• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,198
158
Ko To Rok Lo {Update - 178}
____________________________

Mai bola “kasam se yaar, ab mere pet me iske liye jara bhi jagah nahi hai. Yadi tum ye pahle hi manga leti to, itna sab khane ki jarurat hi nahi padti.”

Priya boli “isliye maine pav bhaji pahle nahi magayi thi. Warna tum bada pav aur bhel puri ko hath bhi nahi lagate.”

Mai bola “lekin ab mai kuch nahi kha sakta. Ye tum hi kha lo.”

Priya boli “mujhe malum tha ki, tum ise nahi kha paoge. Isliye maine ek plate pav bhaji hi mangwayi hai. Is ek plate pav bhaji ko, hum dono mil kar to, khatam kar hi sakte hai na.”

Priya ki is baat ko sunkar, mai gaur se uska chehra dekhne laga. Uske chehre par is samay na to jid karke apni baat manwane wale bhav the aur na hi mere sath koi jabardasti karke apni baat manwane wale bhav the.

Uske chehre par yadi is samay koi bhav the to, sirf aagrah karne wale bhav the. Jinhe manna ya na manna usne mere upar chhod diya tha. Uske chehre ke in bhavon ko dekhte hi, meri aankhon me ami ka chehra aa gaya aur mai muskurate huye wapas priya ke pas baith gaya.

Papa jab kabhi ami nimi ke khane ke liye kuch late to, nimi apni chatoru jeebh se majbur hokar, apni chij ko fauran chat kar jati thi. Lekin ami apni chij ko bacha kar rakhti aur use mere pas lakar kahti ki, “bhaiya mujhe ye khana hai. Magar mai ise pura nahi kha paugi. Kya isme se aadha aap kha lege.”

Mai use wo nimi ko khila dene ko kahta. Magar nimi iske liye pahle se hi taiyar rahti aur use khane se mana kar deti. Mai dono ki is harkat ko samajh jata tha. Lekin fir bhi mai is sab se anjan ban kar, ami ki layi huyi chij ko thoda sa kha leta tha.

Apni chij mujhe khilane ke liye us samay jo bhav ami ke chehre par hote the. Waise hi kuch bhav abhi mujhe priya ke chehre par bhi dikh rahe the. Is samay wo pink salwar suit me bahut pyari lag rahi thi aur beach par chal rahi hawaye, uske balon ko bikher kar, use or bhi jyada pyara bana rahi thi.

Uske is manmohak roop ko dekh kar, maine muskurate huye pav bhaji ka ek nivala uske muh ki taraf bada diya. Mere aisa karte hi priya ke chehre par chamak aa gayi.

Usne fauran hi wo nivala khate huye, pav bhaji ka ek nivala lekar mere muh ki taraf bhi bada diya. Maine bhi uske hath se pav bhaji ka wo nivala kha liya. Wo mujhe apne hath se pav bhaji khila rahi thi aur mai use apne hath se pav bhaji khila raha tha.

Hum dono bas ek dusre ko apne hathon se pav bhaji khila rahe the aur ek dusre ko dekh kar muskura rahe the. Iske alawa is samay na to mere man me aisa waisa kuch chal raha tha aur na hi shayad priya ke man me aisa waisa kuch chal raha tha.

Ye bas ek aisa lamha tha, jo hum dono ko shukun de raha tha aur hum is lamhe ko kisi baat ki parwah kiye bina, puri tarah se ji lena chahte the. Khair koi lamha kitna bhi hasin kyo na ho. Us lamhe ka ant ho hi jata hai.

Aise hi is lamhe ka bhi ant humari pav bhaji ke khatam hone ke sath hi ho gaya. Usne mujhse paise lekar, dukan wale ke paise chukaye aur fir hum dono tahalte huye beach par aa gaye.

Humare pas ab ek dusre ke sath bitane ke liye jyada samay nahi tha. Isliye na to, maine priya se kuch or dekhne ki baat kahi aur na hi priya ne mujhse kahi or chalne ki baat kahi.

Hum dono bas aise hi beach par baat karte huye tahalte rahe aur fir ek jagah par baith kar samundar ka najara dekhne lage. Samundar ka najara dekhte dekhte priya ne apna sar mere kandhe par tika diya aur mere hath ko pakad liya.

Mujhe priya ki ye harkat kuch achi si nahi lagi thi. Lekin mai jate jate uske dil ko thes bhi lagana nahi chahta tha. Isliye mai uski is harkat ko andekha kar, fir se samundar ki taraf dekhne laga.

Magar priya shayad meri is haalat ko samajh gayi thi. Usne mere kandhe se apne sar ko hataya aur fir meri hatheli ko apni hatheli se aise saaf karne lagi. Jaise ki meri hatheli par kuch lag gaya ho.

Mai bade dhyan se uski is harkat ko dekhne laga. Tabhi usne apne chehre par ek feeki si muskan bikherte huye, mujhse kaha.

Priya boli “bahut hi mushkil hota hai na.”

Priya ki ye baat sunte hi, mere kaano me nisha bhabhi ki baat goonj gayi. Kyoki un ne bhi mujhse aisa hi kuch sawal kiya tha. Lekin tab se ab tak haalat bahut badal chuke the aur shayad is sawal ka jabab bhi badal chuka tha.

Mai priya ki is baat ke matlab ko achi tarah se samajh gaya tha. Lekin fir bhi maine is baat se anjan bante huye kaha.

Mai bola “kya mushkil hota hai.”

Meri baat ko sunkar, priya ne apni najar meri hatheli par aise tika li. Jaise ki meri hatheli me kuch dudh rahi ho. Fir meri hatheli ko apne dupatte se saaf karte huye, ek feeki si muskan ke sath kaha.

Priya boli “jis se pyar ho, us se door rahna aur jis se pyar na ho, uske sath rahna.”

Mai is samay priya ke dil ki haalat ko achi tarah se samajh raha tha. Use aisa lag raha tha ki, mai kisi majburi ya kisi hamdardi me is samay uske sath yaha par aaya hu. Lekin uski is baat me jara bhi hakikat nahi thi. Isliye maine ek thandi saans bhar kar, is baat ki sachchai priya ke samne rakhte huye kaha.

Mai bola “nahi, aisa bilkul nahi hai. Jab mai yaha aaya tha, tab mujhe jarur aisa lag raha tha ki, apne pyar se door rahna ek saza hai. Magar yaha aakar maine jana ki, pyar me kabhi kabhi doori hona bhi jaruri hai.”

“Kyoki ye doori hi hai, jo hume hamare pyar ki keemat ka aehsas karati hai. Yadi mai apne pyar se itne din door na raha hota to, shayad mujhe iski keemat ka aehsas kabhi na ho pata aur mai jaane anjane me apni kisi galti se apne pyar ko kho bhi sakta tha.”

“Magar is kuch din ki judai ne mujhe mere pyar ki us keemat ka aehsas dilaya hai. Jise mai sath rah kar shayad kabhi samajh hi nahi sakta tha. Mera manna tha ki, mai use apni jaan se jyada pyar karta hu.”

“Lekin yaha aakar maine jana ki, jaan se jyada pyar karne ka matlab ye hai ki, mai use khud se alag manta hu. Jabki mai jis ladki se pyar karta hu. Wo mujhe apni jaan se jyada pyar nahi karti, balki wo to mujhe hi apni jaan manti hai.”

“Uske sapne, uske apne, uski khushi, uske gam, uska pyar, uska viswas, jo kuch bhi hu, sirf mai hi hu. Isliye uske mukable me mera pyar kuch bhi nahi hai aur ye sab baten maine us se door rah kar hi jaani hai. Mere liye ye doori ek saza nahi, balki ek saugat thi. Jisse maine apne pyar ki kadar karna sikha hai.”

Meri baat sunkar, priya ne fir feeki si muskana ke sath kaha.

Priya boli “ye baat to uske liye hai, jis se pyar ho us se door rahna pade. Lekin jis se pyar na ho, uske sath rahne wali baat ka to, tumne koi jabab nahi diya.”

Priya ki is baat ka jabab maine badi hi sanjidgi se dete huye kaha.

Mai bola “tumhara ye sawal hi galat hai. Kyoki jis se pyar na ho, uske sath rahne ya na rahne se koi farak hi nahi padta hai.”

Meri baat sunkar, priya ka chehra utar gaya. Shayad use mujhse is tarah ke khule jabab ki ummid nahi thi. Lekin maine apni baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “tumhara sawal ye hona chahiye tha ki, koi tumhe pyar kare aur tumhe us se pyar na ho. Aise me uske sath rahna bahut mushkil ho jata hai na.”

Meri ye baat sunkar priya hairani se meri taraf dekhne lagi. Uska is tarah hairan hona bhi swabhavik tha. Wo jis baat ko ghuma kar puchh rahi thi. Usi baat ko maine sidhe shabdon me uske samne lakar rakh diya tha. Usko is tarah se hairan hote dekh kar, maine apni baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “jo abhi maine kaha hai. Yadi tumhara sawal wahi hai to, mera jabab hai ki, haan, bahut mushkil hota hai. Yadi koi aapko apni jaan se bad kar pyar kare aur aap uske is pyar ke badle me, pyar na de pao to, bahut taklif hoti hai.”

“Fir yadi wo pyar karne wala tumhare jaisa koi masum ho to, ye dard sahan karna aur bhi jyada mushkil ho jata hai. Tab aisa lagta hai, jaise ki seene ke andar koi aag jal rahi ho aur us aag me dil jal raha ho.”

Meri is baat ko sunkar, shayad priya ke dil ko kuch shukun mila tha. Usne pahli baar dil khol kar hanste huye kaha.

Priya boli “mere liye tum apna dil mat jalao. Mujhe tumko hasil karna tha, wo maine kar liya. Ab mujhe kisi baat ka koi gam nahi hai.”

Priya ki is baat ne is baar mujhko hairani me daal diya. Mujhe uski ye baat jara bhi samajh me nahi aayi aur mai hairani bhari najron se uski taraf dekhne laga. Lekin wo meri is hairani ko samajh gayi thi. Isliye usne muskurate huye kaha.

Priya boli “jyada mat socho, isme hairani wali koi baat nahi hai. Tum mere sath ho. Tumhe mere dard se dard hota hai. Tumhe meri fikar rahti hai. Yadi ise pyar nahi kahte hai to, fir mujhe tumse tumhara pyar chahiye bhi nahi hai. Mujhe tumhara bas itna sath hi milta rahe, mere liye ye hi bahut hai.”

Priya ki ye baat sunkar, mai gaur se uska chehra dekhne laga aur ye samajhne ki koshish karne laga ki, wo ye baat kahi sirf mera dil rakhne ke liye to, nahi kah rahi hai.

Magar uske chehre ki masumiyat dekh kar, mujhe yakin ho gaya ki, wo jo kuch bhi kah rahi hai, apne dil se kah rahi hai. Isliye is samay uske chehre ki muskan me mujhe kahi koi dard najar nahi aa raha tha.

Apne dard ki parwah kiye bina, apne pyar ke dard ki parwah karne ka naam hi to pyar hai aur yahi priya bhi kar rahi thi. Priya ki is baat ko sunkar, mai bahut bhavuk ho gaya tha.

Usne thode se hi shabdon me hi bahut kuch kah diya tha. Magar aaj apne jaane se pahle mere pas bhi us se kahne ke liye bahut kuch tha. Maine uske hath se apna hath chhudaya aur fir uska hath pakad kar sahlate huye kaha.

Mai bola “priya, mai janta hu ki, tum mujhe bahut pyar karti ho. Lekin us raste par chalne ka fayda hi kya, jis raste ki koi manjil hi na ho. Tum ache se janti ho ki, meri manjil koi or hai.”

“Aise me mujhe pyar karke tumhe dard ke siwa kuch nahi milega. Tumhare liye acha ye hi hoga ki, tum mujhe hamesha ke liye bhool jao aur apni jindgi me kisi aise ladke ko aane ka mauka do, jo tumhe itna pyar kare ki, tumhe kabhi bhoole se bhi meri yaad na aaye.”

Itna kah kar, mai priya ka chehra dekhne laga. Meri baat sunkar, wo bhi kuch gambhir dikhne lagi thi aur kuch soch me pad gayi thi. Thodi der bad usne apni khamoshi ko todte huye kaha.

Priya boli “ek baat batao, yadi kisi vajah se tripti tumhe na mil paye to, kya tab aisi haalat me tum mere pyar ko apna loge.”

Priya ki ye baat sunkar, mera dimag hi ghoom gaya aur maine us par jhallate huye kaha.

Mai bola “tum pagal ho kya hai. Uske milne ya na milne se kya hota hai. Yadi kisi vajah se mai uske pyar ko kho bhi deta hu. Tab bhi mere dil se uska pyar to khatam nahi ho jayega. Wo mujhe mile ya na mile. Lekin uske alawa kisi ke pyar ko apnane ka sawal hi paida nahi hota hai.”

“Wo mujhe mile ya na mile. Magar mai uske alawa kisi ke baare me soch bhi nahi sakta hu. Isliye tum apne dil se ye vaham hamesha ke liye nikal do ki, uske na milne se mai tumhare pyar ko apna sakta hu.”

Us samay mujhe priya ki is nadani bhari baat par bahut gussa aa raha tha. Isliye mujhe jo kuch bhi samajh me aaya, mai priya ko bolta chala gaya. Lekin mere chup hote hi, priya ne apni baat ke liye mujhse maafi mangte huye kaha.

Priya boli “sorry, mere man me tum dono ke pyar ko lekar aisi koi bhi baat nahi hai. Mujhe ye baat bolne ke liye bhagwan maaf kare aur tum dono ke pyar ko kabhi kisi ki bhi najar na lage.”

“Lekin ab ek baar tum khud hi apni kahi baat ko soch kar dekh lo. Ek taraf to tum tripti ko kho dene ke bad bhi, usko bhulne ya kisi or ke pyar ko apnane ke liye taiyar nahi ho.”

“Wahi dusri taraf tum mujhse kahte ho ki, mere pyar ki koi manjil nahi hai. Isliye mai apne pyar ko bhool jau. Kya sirf tumhara pyar hi pyar hai aur mera pyar kuch bhi nahi hai.”

“Aakhir tumhari najron me pyar ka ye dohra map-dand kyo hai. Yadi tum dono ka pyar sacha hai to, jhutha mera pyar bhi nahi hai. Tumhre mere pas hone na hone ka aehsas mujhe dil se mehsus hota hai.”

“Yadi meri aankhen band bhi ho, tab bhi mai bina aankhen khole bata sakti hu ki, tum mere pas aa rahe ho. Kyoki mujhe tumhare aane ki aahat mere kaanon se nahi, balki mere dil se sunayi deti hai.”

“Tumse itna jyada pyar hone ke bad bhi, jab mujhe tumhare kisi aur ladki se pyar hone ki baat ka pata chala to, maine khud hi, apne pyar ko, apne seene me dafan karke rakh diya.”

“Lekin ab yadi tumhe mera tumko yaad rakhna bhi ek bojh lagta hai to, tumhari khushi ke liye mai tumhari yaad ko bhi apne seene me dafan kar dugi. Magar meri ek baat yaad rakhna ki dil par kisi ka koi jor nahi hota. Kahi aisa na ho ki, tumko bhulate bhulate ye dil dhadakna hi bhool jaye.”

Ye baat kahte kahte priya ki aankhen chhalak gayi aur uska dard mehsus karke mera dil bhi tadap utha. Uski kahi gayi, koi bhi baat galat nahi thi. Mai khud bhi kabhi kabhi is baat ko dekh kar, hairan rah jata tha ki, wo chahe meri taraf peeth karke hi kyo na khadi ho.

Magar jab mai uske aas pas pahuchta tha to, wo palat kar mujhe hi dekhne lagti thi. Aisa kyo hota tha, is baat ko mai kabhi samajh nahi saka. Lekin mere sath bhi priya ko lekar, ek aisi hi ajib baat judi huyi thi.

Wo baat ye thi ki, priya chahe apne dard ko, apni hansi ke pichhe chhupane ki laakh koshish kar le. Magar fir bhi mujhe uski muskan ke pichhe chhupi khushi aur gam ka aehsas ho jata tha.

Aisa hi kuch abhi bhi mere sath ho raha tha. Uske bahte huye aansuon ne mujhe meri galti ka aehsas kara diya tha aur maine uske hath ko thamte huye kaha.

Mai bola “sorry, mera irada tumhara dil dukhane ka hargij nahi tha. Mujhe tumhari koi bhi baat bojh nahi lagti. Tum itne din se saaye ki tarah mere sath ho. Lekin mujhe kabhi bhi tumhara sath bojh nahi laga aur na hi maine kabhi tumse pichha chhudane ki koshish ki hai.”

“Aisa maine kisi majburi ya hamdardi me nahi kiya. Balki mujhe tumhare sath rahne se khushi hoti thi. Tum bhale hi apne chehre par jhuthi muskan ka mukhota laga kar, sabse apne dard ko chhupa leti ho.”

“Lekin jaise tumhe mere aane ka aehsas pahle se ho jata hai. Waise hi mujhe bhi tumhari muskan me chhupe dard aur khushi ka aehasa ho jata hai. Tumhe khush dekh kar meri khushi dugni ho jati hai.”

“Lekin tumhe dukhi dekh kar mera gam dugna nahi, balki char guna ho jata hai. Ye sach hai ki, mai bahut jyada bhavuk insan hu. Isliye kisi ke dil me chhupi bhavna ko mehsus karna mere liye koi badi baat nahi hai.”

“Magar us se bhi bada sach ye hai ki, mujhe tumse mile huye, abhi sirf 15 din hi huye hai. Lekin is 15 din ki jaan pahchan me, mai tumhare dil me chhupi bhavnao ko jitna jyada mehsus kar paya hu.”

“Utna jyada mai aaj tak, kisi ke dil me chhupi bhavnao ko mehsus nahi kar paya hu. Mere sath aisa kyo hota hai, ye mai khud bhi nahi janta. Magar mujhe aisa lagta hai ki, shayad pichhle janam me mera tumse koi rishta tha.”

“Jis vajah se tumhe dard me dekh kar, mai bhi tadap uthta hu aur tumhe khush dekh kar, mai bhi khush ho jata hu. Kahi na kahi, tumhari khushi se meri khushi aur tumhare gam se mera gam juda hua hai. Isliye maine tumse kaha tha ki, tum mujhe bhool jao.”

“Kyoki yadi tum khush nahi rahogi to, iska aehsas mujhe bhi khush nahi rahne dega. Ab tum chaho to, in sab baton ko mera pagalpan kah lo ya fir chaho to, ise pyar ke liye mera dohra map-dand kah lo. Lekin maine abhi tumse jo bhi kaha, wo hi mera sach hai aur is par yakin karna ya na karna tumhari marji par hai.”

Apni itni baat kah kar, mai chup ho gaya. Lekin meri ye sab baten sunkar, priya hairani se mujhe dekhti rah gayi. Use shayad ab bhi is baat par yakin nahi aa raha tha ki, mere dil me usko lekar itni sab baten chhupi huyi thi.

______________________________
Amazing update hai pritam bhai
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,198
158
Ko To Rok Lo {Update - 179}
____________________________

“Magar us se bhi bada sach ye hai ki, mujhe tumse mile huye, abhi sirf 15 din hi huye hai. Lekin is 15 din ki jaan pahchan me, mai tumhare dil me chhupi bhavnao ko jitna jyada mehsus kar paya hu.”

“Utna jyada mai aaj tak, kisi ke dil me chhupi bhavnao ko mehsus nahi kar paya hu. Mere sath aisa kyo hota hai, ye mai khud bhi nahi janta. Magar mujhe aisa lagta hai ki, shayad pichhle janam me mera tumse koi rishta tha.”

“Jis vajah se tumhe dard me dekh kar, mai bhi tadap uthta hu aur tumhe khush dekh kar, mai bhi khush ho jata hu. Kahi na kahi, tumhari khushi se meri khushi aur tumhare gam se mera gam juda hua hai. Isliye maine tumse kaha tha ki, tum mujhe bhool jao.”

“Kyoki yadi tum khush nahi rahogi to, iska aehsas mujhe bhi khush nahi rahne dega. Ab tum chaho to, in sab baton ko mera pagalpan kah lo ya fir chaho to, ise pyar ke liye mera dohra map-dand kah lo. Lekin maine abhi tumse jo bhi kaha, wo hi mera sach hai aur is par yakin karna ya na karna tumhari marji par hai.”

Apni itni baat kah kar, mai chup ho gaya. Lekin meri ye sab baten sunkar, priya hairani se mujhe dekhti rah gayi. Use shayad ab bhi is baat par yakin nahi aa raha tha ki, mere dil me usko lekar itni sab baten chhupi huyi thi.

Wo badi hairani bhari najron se mujhe dekh rahi thi. Is samay uski aankhon me aansu bhi jhilmila rahe the aur uske hothon par muskun bhi thirak rahi thi. Uske is aansu aur muskan se bhare chehre ko dekh kar, mujhe us par bahut pyar aa raha tha.

Mera dil kar raha tha ki, mai apne hothon se, uski aankhon me chamakne wale in motiyon ko pi jau. Magar mere andar aisa karne ki himmat nahi thi. Lekin shayad is samay priya ke dil me bhi aisa hi kuch chal raha tha.

Isliye usne meri kisi baat ki parwah kiye bina, mere dono hathon ko, apne hathon me tham liya aur fir baari baari se mere hathon ko chum kar, apni aankhon se laga kar, bahut hi bhavuk hote huye kaha.

Priya boli “mujhe pata tha ki, tumko meri bahut fikar hai. Lekin maine ye sapne me bhi nahi socha tha ki, tumko mere dard ka itna jyada aehsas hai. Tum nahi jante ki, aaj mai kitni khush hu. Aaj yadi is khushi ke badle me, tum meri jaan bhi maang lo to, mere liye ye bhi bahut kam hai.”

Priya ki ye baat sunte hi, maine uske muh par hath rakhte huye kaha.

Mai bola “mai tumhari jaan nahi, balki tumhari jaan ki salamati chahta hu. Mai chahta hu ki, tum hamesha khush raho.”

Meri is baat ke jabab me priya ne mera hath chhoda aur fauran apne chehre se aansuon ko saaf karke, muskurate huye kaha.

Priya boli “tum mujhe hamesha khush dekhna chahte ho to, mai hamesha khush rahugi. Lekin tum bas aaj ke din mujhse bhulne bhulane ki baat mat karo aur mere sath aise hi raho. Fir kal ke din tum mujhse jo kuch bhi bologe, mai khushi khushi tumhari baat maan lugi.”

Priya ki ye baat sunkar, mujhe thodi hairani huyi ki, usne itni aasani se meri baat kaise maan li. Fir bhi use apni baat mante dekh kar, mujhe khushi huyi aur maine muskurate huye kaha.

Mai bola “thik hai, yadi tumhare khush rahne ki yahi shart hai to, mujhe tumhari ye shart bhi manjur hai.”

Priya boli “nahi, aise nahi, pahle ache se soch lo. Fir bad me koi vada karna.”

Mai bola “haan, maine soch liya hai. Mai vada karta hu, ki mai aaj tumse bhulne bhulane ki koi baat nahi karuga aur tumhare sath aise hi rahuga. Lekin kal mai tumse jo bhi kuch bhi kahuga, tumhe meri wo baat manna padegi.”

Meri is baat par priya ne badi jor se khilkhil kar hanste huye kaha.

Priya boli “ab tumhari baat manne ke liye bacha hi kya hai.”

“Umre Daraz Maang Kar, Laye The Char Din,​
Do Aarju Me Kat Gaye, Do Intejar Me.”​


Ye kah kar, wo khilkhila kar hasne lagi. Uski is hansi se mujhe itna to samajh me aa gaya tha ki, mujhse kahi kuch galti ho gayi hai. Lekin bahut sochne ke bad bhi, jab mai apni galti ko nahi pakad paya to, maine jhujhlate huye kaha.

Mai bola “ye paglon ki tarah bina baat ki kyo hans rahi ho. Saaf saaf kyo nahi bol deti ki, tumhe khud hi apni shart manjur nahi hai.”

Meri is baat par priya ne apna pet pakad kar hanste huye kaha.

Priya boli “are tum ab bhi kuch nahi samjhe.”

Mai bola “nahi, meri samajh me tumhari koi baat nahi aa rahi hai.”

Ye kahte huye maine apna bura sa muh bana liya. Mera is tarah se muh bana hua dekh kar, priya ne apni hansi par kabu pate huye kaha.

Priya boli “isme samajh me na aane wali kya baat hai. Humare bich abhi do din ki baat huyi hai. Isme se mera aaj ka din hai aur tumhara kal ka din hai. Magar shayad tumhe pata nahi hai ki, aaj kabhi jata nahi hai aur kal kabhi aata nahi hai.”

Priya ki ye baat sunte hi, mujhe uski baat ka matlab samajh me aa gaya aur maine fir se us par jhujhlate huye kaha.

Mai bola “ye galat baat hai, tumne aaj matlab sirf Sunday ke din ki baat kahi thi aur ab tum apni us baat se mukar rahi ho.”

Priya boli “hey jhuth mat bolo, maine sirf aaj ka din kaha tha. Sunday to tum apne man se jode ja rahe ho. Mai nahi, tum apni kahi baat se mukar rahe ho.”

Priya kah to sach hi rahi thi. Lekin jab usne mujhe ye baat kahi thi, tab mai bhi nahi janta tha ki, wo aaj aur kal ka matlab ye nikalne wali hai. Isliye maine bina soche samjhe uski baat maan li thi.

Magar ab jab mujhe uski ye chalbaji samajh me aayi to, mai bhi apni baat par ad gaya aur hum dono me apni apni baat ko sahi sabit karne ki hod chalne lagi. Lekin na to wo apni baat ko galat manne ko taiyar thi aur na hi mai uski baat ko sahi manne ko taiyar tha.

Humari is bahas ka koi natija nikalta na dekh kar, maine hi is baat se pichha chhuda lene me apni bhalayi samjhi. Maine baat ko badalte huye, uski hatheli par blade se bane huye “P” ki taraf ishara karte huye, us se kaha.

Mai bola “tumne ye pagalpan kyo kiya tha.”

Meri baat sunkar, priya ka dhyan bhi apni hatheli ki taraf chala gaya aur usne badi hi masumiyat se meri baat ka jabab dete huye kaha.

Priya boli “bhala maine aisa kya kar diya. Bas apne naam ka pahla akshar “P” hi to likha hai.”

Uski ye baat sunkar, mai muskuraye bina na rah saka. Kyoki ek tarah se uski baat sahi bhi thi. Lekin iski hakikat wo bhi ache se janti thi aur mai bhi ache se janta tha. Isliye maine usko ko samjhate huye kaha.

Mai bola “lekin tumhe ye sab karne ki kya jarurat thi. Ye sab karke tumhe sirf dard hi mila hoga.”

Priya boli “mai us samay bahut dukhi thi aur yakin mano ise likhne se mujhe dard nahi, balki mere dil ko thodi rahat mili thi.”

Priya ki ye baat sunkar, mai bade gaur se uska chehra dekhne laga. Mere is tarah se usko dekhne se priya mujhse najre churane ki koshish karne lagi. Lekin fir kuch uske dimag me aaya to, usne mujhe apni baton me uljhate huye kaha.

Priya boli “mai to samajhti thi ki, tumko iska pata nahi hai. Lekin tum to iske baare me pahle se hi jante the. Meri samajh me ye baat nahi aa rahi hai ki, tumko iska pata kab aur kaise chala tha.”

Priya ki ye baat sunkar, mai use ghoor kar dekhne laga aur wo mere is tarah se ghurne ka matlab samajhne ki koshish karne lagi. Lekin is pahle ki use mere ghurne ka kuch matlab samajh me aa pata, us se pahle hi maine us par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “jyada bholi banne ki koshish mat karo. Aisa ho hi nahi sakta ki, nikki ne tumhe is baare me kuch na bataya ho. Yadi aisa hota to, jab maine neha ke samne tumhara hath dikhaya tha. Tumne uske bad hi, mujhse is baat ke baare me puchh liya hota.”

Meri ye baat sunte hi priya khilkhila kar hasne lagi aur is baar uski is hansi me mai bhi uske sath hasne laga. Abhi humare hansi majak ka ye daur chal hi raha tha ki, tabhi priya ki najar pani puri wale par pad gayi aur usne mujhse kaha.

Priya boli “wo dekho, waha pani puri wala khada hai. Chalo waha chal kar pani puri khate hai.”

Priya ki ye baat sunkar, maine ek najar pani puri wale ki taraf dekha aur fir priya se kaha.

Mai bola “tumko pani puri khana hai to, tum shauk se pani puri kha sakti ho. Lekin mujhe pani puri khana jara bhi pasand nahi hai. Isliye mujhe to tum iske liye maaf hi karo.”

Lekin meri ye baat sunne ke bad bhi, priya mujhse pani puri khane ki jid karne lagi. Tab maine use apni baat samjhate huye kaha.

Mai bola “mai sach kah raha hu yaar. Mai sach me kabhi pani puri nahi khata hu. Tum chaho to, kisi se bhi pata kar sakti ho. Tumko pani puri pasand hai to, tum chal kar pani puri kha lo. Mai tumhare sath chal kar, tumko pani puri khate huye dekhta hu.”

Meri ye baat sunkar, priya ne pahle bura sa muh bana liya. Lekin fir achanak hi use kuch sujha aur usne apni baat ko mere samne rakhte huye kaha.

Priya boli “tumne abhi tak mujhe mere b’day ka gift nahi diya hai. Mujhe mere b’day ka gift chahiye.”

Priya ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “haan, mujhe pata hai ki, maine tumhare b’day ka gift nahi diya hai. Mai bhi tumhare b’day ka gift dena chahta hu. Bolo tumhe apne b’day ka kya gift chahiye hai.”

Priya boli “mujhe mere b’day ka gift ye hi chahiye ki, tum mere sath pani puri khao.”

Uski is baat ko sunkar, maine na me apna sar hilaya. Lekin fir uth kar khade hote huye, use pani puri khane chalne ka ishara kiya. Mera ishara pate hi wo bhi khushi khushi uth kar khadi ho gayi aur fir hum dono pani puri wale ke pas aa gaye.

Magar meri pareshani ye thi ki, mai kabhi pani puri nahi khata tha. Isliye mujhe sahi se pani puri khana nahi aata tha. Priya ne pani puri wale se badi badi pani puri khilane ko kaha aur wo humko pani puri khilane laga.

Usne mujhe aur priya ko badi badi pani puri khilana suru kar diya. Priya ne to apni pani puri ko apne muh ke andar rakhte hi, use muh me gum kar diya. Lekin jaise hi maine apni badi si pani puri ko muh me rakha, wo pani puri muh me rakhte hi, foot gayi aur mere muh ke sath sath mere t-shirt ko bhi geela kar gayi.

Magar is se bhi jyada kharab haalat mere muh ki thi. Kyoki pani puri ka pani bahut hi teekha tha. Uske pani se mera muh jalne laga aur meri aankhon me aansu aa gaye. Meri haalat dekh kar, priya hasne lagi aur usne kaha.

Priya boli “hey, ye kya kar rahe ho. Pani puri ke pani se apni jibh ko nahlao, apne kapdo ko kyo nahla rahe ho.”

Maine apni aakhon aur muh ko saaf karke, sisyate huye priya se kaha.

Mai bola “mai to pahle hi kah raha tha ki, mai pani puri nahi khata hu. Upar se iska pani itna teekha hai ki, mera muh hi jal gaya.”

Meri baat sunkar, priya ne hanste huye pani puri wale se kaha.

Priya boli “bhaiya, iski pani puri me teekha kam karna aur ise jyada badi pani puri mat dena. Warna ye apne baki ke kapdo ko bhi nahla dega.”

Priya ki baat sunkar, pani puri wala bhi hasne laga. Usne mere liye alag se chhoti chhoti pani puri nikali aur fir kam teekha pani me mujhe pani puri khilane laga. Magar mere liye unhe bhi kha pana mushkil ho raha tha.

Jaise taise priya ki jabardasti ki vajah se maine 3 pani puri kha li. Magar iske bad maine pani puri khane se haar maan li. Tab priya ne apni ek pani puri apne hathon se mujhe khila di.

Mai jitni der me sirf 4 pani puri kha paya tha. Utni der me priya ne 8-10 pani puri kha li thi. Wo to mujhe or pani puri khilana chahti thi. Lekin ab maine pani puri khane se puri tarah se haar maan li thi.

Ab mai sirf priya ko pani puri khate dekh raha tha. Priya ne ek do pani puri or khayi aur fir pani puri wale ke paise chuka kar, mujhse kaha.

Priya boli “humara yaha par ghumna aur tumhara aaram karna bahut ho chuka hai. Ab hume yaha se chalna chahiye.”

Priya ki is baat se samajh me aa raha tha ki, wo abhi kahi or bhi jana chahti hai. Isliye maine use is baat se rokte huye kaha.

Mai bola “thik hai, lekin ab mai kahi jaane wala nahi hu. Ab hum yaha se sidhe barkha didi ke ghar hi chalege.”

Priya boli “are nahi, abhi mujhe thodi si shopping karni hai. Abhi 2 baja hai aur humne barkha didi ko 3 baje ka samay diya hai. Itni der me meri shopping ho jayegi.”

Mai priya ko shopping karne se mana karna chahta tha. Lekin fir mere dimag me use b’day gift dene ki baat aayi to, mai bhi shopping ke liye taiyar ho gaya. Maine bike nikali aur fir hum dono pas ke hi ek shopping mall me pahuch gaye.

Lekin waha par pahuchne ke bad, jab maine priya ko tabad tod shopping karte dekha to, mera dimag hi chakra gaya. Meri samajh me hi nahi aa raha tha ki, wo itni shopping kis ke liye kar rahi hai.

Mai to apni saari shopping kal hi puri kar chuka tha aur abhi mujhe sirf priya ke liye hi koi gift kharidna tha. Lekin uski is shopping ko dekh kar, mai wo gift kharidna bhi bhool gaya tha.

Wo shopping karne me magan thi aur mai uski is shopping ko dekhne me magan tha. Achanak hi shopping karte karte, use meri jeb ka khayal aaya aur usne kuch jhijhakte huye kaha.

Priya boli “mujhe lagta hai ki, maine shopping kuch jyada ki kar li hai aur is shopping ke liye tumhare das hajar rupye kam pad jayege.”

Priya ki is harkat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tumhe meri jeb ka khayal badi jaldi aa gaya. Lekin fikar mat karo, tum jitni chaho, utni shopping kar sakti ho. Mere pas credit card hai.”

Meri ye baat sunkar, priya fir se apni baki ki shopping me busy ho gayi. Is bich maine bhi priya ke liye long skirt top kharid liya. Priya saari shopping jaldi jaldi hi kar rahi thi. Fir bhi hume shopping karte karte 3 baj hi gaya.

Ab kisi bhi samay barkha didi ka call aa sakta tha. Isliye hum bina der kiye ghar ke liye nikal pade. Raste me maine priya se puchha ki, usne itni saari shopping kiske liye ki hai to, usne bataya ki, yaha ke sab logon ke liye ki hai.

Iske bad, wo mujhe ye batane lagi ki, usne kiske liye kya kharida hai. Mai khamoshi se uski ye baten sunne laga. Yaha ke sab logon se mujhe koi na koi gift jarur mila tha.

Lekin mai shikha didi ki shadi me uljhe hone aur uske bad ghar jaane ki jaldbaji me is baat par dhyan hi nahi de paya tha. Isliye ab priya ki is shopping se mujhe bahut khushi mehsus ho rahi thi.

Aise hi baat karte karte hum barkha didi ke ghar ke pas pahuch gaye. Barkha didi ke ghar ke pahle neha ka ghar tha aur mujhe door se hi neha apne ghar ke samne khadi kisi ladke se baat karti najar aa gayi.

Maine ye baat priya ko batayi to, usne bhi aage jhank kar neha ki ghar ki taraf dekha. Fir usne mujhse neha ke pas gaadi na rokne ki baat kah kar, sidhe barkha didi ke ghar chalne ko kaha.

Udhar neha bhi hum logon ko aate huye dekh chuki thi. Isliye jaise hi hum uske pas se gujarne ko huye, usne hume aawaj dekar rok diya. Uski aawaj sunkar, na chahte huye bhi mujhe bike uske pas rokna pad gayi.

Wo is samay usi ladke se khadi hokar, baat kar rahi thi. Jise nikki ne mehndi ke din mujhse bhagane ko kaha tha. Mere unke pas pahuch kar, bike rokte hi neha ne mujhse kaha.

Neha boli “acha hua, tum dikh gaye. Humare yaha shikha didi ki shadi ka ek gift rakha hai. Tum aisa karo, use barkha ko de dena.”

Neha ki is baat par maine bura sa muh banate huye kaha.

Mai bola “tum khud hi le jakar kyo nahi de deti. Ye dekho, meri bike me pahle se hi kitna bojh latka hua hai.”

Ye kahte huye maine neha ko priya ke hath me thame bag dikhaye. Lekin iske sath hi meri najar priya par padi to, wo bahut pareshan si dikh rahi thi. Mujhe samajhte der nahi lagi ki, uski paresahni ki vajah ho na ho, wo hi ladka hai.

Idhar mai priya ke baare me soch raha tha. Udhar neha ne meri baat sunkar, mujhe fatkarte huye kaha.

Neha boli “mera kaam nahi karna hai to, saaf mana kar do. Is tarah bekar me bahane banane ki jarurat nahi hai.”

Mere dimag me is wakt kuch or hi chal raha tha. Isliye neha ki ye baat sunte hi, maine bike band ki aur priya se niche utarne ko kaha. Priya ke utarte hi, mai bhi bike se utra aur bike khadi karke neha ke sath gift lene andar jaane laga.

Magar andar jate jate, mai aadhi door se hi palat kar wapas priya ke pas aa gaya. Mai priya ke pas wapas aaya to, maine dekha ki, wo ladka priya ka hath pakda hai aur priya us se apna hath chhudane ki koshish kar rahi hai.

Mujhe andar se wapas bahar lautte dekh kar, neha bhi mere pichhe pichhe bhagti huyi aa gayi thi. Lekin tab tak mai us ladke ke samne pahuch chuka tha. Usne mujhe dekhte hi, priya ka hath chhod diya tha.

Magar tab tak uske liye bahut der ho chuki thi. Mere sidhe hath ka ek mukka uske jabde par pad chuka tha. Isse pahle ki, wo mere is waar se sambhal pata, maine ulte hath se uska gireban pakad kar, ek or jabardasd mukka uske jabde par de maara.

Mere is achanak kiye hamle se wo ladka hi nahi, balki priya aur neha bhi hadbada kar rah gayi thi. Kisi ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki, achanak ye sab kya ho gaya.

Jab tak unko ye baat samajh me aa pati, tab tak wo ladka jamin ki dhool chat chuka tha. Mai us ladke par laat jooton ki barsat kiye ja raha tha aur us se kahta ja raha tha.

Mai bola “iska hath pakadne ki, teri himmat kaise huyi. Aaj mai teri ek ek haddi tod kar rakh duga.”

Wo ladka mujhse kisi bhi tarah se kamjor nahi tha. Lekin is samay mere andar itna gussa bhara hua tha ki, wo mere samne tik hi nahi pa raha tha. Idhar priya ne jab ye najara dekha to, uske hath me thame bag chhut kar jamin par gir gaye aur wo aakar mujhe usko marne se rokne lagi.

Ye hi haal neha ka bhi tha. Wo bhi mujhe rokne ki koshish kar rahi thi. Magar wo dono mil kar bhi mujhe rok nahi pa rahi thi. Udhar bhid jama ho gayi thi aur ab waha jama logon ne aakar mujhe pakad liya tha aur us ladke ko utha kar khada kar diya tha.

Mai abhi bhi sabki pakad se chhutne ki koshish kar raha tha aur ab wo ladka bhi khud ko logon se chhuda kar meri taraf jhapatne ki koshish kar raha tha. Tabhi kahi se barkha didi bhag kar aa gayi.

Wo mujhe shant karate huye puchhne lagi ki, kya hua hai. To maine gusse me khud ko chhudane ki koshish karte huye kaha.

Mai bola “ye saala, priya ka hath pakad raha tha. Chhodo mujhe, aaj mujhe iska hath hi ukhad ke rakh dena hai.”

Udhar wo ladka bhi kam gusse me nahi tha. Usne bhi mujh par bhadakte huye kaha.

Ladka bola “tu kya mera hath todega. Aaj to mai tera sar katuga. Tu janta nahi, tune kis se panga le liya hai.”

Abhi wo ladka itna hi bol paya tha ki, tabhi uske chehre par ek or jordar ghusa pada. Ye ghusa marne wala mehul tha. Usne us ladke ka gireban pakda aur use logon se chhudate huye, mere samne lakar khada karte huye kaha.

Mehul bola “tu abhi iska sar katne ki baat kar raha tha na. Tu yadi ek bap ki aulad hai to, tu sirf isko hath laga kar hi dikha de aur yadi mai apne bap ki aulad hua to, tere hath lagate hi, tujhe khade khade hi, is jamin ke andar gaad kar rakh duga.”

Ye kahte huye mehul ne us ladke ka gireban chhodte huye, use meri taraf dhakel diya. Magar mehul ki gusse me laal aankhen aur uska deel daul dekh kar, us ladke ki, mujhe hath lagane ki himmat hi na huyi.

Wo apne kapde sahi karte huye bhid se nikal kar bahar bhag gaya. Lekin humse thodi door jate hi, usne palat kar, humari taraf dekhte huye kaha.

Ladka bola “tum log nahi jante, tum logon ne apni maut ko dawat di hai. Yadi maine tum logon ki yaha lashen na bichhwa di to, mai bhi khalid ka bhai, salim nahi.”

Us ladke ki ye dhamki sunte hi, waha jama log, waha se aise gayab hone lage. Jaise wo log waha the hi nahi. Lekin mehul ne uski is dhamki ki parwah na karte huye us se kaha.

Mehul bola “ja be, tujhe jisko lekar, aana hai, le aa. Abhi ek ghante hum yahi hai. Yadi is ek ghante me tu yaha kisi ko lekar aaya to, uska bhi wo hi haal hoga, jo tera hua hai.”

Mehul ki ye baat sunkar, wo ladka bhi mehul ko, yaha se na bhagne ki baat kah kar chala gaya. Lekin us ladke ki dhamki ki vajah se humare pas khade saare log bhi nau do gyarah ho chuke the.

Ab hum logon ke siwa waha koi nahi bacha tha. Lekin us ladke ki dhamki se, mujhe aur mehul ko chhod karm baki sab ke chehre ki hawaiyan udh gayi thi. Tabhi raj aur riya bhi wahi aa gaye. Wo puchhne lage ki, yaha kya hua hai to, neha ne unki is baat ka jabab dete huye kaha.

Neha boli “hua nahi hai, lekin yadi in dono ko jaldi yaha se alag nahi kiya gaya to, yaha bahut jaldi khoon kharaba hone wala hai. In dono ne khalid ke bhai salim ko bahut buri tarah se maara hai.”

Neha ki ye baat sunte hi, raj aur riya ke bhi pasine chhut gaye. Unke chehre ke udhe huye rang ko dekh kar, ab meri aur mehul ki samajh me bhi, ye baat aa chuki thi ki, humne kisi bahut bade gunde ke bhai se panga le liya hai aur iska natija hume bahut mahga padne wala hai.

______________________________
Ab ye kya naya panga Ho Gaya hai,
Aur neha ne jaan bujh kar priya Ko uss ladke ke saath akela chhoda tha
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,198
158
Ko To Rok Lo {Update - 181}
____________________________

Kuch der tak intejar karne ke bad, keerti ke mobile to chalu nahi huye, lekin priya jarur apne hath me pani ki bottle liye upar aa gayi. Usne ek najar mujhe dekha aur fir pani ki bottle mere pas rakhne lagi.

Maine us se kaha ki, mere pas pani ki bottle pahle se hi hai. Magar usne meri baat ko fir se ansuna karte huye, pani ki bottle mere pas rakhi aur wapas niche chali gayi.

Uske jaane ke kuch der bad, fir keerti ke mobile chalu huye. Lekin mere call lagate hi usne fir se apne mobile band kar diye. Keerti aur priya ki is harkat ko dekh kar mai apna sar peete bina na rah paya.

Ek taraf to dono hi mujhse baat karna chah rahi thi. Dusri taraf dono hi mujhe andekha karti ja rahi thi. Khalid ko lekar mai jitna pareshan nahi tha. Us se jyada ab ye dono mujhe pareshan kar rahi thi.

Kuch ghante pahle mai jaha priya ke sath hansi majak karte huye, keerti ke pas pahuchne ki taiyari me laga tha. Wahi ab mai un dono ki hi narajgi jhelne par majbur tha aur unko manane ki koshish me laga hua tha. Aaj ki subah mere liye jitni jyada ujale bhari thi. Ab raat mujhe utni hi jyada kaali hoti najar aa rahi thi.

Keerti aur priya ki narajgi ko aise hi jhelte jhelte 9 baj gaye. Fir barkha didi mujhe khane ke liye bulane aa gayi aur mai unke sath niche aa gaya. Niche aakar maine sabke sath khana khaya aur uske bad mai aunty se baat karne laga.

Meri aunty se baat chal hi rahi thi ki, priya ne mere hath me, din me kharide huye gift thama diye. Mai uske is ishare ko samajh gaya aur maine un gift me se aunty aur barkha didi ke liye kharide huye gift nikal kar unko de diye.

Mera diya gift dekh kar, barkha diid to khush ho gayi. Lekin aunty ne is gift wali baat par thodi si narajgi jatayi. Magar fir bad me barkha didi aur priya ke samjhane par un ne bhi khushi khushi gift le liya.

Priya ne neha aur hitu ke liye kharida hua gift bhi barkha didi ko dete huye, wo gift unse neha aur hitu ko dene ka kah diya. Iske bad meri un se thodi bahut baten huyi aur fir mai priya ke sath ghar ke liye nikal pada.

Raste me mai priya se baat karne ki koshish karta raha. Lekin wo meri har baat ka sirf haan ya na me jabab de rahi thi. Apne jaane se pahle mujhe uski ye narajgi achi nahi lag rahi thi.

Lekin lakh koshishon ke bad bhi, mai uski ye narajgi door nahi kar saka aur fir 10 baje hum log ghar pahuch gaye. Jab hum log ghar pahuche to, sab khana kha rahe the. Nikki bhi sabke sath khane par baithi thi.

Lekin wo khana nahi kha rahi thi. Priya ne use dekha to sidhe uske pas jakar baith gayi aur us se uske wapas aane ki vajah puchhne lagi. Tab nikki ne bataya ki, mohini aunty ko bhi kal wapas jana tha.

Isliye ajay bhaiya ne unke ticket bhi punit logon ke sath hi karwa diye the. Wo seeru didi logon ke sath yaha ticket dene aayi thi. Lekin mohini aunty ne use wapas hi nahi jaane diya.

Nikki ki ye baat sunkar, priya nikki ko chhod kar mohini aunty ke pas aakar, unse kuch din aur rukne ki jid karne lagi. Magar mohini aunty ne use kisi tarah se samjha bujha kar apne kal wapas jaane ki baat ke liye taiyar kar hi liya.

Sabka khana khana ho chuka tha. Ab sirf baton ka daur chal raha tha aur sab aaj huyi ghatna ke baare me baat kar rahe the. Raj aur riya, meri aaj ki gayi maar peet ke baare me sabko bad chad kar bata rahe the.

Lekin is baat ke suru hote hi priya ne fir se muh fula liya tha. Ye baat nikki se chhupi na rah saki aur usne priya ko tokte huye kaha.

Nikki boli “are jab sab kuch thik ho gaya hai to, fir tera muh aise kyo fula hua hai.”

Nikki ki ye baat sunkar, riya ne hanste huye kaha.

Riya boli “iska muh isliye fula hai, kyoki us samay isne punit ko waha par na rukne aur ghar wapas jaane ke liye samjhane ki koshish ki thi. Magar tab punit itne jyada gusse me tha ki, isne priya ko hi bahut ulta sidha bol diya tha.”

Ye kah kar, riya sabko mere priya par gussa karne ki baat batane lagi. Jise sunne ke bad, sab priya ko gussa na karne ke liye samjhane lage. Jise dekh kar, priya ne apna mood sahi kar liya.

Lekin uska ye mood sirf sabko dikhane ke liye sahi hua tha. Asal me to wo abhi bhi mujhse naraj hi thi aur mujhse koi baat nahi kar rahi thi. Ye baat nikki ke bhi samajh me aa chuki thi.

Isliye ab wo mujhe dekh kar muskura rahi thi. Kal to maine priya ki narajgi ko keerti ki madad se door kar diya tha. Lekin aaj to priya ke sath sath keerti bhi mujhse naraj thi.

Aise me priya ko manane me nikki hi meri madad kar sakti thi. Isliye jab maine nikki ko meri taraf dekh kar, muskurate dekha to, maine use priya ka gussa shant karne ka ishara kiya.

Lekin usne meri is pareshani ka maja lete huye, apne sar ko hila kar aisa karne se saaf mana kar diya. Lekin mai iske bad bhi, use baar baar priya ko manane ke liye ishare karta raha.

Aakhir me usne meri haalat par taras kha kar, muskurate huye, priya ko manane me, meri madad karne ke liye, haan me sar hila diya. Idhar mai priya ko manane ke liye nikki ko taiyar karne me laga tha.

Udhar priya sabko meri taraf se gift dene me lagi huyi thi. Usne yaha par mujhse jude, har kisi ke liye, kuch na kuch gift jarur kharida tha. Lekin khud ke liye usne koi bhi gift nahi kharida tha.

Use ye bhi nahi pata tha ki, maine jo gift tripti ka kah kar kharida hai. Asal me wo gift usi ke liye hai. Mai use ye gift ghar aakar dena chahta tha. Lekin uske pahle hi ye sab lafda ho gaya aur wo mujhse naraj ho gayi.

Lekin ab use sabko gift dete dekh kar, mujhe bhi use apna gift dene ka yahi sahi mauka najar aaya. Maine fauran hi un gift me se priya ke liye kharida hua gift nikala aur priya ki taraf badate huye kaha.

Mai bola “tumne meri taraf se sabko gift to de diye. Lekin tum khud ka gift lena hi bhool gayi. Ye gift meri taraf se tumhare liye hai.”

Priya us gift ko dekhte hi fauran pehchan gayi aur usne itni der me pahli baar mujhse koi baat karte huye kaha.

Priya boli “lekin ye gift to tumne kisi or ke liye kharida tha.”

Priya ki ye baat sunkar, maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “nahi, ye gift maine tumhare liye hi kharida tha. Tumne mujhse apne b’day ki baat chhupayi thi. Isliye maine bhi tumse ye baat chhupayi thi ki, mai ye gift tumhare liye kharid raha hu. Ab hum dono ka hisab barabar ho gaya.”

Meri ye baat sunkar priya gusse me mujhe gurne lagi aur baki sab hasne lage. Thodi der tak hum sab isi baat ko lekar hansi majak karte rahe. Fir 11 baje ke bad, sab ek dusre ko good night bol kar apne apne kamre me jaane lage.

Maine bhi sabko good night kaha aur apne kamre me aa gaya. Kamre me aakar maine kapde badle aur fir keerti ko call laga diya. Lekin usne na to mera call uthaya aur na hi mujhe call lagaya.

Thodi der tak mai use aise hi call lagata raha. Lekin jab usne mera call nahi uthaya to, fir maine use msg karke, call uthane ke liye apni kasam de di. Jiske fauran bad hi uska call aane laga.

Maine call uthate hi, use kuch bolne ka mauka diye bina hi, apni galti ki maafi mangna suru kar diya. Wo meri baat ko ansuna kar, mujh par gussa karne ki koshish kar rahi thi.

Lekin mai use kuch bolne ka mauka hi nahi de raha tha. Ek tarah se mai uske gussa karne ki aadat ko, usko manane ke liye istemal kar raha tha. Mere is tarah lagatar maafi mangte rahne se pahle to, wo chidchidati rahi.

Magar uski ye chidchidahat jyada der tak bani na rah saki aur meri in harkaton se achanak hi uski hansi chhut gayi. Fir usne pyar se aaj ki baton ko lekar gussa kiya. Jisme maine kaan pakad kar apni galti ki maafi maang li.

Jiske bad, usne mujhe is baat ke liye maaf kar diya aur call rakhne ki baat karne lagi. Uske itni jaldi call rakhne ki baat sunkar mujhe laga ki, shayad uski narajgi abhi door nahi huyi hai. Jab maine ye hi baat us se kahi to, usne mujhe call jaldi rakhne ki vajah samjhate huye kaha.

Keerti boli “mai tumse sach me naraj nahi hu. Lekin aaj vaani didi log aa gayi hai. Vaani didi mere ghar na jakar yahi mausi ke pas ruk gayi hai aur unka koi bharosha nahi hai. Wo kisi bhi samay mere kamre me aa dhamak sakti hai. Isliye aaj mai tumse jyada baat nahi kar sakti.”

Mujhe bhi keerti ki ye baat sahi lagi. Vaani ek aisi lailaj bimari thi, jiska ilaj duniya ke kisi bhi doctor ke pas nahi tha. Isliye maine bhi keerti se baat karne ki koi jid nahi ki aur usko good night kah kar call rakh diya.

Vaani ki vajah se keerti se meri jyada baat to nahi ho saki thi. Lekin mujhe is baat ki khushi thi ki, kam se kam ab wo mujhse naraj nahi hai. Keerti ki narajgi to, maine door kar di thi. Magar priya ki narajgi abhi bhi bani huyi thi.

Nikki ne mujhe ishare se uski narajgi door karne me madad karne ka dilasa to, de diya tha. Lekin wo iske liye kya kar rahi thi, iske baare me mujhe kuch pata nahi tha. Isi baat ko janne ke liye maine nikki ko call laga diya. Nikki ke call uthate hi maine us se kaha.

Mai bola “kya hua, aapki priya se kuch baat huyi ya nahi huyi.”

Nikki boli “meri abhi abhi us se baat huyi. Usne mujhe bataya ki, aapne us se kitni buri tarah se baat ki thi. Uski baten sunkar, jab mujhe itna jyada bura laga hai. Tab to uska ye sab sunkar naraj hona banta hi hai.”

Mai bola “mai janta hu ki, galti meri hi hai. Lekin us samay mai bahut gusse me tha aur mujhe priya par is baat ko lekar bhi gussa aa raha tha ki, usne ye baat sabse chhupa kar kyo rakhi. Bas isi gusse me mai usko ulta sidha bak gaya tha.”

“Magar ab mujhe apni galti ka pachhtawa ho raha hai. Lekin wo mujhse baat karne ko taiyar hi nahi hai. Plz aap kaise bhi karke uski ye narajgi door kar dijiye. Warna mere yaha se jaane ke bad bhi, ye baat mujhe pareshan karti rahegi.”

Nikki boli “usko naraj aapne kiya hai to, ab manana bhi aapko hi padega. Mai uski narajgi door karne ke liye kuch nahi kar sakti.”

Mai bola “mai manauga to tab na, jab wo mujhe manane ka koi mauka de. Lekin wo to mujhe kuch bolne ka mauka hi nahi de rahi hai.”

Meri baat sunkar, nikki ne hanste huye kaha.

Nikki boli “wo aisi hi hai. Ek to wo kabhi kisi se jaldi naraj hi nahi hoti hai aur yadi kisi se naraj ho jaye to, fir use manana itna aasan nahi hai.”

Mai bola “aap uske jaldi naraj na hone ki baat kar rahi hai. Lekin wo to mujhse baat baat par naraj ho jati hai. Wo to kal bhi mujhse naraj thi.”

Ye kah kar maine use kal ki priya ki narajgi ke baare me bata diya. Jise sunkar, nikki ne or bhi jyada jor se hanste huye kaha.

Nikki boli “to fir isme mushkil kya hai. Aaj bhi use aisa hi koi gaana suna kar mana lijiye.”

Mai bola “aapko meri baat majak lag rahi hai. Mai koi singer nahi hu. Jo baat baat par gaana gata rahu.”

Nikki boli “ok, ok, ab aap mujhse jhagra mat kajiye. Rukiye mai kuch sochti hu.”

Itna bol kar nikki chup ho gayi. Shayad wo is samay kuch soch rahi thi. Kuch der ki khamoshi ke bad, usne kaha.

Nikki boli “aap ek kaam kijiye. Aap apne kamre ke pas bani sidiyon se sidhe chhat par aa jaiye. Mai priya ko lekar wahi aati hu. Fir aapke upar hai ki, aap use kaise manate hai.”

Nikki ki baat sunkar, maine is baat ki haami bhari aur call rakh diya. Priya ka ghar mera ghuma hua nahi tha. Lekin sidiyan meri dekhi huyi thi. Isliye chhat tak pahuchne me mujhe koi parehshani nahi thi.

Nikki ke call rakhte hi, mai fauran apne kamre se bahar nikla aur sidiyan chadta hua, chhat par pahuch gaya. Sidiyon par light jal rahi thi. Lekin chhat ki light band thi aur mujhe chhat ki light chhalu karne ka kuch pata nahi tha.

Chhat par is samay andhera tha. Lekin aasman par chamak rahe chand taaron aur bahar sadak par jal rahi light ki vajah se ye andhera itna gahra bhi nahi tha ki, is andhere me kisi ko kuch dikhayi hi na de sake.

Isliye maine bhi light ke baare me jyada nahi socha aur chhat par aakar yaha waha tahalte huye, nikki logon ke aane ka intejar karne laga. Kuch hi der me nikki aur priya waha aa gayi.

Nikki aakar mere pas khadi ho gayi. Lekin priya mere samne se hoti huyi, chhat ki balcony me jakar, meri taraf pith karke khadi ho gayi. Nikki ne ek najar priya ki taraf dekha aur fir muskurate huye mujhse kaha.

Nikki boli “ab aap dekh kya rahe hai. Priya aa gayi hai. Ab kah dijiye, jo aapko kahna hai.”

Nikki ki baat sunkar, mai priya ke pas jakar khada ho gaya. Magar mere uske pas jate hi, wo waha se jaane ko huyi, lekin uske pahle hi maine uska hath pakad kar use rokte huye kaha.

Mai bola “sorry yaar, mujhe tumko is tarah se nahi chillana chahiye tha. Ab mujhe sach me apni us galti ka pachhtawa ho raha hai. Plz mujhe maaf kar do.”

Ye kahte huye, maine apne dono kaan pakad liye. Ye dekh kar nikki ne hanste huye priya se kaha.

Nikki boli “dekh, ab to in ne apne kaan bhi pakad liye, ab to inhe maaf kar de na.”

Nikki ki baat sunkar, priya ne pahli baar mujh par apna gussa jahir karte huye, nikki se kaha.

Priya boli “tumko kya lagta hai. Kya mai sirf itni chhoti si baat ko lekar is se naraj hu. Ye baat itni chhoti nahi hai, jitni chhoti tum samajh rahi ho. Kya tumne kabhi ye baat soch kar dekhi hai ki, yadi seeru didi samay par waha na pahuchi hoti to, waha kya ho sakta tha.”

“Tu jara soch kar dekh ki, yadi khalid, ajay bhaiya ka dost na nikla hota to, us samay waha par kya kuch nahi ho gaya hota. Kya wo apne bhai ka khoon bahane wale ko, aise hi jaane deta. Kya ye humare samne aise bhala changa khada rahta.”

Priya ke ye sawal sunkar, nikki ne usko samjhate huye us se kaha.

Nikki boli “teri sab baten sahi hai. Lekin jab aisa kuch hua hi nahi hai to, tu is baat ko itna kyo bada rahi hai.”

Nikki ki baat sunkar, priya ne hairani se uski taraf dekhte huye kaha.

Priya boli “tu bhi ye hi samajhti hai ki, mai is baat ko bevajah bada rahi hu. Kya tujhe malum nahi ki, iski mom iske sath huye hadso ki vajah se kitna pareshan thi aur jate jate bhi wo hum logon se bas iska khayal rakhne ka hi jata kar gayi thi.”

“Unhe hum logon par pura viswas tha ki, hum logon ke rahte is par koi musibat nahi aa sakti. Sirf iska khayal rakhne ki vajah se wo mujhe kitna pyar de rahi thi. Aise me yadi meri vajah se hi iske sath kuch bura ho jata to, mai kis muh se unka samna kar pati.”

Ye baat kahte kahte priya ki aankhen chhalak gayi aur wo apne aansu rokne ki koshish karne lagi. Wahi mai aur nikki ek dusre ko hairani se dekhne lage. Abhi tak hum dono ko aisa lag raha tha ki, priya ki mujhse jo narjagi hai, wo mere us par chillane ki vajah se hai.

Lekin yaha to uski is narajgi vajah hi kuch alag thi aur uski is narajgi ke pichhe, chhupi gahrayi ko jaan kar, kuch der tak na to mujhse kuch kahte bana aur na hi nikki se kuch kahte bana.

Fir jaise hi nikki us se kuch bolne ko huyi, waise hi usne apne aansu ponchhe aur nikki se kaha.

Priya boli “mujhe is se koi narajgi nahi hai. Yadi mai is se naraj hoti to, mujhe iske sath barkha didi ke yaha rukne ki koi jarurat nahi thi. Mai bhi riya didi logon ke sath hi ghar wapas aa gayi hoti.”

Nikki se itni baat kahne ke bad, priya ne palat kar meri taraf dekhte huye kaha.

Priya boli “mujhe sach me tumse koi narajgi nahi hai. Meri yadi kisi se kuch narajgi hai to, wo sirf apne aap se hai. Kyoki meri vajah se hi tumhare upar itni badi musibat aane wali thi.”

“Tumhe kisi baat ke liye mujhse maafi mangne ki koi jarurat nahi hai. Tumse kabhi mera dil dukhane ki galti huyi hi nahi hai. Yadi kisi se ko galti huyi hai to, wo sirf mujhse huyi hai. Mai hi tumhare dil me hamesha jagah banane ki koshish karti rahti thi.”

“Yadi ho sake to, mujhe meri is galti ke liye maaf kar do aur yadi maaf na bhi kar sako, tab bhi mujhe tumse koi shikayat nahi hogi. Mere dil se hamesha tumhare liye dua hi nikli hai aur aaj bhi tumhe dua deti hu ki, tum jaha bhi raho, khush raho.”

Ye baat kahte kahte ek baar fir uski aankhon me aansu aa gaye. Magar is baar usne apne aansu ponchne ki koshish nahi ki aur palat kar humare pas se wapas jaane lagi. Lekin uske waha se jaane ke pahle hi maine uska hath pakad liya.

Wo mujhse apna hath chhudane ki koshish kar rahi thi aur mai us se kuch bolne ki koshish kar raha tha. Lekin uske dard ka aehsas karke, meri aankhon me bhi nami aa gayi thi aur mai chah kar bhi us se kuch bol nahi pa raha tha.

Maine anjane me hi sahi, lekin uske masum dil par gahri chhot pahuchayi thi aur ab uski is chot par marham bhi mujhe hi lagana tha. Jab mujhse us se kuch kahte nahi bana to, fir mere dil se khud-ba-khud ek gaane ke bol nikal aaye.

“Hum Ko Mili Hain Aaj Ye​
Ghadiyan Nasib Se​
Ji Bhar Ke Dekh Lijiye​
Hum Ko Karib Se​
Phir Aap Ke Nasib Mein​
Ye Raat Ho Na Ho​
Shayad Phir Is Janam Mein​
Mulaqat Ho Na Ho​
(Mere muh se gaane ke ye bol sunte hi​
priya ne apna hath chhudane ki koshish​
band kar di aur meri taraf gaur se​
dekhne lagi maine use dekhte huye​
aage sur me gaate huye kaha)​
Lag Ja Gale Ki Phir Ye​
Hasin Raat Ho Na Ho​
Shayad Phir Is Janam Mein​
Mulaqat Ho Na Ho​
Pas Aaiye Ki Hum Nahin​
Aayenge Baar-Baar​
Baahen Gale Mein Daal Ke​
Hum Ro Le Zaar-Zaar​
(ye kahte huye maine​
priya ko apni taraf khich liya)​
Aankhon Se Phir Ye Pyar Ki​
Barasat Ho Na Ho​
Shayad Phir Is Janam Mein​
Mulaqat Ho Na Ho​
Lag Ja Gale Ki Phir Ye​
Hashin Raat Ho Na Ho​
Shayad Phir Is Janam Mein​
Mulaqat Ho Na Ho.”​


Gaana pura hote hote meri aankhen puri tarah aansuon se bhig chuki thi. Wahi priya mere gale se lag kar aansu bahaye ja rahi thi. Lekin ye haal sirf hum dono ka hi nahi tha. Nikki ka haal bhi kuch humare jaisa hi tha. Wo bhi apni aankhon se aansuon ko chhalakne se nahi rok payi thi.

______________________________
:superb: :good: amazing update hai pritam bhai
 
Top