- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 4
Class me jaane ke baad Atul aur Ajay ne dekha ki sabhi students class me pehle se maujud hai aur front rows me pehle hi sabhi students baith chuke the.
Atul:- College ke first day me hi last row me jaa kar baithna padega…Itni jaldi college aane ka bhi koi faaidaa nahi.
Atul ne thoda niraasha ke saath kaha.
Ajay:- Maine bhi socha nahi tha…Front rows pack ho jaayega…12th me to sabhi students last me baithte the…Lekin yaha ka haal to bahut alag hai.
Atul:- Waise bhi aaj first day hai…Jyada padhaai nahi hoga…Introduction me hi time beet jaayega…Kal se koshish karenge aage baithne ki.
Thodi der me class suru ho jaayega…Chal seat par jaa kar baith te hai.
Itna keh kar Atul ne Ajay ko dekha…Ajay ka dhyan Atul ki baat par nahi tha…Ajay ko Anjali ko dekhta paa kar Atul ne fir se kaha.
Atul:- Bhai agar ghurne ka kaam band ho gaya ho to chale.
Atul ne ye baat dheere se kaha taaki sirf Ajay hi uska baat sun sake.
Ajay:- Ok tu jaa kar apne seat par baith mai apne seat par jaata hu.
Ajay ne Anjali ke paas ke khaali seat ko dekh kar khus hote hue kaha.
Atul:- Nahi…Bilkul nahi…Tu mere saath hi baithega aaj…Pehle hi last me baithna pad raha hai aur akele to bilkul bhi nahi baithunga.
Ajay:- Please yaar samjhaa kar.
Ajay ne muskuraate hue kaha.
Atul:- Mai to sab samajh gaya hu…Lekin tu bhi ek baat samajh le padhaai ke vakt no love no romance…Sirf padhaai pe dhyaan de.
Ajay:- Issi liye keh raha hu ki mujhe Anjali ke paas hi baithna chaaihiye…Uske paas baitha to padhne ka mood bhi bana rahega…Aur agar tere paas baitha to din bhar mood off hoga…Padhaai me bilkul man nahi lagega.
Atul:- Abb agar tera bakwaas khatam ho gaya hai to baithne chal.
Atul Ajay ki koi bhi baat sunna nahi chaahta tha…Khaas kar Pyar se related koi baat.
Ajay:- Please yaar samjhaa kar…College ka first day hai…Bahut hi special din hai ham sabhi ke liye…Aur iss special din me Anjali ke saath baithne ka maja hi kuch aur hai…Saari jindagi yaad rahega.
Atul samajh gaya ki Ajay uski baat maanne ki mood me nahi hai.
Atul:- Tu maanega to nahi aur mera koshish bhi bekaar hai…All the best…Lekin kabhi kabhi padhaai bhi kar lena...Sirf ghurte mat rehna.
Itna keh kar Atul apni seat ki taraf jaane laga…Jaate hue wo soch raha tha.
Atul:- (In his mind) Abhi se pyar me paagal ho gaya hai…Khair jee le bhai apni jindagi…Mai to iss pyar naam ke rog se jitna dur hu utna hi behtar hai mere liye.
Itna keh kar Atul last ki seat me jaa kar baith gaya…Aur bag se ek book nikaal kar class start hone ka wait karne laga.
Wo book ke page palat kar dekh raha tha ki tabhi usse laga ki uske paas koi aa kar baitha hai…Usne mud kar dekha to Nisha thi…Atul ne fir apni dhyan book ki taraf kiya aur pucha.
Atul:- Gusse me lag rahi ho?
Nisha:- Class se kuch der ke liye baahar gayi thi…Aur jab waapas aayi tab dekha ki Anjali ke paas Ajay baitha hai…Ek baar mujhe pucha bhi nahi.
Nisha bahut gusse me thi...Atul thoda hanste hue bola.
Atul:- Ye to bas suruwat hai ye love birds ke karnaamo ka…Mera dost bhi kuch kam nahi hai…Pyar hone ke kuch din me hi apne dost ko bhul gaya…Pata nahi aage kya kya dekhna padega.
Nisha ne kuch jawaab nahi diya to Atul bhi apne book ki taraf wapas dhyan dene laga.
Kuch der baad.
Atul:- Mujhe to bilkul bhi yakin nahi tha ki tumse fir mulakaat hoga wo bhi iss tarah se…Khair tumhe fir se dekh kar accha laga.
Atul ne thoda khushi ke saath kaha aur apna haath aage badha diya.
Nisha:- Flirt kar rahe ho mujhse.
Nisha ne bura sa munh bana kar pucha.
Atul:- Bilkul nahi…Lekin tumhe aisa kyu laga ki mai tumse flirt kar raha hu.
Atul ne apna haath piche khinch liya aur serious ho kar kaha.
Nisha:- Tum ladke aise hi hote ho…Pehle thoda baat karte ho, aur ladki ne bhi agar thoda hans kar jawaab diya to sidha flirting karne lag jaate ho…
Nisha isse aage kuch kehti usse pehle Atul ne usse rok kar kaha.
Atul:- Baaki ladke ke bare me mai nahi jaanta…Lekin ye love aur flirt me mujhe bilkul bhi interest nahi hai…Yaha sirf padhne aaya hu aur baaki ke baato se mujhe koi lena dena nahi hai.
Nisha:- Sach mein.
Nisha ne kuch soch kar hanste hue pucha…Atul ki baat par usse bahut hansi aa raha tha…Atul ko Nisha ki hansi bilkul bhi pasand nahi aaya.
Atul:- Koi shak.
Nisha:- Fir wo bus me kya kar rahe the…Mujhe baat karne ka bilkul bhi interest nahi tha aur tum bakwaas hi karte jaa rahe the.
Atul:- Accha wo baat…Mujhe laga ki tum bore ho rahi thi to baatein kar raha tha…Lekin jab tum meri baato ko ignore karne lagi tab mai bhi chup ho gaya tha.
Mai apne bare me bas itna hi kahunga ki mai jyada baatein nahi karta hu…Sirf matlab ki baat hi karta hu aur apne kaam se matlab rakhta hu…Dosto ke saath saccha dosti nibhaata hu aur pyar mohobbat jaise faaltu baato me bilkul bhi time waste nahi karta hu...Ladkiyo se bhi bekaar baatein nahi karta...Flirting to bahut dur ki baat hai...Tumse to bilkul bhi nahi Abhi hame 5 saal saath me padhna hai…Dheere dheere samajh jaaogi mujhe.
Atul itna keh kar chup ho gaya…Ye kehte vakt uske chehre me ek muskaan tha…Apna taarif karna usse bahut accha lag raha tha.
Nisha:- Koi interest nahi hai mujhe kisi ko samajhne me.
Fir Atul ne Nisha ko puri tarah ignore kar diya...Aur apne book par concentrate karne laga...Waise bhi usse Nisha me kuch khaas interest bhi nahi tha...Aur usse bahas karne se accha padhaai me dhyan dene laga.
Nisha:- (In her mind) Pata nahi kyu yaha aa kar baith gayi…Abb aaj din bhar ye apni baato se pakata rahega…Itna bakwaas karta hai aur fir bhi kehta hai ki jarurat se jyada nahi bolta hai…Please god aaj iski bakwaas se bacha lena aage se iski seat me kabhi nahi baithungi.
Itna sochne ke baad Nisha bhi apne bag se book nikaal kar dekhne lagti hai.
Karib 5 minute ho gaya tha lekin dono me se kisi ne bhi kuch nahi kaha…Nisha ko thoda hairaani bhi ho raha tha ki achaanak hi Atul chup ho gaya…Nisha ne Atul ki taraf dekha…Atul Anatomy book ka first chapter dekh raha tha aur aisa lag raha tha ki wo seriously padh raha hai.
Nisha:- (In her mind) Pata nahi sach mein padh raha hai ya acting kar raha hai…Fir bhi accha hi hai…Iski pakaau baatein kaan me nahi pad raha hai.
Kuch der baad class start hota hai…First class Anatomy ka tha…Introduction complete hone ke baad thoda lecture chalta hai…Iss baar Nisha ne notice kiya ki Atul ne ek baar bhi uski taraf dhyan nahi diya…Wo padhaai me fully concentrate kar raha tha aur important baatein note kar raha tha.
Issi tarah Physiology aur Biochemistry ka class bhi complete ho jaata hai…Atul ka mushkil se hi 2 ya 3 baar najar Nisha par pada lekin wo bas kuch pal ke liye hi tha…Wo sirf apne padhaai pe focus kar raha tha.
Aur fir lunch break hua…Sabhi lunch ke liye canteen ki taraf chale jaate hai…Atul last ke ek kone me chala jaata hai aur naasta ke liye order kar deta hai…Nisha bhi ek jagah baith ke lunch karti hai aur na chaahte hue bhi uska najar Atul par baar baar jaa raha tha…Atul ko aise shaant aur sirf apne kaam se matlab rakhta hua dekh kar usse bahut hairaani ho raha tha.
Naashta karne ke baad Atul kuch students se baat karne lagta hai…Sabhi apna apna introduction de rahe the ek dusre ko…Aur iss baar jab Nisha fir Atul ko dekhti hai usse aur hairaani hua…Iss baar Atul hanste hue dosto se baat kar raha tha…Nisha ko Atul ka ye do alag alag roop bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha…Kabhi wo hans raha tha to kabhi ek dum se shaant.
Jab Atul ne naashta khatam kiya to Nisha ke paas se aise nikal gaya jaise wo Nisha ko pehchaanta hi nahi.
Canteen se Atul aur Nisha dono class me aa gaye…Class start hone me thoda time baaki tha aur dono ne fir se book nikaal kar padhne lage.
Fir kuch der baad class start ho gaya…Baaki ke class me bhi Atul waise hi shaant reh kar sirf study par hi focus karta raha…Mushkil se Nisha par najar pad bhi jaata to wo ignore kar ke fir se book ki taraf dekhne lagta.
Aur aise hi chhuti bhi ho gaya…Atul Ajay se kuch der baat kar ke bike se apne ghar ki taraf chala gaya.
Nisha bhi Anjali ke saath baat karte hue apni scooty par apni ghar ki taraf jaane lagi…Kuch der baad Anjali ka ghar aa gaya aur Nisha akeli reh gayi.
Wo baaki ke raaste me kuch baatein sochte hue apne ghar ki taraf jaane lagi.
Nisha:- (In her mind) Ohh god…Aaj class me kya kya padhaai hua kuch samajh me nahi aaya…Bilkul bhi concentrate nahi kar paayi…Ye sab uss Atul ki vajah se hua hai…Uske paagal pan ki vajah se concentrate hi nahi kar paayi…Kitna khadoos hai wo…Bahut attitude hai usme…Jo man me aaye wo hi karta hai…Kabhi bakwaas karke pakaata hai to kabhi aise shaant rehta hai jaise bolne bhi nahi jaanta.
Usse jitna dur rahungi utna hi accha hai…Uske saath rahi to mai bhi paagal ho jaaungi…God please usse mujhse dur hi rakhiye.
Itna keh kar Nisha apne man me dua maangne lagi…Lekin bechaari ko kya pata tha ki ghar pahunchte hi uska dua ka koi matlab nahi hai aur usse bahut jald ek bada jhatka lagne wala hai.
Last edited: