Update 26
Ramakant charo ko ek saath dekhkar bahut khush hue...
Fir sabse pahle aman aur niraj ramakant ko pranaam kiya fir piche piche annu aur nikita ne bhi pranam kiya....
Ab aap ko bata doon ramakant ji ka ghar ek noramal sa chota sukhi parivaar type ghar tha......
Is ghar me 3 room with attach bathroom ek hall ek dinning room tha ghar ke samne chota sa garden....
Ab sab log ghar me ghuse to susma mil gayi...unko bhi sabne pranaam kiya...ab baat thi koun kahan rahega...kyonki ramakant ji ke hisab se to sab pati patni apne apne room me rahenge lekin aman , annu aur niraj ka hisab alag tha...niraj aur aman chahte the ki wo dono saath rahe wahi annu chahti thi aman niraj ke room me naa rahe balki abhi uske saath rahe taki maa papa ko shak na ho...
Isliye annu yahan fatak se aman ka hath pakdi aur apne room ki taraf le jane lagi...
Ramakant jab dekhe ki sab ke pass bag hai lekin aman ke pass nahi hai to wo bole - beta tum apna kapda nahi laue ho kya....
Ye sunte hi annu aur niraj ek saath bole...
Annu - wo papa inke kapde mere bag me hai...
Wwhi niraj bola - papa aman ka kapdw mere bag me hai...
Ye sunte hi ramakant muskura diye...
Ramakant -arey waah aman tumne bahit achha kaam kiya waise bhi safar me jitne kam saman ho maza utna jyada hota hai...
Fir sab apme apne room chale gaye...
Niraj nikita se - aage ka kya programm hai..
Nikita - maine sunaina se baat kar li hai...
Niraj - matlab....
Nikita - wahi jo tum soch rahe ho...
Niraj - tum mahi sudharne wali...
Nikita bas has deti hai...
Idhar aman ko annu apne kamre me le aati hai....annu to kal raat se hi bechain thi...lekin wo kaise bole aman se wo ye samajh nahi paa rahi thi...usen bahut himmat karke boli...
Annu - aman i am sorryyyy.
Aman kuch nahi bola...
Annu - dekho maine papa ko nahi bataya hai apne divorce ke baare me to please tum unko kuch mat batana...
Aman ne bas haan me sar hioa diya...
Annu - ye mera room hai....aur tum bhi yahi rahoge....
Aman- thik hai...
Ab annu ye bolna chahti thi ki please aman tum mujh se fir se shaafi jar lo...lekin wo ye bol nahi paa rahi thi...wo soch rahi thi kis mooh se wo ye baat aman se bole...abhi wo ye soch hi rahi thi ki susma aa gayi....
Susma - aman beta chalo khana kha lo....utna door se aaye hoge bhookh lag gaya hoga...
Ye sunte hi annu dar gayi....
Annu - maa aman ka tabiyat thik nahi hai...mai inko khila dungi...aap chinta mat kijiye...
Susma to ye sun jar ghabra gayi ki aman ki tabiyat thik nahi hai...wo ye sunte hi aman ke pass aayi aur uska sar chu kar dekhne lagi....
Susma - kya hua beta doctor ke pass chalna hai kya...idhar tab tak ramakant bhi aa gaye....
Ramakant - kiski tabiyat kharab hai...
Susma - annu bol rahi hai aman ki tabiyat khrab hai...ye sunte hi ramakant bhi aa gaye aur aman ka chehra chu kar dekhne lage....unko amam ka rabiyat to thik hi laga lekin jab wo annu oa chehra aur fir aman ka chehra dekhe to unke anubhav ne itna to bata diya ki jaroor kuch to gadbad hai...
Saath hi ab wo aman ko gour se dekhe to aman ki ankhon me ashoon the...
Aman ke ankhon me ashoon isliye tha ki itne din baad use maa papa jaisa pyaar mila...
Ramakant - beta mujhe pata hai tumhe maa papa ki yaad aa rahi hai aur hum tumhare maa papa ki jagah nahi le sakte lekin ye bhi yaad rakhna ki hum tumhare saath hai....
Ye sunkar aman ko bahut achha laga...saath hi wo bhavuk hokar ro bhi raha tha...fir ramakant annu ko bole - beta hum tumhara aur aman ka khana le aate hai...tum aman ka kyaal rakhna....aur fir chake gaye...fir susma bhi chali gayi...ab aate hai mudde par..annu aman ko sabke saath isliye nahi khane dena chah rahi thi kyonki use dar tha aman wahi karega jo humesha se karta aa raha hai wo khana lekar kone me baith jayega jise dekhkar pata nahi unke maa papa kaisa react karenge....idhar khane ke table par niraj nikita aur ramakant aur susma baith gaye the ki annu khana lene aayi apne aur amqn ke liye...
Niraj - annu ye khana kahan le jaa rahi ho...
Annu - apne aur aman ke liye...
Niraj - annu tum yahi baith iar khao mai use khilata hoon...ye bolkar niraj apna plate lita saath hi annu ke haath se plate lekar chala gaya...annu chah kar bhi kich kar nahi payi....idhar ramakant ne jab ye dekha to unka shak aur badh gaya...
Ramakant - annu beta tumhara nirqj bhaiya se ya aman se jhagda hua hai kya...
Annu ye sunte hi turant dar kar boli - nahi papa...
Ramakant - nahi mujhe laga aisa...waise baat jo bhi ho beti..lekin aaj mai tumse bahut dukhi hoon...
Annu - kyon papa..
Ramakant - dekho hum tumhare pass aye the kich mahine pahle...humne yumse bola tha ki aman ka dhyaan rakhna lekin uski halat dekhkarlag nahi raha ki tumne dhang se uska khyaal rakha hai....
Ye sunkar to ek baar nikita bhi dar gayi...
Kyonki bhale annu bewkoof ho lekin nikita bewkoof nahi thi.mmaur nikita ko pata tha ramakant ji ko agar divorce ki baat galti se bhi pata chal gaya to wo apne beto ko aaj hi ghaar se nikal denge....kyonki aaj ke date me unko aman jyada pyaara tha...
Isliye baat ko sambhalne ke liye nikita boli - papa wo aman ki tabiyat kharab ho gayi thi ek hafte pahle to isliye thoda kwmjor lag raha hai isliye to use yaha. Le aaye hai...10 din yahwn rahega to gaav ki hava me jald hi thik ho jayega...