Ko To Rok Lo {Update - 175}
____________________________
Shikha didi boli “kya bhaiya, aapko pata hai, maine aapko kitne call lagaye the. Inke yaha niyam hai, ki shadi ke bad, pahli rasoi nayi dulhan hi pakati hai. Isliye maine aap sab ko bhi yaha bulane ki ijajat le li thi.”
“Lekin aap ka call tha ki, uth hi nahi raha tha. Isliye maine priya aur barkha se aapko sath lane ko kaha tha. Magar aap log kab aaye. Barkha aur priya log kaha hai. Kya wo log aapke sath nahi aayi hai.”
Shikha didi ko apne samne dekh kar, mujhe bhi aisa lag raha tha ki, jaise mai unhe barso bad dekh raha hu. Unke saare sawalon ka maine msukurate huye ek chhota sa jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, sab log aaye hai. Aap khud hi dekh lijiye.”
Meri baat sunkar, shikha didi mere sath bahar sabke pas aa gayi. Barkha aur neha un se milne lagi. Nisha bhabhi ne nidhi aur hetal ko kitchen ka kaam dekhne ke liye bhejte huye mujhse kaha.
Nisha bhabhi boli “kaho hero, ab tumhara sar dard kaisa hai.”
Nisha bhabhi ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “bhabhi, ab mera sar dard acha hai. Lekin aap logon ne to mujhe sach me dara hi diya tha.”
Meri baat sunkar, sab hasne lage aur barkha shikha didi ko saari baten batane lagi. Iske bad hum sabne sath baith kar khana khaya aur fir uske bad bahut der tak humari baten chalti rahi.
Humare ghar wapsi ki flifgt ki tickets ajay ne karwayi thi. Isliye usne baton baton me is baar me sabko batate huye kaha ki, hum log kal sham ko 5 baje ki flight se ghar wapas ja rahe hai.
Waise to hum logon ke kal wapas jaane ki baat sabhi jante the. Bas humare jaane ka koi samay tay nahi tha. Lekin jaise hi ajay ne ye baat sabko batayi, waise hi sabke chehre utar gaye.
Ajay, shikha didi, nisha bhabhi, barkha, nikki, priya aur riya ka mujhse bahut lagav hone ki baat to mai janta tha. Lekin ajay ke ye baat batate hi, sabke chehre utar jaane se mujhe ye baat bhi samajh me aa gayi thi ki, baki sab ko bhi mujhse kam lagav nahi hai.
Un sabka apne liye itna lagav dekh kar, mai samajh nahi pa raha tha ki, mai kya kahu aur kya na kahu. Wahi nisha bhabhi ne achanak hi is hansi khushi ke mahol ko sanjida hote dekha to, sabka dhyan apni taraf khichte huye kaha.
Nisha bhabhi boli “are aap sab ne iske jaane ki baat sunkar, is tarah se apna chehra kyo utar liya hai. Hum sabko to khush hona chahiye ki, ye jis kaam se yaha aaya tha, use pura karke ja raha hai.”
Unki is baat me seeru didi ne bhi, unka sath dete huye sab se kaha.
Seerat boli “bhabhi thik hi to kah rahi hai aur ye kaun sa hum se jyada door hai. Tum sab logon ka jab isko dekhne ka man kare, mujhe batana. Mai palak jhapakte hi isko waha se uthwa lugi.”
Seeru didi ki ye baat sunkar, sabke sath sath mere chehre par bhi hansi aa gayi aur hum logon me isi baat ko lekar baton ka daur suru ho gaya. Humari baton ka ye silsila der raat tak chalta raha.
Fir 11 baje raj ne ghar wapas chalne ki baat kahi to, hum sab ne ajay logon se ghar jaane ki ijajat li aur raj ke sath wapas uske ghar ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum raj ke ghar pahuch gaye.
Jab hum waha pahuche to, padmini aunty aur monini aunty baithi baten kar rahi thi. Humare pahuchte hi padmini aunty ne humari aaj ki party ke baare me puchha to, riya unhe party ke baare me batane lagi. Sab baith kar padmini aunty se baten karne lage.
Lekin priya ki narajgi abhi bhi mujhse door hote najar nahi aa rahi thi. Ab raat ke 12 bajne wale the aur do raton se jaagne ki vajah se mujhe ab nind satane lagi thi. Isliye maine sabko good night kaha aur apne apne kamre me aa gaya.
Apne kamre me aakar, maine apne kapde badle aur fir bed par lette huye keerti ko call laga diya. Mere call lagate hi, keerti ne mera call kaat diya aur fir uska call mere mobile par aane laga.
Lekin uska ye call uske pahle wale mobile se aa raha tha. Isliye mai thoda soch me pad gaya. Magar fir maine mauke ki najakat ko samajhte huye, uska call utha liya. Mere call uthate hi, keerti ne mujhse kaha.
Keerti boli “sorry jaan, us mobile me kuch network problem ho gayi hai. Jis vajah se, us se call nahi ja raha hai.”
Mai bola “koi baat nahi, tu ruk, mai tujhe wapas call karta hu.”
Itna kah kar, maine keerti ka koi jabab sune bina hi, uska call kaat kar, use wapas call laga diya. Usne mera call uthate huye kaha.
Keerti boli “are tumne mera call kyo kaat diya. Mere mobile me bahut balance hai.”
Mai bola “mere mobile me bhi bahut balance hai aur abhi to mere pas tere diye huye, recharge card bhi jaise ke taise hi rakhe huye hai. Isliye ab tu mere balance ki chinta karna chhod de aur ye bata ki, ab teri tabiyat kaisi hai.”
Keerti boli “meri tabiyat to achi hai. Lekin mai tumse najar hu.”
Mai bola “kyo, kya hua.? Maine aisa kya kar diya, jo tu mujhse naraj hai.”
Keerti boli “jyada bhole mat bano. Sham ko maine tumhe kitne call lagaye the. Lekin tumne mera ek bhi call nahi uthaya.”
Mai bola “sorry, meri bahut gahri nind lagi thi. Isliye mujhe tera call aane ki baat pata hi nahi chali.”
Keerti boli “lekin tum sokar, uthne ke bad to, call laga kar, ye baat puchh sakte the na ki, mai tumko itne call kyo laga rahi thi.”
Mai bola “haan, mujhse ye galti jarur huyi hai.”
Ye bolte huye, maine keerti ko apne jaagne se lekar abhi tak ki saari baten batayi aur fir uske call karne ki vajah puchhi to usne kaha.
Keerti boli “wo call mai nahi, ami laga rahi thi. Pahle usne mausi ke mobile se call lagaya tha. Lekin jab tumne call nahi uthaya to, mausi ne usko baar baar call lagane se mana kar diya tha. Isliye fir wo mere pas upar aakar tumko call laga rahi thi. Lekin tumne mere mobile se bhi call nahi uthaya.”
Mai bola “kya wo abhi jaag rahi hai.”
Keerti boli “nahi, wo so gayi hai. Lekin tum uski fikar mat karo. Jab tumne uska call nahi uthaya to, maine nitika ko call laga kar, uski baat nitika se karwa di thi. Nitika ne use bata diya tha ki, tum so rahe ho aur shikha didi log bhi tumko call laga laga kar pareshan ho gayi hai. Kyoki raat ko un ne sabko khane ke liye bulaya hai.”
Keerti ki ye baat sunkar, pahle to maine shukun ki saans li. Fir us par jhutha gussa dikhate huye kaha.
Mai bola “jhuthi, char sau bees, tujhe sab pahle se hi pata tha. Fir bhi mujhse naraj hone ka natak kar rahi thi.”
Meri baat sunkar, keerti hasne lagi. Fir achanak hi use priya ki baat yaad aa gayi aur usne mujhse kaha.
Keerti boli “priya ka kya hua. Wo tumhare sath shopping par gayi thi ya nahi gayi.”
Mai bola “tune jo msg bheja tha. Us msg bhejne ke bad, usne mujhe msg bhi kiya aur mere sath shopping par bhi gayi thi. Lekin wo abhi bhi mujhse koi baat nahi kar rahi hai.”
Keerti boli “isme itna jyada naraj hone wali baat to nahi hai. Wo tumse bevajah hi naraj hai.”
Mai bola “nahi, wo bevajah naraj nahi hai. Abhi tum uski narajgi ki puri vajah nahi janti ho.”
Ye kahte huye, maine keerti ko meri raat ko priya se huyi saari baten bata di. Jise sunkar, keerti bhi soch me pad gayi. Jab thodi der tak, jab wo kuch nahi boli to, maine us se kaha.
Mai bola “kya hua.? Ab tu kis soch me pad gayi.”
Meri baat sunkar, keerti ne ek thandi si saans bharte huye kaha.
Keerti boli “mai ye soch rahi thi ki, priya tumko tab se chahti hai. Jab tumne shilpa ko dekha tak nahi tha. Yadi tumko usi samay priya ke is pyar ka pata chal gaya hota to, aaj shayad mai priya ki jagah par aur priya meri jagah par hoti.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine chidchidate huye kaha.
Mai bola “tu ye kaisi bahki bahki baten kar rahi hai. Yadi tujhe aisi hi baten karna hai to, tu phone rakh, mujhe nind aa rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne ghabrate huye kaha.
Keerti boli “are tum phone mat rakhna. Mai to bas aise hi bol rahi thi.”
Abhi meri keerti se baat chal hi rahi thi ki, tabhi dusre mobile par uska call aane laga aur usne mujhse kaha.
Keerti boli “dekh kya rahe ho. Badi mushkil se call laga hai. Jaldi se call uthao.”
Maine fauran uska call uthaya aur usne mera call katte huye mujhse kaha.
Keerti boli “aakhir call lag hi gaya. Kitni der se call lagane ki koshish kar rahi thi.”
Mai bola “tu mujhse baat kar rahi thi ya tera saara dhyan call lagane par hi laga hua tha.”
Keerti boli “are mai baat karte karte call bhi laga kar dekh rahi thi ki, call ja raha hai ya nahi. Aakhir itni der bad call lag hi gaya.”
Mai bola “haan, tere liye mujhse baat karne se jyada jaruri kaam, mera balance bachana tha. Isliye tera dhyan meri baton par nahi, balki call lagane par laga hua tha.”
Keerti mere is tarah jara si baat par chidchidane ka matlab samajh gayi thi. Isliye usne mujhe apni pahle ki baat ko samjhate huye kaha.
Keerti boli “sorry baba, lekin tum meri baat ka galat matlab mat nikalo. Asal me mujhe priya ki ye baat sunkar, wo din yaad aa gaya, jab mujhe tumhare shilpa ko pasand karne ki baat chali thi.”
“Us din mai raat bhar bahut royi thi. Us din mujhe mere bachpan ka pyar, mujhse door hote najar aa raha tha aur mujhe aisa lag raha tha, jaise meri jindgi se sab kuch khatam ho gaya ho.”
“Mai is baat ko sah nahi pa rahi thi aur ro ro kar, upar wale se apne liye sirf maut hi mange ja rahi thi. Us din ke bad, mai jab bhi tumhe dekhti thi to, mera dil rone lagta tha.”
“Lekin tum mere dard se anjan, mujhse puchhte rahte ki, mujhe kya hua, kya mai tumse kisi baat ko lekar naraj hu. Tab mujhe na chahte huye bhi, tumse kahna pad jata tha ki, mujhse kuch nahi hua hai.”
“Mujhe tumhari khushi ke liye, tumhare samne muskurana pad jata tha. Magar andar hi andar tumko kho dene ke dard se mera dil rota rahta tha. Mera dil karta tha ki, mai ek baar tumhe apne gale se laga kar khoob ro lu.”
“Apne dil ka saara haal tumhe suna du. Lekin aisa karne ki meri himmat hi nahi hoti thi. Mai bas andar hi andar raat din ghutti rahti thi. Shayad meri is ghutan ko dekh kar, upar wale ko bhi mujh par raham aa gaya.”
“Usne tumhe shilpa ka nahi hone diya aur meri is dard bhari ghutan ka ant ho gaya. Lekin aaj bhi jab mai us din ki baat sochti hu to, meri aankhon me aansu aa jate hai.”
Itni baat kah kar keerti chup ho gayi. Shayad sach me uski aankhon me aansu aa gaye the. Lekin uski is baat ko sunkar, mai un dino ki yaad me kho gaya. Un dino wo aksar jara jara si baat par mere ghar aa jaya karti thi.
Wo hamesha mere aas pas madrati rahti thi. Mere kamre me taank jhank karna aur mujhe chor najron se dekhte rahna, uski aadat si ban gayi thi. Mai uski is bechaini ko kabhi samajh hi nahi saka ki, wo aisi harkat kyo kar rahi hai.
Mai to bas uski is harkat ko dekh kar, us se yahi kahta tha ki, tu kya yaha par meri jasusi karne aati hai. Meri is baat ko sunkar, wo hasne lagti aur ye baat wahi par aayi gayi ho jati.
Magar aaj jab mujhe uski un harkaton aur uski un bujhi bujhi aankhon ka matlab samajh me aaya to, mai apni aakhon ko chhalakne se na rok saka. Mai bhi us samay kitna nadan tha, jo uske is pyar ko kabhi mehsus hi na kar saka.
Mai apni aankhon me aansu liye, un dino ko yaad kar raha tha. Tabhi keerti ki aawaj, mujhe un yaadon se bahar khich layi. Keerti ne khud ko sambhalte huye mujhse kaha.
Keerti boli “sorry, mai tumhare dil ko koi thes lagana nahi chahti thi. Mai janti hu ki, tab tum mere dil ki baton se puri tarah se anjan the. Lekin iske bad bhi tum mujhe bahut pyar karte the.”
“Mere tumse itna ladne jhagadne aur pareshan karne ke bad bhi, tum mere ek baar bulane par hi daude chale aate the. Mujhe tumhara is tarah, meri itni jyada parwah karna bahut acha lagta tha.”
“Iisliye mai jaan bujh kar, tumhe pareshan kiya karti thi. Hamesha tumhare sath rahne ke bahane duda karti rahti thi. Tumhare sath ye sab karte karte, mujhe bas raat din bas tumhari hi soch rahne lagi thi.”
“Mai tum me itna jyada kho chuki thi ki, mujhe ye tak pata nahi chala ki, kab meri tumhe dekhne wali najar badal gayi hai aur mai tumhe dil hi dil pyar karne lagi hu.”
“Mujhe tumse itna jyada pyar ho gaya tha ki, mujhe tumhare bina jeene se acha, marna lagne laga tha. Aaj kismat se mujhe mera pyar mil gaya hai. Magar aaj bhi jab kabhi mere man me tumse door hone ka khayal aata hai to, meri jaan nikalne lagti hai.”
“Isliye jab aaj maine priya ki ye baat suni to, mera dil uske dard ko mehsus karke tadap utha tha. Mera irada apni kisi baat se tumko dukh pahuchne ka hargij nahi tha.”
Mai khamoshi se keerti ki ye baten sun tha aur uski baten sunte sunte mere chehre par khud hi muskurahat aa gayi. Uski baat khatam hote hi, maine us se kaha.
Mai bola “mai ye to nahi kahta ki, mai bhi teri tarah, tujhe suru se aise hi pyar karta tha. Kyoki mere man me ye baat kabhi aayi hi nahi thi ki, humare bich aisa kuch ho sakta hai.”
“Lekin ye baat sach hai ki, tu mujhe suru se hi sabse achi lagti thi aur mai har ladki ki sundarta ki tulna bhi suru se, tujhse hi karta aa raha hu. Tu bas mujhe bahut achi lagti thi aur tera sath mujhe bahut shukun deta tha.”
“Isliye tere ladne, jhagadne aur pareshan karne ke bad bhi, mai tere ek baar bulane par hi dauda dauda tere pas pahuch jata tha. Mai jab kabhi bhi tujhe dekhta to, ek baat jarur mere man me aati thi ki, kash tu meri bahan na hoti to, mai tujhe jindgi bhar ke liye apna bana kar rakh leta.”
“Lekin iska matlab ye hargij nahi tha ki, mai tere baare me kuch ulta sidha sochta tha. Maine tere baare me kabhi kuch galat nahi socha. Bas tu mere liye………..”
Abhi meri baat puri bhi nahi huyi thi ki, keerti meri baat par khilkhila kar hasne lagi. Use hanste dekh mujhe laga ki, shayad use meri is baat par yakin nahi hai. Isliye maine use apni baat ka yakin dilane ki kosis karte huye, us se kaha.
Mai bola “kya hua, kya tujhe meri is baat viswas nahi ho raha hai. Mera yakin maan, mai sach kah raha hu. Mere man me aaj tak tere liye kabhi koi bura vichar nahi aaya. Tu chahe to, mujhse kisi ki bhi kasam le sakti hai.”
Meri is baat ko sunte hi keerti ki hansi ruk gayi aur usne mujh par gussa hote huye kaha.
Keerti boli “ae tumhe kisi ki bhi kasam khane ki jarurat nahi hai. Mujhe khud se jyada tum par viswas hai. Tum nahi jante, mujhe sabse shukun bhari nind tab aayi, jab mai pahli baar tumhare pas soyi thi.”
“Tumne pyar se mere mathe ko chuma aur fir bahut der tak mere sar par hath ferte rahe. Us raat ko mai apne jeevan me kabhi nahi bhool sakti aur yahi chahti hu ki, waisi raat mere jeevan me roj aaye.”
Keerti ki ye baat sunte hi, meri najar me us raat ka najara ghoom gaya aur maine keerti se kaha.
Mai bola “jab us samay tu jaag rahi thi to, fir yu sone ka natak kyo karti rahi. Muh se kuch boli kyo nahi.”
Keerti boli “jab tumne mere mathe par kiss kiya, tab mai apni aankh kholne hi wali thi. Lekin uske bad tum pyar se mere sar par hath ferne lage. Tumhara aisa karne se mujhe itna shukun mila ki, mai aankh kholna hi bhool gayi.”
“Fir mujhe pata hi nahi chala ki, kab mai meethi nind me so gayi. Wo raat meri jindgi ki sabse yaadgar raat ban gayi aur fir mai tumhare isi pyar ke lalach me roj tumhare pas aakar sone lagi.”
“Ab dobara kabhi aisa mat sochna ki, mujhe tum par viswas nahi hai. Mere to viswas ka dusra naam hi tum ho. Jis din mera ye viswas toot jayega, us din meri saanso ki ye dor bhi toot jayegi.”
Keerti ki in baton ko sunkar, mujhe us par bahut pyar aa raha tha. Yadi is samay wo mere pas hoti to, ab tak maine use apni bahon me bhar liya hota. Magar is samay uske mere pas na hone se mai ek thandi si aah bhar kar rah gaya.
Ye hi haal waha shayad keerti ka bhi tha. Is baat ke bad, wo bhi khamosh si ho gayi thi. Hum dono hi khamosh the ki, tabhi mere mobile ki Sms tone baj uthi. Maine mobile utha kar dekha to, priya ka Sms tha. Keerti ne Sms pad kar sunane ko kaha to, mai wo Sms keerti ko pad kar sunane laga.
Priya ka Sms “Maine Use Ishara Kiya.
Usne “Salam” Likh Bheja.
Maine Puchha Tumhara Naam Kya Hai.
Usne “Chand” Likh Bheja.
Maine Puchha Tumhari Aankhen Kaisi Hai.
Usne “Jaam” Likh Bheja.
Maine Puchha Tumhe Kya Chahiye.
Usne “Saara Aasmaan” Likh Bheja.
Maine Puchha Kab Miloge.
Usne “Kayamat Ki Shaam” Likh Bheja.
Maine Puchha Kis Se Darte Ho.
Usne “Mohabbat Ka Anjaam” Likh Beja.
Maine Puchha Tumhe Nafrat Kis Se Hai.?
Kambakht Ne “Mera Naam” Likh Bheja.”
Priya ka Sms keerti ko pad kar sunane ke bad, maine us se kaha.
Mai bola “tune iska Sms suna na. Ye ladki khud bhi pagal hai aur mujhe bhi pagal karke rahegi. Mujhe to yaad hi nahi ki, maine us se ye nafrat karne wali baat kab kah di.”
Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “are mujhe to is Sms me aisi koi baat najar nahi aa rahi. Ye to usne majak me bheja hai.”
Mai bola “mai us se kah chuka hu ki, mujhe shayari samajh me nahi aati hai to, fir use aisa Sms karna hi nahi chahiye tha.”
Keerti boli “ho sakta hai ki, usne tumko pareshan karne ke liye ye shayari wala Sms kiya ho. Chalo aaj tumahri taraf se mai us se baat karti hu.”
Keerti ki baat sunkar, maine chaukte huye kaha.
Mai bola “tera dimag to thikane hai. Tu us se kya baat karegi aur use kya batayegi ki, tu kaun hai.”
Keerti boli “isme itna pareshan hone ki baat nahi hai. Wo khud hi samajh jayegi ki, mai kaun hu. Tum bas us se meri conference me baat karwao. Pahle apne mobile se mujhe call karo aur uske bad usko call lagao. Baki sab mujh par chhod do.”
Mai bola “yaha ek pagal kam hai, jo tujhe bhi pagalpan karne ki sujh rahi hai.”
Keerti boli “tum daro mat, kuch nahi hoga. Tum bas call karo.”
Maine keerti ko samjhane ki bahut koshish karta raha. Magar ab usne bhi priya se baat karne ki jid pakad li thi. Jab wo meri baat sunne ko taiyar nahi huyi to, fir mujhe uski baat manna hi pad gayi.
Maine pahle apne dusre mobile se keerti ko call kiya. Uske call utha lene ke bad, maine dhadakte dil se priya ko call laga diya. Keerti hold par thi aur priya ke mobile par call ja raha tha. Jaise jaise priya ke mobile ki ring baj rahi thi. Waise waise ab kya hoga, ye soch soch kar mere dil ki dhadkane bad rahi thi.
______________________________