- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 54
Ajay:- Abb to soo jaa...Raat ke 10 baj gaye hai.
Atul:- To?
Ajay:- To kya? Sona nahi hai tujhe aaj? Pehle hi 2 movies dekh chuka hai.
Atul:- Abhi to 1 aur dekhna baaki hai.
Ajay Atul ko ghurne lagta hai.
Ajay:- Ho kya gaya hai tujhe aaj kal? Paagalo jaisa behave kyu kar raha hai.
Atul:- Agar romantic hone ko paagal kehte hai to paagal hi sahi.
Atul ne hanste hue kaha...Ajay iss baar bahut hairaani se Atul ko ghurne laga.
Atul:- Kya hua bey? Ghur kyu raha hai?
Ajay:- Romantic aur tu?
Atul:- Ha...Kya burai hai mujh me?
Ajay:- Kuch nahi...Lekin tu pehle hi sahi tha...Ye Pyar wyar sab bakwas baatein hai...Viswas, Kasam aur Vaada sab majaak hai. Aisi chakkar se dur hi reh bhai...Issi me bhalayi hai.
Anjali ke liye gussa ek hi saans me Ajay ne keh diya...Abb usse bhi pyar se chhidh hone laga tha.
Atul:- Nahi yaar...Pehle mai bhi aisa hi sochta tha...Pyar bakwas baatein hai aur kuch nahi...Lekin jab se pyar ko dekhne ki najariya badla hai tab se ek alag si feelings mehsus hone lagi hai...Kuch alag...Jo abhi bayan nahi kar sakta.
Itna to pata chal gaya ki pyar hone ke baad duniya kitni haseen hoti hai.
Chato taraf hariyali, har buraai me bhi acchaayi dikhne lagta hai...Apne pyar ke baaho me samaate hue shaam dhalte vakt ki pyar bhari baatein, haatho me haath thaame raaste bhar pyar aur mohobbat ki baatein...Kaisa feelings hoga ye sab soch kar abhi se excitement hone laga hai.
Jyada kuch to nahi jaanta...Lekin pyar sabse pavitra ehsas hai...Ek aisa ehsas jo jindagi aur hamari andar ki khubsurati se mulaakaat karwati hai.
Itna keh kar Atul apne sapno ki duniya se baahar aaya to saamne dekha ki Ajay bura sa munh bana kar usse hi ghur raha hai.
Ajay:- Suru suru me to aisa hi lagta hai...Lekin jab pyar ka rang gehra hone lagta hai aur ham pyar ki gehraai me doob jaate hai tab pata chalta hai duniya ki asliyat...Tab kitna dard hota hai bata nahi sakta...Majaak ban kar reh jaate hai...Naa idhar ke naa udhar ke...Behtar yahi hai ki khudgarz ho kar apne jindagi me aage badhta reh...Pyar me kuch rakha nahi hai.
Ajay apbe dil ki saari bhadaas nikaal raha tha aur Atul uski baat sun kar muskuraata raha.
Atul:- Kitna dard hota hai?
Ajay:- Pyar ka paagalpan tujhe hai...Kuch dino me tu mujhe batayega kitna dard hota hai.
Atul:- Dard to abhi se hone laga hai...Meetha Dard.
Ajay:- Ek baat bata...Kal tak to tu bhi pyar ke khilaaf tha lekin aaj achanak se?
Atul:- Kabhi suna hai, "Grapes are sour." Pehle pyar ka matlab pata nahi tha...Abb kuch kuch samajh me aa raha hai.
Ajay:- Waise kaun hai wo badnaseeb?
Atul:- Abhi tak to koi nahi...Abhi to sirf ehsas hi hua hai pyar ka...Dhire dhire ho jaayega pyar.
Ajay:- Wtf? Ladki ka koi ataa pataa nahi aur bhai sahab chale pyar karne.
Atul:- Itni bhi kya jaldbaazi hai...Koi na koi aa hi jaayegi mujhe dhundte hue.
Ajay:- Kya? Koi aategi tujhe dhundte hue.
Atul:- Ha...Mera bhi personality hai, style hai, attitude hai...Ladki ki hi kismat hogi mujh jaisa bf milna.
Ajay:- Kych jyada hi confident nahi ho raha hai tu?
Atul:- Aree...Bhul hi gaya tha...Ek alag hi confident bhi hai.
Ajay:- Isse overconfidence kehte hai.
Atul:- Wo to vakt aane par pata chal jaayega.
Ajay:- Agar aisa hi attitude raha to single hi marega tu.
Atul:- (Badbadate hue) Teri tarah.
Ajay:- Kya?
Atul:- Kuch nahi...Tera sone ka time ho raha hai. 10:30 pm ho gaya hai...Soo jaa.
Ajay bhi sone ke liye apne bed par chala jaata hai...Lekin neend aaj uski aankho se koso dur tha...Pehle to Anjali se gussa hone ki puri koshish karta raha...Lekin naakam raha.
Dhire dhire dard abb uski aankho se aansu ke roop me behne lage...Isse bewafaayi kahe ya fir kuch aur Ajay ko kuch samajh me nahi aa raha tha...Usse to apba galti bhi pata nahi tha...Sirf ek jawaab hi maanga tha bechare ne lekin wo bhi usse nahi mila.
Raat bhar wo Anjali ko yaad karta raha...Uske saath bitaaye hue pal, dosti, masti, majaak aur bahut kuch....Naa hi wo Anjali ko bhul sakta tha aur naa hi aage badh sakta tha...Sirf ek ummeed tha...Anjali bhi usse pyar kar le...Sacchai ki duniya ko bhul kar wo bhi ummeed ki duniya me jeene laga tha...Aur kisi tarah apne dil ki dard ko kam karne ki koshish kar raha tha...Anjali ke bina usne apna jindagi ko socha bhi nahi tha.
Dusri taraf Atul...Pyar ke baare me uska bichaar abb badal raha tha...Pyar ka ehsas ne usse chhu liya tha...Abb ek alag hi raasta par khada tha wo...Raasta aur manjil se bekhabar wo apne ehsas me hi jee raha tha apne khayali duniya me.