• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143

Update # 14

Swara - Saloni ka koi apahran karne wala hai . Jaldi chaliye . Wo uske ghar ke bahar pahunch chuka hai .

Swara ki baat sun Karan ne daud laga di Saloni ke ghar ki taraf . Swara bhi Karan ke peechhe daudi lekin Karan se pahle hi pahunch gayi wahan par . Karan Saloni ke ghar ke darwaje ko dhakka dekar dhad dhadate huye andar ghus gaya . Saloni aur uski dadi aangan me baithi mirchi sukha rahi thi . Karan ko yun ghabraya hua dekh dono hairan ho gayi .( Swara sirf Karan ko najar aa sakti thi )

Dadi - Are kya hua Karan beta tum itna ghabraye huye kyu ho ?

Karan - Kuchh nahi dadi bahar side koi nahi dikha to mai ghabra gaya tha .

Karan ne Swara ko ghoorte huye kaha to Swara bahar chali gayi .

Saloni - tu to aise bol raha hai jaise ham log hamesha bahar hi baithe rahte hain .

Karan - itara mat jyada , mujhe to bas teri fikar ho rahi thi samjhi .

Saloni - meri fikar awww ,

Salon ko jaise man maangi muraad mil gayi .

Karan - yaar tu ladkiyon jaisi harkat mat kar aur mujhe kuchh khane ko de mujhe bhookh lagi hai .

Saloni - aaj tujh par khush hoon mai abhi tere liye dher sara khana lati hoon aur haan tere aur haan teri soochna ke liye bata deti hoon ki mai ladki hi hoon (sharmakar)

Saloni khikhilate huye rasoi ki ore chali gayi jabki Karan tree house me chala gaya . Use Swara par gussa aa raha tha .

Karan - pata nahi kaise mai is Swara ke chakkar me fas gaya . Saloni ka apahran koi kyu karega ye to sochna tha mujhe . Saloni bhi pata nahi kya soch rahi hogi mere bare me .

Karan bol hi raha tha tabhi Saloni aa gayi . Ganeemat hai ki usane kuchh suna nahi .

Saloni - kisase baat kar rahe ho ?

Karan - kisi se bhi nahi , la khana de bahut bhookh lagi hai .

Saloni - sun achanak se jungle itna shan kyu ho gaya hai jaise koi bhayanak toofan aane wala ho .

Saloni gambheerta se boli .

Karan - haan kuchh alag to lag raha hai .

Saloni - shayad koi tufaan aa raha hai mai Dadi ka samaan aangan se uthawa deti hoon tab tak tu kha le .

Karan - haan , dhyan rakhna apna please .

Saloni - aaj aise kyu baat kar raha hai ?

Karan - shayad bhookh sir par sawaar ho gayi hai .

Saloni tree house se utar gar ghar ki ore jane lagi to use jungle ki taraf kisi ke hone ka abaas hua , wo chilla kar boli ,

Saloni - k...kaun hai udhar ??

Jadhiyon ki taraf sarsarahat kafi tej ho gayi thi . Salon ka chillana sun kar Tree house se bahar Karan bhi aa gaya .

Karan - peechhe hat Saloni wahan se aur andar ki taraf bhag .

Saloni ne Karan ki baat ka koi jawaab nahi diya . Wo jaise kisi ko dekh kar sadme me chali gayi thi . Achanak vatavaran me teevra badbu failne lagi bilkul uss raat ki tarah jis raat Karan aur Rohan par hamla hua tha .

Karan - Saloni peechhe hatt .

Karan ne Saloni ko ghaseetna shuru kar diya ghar ke andar ki ore . Dadi bhi bahar tak aa chuki thi . Karan ko abhaas hua jaise koi usko jhadiyon ki ore kheench raha ho , ghisat te huye Karan jhadiyo ke kareeb tak pahunch gaya tha . Uske kaanon me door se Saloni ke chillane ki awaaj aa rahi thi par wo koi bhi jawaab nahi de paa raha tha . Uska shareer sunn padta ja raha tha . Achanak Karan ko Swara ke makhmali haathon ka sparsh mahsoos hua apne haathon me aur wo sirf itna dekh paya ki Swara ne uska haath pakad kar use apne peechhe kar liya hai .

######

Saloni ke ghar ke paas ki jhadiyon me pahunch kar raftaar aur uske ladaakon ne pahale mauke ka jayeja liya aur uske baad andhere ka intjaar karne ke liye wahi jhadi me chhip kar baith gaye . Raftaar ka man kafi ashant tha . Use baar baar kisi ke aas paas hone ka aabhas ho raha tha . Raftaar ko abb chandrika ki fikar bhi hone lagi thi . Usne apne ladaake se kaha .

Raftaar - kya tumko bhi kisi ke hone ka ahsaas ho raha hai ?

Ladaaka - haan na jane kyu yah jagah kisi shakti se prabhavit lag rahi hai . Thoda aage badh kar baith jate hain .

Raftaar - theek hai chalo ,

Raftaar apne ladaakon ke sath jakar Saloni ke ghar ke kafi kareeb baith gaya . Isi wakat Karan aaya tha Salon ke ghar aur uske baad jo kuchh bhi hua Raftaar ne apni aankhon se dekha . Uska shareer paseene se bheeg chuka tha . Wo uth kar bhagna chahta tha par yun lag raha tha jaise uske shareer ko lakwa maar gaya hai . Jab uski aankhein khuli to wo kabeele me tha aur sabhi uske charon ore khade huye the . Hosh me aate hi Raftaar cheekha ,

Raftaar - Karoon , sardaar Karoon , aappp Halaaku ko bula lijiye , shaitaan aa chuka hai . Kha jayega sab ko aur wo bhi aa chuki hai . Mmmaine dekha use . Toofaan ko rokiye Karoon .

Itna kah kar Raftaar behosh ho gaya .

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Awesome fabulous update
To saitan ki baat ho rahi this parilok main
Lakin ye to sona ke liye aaye h na
Keep posting
Swara ke liye aaya hai ya koi aur maqsad hai jald pata padega bhai :D lekin Swara ke hone se use fark jaroor ladta hai . . Thanks fpr reading :yo:
 
  • Like
Reactions: Naina and Aakash.

Sabhi91

Active Member
1,395
3,957
159

Superb sir jeee.....
Story kafi rahishya se bhari hui hai or iska har update bahut hi damdar hai....
Waiting for next update....
 
Sabhi91

Active Member
1,395
3,957
159
Thanks for reading bhai . Karan kya karega wo aap ko thodi hi der me pata chal jayega . Story shape le rahi hai to aap sabhi ki salaah ka swagat hai:yo:
Aapko salah ki jarurat hi nhi hai....
Aap khud hi itni acchi trah se story likh rahe hai ki aap ko salah dena mere bas ki baat nhi hai. Or waise v mujhme itni kabiliyat nhi hai ki mai aapko salah de saku.....
Mujhe pata nhi tha aapka writing skills itni jabardast hai warna ab tak to mai aapki sari story padh chuka hota. ye pahli apki story hai jo mai padh raha hu....or ab apki har story pe aapke sath milunga...
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,535
150,221
304
I think it would be better if Swara and Karan become friends and both are together. At least get friendship first, first friendship then love. Saloni probably have feelings for Karan. Who did Saloni see? Maybe the demon has arrived. Lovely Swara saves Karan's life, wow! Suspense intact.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
???
 
Top