UPDATE-146
Lucifer- kaha ho?
Ashmita- ghar par
Lucifer- kya kar rahi ho ghar par?
Ashmita- ghar par kya karte hai?
Lucifer- aur kon hai?
Ashmita- koe nahi
Lucifer- aa raha hu main
Ashmita- aajao puch kyu rahe ho?
Lucifer- ek recording bejh raha hu
Vo sun lena tab tak main aa raha hu
Ashmita- kaisi recording?
Lucifer- sun lo pata chal jayega
Ashmita- okay
Lucifer- and don't call anyone till i come
Ashmita- kya matlab?
Lucifer- just dont fucking call
Okay?
Ashmita- theek hai
Lucifer fir phone kaat kar ek recording bejhta hai jo lucifer ne anisha se baat karte time banaye thi aur usme anisha bata rahi thi ki raichand ne kya kya kiya uske maa ke sath
Lucifer recording send kar deta hai fir inaaya ko leke ashmita ke ghar ki taraf chal deta hai
Vo pehle recording esliye bejha ki jab tak vo dono pahuche tab tak ashmita ko sab pata chal jaye
Inaaya- pehle bejh kar galti to nahi ki na?
Lucifer- pata nahi
Dekhte hai
Inaaya- to jaldi chalo na
Lucifer- drive tum kar rahi ho ya main?
Tum chalao jaldi
Inaaya- hmm
Lucifer- she is a strong girl
Vo sambhal legi
Inaaya- i know fir bhi ye matter bada hai
Lucifer- vo to hai
Inaaya- bas sab theek ho jaye
Lucifer- sab to kabhi theek nahi hota
Inaaya- kuch to ho
Lucifer- kuch ka bhi abhi kuch pata nahi
Inaaya- anisha ko bhi batana chahiye tha
Lucifer- pehle ashmita normal ho jaye fir vo khud baat kar legi anisha se
Inaaya- ye bhi theek hai
Vo baat karegi to jada better rahega
Lucifer- pata nahi kitne somes karne padenge mujhe ek sath
Inaaya- eske alava koe aur baat hoti hai tumhre pass?
Lucifer- hmm sayad nahi
Actually
nahi
Inaaya- to karni start kar do
Yaha mujhe tension ho rahi hai aur tumhe majak suj raha hai?
Lucifer- main kaha mazak kar raha hu?
Tum ashmita anisha aur main foursome to hogya
Eske alava kisi ka pata nahi
Inaaya- kyu nahi pata?
Maam ke sath bhi to kaand kiya hua hai tumne?
Lucifer- fivesome ho gaya fir to
Inaaya- aur bhi pata nahi kitni hogi
Lucifer- tumhe jealousy ho rahi hai?
Inaaya- jealousy to nahi ho rahi bas koe bimari na lagva lena khud ko
Lucifer- gutter me muh nahi marta main
Inaaya- koe bharosa nahi tumhra
Lucifer- ander hi le chal
Bahar kya khadi karegi?
Pata nahi kitna time lag jaye
Inaaya- hmm
Aur inaaya ghadi ko ashmita ke ghar ke ander kar deti hai aur fir dono utar kar door knock karte hai
Knock knock
Knock knock
Knock knock
Teen chhaar baar bell bajajen ke baad ashmita ne gate khola
Uske baal bhikhre hue the aur aankhen laal thi sayad abhi ro rahi thi aur vaise hi uth kar gate kholne aagaye
Lucifer aur inaaya ne aisa expect bhi kiya tha lekin ashmita ne inaaya ko vaha expect nahi kiya tha
Ashmita ne jab dono ko gate par khada dekha to bina kuch bole hi side me hat gaye aur unhe ander jane ki jagah de di
Vo bhi chhup chhap andar aagaye
Kuch minutes tak shanti bani rahi kyuki kisi ko samjh nahi aa raha tha ki bole kya
Fir haar kar inaaya ko hi bolna pada kyuki usse pata tha agar lucifer muh kholega to hagega hi aur ashmita bolne ki condition me nahi thi
Inaaya- theek ho tum?
Bahut bekaar sawaal tha lekin inaaya ko aur kuch sujha hi nahi
Ashmita- tujhe kab pata chala ye sab?
Bhaari aawaz me boli
Lucifer- kuch time pehle
Ashmita- esliye tu mujhse us din vo sab bol raha tha?
Lucifer- ha
Ashmita- aur anisha ke sath respect se baat karne ko bhi?
Lucifer- ha
Uske baad fir shanti chha gaye
Inaaya- ashu...
Ashmita- tum mat bolo kuch bhi
Kuch bhi mat bolo tum
Maine tumhre sath kabhi bura nahi kiya lekin badle me mujhe kya mila?
Bachpan se abhi tak main guilt me jee rahi hu
Har roj har ek second main yehi sochti hu ki maine galat kiya inaaya ke sath
Jo hua sab meri vajah se hua
Lekin meri kya galti thi?
Kya galti thi meri?
Main bhi bachi hi thi na?
Kya us umar me tumhe samjh thi?
Kya us umar me mujhe samjh honi thi?
Lekin nahi inaaya ne to mujhe hi galat thara diya
Humesha mujhe hi sunaya
Mujhe hi jalil kiya
But meri galti thi kaha?
Jo bhi kuch hua, jo bhi kuch kiya sab mere baap ne kiya
Us baap ne jisne meri jindagi jahaanum bana kar rakh di hai
Har roj mujhe uske karnamo ki vajah se sar jhukana padta hai
Pata nahi aur kitni jalil karvaega mera baap mujhe
Kahi mujhe sar utha kar chalne bhi dega ya nahi?
Etni mahnat se maine apna khud ka naam banaya aur vo ab sab kuch ek ek karke barbaad karta ja raha hai
Pata nahi aur kya kya dekhna padega mujhe yaha
Meri puri life barbaad kar di us insaan se
Ab to usse apna baap kahte hue bhi sarm aane lagi hai
Aur ashmita jor jor se rone lag gaye
Inaaya ki to himmat hi nahi hue aage kuch bolne ya karne ki
Kyuki ashmita ne jo bhi kuch bola vo sab sach tha
Jo kuch bhi inaaya ke sath hua usme ashmita ka to koe role hi nahi tha
Vo sab to uske baap ke karname the aur bhugat ashmita rahi thi
Jab raichand apni young stage par tha tab vo aur suresh bahut ache dost hua karte the
Dono ache dost hone ke sath sath bahut ache business partners bhi the
Raichand me bahut dimag tha aur uske dimag me koe na koe idea aata hi rahta tha ki kaise karke jaldi se jaldi paise banaye jaye aur uska sath dene ke liye to suresh tha hi
Un dono ne mil kar ek chhoti si electronics ki dukaan kholi jiska loan suresh ke naam hua aur company raichand ke
Raichand ne ek stamp paper par likh kar suresh ko de diya tha ki vo dono es company me 50-50% ke partner hai lekin company ke original documents me puri company sirf raichand ke hi naam thi
Suresh ne kabhi koe objection uthaya hi nahi kyuki usse to apni dosti par bharosa tha na
Aur raichand kuch bolega kyu?
Sare field ke kaam raichand karne laga aur shop ke ander ke kaam suresh aur dono ne bahut mahnat ki
Etni ki jaldi hi unhone ek badi bike company ke showroom ki membership le li aur ab vo showroom chalane lage same ussi company se jo starting me bani thi
Suresh aur raichand dono ne mahnat karne me kabhi hath piche nahi kiye
Din raat ek karke vo dono sath me bahut upar gaye
Yaha tak ki jab dono ki shadi hue to dono ki family bhi ek family jaise ho gaye
Ashmita aur inaaya ka rishta to etna gehra tha ki koe bol hi nahi sakta tha ki ye dono sagi behane nahi hai
Bahut pyaar tha un dono me
Vahi ye dono bahut teji se sidiyo par chadne lage
Ek showroom ke baad dusra khula fir tisra khula aur aise karte karte bina jada koe waqt gavaye enhone apni khud ki bikes launch kar di
Aur ye vo waqt tha jab ye dono apne sehar me sabse top par bathe hue the
Aur yahi se enka girna bhi suru hota hai
Raichand ko paiso ka laalach badta gaya aur vo business me ghapla karne laga
Suresh ko en chhijo se kabhi koe matlab nahi tha vo sirf apna kaam aur apni family dekhta tha
Bahar ke logo se to jaise vo cut ki gaya tha
Sayad hi koe unka sponser hoga jo ye janta ho ki suresh naam ka bhi es company me koe partner hai
Sab raichand ko hi sab kuch samjhte the
Aur essi bich me vo hua jiska suresh ne kabhi sapne me bhi hone ka nahi socha tha
Raichand ne suresh ko ussi ki company se bahar nikaal diya
Ye kisi bomb fatne se kam nahi tha
Ek insaan jisne apni sari jawani ek empire build karne me laga di Usse top par pahuch kar koe niche fek de to kya vo bachega?
Aur agar bachega to survive kaise karega?
Yehi suresh ke sath hua
Vo bhagta hua apne ghar gaya aur vo stamp paper dundne laga jo raichand ne usse diya tha
Lekin usse vo kahi mila hi nahi
Pura ghar chhan marne ke baad bhi usse vo paper kahi nahi mila to uski tension badhne lagi
Kyuki ek vohi to rasta tha apna sab kuch vapas pane ka aur ab vo rasta bhi khatam hota dikh raha tha
Fir usse inaaya jo kafi chhoti thi us umar me usne bataya ki vaha to vo aur ashmita khel rahi thi aur vo paper ashmita leke chali gaye
Suresh ki rahi pahi umeed bhi vahi toot gaye
Vo inaaya ko kuch bol nahi sakta tha kyuki vo to ek bachi thi aur uski pati to bahut pehle hi unhe chhod kar ja chuki thi
To usne ek aakhiri baar raichand se baat karni chahiye aur inaaya ko lekar vo raichand mansion pahuch gaya
Lekin vaha guards ne usse ander tak nahi ghusne diya
Vahi ander ashmita khel rahi thi jisko inaaya ke khub aawaz di lekin usne inaaya ko dekh kar bhi andekha kar diya
Pata nahi kya bhara gaya tha us masoom bachi ke dimag me aur kuch time baad raichand unhe leke ander chala gaya
Suresh aur inaaya bahut der tak vahi bathe rahe
Ab unke pass kuch nahi bacha tha sivay loan ke
Kyuki jitne bhi loan the vo to sab suresh ke hi naam the aur jitni property unhone sath banaye thi vo sab raichand ke
Suresh ne bas ek chhij li thi apne naam se aur vo thi uska ghar
Aur vo toota hua insaan apne ghar vapas aagya
Ab uske pass inaaya ke alava aur kuch nahi bacha tha aur apne badle ke chakkar me vo inaaya ko vaha barbaad nahi hone de sakta tha
Esliye apna ghar bech kar usse jo paise mile us se vo kahi door shift ho gaya aur vaha ek naye suruvaat ki
Usne vo sab kuch vapas banaya jo us se chhina gaya tha aur vo bhi us se bahatar
Lekin usne kabhi inaaya ke dimag aur dil me jehar nahi bhara
Vo humesha usse achae ke raste par chalne ka hi bolta tha
Lekin jab ek chhoti bachi ke dil par thesh lagti hai na to vo jaldi se jati nahi hai aur vohi inaaya ke sath hua
Usse raichand se kuch jada fark nahi pada tha lekin ashmita ka usse ignore karke usse andar tak kha gaya aur yehi un dono ki nafarat ka aadhaar bana....