• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Ok bro muje darde emotion wala part hi jada achey lagte he usme khona us esas ko mesus karna bahug khatin hota he bas wo esas jo jhel gaya jindagi jit li aur ha ant tak sath hu
Thanks bro...Emotional part hi story ka backbone hai...Lekin wo part aane me abhi time hai...Agar aap chaahe to Khwahishein padh sakte hai wo story bhi pain aur emotion par hi based hai.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 5


Nisha apne room me jaa kar pehle fresh hoti hai aur fir naasta kar ke wo aaj college me jo padhaai hua tha wo revision karne lagti hai..Padhaai me wo hamesha se intelligent thi issi liye usko revise karne me koi khaas mushkil nahi hua.

Revision karne ke baad wo khud se hi kehti hai.

Nisha:- Revision complete ho hi gaya…Koi khaas mushkil nahi hua revise karne me…Abb aage se sirf padhai ke baare me sochungi...Aur kuch nahi.

Itna kehne ke baad Nisha ko fir Atul ka yaad aaya…Aaj Atul ki vajah se wo apne padhaai se distracted ho gayi thi iss baat ko yaad kar ke usse Atul par fir gussa aane laga.

Nisha:- Aur uss Atul se dur hi rahungi…Pata nahi kyu aaj usko samajhne me aur observe karne me itna time waste kar diya…Aakhir usme aisi kya khaas baat hai jo mai usme itna interest le rahi hu…Kuch bhi to nahi hai usme…Ek dum khadoos hai aur boring bhi.

Fir uske bare me soch kar time waste kar rahi hu…Nahi aage se nahi sochungi…Waise bhi mujhe doctor banna hai…Aisi bakwaas baato me ulajh kar mujhe apna time waste nahi karna chaahiye.

Itna kehne ke baad Nisha fir apne books ki taraf dekhne lagi…Wo book me kal padhaai hone wali chapter ko issi vakt padhna chaahti thi aur pehle se hi prepare hona chaahti thi.

Kuch der padhne ke baad wo chhat me jaa kar fresh hone ka soch kar chhat me chali jaati hai.

Chhat me jaate hi usse guitar ki tune aur kisi ki gaaane ki aawaj aati hai…Tune aur gaane ki aawaj bahut surila tha aur Nisha bhi gaana kaun gaa raha hai ye dekhne ke liye aawaj ki taraf chali jaati hai.

Wo uss aawaj ko picha karte hue chhat ke kone me chali jaati hai…Wo dekhti hai ki dusre ghar ki chhat k eek kone me ek ladka guitar bajaate hue gaana gaa raha tha…Wo ladka ka peeth Nisha ki taraf tha issi vajah se Nisha uska chehra nahi dekh paati hai.

Lekin uss ladke ka hair style dekh kar Nisha samajh jaati hai ki wo ladka kaun hai aur uss ladka ka yaha hone ki vajah se hi usse ek tej jhatka salagta hai…Jisse dur rehne ka dua wo maang rahi thi abhi wo hi saamne tha…Shock me uski munh se aawaj nikalta hai.

Nisha:- Atul….

Nisha ki thodi tej aawaj se Atul bhi Nisha ki taraf mud jaata hai…Wo bi utna hi hairaan tha jitna Nisha thi…Usne bhi Nisha ko apne ghar ke saamne hone ka umeed nahi kiya tha…Wo bhi Nisha ki taraf aata hai.

Atul:- Tum yaha?

Nisha:- Yahi mai bhi puchna chaahti hu…Tum yaha kya kar rahe ho?

Pehli baar Atul ko apne ghar ke saamne dekh kar Nisha ko bahut hairaani ho raha tha…Atul ko iss vakt dekh kar wo samajhne ki koshish kar rahi thi ki Atul yaha iss vakt kya kar raha hai.

Atul:- Mai yaha kya kar raha hu? Mera ghar hai ye aur apne ghar me abhi guitar baja rha hu.

Atul ne Nisha ki sawaalo ka jawaab diya…Uske jawaab se hi pata chal raha tha ki usse Nisha ka sawaal bilkul bhi accha nahi laga.

Nisha:- Lekin tumhe pehle yaha to kabhi dekha hi nahi.

Nisha ne confusion me pucha.

Nisha ki iss baat se Atul samjha ki Nisha tabhi kya puch rahi thi…Atul ne bhi thoda mushkura kar jawaab diya.

Atul:- Kyu mai 2 din pehle hi yaha aaya hu…Pehle 2 saal tak hostel me rehta tha aur hamne yaha 1 saal pehle ye ghar kharida tha.

Atul ki iss jawaab se Nisha sab samajh gayi…Lekin Atul ka iss ghar ke hone se Nisha ko Atul par aur gussa aane laga…Wo apne man me sochne lagi.

Nisha:- (In her mind) Pehle hi iske Papa aur Bhaiya kam the kya jo ye bhi aa gaya…Pehle hi dono ne jeena mushkil kar diya hai chhoti chhoti issue par hangama macha ke…Ye bhi unn dono ki tarah hi khadus hai.

Nisha yahi soch rahi thi ki Atul ne kaha.

Atul:- Kya hua…Kuch soch rahi ho?

Nisha ko gehri soch me dekh Atul ne pucha.

Nisha:- Kuch nahi.

Nisha ki aawaj me thoda rukha pan aa gaya aur wo piche mud kar niche apne room ki taraf jaane lagi.

Atul ko Nisha ka aise behave karna bilkul bhi accha nahi laga lekin usne iss baat ko ignore kar diya…Wo chup hi raha aur Nisha ko jaate dekhne laga.

Gate me pahunchte hi Nisha achanak se mudi aur usne Atul se kaha.

Nisha:- Aur tum please ye guitar mat bajaana…Bahut disturb ho raha hai padhne me. Mai yahi baat kehne aayi thi chhat me lekin bekaar ki baato me ulajh gayi.

Itna keh kar Nisha chali gayi…Achanak se usse Atul par itna gussa aane laga ki Atul par apna gussa dikhaane ke liye usse jhuth ka sahara lena pada.

Nisha ke jaane ke baad Atul wahi hairaan khada raha…Wo apne man me sochne laga.

Atul:- (In his mind) Mai kitni dheemi aawaj me guitar baja raha tha aur gaana gaa raha tha lekin ye aawaj uski room tak kaise pahunch gayi…Aur mere saath aise kyu behave kar rahi hai jaise mai uska bahut bada dushman hu…Maine uska kuch bigaada bhi nahi.

Aur bahut attitude bhi hai iss ladki me…Pata nahi kya sochti hai khud ke bare me…Baat bhi aise kar rahi hai jaise ye dikhaa rahi hai ki wo mujhse baat karke mujh par koi ehsaan kar rahi hai.

Bhaad me jaaye wo aur uski jaisi ladki…Mujhe koi baat nahi karna aisi ladki se…Kal se isse baat hi nahi karunga…Thoda sa baat kya kar liya ye to sar par hi chadhne lag gayi.

Abb Atul ko bhi Nisha par gussa aane laga…Aur wo bhi apne room ki taraf chala gaya.


Udhar Nisha bhi apne room me pahunch gayi.

Nisha:- (To herself) Oh God. Aapse kaha tha ki usse mere saamne mat laana…Lekin wo to saamne wala ghar me hi rehta hai…Aur ye uss pariwar se hai jisse hamaara dushmani hai…Abb to ye college aur ghar kahi bhi picha nahi chhodega…Har vakt iska manhoos shakal dekhna padega aur pakau baatein sunna padega.

Kya karu kuch samjah me nahi aa raha hai…Kaise iss ladke se piccha chhudau.

Itna keh kar Nisha fir sochne lagti hai.

Nisha:- Ha yahi thik rahega…Usko puri tarah se ignore kar deti hu…Tab shaayad wo mujhse baat bhi nahi karega…Agar fir bhi baat karne ki koshish karega to sabke saamne daant dungi…Tab shaayad ye mujhse dur rahega.

Itna kehne ke baad Nisha ne tay kar liya ki wo yahi karegi.


Ek hi din ke mulaakat me Atul aur Nisha ka soch ek dusre ke liye itna badal gaya tha aur ek dusre ke dimaag me alag sa pehchaan bana liya tha dono ne…Ye to abhi suruwat tha…Dono hi iss baat se puri tarah se anjaan the ki dono ko abhi saath me aise alag alag paristhiti se gujarna hai jisse shaayad wo abhi yakin hi nahi kar paate.
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Bhai mujhse to ab wait nahi ho raha h. Bhai jaldi jaldi update dijiye na. Mujhe 52 update ke bad ke update read karna h.

:yourock:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Bhai mujhse to ab wait nahi ho raha h. Bhai jaldi jaldi update dijiye na. Mujhe 52 update ke bad ke update read karna h.

:yourock:
Thanks a lot Mbindas bhai for your support and comment...Bas 1 week aur intejar kijiye...Exam complete hone ke baad fast updates de kar story ko present tak le aaunga...Abhi yaha jyada visit bhi nahi kar paa raha hu exam ki vajah se...Agar aa gaya to internet me hi ulajh kar time waste ho jaata hai.

Exam ke baad regularly updates dunga bhai...Thank you.
 
Top