If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Lunch break ka time tha.....Sabhi students canteen me lunch karne me busy the.....Bas Raj aaj park me kuch aur hi kaam me busy tha....Wo aaj padhne me vyast tha.....Internal exams pass aa raha tha aur uska preparation uske hisaab se thoda kam tha....Iss liye aaj usse bhukh ki koi parwaah nahi tha....Uske saath aaj Suresh bhi nahi tha....Raj bahut hi dhyaan se padh raha tha.....Aas pass kya ho raha tha ye usko pata nahi tha aur na hi usko koi parwaah tha....
Riya aur uski team bhi park se guzar rahi thi tabhi Riya Raj ko dekhti hai.....Raj ko aise dhyaaan se padhte dekh hi uske chehre pe ek kutil muskaan aa jaata hai aur dimaag me ek shararat sujhti hai....Wo Raj ke pass jaati hai....Uski team bhi uski peeche peeche hairaani me chal deti hai....Riya uske pass pahunch kar usse kehti hai....
Riya:- Raj...
Raj Riya ki aawaaj sun kar uski taraf dekhta hai.....Jaise hi Riya ka chehra dekhta hai uske chehre me gusse dikhayi dene lagte hai.....Wo bahut hi rudely jawaab deta hai.....
Raj:- Kya hua???Kyu dimaag kharab karne aayi ho???Jaao apna kaam karo aur mujhe disturb mat karo....
Riya:- Mujhe tumhaare saath baat karne me koi interest nahi hai....Tumhe Mishra sir bulaa rahe the iss liye keh diya....Abb jo karna hai karo....
Raj:-(Apne man me) Mishra sir ne bulaaya....Kya kaam ho sakta hai.....Jaakar dekhna to padega....
Yahi soch kar Raj Mishra sir se milne jaane lagta hai tabhi Riya usko fir se rok deti hai....
Riya:- Sir ke aage kya saabit karna chahte ho ki tum bahut padhne waale student ho....Book bhi saath le jaana jaruri hai kya...
Raj uski baat sunkar book wahi bench par rakh kar chala jaata hai Mishra sir ke pass....Usko Riya ke saath behas karne ka koi mood nahi tha...
Jaise hi Raj chala jaata hai Riya book utha leti hai aur book ke saath kuch karne lagti hai....
Thodi der me Raj gusse waala chehra le kar Riya ke pass aata hai aur usse kehta hai....
Raj:- Kya majaak tha wo....Sir ne to kaha ki unhone mujhe bulaaya hi nahi....(Apni books ki taraf dekhta hai....Jab usse book nahi dikhta to)....Dekho tum mujhe jyaada gussa mat dilaao....Abb chhup chaap mera book lauta do aur mujhe padhne do....
Riya:- Hame kyaa pata tumhaara book kaha hai....Tumhi ne to rakha tha....to tumhe hi pata hona chahiye....
Raj uski baat sun kar bahut hi gusse waala look deta hai....
Riya:- Accha thik hai....Abb sada hua face mat banaao....Ye lo tumhaara book....
Raj book le leta hai aur padhne ke liye jaise hi book open karta hai....Uska gussa bahut badh jaata hai....Riya ne uske books ke bahut pages ko phaad diya the....
Raj apna control kho kar sidha Riya ke pass chala jaata hai....Aur bina kuch soche samjhe ek jordaar thappad Riya ke gaal par maar deta hai ..... Riya ke saare dost bhi shocked ho jaate hai....Jab Riya mooh uthakar Raj ko gusse se dekhti hai tab Raj kehta hai....
Raj:- You stupid girl....Teri himmat kaise hui meri books faadne ki.....Maine tujhe baar baar kaha tha ki mujhe pareshaan mat kar....Maine kya bigada hai tera jo tu mere pichhe haath dho kar padi hai.... Mujhe tera ye chehra nahi dekhna.....Jaldi se jaa yaha se isse pehle ki gusse me mai kuch kar du.....
Raj ki baat se hi pataa chalta hai ki wo kitna gusse me me hai.....Kuch der waha khamoshi chha gaya....Iss khamoshi ko todte hue Riya ka ek ladka dost ya chamcha ne bola....
Ladka:- Ladki ko maar ke tu apne aap ko hero samajhta hai.....Dum hai to mujhse lad kar dikha....
Raj uski baat ko sunne ke baad usko gour se dekhta hai aur chehre pe thoda muskurahat laakar usko kehta hai....
Raj:- To tu bhi ladki hai kya.....Bhul gaya uss din tujhko kaise maara tha....Aaj bhi maar khaane ka man hai to aaja....Mai bhi full mood me hu...
Raj ne iss baat ko confidently kaha to wo ladka bhi chhup ho gaya.....Abb uss ladka ki jagah Riya ne jawaab diya....
Riya:- Itna over react kyu kar rahe ho....Ek book hi to phaada hai....Book ki price bolo....Abhi de deti hu aur apna mooh band rakho....
Riya ne ye baat bahut ghamand ke saath kaha....
Raj:- Ek to tum apni galti nahi maan rahi upar se mujhe paise ki ghamand dikha rahi ho.....Ek baat tumse keh deta hu....Jaanta hu meri iss baat se tumko koi farak nahi padega....Fir bhi keh deta hu.....
Tum apni iss paise ki ghamand jyaada mat dikhaao.....Tum apne baap ki paise ka ghamand dikha kar har cheez ka apmaan karti ho....Jis din tumhaara ye ghamand tootega uss din tumhe har ek cheez ka value pata chalega.....Paise se har cheez nahi milta....Jaisa tumne kaha mujhe book ki price de dogi....Kya tumne mera jo keemti vakt waste kar diya kya tum usko lauta paaogi....Hai tumhaare pass itna paisa ki mera khoya hua vakt lauta sako????Paise se tum book to bahut kharid sakti ho lekin gyaan nahi kharid paaogi....Uske liye mehnat karna padta hai wo paise se kharida nahi jaata....Mujhe pata hai tum iss college me donation me aayi hogi MBBS padhne .....Ye to tum bhi jaanti ho ki tumhaare jaisi student kabhi bhi scholarship me nahi padh paaogi.....Jitna bhi paisa kharch kar lo gyaan to tumhe apni mehnat se hi milega....Paisa se kuch nahi hone wala....Chahe tum paise dekar kitna bhi college me admission kyu na le lo yaa fir acche se acche teacher se tuition kyu na le lo .....Exam me marks aur dimaag me gyaan bharne ke liye padhne ki jarurat padti hai mehnat karni padti hai.....Ye sab paise se nahi milta.....
Ant(Last) me yahi kahunga ki padhaayi se related cheez ka majaak mat udaao aur jyaada ghamand mat dikhaao....Tumhaara ye ghamand ke kaaran tumhaara koi bhi dost nahi ban paaya hai....Tumhaare paise me bhi itna taakat nahi ki saccha dost kharid kar de sake...Tumhaare picche jo khade hai wo dost nahi chamcha hai jo tumhaare paise ka dost hai tumhaara dost nahi....Kahi aisa na ho ki ek din tumko pachhtaana pade....Vakt rehte sambhal jaao....
Raj itna keh kar chup ho gaya....Suresh bhi waha pahunch gaya tha....Abb lunch time khattam hone wala tha to wo Suresh ke saath jaane laga....Riya bhi gusse se usko dekh rahi thi....
Raj ek baar pichhe dekh kar Riya ko kehta hai....
Raj:- Tum ye mat samajhna ki mujhe tumhaara koi parwaah hai iss liye maine tumhe samjhaya....Tum baat ko samjho yaa na samjho mujhe koi fark nahi padta.....Maine tumhe ye sab iss liye kaha hai taaki tum mera piccha chhod do....Abb agli baar se mujhe pareshaan kiya to accha nahi hoga.....Sidhe jaake pehle college me tumhaara complain kar dunga agar usse bhi kuch na hua to mujhe apna tarika use karna aata hai.
Raj aur Suresh waha se chal pade....Rashte me Suresh ne Raj se puchha....
Suresh:- Kya hua yaar....Tu aaj bhi bahut gussa me hai.....Riya aur uske dost bhi gusse me the....Aakhir kya hua waha????
Raj:- Iss Riya ka kya karu mujhe samajh me hi nahi aa raha.....Chup chap baith kar padh raha tha.....Aa gayi apne chamcho ke saath pareshaan karne....Aaj to hadd hi kar diya usne....Book phaad diya mera....Mujhe control nahi hua to chipka diya uske gaal me ek thappad.....Kaisi ladki hai yaar book ko kaise phaad sakti hai.....Jara sa bhi izzat nahi karti kisi bhi cheej ka....Book tak ko nahi baksha...Mai to bas ye dua karunga ki wo saari exams me fail ho jaaye tab jaake usko padhaayi aur book ki value pata chalegi....Aur itna sab hone ke baad bhi wo apna galti manna chhodkar paise ka ghamand dikha rahi thi....Aur uske baad to tujhe pata hi hai sabkuch....
Raj ke kehne ke tarika se hi pata chal raha tha wo kitna gussa hai....Uski har ek shabd me Riya ke liye nafrat aur gusse mehsoos kiya jaa sakta hai.....
Suresh:- Lekin tujhe Riya par haath nahi uthaana chahiye tha yaar.....
Raj:- Mujhe bhi koi shauk nahi hai.....Mai to bas ye chahta hu ki wo mera piccha chhod de....Bas yahi karna sahi laga uss vakt aur gussa bhi bahut utth raha tha....
Suresh:- Jara soch yaar.....Wo bahut hi paise waale log hai....Agar kisi gunde ko paise dekar tere picche laga diya to???
Raj Suresh ka ye baat sun kar gusse se uski taraf dekhte hue kehta hai....
Raj:- To kya mai uske saamne jhuk jaau aur uska manmaani sehta rahu aur dar darkar jeeta rahu.....Agar tu mujhe aisa samajhta hai to mere baare me tera jo bhi raay hai usse badal de....Mai kisi ke aage nahi jhukunga.....Sabse pyaara mujhe mera izzat hai....Mera swabhimaan hai....Kya hoga agar usne gunde ko mere picche laga diya to.....Jyaada se jyaada wo gunde mujhe maar daalenge....Fir bhi mai nahi jhukunga....
Suresh:- Kaisa insaan hai tu....Tujhe apni jindagi keemti nahi hai kya....Agar apne liye nahi to apne pariwaar wale ka to soch....Aise marne ka baat kar raha hai....
Raj:- Mujhe nahi pataa ki unko ek darpok beta chahiye yaa fir himmat wala....Lekin me ye jarur chahta hu ki unka beta himmatwala ho jo apne marne ki dar se apna aatmasammman daaw par na lagaaye...
Waise bhi ham iss Riya ke maamle me kuchh jyaada hi baat kar rahe hai....Mujhe pata hai wo kuchh nahi karne waali.....Gundo ka baat to bhul jaa mujhe to lagta hai wo abb kabhi bhi mujhe pareshaan nahi karegi.....Uske chehre se padh liya tha....Agar karegi to usko aur acche se sabak sikhaunga.....Ab ye sab baatein chhod aur class me chal....
Uske baad dono class me chale jaate hai....
AT NIGHT IN RAHUL's FLAT
Raat ka 9:00 baj raha tha.....Rahul dinner kar chuka tha aur kuch der se padh raha tha...Padhte huye usko boring lagta hai aur ho thandi thandi hawaa khaane baahar garden ki taraf chalaaa jaata hai....
Garden me pahunch kar dekhta hai ki Nisha waha pahle se hi maujood hai....Garden me kuch lights to building se pahunchti thi lekin light itna tej nahi tha ki koi kuch kaam kar sake iss liye Nisha ek torch light lekar kuch books padh rahi thi..... Wo kuch bechain si dikh rahi thi jaise kisi ka intejaar kar rahi thi....Nisha Rahul ko dekh kar khus ho jaati hai....Rahul bhi waha pahunchta hai aur bench pe baith jaata hai.....Wo Nisha ki bechaini ko notice nahi karta aur kehta hai....
Rahul:- Padh rahi ho....Acche se padho....Kab se padh rahi ho???
Nisha:- 3 ghante se....Kyu???
Rahul sochta hai ki Nisha 3 ghante se yahi par baithi hai lekin usse kyu nahi dekhi....Fir sochta hai wo to bahut der se apne room me hi busy tha baahar ki taraf to dekha hi nahi....
Rahul:- 3 ghante se....Tum log aise lagataar kaise padh lete ho....Mai to 1 ghante padh kar hi bore ho jaata hu.....Fir se fresh ho kar padhna start karta hu....Abhi bhi bore ho gaya tha iss liye fresh hone baahar chala aaya....Aajkal padhaayi ki tension bhi badh gaya hai....
Nisha:- Kaisa tension???
Rahul:- Exam aane waala hai....Iss baar bhi semester top nahi kiya to pure class me majaak udd jaayega....
Nisha:- Top nahi kiya to majaak udd jaayega....Ye baat samajh me nahi aaya....Ye jaroori to nahi hai ki top hi karna hoga....
Rahul:- Tum nahi jaanti....Ek ladki hai mere class me .....Neha.....Padhne me bahut hi accchi hai....Ghamand bhi utna hi hai....1 saal pehle usse ek question ka answer pucchne gaya tha....Lekin usne mera majaak udaa diya aur keh diya ki acche se padho aur khud hi dhund lo....Mujhe bhi gussa aa gaya aur challenge kar diya ki next semester mai top karunga.....Uske baad din raat ek karke padhne laga...Dosto se bas college me hi baat karta tha....Aur luckily next semester maine top kar liya....Iss baar usne pure class ke saamne challenge diya hai ki ye semester wo top karegi...Abb maine iss baar top nahi kiya to fir se mera majaak banayegi....Jo mai nahi chahta.....
Nisha:- To ye baat hai....Tumne to uski baat ko ego ki roop me le liya....
Rahul:- Jo bhi hai accha hi hua.....Issi bahane gaadi patri me aa gaya....12 ke exam ke baad maine apni padhaayi ko majaak bana diya.... Padhne ki jagah enjoy karne laga aur MBBS padhne ka chance miss kar diya....Engineering ke suruwaat me phir se parents ke sapne pura karne ke liye acche se padhne laga.....Suru me to mai ek average student tha....Lekin Neha ki challenge ne topper banaa diya....Mujhe to usse thank kehna chahiye....Lekin uske saath baat karne me man nahi lagta...
Nisha:- Kyu??
Rahul:- Kyu ki wo mujhse baat nahi karti hai aur jab bhi karti hai tab nicha dikhaane ki koshish karti hai....
Nisha:- Aaj pata chalaa ki tum padhne me acche ho....Lekin maine tumhe iss baar utna padhte hue nahi dekha hai to iss baar kaise top karoge???
Rahul:- Madam top karne ke liye din raat padhne ki jarurat nahi hai....Dhyaan se padho aur consistently padho....Mai aur topper students jitna padhta nahi hu lekin jitna bhi padhta hu sab samajhkar padhta hu aur interest le kar padhta hu....Class me bhi lectures ko acche se attend karta hu aur teaschers ke baat ko bhi dhyaan se sunta hu....Abb tumhaara bhagwaan ne accha dimaag diya hai....Jaldi hi sab kuch yaad ho jaata hai....Aur picchle semester me acche se padhne ke kaaran base accha ban chuka hai....Iss baar bhi top karne ke liye bas time time par book dekhne ki jarurat hai....Preparation complete ho gaya hai....Abb accha revision ka jarurat hai....
Nisha:- Tum to sach me padhne me acche ho....Mai to sochti thi ki.......
Nisha ki baat ko Rahul ne bich me kaat te hue kaha....
Rahul:- Tum sochti thi ki mai ek awaara ladka hu, bigada hua ladka hu....Jo padhne me bilkul dhyaan nahi deta hai aur bas ladki ko chhedta hai aur propose karta hai....yahi sab sochti thi na tum....
Rahul itna keh kar Nisha ko dekhta hai.....Nisha jhutta gussa dikhakar Rahul ko ghoorti hai.....
Rahul:- Are tumne hi to kaha tha suuru me....Iss liye maine keh diya....
Nisha:- Tum wo baat nahi bhule na....Maanta hu maine galti ki thi tumhe pehchhane me ....Uss galti ka maafi bhi maang chuka hu....Tumne mujhe maaf nahi kiya na....
Itna keh kar Nisha udaas ho jaati hai...Rahul jo kuch der pehle thoda sa mushkuraahat ke saath baat kar raha tha wo abb thoda sa serious ho jaata hai....Aur Nisha se kehta hai....
Rahul:- Tum galat samajh rahi ho.....Maine to uss baat ko ussi din bhula diya tha....Mai to abhi majaak kar raha tha....Sorry agar tumhe buraa laga to....
Nisha:- Nahi nahi meri hi galti hai...Mai hi tumhe samajh nahi paayi....
Rahul:- Chhodo ye baatein....Jo beet gaya uss baat ko yaad karke koi faaidaa nahi....Wo sab bas ek misunderstanding tha....Aaj ke baad ham uss baat ke baare me koi baat nahi karenge....
Nisha:- Thik hai....
Fir dono kuch der aise hi baat karte hai aur jab Rahul jaane lagta hai tab Nisha se bolta hai....
Rahul:- Abb mai jaa raha hu apne room me...Kuchh der padh kar so jaata hu.....Kal jaldi uthna hoga....Tum kab tak padhogi???
Nisha:- Mai kuch der aur padhungi....
Rahul:- To Thik hai mai chalta hu....
Nisha:- Ok .... Good Night....
Rahul mushkura kar jawaab deta hai "same to you" aur apne room me chala jaata hai....
Nisha Rahul ko jaate hue dekh rahi thi....Aaj Rahul ke saath jo baat kiya tha usse yaad karte huye mushkuraati hai.
Rahul apne room me jaakar kuch der padhne lagta hai....Padhte vakt wo sochta hai ki exams bahut nazdeek hai....Abb wo sirf padhne me dhyaan dene laga....Jitni jaldi revision ho jaaye utna hi exams ke liye accha hai......Wo abb apna mobile aur cricket ko chhod bas padhne me dhyaan dene laga.....Na kisi se koi baat karta tha na hi kisi se koi matlab rakhta tha.....
Wo phone me bhi bahut kam karta tha.....Kabhi kabhi apne ghar par aur kabhi kabhi Raj se.....Inke alawa kisi se bhi baat nahi karta tha....Uska duniyaa uska college aur room ban chuka tha....Bas kabhi kabhi garden me mood fresh karne chalaa jaata tha....
Jab bhi wo wahaa jaata tab wo Nisha ko nahi dekh paata tha....Shaayad uss time Nisha waha maujood nahi rehti thi....Rahul bas kuch hi vakt ke liye garden me jaata tha to Nisha bhi usko dekh nahi paati thi....Nisha ko bhi kuch ajeeb sa lag raha tha Rahul ke behavior ....Lekin wo iss baare me Rahul se baat bhi nahi kar sakti thi....Wo Rahul ke room me jaana bhi nahi chahti thi....Aakhir kya kehne jaati usse???
Issi tarah 2 weeks beet chuka tha.....Ek din raat ko Rahul garden me torch ki light ki madad se padh raha tha.....Aaj Nisha ne usko dekh liya.....Wo bhi Rahul ke pass aa gayi.....Rahul ke pass aate hi usne Rahul se kaha....
Nisha:- Kya baat hai Rahul???Aaj kal bahut busy lag rahe ho....Garden me bhi bahut kam aate ho.....Bas room ko lock karke andar hi rehte ho.....Tumhe dekhe hue bhi bahut din ho gaye.....
Rahul:- Ha padhne me thoda busy ho gaya hu.....Exams bhi bahut jald aane waala hai....Agar abhi se serious ho kar nahi padha to baad me concentrate karna mushkil ho jaayega.....Iss liye abhi sirf padhne me hi dhyaan de raha hu....
Nisha:- Wo to tumhaare chehre se hi pata chal raha hai ki tum kitne busy ho.....
Rahul ko Nisha ki baat se hairaani hoti hai.....Wo to ekdam fresh ho kar baahar aaya tha....Koi thakaan ya tension bhi nahi tha....Fir kaise Nisha ne uske chehre se pata laga liya ki wo busy hai.....
Rahul:- Chehre se pata chal raha hai ....Iska kya matlab???Mai kuch samjha nahi....
Nisha:- Apne Chehre ko aayina(Mirror) me dekho.....Pata chal jaayega....
Rahul:- (Hairaan ho kar) Dekh kar hi baahar aaya hu....Fresh hi to hu.....Tumhe aisa kya dikh gaya???
Nisha:- Tumhaari daadhi(Beard) bahut badh gayi hai....Shaving bhi nahi kar rahe ho....Isse pata chalta hai ki tum kitna busy ho....Shaving ke liye bhi time nahi hai....
Itna keh kar Nisha mushkuraane lagti hai.....Rahul bhi uski baat pe thoda sa mushkuraata hai aur kehta hai....
Rahul:- Ye to maine jaan bujhkar rakha hai....Isme busy hone waali koi baat nahi hai....Mai jitna bhi busy kyu na ho jaau mai apna dhyaan acche se rakhta hu.....Mujhe daadhi rakhna accha lagta hai.....Bas bada size waala nahi lekin chhoti size waala daadhi accha lagta hai.....
Nisha:- Lekin tum to clean shave me acche dikhte ho....
Rahul:- Tumhe waisa lagta hai....Mujhe to mai daadhi mai hi accha lagta hu.....
Nisha:- Bas mai hi nahi.....Duniya me jyaadatar logon ko clean shave man hi accha lagta hai.....
Rahul jo abhi tak majaak me baat kar raha tha abb thoda serious ho jaata hai aur kehta hai....
Rahul:- Duniya kya sochta hai usse mujhe koi lena dena nahi.....Mai to apne tarike se hi chalunga.....
Rahul ki baat karne ka tarika acchanak se badal jaane ki kaaran Nisha bhi thoda uneasy feel karti hai .....Fir bhi kehti hai....
Nisha:- Ek baat samajh lo Rahul....Khaana apna pasand ka hona chahiye aur sajna sawarna dusro ki pasand se....Matlab hame aise tarike se sajna chahiye ki dusro ko accha lage.....Log hamaari taarif kare na ki ham khud apni taarif kare....
Nisha aage kuch aur kehna chahti thi lekin Rahul uski baat ko bicch me hi kaat te hue kehta hai....
Rahul:- Nisha bas karo....Mujhe iss baare me kuchh baat nahi karni....Maine keh diya na mai apne tarike se jiyunga....Mujhe jaisa accha lagega waisa hi karunga.....Ye meri life hai....Mujhe kisi ka dakhal andaazi pasand nahi.....Who are you to decide about my life and suggest me what to do and what not to do????
Abb Rahul ka seriousness gusse me badal chuka tha....Usne Nisha se bahut jor se ye sab kaha tha....
Nisha ko ye sab sunkar bahut buraa lagta hai.....Wo apne man me sochti hai....
Nisha:- (apne man me) Sach kaha Rahul tumne....Mai tumhaari koi bhi nahi hu....Kya hak hai mera jo mai tumhaare life ke baare me bolu.....Bhool gayi thi ki tum to mujhe apna dost bhi nahi maante....
Nisha yahi sab soch rahi thi aur bahut dukhi ho jaaati hai....Rahul bhi ye dekh leta hai aur usko apni galti ka ehsaas hota hai....Abb usko feel hota hai ki usne gusse me kuch jyaad hi over react kar diya tha....Abb wo Nisha ko kehta hai....
Rahul:- Sorry Nisha....Gusse me kuch jyaada hi bol diya.....Kya karu bachpan se hi short tempered hu....Koi mere baare me kuch bole....Ye mujhse bardaasht nahi hota....Tumne anjaane memeri dukhti ragho pe baar kar diya tha.....
Mai apni jindagi ko apni tarike se jeena chahta hu......Iss liye mai yaha akele flat me rehta hu.....Taaki mujhe privacy mil sake aur mai apna decision khud le saku..... 12 class me tha tab ek ladka ne mere jindagi ke saath khilwaad karne ka koshish kiya tha(Rahul ko Vijay ka yaad aata hai).....Uss time pe maine ek galti kar diya tha(Rahul ko Priya ke saath pyaar aur dhokha yaad aa jaata hai)....Uss galti ke baad mai bahut toot gaya tha.....Bahut mushkil se khud ko sambhaala hai....Wo galti ne mujhe bahut kuch sikhaaya hai....Logon par jaldi vishwaash na karna aur apni jindagi ko apne tarike se jeena maine ussi vakt se seekha hai....Ye wahi vakt hai jab maine apni jindagi ko acche se jaana tha.....Abb aage kya karna hai ye bhi ussi time pe decide kiyaa tha.....Uss ghatne ke baad mujhe iss duniya ke saare swaarthi aur khudgarz logon se nafrat ho gayi hai.....Jo apne faaida ke liye dusro ki jindagi se khilwaad karte hai.....Tab se maine decide kiya ki ye mera life hai....Mai kisi ka dakhal andaazi bardaasht nahi karunga.....Apni life ko apni tarike se jiyunga....Apni life ko kisi ke faaidaa ke liye kurbaan nahi karunga....
Bas iss liye mai logo se dur akele yaha flat me rehta hu....Bahut sukoon milta hai akele rehne me mujhe....Iss swaarthi duniya se dur apni life ko jeene ka majaa hi kuch alag hai.....Har cheez apni pasand se kar raha hu.....Kisi ki koi dakhal andaazi nahi hai.....Chhain ke saaath apni jindagi jee raha hu....
Aaj jab tumne duniya waalo ki tarike se jeene ko kaha tab apna gussa control nahi kar paaya.....Mai naa hi dusro ko unko kya karna chahiye ye suggest karta hu aur naa hi unka suggestion leta hu....Mera maana ye hi hai ki har insaan ko apni tarike se jeene ka hak hona chahiye ....
Bas ek request karta hu tumse ki tum please mujhe kya karna chahiye wo mat sikhaana....Mai apne tarike se jeena chahta hu.....
Rahul ne Nisha ko samjhaate hue kaha.....Nisha bhi uski puri baat ko sunti hai aur sab samajhti hai ek baat ko chhod kar.....Wo Rahul se puchhti hai....
Nisha:- Sorry Rahul....Maine tumhe hurt kar diya.....Agar buraa na maano to ek baat pucchna chahta hu....Tumne kahaa tha ki kisi ne tumhaare life ke saath khilwaad kiya tha.....Tab se tum aise ho....Kya iss baare me tum detail me bata sakta ho....
Nisha ki baat sun kar Rahul kucch nahi kehta hai....Wo soch raha tha ki Nisha ko kya jawaab de....Lekin Nisha fir se keh deti hai....
Nisha:- Sorry agar ye baat itni personal hai to nahi pucchungi....
Rahul:- Are nahi nahi....Aisi baat nahi hai....Baad me bataaunga....Abhi kehne ka mood nahi hai....
Nisha bhi sehmati me sar(head) hilati hai....Wo Rahul ki haalat ko samajhti hai....Kuch der baithne ke baad Rahul apne rrom me waapas jaata hai....
Nisha Rahul ko dekhti hai Rahul ko jaate hue aur kuch sochne lagti hai.....Aaj usne Rahul ka ek naya roop dekha tha.
Rahul kahi tujhe Nisha se pyaar to nahi ho gaya....Usme bahut interest le raha hai....Mujhe to pata hi nahi chala ki kab wo teri life me aayi....Tu khud samajhdaar hai....Priya se jo sabak mila hai usse kabhi mat bhulna....Kahi phir se tu na pachtaye....Mujhe ye to nahi pata ki tu Priya se pyaar karta hai ya nahi.....Lekin lagta hai ki tu usse pyaar karne laga hai....Iss baar koi jaldbazi mat karna....Khud ko thoda sa time de.....
Ye Rahul ka soch nahi ye Ajay ki aawaj hai jo Rahul ko samjha raha hai.....Aaj bahut time baad Ajay aur Rahul mile the....Semester complete hone ke kucch time baad aaj Ajay aur Rahul ne milne ka plan banaya hai...Iss 1 mahine ne kuch pariwartan hua hai.....Rahul aur Neha ki exam bahut acche se gaya...Neha confidence ke saath Rahul ko kehti hai ki iss baar wo top karegi....Rahul usse kuch nahi kehta bas usse dur rehta hai......Wahi par Rahul aur Nisha ki dosti bahut acchi ho gayi hai...Lekin Rahul ne usse nahi kaha hai ki usne Nisha ko dost maan liya hai....Rahul bhul gaya tha ye kehna....Lekin iski koi jarurat nahi thi Nisha ko bhi pata tha ki Rahul usse dost maanta hai....Ye dono ki baatein bhi acche se chalne lagi hai....Rahul ko Nisha abb achhi lagne lagi hai....Uske saath baat karke vakt bitaane laga....Wahi par Aditya apna badla na le paane ki vajah se bahut frustrated hai....Kabhi mauka hi nahi mila usko Nisha ki kidnapping karne ka....Rahul bhi uski haalat dekh andar hi andar muskurata tha.....Aditya ki frustration ka asli vajah to usse bhi pata nahi...
Ajay ki baag sunkar Rahul uss par bhadak gaya....
Rahul:- Kya bakwass kar raha hai.....Mai usse pyaar nahi karta....Wo dost hai meri....Tu kuch bhi sochta rehta hai.....
Ajay:- Rahul mai tujhe bachpan se jaanta hu.....Teri har harkat ko jaanta hu....Tera baat karne ja tarika se pata chalta hai ki tu kis soch me dooba hai....Jab tu mujhe Nisha ke baare me bata raha tha teri aankhon me ek alag chamak tha.....Tujhe nahi pata lekin tu muskuraate huye baat kar raha tha....Nisha aur teri har ek baatcheet ko tu bataa raha tha tab tera chehra me ek alag hi khushi tha....Tu Nisha ki bahut taarif kar raha tha.....Bhai mai ye nahi kehta ki tu usse Pyaar karta hai lekin ye baat maan le ki tu uske taraf attract ho raha hai.....
Rahul Ajay ki baat sunkar soch me padd gaya ki kya wo sacch me waisa hi kar raha tha jaise Ajay ne use bataya....Kya wo sacch me Nisha ki taraf attract ho raha hai....Kya uske dil me Nisha ke liye koi feelings aa raha hai.....Kya wo fir se Priya waali galti dohrane waala hai....
Rahul:- Mujhe khud samajh me nahi aa raha ki maine tujhe kya kya bataya hai....Agar ye sab sach hai to mujhe Nisha se doori badhaai hogi....Kahi fir se Priya baali galti na ho jaaye....Priya ke sath jab se alag hua hu tab se soch liya hai ki Pyaar abb mere jindagi me koi maayne nahi rakhta....Fir se apna dil toot ta hua nahi dekh sakta.....Ha abb mai Nisha se bas kaam ke hisaab se baat karunga.....Uske pass nahi jaaunga.....
Ajay:- Galat....Galat soch hai tera.....Pyaar kiya nahi jaata ye to ho jaata hai....Dekh Rahul.....Maine tujhe hamesha apna best friend maana hai....Kabhi galat salaah nahi dunga....Itna jaan le har ladki Priya jaise nahi hoti.....Nisha ko to mai nahi jaanta.....Lekin jiss tarah se tune uske baare me bataya hai mujhe lagta hai wo acchi ladki hai.....Baaki jo pyaar ki baat hai wo tujhe khud hi sochna hoga....Khud ko thoda sa time de aur pata laga le....Pehle bhi kaha tha aur aaj bhi kahunga pyaar me koi jaldbazi mat karna....Agar tera dil kahe ki tu usse pyaar karta hai tabhi yakeen karna....Mai to bas tujhe jaldbazi karne se mana kar raha hu ....
Rahul:- Baat to teri sahi hai.....Lekin maine aaj tak Nisha ke baare me aisa nahi socha tha....Jab tu keh raha hai to teri baat thik hi hogi....
Ajay:- Tu apna feelings nahi jaan paaya hai.....Maine to teri baat karne ki tarike ko dekhte hue ye sab kaha hai.....
Rahul:-Ek baat bata......Kya tujhe bhi pyaar ho gaya hai????
Ajay uski baat sun kar hairaan ho jaata hai ki Rahul ne usko ye sab kyu puchha....
Ajay:- Nahi.....Nahi to.....Tu ye sab kyu puccha raha hai???
Ajay ne hairaani se puchha....
Rahul:- Tu itna accha se love advice de raha hai to socha ki kahi tu bhi pyaar to ke chakkar me na pad gaya ????
Rahul ki iss sawal ka jawaab Ajay ne muskuraate hue diya....
Ajay:- Meri aisi kismat kaha....Koi ladki nahi mili.....Aur pyaar ke baare me batane ke liye ye jaruri nahi ki khud ko bhi kisi se pyaar ho jaaye.....Bas thoda bahut pata hai.....Aur mai teri harkat se acchi tarah se waakif hu.....Iss liye tujhe samjhana utna mushkil nahi.....
Fir kuch det tak dono dost aise hi baat karte hai....Aur shaam hote hi dono apni apni raashtr jaane lagte hai....
Ajay ki baat sunne ke baad Rahul gehri soch me pad gaya tha....Kya sach me wo Nisha ke baare me batate hue ajeeb sa behave kar raha tha??? Kya sach me uske dil me Nisha ke liye feelings aane lage hai????Kya wo fir na chahte hue bhi pyaar ki raah me chal pada hai??? Kyu usko Nisha se baat karte hue ek sukoon milta hai????Kyu wo baar baar Nisha ke khayalon me doob jaata hai???? Rahul aise hi kuch sawalon ka jawaab dhundh raha tha Aur soch raha tha ki abb aage kya karna hai jisse pata chale ki uske dil me Nisha ke liye feelings hai ya nahin....Abb aage kaise react karna hai....Ye to bas Rahul aur Rahul ki "Mentality" ko pata hai.
Ajay se baat karne ke baad Rahul shaam me apne flat pahunch jaata hai.....Flat me pahunchne ke baad wo garden pe baith jaata hai....Wo garden me baith kar Nisha ke baare me hi soch raha tha ki Nisha aa jaati hai.....
Nisha:- Hi.
Lekin Rahul apne hi khayalon me dooba tha ..... usse Nisha ki dheemi aawaj sunaayi nahi deta....
Nisha:- Kuch keh rahi hu tumse....Jawaab kyu nahi de rahe ho????
Iss baar Nisha thoda gussa me jor se kehti hai Aur Rahul sun leta hai....
Rahul:- Tum.....Tum kab aayi....Maine tumhe dekha hi nahi....
Nisha:- Jab tum apne khayalon se baahar aaoge to dekhoge na....Har vakt apne khayalon me hi doobe rehte ho.....Aaspass kya ho raha hai kuch fikar hi nahi....Aajkal tum pehle se jyada apne khayalon me doobe rehte ho.....Kya baat hai??? Pyaar ka chakkar hai kya....
Rahul Nisha ki baat sun kar had bada jaata hai....Usse kya kehna hai kuch samajh me nahi aata ..... Jaise taise keh deta hai.....
Rahul:- Nahi ..... Bas aise hi kuch soch raha tha....Aur ye aadat meri bachpan se hai....Aur hamesha se aisa hi hu.....Aur mujhe nahi lagta ki aajkal kuch jyaada sochta hu....
Nisha:- Tumne mere sawaal ka nawaab nahi diya???
Rahul:- Kaunsa sawaal???
Nisha:- Yahi ki tum kisi se pyaar karte ho.....Tum aaj kal bahut ajeeb harkat karne lage ho...
Rahul Nisha ki iss baat pe fir se soch me pad jaata hai....
Rahul:- (Apne man me) Kya sach me aaj kal mai aisa harkat karne laga hu....Aaj din me Ajay bhi keh raha tha....Aur abb Nisha bhi.....Shaayad sach me mera behavior ajeeb ho gaya hai.....Lekin mujhe pata kyu nahi chal raha.....
Rahul bas itna hi soch paaya tha ki fir se Nisha ne usse sawal puccha liya....
Nisha:- Jawaab kyu nahi de rahe ho???
Nisha apne jawaab ka besabri se intezaar kar rahi thi....Wo jaana chahti thi ki Rahul kya jawaab deta hai pyaar ke baare me.....Rahul ki khamoshi usko aur tadpa raha tha....Iss liye usne fir se puccha liya....
Rahul:- Nahi mai kisi se koi pyaar nahi karta....Nafrat karta hu iss shabd se....Pyaar ka dusra naam dhokha hai.....Fir se wo galti nahi dohoraana chahta jo ek baar kar chuka hu.....Shaayad uss vakt mujhe jyaada samajh nahi tha inn sab ke baare me.....Lekin abb pata chal chuka hai ki Pyaar aaj ki duniya aur aaj ki yug me koi maayne nahi rakhta....Saccha pyaar bas kahani me hi milta hai....Real life me nahi.....Real life me to pyaar bas ek bahana hai ek dusre se faida uthane ka....Jab apna kaam ho gaya to pyaar ka "The End" aur shuru hota hai "The New Beginning"....Ye sab ek continuous process hai jo kabhi khatam nahi hota.....Iss liye mai pyaar par yakin nahi karta aur dur rehta hu iss cheej se.....Mai bas sukoon se apna life jeena chahta hu Aur Pyaar ka iss khel me pad kar apna life barbaad nahi karna chahta.....
Rahul ne ye to keh diya lekin usse khud samajh me nahi aa raha tha ki usne ye sab kaise keh diya.....Jab Nisha ne usko pyaar ke baare me puccha tha tab usse na chahte hue bhi Priya ka yaad aa gaya....Barson se dil me dabe Priya ke liye nafrat aaj usne Nisha ke saamne ugal diya tha....Rahul Nisha ke saath aise baat karna nahi chahta tha lekin wo Priya ke liye nafrat ko control nahi kar paaya tha......Abb wo baat ko sambhalna chahta tha lekin kya kahe wo usse samajh me nahi aa raha tha....Wo chup chaap wahi par khada reh kar niche jameen ki taraf dekhne laga....
Rahul ka jawaab sun kar Nisha ko bahut bura laga....Nisha ke dil me Rahul ke liye kuch feelings tha aur wo jaana chahti thi ki Rahul pyaar aur uske baare me kya sochta hai....Iss liye usne Rahul se ye sawaal puchha tha....Lekin iss sawaal ka jawaab ne usko buri tarah se dukh pahunchaya tha.....Wo jaana chahti thi ki Rahul kyu pyaar shabd se itna nafrat karta hai.....Lekin abhi Rahul ka haalat dekh kar usne faisla kiyaa ki wo baad me puchegi.....
Nisha:- Sorry Rahul.....Mujhe nahi pata tha ki meri baat tumko itna hurt karega....Mera aisa koi maksad nahi tha.....
Wo dono hi kuch der khamosh rahe aur iss khamoshi ko todte hue Nisha ne kaha....
Nisha:- Mai abhi chalti hu.....Baad me baat karenge....
Nisha ke liye waha rukna mushkil ho raha tha....Iss liye wo Rahul se itna keh kar apni room me chali gayi....
Rahul Nisha ko rokna chahta tha.....Lekin kya kahe wo samajh me nahi aa raha tha....Iss liye wo kuch nahi bol paaya.....Rahul wahi par khada reh kar khud ki baaton par gussa karta raha aur kuch der me apne room me chala gaya.
Rahul ki baaton se Nisha ki dil ko bahut chot pahucha tha.....Uski aankhon se aanson ki kuch boond gir raha tha.....Wo soch rahi thi....
Nisha:- ( Apne man me) Aakhir kya vajah ho sakta hai jo Rahul pyaar se itna nafrat karta hai....Shaayad pyaar me kisine Rahul ko dhokha diya hoga.....Ye baat to Rahul se hi pata chalega....Baad me ussi se pooch lungi....
Ye sochte hi Nisha ko Rahul ki yaad aa jaati hai....Uske chehre me fir se ek mushkaan aa jaati hai....Aur wo fir sochne lagti hai.....
Nisha:- (In her mind) Mujhe kab Rahul se pyaar ho gaya pata hi nahi chala....Shaayad uski acchayi se ....Ya fir uska behavior se.....Thoda jaldi gussa ho jaata hai lekin dil ka bahut hi accha hai.....Kabhi kisi ke liye galat nahi sochta.....Aaj tak jab bhi maine uske saath baat kiya hai ussi se pata chalta hai ki uska soch kitna saaf hai.....Kabhi meri taraf galat najar se nahi dekha.....Uss din Ravi se bhi dosti tod liya jab Ravi mere baare me buraa keh raha tha.....Mai jaanti hu ki uss vakt uska aur mera relation accha nahi tha fir bhi usne apne dost se dosti tod liya....Wo kabhi kisi ke baare me galat nahi sunna chahta aur na hi sochta hai....Jab Rahul se baat hua tab se wo mujhse acche se baat karta hai....Padhayi me bhi tej aur Aditya jaise naalayak fost hote huye bhi buri aadato se bhi dur.... Shuru shuru me to lagta tha ki Aditya ke dost hone ke kaaran bigda hua ladka hai lekin usse baat karne ke baad pata chala ki bahut hi accha ladka hai.....Shaayad inhi vajaaho se mujhe uske saath pyaar ho gaya hai.....
Mujhe to Rahul se pyaar ho gaya.....Kya wo bhi mujhse pyaar karta hai.....Nahi ...Usne aaj hi to kaha tha ki wo kisi se pyaar nahi karta aur pyaar shabd se hi nafrat karta hai....Aaj tak jab bhi uske saath baat kiya hai uski baaton me mai apne liye feelings dhundti rahi....Kabhi kabhi to uske baat karne ki andaaz se lagta hai ki wo mujhse pyaar karta hai to kabhi kabhi lagta hai wo normally baat kar raha hai....Har vakt dimaag me yahi sawaal aata hai ki wo mere baare me kya sochta hoga??? Kya kabhi wo mujhse pyaar karega????Kya meri feelings kabhi jaan paayega????
Agar usne mujhse pyaar nahi kiya to mera kya hoga....Soch kar hi dar lagta hai.....Nahi nahi mujhe abhi aisa sochna nahi chahiye....Mai to bas apna pyaar nibhaungi baad me jo hona hai wo to hokar hi rahega.....Wo itna bhi patthar dil nahi hai ki kabhi nahi pighlega....Abhi to wo pyaar se nafrat karta hai ....Lekin mujhe umeed hai ki ek na ek din uski soch jarur badlegi....Bas munhe apna pyaar acche se nibhaana hoga aur usko thoda vakt dena hoga badalne ke liye.....
Nisha issi tarah se apne aur Rahul ke baare me soch rahi thi....Udhar Rahul bhi apne room me soch raha tha.....
Rahul:- (Apne man me) Aaj jo bhi hua accha nahi hua....Mujhe Nisha ke saath itni jor se aur gusse se baat nahi karna chahiye tha....Uss bechaari ka to koi galti hi nahi thi....Bas munhe kucch pucch hi to rahi thi....Mai bekaar me bhadak gaya uske upar....Ye Priya bhi na.....Saath to chhod diya mera lekin iski yaad ne aaj tak saath nahi chhoda....Baar baar yaad aati rehti hai aur nab bhi yaad aati hai tab bahut gussa aur nafrat baali feelings aati hai.....Aaj bhi gusse me na jaane kya kya keh diya Nisha ko....Na chahte hue bhi Priya ka gussa Nisha par utaar diya.....
Nisha bhi naraaj hokar chali gayi.....Mera hi galti hai....Mujhe soch samajhkar bolna chahiye tha....Khair jo bhi hua abb usse badla(change) to nahi kiya jaa sakta....Kal mai usko sorry keh dunga.
Rahul subah uth kar roj ki tarah fresh hone ke baad garden ki taraf chala jaata hai.....Garden me Nisha bhi pehle se maujood thi.....Shaayad Rahul ka intejaar kar rahi thi....Rahul Nisha ke pass jaakar kehta hai....
Rahul:- Sorry Nisha....
Nisha:- Sorry!!!Kis liye
Rahul:- Wo kal shaam maine bahut gussa me baat kiya tha tumse....Ushi ke liye......Tum please buraa mat maano....Mai tum par gussa nahi tha...Achanak past ke kuch baatein yaad aa gaya....Issliye gusse me tumse baat kiya.....
Nisha:- Koi baat nahi Rahul....Mujhe to kal hi pata chal gaya tha tum mujhse gussa nahi the....Baat to mujse kar rahe the lekin dimaag me koi aur tha aur saara gussa ushi ke liye tha.....
Rahul:- Mujhe to laga ki tum bahut naraaj ho gayi ho.....Raat bhar issi tension mai tha ki kaise sorry bolu....
Rahul aur Nisha fir aise hi kuch der baat karte hai aur dono apne kaam me lag jaate hai.....
In Evening
Nisha apne room me baith kar kuch books padh rahi thi.....Tabhi usko Rahul ke flat se kuch shor aata hai....Wo disturbed ho jaati hai aur books bed par rakh kar Rahul ke flat me jaati hai pata lagaane ke liyeki ho kya raha hai.....
Rahul ka room ka door khulla tha....Iss liye Nisha andar dekhne challi jaati hai.....Jab wo gate se andar dekhti hai tab usko Rahul ke saath 2 aur log najar aata hai.....Aur mobile me se thoda loud voice me ek gaana baj raha tha....Usko kaise react karna hai wo samajh me nahi aata hai aur gate se thoda dur jaakar khadi ho jaati hai.....Udhar Rahul ke saath uske saath aaye log bhi Nisha ko dekh lete hai.....Rahul jaldi se baahar nikal kar Nisha ke pass pahunch jaata hai....
Rahul:- Kya hua Nisha???Tum mere flat par....Kuch kam tha kya???
Nisha:- Nahi koi kaam nahi tha....Tumhaare flat se aawaj aa raha tha to dekhne aayi thi ki kya ho raha hai....Jab andar dekha to pata chala ki loud voice me gaana baj raha hai....Waise Rahul ye bataao ki ye log kaun hai aur kyu aaye hai???
Rahul:- Sorry Nisha....Tum disturb ho gayi....Inn 2 log me se ek mere Raj bhaiya hai aur ek mera best friend Ajay.....Aaj mera birthday tha to issi liye ye sab aaye hai.....Aaj chhota sa party rakha tha....Tum bhi aao na....Kuch der baad chali jaa na.....
Nisha ko Rahul ki baat sun kar thoda sa buraa lagta hai jo uske chehre se saaf dikhayi de raha tha....Rahul ye baat notice kar leta hai aur Nisha se kehta hai....
Rahul:- Kya hua Nisha???Tum kyu udaas ho gayi???
Nisha:- Nahi mai kaun hoti hu tumhaari baato se udaas hone wali ..... Aakhir kis hak se udaas rahungi....Tum to mujhe kuch maante hi nahi.....
Nisha itna keh kar chup ho jaati hai....Nisha ki baaton me thoda dard tha....Rahul bhi soch raha tha ki Nisha ko kya hua aur aise kyu react kar rahi hai.....Rahul kuch bol paata Nisha fir se kehti hai....
Nisha:- Tum to mujhe apna dost bhi nahi maante....Agar tum mujhe apna dost maante to subah hi keh dete ki aaj tumhaara birthday hai....Lekin tumne to abb tak nahi bataya.....Jab maine puccha tab tumne bataya....Isse to yahi pata chalta hai ki tum mujhe apna dost nahi maante aur mujhse koi baat share nahi karte....
Rahul Nisha ki baat sun kar thoda mushkuraata hai aur kuch kehne hi waala tha ki fir se Nisha bolti hai...
Nisha:- Tum mushkura rahe ho meri baat par....Tum sach much mujhe dost nahi maante
Nisha ne ye baat thoda gussa me kaha.....Rahul ki mushkuraahat aur badh jaati hai.....Fir wo Nisha ko mushkuraate huye samjaa kar kehta hai....
Rahul:- Nisha tum bhi na....Maine tumhe bhale hi apne moonh se dost nahi kaha...Lekin bahut pehle hi tumhe apna dost maan chuka hu....Agar tumhe apna dost nahi maanta to garden me tumhaare saath baat bhi nahi karta....Tumhaare saath ghanton tak baat nahi karta aur tumse apni baatein share nahi karta..Mujhe laga ki tum samajh gayi hogi ki mai tumhe apna dost maanta hu.....Lekin shaayad tum samajh nahi paayi.....Koi baat nahi....Abhi keh deta hu ki tum bhi mere kuch dosto me se ek ho....
Aur rahi baat tumko birthday ke baare me nahi batane ki to uski picche bhi ek vajah hai......Mujhe khud pataa nahi tha ki aaj mera birthday hai......Kuch der pehle hi Raj bhaiya ne yaha kar mujhe wish kiya tab mujhe pata chala.....Aur maine Ajay ko bhi phone karke bula liya.....Tumhe bhi bulaane ke liye upar jaane hi waala tha ki tum khud hi aa gayi.....Chalo pehle birthday celebrate karte hai....Wo log bhi wait kar rahe honge......
Nisha:- Lekin mai tumhaare room me kaise jaaungi aur wo bhi unn logo ke saamne.....
Rahul:- Bas kuch der ki hi to baat hai....Tum meri friend ho.....Koi kuch nahi kahega...
Jab Rahul ne cake kaata to sabhi ko kuch pieces diya.....
Issi dauraan Nisha ne Rahul se ek sawaal puccha....
Nisha:- Tumhaara age kitna hua???
Rahul bhi mushkuraa kar jawaab deta hai....
Rahul:- 23 years
Cake kaatne ke kuchh der baad aur birthday celebrate ho jaane ke baad Nisha apne room me chali jaati hai....Usko aaj bahut khusi hua ki Rahul ne usko aaj apna dost kaha....
Nisha ke chale jaane ke baad Rahul ke room me Rahul, Raj aur Ajay kuch baat karte hai.....Ishi dauraan Ajay Rahul se aisa sawaal puchh leta hai jisse Rahul aur Raj dono shocked ho jaate hai....Lekin Rahul ko thoda gussa bhi aata hai....
Raj ko Ajay ki baat se thoda aascharya hua lekin Rahul ko aascharya ke saath saath thoda gussa bhi aaya....Ajay kaise Raj ke saamne aisa majaak kar sakta hai....Issi baat ko sochte hue Rahul ko gussa aa jaata hai....Lekin wo kuch bolta usse pehle hi Raj bol deta hai....
Raj:- Nisha bhabhi???Matlab....Mai kuch samjha nahi....
Abb Ajay kuch samjhaata isse pehle hi Rahul keh deta hai....
Rahul:- Kuch samajhne ki jarurat nahi hai.....Ye kamina Ajay paagal ho gaya hai.....Kuchh bhi bolta hai...(Ajay ki taraf dekhte hue) Tujhe kuch akal bhi hai ki nahi....Sabke saamne bakwaas majaak karta hai....Agar Nisha ne sun liya to....
Itna kehte hur Rahul chup ho jaata hai aur Ajay ko gusse se dekhne lagta hai.....Ajay ko bhi apni galti mehsoos hota hai aur kehta hai....
Ajay:- Sorry yar.....Pata nahi majaak majaak me kya keh diya....Please yaar....Aise gusse se nahi dekh....
Rahul bhi apna birthday me accha khaasa mood spoil nahi karna chahta tha iss liye normal ho jaata hai....Fir kuch der teeno aise hi baat karte hai....Aur Ajay kuch der baad chala jaata hai....
Abb Raj aur Rahul hi room me reh jaate hai.....Raj aaj puri night Rahul ki flat me rukne waala tha.....Rahul ko thoda sa ghabraahat bhi hota hai ki Raj abb usse kya kya sawaal puchega.
Door ko lock karke Rahul andar aa jaata hai.....Rahul bed par baitha hi tha ki Raj ki sawaal ne usko confuse kar diya.....
Raj:- Kab se chal raha hai ye sab????
Raj ki baat karne ke tarike se lag raha tha ki wo bahut hi seriously baat kar raha hai....
Rahul:- (Confused hote hue) Kya kab se chal raha hai.....Mai kuch samjha nahi....
Raj:- Yahi tera aur Nisha ka pyaar....
Rahul ko Raj se aisi question ki ummid nahi tha....Rahul bhi hairaani me jawaab deta hai.....
Rahul:- Whatttt!!! Kya puchha aapne???Mai Nisha se pyaar karta hu.....Aapne aisa kaise soch liya....
Rahul ne hairaani me ye keh diya lekin uska jawaab Raj ne aur bhi serious hote hue diya....
Raj:- Accha mujhe sikha raha hai.....Mujhe to tabhi se ye shak tha jab cake kaat te vakt tu aur Nisha jaise behave kar rahe the.....Lag raha tha ki tum dono ek dusre se bahut pyaar karte ho.....Rahul ek baat bata tu to Nisha se nafrat karta tha na.....To abb itni jaldi aisi najdeeki kaise aa gayi.....Aur mera shak tab jaake yakin me badla jab Ajay ne Nisha ko Nisha bhabhi kaha.....Iska matlab wo bhi tum dono ke baare me jaanta hai.....
Rahul jo abhi tak Raj ki baat par hairaan tha abb usse Raj ki aisi soch par thoda sa gussa aur jyaada hairaani hone laga.....
Raj:- Bakwaas mat kijiye....Wo meri friend hai....Aur isse jyaada kuch nahi....Aapne hamaari friendship ka aisa matlab nikaal liya mai soch bhi nahi sakta.....Aap jo najdeeki ki baat kar rahe the wo bas friendship hai aur kuch nahi.....Ek din maine Ajay ko bataya tha Nisha ke baare me.....Iss liye wo majaak kar raha tha....
Rahul ne apne gusse ko control karne ki bahut koshish kiya lekin itna bolne se khud ko nahi rok paaya....Wo to bahut kuch kehna chahta tha par Raj ki izzat ka khaayal karke chup ho gaya....
Raj:- Dekh baat ko ghumaane ki koshish mat kar....Sidhe sidhe bata kab se tu Nisha se pyaar karta hai.....Dekh Rahul mujhse chupaake tujhe kuch haasil nahi hoga....Aur mujhe tum dono ki pyaar se koi problem nahi....Khul ke bataa sakta hai....
Raj ne Rahul ka badhta gussa dekh thoda shaant hote hue kaha.....Lekin Rahul ka gussa abb bahut badhh gaya tha.....Abb uske andar ka gussa baahar nikal jaata hai....
Rahul:- Aapke pass dimaag hai ya nahi....Ek baar kehne par kyu nahi samajhte ho.....Kaha na maine ki wo meri sirf dost hai....Lekin aap nahi samjhoge....Kabhi koi ladki se baat kiya hai aapne????Agar karte to pata chalta ki bas koi ladki se baat karne se usse pyaar nahi ho jaata.....Lekin aapki mentality kuch alag hi hai....Aapko kaise laga ki mai Nisha se pyaar karta hu.....Aap to hamesha se pyaar se dur bhaagte hai na.....To aapko kaise hamaari baaton se pata chalaa ki ham pyaar karte hai.....
Rahul ki aawaj se hi lag raha tha ki wo bahut gusse me hai......Raj ko yakin hi nahi hua Rahul ka gussa dekh kar....Usne kabhi nahi socha tha ki Rahul uske saath iss tarah se baat karega.....Abb usko lagne laga ki kahi usne Rahul se kuch jyaaada hi to nahi keh diya.....Wo abb Rahul ko samjhaate hue kehta hai....
Raj:- Bhai.....Itna kyu gussa ho raha hai.....Maine tujhe bas itna hi to puchha hai ki kya tu Nisha se pyaar karta hai.....Nahi karta to koi baat nahi.....Agar karta hai to bata de....Sorry agar meri kehne ka tarika tujhe accha na laga ho to....
Rahul ka gussa abhi bhi kam nahi hua.....Gusse me wo Raj ki baat samajhna bhi nahi chah raha tha aur Raj ki baat ka jawaab dete hue kehta hai.....
Rahul:- Are yaar....Aap samajh kyu nahi rahe hai.....Accha aapko jawaab chahiye na ki mai Nisha se kitna pyaar karta hu....To mai bata deta hu.....Mai Nisha se utna hi pyaar karta hu jitna ki aap Riya se karte hai...
Abb chaunkne ki baari Raj ka tha....Wo chaunk kar Rahul se kehta hai....
Raj:- Ye kya keh raha hai....Kisne kaha ki mai Riya se pyaar karta hu....Tera dimaag to thik hai....Jo man me aaye wo mat bol aur Riya ki baare me to kuch bhi mat bol....Mai uski koi bhi baat nahi sunna chahta hu....
Itna kehte hue Raj ka bhi gussa kaafi badh jaata hai....Rahul bhi Raj ko thoda sa muskura kar jawaab deta hai....
Rahul:- Abb pata chala....Kitna gussa aata hai aisi bakwaas karne par....Abb Riya ki baat keh diya to aapko bhi gussa aaya....Mai aaram se aapko keh raha tha ki mai Nisha se pyaar nahi karta lekin aapko to mere moonh se aisi hi jawaab sunne ka man tha.....Mai abb iss baare me kuch nahi kehna chahta....Bas itna jaan lijiye mai Nisha ko sirf dost maanta hu.....
Itna keh kar Rahul sone chala jaata hai.....Raj kuch der aise hi baitha raha aur kuch der pehle waali baat ko soch raha tha....Kabhi usko apni baat par gussa aata to kabhi Rahul ki behavior se....Kuch der baad wo bhi sone chala jaata hai...
Morning.
Rahul subah ka 5:30 me utth jaata hai aur bed ke side me dekhta hai ki Raj so raha tha.....Wo Raj se kuch kehna chahta tha lekin Raj ko sote hue dekh kar uska uthne ka wait karta hai.....
Jab Raj uthta hai to Rahul Raj ko kehta hai.....
Rahul:- Sorry...
Raj ko Rahul se itni jaldi sorry kehne ki ummid nahi thi....Wo Rahul ka gusaa jaanta tha...Agar Rahul gussa ho gaya to bahut der tak uska gussa kam nahi hota hai.....Fir bhi aascharya ke saath Raj Rahul se kehta hai....
Raj:- Sorry...Wo kis liye....
Rahul:- Mujhe aapse kal raat itne badtameezi ke saath baat nahi karna chahiye tha......Lekin mujhe apni baato par koi afsos nahi hai....Maine jo kaha tha thik hi kaha tha.....Bas aapke saath jaisa behave kiya uske liye sorry keh raha hu....
Raj:- Rahul ek baat bata.....Tu aisi chhoti chhoti baato par kab tak gussa hota rahega.....Tujhe life me bahut logo se milna baaki hai....Agar unse koi matbhed ho gaya to kya tu sabko apna gussa dikhaata rahega....Apne gusse ko control karna sikh.....Maana ki tu Nisha se pyaar nahi karta lekin yahi baat tu shaanti se bhi to bataa sakta thaa na....
Rahul:- Bhaiya...Mai aap ko ek baat bata deta hu......Jab tak meri galti nahi hogi mai kisi ke saamne nahi jhukunga aur apna gussa to bilkul bhi control nahi karunga.....Mai aapko meri kal ka behavior ki vajah bataa sakta hu.....Kal meri koi galti nahi tha aur naahi mai Nisha se pyaar karta hu...Maine aapko ye bataaya lekin aap mujhse gusse me baat karne lage ..... Aur mujhse ye bilkul bhi bardaasht nahi hua....Bina meri koi galti koi mujh par hi gussa kare ye mujhe pasand nahi....
Bas itna hi kahunga ki please koi aisa kaam mat kijiye jisse mujhe gussa aaye .....Gusse ko mai bardaasht nahi kar paata.....Ye baat to aap bhi jaante hai....
EVENING AT MARKET
Nisha abhi kuch shoppings karke apne flat ki taraf jaa rahi thi.....Wo paidal chal rahi thi.....Kuch dur aage jaane ke baad ek jagah aaya jo bahut hi sunsaan tha...Koi aadmi waha maujood nahi tha.....Nisha ko aise hi akele chalte hue dekh do log bahut khush the.....Wo do log Aditya aur Raju the.....Ittefaq se wo dono bhi aise hi ussi raaste se apna car aage se Nisha ki opposite direction mechala rahe the aur Nisha ko dekh kar car ko dusri disha me mod kar thodi dur le jaaka rokte hai.....Nisha ne unn dono ko nahi dekha tha.....
Aditya:- Raju....Bahut accha mauka mil gaya yaar....Bahut din se issi mauke ka intejaar kar raha tha ki Nisha akeli mil jaaye lekin kabhi bhi aisa nahi hua....Aaj kismat meharbaan hai....Yahi mauka hai uska kidnapping karne ka....Chal chalte hai aur usko apne saath car me le jaate hai....
Raju:- Paagal ho gaya kya.....Maine pehle bhi kaha tha mai iss kidnapping aur murder me tera saath nahi dunga....Agar fass gaya to puri life jail me sadna hoga....
Aditya:- Iss me fasne waali kya baat hai.....Abhi koi yaha maujood nahi hai....Koi nahi dekhega....Bas hame chhupke se Nisha ko car tak laana hoga....
Raju:- Aur Nisha tak kaise pahunchega...Usne dekh liya to wo shor macha degi aur log sun lunge....Aise me ulta ham hi fass jaayenge....
Raju ki baat sun kar Aditya soch me padd jaata hai ki Nisha tak kaise pahuncha jaaye aur usko car me bithaaya jaaye....Tabhi usko dur ek ladka najar aata hai.....Aditya car ko uss ladke tak le jaata hai aur rok deta hai....
Aditya:- Ae ladke Sun.....Hamaara ek kaam karega....
Ladka:- Tameej se baat kar.....Aur mai tera kaam kyu karu.....Tera baap ka naukar samjha hai kya....Mai koi kaam nahi karunga.....Time nahi hai mere pass....
Wo ladka Aditya ko to tameej se baat karne ko keh raha tha lekin khud hi badtameezi se baat kar raha tha.....Aditya ko bahut gussa aaya....Lekin apne kaam ke liye uss ladke ka saath jaruri tha....Issliye gussa control karte huye bola.....
Aditya:- Jyada mushkil kaam nahi hai.....Bas iss road se aage jaakar baayi taraf se ek ladki aa rahi hai....Usko kisi tarah hamaare car ke pass lekar aa....Iss kaam ke liye mai tujhe 1000 dunga....
Wo ladka bhi gunda type hi tha...Usne socha itna aasan kaam ke liye 1000 accha deal hai.....Wo bhi turant haa karke chala jaata hai.....
Aditya chain ki saans leta hai.....Lekin usko nahi pata tha ki ek ladka uski Raju ke saath huyi baat se abhi tak ki saari baat sun chuka hai .....Wo bhi Nisha ki taraf dusre raaste se daud kar jaata hai taaki Aditya usko naa dekh sake....
Wo Ladka (Jisko Aditya ne bheja hai) Nisha ke pass aakar kehta hai....
Ladka:- Madam....Kya aap hamaari madad kar sakti hai???
Uss ladke ne ekdam minnat bhari aawaj me kaha tha.....
Nisha ko laga ki wo ladka bahut badi mushibat me hoga....
Nisha:- Ha...Kyu nahi....Kya karna hai mujhe....Agar mai kar sakti hu to jarur aapka madad karungi....
Ladka:- Bas iss road se right ki taraf kuchh kaam hai.....Please chaliye .....Baaki ki baat wahi par bataunga....Abhi time nahi hai.....
Nisha aur wo ladka waha se jaa hi rahe the ki dusra ladka waha pahunch jaata hai aur Nisha ka haath pakad kar khinch leta hai.....
Nisha aur wo ladka shocked ho jaate hai dusre ladke ki iss harkat se....
Nisha:- Ye kya badtameezi hai....Chhodo mera haath....
Ladka 1:- Ae Ladke....Bhaag yaha se....Isse pehle ki tu maar khaaye....Fir baad me nahi kehna ki maine tujhe warning nahi diya....
Dusre ladke ne jab ye suna to usko bahut gussa aaya aur wo bhi chilla pada....
Ladka 2:- Chup....Aur tu yaha se chup chaap chala jaa....Jyaada bakwaas kiya to accha nahi hoga....
Ladka1:- Tu aise nahi maanega....Tujhe to mai abhi sabak sikhaata hu....
Itna keh kar Ladka 1 Ladka 2 ki taraf aa jaata hai tabhi Ladka 2 apni peeche se ek bada chaaku nikaalta hai....Ye dekh kar Ladka 1 dar jaata hai....
Ladka 2:- Abb aur aage badha to kaat dunga....Jaldi se bhaag yaha se...
Ladka 2 ne bas itna hi kaha tha ki Ladka 1 waha se bhaag jaata hai.....Nisha ko bhi uski harkat dekh kar bahut gussa aata hai.....Ladka 1 ke jaane ke baad Ladka 2 Nisha ko kheenchte hue dusri galli me le jaata hai....
Nisha:- Kaun ho tum....Mujhe yaha kyu laaya....Chhodo Mujhe aur jaane do isse pehle ki mai chilla kar sabko bula lu....
Jab Ladka 2 ne Nisha ko galli me lakar uska haath chhod diya to Nisha uspar baras padi....
Ladka 2:- Shaant ho jaao....Mera naam Vijay hai (Ye wahi Vijay hai jiska hostel me Rahul ke saath ladaayi ho chuka hai)
Vijay ki baat ko bich me hi kaat te hue Nisha kehti hai....
Nisha:- Mujhe tumhaare naam se koi lena dena nahi hai....Mujhe jaana hai ....Mera raasta chhodo....
Nisha ne ye baat kaafi gusse me kaha.....Aur wo itna keh kar teji se aage jaane lagi.....Vijay ne phir teji se aage badh kar uska raasta rok diya aur kaha....
Vijay:- Please ek baar meri baat suno.....Bahut jaruri baat karna hai tumse....
Vijay kuch aur kehna chahta tha lekin fir se Nisha ne usski baat ko kaat te hue kaha....
Nisha:- Lekin mujhe tumse koi baat nahi karni....Mai tumhe jaanti tak nahi.....Aur tumhaari harkat dekh kar lagta hai tum koi sadakchaap gunda ho.....Mujhe tumse koi matlab nahi....Mera raasta chhodo isse pehle ki mai shor macha kar logo ko ikattha kar dungi.....
Vijay ko Nisha ki baat par thoda gussa aaya lekin wo khud par kaabu rakh kar Nisha se kaha....
Vijay:- Tumhe mujhse koi matlab nahi hai....Lekin Aditya se to hai na....
Aditya ka naam sun kar Nisha chaunk gayi.....Wo chup chaap wahi khadi rahi aur kuch der baad sirf itna boli....
Nisha:- Kaun Aditya...
Vijay:- Wahi Aditya jisse tum jaanti ho.....Jisko tum class 12 se jaanti ho....Mai wahi kameene ki baat kar raha hu.....
Nisha uski baat se kuch der ke liye ek dam chup ho gayi aur fir boli....
Nisha:- Tum Aditya ko kaise jaante ho???Aur kya baat karni hai tumhe mujhse uske baare me???
Nisha ki aawaj me kuch tension tha.....Wo soch rahi thi ki Vijay Aditya ke baare me kya bataana chahta hai....Usse abb thoda thoda dar bhi lagne laga tha....
Vijay:- Mai uss kameene ka dost tha....Aur usse related bahut jaruri baat karni hai....Please aaram se suno....
Nisha:- Tum uske dost the.....Iska kya matlab?
Vijay:- Ha mai Aditya aur Raju ka bachhpan ka dost tha....Class 10 tak ham teeno saath hi padhte the.....Mere papa ke pass bahut paisa hai to iss liye unn logo ne apni kuch jarurat pura karne ke liye mujhse dosti kiya tha.....Wo baat abb mujhe mehsoos ho raha hai....Wo dono bacchpan se hi laalchi aur kameene the...Paise ke liye kuch bhi karte the......Uss time mai bhi thoda bigda hua tha.....Lekin fir bhi unn dono jaisa gira hua nahi tha.....Wo log mera sirf use karte the....Uss time to mujhe kuch bhi pata nahi tha....
Jab class 10 ke exams diya mai unn dono se alag ho gaya....Kabhi kabhi phone pe baat hota tha....Tab tak mujhe unn logo ki assliyat ka pataa nahi tha.....Kabhi socha nahi tha ki wo log murderer niklenge.....Jab 12 class complete kiya tab pata chala ki wo dono kitne bade kameene hai....Tabse maine unn dono se pure contacts hata diya ..... Lekin unhe ye pata nahi ki mai uska assliyat jaanta hu.....Uss vakt ke baad meri life me kuch aise ghatna ghata hai jisse meri life puri tarah badal gaya hai....
Nisha:- Lekin tum mujhse kehna kya chahte ho Aditya ke baare me....Jitna tumne kaha wo to mai bhi jaanti ho....Wo bahut bura insaan hai....Usne jo murder kiya tha uske baare me mai bhi jaanti hu.....Maine hi police ko ye baat secretly bataya tha...Lekin pata nahi wo kaise jail se nikal gaya.
Vijay:- Usne 12 me padhte vakt ek aise ladke se dosti bana liya tha jiska baap bahut bada minister hai....Ussi ke baap ki power se baahar nikla hai wo....Aur case bhi close ho gaya.....Mai tumhe ye bataana chahta hu ki tum uss Aditya se sambhal kar rehna....Wo tumhe kidnap karke maarna chahta hai....Bahut baar koshish kiya hai usne ....Har baar maine uska plan fail kar diya hai.....Aaj bhi wo ladka jo kuch der pehle yaha aaya tha usko Aditya ne hi bheja tha....Tum akeli kabhi mat nikalna ghar se nahi to Aditya kuch bhi kar sakta hai....Har baar mai tumhe bachha nahi paaunga....
Vijay ki baat sun kar Nisha ko shock laga.....Aditya usko maarne ka plan bana raha hai ye usko pata hi nahi tha....
Nisha:- Kya!!!Wo mujhe maarne ki plan bana raha hai....Lekin wo to mujhe jaanta tak nahi....
Vijay:- Agar jaanta nahi to tumhe maarne ka plan nahi banata....Wo tumhaare baare me sab kuch jaanta hai....Jab se mujhe uske baare me pata chala hai to maine uske peeth piche uski bahut si secret baate pata kar liya hai....Wo log Rahul ka istemaal karna chahte the tumse badla lene ke liye.....Suru me to Rahul ka tumhaare saath nafrat ka faaidaa bhi uthaane ki koshish kiya tha lekin jab koi faaidaa nahi hua to abb sidhe tumhe maarne ka soch rahe hai.....
Nisha:- To iss liye Aditya ne Rahul se dosti kiya tha....
Vijay:- Nahi.....Suru me to wo normal dost the....Lekin jab usko Rahul ka tumhaare saath nafrat ki baat pata chali tabse wo Rahul ke saath close friend banne laga....Usne Rahul ko indirectly badalne ki bahut koshish kiya lekin kuchh faaidaa nahi hua....Wo tumhaare baad Rahul se bhi badla lena chahte hai mera naam lekar....Bas ek mauka mil jaaye, Kameene ko to mai aisa sabak sikhaaunga ki saala jindagi bhar yaad rakhega.....Bicch me mera naam ucchalne ki koshish kar raha hai.
Nisha:-Tum itna sab kaise jaante ho Aditya ke baare me?
Vijay:- Pehle bhi keh chuka hu.....Uska aadat mai bacchpan se jaanta hu aur kuch baatein maine khud chhup kar aur kuchh dosto ki madad se pata kar liya.....Rahul ko to mai pehle se hi jaanta hu...
Nisha Vijay ki iss baat ko sun kar thoda hairaan huyi ki Vijay Rahul ko kaise jaanta hai....
Nisha:- Tum Rahul ko kaise jaante ho???
Vijay:- Jab mai 12 class me padhta tha....Tab mai aur Rahul same hostel me rehte the....Rahul aur mera hamesha jhagda hota tha....Uss time mai utna accha insaan nahi tha....Mai usse bahut pareshaan karta tha....Suru suru me to Rahul control kar leta tha lekin jab ye sab uske control ke baahar hua to usne mujh par haath uthha diya.....Maine bhi badla lene ka socha aur uski jindagi ke saath aisa majaak kiya ki Rahul ki aaj jo haalat hai uska jimmedar mai hu.....Uss vakt ke baad meri life me kuch aisa hua ki aaj bhi mai afsos karta hu uss pal ke baare me soch kar.....Bas Rahul se maanfi maangna chahta hu....Lekin himmat nahi hoti uske saamne jaane ki....
Nisha:- Kya kiya tumne Rahul ke saath????Aur tum Rahul ki kaunsi haalat ki jimmedar ho???Abb tumhe apni galti ka ehsas hai to jaake maanfi maang lo.....Mujhe yakin hai ki wo tumhe maanf kar dega.....Bahut accha insaan hai wo....
Nisha ne saari sawaal ek hi saans me pucch liya....Usko Rahul ki fikar bhi tha ki Vijay Rahul ki kaunsi haalat ki baat kar raha hai.....
Vijay:- Sahi kaha tumne ..... Rahul bahut accha insaan hai....Bahut accha dil hai uska....Kisi ke baare me buraa nahi sochta.....Lekin tumhe uske gussa ka andaaja nahi hai....Gusse me wo alag hi insaan ban jaata hai.....Bina kuchh soche samjhe kuchh bhi kar deta hai.....Gussa usko insaan se shaitaan bana deta hai....Agar mai uske saath maafi maangne gaya to mujhe pata hai wo mujhe maanf nahi karega....Bahut gussa hai mujhse aur nafrat bhi karta hai....
Tumne jo puccha ki maine Rahul ke saath kya kiya hai abhi uska jawaab nahi de paaunga.....Baad me sab bata dunga....(Priya ko yaad karte hue aur afsos bhari aawaj me) Bas itna jaan lo ki maine Rahul ke saath jo kiya hai wo bahut galat kiya hai....Uski sazaa aaj mai bhi bhugat raha hu.....Uss ghatne ke baad maine apni life ki sabse important cheej kho diya hai....Rahul ki khaamoshi ka kaaran mai hu...
Uske baad mai bas apna galti sudhaarna chahta tha.....Maine Rahul ko bahut mushkil se dhunda....Jab uska aur Aditya ke dosti ke baare me pata chala to mujhe shak hua ki Aditya Rahul se kuch faaidaa uthaana chahta hai iss liye Rahul ko apna doshti ka shikaar bana raha hai....Aditya kisi se bina matlab dosti nahi karta.....Jab maine iss case ke baare me acche se pata kiya tab Aditya ki assliyat ke baare me pata chala.....Maine tumhe bhi Rahul ke saath uske building me saath rehte dekha tab pata chala ki tum hi wo ladki ho jisse Aditya maarne ka plan bana raha hai.....Bahut din se tumhe Aditya ke baare me batana chahta tha lekin mauka nahi mil raha tha.....Aaj mauka mila to bata raha hu......
Itna keh kar Vijay chup ho gaya....Aaj usko thoda sa chhain mila tha.....Bahut din se Nisha ko wo jo bataana chahta tha wo aaj bata hi diya usne.
Nisha:- Aaj tumne mujhe Aditya ke baare me bata kar mujhe pehle hi saawdhan kar diya....Mujhe to Aditya ka planning aur uska iraada ke baare me kuch pata hi nahi tha.....Abb saawdhan rahungi....
Vijay:- Iss me thanks kehne ki jarurat nahi hai.....Ye maine apni marji se kiya hai....Jindagi me bahut galti kar chuka hu.....Abb koi accha kaam karna chahta hu.....Pata nahi maine apni galti se mera sabse keemti cheej khoya hai wo waapas milega ya nahi.....Fir bhi mai sudharne ki koshish kar raha hu.....(Vijay ne ye baat dukhi aawaj me kaha)
Ant me yahi kahunga ki Aditya se jitna saawdhan raho utna accha hai....Wo jis thaali me khaata hai uss thaali me chhed karta hai....Fir tum to uska bada dushman ho ....Wo tumse badla lene ka koi mauka nahi chhodega....Koi dusre raaste se chale jaana.....Kahi Aditya tumhe dekh na le....
Itna keh kar Vijay waha se chala gaya.....Vijay ke jaane ke baad Nisha bhi dusre raaste se apne flat ki aur jaane lagi....Wo raaste me aaj Vijay ne uski jo madad kiya tha Aditya ke baare me bata kar ushi ke baare me soch rahi thi.....Kuch kadam aage chalne ke baad uske mobile me ek phone aaya....Usne mobile dekha to call Riya ka tha....Usne phone utha liya....
Nisha:- Ha Riya....Bol kya baat hai???
Riya:- Nisha ek baat kehni hai tujhse....
Nisha:- Kya baat hai???Jaldi bata....Koi problem to nahi hai???
Riya:- Nahi ..... Koi problem nahi hai.....Actually aaj mere mom aur dad dono baahar gaye hai.....Kal waapas lautenge....Mai ghar me akeli hu to socha ki tere flat pe aaj raat ruk jaau.....Mujhe apni study me kuch problems bhi hai....Wo tujhhse pucch lungi.....
Nisha:- To ye baat hai.....Tu iss baat ko itna formality se kyu pucch rahi hai....Chal aaja....Mujhe bhi accha lagega.....Mai bhi akeli reh kar bore ho jaati hu....
Riya:- Mujhe laga ki kahi tujhe koi disturb na ho...
Nisha:- Ye kaisi baat kar rahi hai....Tere aane se mujhe kaise disturb hoga....Chal abb jyaada baat mat kar....Jaldi se aaja.....
Itna keh kar Nisha calll kaat deti hai aur apne building me pahunch jaati hai....Waha par Rahul aur Raj pehle hi maujood the.....Wo Rahul ko dekhte hi usko puncch leti hai....
Nisha:- Rahul kahi jaa rahe ho???
Rahul:- Nahi.....Abhi Raj bhaiya ke saath baahar se ghum kar aaya hu.....Bas room me hi jaa raha tha....Tum kaha gayi thi.....Subah se hi nahi dekha tumhe....
Nisha:- Wo aaj college se sidha market chali gayi thi....Kuch shoppings karna tha aur uske baad kisi se baatcheet karte huye itna vakt lag gaya.....
Nisha ne bas itna hi kaha tha ki Riya bhi waha pahunch gayi....Riya Raj ko dekh kar hairaan thi....Usne expect nahi kiya tha ki Raj usko yaha par bhi mil jaayega.....
Raj bhi Riya ko dekh kar suru me to hairaan hua lekin jald hi usne aisa react kiya jaise ussko Riya ka waha aane se koi matlab nahi tha.....Usne Riya se najar hata liya aur dusri taraf dekhne laga.....Riya ko Raj ka iss harkat pasand nahi aaya.....Wahi Rahul aur Nisha bhi unn dono ke reaction notice kar rahe the....
Kuch der yunhi khaamoshi chalta raha.....Iss khaamoshi ko todte hue Rahul ne kaha....
Rahul:- Accha Nisha....Abb mai jaata hu......(Raj ki taraf dekhte hue) Chaliye bhaiya....
Raj aur Rahul apne room me pahunchh gaye.....Rahul room me pahunch kar bed par gir kar jor jor se hansne laga....Raj ka mood to Riya ka waha aane se hi off ho gaya tha aur Rahul ka aisa hansna dekh usko gussa aa gaya.....Gussa me hi usne kaha.....
Raj:- Abe...Kyu hanss raha hai???
Rahul apna hansi ko control karte hue bola....
Rahul:- Bhaiya .... Ek baat pucchu???
Raj:- (Thoda gusse me) Ha pucch...
Rahul:- Wo ladki jo abhi aayi thi wo Riya hai na???
Itna keh kar Rahul fir se hansne laga.....Raj ka gussa aur badh gaya aur usne gusse me kaha....
Raj:- Mujhe kya pata???Aur tu aisa kyu sochh raha hai???
Raj ki aawaj se hi uska gussa ka andaaza lagaya jaa sakta tha......Rahul fir hanste hue jawaab deta hai....
Rahul:- Mai sochh nahi raha hu.....Mujhe aaj bhi mera aur Nisha ka fight pata hai....Jiss din aap aur mai match dekh rahe the.....Ussi din Nisha ne uss ladki ka naam Riya kaha tha.....Aur abhi aapka reaction dekh kar yakin ho gaya ki ye wahi Riya hai jisne aapko acche se pareshaan kiya hai....
Itna keh kar Rahul Raj ko chidaate hue hanss raha tha aur Raj Rahul ko gusse se ghoore jaa raha tha....
In Nisha's Room
Nisha:- Riya ek baat bata.....Tu Raj bhaiya ko dekh kar aise kyu react kar rahi thi????
Riya:- Raj aur tera bhaiya!!!
Nisha:- Are mera nahi.....Wo Rahul ka bhaiya hai....Iss liye keh rahi thi.....Aur tu baat ko chipaane ki koshish mat kar....Bol tu Raj bhaiya ko dekh kar kyu aise ajeeb react kar rahi thi????
Riya:- Usko acchanak yaha dekh liya iss liye....Mera hi college me padhta hai....Bahut pareshaan kiya hai usne mujhe......Uss ko to mai achha sabak sikhaaungi....Usko yaha par acchanak dekh liya to aisa react kiya....
Nisha:- Lagta to nahi hai ki wo kisi ko bewajah pareshaan karte honge....Bahut shaant rehte hai.....Jarur teri hi koi galti hogi....Mai acche se jaanti hu tujhe....
Nisha ne itna kaha aur Riya bhi usko gusse se ghoorne lagi.....
Nisha ko Riya ka aisa face dekh kar aur jyaada hanssi aa gayi Riya bhi usko gusse se aur ghur kar dekhne lagi.