- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 6
Rahul subah ke 6 baje uth jaata hai...Uthne ka man to nahi tha fir bhi aaj usko college jana tha to uth jaata hai...
.Aur dusre bed me Ajay ki taraf dekhta hai jo bahut hi gehri neend me so raha tha...Wo bahar washroom me jaake fresh ho ke aata hai aur Ajay ko uthata hai.
Rahul:- Ajay jaldi se uth jaa yaar...Chhai peene ka time khatm ho raha hai...Tere liye hi wait kar raha hu...Jaldi se fresh ho ke aa.
Ajay:- Bhai please sone de na...Raat ke 1:00 baje soya tha...Uthne ka man nahi kar raha hai.
Rahul:- Raat ke 1:00 baje tak kya kar raha tha?
Ajay:- Raat me neend nahi lag raha tha isliye padh raha tha...Bahut mushkil se neend aaya wo bhi 1:00 baje.
Rahul:- Chal chhod ye baatein...Pehle chal chhai peeke aate hai...Uske baad tu fir se soo jaana.
Ajay:- Please yaar...Sone de na...Bahut neend lag raha hai...Chhai peene ka bhi man nahi hai.
Rahul:- Ok...Thik hai soo jaa.
Fir Rahul niche kitchen me jaake chhai peeta hai aur apne room me aa jaata hai...Aaj Ajay so raha tha to wo bhi bahut hi boring feel kar raha tha...Uske baad wo jaldi se ready hoke college chala jaata hai.
College me suru ke 4 lectures attend karne ke baad uska lunch time suru ho jaata hai...Wo canteen ki taraf jaata hai naashta karne ke liye lekin aaj ke menu card me Rahul ko koi bhi item achha nahi lagta...Isliye wo waha se nikal jaata hai...Lunch time pure 30 minutes ka tha aur wo soch raha tha ki ye time kaise spend kare...Wo akele hi idhar udhar chup chap chal raha tha aur galti se jaake ek Ladki se takra jaata hai....Wo Ladki kuch react karti uss se pehle hi Rahul usse kehta hai
Rahul:- Sorry...Galti se takra gaya....Please maaf kar do.
Rahul ki baat sunke to wo ladki bhi shocked ho jaati hai...Uss ladki ko Rahul ka sorry bolne ka tarika bilkul bhi pasand nahi aaya...Lekin ladki ne bhi Rahul ko aisa answer diya ki Rahul bhi shocked ho gaya.
Ladki:- Its ok...Kabhi Kabhi ho jaata hai...Agar main galat nahi hun to tum Rahul ho na.
Rahul shocked ho jaata hai ki iss Ladki ko uska naam kaise pata...Usne to kabhi bhi iss ladki ko aaj se pehle dekha nahi tha...Aur wo uss ladki se kehta hai.
Rahul:- Tumhe mere naam kaise pata? Kaise jaanti ho tum mujhe? Tum kaun ho?
Ladki:- Cool down Rahul...Main yahi khadi hun kahi jaa nahi rahi hun aaram se puchho sabhi questions ka answer de dungi.
Rahul:- Pehle tum bataao ki tum ho kaun?
Ladki:- Guess karo.
Rahul bahut der tak sochta hai ki aakhir ye ladki hai kaun aur usse itne acche se baat kyu kar rahi hai...Lekin bahut der tak sochne par bhi usko koi idea nahi aaya...Tabhi wo ladki has has kar kehti hai.
Ladki:- Are yaar...Pehle kabhi dekha ho to yaad aayega na...Tumne mujhe dekha nahi hoga maine 1 week pehle iss college me dusre college se transfer liya tha...Main commerce section me padhti hun.
Rahul:- Oh to ye baat hai...Main to picchle 1 saal se ye tak nahi jaan paaya hu ki hamare science section me kaun kaun students hai...Science ki baat chhodo mujhe to biology group ka bhi pata nahi hain...Tum to commerce section ki ho to koi chance hi nahi hai....
Ladki:- Logic accha dete ho...Maine picchle kuch dino se notice kiya hai ki tum lunch time me hamesha akele hi idhar udhar chalte rehte ho...Iski koi khas vajah.
Rahul:- Kya karu bachhpan ki aadat hai...Jaldi se chhod bhi nahi sakta...Tumne mera question ka answer nahi diya...Tum kaun ho? Aur tumhe mera naam kaise pataa?
Ladki:- My name is Priya...Tum kaafi din se aise hi akele ghum rahe the aur tumhari face me koi bhi tension nahi thi to main jaana chahti thi ki iske picche reason kya hai...Jab tumhe kal ek ladke ne name se pukara tha to mujhe tumhara naam bhi pata chal gaya.
Rahul ke pass ab pucchne ke liye koi sawaal baaki nahi tha aur wo Priya se kya baat kare ussi ke baare me soch raha tha...Kyuki Rahul ne aaj tak ladkiyon se acche se baat nahi ki thi aur aaj usse Priya se kya baat kare ye bhi samajh nahi aa raha tha...Fir bhi wo kehta hai.
Rahul:- Abhi Lunch time bhi khatm hone wali hai...Bye Priya abhi main jaata hun.
Rahul ko waha se jaldi se nikalna hi thik laga...Lekin
Priya:- Abhi bhi Lunch khattam hone me 15 minutes baaki hai...Chalo waha kursi par jaakar baithte hain.
Ab Rahul ko bhi waha se nikalne ke liye koi Idea nahi mil raha tha aur wo na chahte hue bhi Priya ke saath chala gaya baat karne ke liye.
Priya:- To Rahul pehle tum mujhe ye batao ki tum hamesha akele hi kyun rehte ho????Tumhare dost nahi hai kya.
Rahul to Priya se baat karne me bhi ghabra raha tha...Wo to pehle se hi ek sharmila ladka tha aur aaj kisi bhi ladki se iss tarah se pehli baar baat kar raha tha...Issliye usse samajh me nahi aa raha tha ki Priya se kaise baat kare...Fir bhi wo apne ghabrahat chhupate hue kehta hai.
Rahul:- Pehle bhi bataa diya tha...Bacchpan ki aadat hai.
Priya:-Oh...To tum bachpann se hi aise akele rehte ho...Aur ye batao ki tum mujhse baat karne me itna kyun ghabra rahe ho.
Rahul ke pass iss question ka koi answer nahi tha...Fir bhi wo apne aap ko defend karne ke liye kehta hai.
Rahul:- Ghabra nahi raha hu...Abhi tumhare saath kya baatein karu wo samajh me nahi aa raaha hai.
Rahul ne bas itna hi kaha tha ki lunch time over hone ki bell bajne lagta hai aur Rahul bahut hi relief feel kar raha tha.
Rahul:- Priya chalo ab lunch time bhi khatm ho chuka hai...Kal milte hain.
Itna keh kar Rahul waha se apni class ke taraf chala jaata hain...Usse aaj apne aap par bahut hi jyada gussa aa raha tha kyu ki wo aaj ek ladki se acche se baat nahi kar paa raha tha...Uska dhyaan abb padhayi me bilkul bhi nahi tha...Wo to aaj uske aur Priya ke hui baat ko soch soch kar time spend kar raha tha...Jaise taise college khatm hua aur wo apne hostel ki taraf jaane lagaa.
Apne hostel ki taraf jaate hue bhi wo yahi soch raha tha ki kyu wo ladkiyon se acche se baat nahi kar paa raha hai...Aur wo Priya bhi uss ke saath itne acche se kyu baat kar rahi hai...Kya iske pichhe Priya ki koi maksad hai? Kya wo usse se pyaar karti hai? Ya fir bas ye sab dosti tha? Ya fir koi khaas vajah nahi tha...Yahi sab sochte hue Rahul apne hostel pahuch jaata hai.