Nevil singh
Well-Known Member
- 21,150
- 53,000
- 173
rochak update.UPDATE 22
Aise hi din bitne laga....Rahul apna kamjori aur taakat ko pehchanne laga....Bachpan se lekar class 10 tak usne akelapan mehsus kiya tha....Mummy aur Papa ne to hamesha saath diya tha....Lekin apne age ke dost nahi mila tha....Kabhi koi dost nahi mila jiske saath wo khelta, baatein karta, jhagda karta ya fir masti karta....Ussko apni life me koi khaas interest nahi tha....Bas tv me kabhi kabhi cricket matches dekh kar time pass karta....Iss vajah se uski mentality bhi dusre bacchon se alag ho gayi....Wo kisi se achhe se baat nahi karta tha aur akela hi rehta tha....Uske teachers ya fir uske Papa ke dost hamesha uska complain uske Papa se karte ki Rahul dhire dhire bigad raha hai, unsocialized ho raha hai....Isko baat karna nahi aata, dost banana nahi aata....Ye saari baat Rahul ko bahut gussa dilata tha aur Rahul hamesha fraustrated rehta....
Jab class 11 me aakar Ajay se uska friendship achha hua tab jaake Rahul ko thoda chhain mila....Uska akelapan dur hua....Kisi se apna dil ki baatein share karne laga....Dil me jo ghutan tha wo kam huwa....Dosti ka matlab pata chala....Masti kya hoti hai wo jaane laga
Yahi sab baat soch raha tha Rahul....Wo apne aap ko pehchane ki koshish kar raha tha....Usne bahut hadd tak khud ko pehchaan bhi liya tha jaise uska pasand aur na pasand...Apna kamjori aur taakat....Apna behavior.....Apna achhi aur buri aadat...Abb usne tay kar liya ki abb baaki ke logon se kaise react karna hai....Kaise abb baaki ke life ko jeena hai....
Abb Rahul aur Raj ka MBBS entrance exam bhi aata hai....Rahul ko to pehle se hi pata tha uska naam nahi nikalne wala lekin Raj bas kuch marks se chuk gaya scholarship se....Wo bahut dukhi tha....1 saal ka mehnat bekar ho gayi....Lekin usne haar nahi maana....1 year aur try karne ka socha....
Rahul ne bhi decide kiya ki wo bhi MBBS padhega....Ghar par bhi bata diya ki 1 saal aur try karega
Abb Rahul seriously padhne laga lekin jitna mehnat karna padta hai scholarship me naam nikalne ke liye utna nahi kar paa raha tha....Kuch din pehle tak uska jo aadat ban gaya tha mobile ka over use karne ka aur padhaayi pe dhyaan nahi dene ka ab wo uss aadat se nahi nikal paa raha tha....Jaise taise karke padhne laga....Lekin concentrate nahi kar paaya...
Fir se entrance diya Rahul aur Raj ne....Rahul scholarship me apna naam nahi nikaal paaya lekin Raj ko wahi city ke college me full scholarship mila....Rahul ko bahut dukh hua ki wo Entrance exam me achha nahi kar paaya....Usne jo bhi vakt Priya ke chakkar me aur apne 12 th ke exam ke baad mashti karne me bitaaye the wo bhi yaad aane laga....Ek middle class family me hone ki vajah se donation me padh paana bhi mushkil tha....
Jab wo apna ghar jaake apne Parents se apne result ke baare me kaha to uska Parents bhi dukhi ho gaye....Unhone Rahul ko engineering padhne ke liye kaha....Suru me to Rahul ko bahut buraa lagaa ....Usne chupchap waha se nikal kar Raj ko phone kiya....
Raj:- Ha bhai....Kya huwa bol?
Rahul:- Kya karu kuch samajh nahi aa raha hai....Jab Papa ko result ke baare me bataya to unhone engineering padhne ke liye kaha hai.
Raj:- To tune kya kaha?
Rahul:- Abhi tak to kuch nahi kaha hai...Class 11 aur 12 me biology padha....MBBS ka taiyaari kiya....Ab jaake engineering padhu.
Raj:- Dekh bhai.....Middle class family me MBBS padhna wo bhi donation de kar bahut mushkil hai....Tere Papa ne tujhe 1 year ka time diye thhe ....Lekin tu full scholarship me naam nahi nikaal sakaa ....Isme teri galti hai
Rahul:- 1 year me naam nikalna thoda mushkil hai....Ek year aur taiyaari karne ka baat karta hu...
Raj:- Bhai....Achhe se soch le....Agar confident hai to hi ye baat kehna ....Nahi to year loss karna acchi baat nahi hai....Jab tak tu fully determined hoke nahi padhega.....Tab tak naam nahi nikaal paayega....Uske liye tujhe mobile aur Internet ko chhodna hoga....Bas padhaayi me concentrate karna hoga....Agar tu yeh sab kar sakta hai to mai tere Papa se baat kar lunga tujhe 1 chance dene ke liye....
Rahul:- Thik hai bhai....Kuch der soch ke batata hu
Kuch der sochne ke baad Rahul ko Uska Papa aur Raj ka baat sahi laga....Wo ab padhayi me utna mehnat nahi kar paa raha tha.....Bekaar me year loss karne se koi faaidaa nahi....Uska Papa MBBS me donation nahi de paate....Engineering tak ka donation aaram se ho jaata....Isi liye wo Papa ko haan keh deta hai engineering ke liye.....Uske dil me MBBS na padh paane ki dukh hamesha ke liye rehne waala hai...
Ajay bhi engineering kar raha tha....Issi liye Rahul ne ek baar Ajay se baat karne ka socha....Usse Ajay se baat karne ki himmat bhi nahi ho rahi thi ki kaise wo Ajay se kahega ki 1 year loss kar ke wo engineering padh raha hai....Kahi Ajay uska majaak na udaa de....Fir bhi wo himmat karke usse kal laga leta hai....
Ajay:- Hello Rahul....Kaisa hai yaar....Bol kya baat hai???
Rahul:- Sab thik hai yaar...Tujhse 1 baat karni thi
Ajay:- Kya baat hai yaar?
Rahul:- Yaar mai bhi abb engineering kar raha hu....1 saal loss ho gaya.
Ajay:- Kyu? MBBS me naam nahi nikla kya.
Rahul:- Nahi yaar....Nahi nikla..
Ajay:- Chal koi baat nahi.....Achha hua engineering join karne jaa raha hai....Abb aur year loss karke koi faaidaa nahi....Kuch na kuch to padhna hi padhega ...
Rahul:- Ha yaar....Issi liye ready ho gaya engineering karne ke liye....
Ajay:- Lekin bhai .... Engineering ko itnaa easy mat samajhna....Bahut tough course hai....Agar mehnat kar ke padh sakega to hi padhna....Warna aur musibat ho jaayegi....
Rahul:- Are yaar...Kuch bhi padhne ke liye mehnat karni hi padegi....Ab engineering join karni hi hai to mehnat to karunga hi....Chinta mat kar bhai....Acche se padhunga.
Fir ye dono kuch der aur aise hi baat karte hai aur Rahul phone cut kar deta hai....
Abb Rahul Civil Engineering ke entrance me pass kar leta hai....Aur donation me apna admission karwa leta hai....Suruwat me usse bahut mushkil huwa adjust karne me....Wo mehnat se padhne lagta hai....Teachers se apna problem share kar ke aur library me se kuch books leke wo padhne lagta hai....Dhire dhire use sab samajh me aane lagta hai....Aur abb wo acche se padhne lagta hai....Wo hostel chhod kar ek flat me do room lekar rehne lagta hai....Abb college me uska kuch friends bhi bann jaata hai....Risabh, Arjun, Raju aur Aditya....Ye chaaro ek dusre ke bahuta chha dost ban jaate hai lekin Rahul se utna close nahi rehte....Rahul bhi inhe apna dost maante hai lekin close friends nahi....Jinke saath wo apna har problem share kar sake....Shaayad abhi bas kuchh hi vakt bitaa tha iss liye....Waise bhi Rahul itni jaldi kisi se gehri doshti nahi karta tha..