UPDATE 40
Recap -
Me jana nahi chata tha, kyuki mere paas time behad kam tha par uske saat jane se inkar bhi nahi kar sakta tha, to man mar kar Jonny se saath nikal pada.
Ab aage -
Jonny aur uske pantaaro ne uske birth day ke liye bahut sari shopping ki aur saman lekar jonny ke ghar ki aur chal pade.
CHELA 1
Jonny bhai apke birth day par to full rang jamega bas us raat us chamak challo ka maza chaka dena, bahut garam maal he wo hahaha
Jonny isper kuch na bola par ankho se ye jatla diya ki zarur kyu nahi.
Me bhi unki boto ko samaj nahi paya, par man me kuch na shak tha ki kahi ye log Aanchal ki to bat nahi kar rahe, par in sab bato se zada zaruri kaam tha mere smane us room me kisi bhi traha entry pana, jiske bare me mai kai tarah ki yojna bana raha tha.
Kher kuch der ke bad jonny aur uske chele jonny ke ghar ke samne utar jaye, aur jonny ne bhi mujhe aaj aur kuch kaam na hote hue jane ke liye bol diya.
Uske baad me apni socho me dubta hua, ghar ki aur chal pada, mene kafi sari yojnaye sochi us control room me access pane ki, par unme se koi bhi yojna puri tarah kamyab nahi lagi.
Is soch me dubte hue me apne kamre tak poch gaya, soch-soch kar dimag me halka dard bhi hone laga, jese hi kamre ka darwaza khola, to samne bister par Aanchu ko betha paya.
AANCHAL
Aaj bahut zaldi aa gaya
Usne bethe hue hi sawal kiya.
Na jane kyu, mera sari chint aur dukh uske halke muskurate chere ko dekh kar hawa ho gai. Par use dekhte hi ab ek bar fir se raat ki ghatna mere nazro ke samne aa gai, aur me apradhi bhav se grast hoker sar jhuka liya.
Aanchal ne ye dekha to uth kar mene nazdeek aai aur meri tudhi pakad kar apni nazro se meri nazre milai.
AANCHAL
Aese kyu muh latkaye khada he tu?
Me uske sawal ka kuch jawan turant na de saka, kyuki raat ki ghantna se me kafi lazit tha.
Mujhe kuch na bolta dekh kar usne apni aankho se fir pucha meri udasi ka karan, is baar me chup na reh saka.
ME
Sorry Aanchu kal raa...
Me apni baat puri bhi nahi kar paya tha ki usne apni nazuk ungliya mere hotho par rakh di, aur badi gheri nazro se meri aankho me dekhne lagi, mano kuch tatol rahi ho.
Kuch waqt wo ek tak meri nazro me takti rahi, mujhe uske yu dekhne se asehejta jan padi to mene,apne hoth jara se fadfadye kuch bolne ko, aur tabhi kuch aesa hua jiski kalpana mene khabo khayalo me bhi nahi ki thi.
Aanchu ne apni nazuk ungliya mere hotho se hatai, aur bina kuch bola apne naram hoth mere hotho par rakh diye, aur hotho ko behad komalta se chumne lagi mano wo hoth na ho koi behad komal cheez ho jise zada jor se chumne se wo zakhmi ho jayegi.
Mene uski is harkat ka bilkul bhi anuman nahi lagay tha, to me chonk kar peeche hat gaya, aur aankh fade uski aur dekhne laga.
Par uske chere par muskan kayam thi, mano use kuch farak nahi pada ho aesa kadam uthate hue. Me abhi bhi ek tak use dekh raha tha, aankho se puch raha tha ki ‘ye kya he?’.
AANCHAL
Kyu hua achi kiss nahi kiya kya mene? hihihi
Uske is bebak sawal par meri chere par sharam ki lali aa gai, mana me Aanchal se pyaar karta tha, par mene kabhi bhi ye nahi socha tha ki ek din wo mujhe seedha kiss kar degi.
Sharam aur halke shock me meri gardan ek bar aur jhuk gai, jise Aanchal ne dekh liya, wo halke se chalte hue mere paas aai aur apni baho ka haar mere gale me daal diya, aur mujhe uski aur dekhne ko bola.
Me halka sharmate aur ghabrate hue, uski aur dekha, mujhe dekh kar aesa lag raha tha mano ladki wo nahi me hu.
Aanchal meri is lazaspad harkat pe muskurai, aur dhere se ek pyaar chari chumban mere galo par kar di.
AANCHAL
Dekh to kaise tere gaal laal ho gaye sharam se hihihi
Uske is tane se me aur sharma gaya.
Fir aanchal ne apni baho ka haar mere gale se nikala aur mera hath pakad kar apne saath bister par betha liya, aur meri aur dekhne lagi. Me bhi uski aur dekh raha tha aur uske chere ko padhne ki kosis kar raha tha ki aakhir kyu Aanchal ne mujhe is prakar chum liya?
Kyuki ye ghatna mere liye behad ajeeb thi, ho bhi kyu na ab tak ke bitaye jeevan me aesi koi ghatna Aanchal se saath nahi hui thi, aur ye khena bhi atisyokti nahi hoga ki mujhe uske chere se uske man ka bhav pata lag jata tha, par aaj na jane kyu me uske man ko padh nahi paya.
Mere chere par aati uljahno ki lakeero ko Aanchal badi bareekhi se dekh rahi thi.
AANCHAL
Tujhe mera kiss karna bura to nahi laga na?
Usne ye swal achanak aur behad sanjeeda leheza me pucha tha.
Me uske swal se apni udhed bun se bahar aaya, aur uski aur dekha, mano puch raha hu, kya ye swal usne majak me to nahi kiya?, Me jo use is kadar ‘mohabbat’ karte hu wo bhi kuch dino ya salo se nahi, balki tab se jab mujhe is shabd ka matlab bhi nahi malum tha, aur wo mujhe puch rahi he ki kahi mujhe bura to nahi laga?
Mujhe uske is sawal par dukh se saath gussa bhi aaya, akhir wo kyu nahi samaj ti mere dil ka haal, manta hu use apni dil ka haal me kabhi na khe saku par... kher shayad kabhi mere ander itni himat aa jaye ki me use apne dil ki baat bata saku par abhi to ....
Me ye sab soch raha tha aur wo ek tak meri ankho me dekh rahi thi, fir eeka eek uske chere par ek rehesemai muskan aa gai.
AANCHAL
Kya hua tuna bataya nahi, lagta he tujhe bura lag gaya mera yu kiss karna...
Usne ye baat badi shonkhi andaz me boli, aur room se bahar jane ke liye mud gai, jaise jaise uske pair badh rahe the waise waise mere dil ki dhadkane tej ho rahi thi.
Wo kamre ke darwaze tak hi ponchi hogi ki akasmat mene uski dai bah tham li, bah ke thamte hi usne mere aur ek swaliya nazar uthai, mano puch rahi hu, ki ‘ab kyu roka’.
Uske is swaliya nazro ka mere paas koi jawab nahi tha, aese nahi tha ki mere paas usko bolne ke liye kuch nahi tha, par jo me use batana chata tha use bolne ke liye jo himmat chahiye thi wo me apne ander na pata tha.
Wo kuch pal usi tarah meri nazro me takti rahi, mano aaj wo jaan ke hi dum lena chati ho jo mere dil me kya he, uski us chubti nazro ki tapis me bardast nahi kar paya aur eka-eek meri nazare neeche jukh gai.
Meri nazro ke neeche hote hi uske madham se khil-khilane ki aawaz aai, aur fir ekdum se fasa palat gaya, ab mene uska nahi usne mera haath tham liya. situation ke is palat war se meri nazare fir se uth gai.
Aanchal ke chere par ek shokhi bhari nahi,balki ek komal apne-pan ki muskan thi, wo meri kalai thame mujhe room se bahar le chali, me bhi ek kati patang ki tarah uske peeche chalta chala gaya, mano wo hawo ho, aur uske sahare ke bager mera astitav hi na ho.
Chalte hue wo mujhe chat ki munder ke paas le aai, samne shitij par chand aasman ki gareema badha raha tha, thadi thadi hawao ki thapade ender ek nai urja bhar rahe the, samundar se aaati lehero ki kal-kal aawaze us vatavaran ko kuch ajeeb se aakarshan de rahe the, mano sari kainat milkar mujhe kuch batana chati ho, jo meri jeevan ko ek nai isfurti paradan karne wali ho.
Pal bit rahe the, par na kuch Aanchal boli, na me, uski nazre barabar mere chere par thi, jo me mehsus kar pa raha tha, par meri nazre samne shitij ko dekh rahi thi.
Eeka-eek uski komal hatali ne mere chere ko sahara dekar apni aur moda, aur hum dono ki nazre mili, chand ki us dudhiya roshni me Aanchal ki sundarta is prakar lag rahi thi mano swarg se utar kar pari dharti par aa gai ko, hawao ki halke thapedo se uski udti laate jo uske chere ko kabhi dhakti kabhi nahi, use eek alokik sundarta pradan kar rahe the.
Us drashye ko dekhkar kuch pal me bina kuch bole usme kho gaya, meri is tandra ko aanchal ki awaz ne toda.
AANCHAL
Tune abhi bhi bataya nahi ki mera kiss karna tujhe bura to nahi laga...
Usne ye baat muskan ke saat boli par fir eeka-eek uske chere par sanjeeda bhav aa gaye
AANCHAL
Raj mujhe ache se malum he jo tere dil me he aur aaj se nahi bachpan se
Uske is khulase se mere uper eek bomb futa, ,to kya aanchal janti he ki me use pyaar karta hu.
Mene kuch bolne ke liye lab hilaye hi the ki aanchal ne mujhe chup kara diya.
AANCHAL
Tujhe kuch bolne ki zarurat nahi he, tu kya samajta he jo tu nahi bolta wo me nahi samajti, bas itna hi jana he tune apni aanchu ke bare me
Usne tana sa mara.
AANCHAL
Ache se janti hu tere dil ka haal, par kaya karu darti thi, phele us samaj se jise hum aaye aur ab is duniya se jis me hum he, apne liye nahi tere liye
Usne thandi sans chodte hue bola.
AANCHAL
Kitna samjhaya aur roka tujhe ki mere peeche apni life barbad mat kar, chala ja, par tu to wohi therea meri nanha sa raj jo sara din ‘aanchu’ ‘aanchu’ khekar mere peeche firta tha
Ye bolker usne halke se meri naak ungliyo se pakad kar hilayi.
Aur fir samne muh karkar samunder ko takne lagi.
AANCHAL
Jab tu mujse chota hoker mere liye sab kuch kar jane ko tayar he to kya, yaha tak ki apni achi chalti life dav par laga di to kya mera farz nahi banta ki me teri us khuwaish ko pura karu...
Aachal ki is baat ne mere dil ke saare tar hila diye.
ME
To .. To aachal kya tu..
Me bas itna bola paya ki aachal ke haat ne mere swar rok diye.
AANCHAL
Shh mujhe malum he tu kya puchna chata he, ha mene kabul kiya tere ‘pyaar’, nahi fark padta mujhe ab na is samaj ka, na is kayinaat ka, ha malum he hamara rista is takyanusi samaj ke dayare me nahi aayega, par kya ye samaj kaam aaya jab mujhe iski zarurat thi, koi nahi kaam aaya, na mere pyaar jisne mujhe dhoka diya, na mera baap, koi nahi, aur jab me ander tak tut chuki thi, apni kismat ko kabul karke is zindagi ko uske hawale kar diya, tab tune aa kar mere jivan me ek nai umag bhar di, me fir se ji uthi, aur ab me wapas us niras jeevan ki aur nahi jana chati, aur mujhe malum he tere bina meri zindagi ki umang chali jayegi, isliye kya tu apni is abhagan aanchu ko appnayega...
Usne akhiri line me apni majboori ke saath-ssath ek nirasha bhari guhar bhi lagai aur saath me ek sandeh bhi jatla diya ki kahi me use thukra na du.
Aur jese hi thukrane ka khayal mere dil me aaya, mera zameer ander tak hil gaya ki aanchal ke man me aesi baat aai bhi kese, ki me thukra dunga, uske is swikar ke liye hi to me kab se tapad raha tha jo aaj pura ho gaya.
Bas fir me aur kuch na bola aur na socha, seedha aanchal ki kamar tham kar use apne se lagaya aur use labo ko chusne laga.
Ek pal se liye wo hichki par fir meri baho me aesi tuti mano khud ko mujhpar nyochawar kar diya ho, kafi time tak hamara kiss passionately chalta raha.
Jab sanse tutne lagi to hum alag hua.
ME
Jawab mil gaya ki tera kiss karna mujhe bura nahi laga hahaha
Wo meri baat par halka sharma gai aur muh neeche kar liya. Kuch der ke sanate se baad wo boli.
AANCHAL
Raj mene bahut dhoke khaye he is choti si zindagi me ab aur khane ki himat nahi, to please mere vishwas mat todna ab.
Mene uske aankho me sanjeeda hoker dekha.
ME
Tere pyaar ke liye hi me tapad raha tha aanchu, aur aaj jab wo mujhe mila to me use khese thes poncha sakta hu, aesa karne se phele meri jaan nikal jayegi.
Jaan nikalne ki baat sunte hi aanchal ne apne hato se mera muh band kar diya.
AANCHAL
Abhi abhi itni bhasan bazi kar raha tha aur ab marne ki baat bolta he, eek lagaungi, abhi to hamare naye rishte ka aagaj hue he aur mujhe har haal me iska anzam sukhad chahiye.
Me muskurakar gardan hila di. Fir hum dono us thadi raat me baho me bahe dalkar purani yade taza aur naye spane pirone lage.
To be Continued...