• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 2


Niche pahunch kar Atul breakfast ke liye table par baith gaya…Waha usne dekha ki uske Papa aur bade bhaiya Gaurav bhi baithe hai…Dono hi Atul ko kabhi ghurte to kabhi kuch kehne ki koshish kar rahe the…Lekin keh nahi paa rahe the.

Atul bhi dono ke haalat se anjaan nahi tha…Wo jaanta tha uske Papa aur bhaiya baatein dhund rahe hai kehne ke liye…Atul ne bhi khud ko taiyaar kar liya tha unke sawaalo ka jawaab dene ke liye.

Jab 5 minute tak bhi dono kuch nahi bole tab Atul bhi bore hone laga…Kitchen me naashta taiyaar kar rahi Maa ko aawaj de kar usne kaha.

Atul:- Maa…Jaldi kijiye…Late ho raha hu.

Kitchen se Maa ne kaha.

A. Mom:- Bas laa rahi hu…Ready ho gaya hai.

Gaurav:- Bahut jaldi hai tujhe college jaane ki.

Na khus aawaj me Gaurav ne Kaha.

Atul:- College ka first day hai…Thoda jaldi pahunchna chaahta hu.

Full attitude ke saath Atul ne jawaab diya.

A. Dad:- Kitna mana kiya tha tujhe MBBS mat padh aur commerce padh ke family business ko sambhaal…Lekin tere sar me to Doctor banne ka bhut chadha hua hai.

Abb jaake Atul ke Papa ko kuch bolne ka mauka mila…Wo kisi tarah kuch bolne ka mauka dhund rahe the.

Wo Atul ke MBBS padhne ke decision se bahut naraaj the.

Gaurav:- Ye hamara baat kyu sunega…Abb to bada insaan ho gaya hai…Jo accha lagega wo hi karega…Dekh raha hu isse…Ghamand kuch jyada hi badh raha hai.

Gaurav ko bhi ek mauka mil gaya apni baat kehne ka.

Atul:- Bhai ek baat kahu.

Chehre me fiki si muskaan aur aawaj me halka gussa ke saath Atul ne kaha.

Gaurav:- Ha bol.

Atul:- Agar tune apna ye over react karna band nahi kiya to ek din buri tarah se mujh se peet jaayega…Tu apne kaam se matlab rakh…Mere life me pehli bhi bahut dakhal andaazi kar chukka hai…Aisa hi karta raha to tere liye bilkul accha nahi hoga.

Atul ne bhi apna frustration nikaalte hue kaha…Aaj pehli baar usne Gaurav se iss tarah se baat kiya tha…Gaurav ka hamesha uske life me dakhal dena usko bilkul bhi pasand nahi tha…Lekin aaj se pehle usne kabhi Gaurav ko iss tarah se jawaab nahi diya tha…Kabhi dene ka mauka bhi nahi tha.

Tab tak Atul ki Maa bhi naashta le kar waha pahunch gayi thi.

A. Mom:- Beta wo tera bada bhai hai…Iss tarah se tujhe baat nahi karna chaahiye.

Atul ki Maa ne Atul ko samjhaate hue kaha.

Atul kuch jawaab deta usse pehle hi Gaurav ne kaha.

Gaurav:- Dekh rahe hai Papa…Abb to iski jubaan bhi chalne lag gaya hai…Mere saath saath ye aap ko bhi keh raha hai ki hame iske bare me kuch sochna bhi nahi chaahiye…

Gaurav itna hi bol paaya tha ki Atul ne uski baat ko kaat kar kaha.

Atul:- Agar tera bakwaas yun hi chalta raha to mera jubaan hi nahi laat aur mukka bhi chalega…Wo baat sirf tujhe bola tha…Papa ko nahi…Papa ko hak hai mere bare me decision lene ka…Lekin tujhe bilkul bhi nahi hai.

Abb agar fir se kuch bola tune to pakka abhi acchi tarah se peet jaayega.

Itna keh kar Atul chup ho gaya…Wo Gaurav ko gusse se ghurne laga.

A. Dad:- Kitna badtameez ho gaya hai tu…2 saal ghar se baahar kya raha tu to bolne ki tarika bhi bhul gaya…Koi apne bade bhai se aise badtameezi se baat karte hai kya.

Atul ki baato se uske Papa ka gussa bhi bahut badh gaya tha.

Atul:- Papa…Maanta hu abhi badtameezi se baat kiya hai maine…Lekin majbur bhi issi ne kiya…Hadd hota hai sehne ka…Aaj tak sehta raha iska sabhi hokum lekin abb saha nahi jaata.

(Gaurav ko dekhte hue) Respect bhi mai ussi ko karta hu jo deserve karta hai…Ye to bilkul bhi nahi karta…Ye jarur mera bada bhai hai lekin kabhi isne mujhe apna chhota bhai nahi maana…Ye to jaante hi honge aap…Bachpan se hi mujh par apna hukum chalata raha aur agar iska kisi baat ko inkaar kar diya to maar bhi khaana padta tha.

Mai 11 aur 12 bhi hostel me reh kar padha hu to vajah ye hai…Iske saath rehne ka bilkul bhi man nahi tha.

Lekin abb aur dar kar nahi jeeyunga…Abb itna to yakin hai khud par ki jarurat padne par iska acche se dhulaayi kar sakta hu.

Mai aap ko aur Maa ko bahut respect karta hu…Maine aapka commerce padhne ki baat iss liye nahi maana kyu ki mujhe uss subject me utna interest nahi hai…Ek baar doctor banne ka sapna dekh liya to wohi banna chaahta hu…Bahut soch samajh kar maine ye faisla liya hai.


Itna keh kar Atul chup ho gaya…Usne sabhi ki taraf ek najar ghumaaya…Sabhi chup the…Kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe.

Atul:- Papa agar iss bare me baat karne lage to baat kabhi khatam nahi hoga…Bas itna kahunga ki ek din aap ko mera iss faisla par garv hoga.

Accha chalta hu abb mai…Late ho raha hai.

Itna keh kar Atul waha se utth gaya.

A. Mom:- Abhi to tune kuch khaaya bhi nahi.

Atul:- Abb late ho raha hai…Canteen me jaake khaa lunga.

A. Maa:- Thik hai…Pehla din hai tere college ka…Man laga ke padhna…All the best.

Atul ki Maa ki iss baat par Atul ke chehre me smile aa gaya.

Atul:- Thanks Maa…Acche se padhunga.

Itna keh kar Atul ghar se nikal gaya…Aur apni bike se college ki taraf chala gaya.

College me pahunch kar usne apne dost Ajay ko phone kiya.

Atul:- Kaha hai tu.

Ajay:- Canteen me…Tu kaha hai?

Atul:- Abhi parking me hu…Ruk 5 minute me pahunchta hu.

Itna keh kar Atul ne phone cut kar diya…Aur wo bhi canteen ki taraf chala gaya.

Canteen me pahunchte hi Atul ne dekha ki Ajay ek ladki ke saath baith kar coffee pee raha tha.

Wo man hi man soch kar dono ki taraf aage badhne laga.

Atul:- (In his mind) Ye Ajay ko bhi prem rog lag gaya hai…Isne phone me to bataya tha ki isko kisi se pyar ho gaya hai…Shaayad yahi hai wo ladki…Pata nahi aaj kal ye kya fashion chal raha hai…College me aaye nahi ki inhe pyar ho jaata hai…Pyar to ek fashion sa ho gaya hai.

Itna sochne ke baad wo dono ke paas pahunch gaya…Ajay ne Atul ko dekh liya.

Ajay:- Aa gaya tu…Baith yaha.(Apne paas ke seat dikhaate hue)…Ye hai Anjali meri dost…(Ladki ki taraf ishaara karte hue).

Aur Anjali ye hai Atul…Mera best friend.

Anjali:- (Haath badhaate hue) Hi Atul.

Atul:- (Haath milaate hue) Hi.

Uske baad Ajay aur Anjali ke bich fir se baat suru hone lagta hai…Wo dono apne baat me itna vyast ho jaate hai ki dono lagh bhag bhul hi jaate hai ki waha Atul bhi hai.

Atul:- (In his mind) Waah re Ajay…Gf kya mil gaya tu to mujhe hi bhul gaya…Laga reh.

Atul apne man me baatein soch hi raha tha ki ek ladki Anjali ke paas aati hai aur kehti hai.

Ladki:- Tu yaha hai…Maine tujhe kitni jagah dhund liya…Lekin kahi nahi mili…Chal class me chalte hai.

Ladki ki aawaj sunte hi Atul ko laga ki ye aawaj kuch jaani pehchaani si hai…Jab usne ladki ko dekha to munh se apne aap hi ye baat nikal gaya.

Atul:- Nisha.

Atul ki munh se apne naam sunne ke baad Nisha ne bhi Atul ki taraf dekha.

Nisha:- Atul tum.

Dono hi ek dusre ko dekh kar hairan ho gaye…Dono ne socha hi nahi tha ki dono iss tarah se fir milenge…Dono hairaani se ek dusre ko dekhne lage.


[Note:- Friends abhi tak to jaisa xp me likha tha wohi post kar raha hu...Aage kuch changes bhi aa sakte hai...Koshish karunga kuch part ko skip karke present tak pahunchpahunchne ki aur kuch important part add bhi kar sakta hu...Plot aur theme wohi hai...Kuch mistakes ko improve karunga...Stay tuned.]
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

लगता है अतुल का अपने भाई से बिल्कुल भी नहीं बनती है। क्योंकि नाश्ते के समय दोनों भाइयों में जिस तरह से बहस हुई उससे तो यही लगता है। फिर भी अतुल को अपने बड़े भाई से इस तरह से बात नहीं करनी चाहिए थी।।

बाप तो यही चाहेगा हमेशाआ की उसका बेटा उसके पैतृक कार्य को ही आगे बढ़ाए और अगर अतुल के पापा ने ये सोचा तो इसमें कोई बुरी बात नहीं है।

कॉलेज के पहले दिन ही अतुल को लड़की मिल गई जो उसे पहले से ही जानती है। देखते हैं इस डॉक्टरी की पढ़ाई में किसका दिल पहले घायल होता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 3


Kuch der aise hi dono ek dusre ko hairaani se dekhte rahe…Fir dono ne najar hata liya…Paas me hi baithe Ajay aur Anjali bhi dono ko aise dekh rahe the jaise dono ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ho kya raha hai.

Ajay ne Anjali ko jaane ke liye ishaara kiya aur Anjali bhi Nisha ke saath waha se chali gayi.

Ajay:- Tu uss ladki ko dekh kar kyu itna hairaan ho gaya? Aisa lag raha tha ki tu usse pehle se hi jaanta hai…Lekin kab? Picchle 2 saal se to tu mere saath hi hostel me tha…Aur tu to kabhi hostel se baahar nikalta bhi nahi tha…Fir kaise?

Ajay ne thoda hairaani ke saath pucha.

Atul:-12 ke exam clear hone ke baad mila tha usse…Uss vakt tu apna ghar gaya tha…Mai bhi mood fresh karne ke liye ghumne gaya tha.

Ussi trip me Nisha mili…Bus me mere paas ke hi seat me baithi thi.

Ajay:- Lekin tum dono ko dekh kar to lagta hai ki bahut acchi jaan pehchaan hai…Aur iss tarah se milne ke baad dono hairaan ho gaye.

Atul:- Nahi kuch khaas jaan pehchaan nahi hai…Tu to mujhe jaanta hi hai…Kahi bhi kisi ke saath bhi baat karna suru kar deta hu…Thoda bahut usse baat cheet hua tha...Lekin wo baat karne me jyada interested nahi thi…Issi liye maine bhi jyada baat nahi kiya.

Aaj usse yaha college me dekha to thoda hairaan ho gaya tha…Aur aaj issi liye baat nahi kiya kyu ki wo mere saath baat karna hi nahi chaahti hai.


Dusri taraf Anjali aur Nisha bhi canteen se nikal kar class ki taraf jaa rahi thi…Raaste me hi Anjali ne Nisha se pucha.

Anjali:- Tu Atul ko dekh kar kyu itni hairaan ho gayi thi? Bachpan se jaanti hu tujhe tu kabhi kisi ladke se jyada baat nahi karti hai…To tu Atul ko kaise jaanti hai…Aur usko dekh kar itna kyu chaunki thi.

Nisha:- 12 ke exam ke baad mai apne Mama ghar jaa rahi thi…Aur ussi trip me Atul mila tha.

Anjali:- Uss tour me aisa kya hua jo wo abhi bhi tujhe yaad hai…Bus me safar karte vakt har passenger to yaad nahi rehte…Wo kuch special hai kya?

Anjali ne muskuraate hue pucha…Nisha ne bhi uske sawaal par bura sa munh bana kar kaha.

Nisha:- Special nahi bahut irritating type ka ladka hai…Apni bakwaas baato se bahut pakaya usne…Jab mai chup hui tab jaa kar wo chup hua warna saare raaste pakaata rehta.

Abhi bhi yahi soch kar hairaani ho raha hai ki uske jaisa careless ladka MBBS kaise padh raha hai…Mujhe yakin hai wo yaha bhi padhaai se jyada bakwaas karne aata hai.

Anjali:- Lekin mujhe to wo thik ulta lag raha tha…Wo hamaare saath 5 minute se baitha tha aur ek shabd bhi nahi bola tha…Bahut hi serious type ka ladka lag raha tha.

Aise hi baat karte karte Anjali aur Nisha dono class pahunch gaye.


Dusri taraf Atul Nisha ke bare me bataane ke baat ekdam se chup ho gaya…Wo kuch bol nahi raha tha aur naahi bolne ke mood me lag raha tha.

Ajay:- Kya hua yaar tujhe…Jab se aaya hai kuch pareshaan sa lag raha hai.

Atul ko bahut der se shaant aur kuch sochte dekh Ajay ne pucha.

Atul:- Thoda mood off hai yaar.

Atul itna keh kar class ki taraf jaane laga.

Ajay:- Samajh gaya jarur aaj fir se tera Papa aur Bhaiya ke saath kuch problem hua hai tere padhaai ko le kar…Aur koi vajah nahi hai tera mood off hone ka.

Ajay ne muskura kar kaha…Atul ke saath saalo se rehne ke baad itna to usse pata chal hi gaya tha ki Atul jaise hamesha khus rehne wala ladka ka mood choti choti baato se nahi bigadta.

Atul iss baat ka jawaab diye bina aage badhne laga.

Ajay:- Mujh se baat kar sakta hai iss topic me…Mood thik ho jaayega.

Ajay ki ye baat sunne ke baad Atul ne bhi socha ki akele ghut te rehne se koi faaidaa nahi…Agar Ajay ko bata dega to thoda halka mehsus karega…Itna sochne ke baad Atul waapas mood kar Ajay ke paas gaya.

Ajay:- Chal bata…Kya baat hua tha aaj?

Atul ne bhi subah ki kahani fir se suna diya Ajay ko.

Puri baat sunne ke baad Ajay ne kaha.

Ajay:- Tu Uncle ko acche se kyu nahi batata hai ki tu MBBS kyu padhna chaahta hai…Ek baar acche se bata de mujhe yakin hai wo maan jaayenge tera ye decision?

Atul:- Tujhe kya lagta hai maine unhe nahi bataya hai…Ek baar nahi bahut baar bataya hai…Jab se 12 complete hua hai tab se…Lekin wo mera baat sunna hi nahi chaahte hai…Wo chaahte hai mai commerce ki line me aage badhu taaki business ko aage badha saku…Lekin yaar mujhe uss line ke bare me kuch nahi aata aur interest bhi nahi hai…Agar unki baat maan kar padh liya to bhi kuch faaidaa nahi hai…Mera sapna tut jaayega aur kaam bhi acche se nahi kar paaunga.

Mai Papa ko galat nahi kahunga…Wo job hi soch rahe hai mere liye hi soch rahe hai…Ham middle class family se hai…Aur yaha tak pahunchne par Papa ka bahut mehnat hai…Wo hamesha se chaahte the ki paisa hamaare parivaar ke liye majburi na bane…Unka start kiya hua business kuch had tak successful raha hai aur paise ki koi kami nahi hai family me…Unhe lagta hai ki agar maine ye business continue kiya to aage hame bahut faaidaa hoga.

Mai iss business me chaah kar bhi unka help nahi kar sakta hu…Andar se hi iss kaam ke liye feeling nahi aa raha hai…Doctor banna mera bachhpan se hi ek sapna hai…Garib aur jaruratmand logo ka ilaaj karna, marte hue insaan ko nayi jindagi dena, samaaj sewa karna ye sab kaam karne se andar se hi ek shaanti milta hai…Aur iss profession me paise ki kami bhi nahi hota hai…Mai jo kuch bhi chaahta hu sab mil sakta hai iss profession se aur dil se kaam bhi kar sakunga.

Atul ne apne pareshaani aur feeling ek saath bata diya Ajay ko.

Ajay:- Baat to tera thik hai…Kuch din ruk…Uncle bhi teri baat samajh jaayenge.

Atul:- Agar wo raaste me na aaye tab na…(Gaurav ki taraf ishaara karte hue) Papa ko bhadkaane ki har koshish kar raha hai…Papa nahi bachpan se usse kya problem hai mujh se…Usne kabhi mujhe pasand kiya hi nahi…Bachpan se uska haath se maar khaana, bura bhala sunna sab kuch seh liya yaar…Abb nahi saha jaata.

Abb to itna taakat mere paas bhi hai ki usse lad saku…Abb aur nahi sahunga usko…Abb usko uski tarah se hi jawaab dunga.

Atul ne gusse ke saath kaha…Bachpan se abhi tak ka Gaurav ke liye gusse ki vajah se uska aankh laal ho gaya tha.

Ajay:- Are yaar…Tu to bahut gussa ho gaya…Control kar yaar…Aaj college ka pehla din hai…Itna gussa bhi thik nahi hai…Aaj hamaara life ka ek yaadgaar din hone wala hai…Aaj ke din ko acche se enjoy karna chaahiye.

Atul:- Hmm…Thik keh raha hai yaar…Lekin kya karu jab bhi uska yaad aata hai apne aap gussa aa hi jaata hai.

Uski vajah se hi mujh me bahut badlaaw aane laga hai…Pehle kabhi itna gussa nahi aata tha…Aaj uski vajah se hi Papa aur Maa ke saamne mai badtameez ban gaya…Warna Papa aur Maa ke saamne kabhi apna gussa iss tarah se nahi dikhaaya tha.

Kaha mai hamesha khus rehne wala aur dusro ko bhi khus karne wala Atul hua karta tha aur kaha abb aggressive aur badtameez Atul ban raha hu…Mujhe fir se pehle wala Atul banna hai…College life hansi khushi bitaana chaahta hu…Usko uski jagah dekhunga aur apne character aur padhaai me kabhi kami nahi aane dunga.

Atul ne ye baat iss tarah se kaha jaise usne ye bas socha nahi karne ka than liya hai.

Ajay:- That's my friend…Mujhe bhi mera pehle wala dost hi chaaiye…Tu apne lakshya ki taraf aage badh aur ye faaltu baato me time waste mat kar.

Atul ne bhi Ajay ki iss baat par halka muskura kar sar (head) ko haa me hilaa diya…Aur uske baad Atul washroom me jaakar chehra ko paani se acche se dhota hai aur fresh ho kar baahar aata hai.

Fir dono dost saath saath class ki taraf jaate hai college ke first day ka first class attend karne.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

तो कॉलेज में आते ही एक धमाका हो गया अतुल के ऊपर। उसे नेहा मिल गई जिसे देखकर वो चकित हो गया।। अगर जिसके मिलने की उम्मीद दूर दूर तक नहीं होती और वही सामने आ जाए तो चौकना स्वाभाविक ही है। अतुल भी नेहा को देखकर चौक गया। अतुल और उसके पापा दोनों अपनी अपनी जगह सही हैं। अतुल के पापा ने बहुत मेहनत करके अपने दम पर जो व्यापार शुरू किया है उसी को आगे बढ़ाने के लिए उन्हें अतुल की जरूरत है।

अतुल का सपना और सोच दोनों अच्छी है। गरीब और जरूरत मंद लोगों की सेवा करना और उनका इलाज करना जो आजकल के डॉक्टरों में जैसे लुप्त सी हो गई है। लेकिन अपने बड़े भाई गौरव पर उसे गुस्सा आ रहा है क्योंकि वो उसके पापा को भड़का रहा है उसके खिलाफ। अपने दोस्त अजय के समझाने पर वो शांत हो जाता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 4


Class me jaane ke baad Atul aur Ajay ne dekha ki sabhi students class me pehle se maujud hai aur front rows me pehle hi sabhi students baith chuke the.

Atul:- College ke first day me hi last row me jaa kar baithna padega…Itni jaldi college aane ka bhi koi faaidaa nahi.

Atul ne thoda niraasha ke saath kaha.

Ajay:- Maine bhi socha nahi tha…Front rows pack ho jaayega…12th me to sabhi students last me baithte the…Lekin yaha ka haal to bahut alag hai.

Atul:- Waise bhi aaj first day hai…Jyada padhaai nahi hoga…Introduction me hi time beet jaayega…Kal se koshish karenge aage baithne ki.

Thodi der me class suru ho jaayega…Chal seat par jaa kar baith te hai.

Itna keh kar Atul ne Ajay ko dekha…Ajay ka dhyan Atul ki baat par nahi tha…Ajay ko Anjali ko dekhta paa kar Atul ne fir se kaha.

Atul:- Bhai agar ghurne ka kaam band ho gaya ho to chale.

Atul ne ye baat dheere se kaha taaki sirf Ajay hi uska baat sun sake.

Ajay:- Ok tu jaa kar apne seat par baith mai apne seat par jaata hu.

Ajay ne Anjali ke paas ke khaali seat ko dekh kar khus hote hue kaha.

Atul:- Nahi…Bilkul nahi…Tu mere saath hi baithega aaj…Pehle hi last me baithna pad raha hai aur akele to bilkul bhi nahi baithunga.

Ajay:- Please yaar samjhaa kar.

Ajay ne muskuraate hue kaha.

Atul:- Mai to sab samajh gaya hu…Lekin tu bhi ek baat samajh le padhaai ke vakt no love no romance…Sirf padhaai pe dhyaan de.

Ajay:- Issi liye keh raha hu ki mujhe Anjali ke paas hi baithna chaaihiye…Uske paas baitha to padhne ka mood bhi bana rahega…Aur agar tere paas baitha to din bhar mood off hoga…Padhaai me bilkul man nahi lagega.

Atul:- Abb agar tera bakwaas khatam ho gaya hai to baithne chal.

Atul Ajay ki koi bhi baat sunna nahi chaahta tha…Khaas kar Pyar se related koi baat.

Ajay:- Please yaar samjhaa kar…College ka first day hai…Bahut hi special din hai ham sabhi ke liye…Aur iss special din me Anjali ke saath baithne ka maja hi kuch aur hai…Saari jindagi yaad rahega.

Atul samajh gaya ki Ajay uski baat maanne ki mood me nahi hai.

Atul:- Tu maanega to nahi aur mera koshish bhi bekaar hai…All the best…Lekin kabhi kabhi padhaai bhi kar lena...Sirf ghurte mat rehna.

Itna keh kar Atul apni seat ki taraf jaane laga…Jaate hue wo soch raha tha.

Atul:- (In his mind) Abhi se pyar me paagal ho gaya hai…Khair jee le bhai apni jindagi…Mai to iss pyar naam ke rog se jitna dur hu utna hi behtar hai mere liye.

Itna keh kar Atul last ki seat me jaa kar baith gaya…Aur bag se ek book nikaal kar class start hone ka wait karne laga.

Wo book ke page palat kar dekh raha tha ki tabhi usse laga ki uske paas koi aa kar baitha hai…Usne mud kar dekha to Nisha thi…Atul ne fir apni dhyan book ki taraf kiya aur pucha.

Atul:- Gusse me lag rahi ho?

Nisha:- Class se kuch der ke liye baahar gayi thi…Aur jab waapas aayi tab dekha ki Anjali ke paas Ajay baitha hai…Ek baar mujhe pucha bhi nahi.

Nisha bahut gusse me thi...Atul thoda hanste hue bola.

Atul:- Ye to bas suruwat hai ye love birds ke karnaamo ka…Mera dost bhi kuch kam nahi hai…Pyar hone ke kuch din me hi apne dost ko bhul gaya…Pata nahi aage kya kya dekhna padega.

Nisha ne kuch jawaab nahi diya to Atul bhi apne book ki taraf wapas dhyan dene laga.

Kuch der baad.

Atul:- Mujhe to bilkul bhi yakin nahi tha ki tumse fir mulakaat hoga wo bhi iss tarah se…Khair tumhe fir se dekh kar accha laga.

Atul ne thoda khushi ke saath kaha aur apna haath aage badha diya.

Nisha:- Flirt kar rahe ho mujhse.

Nisha ne bura sa munh bana kar pucha.

Atul:- Bilkul nahi…Lekin tumhe aisa kyu laga ki mai tumse flirt kar raha hu.

Atul ne apna haath piche khinch liya aur serious ho kar kaha.

Nisha:- Tum ladke aise hi hote ho…Pehle thoda baat karte ho, aur ladki ne bhi agar thoda hans kar jawaab diya to sidha flirting karne lag jaate ho…

Nisha isse aage kuch kehti usse pehle Atul ne usse rok kar kaha.

Atul:- Baaki ladke ke bare me mai nahi jaanta…Lekin ye love aur flirt me mujhe bilkul bhi interest nahi hai…Yaha sirf padhne aaya hu aur baaki ke baato se mujhe koi lena dena nahi hai.

Nisha:- Sach mein.

Nisha ne kuch soch kar hanste hue pucha…Atul ki baat par usse bahut hansi aa raha tha…Atul ko Nisha ki hansi bilkul bhi pasand nahi aaya.

Atul:- Koi shak.


Nisha:- Fir wo bus me kya kar rahe the…Mujhe baat karne ka bilkul bhi interest nahi tha aur tum bakwaas hi karte jaa rahe the.

Atul:- Accha wo baat…Mujhe laga ki tum bore ho rahi thi to baatein kar raha tha…Lekin jab tum meri baato ko ignore karne lagi tab mai bhi chup ho gaya tha.

Mai apne bare me bas itna hi kahunga ki mai jyada baatein nahi karta hu…Sirf matlab ki baat hi karta hu aur apne kaam se matlab rakhta hu…Dosto ke saath saccha dosti nibhaata hu aur pyar mohobbat jaise faaltu baato me bilkul bhi time waste nahi karta hu...Ladkiyo se bhi bekaar baatein nahi karta...Flirting to bahut dur ki baat hai...Tumse to bilkul bhi nahi Abhi hame 5 saal saath me padhna hai…Dheere dheere samajh jaaogi mujhe.

Atul itna keh kar chup ho gaya…Ye kehte vakt uske chehre me ek muskaan tha…Apna taarif karna usse bahut accha lag raha tha.

Nisha:- Koi interest nahi hai mujhe kisi ko samajhne me.

Fir Atul ne Nisha ko puri tarah ignore kar diya...Aur apne book par concentrate karne laga...Waise bhi usse Nisha me kuch khaas interest bhi nahi tha...Aur usse bahas karne se accha padhaai me dhyan dene laga.

Nisha:- (In her mind) Pata nahi kyu yaha aa kar baith gayi…Abb aaj din bhar ye apni baato se pakata rahega…Itna bakwaas karta hai aur fir bhi kehta hai ki jarurat se jyada nahi bolta hai…Please god aaj iski bakwaas se bacha lena aage se iski seat me kabhi nahi baithungi.

Itna sochne ke baad Nisha bhi apne bag se book nikaal kar dekhne lagti hai.

Karib 5 minute ho gaya tha lekin dono me se kisi ne bhi kuch nahi kaha…Nisha ko thoda hairaani bhi ho raha tha ki achaanak hi Atul chup ho gaya…Nisha ne Atul ki taraf dekha…Atul Anatomy book ka first chapter dekh raha tha aur aisa lag raha tha ki wo seriously padh raha hai.

Nisha:- (In her mind) Pata nahi sach mein padh raha hai ya acting kar raha hai…Fir bhi accha hi hai…Iski pakaau baatein kaan me nahi pad raha hai.

Kuch der baad class start hota hai…First class Anatomy ka tha…Introduction complete hone ke baad thoda lecture chalta hai…Iss baar Nisha ne notice kiya ki Atul ne ek baar bhi uski taraf dhyan nahi diya…Wo padhaai me fully concentrate kar raha tha aur important baatein note kar raha tha.

Issi tarah Physiology aur Biochemistry ka class bhi complete ho jaata hai…Atul ka mushkil se hi 2 ya 3 baar najar Nisha par pada lekin wo bas kuch pal ke liye hi tha…Wo sirf apne padhaai pe focus kar raha tha.

Aur fir lunch break hua…Sabhi lunch ke liye canteen ki taraf chale jaate hai…Atul last ke ek kone me chala jaata hai aur naasta ke liye order kar deta hai…Nisha bhi ek jagah baith ke lunch karti hai aur na chaahte hue bhi uska najar Atul par baar baar jaa raha tha…Atul ko aise shaant aur sirf apne kaam se matlab rakhta hua dekh kar usse bahut hairaani ho raha tha.

Naashta karne ke baad Atul kuch students se baat karne lagta hai…Sabhi apna apna introduction de rahe the ek dusre ko…Aur iss baar jab Nisha fir Atul ko dekhti hai usse aur hairaani hua…Iss baar Atul hanste hue dosto se baat kar raha tha…Nisha ko Atul ka ye do alag alag roop bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha…Kabhi wo hans raha tha to kabhi ek dum se shaant.

Jab Atul ne naashta khatam kiya to Nisha ke paas se aise nikal gaya jaise wo Nisha ko pehchaanta hi nahi.

Canteen se Atul aur Nisha dono class me aa gaye…Class start hone me thoda time baaki tha aur dono ne fir se book nikaal kar padhne lage.

Fir kuch der baad class start ho gaya…Baaki ke class me bhi Atul waise hi shaant reh kar sirf study par hi focus karta raha…Mushkil se Nisha par najar pad bhi jaata to wo ignore kar ke fir se book ki taraf dekhne lagta.

Aur aise hi chhuti bhi ho gaya…Atul Ajay se kuch der baat kar ke bike se apne ghar ki taraf chala gaya.

Nisha bhi Anjali ke saath baat karte hue apni scooty par apni ghar ki taraf jaane lagi…Kuch der baad Anjali ka ghar aa gaya aur Nisha akeli reh gayi.

Wo baaki ke raaste me kuch baatein sochte hue apne ghar ki taraf jaane lagi.

Nisha:- (In her mind) Ohh god…Aaj class me kya kya padhaai hua kuch samajh me nahi aaya…Bilkul bhi concentrate nahi kar paayi…Ye sab uss Atul ki vajah se hua hai…Uske paagal pan ki vajah se concentrate hi nahi kar paayi…Kitna khadoos hai wo…Bahut attitude hai usme…Jo man me aaye wo hi karta hai…Kabhi bakwaas karke pakaata hai to kabhi aise shaant rehta hai jaise bolne bhi nahi jaanta.

Usse jitna dur rahungi utna hi accha hai…Uske saath rahi to mai bhi paagal ho jaaungi…God please usse mujhse dur hi rakhiye.

Itna keh kar Nisha apne man me dua maangne lagi…Lekin bechaari ko kya pata tha ki ghar pahunchte hi uska dua ka koi matlab nahi hai aur usse bahut jald ek bada jhatka lagne wala hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

ये लड़कियों का सच मे कुछ समझ नहीं आता। उन्हें लगता है कि अगर कोई लड़का उनसे बात कर रहा है तो उसके पीछे जरूर उसकी गंदी सोच ही है। कभी ये दिमाग नहीं लगाती की हो सकता है वो उसके साथ दोस्ताना व्यवहार कर रहा है।।

लड़कियों की एक बड़ी दिक्कत ये भी है कि जब कोई लड़का उसके पास आने की कोशिश करता है या उनसे बात करने की कोशिश करता है तो उन्हें बुरा लगता है, लेकिन अगर वही लड़का उन्हें नजरअंदाज करने लगे तो उनका खून खौलने लगता है। आखिर अब लड़का करे भी तो क्या करे।😛😄
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 5


Nisha apne room me jaa kar pehle fresh hoti hai aur fir naasta kar ke wo aaj college me jo padhaai hua tha wo revision karne lagti hai..Padhaai me wo hamesha se intelligent thi issi liye usko revise karne me koi khaas mushkil nahi hua.

Revision karne ke baad wo khud se hi kehti hai.

Nisha:- Revision complete ho hi gaya…Koi khaas mushkil nahi hua revise karne me…Abb aage se sirf padhai ke baare me sochungi...Aur kuch nahi.

Itna kehne ke baad Nisha ko fir Atul ka yaad aaya…Aaj Atul ki vajah se wo apne padhaai se distracted ho gayi thi iss baat ko yaad kar ke usse Atul par fir gussa aane laga.

Nisha:- Aur uss Atul se dur hi rahungi…Pata nahi kyu aaj usko samajhne me aur observe karne me itna time waste kar diya…Aakhir usme aisi kya khaas baat hai jo mai usme itna interest le rahi hu…Kuch bhi to nahi hai usme…Ek dum khadoos hai aur boring bhi.

Fir uske bare me soch kar time waste kar rahi hu…Nahi aage se nahi sochungi…Waise bhi mujhe doctor banna hai…Aisi bakwaas baato me ulajh kar mujhe apna time waste nahi karna chaahiye.

Itna kehne ke baad Nisha fir apne books ki taraf dekhne lagi…Wo book me kal padhaai hone wali chapter ko issi vakt padhna chaahti thi aur pehle se hi prepare hona chaahti thi.

Kuch der padhne ke baad wo chhat me jaa kar fresh hone ka soch kar chhat me chali jaati hai.

Chhat me jaate hi usse guitar ki tune aur kisi ki gaaane ki aawaj aati hai…Tune aur gaane ki aawaj bahut surila tha aur Nisha bhi gaana kaun gaa raha hai ye dekhne ke liye aawaj ki taraf chali jaati hai.

Wo uss aawaj ko picha karte hue chhat ke kone me chali jaati hai…Wo dekhti hai ki dusre ghar ki chhat k eek kone me ek ladka guitar bajaate hue gaana gaa raha tha…Wo ladka ka peeth Nisha ki taraf tha issi vajah se Nisha uska chehra nahi dekh paati hai.

Lekin uss ladke ka hair style dekh kar Nisha samajh jaati hai ki wo ladka kaun hai aur uss ladka ka yaha hone ki vajah se hi usse ek tej jhatka salagta hai…Jisse dur rehne ka dua wo maang rahi thi abhi wo hi saamne tha…Shock me uski munh se aawaj nikalta hai.

Nisha:- Atul….

Nisha ki thodi tej aawaj se Atul bhi Nisha ki taraf mud jaata hai…Wo bi utna hi hairaan tha jitna Nisha thi…Usne bhi Nisha ko apne ghar ke saamne hone ka umeed nahi kiya tha…Wo bhi Nisha ki taraf aata hai.

Atul:- Tum yaha?

Nisha:- Yahi mai bhi puchna chaahti hu…Tum yaha kya kar rahe ho?

Pehli baar Atul ko apne ghar ke saamne dekh kar Nisha ko bahut hairaani ho raha tha…Atul ko iss vakt dekh kar wo samajhne ki koshish kar rahi thi ki Atul yaha iss vakt kya kar raha hai.

Atul:- Mai yaha kya kar raha hu? Mera ghar hai ye aur apne ghar me abhi guitar baja rha hu.

Atul ne Nisha ki sawaalo ka jawaab diya…Uske jawaab se hi pata chal raha tha ki usse Nisha ka sawaal bilkul bhi accha nahi laga.

Nisha:- Lekin tumhe pehle yaha to kabhi dekha hi nahi.

Nisha ne confusion me pucha.

Nisha ki iss baat se Atul samjha ki Nisha tabhi kya puch rahi thi…Atul ne bhi thoda mushkura kar jawaab diya.

Atul:- Kyu mai 2 din pehle hi yaha aaya hu…Pehle 2 saal tak hostel me rehta tha aur hamne yaha 1 saal pehle ye ghar kharida tha.

Atul ki iss jawaab se Nisha sab samajh gayi…Lekin Atul ka iss ghar ke hone se Nisha ko Atul par aur gussa aane laga…Wo apne man me sochne lagi.

Nisha:- (In her mind) Pehle hi iske Papa aur Bhaiya kam the kya jo ye bhi aa gaya…Pehle hi dono ne jeena mushkil kar diya hai chhoti chhoti issue par hangama macha ke…Ye bhi unn dono ki tarah hi khadus hai.

Nisha yahi soch rahi thi ki Atul ne kaha.

Atul:- Kya hua…Kuch soch rahi ho?

Nisha ko gehri soch me dekh Atul ne pucha.

Nisha:- Kuch nahi.

Nisha ki aawaj me thoda rukha pan aa gaya aur wo piche mud kar niche apne room ki taraf jaane lagi.

Atul ko Nisha ka aise behave karna bilkul bhi accha nahi laga lekin usne iss baat ko ignore kar diya…Wo chup hi raha aur Nisha ko jaate dekhne laga.

Gate me pahunchte hi Nisha achanak se mudi aur usne Atul se kaha.

Nisha:- Aur tum please ye guitar mat bajaana…Bahut disturb ho raha hai padhne me. Mai yahi baat kehne aayi thi chhat me lekin bekaar ki baato me ulajh gayi.

Itna keh kar Nisha chali gayi…Achanak se usse Atul par itna gussa aane laga ki Atul par apna gussa dikhaane ke liye usse jhuth ka sahara lena pada.

Nisha ke jaane ke baad Atul wahi hairaan khada raha…Wo apne man me sochne laga.

Atul:- (In his mind) Mai kitni dheemi aawaj me guitar baja raha tha aur gaana gaa raha tha lekin ye aawaj uski room tak kaise pahunch gayi…Aur mere saath aise kyu behave kar rahi hai jaise mai uska bahut bada dushman hu…Maine uska kuch bigaada bhi nahi.

Aur bahut attitude bhi hai iss ladki me…Pata nahi kya sochti hai khud ke bare me…Baat bhi aise kar rahi hai jaise ye dikhaa rahi hai ki wo mujhse baat karke mujh par koi ehsaan kar rahi hai.

Bhaad me jaaye wo aur uski jaisi ladki…Mujhe koi baat nahi karna aisi ladki se…Kal se isse baat hi nahi karunga…Thoda sa baat kya kar liya ye to sar par hi chadhne lag gayi.

Abb Atul ko bhi Nisha par gussa aane laga…Aur wo bhi apne room ki taraf chala gaya.


Udhar Nisha bhi apne room me pahunch gayi.

Nisha:- (To herself) Oh God. Aapse kaha tha ki usse mere saamne mat laana…Lekin wo to saamne wala ghar me hi rehta hai…Aur ye uss pariwar se hai jisse hamaara dushmani hai…Abb to ye college aur ghar kahi bhi picha nahi chhodega…Har vakt iska manhoos shakal dekhna padega aur pakau baatein sunna padega.

Kya karu kuch samjah me nahi aa raha hai…Kaise iss ladke se piccha chhudau.

Itna keh kar Nisha fir sochne lagti hai.

Nisha:- Ha yahi thik rahega…Usko puri tarah se ignore kar deti hu…Tab shaayad wo mujhse baat bhi nahi karega…Agar fir bhi baat karne ki koshish karega to sabke saamne daant dungi…Tab shaayad ye mujhse dur rahega.

Itna kehne ke baad Nisha ne tay kar liya ki wo yahi karegi.


Ek hi din ke mulaakat me Atul aur Nisha ka soch ek dusre ke liye itna badal gaya tha aur ek dusre ke dimaag me alag sa pehchaan bana liya tha dono ne…Ye to abhi suruwat tha…Dono hi iss baat se puri tarah se anjaan the ki dono ko abhi saath me aise alag alag paristhiti se gujarna hai jisse shaayad wo abhi yakin hi nahi kar paate.
बहुत ही जबरदस्त महोदय।।

निशा की परेशानी यहीं खत्म नहीं होती, वो घर भी जाने के बाद अतुल के बारे में सोचती रहती है और अतुल पर ही अपनी भड़ास निकलती है कि वो बहुत खड़ूस है। बोलता नहीं है। घमंड है उसके अंदर। ये निशा भी न।।

जिसके न मिलने की कामना वो भगवान से कर रही थी वो भगवान ने एक सिरे से नकार दी और उसे उसके घर के बगल ही ला पटका। ऊपर से सोने पर सुहागा ये कि दोनों परिवार जानी दुश्मन हैं। शायद यही कारण था कि दोनों परिवार उनकी शादी के लिए तैयार नहीं थे।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 6

Next Day at College

Atul agle din class start hone se aadha ghanta pehle hi college pahunch gaya…Ye aadha ghanta usne sabhi students se introduction me beeta diya.

Thodi der baad Nisha aur Anjali saath me class me aaye…Dono hi ek dusre se hanste hue aur baat karte hue aa rahe the…Atul ko dekh Nisha ki hansi gaayab ho gaya…Aur jab Atul ne bhi Nisha ko dekha tab wo bhi baat karna chhod Nisha ko dekhne laga…Usse bhi samajh me nahi aa raha tha kaise react karna chaahiye…Usne bas thoda sa smile kiya.

Jawaab me Nisha ne koi reaction nahi diya aur Anjali ke saath piche seat ki taraf chali gayi.

Atul ne bhi iss baat ko ignore kar diya aur fir apne naye bane hue dosto se baat karne laga…Itna to usse pata chal hi gaya tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur usne bhi abb soch liya ki wo bhi abb be vajah Nisha ke paas nahi jaayega.

Jab class start hone me 5 minute baaki tha tab Atul bhi piche seat ki taraf jaane laga.

Usne dekha ki front rows sabhi pack ho gaya tha…Bich me do seat khaali tha…Middle aur Left column me…Middle column me Nisha ke paas ek seat khaali tha aur left column me bhi ek seat khaali tha aur uss khaali seat ke paas ek ladki thi.

Nisha ne bhi Atul ko dono seat ki taraf dekhte hue dekh liya aur wo man hi man sochne lagi.

Nisha:- (In her mind) Oh no…Lagta hai fir ye mere hi paas aayega…Pata nahi kyu ye mera picha nahi chhod raha hai.

Nisha yahi sab soch rahi thi ki Atul bhi abb dono seat ki taraf aage badhne laga aur Nisha ke ummeed se thik ulta wo left column me chala gaya…Nisha ko iss baat se thoda hairaani aur khushi dono hua.

Atul aur Nisha abb alag alag column me the lekin dono ek hi row me the…Atul apne seat me baith kar apne paas wali ladki se kehta hai.

Atul:- Hello…I am Atul.

Ladki:- Hi…I am Kajal.

Itna keh kar Kajal apna haath Atul ki taraf badha deti hai…Atul bhi apna haath aage badha kar handshake karta hai.

Handshake karne ke baad Atul wapas sidha apni jagah baith jaata hai…Usse samajh me nahi aa raha tha ki abb usse kya bolna chaahiye…Hamesha ladkiyo se dur rehne ki vajah se usse Kajal se baat aage badhaane me mushkil ho raha tha.

Kajal:- Tum bahut shaant dikhte ho.

Kajal ki baat sun kar Atul fir Kajal ki taraf ghumta hai aur uski baat ka matlab samajhne ki koshish karta hai…Kajal fir se thoda smile ke saath kehti hai.

Kajal:- Tumhe kuch der pehle se notice kar rahi thi…Tum bahut kam bol rahe the aur sirf jarurat ke hisaab se hi bolte ho.

Kajal ki iss baat par Atul ne bhi thoda muskaan ke saath kaha.

Atul:- Thoda kam hi bolta hu…Ek do baar koshish kiya tha jyada bolne ki lekin kisi ko accha nahi laga…Tab ehsas hua ki over smart hona bhi thik nahi hai…Jaisa hu waisa hi thik hu…Bahut hi kam close friends ke saath khul kar baatein karta hu.

Atul ne muskura kar kaha.

Kajal:- Ha baat to sahi hai…Logo ko dikhaane ke liye jabardasti badlaaw laana bhi thik nahi hai.

Kajal ne itna hi kaha tha ki class me teacher aa gaye.

Uske baad dono ke bich baat cheet bhi band ho gaya.

Atul kal ki tarah aaj bhi pura dhyan laga kar padh raha tha aur important points note kar raha tha…Atul ko aisa karte hue Kajal notice kar rahi thi…Atul se thodi dur baithi Nisha bhi na chaahte hue bhi Atul ko notice kar rahi thi.

Issi tarah kuch der me class bhi khatam ho gaya.

Kajal:- Lagta hai padhne me bahut interest hai tumhaara…Puri class me ek baar bhi tumhara najar lecturer aur book se nahi hata.

Atul:- Ha padhna accha lagta hai…Aur study ke time me mind divert bhi nahi karta hu…Lekin itna bhi nahi padhta hu ki bas padhne me hi laga rahu…Vakt milte hi entertainment bhi karta hu…Jaise cricket khelna aur guitar bajaana.

Padhaai apni jagah aur baaki ke kaam apni jagah.

Kajal:- Sahi hai…Life me sab kuch jaruri hai…Kabhi kabhi kuch students ko dekh kar ajeeb bhi lagta hai…Hamesha padhaai me hi lage rehte hai…Padhna bahut accha baat hai lekin bas padhaai me hi busy reh kar dusre kaam ko bhul jaana…Ye thoda ajeeb lagta hai.

Atul:- Mujhe iss bare me jyada idea nahi hai to kuch nahi keh sakta hu…Shaayad unhe padhaai ke alawa baaki ke cheej me utna interest nahi hoga…BTW tum kya karti ho entertainment ke liye.

Kajal:- Movie dekhti hu, gaana sunti hu, drawing banati hu aur kabhi kabhi poem likhti hu…Mood fresh ho jaata hai.

Atul:- Creative mind hai tumhaara…Mujhe to drawing banana bahut mushkil lagta hai…11 aur 12 me bhi biology ka drawing bahut mushkil se bana paata tha…Aur poem likhna to dur koi essay bhi dhang se nahi likh paata hu.

Atul ne hanste hue kaha…Kajal bhi saath me thoda hansne lagi.

Atul:- Lekin poem sunna mujhe bahut pasand hai…Agar tumhe problem na ho to tumhaara poem sunna chaahunga.

Kajal:- Abhi thik se yaad nahi hai...Diary me likhti hu…Kisi din suna dungi.

Issi tarah Atul aur Kajal khali time me pure din baat kar rahe the…Dono dhire se hi baatein kar rahe the…Itna dhire se ki unn dono ke alawa aur koi sun nahi raha tha…Waise bhi class me baaki ke students aapas me baat kar rahe the aur unke aawaj ke saamne Atul aur Kajal ki baatein koi sun nahi sakte the.

Issi tarah pure din dono saath me baat karte rahe…Aur dono me dosti bhi badhne laga.

College chhuti hone ke baad sabhi students apne apne ghar ki taraf jaane lage…Nisha aaj khushi ke saath ghar jaa rahi thi aur apne man me soch rahi thi.

Nisha:- (In her mind) Aaj bahut acche se padh paayi…Accha hua jo wo Atul mere paas nahi baitha…Kaash wo hamesha mujhse dur hi rahe…Aaj wo Kajal ke paas jaa kar baitha…Bechari Kajal…Bahut jald usse pata chal jaayega ki ye Atul kitna pakaau ladka hai.

Itna soch kar Nisha apne ghar jaane lagi.


PRESENT


To Doctor saahab aapka bhi pyar nafrat se hi suru hua tha.

Atul ko bich me hi rok kar Shreya ne pucha.

Atul:- Nahi ye nafrat nahi tha…Bas thoda sa misunderstanding tha.

Thoda sa udaasi ke saath Atul ne kaha.

Shreya:- Abhi tak tumhaara kahani sun kar itna to pata chal gaya ki tum aaj bhi waise hi ho jaise pehle the.

Atul:- Nahi badlaaw to bahut aaya hai…Hamesha pyar par vishwaas nahi karne wala Atul ko kuch aise vakt se gujarna pada tha jaha usse apne pyar ke liye sabhi se bheek maangna pada tha…Kiske saamne maine haath nahi joda…Apne Papa ke saamne, Nisha ke saamne aur Nisha ke parents ke saamne…Lekin kisi ne meri ek nahi suna.

Hamesha jindagi ko hansi, majaak aur dosti ke saath jeene wala Atul aaj jindagi iss tarah se jee raha hai jaise uska jindagi ek shraap hai…Pata nahi kaise jee raha hu aur kyu jee raha hu aur ye bhi pata nahi iss jindagi ka kya makshad hai.

Jab bhi kisi ka ilaaj karta hu aur kisi ki taklif dur karta hu to uske chehre ki khushi dekh alag hi khushi milta hai…Bas yahi ek khushi reh gaya hai jindagi me…Nisha aur apne pariwar se dur hone ke baad to waise bhi mera jindagi me kuch baaki nahi hai.

Itna kehne ke baad Atul ki aankho me aansu ke kuch boond aa gaya…Ek baar fir usse khud me haara hua Atul dikhaai diya...Ek haara hua aashiq aur insaan...Kitna majbur tha wo aur hai.

Shreya:- Sambhaalo khud ko…Shaayad maine hi galat sawaal puch diya hai…Sorry.

Shreya ne Atul ke kandhe ko pakad kar kaha…Atul ko udaas to usne bahut baar dekha tha lekin rote hue aaj pehli baar dekha hai…Atul ko iss tarah se rote dekh Shreya andaaja laga rahi thi ki wo Nisha se kitna pyar karta hai.

Atul ne bhi jald hi khud ko sambhaal kar aur aansu pocchte hue kaha.

Atul:- 4 saal ho gaya hai Nisha se dur hue…Sambhalna seekh liya hai maine…Aaj achanak wo pal yaad aa gaye to aankho me thoda aansu aa gaya.

Shreya:- Aisa kya hua tha kit um aur Nisha alag ho gaye…Ye ek tarfa pyar tha ya fir Nisha ki bewafaayi ya fir koi aur vajah thi?

Shreya Atul ki puri kahani sunne ko utshuk thi…Wo ye bhi chaahti thi ki Atul apni saari kahaani bata de aur halka ho jaaye…Usne bahut dino se mehsus kiya tha ki Atul apne man me hi bahut saari baatein chupa kar ghutan ke saath jee raha hai.

Atul:- Nahi nahi…Nisha kaise bewafayi kar sakti hai...Wo mera pyar hai...Wo bhi mujhsemutna hi pyar karti thi jitna mai...Shayad mujhse bhi jyada.

Hamaara judaai bhi ussi daraawna sapna jaisa hi tha..Shayad sapne se bhi jyada daraawna...Sapna ko to majaak me udaa diya tha...Lekin hakikat...Hakikat ne aaj mera hmera hi jindagi ko majaak bana diya.

Shreya:- Tumne Nisha ke parents ko manaane ki koshish nahi kiya?

Atul:- Kiya tha…Bahut koshish kiya tha...Lekin jab mere hi Papa mere khilaaf ho gaye to mai bhi kya kar sakta tha…Dono hi pariwar me bahut jhagada ho gaya aur Nisha ke Papa bhi kaise apne beti ki shaadi aise ghar me kara sakte the.

Bas yahi mera pyar haar gaya…Apne bhai ki nafrat aur Papa ka Nisha ke ghar se dushmani…Bas yahi tha hamaare judaai ki vajah.

Ye kehte hue Atul ki chehre me fir dard ke bhaaw aa gaya…Iss baar uske chehre me thoda gussa bhi tha.

Shreya:- Bahut galat hua tumhaare saath…Jab apne hi saath chhod de to kya kar sakte hai…Waise Nisha abb kaha hai?

Shreya ko Atul ke liye bahut bura lag raha tha.

Atul:- Pata nahi…Jab uska shaadi Ravi se hone ki baat hua tab mai apne ghar chhod ke chala gaya…Aur jee nahi paa raha tha mai waha…Paagal sa ho gaya tha…Ek to mera aur Nisha ka rishta se sabhi ne inkaar kar diya aur upar se Nisha ka shaadi Ravi se tay hona.

Mujhse bilkul bhi bardaast nahi ho raha tha…Ravi hi ek aisa ladka tha hamaare class me jo mujhe bilkul pasand nahi tha…Hamesha sabko niche dikhaane ki koshish karta tha aur bahut baar hamaare bich ladaai bhi hua tha.

Aur jab Nisha ka shaadi ussi se tay hua tab mujh se aur bardaast nahi hua…Aur mai sab kuch chhod kar bhatakte hue yaha iss gaanw me aa gaya…Aakhir kaise mai ye sab dekh paata...Itna himmat nahi tha mere paas...Apni Nisha ko kisi aur ka hota dekh nahi paaya.


Abb to bas bhagwan se itna hi dua hai ki Nisha jaha bhi hai hamesha khus rahe.

Har aashiq ki khwahish...Atul muskurate hue bol gaya.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

अतुल को निशा ने तो नहीं समझा लेकिन काजल ने उसके चरित्र को अच्छी तरह से समझ लिया तभी तो दोनों में थोड़ी ही देर में बनने लगी। इस बीच निशा ने भी अतुल को समझने की कोशिश करती रही, लेकिन वो कहते हैं न कि अगर एक बार आप किसी के बारे में अपनी धारणा बना लेते हैं तो वो इतनी आसानी से दूर नहीं होती।।

श्रेया शायद अतुल के साथ काम करती है जहां अतुल काम करता है श्रेया को अतुल अपनी कहानी सुना रहा है। निशा की शादी उस लड़के से हो गई है जिसे अतुल सबसे ज्यादा नापसन्द करता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 7


Shreya:- Kya tumne fir Nisha se kabhi contact nahi kiya?

Atul:- Abb utna himmat hi kaha hai mujhme? Kisi tarah jee raha hu yaadon ke sahare aur iss dua ke saath ki meri Nishu hamesha khus rahe.

Naa jindagi jee paa raha hu aur naa hi picche mud sakta hu...Bas kat rahi hai jindagi.


Shreya:- Suna tha pyar me bahut dard milta hai…Lekin aaj dikh bhi raha hai…Kaise seh lete ho itna dard?

Shreya bhi Atul ka dard mehsus kar rahi thi...Usse bhi bahut bura lag raha tha Atul ka dard dekh kar.

Jawaab me Atul ke hontho se ek mushkan hi nikla...Wo bhi dard bhari.

Shreya:- Kya hua?

Atul:- Tumne abhi jo kaha mai ussi baat ko majaak ke roop me leta tha 10 saal pehle.

Jab mujhe pyar me vishwaas nahi tha tab pyar ko bakwas manta tha…Kehta tha ki saare aashiq paagal hote hai jo pyar karte hai ye jaane ke baad bhi ki pyar ka dusra naam dard hai…Pata nahi ye pyar me aisa kya hai jo sabhi issi ke piche bhaagte hai aur apne jindagi barbaad karte hai.

Lekin pyar bhi na...Bahut ajeeb hai...Kisi ka bas nahi chalta...Kab kisse ho jaaye ye bhi pata nahi chalta...Aur jab hota hai to kabhi picche nahi chutta hai?

Kisi ka jindagi khubsurat ban jaati hai hamesha hamesha ke liye...Aur koi haara hua aahiq ban jaate hai meri tarah.


Lekin sabse jyada dard iss baat se ho raha hai ki mera pyar ke saath mera Kasam bhi adhura reh gaya...Apni Nishu ko diya hua kasam...Pyar ki Kasam...Saath jeene marne ki kasam...Pyar nibhaane ki kasam...Har wo kasam adhura reh gaya.

Abb Atul ki aankho se bhi aansu behne lage...Aaj wo Shreya ke saamne khud ko sambhal nahi paaya...Itna toota hua mehsus kar raha tha wo.

Atul ki baat sunne ke baad Shreya apne man me sochne lagi.

Shreya:- (In her mind) Ha ye baat to sach kaha tumne…Ham pyaar se jitna bhi bhaagne ka koshish kar le bhaag nahi sakte hai…Ek vakt tha jab mai bhi tumhaari tarah hi sochti thi ki mujhe bhi kisi se pyar nahi hoga…Aur khud se yahi jhut bolte bolte kab tumse pyar kar baithi pata hi nahi chala.

Nisha ki tarah mai bhi tumhe pehle khadus aur ghamandi hi sochti thi pehle...Aisa lagta tha ki tum me kuch jyada hi ghamand hai doctor hone ka…Issi liye kisi se kuch nahi bolte ho.

Lekin dhire dhire pata chala tumhaari khaamoshi me bhi ek udaasi hai aur uss udaasi ke piche ka dard aaj pata chala…Vakt ke saath saath tumhe pehchaane lagi…Tum bhale hi kam bolte ho lekin jisse bhi bolte ho acche se aur izzat se bolte ho.

Tum me wo sabhi character dikha jo ek doctor aur acche insaan me hona chaahiye…Sabhi logo se insaan ki tarah behave karna, jaruratmand aur garib logo ka muft me ilaaz karna…Aaj kal ke doctor MBBS karne ke baad hi itna attitude dikhaate hai ki khud ko bhagwaan hi samajhne lagte hai…Sabhi apne ghar aur gaanw ko bhul kar paise kamaane ke liye shehar chale jaate hai.

Lekin tumne MD padhne ke baad bhi iss gaanw ko hi chuna jisse tumhaara dur ka bhi koi rishta nahi hai…Bahut hi kam log hote hai aise jo paise ki jagah insaaniyat par bharosha rakhte hai.

Jindagi me itna bada dard milne ke baad bhi tumne apna dharm aur logo ka sewa karna nahi chhoda…Apne dard ko chupaa kar dusro ki khushiyon ke liye din raat logo ko ilaaj karte rahe.

Shaayad tumhaare yahi acchaayi hi wo vajah hai ki mujhe tumse pyar ho gaya.

Shreya apne man me yahi sab soch rahi thi ki Atul ne kaha.

Atul:- Abb raat bhi ho gaya hai…Shaayad tumhe apne ghar jaana chaahiye…Baaki ki baatein kal karenge.

Atul abb khud ko sambhaal nahi paa raha tha...Shreya dusri insan thi jisse Atul ne khul kar aaj bataana suru kiya...Warna iss dard ka raaj wo khud tak hi usne daba kar rakha tha.

Shreya ne ghadi me dekha to 7:30 pm ho raha tha…Usse jaane ka man to nahi tha lekin abb aur rukne ka koi vajah bhi nahi tha…Kal fir aane ki bol kar wo apne ghar ki taraf jaane lagi.

Atul :- Ek minute.

Shreya Atul ki taraf palti.

Atul:- Ye pyar kisi se mat karna...Bahut dard milta hai.

Atul ne apne aankho me aansu aur dard bhari aawaj se kaha.

Shreya ko bhi Atul ki haalat par bahut dukh ho raha tha...Dhang se wo kuch bolne ki haalat me bhi nahi thi.

Shreya:- Sab kuch thik ho jaayega.

Itna bol kar Shreya chali gayi.


Shreya ke jaane ke baad Atul ne apne purse se Nisha ka ek photo nikaala aur aayina(mirror) ke saamne chala gaya…Kabhi wo khud ko dekh raha tha to kabhi Nisha ki photo ko.

Atul:- 4 saal ho gaye yaar tumhe dekhe bina…Pata nahi abb kaisa dikhti ho tum…Ummeed karta hu pehle ki tarah hi aaj bhi tumhaara chehra muskuraata hua ho…Wohi muskuraata hua chehra aur pyari baaton ne hi to mera dil chura liya tha...Khubsurati me to tumhara koi mukabla hi nahi.

Kitna khubsurat pal tha wo mere jindagi ka…Aaj bhi jab wo pal yaad karta hu to dil me kuch pal ke liye hi sahi wohi sunkoon milta hai…Khud ko hamesha ek jhutha vishwaas dilaata hu ki ek din ham jarur ek honge…Jaanta hu khud ko dhokha de raha hu lekin kya karu kuch pal ke liye hi sahi thoda bahut khushi mil hi jaata hai.

(Khud ko dekh kar) Ye 5 saal me to mujhme kuch jyada badlaaw to aaya nahi hai…Daadhi(Beard) thoda badh gaya hai aur side se kuch baal (hair) pak gaye hai…Baaki pehle jaisa hi hu…Warna mujhme kuch badlaaw nahi aaya hai aur naahi mera pyar me...(With smile) Aaj bhi tumhara handsome Atul hi hu.

Tumhaare liye to kuch khaas nahi kar paaya…Yaa fir kismat ne aisa mauka hi nahi diya…Warna khwahishein to bahut tha...Abb to sirf tumhaari khushiyon ke liye dua hi maang sakta hu…Kuch dosto ke alawa tum, Maa aur Didi hi to hai jinhe mai apna maanta hu.

Abb jindagi se mujhe apno ki khushi ke alawa mujhe kuch nahi chaahiye…Tumhaare liye to mai kuch nahi kar paaya lekin koshish karunga Maa ke liye ek beta ki jimmedaari nibhaane ka…Ek didi ka bhai...Jisse wo sabse jyada pyar karti thi aur ek kaamyaab doctor banta dekhna chaahti thi...Apne Papa aur Bhaiya ka to shakal se hi nafrat ho gaya hai.

Pata nahi kitni baar jhuth bol chuka hu Maa se ki jald hi milne aaunga...Lekin ek baar bhi gaya hi nahi…Dar lagta hai wo shehar lautne me…Jaha mera jindagi hi mujhse cheen gaya...Jaha haar gaya mera pyar.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
कहानी सच मे बहुत ही बेहतरीन है महोदय। इसलिए तो हम आपके सबसे बड़े वाले पंखे हैं।😂😛😄😃

अतुल की दुःखभरी दास्तान सुनकर श्रेया को भी एहसास हो जाता है कि अतुल किस दर्द भरे दौर से गुजर रहा है। श्रेया भी अतुल स्व प्यार करने लगी है लेकिन अभी उसमे इतनी हिम्मत नहीं है कि वो अतुल से अपने प्यार का इज़हार कर सके।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 8


Dopahar me clinic aur shaam me Shreya se apne past ke bare me baat karne ke baad Atul ko abb thakaan mehsus hone laga…Raat ho gaya tha aur aaj usse dinner ka man bilkul bhi nahi tha…Wo sone ke liye bed par chala jaata hai.

Bahut koshish ke baawjud bhi usse aaj neend nahi aa raha tha…Baar baar aaj usse Nisha ki yaad aa raha tha…Nisha ki yaad to usse hamesha hi aata tha lekin aaj kuch jyada hi.

Meethi aur Dard bhari yaadein…Nisha ka wo khila hua chehra aur uske saath pyar bhari baatein karna Atul ke chehre par muskaan laa raha tha to bicchadte vakt Nisha ka dard bhara chehra dekh fir Atul ki aankho me aansu aa gaya.

Issi yaadon me ek baar fir wo apne puraane dino me kho gaya.



FLASHBACK


College me first week to sabhi students ko ek dusre ke saath introduction aur syllabus ko samajhne me hi khatam ho gaya…Iss bich Atul aur Nisha ka bhi laghbhag sabhi students se dosti ho gaya tha.

Dono ka ek dusre se duriyan badhte hi jaa raha tha…Nisha ne Atul se baat karna laghbhag band hi kar diya tha…Lekin na chaahte hue bhi uski najar kabhi kabhi Atul par chala jaata tha…Shaayad Atul ki behavior usse bahut ajeeb lag raha tha.

Dusri taraf Atul ne bhi Nisha ko ignore karna suru kar diya tha…Wo jaanta tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur wo bhi jaan bujh kar dusro ko pareshaan karna nahi chaahta tha…Aur dusri baat ye tha ki usse Nisha ka usko ignore karna accha nahi lag raha tha…Shaayad self respect ki vajah se usne bhi Nisha se duriya bana liya tha.

1 week me hi Atul aur Kajal ka dosti bahut gehri ho gayi…Dono ko ek dusre ke saath baat karne me accha lagta tha aur pehle hi week se dono saath me hi library me padhne jaate the…Khaali time me dono park me jaa kar time pass karte the.

Abhi 1 week hi hua tha issi liye sabhi students ko ek dusre ki acchaaiyon ke bare me hi pata tha...Lekin Atul ko ek ladka aur uska behavior bilkul bhi pasand nahi tha…Ravi.

Ravi ka sabhi se jarurat se jyada dosti karna, Baat karte vakt bhi dominant hone ki koshish karna aur dusro ki baato ko matlab na dena aur chhoti chhoti baato par gussa dikhaana Atul ko bilkul bhi pasand nahi tha.


Abhi Atul aur Ajay canteen me saath hi baith kar lunch kar rahe the.

Ajay:- Bhai…Maanta hu tujhe pyar par koi vishwaas nahi hai…Aur tu pyar kabhi nahi karega…Lekin yaar mujhe to chhod de.

Aaj Anjali ke saath baith kar lunch karne wala tha lekin tune uske paas jaane hi nahi diya…Yaha issi table me baith gaya aur mujhe bhi bitha diya.

Naya naya pyar aur usme bhi rukawat...Ajay ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Atul:- Accha to fir chala jaa…Mujhe kya pata tha ki tu Anjali ke paas baithna chaahta hai.

Atul ne muskura kar kaha.

Ajay:- Ye muskuraana band kar…Pehle hi gussa aa raha hai aur tu upar se aur gussa dilaa raha hai…Ye baat to tu bhi jaanta hai ki abb mai waha nahi jaa sakta aur tu muskura raha hai.

Ye ladkiyaan bhi na…Baaki ke khaali table inko nahi dikha jo Anjali ke paas hi jaa kar baith gayi.

Anjali ke table me ladkiyo ka group dekh Ajay ka gussa aur badh gaya.

Atul Ajay ka ye roop dekh kar muskura raha tha.

Ajay:- Kamine tu mera life me khushi dekhna hi nahi chaahta hai…Abhi pyar ka izahaar kiya nahi hai ki pehle hi tu hame alag karne ki koshish kar raha hai.

Kitna accha mauka tha…Anjali akeli baithi thi aur koi paas me bhi nahi tha…Acche se baatein kar sakta tha usse…Lekin tune mujhe yaha bitha diya aur 2 minute nahi hua ki ek saath 4 ladkiya uske paas chali gayi.

Ajay Atul ko khaa jaane wali najro se dekh raha tha.

Atul:- Pyar jaisi cheej hamaare laayak nahi hai.

Atul abhi bhi muskura raha tha.

Ajay:- Kya ham jaise ladko ke liye nahi hai? Tu nahi maanta pyar ko…Mai to manta hu…Aaj to tere saath yaha ruk gaya lekin aage se ye sab nahi hoga.

Atul:- Pyar kiya to nahi hai …Lekin suna hai ki pyar me patience ki bahut jarurat hota hai…Sacche pyar karne wale log to kabhi kabhi apne pyar ka intejaar jindagi bhar karte hai…Aur ek tu hai jo kuch pal ka intejaar bhi nahi kar paa raha hai.

Atul ne iss baar chidhaate hue kaha.

Ajay:- Bahut hansi aa raha hai na tujhe…Kaash tujhe bhi kisi ladki se pyar ho jaaye aur tera jindagi uske intejaar me hi beet jaaye…Tab pata chalega tujhe intejaar karna utna bhi aasan nahi hai jitna ye bakwas gyan dene me hai.

Ajay ne to ye baat gusse me keh diya tha…Lekin iss baat se dono hi anjaan the ki Ajay ka gusse me kaha gaya ye baat Atul ke liye sach ho jaayega.

Atul kuch jawaab deta usse pehle Ravi dono ke paas aa gaya aur chair par baith gaya.

Ravi:- Hi guys…I am Ravi.

Itna keh kar Ravi haath aage badha kar Atul aur Ajay se handshake karta hai.

Atul:- Nice to meet you…I am Atul and he is my best friend Ajay.

Ravi:- Ek baat puchna tha tumse.

Ravi ki baato me alag tarah ka attitude tha…Atul ko uski baat karne ka tarika aur attitude to bilkul bhi pasand nahi aa raha tha lekin wo abhi aisa dikha nahi raha tha.

Atul:- Puccho.

Ravi:- Kya tum full scholarship me padh rahe ho yaha?

Atul:- Ha.

Atul chhota sa hi jawaab de raha tha Ravi ko...Usse intejaar tha Ravi ke jaane ki.

Ravi:- Entrance me kitna marks tha tumhaara.

Fir Atul Ravi ko apna marks bata deta hai…Jawaab me Ravi muskura kar kehta hai.

Ravi:- Thik mera barabar…Socha tha ki college top karunga…Jitne bhi full scholarship wale the sabse jyada mera hi marks tha…Aaj pata chala mera barabar ka bhi koi hai.

Khair…Jo bhi ho…Top to mai hi karunga…Beware of me Mr. Atul. You will get tough competition from me.

Ravi ki baato me ghamand bhara hua tha…Abb Atul se bhi raha nahi gaya.

Atul:- I am beyond competition...Mujhe kisi se competition ka shaukh nahi hai.

Ravi:- Kyu? Itni jaldi dar gaya?

Atul:- Darta to mai khud se bhi nahi hu.

Atul ne bahut shaan se kahi ye baat.

Ajay:- Waah yaar...Kya baat kaha hai.

Fir Atul aur Ajay dono Ravi par hasne lage.

Ravi:- (To Ajay) Tu to iska (Atul) chamcha hai na...Tujhe kis baat ki hansi aa raha hai? Aukaat kya hai tera?

Ajay:- Jis shabd ko tu chamcha keh raha hai usse dosti kehte hai.

Shayad tu mujhe nahi jaanta...Ek baar pata kar le...Aur aukaat he hai ki tujh jaise 10-15 ko apna chamcha bana lu.

Ajay Ravi ki taraf badh hi raha tha ki Atul ne usse naa me ishaara kiya.

Atul:- Dekh yaar...Naa hi mujhe tujh jaiso se matlab hai naa hi tere competition me...Pehla baar tha iss liye kuch nahi keh raha hu...Warna agli baar Ajay ko nahi rokunga.

Fir samajh lena...Kisse panga le raha hai tu.

Ravi:- Mujhe bhi tum jaiso se matlab nahi tha...Mai to ye bolne aaya tha college ka topper abb mai hu.

Atul:- Kitni chhoti soch hai tera...Marks ke liye padh raha hai.

Ek free ka suggestion deta hu...Khud ke liye padh...Knowledge ke liye...Marks me kya rakha hai...Waise bhi medical me knowledge aur skill jaruri hai marks se.

Tera competitor sirf mai nahi hu...Sabhi students hai...Entrance me ek do marks to kisi ka bhi kam aa jaata hai...Aur yaha marks ussi ka jyada aata hai jo jyada mehnat karta hai.

Ravi:- Lets see...Mujhe viswaas jai khud par...Sabse jyada knowledge aur marks mere paas hi hoga.

Itna keh kar Ravi waha se chala gaya.


Ajay:- Pehli baar tera koi baat accha laga…Accha jawaab diya tune uss kamine ko…Kitna ghamand hai isme…Pata nahi khud ko kya sochta hai...Aur mujhe kyu roka tune...Do chaar daant tod deta saale ki.

Abb Ajay ka gussa Ravi ki taraf mud gaya.

Atul:- Iski baat hi mat kar…Iska to shakal dekh kar hi gussa aane lagta hai…Karne de jitna bhi ghamand karta hai...Dekhna jald hi iska ghamand tutne wala hai.


Atul itna keh kar chup ho jaata hai…Kuch der baad Kajal bhi aati hai aur Atul ko hi keh kar ladkiyo ke group me chali jaati hai.



Waha ladkiyo ke group me Kajal ke aa jaane se 5 ladki ho jaati hai…Kajal, Nisha, Anjali aur baaki ki 2 ladki.

Ladki 1:- Kya baat hai Kajal? Aaj to tu Atul se koi baat kiye bina hi aa gayi?

Kajal:- Pehle hi bahut time loss ho gaya hai…Lunch ka time khatam ho raha tha to yaha aa gayi…Baatein to baad me bhi hoti rahegi.

Itna keh kar Kajal apne tiffin box nikaal kar apne dost ke saath lunch karne lagti hai.

Ladki 2:- Ha baat to teri hoti rahegi…Aur wo bhi non stop…Ek tu hi hai jisse Atul itna baat karta hai…Baaki ladkiyo se to sirf kaam ki baatein.

Ladki 2 ne kuch udaas ho kar kaha…Aur jis tarah se usne kaha tha wo sunke Nisha ko bahut gussa aa raha tha…Atul ki taarif se usse chhidh hone lagi thi.

Ladki 1:- Kajal…Tera aur Atul ka pehle se hi jaan pehchaan hai kya?

Kajal:- Nahi…Kyu?

Ladki 1 :- 1 week me hi tum dono itne close ho gaye aur tum dono ko pyar bhi ho gaya…Yakin nahi aa raha hai itni jaldi ye sab kaise ho sakta hai.

Ladki 1 ne itna hi kaha tha ki Kajal ke gardan me hi khana atak gaya…Aur usse jor se cheenkhne lagi…Paani pee kar normal hone ke baad thoda gussa se wo kehti hai.

Kajal:- Kisne keh diya tujhe ki ham pyar karte hai?

Ladki 2:- To tu Atul se pyar nahi karti?

Kajal:- Nahi ham dost hai…Best friend…Lekin tum dono ko aisa kyu lag raha hai ki mai Atul se pyar karti hu ya wo mujh se.

Ladki 1:- Tum dono ka dosti kuch jyada hi gehri hai…Iss liye laga ki shaayad tum dono ek dusre se pyar karte ho.

Kajal:- Bahut chota soch hai tum dono ka…Dosti ko pyar ka naam de rahi ho…Atul accha ladka hai aur saath me intelligent bhi…Uske saath baat karna accha lagta hai…Padhne me bhi bahut help karta hai...Dosto se acche se behave karta hai...Aur bhi kayi khaasiyat hai Atul ka…Ham dono me understanding bhi accha hai...Issi liye best friends hai.

Agar sach kahu to sabhi students me Atul hi mera best friend hai…Issi liye mai usse jyada baatein karti hu aur time spend karti hu.

Abb agar tum dono sochte ho ki ek ladka aur ladki me gehri friendship ka matlab pyar hai to mai kuch nahi keh sakti iss bare me.

Nisha:- Ha…Atul pyar karne laayak bhi nahi hai.

Achanak hi Nisha ke munh se ye baat nikla.

Kajal:- Aisa kyu lagta hai tumhe?

Nisha:- Mujhe to wo ek number ka ghamandi lagta hai…Baat karne ka tameez hi nahi hai usme…Aur kehta hai ki wo kabhi kisi ladki se pyar nahi karega…Jaise ladkiyan uske picche padi ho.

Abhi bhi Nisha ki baaton me Atul ke liye chhidh tha.

Kajal Nisha ki baato ka jawaab muskura kar deti hai.

Kajal:- Bilkul galat soch rahi ho tum uske bare me…Ek baar acche se baat kar ke dekho Atul se…Jaan jaaogi kaisa hai Atul.

Anjali:- Mujhe bhi Atul accha lagta hai…Ajay bhi uska bahut taarif karta hai...Maine bhi dekha hai Atul bahut hi simple rehta hai…Sabhi se acche se baat karta hai…Aage ki character to baad me pata chalta rahega…Lekin abhi tak jitna bhi pata chala hai usse lagta hai ki Atul bahut hi accha aur sharif ladka hai.

Nisha:- Tu chup kar…Ajay jo bhi kehta hai uss par aankh band karke vishwas kar leti hai.

Nisha ne itna hi kaha tha ki ladki 1 serious ho kar kehti hai.

Ladki 1:- Kajal agar tu Atul se pyar nahi karti hai to koi baat nahi…Lekin agar karti hai aur tu apne feelings ko samajh nahi paa rahi hai to ek baar acche se soch le.

College me kuch ladki bahut impressed hai Atul se…Agar der kiya to Atul tere haath se nikal jaayega…Pyar ke ehsas ko vakt rehte hi pehchaan le…Kahi der na ho jaaye.
बहुत ही जबरदस्त महोदय।।

तो आज रवि से भी पंगा हो गया। सच मे रवि में घमंड भरा हुआ है। अपनी महत्ता साबित करने के लिए वो अतुल और अजय के पास गया।। वैसे अतुल ने अच्छा सा हैंडल किया रवि को।

वहां लड़कियों के समूह में अतुल को लेकर चर्चा छिड़ी हुई है। सभी काजल को अतुल की गर्लफ़्रेंड समझ रहे हैं। लेकिन काजल इसके लिए मना कर देती है। निशा अभी भी अतुल से नफरत करती है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 9

Dono hi ladkiyan bahut koshish karti rahi Kajal ki munh se ye baat ugalwaane ki wo Atul se pyar karti hai…Lekin Kajal dono ko saaf mana kar deti hai ki Atul sirf uska dost hi hai aur dosti se badh kar dono ke bich kuch nahi hai.

After College

College chhuti hone ke baad Atul apne ghar jaane ke liye parking se bike nikaal hi raha tha ki tabhi Ajay bhi waha pahunchta hai.

Ajay:- Aaj bahut jaldbaazi me lag raha hai?

Atul:- Ha yaar…Mood thik nahi hai…Aaj ki topic me bahut confusion tha aur acche se samajh bhi nahi paaya…Dimaag abhi bahut bhaari lag raha hai…Ghar jaake fresh hone ke baad acche se revise karna padega.

Atul theek se bolne ki haalat me bhi nahi tha...Aisa lag raha tha jaise uska dimaag ne kaam karna hi band kar diya hai.

Iss vakt wo Ajay se bhi baat karne ki mood me nahi tha.

Ajay:- Chal mere saath.

Atul:- Kaha?

Ajay:- Canteen.

Atul:- Fir kabhi…Aaj time nahi hai mere paas.

Ajay Atul ki jawaab diye bina usse kheench kar canteen ki taraf le chalta hai…Suru me Atul mana karta hai lekin fir uske saath hi chalne lagta hai.

Canteen pahunchne ke baad Atul waha par Nisha aur Anjali ko dekhta hai…Dono ko dekh kar aisa lag raha tha ki dono Atul ka hi wait kar rahe hai…Usse samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai…Ajay ka iss tarah se canteen me bulaana aur dono ka usko intejaar karna.

Dono ke paas pahunch kar.

Atul:- Hi.

Atul ki iss baat par Nisha bura sa chehra bana kar dusri taraf dekhne lagti hai aur Anjali usse "Hi" me hi jawaab deti hai.

Nisha ka aisa response dekh kar Atul ko kuch jyada fark nahi pada…Aadat pad gaya tha usko abb Nisha se ignore hone ka…Aur abb wo khud bhi Nisha ko ignore karne laga tha.

Atul:- Tum dono yaha.

Anjali:- Ha tumhaara hi wait kar rahe the.

Anjali ki baat sunne ke baad Nisha Anjali ko kehti hai.

Nisha:- Sirf tu hi wait kar rahi hai…Teri vajah se hi mai yaha hu warna kab ka ghar chali jaati.

Nisha ne to ye baat dheere se kaha tha lekin itna bhi dheere nahi ki wo Atul aur Ajay ki kaano tak nahi pahunch paata.

Nisha ki ye baat Anjali, Atul aur Ajay kisi ko bhi accha nahi lagta hai…Atul fir se Nisha ki iss baat ko ignore kar deta hai.

Maahaul ko halka banaane ke liye.

Ajay:- Kya loge tum sab…Thanda ya garam.

Atul:- Matlab

Ajay:- Matlab garam me chaai, coffee aur thanda me cold drinks , beer, wine, vodka aur alcohol products.

Ajay ne hanste hue kaha.

Anjali:- Kya tum bhi ye sab peete ho?

Thoda hairaani ke saath Anjali ne pucha.

Atul:- Nahi…Ye sab peena sirf iska hi kaam hai (Ajay ki taraf ishaara karte hue)…Maine to haath bhi nahi lagaya hai aaj tak alcohol ko.

Nisha:- (Dheere se) Aisa lagta to nahi.

Atul ek baar fir Nisha ki baat sun leta hai aur ek baar fir ignore kar deta hai...Lekin abb usse Nisha par gussa aane laga tha.


Ajay:- Tu baccha hi rahega yaar…Kabhi try to kar…Aur uske baad jo maja milta hai na usko mai apne 2 shabd me bayaan nahi kar sakta…Waise bhi MBBS padhne aaye hai to enjoy bhi karna jaruri hai.

Atul:- Ha enjoy karna jaruri hai…Lekin bewda ban kar enjoy nahi karna hai mujhe…Bahut se aur tarike bhi hai enjoy karne ka.

Anjali:- Abb tum sab ye kaun sa topic le kar baith gaye…Acchi baat hai Atul ki tum nahi peete ho…Aur Ajay ko bhi kuch dino me sudhaar dungi…Pehle baato se agar fir bhi nahi maana to laat se.

Anjali ne majaak karte hue kaha…Sab Ajay ki taraf dekhne lage…Suru me to Ajay chup tha lekin sab ko muskuraata dekh wo bhi muskuraane laga.

Atul:- Abb tum hi last hope ho mera…Please mere dost ko bewda banne se bacha lena.

Atul ne bhi majaak ko jaari rakhte hue kaha…Usse pata hi nahi chala ki kaise wo Anjali se khul ke baat karne lag gaya hai.

Usne wo baat kuch iss tarah se kaha tha jisse waha maujud sabhi hasne lage…Nisha ko bhi thodi hansi aa gaya lekin agle hi pal wo sambhal gayi.

Ajay:- Kya yaar tu bhi…Occasional drinker ko bewda bol raha hai…Tu ek din sabke saamne beizzati karwaayega mera.

Atul:- Wo to hamesha karta hu aur karta rahunga.

Fir dono ek dusre ko dekhte hue hasne lagte hai.

Atul:- Anjali tum keh rahi thi ki mera wait kar rahi thi.

Atul ko ye baat abb yaad aaya…Hansi majaak me ye baa two kab ka bhul gaya tha.

Anjali:- Ha kuch baat karna tha tumse.

Atul:- Kaho?

Atul soch me pad gaya ki Anjali usse kya baat karna chaahti hai.

Anjali:- Padhaai ke baare me…Ajay kehta hai ki tum padhne me bahut talented ho…Aur regularly padhte ho…Mai ye puchna chaahti thi ki tum time kaise manage karte ho?

Aur jab bhi tumhe college me dekhti hut um hamesha padhte hi rehte ho…Mujhe to abhi se bahut mushkil lag raha hai ye sab kuch…Soch rahi hu MBBS join karke galti to nahi kar diya.

Atul:- Agar Ajay ne mere baare me kuch taarif kiya hai to samajh lo kuch jyada hi taarif kar raha hai…Aadat ho gaya hai iska ye sab.

Mushkil to bahut hai...Kuch topic samajh me nahi aata to kuch jaldi hi dimaag se nikal jaata hai.

Lekin padhte raho...Suruwat me mushkil hai baad me repeat hone se sab thik ho jaayega.

Be confident, interest lekar padho aur regularly padhte raho...Dhire dhire sab aashan ho jaayega.

Ajay:- Yahi baat mai bhi samjha raha tha isse…Lekin samajh hi nahi rahi thi…Bas tujhse hi puchna chaahti thi ki kaise padhta hai.

(To Anjali) Abb to kitaabi keede (Atul) se verification ho gaya na?

Atul:- Tu samjha to raha tha…Lekin tu khud wo nahi karta hai jo dusro ko samjhaata hai…Tujhe bhi samjhaata hu abhi se serious ho jaa padhne me aur night club jaana chhod de.

Atul ki iss baat par Anjali shock ho kar Ajay se puchti hai.

Anjali:- Ajay tum night club bhi jaate ho?

Ajay kuch jawaab deta usse pehle hi Atul kehta hai.

Atul:- Aur har weekend me bar me jaakar masti karta hai aur har subah hangover hota rehta hai isse.

Atul ki iss baat se Anjali Ajay ko gusse se dekhne lagti hai.

Anjali:- Ajay tumne kaha tha ki tum sirf occasional drinker and smoker ho…Lekin ye sab kya hai?

Anjali ki aawaj me iss baar kuch jyada hi gussa tha…Atul bhi samajh gaya jyada majaak thik nahi hai.

Atul:- Are cool down…Maine to aise hi majaak me keh diya tha…Ajay ek sidha sadha ladka hai…Maasum sa baccha…Mera best friend.

Iss baar Atul ne Ajay ka taarif karte hue kaha aur Anjali ka gussa bhi thoda kam ho gaya.

Ajay:- Kya ho gaya yaar tujhe achaanak se…Mera taarif bhi karne lag gaya.

Atul:- Jyada khus mat ho…Wo to kabhi kabhi hi karta hu…Once in a year.

Atul:- Anjali…Ek aur baat…Sirf padhaai me hi focus mat karna…Masti aur entertainment bhi jaruri hai…Acche se padho jitna jaruri hai aur fir masti me bhi koi kami mat rakhna.

Fir aise hi, dosti, masti, padhaai me kab MBBS complete ho jaayega pata bhi nahi chalega…Study ko challenge aur interest ke roop me lo…Jab bhi mauka mile jindagi ko khul ke jiyo

Medical field me aane ke baad tension to hamesha saath rahega hi aur iss tension me bhi hame enjoy aue masti karne ke liye raasta dhundna hoga.

In my opinion, these 6 years will be super fun and we will learn various new things except our study.

Atul ne bahut josh se kaha aur uski baato se lag raha tha ki wo aage ke challenge ke liye kitna taiyaar hai.

Nisha:- (Dheere se) Jaise hame kuch pata hi nahi hai...Khud ko bahut gyani samajh raha hai...Isse to exam me dekhungi.

Ek baar fir Atul ne suna ye baatein...Iss baar to kuch jawaab dena chaahta tha ki Nisha chup ho jaaye lekin ye soch kar chup ho gaya ki kisi se munh lagana hi bekar hai.

Atul:- Best of luck for exam.

Atul ne muskuraate hue kaha aur Nisha ignore kar ke dusri taraf dekhne lagti hai.


Kuch der baad.

Nisha:- Anjali tujhe aaj ghar nahi jaana hai kya…1 ghante se bak bak kar rahi hai…Agar tujhe nahi jaana hai to yahi reh…Mai abb jaa rahi hu.

Itna keh kar Nisha apni jagah se utth kar jaane lagti hai…Anjali uska haath piche se pakad kar kehti hai.

Anjali:- Ruk mai bhi chalti hu…(To All) So guys abb late ho raha hai…Kal milte hai.

Fir sabhi apni jagah se utthte hai aur parking ki taraf chal dete hai.

Ajay:- Abb bol…Mood fresh hua ya nahi…1 hour time hi liya hai tera…Agar tu ghar jaata to bhi tujhe 1 se 2 hour time lagta.

Atul:- Ha yaar…Mood puri tarah se fresh ho gaya…Tum dono se baatein karne me bahut majaa aaya aur aaj yaha ka coffee pee kar bhi bahut maja aaya.

Fir sabhi parking me pahunch jaate hai.

Ajay aur Atul apni apni bike par aur Anjali aur Nisha apni apni scooty pe baith jaate hai ghar jaane ke liye.

Nisha scooty start karti hai lekin wo start hi nahi hota hai…Thodi der aur try karne ke baad bhi jab start nahi hota hai tab.

Anjali:- Kya hua?

Nisha:- Scooty start hi nahi ho raha hai.

Fir Anjali bhi thoda try karti hai…Lekin scooty fir bhi start nahi hota hai…Kuch der baad dono ko pata chalta hai ki scooty me petrol khatm ho gaya tha.

Fir sabhi sochte hai kya karna chaahiye.

Anjali:- Abb late bhi bahut ho raha hai…Chal mai tujhe tere ghar drop kar deti hu.

Nisha:- Nahi mai bus se chali jaaungi.

Anjali:- Bus se kyu jaayegi…Bahut mushkil hoga iss vakt bus se jaana aur seat bhi kam milta hai shaam me…Isse accha hai tu mere saath hi chal.

Ajay aur Atul dono ki baat hi sun rahe the.

Atul:- (To Nisha) Agar tumhe problem na ho to mere saath bike me aa sakti ho…Hamaara ghar bhi paas me hi hai.

Atul ki baat sun kar Nisha Atul ko gusse se ghurne lagti hai…Lekin Ajay aur Anjali ko sahi laga Atul ki baat.

Nisha:- Are you mad…Mai tumhaare saath bike me jaaungi…Kabhi nahi.

Nisha ne bahut gusse me kaha…Nisha ki iss baat se pata chal raha tha ki wo Atul se kitna nafrat karne lagi hai.

Lekin Anjali Nisha ko apni baato se mana hi leti hai aur Nisha ko bhi uske jidd aur baaton ke saamne haar manna hi padta hai.

Nisha:- Ok tum log jaao…Mai paani pee kar aati hu.

Itna keh kar Nisha canteen ki taraf chali jaati hai.

Anjali:- Atul acche se le jaana Nisha ko…Abhi thoda galatfehmi hai Nisha ko tumhaare baare me…Jald hi sab thik ho jaayega.

Jawaab me Atul sirf apna sar hilaata hai.

Aur fir Anjali aur Ajay chale jaate hai apne ghar ke liye.

Atul Nisha ka wait karne lagta hai…15 minute baad Nisha aati hai.

Atul:- Baitho.

Atul ki aawaj me thoda gussa tha…15 minute ka wait wo bhi chhoti si baat ke liye…Usse bilkul bhi pasand nahi aaya tha.

Nisha:- Tum jaao…Mai tumhaare saath nahi jaaungi…Wo to Anjali se bahas karna nahi chaahti thi issi liye maan gayi thi…Mai bus se hi jaaungi.

Nisha ne bhi saaf inkaar kar diya.

Atul ko pehle se hi Nisha par gussa aa raha tha aur abb Nisha ka aisa attitude usse bilkul bhi pasand nahi aaya.

Atul:- Socha ki help kar du...Lekin itna attitude :mad:...Mujhe bhi koi shaukh nahi hai tumhe le jaane ka.

Itna keh kar Atul bhi gusse me apna bike teji se aage badha deta hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

अतुल और निशा के बीच बहुत सारी गलतफहमी है जो शायद ही इतनी जल्दी दूर हो।
अंजली और अजय दोनों निशा को समझाते हैं अतुल के साथ जाने के लिए, लेकिन निशा तो समझ ही नही पा रही है। आखिर में अतुल भी गुस्सा होकर चला गया।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 10


Shaam me ghar pahunchne ke baad Atul ne wohi puraana routine follow kiya...Class me padhaai hua topic ko revise kiya aur fir aage padhaai hone wala topic ko bhi padhne laga.

Issi tarah padhte hue kab 2 ghanta beet gaya Atul ko pata hi nahi chala...Lagatar padhne se abb wo thoda thak gaya.

Fir wo apna guitar lekar chhat me jaata hai.

Chhat ke railing me baith kar wo dheemi aawaj me ek gaana gaate hue guitar bajaane lagta hai.

Wo iss vakt saare duniya se be khabar aur saari tension se dur ho kar iss pal ko hi jee raha tha...Aisa karne se usse ek alag sa sukoon milta hai.

Padhai ka tension aur frustration, Nisha ka usse berukhi se baat karna ye saari baato se usse bahut sukoon mil raha tha...Na past ka tension aur guilt, Aur na future ka dar...Wo bas iss pal ko hi enjoy ho raha tha.

Lekin uska ye enjoyment jyada der tak tik nahi saka...Pados yani Nisha ki ghar se aa rahe aawaj se abb uska gaana se concentration toot gaya.

Wo chhat ke dusre kone mw jaha se Nisha ki ghar ki ground floor saaf dekha jaa sakta tha waha chala gaya.

Waha usne dekha ki Nisha ki Maa aur Papa ek dusre se baat kar rahe hai aur bahut pareshaan dikh rahe thhe.

N. Mom:- Abhi tak nahi aayi meri bacchi college se...Pata nahi kaha reh gayi.

Bahut pareshaan ho kar kaha Nisha ki Maa ne.

N. Dad:- Tumne phone kiya.

N. Mom:- Ha...Lekin mobile ghar me hi chhod kar gayi hai.

N. Dad:- Mai college me phone karke dekhta hu.

Itna keh kar Nisha ki Papa thoda hadbada kar mobile se phone nikaalte hai aur college me phone lagaate hai.

Jab wo baat karke phone cut karte hai tab

N. Mom:- Kuch pata chala? Kaha hai wo aur kab tak aayegi.

Ek hi saans me Nisha ki Maa ne sab kuch puch diya...Har badhte vakt ke saath Nisha ki Maa ki pareshaani badhta jaa raha tha.

N. Dad:- Kuch pata nahi chal raha hai...College wale kehte hai ki chhuti hone ke baad aaj sabhi student ghar chale gaye hai.

Udaas si aawaj me Nisha ki Papa ne kaha.

N. Mom:- Please aap jaldi dhund kar laaiye Nisha ko...Mujhe abb bahut fikar ho raha hai.

Abb Nisha ki Maa ki aankho me aansu aa jaata hai.

N. Dad:- Ha kuch karta hu.

Itna keh kar Nisha ki Papa ghar ke andar teji se chale jaate hai.

Dusri taraf Atul ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai.

Nisha ka abhi tak ghar na pahunchne se Atul bhi hairaan ho gaya tha.

Uske man me bahut se khayal aa raha tha.

Atul:- (In his mind) Ye Nisha bhi bahut ajeeb hai...Bol rahi thi khud ghar aa jaayegi lekin abhi tak nahi aayi...Kaha reh gayi aur itna late kyu ho gayi.

College me rukne ki bhi koi vajah nahi hai...Kahi uska koi accident...

Itna sochte hi Atul sidhe chhat se niche utar gaya...Aur ghar se apna bike nikaal kar college ki taraf chala gaya.

Usne jyada to socha nahi tha ki kaise Nisha ko dhundna hai ya fir kya karna hai lekin wo bas iss ummeed me aage badhta raha ki Nisha jald hi usse mil jaaye.

Ghar se college jaane me usse 30 minute lagta tha lekin iss baar wo itna tej chala raha tha ki wo 20 minute me hi pahunch gaya.

Wo sidha parking ki taraf chala gaya aur bike rokte hi usse ek ladki dikha jo haath se apna chehra dhak kar ek kone me baithi thi.

Lekin dress dekh kar Atul ne pehchaan liya ki wo Nisha hi hai.

Nisha ko pehchaane ke baad Atul ne ek pal ka bhi deri nahi kiya...Nisha ko sahi salaamat dekh usne raahat ka saans liya ki uski koi accident nahi hua hai.

Wo sidha Nisha ke paas pahunch gaya.

Atul:- Kya hua...Aise haath se chehra kyu dhak rahi ho?

Atul ki aawaj se Nisha bhi samajh gayi ki aane wala shakhs Atul hai.

Nisha kuch kadam piche jaa kar apne chehre se haath hataati hai aur kehti hai.

Nisha:- Pehle bike ka light off karo...Aankh me pad raha hai.

Nisha ki baat sunte hi Atul waapas bike ke paas jaa kar light off karke aata hai.

Nisha:- Kyu aaye ho yaha?

Atul ke aane ke baad Nisha ne ek raahat ka saans liya lekin puchne ka andaaz pehle jaisa hi tha.

Atul:- Tumhe dhundne.

Nisha:- Lekin kyu?

Atul:- Paagal ho kya...Yaha kya kar rahi ho...Jaanti ho tumhaare ghar wale kitna pareshaan hai tumhaare ghar na pahunchne ki vajah se.

Mujhe laga shaayad tum yahi milogi ya fir...

Atul accident ki baat kehne se pehle hi chup ho gaya...Usne jo kuch bhi bola tha bahut gusse me bola tha...Nisha ne bhi Atul ko itna gussa pehli baar dekha tha issi liye usse abb Atul se thoda dar bhi lag raha tha.

Nisha:- Wo kya hua ki...

Atul:- Nahi chaahiye tumhaara koi safaayi...Pehle se hi mera dimaag bahut kharaab hai...Abb jaldi se bike me baitho...Ghar pahuncha deta hu.

Itna keh kar Atul Nisha ko dekhne laga...Lekin Nisha Atul ko hi dekh rahi thi...Atul ko itna gussa dekh abhi usse aur dar lag raha tha.

Lekin Nisha ka iss dar ka Atul ne duara hi matlab nikaal liya...Apne side ke building ke wall me dheere se punch karke usne kaha.

Atul:- Lekin tumhe to problem hai mere saath bike me baithne ka...Ruko.

Itna keh kar Atul parking se baahar ki taraf jaane laga.

Nisha:- Kaha jaa rahe ho.

Dar se hi sahi lekin Nisha ne himmat karke pucha...Iss baar usse dar tha ki agar Atul waapas chala gaya to shaayad usko puri raat yahi rukna padega.

Atul:- Canteen

Nisha:- Kyu?

Atul:- Koi glass ya fir cup laane...Petrol apne bike se nikaal kar tumhaari scooter me rakh dunga aur tum apne hi scooty se ghar jaa sakogi.

Atul ki iss baat par Nisha ko thodi si hansi aa gayi.

Wo kuch kahe bina hi Atul ki bike par baith gayi aur fir boli.

Nisha:- Nahi iski koi jarurat nahi hai...Tumhaare saath hi bike me chali jaaungi.

Atul bhi abb apne bike ke paas aa gaya.

Atul:- Shaam me to keh rahi thi ki mera bike me baithna tumhe pasand nahi hai.

Nisha:- Lekin mujhe raat me scooty chalaane ki practice nahi hai...Dar lagta hai ki kahi accident na ho jaaye.

Nisha ne bahut hi maasumiyat se kaha ye baat.

Fir Atul Nisha ki jawaab sune bina hi bike chalaane lagta hai aur tabhi Nisha piche se kehti hai.

Nisha:- Agar bura na maano to ek baat keh sakti hu?

Atul:- Ha...Bolo

Nisha:- Mujhe bahut bhukh lag raha hai...Aur paise bhi aaj 1 time lunch ke liye hi laayi thi.

Atul bike se utar kar Nisha ko dekhta hai...Aur fir kehta hai.

Atul:- Chalo canteen.

Itna keh kar Atul aur Nisha dono canteen me aa jaate hai.

Canteen me jaane ke baad Atul apne liye ek coffee aur Nisha ke liye dinner set order karta hai.

Order aane me abhi thoda time tha.

Atul:- Aaj yahi rehne ka plan tha kya tumhaara?

Thoda gussa me Atul ne pucha.

Nisha:- Nahi...Jab bus stand gayi tab dekha bus me bahut bheed tha aur khade hone ke liye bhi jagah nahi tha...Jab 3 aur 4 bus bhi aise hi bheed se bhara hua dikha to mai yaha waapas aa gayi.

Aur ghar me phone karne ka socha to pata chala aaj mera mobile ghar me hi chhut gaya.

Aur fir yaha aa gayi ye ummeed me ki shaayad Papa mujhe dhundte hue yaha aa jaayenge.

Nisha ki baat sunne ke baad Atul ko yaad aaya ki Nisha ki Papa bhi Nisha ko dhundne ke liye yaha aane wale the.

Atul:- Ye lo mobile aur apne ghar me phone karke kaho ki tum thik ho...Bechaare bahut pareshaan the.

Aur ho sake to ye mat kehna petrol khatam hone ki aur bus ki vajah se tum yaha ho...Aur pareshaan ho jaayenge.

Keh do ki library me padh rahi thi aur late ho gaya...Abb thodi der me ghar aa rahi ho.

Nisha:- Lekin mai jhuth kyu bolu?

Atul:- Mat bolo...Lekin ghar me phone karo...Bahut pareshaan bai tumhaare parents aur Papa ko bhi bula lena tumhe waapas le jaane ke liye.

Lekin galti se bhi mujhe involve mat karna inn baato me...Hamaare ghar me bhi accha relation nahi hai...Tum late ho gayi isme mera koi galti nahi hai aur mai nahi chaahta hu ki iss case me mera naam tumhaare ya fir mere family me aaye.

Itna keh kar Atul chup ho gaya aur Nisha ka decision ka wait karne laga.

Nisha:- Shaayad tum thik keh rahe ho...Agar sach bata dungi to Maa aur Papa bahut pareshaan ho jaayenge.

Fir Nisha apne Papa ko phone karke batati hai ki usse library me padhte hue late ho gaya aur wo apne dost ke number se phone kar rahi hai...Aur wo thodi der me aa jaayegi.

Phone cut hote hi Nisha Atul se kehti hai.

Nisha:- Thanks a lot Atul...Agar tum na aate to shaayad mujhe bahut der tak yahi rukna padta...Papa college ki jagah police station jaa rahe the complaint likhwaane.

Atul iss baat ka kuch jawaab nahi deta hai aur order ka wait karne lagta hai.

Nisha:- Itna chup kyu ho tum? Abhi bhi gussa ho?

Abb Nisha ko Atul ki chuppi accha nahi lag raha tha.

Atul:- Nahi...Koshish kar raha hu chup rehne ka...Tumhe to meri baatein pasand hi nahi.

Nisha:- Sorry Atul...Pehle thoda misunderstanding tha issi liye mai tumhaare baare me galat sochti thi.

Atul:- Aur abb.

Nisha:- Aur abb tumhaare baare me khayal badal gaya...Samajh gayi ki mai galat sochti thi tumhaare baare me...Itna raat me tum mera fikar karte hue aaye mera tumse nafrat karne ke baawjud.

Agar koi aur hota to usse fark nahi padta ki mai kis haal me hu lekin tumne dosti ka farz nibhaaya aur meri help ke liye aa gaye...Tumhaara harkat aur gussa dekh kar keh sakti hu ki tum sach me mere liye pareshaan thhe...Gusse me bhi tumne apna dosti nibhaaya.

Thanks Atul.

Atul:- Dosti nahi madam insaaniyat ke liye aaya hu...Abhi bhi mai tumhe apna dost nahi maanta hu.

Aur ek baat puchna chaahta hu maine tumhaare saath aisa kya kiya hai jo tum mujhse nafrat karti thi.

Kabhi tumhaare saath kuch galat nahi kiya, naa hi badtameezi, naa hi koi nukshaan ya fir kuch aur...Bas ek tour me tumhaare saath baat jyada kya kar liya tumne mere baare me bahut accha khayal bana liya...Aur mere saath aisa behave karne lagi jaise mai koi aawara hu, mujhe koi kaam nahi hai ladki ke picche padne ke alawa...Itna cheap samajhti thi tum mujhe?

Khair ye baatein chhodo...Ye baat se koi faaidaa bhi nahi hoga...Mujhe laga ki tumhe madad ki jarurat hoga sirf issi liye aa gaya...Isse jyada kuch nahi.

Warna pehle hi soch liya tha tumse jitna dur rahu utna hi behtar hai.

Atul ki ek ek shabd me Nisha ke liye gussa tha...Itne din ka gussa abb baahar nikal gaya tha...Aur Nisha ko bhi abb bahut bura lag raha tha Atul ki baat sunne ke baad.

Wo nahi jaanti thi ki uska ek chhota sa misunderstanding Atul ko itna bura lag sakta hai.

Usne apne galti maante hue dheere se kaha.

Nisha:- Sorry Atul...Mujhe sach me pata nahi tha tumhaare baare me aur ye mera galti hai ki itna jaldi tumhaare baare me decision le liya.

Iss baar Nisha ne dil se maafi maanga lekin Atul ne koi jawaab nahi diya.

Fir kuch der me order bhi aa gaya...Dono chup chaap khaate rahe aur iss beech bhi dono me se kisi ne bhi koi baat nahi kiya.

Dinner karne ke baad Atul Nisha ke saath bike me ghar ki taraf chal deta hai.

Raaste bhar bhi dono chup rahe...Atul Nisha se baat karna nahi chaahta tha to Nisha bhi Atul fir kahi gussa na ho jaaye iss dar se chup hi rahi.

Jab dono ka ghar paas me aaya tab ek gali me Atul ne bike rok kar kaha.

Atul:- Abb yaha se khud chali jaao...Mai nahi chaahta koi mujhe tumhe ghar drop karta hua dekhe...Mujhe jo kuch bhi karna chaahiye tha maine kar diya hai.

Nisha bhi bike se utar gayi aur.

Nisha:- Thanks Atul.

Iss baar muskura kar Nisha ne kaha.

Atul:- Kya?

Nisha:- Thanks Atul for your help.

Iss baar Nisha ne thoda aur muskura kar kaha aur apne ghar chali gayi.

Fir Atul bhi bike aage badha deta hai apne ghar ki aur...Nisha ka muskura kar thanks bolne se uske chehre me bhi apne aap muskaan aa gaya.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।
अतुल ने सच मे इंसानियत का फर्ज निभाया। निशा के इतनी नफरत करने के बाद भी वो निशा के माँ बाप को परेशान देखकर खुद निशा को ढूंढने के लिए आया। अगर इसके बाद भी निशा की सोच अतुल को लेकर न बदली तब तो ऊपरवाला ही उसका भला कर सकता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,599
56,510
304
UPDATE 11


Apne ghar me ghuste hi Atul dekhta hai ki uske Maa, Papa aur bhaiya hall me hi baithe the.

Atul waha se apne room ki taraf jaane hi wala tha ki tabhi.

Gaurav:- Kaha se aa raha hai?

Lekin Atul kuch jawaab nahi deta...Iss vakt wo Gaurav se bahas karne ki mood me nahi tha.

Gaurav:- Suna nahi tune?

Atul:- Suna…Lekin tujhe jawaab dena jaruri nahi samajhta.

Atul ne iss baar ghur ke jawaab diya.

Gaurav:- Abb tu mujhse badtameezi karega…Apne se bade se kaise baat karte hai tujhe pata nahi hai kya.

Gaurav ne bas itna hi kaha tha ki Atul uske paas jaata hai aur uske kandhe me haath rakh kar kehta hai.

Atul:- Badtameezi aur bado se baat...Ye sab tune hi sikhaya hai dear brother...Abb agar aur bakwas kiya na to yahi peet jaayega.

Sambhal jaa...Abhi pyar se samjha raha hu...Warna ek kahawat to suna hi hoga "Laato ke bhoot baato se nahi maante."

Atul ne iss baar kuch jyaada hi gussa me kaha tha…Isse aage baat aur bigadta usse pehle hi Atul ki Maa ne kaha.

A. Mom:- Abb bas karo…Hamesha ladte rehte ho…Tum dono ek dusre se aise behave kar rahe ho jaise dono bhai nahi dushman ho.

Gaurav:- Aap ke laad pyaar ne hi bigaad diya hai isse…Bolne ki tameez bhi nahi hai.

Atul:- Accha mai bigda hu…Aur tu…Tu to ek pyara sa sanskari baccha hai.

Jo college jaata hai lekin padhne nahi…Gunda gardi karne, ladkiya chhedne, apne jaise nalaayak dosto ke saath din bhar daru aur cigarette me vyast rehta hai.

Lekin mai ye nahi kahunga ki Maa ki laad pyar ne tujhe bigaada hai…Maa ne to ham teeno (Ek badi didi bhi hai) ko acche sanskaar diya tha…Lekin tu saala ulti khopdi leke paida hua hai…Ulti aur galat baat hi tere bheje me ghusta hai.

Totally useless character…Padhne likhne aur acche kaam me zero hai aur gundo ke saath aawara gardi karne me top hai.

Gaurav:- Kya bola be tune?

Atul:- Kaan nahi hai kya tere paas?

Gaurav:- Tera itna himmat ki mere aur mere dosto ke baare me bola.

Itna keh kar Gaurav ne Atul ka collar pakad liya aur Atul ne bhi jawaab me collar pakad liya.

Atul:- Kyu tere baare me kaha to mirchi laga? Fir mere baare me kyu chugli karta rehta hai...Abhi tere baare me sirf bola hi hai...Wo dur nahi jab tu peet bhi jaayega...Mai nahi chaahta ki wo din aaj hi ka ho.

Itna keh kar Atul gusse me Gaurav ko ghurne lagta hai.

Dono me jaise yudh hi hone wala tha tabhi dono ke gaal me Papa ki eke k thappad padta hai.

A. Dad:- Band karo tum dono jhagadna…Kya sochte ho tum dono apne baare me…Thoda bada kya ho gaye tum dono to aise dikhaa rahe ho jaise ghar ke guardian tum dono hi ho.

Tabhi se dekh raha hu tum dono ko…Aur intejaar kar raha tha ki kab tak dono shaant hote ho…Lekin nahi tum dono to ladaai par utar aaye.

Thoda bahut chhut jo bhi diya hai uska galat faaidaa uthaane ki sochna bhi mat.

Ummeed hai agli baar haath uthana naa pade.

Itna keh kar Papa chup ho gaye…Lekin abhi bhi gussa se bhari najron se dono ko dekh rahe the.

Gaurav:- Pehle aap isse bolne ki tameez sikhaaiye…Bade aur chhote ki bich ka fark hi nahi jaanta.

Gaurav ne Atul ko ghurte hue kaha…Atul ki Papa kuch bolte usse pehle Atul hi bola.

Atul:- Mai bhi yaha time waste nahi karna chaahta…Bas itna kahunga ki isse kahiye mujhse dur rahe.

Mai padhna chaahta hu aur sirf padhna…Mujhe aise sadakchhap gunde se behas karke koi time waste nahi karna chaahta hu.

(To Gaurav) Dekh bhai...Abhi ke liye itna kahunga. "Tit for Tat." Iss 3 shabd me bahut kuch hai...Agar dimaag hai to samajh jaayega.

Bqchpan se nafrat karta hu tujhse aur teri atyachaar se...Agar ek din ye nafrat ka baandh toot gaya to mai bhi nahi jaanta mai kya kar sakta hu.

Naa tune kabhi bade bhai ki farz nibhaya aur naa hi kabhi mai bhai ki farz nibhaaunga.

Itna keh kar Atul fir apne Maa aur Papa ko dekhta hai aur kehta hai.

Atul:- Sorry…Be vajah itna bada hangama ho gaya…Lekin kya karu…Aur nahi seh sakta mai.

Itna keh kar Atul apne room ki taraf chala gaya.

Kuch der baad Gaurav bhi apne room ki taraf chala gaya chehre me gussa ke saath.

Aur Atul ki Maa aur Papa sofa me baith gaye ek chinta ke saath…Apne dono bete ka ek dusre ek saath relation ki chinta ko le kar.


Atul in his room

Atul:- (In his mind) Saala kuch jyada hi ucchal raha hai aaj kal…Accha kiya jo dhang se jawaab diya…Warna fir sataata rehta…Aage bhi pareshaan karne ki koshish kiya to sach mein peet dunga.

Atul yahi sab soch raha tha ki uske dimaag me dusra khayal aaya.

Atul:- Mai bhi pata nahi kya bekaar ki baatein soch raha hu…Uski chakkar me bahut time waste ho gaya…Agar uske baare me sochta raha to mera hi time waste hoga aur mood off bhi…Yahi accha hoga ki mai aise baat aur log ko ignore karke apna kaam karu.

Fir Atul ek book le kar baith jaata hai table me padhne ke liye…Dhire dhire wo padhne lag jaata hai.


Next Day at college

Hamesha ki tarah Atul aaj bhi apne time me hi college pahunchta hai…Aaj Ajay uske saath nahi tha.

Jaise hi Atul college gate se andar jaata hai ek jaani pehchaani aawaj uske kaan me padta hai.

"Hello Atul"

Atul ko samajhte der nahi lagta hai ki usse hello Nisha ne kaha hai.

Wo bhi Nisha ki taraf daayi taraf mud kar kehta hai.

Atul:- Hi…Tum yaha…Abhi…Iss vakt.

Atul ne hairaani ke saath kaha…Wo hairaan ho gaya tha ki Nisha itni jaldi kaise aa gayi…Wo hamesha college suru hone se 5 minute pehle aati thi.

Nisha:- Ha aaj se jaldi hi aaungi…Warna last me baithna padega hamesha ki tarah.

Atul:- Issi vajah se mai bhi jaldi aata hu…Warna pehle to aadat tha mera college ke liye 10 minute late hone ka…Typical ladke wali aadat.

Atul ki iss baat par Nisha ko thodi hansi aaya

Atul:- Nisha kal ke liye sorry…Kuch jyada hi gussa me tha.

Nisha:- Tum sorry kyu keh rahe ho…Galti meri hi thi…Maine tumhe galat samjha aur tumhaari insult aur pareshaan karne ka ek bhi mauka nahi chhoda…Fir bhi tumne mera help kiya yahi bahut hai mere liye…Tumne sach me insaaniyat dikhaaya.

Atul:- Issi baat ke liye sorry kehna chaahta hu…Ha insaaniyat to dikhaaya maine lekin tumhaari dosti ki offer ko thukra diya insaaniyat ki naam pe.

Kal maine socha ki aise chhoti chhoti jhagde to hote rehte hai…Aur ye jhagada to ek misunderstanding ki vajah se hua tha…Aur isko ego me nahi lena chaahiye…Kuch baaton ko ignore karna bhi sikhna padta hai.

Will you be my friend?


Itna keh kar Atul ne apna haath aage badha diya.

Nisha ne bhi haath mila kar kaha.

Nisha:- Yes…Friends.

Aur fir dono saath me class ki taraf chalte hai.
बहुत ही बढ़िया महोदय।

ये अतुल का भाई गौरव तो हर समय नहा धोकर अतुल के पीछे ही पड़ा रहता है। अतुल उसे अच्छा जवाब तो देता है लेकिन फिर भी दोनों भाई का इस तरह आपस मे लड़ना सही नहीं है किसी भी नजरिये से और इसी बात से उन दोनों के माता पिता परेशान है।। कुछ बड़ा कांड होने के आसार नजर आ रहे हैं।।

निशा को अपनी गलती का एहसास हो गया है और उसने खुद से चलकर अतुल से बात की। अतुल ने भी पुरानी सारी बातों को भुलाकर दोस्ती का प्रस्ताव रख दिया। वैसे ये सही भी है जिस कॉलेज में दोनों को 6 साल साथ मे पढ़ना है उसमें ऐसी छोटी छोटी बातों का इशू नहीं बनाना चाहिए।।।
 
Top