Superb romantic stories kaho ya fir
Champ_AK_81 kaho , dono ka matlab ek hi h
Romantic story yani champ bhai
Champ bhai yani Romantic story
Sahi me bhai agar Romantic story likhne me writer ka naam aye xforum par to
No. 1 par champ bhai h mere liye
Ab ate h khani par
Khani bhut hi lazwab thi, acha hua apne yha post kiya varna pad hi nhi pate itni bdiya story
Story emotional h, pyari h. ....
Story bina sex ke, bina kisi adultery language ke kese likhi jaye, ye champ bhai ki har story me dekhne ko milta h jaisa ki is story me bhi h
Sex name ka koi word nhi h story me, ek dum pure story h
Mentality title ko puri trah se justify karti hui story
Mere hisaab se gusse ko do trah se kabu ya khtam kiya ja sakta h
Pehla h kisi ladki se
sacha pyaar
Dusra
Nature ki madad se (shor gull se durr , apne aap ko mehsoos karke, apne aap ko jan kar)
Yha rahul bhi agar apne gusse pe kabu kar paya to vo sirf Nisha ke pyaar ki vjah se mumkin hua
Main points of story (jo hume story se sikhne chaiye) :-
1.
Second Chance-->> Apki har story real life se hi related hoti h, har khani se kuch sikhne ko milta h
Is story se bhi pta lgta h ki har insaan se galti hoti h, usme achai ur burai dono hoti h, Second Chance har person deserve karta h
2.
Listen properly, patiently -->> Dusra ye ki dusro ki puri baat sune bina life me kitni problm ho sakti h, jaise ki story me rahul ne yhi mistakes ki aur nisha se judai jelni padi fir last me nisha ne rahul ki bat nhi suni aur pactana pada isiliye pehle dusre ki suno
fir koi faisla lo
Gusse wali bat to ho hi chuki h, aur mere hisab se ye to human nature ka hi part h koi gusse pe control rakhta h, kisi ko nhi hota .....simple
Main chiz ye h ki ap kese use behtar dhang se control kar sakte h
Story ki khasiyat ye bhi rhi ki ye sirf rahul nisha pe hi focus nhi rhi
Raj aur Riya ke bare me bhi detailed me likha gya h
Adhi story ke bad to lagbhag har update ke baad hi twist ane lge
Last me story ke liye teen shabd
Simple ,
Sweet ,
Superb
Meri traf se story ko
10 me se
10 number
Bas ek guzarish h champ bhai stories likhna na chodiyega
, Aap ek umda writer ho
Mante h samay ki kami hoti h sabke pass....
Thoda thoda karke likhte rahiye
Taki hume bhi romantic stories padne ka mauka milte rahe
Aur ek bhool 2 par update jaldi dijiye