• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance LOVE WITH FIXERR (WITH SOME NEW FLAVOR) (Completed)

Ap ko story kesi lagi

  • Good

    Votes: 17 89.5%
  • Fine

    Votes: 1 5.3%
  • Bad

    Votes: 1 5.3%

  • Total voters
    19

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Bohot sahi chal rahe ho bhai, bas thoda spelling mistake par dhyan dijiye baki sab perfect hai. Update bohot hi lajawab diya hai bhai.
 

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
LOVE WITH FIXERR
UPDATE-28

Wahan we bahir nikal ker wo sab bahir ghoomne lage aur Rides daikhne lage tabhi Pari ek ride per baithne ki zid karne lagi jo ke ek horror train thi


Aryan: Pari zid nahi karo ye ride bacho ki nahi hai


Aryan ne pari ko samjhate hywe kaha


Pari: Papa mujhe baithna hai mera bohat man hai


Pari ko zid karta daikh Ruhi ko beech me ana para


Ruhi: Pari daikho ap ko yahan ana tha main le ker ayi hu na ap ko ap ki zid maan ker ab meri baat bhi maano ye ride sach me bacho ki nahi hai


Ruhi ne Pari ko samjhaya ya ye keh lo phasaya ab Pari baat na manti to kia karti lekin Pari to Pari thi us ne shetaanj to dikhani thi


Pari: okay main ap ki baat maan leti hu ye bacho ki ride nahi hai par baro ki to hai na iss liye ap baitho iss Ride per


Ruhi ki to pehle he Andhere me halat patli ho jati thi upar se andar cheeze bhi aisi honi thi


Ruhi: Beta main kaise baithu?


Pari: wo mujhe nahi pata ya ap baitho ya mujhe jane do


Ab Ruhi phans chuki thi us ke paas koi raasta nahi bacha tha iss liye wo Ride per baithne ke liye maan gayi dar to use bohat lag raha tha lekin ab karna to parna tha Ruhi ja ker ride per baith gayi Neha ne use anghoote upar ker ke good luck wish ker dia wanhi Aryan ko hansi aa rahi thi


Ruhi: Hans kiu rahe ho?


Ruhi ne ghoorte huwe Aryan se kaha jis per Aryan apni hansi dabane laga


Aryan: kai karu ab aa rahi hai to aa rahi hai hansi


Ruhi: Acha bohat hansi aa rahi hai abhi batati hu ap ko ab ap bhi aoo saath mere


ye keh ker Ruhi ne Aryan ka haath pakar ker use bhi saath bitha lia Aryan ne uthna chaha per Ruhi ne use ghoor ker baithe rehne ko kaha


Ab hansne ki baari Pari Aur Neha ki thi Ride shuru huwi Aur dheeme dheeme wo Artificial cave me jane lagi jaise jaise andhera ata gaya waise waise Ruhi ke chehre ke rang urte rahe


Achanak ek taraf se ek joker ka statue saamne aa gaya aur itni unchi cheekh nikli Ruhi ki ke Aryan ko apne kaano per haath rakhna para lekin ye to sirf shurwat thi jaise jaise wo aage barhte rahe waise waise koi na koi cheez ati rahi ab Ruhi cheekhne ki bajaye rone lag gayi thi


Aryan ne us ka haath thaam lia Ruhi ne chehra utha ker Aryan ki taraf daikha to saamne Aryan ankho ke ishare se keh raha tha ke wo us ke saath hai


Aryan ki ankho me daikh ker Ruhi phir se doobne lagi wanhi Aryan bhi us lamhe me behne laga dono ki beech ki duriya har lamhe ke saath kam se kam hoti ja rahi thi


Un ke hont ek dusre se chand inch ke faasle per he the dono ke hont ek dusre se milne he wale the ke un ke beech ek saamp aa gaya jis ko daikh ker wo dono jahan the wanhi tham gye


Kuch pal tak dono nahi hile phir Achanak Ruhi ek Unchi cheek ke saath Aryan ke seene lag gayi aur zor zor se rone lag gayi Us ne Aryan ki shirt ko apne haatho me beench lia us ke nakhun Aryan ki chaati per nishan banane lag gye jin ko Ruhi to iss waqt mehsoos nahi ker paa rahi thi per Aryan bakhubi mehsoos ker raha tha


wo to shukar hai Ride jald he khatam ho gayi warna Ruhi to anjane me he Aryan ko upar wale ke paas bhejne wali thi lekin Aryan ne kuch mehsoos nahi hone dia aur shir ko theek ker lia


Ride khatam hote he Ruhi aise utri jaise kisi ne us ke peeche jungli kutte chor diye ho Us ke peeche Aryan bhi hansta huwa utar gaya


Udhar Neha aur Pari to apna pait pakar ker hans rahi thi Sab ko aise hansta Daikh Ruhi ka muh ban gaya abhi bhi wo dar ke maare kaamp rahi thi


Aryan: Chalo ab bus karo bohat huwa Ab ghar chalte hai


Ruhi ki halat daikh ker Aryan ne kaha kiu ke Ruhi buri tarha dar gayi thi Iss liye Neha aur Pari bhi chup chaap wapis jane ke liye nikal gayi



Abhi wo sab gate tak he pohanche the ke Ruhi ke mobile per kisi ki call aa gayi jis ko daikh ker Ruhi side per chali gayi Usman bhi ab tak in ke saath aa ker mil gaya jo kisi kaam se chala gaya tha kuch der phone per baat karne ke baad Ruhi wapis aa gayi



Ruhi: Aryan mujhe aur Neha ko kuch kaam hai ap log aisa karo ghar chale jao hum aa jaye gye


Aryan: aisa kia kaam hai main bhi saath chalta hu


Ruhi: nahi us ki koi Zarorat nahi hai ap log chale jao hum aa jaye gye


Usman: beta aisa karo tum car me chali jao main Aryan ke saatg bike per chala jata hu


Usman ki baat per sab ne hami bhar li phir Aryan Usman ko le ker nikal gaya Ruhi ko jaldi wapis ane ka keh ker


Neha: ye bata kon sa kaam hai jis ka mujhe nahi pata aur mujhe karna bhi hai


Un ke jate he Neha ne Ruhi se pucha


Ruhi: Hai kuch kaam tu chal mere saath iss Address per


Ruhi ne ek Address Neha ko dikhate huwe kaha jis ko parh ker Neha car drive ker ke us taraf chali gayi 30 minute ki drive ke baad wo us Address per pohanch gye


Ruhi car se utri aur Neha ko wanhi baithe rehne ka keh ker Ghar ki taraf chali gayi saamne he security guard khara tha Ruhi seedhe un ke paas chali gayi


Ruhi: Ghar me koi hai kia?


Guard ne pehle Ruhi ko upar se neeche tak daikha Ruhi dikhne me koi chor to lagti nahi thi upar se itni sundar guard ne zada bhaw nahi khaya


Guard: Nahi sahib aur mem sahib kanhi ghoomne gye huwe hai


Guard ne Ruhi ko batate huwe kaha


Ruhi: kab tak laute gye?


Guard: un ka kuch nahi pata wo jate hai 2 ya 3 maheene baad he laut ker ate hai


Guard ki baat sun ker Ruhi nirash ho gayi aur wo guard ko kuch paise de ker wapis aa ker car me baith gayi


Neha: ye kis ka ghar hai


Ruhi ke car me baithte he Neha ne pucha


Ruhi: Kisi janne wale ka hai kuch zaroori baate karni thi lekin ab kya ker sakte hai wo pata nahi kab aye aur hum kal wapis ja rahe hai


Wapis jane ki baat sun ker Neha ka bhi muh utar gaya jis per Ruhi ne jald wapis ane ka keh dia jis ki wajha se us ka mood fresh ho gya aur wo dono wapis ghar aa gayi


<To bas dosto ye he tha aj ka update umeed karta hu ap ko acha laga ho ga Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zaroor Share karna Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling>
 

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
Bohot sahi chal rahe ho bhai, bas thoda spelling mistake par dhyan dijiye baki sab perfect hai. Update bohot hi lajawab diya hai bhai.
Thank you soo much bhai abhi new hu bus iss liye misatake ho rahi hai fast typing ke chakar me lekin jald he khud ko improve karu ga update 28 Also posted read and give your valuable review
 
  • Love
Reactions: Mbindas

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
LOVE WITH FIXERR
UPDATE-29


“Dhayan se jana” Ruhi Airport ke liye nikalne wali thi jab Neha ne gale mile huwe Ruhi se kaha “Apna khayal rakhna aur jaldi wapis ana”


Neha ke gale lagne ke baad Usman aur Shazia bhi Ruhi se gale lage aur jaldi wapis ane ka kehne lage sab se mil ker Ruhi bahir nikal gayi


Saamne he Aryan khara tha jis ko daikh ker lag raha tha ke wo kisi ka wait ker raha hai Ruhi bhi us ke paas chali gayi


“Kisi ka wait ker rahe ho?” Ruhi ne Aryan ke paas khare hote huwe kaha “Han wo Esha aa rahi thi keh rahi thi jane se pehle milna hai”


Esha ke ane ka sun ker Ruhi khush ho gayi kuch he der me Esha wahan aa gayi Esha ko daikh ker Ruhi aur Aryan us se gale mile Ruhi to khush ho gayi thi Esha ko daikh ker


“Filght ka time ho raha hai main apna bag le ker ata hu ap dono baat karo” ye keh ker Aryan andar chala gaya peeche reh gayi Ruji aur Esha akeli


“Ruhi aj main yahan sirf milne nahi ayi hu balke kuch dene bhi ayi hu” Aryan ke jane ke baad Esha ne Ruhi se kaha “Api mujhe koi cheez nahi chahiye ap milne ayi ho ye he mere liye bohat hai” Ruhi ne Esha ko mana karte huwe kaha


“Ruhi ye koi cheez nahi kisi ke Ehsaas hai” Ye keh ker Esha ne sone ke kangan bag se nikal liye “Ye kangan Aryan ki Maa ke hai unho ne ye mujhe de diye the aur kaha tha jo larki Aryan se sacha pyaar kare us ke liye care kare ye main use de du”


“Phir ap ne soniya ko kiu nahi diye” Ruhi ne Esha se pucha “Shayad wo in ke kabil nahi thi iss liye Aunty ne ye zimedari mujhe di thi lekin ab main apni zimedari puri karna chahti hu” ye keh ker Esha ne wo Kangan Ruhi ko pakra diye


Jis ko daikh ker Ruhi heran ho gayi wo kuch kehna chahti thi per Esha ne use chup rehne ka ishara kia aur khud bolna shuru ho gayi



“Main janti hu tum abhi ye baat nahi maano gi lekin trust me main ne daikha hai wo pyaar tumhari ankho me main ne meaoos ki hai tumhari wo care Aryan ke liye lekin abhi tum confuse ho” ye keh ker Esha ne Ruhi ke haatho me kangan ki pakar bana di “iss liye jab tumhe lage ke tum is ke layak ho us din pehan lena agar nahi to wapis bhej dena ab iss se aage main kuch nahi sunu gi tum logo ki flight ka time ho gya hai”


Ye keh ker Esha chup ho gayi Ruhi kuch kehti us se pehle Aryan bahir aa gaya jis ko daikh ker Ruhi ne kangan apne purse me chupa liye


Usman ne apni car nikali teeno us me baith gye Ruhi ne dobara Esha ko daikha to saamne Esha anghooto se good luck wish ker rahi thi


Usman unhe airport chor ker chala gaya lemin Ruhi abhi bhi Esha ki kahi baato ke baare me soch rahi thi pure safar ke duran Ruhi bus sochti rahi aur gehri soch me doobi rahi


Flight land hone ka waqt aa gaya Aryan ne pari ka haath dobara thaam lia Pari ne apni ankhe band ker li Ruhi us taraf daikh rahi thi ke anjane me us ne Pari ka dusra haath thaam lia Pari ne ankhe khol ker Ruhi ki taraf daikha


“Main tumhare saath hu” Pari ke daikhte he Ruhi ne Pari se kaha “Pakka” Pari ne Ruhi ke chehre ko daikhte huwe pucha “Han Pakka” Ruhi ne muskura ker kaha itne me flight land ho gayi


Ruhi ne Aryan ki taraf daikha to wo bhi muskura raha tha sab log plane se bahir nikalne lage ye teeno bhi bahir nikal ker samaan le ker bahir aa gye


Saamne he Afzal aur Jenny khare huwe the Ruhi ja ker seedhe Afzal ke gale lag jati hai


“i am sorry papa” Ruhi ne Afzal ke gale lagte huwe kaha “it's okay beta bache to galti karte he hai lekin mujhe garv hai iss baat per ke meri beti ne galat ko pehchana aur shayad ye hona zaroori tha warna us bachi ki bhi zindagi kharab hoti jis se wo Hassan shadi karne wala tha” Afzal ne Ruhi ke sar ko sehlate huwe kaha


Tabhi Aryan bhi wahan aa gaya jis ko daikh ker Ruhi Afzal se alag huwi Afzal ne Aryan ko bhi gale laga


“Ji oye mere shera” Aryan ke gale lagte huwe Afzal ne kaha “Mujhe yaqeen tha tujh per ke ye kaam tu he ker sakta hai bohat bohat shukriya”


“Shukriya ki kaisi baat ap mere liye mere papa ke jaise ho un ke dost ho ap” Aryan ne bhi gale lagte huwe kaha “aage bhi kabhi meri zarorat pare to bus yaad ker lena ek baar”


Sab se milne ke baad Afzal ne sab ko bye kaha aur car ki taraf chala gaya us ke jate he Ruhi Aryan ke paas chali gayi



“to... phir bye” Ruhi ne bujhe man se kaha “Mile gye phir kabhi”


“Han zaroor” Aryan ne Ruhi se kaha “Apna khayal rakhna”


Aryan se mil ker Ruhi jane ke liye ghoomi he thi pari ne us ka haath pakar lia


“Ap ne to kaha tha ap mere saath ho” Pari ne itni masoomiyat se pucha tha ke Ruhi ki ankh me ansoo aa gaye


“Han main hamesha tumhare saath hu jab dil kare mujhe call ker lia karna” ab Ruhi se wahan khare nahi huwa ja raha tha wo jaldi se Afzal ki car ki taraf chali gayi


Use aisa lag raha tha jaise wo apna sab kuch peeche chor ker ja rahi ho bhaari kadmo ke saath Ruhi ja ker Afzal ki car main baith gayi


“Waise aage kya socha hai Ruhi” Car chalate huwe Afzal ne Ruhi se pucha “Main kia soch raha tha tum mera office join ker lo aisa tumhara bhi dil behal jaye ga aur mujhe bhi help mil jaye gi”


Afzal ki baat Ruhi ko sahi lagi us ne us per Hami bhar li jis per Afzal bhi khush ho gya wo log ghar chale gye


Din beetne lage Aryan aur Ruhi dono jab se wapis aye the tab se mile nahi aur apni lufe me busy ho gye ya shayad wo khud ko manane ki koshis ker rahe the ke un ke dil me aisi koi baat nahi hai aise he Din guzarte rahe



AFTER 3 MONTH


“Miss Ruhi koi ap se milne aya hai” Ruhi apni office me kaam ker rahi thi ke receptionist Ruhi ko kisi ke ane ka bataya


“Okay ap unhe waiting room me baitha do main ati hu” Ruhi ye keh ker apne kaam ko sametne lagi sab kaam samet ker wo Waiting room me chali gayi jab us ne saamne wale ko daikha to wo heran ho gayi


“Soniya”


<To bas dosto ye he tha aj ka update umeed karta hu ap ko acha laga ho ga Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zaroor Share karna Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling>
 

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
LOVE WITH FIXERR
UPDATE-30


Soniya ko Achanak apne saamne daikh ker Ruhi chaunk gayi thi Soniya ne khare ho ker Ruhi ko “Hi” kaha jis per Ruhi ne bhi “Hi” keh dia


Ruhi Soniya ke saamne wale sofe per baith gayi kuch der tak un dono ke beech khamoosi rahi phir Soniya ne baat aage barhayi


“Mere security guard ne batya ke tum milne ayi thi?” Soniya ne Ruhi se pucha “ji han lekin ap ke guard ko kaise pata mere baare me?....wo to mujhe janta bhi nahi hai” Ruhi ne herani se pucha


“Camera ki footage me tumhe daikha main ne” Soniya ne Ruhi ko batate huwe kaha “to batao kiu ayi thi”



ab Ruhi ne bhi soch lia ke seedhe baat karti hai jo us din karne gayi thi aur wo seedhe ho ker baith gayi


“Daikhiye mujhe pata hai ye ap ka personal matter hai mujhe iss me parne ka koi haq nahi lekin main janna chahti hu ke us din Neha ke jane ke baad kia huwa” Ruhi ne ek baar me he puri baat keh di jis per ab chaunkne ki baari soniya ki thi “Akhir kiu ap ne us Admi ke liye Aryan ko chor dia jis ne ap ke liye itna kia ap ke shohar ke marne ke baad ap ko sahara dia akhir kiu?”


Ruhi apni baat keh ker chup ho gayi aur Soniya ke chehre ki taraf daikhne lagi aur jawab ka intezar karne lagi Soniya ki ankhe bheeg chuki thi


“Tum ne sahi kaha Aryan ne mere liye bohat kuch kia bohat kam log hote hai Aryan ke jaise Aryan lakho me nahi puri duniya me sirf aik he hai us ko chorne ka koi soch bhi nahi sakta lekin kia ho agar main kahu ke main us ki biwi kabhi thi he nahi” Soniya ki baat sun ker Ruhi ko itna bara dhachka laga ke us ko paas rakhe table ko pakarna para


“Kia matlab ap ki to shadi huwi thi na Aryan se? phir ap us ki biwi kaise nahi thi?” Ankho me sawalo per sawal liye Ruhi ne pucha


“Han meri shadi huwi thi Aryan se lekin itna tumhe pata ho ga jab ap ki Admi ke nikah ne hoti ho to ap kisi aur ke nikah me nahi ja sakti” Soniya ne sar jhukae huwe kaha “Lekin ap ke shohar ki to death ho gayi thi na” Ruhi ne na samajhne wale andaz me pucha


“Han ho gayi thi lekin sirf duniya ki nazar me” Soniya ne Ruhi se kaha


“Ye baat tab ki hai jab main apne shohar ke saath rehti thi un dino wo bohat zada pareshan rehte the har baat per chirne lage the wo ek din hamare ghar me kuch log aa gye unho ne mere shohar ko mara peeta Pari ko le jane ki koshis bhi ki lekin main Pari ko le ker apne ap ko ek kamre me lock ker lia unho ne bohat mara peeta mere shohar ko un ke jane ke baas jab main ne apne shohar se pucha ke mamla kia hai to unho ne mujhe bataya ke un per croro ka karza hai aur business bhi band hone ki kagar per hai main ne unhe apna sara zevar de dia aur kaha iss se jitna bhi chuka sakte ho chuka do wo us zevar ko le ker chale gye phir ghar me sirf un ki moat ki khabar ayi wo log ab mujhe tang karne lag gye the iss liye main ne apne papa ke dost ke paas jane ka faisla kia jo mujhe apni betiyo ki tarha mante the shuru me to sab theek tha lekin phir logo ke sawal uthne lage ke main us ghar me kis rishte se rehti hu aur upar se wo karz wale log bhi zor dene lage tab Aryan ke papa ne mujhe Aryan se shadi karne ko kaha mujhe pari ke liye bhi ek better future chahiye tha iss liye main ne haan ker di Aryan tha to mujh se 12 saal chota lekin apne papa ke liye wo bhi shadi karne ke liye maan gaya”


Soniya itna bol ker chup huwi us ki saanse bhari ho rahi thi rone ki wajha se Ruhi ne ek pani bottle us ko de di jis me se pani pee ker Soniya thori relax huwi


“Tumhe pata hai Ruhi Aryan ne kabhi mujhe iss baat ka ahsaas tak nahi hone dia ke ye meri dusri shadi hai aur na kabhi ye ahsaas hone dia ke pari us ki beti nahi hai Shohar se barh ker wo mera dost ban ker mere saath khara raha har mushkil waqt ka shara meri life puri sahi thi jab tak ke mujhe lata nahi chala ke mera pehla Shohar Khuram zinda hai wo sab us ne sirf karzdaro se bach ker paisa kama ker lautane ke liye kia tha”


Ab Ruhi ko sab samajh aa raha tha


“Wo laut aya tha mera pehla pyaar lekin ab koi aur bhi tha jo meri zindagi me tha lekin ye soch ker mujhe khud se ghin ati thi ke main us ki biwi nahi hu har raat jab hum humbistar hote the mujhe khud se ghin ane lag jati ye soch ker ke Aryan mera Shohar nahi hai”


“Ap ne Aryan ko bataya kiu nahi sab kuch?” Ruhi ne beech me sawal kia


“Main darti thi Aryan ko khone se Khuram to mera pyaar tha lekin Aryan wo tha jis per main sab se zada bharosa karti thi main ek ache dost khone se darne lagi thi sach janne ke baad pari se darne lagi thi usi dar me main gunah per gunah karti chali gayi ek din hum dono beh gye jis wajha se mera aur khuram ka jism ka rishta dobara shuru ho gya main Aryan se dur rehne lagi lekin us insaan ne ek baar bhi mujhe iss wajha se koi zabardasti nahi ki ulta meri care karta raha phir ek din hum pakre gye na jane kaise Aryan duty se jaldi ghar aa gaya aur us ne sab kuch daikh lia”



Ab Ruhi ko phir se Aryan ke dard ka Ahsaas hone laga aur soniya bhi utni galat nahi lagne lagi


“Pata hai Aryan ne kia kaha us pal” itna keh ker Soniya ruki aur Ruhi ki taraf daikh ker boli “Jao


“Sirf ye kaha us ne mujhe lekin phir apne haath jor ker mujh se bola ke main jana chahti hu to jau lekin Pari me us ki jaan hai wo us ko khud se alag nahi ker sakta bohat mushkil faisla tha wo lekin mujhe Aryan per bharosa tha wo mujh se zada Pari ka khyaal rakh sakta tha iss liye main chali gayi hamesha ke liye khuram ke bare bhai ki death ke baad un ki neti Noor ko hun ne adopt ker lia aur apni zindagi guzarne lage”


“Lekin Aryan tu ap se nafrat karta gai aisa kiu?” Ruhi ne agla sawal puchte huwe kaha


“Kiu ke Aryan se pehle us ke papa ko iss sachai ka pata chala tha jis ko sun ker wo bardasht nahi ker sake aur wo” iss se aa ge Soniya se kuch bola nahi ja raha tha wo bus khamoosh baithi ansoo bahati rahi


Halat to Ruhi ki bhi theek nahi thi us ke dil me bhi dard ho raha tha


<To bas dosto ye he tha aj ka update umeed karta hu ap ko acha laga ho ga Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zaroor Share karna Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling>
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Back to back 3 update waah bhai kamal kar diya. Ab to lag raha hai ki aap ise khatam hi kar ke rahoge. :D:

Very nice update bro
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Waiting for next update
 

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
Back to back 3 update waah bhai kamal kar diya. Ab to lag raha hai ki aap ise khatam hi kar ke rahoge. :D:

Very nice update bro
Koshis hai bhai ke aj ya kal subha tak storie complete ker lu umeed hai ho jaye gi
 
Top