If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Aditya:- Ham sabhi ke pass abhi kucch dino ki chhuti hai.....To ham sabhi dosto ne socha ki kyu na ham log cricket khel kar time pass kare.....To kal subah 8:00 am par ground par aaja khelne ke liye....
Rahul pehle hi Nisha ki baaton se pareshaan tha aur upar se Aditya ka iss vakt aisa kehne se usko gussa aa gaya aur wo bhi pura gussa ke saath kehne laga....
Rahul:- Abe tera dimaag kharaab hai kya.....Itni raat ko koi aisi bakwass baatein karte hai kya....Yahi baat tu subah bhi to kar sakta na....Time dekha hai 10:30 pm baj raha hai.....Kitna accha neend aa raha tha aur tune jaga diya.....Kal subah bata dunga ki mai khelne aaungaa ya nahi...
Rahul ne neend me hone ki baat jhuth kaha tha....Usko to Aditya par pehle se hi gussa aa raha tha iss time pe aisi baatein karne ke liye....Issliye usne bhi bahanaa bana kar Aditya ko daant diya....
Aditya:- Pata nahi tha ki tu soo gaya hoga.....Sorry yaar tujhe disturb kar diya....Abb phone rakh deta hu...Aaram se soja....Aur ho sake to please kal khelne aa jaana.....Tere saath khelne ka maja hi alag hai....
Itna keh kar Aditya ne call kaat diya aur Rahul bhi sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Abb kya karu....Iss Aditya ne dimaag ko hi hang kar diya.....Kuch soch bhi nahi paa raha hu....Ye pyaar ki baat baad me sochunga....Abhi to mujhe neend aa raha hai....Filhaal to mujhe apna neend se pyaar hai....
Itna keh kar Rahul apna door lock karke aur bulbs off karke so gaya....
Subah Rahul apni vakt (5:00am) par hi utth gaya aur sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Kya karu cricket khelne jaana chahiye ya nahi.....Bahut din ho gaya khele huye....Shaayad yahi sahi time hai fir jab baad me new semester suru ho jaayega to time nahi milega....Waise bhi Nisha ke saath to 2 din reh chuka hu aur baad me bhi garden me mil lenge....To thik hai aaj khelne chala jaata hu....
At 8:15am
Rahul ground pe chala jaata hai to dekhta hai ki waha par Aditya, Raju , Risabh aur Arjun pehle se hi maujood the aur match ki starting karne hi waale the....Rahul ko dekh kar sabhi shocked ho gaye....Unhe vishwaas hi nahi ho raha tha ki Rahul khelne aayega.....
Aditya:- Mujhe to laga tha ki tu nahi aayega.....Thanks yaar....Mere kehne pe tu aa gaya....
Rahul:- Tere kehne pe nahi aaya hu....I love cricket...Issliye mai aaya hu naki tere kehne pe...
Rahul ki baat sun kar Rishav aur Arjun jor jor se hansne lagte hai.....Wahi Aditya ko thoda gussa bhi aa jaata hai apni iss beizzati pe.....Raju to pehle se hi usko gusse bhari najar se dekh raha tha....
Arjun:- Friends....Tum logo ne ek baat notice kiya....Abb Rahul bhi majaak karna shikh gaya hai....Warna ye hamesha akela hi chup chaap rehta hai....
Rishabh:- Ham log to thak chuke the isko sudhaarte huye.....Lekin pata nahi aaj isko kya ho gaya....
Arjun:- Shaayad ye bhi pyaar me pad gaya hoga.....Kehte hai naa pyaar insaan ko badal deta hai.....Iska achanaak badalne se to mujhe shak ho raha hai ki kahi isse pyaar to nahi hua.....Kya mai sach keh raha hu Rahul???
Rahul:- Tum log apni bakwaas band karo....Tum log mujhe jaante hi kaha ho....Hamesha ladki ke picche bhaagte ho....Jo tumhe kabhi line deti nahi hai.....Aise me to time lag hi jaata hai dusro ki harkat notice karne me...Abb tum sab chup chaap khelne pe dhyaan do....
Iske baad sabhi dost khelne me busy ho jaata hai.....Kareeb 4 ghante tak khelne ke baad sabhi thak jaate hai aur ground ke ek corner par baith jaate hai aur baate karne lagte hai....
Risabh:- Ek baat bata Rahul tu har cheej ko itna perfectly kaise kar leta hai .....Study me no. 1, Khelne me bhi hamse bahut accha hai....
Rahul:- Uske liye dedication chahiye ..... Mai jab bhi padhta hu dimaag ko shaant rakh ke padhta hu aur interest lekar padhta hu....Issi liye sab kuch dimaag me ghus jaata hai....Aur time to time revision.....Aur rahi baat cricket ki to....Ye mera favourite game hai.....Mobiles me laghbhag har match dekhta hu live.....Aur ground me jab bhi khelta hu to man laga kar khelta hu.....Tum sabhi dedicated ho kar kuch bhi karo wo cheej apne aap aasan ho jaayega......Lekin tum dono to bas ladki ke picche hi dedicated rehte ho aur usme bhi tumhe success nahi milta...
Itna keh kar Rahul hansne lagta hai aur Aditya bhi uske saath hansne lagta hai.....Risabh to uss manhoos pal ko kosh raha tha jab usne Rahul se ye sawaal puccha tha....
Fir kuch der sabhi dosto aisi hi hansi majaak karte hai aur kuch der me Arjun sabhi ko ek baat kehta hai....
Arjun:- Dosto abhi hamaare semester suru hone me 4 days baaki hai....Mai to apna gaaw jaa raha hu....Please tum log bhi chalo na mere saath.....Waha jaake khub masti karenge....Tu m logo ke pass bhi kuch kaam nahi hai....Issliye ham 4 days full masti karenge gaaw me....Mai tumhe apni gaaw pura ghuma dunga.....Uske baad ham sabhi fresh ho kar fir se college join karenge.....
Arjun ki baat sun kar Risabh, Asita aur Raju ha keh dete hai.....Lekin Rahul kuch nahi bolta....
Arjun:- Kya hua Rahul????Tu nahi chalega kya....
Rahul:- Nahi yaar mujhe ghumne me koi interest nahi hai...Iss liye mai nahi jaana chahta....
Arjun:- Bas ek hi request kiya tha tum sabhi se.....Socha tha tum sab maan jaaoge....Lekin Rahul mujhe tujhse ye expectation nahi tha....Kuch hi dino ki to baat hai.....Please chal na yaar....
Arjun ne Rahul ko emotional blackmail karne ki koshish kiya...Rahul ne fir bhi ek aur bahaana banaya....
Rahul:- Are mai waha jaa kar kya karunga.....Mere aane ke baad ulta tum log hi bore ho jaaoge.....Jaante ho na tum sab mai kitna akela rehta hu....
Rahul ko laga ki abb Arjun maan jaayegea.....Lekin iske baad sabhi ne Rahul ko emotional blackmail karke mawaa hi liya....Ant me haar kar Rahul bhi jaane ke liye taiyaar ho gaya....
Rahul:- Ok thik hai.....Abb tum log itna force kar rahe to mai bhi taiyaar hu.....Waise nikalnaa kab hai ....
Ye sunte hi sabhi log khush ho jaate hai....
Arjun:- Abhi dopahar 12:00 pm ki bus hai.....Chalo abb sab jaldi jaldi ready ho kar aa jao bus stand pe....
Iske baad sabhi dost apne apne thikaane par pahunch jaate hai....Rahul apna flat me pahunch kar sochne lagta hai....
Rahul:- (IN his mind) Kaha fansaa diya iss Arjun ne....Socha tha inn 4 dino me Nisha ke saath acche se spend karunga....Apna aur Nisha ki dil ki haal ka pata lagaunga....Lekin sab bigaad diya iss kameene ne...
Khair koi baat nahi....Bas 4 dino ki hi to baat hai.....Uske baad to ham log roj milenge hi shaam ko garden me....Ussi vakt baat kar lunga....Arjun ne bhi picchle 2 saal me 1 request hi to kiya hai mujhse.....Abb mujhe Nisha ko bata dena chahiye ki mai 4 dino ke liye yaha se jaa raha hu....
Itna keh kar Rahul Nisha ki flat me jaata hai aur uske room ki gate ko push karta hai....Push karne ke baad pata chalta hai ki gate andar se locked hai....Wo knock karne hi waala tha ki kuch soch kar ruk jaata hai....
Rahul:- (In his mind) Kya ye jaruri hai usko bataana ki tu jaa raha hai....Waise bhi usko kya fark padne waala hai jab tu chala bhi jaayega....Wo tujhe bas apna dost maanti hai....Usko utna fark nahi padega tere jaane se....Jab 4 din baad aayega to bata dena ki Arjun ka gaanw gaya tha....Aise knocking karne se agar wo gussa ho gayi to.....Shaayad wo kuch kaam me busy ho aur knowcking ki vajah se pareshaan ho gayi to...Koi baat nahi baad me phone karke bataa dunga usse....
Itna keh kar Rahul ready ho kar kuch der baad bus stand pahunch kar sabhi dosto ke saath Arjun ke gaanw ke liye nikaal jaata hai....Wo baat se anjaan tha ki ek to usko Nisha ka number nahi pata.....Aur dusra uske aur Nisha ke liye ye 4din bahut mushkil se katne waala hai.
Rahul aur uske dost bus me baith kar Arjun ki gaanw ki taraf nikal gaye....Rahul ko khidki waali seat mila.....Bus ki chalne ki thodi der baad Rahul ne Arjun se pooncha....
Rahul:- Kab tak ham tera gaanw pahunchenge????
Arjun:- 4 hours ke baad ham log bus se ek chhota sa town pahunchenge aur uske baad 1 hour chal ke jaana hoga....
Ye baat sunne ke baad Rahul kuch nahi bola ...... Lekin uske dost shocked hokar Arjun se jhagada karne lage...
Raju:- Kya...1 ghanta chalna hoga....Mai to nahi chal sakta....Koi dusra intezaam karlo....
Aditya:- Raju thik keh raha hai.....1 ghante tak to aaj tak nahi chala hu mai....Aur upar se gaanw ka raasta...Meri pair(legs) ki band baj jaayega...
Risabh:- Yaar ham log abhi fit hai....Jyaada motte nahi hue hai jo tu hame jogging ke liye le jaa rahe ho....
Kuch der aise hi ye sab Arjun se bahas karne lagte hai.....Arjun kuch bol nahi raha tha....Tabhi Rahul hans kar sabhi se kehta hai...
Rahul:- Abb kya ho gaya tum sabko....Kuch der pehle tak to bahut excited the.....Aur mujhe bhi emotional karke le aaye....Abb 1 hour tak chalne ki baat se hi dar gaye....Tum sabhi to ho hi aalsi...Kuch der tak bhi nahi chal sakte....Abb tum logo ko kuch intezaam chahiye....Abb tum log to koi VIP ho nahi jo tum logo ke liye koi car lekar aaye pick karne ke liye....Gaaw jaa rahe hai yaar to chal ke jaane me hi maja hai....Ek ghante tak chalne se tum logo ki pair gande nahi ho jaayenge....Abb koi nautanki mat karna....Arjun mai to ready hu....1 ghante ka evening walk bhi ho jaayega....Aaj morning walk bhi nahi kiya iss Aditya ki vajah se.....Subah subah khelne bula liya...
Arjun:- Thanks yaar....Tune inn kameeno se bacha liya....Warna ye sab pata nahi aur kitni der bak bak karte rehte....
Risabh:- Chup ho jaao tum log....Rahul abhi to tu badi badi baatein kar raha hai.....Jab chalne ki time hoga na tab sab se pehle tu hi side hat jaayega.....Kehte hai na bhaunkne waale kutte kaat te nahi...
Rahul:- Tum logo ki jindagi dekh kar hanssi aati hai.....1 hour bhi nahi chal paate....Aur kya keh raha tha mai chal nahi paaunga....1 hour to kya 2 hours bhi aaram se chal sakta hu....Bahut experience hai....Abhi bolne se accha hai baad me dekh lena tum sab....
Itna keh kar Rahul chup ho jaata hai.....Baaki sab ke pass bhi abb koi baat nahi thi bahas karne ke liye....Sabhi log chup ho jaate hai aur journey ka majaa lene lagte hai....
Kuch dur aage chalne ke baad Rahul ko pata nahi kaisa ehsaas ho raha tha....Usse kuch thik nahi lag raha tha....Uska man kar raha tha ki wo waapas laut jaaye....Lekin abb ye possible nahi tha....Pehli baar Rahul ko aisa ehsaas ho raha tha aur wo usko samajh nahi paa raha tha....Wo iss baat ko samajhne ke liye apni aankhein band kar leta hai.....Aankhen band karne ke baad usko Nisha dikhti hai....Wo jhatt se aankhe khol leta hai aur sochne lagta hai....
Rahul:- (In his mind) Ye mujhe ho kya raha hai....Mujhe inn sabhi ke saath jaane ka mannn nahi kar raha...Lekin fir bhi dosti ki khaatir jaana par raha hai....Aur aaankhen band karne ke baad Nisha dikhti hai....Ye sab kya ho raha hai....Mujhe to lag raha hai ki sach mai abb mujhe pyaar ho gaya hai....Lekin pyaar me log kya sacch me paagal ho jaate hai aur paagalon jaisi harkat karne lagte hai....Pata nahi Nisha me aisa kya jaadu hai jo abb mujhe uski taraf aakarshit karne laga hai.....baar baar uske baare me hi sochta hu, uske saath rehna chahta hu, uske saath baatein karne me accha lagta hai, uski muskaan dekh dil me ek ajeeb sa sukoon milta hai.....Pata nahi aur kya kya hoga mere saath....Priya ne jab dhokha diya tha tab socha tha ki abb kisi se pyaar nahi karunga lekin abb to chaah kar bhi khud ko nahi rok paa raha hu.....Suna thaa ki jo bhi hota hai accha hi hota hai .....Abb pata nahi issme mera kya accha hone waala hai......
Rahul yahi sab sochte hue bus me hi so jaata hai.....Jab wo utthta hai to saamne dekhta hai ki bus ruk gayi hai aur uski dost usko hilaa rahe hai....
Aditya:- Abe utth ja....Aur kitna soyega??? Utarne ka vakt aa gaya hai....
Jab Rahul ye sunta hai to side me paani ki bottle se khidki ki baar moonh nikaal kar paani se apna moonh dhota hai.....Aur uski saari neend gaayab ho jaata hai aur wo utth kar kehta hai....
Rahul:- Utarne ki jagah aa gaya kya????
Arjun:- Ha. aa gaya...Rahul tu kitna sota hai.....2 min se tujhe uthaa rahe hai lekin tu utth hi nahi raha....Abb jaldi se utar aur chal ....
Rahul:- Aaj match khelne ki vajah se thak gaya aur raat me Aditya ki vajah se nahi so paaya.....Iss liye thak gaya aur neend aa gaya.....Abb chalo....
Iske baad sabhi dost bus se utar jaate hai aur chalte hai Arjun ki aaw ki taraf....Laghbhag 1 hour chalne ke baad sabhi Arjun ki ghar pahunch jaate hai....Arjun aur Rahul ko to koi dikkat nahi hua....Lekin Risabh, Aditya aur Raju bahut mushkil se pahunch paaye....Jaise hi Rahul Arjun ki ghar ki baahar tak aa gaya usne Arjun se kaha....
Rahul waha se chala jaata hai aur Nisha ko call karne hi waala tha ki usse yaad aata hai ki uske pass Nisha ki number hai hi nahi....Usse khud par gussa aata hai....
Rahul:- (In his mind) Kehta hai ki tu Nisha se pyaar karta hai....Lekin tujhe abbhi tak uski mobile number nahi pata....Ajeeb pyaar hai tera...
Itna keh kar Rahul Arjun ki ghar me chala jaata hai....Aur uski parents ko wish karke guest room me chala jaata hai...Aur wahaa jaakar rest karne lagta hai....
Wahi dusri aur jab Rahul ke nikalne ke 1 hour baad Nisha Rahul ki room me jaati hai to dekhti hai ki gate par baahar se lock laga hai....Usko hairaani ho raha tha kyuki Rahul door ko tabhi lock karta tha jab wo college jaata tha....Lekin abhi to Rahul ki college nahi hai....Wo soch rahi thi ki Rahul aise achanak kaha chala gaya door lock kar ke.....Abb shaam ke 6:00 pm baj chuka tha....Aur Rahul abhi tak nahi lauta tha....Usko ajeeb si ghabrahat hone lagti hai.....
[Friends abb tak aapne jo saath diya uske liye bahut bahut thanks....Abb story ending ki taraf jaa raha hai...Laghbhag 100 updates ke around me story end ho jaayega....Abb next update se story romance aur kuch twists ki aur move hogi....]
Nisha ko Rahul ki aisi gayab ho jaane ki vajah se bahut ghabraahat ho rahi thi.....Wo sochne lagi...
Nisha:- (In her mind) Ye Rahul kaha chala gaya....Dopahar se hi gaayab ho gaya.....Abhi tak nahi lauta....Aakhir kaha jaa sakta hai abhi to uska college bhi nahi....Aaj usse baat karne ka bahut man tha lekin pata nahi kaha gaayab ho gaya....Pata nahi kab lautega....Ek baar phone karke poonchti hu...
Itna soch kar Nisha apni mobile nikaal kar Rahul ko phone lagaane ki koshish karti hai....Lekin wo Contact se Rahul ka number nahi dhoond paati....Aur sochne lagti hai...
Nisha:- (In her mind) Rahul ka number to mere pass hai hi nahi....Mai bhi kitni bewkoof hu....Pyaar karti hu usse par uska number nahi hai....Ek baar bhi nahi puccha usse....Kabhi jaruri bhi nahi pada....Lekin jab jarurat pada tab uska number hi nahi.....Abb kya karu ....Kaise pata lagau ki wo kaha hai....Abb kar bhi kya sakti hu intezaar ke siwaa....
Itna keh kar Nisha waapas apne room me chali jaati hai....Uska kuch bhi karne ka man nahi kar raha tha....Wo to bas Rahul ka intejaar kar rahi thi.....
Udhar Rahul ka bhi haal aisa hi tha.....Uska bhi kuch karne ka man nahi tha.....Rest karte vakt bhi usko Nisha ki yaad aa raha tha....Baar baar Nisha ki yaad aane se usko ajeeb si bechaini hone lagti hai....Usko abb Nisha ke pass jaane ka man ho raha tha aur usse baate karna chahta tha.....Lekin ye abb 4 din tak possible nahi tha....Ant me majboor ho kar wo bhi sochne lagta hai....
Rahul:- (In his mind) Kya karu kuch samajh me nahi aa raha hai....Baar baar Nisha ki yaad sataata hai....Ek vakt tha jab wo mere hi pass thi lekin mai nafrat ke kaaran usko dekhta bhi nahi tha....Lekin aaj jab mai usko dekhte hi rehna chaahta hu to wo mujhse bahut dur hai.....Kaisi ajeeb haalat ho gaya hai mera....Uske pass jaa bhi nahi sakta....Abb 4 din pata nahi kaise katega....
Pata nahi kaise pata lagaunga ki kya mai usko sach me pyaar karta hu aur ye bhi ki wo mujhser pyaar karti hai ya nahi....Mai itna kyu soch raha hu....Aur kya proofs chahiye mujhe ki ye saabit karu ki mai usse pyaar karta hu yaa nahi.....Obviously pyaar karta hu mai usse....Hamesha uske hi baare me sochta rehta hu....Uske saath time spend karna chahta hu, baate karna chahta hu...Uski fikar karta hu....Wo abb jab mujhse dur hai to thoda ghabraahat ho raha hai.....Uske bina kahi mann nahi lagta....Abb to sapno me bhi wahi aane lagi hai.....Ye pyaar nahi to aur kya hai....Jab usse pyaar nahi tha to ye sab kaha hua tha....Abb jab pyaar karta hu tabhi to ho raha hai ye sab mere saath....
Aur aakhir usse pyaar bhi kyu na karu....Aakhir kya kami hai usme.....Bahut hi acchi ladki hai.....Sabhi ke saath accha behave karti hai....Padhne likhne me bhi bahut acchi hai.....Dikhne me bhi sundar hai....Har kaam karna jaanti hai.....Bahut hi brave ladki hai....Bacchpann se lekar abhi tak apni saari jimmedaari khud hi uthaaya hai....Kisi cheej se nahi darti.....Baaki ladkiyan to cockroach se bhi dar jaati hai....(Ye sochte hue Rahul mushkuraata hai)....To kyu na karu mai usse pyaar.....Har ek accha goon maujood hai usme...Aur wo mujhse acche se baat bhi karti hai....Kabhi kabhi to lagta hai ki wo mujhse pyaar karti hai....Pata nahi ye sach hai ya nahi lekin abb to mujhe pata chal gaya hai ki mai usse pyaar karta hu....Abb jaldi se uski dil ka haal jaankar usko propose kar dunga.....Kahi der na ho jaaye aur koi dusra mujhse aage baaji maar le....Nahi aisa nahi hoga....Wo sirf meri hai aur meri hi rahegi....
Issi tarah se raat ki 10:00 pm baj jaata hai.....Rahul ko abhi tak nahi laut ta dekh Nisha ki ghabraahat aur bhi badh jaata hai.....Usko Rahul ki fikar aur thoda gussa bhi aa raha tha....Wo sochne lagti hai....
Nisha:- (In her mind) Abhi tak nahi lauta....Itni raat ho gaya hai pata nahi kaha reh gaya....Pehli baar aisa ho raha hai ki wo raat me itni der tak baahar hai....Pata nahi aaj lautega bhi ya nahi....Aakhir kya vajah ho sakta hai ki wo abhi tak nahi aaya....Kahi usse kuch ho to nahi gaya....Nahi nahi. ye mai soch bhi kaise sakti hu....Usse kuch nahi hoga.....Wo jald hi aa jaayega....Jab wo aayega to accha majaa chakhaaungi usse....Bahut pareshaan kiya hai usne mujhe intejaar karwaake.....Chun chun ke badla lungi....Abi mai pyaar karti hu to mujhe pareshaan kar raha hai na....Jab ye bhi mujhse pyaar karne lagega to isko acche se bataaungi ki pareshaani aur tadap kisse kehte hai....
Rahul ki na lautne se Nisha ki ghabrahat bahut badh gayi thi fir bhi wo Rahul ko sabak sikhaane ke baare me soch rahi thi....
Udhar Rahul Nisha ki soch me iss tarah kho gaya tha ki usko pata hi nahi chala ki uske room me Aditya kab aa gaya....Aditya ko Rahul ki iss tarah khoo jaane waali harkat thoda ajeeb lagta hai aur wo Rahul se puch leta hai....
Aditya:- Kya hua Rahul....Kaha kho gaya tu???
Rahul:- Ek ladki ki pyaar me kho gaya hu yaar....
Rahul ne bina kuch soche samjhe keh to dia....Lekin kehne ke baad hi usko pata chala ki usne kya kaha aur kisko keh diya....Usse abb samajh me nahi aa raha tha ki kaise baat ko taale...
Aditya:- Kya ....Kya kaha tune???Tu kisi se pyaar karta hai....Lekin kis se?
Aditya ko bhi Rahul ki pyaar waali baat sun kar thoda ajeeb lagta hai.....Usko vishwaas hi nahi ho raha tha ki Rahul kisi ko pyaar karta hai....Usne bhi Rahul ko hairaane me pucch hi diya...
Rahul uske baat ka koi jawaab nahi deta....Wo iss baat ko taalne ki soch raha tha lekin kya kahe usko samajh me nahi aa raha tha....Galti se uske moonh se wo baat nikal gayi thi jo abhi nahi nikalna chahiye tha.
Aditya:- Koi personal baat hai kya????Agar tu nahi bataana chahta hai to mat bata.....Mai force nahi karunga....Sorry agar tujhe mera baat ka buraa laga ho to....
Aditya Rahul ki pyaar waali baat sunkar bahut hi jyada hairaan ho gaya tha....Usse shak ho raha tha ki kahi Rahul Nisha se to pyaar nahi karta....Agar aisa hota to uske liye apna plan pura karna aur bhi mushkil ho jaata....Ek to itne din se Nisha ka kidnapping nahi kar paa raha tha aur upar se agar Rahul uske saath ho jaata to usko apna plan pura karne me aur bhi mushkil badh sakta tha....Iss liye wo Rahul se pucch kar confirm hona chahta tha ki wo kisse pyaar karta hai....Lekin usko ye bhi pata tha ki agar Rahul usko nahi batayega to wo Rahul se kisi bhi tarah se wo baat nahi jaan paata aur upar se Rahul ka gussa ka usse acche se andaaza tha.....
Rahul:- Sorry yaar....Tu to buraa maan gaya.....Tujh se kya chupaana....Chal bata deta hu......Ha mai sachh me ek ladki se pyaar karta hu....
Rahul ne ye baat Aditya se to keh diya lekin wo kuch sochte hue andar hi andar muskuraane laga.....
Rahul:- (In his mind) Kameene tujh se chupaane se accha hai ki tujhe bata hi deta hu.....Aur mai ye bhi jaanta hu ki tera aur Nisha ke bich koi na koi locha to jarur hai....Mai yakin ke saath keh sakta hu ki Nisha ki koi galti nahi ho sakti.....Jarur tune hi kuch galat kiya hai......Aur abb tu Nisha ke khilaaf koi na koi chaal to jarur chal raha hai.....Mai Nisha se pyaar karta hu aur uski hifaazat karna abb meri zimmedaari hai.....Bas ek baar ye raaz pata chal jaaye ki tune kya kiya hai uske baad tujhe acche se sabak sikhaaunga.....
Aditya:- Sach....Lekin kab aur kaise....Aur kisse? ....Maine to aaj tak tujhe kisi bhi ladki ke saath nahi dekha....Tu to college me bhi ladki kisi ke saath baat nahi karta to fir tujhe pyaar kaise ho gaya aur ho gaya to mujhe ye baat abhi tak bataya kyu nahi???
Aditya ke dimaag me abhi bahut saare sawaal chal rahe the ....Lekin Rahul se saari baat jaane ke liye wo khus hone ki naatak karne ki koshish kar raha tha jisse Rahul ko ye lagi ki wo uske saath hai aur saari baat batade.....Lekin tension ki vajah se acche se kar nahi paa raha tha.....Rahul uski haalat dekh kar andar se muskuraa raha tha....
Rahul:- Bas kuch din pehle hi mujhe ye baat pata chala ki mai kisi se pyaar karne laga hu.....Fir kaise batata kisi ko.....Aur tu jaana chahta hai na mai kisse pyaar karta hu....
Aditya:- Ha....Jaldi bataa na ..... Itna suspence kyu rakh raha hai.....Mai to kab se jaana chahta hu ki tu kisse pyaar karta hai....
Aditya ne bahut hadbada kar ye baat kaha.....Uski kehne ki tarike se uski tadap ka andaaza lag raha tha...Rahul uski haalat dekh muskuraata hai aur kehta hai....
Rahul:- Tu usse jaanta hai...
Aditya Rahul ki iss baat se chhid jaata hai aur thoda gusse me kehta hai.....
Aditya:- Tu ye kya har baat ke picche suspence de raha hai....Jaldi se naam bataa na yaar....Kyu pareshaan kar raha hai....Mai to bahut ladkiyon ko jaanta hu.....To iska matlab ye to nahi ki tu har ladkiyon se pyaar karta hai....Please yaar bata de na tu kisse pyaar karta hai.....
Aditya khud par control nahi kar paa raha tha.....Rahul uski haalat ka majaa le raha tha.....
Rahul:- Tu jaankar kya karega ki mai kisse pyaar karta hu....Mai nahi bataunga....Kisi ki private life me dakhal andaazi nahi karte...
Rahul itna keh kar hansne lagta hai.....Aditya ko to abb bahut gussa aa raha tha....Lekin wo show mahi kar raha tha....Usse kissi bhi haal me Rahul se wo baat pata karna tha ki Rahul kisse pyaar karta hai....
Aditya:- Tabhi to tune kaha tha ki tu batayega.....Accha koi baat nahi mat bata....Mai jaa raha hu....
Aditya ne jaane ka naatak karne laga....Usko thoda sa ummid bhi thaa ki uska aisa karne se Rahul usko bata dega ...... Rahul bhi jaanta tha ki wo naatak kar raha hai.....Lekin fir bhi usne Aditya ko bulaa kar kaha.....
Rahul:- Ye kya tu har baato me buraa maan jaata hai.....Mai tujhse majaak kar raha tha.....Chal bataa deta hu....Mai Nisha se pyaar karta hu....Tu to jaanta hi hai usse....
Rahul ye kehne ke baad Aditya ki chehre ki expression ko notice karne laga.....Aditya jo nahi sunna chaahta tha wahi sunn liya.....Uske samajh me kuch nahi aa raha thaa ki abb kya kare aur kya bole....
Aditya:- Nisha se...Lekin kyu???
Rahul:- (In his mind) Jaanta tha kameene....Meri baat sunne ke baad tujhe shock jarur lagega....Aur lag bhi gaya....Bas abb mujhe teri kartut aur tera iraada jaana hai.....Aaj se mera "Mission Aditya" suru ho chuka hai.....Mujhe nahi lagta teri kartut jaane ke liye mujhe koi mushkil hogi.....Jis tarah se tu react kar raha hai usse lagta hai ki tu khud hi ek din galti se apne moonh se bata dega...
Rahul to ye sab apne dimaag me soch raha tha lekin jald hi usne Aditya ki sawaal ka jawab bhi de diya...
Rahul:- Kya matlab Nisha se kyu???Aakhir kyu nahi kar sakta mai usse pyaar....Aur tujhe iss se kya problem hai????
Rahul ne thoda gussa dikhaate hue kaha....
Aditya:- Kyu ki wo acchi ladki nahi hai....
Aditya ka iss jawaab ne Rahul ko abb aur gussa dilaaya....
Rahul:- Tujhe kaise pata chala ki wo acchi ladki nahi hai....Maine ek din tujhse poonchaa tha ki tu usse jaanta hai to tune kaha ki tu usse nahi jaanta....Fir tujhe kaise pata chala ki wo acchi hai ya nahi.....Tujhse jyaada mai usse jaanta hu....Mujhe tujhse behtar pata hai uske baare me....Mujhe wo acchi lagti hai iss liye usse pyaar karta hu....Aur karta rahunga.....
Rahul ka gussa dekh ek baar to Aditya dar gaya.....Usse samajh me nahi aa raha tha ki abb kya jawaab de....Fir bhi usne baat badalne ki koshish kiya....
Aditya:- Rahul....Itna gussa kyu ho raha hai....Mera wo matlab nahi tha....
Aditya aur bhi kuch kehna chahta tha lekin Rahul usko bich me rokte hue kehta hai....
Rahul:- To kya matlab tha tera....Aur ye bata ki mujhe gussa kyu nahi aayega.....Tu Nisha ke baare me bakwaas karega aur mai chup chaap sunta rahunga......Aur tu baat ko badalne ki koshish mat kar aur bata ki tujhe aisa kyu lag raha hai ki Nisha acchi ladki nahi hai....
Rahul to pehle se hi gussa tha Aditya se lekin abb jab usne Nisha ke baare me kaha to Rahul ki gussa bahut badh gaya tha.....Abb wo Aditya se ladne ki pura mood bana chuka tha.....Rahul ki aise bolne se Aditya ko bhi bahut gussa aa raha tha....Lekin wo abhi baat ko nahi bigaadna chahta tha aur dusro ki ghar me koi tamasha nahi karna chahta tha....
Aditya:- Sorry yaar....Mujhe pata nahi thaa ki tujhe meri baat ka itna bura lagega.....Yaad hai tujhe ek baar tujhe Nisha ne sabke saamne thappad maara tha.....Aur tujhe bahut baar binaa matlab pareshaan bhi kiya tha......Iss liye mujhe laga ki wo acchi ladki nahi hai....
Aditya ne apne gussa ko dabaate hue maafi maang kar Rahul se ye baat kaha....
Rahul:- Tere pass dimaag hai ki nahi.....Mai pehle bhi keh chuka hu ki Nisha ne uss baat ke liye mujh se maafi maang liya hai aur maine usse maaf bhi kar diya.....To tu wahi baat fir se kyu keh raha hai...
Rahul ka gussa kam hone ka naam nahi le raha tha....Abb Aditya ko samajh me nahi aa raha tha ki kya kehna chahiye.....Kuch na samajh me aata dekh wo bas itna hi bola....
Aditya:- Wo baat dimaag se nikal gaya tha...Sorry yaar.....Mera tujhe hurt karne ka iraada to nahi tha...Abb bhul bhi jaa yaar iss baat ko....Dosti me kabhi kabhi aisi baat ho jaati hai...Iss baat ko dil se mat lagaana yaar...Galti se keh diya....
Rahul:- Ek baat jaan le.....Tera aur mera dosti chahe jaisa bhi ho doshti me pyaar ki apmaan ki baat nahi chlega....Aage se khayaal rakhna ki Nisha ke baare me mai kuch nahi sununga....Abb tu yaha se jaa...Abhi bahut gussa aa raha hai....Pata nahi gusse me kya kar baithunga....
Aditya ko to mauka mil gaya waha se nikalne ka......Gate se baahar nikalte hi uske chehre me bhi gussa aa gaya aur wo bhi teji se apne room me chala gaya aur sone laga.....Lekin Rahul ne uska jo beizzati kiya tha usko wo bhulaa nahi paa raha tha....Wo Rahul se hui baat ko yaad karke gusse ke aag me jal raha tha....
Idhar Rahul ka gussa bhi shaant nahi hua tha....Usko bardaasht nahi hua ki Aditya ne Nisha ke baare me galat bola....Kuch dera aise hi baithne ke baad wo bed par jaakar lait gaya....Laitne ke kuch der baad fir se usko Nisha ki yaad aane lagi.....Nisha ki yaad aate hi uska gussa kuch der baad gaayab ho gaya aur Nisha ki yaadon me kho gaya.....
Raat ka 11:00pm baj raha tha.....Itni raat me bhi abhi tak 3 log nahi so paaye the....Aur wo the Rahul, Nisha aur Aditya...
Rahul Nisha ki yaadon me kho gaya tha aur jaldi se uske pass waapas jaana chah raha tha....
Nisha bhi Rahul ke achaanak se gaayab ho jaane ki vajah se chintit thi aur uska intejaar kar rahi thi....Usko Rahul ki bahut fikar ho rahi thi....
Aditya ko bhi shock aur gusse ke kaaran neend nahi aa raha tha....Usko aaj ek bahut bada shock laga tha ki Rahul Nisha se pyaar karta hai aur abb uski mushkilein badh gayi hai.....Usko Rahul se apna beizzati ka gussa bhi aa raha tha.....Iss vajah se wo abhi tak soo bhi nahi paaya tha....Uske chehre me badla ki feelings bhi aa raha tha....Usne aaj ek faislaa kar liya ki wo abb sirf Nisha ko hi nahi Rahul ko bhi sabak sikhaayega.
Agli subah Rahul thakan ki vajah se thoda late uthaa....Ghadi me dekha to 6:30 am baj raha tha.....Wo pehle fresh ho kar room me apna mobile dhoondne laga....Usne soch Nisha se contact nahi ho paaya lekin Raj ko bata dena chahiye ki wo abhi apna dost ke ghar me hai....Wo jab mobile se Raj ko call karne laga to dekha ki mobile me network to hai hi nahi....Kuch der wait karne par bhi jab network nahi aaya to wo thoda gussa ho kar Arjun ke pass chala gaya....
Nisha bhi Rahul ki chinta ki vajah se late soyi thi.....Wo abhi abhi utthi thi aur fresh hone se pehle Rahul ki flat me chali gayi iss aash me ki Rahul raat ko der se aaya ho.....Lekin abhi bhi Rahul ka room locked hi tha....Iska matlab Rahul abhi tak nahi aaya tha....Ye dekh kar Nisha ki aankho se thoda aansu bhi aa gaya....Abb uski fikar badhti hi jaa rahi thi.....Rahul kaha hai???Kis haal me hai???Kab waapas aayega???Mujhe bata kar kyu nahi gaya???Ye sab sawaal uske dimaag me baar baar aa raha tha aur uska jawaab uske pass nahi tha.....Wo kuch bhi nahi kar paa rahi thi.....Chah kar bhi Rahul ko dhund nahi sakti thi.....Uske pass Rahul ka naa hi koi information tha aur naa hi uske baare me jyaada kuch pata tha jaise ki Rahul kaha jaa sakta hai.....Apne aap ko bebas mehsoos karte huye wo apne room me jaakar bed par lait kar rone lagi.....
Udhar Aditya jab se soo kar uthaa tha wo bed par baith kar kal Rahul se hua baat soch kar gussa ho raha tha.....Gusse me usse ye bhi pata nahi chala ki kab Raju uske pass aakar baith gaya....
Raju:- Kya hua yaar....Bahut gusse me lag raha hai....
Raju ki baat sun kar Aditya Raju ki taraf mudta hai aur usko kehta hai....
Aditya:- (Gusse me) Gussa nahi karu to kya apni beizzati ka jashn manaau????
Raju:- Ye kya keh raha hai tu....Teri beizzati....Kisne kiya jaldi bol.....Usko to mai dekh lunga....
Aditya:- Chup....(Raju ki baat se Aditya ko gussa aa gaya aur usse chup karate hue bola)....Tu bas badi badi baat hi kar sakta hai....Lekin kar kuch nahi sakta.....Chal tujhe bata hi deta hu.....Rahul ne meri beizzati kiya abb bol kya kar sakta hai tu.....Jab bhi tu Rahul ke khilaaf bolta hai to wo ulta tujhe hi maar kar chup kara deta hai....Iss liye tujhe bahut baar samjha chuka hu ki pehle baat ko samajh aur fir kuch react kar.....Lekin tu kabhi nahi samajhta hamesha josh me hosh kho deta hai....
Raju:- Rahul ne tera beizzati kiya....Aur tu ne ye sab hone diya....Tune kuch kiya kyu nahi????Kya kiya usne sab kuch bol jaldi se???
Raju bhi Rahul ka naam sun kar gussa ho gaya.....Wo abb Aditya aur Rahul ke bich hua saari baat jaana chahta tha....
Aditya:- Situation hi aisa ho gaya tha ki kuch bol nahi paaya aur sab kuch sunaa pada....
Raju:- Khul ke bol na yaar.....Aur tu kab se majboor hone laga situation ke saamne....
Aditya:- Kal pata chala ki Rahul Nisha se pyaar karta hai....Saari baat usse pata karna tha aur usko ham par shak na ho jaaye iss liye apni gusse ko dabate hue uski har ek baat sunna pada....
Raju:- Lekin iss me teri beizzati waali kaunsi baat ho gayi????
Aditya ki baat se Raju ko samajh me nahi aa raha tha ki Aditya kaunsa beizzati ki baat kar raha hai....
Aditya:- Baat karte vakt galti se mere moonh se nikal gaya ki Nisha acchi ladki nahi hai aur usse pyaar mat kar....Aur uske baad Rahul ne mujhe itna sunaaya ki man to kar raha tha usko wahi maar du lekin socha jaldbaazi me koi faislaa lena nahi chahiye....Abb aaram se soch kar dono Rahul aur Nisha ko maar dunga.....
Raju:- Pehle to socha tha ki Rahul ko ham apna mohra banaayenge.....Aur hamne usse Nisha ke khilaaf bahut bhadkaaya bhi tha lekin ye hamaara koi kaam nahi aaya......Hamaara koi bhi baat nahi sunaa isne aur upar se mera hi beizzati karta tha ....Abb to tera bhi kar diya.....Bahut udd raha hai abhi ....Iske pankh ko jald hi kaatna hoga....Inn dono ko sabak sikhaana hoga ki inn hone kis se panga liya hai....
Aditya:- Mai bhi yahi soch raha hu....Jald se jald inn dono ka kaam tamaam karna hoga....Lekin kabhi mauka milta hi nahi.....Wo Nisha pata nahi kaise baar baar bach jaati hai....Abb to Rahul ka saath bhi uske saath hai.....Abb to kaam bahut mushkil ho gaya.....Abb hame saawdhaani se ye kaam karna hoga....Rahul ko hamaara maksad ke baare me pata nahi chalna chahiye....Warna sab khel bigad jaayega.....Bas hame ek accha plan banana hai aur jaldbaazi bilkul bhi nahi karna hai....
Raju:- Ha thik hai.....Lekin abhi iss baat ko yahi par chhod de....Kahi kisi ne sunn liya to musibat me pad jaayenge......Abhi to ham 3 days tak enjoy karne aaye hai ....Abhi ye sab baatein soch kar mood off nahi karna chahiye.....Baad me sochenge inka kya karna hai....
Raju ki baat Aditya ko bhi thik laga....Wo bhi abb chup ho gaya aur apne room se baahar hall ki taraf nikal gaya....Rahul bhi Arjun ko dhundhte hue hall me aa gaya....Hall me abb sabhi dost maujood the....Koi kuch kehta usse pehle hi Rahul ne Arjun se baat karna shuru kar diya....
Rahul:- Arjun....Tune hame pehle bataya kyu nahi tere gaanw me network aata hi nahi....
Rahul ki baat sunne ke baad sabhi apna apna mobile on karke network dekhte hai....Tab unhe pata chalta hai ki sach me Arjun ki aaw me tower hai hi nahi....Abb sabhi Arjun ko gusse se ghoorne lagte hai....
Arjun:- Kal bahut jaldbaazi me aane ka decision hua....Issliye kehna bhul gaya.....
Rahul:- Tu itna irresponsible kaise ho sakta hai.....Ye tujhe koi chhoti baat lag raha hai jo bhul gaya aur kuch fark nahi padega.....Pehle hi bata diya hota to sabko inform karke aata.....Pata hai tujhe maine kisi ko bataya nahi hai ki abhi mai tere gaaw me hu....Socha tha yaha aakar call kar dunga lekin yaha aaya to pata chala ki yaha to network hi nahi hai....Abb kaise phone karunga ghar me....
Rahul ko to bahut gussa aa raha tha Arjun par....Lekin usne apna gussa ko dabaate hue kaha....Wo dusro ki ghar me koi hangama nahi karna chahta tha....
Risabh:- Shaant ho jaa yaar....Bechaare ko maar daalega kya....Hamesha yaha bas 3 din hi to rehna hai....Abb 3 din tak masti kar ke bita lenge ....Uske baad to koi tension hi nahi.....
Risabh ne Rahul ko samjhaate hue kaha....Lekin Rahul ka gussa kam hi nahi ho raha tha....
Rahul:- Agar Mom ya Dad ka call aa gaya to kya karenge....Aur 3 din tak phone nahi thaaunga to soch bhi nahi sakta ghar me kya haalat ho jaayega.....Sab pareshaan ho jaayenge aurdhundhte hue flat tak aa jaayenge....Pata nahi kya haal ho jaayega unka....Aur baad me unki sawaalon ka kya jawaab dunga....Kahi baahar nikalne bhi nahi denge.....Bina koi galti kiye saza mil jaayegi.....Aur tum logo ko ye baat bahut chhoti lag rahi hai....Masti kar ke bhula denge .
Arjun:- Sorry yaar....Sach me bhul gaya tha....Ek idea hai.....Mai shaam ko pass hi ke ek town jaa raha hu....Waha network aata hai.....Wai se baat kar lena....
Aditya:- Ye sab karne ki kya jarurat hai.....Rahul tu bol dena ki tera mobile me kuch problem aa gaya tha issliye repair karwaane ko diya tha....Iss vajah se phone nahi kar paaya....Simple....
Rahul ka gussa Arjun ki baaton se kam ho gaya tha lekin Aditya ki baaton se fir badh gaya....
Rahul:- To tu keh raha hai ki mai Mom aur Dad se jhuth bolu....WO bhi tujh jaisa kameena ke liye....Kal raat se hi tu mujhe gussa dilaa raha hai aur agar abb kuch bola na to tera wo haal karunga ki mujh se baat karne se bhi ek baar fir se sochega....
Rahul ne abb tak jo gussa ko dabaya tha abb wo gussa Aditya ke upar barsa diya....Sabhi log shocked ho gaye Rahul ka aisa gussa dekh kar....Aaj tak kisi ne bhi Rahul ko itna tej bolta hua nahi suna tha....Aditya bhi Rahul ka iss roop ko dekh kar dar gaya usko samajh me hi nahi aa raha tha ki abb kya bolna chahiye....Wo chup hi raha.....Baat kahi jyaada na bigad jaaye iss baat ko sochte hue Risabh bola...
Risabh:- Shaant ho jaa Rahul.....Itna gussa kyu ho raha hai.....Dosti me aisi baat to hota rehta hai....Har chhoti chhoti baaton me gussa nahi hona chahiye.....Aur Aditya tu bhi kyu isko aisa ulta suggestion de raha hai jab tujhe pata hai ki Rahul gusse me kisi ka nahi sunta....
Risabh ki baat sunne ke baad Rahul shaant ho gaya lekin uska gussa shaant nahi hua thaa.....Wo abb koi tamasha nahi karna chahta tha issliye chup ho gaya....
Kuch der baad Arjun bola....
Arjun:- Chalo abb mai tum sabhi ko apna gaaw dikhaata hu.....Kab tak aise khaamosh rahenge .... Ghumne aaye hai to ghumne chalte hai....
Rahul ka to jaane ka mood nahi tha.....Lekin fir sabhi ke sawaalo ka jawaab dene se usko abhi chalne me hi bhalaayi najar aaya....
Issi tarah se Arjun ne shaam tak sabhi ko apne gaaw ka pura darshan kara diya....Sabhi log enjoy kar rahe the....Rahul ka gussa bhi bahut jald shaant ho gaya aur wo bhi enjoy kar raha tha.....Lekin wo baaki log jitna enjoy nahi kar paa raha tha.....Usko Mom aur Dad ki tension bhi sata raha tha to Nisha ki yaad bhi aa raha tha....Wo doston ke saath ghum raha tha lekin usko baar baar apna aur Nisha ka nadi me ghumne jaane waala scene yaad aa raha tha.....Iss pure trip me wo Nisha ko hi yaad kar raha tha aur usko Nisha ki kami mehsoos ho raha tha.....Lekin doston ko kahi shock na ho jaaye iss baat ki dar se wo unn logon ki baat me ha mila raha tha.....Issi tarah se sabhi dost shaam hone tak gaaw me ghumte hai aur shaam me ghar waapas laut jaate hai.....Ghar pahunchne ke baad sabhi dost rest karte hai lekin Rahul Arjun ke saath chala jaata hai town ki taraf apne parents ko phone karne.....
Udhar Nisha ka haal aur bhi buraa ho gaya tha....Rahul ko abhi tak na laut ta dekh wo aur bhi pareshaan ho gayi thi.....Baar baar uski aankhon se aansu beh rahe the aur uska dil ghabra raha tha ki Rahul kaha chala gaya.....Kabhi kabhi to wo ye bhi soch rahi thi ki kahi Rahul ne ye flat to nahi chhod diya....Lekin itna kam time me ye sab possible nahi tha....Wo jaana chahti thi ki Rahul abhi tak kyu nahi aaya aur kis haal me hai....Kahi Rahul ke saath kuch buraa to nahi hua hai ye soch uske dil me aate hi uska dil kaampne lagta tha.....Rahul ko dhundne ka koi tarika bhi uske pass nahi tha.....Wo aise hi baithi ro rahi thi ki uske dimaag me ek baat aaya aur usne mobile uthaa kar Riya ko call laga diya....Udhar se Riya bhi phone uthaa leti hai...
Nisha:- Riya....Rahul kaha chala gaya yaar.....Pata hi nahi chal raha.....Kal dopahar se gaayab hai....
Itna keh kar Nisha jor se rone lagi....Riya bhi uski haalat samajh kar dukhi ho gayi aur usne kaha....
Riya:- Tu chinta mat kar.....Kaam se kahi baahar gaya hoga....Jald hi aa jaayega....Tune usse phone kiya kya??
Riya ne usko samjhaate hue kaha
Nisha:- Nahi uska number mere pass nahi hai.....Mere pass to uska koi information bhi nahi hai jisse mai usko dhund saku....
Riya:- Ye kya keh rahi hai....Tu usse pyaar karti hai aur uska number bhi tere pass nahi hai.....Abb kaise dhundhegi usse...
Riya ko Nisha ki baat se hairaani ho raha tha ki uske pass Rahul ka number nahi hai.....
Nisha:- Tu mera help kar sakti hai...Iss liye tujhe phone kiya....Please Rahul kaha hai pata lagaane me mera help karde....
Riya:- Mai kaise help kar sakti hu tera.....Jab tujhe Rahul ke baare me kuch nahi pata to mujhe kaise pata hoga....
Riya Nisha ki iss baat se aur shocked ho gayi....
Riya:- Raj bhaiya tera hi college me padhte hai....Please unse baat karna.....Wo phone karke pata laga lenge....Please yaar ....Unnse ek baar iss baare me baat karle....
Nisha ne Riya se request kiya....Usko bas yahi ek raasta najar aaya....
Riya:- Kya mai Raj se baat karu.....Chance hi nahi hai....Mai usse kabhi baat nahi karungi....Aur koi idea hai to bol mai kar dungi....Lekin Raj se baat nahi karungi.....
Nisha:- Bas tujh me hi maine last hope dekha tha.....Abb tu bhi help nahi karna chahti....Koi baat nahi....Mai phone rakhti hu....
Itna keh kar Nisha rone lagi.....Uski rone ki aawaj Riya nae bhi sunn liya.....Nisha abb phone kaatne hi waali thi ki Riya ki aawaj aa gayi....
Riya:- Please yaar aise mat roo tu....Chal tere khaatir ek baar Raj se baat kar leti hu.....
Nisha:- Thanks a lot ...
Nisha ko Riya ki uss baat ne dukh me bhi thoda khushi de diya.
Nisha subah apne vakt pe hi utth gayi....Uska haal to pehle jaisa hi buraa tha.....Ro ro kar chehra murjha gaya tha....Usse kuch karne me man nahi lag raha tha....Bas Rahul ka intejaar kar rahi thi....Pehle to Rahul par usko bahut hi gussa aaya ki bina bataye kaha chala gaya.....Jab Rahul dusre din bhi nahi lauta to gusse ki jagah fikar ne le liya tha....Bahut fikar ho rahi thi usse ki Rahul kis haal me hai....Bhagwan se bhi bahut baar request kar liya tha ki Rahul ko jaldi se waapas bhej de....Iss judaai se usko ek baat to pata chal hi gaya tha ki wo Rahul se bahut pyaar karti hai....Har ek pal uski dil me ghabraahat badhta hi jaa raha tha....Abb usko bas Riya se hi umeede thi....Lekin kahi na kahi dar bhi lag raha tha ki Raj kahi Riya ko Rahul ke baare me bataane se inkaar na kar de.....Abb usne iss faisle ko vakt ke haatho me de diya tha....
Medical College
Nisha ka dukh dekh kar Riya ko bhi bahut dukh ho raha tha.....Wo bhi Nisha ki iss haalat ko jaane ke baad thik se nahi so paayi thi...Wo bhi bechain ho gayi thi Rahul ke baare me jaane ke liye....Usse abhi iss baat se koi matlab nahi tha ki Raj usse kya kahega aur uske saath kaise bartaaw karega....Usse abhi apni dushmani se jyaada apni dost ki fikar thi.....Jaise taise usne lunch time tak intejaar kar liya....Lunch hote hi Raj ki talaash me wo jaldi se canteen pahunch gayi.....Aur Raj ko dhundne lagi....Raj apne dosto ke saath hassi majaak karte hue lunch kar raha tha.....Riya ki himmat nahi hui Rak ke sabhi dosto ke saame Raj se baat kare.....Wo fir se Raj ka lunch khatam hone ka wait karne lagi.....Abb iss baar uska bhaagya accha tha Raj lunch ke baad akela hi Park ki taraf chala gaya....Wo bhi Raj ke picche picche chali gayi.....Jab Raj ek bench par baitha tab usne picche uske pass jaa ke kaha....
Riya:- Raj.
Raj ne jaise hi iss aawaj ko suna wo ek dam se Riya ki taraf dekhne laga....Uska chehra me jaldi se gussa ke bhaaw aane laga....Usne koi jawaab nahi diya....Raj ko jawaab na deta dekh Riya ne fir se kaha....
Riya:- Raj mujhe tumse kuch baat karni hai....
Riya ne Raj se request kiya....Raj ko vishwaas hi nahi ho raha tha ki jo ladki usko hamesha gussa dilaati hai aaj wo kaise uske saath itna accha se baat kar rahi hai....
Raj:- Lekin mujhe tum se koi baat nahi karni....
Raj ne itna keh kar apna chehra Riya se hata liya....
Riya:- Mai tumhe pareshaan karne nahi aayi hu....Please ek baar meri baat to sun lo....Ek bahut jaruri baat karni hai.....
Riya ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna serious baat karne waali hai....Lekin isse Raj ko koi farak nahi pada....
Raj:- Ek baar keh diya na tumhe ki mai tumse koi baat nahi karna chahta.....Kyu baar baar mujhe pareshaan karti rehti ho.....Itna din tak mai khush tha ki tumse koi panga nahi ho raha lekin aaj fir tumne shuru kar diya....Abb jaao yaha se....Abhi mera mood bahut accha hai aur mai isse kharab nahi karna chahta...
Raj ne gusse me jawaab diya....Lekin Riya ko koi fark nahi pada....Wo to yaha par Nisha ke liye aayi thi.....Iss liye abb apna kaam pura karke hi jaane waali thi....
Riya:- Tumhe mujhe jo bhi kehna hai keh lo......Mai kuch nahi kahungi.....Chaaho to aur bhadaas nikaal lo.....Par please meri baat sunlo....
Riya ko aaj Raj ki kadwi baato se koi fark nahi pad raha tha....Wo aaj Nisha ke liye khud ki har beizzati ko seh rahi thi....
Raj:- Tum aise nahi maaanogi.....Chalo jaldi se bataao kya baat karna chahti ho aur piccha chhodo mera....
Raj ne socha ki Riya se bahas karne se accha hai usse piccha chhuda lena....
Riya:- Thanks Raj.....Mujhe pata tha ki tum meri baat jarur sunoge....
Raj:- Abb bakwass band karo aur jaldi se apni baat bataao....
Raj iss baar bhi gussa aur attitude ke saath baat kar raha tha.....Riya ko uska iss tarah se bolna bilkul bhi pasand nahi aaya....Lekin usne mind nahi kiya aur bolna shuru kar diya....
Riya:- Mujhe tumse Rahul ke baare me baat karna hai....
Rahul ka naam sun kar Raj ko hairaani hua.....Wo soch raha tha ki Riya Rahul se related kya baat karna chahti hai....Usne Riya ko bicch me rokte hue poocha....
Raj:- Rahul ke baare me....Kya baat karna chahti ho....Jaldi se bolo....
Raj ne hadbada kar poocha....
Riya:- Mai wahi to bata rahi hu....Aur tum itna hadbada kyu rahe ho.....Nisha ne kal raat mujhe phone kiya tha aur usne kaha ki Rahul do din se apne flat me nahi hai.....Kaha gaya hai wo bhi nahi bataya...Nisha bahut pareshaan hai....Kya tumhe pata hai Rahul kaha hai????
Raj ko Riya ki baat se jhatka laga....Usko bhi pata nahi tha ki Rahul iss vakt kaha hai.....Usko Rahul se ye ummid nahi tha ki wo kisi ko bina bataaye aisi kaam kar sakta hai....Usko thoda sa gussa bhi aaya aur thoda sa ghabraahat bhi.....Usne apna mobile nikaal kar Rahul ka number me call kiya....
Lekin phone lag hi nahi raha tha.....Abb uska ghabraahat aur badhne laga....Uska dimaag bhi abb kaam karna band ho gaya....Rahul aise kaha jaa sakta hai ye baat usko samajh hi nahi aa raha tha.....Wo abb kya karna chahiye yahi soch raha tha ki tabhi Riya ne usko poonchaa....
Riya:- Kya hua Raj....Tum itna ghabraye kyu ho....Phone nahi lag raha kya????
Riya ki aawaj me bhi abb ghabraahat tha......
Raj:_ Nahi....Nahi lag raha....Pata nahi kaha chala gaya bina bataye....Kaha jaa sakta hai ye ladka....Abb iske parents ko kya jawaab dunga....Mera to kuch samajh me nahi aa raha....
Raj ki aawaj se uska ghabraahat ka pata chal raha tha....
Riya:- Tum uske parents se hi phone karke ek baar pucch lo.....Kya pata wo apna ghar chala gaya ho???
Riya ne ek idea nikaala lekin Raj ne puri tarah se manaa kar diya....
Raj:- Ha ho sakta hai....Lekin agar na hua to aur mushkil badh jaayega....Abhi mai bahut pareshaan hu aur upar se unke sawalon ka jawaab nahi de paaunga....Ek do din tak intejaar karenge aur fir bhi nahi lauta to phone kar dunga uske ghar....
Raj ne itna hi kaha tha ki lunch break ka time khatam ho gaya.....Dono dukhi ho kar apne apne class ki taraf chale gaye....
Raj ko Rahul ki aisi harkat par vishwaas hi nahi ho raha tha....Wo soch raha tha ki Rahul aisa kaise kar sakta hai...Bina usko kuch bataye kaha jaa sakta hai.....Aur kaha gaya hoga.....Abb uske ghar me kya jawaab dega....Yahi sab soch kar wo pareshaan hua jaa raha tha.....
Udhar Riya bhi pareshaan ho gayi thi Rahul ka iss tarah se gaayab ho jaane se.....Usko laga tha ki Raj se poochne ke baad Rahul ka pata mil jaayega lekin iss baat ne to aur bhi pareshaani badha diya....Usko bhi samajh me nahi aa raha tha ki abb Nisha ko kya jawaab de.
Rahul ki bina bataaye gaaw chale jaane ki vajah se Nisha, Raj aur Riya sabhi pareshaan ho gaye the....Udhar Rahul ka haal bhi thik nahi tha.....Usko bas ek baat ki chhain thaa ki usne apne parents ko bataa diya hai ki wo abhi gaaw me hai aur uske liye koi fikar karne ki jarurat nahi hai.....Lekin wo Raj ko bataana bhul gaya .....Iss baat se usko thoda sa afsos to hua lekin usne Arjun se dobaara town jaane ki baat nahi kaha....Usne socha ki waapas apne town jaakar hi Raj ko batayega.....Aur wo fir se Nisha ki yaad me aur apne aane waali life ki baare me sochte hue so gaya.....
Agle din bhi subah se lekar shaam ho gaya.....Uska man Nisha ke bina lag hi nahi raha tha.....Har pal usko Nisha hi yaad aa raha tha.....Pyaar abhi naya naya tha aur pyaar ki suruwaat me hi usko apne premika se dur hona bilkul bhi accha nahi lag raha tha.....Bas kisi tarah 2 din kaatne ka soch raha tha.....Na chahte he bhi dosto ki bakwaas baatein sun raha tha aur halka sa jawaab bhi jawaab de raha tha....Uska iss taraj ajeeb sa behave karne se uske dosto ko bhi thoda aeeb lagta hai .....Rishabh se jab raha nahi gaya to usne Rahul se pucch hi liya....
Rishabh:- Rahul Kaha khoya hai tu???Idhar ham sab baat kar rahe hai....Lekin tu to koi aur hi duniya me khoya hua hai......
Rahul bhi iss unexpected question se chaunk gaya.....Fir bhi usne ek bahaana bana liya...
Rahul:- Kuch nahi yaar....Bas ek baat soch raha hu....Ussi me kho gaya tha.....
Rishabh:- Tu sochta bahut hai .....Abb kya soch raha hai.....Wo bataane ka kasht karega.....Koi pareshaani to nahi hai naa???
Rahul Rishabh ki baat ka jawaab dene hi waala thaa ki Arjun ne bich me bol diya....
Arjun:- Tujhe ye kis angle se pareshaan dikh raha hai......Tune isko acche se notice nahi kiya.....Maine dekha hai isko kabhi kabhi kuch soch kar muskuraa raha tha.....Pata nahi kya ho gaya hai isse.....Mujhe to lagta hai ye paagal ho gaya hai yaa fir isko kisi se pyaar ho gaya hai.....
Arjun ki baat sun kar sab hairaan ho gaye.....Sabse jyaada Rahul.....Usko abb samajh me nahi aa raha tha ki iss baat ko kaise taalna chahiye.....Wo kuch soch hi raha thaa ki Aditya ne bicch me hi bol diya....
Aditya:- Ye tu kya keh raha hai Arjun.....Pyaar aur wo bhi Rahul ko.....Mujhe to lagta hai tu paagal ho gaya hi jo Rahul ke baare me aisa soch raha hai.....Rahul kisi se pyaar kar sakta hai kya???
Aditya ne jawaab to Arjun ko diya lekin uski nigaah Rahul ki taraf tha aur uski honttho me ek muskaan.....Usne bhi socha yahi accha mauka hai Rahul ki haalat ki majaa lene ka....Jab Rahul ne Aditya ka baat sunaa....Wo thoda sa gusse me Aditya ko ghoorne laga.....Usko iss baat ka gussa aa raha thaa ki Aditya sab jaante hue bhi uske saath majaak kar raha hai....
Risabh ne dono ko dekh liya aur usne bhi dono se kaha....
Risabh:- Tum dono ek dusre ko aise kyu dekh rahe ho......Lagta hai tum dono hamse kuchh chhupa rahe ho.....Tum dono kya chhupa rahe ho wo jaldi se hame bataao...
Risabh ne dono ko hukum de kar kaha....
Aditya:- Rahul....Bol du sab kuch...
Risabh:- Tu ye kya bol du keh kar pucch raha hai....Jaldi se bol baaat kya hai....
Rahul:- Nahi Aditya tujhe kuch bolne ki jarurat nahi hai.....Mai hi sab kuch bol deta hu....
Itna keh kar Rahul chup ho gaya.....Wo khud ko prepare kar raha tha apne pyaar ke baare me bataane ke liye...
Arjun:- To jaldi bol na....Kis cheej ka wait kar raha hai....Yahi to bolna hai ki yaa tu paagal hai yaa fir tujhe pyaar ho gaya hai....Issme itna time kyu le raha hai.....
Arjun ko Rahul ki khaamoshi bardaasht nahi ho raha tha.....Wo uttawala ho gaya tha ye jaane ke liye ki kahi Rahul kisi se pyaar to nahi karta....
Rahul:- Tum logon ko kya jaldbaazi hai yaar.....Bata raha hu .....Sach kaha Arjun tune....Mai pyaar karne lag gaya hu ek ladki se.....Bas kuch din hi hua hai mujhe iss baat ka ehsas huye....Din Raat bas ushi ke baar me sochne laga hu.....Har ek pal tadap raha hu uske pass jaane ke liye.....Bas ushi ke saath rehne ka dil kar raha hai....Usse baate karne ka, saath ghumne ka.....Har pal ushi ko dekhna chahta hu....Ek pal bhi usse duri accha nahi lagta....(Ye kehte vakt Rahul Nisha ko yaad kar raha tha aur har ek baat pe uske hotho se muskaan nikal raha tha) ....Aur aise me tune mujhe apna gaaw laake sab mood bigaad diya....
Last ki line Rahul ne thoda fraustration me kaha....
Rahul ki baat sun kar Risabh aur Arjun bahut khush ho jaate hai.....Aditya aur Raju ko Rahul ki ye baat bilkul bhi pasand nahi aaya lekin sabke saamne wo log bhi jabardasti muskuraa rahe the....
Risabh:- Kya tujhe pyaar ho gaya hai.....Kab aur kisse????Uss lucky girl ka naam to bataa jisse tu pyaar karta hai???
Risabh ne bahut khushi ke saath ye baat jaldbaazi me puch liya.....Wo jaana chahta tha ki Rahul kisse pyaar karta hai...
Rahul:- Uska to pata nahi lekin agar wo mujhse pyaar karegi to mai lucky ho jaaunga....
Arjun:- Tu jyaada bakwaas mat kar....Jitna puccha hai bas utna jawaab de....Aur tune abhi kya bola.....Kya tu one sided love kar raha hai????
Rahul:- Mai Nisha se pyaar karta hu.....Abhi to nahi pata ki ye one sided hai ya two sided....Lekin bahut jald pata laga lunga....
Arjun:- Ye Nisha kaun hai....Pehli baar iska naam sun raha hu....Hamara college me to Nisha naam ki koi ladki nahi hai.....
Arjun ki iss baat pe Rahul thoda musjuraa deta hai aur kehta hai...
Rahul:- Matlab tu college me har ladki ka detail rakhta hai....Tu kabhi nahi sudhrega.....Tum log jaante ho Nisha ko....Yaad karo ek din mujhe ek ladki ne road me sabke saamne thappad maar diya tha....
Rahul ko thappad khaane waali baat bolte hue sharmindagi mehsoos ho raha tha.....Lekin usne fir bhi bol diya.....
Risabh:- Haa yaad aaya.....Ham ek din cricket khelne jaa rahe the....Uss din tujhe thappad maara thaa na tujhe....Abb road me sabke saamne propose karega to maar to khaayega hi na.....
Risabh ki iss baat pe sabhi muskuraane lage.....Rahul ko apna majaak banta hua accha nahi laga....Usne sabko ek baar ghoorte hue dekha.....Lekin koi chup na hua....Wo sab hansse hi jaa rahe the....Rahul bas chhup raha kuch nahi bola.....Kuch der baad baad sabhi chup ho gaye....
Arjun:- Rahul ek baat bata.....Uske baad tu Nisha se kab milaa...Wo to hamaare college me bhi nahi padhti hai.....Aur tu college ke baad sidha apna room chala jaata hai.....To uske baad tum dono ki mulakaat kab hua......Yaa fir ye to nahi ki tu Nisha se abhi tak nahi mila aur tera ye love at first and last sight hai.....
Ye kehte hue Arjun hansne laga lekin uska saath iss baar kisi ne nahi diya.....Sabhi thak chuke the hanste hanste....
Rahul:- Uske baad mai 2 saal baad Nisha se mila .....Jab maine apna flat change kiya to new flat me wo mujhse 1 floor upar rehti hai....Suru suru me to hamaare bich nafrat hi chalta raha aur dhire dhire doshti ho gayi......Jab aur close ho gaye to mujhe pata chala ki mai usse pyaar karne laga hu....Lekin uski feelings ke baare me nahi jaanta ki wo mujhse pyaar karti hai yaa nahi.....
Arjun:- Abb ye bakwass baatein karna chhodo ....Rahul ye bataa ki tu Nisha ko propose kab karega...
Rahul:- Propose karna itna aasan hai kya.....Pehle to uske dil ki haal jaana hoga.....Wo mujhse pyaar karti hai yaa nahi....Aur fir baad me propose.....Nahi to wo mera proposal reject bhi kar degi aur dosti bhi risk me aa jaayega.....
Arjun:- Kyu.....Abb pata chala na propose karna kitna mushkil hai.....Uss din to tu keh raha tha ki propose karna koi badi baat nahi hai aur tu kisi ko bhi propose kar sakta hai.....Abb pata chala true love me propose karna kitna mushkil kaam hai....
Rahul iss baat ka koi jawaab nahi deta.....Wo chup ho jaata hai....Lekin Risabh ki baat ne fir se uska khaamoshi tod diya....
Risabh:- Arjun tu bhi kya puraani puraani baaton ko yaad kar raha hai....Abb ye baatein chhod ye khushi ke pal me aisi baatein acchi nahi lagti.....Rahul tu kab party dega hame????
Rahul:- Party.....Kaun sa party?
Risabh:- Tujhe pyaar ho jaane ki party....
Rahul:- Abe to isme kaun sa party......Agar Nisha mera proposal accept karti hai to jarur dunga party...Lekin ye one sided love ki party kaun deta hai.....
Risabh:- Tu yakin rakh bhai.....Wo jarur maan jaayegi.....Lekin bhai party to tujhe dena hi padega......
Risabh ne itna keh diya ki sabhi ne jidd pakad liya party lene ka....Ant me majboor hokar Rahul ne bhi party ke liye haa keh diya....
Idhar Rahul party ke baare me soch raha tha aur udhar sabhi log pareshaan ho gaye the Rahul ki gaayab hone se....Raj baar baar phone karke thak chuka tha lekin Rahul ka phone bhi nahi lag raha tha.....Riya bhi Nisha ki flat me chali jaati hai usse baat karne ke liye....Lekin usko samajh me nahi aa raha tha ki Nisha ko kya jawaab de.
Riya jaldi se Nisha ki room me pahunch gayi.....Usse Nisha ke liye fikar bhi ho rahi thi aur usse samajh me bhi nahi aa raha tha ki Nisha se kya kehna chahiye......Jab wo Nisha ke room me pahunchti hai to wo Nisha ka chehra dekh kar shocked ho jaati hai.....Usse Nisha se ye expectation nahi tha ki wo 3 din Rahul se naa mil paane se aisi ho jaayegi.....Nisha ki gaalon par aansu ki lakeer iss tarah baith gayi thi ki dekhne se hi pata chal raha tha wo bahut der se roo rahi hai.......Chehra to aise murjhaa gaya tha jaise uss ki jaan hi nikal gayi hai......Hamesha muskuraate rehne waali Nisha ki chehre ki aisi udaasi bhara roop dekh kar Riya bhi dar gayi thi.....Nisha to Rahul me iss tarah kho gayi thi ki usse ye bhi pata nahi chala ki kab Riya uske room me aa gayi....
Riya bhi der na karte hue picche se jaakar Nisha ko hilaa kar kehti hai....
Riya:- Ye tune apna kaisa haal bana liya hai Nisha.....Aakhir aisa behave kyu kar rahi hai....Apnaa bhi to thoda khayaal kar....
Riya ghabra gayi thi Nisha ka ye roop dekh kar ....Usko Nisha ke liye bahut fikar ho rahi thi aur usne bahut pyaar se Nisha se ye puccha....Abb to uska dar aur bhi badh gaya ki kaise wo Rahul ki na milne ki baat Nisha se kahegi.....Kya wo ye sab sunn paayegi aur ye sadma bardaasht kar paayegi....
Nisha Riya ki hilaane se aur uski aawaj se hosh me aati hai......Riya ko yaha paakar wo thoda khush ho jaati hai aur usko abb Rahul ke baare me jaane ki umeed thi.....Usne bina time loss kiye hi Riya se ek umeed ke saath pooncha....
Nisha:- Riya tu aa gayi.....Tujhe kuch pata chala kya Rahul ke baare me......Chup kyu hai.....Jaldi se bataa na....Kaha hai wo????Kab lautega????
Nisha ne jis andaaz se puccha tha uss se uska Rahul ke liye pyaar aur uski fikar ka pata chal raha tha....Riya ko abb sach batane se dar lag raha tha....
Riya:- Ha...Aaj maine Raj se baat kiya....Usne bataya ki Rahul kuch jaruri kaam se baahar gaya hai.....Kal ya parso tak laut aayega....
Riya ne bhi paristhiti ko samajhte hue jhuth bol diya aur bhagwan se pray karne lagi ki sach me Rahul ko kal ya parson tak bhej de.....
Nisha ne jaise hi ye baat suni uska khushi ka thikaana nahi raha.....Jo jawaab usko chahiye tha wo usko mil gayi thi....Usko Riya se Rahul ki salamaati ki baat sunni thi.....Jo usne sunn liya.....Usne khushi se Riya ko gale laga liya aur waapas mushkuraati huyi boli....
Nisha:- Thanks Riya.....Tune bahut badi khushi ki khabar sunaayi hai.....Mai to ye soch soch kar pareshaan ho gayi thi ki Rahul kaha hoga kis haal me hoga.....Tujhe nahi pata teri inn baaton ne mujhe kitna khusi diya hai....
Riya:- Wo to tere chehre se hi pata chal raha hai.....Lekin ye bataa ki tu itni udaas kyu ho gayi thi.....Rahul ke aane se tune khud ka kya haal banaa liya tha.....
Nisha:- Jab tujhe kisi se pyaar hoga na tab pata chalega.....Pyaar me judaai kitna tadpaata hai....Aur mujhe Rahul ke baare me kuch pata nahi tha.....Kaha hai kis haal me hai kab lautega, lautega bhi ya nahi kuch nahi pata.....To aise me uski chinta to hogi hi na.....
Riya:- Kya pyaar me insaan itna badal jaata hai ki khud ka bhi khayaal nahi aata.....Pehle to tu aisi bilkul bhi nahi thi.....Abb Rahul se pyaar karne ke baad achanak se aise badal gayi hai....
Nisha me pyaar ke baad jo changes aayi thi usse dekh kar Riya ko bahut hairaani ho rahi thi....
Nisha:- Iske baare me mai kuch nahi kahungi....Jab tujhe kisi se pyaar ho jaayega to tujhe khud hi pata chal jaayega....
Udhar Nisha aur Riya ki baatein chal rahi thi.....Nisha to Rahul ke baare me jaankar bahut khush ho gayi thi lekin idhar Rahul ka haal bahut buraa ho gaya tha.....Wo to abb pyaar ki rang me puri tarah rang gaya tha.....Usko Nisha se pyaar ki ehsaas bhi usse dur hone ke baad hi pata chala tha.....Lekin abb usse ye doori bardaasht nahi ho raha tha.....Uska dil to kar raha tha ki udd kar Nisha ke pass chala jaaye aur usse pyaar bhari baatein kare.....Lekin abhi to ye possible nahi tha.....Aur wo sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Sacch me ye pyaar se koi nahi jit sakta.....Jitna bhi dur bhaagna chaho bhaag nahi sakte....Priya ki bewafai ke baad socha tha ki abb kisi se pyaar nahi karunga....Angry young man ban kar jiyunga......Lekin ye pyaar ne mujhe pura badal hi diya....Angry young man se Lover boy bana diya.....Jo bhi ho ye lover boy banne ka majaa bhi alag hi hai....Nisha ke baare me hamesha sochne laga hu aur iska majaa bhi kuch alag hai....Dil to kar raha hai ki uske pass jaau aur usko apni dil ki haal bata du.....Kya abhi usko itni jaldi propose karna thik hoga.....Mujhe to propose karna bhi nahi aata....Kabhi inn paristhiti se guzra bhi nahi.....Agar usko mera proposal ya mera pyaar pasand nahi aaya to....Nahi nahi aisa nahi sochna chahiye.....Mai to hamesha se optimistic hu....
Lekin pyaar me optimistic yaa pessimistic hone se kuch kaam nahi deta.....Dusro ki dil me kya hai ye bahut jaruri hai....Agar Nisha mujhse pyaar nahi karti aur usne mujhe kaha ki wo sirf mujhe apna dost maanti hai aur usne hamaare baare me aisa nahi socha to kya karunga.....Kya abhi propose karna chahiye yaa fir kuch vakt lu.....Abb kitna vakt lena hai....Wo to mujheacche se jaanti hai agar uske dil me mere liye pyaar hai to wo jarur accept karegi .....Agar nahi hai to chahr jitna bhi vakt le lu wo nahi maanegi.....Agar nahi maani to bhi koi baat nahi....Mai usse manaa hi lunga....Haa mujhe manaana nahi aata,...Lekin Nisha ke liye wo bhi sikh lunga.....Usko apna pyaar ka ehsaas dila kar rahunga aur mujhe yakin hai wo ek na ek din jarur maan jaayegi.....
Abb Nisha se pyaar hone ke baad yaha rehna mere liye bahut mushkil ho raha hai.....Aaj sabhi dosto ko bhi bata diya ki mai Nisha se pyaar karta hu.....Jo bhi ho mai kal waapas chala jaaunga apne Nisha se milne....Dosto se bhi keh dunga ki abb mere liye yaha rukna mushkil ho raha hai.....Ek baar Nisha se milna chahta hu....Wo log bhi samajh jaayenge agar nahi samjhe to bhi jaaunga.....3 din se usse dur hu abb aur nahi reh sakta.....Jaakar milna hi hoga usse....Kahi wo koi pareshaani me to nahi.....Subah se abhi tak dil me khayaal bhi aa raha hai ki wo koi musibat me to nahi.....
Itna sochte hue Rahul apna ghadi me time dekhta hai ....Wo time dekh kar shocked ho jaata hai.....Ghadi me raat ke 12:30 am baj raha tha....Wo fir se sochne laga....
Rahul:- (In his mind) 8:00 pm me hi to dinner karke aaya tha....Kab itna vakt beet gaya pata hi nahi chala....Nisha ke baare me jab bhi soch ta hu pata hi nahi chalta ki kitna vakt beet gaya.....Abb sone ka vakt ho gaya.....Kal subah utth kar Nisha se milne jaana bhi hai......
Udhar Nisha bhi 3 din me pehli raat khushi ke saath soo rahi thi....Aaj uske dimaag me kuch ideas bhi aa rahe the....Rahul ko majaa chakhaane ka.....3 din se pareshaan kiya tha Rahul ne usse abb wo Rahul ko pyaar me sajaa dena chahti thi.....Yahi sab sochte hue aur Rahul ko yaad karte huye wo bhi so jaati hai....
Morning
Rahul subah 6:00 am me utth jaata hai aur fresh ho kar jaane ke liye ready ho jaata hai.....Ready hote usse 8:00 am baj jaata hai aur wo apne room se nikal kar dosto ke pass jaata hai.....Aur dosto ko keh deta hai ki wo jaa raha hai waapas apne flat me.....Suru me to Risabh aur Arjun manaa kar dete hai wur reason pucchte hai.....Rahul bhi sabhi ko reason bataa deta hai....Uski reason sunn kar suru me to uske dost uska majaak udaate hai lekin fir baad me jaane dete hai......Risabh aur Arjun uski dil ki haal samajh jaate hai lekin Aditya aur Raju to gusse me the lekin unhone kuch nahi kaha....
Rahul abb khushi khushi apne flat ke liye nikal jaati hai.....Nisha se milne ki baat sochte hue wo bahut hi excited tha...
Rahul apna flat me pahunch gaya....Wo jaldi se fresh hokar aur naashta karke upar Nisha ke floor me chala jaata hai....Jab Nisha ki gate ko halka sa push kiya to gate khul gaya....Wo Nisha ke room dekhkar hairaan reh gaya aur sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Sunaa tha ki ladkiyaan hamesha apna room ko manage karke rakhti hai aur aaj to dekh bhi liya....Kitna saaf suthra room hai aur har ek cheej apni jagah pe rakhi hui hai.....Bahut hi sndar room hai Nisha ka bilkul ussi ki tarah....Aur ek mera room hai bahut hi unmanaged aur dirty....Abb kya karu majboori hai room ko kabbhi kabhi saaf karna padta hai warna mai to wo bhi nahi karta....Nisha to ek do baar mere room me bhi aa gayi hai pata nahi kya socha hoga mere baare me mera room dekh kar....Uss time to koi fark nahi padta tha ki log mere baare me kya sochte hai lekin abb to khud par hi gussa aa raha hai....Bahut galat impression pad gaya hoga Nisha ko.....
Rahul abhi tak to Nisha ke room ke baare me hi soch raha tha....Uska dhyaan ber par soo rahi Nisha ki taraf gaya hi nahi tha....Jab uski najar Nisha pe padi to fir se wo wo sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Mai yaha isse milne ko bechain ho gaya hu lekin ye to ghode bech kar soo rahi hai.....(Rahul Nisha ko gaur se dekhta hai) Aaj Nisha mujhe pehle se jyaada hi khoobsurat lag rahi hai.....Aur sote hue to bahut hi pyaari si lag rahi hai.....Aisa lagta hai ki vakt yahi tham jaaye aur mai apni Nisha ko dekhta hi rahu.....Aaj bahut hi sukoon mil raha hai apni Nisha ko dekh kar....
Rahul Nisha me kho sa gaya tha....Aaj bahut dino baad uske dil ko sukoon milaa tha....Wo apna aur Nisha ke baare me bahut kuch soch raha tha tabhi uske dil me ek aur khayaal aa gaya....
Rahul:- (In his mind) Agar Nisha utth gayi aur mujhe aise dekh liya to pata nahi kya sochegi....Kahi chor samajh liyaa to.....Nahi nahi ek aur galat impression nahi padne de sakta....Jab Nisha jaag jaayegi tab aakar baat kar lunga.....Abhi mujhe jaana hoga....
Ye khayaal aate hi Rahul gate ko waapas pull karke apne room me aa jaata hai.....Wo apne room me bechain ho raha tha....Uska dil kar raha tha jaakar Nisha se baat karne ko....Lekin uske man me baar baar ek hi sawaal aa raha tha ki kya Nisha abhi tak so rahi hai yaa fir jaag gayi hai.....Agar jaag gayi hai to kya baat karega Nisha se.....Pehli baar Rahul ko Nisha se baat karne me nervous feel ho raha tha.....Agar Nisha ne ye poonch diya ki tum yaha kyu aaye ho?? To kya jawaab dunga bas yahi soch kar Rahul pareshaan ho gaya tha.....Kuch der aise hi sochne ke baad uske dimaag me ek idea aaya.....
Wo apne room se nikal kar Garden me chala gaya.....Agar Nisha utth jaayegi tab Rahul ko khidki se dekh kar neeche aa jaayegi aur ghanton tak wo dono baat kar sakenge ye Rahul ka soch tha.....Hua bhi aisa hi.....
Nisha kuch der baad soo kar uthh jaati hai aur Rahul ke intejaar me time pass kar rahi thi lekin usko ye pata nahi tha ki wahi Rahul besabri se uska hi intejaar niche garden me baith kar kar raha hai.....Laghbhag aadha ghanta baad aise hi chalte hue wo khidki tak chali jaati hai aur waaha baitha Rahul ko dekh bahut khush ho jaati hai.....Rahul ko sahi salaamat dekh aur garden me dekh kar wo bahut khush ho jaati hai.....Usse laga ki kahi ye sapna to nahi aur wo khud ko pinch kar ke confirm kar leti hai ki ye koi sapna nahi hakikat hai......Wo apna emotions control nahi kar paati aur daud kar Rahul se milne jaati hai.....3 din ka intejaar ke baad Nisha ke dil ko bhi bahut sukoon milaa thaa.....Jab wo Rahul ki floor ki gate se baahar nikalti hai to achaanak uske dimaag me Rahul ko maja chakhaane ki baat yaad aa jaata hai....Wo wahi par ruk jaati hai aur chehre me ek muskaan lekar Rahul ki taraf chali jaati hai....
Rahul Nisha ko aata dekh bahut khush ho jaata hai.....Wo apne aap ko mentally prepare karne lagta hai Nisha se baat karne ka....Lekin uski khushi pal bhar me gaayab ho jaata hai jab Nisha garden ke saamne se Rahul ko dekh kar bhi andekha karte hue baahar chali jaati hai.....Rahul ko Nisha ki iss harkat par shock aur dukh lagta hai....Wo sochne lagta hai....
Rahul:- (In his mind) Nisha ne mujhe dekh kar bhi andekha kar diya.....Lekin kyu....Kya wo kisi jaruri kaam se baahar jaa rahi hai yaa fir mujh se naraaj hai.....Agar naraaj hai to mai usse mana lunga....
Rahul yahi sab soch raha tha.....Nisha bhi thoda aage pahunch kar ek jagah par chhip kar Rahul ko dekhti hai....Wo Rahul ki bechaini ko dekh kar muskuraati hai aur sochti hai.....
Nisha:- (In her mind) Rahul tumne mujhe 3 dino se intejaar karwaaya hai na......Abb dekho mai bhi kuch der ke liye tumhe pareshaan karti hu.....Itna to hak banta hai mera bhi......Aur tumhaari ye harkatein dekh abb mujhe lagne laga hai ki tum bhi mujhse pyaar karne lage ho.....Ye mujhe dekh kar tumhaara bechain ho jaana.....(Looking at Rahul) Abhi bhi tumhaari aankhien mujhe hi fhoond raha hai.....Ye sab dekh kar to mujhe lagne laga hai ki tum bhi mujhse pyaar karne lage ho......Shaayad 3 dino ki judaai se tumhaara akal bhi thikaane par aa gaya hai......Itni aasani se to tumhe nahi chhodungi.....Kuch dino tak pareshaan karungi aur baad me propose kar dungi.....
Nisha Rahul ko tadpa rahi thi lekin khud bhi usse abhi tak baat nahi kar paane ki vajah se tadap rahi thi....Lekin usko Rahul ko aisa tadapta hua dekh majaa bhi aa raha tha.....Aur har ek pal uska vishwaas badh raha tha ki Rahul bhi usko pyaar karne laga hai.....
Kuch der tadpaane ke baad Nisha se bhi raha nahi jaata.....Wo bhi abb waapas lautne lagti hai....Nisha ko waapas aate dekh Rahul ki chehre me fir se chamak aa jaati hai....
Iss baar bhi Rahul Nisha se baat karne ke liye mentally prepare ho raha tha lekin iss baar bhi Nisha Rahul ko andekha karne ki naatak karte hue apne room ki taraf jaane lagti hai.....Iss baar Rahul se rahaa nahi gaya.....Usne Nisha ko aawaaj diya....
Rahul:- Nisha..
Rahul ki aawaj se bechaini saaf jhalak raha tha....Nisha bhi Rahul ki baat sun leti hai lekin wo muskuraate hue nahi sunne ka naatak karte hue andar jaane lagti hai.....Nisha kuch kadam aage badh chuki thi iss liye Rahul usko muskuraata hua nahi dekh paata.....Iss baar usne thodi tej aawaj me Nisha ko bulaaya....
Rahul:- (Little loud) Nisha....
Iss baar aaawaj thoda tej tha jisse Nisha naatak nahi kar paati ki usne nahi sunaa....Wo picche mood kar Rahul ki taraf jaati hai.....
Nisha:- Hi Rahul.....Kab aaye aur mujhe kyu bulaaya....
Nisha ki aawaj se aisa lag raha tha ki wo Rahul se naraaj hai aur usse baat nahi karna chahti.....Rahul ko bhi Nisha ki iss tarah baat karne se uska sab himmat gaayab ho jaata hai aur wo kuch nahi bol paata....
Nisha:- Rahul tumne bataya nahi ki mujhe kyu bulaaya....
Nisha ki aawaj ki rookhapan ko dekh kar Rahul bhi uncomfortable mehsoos karta hai....Usse samajh me nahi aata ki kya jawaab de....Lekin fir bhi wo Nisha se poonch hi leta hai....
Rahul:- Kya tum mujhse naraaj ho???
Rahul ne ye baat thoda dheemi aawaj me puccha....
Nisha:- Nahi ....Nahi to.....Mai kyu tumse naraaj rahungi.....Aur tumhe aisa kyu laga ki mai tumse naraaj hu.....
Nisha ne ye to keh diya ki wo naraaj nahi hai.....Lekin uski aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitni naraaj hai...
Rahul:- Mai tumhe bina bataye chala gaya tha na 3 dino ke liye......Iss liye laga ki tum kahi mujhse naraaj to nahi ho gayi....
Nisha:- Ye tumhaari life hai Rahul....Aur tumhe kya karna hai kya nahi karna iska decision tumhe khud hi lena hai....Abb tumhe kahi jaana tha to chale gaye aur nahi bataane ka dil kiya to nahi bataya.....Issme mujhe buraa kyu lagega.....Waise bhi mai tumhaari kaun hu jo mujhe tumhaare harkato se buraa lagega....
Nisha ki baaton se saaf jhalak raha tha ki usko Rahul ki aise achanak chale jaane se kitna buraa laga hai....Wo jaise taise naraaj hone ka acting kar rahi thi lekin kar nahi paa rahi thi.....Wo to chahti thi ki Rahul se pyaar bhari baatein kare lekin itni jaldi wo Rahul ko maaf nahi karna chahti thi....Issliye na chahte hue bhi naatak kar rahi thi.....Lekin Rahul ko ye saari baatein samajh me nahi aa raha tha....Pyaar ke maamlon me usko ye saari baaton ka experience nahi tha.....Roothna Manana to bas filmon me hi dekha tha real life me mehsoos kiya hi nahi tha....
Rahul:- Ye kya keh rahi ho tum......Tum meri kya lagti ho.....Tum mera dost ho.....Sabse accha dost....
Rahul ne Nisha se ye to keh diya lekin uske man me kuch alag hi chal raha tha....
Rahul:- (In his mind) Ye tumne kya poonch liya Nisha.....Tum mera kya lagti ho.....Are tum to mera sab kucch ho.....Mera pyaar meri jindagi...Sab tumhi to ho.....Tumse milne ke baad hi to mujhe pyaar ka ehsaas fir se hua hai.....Tumhaari vajah se hi to iss boring life me thoda accha feel kar raha hu.....Bas tumhe bata nahi paa raha hu.....Lekin bahut jald bataa dunga ki mai tumhe kitna pyaar karta hu....
Nisha:- Dost....Tumhe dosti ka matlab bhi pata hai.....Dost wo hote hai jo dusre doston ke saath apna problems aur apni baatein bhi share karte hai.....Lekin tumne to mujhe apna dost maana bhi nahi....Mujhe bataakar jaana bhi jaruri nahi samjaha....Tumhe kya pata ki mujhe tumhaara kitna fikar ho raha tha.....Kitna intejaar kiya hai maine tumhaara.....
Abb Nisha ka sabra toot chuka tha......Usne ye baat rote hue kaha....Uski aawaj se uska 3 dino tak ki dard, aur tadap ka pata chal raha tha....Rahul ko bilkul bhi accha nahi laga Nisha ko rote hue.....Uske dil ko Nisha ke rone se bahut chhot pahunch raha tha aur khud par gussa bhi aa raha tha.....Wo aage badhta hai aur Nisha ke shoulder ko pakadte hue kehta hai.....
Rahul:- Sorry Nisha.....Mai bahut galat hu aur maine tumhe na bataa kar bahut bada galti kiya hai....Please tum rona mat....Tumhaari aankhon me aansu acche nahi lagte.....Mera tumhe hurt karne ka iraada nahi tha....Lekin kya karta jaldbaazi me doston ke gaaw jaana hi pada.....Socha tha ki tumhe phone karke bataa dunga lekin tumhaara number hi nahi tha mere pass....
Iske baad Rahul Nisha ko apni problems bata deta hai.....Nisha bhi Rahul ki baat samajh jaati hai aur kuch der baad wo ronaa bhi band kar deti hai.....Nisha ke chup hone ke kuch der baad Rahul thoda serious aur thoda majaak me ek baat Nisha ko poonch hi leta hai....
Rahul:- Nisha mujhe ek baat samajh me nahi aaya....Mere jaane se tumhe itna dukh kyu hua ki tum rone lagi....Ye baat mujhe samajh me nahi aaya....Aaj tak kisi bhi dost ko nahi dekha ki wo itni si baat par roo de....
Rahul ko Nisha ki rone ki vajah se sach me hairaani ho raha tha aur usse Nisha ki dil ka haal abhi bhi samajh me nahi aa raha tha lekin Nisha ko to abb samajh me nahi aa raha tha ki Rahul ki iss sawaal ka kya jawaab de.....Wo itni jaldi ye bhi nahi bataa sakti thi ki wo Rahul se pyaar karti hai.....Nisha abb iss musibat se nikalne ke baare me soch rahi thi.