitna pyar karte hai utna hi naaraj bhi hote hai...Jab maine ye sachaayi unhe bataya to unhone mujhe aaj tak maaf nahi kiya ye jaan kar ki anjaane me tere saath naa insaafi hua hai...Aaj tak sidhe munh kabhi Papa ne mujhse baat nahi kiya hai uss din ke baad.
Atul ko bhi realize hua ki usne bhi aaj kal Papa ko Gaurav ke saath baat karte nahi dekha hai.
Gaurav:- Agar tujhe lagta hai Papa itne galat hai to Maa aur Di se hi puch le.
Atul dono ko dekhta hai.
A. Mom:- Nahi wo shadi ke vakt wali baat ko chhod kar tere Papa galat nahi thhe.
Atul kuch bol nahi paya.
Gaurav:- Haan pyar dikha nahi paaye...Iska matlab ye nahi ki ye pyat hi nahi karte thhe...Pitaa hone ki har ek jimmedaari nibhaya hai Papa ne...Bas apna pgar jataa nahi paaye...Yahi kami thha Papa me aur aaj bhi.
Aaj bhi wo tujh se baat karne ki himmat nahi jutaa paa rahe hai.
Gaurav:- Tu hi soch...Samajhdaar hai tu...Kya Papa ki anjaane me hua galti itna bada tha ki unhe 6 saal ki naarajgi sehna chaahiye?
Pehle mai galat tha...Aur agar abb tune maaf nahi kiya to abb galat tu hoga.
Gaurav ki iss baat ne Atul ko sochne par majbur kar diya.
Gaurav:- Maa ka pyar ko to sabhi mahaan maante hai...Aur wo hai bhi...Lekin Pita ka pyar? Wo underrated hai...Aur kayi baar unhe sabut bhi dena padta hai.
Maa ki aansu to sab ko dikhta hai lekin Pita ke haatho ka ghaaw aur jakhm? Kya uska koi mol nahi.
Maa bacche ko pyar se paalti hai, pyar se bada karti hai...Lekin Pitaa...Wo bhi to har jimmedaari pura karte hai.
Maa ka pyar mahaan hai aur hona bhi chahiye...Lekin Pitaa ka pyar ko bhi kam nahi sochna chahiye...Aakhir yahi dono to hai jo hume ek behatreen jindagi dete hai.
Kabhi sochna iss baare me...Aur ye bhi ki Papa ne tere jimmedaari me koi kami rakha hai ya nahi?
Agar maaf kar sakta hai to maaf kar dena.
Itna keh kar Gaurav chup ho gaya...Uske aankho se bhi aansu aane lage.
Ghar me maujud sabhi ke haal waisa hi tha...Sab chaahte thhe Atul Papa ko maaf kar de...Aur shayad Atul khud bhi.
Kabhi socha nahi tha Gaurav ki baat usse sochne par majbur karega...Lekin aaj...Aaj to sahi baat kaha tha usne.
Ek najar Atul ne Papa ko dekha jo Atul ko aas bhari najro se dekh rahe thhe.
[Friends abb story mein 2 update aur baaki hai...Ye update thoda long ho gaya...Issi liye kal iska continuation update post karunga.]