Vik1006
Well-Known Member
- 3,322
- 12,968
- 158
Mast Update...update 4Tabhi beech me vanika bol padti hai
Vanika- han han ghar me ye laad sahab he to hai jinhe ghumne ka shauk hai baki to sab yu he hai.
Subhash(vanika ki baat sun kar use bura laga)- vanika tum aise kyu baat kar rhi ho, tumhe kab kisi ne roka kahi jane se.
Vanika(chalaki se)- iska matlab agar me bhi kahi jana chahu to ja skti hu.
(ab yaha me bta du subhash thoda choti soch ka insan hai par wo kabhi kisi ko aisa dikhata nai hai, par kabhi kabhi uski harqato me wo jhalakti hai jaise ladkio ko ghar se zyada dur na bhejna, ghar par sab is baat ko samjhte the par subhash ko bura na lage is liye koi kuch bolta nai tha)
(Par vanika bhi bahut chalak thi aur apna kam kaise nikalna hai use khoob ache se aata tha)
Subhash(ab yaha fas gya; ab agar wo use permission de to uski choti soch beech me jati hai aur agar mna kare to uski guilt)- haan, han ja skti ho isme kya dikkat hai, ek kam karo tum bhi apne bhai ke sath goa chali jao.
(ab yaha subhash ne apna daav chal diya, wo janta tha in dono bhai behan ki apas me banti nai hai)
Vanika- iske sath, aur me, wo bhi goa, kabhi nai.
Manu- han han to aapko le kar bhi kon jana chahta hai, mummy keh do papa se me nai le kar jaunga ise apne sath.
Rajni- aap jante to hai in dono ki apas me nai banti phr bhi.
Subhash(thoda taav me aa kar)- ab mene keh diya to keh diya vanika manu ke sath goa ghumne jayegi matlb jayegi, aur phr kya pta waha jane se in dono ke sambandh kuch sudhar jaye, in me dosti ho jaye.
Manu(uske dimag me to kisi aur ke he sath ghumne ka plan tha)- papa agar aisa hai to me jaunga he nai, inhe he bhej dijiye ye akeli ghum aayegi waha.
Vanika- han papa agar aisa hai to ise bhej do me nai jaungi iske sath.
Subhash- ab mujhe kuch nai sunna manu agar tum vanika ko sath le kar nai gye to tumhari agle mahine ki pocket money band, aur vanika tumhe bhi iski saza milegi agar tum apne bhai ke sath nahi gyi to.
Manu aur vanika sirf saza se bachne ke liye ek sath bolte hai- ji papa hum jayenge sath me goa.
(manu apni nayi randi anjali ke sath goa jana chahti tha, aur vanika(use nahi pata tha ki wo kiske sath jana hai ya kyu jana chahta hai) sirf uske kam me taang adana chahti thi lekin ab dono phas gye the ab na to manu vanika ke sath anjali ko le ja payega aur na he vanika is trip ko enjoy kar payegi)